Dehshat'gardi ka khatma kayoon'kar ho?!

by Dr Maqsood Hasni on April 23, 2009, 11:32:06 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1665 times)
Dr Maqsood Hasni
Guest
Dehshat’gardi ka khatama kayyoon’kar Ho
How to Abolish Terrorism?!




Maqsood Hasni


Aaj ki insani nasl itni bai’his nahain hoe aur na’hi bai’rahro, baiadab, khud’ghrz aur khud’sari ka shakar hoe hai kah woh apnay rohani paishwaoon, bazurgoon aur baroon ko khatar main na lati ho.

Mada itna bhi motabar aur mohtaram nahain howa jitna kah daikhnay aur samjhnay main aa raha hai. Jo dikhae day raha hai wohi sab kuch nahain ya yahhi aakhri haqiqat hai. Es kay pichay bohat kuch aur bhi hai. Jis ki tafheem abhi baqi hai. Aqab ki tafheem aur pazirae aaj ki pehli tarji kay darjay par faez hai.  Yah baat poray yaqeen say kahi ja sakti hai kah es aqab ki talash zahir parast na kar sakain gay aur nahi os tak oon ki rasae mumkinaat main hai.

Aaj ki nasl apnay rohani bazurgoon ka na’seraf ehtaram karti hai bal’kah oon kay kahay par amal karna apnay liay baes-e-sa’adat samjhti hai. Hazrat Maha’atma Budh, Hazrat Zar’tusht Hazrat Essa Mashi, Hazrat Barahma Dev, Hazrat Shive, Hazrat Vishnu, hazrat Goru Nanak Dev, Hazrat Bahaulla, Sachaoon kay masadaq Harat Mohammad ki mohabatoon aur rahmatoon kay sar’chashmoon* say log aaj bhi faiz’yaab hotay hain.

Daikhnay main aisa lagta hai kah in bigray halaat ka aab kuch nahain ho sakta ya ho sakay ga. Aisi soch qate shatani hai aur kaj amli par dalalat karti hai. Log to rasta daikh rahain kah koe aa’ay aur oon ki ghael rohoon kay  zakhmoon par marum rakhay. Yahhi nahain oonhain rasta sojha’ay, oon kay diloon ko thandak aur farhat bukhshy, taqseem aur taqseem dar taqseem kay darwazay band karay. “Woh bhi hain” kay tasawar ko ojagar karay.

Aisay main Shayukh nay midan-e-amal main qadam na rakha to yah bohat bari ghalti aur bhool ho gi. Dehshat’gardi ka kansar zoor pakarta ja’ay ga aur aakhar-e-kar 3rd.  stage par aa ja’ay ga. Phir seraf mout, insan ki mout ho gi. Kuch sojhae na day ga. Jumla Shaukh par wazay rehna chahiaykah woh Aaj kay Amin aur MASIHA hain. Logoon kay dard ka hal oon kay pas hai. Aati nasloon ki fikri-o-qalbi  hayat-o- mout oon kay hath main hai. Oon kay pas dawa aur jarahat ka saman ba’surat rohani shakti mojood hai. Agar insan baqi na raha to oon ki izzat, mohabat aur ehtaram kab baqi rahay ga. Agar yah zulm aur borae ka hath nahain rook saktay zoban say keh nahain saktay to kam az kam zulm aur borae say nafrat ki soch ko to diloon main faroogh day saktay hain. Diloon kay phirnay say soch kay halqay az’khud mur jaein gay.

Yah sachae kay Mohtarum Qazi hain. Inhain “Insan Bachao” ka faisla inhain daina hi ho ga. In kay faislay par aaj amal daramad ho ya na’ho, in kay faislay ki haisiat aur ehmiat, jab tak insan baqi hai motabar aur mohtaram rahay gi.

Lafz Jihad qabal-e-Dashnaam tehra hai. Es ki tashri-o-tabeer kay hawala say gher’janib’dari aur eman’dari say kaam nahain liya ja raha. Jihad koshesh, tag-o-doo, sae,  struggle waghera ka motradaf lafz hai. Tarikh kay sab pannay es amar ki kholi goahi dain gay kah kisi Eslah’konida nay talwaar say kaam nahain liya. Onhoon nay bari bord’bari hosla’mandi say pathar kha’ay. Kuch to bari shan say daar tak bhi ga’ay. Zehar ko amrat samjh kar nosh-e-jan kiya. Haan jab kabhi nobat aae to difa main talwaar zaroor othae.

Aaj insan ko tazabzab aur khoof ki soli say otarna hai. Tazabzab aur khoof hi insan ko talwaar othanay par majboor kar raha hai. Jab insan par khol ja’ay ga kah woh jis ko marnay ja raha woh os ka apna partu hai aur kisi aur  ka qatal khud os ka apna qatal hai to woh kabhi tawaar nahain otha’ay ga. Her insan dusray kay liay motabar aur mohtaram tehray ga.

Soch main taharat aur pakizgi Shani Dev nahain, Barahma ji kay povitar boloon say hi aana mokin hai. Sukhan-e-Hafif hi raishmiat paida kar sakta hai. Goru Garanth Sahib kay Shabd hosan-e-kalaam ki vaja ban saktay hain. Jab insan insan kay liay motabar aur mohtaram ho ga to hi who sarapa qUran ho sakay ga.

Rang nasal alaqa zoban qabila firqa, mazhab waghera ki tafreeq khatam honay say insan, insan kay qareeb aa sakta hai. Yah qorbat reshta’darioon main tabdeel ho gi.

Bawar rahay laho, laho hota hai aur yah her hawala say motabar aur mohtam hai. Es ka behtay rehna thek nahain. Yah ragoon main dorta phirta hi acha lagta hai.   




Kholasa-e-kalaam :

1-   Ulma** karam  tafreeq ka rasta choor kar aur mukhsus halqoon aur daeroon say nikal kar insan kay diloon ko phairain.
2-   Puri dunyaan main Rohani assambliaan qaem ki jaein.
3-   Ulma-o-Shayookh zindagi ko sada aasan aur qana’at’pasandi ka daras dain. Cheen kar aish-o-aaram ki gozarna konsi laeq-e-tehseen baat hai.
4-   Ambya aur Solaihein zalim ko os kay zulm ka baar baar ehsas dalatay rahay hain, Ulma-o-Shayookh bhi oon ki sonnat par amal karain
5-   Mahaireen-e-Lisanyaat zobanoon main tehzibi, samaji aur lisani sanjhain talash karain.
6-   Jumla mazahib kay ulma mazahib main mushtarik qadroon ko talashain
7-   Insani zidagi kay es khatar’naak moor par Hazrat Amam-e-Kaba, Hazrat Pop John Paul, Dalae Lama aur es status kay digar akabrein apni zima’darioon ka ehsas karain aur insan ko bachaein

Mein nahain samjhta Ulma-o-Shaukh ka Payaber-e-Aman, Ghos-e-Zaman, Fakher-e-Sufiya, Bashar-e-Bai’badal, Efat-e-Insaniat, Peer-e-Tariqat, Hadi-e-Mazahib-e-Alam Sultan-ul-Oliya-o-Foqara, best follower of Hazrat Mohammad (Darood upon Him),
Izzat Ma’aab Hazrat Alama Sheikh Shah Sufi Dr. Mohammad Nur-ulAlam Sahib kay parcham talay sae-e-masalsal bai’kar aur la’yaeni ho kar reh ja’ay gi.

Aatay kal kay liay kuch to warsa choor kar jana hi ho ga. Yah aatay kal ka haq hai. Aatay kal kay log bhi hosn sakoon aur aasodgi ka haq rakhtay hain. Yah oon par koe ehsan nahain hamara farz hai. Woh hamaray bachay hoon gay. Hamain onhain kuch to acha tarkay main day kar marna chahiay warna hamari aur kottay ki mout main kiya faraq reh ja’ay ga. Onhain bangla, kothi, kar waghera say ziyada ehtaram, shanakht, sakoon achi ravayaat, achay sanskar ki ziyada zarorat ho gi.
---------------------------------- 
•   Jumla Hazrat Aal-e-Mohammad, Hazrat Abdul Qadir jilani, Hazrat syed Ali Hajvairi, Harat Shams Tabraizi, Harat Shams Sabzvari, Harat Fareed-ud-Din, Hazrat Shah Hussain Lahori, Hazrat Nazam-ud-Din olya, Hazrat Qotab-o-Din Bukhtayar Kaki, Hazrat Boo Ali Qalandar, Hazrat Lal Shabaz Qalandar, Hazrat Rehman Baba, Hazrat Abdul Lateef Bhatae, Harat Shuchal Sarmast, Harat Sultan Bahoo, Hazrat, Shukarulla Qasoori (Syed Ghulam Hazoor), Hazrat Bulle Shah Qasoori, Hazrat Daem Hazori Qasoori, Hazrat Molana Roum, Hazrat Hafiz Shirazi, Hazrat Mazhar Jan-e-Janaan, Hazrat Khaja Drad, Hazrat Molana Jami Wagherahum
** Ulma-e-Mazhib-e-Alam

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Khatma zindagi aur mujhe fanah karde by chahat in SMS , mobile & JOKES
Dhamaaka,. Dehshat Ka,. by Azeem Azaad in Shairy-E-Watan
Islaam Aman Ka Paighaam, Islaam Dehshat Nahi Sikhaata,. by Azeem Azaad in Shairy-E-Watan « 1 2  All »
dehshat... by chandniverma86@yahoo.com in Share: Poetry of Pain
sajid_ghayel
Guest
«Reply #1 on: April 23, 2009, 11:43:12 AM »
Subhan_allah Doctor saheb aapki tehreer bohat bohat khoobsurat hain, Bohat khoobsurat andaz me aapne apni ray di hain.....Khuda aapki is soch ko haqeeqat me tabdil kare "Aameen"

raat aa_ii hai balaao.n se rihaa_ii degii
ab na diivaar na zanjiir dikhaa_ii degii

[balaa=danger; rihaa_ii=freedom]

vaqt guzaraa hai pa mausam nahii.n badalaa yaaro
aisii gardish hai zamii.n Khud bhii duhaa_ii degii

[pa (par)=but; gardish=misfortune]

ye dhundalakaa saa jo hai us ko Ganiimat jaano
dekhanaa phir ko_ii suurat na sujhaa_ii degii

[dhundalakaa=mist; Ganiimat=blessing/God-send]

dil jo TuuTegaa to ik turfaa tamaashaa hogaa
kitane aa_iino.n me.n ye shaql dikhaa_ii degii

[turfaa=strange/peculiar; shaql=face]

saath ke ghar me.n ba.Daa shor barpaa hai 'Anwar'
ko_ii aayegaa to dastak na sunaa_ii degii

[barpaa=arisen; dastak=knock]

-Anwar Masood-
Logged
Dr Maqsood Hasni
Guest
«Reply #2 on: April 23, 2009, 12:11:39 PM »
aap ki mohabat ka mairay dil main bara ehtaram hai.
mairi post kay hawala say es address par email kain aur amli aqdam ki darkhast karain.
alamunitednations@yahoo.com
digar dunyaan kay akabrein ko bhi likhain.
aaj insan ko taqseem, taqseem dar taqseem say bachanay ki bari zarorat hai warna aata kal hum par lanat bhaijay ga.
hamari rohoon ko qabr main sakoon na mil sakay ga.
hamain apni aati nasl ko kuch na'ch to acha daina hai.
barood goli aur haira phairi waghera kis kaam ki cheezain hain.
aap ki es ata k liay hamaisha shukar'gozar rahoon ga.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: April 23, 2009, 12:16:29 PM »
Sachchi, Mashallah, Bohat Achche Tareeqe Se Aapne Bataaya Hai, Dehshat Ka Suraj Ko Zawaal Mein Kaise Laaye, Great Job, Docror Saheb, May Allah Bless You,.
Aapki is Soch Ko, Haqeeqat ka Rang De, Allah Kareem,.
Logged
Dr Maqsood Hasni
Guest
«Reply #4 on: April 23, 2009, 12:28:57 PM »
Allah Sahib aap ko kush rakhy
tovajo dain
opar walay jawab par amal karain.
shoor machaein.
qalam walay yahhi kar saktay hain
khuda k liay aatay waqt k liay kuch na'kuch tarka main chorain
motwatar likhain aur likhtay rahain.
koe sonta hai ya nahain es ko chorain
mujhy hai hukam-e-azaan par amal karain
pur'sakon mout aa'ay gi.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 04:25:32 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer