Ek sache shakhs ki sachii kahani...

by brokenbyluv on January 24, 2010, 09:38:08 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6
Print
Author  (Read 174744 times)
brokenbyluv
Guest
«Reply #45 on: February 04, 2010, 06:42:44 PM »
Ji maafi chahungi sabhi padhne walo se ki ruhi k khudkushi wale faisle ka jawab main de nhi paungi...kyunki mujhe khud malum nhi hai..per kehte hai jo likha hota hai wahi hota hai.aur ruhi ki ismat mein wahi likha tha..khiar aage badhte hai...

Aman mhbt k iss badlate andaaz se khush bhi tha aur udas bhi,khush isliye tha ki use ruhi k kareeb rehne ki ek wajah mil gyi thi aur udas isliye tha ki kahiin iss baar bhi kuch galat ho gya tou vo ek aur zakhm jhel nhi payega...aman ki zindgi jaise ek udte hue parinde ki trh thi dekhne mein tou vo kitna azad hota hai jahan chahe baithe jitna ucha chahe ude per aksar zyada udne se uske pankh jal jate hai aur vo zameen pe aake gir jata hai,aman bhi ek udta parinda hi ban gya tha,na ghar ki fikar na gharwalo ki na apni zindgi ki use sirrf sanaa hi dikhti bus..vo mhbt ki chah mein itna diwana ho gya tha ki use galat cheez bh sahi lagti..aman k ghar wale aksar use smjhate ki sanaa use barbaad kar degi,vo alag kism ki ladki hai vo uska liye thik nhi hai,per vo maanta nhi tha,jihad ko jab vo apne ghar walo ki baate batata to vo kehta ki ho sakta hai uske ghar walo ne sanaa main kuch aesa dekha ho tabhi vo use galat kehte hai per aman sabko chup karwa k bus sanaa ka hi ho gya tha...ek roz aman aur sanaa kahiin gye the wahan unke beech kuch aesa hua ki achanak unke beech ki saari dooriya khtm ho gyi..vo aur sanaa ek ho gye per tab tak unhone apne pyar ka izhaar nhi kiya tha..aman smjh nhi paa raha tha ki vo kya kahe..vo bus sanaa ko uske ghar chhod k apne ghar laut aaya..vo chup tha na khush na udas jaise taise uski raat kati..subeh jab vo utha tou usne dekha sanaa ki na koi call hai na hi koi msg..vo ready hua aur class gaya,wahan sanaa thi dono normal hone ki koshish kar rahe the..per ho nhi paye aman beech mein hi class se uth kar chala gya,chhuti k baad sanaa ne usse pucha ki kya hua tou aman uspe gussa hua per kuch der mein thik ho gya..usne sanaa se kaha ki aage kya hoga sanaa ne kaha ki kuch nhi jo hua aage hamare beech koi rishta nhi ho sakta..aman ne bhi haami bhar di aur dono ghar agye..per aman bechain tha usne jihad se pucha tou jihad ne kaha ki jo sanaa kahe vo vahi kare,din bitte gye aman k ander ki bechaini badhti gyi sanaa k us din k baare mein dobara phir zikr nhi kiya per aman baat karna chahta tha per kuch keh nhi paa raha tha,usne ek din sanaa ko kaha ki use usse baat karni hai sanaaa ne kaha class k baad aram se baat karenge aman ne uski class ki chhuti karwa di..aman ne sanaa se kaha ki use us din ka guilt ander hi ander khaye ja raha hai..sanaa ne kaha ki use malum hai ki rishte ka koi anjaam nhi hai,aman ne kaha-jab tak sanaa uske saamne rahegi vo yu hi khud ko dosh deta rahega..(aman janta tha ki sanaa iss baat se phir gumsum ho jayegi aur dukhi rehne lagegi isliye vo sanaa ka hath thamna chahta tha),sanaa ne kaha ki vo kya chahta hai..aman ne kaha ki vo chahta hai ki vo dono ek ho jaye aur aane wale kal mein aur hamesha sath rahe..sanaa ne kaha ki use sochne ka waqt chahaiye..aman ne kaha thik hai..vo janta tha ki sanaa haan kahegi kyunki usne sanaa ki ankho mein aanewale kal ki jhalak dikh gyi thi,vo sach jante hue bhi bus sanaa k sath risht jodna chahta tha,vo uski majburi thi,bebasi thi ya waqt ki maang vo nhi janta tha per vo itna janta tha ki vo jo karega sach k sath karega...
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #46 on: February 04, 2010, 07:08:04 PM »
Geet ji very sad and touching story .bahut pasand aayi aapke ye sachi kahani.pliz jaldi se aage likh.all the best dear. icon_salut wave love4
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #47 on: February 04, 2010, 07:10:06 PM »
thnx madhu ji..
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #48 on: February 04, 2010, 07:24:44 PM »
Aman roz sanaa se puchta tou vo kehti ki vo soch rahi hai dekhte dekhte din beet gye..ek hafte k baad sanaa ne achanak baato baato mein aman se kaha-I LOVE U..aman chup ho gya..usne pucha-TUMNE KYA KAHA??sanaa kehti-I LOVE U TOO..aman ko mano jannat mil gyi thi..Vo jhat se bola-SACH KEH RAHI HO??sanaa kehti-KAHU TOU PROB NA KAHU TOU PROB...BOLO KYA CHAHTE HO..aman ne kaha-NHI THIK HAI AGAR TUM KEH RAHI TOU MAAN LETA HU..sanaa ne aman se kaha ki vo change hone ki koshish karegi..vo khud k ander k gam ko khud se alag kar degi..aman ne kaha ki vo sanaa ko kabhi ansu nhi dega..aman ne soch liya tha ki jis din sanaa ki ankho mein aman ki wajah se ansu agye vo us din iss rishte se bahar ajayega per usne sanaa ko iss baare mein nhi bataya tha...aman aur sanaa ka pyar parwan chadhta gaya..aman poori trh se badal gya tha..vo bhool gya tha ki kabhi uska koi ateet bhi tha...use yad tha tou bus itna ki ruhi ne use tohfe mein sanaa ka pyar diya hai aur vo door hoke bhi sanaa mein zinda hai..sanaa bhi khush bahut khush rehne laga...aman aur sanaa milte sang khubsurat pal bitate..

Aman ab ek sach mayine mein kisi rishte mein tha..ek ladki jo sirrf uski thi..jispe aman ka haq tha aur aman pe uska haq tha..aman ko sanaa ki har baar pasand thi per aman ko sanaa ki ek baat pasand nhi thi aur vo ye ki sanaa apne purane boyfred jiski shaadi ho chuki thi usse baat karti thi..aman ko jalan se zyada gussa aata tha kyunki jab bhi sanaa usse baat karti vo udas ho jati aur aman ko ye baat nagawar thi..aman use smjhta ki ye thik nhi hai vo kuch din maan jati per phir vahi sab..aman ko jab jab malum chalta ki vo usse baat karti hai use bahut dukh hota per vo kuch keh k bhi nhi keh pata tha..vo sab bhool k bus sanaa k sath us pal ko jine lagta..sanaa har baar uski baat ansuni kar deti..aman ko iss baat se dard tou hota per sanaa k pyar se vo use manaa leti..aman aur sanaa k rishte ko ek saal ho chala tha aur sanaa aman se kehti ki use job karni hai tou aman aur sanaa milte tou job k silsile mein per har baar unka pyar beech mein ajata..aur vo bina kaam dhundhe ghar laut aate..aesa kayi baar hua..sanaa aman per gussa karti..ki vo kyun use job dhundhne jane nhi deta tou aman use kehta ki pyar bhi tou zaruri hai naa...aur isi trh sab chalta raha..aman ek din apne relative k yahan gaya tha shaam ko sanaa ka ph aya aur usne aman se milne ko kaha..aman use milne gaya..sanaa mandir mein thi vo bahar aayi aur usne aman se kaha-MUJHE NAUKRI MIL GYI HAI..aman ne sanaa ko hairani se dekha per kuch kaha nhi..usne use mubarak baad di..aman k paas ek pen tha usne vo pen sanna ko de diya aur kaha ki apne training k pehle din issise likhe issi bahane vo uske kareeb rahega...sanaa ne pen le liya...aman ko dil k ek kone mein thoda bura laga ki bina bataye sanaa ne jod dhundh li aur use kuch bataya bhi nhi..per phir usne socha ki sahi hai naa uske bharose rehte tou na vo job dhundhte na sanaa ko job milti...
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #49 on: February 04, 2010, 08:23:02 PM »
Sanaa ki training shuru ho gyi...vo roz sanaa k office jane tak aur phir shaam ko sanaa k ghar aane tak baat karte..beech k waqt mein aman jaise taise apna waqt kat'ta jihad bhi use kam milta vo bhi aone rishte mein mashruf tha..aman ne apne din ka routine sanaa k hisab se bandh liya tha..vo jab chahti vo usse baat karne ko tayaar milta..ek din aman ki massi unke yahan rehne aayi...vo aman ki in harkato se badi naraz hui..na aman k paas gharwalo k liye watq hota na khane ka hosh aur naa hi apne future ki kuch parwah..use pata tha tou bus sanaa ka...aman ne apni massi ko ladai kar k ghar se jane k liye majbur kar diya kyunki vo uske aur sanaa k beech mein aane lagi thi..jab ki aman ko ghar mein koi kuch nhi kehta tha...aman ne ye baat sanaa ko bhi batayi per sanaa ne use kuch nhi smjhaya...sanaa kabhi aman ko kuch nhi smjati aur aman din raat sanaa ko smjhane mein laga rehta ki kya galat hai uske liye aur kya sahi...

Sanaa ka janam din tha usdin..aman ne sanaa k liye bahut khubsurat tohfa kahrida aur usne use pyara sa surprise bhi diya..sanaa bahut khush hui aman k us naye roop se aman aur sanaa aman ki behen k yahan gye aman chahta tha ki vo kuch waqt uski behen k yahan bitaye jisse sanaa aur uski behen k beech kuch baate ho...per sanaa kuch naraz si ho gyi aman ki behen k yahan jake..usne wahan aman se ladai kar li aman ne kisi trh apni behen ko smjhaya aur sanaa ko manane chala gya..aman ne sanaa ko kaha ki vo uski behen aur uske beech baate karwana chahta tha taaki vo dono ek dusre ko jane..sanaa ne kaha ki vo uske janamdin ka din uske sath bitana chahti thi..aman ne use maafi magi aur kaha ki chalo jahan chalna hai chalo..aman aur sanaa ghar aa gye sanaa naraz thi aman ne use smjhaya phir vo use ghar chhod aaya...uane sanaa se kuch nhi kaha...vo bahut dukhi tha usne itne pyar se sanaa k liye sab kuch kiya aur achanak sanaa ne...khair...ek din aman aur sanaa ek company mein interview k liye gaye..wahan un dono ko ek sath naukri mil gyi..aman bahut khush tha..use uske pyar k sath aur bhi waqt bitane ka mauka jo mil gya tha,aman ne sanaa se kaha ki vo sirrf uski wajah se ye job karega..sanaa ne kaha ki vo abhi aman k sath join nhi kar payegi kyunki vo achanak job nhi chhod sakti...aman ne kaha abhi kuch waqt hai vo koshish kare..sanaa ne kaha ki thik hai...dekhte dekhte joining ka din agya..per aman akela gya sanaa nhi gyi uske sath..sanaa ne aman se kaha ki vo ek do din baad join karengi..aman ne kaha thik hai...phir ek din aman aur sanaa ek sath training pe gye..wahan sanaa ne aman k sath bahut ajeeb behave kiya..training mein tou aman ne sanaa se kuch nhi kaha per baad mein aman ne pucha tumhe kya hua tha...sanaa ne palat kar kaha-HUM EK SATH KAAM NHI KAR SAKTE,aman ne pucha kyun??sanaa ne kaha-MAIN NHI CHAHTI KI ISS JOD KI WAJAH SE HAMARE RISHTE PE KOI AANCH AAYE..aman ne kaha aesa kuch nhi hai..sab thik rahega..sanaa nhi maani...usne dobara join nhi kiya sab aman ne sawal puchne lage aman ne jaise taise sab ko jawab diya.per use bahut bura laga ki sanaa ne uske sath kaam karne se manaa kar diya..ek din aman job per nhi gaya..sanaa ka ph aaya usne pucha kya hua tum gye kyun nhi..??aman ne kaha tumhri wajah se job join ki thi tum nhi tou wahan kya karunga..sanaa ne kaha plzz chale jao..per aman ka dil bahut dukh raha tha..vo sanaa ko smjha kar bhi smjha nhi paya ki usne naukri isliye chhodi kyunki sanaa ne uske sath join nhi kiya...usne jihad ko ye baat batayi...jihad ne use jo kaha vo sun k aman aur bhi zayada bikhar gya...

Jihad ne kaha ki ho sakta hai ki sanaa apni office life aman k saamne nhi kholna chahti ho..vo wahan jis trh logo se baat karti ho milti ho n all..ho sakta hai office mein vo ek alag hi sanaa ho...aman soch mein padh gaya..vo yakiin nhi kar paa raha tha ki jihad ki baato per yakin kare ya nhi..jab ki vo janta tha ki jihad ki har baat sach hai bus usi ne kabhi gaur nhi kiya...usne sanaa ko kabhi kuch karne se nhi roka..usne bhi sanaa se kuch nhi chhupaya aur yahi vo sanaa se hamesha kehta ki vo bhi usse kuch na chhupaye kabhi jhooth na kahe,vo jihad se lipat kar ro diya,sanaa ki is harkat se uske aur sanaa k beech halki si darar aa gyi thi..per usne kabhi kuch zaahir nhi kiya...vo aksar jihad se puchta ki use sanaa se kehna chaihiye ya nhi jihad kehta ki use sanaa ko sab kuch bata dena chahiye...aman ne sanaa ko ek din sab kuch sach sach keh diya,sanaa ne use kaha ki use kuch dino se aman mein badlaw lag raha tha per vo chahti thi ki khud use bataye ar sath hi usne ye wada kiya ki vo khud ko badlegi aur apne ateet se bhi saare naate tod degi...aman aur sanaa k beech sab kuch thik tha...
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #50 on: February 04, 2010, 08:59:02 PM »
Ek din aman ki bimar tha achanak jiahd ka ph aya vo bahut pareshaan tha usne aman se milne ko kaha per aman mil nhi paya apni tabiyat ki wajah se..aman shaam ko bister pe leta tha aur sanaa k ph ka intezaar kar raha tha ki achanak uska ph baja..aur dusri trf se jihad ki behen ka ph tha...usne aman se kaha ki bhaiya jaldi aap hospital ajaiye jihab ka accidennt ho gya hai..aman ko 102 bukhar tha aur vo jaa nhi paya usne jaldi doctor k paas jake injection liya tab uska bukhar utra aur vo hospital pahuncha tou jihad ki behen kehti-BHAIYA KHATAM HO GYE..aman chup tha sun pad gya tha ek putle ki trh..use jihad yakin nhi ho raha tha ki kuch ghanto pehle hi usne jihad se baat ki thi aur ab achanak..aman ne kaha ki vo jihad ko ek baar dekhna chahta hai..jihad k papa ne use wahan bheja jahan jihad ko rakha tha per aman ko jihad mila nhi..vo laut aya uske papa ne kaha kal ghar ajana wahiin use akhiri baar mil lena..aman ghar agya..vo ek ansu roya nhi..uch nhi kaha usne..bus sanaa k ph ka intezaark arne laga...achanak sanaa ka ph aya...usne sanaa ko bataya..tou sanaa nhi maani aman kehte hi ro pada sanaa ne use smbhalne ko kaha..aman ki duniya ujad gyi thi..uska sab se pyara doat jo uske liye uska aaina tha ek din uski dosti ahuri chhod k chala jayega usne kabhi socha bhi nhi tha....aman ne kisi trh raat kaati subeh hote hi vo aur sanaa jihad k ghar gye..jihad ko abhi laaye nhi the..phir ambulance aayi..aur jihad ko bahar nikala..aman ne dekha ki kis trh vo log uske dost ko rakh rahe the..sanaa ka ro ro kar bura haal tha aman use gale lagaye khada tha usne ek amsu apni ankh se nhi giraya sirrf isilie ki agar vo toot gaya tou sanaa ko kaun sambhalega...vo har cheez khamoshi se khada dekhta raha..phir jihad k ghar wale use le gye..sanaa ko aman ne sambhala aur use ghar le aaya...aman k ghar koi nhi tha..sanaa ne aman se kaha ki use office jana hai aman ne sana ko dekha aur kaha-JAISA TUMHE THIK LAGE,JANA HAI TOU MAIN ROKUNGA NHI BUS EK BAAT KEHNA CHAHTA HU..HO SAKE TOU AAJ MAT JAO..ye kehke aman nahane chala gya..sanaa ne office ph kiya aur chhuti le li..sanaa aur aman ne khana khaya aur aman sanaa ki god mein let gya..use  bus aman ki yad aa rhi thi..vo roya nhi sanaa uske baalo mko sehelati rahi..dekhte hi dekhte aman khud ko rok nhi paya aur rone laga..sanaa ne use kaha ki behene do ansuo ko rokoge tou dard zyada hoga..sanaa k vo lafz aman k dil mein chubh gye...sanaa ne ek baar aman se nhi kaha ki vo uske sath hai use akela mehsus karne ki koi zarurat nhi hai...aman wahan se uth kar bahar chala gya..sanaa ne use kuch nhi kaha..aman sanaa ko dekhta raha raat bhar aur sochta raha ki kya ye wahi sanaa hai jisse vo itna pyar karta hai,vo smjh nhi paa raha tha ki sanaa use smjh nhi rhi ya smjh k bhi anjaan hai..subeh hui aur sanaa ghr chali gyi..aman baitha raha use jihad ki baat yad arhi thi aur iss baat ka afsos ho raha tha ki kyun vo usse akhri waqt pe mil nhi paya...

Jihad k jane se aman khamosh ho gya tha,uska bachapana,uski masti sab jihad k sath kahiin kho gye the...aman aur sanaa k rishte mein bhi kuch khaas nhi bacha tha...aksar aman sanaa se kuch kehta tou vo karne se inkar kr deti ya phir aman sanaa ki baato per dhyan nhi deta...jihad ko gye 4mahine ho chale the..

Us din aman ka janam din tha sanaa aman se milne aayi usne aman ko uska gift diya aur birthday wish kiya,celebrate kiya aur aman aur sanaa unke ghar k terrace pe gye wahan bahut pyara mausam tha...thandi hawa charo trh lights,vo shaam bahut hi khubsurat thi...vo aman ne sanaa ko gale laga k kaha ki vo use bahut chahta hai aur hamesha uske sath rehna chahta hai..sanaa ne use kaha ki vo bhi usse door nhi reh payegi...dono ek dusre ki baaho mein baithe rahe aur us shaam ki sundarta ko apni dilo mein utarte rahe...

Ek din aman ghar mein akela tha uski tabiyat achanak bigad gyi..use dekhne koi nhi tha uska aas paas..aman ne sanaa ko ph kar ke kaha ki vo uske paas ajaye tou sanaa ne kaha ki use office jana hai...aman ne kaha ki vo akela hai koi nhi hai ho sake tou vo uske paas us din ruk jaye..sanaa aagyi..usne aman ko dawai di aur kuch khane ko diya..aman ne sanaa se kaha ki vo uske paas ruk jaye jab tak koi aata nhi hai..sanaa ne kaha ki use office jana hai..aman ne use kaha ki thik hai vo usi waqt wahan sechali jaye..sanaa nhi gyi vo shaam tak wahiin rahi aur shaam ko chali gyi office half day per..aman ko laga sanaa laut ayegi kuch der usne sanaa ka intezaar kiya per vo aayi nhi...aman ne sanaa ko ph kiya tou sanaa office pahuch gyi thi..aman ne kaha ki vo sanaa ko har bandhan se azad karta hai..aaj k baad uske aur sanaa k beech sab khtam...sanaa ne kuch nhi kaha...aman ne intezaar kiya ki shayad sanaa laut aaye per vo aayi nhi..aman ne ruhi k jaane per sanaa ko ek pal akela nhi chhoda aur aaj jab jihad gya hai tou sanaa ne use is mod per laaker khaada kr diya..vo bahut akela pad gya tha..ab tou uske paas jihad nhi  tha..vo bus rota raha..aur sanaa k aane ka intezar karta raha..per sanaa nhi aayi...
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #51 on: February 04, 2010, 09:41:48 PM »
Aman aur sanaa ko baat kiyE kafi din beet gye the,aman k paas sanaa ka kuch samaan tha usne sanaa k ghar jake use vo samaan lauta diya..sanaa udas thi aman ko kaha nhi,per aman uski rag rag pehchanta tha usne aman ne use  hasaya uska mood thk kiya aur kaha-MAIN BHALE KUCH NHI KEH RAHA PER HAMARE BEECH SAB KUCH PEHLE JAISA NHI HAI,itna keh k aman ne kaha ki vo chalta hai aur khada ho gya,vo intezaar mein tha ki ek baar sanaa use rok le tou vo na jaye aur sanaa se maafi maang k phir se sab kuch thik kar de...sanaa ne aman ko dekha aur kaha ki-JANE SE PEHLE LIGHT AUR DARWAZA BAND KAR DENA...aman ne sanaa ko dekha aur kaha..chalta hu khayal rakhna..sanaa ne haan mein sir hila diya...

Aman ko aesa lag raha tha jaise vo kuch piche chhod kar jaa raha hai vo chahta tha ki bhaag kar jaye aur sanaa ko gale laga le per vo chalta raha..chalta raha aur door nikal gaya...aman k paas sanaa ka msg aaya ki vo hamesha ussi se pyar karegi aur aman k alawa aur koi us chhu bhi nhi payega...aman ne msg padhe aur chal diya ghar ki aor...

Agle din aman ko ph aaya..sanaa iss duniya main nhi hai..usne bhi khudkhushi kar li..aman daudta hua jaise hi sanaa k ghar pahucha usne sanaa k bejan sharir ko dekha aur uski ankho pe kiss kar k kaha..CHALI GYI NA TUM BHI...aman kuch smbhalta itne mein police ne aake use pakad liya sanaa k ghar walo ne aman ko fasa diya aman chupchap chal diya police walo k sath..vo sochta raha ki yahi uski pyar ki wafai ki parakh hai..sanaa ko usse hamesha shikayat thi ki vo kisi k saamne apne paye ka izhaar nhi karta tha..aman police walo ki har baat ko chup chap sunta raha..vo jane uske aur sanaa k baare mein kya kya kehte rahe..vo chup raha..aman ne akhir mein sirrf ek hi baat kahi...MAINE USE NHI MAARA..MAIN USSE PYAR KARTA HU BAHUT PYAR AUR ISI PYAR KI KHATIR MAINE USSE HAR RISHTA BHI TOD LIYA..MAINE HAMESHA USE KHUSH RAKHNA CHAHA AUR MERRI WAJAH SE USKE CHEHRE PE UDASI MUJHSE DEKHI NHI GYI..ISLIYE USI K LIYE MAINE USE CHHOD DIYA,YE BAAT VO TOU SMJH NHI PAYI AAP TOU SMJHO..AB APKO LAGTA HAI KI MAIN GALAT HU TOU JO CHAHTE HO MERRE SATH KARO...police walo ne aman ko shaam tak rakha aur chhod diya...aman ghar agya..vo akhri baar sanaa ko dekh bhi na paya...aman dono hatho se khali tha..uska sab ujhd gaya tha..na uske paas uska ateet tha na koi aane wala kal...thi tou bus yade...aman ne kam umar mein bahut kuch dekh liya hai...aaj sanaa ko gye kaafi waqt ho gaya hai..vo har roz jihad ko bahut yad karta hai..use uske bachapn ki jine ka bahut maan karta hai..har roz jine k liye naya bahana dhundhta hai..

Abhi kahani baaki hai jis shakhs se ye kahani shuru hui thi uske baare mein janna nhi chahenge..TAMANAA...
tamanaa ki bhi LUV MARRIAGE ho chuki hai aur vo bahut khush hai apni zinsgi mein...

Aman k paas apne beeta kal nhi hai uske paas beete kal ki koi aesi yad nhi hai jise vo kisi k sath apne aaj mein ya aane wale kal mein baant sake..per maine uski kahani aap sab k beech isliye share ki taaki har koi jo aaj pyar mein jaan dene ki sochta hai ya pyar mein haar kar zindgi se niraash ho jate hai..vo aman se kuch sikhe..aman aaj  har roz khud ko aur bhi zyada behtar banane mein laga hai..sanaa ki yad mein rota hai,aur har roz use kehta hai ki vo aaj bhi sirrf usi ko chahta hai,ruhi ko shukriya karta hai,jihad ko ek pal bhi apne zehen se alag nhi hone deta..AMAN...EK SIDHA SACHA AMAN..jiske liye mhbt sirrf dene ka naam hai,khuda ki ibadat hai,uski manzil hai,uski humsafr hai,aman ne zindgi bhar mhbt k intezar main apna sab kuch gawa diya..vo aaj bhi apne khuabo ki haqiqat ko dhundh raha hai,MAIN SOCHTI HU KI KYA KABHI USE USKI MHBT MILEGI YA NHI,AB USE HAQ BHI HAI KISI SE PYAR KARNE KA..KYA KEHTE HO DOSTO??MILEGI AMAN KO USKI MANZIL??.....


LIJIYE DOSTO MAINE APNE WAADE K ANUSAR APNI KAHANI POORI KAR DI..

TOU DOSTO YE HAI AMAN,MAIN NHI JANTI KI AAP LOG AMAN KO ACHA SMJHENGE YA BURA,JHUTHA YA SACHA,ASLI YA NAKLI,MATLABI YA KUCH AUR PER YAHI HAI USKA SACH..AAP KO AMAN KA YE MHBT KA YE SAFAR KAISA LAGA PLZZ MUJHE BATANA...JIN LOGO NE NHI PADHA VO TIME NIKALIYE AUR ISS KAHANI KO PADHIYE...AUR HAAN DOSTO SHAYAD KAHIIN KAHIIN MERRE LIKHNE KA ANDAZ FILMY HO PER UN LAFZO K JAZBAATO KO SMJHIYEGA...THNX DOSTO APNA WAQT MERRI KAHANI KO DENE K LIYE......

Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #52 on: February 05, 2010, 10:18:20 AM »
OMG ... Kya Story hai yaar.. Main tho kho hi gai... Bahoot khoobsoorati se tumne uss jazbaaton ko ehsaaso ko byaan kiya hai.. Maino yea saara drishya mere saamne hi chal raha ho...

Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #53 on: February 05, 2010, 03:31:56 PM »
thnx alot sophiji...
Logged
ehsaas chahat ka
Guest
«Reply #54 on: February 05, 2010, 08:39:59 PM »
Geet Dear Aman Ki Mohabbat Ka Ye Safar
Kafi Dard Bhara Hai Aur Ghamgin Bhi
Shayad Aman Ko Aman Ka Mohabbat Na Milne Par Hi
Uski Bhalayi Hai Bcoz UparWala Jo Bhi Karta Hai
Bhalayi Ke Liye Hi Karta Hai,,,,,,,,
Anyways
Zabardast Story N Keep It Up
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #55 on: February 06, 2010, 10:32:47 PM »
How sad mujhe AMAN ke liye bohat burra lag raha hai but khushi is baat ki hai ke usne haar nahi maani itna sab hone ke baad bhi aaj wo jeene ki koshish kar raha hai and i hope ke AMAN ko uski manzil zarur mile....and thxxx to u geet tumne itni achi kahani share ki aur jis tarah se tumne isko likha hai its just amezing once again thxxxx....
Logged
amarhellboy
Guest
«Reply #56 on: February 07, 2010, 06:27:56 AM »
brokenbyluv ji aapki story padkar meri aankho mai aansu aa gaye pehle maine socha shayad kahani hai. magar aapne mere sukhe hue jakhamo ko fir se taaza kar diya. wajah ye hai ki jo kahani aap suna raheho wo mere sath 2 saal se ho raha hai. jo sacchai aapne batai wo sacchai meri bhi hai. aapki story mai jo princces hai wo meri dear se thoudi alag hai. mai usse pyar se dear kehta tha.
meri dear ne mujhe dhoukhe mai rakha hum 3 saal se sath mai rahe ghume fire baate ki har gam dukh sukh mai sath rahe. magar mujhe uski chouti sister ne bataya wo mujhe dhoukha de rahi hai jab mai usse milla bhi nhi tha tab usske pehle se hi wo kisi se pyar kar rahi. or usne ghar waalo ko bataye bagair love marrige karli or ghar par abhi tak kisi ko pata nhi hai. mujhe jab pata chala tha tab mere liye khun k aansu rouna bhi kam lag raha tha mujhe yakin nhi hua. koi aisa karega mere sath mere sath 2saal tak pyar ka naatak kiya ya kya tha mene usski har tamanna uske kehne k pehle puri ki. fir ek din aisa aaya ki uske boyfreind ne mera msg uskkke mob par dekh liya.


mai bataunga pyar me mere sath kitni naainsafi hue magar baad mai abhi to aapki story ne mera bura haal kar diya jisse bhulane ki kosshish kar raha tha wahi aatit jaise saamne aa gaya aapki story ke ladke k dil par kya biti hougi mujhse accha koi or nhi samajh sakta .............
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #57 on: February 07, 2010, 04:30:00 PM »
Geet Dear Aman Ki Mohabbat Ka Ye Safar
Kafi Dard Bhara Hai Aur Ghamgin Bhi
Shayad Aman Ko Aman Ka Mohabbat Na Milne Par Hi
Uski Bhalayi Hai Bcoz UparWala Jo Bhi Karta Hai
Bhalayi Ke Liye Hi Karta Hai,,,,,,,,
Anyways
Zabardast Story N Keep It Up


thnx ehsas ji mujhe bhi isi baat mein yakeen hai ki jo hota hai ache k liye hota hai...
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #58 on: February 07, 2010, 04:32:30 PM »
How sad mujhe AMAN ke liye bohat burra lag raha hai but khushi is baat ki hai ke usne haar nahi maani itna sab hone ke baad bhi aaj wo jeene ki koshish kar raha hai and i hope ke AMAN ko uski manzil zarur mile....and thxxx to u geet tumne itni achi kahani share ki aur jis tarah se tumne isko likha hai its just amezing once again thxxxx....

ur welcome pari ji n thnx alot for being regular to my story...main janti hu ki aman ka dil bahut zakhmi hai per chalte rehne ka naam hi zindgi hai....thnx once again...
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #59 on: February 07, 2010, 04:40:47 PM »
brokenbyluv ji aapki story padkar meri aankho mai aansu aa gaye pehle maine socha shayad kahani hai. magar aapne mere sukhe hue jakhamo ko fir se taaza kar diya. wajah ye hai ki jo kahani aap suna raheho wo mere sath 2 saal se ho raha hai. jo sacchai aapne batai wo sacchai meri bhi hai. aapki story mai jo princces hai wo meri dear se thoudi alag hai. mai usse pyar se dear kehta tha.
meri dear ne mujhe dhoukhe mai rakha hum 3 saal se sath mai rahe ghume fire baate ki har gam dukh sukh mai sath rahe. magar mujhe uski chouti sister ne bataya wo mujhe dhoukha de rahi hai jab mai usse milla bhi nhi tha tab usske pehle se hi wo kisi se pyar kar rahi. or usne ghar waalo ko bataye bagair love marrige karli or ghar par abhi tak kisi ko pata nhi hai. mujhe jab pata chala tha tab mere liye khun k aansu rouna bhi kam lag raha tha mujhe yakin nhi hua. koi aisa karega mere sath mere sath 2saal tak pyar ka naatak kiya ya kya tha mene usski har tamanna uske kehne k pehle puri ki. fir ek din aisa aaya ki uske boyfreind ne mera msg uskkke mob par dekh liya.


mai bataunga pyar me mere sath kitni naainsafi hue magar baad mai abhi to aapki story ne mera bura haal kar diya jisse bhulane ki kosshish kar raha tha wahi aatit jaise saamne aa gaya aapki story ke ladke k dil par kya biti hougi mujhse accha koi or nhi samajh sakta .............

Main smjh sakti hu amar ji mhbt ka har dard jaan leva hota hai..thnx alot ki apne merri kahani k liye waqt nikala aur yahan apni kahani share ki..ho sake tou poori kahani yahan share kijiyega..
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:17:38 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.13 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer