Ek sache shakhs ki sachii kahani...

by brokenbyluv on January 24, 2010, 09:38:08 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6
Print
Author  (Read 174938 times)
brokenbyluv
Guest
«Reply #30 on: January 31, 2010, 05:28:03 PM »
thnx think ji,ehsas ji n pari ji...
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #31 on: February 01, 2010, 06:54:19 PM »
Maafi chahti hu der se likhne k liye...chaliye aage badhte hai...

Ab tak tou apne ye dekha ki aman ko khush rakhne k liye ruhi ne uska kitna sath diya per abhi tak aman ruhi k ateet se ya yu kahe ki uske aaj se bhi anjaan tha..aman ne ek din ruhi se uske ateet k baare mein pucha ki kya usne bhi kabhi kisi se pyar kiya hai??ruhi ne kaha ki haan usne bhi kisise beinteha pyar kiya tha per ab vo shakhs uski zindgi mein nhi hai...aman ne kaha use uske kal se nhi ruhi k aaj se pyar hai..per ruhi ki zindgi mein ek aesa shakhs tha jisse aman thoda insecure tha...per ruhi hamesha kehti ki vo sirrf uska acha dost hai aur usne uska us waqt sath diya jab vo apne zindgi k mushkil daur se guzari thi...aman ne ruhi ki baato per yakeen kar liya aur phir kabhi us shakhs ka zikr nhi kiya..per jane anjane vo shakhs ruhi ki zindgi ka ek ahem hissa tha jis baat se aman bekhabar tha ye baat ruhi aur sanaa hi jante the...aman aksar jihad se kehta ki vo phir se dil pe zakhm nhi khana chahta jihad use smjhata ki ruhi aesi nhi hai...vo use sach mein chahti hai...per aman k dil mein ek darr tou tha hi ruhi ko khone ka...ek din achanak aman aur sanaa k beech bahut kaha suni ho gyi usi anjaan shakhs ko lekar waise hi aman pareshaan tha aur uper se sanaa ki dakhal andazi ruhi aur aman k beech aman ko jachi nhi tou vo uspe baras pada..aur dekhte hi dekhte vo chaaro alag ho gye..aman aur jihad sath rehte ruhi aur sanaa sath rehtemkayi baar aman,jihad aur ruhi milte per vo charo kam hi milte the ya shayad un chaaro ne sath mein milna chhod hi dya tha..aman ruhi ko khona nhi chahta tha..vo hamesha ruhi se puchta ki vo tou use nhi chhodegi naa..tou ruhi use apne pyar jatati...kuch pal ko hi sahi aman chain se uski agosh mein apna gam bhula deta...per sanaa aur ruhi ki dosti bahut gehri thi...tou ruhi kayi baar aman ko bina bataye sanaa k sath jati vo aman ko isliye nhi batati thi ki vo aman ko hurt nhi karna chahti thi..aman kaafi pareshaan rehne laga is kism k badalte mausam se..jo achanak uski zindgi mein agya tha...vo ruhi ko paake khush tha tou use khone kaa darr use ander hi ander khata rehta...jihad bhi use smjha k haar chuka tha...ab vo tamanna ko bhi nhi yad karta tha vo bus yahi sochta ki mhbtt hai hi nhi uske liye...

Aman k liye din bahut lambe hote jaa rahe the,ruhi aur sanaa sath mein job karne lage isi kaaran use ruhi se mile kaafi din beet gye the,aman call bhi karta tou ruhi jaldi ph rakh deti ya baad mein baat karungi keh k kaat deti..aman ek din ruhi k ghar gaya wahan sanaa bhi thi usne sanaa se baat nhi ki usne ruhi se pucha ki kyun usne use call nhi kiya naa hi use msg kiya tou ruhi kehti ki uske ph mein balance nhi tha..aman ne kaha thik hai aur baat ko khtm kar diya..aman niche gya tha ruhi aur sanaa baat kar rahe the..aman ne sanaa ko us anjaan shakhs k baare mein kuch kehte suna vo ruk gya aur sanaa ki baato pe gaur karne laga..sanaa ne kuch call karne ki baat pe kaha tou ruhi ne palat kar jawab diya ki uske ph mein sirrf missed call karne k hi paise hai vo call nhi akr sakti..aman ne itna suna aur uski ankhe bhar aayi ki ruhi ne use jhooth kaha..aman ne ruhi se ek sawal kiya ki kyun vo use jhuth kehti rahi..aman jaan gya tha ki vo anjaan shakhse ruhi ka boyfrend the aur ruhi usse bahut pyar karti thi..ruhi nne kaha ki vo sanaa kuch aur baat kar rhi hai aman ne kaha ki agar ruhi use sach bata deti tou use bahut khushi hoti per vo phir bhi use chahta hai aman ghar agya..vo phir toot gaya tha use har cheez khane ko daud rhi thi kismat smjh kar vo dard ko bhoolne laga aur jihad aur vo apni zindgi mein khushiya dhundhte phir se jine lage..ek din ruhi ne aman se kaha ki vo uski aur sanaa ki dosti karwana chahti hai aur chahti hai ki sab kuch pehle jaisa ho jaye...aman ne ruhi ko manaa kar diya ruhi ne smjhaya per aman nhi mana...usne kaha ki vo koshish karega..ruhi ne kaha-MAIN CHAHE RAHU NA RAHU MAIN CHAHTI HU KI TUM DONO SATH RAHO MATLAB TUM TEENO(AMAN,SANAA,JIHAD)...Aman ne kaha thik hai vo poori koshish karega...

Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #32 on: February 01, 2010, 07:21:51 PM »
Us din karwa chauth tha..aur aman ne paka irada kr liya tha ruhi se milne kaa..usne ruhi se milne ko kaha per ruhi ne use kaha ki use kahiin jana hai..aman ne kaha thik hai per vo kal use zarur milegi..ruhi ne kaha thik hai aman har baat se anjaan tha us ilm tak nhi tha ki kyun sanaa ne use milne se inkar kiya jiahd ne use kaha ki yu hi vo ruhi se puche ki kya usne karva chauth per fast rakha hai..aman ne ruhi se pucha tou usne haan kaha..aman ne pucha merre liye tou nhi hoga naa..ruhi ne muskura kar kaha...haan tumhare liye hai..per aman janta tha ki vo kisi aur k liye hai...vo janta tha ki vo usi anjan shakhs k liye hai per aman ne ruhi ko kuch nhi kaha ruhi ne use pyar diya izzat di ehmiyat ka ehsas karwaya uske liye utna hi kaafi tha...aman ne ruhi se milne ki jgh puchi aur ph rakh diya..agle din ka program bhi cancel ho gya...per agle din ka program paka tha..aman raat bhar sochta raha ki vo itne dino baad ruhi se milne jaa raha hai vo kya pehene..vo kapde badal badal k dekhe ja raha tha,bilkul pagalo k aise per usse agle din jo hona tha usse har koi anjaan tha..sanaa,jihad aur aman sab k sab...

Chaliye dosto ab aap bataiye ki apko ye kahani kaisi lag rahi hai..ummeed karti hu ki apko pasand ayegi...take cre dosto...
Logged
khushi4pari
Guest
Re%
«Reply #33 on: February 01, 2010, 09:24:18 PM »
I like it alottttt very nice likhti raho dear
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #34 on: February 02, 2010, 08:27:02 PM »
thnx pari ji...chaliye aage badhe...

Agle din aman utha usne ruhi ko ph kiya per ruhi ka ph mil nhi raha tha..tou aman ne ruhi k office ph kiya tou wahan pata chala ki abhi tak ruhi office nhi pahuchi..aman intezar karne laga ki ruhi ne abhi tak usse baat nhi ki na hi kuch bataya...phir achanak aman ka ph baja aur usne dekha ki sanaa ka ph tha usne pehle uthaya nhi.phir ye sochkar ki shayad ruhi hogi usne ph utha liya..tou udhar se sanaa th usne kaha-AMAN PH MAT RKHNA MERRI BAAT SUNO..aman ne kaha-THIK HAI KAHO KYA KEHNA HAI..sanaa ne kaha-RUHI NE KHUDKUSHI KAR LI HAI..aman chup raha sanaa rone lagi aman k hath se ph gir gaya.vo zameen pe baith gaya use kuch smjh nhi araha tha ki vo kya kare..usne sanaa ko ph kiya..sanaa ne kaha ki vo ruhi k ghar ajaye..aman ne jihad ko ph kiya aur use bataya tou jihad bhi hairan ho gya..aman aur jihad ruhi k ghar k paas pahuche..wahan unhe sanaa mili usne unhe kuch der rune ko kaha vo teeno door se sab kuch dekhte rahe jaise hi mahol thanda hua tou vo ruhi k ghar gaye..unhone ruhi ko dkeha..charo taraf jaise andhera tha..sab kuch ajeeb andekha vo mahol,logo ki baate ruhi ka bejaan sharir aman..aman ki ek aur adhuri mhbt..vo bus door se use dekhta raha..usne ruhi k chehre ko dekha jo kapde se dhaka tha..jise kabhi vo pyar se chhua karta tha..usne uske kano ko dekha jinme vo dhire se kuch kaha karta tha,usne uski gardan ko dekha jisko chhune se ruhi uski mhbt mein khud ko kho deti thi,usne uske hatho ko dekha jinhe vo har pal thame rehta tha..aman khud ko rok nhi paya aur uski ankhe baras padi..vo smjh paa raha tha ki vo kya kare..use ye andaza  nhi tha ki ruhi usse milegi itne dino bad vo bhi iss trh..vo ruhi ki beeti baate yad karne laga tou use yad aaya ki ruhi ne use kaha tha-KI CHAHE VO RAHE NA RAHE VO CHAHTI HAI KI VO TEENO  HAMESHA SATH RAHE...aman ne sanaa ko dekha aur use gale laga liya..sanaa ruhi ko dekhti rahi aman ne use hausla diya..phir ruhi k ghar wale ruhi ko hamesha k liye un teeno se door le gye...vo teeno bhi wahan se chale aaye sanaa k ghar..aman ne sanaa ko dekha usne usse baate krne ki koshish ki tou sanaa ne kuch jawab nhi diya..jihad ne sanaa k ghar walo ne sabne bahut koshish ki per sanaa kuch bolne ko tayyar nhi thi..aman ko ruhi ki baat yad thi ki kis trh usne kaha tha ki vo chahti hai ki vo aur sanaa ek sath rahe phir baad mein thik karke kaha tha ki vo teeno sath rahe..aman smjh gya tha ki ruhi ne use pehle hi sanaa ki zimedari saup di thi,per pehle vo smjh nhi paya tha ki achanak kyun ruhi uski aur sanaa ki dosti phir se karwana chahti thi per ab v smjh gya tha..aman ne sanaa ka hath pakda..aur use kaha-SANAA RUHI TUMHE DEKH RAHI HAI AUR VOO YU TUMHE KHAMOSH DEKHKE BAHUT UDAAS HAI KYA TUM APNI SABSE PYARI DOST K LIYE MUSKURA NHI SAKTI..sanaa ne aman ko dekha aur vo uske gale lag gyi..usne use kaha ki kyunruhi unhe chhod k chali gyi..aman ne kaha use jana tha vo chali gyi ab hum use har roz chhidayenge ki humein uski yad nhi aati..hum khoob masti karenge,ghumenge aish jihad ne bhi sanaa ka mood thik karne k liye aman ki haan mein haan milata gaya sanaa akhir muskura di aman ne us din soch liya tha ki chahe jo ho jaye jo bit gya so gya per aane wale kal mein vo sanaa ki zindgi ko ek naye sire se shuru karega aur use bahut khush rakhega...vo janta tha ki ruhi yahi chahti hai..usne ruhi se kaha ki use sanaa ki fikr karne ki zarurat nhi hai...
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #35 on: February 02, 2010, 09:37:26 PM »
Ab aman waqt k bahaw mein chalne laga tha..vo wahi karne laga jo waqt ki maang thi..aman ne pichla sab kuch bhulane ki thaan li thi..tamanna ko,ruhi ko sab kuch..uske saamne thi tou sanaa usne sanaa ko ruhi ki amant smjh k apna liya tha..usne sanaa se kaha ki vo use kabhi tanha nhi chhodega,per vo sanaa ko pyar nhi karta tha bus vo use khush dekhna chahta tha..sanaa aur aman dono hi ruhi k kareeb the aur dono hi tanha bhi the isliye ek dusre ka darda zyada ache se smjhte tha..sanaa ka bhi ateet tha per uske boyfrend ki shaadi ho chuki thi aman sanaa k ateet k baare mein janta tha..sanaa abhi tak apne atet ko bhula nhi payi thi ki achanak yu ruhi ka chale jana...vo aur bhi zyada kamzor pad gyi thi..per aman bahut himmatwala tha usne kabhi waqt k aage haar nhi maani..vo har mushkil se aur bhi zyada majbut banta jaa raha tha...aman ek aesa insaan tha jo sochta tha jo hota hai ache k liye hota hai...vo zindgi ko iss kadar uljhte dekh khamosh ho gya tha..vo bus sanaa ko har haal mein khush rakhna chahta tha...jihad ki zindgi bhi kuch badlne lagi thi,usko bhi ek sathi mil gaya tha..vo aur aman ab apne apne rishte nibhane mein mashruf the..aman sanaa ko roz milta usse khoob khush rakhta use surprises deta...dekhte dekhte sanaa ek nayi sanaa ban gyi thi..aman bhi ek naya aman banne laga tha..sahi ya galat ye use kuch malum nhi tha...

ruhi ko gya ek mahina ho gya aur ruhi k jane k thik ek mahine baad hi uska janamdin bhi tha...aman,sanaa,jihad aur uski premika ne mil k sanaa ka janamdin khoob dhoom dham se banaya...vo uske bahut miss kar rahe the us din...aman aur sanaa k beech us shaam kuch alag tha..aman sanaa ko dekhta raha..usne sanaa se kaha ki use bahut acha lagta hai jab sanaa khush rahti hai tou..sanaa ne kaha-ACHA BHALA AESA KYUN??aman ne kaha-PATA NHI PER..USE SUKOON MILTA HAI USKI MUSKAAN SE..aman nhi janta tha ki vo sanaa ko ye sab kyun keh raha hai per jo uske dil mein tha usne use kaha..per aman ye bhi janta tha ki vo pyar nhi hai..aman ne sanaa se kaha ki vo kuch galat na samjhe..vo bus us ehsas ko zinda rakhna chahta hai jo uske aur sanaa k beech hai aur vo hai ruhi ka ehsas..bina chhue..bus ankaha ehsas...sanaa ne kaha ki vo smjhti hai..aman jab sanaa k sath hota tou vo ek alag aman hota per jaise hi usse juda hota tou vo ek alag hi insan tha..use ek dum se ehsas hota ki vo sanaa ko kabhi pyar nhi kar sakta..ruhi ne use uska khayal rakhne ko kaha hai per vo dil aur dimag ki iss jung mein na uljh kar sirrf dil ki raah per chalne laga hamesha ki trh...aman ne aur sanaa ne ek sath computer classes join kar li..ab vo bahut sa waqt sath bitate...aman sanaa k ghar bhi jata..aman k dil mein jo sanaa ki maujudgi mein hota tha vo ehsas uske jate hi kuch hadh tak khtm se ho jata tha..aman smjh nhi pata tha ki aesa uske sath kyun hota hai..phir bhi vo bus chalta gya chalta gya aur chalta gya..aman har ehsas jihad ko batata jihad kehta ki shayd aesa uske sath isliye hai kyunki vo pehle bhi do adhure rishto ka maalik hai..isliye aaj use har cheez kalpanik lagti hai..jihad aur aman sanaa ki gair hazari mein sath hote...aman hamesha sochta ki kya mhbt hi uske liye manzil ban k reh gyi hai??tou uske dil se awaaz aati-HAAN..aman ne jab se hosh smbhala hai bus mhbt karna hi sikha hai per vo nhi janta tha mhbt k safar mein vo iss mod pe aake khada ho jayega..


Chaliye dosto ab khul k bataiye ki merri kahani kya kehti hai apki nazaro mein..tabhi main aage badh paungi..aur haan ye aman kuch zyada hi acha hai naa..main janti hu kayi baar padhne wale ko lagta hai ki aesa koi shakhs sach mein hai bhi ya nhi..per aman hai aur aesa hi hai khuda se bat karta hai aur usi ki sunta hai...khair aap log kahe ki apko aman ka safar kaisa lag raha hai...au haan agli baar jab main likhungi tou apni kahani ko complete kar dungi...
Logged
ehsaas chahat ka
Guest
«Reply #36 on: February 02, 2010, 09:39:47 PM »
ab aman kiya,,,,,,,,,,,,,,,,,,?
geet dear
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #37 on: February 02, 2010, 10:11:29 PM »
lijiye ehsas ji aage likh diya hai..aap padhiye aur apne views dijiye...
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #38 on: February 02, 2010, 10:22:54 PM »
ji shihab ji bus kuch aur dosto k views bhi jan lu phir kal apni kahani ko poora kar dungi..ek baat kehni thi agar aap us purani yad ko share karna chahe tou mujhe bahut khushi hogi..shayd merri kahani k zariye apka kuch gum hi halka ho jaye...
Logged
ehsaas chahat ka
Guest
«Reply #39 on: February 02, 2010, 10:23:49 PM »
thanx alot dear
aage ka besabri se intezaar tah
aur ab toh aap ne aur be sabar kar diya,,,,,,
khair zabardast story hai geet dear
sahi kaha aap ne ye aman kuch ziyada hi acha hai
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #40 on: February 02, 2010, 10:29:21 PM »
he he he ehsas ji mujhe bhi lag raha tha ki aman ki kuch zyadaa hi tarif kar di hai maine per kya karu ye uski kahani hai aur vo acha hai ya bura ye tou aap sab hi taye kare per main ek hi baat janti hu uske baare mein ki vo ek sacha insan hai...n thnx ur welcome too... notworthy
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #41 on: February 02, 2010, 10:42:02 PM »

Geet Ji Maafi Chahta Hun
Kuch Baaton Ko Lafzon Mein
Likhna Bahut Hi Mushkil Hota Hai
Aur Waise Bhi Aapne Itni Pyari Aur
Dard Se Bhari Kahani Share Ki Hai Ki
Main Bhala Apni Chhoti Si Baat Kaise Likhun Yahan.!

Khair
Plz Ho Sake To Maaf Kar Dijiyega

Khush Rahiye....


~Shihab~


Arre shihab ji maafi ki koi baat nhi hai..main smjhti hu i respect ur privacy..apne merri kahani padhi aur yahan apna waqt diya merre liye bus itna hi kaafi hai..thnx...
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #42 on: February 02, 2010, 10:56:08 PM »
Dear geet jaise ke maine pehle bhi kaha tha ke AMAN jaise log bohat kam hote hai lekin hote zarur hai...ye dunia bohat badi hai aur mera yakeen hai ke sachi mohabbat is dunia me hai ab ye alag baat hai ke ye sachi mohabbat har kisi ko nahi milti aur jise milti hogi wo is dunia ka sab se khushnaseeb insaan hoga...mera ek sawal hai ke RUHI ne khudkhushi q ki?intezaar rahega next part ka...
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #43 on: February 02, 2010, 11:00:07 PM »
pariji thnx for being regualr n writtng ur views...ruhi ne aesa kadam kyun uthaya is ka jawab ruhi k paas hi tha uske jane se jawab bhi uske sath hi chala gya isliye main wahan wajah nhi likhi payi...khair aage ki kahani jald hi likhungi...
Logged
thinkhattk
Guest
«Reply #44 on: February 03, 2010, 10:53:33 AM »
geet di to pata nahi chal payega ki ruhi ne aesa kyu kiya?
wait for next part of story..
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 27, 2025, 05:07:52 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer