Dulhan.mohabbat kuch bhi nahi (sad love story)

by vampi khan on December 14, 2014, 07:06:45 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1736 times)
vampi khan
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
12 hours and 38 minutes.

Jaan kar kya karo ge ???

Posts: 180
Member Since: Dec 2014


View Profile
Dil mein ab dard-e-mohabbat ke siwa kuchh bhi nahi,
Zindagi meri ab teri chahat ke siwa kuchh bhi nahi.........



Dulhan ke jode mein saji vo bala ki khoobsurat lag rahi hai. Aur sach kahun toh mera ye kehna hi jaise ek gunah jaisa hai, uske saath meri na-insafi hai. Kehna toh ye chahiye ke uske tann par saj kar vo Dulhan ka joda bahut khoobsurat lag raha hai. Ek mamuli laal rang ka kapda aaj uska perhan bankar besh-keemti ho gaya hai.


Ab toh jaise yaad bhi ke main kabse use chahta hoon, kabse use paane ki tamanna dil mein liye hue hoon.


Jahan tak yaad ki had jaati hai, vahan tak bas ek uski hi soorat nazar aati hai. Zindagi shuru uske daman se hoti hai is khwahish ke saath ke aakhri hichki bhi uske baahon mein aaye aur kafan bhi uska daman bane.


"Tum hamesha mere saath kyun khelte ho?"

Bachpan mein jab vo masoomiyat se ye sawal kiya karti thi toh mujhse jawab dete nahi banta tha. Sach toh ye tha ke uske sawal ka jawab mere paas tha hi nahi. Us chhote se masoom ladke ko khud hi ye kahan pata tha ke vo kyun har pal us masoom chehre ko takta rehta hai.

Kyun be-ikhteyaar us masoom si gudiya ke paas chala aata hai aur kyun uske gudde gudiya ke khel mein shaamil rehta hai.


"Tu ladki ho gaya hai, gudiya se khelta hai. Ham tere saath nahi khelenge"

Doston ke mazak banane ka silsila bachpan mein hi shuru ho gaya tha. Aur vo silsila jo shuru hua toh phir kabhi khatam hua hi nahi, chalta hi raha aur uske saath chalta raha meri deewangi ka silsila. Bachpan jawani mein tabdeel hua toh ye samajh to aa gaya ke main kyun har pal uske saath ki khwahish, uski nazdeeki ki talab rakhta hoon par dil se vo kasak kabhi gayi nahi.


Uski chahat rag rag mein lahoo bankar daudti rahi aur uski shakal ek tasveer
bankar mere kamre ki deewar ke saath meri nazron se hoti meri rooh mein ja basi.


"Jab ham bade honge to main tumse shaadi kar loonga phir ham hamesha saath mein gudiya se khela karenge"

** saal ki umar mein mere lab se nikle vo alfaaz kab ek khwaab bankar aankhon mein ja base jaise khabar hi nahi hui. Gudde gudiya ka khel toh khatam ho gaya par us waqt kahe gaye chand alfaaz ek wada bankar ham dono ko jod gaye, hamare dilon ko jod gaye, dhadkan ko jod gaye.


Main teri barah-gah-e-naaz mein kya pesh karun,
Meri jholi mein mohabbat ke siwaa kuchh bhi nahin ......


"Kya kar sakte ho mere liye?"

Usne masoomiyat se ek baar jo sawal kiya toh lafz jaise kam pad gaye ye batane ke liye ke main uske liye kya kuchh karna chahta hoon. Samajh hi nahi aaya ke kahan se shuru karun aur kahan khatam. Kaise un cheezon ki fehrist banaoon jo main uske supurd karna chahta hoon.


Kabhi haath uth gaye falak ki taraf ye ishara karte hue ke vo kahe toh aaftab ki roshni uske gaalon mein bhar doon, Mehtaab ki chandni uske aanchal mein samet laoon, siyaah raat ki siyahi uski aankhon ke dore bana doon aur laal sehar ki laali uske labon par saja doon. Toh kabhi yun khwahish hui ke seena cheer kar dil uske
hawale kar doon.


Kabhi chaha ke uske pairon tale har phool saja doon toh kabhi khud phool banar uski kadam-bosi kar loon.


Teri mehfil se jo uthoon toh bata phir kahan jaoon,
Mera kaam teri ibadat ke siwa kuchh bhi nahin ......


Bas adde ke paas Kallu ki chaai ki dukaan aaj bhi vahin hain. Vo 2 kursiyan aur ek mez usi saleeke se rakhi hui hai jis saleeke se vo kabhi hamare intezaar mein hoti thi.


"Pareshaan karne ko bulaya hai mujhe yahan? chhed rahe ho, bhaag jao ....."

Ada se ithlake vo uska mujhse vo shikayat karna aur us gile shikve mein chhupi vo masoomiyat baar baar mujhe is baat ke liye majboor karti ke main aage badhkar uska matha choom loon, uske haath thaam loon aur phir bayan karun, bataoon use, ke main kis qadar use ishq mein fana hoon. Bataoon ke main kyunkar be- ikhtiyaar sa uski ek jhalak paane ko dil thaame uski raah mein mutazir rehta hoon.

Samjhaoon use ke uske vajood se mera vajood qayam hai aur jo vo nahi toh meri shakhsiyat ka koi matlab nahi. Ke meri har sehar uske tazkire se shuru hoti hai aur shaam tak ka mera safar uski aawaz sunne ki beqarari mein guzarta hai.
Logged
vampi khan
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
12 hours and 38 minutes.

Jaan kar kya karo ge ???

Posts: 180
Member Since: Dec 2014


View Profile
«Reply #1 on: December 14, 2014, 07:11:18 PM »
Aey khuda mujhse na le mere gunahon ka hisaab,
mere paas ashq-e-nadamat ke sivaa kuchh bhi nahi ....


Har taraf rang birange kapde pehne, saje dhaje log khushiyan mana rahe the. Kuchh uske apne the aur kuchh yun hi bulaave par uski khushi mein shaamil hone aa gaye the.

Aaj uski shaadi thi aur dulhan bani kisi gudiya ki tarah saji hui vo majlis ke theek beech mein bethi thi. Log aa rahe the aur uske saamne apna laya tohfa rakh kar uski us mubarak din ki mubarakbaad de rahe the aur uski aane wali zindagi ke liye dua.


Aaj usko dekh kar ye ehsaas hua ke laal rang uspar bahut fabta tha. Jaane kaise itne lambe arse mein is baat se main poori tarah gaafil raha. Kya is liye ke usne kabhi mere saath mere saamne laal rang pehna nahi ya isliye ke mujhe har rang mein vo is qadar haseen lagti thi ke har rang ki rangat meri nazar se poshida rahi, be-asar rahi.


Aur phir ehsaas hua ke laal rang uspar kitna fab raha hai. Kya isliye ke is laal rang mein kuchh khwabon ka khoon shaamil hai, ke ye laal rang kuchh bekaar ummeedon ki ashqon mein bheega hua hai, ke ye laal rang apne aap mein kuchh wadon ka ka janaza samete hue hai.


Haath mein phoolon ka ek guldasta liye main khamoshi se uski taraf badha. Meri shakhsiyat se vahan har koi anjaan tha. Us logon ke hujoom mein jaisa mera hona ya na hona ek barabar hi tha.


"Tu chahe bhi toh kya de sakta hai usko yaar. Kya hai kya tere paas"

Mere ek dost ne ek baar mujhe samjhane ki koshish ki thi. Aur naseeb ka khel dekhiye, aaj uski zindagi ke sabse bade din bhi mere paas use dene ko kuchh bhi nahi. Aaj main uski khushi mein shareek hone ko aaya bhi toh haath mein kuchh subah ke murjhaye phool liye.


Khuda se kahun, tujhse kahun ya khud hi dil ko samjha loon,
Lab pe mere ab ek shikayat ke siwa kuchh bhi nahi ......


Kamal ki baat hai. Jab bhi main uske kareeb hota tha toh dil ki dhadkan jaane kyun apne aap badh jaati thi. Uske chehre ki ek jhalak, uski saans ki garmi, uske jism ki khushbu aur uske haathon ki narmi, kuch aisi kashish, kuchh aisi taaseer thi uski ke dil bekaabu hokar deewanagar sa dhadakne lagta tha.

Aaj phir vaisa hi kuchh aalam hai. Ab is nadan dil ko kaise samjhaoon ke aaj vo meri nahi, ke aaj vo kisi aur ki aur ho rahi hai. Kaise is deewane se kahun ke aaj yun phir tezi se dhadak kar kuchh haasil nahi hoga. Ke aaj toh ise dhadkan se kinara kar lena chahiye aur mujhse is bekaar zindagi se nijaat dila deni hahiye.


Haath mein guldasta lekar main uske kareeb aaya aur use dene ke liye aage ko jhuka. Nazar utha kar usne shukriya kehne ke liye meri taraf dekha toh khabar hui ke door se nazar aati uski vo khoobsurati toh mehaz ek bharam thi. Us shaam pehli baar mujh par uski aankhon ki veerani, uske chehre ki vehshat zaahir hui.


Khabar hui ke vo toh aaj phir vahi gudde gudiya ka khel khel rahi hai bas aaj gudiya ki jagah usne khud ko betha liya. Jism hai, rangat hai, perhan hai, zevar hai par kisi gudiya ki tarah hi ye sab hone ke baad bhi kuchh nahi hai kyunki jism mein jaan nahi hai.

Haan, uski aankhon ne mujh par zaahir kiya ke vo toh bas ek murda laash ki tarah vahan bethi nakli hasi has rahi thi, muskura rahi thi.


Main aaj phir khada hoon tere huzoor mein tera mureed hokar,
Mere aankhon mein is haqeeat ke siwa kuchh bhi nahi ......


Lakh mere chehre par naqab sahi, nakli daadi moonchh sahi. Lakh maine koshish ki thi bhes badalne ki taaki uski shaadi mein mujhe koi pehchan na sake par uski nazar dhokha kaise kha sakti thi. Uski nazar meri nazar se mili aur ek pal mein ye pegham mujh tak pahunch gaya ke usne mujhe pehchan liya hai.

Aaj phir mujhe saamne dekh kar vo muskurayi aur mujhe laga jaise mera sab kuchh lut gaya ho. Kahan gayi vo muskurahat, vo hasi jise pakar main kabhi ithlata phirta tha. Kahan gayi vo hasi jo kabhi mujhe poora karti thi. Kahan gayi vo hasi jise pakar main sab kuchh pa leta tha. Vo hasi jiske baad mujhe kisi aur cheez ki zaroorat hi nahi padti thi.


Apne honthon par aap is pakeeza hasi ko yun hi sajaye rakhna,
Meri daulat is muskurahat ke siwa kuchh bhi nahi ......


Aur phir mere haath mein thame phool chhut kar uski jholi mein ja gire aur numaya hui un phoolon ke pichhe chhupi revolver. Vo revolver jis mein sirf 2 hi goliyan maujood thi. Vo revolver jise main phoolon ki aad mein ab tak apne aath mein thaame hue tha.


Ham dono par ab bhi kisi ki nazar nahi hai. Sab apne aap mein magan hain aur ham dono jaise un sabse bekhabar, duniya se paraye hokar ek doosre ki nazar mein nazar daale ek doosre ko dekh rahe hain. Vo kabhi meri taraf toh kabhi mere haath mein thami revolver ki taraf dekh rahi hai. Aur haan vo ab muskura rahi hai.


Phir vahi muskurahat jo main dekhna chahta tha. Uski hasi ab phir laut aayi hai.


Usne muskura kar apni aankhen moond li jaise aaj phir ek baar apne aapko mere supurd kar rahi ho. Maine apne haath mein thami revolver par ek nazar daali aur phir ek nazar usko dekha.


Uske munh se kuchh safed cheez si nikal rahi hai, ek safed jhaag. Uski rangat jo ab tak peeli thi, ab safed hoti ja rahi hai.


Aur phir neeche bethi bethi vo ek taraf nidhal hokar gir padi.


Vo to aaj mar kar hamein mil hi gayi raahat varana,
Zindagi ranj-o-museebat ke sivaa kuchh bhi nahin.......


Sab log ab uske chaaron taraf khade hue hain. Khushi ka aalam ab cheekh pukaar mein tabdeel ho gaya hai.


Kisi ka dhyaan ab bhi meri taraf nahi hai aur na hi meri nazar un par. Main toh apne haath mein thaami us revolver ko dekh raha hoon jiska rukh meri taraf hai. Jis mein ab bhi 2 goliyaan maujood hain par zaroorat ab sirf ek ki hai.



Dil mein ab dard-e-mohabbat ke siwa kuchh bhi nahi,
Zindagi meri ab teri chahat ke siwa kuchh bhi nahi.........


Thanks A lot for reading everyone
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #2 on: December 14, 2014, 08:46:46 PM »
WAAH WAAH BAHUT KHOOB. icon_flower icon_flower
Logged
vampi khan
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
12 hours and 38 minutes.

Jaan kar kya karo ge ???

Posts: 180
Member Since: Dec 2014


View Profile
«Reply #3 on: December 14, 2014, 10:25:30 PM »
Shukriya bhai pasand karne k liye
Logged
vampi khan
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
12 hours and 38 minutes.

Jaan kar kya karo ge ???

Posts: 180
Member Since: Dec 2014


View Profile
«Reply #4 on: December 14, 2014, 10:26:40 PM »
Next love  story  posted  soon

Soch raha is baar haror story post karu
Logged
jeet jainam
Khaas Shayar
**

Rau: 237
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
60 days, 12 hours and 13 minutes.

my rule no type no life and ,i m happy single

Posts: 10150
Member Since: Dec 2012


View Profile WWW
«Reply #5 on: December 15, 2014, 05:14:26 PM »
Vry hard and good work  waaahhh keep writing
Logged
vampi khan
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
12 hours and 38 minutes.

Jaan kar kya karo ge ???

Posts: 180
Member Since: Dec 2014


View Profile
«Reply #6 on: December 16, 2014, 10:35:19 AM »
Vry hard and good work  waaahhh keep writing

shukriya bhai
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #7 on: December 16, 2014, 10:03:25 PM »
Nice Sharing.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 11:52:17 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.149 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer