Dil ki Aashiqui

by asif biswas on August 03, 2012, 11:00:08 AM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 7581 times)
asif biswas
Guest
«Reply #15 on: August 20, 2012, 02:07:33 PM »
Meri mazburiya bahut badh chuki thi…zindagi toh bas kashti ki tarah chal padhti hai toh rukti tab hai…jab maut ke platform par aap ki kashti pahuchti hai….meri zindagi mein bhi aisi hi karwat aayi…pyaar milaa..khushnaseeb se badnaseeb mein tabdil ho gaya mera pyaar…ek ujhaadh zindagi thi meri

College ki padhai roz hoti…mera dhyaan apne guitar ke strings par hota..par main tut chukaa tha jitney sapne sajaaye they..woh sab khatam ho chuke they…cheryl meri zindagi ka hissa bankar mujhse alag huyi thi…ooske pagalpan aur mere gusse ne hamare pyaar ko barbaad kar daala….ab meri zindagi mein andhera tha jismein main khush hi tha…

Padhai puri ho chuki thi…aur main bhi ooty mein rehkar bahut pak gaya tha…ab yahan ka akelapan se chuttne ke liye maine soch liyaa tha ki Hindustan se kayi dur chalaa jaaungaa…jahan meri zindagi khushibhari hogi aur yakeenan pyaar ke jaal mein dobara nahi fasungaa..ab sirf khud ki hi sochungaa…

Maine jo kuch paise jamaa kiye they oosse bahar jaane ka tickets arrange ho chuke they…aur main ab jo sapnaa dekhna chahta tha…who bilkul tut chukaa tha…meri zindgai mein pyaar tha..ab kisliye ye paisa kaam aayenge….jab pyaar hi nahi akelaa pan hi hai

Maine Hindustan 2 mahine baad hi chodh diyaa….aur aur ek acchi multinational company mein job karne laga…is baat ki khabar naa toh mere parents ko pata chali..aur naa hi kisi ko shak hone diyaa…sirf maa ko baad mein is baat ka pata chala toh who bahut naraz huyi thi…

Germany aakar mujhe kaafi accha laga..suhana mausam….gore log..naa koi Indian…aur koi beeti baatein..maano zindagi se main karwat le chukaa tha…mere company ke boss se meri baat huyi thi..jinhone…mera job ek mr reighton sir ke yahan shift kiya they…main oonke dekh rekh mein oonke diye huye apartment mein rehne lagaa…boss se kabhi kabhar mulaqat ho jaati…aur main shaam tak office ke baad ghar aakar apni maa ko call karta aur oonse baat karta…meri zindagi mein bas yahin sabkuch tha…naa hi mujhe kisi se matlab tha…aur wahan ke logo se main zyada baat bhi nahi karta tha…kaam se matlab ooske baad ghar aakar aaram karta yaa fhir kahin ghumne chalaa jaata….

Ek din boss ne mujhe apne cabin mein bulayaa…aur mujhe apni beti ko shopping market chodhne ke liye kaha…main office mein naya tha aur naiki karne se who toh jaise mujhe manne lage they…maine turant hi haan keh di

Agli shaam main car mein baitha intezaar kar raha tha…tabhi ooski beti holly aayi..aur meri car mein baith gayi…main speed se car chalane laga…who baar baar mujhe ghur rahi thi…lekin main kisi par dhyaan nahi deta…main bas car ko chala raha tha…ki tabhi oosne ek dheemi awaaz mein kaha aap ka naam kya hai??

Main – ali ruksat ali..
Holly – oh aap India se ho naa
Main – ji…
Holly – bahut hi acchaa aap itne chup chup kyu rehte ho?
Main – meri aadat hai…
Holly – oh…

Shopping mall aa chukaa tha…maine oose saath mein liyaa aur who apne shopping kharidne lagin…fhir andhera ho chala…humne ek ek coffee pee par who mujhe hi notice kar rahi thi…

Main bas coffee ki chuskiyo mein dubaa huya tha…oosne baat ko aage nahi badhaya..aur maine ooske ghar ki or car ko modh liyaa

Ghar drop karke main waapis jaane laga toh…oosne mujhe rokaa

Holly – main raatbhar akeli rehti hoo darr lagta hai…agar aap saath ho toh..
Main – aapke dad gussa honge…mujhe naukri se nikaal denge…mujhe janaa hai
Holly – oh c’mon dad is out of country oonko aane mein 15 din lagenge…aap pls aaj raat mere saath ruk jaaiye
Main – theek hai lekin aapke dad se permission le loo
Holly – ooski zarurat nahi main khud baat kar lungi…
Main – ok

Main ooske saath ooske aalishan ghar mein aaya…aur fhir ooske bedroom mein jaate hi main toh jaise dang reh gaya..ek aalishan karma..waah ooski nazar mujhse mili

Main – toh fhir main kaunse kamre mein jaoo?
Holly – ooski zarurat nahi hai…tum mere saath soyenge
Main – ye aap kya keh rahi hai?
Holly – jo sach hai baat who keh rahi hoo..
Main – dekhiye main oos type ka larka nahi hoo…let me go…warna main compain karungaa
Holly ne mere haath ko pakra..aur mujhe dhakelte huye bistar par laa patka…

Main waapis jaise uthne laga who mere seene par chadh chuki thi….ooski garam saansein mere chehre se takraa rahi thi…

Main chahta toh oose ek jhatke mein hataa sakta tha lekin oos kambhakt dil ne  naa jaane kyu mere haath ko rok diyaa…holly mere honth ko chunne lagin…aur oosne zor se mere hontho mein apne honth daal liye...ek gehra chumban huyaa…aur ooske baad toh jaise who mujhpar sawaar ho gayi mer iaankhen band ho chali..aur oosne mujhe har jism ki taraf chumaa…who mujhse lipat gayi aur apne kapro ko khol ke azaad kar diye

Shayad Cheryl ke jaane ke baad mere jism ko harkoi chu sakta tha…kya main bikaau ho gaya tha….woh kaafi dair tak mujhse lipati rahi …aur fhir hum dono ki aag jab shaant huyi toh main khud ko koste huye wahan se nikal gaya….main ghar pahuchkar apne kapre ko faikkar bas bistar par laita….cherl ke tasveero ko yaad kar raha tha…oosne mujhe jis haal mein chodhaa tha…aaj main oosse bhi battar ban chukaa tha….main kisi aur kashish mein kaise kheenchta chalaa gaya..ye ahesaas mujhe ab ho raha hai….agar Cheryl yahan hoti toh jeete ji mar jati

Tabhi meri nazar… apne mobile par gayi…jismein ek sms tha…jiske padhte hi main toh jaise dang reh gaya

Ye msg cheryl kaa tha…hi ali main chahkar bhi tumse dur naa reh saki…jitney sitam mujhse huye ooske liye main maafi chahti hoo…ab tum kahan ho ? kis haal mein ho? Bahut baatein karni hai tumsein…pls reply karo….mujhe

Main aankho mein aansu liye muskurane laga….

Maine msg ka reply diyaa aur oose germany aane ko kaha

Oosne do din baad ka mujhe mauka diya

Do din ke baad….main german airport par kharaa tha…shayad saari ummedein chutt chuki thi….main haath mein rose ka guladsta liye kharaa tha….kaafi ghante beet gaye…par Cheryl ka naa koi ataa pataa tha…tabhi meri nazar ek larki par gayi jiske baal cream colour ke they…black jacket tha…aur ooske aankhen neeli neeli sit hi…maine pehle oose andheka kiyaa…aur fhir who mujhe ghurne lagin…main khud ko rok naa saka…cheekhte huye ooske kareeb bhaaga

Cheeryllllll..

Aliiiiii

Who bhi cheekhte huye mere paas aane lagn…hum dono daudhte huye ek dusre se lipat gaye…maine oose apni baahon mein uthaa liyaa…aur who mujhse kasske gale lipatkar rone lagin…main bhi aansu mein ghulte huye ooske gale ko chummkar ooske gale lag gaya

Ali – kitna intezaar karaya tumne mujhe main tut chukaa tha
Cheryl – I am sorry main chhakar bhi tumse dur na reh paayi…
Ali – cheryll
Cheryl – haan
Ali – will you marry me ?
Cheryl – I love you

Hum dono ek dusre ko kiss karne lage…saarein logo ki nazar humpar thi…aur fhir jab hum alag huye toh ek dusre kaa haath pakre…church ki taraf chal pare…

Humne wohin church mein shaadi kar li…aur zindagi behtar ho gayi…yahin thi hamari dil ki aashiqui…jo jaan mein utar aayi…

                            The end………

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aashiqui by Tabrez khan in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Aa Aa Aashiqui Mein Teri by Sonu in Songs & Lyrics
AASHIQUI MAR JAYE by ANKIT RAO in Shayri for Khumar -e- Ishq
AASHIQUI by saahill in Shayri for Khumar -e- Ishq
Meri aashiqui ab tum hi ho by prateekagarwal in Share:Miscellaneous Shayari
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:19:49 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.123 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer