EK SISKI...JO MERE DIARY K PANNON ME QAID REH GYI...K@HIN@@R

by Kohinoor on July 17, 2012, 05:34:59 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1932 times)
Kohinoor
Guest

Agar mai tumse mohabbat kr leti...
To pure scchai se nibhati bhi...
Lekin aanch mere kirdaar pr aaya tha...
Aur apne kirdaar ko bchane k liye,
maine apna sb kuch daanv par lga dia...
Yahaan tk ki apni mohabbat bhi...!!
Mujhe apni zaat ko bhulana hoga...!!
Apne dil...apne jajbon ko qurbaan krna hoga...!!
Haan...ab mujhe apne wjood ki haqiqat ko maan na hai...!!
Mujhe ye tasleem karna hai k
mai is baat ko jaan lun..ki
mujhe tumhare bare me nhi sochna...!!
Mujhe khud se jng ladni hai...!!
Kyoki jo raasta mere liye hai hi nhi,
uspe chalne se kya faayda..??
Shayad mai tumhe kbhi bhool nhi paungi...
Aur sayad koi aur mere dil me ye mkaam b hasil nhi kr skega...
Mai tumse mohabbat ka ikraar krke khud ko jindgi bhar ka rog nhi de skti...
Tum mere liye kya ho
ye mujhe sabit krne ki jarurat nhi...
Ye mera aur mere dil ka maamla hai...mai khud hi sambhaal loongi...!!
Mujhe tumse koi shikwa nhi hai...
Tumne mujhe ykeen k koi jugnu to nhi thamaye they...!!
Bs meri glti thi so mujhe sja mil gyi...
Waise b mohabbat ne mujhe ye sikha dia hai ki
jisse mohabbat ki jaye usse nfrat nhi ki ja skti...
Rhi baat nakaami ki...to
mohabbat me kaamyabi koi shart to nhi...!!
Tum khwaab bn kr
aaye..
Aur khwabon ka thikhana sirf bnd aankhon k piche hai...
Agar mai khwaab bunne se pehle sirf ek lmhe hqiqat ka andaza kr leti,
to shayad itni tkleef kbhi mere dil ko jakhmi na krti...
In sapno ko jhuthlana
nange paanv sishe pr chalne jaisa hota hai...
Ye Mohabbat insaan ko kitna kmjor kr deti hai na..??
Logged
Aarish
Guest
«Reply #1 on: July 17, 2012, 05:48:57 AM »
bohut achchi ghazal hai kohinoor jee umda alfaz aur khyalat piroye gaye gaye haiN, Dheeroon daad qubool kijiye    Applause    Applause   Applause
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #2 on: July 17, 2012, 06:32:29 AM »
bahut sunder
Logged
mkv
Guest
«Reply #3 on: July 17, 2012, 07:45:50 AM »
Bahut Badhiya likha hai aapne.
Dard bharee najm likhne me mahaarat hai aapko..
Bahut bahut khoob likhtee hai aap
Applause  Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #4 on: July 17, 2012, 08:12:05 AM »

Agar mai tumse mohabbat kr leti...
To pure scchai se nibhati bhi...
Lekin aanch mere kirdaar pr aaya tha...
Aur apne kirdaar ko bchane k liye,
maine apna sb kuch daanv par lga dia...
Yahaan tk ki apni mohabbat bhi...!!
Mujhe apni zaat ko bhulana hoga...!!
Apne dil...apne jajbon ko qurbaan krna hoga...!!
Haan...ab mujhe apne wjood ki haqiqat ko maan na hai...!!
Mujhe ye tasleem karna hai k
mai is baat ko jaan lun..ki
mujhe tumhare bare me nhi sochna...!!
Mujhe khud se jng ladni hai...!!
Kyoki jo raasta mere liye hai hi nhi,
uspe chalne se kya faayda..??
Shayad mai tumhe kbhi bhool nhi paungi...
Aur sayad koi aur mere dil me ye mkaam b hasil nhi kr skega...
Mai tumse mohabbat ka ikraar krke khud ko jindgi bhar ka rog nhi de skti...
Tum mere liye kya ho
ye mujhe sabit krne ki jarurat nhi...
Ye mera aur mere dil ka maamla hai...mai khud hi sambhaal loongi...!!
Mujhe tumse koi shikwa nhi hai...
Tumne mujhe ykeen k koi jugnu to nhi thamaye they...!!
Bs meri glti thi so mujhe sja mil gyi...
Waise b mohabbat ne mujhe ye sikha dia hai ki
jisse mohabbat ki jaye usse nfrat nhi ki ja skti...
Rhi baat nakaami ki...to
mohabbat me kaamyabi koi shart to nhi...!!
Tum khwaab bn kr
aaye..
Aur khwabon ka thikhana sirf bnd aankhon k piche hai...
Agar mai khwaab bunne se pehle sirf ek lmhe hqiqat ka andaza kr leti,
to shayad itni tkleef kbhi mere dil ko jakhmi na krti...
In sapno ko jhuthlana
nange paanv sishe pr chalne jaisa hota hai...
Ye Mohabbat insaan ko kitna kmjor kr deti hai na..??


Kohinoor JI Aap Isse Kahaani Kaho Yaa Nazm Kaho..

Jo Bhi Hai..Ek-Ek Lafz Dil Ko Jhanjodhta Hai..

Aapki Kayi kalaame Mujhse Miss Hui Hai..Mujhe Afsos Hai iss Baat Ka..

Iss Kalaam Ki Jitni Tareef Ki jaye Kam Hai..

Anmol Jazbaat Se Bharpoor..

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #5 on: July 17, 2012, 09:24:43 AM »
 Applause
 NICE , KOHINOOR JI .
Logged
Kohinoor
Guest
«Reply #6 on: July 17, 2012, 12:23:38 PM »
bohut achchi ghazal hai kohinoor jee umda alfaz aur khyalat piroye gaye gaye haiN, Dheeroon daad qubool kijiye    Applause    Applause   Applause
bohut achchi ghazal hai kohinoor jee umda alfaz aur khyalat piroye gaye gaye haiN, Dheeroon daad qubool kijiye    Applause    Applause   Applause
bahut bahut shukriya Aarish ji...
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #7 on: July 17, 2012, 04:31:34 PM »
jab bhi wo koi ghazal likhti hai.,
dard dil ka aankho me utar kar likhti hai...

bahut bahut khoob kohinoor ji... bahut achhe... Usual Smile

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Kohinoor
Guest
«Reply #8 on: July 19, 2012, 12:12:27 AM »
bahut sunder
thanks sir
Logged
suman59
Guest
«Reply #9 on: July 19, 2012, 12:14:04 AM »
lajawab.. excellay work kohinoor jee
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #10 on: July 19, 2012, 02:32:44 PM »
Applause Applause Applause Applause  bahut bahut sundar peshkash ... bahut sundar bayaani...!!! bahut bahut khoob....!!!
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:04:47 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer