DARK LOVE 3 - PYAAR KI AAKHRI JUNG...

by asif biswas on August 25, 2012, 12:46:56 PM
Pages: 1 2 3 [4]  All
Print
Author  (Read 28823 times)
asif biswas
Guest
«Reply #45 on: October 03, 2012, 04:06:27 PM »
magsur ne ek jhalak zayed par nazar daudaayi aur fhir ooski bhaayanak aankhen idhar udhar dekhte huye oosne apni naak se ek baar zor se sunghaa...

aur ooske baad ooske chehre par muskurahat chaa gayi tabhi malkan apne saath sana ko laaya...magsur ooske paas gaya aur tabhi sana ke hosh aate hi woh zor se cheekhi aur dono se alag huyi..fhir toh jaise thahaako se bhari aawaazein gunzne lagin...sanaa ke aankho mein aansu ghul gaye aur kahuf bhare chehre se woh dono ko ghurrne lagin..tabhi idhar udhar nazar daudhatte huye ooski nazar zayed par parii

sana zayed ke paas daudhte huye aayi..aur ooske sar par haath phairne lagin

sanaa - zayed zayed?? c'mon zayed tumhe uthna hogaa,...zayed are you okay??

zayed koi jawab nahi de raha tha...sanaa ki nazar jab oos zakhm par parri toh ooski aankhen barri ho gayi...tabhi piche se malkan ne sana ke balo ko dabochaa aur oose zameen par patak diyaa

malkaan - namurad insaan jin se pyaar karne ki sazaa tujhe jaror milegin jab tak tum dono ka pyaar zinda hai hamare kaum par lage oos daag ko hum chahkar bhi saaf nahi kar sakte woh saaf hoga lekin sirf tumhari khoon se aaahhhh

malkaan cheekhta huyaa ooske gale ko daboch chukaa tha

magsur aur riyat hass rahe they tabhi ek bhayank gunz gunzzi jisne teeno jinno ko thodha hairaan ka daala tha

riyat - bhaijaan ye awaaz..
magsur - hmm lagta hai yahan koi aur bhi hai

magsur ki nazar jab dusri or parrii toh victor ko dekha..jiske aankh peele padh chuke they..aur munh se khaufnak awaazein aa rahi thi

victor ne kuch nahi kaha aur fhir ooska chhera badalne lagaa ooske kapre phatne lage...teeno jinnat bas oose dekhe hi jaa rahe they tabhi victor woh darinda ban gaya jiski oonhone kabhi baat sochi nahi thi woh khaufnaak chehra aur jism par woh baal

magsur - hmm ye ek shaitan lagta hai ek pisaachi darinda ise bhi khatam kar dete hai..aye darinde chahta hai toh bhaag jaa yahan se warna tujhe bhi mitta denge hummm

victor ke chehre par bass khoon kahulaa tha aur woh bhi teeno jinant se bheedh gaya...sanaa zayed ke kareb aakar baith gayi..aur victor ko dekhne lagin

victor ne apne naakhun oonke chehre par maarein oonke chehre kuch kat gaye aur kuch jagaho se khoon behane laga...magsur ko gussa aaya aur oosne victor ko hawa mein uchaal diyaa victor ne saamne paid ko jadh se ukaadh dala aur oon teeno jinnato par giraa daala....teeno jinnat saamne khare ho gaya aur oonke chhere par gussa saaf jhalak raha tha

victor ne apne naakhun sidha oos jinnat ke jism mein garaa diyaa woh cheekh para....victor ne oose khichadh mein faikh daala

malkan - bhaiiii jannn aaahhhh bhaiii jaannn mujhe bachahiyyeee aahhh

magsur ne riyat ko rokaa aur kaha ruk jao riyat dekh nahi rahe woh naapak ho chukaa hai...agar humne bhi waisa hi kiyaa toh hum kaum mein ghuss nahi sakenge woh humhe apni duniyaa se alag kar denge behtar yahin hai ki ek jaan kurbaan hone de

victor ne apne nukile daant nikaale aur malkaan ke gardan mein gadhaa daaleee...malkaan ki ek khaufnaak chekeh nikali aur chehra neela padh gaya...victor ne oose waapis zameen par patak dala...victor ke chehre par bas khauff sawar tha...magsur ne malkan ko dekha aur ooske upar ek aag ka gola faikh daala

malkan - aahhh aaah aahh aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaahhhhh.....malkan ka jism aag mein jalkar rakh ho chukaa tha
riyat - malkan ki kurbaani ki sazaa is darinde chukaani hongi
magsur - tum bilkul theek keh rahe ho

magsur ne ek chingaari hawaa mein udhaayi jo sidhe victor ke jism se lag gayi victor ka jism bandh gaya aur woh wohin girkar chatpatane lagaa....victor bandh chukaa tha magsur ne apni nazar sana par daali sanaa khauff bhari nazro se magsur ko dekh rahi thi

riyat aur magsur ne dair naa karte huye sanaa ke nazdeek aaye aur oose fhir daboch dalaa...magusr ne ek apne hath ko mazbuti se sana ke gale ko dabaye rakhaa jisse sanaa ki sans ghuttne lagin..aur ooske aankhen dhal gayi...sana chatapatne lagin aur udhar victor bhi gusse se chekh raha tha....

zayed behosh haalat mein tha lekin woh kuch nahi sakta tha

sana ke dil mein bas yahin baat ghumm rahi thi oose apni zindagi khatam hone ko dikh rahi thi....

lagta hai aaj ye jinnat mujhe maar denge ..main zayed se kabhi na mil sakungi...hum dono ka saath shayad yahin tak ka tha..lekin mujhe fakr hai ki agar meri jaan jaa bhi rahi hai toh zayed ke saath jaa rahi hai....ab mujhe apni maut ka khauff nahi...meri ye kurbaani is pyaar ki daastan ko hamesha itihaas mein likh dengi hum dono ka pyaar hamesha ek hi rahegaa.. chahe duniya mein hum ho ya naa hoo....

to be continued....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ek Aakhri Kaalaam Ek Aakhri Khitaab by Ghayal in Shayri for Dard -e- Judai
dark love - pyaar ki daastan by asif biswas in Inspirational Stories and real life Incidences.
dark love - pyaar ki daastan { 2} by asif biswas in General Stories « 1 2  All »
Dark Love Story Part-4 ( ek nayi suruwaat ) by anjali kapoor in General Stories « 1 2  All »
dark love story ( ek nayi suruwaat ) by princess anjali in General Stories « 1 2  All »
asif biswas
Guest
«Reply #46 on: October 05, 2012, 02:22:17 PM »
sanaa sanaa sanaa....zayed ke aankho ke saamne sanaa thi...woh sanaa ke baarein mein yaad kar rhaa tha..jab oose woh pehli baar mili thi ooska yu daudhkar paas aana aur ooske gale lag jaana....kuch gunde ooske peeche they...jab zayed ne oon gundo ko pachaad dala aur sanaa ko apne giraft mein le liyaa....oossse juddi woh yaadein ek tasveer ki tarah ooske saamne aakar khari ho rahi thi oonka woh pyaar...judaai...oonke bhichadhne ka dukh...fhir yun zindagi mein karwat aana ek dusre ke paas aana

udhar sanaa ke aankhen dhudnli padhne lagin aankho ki putliya dhakne lagin aankho ke saamne andhera chaa gaya....sanaa ne aakhri baar muskuraya aur ek aakhri lafz nikaala...

"i love you zayed".....

sanaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa.....zayed ne apni aankhe ko kholaa aur woh bhayanak cheekh ooska pehla lafz tha

zayed uth chukaa tha...magsur ne sana ko faikh dala..aur riyat ne piche palatkar zayed ko dekhaa....zayed ne ek dhakka dete huye riyat ko dur faikh dalaa...magsur saamne se hath chukaa tha

zayed larkharata huyaa sana ke paas pahcuha oosne sana ke chehre ko haath mein lete huye dekhaa...."aankhen kholo sanaa aankhe kholo tumhara zayed tumhare paas hai sana meri taraf dekho sanaa sanaaa sanaa mere khaatir tumhare pyaar ke khaatir kya hamara pyar bas itna hi tha sanaaaaaaa"...zayed ki awaaz thodhi badal chuki thi

magsur aur riyat zayed par hass rahe they oonki thahaako bhari aweaaz gunjee jaa rahi thi...

magsur - kahan tha tujhe? kaum ke khilaaf tunne pyar chunkar sirf khonaa hi likha tha...ab baari teri hai is duniya se khatam hone ki
riyat - dekh liyaa natijaa ab tu bhi ooski aatma ke saath ek hogaa hahahaa...is duniya se mit jaane ke baad

zayed ne ki nazar piche palti jise dekhkar dono chaunk pare...ooski aankhen neeli padh chuki thi aur chehre par gusse se gulabhi ho raha tha...zayed ke uthte hi ooske kapre phatne lage aur jism bhi badhne lagaa aur kuch hi pal mein bhayanak awaazo ke saath zayed ek khaufnaak roop mein oonke saamne kahraa tha....

zayed - huhhhhh aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaahhhh tumhari maut hongi
magsur aur riyat bhi gulabi ho chuke they aur cheekhte huye oos par tut pare

lekin naa oonki taqat kuch keher dhaa paa rahi thi aur naa koi fark padh raha tha...zayed ne riyat ke gale ko dabocha aur oose ek saans mein hi dur faikh dala..zameen par girte hi woh zameen se ragad khaakar sidhe ek paid sa jaa takraya

zayed ne magsur ko dekha magsur bhi oose dekhe jaa raha tha dono ke haath ek dusre par kass gayi...aur taqat ka numaissh shuru ho chukaa tha...zayed ne ooske haatho ki haadiyo ko todh dalaa tha...magsur ki cheekh nikal gayi

zayed ne ooske gardan par ek zor daar mukka ke vaar kiyaa aur ooske baad oose sidhe zameen par pachadh dalaa...aur ooske pachadhte hi magsur ki saansein atak gayi aur zayed ne bheej kar ek laat ooske seene mein utaar di ooske munh se khoon nikal gaya..aur fhir magsur waapis uth na saka

udhar se riyat hawao ki tarah zayed se takraaya zayed ne oose haatho se dabochaa aur ooske jism ki madodh dalaa aur ooski cheekhti woh awaazein kaafi khaufnaak thi

zayed ne waise hi ooske gardan ko kasske pakra aur zordaar ghumaa dalaa....ooske ghumte hi riyat zameen par gir para...zayed ne piche se ek talwaar nikaali aur sidhe ooske seene mein ghopp dalaa...talwaar seene ke andar se zameen ke andar tak dhass chukaa  tha...riyat kuch dair tak waise hi zayed ko dekhta raha aur ooske baad woh khatam ho gaya

magsur ne tab talak jung ko sambhaal liyaa tha...zayed ne talwaar faikhi aur magsur ko uthaake patak daala...aur oose hamle karne ka mauka hi nahi diyaa...zayed ne ooske peeth aur pait par mukko ki jaise barsaat kar di tez tez mukko se ooske munh se neela khoon ghaara laal khoon nikalne lagaa aur zayed ne ooski aankho ko dabochte huye talwaar se ooska sar hi ek jhatke mein kaant daala...aur fhir ooske jism ke bhi tukre tukre kar daale farsh par girte hi woh jaise hawaa ki tarah ojhal ho chuke they

zayed ka gussa shant nahi ho raha tha tabhi ek siskari ki awaz ne zayed ko chauknaa dala zayed daudhta huya sana ke jism ko apne baah mein utha chukaa tha ooski seene ki dhadhakan ab bhi chal rahi thi

zayed - sanaa...zayed ki awaaz mein badlaav tha
sana ne dheere se aankhe kholi aur muskuraha daal....zayeddd

zayed sanaa ko apne seene se lagaa chukaa tha...sana ne zayed ke jsim par apnaa haath lapet liyaa...

kuch dair baad zayed waapis normal ho chukaa tha oosne victor ko dekhaa jo ab darinda nahi tha..zayed ne kuch padhaa aur ooske baad victor par fhook dalaa...ooske fhookte hi victor ek dum se uthkar khara ho gaya aur khud ko aur fhir snaa ko dekhne lagaa

victor - zayed? oh sanaa tum sahi ho thank god
sana - thank god mujhe nahi zayed ka karo oosne tumhe darindagi se nikaal liya hai aur oon shaitani jinno ko oonki sazaa bhi dilaa daali hai
victor - thanks zayed
zayed - shukriyaada mujhe tumhara karna hai ki tumne mujhe is jung mein madad ki
victor - ye sirf sana aur tumhare liye tha...

2 din baad

victor st jacob ke saath waapis uk jaa chukaa tha...aur idhar sana aur zayed apne zindagi mein waapis jeene lage 2 saal baad ...sana ko ek pyara sa bachcha huya jo asal mein insaan ke bhais mein jinn ki taqat rakhne wala zohal tha...sana aur zaayed dono ek dusre ko dekh rahe they aur oos bachcahe ko

sana aur zayed ki zindagi sudhar ho gayi aur oonhe wishwas ho gaya ki pyaar karne wale marte nahi aur na pyar kabhi mitta hai is tarah khatam huyi ye pyar ki daastan jo sirf panno mein kaid hoke reh gayi .....ye pyaar ki daastan

alvida guyss....the end......


Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #47 on: October 09, 2012, 07:15:40 AM »
Bahut achcha end.
Kahani bahut pyaari rahee.
Aakhir tak pyaar ki khatir zayed larta raha.
Aur aakhir me jeet pyaar ki huyee
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #48 on: October 30, 2015, 10:41:41 AM »
Hello namaskar aadab mera naam hai asif biswas jaisa aap log jaante hai i am a story writer and even known for extraordinary writings yoindia ke shuruwat mein jab maine pehla kadam rakha tha tab meri naayab story khooni dil thi ye story asal mein ek thriller fiction story thi jispe bahut views mile aap logo ka pyaar mila ye meri is site pe pehli experiment thi jiske baad is forum pe har tarah ki sirf shayari ya love stories hi nahi balki horror aur thriller type ki kahani bhi likhi gayi i didn't inspire them yoindia maybe inspired them  Usual Smile anyways main yeh kehna chahunga to all my readers ki princess anjali ne jis story ko shuru kiya hai woh meri dark side saga trilogy se koi relation nahi rakhti woh story ka mere kahani se koi relation nahi hai

haalakni pehle main sehmat tha ki woh kahani badhaaye par jab dekha ki oonhone kahani ko beech mein adhura chodh daala aur dobara posting ki fhir adhura chodha isse kahani ki ruining ke sath mujhe bhi ek behad jhatka laga kyunki main koi kahani adhuri nahi chodhta hoo aur main nahi chahta ki meri lekhni kabhi adhuri rahe chahe woh koi bhi part se kyu na connected ho

I want to say to everyone that my dark love saga stories of all it's three parts are my own and it's original jise ek writer ne xossip pe bhi chura ke likh daali ksii ne fb pe churaa ke likh daali it's first part par chor ko kaun chori se rok sakta hai  toothy12 hahaha anyways bas aap logo se request hai ki meri dark love story jo is third yaani ki last part mein aake khatam ho chuki hai aur ab isse aage koi bhi part nahi likha gaya zayed aur sana ke milan ke sath hi ye story samapt ho gayi ab jis kahani ko princess anjali ne badhaya oos kahani ka mere kahani se koi relation nahi and i want to say to everyone pls if u read her story don't think it's connected with it's previous parts thank u  love4
Logged
Pages: 1 2 3 [4]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:38:30 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.211 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer