ASIF
Shayari Qadrdaan
Rau: 0
Offline
Waqt Bitaya:1 days, 51 minutes.
Posts: 187 Member Since: Feb 2021
|
Disclaimer : This story is a fictional story any characters,places,events which take place into this story are completely work of fiction and it has no relation wth real life...written by ur writer's creative mind and mind u guys it is not a copy paste story the plot is fully originally written and pls one request don't cnp this story to other forums without my consent and if u share it share it with original link it would be helpful....this story not encourages any kind of myth and superstition pls take this story just for a entertainment thrill and nothing more than that...some scenes have content strong language and matured controlled obscenes which might u can ignore and don't think it'a an adult story those scenes are just a part of to represent further storyline thanks for reading Hello dosto kaise hai aap sab? main asif haazir hoo apni nayi kahani ke saath jo 2022 ki pehli likhi horror story hone waali hai jo pichle saal 2021 thriller and horror story "khooni dil reboot" aur romantic drama short story "judi daikha hoye aik baar" ke baad aapke saamne prastut hai ...hope aapko ye kahani pasand aaye aapke keemati sujhav ke swagat mein..story agle post se jaari thank u Regards Asif biswas
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
ASIF
Shayari Qadrdaan
Rau: 0
Offline
Waqt Bitaya:1 days, 51 minutes.
Posts: 187 Member Since: Feb 2021
|
|
«Reply #1 on: February 25, 2022, 11:38:49 AM » |
|
Chapter 1
Raat kareeban 10 bajne ko tha jabki pure sheher ka vatavaran andhere ki aagosh mein duba hua tha…dukaan wagaira shutter giraate huye log apne gharo ki taraf rawangi de rahe they….sadak par sunsaniyat chaay thi chehel kadmi ikke dukke log hi kahi dur dikh rhe they sirf main road par ek aad gaadiya hi guzar rahi thi jo jitni teji se aa rahi utni teji se kohre ki chadar mein kahi dur jaakar gum ho jaa rahi thi….sard raat thi woh…
ek vishal imarat ke aage ek cab aakar ruki….jisse kareeban 27 baras ki jeans aur top pehni halki tayyar huyi ek ladki bahar aayi wo hadbadahat mein thi usne kiraaya chukaaya aur bina piche mudkar dekhe wo sidha oos imarat ke main gate se andar daakhil huyi...reception pe ek guard baitha tha usne aati oos ladki ko muskurake dekhke oose salaam kiya...ladki bhi muskurake jaldi jaldi lift mein daakhil huyi agle hi pal lift band huyi aur upar ki taraf uthne lagi…
oos ek pal mein ladki ke chehre pe jaldbaazi ke bajaay ek azib si ghabrahat si hone lagi….aamtaur pe akele band chalti lift mein oose hamesha ghutan si hoti hai wo bas dua kar rahi thi ki jaldi ooska floor aaye aur lift khul jaaye…
lift ek dhakke ke saath ruka to jaise ooske jaan mein jaan aayi...lift ke khulte hi saamne ek bara hall tha jo uska office tha jismein baithne ke cabins alag alag har taraf staff ke bane huye they chehel kadmi karte kuch log idhar se udhar apne kaam mein vyast guzar rahe they….ek pal koi oose rahat mehsus huyi ki wo wahan sard raat gaye bilkul akeli nahi thi…
fauran uska dhyaan waapis apne jaldbaazi se cabin pahuchna tha...har koi oose dekhke muskurake uska swagat kar raha tha to koi hello hi….sabko jawaab dete huye oosne apne radio show ke manager ko apne recording studio cabin ke bahar khada paaya jo apni ghari dekh raha tha…shayad oosi ke intejar mein tha ladki ne paas aakar oose hello karke ooska dhyaan apni mauzudgi ki taraf kiya…
"hello rajesh".....awaz sunte hi manager ka dhyaan tuta aur usne ladki ko dekhke rahat ki saans li
"oh god i thought tum nahi aanewaali tumhe 9 baje ka kaha tha na aane zaara"
"sorry i m extremely sorry ek toh cab nahi available ho rahi thi aur upar se maa ne zidd ki dinner karke hi jau so just that's why?".....oos ladki kaa naam zaara tha aur zaara maanfi maangte huye hassne lagi manager ne oose aur baat nahi sunaaya na oospe narazgi jaahir ki
"tum janti ho zaara tum hamare radio show ki sabse honhaar popular rj ho aur jabse tumhara ye weekly horror talk show "kahani ek ghatna ki" shuru huyi hai to kasam se zabardast response mil raha hai chairman ke hi kehne par humne iska second season shuru kiya hai aur unka yahi kehna hai ki is show ko bhi host zaara hi karegi so that's why i was worried ki kahi aaj raat ye show on air tumhare naa aane se hogi ki bhi nahi"
"alright sir aap fikar mat kijiye darasal itna kaabil aapne aur is radio show ne mujhe samjha hai ki now it's part of my family ab main chahke bhi is show ko chodhkar kahi jaane ka soch bhi nahi sakti sirf aapke aur is interested show ke liye maine nightshift ki hai warna maa to saqt khilaaf thi but i love this show mujhe har hafte ek nayi horror element milati hai un ghatnaao ko sunkar main aur uske deep jaana chahti hoo"
manager sunkar khush hua usne zaara ka shukriyada kiya apne show ka hissa hone par...manager ne bataya ki bas kuch hi min mein dusra show khatam hone wala hai aur fhir oosi ka show on-air hoga...kuch dair baad theek 10 bajaa off air hote hi pichli show ki rj sonal uske studio se bahar nikali zaara se gale milkar wo wahan se vidaa huyi zaara cabin mein chali gayi is weekly show ka naam kahani ek ghatna ki rakha tha jiski host zaara thi….zaara is radio office mein kareeban 5 saal se kaam kar rahi thi...sheher ki popular rj thi jiski awaz har koi farmaayishi gaano ke baad sunna pasand karta tha…..kuch mahine pehle ek nayi content par radio channel ne ek show launch kiya tha zaara ko ismein achikhaasi dilchaspi ho gayi oosi ke request pe oose ye show diya gaya jiske liye zaara raat gaye they itne bare office mein apni cabin mein lagbhag 2 ghante teherti thi aur phone pe ya kisi special guest ke sath uske paranormal experience ko leke charcha shuru karti thi isi beech usne kayi tarah ki bhoot rooh jinn kayi aisi cheezon ke baarein mein suna aur jaana tha lagbhag kuch kahani oose kalpanik lagi thi par kuch sacchi bhi…
Par abtak usne kabhi khud koi aisi ghatna ko naa anubhav kiya tha aur naa hi kabhi usne koi aisi cheez asliyat mein dekhi thi lekin aisi ghatna ko sunkar wo gambhir ho jaati thi aur tassavur karne lagti thi kabhi kabhi akelepan mein oose bhi ek anchaha darr sataane lagta tha kabhi oose aisa lagta koi ooske paas mauzud hai bachpan mein uski chahiti behan ko ek baar bukhar hua tha….oose yaad hai ki koi dawaiya kaam nahi kar rahi thi aur achanak ek din oose daure shuru ho gaye wo azib si dohri awaz nikaalte huye bistar par haath pao patakne lagi usne apni maa ka gala pakad liya tha us waqt zaara bhi choti thi….maa baba ne oose rassi se baandhkar rakhna shuru kiya oose kamre se aur zaara se bhi dur rakha….ekdin ek molvi buzurg ne aakar uske kamre mein dhuni jalaayi thi...fhir kuch padhkar ooski behan pe fhuka tha….uske baad usne gaur kiya ki uski behan theek ho gayi thi…
maa baap se hi sunaa tha ki uspar koi jinn haavi ho gaya tha….us din ke baad se uski behan ke sath koi ghatna nahi huyi thi par zaara hamesha sochti thi ki kya waqai aisa kuch hota hai yahi wajah thi aaj itne saal guzarjaane ke bawjud uske zehan mein bhoot pret jinn pishach aur aisi aloukik ghatnaao par uski study jaari thi...isliye dheere dheere uska saara interest is show mein zyada jud sa gaya tha…
Bahar darwaje pe on-air ki batti jali...show shuru ho chuka tha…."hello everyone this is zaara and u r listening our popular show "kahani ek ghatna ki" raat ke baj chuke hai dus aur aapsab jaante hai ki sard ki aisi raaton mein jab sunsaaniyat bhari andhera chaane lagti hai tab ek naya basera shuru hota hai jo insaano ka nahi kuch aloukik cheezon ka hota hai aur hum le aaye hai ek aur aisi hi dilchasp ghatna ko jo sunaayenge aaj ke hamare caller jo isi sheher se hai mr.deepak"
lagbhag 2 ghante baad show off air hua raat 12 se upar ho chuka tha zaara thakkar ubaasi lete huye microphone apne kaan se nikaalkar system off kiye bahar aayi bahar nikalte hi usne paaya ki aadhe se zyada hall ki battiya bhuji huyi thi ek aad jagah light jal rahi thi par waha koi maujud nahi tha….zaara ne bagal waale recording room ki taraf dekha jaha ab bhi koi aur show on air chal raha tha...wohh apna purse latkaaye lift ke paas aayi lift ekdum se khuli wo bheetar daakhil huyi oose aadat thi aisi raat gaye apne sunsaan office se ruksat hone ka haalaki uske group ki colleagues zyadatar ladkiya office se pehle hi chali jaati thi….niche aakar hamesha ki tarah imarat ke bahar oose office se provided cab khada dikha...driver ooska jannewala tha usne zaara ke liye gate khola aur jaldi se apni driving seat pe baith gaya….kabhi kabhi zaara sochti thi ki uska itni raat gaye office se ghar tak safar karna theek nahi hota tha lekin apne kaam ke chalte wohh is baat ko taal deti thi….waaqayi sard raat mein sunsaaniyat charo taraf faili huyi thi kahi dur kutte bhaunkte huye oose dikh rahe they gaadi teji se main road se daayi sadak ki taraf mudi….achanak zaara ka phone baja phone maa ka tha zaara maa se baat karne lagi itne mein uske number pe whatsapp aaya manager ka zaara ne paaya manager uske show off-air hone se pehle office se jaa chuka tha isliye usne message mein apna maanfinama chodha tha ki wo oose ghar drop nahi kar paaya zaara jaanti thi manager oosse dilchaspi badhaana chahta tha jabki shaadi shuda tha haalaki zaara oosmein koi bhi dilchaspi lena nahi chahti thi...manager ne message mein chodha tha ki agle show pe koi caller nahi special guest aanewala hai jo ki popular novelist hai aur zyadatar horror stories hi likhte aaya hai zaara ko oosi ke saath agle show par baithna tha…..sunkar zaara kaafi khush huyi kyunki abtak jitne bhi special guest aaye wo aam log hi they lekin is baar koi mashoor writer uske show mein aane wala tha zaara naam jaane bina nahi reh paayi kuch hi dair mein uska naam manager ne mention kiya aur ye bhi bataya kyunki uski koi nayi novel publish hone waali hai jiske promotion ke liye bhi wo aayega zaara oos naam se waqif thi kyunki wo naam anjaan nahi tha uske liye….jab zaara ka dhyaan tuta toh gaadi uske ghar ke saamne aehen aakar ruki…
To be continued….
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ASIF
Shayari Qadrdaan
Rau: 0
Offline
Waqt Bitaya:1 days, 51 minutes.
Posts: 187 Member Since: Feb 2021
|
|
«Reply #2 on: February 25, 2022, 11:43:36 AM » |
|
Chapter 2
Agle hafte theek thursday ki wohi raat thi dus bajne ko tha jab zaara ka weekly show on air hone wala tha...zaara ke sath aaj ek khaas mehmaan baithne wala tha jiske aane se pehle hi zaara apne recording studio pe pehle aake baith chuki thi aur apne us khaas mehman ke intejaar mein thi…
darwaja khula aur theek tabhi us shaks ne kadam andar rakha darwaja lagte hi studio door ke sheeshe se jhaankte huye manager ne zaara ko show shuru karne ka ishaara kiya….zaara ne ek nazar oos shaks pe daali aur muskurate huye saamne ki seat pe oose baithne ka ishara kia….us shaks ne aankho mein patle frame ka chashma pehna hua tha uske keemati suit tye aur coat se hi uski raeesi ka maalum chal raha tha usne apni rolex ki ghadi par nazar daalte huye kursi pe sidhe hokar microphone ko kaan mein lagaate huye saamne rakhke system ke daayi or mic ke paas apne chehre ko laaya
"show bas 1 min baad shuru hone wala hai how r u? mr.adam"
"bas aapki dua hai and u say how is everything zaara? waise pehli dafa main aapke saamne aaya hu warna abtak to bas instagram pe hi aapko dekha hai"
zaara ko sunkar hairani huyi wo uske naam se anjaan nahi thi kyunki wo mashoor lekhak tha lekin oos jaise haisiyatdaar shaks ko zaara ke baarein mein maalum tha aur wo oose jaanta bhi tha toh waaqayi oose badi dilchaspi huyi ye jaanke
"aap mujhe jaante hai?"
"bilkul main aapke saath ek aad baar chat bhi kiya hoo aur instagram par aapko follow bhi karta hun aur aapko tabse jaanta hoo jab main ek aam ladka tha aapko shayad main yaad nahi"
"maine aapse baat bhi ki thi mujhe yaad nahi par h..haan aapka chehra dekha dekha toh pehle kabhi lag raha hai par main aapse anjaan isliye nahi hoo kyunki ab aap ek mashoor writer hai aur aapki bhoot pret ki aur thriller stories maine bahut padhi hai"
adam hass pada….itne mein zaara ne show shuru kiya…..pehle apne show ka aur khud ka intro karte huye usne fhir tawajjoh adam ki taraf ki..
"kahani ek ghatna ki mein aajke is naye episode mein listeners aapka swagat hain aaj mere saath mauzud hai hamare aaj ke khaas mehmaan jo sirf na aaj apna anubhav humse share karenge balki bataayenge ki unki aane waali kahani kabtak apne pathako ke haath mein hongi ji sahi sunaa aapne aaj hamare saath studio mein mauzud hai a very well known horror writer and novelist mr adam shaikh adam kaise hai aap?"
"thank u so much and i m really glad ki main is show ka hissa hua and my pleasure ki aaj mere naa hi sirf readers balki tamaam logo se main apni awaaz ke sath rubaru hone jaa raha hoo i am really thankful to you miss zaara".......adam ne hasskar bare salike se apna abhivaadan kiya
"mujhe bhi bahut khushi huyi ki aap hamare studio mein aaye toh kya sach mein aap maante hai ki rooh bhoot pret pishaach aisi cheez hoti hai kyunki mostly ur stories are based on this creatures"
"hahaha sahi farmaaya aapne my most of the stories are written on this supernatural creatures...dekhiye pehli baat toh wishwas karna ya na karna ye hamare upar hota hai jo humhe dikhta hai hum aksar oosi pe yakeen karte hai whether they exist or not….koi kahega vampires hote hai werewolves hote hai par hum yakeen nahi karenge kyunki ye kuch zyada kaalpanik ho jata hai lekin bhoot jo ki soul of the dead hota hai ye aatmaaye inki nishaania humhe aksar dekhne ko mili hai aur yakeen jaaniye kuch astitva toh inka hota hai"
"toh aap maante hai ki bhoot pret hote hai?"
"hmm hote hai aur inse bhi alag jo hamare dharam se judi baat hai jinpe yakeen to karna hi hoga wo bhi exist karte hai jaise jinn kaala jadu aur ye koi kalpanik cheez nahi hai aksar aisi ghatnaaye maine dekhi hai jinpar yakeen karna mushkil ka kaam hai is kaaynat mein sirf hum insaan hai ye baat sacchi nahi hai kuch aisi hi cheezein hai jo hamare aaspaas to hai par hum oose dekh nahi sakte"
"khair apni nayi kahani kaabu ke baarein mein bataaye jo isi hafte publish ho rahi hai many many congrats"....zaara ne adam ki taraf dekhke muskurakar uske aane waale novel ki shubkaamnaaye di
"thank u so much zaara actually kaafi had baar maine nayi kahani likhi hai aur iske creditss publish house aur editor ko jaate hain jinhone meri kahani ko pasand kiya darasal kaabu oos ghatna pe aadharit kahani hai jaha pe hum possession ki baat karte hai hum aksar logo ko dekhte hai jinhe daure uthte hai dusri badli awaz mein unka baat karna aur azibo garib hairat angez aise harqate karna jo ek bimaar insaan ke pahuch se dur ki baat kahi jaati hai is kahani mein sacchai hai un logo ke liye jo aise haalato se jhujh rahe hai kya bitti hai unpar aur unke apno par oosi based ye kahani hai"
"waah lajawab mashallah mujhe to lagta hai ye kahani waaqayi kaafi readers ko pasand aayegi"
"aap bhi zarur padhiyega"
Show kuch ghante aur chala uske baad show ke khatam hote hai zaara ne microphone utaarke rakha toh adam ne bhi faarig hoke paas rakha glass se bhara paani pee liya...itne dair mein manager rajesh studio mein daakhil hua oosse kuch dair baat karke zaara ki taraf usne ruju kiya...uske jaane ke baad adam ne uthkar zaara ka shukriyada kiya...zaara ab personally show ke khatam ho jaane ke baad oosse kayi sawaal puchna chahti thi
adam shaikh 28 saal ki umar ka salihat aur tehzeebdaar naujawan tha jitna wo dekhne mein tehzeebdaar tha utna hi simple woh rehta tha bas chehre pe ugi dhaadhi thi jise shayad wo aksar halka trim kar leta tha kuch sal se hi uske novels ki popularity ki wajah se wo mashoor hua tha uske family background ke baarein mein log bahut kam jaante they kyunki wo aksar apni personal life ko private rakhta tha...itna zarur zaara ko maalum chala tha ki wo vidhur tha aur uski biwi kisi brutal accident mein maari gayi thi tabse adam akela rehta tha aur sheher ki ghani aavadi se alag uska nivaas tha…
zaara ne oosse haath milaaya…."thank u so much ki aap hamare show mein aaye mr.adam"
"aap mujhe tum aur mere naam se hi mujhe daakiye kyunki creepy lagta hai jab koi aapka jannewala aapko is qadar respect de raha ho hahaha"
zara bhi hass padi…."waaqayi tum bahut mazaakiya ho anyway adam mera ek hi sawaal hai kya tumhe lagta hai ki jo kuch tumne kaha jinn aatmaaye wo insaano par haavi hoti hai dekho tumne jab possessed ki baat ki toh meri choti behan ke saath jo bachpan mein hua wo mujhe yaad aa gaya"
zaara ne adam ko fhir wohi bachpan ki ghatna dohraayi...adam khaamosh sunta raha fhir usne chuppi todi
"dekho zaara yakeenan is zindagi mein bahut kuch janne ko hai par ye behtar hoga ki sirf hum inhein janne tak rakhke inmein zyada deep na jaaye kyunki aksar log aisi galtiya karte hai aur fhir khud aise kisi haadse ka khudanakhasta par shikar ho jaate"
kehte kehte adam gambhir ho gaya ek pal ko zaara ko uska chehra badalta hua mehsus hua fhir wo ekdum se normal ho gaya usne hasskar baat ko kaanta "anyway raat bahut ho gayi hai tumhe bhi shayad ghar jaana hoga chalo fhir main chalta hun hope fhir mulaqat hogi"....aisa kehke adam zaara ko wohi sawaali nigaaho mein chodh studio se bahar nikal gaya
zaara bhi bahar nikali usne paaya hall mein koi mauzud nahi tha woh hamesha ki tarah lift ke kareeb aayi par wo occupied tha...zaara mann hi mann koste huye sidiyo se niche ka raasta tayy karne lagi abtak usne sidiyo ke raste kabhi parking lot tak ka safar ek aad baar se zyada kabhi nahi kiya tha..
har floor ke hall mein ikka dukka band offices ke darwajo par lights jal rahi thi par koi mauzud nahi tha aik uska radio studio raat gaye khula rehta tha….usne bina zyada waqt gawaaye teji se utarna shuru kiya itne mein oose ahesaas hua ki niche ki andheri sidiyo par kisi aur kadmo ke utarne ki awaz aa rahi thi usne utarte hue dekha toh piche se oose jaate adam ki surat dikhaai di...yaani wo ab bhi yahi tha
zaara oosse kuch aur puchne ki chah mein thi isliye usne pehle adam ko awaaz di fhir aur teji se sidiya utarne lagi...sidiya utarte huye achanak uski nigaah niche parking lot hall ki taraf huyi wo ground floor pe pahuch chuki thi tabhi achanak aakhri sidi khatam huyi hi thi ki ek parchaai ek aks uske bilkul saamne aa khadi huyi tubelight ki dur se aati roshni mein wo oose theek tarah se dekh nahi paayi lekin khauff zarur khaa chuki thi woh….zaara cheekh uthi aur wohi zameen pe gir padi jab usne apne chehre se haath hataaya to waha koi nahi tha…
itne mein oose adam ki surat dikhaai di jo tej kadmo se uske kareeb aaya aur uske halat ko dekhte huye haatho ke sahare uthaane laga….."u okay? kya hua i heard ur scream tum cheekhi kyu?"
zaara ne hosh sambhaalte huye pehli baar darr mehsus kiya tha apne office mein…."main tum..hara picha karte huye utari tumhe awaz bhi di par tum ruke nahi jaise niche yaha parking lot pahuchi hi thi ki ek aks mere saamne aa khada hua kuch tha main uski surat nahi dekh paayi fhir wo gaayab ho gaya"......adam khaamoshi se par gambhir chupchaap sun raha tha
"hahaha koi wehem hoga zaara tumhara ek to tum itne late akele mein studio se nikalti ho ho sakta hai koi mind mein superstitious baat chal rahi ho isliye aankhe tumhari dhokha khaa gayi"
"it's serious adam main haqeeqat aur wehem ka farq jaanti hoo kuch to tha yaha par aisa pehle kabhi nahi hua"
"okay relax chalo let's go".....adam ne ooska mann dusri taraf karne ke liye oose shaant kiya kuch dair baad wo dono parking lot se bahar nikale
"tumne lift nahi li?"
"main aksar sidiyo se utarna pasand karta hun bachpan se aadat hai anyway koi conveinence?"
"main chali jaungi office mujhe cab night ke liye cab provide karti hai"
"okay".....adam oose wohi imarat ke bahar khada chodh paas khadi apni black car pe sawaar hone laga achanak zaara ko manager se oosi waqt text aaya ki uski cab aaj nahi aa payegi wo wohi tehre wo pahuchne wala hai zaara manager ka lift nahi lena chahti thi wo pehle se hi oose office ke bahar ignore karte huye aayi thi...
isliye usne kuch sochte huye adam ke gaadi ke paas aakar dastak di...adam ne sheesha niche karke muskurakar zaara ko dekha
"wo actually meri cab nahi aane waali"
"kehne ki zarurat nahi hai door khula hai get in main drop kar dunga is bahaane mujhe meri follower ke saath acompanny mil jayega"......adam ne nazakat se muskuraya
zaara hasskar gaadi mein sawaar ho gayi tatkal usne apne manager rajesh ko message kar diya ki wo pehle hi adam ke saath ghar ke liye rawana ho chuki hai…gadi office ke compound se bahar sadak par pahuchi toh baatcheet fhir shuru huyi..."waise aaj is show mein khaaskarke main tumhare se milane bhi aaya tha zaara"
"tumne mujhe pehle kyu nahi contact kiya ki tum mere show mein aanewaale ho"
"kuch cheezein surprise hi behtar lagti hai anyway now u r okay"
"ya".......zaara ne haami bhari lekin fhir bhi oose oos ghatna ki yaad acchi tarah yaad thi kuch dair khaamoshi rahi adam ne jab zaara ka pata malum kiya to oose khushi huyi ki uska ghar raaste mein hi padta tha
"tumse sawaal kar sakti hoo dekho tum mujhe jaante ho par tum ye nahi jaante ki main in paranormal cheezo pe study bhi karti hoo"
"tum kya janna chahti ho zaara? ki main tumhe koi asli ghatna sunau"....drive karte huye adam ne sawaal kiya
"tum akele rehte ho matlab koi family?"
"nahi koi nahi shaiza ki maut ke baad meri koi family nahi hai bas akelepan ko kaatne ke liye ye kahaniya likhta rehta hoo aur baaki waqt toh office mein guzarta hai ghar par bahut kam rehta hun"
"kya hua tha oose?"
"ek haadsa ek tragic accident".....adam ne dheeme se dukh karte huye kaha
"i m sorry"
"it's okay".......adam fhir khaamosh hokar drive karne laga zaara bhi kuch dair tak soch mein dubi rahi
"lo tumhara ghar waqt se pehle aa gaya".....adam ne zaara ke bataaye pate par laakar theek uske ghar ke hi paas gaadi roki
"waqayi time jaldi kant gaya"...zaara ne utarte hue kaha
"hahaha anyway aage se make sure ki ghar waqt se pehle nikal jaaya karo safety comes first"
"mera profession toh tum jaante ho"
"ya i know anyway fhir kab mulaqat hogi?"
"jab tum kaho"...zaara ne sawaal kiya
"okay umm this weekend at coffee bar milogi?"
zaara ne kuch dair socha fhir wo raazi ho gayi…..adam waha se chala gaya jaate jaate usne apna number zaara ko de diya...uske jane ke baad zaara apne ghar lauti...pure raaste oose hairani thi ki wo saaya kiska tha? adam ka chehra kyu baaton baaton mein kisi wajah se gambhir hua tha kya waqayi wo koi raaz chupa raha tha ya uske saath bhi kuch hua tha….aur sabse hairaani ki baat wo uska jannewaala tha jab kabhi wo oose social networking site par oose follow kiya karta tha aur zaara se uski ek aad baar baat bhi huyi thi chat pe lekin us waqt zaara ne oose koi tawajjoh nahi diya tha aur aaj itne saal baad wo ek alag hi shaksiyat bankar uske saamne tha ye sab itefaq toh tha lekin jo sawaal zaara ke dil mein tha wo tha adam ke zindagi ko janna uske wife ek rahasmayi durghatna ki shikar huyi thi zaara nischint thi ki adam khud oosse familiar tha jo uske niji personal life ko janne ke liye zaara ke paas khaas mauka tha..aur wo apni paranormal study karne mein is mauke ko gawana nahi chahti thi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ASIF
Shayari Qadrdaan
Rau: 0
Offline
Waqt Bitaya:1 days, 51 minutes.
Posts: 187 Member Since: Feb 2021
|
|
«Reply #3 on: February 25, 2022, 11:54:35 AM » |
|
Chapter 3
Ghadi ki suyi tik tik karte huye andhere ke oos sannate mein ghume jaa rahi thi….sannate sard ki wo gehri raat thi….kamre mein zaara theek apni soyi behan ke bagal mein gehri neend ki aagosh mein dubi huyi thi….tik tik karti ghari ki chalti suyi ki awaaz hi khaamoshi mein us waqt sunaai de rahi thi….achanak dheere dheere hawa se bahar ki khidki apneaap ek jhatke mein khul gayi bahar ki sard ho ho karti hawao ke shorr ke saath jaise kohra kamre ke bheetar daakhil hone laga khidki soyi zaara ke bistar ke theek daayi taraf thi…
achanak zaara ka jism neend mein hi duba kasmasane laga oose sard mahoul apne jism par lag raha tha….honth uske kaanpne lage kaano mein sard hawaao ka ho ho karta shorr sunaai dene laga...zaara kisi khwab ko dekh rahi thi jo rehrehke uske badan mein sihran aur paida kar rahi thi…
zaara dekh rahi thi wo kamre mein yuhin akele tanha soyi huyi hai aur kamre ke andhere mein koi aur bhi mauzud hai jo theek uske saamne khada hai….zaara ko samajhne mein aane laga ki ye wohi aks tha jo uske saamne sidiyo par aa khada hua tha...zara bechain hone lagi wo us aks ko ab dheere dheere dekh paa rahi thi….dheere dheere wo aks apna haath soyi zaara ki taraf badha raha tha….zaara chillane ka prayatan karne lagi par gale mein hi uski ghutti awaz reh gayi...fhir achanak usne us haath ko dekha wo koi ladki ka haath tha barf jaisa ekdum safed haath uske panjo par jaise tapakta laal khoon tha ab dheere dheere wo saaya zaara ki taraf jhukne laga zaara ab uske chehre ko dhundhli nigaho se dekh sakti thi sirf uske honth aur chehre ka nichla bhag dikh raha tha uske surkh safed chehre aur gulabi hontho ki darmiyaan se khoon beh raha tha wo jaise zaara ko hi dekhke shaitani hassi hass rahi thi uski lataktti zulfein zara ko lataktte saanp jaisa mehsus ho raha tha zaara kaanpne lagi uski ghutti awaz gale se aur nikalne lagi wo haath aur uska chehra laiti zaara ke ekdum kareeb hi tha….zaara ekdum se chilla uthi
toh oose ahesaas hua ki wo koi bhayanak sapna tha….zaara hosh mein aakar bistar par baith gayi usne paaya neend mein hi hadbadaayi uski behan sote se jaagkar oose jhinjodhte huye utha rahi thi...zaara ne zindgi mein kabhi aisa khwab nahi dekha tha aisa laga jaise wo saaya hi uske aehen khwab mein aakar usse rubaru hua tha….zaara apne aankho ko haatho se malte huye behan ki taraf dekhke muskurayi usne khud ki saanson pe aur darr par kaabu kiya
"kya hua tujhe? aise ro kyu rahi thi neend mein aur cheekhi kyu? jaise hi maine tune jhinjhoda tab tu hosh mein aayi mujhe bhi daraa diya"
"k..kuch nahi tu so jaa wohh koi darawna sapna tha soja aaram kar"....kehte huye zaara apni behan ko laitakar oospar razaai ko dhak di
wo fhir kisi gehri soch mein dub gayi...ye ittefaq nahi ho sakta jis cheez ko usne parking lot ke sidiyo pe ek jhalak dekha tha wo uske khwab mein aake oose haunt kar raha tha...zaara ne paaya ki daayi taraf ki khidki khuli huyi thi aur wohi se sihran paida kar dene waali thand aur kohra aa raha tha ye achanak khidki kaise khuli? zaara ne uthkar andhere mein chalte huye khidki lagaayi...fhir bathroom ki taraf dakhil huyi usne batti jalaakar nal abhi kholkar chehre ko dhoya hi tha ki itne mein usne uthkar saamne aayene ki taraf dekha uski ghabrahat aur bechaini ekpal ko jo kam huyi thi wo oose fhir saqte mein daal gayi
aayene pe dhundh chaaya hua tha aur oospar koi laal nishaan se bare bare aksharo mein likha tha "Don't get into deep".......ise padhkar zaara ko wishwas nahi hua pehle oose fitoor laga lekin usne gaur kiya toh paaya woh saaf taur pe likha tha dheere dheere zaara ko ahesaas hua ki woh akshar mitte jaa rahe they...fhir ekdum se aayene pe kuch nahi raha woh ekdum saaf ho gaya tha apni aankho pe yakeen kar paana aasan nahi tha zaara ke liye pehle woh darwana khwab aur fhir ye haqeeqat mein hua dusra waaqya wo alfaaz zaara ko yaad they laal siyaahi jaisi cheez kya thi jo mit gayi...ekdum se zaara ko woh saaye ke panjo pe lage khoon ka zehan aaya kahi oos saaye ke panjo pe jo khoon laga tha nahi aisa kaise ho sakta hai? ye sab kya ho raha hai? usne kisi ka kya bigaada jo kuch bhi uske saath ek hi raat mein ghat gaya….usne khud ko sambhaala aur bathroom ki lights off karke wo waapis kamre mein aakar apne bistar ke havaale ho gayi razaai odhey wo soyi nahi kahi wo khwab fhir uske saamne na shuru ho jaaye kya matlab tha us alfaaz ka kaun oose daraa raha tha? zaara ne us baat ko nazarandaaz nahi kiya…puri raat wo aisa hi mehsus kar rahi thi ki ab bhi koi mauzud uske saamne khada tha is baat se wo waqif ho chuki thi wo koi aurat thi..
Usi hafte zaara ne adam ko jab whatsapp kiya to fauran uska jawab oose mila adam ko laga tha ki shayad zaara oosse nahi milegi par zaara ne oose whatsapp karke uski ye galatfehmi dur kar di thi….adam ne milane ka program banaaya usne oose coffee bar agle hi din shaam 5 baje tak aane kaha zaara ne fauran haami bhar di ki wo oosse milane aayegi adam ko khushi huyi….is beech zaara us raat ke waaqye ko bhuli nahi thi wo kahi na kahi ise apne aur adam ke mulaqat se jodh rahi thi jo ki oose halka bebuniyaad laga par fhir bhi wo janna chahti thi ki in sab ke piche ka sach kya tha? usne adam ki baarein mein internet pe thodi bahut bhi jankari ikhatti karni shuru ki...jitna oose maalum tha utna hi waha likha tha kisi ke niji zindagi ke baarein mein janne ke liye uske kareeb hona zaruri tha...us raat ke waaqye ke baad se zaara ke sath kuch aur nahi ghata tha..
Agli shaam zaara coffee bar ke table par adam ke saamne kursi par baithi huyi oosse mulaqat karne aayi thi..adam ne jhat se phone cut kiya jo uske karobaar se sambandhit rakhta tha call kuch dair pehle aaya tha jismein wo vyast ho gaya tha...usne faarig hoke zaara ki taraf ruju kiya aur muskurahat di zaara ne bhi muskuraaya
"toh finally aaj main apni idol ke sath baitha hun"
"adam stop teasing me aisi bhi koi famous celebrity nahi hoo main i m just radio jockey and model"
"accha ji toh aapke itne million followers pehle se kyu hai? aapke tiktok videos aur haan aapke dramas maine sab dekha hai"....adam ki baat se zaara ko apni taarif sunkar bahut khushi toh mann hi mann huyi apni sharmili muskurahat ko wo chupaa na saki
itne mein waiter ne do hot coffee unke table pe serve kiya aur waha se chala gaya….adam ne zaara ko coffee ki taraf ishara karte huye pehle peene kaha...aur khud ek chuski leke usne cup ko waapis plate pe rakha
"adam main sirf rj nahi hoo aajkal maine kuch waqt se paranormal activities par research aur study karna shuru kiya hai aur sheher ke jaane maane aisi community ki main member bhi hoo jab tumhare aane ki khabar studio mein suni thi toh meri curiosity badh gayi thi and i was surprised ki tum mujhe pehle se jante bhi they"
zaara ki baat chupchaap adam bholi muskurahat diye sun raha tha….."bas ab to hum sirf professionally hi nahi balki aaj ekdusre ke saamne personally baithe hai jabki ekdusre ko jaante bhi hai toh kya tum meri help karoge?"
"ofcourse main yahi sunne ko betaab tha ki we are now known to each other as friends koi peshe se nahi dekho zaara main bahut akela aur keh sakti ho introvert type ka hun mere koi friends nahi hai aur main aise yun kisi se milata bhi nahi par tum meri jannewaali ho aur ab jab tumne kaha hai friends toh fhir kuch chupaana kaisa? lekin tum kaisi madad chahti ho?"
"tumhare latest novel ka jo main theme hai oosi par possessed roohon ya jinn ka insaan ke jism pe kaabu paana unse harqate karwana aur unhein pareshan karna unhein taqleef pahuchaana isi par aur mujhe maalum hai ki tumne jo kuch bhi likha hai wo deeply kisi ghatna ko sochkar hi likha hoga na aisa tum daava bhi kiye they ki kahani sacchi ghatnaao par!"
"hahaha zaara ghatnaaye suni jaati hai aur hum unhi se inspired hokar aisi horror stories likhte hai aur kabhi kabhi kalpanik cheezon ko bhi haqeeqat keh daalte hai taaki log oose zyada se zyada interest se lekar padhe mujhe lagta hai tum bahut zyada us content ko leke influenced ho gayi ho dekho zaara main oos raat studio mein bhi kaha tha ki inki gehraaiyo mein mat jaana bahut logo ki zindagiya barbaad huyi hai zarurat se zyada soch lene pe"
"matlab tumhare hisaab se inhe stories tak hi rakhna chahiye adam tum horror writer ho bhoot palit jinn rooh aisi cheezon pe kayi novels likh chuke ho aur tumne khud kaha tha ki tumhe yakeen hai us raat bhi mere show mein tumne apna personal experience share nahi kiya tha yahi kaha ki tumne auro ghatnaao ko sunkar unki aapbeeti likhi hai tumhara khud ka koi koi niji anubhav nahi hai"......zaara kehte huye khaamosh huyi woh janti thi uski kahi aakhri baat sach nahi thi adam kuch chupaa raha tha
"haan zaara sach kaha tumne mere saath kya hua hoga kuch bhi nahi"...coffee dobara hontho se lagaaye adam khaamoshi se chuskiya lene laga zaara oose gaur se dekh rahi thi wo is baat ko bakhubi nazarandaaz kar raha tha
"tum mujhe ekmaatra dost kehte ho aur sach bhi chupaate ho?"
"kaisa sach zaara? maine kya tumse chupaaya okay fine agar main tumhe koi horror encounter real waali apni aapbeeti batau toh tumhe yakeen ho jayega"
"mujhe pata hai tum asli sach ko chupaane ke liye aisi fictional dus plot kahaniyo ki bataa sakte ho"..........adam zara ki baat sunkar jhenp sa gaya jaise uski chori pakdi gayi ho
"dekho zaara kuch baatein aisi hoti hai jo bahar naa hi aaye utna behtar usse sirf sunaane waale ko taqleef milati hai aaj itne arse baad khuli hawa mein kisi apne ke saath saas le raha hoo warna abtak na jaane kaisi ghutan mein tha? tum nahi janti in kuch saalon mein mujhpar kya guzari hai anyway main fhir apna dukh zaahir karne laga"
adam ki gambhirta ekdum se badalte huye aansuyo mein tabdil ho gayi….zaara ne uske haath pe haath rakha aur oose sahanubhuti di….adam ne uska thanks karte huye usse sawaal kiya "parivaar mein sab kaise hai?"
"bahut ache sab khairiyat se hai".......zaara ne kaha
"aur tumhara boyfriend jinko leke tum aksar insta pe romantic quotes deti rehti thi wo kaisa hai?"
zaara ki muskurahat ekdum se udaasi mein tabdil ho gayi usne nazare jhuka li adam ko ye sawaal shayad karna nahi chahiye tha...uski bhi hassi gayab ho gayi aur apni galti ka ahesaas mehsus karte huye usne haalat ko samajhte huye zaara ke kandhe pe haath rakha
"u okay?"
"ya i m fine nahi just thodi emotional ho gayi"....zaara apne aansu ponch rahi thi
adam ne muskuraaya…."i m sorry if i ask anything wrong?".......zara ne fhir muskurate huye oose maanfi na maagne kaha
"darasal there is no need to say sorry i mean we are still in relationship but kabhi kabhi aisa lagta hai ki wo khokla vaada karta hai"
"pata hai zaara kabhi kabhi insaan ki mazburi hoti hai jo wo naa keh deta hai par iska matlab ye nahi ki wo tumse pyaar nahi karta"
zaara ko lagaa jaise adam oose hausla dene ke liye ye sab keh raha tha….zaara ke zindagi mein bhi ek ladka tha jo padhai ke liye abroad chala gaya tha zaara oose bahut pyaar karti thi par ladke ko apne ambition pe zyada dhyaan tha wo chahta tha ki zaara ka haath thamne se pehle wo kisi kaabil ban jaaye tabhi wo waapis sheher lautega aur zaara se niqaah kar lega lekin abtak intejaar hi chal raha tha aur abtoh zaara ka uske boyfriend se contact bhi dono ke kaam ke wajah se kam ho gaya tha kabhi kabhi oose ye duriya ye tanhaai bardasht nahi hoti thi lekin wo dil aur haalat ke aage mazbur thi...kahein vaade ke intejaar mein uski raah par baithi huyi thi jo na jaane kab aayega…..
zaara ne zazbat ko kaabu kiya aur fhir adam ki taraf ruju kiya…."tumhari kab shaadi huyi thi? aur tum kab is sheher mein aaye"....zaara ne dusri taraf baat ka rukh moda
"lambi kahani hai"......adam ne ek lambi saans lete huye bas itna kaha
"fhir bhi mujhe yaad aaya ki jab tum mere pics pe comment kiya karte they toh us waqt tum bilkul badale huye they kya pesha hai tumhara apart novelist"
"darasal main islam group of industries ka managing director hoon aur mujhe is position par lagbhag kuch saal ho gaye hai"
"wow wo to bahut jaane maani company hai great waise aur tumhare mother father?"
"bichadh gaye main hi unse dur ho gaya unhone mujse saare rishte naatein usi waqt tod diye jab maine apna sheher chodha tha"
zaara ko sunke bahut bura lagaa….adam thoda bhaavuk ho gaya usne gambhir chehra kiye aage kehna shuru kiya
"wo mere decision ke saqt khilaaf they nahi chahte they ki main yaha rahu par mera waha koi kal bhi nahi tha aur dekho yaha bhi nahi hai bas ghutt hi toh raha hoo shaadi ki baat toh kya kahun shaiza ne toh mujse khushiya dhundhi thi oose kya pata tha? ki mere saath sirf oose taqleef aur aakhirat hi milegi".....adam ne jab zaara ki taraf chehra uthaaya to uske nigaho mein aansu they
zaara ne oose shaant kiya lekin adam ne sirf muskuraya dheere dheere zaara fhir idhar udhar ki baat karke uske chehre pe muskaan laane lagi par adam bas muskurata raha apne dard ko chupaate huye….kuch dair baad adam aur zaara apni kursiyo se uthe...
"fhir kab mulaqat hogi?"......adam ne sawaal kiya "tum kaho"....zaara ne kaha
"okay kuch din main free nahi hun kya is sunday tum mere ghar aaogi?"
"okay"
zaara ne haami bhar di….dono restaurant se bahar aaye adam ne oose lift offer kiya par usne manaa kar diya…..adam ne jaate jaate teherkar ekbaar uski taraf dekha "thanks for this moment friend".......zara ne muskurake seene pe haath rakhke shukriya qabul kiya
"aur ek baat aur wo jald hi london se waapis aayega zaara don't worry tumhari khushiya tumhe mil jaayegi allah pe bharosa rakhna"
itna kehte huye adam ne apni aankho mein chashma lagaaya aur waha se sidiya utarte huye apni car mein jaa sawaar hua…..zaara ekdum se hairat mein padh gayi wo jaate adam ko dekhne lagi adam ne oose bye kiya zaara ka haath waise khada hi oose vidaa karta reh gaya uske mann mein sawaal utha….adam kaise janta tha ki uska boyfriend london mein tha jabki usne zikar to nahi kiya tha adam itna confident kaise tha? adam toh theek dhang se zaara ke niji zindagi ke baarein mein janta nahi tha….berehaal zaara ko adam par shaq sa hone laga wo kuch rahashmayi tha aur iska pataa zaara ko lagaana tha kyunki jis wajah se wo adam ke kareeb aayi thi wo wajah sirf adam hi suljha sakta tha zaara ne oos shaam mulaqat mein apne saath huye us raat ke kisi bhi waaqye ka zikar adam se nahi kiya tha...ab woh chahti thi ki pehle wo adam ko jaan le taaki baad mein oosse us waqye ka bhi sawaal kar sake….
to be continued….
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ASIF
Shayari Qadrdaan
Rau: 0
Offline
Waqt Bitaya:1 days, 51 minutes.
Posts: 187 Member Since: Feb 2021
|
|
«Reply #4 on: February 25, 2022, 11:55:48 AM » |
|
Chapter 4
Zaara us raat apne study table ke paas baithi haath maathe pe rakhkar shaam mein apne aur adam ke saath huyi mulaqat ki baatein dobara se yaad kar rahi thi...aur usse bhi zyada hairani mein wo tab aayi jab adam ne muskurakar piche mudkar ye baat confidently kahi thi ki uska pyaar jald hi uske saath hoga wo jald hi london se waapis aa jayega sirf uske liye isliye wo aur afsos na kare
kuch rahasmayi tha adam na jaane kyu uski baatein reh rehke yakeen karne pe mazbur kar rahi thi? zaara ne fhir ek baar apne kalai ki us ghadi ki taraf dekhkar zazbaati nigaaho se apna rukh fhir un beeti baaton ko yaad karne mein lagaya jab woh aur uska boyfriend saath hoya karte they...kitne haseen pal they woh jab wo saath raha karte they saath ghumte they aur us valentines day ke din uske boyfriend ne oosse waada kiya tha ki bahut jald hi wo oosse niqaah karega…..zaara ka dhyaan tuta toh wo waapis varatmaan mein thi…..zaara ne muskurakar apne aansu ponche aur fhir kursi se uthkar bistar pe jaa laiti...puri raat uske dimaag mein adam se mulaqat huyi saari baatein ghum rahi thi….
------------------------------
Bahar baadalon mein garzan si shuru ho gayi thi raat gaye jaise mausam ka mizaaz bigadh raha tha….lagta tha bhaari tufaan ke saath baarish shuru hone waali thi...us bare se rayizi kamre ke bistar par adam akela soya hua tha...kamre mein andhera aur sannata faila hua tha….bas paas rakhki daayi taraf ki bed lamp jal rahi thi jise shayad bujhaana adam bhul gaya tha bujhaane se pehle hi wo neend ki aagosh mein jaa chuka tha….achanak ek tej hawa ka jhonka jaise adam ke pure badan aur chehre se guzara...wo aisi sard hawa thi ki uske ek hi jhonke se adam tatkal bistar pe uth baitha maarein ghabrahat mein uski aankhe bari bari ho gayi usne charo taraf ke andhere kamre ko ghuraa aur uski nazar theek saamne wardrobe se judi aayene ki taraf huyi..koi nahi tha
bijli usi waqt teji se kadki theek oosi samay adam ko bathroom se koi awaz si lagi...adam is sard hawa se jaise waaqif tha...usne dheere dheere apne jism se razaai ko alag faikh jameen par pao rakha...dheere dheere wo bistar se uthkar bathroom ki taraf dheere dheere kadmo se aane laga uski nazar bathroom ke khule darwaje se bheetar andhere mein jhaank rahi thi….paas aakar usne adkhule darwaaje ko pura khol diya….charcharaati huyi awaaz ke saath darwaja bheetari diwaar se lagkar khul gaya...dhadh dhadhh adam ne paaya bahar ki ho ho karti hawao ka shorr andar aa raha tha aur khidki bheeshan hawa se hi khul rahi thi band ho rahi thi...adam apne ghar mein bilkul akela rehta tha lekin uski bechaini darr aur ghabrahat mein kisi jaane pehchaane khauff se tabdil ho jaati thi wo bhi aksar aisi raat...kitni baar wo sirf karwat badle kisi ki mauzudgi ka ahesaas apne sirhaane ya kamre ke aas paas karta tha...usne gambhir nazaro se khidki ke paas aakar khidki ko zor se lagaaya…
wo ulte kadamo se waapis kamre mein lauta toh ek baar ko wo teher gaya usne ekdum se ahetiyat se mudte huye piche lage aayene ki taraf dekha aisa laga jaise kisi ko usne aayene pe dekha uski nazar aayene pe pad rahi piche bistar ki taraf huyi….waha bhi koi nahi tha adam chupchaap apne seene ko sehlaate huye kamre se bahar nikla...sidiyo se utarte huye wo niche bare se hall mein pahucha fhir saamne ki dining table par usne paani se bhara jug uthaate huye ek glass mein paani daala fhir oose peene laga…
itne mein jaise bijali zor ki gargarahat ke awaz ke saath kadki aur theek tabhi jaise koi darwaja charr charaata hua khula adam ekdumse hadbadakar aadha piyaa paani se bhara glass lagbhag table par giraate huye piche muda...uska dil maarein khauff se teji se dhadakne laga uski aankhe jaha se us darwaje ke khulne ki aayi thi us taraf mudi...usne gale se thoonk ghontte huye sidiya dheere dheere chadhkar waapis upar aaya ekpal ko khada hua aur fhir saamne ki taraf apne kamre ke bahar se guzarte huye ghar ke ekdum kone waale darwaje ko dekha wohhh khula pada tha aise kaise ho sakta hai uspar toh taala khud adam ne lagaya tha uski aankhe maarein khauff mein dheere dheere kamre ke andar paas aate huye jhaakne lagi...kamre ki taraf aane se pehle usne paas rakhka daraaz khola oosse mombatti nikaali aur oose jalaa diya...us kamre ki light kharab thi
jaise hi usne andar kadam rakha ek azib sa hawa ka jaisa shorr uske kaan mein aaya kamra bada tha kamre ka sab saaman table lamp almirah yaha tak bistar aur sofa bhi safed chadaro se dhaka hua tha...adam is kamre ki saaf safaai ke baad ise band kar deta tha lekin achanak uski nazar bistar ke theek upar lagi us tasveer pe gayi jispe hi sirf chadar nahi thi...adam mombatti haath mein liye us tasveer ke paas aaya bagal ki parda lagi khidki se bahar ki bijli ki roshni beech beech mein kamre mein aur khaaskarke tasveer pe pad rahi thi...adam us tasveer ko dekhne laga tasveer pe halki halki dhul baith gayi thi fhir bhi jo tasveer thi wo dekhi jaa sakti thi bare bare nigaaho se apne gale pe kalaai kar rakhkar ek saji dhaji ladki ki wo tasveer thi koi bhi dekhta to uske khubsurati mein ek baar zarur dub jaata…
adam kab sochte sochte ye bhul gaya ki wo uske nigaaho mein kho chuka tha aisa lag raha tha jaise tasveer se wo ladki sidha adam ki taraf dekh rahi thi...achanak adam ki aankhe nam ho gayi uska dhyaan tuta to oose ahesaas hua ki na jaane kitni dair se wo aise hi khada beete kal mein us tasveer ko dekhte dekhte pahuch chuka tha...achanak adam ulte pao se waapis kamre se bahar jaa hi raha tha ki itne mein saamne ki aayene mein usne jo khauffnak manzar dekha uske haath se mombatti lagbhag gir padi wo chilla utha...saamne aayene mein piche ki diwaar par latki us tasveer mein us ladki ki nigaaho se laal laal khoon beh raha tha…
adam kaanpte patte ki tarah dheere dheere piche muda lekin tasveer mein kuch waisa oose nahi dikha...adam ne dobara piche mudkar aayene ki taraf dekha waha bhi tasveer pe kuch nahi wo janta tha uspar khauff haavi ho raha tha adam ne bujhi mombatti ko uthaaya kamre se bahar nikalte huye ek baar us tasveer ko dekha aur us kamre ka darwaja lagaaya oose mehsus hua ki kundi tutkar jhul rahi thi….wo janta tha kundi tuti nahi thi kisi agyaat taqat se darwaje se tod di gayi thi adam ne daraaz se mota kapra nikaala jhulte kundi ke handle par oose lagaake kasskar baandhkar fasaaya toh darwaja aur khula nahi…."main janta hoo ye sab kyu ho raha hai? par ab main ise aur haavi khud par hone nahi dunga nahi hone dunga"
adam ka chehra gambhir hua aur woh khud se badbadaate huye darwaaje ki kapre se bandhi kundi ko dekh tej kadamo se waapis apne kamre mein chala gaya
---------------
Agle din dopahari mein ek fashion studio mein photoshoot chal raha tha photographer aur baaki crew set ko theek karne aur models ke posing ko adjust karne mein jute huye they...andar make up room mein zaara aaj apne naye photoshoot ke liye tayyar ho rahi thi uske sangi baaki models bhi waha mauzud thi aur ek makeup waali ooske chehre ka makeup kar rahi thi zara ne apne dress ko theek kiya aur bahar set pe pahuchi…."there you are zaara okay let's get start over waha par ya like that way bas freeze ur smile okay nice"......kehte huye photographer uske poses ko adjust karte huye camera se uski tasveere kheech raha tha..zaara apne kaam mein malin thi wo har adaao mein apne poses ko behatreen dhang se peshkar rahi thi..
aamtaur par oose fashion ads assignment milte rehte they jinke photoshoot karaane ke liye oose beech beech mein aana hota tha...flash ki tej roshni aur camera ki awaaz jaise baar baar zaara ke aankho mein padti toh oose azib sa lag raha tha haalaki ooske liye ye koi nayi baat nahi thi par na jaane kyu aaj kuch azib sa lag raha tha…
"great zaara okay done for now u can go and change"......phoographer ne last shot lete huye zaara ko jaane kaha
zaara ne paas aakar pehle apni tasveere camera par dekhi fhir photographer aur crew se baat karke waapis make up room mein aayi us waqt waha koi nahi tha saamne sheesho pe saji bulbs jal rahi thi...saari models jaa chuki thi aur jo mauzud thi wo zaara ki baari ke baad photoshoot mein bahar vyast thi...zaara aayene mein apni baalon ko clip se baandhte huye changing room mein daakhil huyi aur fhir darwaja lagakar room ka switch on kiya..usne apni dress ko utaara aur nahane ka mann banaaya shower ekdum se jaise khul gaya zaara hil gayi nal shayad dheela tha….zaara shower ke niche girte paani ke darmiyaan khadi ho gayi aur nahane lagi achanak room ki light chali gayi zaara ekdum se khauff khaa gayi usne shower band kiya
"uff bahar koi hai isshh is anybody there bathroom ki light nahi jal rahi hello hello".....zara ko laga shayad koi bahar ho toh wo kam se kam roshni toh paa sakti hai lekin kisi ne shayad uski awaz isliye nahi suni kyunki bahar koi makeup room mein us waqt bhi mauzud nahi tha
zaara andhere mein hi shower on kare nahane lagi achanak ooske zehan mein us raat aayene pe laal nishaan se likhi wo baat yaad aayi wo khwab mein aks jo ubharkar uske saamne aaya tha wo ooske zehan mein dikhne laga...zaara darrne lag gai oose ghutan hone lagi...zaara ne jaldi jaldi nahaaya aur shower band karke tauliya uthaane ki niyat se haath darwaje ki taraf badhaya achanak tauliya uske haath mein aate aate farsh pe gir pada zaara jhat se jhukkar tauliya uthaaye apne badan se lapaitkar uthi hi thi….ki wo cheekh uthi saamne aayene mein saaf saaf usne dekha ek ladki khadi thi kaanch ke sheeshe uske badan ke ird gird dhase huye they aur usne mehez ek fite waali top pehen rakhi thi pure kapre jagh jagh se phate they aur wohi kaanch ke sheeshe har taraf uske jism mein daakhil they uski aankhe ektak zaara ko ghurr rahi thi zaara munh par haath rakhkar diwaar se sati khauff se rote huye oose dekh rahi thi…
us ladki ke aankho mein aansu aane lage...aur behte aansuyo ki jagah khoon tapakne laga….."dur ho jao uske kareeb mat jaana maar daalegi tumhe maar daalengi maar daalengii".....kehte kehte us ladki ki dohri awaz zaara ke kaano mein suyi ki tarah chubne lagi zaara aur sehan na kar paayi aur wohi wo behosh ho gayi
jab oose hosh aaya tab koi darwaja zoro se peet raha tha kayi awaazein bahar se uska naam le rahi thi….zaara ne uthkar saans li bathroom ki light on thi aur saamne aayene par koi nahi tha...zaara bechaini se jaldi jaldi kapre pehenkar kundi khole bahar nikali….
makeup room mein crew ki ladkiya aur models oose ghaire huye azib nigaaho se dekh rahe they...photographer bhi waha aa pahucha..zaara makeup karne waali us aurat ko pakde rone lag gayi…."kya hua koi kuch batayega zaara is everything okay?"....photographer ne ooske kandhe pe haath rakhkar sabse pucha zaara badhaal wohi zameen pe baith gayi thi
"pata nahi kya hua? hum log iski cheekh sune jab yaha pahuche to changing room andar se band tha par ye khol nahi rahi thi"
sabne photographer ko ek hi baat batayi...photographer ne sahare se zara ko baaki ladkiyo ke saath milkar uthaaya aur oose kursi pe bithaaya fhir paani peene ko diya
"main theek hoo sir darasal main jab andar aai change karne toh achanak llight off ho gayi thi aur andhere mein mujhe!"......kehte kehte zaara khaamosh ho gayi oose laga shayad oose ye baat kisi ke aage nahi kehni chahiye
"andhere mein kya bhoot dekha hahaha"....."tu bhi na zaara aajkal horror show waali feeling har jagah daal rahi hai hahahha"......"arre par andar ki lights toh jal rahi hai aur yaha to koi load shedding bhi nahi hua kya zaara andar hi so gayi thi kya? hahaha"........har koi uska mazaak udaane laga aur sabko pata tha ki wo radio horror show ki host bhi thi toh oonhe laga shayad zaara ne unke saath prank kiya tha
zaara naraz hokar uthkar jaane lagi photographer ne oose samjhaaya aur baakiyo ko daanta bhi...zaara ne dekha waqayi bathroom ki lights toh jaise ki waise jal rahi thi toh fhir us ghari wo sab kya tha? ye chauthi ghatna thi jo uske saath ghati...zaara waha se nikal gayi kisi se aur kuch usne nahi kaha….oose laga shayad ghar jaakar oose aaram karna chahiye...rickshaw par baithne ke baad zaara us khwab mein dikhi us saaye ke chehre ko yaadkarne lagi uske hasste hontho se behta khoon uske khoon lage naakhun wala haath jo wo uske kareeb badha rahi thi fhir aayene pe woh baat mitte huye jo oose dikhi aur aaj ye ladki jise saaf taur par usne dekha tha kitni zakhmi thi woh kitna bhayanak chehra tha uska…..kya keh rahi thi woh? uske kareeb mat jaana wo tujhe bhi nahi chodhegi kaun kiske kareeb? zaara darr ke bhaukhlaaye sar par haath rakhkar kaanpne lagi achanak oose aisa laga ki wo fhir chakkar khaakar gir jaayegi woh dohri awaz oos zakhmi ladki ki us raat parking lot mein wo aks jo sidiyo par aa khada hua….. wo khwab mein oos saye ka aana kya ye koi aatma thi? nahi aaj usne saaf taur par jise dekha wo wohh nahi thi jise oos raat usne khwab mein dekha tha...ye kya ho raha tha achanak adam ki baat yaad aayi oose...kya waqayi wo zarurat se zyada in sab cheezon ko gehraai se serious le rahi thi kya isi wajah se? ya fhir adam se mulaqat ke baad se?…
--------------------------
Sunday ki us subah table ke paas chai rakhkar adam fresh hokar jaise abhi jaaga tha wo balcony se bahar ke khubsurat base ilaake ko dekh raha tha jo uske theek buanglow ke pahadh se aehen saamne dikhta tha….sheher ki bheedh bhaad waale ilaako se dur khuli waadiyo mein uska ghar tha….achanak uska phone baj utha call zaara ki thi
"hello? haan kaho zaara".......usne tatkal phone musukurate huye uthaakar pucha
"main aaj aa nahi paungi wo darasal meri tabiyat kharab ho gayi hai but mujhe tumse bahut zaruri milna tha"
"kya hua zaara sab khairiyat?"......adam ne gambhir hoke pucha
"darasal main jaha photoshoot karne gayi thi waha par mere saath ek haadsa ho gaya main tumhe sabkuch sach sach bataana chahti hoo isliye mera milana zaruri hai"
"hua kya tha?".....adam ne gambhir hokar puchte huye phone daaye kaan se baayi taraf kiya
zaara ne ek lambi saans li aur uske baad tafseel se us puri changing room waali ghatna ko adam ke saamne kehna shuru kiya...isko sunkar jaise adam aasman se gira….."hello hello! adam sun rahe ho na?"......adam jaise gambhir gehre soch mein dub gaya tha usne phone tatkal apne kaan par lagaya aur khud pe kaabu karte huye pehle to is baatko uska wehem hai kehkar oose samjhaane laga lekin zaara ne jab aur waaqayo ka zikar kiya toh adam ko jaise samajhne mein dairi nahi huyi
"theek hai zaara meri baat suno tum akele nahi rahogi aur filhal khud ki tabiyat ko theek karo ye baatein kisi se mat kehna main tumhare paas aa nahi sakta tumhare gharwaale galat khyaal karenge jab tum theek ho jao toh muje contact karna okay aaram karo tk care"
adam ke phone rakhne ke baad zaara samajh chuki thi ki adam uske haadse se jaise waaqif tha oose yakeen tha isliye usne zaara ko ahetiyat rehne ki hidayat di thi...udhar adam bahut zyada khaamosh aur gambhir haal mein waise baitha raha wo nahi chahta tha ki jo tham gaya hai wo raaz dobaara uspar haavi ho
to be continued…...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ASIF
Shayari Qadrdaan
Rau: 0
Offline
Waqt Bitaya:1 days, 51 minutes.
Posts: 187 Member Since: Feb 2021
|
|
«Reply #5 on: February 25, 2022, 11:59:22 AM » |
|
Chapter 5
Ek hafta guzar gaya lekin adam se mulaqat karne zaara pahuchi hi nahi adam apne office mein toh kabhi ghar mein chehelkadmi karte huye bas yahi soch raha tha ki zaara usse milane aayi kyu nahi? ab tak toh uski tabiyat theek ho jaani chahiye thi...kya waqayi wo ghatnaao ki dehshat uske seene mein baith gayi jis wajah se wo bimaar pad gayi ya fhir jaanbhujke hi wo adam se oosi darr ki wajah se milane se kinaara kar rahi thi….adam ko uske khairiyat ki fikar hone lagi kisi anchahe anjaam ke ghatne ki fikar hi oose khaane lagi…
adam ko pura yakeen tha ki ye sab kuch us ki wajah se ho raha tha...somvaar bhi guzar gaya is beech adam ne zaara ko call kiya toh usne phone nahi uthaaya kahin kuch zaara ko nahi nahi...us bechari ka kya kasoor tha wo toh khud tanha hai mehez dosti ke naatein hi usne adam ke past ko janna chaha jo uski galti ho gayi...kyu aakhir kyu? woh oose pareshaan kar rahi thi kya bigada tha usne uska woh to adam ke kareeb ek dost ek jaan pehchan ke naate hi toh uske zindagi mein aayi thi….nahi is baar nahi itihaas ko wo fhir dohraane nahi dega….adam nischint karte huye khud ke dil se aehed karta hai….
Adam ne radio show ke manager se contact kiya aur zaara ke baarein mein pucha….manager ne bataya ki zaara pichle hafte se nahi aa rahi uski tabiyat theek nahi hain wo aspataal mein admit hai manager ne oosse uske phone karne ka kaaran pucha….toh adam ne bataaya ki zaara uski sir na jannewaali hai balki uski purani dost bhi hai...manager ko khatka laga kuch keh nahi paaya lekin hospital ka naam usne adam ko nahi bataaya….adam samajh chuka tha manager maarein jalan mein oose zaara se milane nahi dena chah raha tha..
adam ne phone cut kiya aur zaara ke ghar jaane ka iraada kiya...pehle usne apne pahuch se radio show ke baaki colleagues se puchtaach karwaai jismein rj sonal ne oose bataa diya ki zaara ki haalat bahut zyada kharab thi aur wohh sheher ke ek private hospital care line mein admit hai….adam tatkal waha se us hospital pahucha...saath mein phool booket aur ek dabba chocolate ka leke wo zaara ka wardroom reception ke bataaye talashne laga waha icu se general ward mein oose shift kar diya gaya tha...ganimat thi us waqt waha sirf uski behan aur baap hi mauzud they...adam ko dekhkar wo chauke usne unhein salaam karke apna parichay zaara ka as a friend bataaya...
adam ne zaara ke haalat ke baarein mein pucha aur sawaal kiya ki ye sab kaise hua? unhone bataaya ki pichle hafte se wo bimar rehne lagi aur fhir bed ridden ho gayi koi bhi dawai oose kaam nahi kar rahi thi fhir unhone ek jannewaale molvi saheb ke kehne pe oose jhaadh fukh kiya thodi haalat mein sudhaar aayi lekin pichli raat fhir uski tabiyat bigadi aur oose ilaaj ke liye hospital laana pada na jaane oose kya hua tha? aisa lagaa jaise oose koi sadma laga tha sabkuch janne ke baad adam ne zaara ko dekhne ke liye izazat maangi zaara ke gharwaalo ne oose milane ke liye anumati de di…..adam chashma utaare general ward mein aaya usne beshud behosh zaara ko bed pe laita paaya uske kalaai par pipes jo silaain se judi thi wo lagi huyi thi uska pura jism peela sa pad gaya tha aur behad kamzor wo adam ko dikh rahi thi...itni hasmukh zindadil ladki ek bejaan laash ki tarah laiti huyi thi….adam ko uski haalat dekhkar bahut dukh hua…
usne paas stool kheechkar zaara ke kareeb baithkar oose awaaz di…."zaara zaara it's me tumhara friend adam shaikh zaara sun rahi ho open ur eyes".....dheere dheere jaise zaara ne aankhe kholi uski aankhe surkh gulaabi thi adam ek pal ke liye gambhir ho gaya
"adam t..tum yaha par kaise?"....zaara ne marein huyi kamzor awaz mein jaise kaha
"dekho main tumhare liye ye chocolates laaya hoo ye flower apni friend ke liye dekho kya ho gaya tumhein aise kaise bimaar pad gayi agar aisi hi darrogi toh tumhare radio show ka kya hoga hmm tumhare paranomal study ka kya hoga bolo?"......adam oose bacchon ki tarah hausla dete huye samjhaa raha tha
zaara ne fiki si muskurahat di waaqayi oose dekhke lag raha tha uski tabiyat behad kharab thi…"adam maine dekha ki ek aurat bahut zakhmi hai theek aayene mein khadi hai usne mujhe usne mujhe kaha ki main dur rahu oosse warna wo mujhe maar daalegi wo kehte kehte rone lagi yad hai jab tum pehli baar radio show mein aaye they aur waapsi mein maine tumse kaha ki koi saaya mere saamne aa khada hua tha oos raat bhi do haadse huye ek toh wo sheeshe pe azgaibi taur se likhi huyi laal khoon se wo baat jo mit gayi aur dusra wo khwab koi mere kamre mein mauzud tha maine tumse kaha tha naa ek saaya lekinn wohh wohh ladki ki aatma nahi thi uska chehra jism surkh safed tha hotho se khoon beh raha tha aur wo hasste huye apne khoon se sane haatho ko mere kareeb mere kareeb"........kehte kehte wo rone lagi uska dil zoro se dhadakne lag gaya wo saansein kheechne lagi….
adam ne fauran ek taraf chocolate box aur flower booket ko rakha aur uthkar zaara ke haath ko pakde oose shaant hone kehne laga…."kuch nahi hua kuch nahi dekha mat darro sab theek ho jayega zaara kya maine kaha nahi tha? ki in cheezon ki gehraaiyo mein mat jao kayi zindagiya barbaad huyi ye ek baar haavi hone lagi toh bas shuruwaat hai aakhirat ki pls zaara control control"
adam ne fauran aankh band karke ayato ko padha aur zaara pe fhoonk diya kuch hi dair mein zaara ka jism shaant ho gaya wo fhir wo aankhe mundkar sone lagi…...adam samajh chuka tha uspar wo haavi ho chuki thi….uske gharwaale doctors koi ye baat nahi jaan sakta tha…..adam ne khud ko zimmedaar maana uski is haalat ka sach mein oose zaara se dur rehna chahiye tha…isse pehle bhi usne ye haalat dekhi thi kisi apne ki isi daur se wo guzara tha….adam rokar room se bahar nikla uske nikalte hi zaara ki behan andar chali gayi adam ne zazbaat pe kaabu kiya kahi kisi ko shaq na ho jaaye...zaara ke abba ne adam se thodi aur baatcheet ki
"pata nahi bete zaara ko kya hua hai? meri phool jaisi beti ko na jaane kis baat ka gehra sadma laga hai doctor ka bhi yahi kehna hai"
"sab theek ho jayega uncle khuda taala se dua kijiye sab theek hoga aapfikar mat kare koi bhi madad ki zarurat ho jaan maal dono se apni dost ko bachaane ke liye main tayyar hoo aap oose akela na chodhe main chalta hun assalawalekum"
adam ne zaara ke abba ko jaate waqt salaam kiya aur waha se nikal gaya...zaara ke abba aansu ponchte huye piche room ki taraf jhankkar apni beshud laiti beti aur sirhaane mein baithi maayus uski behan ko dekhne lage…
---------------------------
Pure raaste adam aansu ponchte huye gusse mein gaadi drive kar raha tha…kuch hi dair mein sheher ke bheedh bhaadh bhare raaston aur shorgul se hatkar ghani waadiyo ke beech se guzarte huye jald hi uski gaadi uske bungalow ke theek saamne aa ruki...adam gaadi se bahar aaya apne gate ko kholkar fauran teji se lagate huye apna coat ek or faikhkar sidiya chadhte huye theek wohi pahucha jo kone ka kamra jiski kundi ko usne kapre se baandha tha usne jhat se kapra kheechke fhaadh daala aur zordaar laat darwaaje pe jamaate huye wo kamre mein daakhil hua kamre mein azib si khushbu thi jo adam ko mehsus huyi aur theek saamne gale pe kalaai mode haatho par apna chehra rakhke khubsurat adaa se dekhti wo tasveer thi jise adam gusse ki aag se dehekte huye ghurre jaa raha tha
"kya bigaada hain us ladki ne tumhara? kyu aakhir kyu tum mujhe chain se jeene nahi deti arre maine kaun sa oosse dil lagaaya jiski saza oos bechari ko de rahi ho oose daraa rahi ho kya ek ko maarkar tumhe sukoon nahi mila theek hai agar taqleef mujhse hai toh fine mujhe maar do aajtak yahi toh kiya hai jab zinda thi tabbhi mujhe taqleef di aur ab marrne ke baad bhi tumhein chain nahi arre kya mere bhaagya mein tha toh us raat hi main tumhare saath marr jaata mujhe maarne ki koi kasar chodhi to nahi thi tum hai na"........adam dahadhte huye chillakar us bejaan ghurti tasveer ke saamne kahein jaa raha tha
"oose chodh do pls wo toh mehez jaannewaali ek friend hai wo mujhse kisi bhi kisam ka koi rishta nahi banana chahti uske life mein already uska pyaar hai sirf dard ko hi to janna chaha usne meri madad to nahi karni chahi tumse alag to nahi karna chaha zindagibhar tum mujhse nafrat karti aayi aur marrne ke baad bhi wo nafrat tumhari kam nahi huyi main tumhari buraai nahi kar raha main to ab bhi tumse pyaar karta hoo haan ek bhul ki thi maine jiski saza aajtak bhugat raha hoo tumhare hi rehem par aaj main jee raha hoo warna shaiza ke saath toh tumne muje bhi"
theek oosi pal jaise adam khaamosh ho gaya wo ghutno ke bal girke haath jode jaise fariyaad kar raha tha uske aankho se aansu bahein jaa rahe they…..na jaane adam ke mann mein kya aaya? wo uthkar kamre se bahar nikal gaya sidiya utarte huye ek dusre kamre mein daakhil hua waha ek chaabuk pada tha diwaar pe latka hua jise usne haatho mein liya oos chaabuk se kayi dardbhari yaadein judi thi koi cheekh raha tha chilla raha tha….aur koi oospar chaabuk barsaa raha tha adam jaise rone lag gaya usne apne aansu ponche apne kapre utaare aur ghutno ke bal jalti chimney ki aag ke paas sar jhukaaye aansuyo se dekhne laga
uski nazarein hinsak hone lagi aur theek tabhi usne puri taqat ke saath khud ko maarna shuru kar diya...wohi cheekh wohi dahadh uske jism par lagte hi pure kamre mein aaj itne saal baad fhir gunz uthi thi…..har chaabuk ke vaar ke baad apne nange jism par padte hi wo dahadh uthta dard ko nakam bardaasht karte huye wo khud ko pagalo ki tarah maartein jaa raha tha bas maartein jaa raha tha…
uski cheekhe pure bungalow mein gunz rahi thi….puri peeth kandhe aur baazuyo par gehre gehre laal nishaano se ris ris kar khoon behane laga….par adam rukaa nahi…..aaahhhhhhhh….wo aisi haulnaak cheekh thi ki pura sunsaan waadi tak jaise dehel gaya adam ke jism se khoon zameen pe tapakne laga...aankhe surkh dard se laal ho chuki thi par adam par junoon savaar tha
"aaj nahi rukunga main marr jaunga par kisi begunaah ki maut ka ilzaam khud ke sar nahi lunga oose theek kar do pls oose baksh do i swear wohh sirf dost ke naatein mere kareeb aayi ek apne parivaar ke naatein main akela hoo mera koi nahi main janta hun tum ho jo mere aaspaas ho ek ko toh juda kar chuki maa baap ko mujse dur kar chuki lekin pls oose baksh do oose baksh do baksshh do"
adam ne zor se chilaaya aur apne khoon se sane haatho mein thaamein chaabuk ko mazbuti se apni peeth par aur zoro se maarne laga….achanak wo badhawas hone laga aankhe ulatne lagi uske aankhe band hone lagi shayad taqleef ko aur sehan na kar saka usne dhundhli nigaaho se dekha ek saaya theek darwaje pe khada tha koi jaani pehchaani surat thi lekin uska chehra nahi dikh raha tha bas uske pehnaave se adam ne oose pehchaan liya khule baal they..aur usne koi kaali gown si pehen rakhi thi nange pao thi ektak jaise oosi ki taraf dekh rahi thi sard safed jism aur kalaai pe khoon!
adam badhawas hokar farsh pe dhair ho gaya uske jism se behta khoon ka ek qataar farsh pe guzarte huye us saaye ke pao par jaa lagaa...peeth puri tarah cheel chuki thi khoon se lathpath uski peeth aur baazu ho rakhke zakhm se ubhar gaye they…...saamne aag ki lapatein waisi hi chimney ke niche jal rahi thi ek baar fhir pura bungalow khaamoshi mein dub chuka tha……
---------------------------
Do din guzar gaye they….adam aaj apne bedroom se bahar nikalkar bungalow ke theek saamne bane garden pe bichaai kursi par aa baitha us raat jo zakhm khud ko diye they wo aaj bhi taaja they aur unse rehrehkar jalan paida ho rahi thi lekin aise ghaav aur taqleef adam ke liye koi naye nahi they...wo maayus sa apne kursi pe baitha in guzare waqt mein huyi waaqyo ko yaad kar raha tha...agle hi subah uske ghar mein kaam karne waale naukar ko woh khoon se lathpath zakhmi nange jism aur badhawas haalat mein behosh zameen pe pada milaa tha...doctor ko fauran bulaaya gaya doctor jannewaala tha usne ye sab harqat ko adam ke mental condition pe dosh lagaate huye kaha lekin adam ne sab ansuna kar diya berehaal aaj ilaaj ke 2 din baad adam apne kamre se bahar pao rakh paaya tha dard ab bhi tha uska ekmaatra naukar jo uske sasur ne rakhwaaya tha wohh us waqt khaana banaake aur ghar ki saaf safaai karke adam ke hukam se apne ghar ruksat ho gaya tha adam kisi aur ki mauzudgi apne akelepan mein hamesha pasand nahi karta tha..
itne mein oose zaara aati dikhaai di wo ek cab se utari aur theek lawn se guzarte huye uske bungalow ke paas aa khadi huyi….zaara ko dekhke adam ekdum se uth khada hua aur usne zaara ko apni taraf aane ka ishara karte huye awaaz di….zaara ghaaso par chalte uski kareeb pahuchi us waqt adam ne gaur kiya zaara pehle jaisi sehatmand aur theek lag rahi thi…
"oh allah tum kab discharge huyi aur?"......kehte kehte adam ruk gaya oose zaara se jaise duriya banani thi wo bhul gaya tha
zaara ne halki muskurahat di par adam ke chehre se aisa laga jaise wo oosse nazarein nahi milaa paa raha tha…"kya hua adam? mujhe dekhke aise maayus kyu ho gaye?"
"tumhe nahi aana chahiye tha zaara"
"kyu? tum meri khairiyat ke liye mera pata puchte mere office aaye fhir hospital pahuche aur ab aisi berukhi se baat kyu kar rahe ho?".........zaara ko taqleef hota mehsus hua adam ke aise bartaav se
"zaara tum toh ab sab jaan chuki ho ab kuch chupa nahi hai ye sabkuch jo tumhare sath ghata in sab ka zimmedaar main hi hoo pls zaara waada karo ki aaj ke baad tum fhir mujhse kabhi nahi milogi aaj jo kuch tum bhali achi halat mein mere saamne khadi ho toh mehez uske wajah se"
"kiske?"....zaara ne pucha
"oosi ke jise tumne do baar dekha"......adam dusri or tehelte huye kehne laga
"do baar nahi teen baar"
"jis rooh ko tumne us din changing room ke oos aayene mein dekha tha wohh saaya alag tha aur jo tumhare khwab mein aayi thi aur jisne tumhe sheeshe par apne khoon se likhkar agaah kiya woh saaya koi aur tha jise tum nahi jaanti".........adam ne gambhir gehre awaz mein bina zaara ki taraf dekhe kaha
zaara ko samajh nahi aaya ki adam kya keh raha tha do saaya?....."par tum ab mujhse sirf isliye nahi milana chahte ki mujhe fhir kuch ho naa jaaye?"
"haan"
"toh fhir us dosti aur us apnepan ka kya jis wishwas ko tumne mujhe dekar hausla diya aur hospital se chale gaye main toh marr hi jaati lekin khudai madad ne mujhe us musibat se nijaat de di aur ye dekho ye tabeez maine zikar kiya tha na apni choti behan ke ilaaj ke waqt aaye baba ka unhone hi mujhe ye hospital mein abba ke haatho bhijwakar pehnwaaya tha"
adam ne mudkar uske gale mein ek moti tabeez jhulte huye paaya…"allah ko to jo manzoor tha wohi hua lekin agar main oosko nahi samjhaata toh wo tumhara picha nahi chodhti aur tumhara bhi wohi anjaam hota jo aajse do baras pehle shaiza ke saath hua tha".....adam waapis khuli waadiyo ki taraf dekhte huye ghulte ansuyo se bol pada
"toh tum oosse darrte ho tum waaqif they ki oos raat parking lot mein maine sach mein koi parchaai dekhi thi? aur ye alag alag saaye ka kya wajah hai? dekho adam tumne mujhe dost maana kya main tumhe yun taqleef mein chodh du aur tumhari koi madad na karu"
"zaara pls tum waaqif nahi ho uski taqatse ye tabeez tumhari dhaal hai lekin agar tumne apni zidd nahi chodhi aur meri madad karni chahi toh tumhe koi nahi bacha payega khudanakhasta tumhe kuch ho jaaye toh main khud ko maanf nahi kar paunga pls zaara samjho"
"theek hai tum mujhe khud se dur rakhna chahte ho theek hai lekin bina ye raaz jaane ki kya woh saaya hai aur kyu tumhare piche pada hua hai aur tumhare kareeb aate kisi bhi insaan ko kyu taqleef pahuchaata hai ye raaz jaane bina aaj main kahi nahi jaungi aur waada karti hoo agar jaan gayi toh na kisi se kahugi aur tumse fhir dobara kabhi nahi milungi"
zaara us waqt ro padi….adam ne mudkar oose baithne ka ishara kiya fhir chai ki ketli se usne ek pyaala chai oose serve kiya usne aansu ponchte huye zaara ko dekha fhir uske saamne baithkar oose shaant karne laga
"i m sorry zaara lekin sach maano mujhe khushi hai ki tum theek ho yakeen maano mere dil ko sukoon hua ki mere chalte koi begunaah fhir na maraa"........zara ne pyaali jab adam ke haatho se li toh uske baazuyo pe patti jagah jagah dekhi adam ekdum se baazu chupaane laga
zaara oose fikar bhari sawaali nigaaho se dekhne lagi….."ye sab kaise?"
"ab kuch chupaana nahi reh gaya zaara ye dekho"......adam ne mudkar apne shirt ko upar kiyatoh uske peeth par kayi jagah laal gehre daag aur pattiya thi zaara ne munh par haath rakh liya aur sawaali nigaho se adam ko dekhne lagi
"maine khudko sazaa di tumhari taqleef ke liye jab khud ko dard pahuchaaya tab jaakar oose meri fariyaad par rehem aaya aur usne tumhari jaan baksh di warna tum mere saamne aaj aise baithi huyi nahi hoti zaara"
zaara samajhne ki koshish karne lagi ab dheere dheere raaz se parda uske saamne se adam uthaane laga tha….."ye zakhm kuch nahi jo mere beete kal ne mujhe pahuchaaye hai in zakhmo ka kya hai?"
"Waqt ke zazbaat nahi hote, Chahe kitna bhi ghaav zindagi mein lagaa ho, Chahe kitne bhi dard sahaa ho Waqt guzar hi jaata hai...."...............adam kehte jaa raha tha aur zaara khaamoshi se uski baaton ko sun rahi thi…
"isi waqt mein ek gehra raaz dafan hai jisse meri puri zindagi judi huyi hai aur aaj main apne upar haavi oos beete kal ke raaz ko sirf tumhe bataane jaa raha hun mujhe laga ye raaz mere saath hi is duniya se ruksat ho jayega lekin shayad bhagya mein apna dukh baatne ke liye khuda ne tumko likhkar bheja tha"...........adam khokhli hassi hass pada
"mujhe shuru se bataao".....zaara ne gambhir hokar chuppi todte huye pucha
adam ne ek nazar uski taraf dekha fhir khaamoshi se apne bungalow ki taraf…."shuruwaat pehle dusri kahani se karna chahta hun kyunki uske bina pichli kahani kehna mujhe namanzur hai bas ek hi bat kehna chahta hoo ki kahani ke beech mujhse kuch mat puchna aur ye bhi keh deta hoo ye tumhare writer ki koi mann ghadat fictional baat nahi ek gehri sacchai aur aapbeeti hai"
zaara ne gardan haan mein hilaate huye sehmati ka izhaar kiya….adam ne fhir kehna shuru kiya
to be continued...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ASIF
Shayari Qadrdaan
Rau: 0
Offline
Waqt Bitaya:1 days, 51 minutes.
Posts: 187 Member Since: Feb 2021
|
|
«Reply #6 on: February 25, 2022, 12:02:06 PM » |
|
Chapter 6
2 years back
Shaiza aur meri mulaqat internet par chatting ke dauran huyi thi us waqt main novels naya naya likhkar abhi logo ke beech mashoor hua hi tha bachpan ke apne passion apne sapne ko ab jaakar pura kar paaya tha kyunki us waqt meri maali haalat achi ho chuki thi…
shaiza jaise kayi readers mujhse contact karte they aur mujhe behad khushi hoti thi ki wo log meri itni tareef karte they usse bhi zyada meri novels uski kahaniya unhein pasand aati thi unmein se shaiza bhi thi...halaki shaiza ko main theek dhang se janta bhi nahi tha fhir bhi wo mere intezaar mein chat room online raha karti thi ya kabhi apna paigaam likhkar chodh deti thi main faarig hoke office se ghar lautta toh uske paigam ko pehle padhta tha haalaki mere niyat mein usko leke koi galat baat nahi thi….par wohi thi jo zarurat se zyada mujhe attention deti thi...uski ye dilchaspi mujhmein dheere dheere koi aur khyaal lene lagegi maine socha bhi nahi tha…
dheere dheere usne mere niji zindagi mein daakhil hona shuru kar diya….har tasveer ko dekhna aur harpal friend list mein meri judi bandiyo ke baarein mein puchna ye kaun hai? kya lagti hai kya dosti hi hai aapse? puchti rehti thi main hasskar uske sawaal ka sidha yahi jawaab deta tha ki adhiktar ya toh mere readers thi ya jaanpehchaan waali main khud introvert kisam ka shaksiyat tha bhala mujhe kisi se kya rishta rakhna? maine oose samjhaaya ki aakhir tum mere baarein mein itna talaash kyu karti ho? toh usne jawab mein kuch nahi kaha
dheere dheere meri niji tasveero par wo aise comments karne lagi jo shuru mein mujhe uski naadani aur mazaak laga par dheere dheere mujhe ahesaas hua ki meri taraf uski kashish koi aur hi shakal le rahi thi….maine ek raat oose phone kiya aur pehle toh uske baarein mein janna chaha
usne dheere dheere mujse khulna shuru kiya mujhe apni personal tasveere bheji aur kaha ki wo kareeb kayi mahino se mujhe follow kar rahi thi aur mujhe pasand karti hai usne meri kayi tasveer ko apne kamre mein apni tasveer ke sath jodhkar lagaa rakha tha main toh uske diwangi se toh puri tarah shock ho gaya jab usne apne kamre ki diwaar ki tasveer mujhe kheechkar dikhaai…
maine oose samjhaaya ki main tumhare saath rishta aage nahi badha sakta main tumhein ek dost ki tarah dekhta hun ek reader tak hi rishta rakho par oosse aage na badaao mujhe tumhe dekhke koi attraction nahi hota shaiza pls is baat ko samjho…
usne us raat phone cut kar dia mujhe laga shayad wo samajh chuki thi dil toh tuta hoga par ye kehna zaruri bhi toh tha warna uski mohabbat koi aur shakal le leti jo sirf oose taqleef hi pahuchaati….lekin main galat tha usne oosi raat maarein dukh mein apna haath kaant liya tha ye baat mujhe dusre hafte hi uski aayi chat se maalum chali uske family waale mere baarein mein jaan chuke they aur apni beti ki ye halat dekhkar mujhe bhala bura kehne lage mujhe call kiya aur samjhaaya bhi ki unki ikalauti pehli beti hai wo mere bina jee nahi sakti uski halat theek nahi hai agar main ooske paas nahi aaya toh ho sakta hai wo na bache uski haalat theek nahi…
yakeen maano main oosse pyaar nahi karta tha main toh theek dhang se oose janta bhi nahi tha mere bas mein aaya main oose block kar du aur hamesha hamesha ke liye oosse picha chudha loo kyunki ab oose samjhaana bhi fizul tha unke parivaar waale mujhpe dabaav de rahe they mera status mera wajud meri izzat sab mitti mein mil jaata uski maut ka zimmedaar main ho jaata…
main oosse milane uske sheher pahucha uske ghar….meri hi raah mein sab intezar mein they mujhe dekhke un logo ko khushi huyi aur fhir shaiza se muje milwaaya gaya….shaiza ke haatho mein patti laga hua tha aur woh ekdum sadme mein chupchaap meri hi tasveero ko nam nigaho se dekh rahi thi jab maine diwaar par apni aur uski tasveer ek saath dekhi toh maine nazar uski taraf ki…
"beta shaiza dekho tumse kaun milane aaya hai?"......shaiza ke abba ne mujhe apni beti ke saamne khada karte huye oose puchkarte huye kaha
shaiza ne mujhe dekha aur jaise khushi ka uske thikaana nahi raha wo uthkar mujhse gale lag gayi...uske abba kamre se muskurakar chale gaye maine shaiza ko apne gale se alag karte huye oose samjhaya
"ye sab kya naadani hai shaiza? agar tumhe kuch ho jaata toh fhir tumhare parivaarwaalo ka kya haal hota socha hai tumne? main hoo kaun? jise theek dhang se tum janti nahi kabhi mili nahi uske liye itna kuch kar guzari tumne mujhe bahut hurt kiya hai shaiza i must tell you aur dobara aisi harqat mat karna"
shaiza chote bacchon ki tarah jhenp si gyi mere daant ko jaise woh sunti rahi….shaiza umar mein choti thi mujhse par baalik naujawaan thi darasal uski family mein woh apne abba aur sauteli maa aur bhai behano ke saath rehti thi...achi khaasi amir thi lekin bahut ziddi uske abba se mujhe maalum chala ki woh unke pehle ghar ki beti thi uski paidaishi ke baad hi uski maa guzar gayi toh unhone dusra niqaah kiya tha lekin unki dusri biwi itna usko pyaar nahi karti thi par unhi ke darr ke wajah se unhein shaiza ki har zidd manni padti thi kabhi haath tak uthaane nahi diya bahut laad pyaar se wo pali thi jab bhi jo chahti thi wo paa leti thi...maine uske abba ko samjhaaya tha lekin unhone kaha ki uski khushi mere saath judi huyi thi agar main oosse shaadi nahi kiya toh unhein darr hai ki kahin woh kuch khud ko kar na baithe unhone fhir mujhse mere parivaarwaale aur mere peshe ke baarein mein mujhse pucha mera toh koi nahi tha bas ek business tha aur property...aur gharwaale toh mujhse bahut waqt pehle hk bichadh chuke they maine zyada kuch unhein nahi bataaya apne baarein mein...uske family waale bhi mujhse sahi se peshaa rahe they aisa lag raha tha jaise wo bhi yahi chahte they ki main shaiza se jald se jald shaadi karke oose le jau….khair unka niji gharelu maamla tha aapsi ranjish ka lekin main fass chuka tha…
maine shaiza ko ek baar fhir samjhaana chaha…."dekho shaiza shaadi ek zimmedaari hai u just obssessed with me baad mein ho sakta hai tum mere saath rehna na chaho so pls ek baar fhir soch lo"
"nahi adam mujhe bas tum chahiye main kisi bhi haal mein tumhare saath reh lungi mujhe le chalo pata hai apne abba ke baad maine tummein hi apna dekha hai pataa hai ye ghar mera zarur hai par meri maa meri apni nahi hai unko unke baccho ko mujhse koi zyada lagaav nahi bas maante hai aur main janti hoo tum akele ho abba aur tumhari saari baat maine sun li thi pls adam mujhe ek mauka de do mujhse shaadi kar lo"
shaiza ko main samjhaa na sakaa haan akela toh main tha apni zindagi mein par kaise oose keh paata ki usse main niqaah nahi karna chahta tha haalaki maine ooske ektarfa pyaar ka koi bhi najayez fayeda nahi uthaaya tha…..shaiza kehte kehte mere gale lagkar mujhse lipat gayi mazburan main khud ko uske geraft se alag nahi kar paaya…
"main tumse shaadi karne ke liye tayyar hoo shaiza"
"kya sach keh rahe ho?"........maine muskurakar uski taraf haan mein sar hilaate huye kaha
"mujhe yakeen nahi ho raha sach mein adam tum mujhse shaadi ke liye tayyar ho main sabko bataungi sab khush ho jayenge abba raunak ruhi".....kehte huye jaise wo bistar se kudkar kamre se bahar ye khushlkhabri sabko bataane chali gayi
main apne aansu ponchte huye waise hi bistar par baitha reh gaya….lekin us bechaari ko kya pata tha? ki wo do pal ki hi khushi hone waali thi mera saath chunkar unse apni zindagi ki sabse bari bhul ki thi woh bhul jo shayad wo kabhi na bhul paaye….
-----------------------------
Agle hi mahine meri aur shaiza ka niqaah uske abba ne apne gharwaalo ke saamne hi karwa diya unhein mere zyadti zindagi se janne ko zyada apni beti ki khushiyo ki parwaah thi sach pucho toh maine ek raaz unhein kaha nahi tha agar keh deta toh acha hi hota kam se kam shaiza ko wo mujhse dur toh kar dete….lekin main us waqt apne kal ko bhulaane mein lagaa hua tha socha tha niqaah ke baad sabkuch sach sach shaiza ko bataa dunga waise bhi sabkuch meri mann marzi se toh hua nahi tha….par sach ko chupaana toh jhoot bolne se bhi zyada gunaahgaari hota hai iska ilm mujhe kahan tha?
Shaiza aur mere niqaah ke baad main shaiza ko leke unke parivaarwaalo se vida hokar waapis oose apne sheher le aaya aur ek naye sirhe se apni zindagi shuru karne laga…
shaiza ko lekar main apne bungalow pahucha gaadi roki aur fhir bahar nikalte huye uski taraf ka darwaja khola shaiza charo taraf ki khuli waadi aur saamne ke mere bungalow ko dekh hairaan ho gayi…."ye hamara ghar hai itna bada?"
"hmm ji aajse tum aur main yaha rahenge aur koi nahi ghar ka dekh rekh ke liye ek naukar appointed hai wo ghar ke kaamkaj mein tumhari madad kar diya karenge aur fhir shaam hote hi chale jaya karenge uske baad pura waqt tum akele kyunki main toh office mein hunga na ghar par toh raat hi pahuchunga"
"matlab itne bare bungalow aur is shaant khuli waadiyo ke beecho beech main akele"
"arre pagli akele kahan? itni khubsurat waadi hai itna bada ghar hai aur chaho to beech beech mein apne gharwaalo mein se kisi ko bula sakti ho"
"nahi nahi abba ko fursat kahan? aur rahi baat baaki logon ki toh adam ek baat kahun wo kabhi mere apne hokar bhi nahi huye tum toh sab jaan chuke ho"
"aisa nahi kehte shaiza kitno bhi sautele ho par wo tumhare apne hai unke beech tum pali ho khair abhi ye sadness chodho aur ghar mein pehla pao rakho chalo"
main shaiza ko samjhaate huye oose ghar ke darwaaje par laya darwaaja khula toh charo taraf ke bheetar khubsurat saje cheezon ko wo dekhne lagi usne apna pehla pao andar rakha...us waqt saamne mera naukar mujhe aur oose ghurr raha tha meri muskurahat palbhar mein gambhir ho uthi…..maine oose ghurrte huye chup rehne ka ishara kiya….shaiza ki uspar nazar huyi toh naukar uske kareeb hasskar aaya
"ye kaka hi hamare ghar ko sambhaalte hai inhi pe sabse zyada bharosa hai aur inke hi zimme din bhar ye pura banglow rehta hai meri gair haaziri mein...kaka inka naam shaiza hayat hai aur ab is ghar mein ye rahengi mere sath"
"bahut khushi ki baat hai badhaai ho aap dono ko khuda tala ki barqat aap dono par bani rahe chote babu ne sahi kaha choti malkin aap bilkul fikar mat kijiye aapko jo bhi chahiye hoga mujhe bejhijhak kahiyega"
"okay uncle"......naukar waapis bramde mein chala gaya
"acha shaiza chalo main tumhe pura ghar dikhaata hoo theek hai? chalo"......shaiza khushi khushi mere saath pure ghar ka jaayeza lene lagi….
piche mudkar maine paaya ki naukar kaka humhe gambhir hokar dekh rahe they jaise unki aankho mein koi fikar thi maine unse milane ka ishara kiya waqt baad toh unhone haan mein apni gardan hilaayi aur waapis kitchen mein daakhil ho gaye…shaiza ki jaise mujhpar nazar huyi toh maine oose dekhte huye chehre pe dobara khushi ki muskurahat laayi…
"wow adam ye bahut khubsurat ghar hai mere bhi ghar se zyada".....shaiza chimney aur fhir living room ke keemati sofa aur kaleen aur upar jhulte jhumar ko dekhte huye kehti hai
"aisa nahi hai shaiza ye ghar ab tumhara bhi hai aur aise bare aalishan ghar ka kya? jab wahan koi rehne wala parivaar hi na ho".......maine shaiza ke kareeb aakar kaha
"jo bhi kaho par waaqayi bahut khubsurat ghar hai"
"aao bahar"......main shaiza ka haath pakde oose waapis living hall pahucha kitchen dikhaate huye fhir oose sidiyo se upar laaya aur mere bedroom mein oose le aaya…..kamra hamare liye phoolon se saja hua tha shaiza ne pure kamre ke charo taraf nigaah daudaayi kamra bahut bada tha usne meri taraf dekhke khushi zaahir ki
"ye hamara bedroom hai aur ye khidki kholo saamne ki haseen waadiya dikhengi hahaha".....maine saamne ki khidki se parda khola toh niche base sheher ki basti aur jungle pahadi ilaake charo taraf ke dekhkar shaiza bhi ektak dekhti rahi
hum waapis kamre se bahar aaye "acha shaiza ye jitne bhi kamre hai sab usable hai har ek zarurat ke mutaabik cheezein mauzud hai isliye kabhi koi bhi aaye bejhijhak kamre ki safaai karwaake tum unhein koi bhi kamre mein teherwa sakti ho okay".....maine shaiza ko baaki ghar ke band kamro ki taraf ungli dikhaate huye kaha
"aur wohh last waala kamra jispe hi sirf taala jhul raha hai"......shaiza ke sawaal se ekpal ko meri bhi nigah kone waale kamre ke band darwaje ki taraf huyi main gambhir ho gaya
"w..wohh store room hai shaiza aur wahan kuch bhi nahi tute fhute ghar ke puraane furnitures pade huye hai aur aksar wo kamra band hi rehta hai isliye kabhi bhi us kamre ka rukh mat karna okay waada karo".......maine gambhir hoke shaiza se kaha shaiza pehle toh sawalat mein rahi lekin fhir usne muskurakar haami bhar di
hum waapis apne kamre mein laute…."acha shaiza main zara kaka se khana wagaira ke intejaam ke baarein mein puchke aata hun okay"
shaiza ko kamre mein chodh main niche sidiya utarkar gambhir chehra liye apne naukar ke paas pahucha….ek baar maine upar jhaanka aur fhir naukar kaka se baat karne laga
"meri gair haaziri mein koi aaya toh nahi tha na?"
"nahi chote babu par bare maalik ka phone aaya tha aapke babat bas unhone itna pucha ki aap office kyu nahi aa rahe?"
"unhein bataa toh nahi diya ki main kisliye gaya tha yahi kaha na ki main ek novel exhibition ke liye kuch din dusre sheher gaya hun"
"bas wohi bataya chote babu aap fikar mat kare lekin kya inko sab maalum hai? aapne jab phone par bataaya ki aap niqaah karke laut rahe hai toh main bahut hairaan hua lekin jo bhi aapne faisla liya uchit hi liya hoga"
"nahi kaka darasal main razamand nahi tha is shaadi ke liye sabkuch ekdum se ho gaya khair maine koi jaanbhujkar ye harqat nahi ki main bahut shukraguzaar hun aapka ki aapne baat ko sambhaal liya bas ek hi guzaarish hai ki shaiza ke aage aap kabhi kuch zikar hone nahi denge khaaskarke us aakhri kamre aur oosse jude uske baarein mein"
maine naukar kaka ka haath pakde unse kaul liya...naukar kaka ne apne wafadari se mujhe yakeen dilaaya ki wo raaz kabhi nahi saamne aayega wo mere aakhri baaton ke ishaare ko samajh rahe they ki main kiski baat kar raha tha
"aap fikar mat kariye lekin bare maalik ka kya islam sahab ko agar maalum chala toh kaise baat ko sambhaalenge??"
"wo yahan ab nahi aate agar aa bhi gaye toh aap shaiza ko sambhaalna unse dur rakhna baaki rahi baat main unhe ekna ekdin bataa dunga aur shaiza ko bhi ekdin toh maalum hona hi hai ab jaldbaazi mein kuch bhi kehna abhi sirf mushkilo aur pareshaani ko daawat dega kaka"
naukar kaka kuch nahi bole achanak unhone mujhe darwaaje ki taraf aati kisi aahat ka ishara kiya mera dil anchahe darr se khauff kha gaya main furati se bahar aaya toh shaiza mujhe dhundhte huye kareeb aa rahi thi
"kahan chale gaye they tum itne dair lagaaye toh muje laga tum ghar par ho bhi ki nahi?"
"arre maine tumse kaha tha na main yahi hu naukar kaka ke paas"
"ab unhein pareshaan itna bhi mat karo ye toh galat baat hai ki nayi nayi biwi ko ghar laaye aur abhi se oose akela chodhne lage"......shaiza ki baat sunkar main hass pada
"arre aisa nahi hai pagli filhal chalo tum thoda aaram karo aur main bhi thoda fresh ho jau bahut thak gaya hun fhir kal se karobaar bhi toh sambhaalne jaana hai office abse saari zimmedaari is ghar ki aur meri tumhari"
"accha accha".....shaiza mera haath pakde lagbhag kheechkar mujhe kamre ki taraf sidiya chadhe le jaane lagi
piche naukar kaka chupchap humhe jaate huye gambhir dekh rahe they….maine bhi soch liya tha ki shaiza ko zyada din andhere mein nahi rakhunga oose sabkuch sach sach bataa dunga taaki kal ko oose ye na lage ki maine oose dhokha diya
us raat mausam ka mizaaz bigadne laga tej baarish aur kadakti bijliyo ka shorr charo taraf gunz raha tha main band khidki se baraste paani ko dekh raha tha na jaane kyu par chahte hue bhi main khush nahi tha….shaiza mujhse lipati so rahi thi aur main baitha lamp ki roshni mein apni diary likh raha tha….ekdum se badal garaze toh main kaanp utha...dil mein yahi khyaal tha agar islam sahab ko malum chala ki maine ek dusri ladki se niqaah kar liya hai toh!
beete kal ki baat soch raha tha achanak shaiza uth gayi aur usne mere kareeb aakar mujhse jagne ka kaaran pucha main chupchaap tha
"kya baat hai adam? tum jag rahe ho kal office nahi jaoge?" "hahaha abhi toh tumhe is ghar mein aaye ek din nahi hua ab itne jaldi tumhe chodhkar jaana nahi chahta"
shaiza sharmakar mujhse aur lipat gayi…."aur muje laga ki tum is niqaah se khush nahi ho meri wajah se tumne shaadi ki na? main tumhe pasand nahi thi na?"
"arre shaiza aisa kyu kehti ho? khud ko blame mat karo aisa kuch nahi hai haan bas jo hua jaldbaazi mein hua par jo taqdeer mein likha ho oose kaun taal sakta hai?"
"main tumhe itna pyaar karna chahti hoo ki tumhara saara akelapan main dur kar du tum mil gaye ab lagta hai meri zindagi puri ho gayi"
shaiza ki baaton se mujhe ahesaas hone laga ki wo mere aur kareeb aana chahti thi….par na jaane kyu? mujhe uske kareeb jaana accha nahi lag raha tha maine oose apne se alag karte huye kaha
"shaiza pls mujhe waqt do main abhi tayyar nahi hoo"......shaiza ko mere is bartaav se thoda azib sa laga
"kya baat hai adam? kya mera tumhe chuna pasand nahi?"
"arre yaar shaiza tum dil par har baat kyu le leti ho?"
"par aaj to hamari suhaagraat hai na?"......oosi pal ek tej bijali ki roshni kamre pe padi aur badalo mein jaise bhari gargarahat bhari awaz guzari
"shaiza pyaar karne ke liye saari umar padi hai ekdusre ke kareeb aane ke liye oose janna zaruri hota hai muje bhi thoda waqt chahiye apni hesitation dur karne ka u know what i mean?"
shaiza ne sehmati mein sar hilaaya…."gud girl chalo so jao main thoda washroom se aata hun"......shaiza ko chadar odhaaye main bistar se uthkar washroom chala gaya na jaane kyu main chahke bhi uske saath kuch karna nahi chahta tha aur aaj is baarish bhare tufaani raat ko sochkar jaise wohi raat mere zehan mein ghum rahi thi…
main waapis kamre mein aaya toh shaiza so chuki thi ooske maasum chehre ko dekhke main muskurakar diary bistar se uthaaye table par rakh diya kamre ka darwaja lagaaya aur bagal mein aakar uske lait gaya…
----------------------
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ASIF
Shayari Qadrdaan
Rau: 0
Offline
Waqt Bitaya:1 days, 51 minutes.
Posts: 187 Member Since: Feb 2021
|
|
«Reply #7 on: February 25, 2022, 12:02:58 PM » |
|
Raat kareeb dedh baje shaiza ki neend khuli wo mere seene se apna sar uthaakar mere badan se apna haath hataaye angraai leke bistar se utari….shayad oose pyaas lagi thi usne lamp ki switch on ki toh on nahi huyi shayad light chali gayi thi..shaiza ne paaya paas mein mombatti rakhi huyi thi lamp mein kaanch ke sheeshe ko usne hataaya mombatti ko paas padi maachis dhundhkar oose jalaya kaanch dobara uspar chadhaaya aur fhir ek ek kadam chalte huye kamre ka darwaja khol bahar aayi usne ek baar palatkar meri taraf dekha fhir bahar….dono taraf hall mein accha khaasa andhera tha….shaiza kuch kadam chali hi thi aisa laga ki koi roshni usne dekhi
shaiza ulte kadam us taraf pahuchi jahan woh kone waala kamra tha adam ne jo bataaya tha oose shaiza ne yaad kiya bahar bijli kadakne ka shorr aur jhamajham barsaat ki awaz andar aa rahi thi….usne jhukkar mombatti ki lau se dekha us kamre ke darwaaje ki kundi par taala jhul raha tha niche se roshni aa rahi thi aur fhir andhera ho jata yakeenan bahar ki bijli ki roshni thi jo shayad us kamre ke khidki khuli rehne se aa rahi thi…
shaiza ulte pao waapis sidiya utarkar niche gayi waha usne dining table pe rakha glass uthaaya aur oose paani se bharkar apne hotho se lagaya hi tha ki oose billi ki awaz sunaai di...shaiza ke haath se glass chuttkar zameen pe bikhar gaya
shaiza apne seene pe haath rakhkar dekhi toh ek kaali billi kitchen ke self pe chal rahi thi…."uff lagta hai bahar se andar aa gayi".....shaiza ne aage badhkar khidki khol daali aur oose bhagaane ki koshish ki billi oose dekhkar ghurrane lagi shaiza ko thoda darr laga wo ulte kadam waapis jaa rahi thi ki achanak adam oose khudke saamne khada dikha gambhir chehra liye...ek pal ko toh shaiza kaanp uthi
"arre kya hua?"
"wohh paani peene aayi thi light nahi hai aur ye andhere mein ye billi andar ghus aayi ise bhagaa rahi thi toh ye mujhe dekhkar ghurrane lagi"
adam ne dekha wahan koi nahi tha….."arre kahan billi yahan to koi nahi hai zarur wehem hua hoga?"
"nahi adam sach mein waha billi!".......waha sach mein billi nahi dikhi shaiza ko bhi
"arre khidki khuli reh gayi lagta hai bhaag gayi hogi rehne do chalo tum paani piyo aur oh ho"
"mere ghabrahat mein kaanch tutkar glass ka bikhar gaya"
"arre toh kya hua? hota hai mujhse bhi kitni glass tute hai chalo rehne do aur mere saath kamre mein chalo zyada dair jaagna bhi theek nahi ek toh tum thakhaarkar mere saath aayi aur aaram karne ki jagah jaage rehna theek nahi"......maine jaakar kitchen ki khidki lagaa di aur waapis uske rubaru hua
"par ye bikhre kaanch?"
"kaka aayenge kal subah wo saaf kar denge tum uthaogi to kant jaayega khoon nikal jayega jo main nahi chahta chalo"
main shaiza ka haath thaamein paani se bhara jar aur glass liye waapis kamre mein oose le jaane laga...shaiza ne palatkar bikhre un kaanch aur band khidki ki taraf dekha na jaane kahan wo kaali billi ekdum se gayi? oose oos billi ka jaise darr ho gaya….
to be continued...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ASIF
Shayari Qadrdaan
Rau: 0
Offline
Waqt Bitaya:1 days, 51 minutes.
Posts: 187 Member Since: Feb 2021
|
|
«Reply #8 on: February 25, 2022, 12:05:41 PM » |
|
Chapter 7
Agli subah jab main utha toh shaiza bistar par nahi thi….main jaagte huye oose dhundhne laga jab niche fresh hokar hall mein pahucha toh dining table pe woh nashta saja rahi thi mujhe dekhte hi usne muskurakar baithne kaha
"arre shaiza tum itni subah subah kya baat hai? pehle din se hi kitchen sambhaal liya arre aaram kar leti thoda kaka toh sab hi kar dete hai"
"arre aur kitna aaram karu? jabse aayi hun tabse toh aaram hi kar rahi hun ab kya? aalsi ho jau tum bhul rahe ho ki ab tumhara dhyaan rakhne wala yaha koi aur bhi hai"
shaiza ka yun apnapan aur mere liye khyaal karna mujhe bahut acha laga ekpal ko mujhe dukh bhi hua ki wo abtak mere jhoot se anjaan hai aur main oosse duriya banaa raha tha jabki pehle din se hi wo greshthi sambhaalne lagi thi biwi ki saare darze puri kar rahi thi…
main uske saath baithkar nashta karne laga usne apne haatho se saara nashta banaaya hai ye bat khud naukar kaka ne bataaya tha mujhe….."meri toh bachpan se aadat hai ghar mein bhi haath bataane ki ab is pure ghar ko sambhaalne ki zimmedaari meri bhi hai ab tum akele nahi rahe"......usne mujhe samjhaate huye jaise kaha main uska shukriya kiye bagair na reh paaya
achanak hamari hassi khushi ke beech ek kaali billi na jaane kahan se aa gayi...shaiza oose dekhkar khauff khaa gayi wo kursi se uth khadi huyi aur billi se duri banane lagi….wohh mere kursi ke paas aaye mere pair se lipatkar pao chaatne lagi…
"adam yahi wohh kaali billi hai kal raat yahin ghus aayi thi mujhe dekhkar ghurra rahi thi aur tumhare aane ke palak jhapakte hi ye gaayab ho gayi thi"
"arre ye isse darro mat iska naam sissy hai yahi rehti hai is ghar ki paluvi billi paaltu hai darro mat kuch nahi karegi arre baba kyu darr rahi ho?"
maine oose uthaate huye nashta ke plate se ek bread todke diya jise wo khaane lagi….lekin shaiza ghabraaye dur hi mujhse baithi rahi
"mujhe isse darr lagta hai ise ghar mein mat aane diya karo khaamokah kitchen wagaira mein aakar nuksaan karegi"
"main ise dur nahi kar sakta kyunki ye bahut purani hai aur ye sirf apni!"......kehte kehte main teher gaya ye main kya kehne jaa raha tha jiska zikr mere munh se nikal jaata toh fhir shaiza toh mujhpar sawalat ki barsaat kar deti
"main kuch nahi jaanti mujhe bas darr lagta hai isse.. dekho kaise tumhare goad mein baithkar mujhe ghurrte huye meow meow kar rahi hai dekho iski aankho ko tumhe pata hai ye roop hoti hai"
"hahaha shaiza ab writer ko hi tum darraa rahi ho"....maine hasskar oose waapis zameen pe sehlaate hue chodh diya woh bahar khule darwaaje se nikal gayi
"tum wishwas karo"....shaiza ne bacho ki tarah sehmte huye kaha
"acha acha naukar kaka aaj se sissy ko andar mat aane dena jo shaiza ji kahein wohi kariyega bahar hi jaakar usko khaana de diya kijiyega"
"accha chote maalik"........kehte huye kaka jhuthe plates ko uthaakar sink mein le jaane lage
"accha shaiza main nikalta hun office ke liye shaam mein mulaqat hogi till then tk care aur naukar kaka ke jaate hi main darwaja laga lena aur agar koi pareshaani ho toh then feel free to call me okay dear"
main uthkar apna coat pehnne lagaa...shaiza ne mujhe rokna chaha aaj ke din ke liye...par office mein kaam bahut pending tha aur darr tha ki kahi islam sahab aa na gaye ho...shaiza mujhse gale milkar alag huyi aur main apna suitcase liye bunaglow se bahar nikalne laga main gaadi mein baitha toh bahar shaiza khadi hi rahi aisa lag raha tha jaise oose chodh ke naa jau lekin main mazbur tha…
"accha kaka khyaal rakhna inka main chalta hoo okay shaiza see u in evening"......kehte huye main gaadi start kiye oose ghumaakar compound ke dwaar se bahar nikal gaya piche khadi reh gayi mujhe vidaa karti shaiza…aur naukar kaka
koi aur bhi tha jo bahar mere ruksat mein wahan chupke se humhe dekh raha tha…..wohi kaali billi ki ghurrti nigaahein
Pure din office kaa kaam sambhaalte huye dopahar ho chali thi...mere khyaal mein bas shaiza ko sabkuch sach sach bataane ka jaise mauka khoj raha tha kya kehna theek tha? achi khaasi zindagi toh abhi shuru huyi hai ganimat thi ki office ke chairman islam sahab waaqayi trip pe they pura kaam mujhpe aur baaki senior employees par chodh rakha tha...kisi ko pataa nahi tha ki maine dusri shaadi kar li thi...naukar kaka ki khabar bilkul sahi nikli main kuch din ke liye nischint tha….
--------------------------
Shaiza ghar ka jaayeza lekar saaf safaai kar rahi thi jo ki bari had naukar kaka ko khub na kehne pe usne kiya warna naukar kaka oose kuch karne nahi de rahe they….dopaharbad jab shaiza bungalow se bahar aayi toh charo taraf ke khubsurat waadiyo ko dekhne lagi jitna din yahan khubsurat hota hai utni hi raat yaha ki kaali sunsaan aur veerana se bhara….itni bari milkiyat ki wo ab malkin thi oose yakeen nahi ho raha tha usne naukar kaka ko paido ko paani dekhte huye dekha
wo unke kareeb aayi…."kaka acha ek baat batao aapko yaha kitna waqt ho gaya?".....naukar kaka jaante they ki wo mere gair haaziri mein puchtaach karne lagi thi
"ji yahi koi 16 saal"
"adam ka koi bhi nahi hai matlab koi rishtedaar"
"ji nahi akele hai aur ab aap aa gayi hai toh meri fikar chote maalik ke liye kam ho gayi hai"......naukar kaka hasskar shaiza ki taraf dekhte huye bole
"unke maa baba se bichadhe unhe kayi baras ho gaye bahut mehnati hai kabhi bhi mujhe naukaro ki nazaro se dekha hi nahi hamesha apne baba ki tarah maana jab bhi sehat bigadti hai wohi doctor ke paas le jaate hai ek apna rishta sa ho gaya hai chote maalik se"
"acha kaka ek baat batao wo kone waale kamre ki khidki andar se khuli huyi hai kya?"
naukar kaka ke chehre pe gambhirta chaane lagi us kamre ka zikar sunkar unhone palatke sawalat nigaho se shaiza ko ghuraa...shaiza bhi notice karne lagi ki us kamre ka zikar karte hi unke chehre pe gambhirta aur ghabrahat dono saaf nazar aane lagi…
"jj..ji darasal ho sakta hai bahut arse se wo kamra band hai par ye sawaal aap kyu puch rahi hai?"....naukar kaka khud ko sambhaalte huye normally oosse puche
"nahi kal aadhi raat ke baad jab main paani peene kamre se bahar aayi toh andhere ghar mein sirf wohi jagah se roshni aa rahi thi bahar ke bijli chamakne ki toh mujhe lagaa"
"haan aksar tufaan yaha aata rehta hai ho sakta hai khidki khul gayi hogi aap fikar na kare main lagwa dunga waise bhi wo store room hai".......naukar kaka ne wohi mera wala jumla ooske aage dohra diya
par ek baat shaiza ko khatak gayi us kamre ke zikar se mere aur ab naukar kaka ke chehre pe gambhirta usne saaf dekhi thi par wo kuch samajh na saki….sardi ka waqt tha suraj kahi badalo mein gum ho chuka tha aur ab dheere dheere shaam utarne lagi thi…
shaiza phone par apne parivaar waalo se baat karne mein malin sidiya chadhkar apne kamre mein laut hi rahi thi ki achanak uski nigaah kone waale kamre ke darwaaje pe huyi wohi kaali billi band darwaaze ko naakam naakhun se kholne ki koshish kar rahi thi…
shaiza thodi ghabra gai…usne apni behan ruhi se zikar kiya toh uski behan ne oose bhagaane ko bola...shaiza ne pehle toh oose bhagaane ke liye chillaya par woh waise hi darwaaje ke taale ko daant se kheechte huye fhir naakhun maarne lagi..
"hat jaa yaha se kyu marr rahi hai yaha pe? kyu darwaaje pe nakhun maar rahi hai jaa main keh rahi hoo jaa"......shaiza ne paas rakha mota danda uthaaya aur uski taraf faikha chot lagte hi wo ektak darwaaje ko chodh shaiza ko ghurrne lagi..shaiza thodi sihamte huye ooske chamakte aankho ki taraf dekhne lagi
uski puch hil rahi thi wo ek baar darwaaje ki taraf dekhi aur ek baar uski taraf fhir bagal se shaiza ke guzarte huye sidiya utare bahar nikal gayi…..shaiza ne fauran niche utarkar darwajaa lagaa diya….
---------------------------
Aate aate mujhe raat ho gaya tha….shaiza ne mere liye dinner tayyar kiya tha hum dono khaa rahe they toh shaiza ne gambhir hokar fhir woh billi wali ghatna mujhe batayi….main chupchaap sunne ke baad khaamosh raha waaqayi ye toh azib hi baat thi aur wo oos kone waale kamre ke darwaaje pe nakhun maarkar oose kholna chah rahi thi main janta tha sissy kiski aziz thi? main ekdum se hadbada gaya jab shaiza ne mujhe jhinjhoda
"kahan kho gaye they?"
"nahi kuch nahi bas yuhin chodho naa uski aadat hai asal mein parkhi huyi hai na"
"mujhe toh darr lag gaya adam kahi mujhpar na attack kar de ab main aage se saare khidki darwaaze band rakhungi"
"accha theek hai theek hai".......maine hasskar baat ko dusri taraf ka rukh karne ke liye haami bhari
wohh fhir mujhse pyaar bhari baatein karne lagi….par mujhe accha nahi lag raha tha...par maine bhi socha ki ab beete kal ko jitna jyada apne upar haavi hone dunga cheezein aur bigadti jaayegi….isliye main bhi shaiza ke khaatir badalne laga aise hi waqt guzarne laga...shaiza dheere dheere is ghar mein adjust hone lagi….haalaki mere aur uske rishte mein koi khaas badlaav nahi aaya tha main oose biwi ka darza toh de chuka tha lekin dil se uske kareeb kabhi nahi jaa paya is baat ko leke kayi baar usne tokaa bhi par main ye kehke baat taal deta ki business ka stress hai aur main nahi chahta ki hamari shaadishuda zindagi mein koi jaldbaazi ho...kabhi kabhar uska mujhpar zarurat se zyada haq jataana mujhe acha nahi lagta tha kayi baar main naraaz bhi ho jaata tha lekin baad mein oose akela bhi nahi chodhta tha oose samjhaata rehta tha is beech hum kayi jagah ghumne gaye outing ki lekin main chahkar bhi uske kareeb nahi aa paaya oose main shaadi ke baad bhi ek khyaal rakhte kisi apne ki tarah mehsus karta tha….lekin dil se oose mohabbat se apnaa nahi paaya
Aise hi din guzar rahe they hamari zindagi chaino sukoon se kat rahi thi...ki ek raat sabkuch jaise badalna shuru ho gaya….us raat hamesha ki tarah thake haarein shaiza aur main bistar par so rahe they...achanak shaiza ko khadhakti khidkiyo ki awaaz lagi gehri neend mein uski band aankho mein halchal hone lagi usne ekdum se aankh khola aur saamne ki khidki taraf dekha bahar shayad tufaan chal raha tha hawao ki dabi awaaz oose kamre mein aati sunaai di...shaiza ko darr lagne laga mujhe gehri neend mein soya dekh wo fhir laitne lagi ki achanak dhab dhab si dabi awaz mein koi kamre se bahar jaise guzara...wo hadbada ke palang se uth khadi huyi paas ki lamp on ki aur torch daraaz se nikaalkar wo dheere dheere kamre ke darwaze ke taraf aayi...usne ek baar apni gardan bahar nikaalkar charo taraf ke gup andhere ko dekha...bahar tej badal garaz rahe they...mahoul gup andhera aur sannata se bhara tha achanak shaiza ko ahesaas hua ki koi saaya theek oosi kone waale kamre ke darwaaze pe khada oose ghurr raha tha…
shaiza pasine pasine sihamte huye torch ki roshni us taraf maari toh paaya ki wo chamakti ghurrti nigaahein aur wo saaya oosi kaali billi sissy ka tha..jo beech beech mein meow ki awaaz nikaalte huye khaamoshi se shaiza ko ghurr rahi thi ye andar kaise aayi? achanak shaiza ki palak jhapakte hi wo oos kamre mein jaa ghusi...shaiza chaunk uthi tabjaakar oosne torch ki roshni mein dekha wo darwaja jo hamesha se band pada tha aaj khula hua tha ye kaise kisne khola? adam ne toh khud kaha tha ki wo store room hai kayi waqt se band pada hua hai naukar kaka ne bhi wohi baat kahi thi...dono us kamre ke zikar se kaise gambhir ho gaye they toh aaj ye darwaaza us din bhi toh ye kaali billi us darwaaze ko naakhun maarkar kholne ki koshishe kar rahi thi...shaiza dheere dheere us kamre ke kareeb aayi behad kareeb roshni usne jab andar faika toh waha gup andhera aur kayi din band rehne se waha se ek azib mehek aa rahi thi...shaiza ne ekkadam andar rakha hi tha ki tabhi uska haath kisi ne zor se pakadkar bheetar kheecha….shaiza chilla uthi
"shaiza shaizaa kya ho gaya? arre"........main badhawas ekdum se cheekhkar uthi shaiza ko kandhe se jhinjhodh raha tha
"kya dekh liya hai? aisi darri sehmi huyi kyu ho? koi darawna khwab dekh liya kya?".......shaiza se main puchte jaa raha tha aur wo rehrehke kaanpein jaa rahi thi uske maathe pe pasina tha aisi sard raat mein bhi
maine paas rakhka glass uthaaya aur oose paani peene ko diya...usne paani peete huye halka mehsus kiya sadme se bahar aate huye usne kasskar mujhe pakad liya...main oose shaant karne laga
"adamm wohh maine dekha ki wohi kaali billi hamare kamre se guzari fhir ekdum se main bahar nikali fhir oose wohi".....shaiza ne mujhe kaanpte kaanpte sihamte huye sabkuch saaf saaf jab bataaya toh mere pairo ke niche se zameen khisak gayi ye nahi ho sakta? jis raaz ko maine saal pehle dafan kiya wo baar baar hamare saamne kyu nikal raha tha? maine socha shayad shaiza ko koi wehem ho gaya hoga aise hi uspar oos kaali billi ka dehshat tha
"arre shaiza tum darr gayi ho aisa kaise ho sakta hai? ye koi kalpana hai koi haqeeqat nahi woh toh store room hai wahan kaise billi ghus jayegi aur darwaje khidkiya sab band hai kaali billi aayegi kahan se? naukar kaka ne oose bhaga diya hai dekho ye sab baaton ko jitna sochogi aur darawne khwab tumpar haavi honge"
"nahi adam zarur koi baat hai us billi ka zarur koi raaz hai"
"my dear u better take some sleep kal baat karte hai muje bahut neend aa rahi hai kal office bhi jaana hai chalo so jao",
shaiza ke upar chadar odhe main oose sulaane lag gaya mehez khwab hi kyu na ho? par shaiza ke byaan ne mujhe jhinjodh ke rakh diya mujhe aisa laga jaise ab baat oosse zyada din chupaai nahi rakhi jaa sakegi..us raat main shaiza ke sone ke baad kamre se bahar nikalkar theek oosi kone waale kamre ki taraf aaya...darwaje pe hamesha ki tarah jhul raha tha aur uske khulne ka koi nishanat nahi they...
Kisi tarah shaiza ka khyaal maine oos kone waale band kamre se alag kiya warna baaton baaton mein woh yahi kehti ki ek baar kholkar oos kamre ko main oose dikhaa du ya ghar mein quraankhaani karaa du taaki ghar pak saaf ho jaaye baat uski sahi thi lekin oos kamre mein wo nishaniya thi jo ek baar shaiza ko ek jhalak dikh jaati toh main aur oos baat ko nahi chupaa paata…
is beech shaiza ke gharwalo mein uske parivaar ke log humhe dekhne aaye...humne unki khaatidaari mein koi kami nahi chodhi...unke aane se ghar ka mahoul bhi thoda tabdil ho gaya hamesha se rehta sunsaan bungalow parivaar ke logo ki chehel pehel aur raunak se bhar gaya tha….main shaiza ko ghar par akela chodhkar befikari se office chala jaata tha…
sabkuch fhir normal raha maine is beech shaiza ke walid se unke ghar ke ek sadasya ko apne yaha kuch din shaiza ke khyaal rakhne ke liye tehraane ki baat ki…..abba toh beti ke liye befikar they hi unhone apni choti beti ruhi ko hamare saath rakhwa diya kuch din ke liye fhir wo log ruksat ho gaye...ab pure bungalow mein main shaiza aur uski behan ruhi hi rahaa karte they...haalaki mujhe akelapan zyada pasand tha par main shaiza ki bhi fikar karta tha isliye chahta tha ki kuch din uski behan saath rahe toh uska akelapan aur tanhaai dono dur ho jaaye..
Shaiza dheere dheere us ghatna ko bhulaakar waapis normal ho gayi….par uski behan ruhi ko rehte huye kuch shaq sa ho gaya tha khaaskarke jabse usne us kaali billi aur us band kone ke kamre ka zikar apni behan se sunaa tha tabse woh ghar par shaq karne lagi….oos raat dining table pe baithkar hum sab hassi khushi baat karte huye dinner kar rahe they
"accha jija ji main toh agle hafte chali jaungi soch rahi hoo didi ko apne saath le jau"
maine kuch dair sochkar shaiza ki taraf dekha fhir sehmat hota hua bola "haan waise bhi shaiza apne ghar ho legi itne waqt se yaha akeli hai"
"nahi nahi tum akele rahoge?"....shaiza ne meri fikar karte huye kaha "arre shaiza akela toh puri aadhi zindagi guzaara hoo aur waise bhi ek baar sabse mil lena shaadi ke baad kisi se mile hi kab tum?" "aur tum nahi chaloge?" "shaiza main aise karobaar chodhkar nahi jaa sakta aise mein jaana bahut crucial moment hai baat ko samjho tum behan ke saath ho aao fhir hum aage ek saath jaayenge" "okay"........aakhir mein shaiza maan gayi
Shaiza aur ruhi dair raat gaye gapp karti rehti thi dusre waale kamre mein jaha ruhi ko teherne diya tha maine...us waqt main apne kamre mein aakar so jaaya karta tha aur shaiza kab aakar mere bagal mein lait jaati thi mujhe malum nahi chalta tha…
Us raat main apne kamre mein so raha tha….shaiza dusre waale guest room mein apni behan ke saath thi…"pataa hai shaiza di ye dekho".....ruhi ne ek urdu mein likhi kitaab shaiza ko dikhaai...shaiza ko urdu aati thi usne paaya ki wo koi roohani aamal waali kitab thi
"koi bhi rooh jinn aur pari ho oosse taluqat karne wala ye jadui amal"
"laanat kya shaiza? ye sab kya bakwas hai?"
"bakwas nahi haqeeqat aur aisa humne pehle bhi mere friend logo ke sath milkar maine ek haunted house mein kiya tha ghost calling arre wohi jo english films mein tumne dekha hoga ouija board wala humne bilkul waise hi us ghar ke ek mare huye shaks se contact kiya tha aur humhe maalum chala ki uska khoon hua tha lekin bahut romanchal experience tha ye ek bare amaali ki likhi kitaab hai jo aksar roohon aur jinnato se amal kar unse kaam liya karte they pehle to mujhe bhi darr laga jab shuru shuru mein rooh ne apne sanket diye fhir jab halat bekabu lagne lage toh fauran humne uske baad ismein jo aakhri 4 line likhi hai us spell ko padhkar humne apne upar dum kiya dekho ye 4 line yahi amal ke baad hum sabpar fhunk dena hota hai jo bhi shaks apke saath baithkar aatmaa ya rooh jise bhi bulaate hai isse rooh waapis chali jati hai"
"nahi nahi sunke hi darr lag raha hai aur tu ye sab yaha karegi pagal hai adam naraz ho jayega abba ko bataa dega ye sab theek nahi hai ruhi agar kuch ho gaya toh" "kuch nahi hoga believe me accha didi kya tum waaqayi janna nahi chahti ki is ghar mein kya hai? kyu tumhe wo kaali billi dikhti hai jiju woh kone wala room band rakhte hai par gambhir ho jaate hai kya ye raaz nahi janna chahti maano agar aisa kuch na bhi hua toh hum apne kisi mare huye dada ji ya kisi ko bhi bulaake koi bhi sacchai jaan sakte hai it would be fun ye koi khatarnak cheez nahi hai" "agar koi gadbad ho gayi toh"......shaiza ne tokte huye kaha "ye bahut kada amal hai di maine khud azmaaya hua hai kuch nahi hoga bas tum main aur jiju hum teeno baithkar ye amal karenge"
"pagal hai tu adam kabhi nahi ye amal karne ko shaamil hoga wo insab superstition pe believe nahi karega"
"di maine bhi kayi cheezein is ghar mein notice ki hai?"......ruhi ne dheeme se par gambhir hokar kaha
"kya?"......shaiza ne pucha "maine gaur kiya hai ki wo naukar kaka hamesha chupchaap rehte hai aur dekhte bhi aise hai jaise koi raaz chupaaye ho jiju ka bhi behaviour kuch mysterious sa hai zyadatar akele rehte hai aur wo kaali billi toh koi roop hi lagti hai maine oose ek din khud ko dur se ghurrte hue paaya tha yakeen maan di yaha kuch toh hai tu bas unhein kisi tarah manaa fhir dekhna sab malum ho jayega"
"lekin agar adam ko ya tujhe ya mujhe kuch!"
"roohein koi nuqsaan nahi pahucha sakti di ye sab kahaniyo mein hota hai aur ho sakta hai yaha kuch aisa ho hi naa par agar maalum chal gaya kuch bhi toh hum oose sort out toh kar paayenge tu fikar mat kar aur mujhpe chodh bas amal ke liye jiju ko raazi kar"
shaiza ne haami bhar di ruhi bhi bahut zyada utaavali thi kyunki wo ye amal theek kal karne waali thi…..shaiza bhi janne ko beitminaan thi ki waqayi agar kuch aisa tha toh aakhir kya tha?
to be continued…..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ASIF
Shayari Qadrdaan
Rau: 0
Offline
Waqt Bitaya:1 days, 51 minutes.
Posts: 187 Member Since: Feb 2021
|
|
«Reply #9 on: February 25, 2022, 12:09:08 PM » |
|
Chapter 8
Agli din main ghar par tha subah se hi mausam kharab chal raha tha ho sakta hai ki aaj tez tufaan aaye….jab niche naashte ki table par pahucha toh ruhi bhi behan ka haath bataa rahi thi...main kursi par baithkar aaj ka akhbaar padhne laga toh itne mein wo dono aakar kursi pe nashta lagaaye baithkar mujhse baatein karne lagi…
"kya baat hai? aaj tum dono bare chehek rahe ho?"....maine un dono ko khush dekhkar sawaal kiya "haan jiju ki aaj chutti hai warna hamare saath time thodi na spend karte hai roz roz"
"hahaha sorry ruhi kaam mein fasaa rehta hun isliye waqt hi nahi milta pura din guzaarne ka tum thode din aur tehero main tumhe ghumaane kisi acche hill station le jaunga" "kya fayeda jiju main is hafte nikal rahi hun ab kab aana hoga kise maalum?"
"arre aisa kyu kehti ho? jald hi aana ye bhi toh tumhara apna ghar hai dekho abhi shaiza akelapan mehsus nahi kar rahi tum khud dekho main kaam ki wajah se shaiza ko bhi theek dhang se shaadi ke baad kahan zyada ghumaane le gaya is baar promise ki shaiza ke ghar bhi aaunga aur tumhe shaiza ko saath ghumaane bhi le jaunga"
shaiza mere plate par nashta paroste huye apni behan ki taraf dekhti hai…."acha jiju aaj hum ek game khelte hai".......main hairaani se uski taraf dekhne laga
"kaisa game?".......maine ruhi se pucha "ghost calling game aap toh writer ho horror stories mein aksar padhe hoge ya sune bhi hoge ouija board se aatma ko bulaane ka" "arre baap re lekin ye mat bhulo ki uske kya side effects hote hai? kahani aur filmo mein aksar rooh unhein nuksaan pahuchaati hai aur ek ke baad ek sab maarein jaate hai"......meri baat sunkar shaiza thodi darr gayi ruhi lekin hass padi
main bhi hass pada "kya jiju kuch bhi? ye koi bachkaana khel nahi hai aur naa ismein kuch aisa hoga hum rooh ko bulaayenge aur oosse sawaal karenge pls jiju khelte hai na ye game?"
"shaiza tumhari behan bacchi hai ise samjhaao ye sab fiction hai asliyat mein aisa kuch nahi hota sab bakwas hai main writer hoo mujhe nahi pataa woh aamil wagaira wo alag cheez hai uska ilam humhe zyada nahi hai waise bhi ye sab wohi kar sakte hai jo baba molvi wagaira hote hai"
"aisa nahi hai adam ruhi bilkul sahi keh rahi hai ye bhi ek amaal hai aur ruhi ne pehle bhi aisa kuch kiya hai".........pehle toh main maana nahi par fhir shaiza ne bhi ruhi ka anubhav mujhe bataaya ki kaise usne apne friends ke saath milkar ek rooh ko bulaaya tha ye sab sunkar mujhe azib laga ruhi ekdum zidd pakadi huyi thi aur shaiza bhi ab mujhe manaa rahi thi ki main ye game khelu
"shaiza tum bhi chalo maan liya ki rooh aayegi toh kiski aatma ko bulaoge aur kya kya puchoge?" "hamara zyadti sawaal hai jiju khaaskarke shaiza apa ka"
main shaiza ka munh dekhne laga usne haami bhari fhir mere dil mein aaya ki aisa kaise hoga koi rooh bhala kaise aa sakti hai? agar zidd bhi kar rahi hai toh aise bachkani harqat karne ka jispar mera ek takka bhi wishwas nahi tha aur ruhi jhoot bhi toh bol sakti hai ho sakta hai dono behano ka mere saath koi prank ho yahi sochkar maine muskurakar unki baat maan li…
--------------------------:-
Dopaharbaad naukar kaka mausam zyada kharab hone se pehle hi mujhse izazat leke apne ghar chale gaye kyunki baarish mein sheher jaane ka raasta kharab ho jaata tha….bhari dopahari mein andhera chaane laga bijliya chamakne lagi shaiza khidki darwaaze sab lagaaye living hall mein pahuchi light bhi jaa chuki thi living hall mein mombattiya jal rahi thi ek mombatti beech mein aur chalk se ruhi ne gol karke beech rakhki mombatti ke ird gird zameen pe nishaan lagaaya aur fhir oos mombatti ke aas paas waise hi kuch aur mombattiya jalaa di…
fhir usne hum dono ko ekdusre ke aamne saamne baith jaane kaha mombattiyo ki roshni se pura andhera kamra roshan ho gaya tha...haalaki us waqt shaiza bhi khaamosh gambhir thi mujhe toh kuch sahi nahi lag raha tha fhir bhi main chupchaap saari harqatein dekh raha tha uske baad ruhi theek dusri or baith gayi hum tricone ki tarah alag alag faaslo mein us chalk se mombattiyo ko ghaire gol nishaan ke paas baithe huye they…
"ab aap log ek ek ungliya apni is kaagaz par rakhe dono taraf jo yes ya no likha hai us taraf hamare sawaal ka jawab rooh hamari ungliyo se dega darriye nahi kuch nahi hoga allah pe yakeen kariye"
"ruhi jo karna hai jaldi karo kyunki in sab mein zyada waqt lagaana theek nahi"
"adam pls oose jo karna hai karne do ruhi tu befikar hokar jo chahti hai kar"......shaiza ne mujhe samjhaate huye ruhi ko fhir kaha main irritate ho raha tha isliye aaziz aakar maine woh baat zabaan se keh daali
"jiju darr gaye hai didi aaj inka imtihaan hoga ki ye kitne diler writer hai".....ruhi ke mazaak ne mujhe aur gussa dilaa diya par main kuch bola nahi shaiza ne ruhi ko aankh dikhaai
fhir ruhi ne bagal se wohi urdu mein likhi aamali kitaab nikaali...aur mombatti ki roshni mein pehle panno par jo jo likha tha oose padhne lagi
"aapmein se koi bhi uthega nahi sab shaant rahenge aatma hamare aazu baazu bhi ho agar mehsus kuch bhi lage toh bhi aap piche mudkar nahi dekhiyega aur jo bhi sawaal kare wo aisa ho jo rooh ya jis bhi maukil ko bulaaye toh oose naraaz na karne wala ho"
shaiza aur main ekdusre ko dekhne lage...usne dusra haath darr se mere jaangh pe jo rakha tha oose ruhi ne hataane kaha kyunki humhe alag alag baithna tha…..kuch dair baad ruhi ne kuch padhna shuru kiya….kareeb aadhe ghante tak wo waise hi padhti rahi par kuch bhi ahesaas nahi hua ab mera shaq yakeen mein tabdil hone laga shaiza bhi kuch waisa hi mehsus karne lagi….achanak ruhi padhte padhte sisakne lagi uske honth kaanpne lage muje ye uska natak laga humhe daraane ke liye wo aisa kuch kar rahi hogi….par shaiza ko fikar hone lagi
fhir usne nazarein kholi thodi shaant huyi fhir usne aankhe band ki aur aage ke mantro ko padhna shuru kiya...ab dheere dheere mombattiya ki lau kaanpne lagi jabki saari khidki darwaaje ghar ke band they…."aye jo bhi is ghar mein agar kahin hai ya khaamoshi se humhe dekh raha hai ya gehre maut ki neend mein soya hai saamne aa tujhe is amaal ka vaasta hum teri bechain rooh ko bulaate hai tujhse sawaal karte sawaal karte hai"......ruhi aankhe mundein badbadaye jaa rahi thi main uska chehra maarein sawalat se dekhkar gussa hone laga ye wo kya kar rahi thi? yaani ye sab is ghar ke baarein mein janne ke liye wohhh aisi harqat kar rahi thi maine gusse se shaiza ki taraf dekha woh ghabraaye idhar udhar dekh rahi thi….
ruhi ek hi baat baar baar dohra rahi thi...lekin hamari ungli ek inch bhi nahi hili…."kya koi yaha hai? agar tum jaag gaye ho ya kahi aas paas ho toh humhe bataao haan ya naa mein"......ruhi ne chillakar kaha shaiza sihamkar oose dekhne lagi
main uski is bachqani harqat se aaziz aa gaya...muje kuch theek nahi lag raha tha maine nishaan se ungli uthaa li…."ho gaya ruhi ruhi wake up and stop this nonsense".......ruhi ekdum se jaagi usne meri taraf thoda gusse mein dekha
"ek ghante se ye sab bakwas harqat dekh raha hoo koi aaya? ye sab fizul waqt barbaadi hai kyu khaamokhah humhe daraa rahi ho? abtak koi aaya batao" "adam pls relax pls utho mat kya kar rahe ho?"
"i m fed up shaiza ek ghanta ho gaya aatma toh kya koi rooh bhi nahi aaya aur kya laga rakha hai? kiski aatma ko is ghar ki bula rahi ho ye ghar pak saaf hai mere siwaah yaha koi nahi tha theek hai ruhi aage se mujhe aise cheez mein shaamil mat karna jo befizul mein mere zyadti jindagi ko leke mazaak ho"
shaiza bhi uth khadi huyi ruhi bhi uth khadi huyi….shaiza samjhaati rahi…"enough shaiza kya janna chahti hai tumhari behan aur tum main sab samajh raha hoo"
"aap amal se uthkar theek nahi kiye aur aisa kaun sa zyadati sawaal tha jo main puchti aapke life ko leke? hum toh is ghar mein agar koi cheez hai oose hi bulaa rahe they aap itne naraaz kyu ho rahe ho?"
"ruhi adam se aise baat mat karo behave urself"........shaiza ne daanta oose ruhi ka lekin mood kharab ho gaya
"ye sab band karo aur hataao main jaa raha hun"
kehkar main waha ek pal bhi nahi tehra….mere jaate hi shaiza ki taraf ruhi muzrim bani nigaho se dekhne lagi….shaiza ko bahut bura laga tha ki uski wajah se aaj maine uski behan se jhagda kar liya...ye sab khel unhein nahi khelna chahiye tha….achanak hawaaye tej ho uthi bahar musladhaar barsaat shuru hone lagi theek tabhi saari mombattiya bhujne lagi shaiza aur ruhi ghabrakar unhein dekhne lage chalk laga nishaan hawa se bikharkar ujad gaya haan aur naa likha nishaan bhi kharab ho gaya…tej sard hawa pure hall mein aa rahi thi shaiza aur ruhi ka jism ek pal ko kaanp utha aur theek tabhi hawao ka shorr tham gaya kuch dair chuppi bhare mahoul ko todte huye shaiza jhukkar bujhe candles ko uthaane lagi aur bikhare nishaano ko ponchte huye apni behan se kahi"ruhi tu apne kamre mein jaa main adam ko samjhati hun ye humne theek nahi kiya"
"jiju itna naraaz kyu ho gaye di jab maine is ghar ke baarein mein hi puchne ke liye yaha kisi ki mauzudgi ko bulaana chaha toh unhe kya ho gaya? aisa bartaav unhein kabhi karte huye dekha nahi zarur koi baat hai di jiju kuch chupaa rahe hai"
shaiza ko bhi kuch aisa ahesaas hone laga...usne saari mombattiya uthaayi aur ek ek kar daraaz mein faikhte huye kamre ki safai karke ruhi ke saath waha se ruksat ho gayi...main apne kamre mein bahar se aati badal ke garazti awaaz ko sun raha tha sheeshe pe baarish ke bundein gir rahi thi raat ho chuki thi….shaiza mere paas aakar bathi mujhe pyaar se dekhkar manane lagi
"mera dinner karne ka koi mood nahi hai shaiza aaj tumhari aur tumhari behan ki harqat ne mujhe hurt kiya hai maanf karna agar maine gusse mein tumhari behan ko kuch kaha ho tumhe kya lagta hai main kuch chupaa raha hoo is ghar mein kuch nahi hai ye sab baccho waali harqate karne apni behan ko manaa karo"
"dekho adam main samajhti hun ki tumhe meri wajah se taqleef huyi par yakeen maano ruhi toh nadaan hai usne meri hi liye ye sab kia aur ye sab toh ek khel tha agar jab kuch aisa is ghar mein nahi hai toh darr kaisa? kaun aata? waise koi bhi insaan ho kya mare huye log kabhi waapis aate hai?"
ek pal ko main shaiza ko ghurrne laga isse pehle ki wo mere badalte chehre ki gambhiriyat ko samajh paati maine nazarein dusri or fhair li….…."acha chodho ye sab kal wo chali jayegi adam oosse pls munh mat fhulaana oosse baat kar lena warna oose lagega tum oosse bahut kafa ho oose bura lagega pls chalo aao ek saath khaana khaa le"
"tum jao shaiza main thoda dair sona chahta hun mujhe bhook nahi hai".......main zidd kiye waise hi rukhe andaz mein bola
"matlab tum narazgi nahi chodhne waale pls humhe maanf kar do pls"
"main gussa nahi hoo shaiza na tumse na tumhari behan se but pls is waqt mujhe thoda aaram karne do mujhe waqayi bhook nahi hai"
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ASIF
Shayari Qadrdaan
Rau: 0
Offline
Waqt Bitaya:1 days, 51 minutes.
Posts: 187 Member Since: Feb 2021
|
|
«Reply #10 on: February 25, 2022, 12:11:05 PM » |
|
shaiza kuch bol na paayi main chadar odhey aankhe mundkar lait gaya...shaiza uthkar jaate huye mujhe ek baar palatkar dekhi aur darwaje se bahar kamre se nikal gayi….dair raat ho chuki thi bijliya chamak rahi thi baarish tej ho chuki thi….shaiza adam se lipate huye so rahi thi...tik tik karti ghadi ki suyi khamoshi mein chal rahi thi...achanak uski neend khuli koi charrcharaati huyi darwaje khulne ki awaz usne suni...ekpal ko usne uthkar meri taraf dekha fhir mujhe jagaaye bina wohh bahar torch liye nikali...bahar gup andhera tha usne dono taraf roshni maari sunsaan hall mein wohh dheere dheere andhere mein sidiya utarkar niche pahuchi ek baar palatkar usne upari manzil ke oosi kone waale kamre ki or dekha jiska darwaja band tha fhir kahan se awaz aayi? jaise hi shaiza roshni niche dikhaate huye kitchen ke paas pahuchi toh usne saamne paaya ki main darwaza ghar ka ekdum khula pada tha bahar ki tej sard hawa aur shorr ghar mein daakhil ho raha tha shaiza ghabra gayi ye main darwaza toh lock tha ye khula kaise kaun bahar gaya? shaiza torch liye darwaje ke paas aayi bahar ghana andhera aur tufaan chal raha tha tej baarish ki cheetein oose apne badan par mehsus huyi aasman ekdum surkh laal sa dikh raha tha aur beech beech mein kadakti bijliya ghane kadakti awazo se jaise charo taraf ka veerana aur darawana sa lag raha tha….dur paid aise lehra rahe they jaise ukhadkar gir jaayenge….
shaiza ne charo taraf dekha koi nahi tha usne jaldi jaldi darwaza lagaaya fhir waapis sidiya chadhne lagi achanak uske pao teher gaye usne palatkar dekha khidki ke sheeshe par ek haath ka nishaan tha shaiza darwaaje ke bagal waali oos khidki ke sheeshe ko ghurrne lagi kisi insaan ke haath ka wo nishaan tha aisa lag raha tha koi mauzud tha bahar achanak usne dekha wo nishaan kuch laal tha shaiza dekhte hi dekhte jab bungalow ke theek saamne dekhti hai toh uski aankhe dehshat se bari bari hone lagti hai..
ek azib sa dhua jaise kohra ghar ki taraf badh raha tha badhte badhte wo kohra darwaje ke niche se andar aane laga...shaiza larkhraaye oos manzar ko dekhti rahi achanak dhadh se kitchen ki khidki khul gayi aur wohi dhua ghar ke andar aane laga….shaiza maarein khauff se ulte pao sidiyo se upar bhaagte huye aayi aur theek apne kamre ki taraf pahuchi hi thi ki achanak usne dekha wohi kone wala kamra uska darwaza jaise koi dhakel raha tha koi andar se maar raha tha saaftaur par shaiza ne ye dekha darwaja koi zor zor se dhadh dhadh ki awaz ke saath kholne ki nakam koshishe kar raha tha shaiza fauran kamre mein chillakar pahuchi main jaag utha
"kya hua shaiza kya hua arre tum chilla kyu rahi ho?".......shaiza mujhse lipatkar kaanpte huye rone lagi "a..damm wohh wohh niche darwaja ekdum khula pada tha main uski awaz sunkar jab niche pahuchi toh ek haath ka laal nishaan khidki ke sheeshe pe aur fhir dhua hamare ghar ke andar daakhil hone laga main bhaagte huye upar aayi hi thi ki wohi kone waala kamra oose koi zor zor se andar se peet raha hai kholne ki koshish kar raha hai ye sab kya ho raha hai adam?"
"shaant shaant kuch nahi hua aao mere saath aao".......main samajh nahi paaya aakhir ye sab darri sehmi shaiza kya kahein jaa rahi thi? oose shaant karte huye main bahar le aaya
wo mujhe kasske pakade huye thi gup andhera tha maine paas ka switch on kiya hall jagmaga utha...kone waale kamre ke paas aakar dekha sabkuch shaant tha maine darwaaje ki kundi ka jaayeza liya…."kuch bhi nahi hai shaiza wehem ho gaya hai is band kamre ke andar kaun hoga?"
"nahi adam theek hai tum meri baat maano koi tha jo andar se gate ko dhakke de raha tha peet raha tha"
"shaiza andar koi nahi aa sakta ek choti si khidki hai oosse sirf koi janwar ghus sakta hai 40 ft ki uchaai pe kaun chadhkar ekband kamre mein ghus sakta hai? chalo ab zaraa niche dekhte hai"
main shaiza ko leke apne saath sidiya utare niche aaya andhere mein switch jalayi pura ghar roshni se chamak utha…"yahi darwaza khula tha".......main gambhir hokar darwaja kholkar bahar jhaanka do sidiya utarkar bahar ke compound mein jhaaka bhi koi waha nahi tha aur naa hi kamre mein aur bahar aisa koi dhua….main waapis andar aaya "shaiza khud hi dekh lo kahan hai koi dhua ya koi insaan jo yaha mauzud tha?"
shaiza us band khidki ki taraf aayi maine bhi dekha waha koi haatho ka nishaan nahi tha jabki bahar sard hawa aur baarish ki wajah se sheesha ekdum geela tha…shaiza ne palatkar kitchen ki us khuli khidki ki taraf dekha jo khula pada tha
"dekho adam maine kaha tha na ye khidki bhi ekdum se khul baithi aur wohh dhua andar yaha se aane laga" "arre shaiza khidki hawa se khul gayi hogi dekho iski kundi bhi dheeli padh gayi toh ismein kya bari baat hai?"
"mujhe pata hai tum nahi maanoge tum kuch samajhna nahi chahte meri aankhe dhokha nahi khaa sakti"
"enough shaiza aaj shaam ko jo kuch hua kya wo kam tha? jo ab tum ye mannghadhant baat keh rahi ho oos raat bhi tumne koi aisa khwab dekha ki oose haqeeqat maan baithi wo kaali billi alag tumhare dil mein dehshat daali huyi thi aaj shaam ko jo kuch bhi humne kiya hai na oosi ki wajah se tumhare dimaag mein aur darr haavi ho gaya hai chalo kamre mein aao"
shaiza naraaz hone lagi main oose samjha bhujhaakar kamre mein le aaya...shaiza pure waqt badbadaati huyi yahi keh rahi thi ki wo sach keh rahi hai main oose apne seene se lagaaye samjhaane lagaa taaki wo so jaaye….main samajh nahi paa raha tha ye sab kya ho raha hai?
achanak usi raat kuch aisa ghata jisne kahani ka rukh hi badal diya...tufaan tham chuka tha par hawao ka ho ho karta shorr ab bhi dabi dabi awaz mein mere kaano mein padh raha tha…
Koi sidiya chadhte huye upar aa raha tha uske kadam aahiste aahiste meri kamre ki taraf badhe aur lagbhag teji se dhab dhab karti kisi daudti pao ki awaaz mujhe neend mein mehsus huyi theek tabhi zor ki awaaz ke saath kamre ka darwaja khul gaya...neend mujhpar haavi thi isliye na chahte huye main uth nahi paa raha tha...achanak ekdum se hamare upar bicha chadar hamare jism se alag hoke dur jaa gira...mujhe apne jism par thandhak si mehsus huyi sirhan se kaanp utha shaiza ka bhi jism oos sirhan bhari hawa se kaanp utha…
achanak kya sunta hoo? ek dabi si dohri kisi gale se ghurrati awaaz..wo awaz itni khaufnaak thi ki main jaag utha theek oosi pal badal zor se garzaa bijli chamak uthi kahi bijli giri thi….maine ghabrayi nigaah kamre ke charo taraf daudaayi toh waha koi nahi tha lekin kamre ka darwaaza waise hi khula pada tha jaise shaiza ne niche main darwaza khula dekha tha...ye darwaza kaise khula? main hadbadakar bistar se utha aur nange pao darwaje ke paas aakar oose lagaane hi wala tha ki achanak shaiza ki cheekh suni...main baukhlakar piche muda toh dekha saaf shaiza bistar se theek niche cheekhte huye aise giri maano jaise kisi ne uske pao se oose ek hi taqat mein kheechkar bistar se faikh diya ho…
shaiza dard se karha uthi….main uske paas baithkar uske peeth sar ko sehlaane laga…."shaiza oh god u okay? theek ho".......shaiza dard se bilbila uthi uske aankho mein aansu they
main goad mein oose uthaaye bistar par waapis laita diya...usne kasskar mera haath pakad liya main oose relax karne laga…."mujhe laga kisi ne mujhe pao se pakada aur palang se kheechkar giraa diya"
"kuch nahi hua shaiza main hoon na bas ro mat"......main shaiza ko samjhaate huye is azib si ghatna ko lekar pareshani mein padh gaya pehle koi jaise kamre ki taraf aaya band darwaja ka azgaibi taur se khulna aur apni aankho ke saamne shaiza ko kisi ne jaise kheechkar zameen pe faikha tha kya ye sab kuch oosi amal ki wajah se toh nahi nahi kaise mumkin hai? aur kyu koi humhe nuksaan pahuchaayega? humne kya bigada tha? tabhi achanak meri nigaah khidki ki taraf huyi khidkiya khadak rahi thi aur uske sheeshe par kisi insaan ke haatho ka nishaan jaise abhi koi waha bahar mauzud humhe hi dekh raha tha main dheere dheere shaiza ko bistar par chodh khidki ke kareeb aaya jaisa shaiza ne byaan kiya tha theek waisa haath ka laal nishaan dikha lekin wo nishaan khoon tha ye baat mujhe ahesaas hua main bahut ghabra gaya…
theek tabhi ek aur ghatna ghati ruhi ki cheekh jo saamne waale guest room mein tehri huyi thi…….wo apni behan ka naam fhir mujhe pukaarte huye cheekhi….main fauran shaiza ko dekha jo chot lagne par bhi bistar se uthkar khadi huyi aur mujhe khauff bhari nigaaho se dekhne lagi.."ye ruhi ki awaz uske kamre se aayi hai"......itna kehte huye main bahar nikla shaiza bhi chot lagi haalat mein mere saath daudi
uske kamre mein aakar dekha darwaza andar se band tha maine darwaza peetna shuru kiya shaiza bhi ruhi ka naam pukaarne lagi…."ruhi darwaja kholo"....dhadh dhadh ki darwaje ke peetne ki awaz hamaari pure hall mein gunz uthi
fauran darwaza khula ruhi rote huye sihame behan ke gale lag gayi…."didi koi tha yaha didi bahut bhayanak chehra hai didi mujhe darr lag raha hai mujhe yaha nahi rehna"
"shaant ho jaaa ssshh"....shaiza ooske baalon pe haath phairkar oose chupp karaane lagi
maine saara kamra chaan maara waha koi bhi nhi tha na jaane aaj puri raat ye sab kya ho raha tha?...."ruhi yaha koi nahi hai kise tumne dekha kya hua tha?"
ruhi apne behan ke gale se alag hokar gulaabi nigaaho se subakte huye mujhe dekhne lagi...maine paaya ki uske gale pe lamba kharoch ka nishaan tha jo uske kandhe tak tha uske kapre pe halki khoon ki boond girne se waha dhabba gale ki kharoch se nikalkar lag gaya tha shaiza munh par haath rakhke uski taqleef dekh na saki mujhe dekhte huye wo jaise bol padi
"ab bhi tum nahi maanoge adam kya yahi kahoge ki ruhi ne aur maine koi bura khwab dekha jismein aisa kuch ho gaya" "ruhi bataao kya hua tha?"........maine sidha gambhir sawal ruhi se kiya
"jiju maine dekha ek saaya mere sirhaane ke paas andhere mein khada tha wo meri taraf jhuka toh maine uska chehra dekha byaan nahi kar sakti ekdum surkh safed munh se khoon aa raha tha aur uske badhte haatho ke naakhuno par khoon lagaa tha usne ekdum se mujhpe vaar kiya main cheekh uthi agar main nahi hosh mein aati toh wo mujhe maar daalti main yaha nahi soyungi mujhe ghar jaana hai didi mujhe ghar jaana hai"
kehte kehte wo rone lagi aur rote rote badhawas hone lagi..shaiza aur maine oose kasskar thaam liya wo aankh ulatkar beshud zameen pe girne lagi….shaiza darr gayi maine bhi oose jhinjodhkar hosh mein laate huye waapis oose bistar par laitaaya aur paani laakar oose pilaaya uska haath pao bahut kaanp raha tha….shaiza surah padhkar oose fhukne lagi oos raat main so nahi paaya na jaane kaise wo raat guzari thi? ekdum se achanak ye kya hua tha? shaiza bhi darr se apni behan ko akela chodhkar kahi nahi gayi main bhi soya nahi hum dono ruhi ke sirhaane par baithkar uska khyaal rakh rahe they shaiza ne uske kharoch lage gale par cotton se saaf kiya aur maine waha bandage lagaa diya wo fhir jaagi nahi main beech beech mein uski nabz ek anjaane aashanke se tatol raha tha jise dekhkar shaiza bahut darr rahi thi puri raat main sochta raha kya ye waqayi koi upari hawaa ka masla tha ya fhir koi aur rahasmayi baat thi iske piche..ab sirf subah hone ka intejaar tha...
to be continued...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ASIF
Shayari Qadrdaan
Rau: 0
Offline
Waqt Bitaya:1 days, 51 minutes.
Posts: 187 Member Since: Feb 2021
|
|
«Reply #11 on: February 25, 2022, 04:37:57 PM » |
|
Chapter 9
Jab subah hua toh main ekdum se jaaga suraj ki roshni kamre mein padh rahi thi...shaiza bhi kab ruhi ke sirhaane mein laiti oose jogte huye kab so chuki thi iska mujhe khyaal nahi...kal saari raat ki ghatna kisi bure khwab se kam nahi tha...main hadbadakar utha aur pehle soyi ruhi ka nabz tatolne laga saansein chal rahi thi lekin jism pura garam tha oose bukhar chadh gaya tha....achanak meri nigaah bagal mein soyi shaiza ke pao par padi gaur se dekhne pe saaf malum hua ki ooske pao par haatho ke nishaan jaise kisi ne kasske ooske pao ki maanspeshiyo ko thaama tha wo jagah laal padh gayi thi main jaayeza lekar saqte mein aa gaya meri aankho ke saamne kal raat jo kuch bhi ghata tha wo ghumne laga...maine inhi nazaro se dekha tha ki shaiza ka pao kisi ne hawa mein uthaaya aur oose palang se niche ghasitkar gira diya…
us din office nahi gaya ruhi ke jaane ka woh din tha lekin ooski bigadi tabiyat dekh maine uske gharwalo ko phone karrke yahi kaha ki jab theek ho jayegi toh main bhej dunga unhe kuch nahi bataya...shaiza jaag chuki thi wo reh rehkar ghabra rahi thi...maine oose bhi shaant kiya…
saara din sabkuch normal raha kal raat jaisa kuch bhi nahi ghata….shaiza lekin bahut sawalat mein thi...wo har ghadi yahi keh rahi thi ki is ghar mein waaqayi kuch hai aur ab wohh mehsus hone bhi lagaa hai...maine shaiza ko samjhaaya ki itne waqt se main yaha hun mujhe to kabhi kuch nahi hua ye sab kal tumhari behan aur tumhare kiyedhare se hua naa tum wo wahiyat amal pe baithne ko mazbur karti aur naa aaj aisa kuch tumhare aur ruhi ke saath hota ab fikar ki baat toh ye thi ki iska kya hal nikaala jaaye shaiza lekin ise mere ateet se jodne lagi uska yahi kehna tha ki main kuch chupaa raha tha koi raaz tha jo main is ghar ka janta hun...is baat ko leke meri uski behas bhi huyi main kuch bhi reveal hone dena nahi chahta tha kyunki isse mere upar ungliya uth jaati mehez jo aloukik ghatnaaye huyi uske wajah se ek bara raaz jo abtak mehfuz tha wo sabke saamne aa jaata...maine shaiza se kaha ki ruhi ke theek hote hi tum uske saath apne maayke chali jaana kuch din ke liye…
lekin wo mujhe akela chodhna bhi nahi chahti thi oose laga jo kuch kal hua waisa kuch mere saath bhi ghat sakta hai...dopahar tak ruhi ki tabiyat aur bigadni shuru ho gayi wo neend mein sisakne lagi main shaiza ke bulaawe pe jab waha pahucha toh waaqayi uski halat bahut kharab lagne lagi uska pura jism peela padh gaya tha aankhe ulat rahi thi aur gale se azib si dardbhari ghabraayi awaz nikaal rahi thi..
"kya hua ruhi?".....shaiza oose jagaane lagi ooske sar par haath phairte huye kehne lagi "ruhi hosh mein aao ruhi".....main uske sirhane par jhukkar oose jhinjhoda
achanak uski awaz mein tabdiliyat aane lagi dohri awaz nikaalne lagi wohh aur theek tabhi usne mera gala pakad liya itni mazbuti se ki uski pakad se khud ka gala chudhaana mujhe namumkin lagne laga mera dum ghutne laga wo ekdum se uth baithi uske aankho ko dekhte huye main khauff khaa gaya shaiza cheekhte huye uske haath ko mere gale se alag karne lagi
"ruhi ruhhii chodho ruhii kya kar rahi ho? chodho adam ko kya kar rahi ho ruhi?"
"main ruhi nahi hoo samjhi u bit** main ruhi nahi hoo"......usne ekdum se dahadhte huye dohri awaz mein shaiza ko zor se dhakka dete huye chillaya
shaiza palang se gir padi oose chot aayi woh lagbhag rote kaanpte huye apni behan ke is badle roop ko dekhne lagi...ruhi ne oosi gulabi nigaho se meri taraf daant peeste huye dekha aur mera gala aur kasske dabaana shuru kar diya….aisa lag raha tha wo meri jaan le legi mere haath pao akadne lage tabhi naukar kaka waha aakar muje oosse alag karne lage…."nahi chodhungi is haramzaade ko kameene meri jagah dega is kutiya ko huhh maar daalungi tujhe bloody bastard"
ruhi dohri awaz mein mujhe gaali dete huye jaise aur hinsak hoti jaa rahi thi….achanak naukar kaka uske pairo pe gir pade jaise unhe sabkuch samajh aa gaya tha…."choti maalkin chodh dijiye sahab ko choti malkin aapko aapke abba ka vaasta chodh dijiye jo aap chahengi wohi hoga khuda ke vaaste baksh dijiye sahab ko"......naukar kaka rote huye ruhi ke pao ko pakade kabhi haath jodte minnat karte rahe
ruhi aur ghurrane lagi fhir usne dohri awaz mein mujhe zor se piche ki or dhakel diya main zameen pe gir pada...uske gale se haath hatte hi main nakam ukadhti saanson ko kheench raha tha aur zameen pe hi khaaste huye tadap raha tha….shaiza mere kandhe ko pakde mujhe uthaane lagi ruhi pagalo ki tarah oose dekhke cheekhne chillane lagi uski dahadhti awaz sun shaiza bhi ek pal ko kaanp gayi aur oose maare khauff se dekhne lagi…
"dur reh haath bhi mat lagaana mera shouhar hai wohh u bloody s**t"......dohri awaz mein ruhi ne shaiza ko mujhse dur hat jaane ko kaha
shaiza ekdum safed padh gayi usne apni behan ke munh se jo kuch suna uske baad wo meri taraf dekhne lagi uske aankho se aansu ubal pade...main haanfte huye nam nigaaho se uski taraf sharmindagi se dekhne laga achanak ruhi ka jism akada aur wohh waapis bistar par dhair ho gayi…
naukar kaka ne jaise taise muje uthaaya main lekin muzrim ban chuka tha shaiza ki nazaro mein aur saath saath gala thaame ruhi ke behosh jism ko dekhne laga ye nahi ho sakta tha? ye toh wohi raaz tha jo itne barso dafan tha aur aaj woh ekdum se saamne yun khada ho jayega socha nahi tha
----------------------
naukar kaka ne rassi laakar ruhi ke haath pao baandh diye they shaiza usi waqt ghar chodhkar apni behan ko leke chali jaana chahti thi wo ek pal bhi ab oos ghar aur mere saath teherna nahi chahti thi maine shaiza ko roka aur oose sabkuch sach sach bataane ka faisla kiya ye jo kuch bhi hua tha kal ke oos amaal ki wajah se hua tha shaiza samajh gayi ki kyu main kal ooski behan pe kafa hua tha kya wo oos kone kamre ka raaz tha? jise maine hamesha nazarandaaz kiya
hum sofey pe aamne saamne baithe huye they….maine shaiza ko sabkuch sach sach bataa diya jise sunne ke baad koi kehne sunne ki gunzaish nahi bachi thi"
"itni bari baat tumne mujhse kyu chupaai?" "kya karta? us waqt tumhare sar par meri deewangi chaai huyi thi main chahkar bhi kuch keh nahi paaya tumhare gharwaalo ke saamne main muzrim hoo tumhara shaiza isliye toh main tumse shaadi nahi karna chahta tha"
"ab samajh aaya tum kyu? hamesha mere kareeb aane se dur rehte they kyunki tum apni us biwi ko bhul nahi paaye they bahut acha maanti thi tumhe lekin tumhari wajah se meri behan us rooh ke bhait chadh jaayegi na"
"main aisa kuch hone nahi dunga ruhi meri bhi behan jaisi hai main baat karunga oosse"
"nahi chote maalik aap ruhi ke paas mat jaiye kya malum wo fhir uspar haavi ho jaaye aur aapki is baar jaan hi le le ye upari hawa ka saaya hai choti malkin aap fikar mat kijiye main sheher ke apne jaane maane ojha ko bulaata hun wo sab theek kar denge aap chote maalik se naraaz na ho main bhi inke saath saath muzrim hoo jisne ye badi baat aapse chupaai"
shaiza kuch nahi boli...main maayus hokar ghar se bahar nikal gaya naukar kaka sheher ki taraf nikal gaye mujhe shaiza aur ruhi ko akela chodhkar jaana naagawar guzara...achanak mere kandhe pe kisi ka haath aaya
maine mudkar piche dekha shaiza royi nigaho se mujhe dekhne lagi…"mujhe maaf kar do meri wajah se aaj hum sab musibat mein hai tumne bilkul sahi kiya tha jo humhe us amaal ko karne se manaa kiya tha main hi ruhi ki zidd mein andhi ho gayi par meri behan ko kuch ho gaya toh gharwaalo ko kya jawab dungi? main janti hoo tumne itni badi baat chupaai lekin tumhe kya lagta hai main tumhe chodh dungi maine tumse pyaar kiya hai aur tumhe kisi bhi haalat mein chodhke nahi jaungi i m sorry adam i am really sorry"
shaiza mere gale lagkar rone lagi main bhi uske kandhe pe sarrakhkar rone laga...uske baad hum jab alag huye tab hamare nigaho mein ekdusre ke liye parwaah thi…."kuch bhi ho jaaye ruhi aur tumhe kuch nahi hone dunga kuch bhi nahi".......maine shaiza ka haath thaame oosse vaada kiya
shaam hote hote ek 65 saal ke buzurg kaale libaas pehne naukar kaka ke saath sidiyo se hamare ghar mein daakhil hua main aur shaiza ne uthkar unhein salaam kiya us ojha baba ne charo taraf ghar ka jaayeza liya...achanak ek dohri awaz sunkar wohh kajal lagi nigaaho se upar waale maale ki taraf dekhne lage...aur gambhir hokar sidiya chadhne lage
wo awaz ruhi ki thi main shaiza ko thaamein dheere dheere unke saath sidiyo se upar aaya wo guest room ke paas pahuche fhir unhone darwaja ek hi baar mein dhakelte huye khol diya….saamne bistar par bandhi ruhi dohri awaz se chilla rahi thi nakam chutne ki koshishe kar rahi thi...usne gulabi nigaaho se ojha ko ghuraa aur fhir khaa jaane waali nazaro se mujhe aur shaiza ko dekha
"main jaan chuka hoo tune is bacchi ke jism ko apna ghar banaaya hai chodh de aur riha ho jaa" "hahahhahaha nahi jaungii main kahi nahi jaungi ye mera ghar hai yaha sirf mera hukam chalta hai is kutte ne mere jaate hi in haraamzaadiyo ko kis haq se yaha rehne diya ye mera ghar hai aahhh"
ruhi dahade chillayi usne jo kuch dohri awaz mein kaha oosse shaiza ro padi….ojha baba ne jhole se ek katora nikaala aur usmein lobaan daalte huye oose jalaaya pure ghar mein mehek aur dhua uthne laga...ruhi aur chatpataane lagi wo idhar udhar sar maarne lagi ojha baba ne dhuni tej kiya aur ooske dhuye ko sidha bistar ke taraf modh diya ruhi chillate huye rone lagi
"chali jaa warna khatam kar dunga jala daalunga tuje"......ojha baba ne chillaaya uspar "hahahhahaha usse pehle main is ladki ko maar dungi"......tahahka lagaate huye usne dohri awaz mein tadapte kaha
ojha baba ne dhuni aur tej ki pure kamre mein jo dhua hua oosse aankhe jalne lagi...kuch dair baad ojha baba ne khidki kholne kaha andhera ho chuka tha lekin roshni nahi jalne di..khidki kholte hi dhua bahar nikalne laga aur theek oosi pal ruhi ka jism do baar kaanpa fhir sthir hokar bistar par gir gaya….thode dair mein sabkuch shaant ho gaya…
"rassiya khol daalo iske ye bacchi ab mehfuz hai saaya utar chuka hai isse"
maine aur shaiza ne aage badhkar uske hath pao ke rassiya khol di..uske baad shaiza ko wohi ruhi ke paas chodh khidkiya lagaakar kamre se bahar aaya main ojha baba ke saath niche utara….niche pahuchkar ojha baba ne gambhir hokar meri taraf dekha
"bahut bare fasaad mein tum aur tumhari biwi padh chuke hai ye rooh koi maamuli rooh nahi koi aisa amal tum logo ne kiya jisse ye bechain rooh jaag uthi aksar insaan ki adhuri khwahish oose marrne ke baad bhi bechain rakhti hai aur agar insan kisi bure haadse mein maraa hai toh uski rooh aur bechain hokar is dunia mein ghumne lagti hai aur isi talaash mein rehti hai ki koi bura amal kisi na kisi din oose jagaa de"
"kal raat!"
"bataane ki zarurat nahi sabkuch tumhare naukar ne mujhe bataa diya hai yaha aate hi mujhe kisi buri taqat ka aagaz ho chuka tha toh shaq ki gunzaish nahi rahi lekin teri biwi khatre mein hai ho sakta hai rooh dobara uspar haavi ho jald se jald uski behan ko yaha se ruksat kar de aur agar waaqayi apni biwi ki bhi jaan bachaana chahta hai toh oose apne se dur kar de"
"ye kaise ho sakta hai? baba wo meri wife hai uske gharwaalo ko kuch maalum bhi nahi hai"
"main us rooh ko baandh nahi sakta naa hi ooska wajud mitaa sakta hun wo bahut khatarnak hai ooska waapis aana bahut bare aafat ki khabar hai tu tabah ho jayega tera parivar tujhse cheen legi wo...oose kuch din ke liye maine roke rakha hai lekin kuch waqt baad uski taqat dugni ho jayegi aur wohh fhir is ghar mein aane lagegi tune dobara niqaah karke is ghar mein aurat laakar oose gussa dila daala hai"
"agar uski dikkat mujhse hai toh main apni jaan daanv pe laga dunga" "tujhe wo marrne nahi degi kyunki jabtak tu zinda hai wohh tera picha nahi chodhegi aur naa tujhe marrne degi bhalaai chahta hai toh iske ghar se aur apni zindagi se apni dusri biwi ko talaaq dekar nikaal de warna"
"aisa nahi ho paayega mujhse kya koi us rooh ko kaabu kar paane ka!"........kehte kehte main gambhir hokar thithak gaya
main daudte huye sidiya chadhkar shaiza aur ruhi waale kamre mein pahucha...maine shaiza se oos amaal kitaab ka zikar kiya...shaiza bhi soyi ruhi ko chodh mere saath sidiyo se dobara niche aayi ojha baba khaamosi se hamari harqat pe puri nazar rakhke huye they...jaise hi main us raat kiye amal waale living room ke kamre mein aata hun toh main dehshat mein padh jaata hun wo amal kitaab jo shaiza ke bataye anusaar ruhi ne niche hi daraaz mein rakh diya tha wo aadhi jali huyi thi
"y..yee kaise jal gaya kai..se hua ye sab?".....shaiza ne aakar oos kitaab ke jale panno ko ghurrte huye bhauklaaye kaha
main bhi hairaan tha jabki waha par koi jalne ki cheez thi nahi bujhi mombatti upar waale daraaz mein padi huyi thi fhir achanak ispe aag kaise lagi? "hmm ye toh hona hi tha is amal ke kitaab mein jo kuch aakhir mein likha hua tha wo is kitab ke jal jaane ke baad wajud se mit chuka hai oose malum tha ki tum log is kitab tak pahuchoge isliye usne pehle hi ise aag lagaa diya...oos rooh ko dur kar paana namumkin hai...khuda taala tum bachcho ki hifazat farmaaye".....kehte huye unhone wo jali huyi kitab zameen pe faikh daali
unke chale jaane ke baad main sadme mein ghirr gaya shaiza mujhe samjhaane lagi maine shaiza se wohi baat dohraayi jo unhone kahi thi...shaiza naraaz ho uthi…."kuch bhi ho jaaye main tumse alag nahi hungi koi bhi taqat hi wo kyu na ho?"
"baat samjho shaiza ispe jaan ka khatra hai tumhari jaan bhi jaa sakti hai ek baar soch lo mujhe tumhari khairiyat ki fikar hai" "kya tum waaqayi mujhe talaaq de dena chahte ho zyada se zyada marr hi jaaungi na lekin tumhara saath nahi chodhungi chahe kuch bhi ho jaaye"
shaiza bhi zidd mein adi rahi aur ye hamare liye aasan nahi tha...shaiza ke gharwaalo ko jab malum chalega ki unki beti ke sath itna kuch ho gaya toh aafat mujhpar hi aani thi ek baar ko laga islam sahab se baat karu….lekin apni beti ke chale jaane ke baad se unhone mujhe tanha chodh diya tha sirf unke rehmokaram ki bheekh mili huyi thi mujhe unke karobaar ka hissa jispar unki beti ke baad mera naam juda tha...agar unhein meri dusri shaadi se lekar is rahasya ka malumaat chalega toh ise mehez saazish kehte aur sabka kasoorvaar wo mujhe hi tehraate…
Beti ka badla lene ke liye unhone koi kasar bhi nahi chodhi thi lekin main toh begunaah tha isliye wo kuch saabit nahi kar sake they...tabse aur mere unke beech sirf karobaar tak ka matlab tha wo mujhe ek nazar nahi dekhna chahte they…
Do din guzar gaya ruhi ki tabiyat mein sudhaar aaya par wo kam bolchaal karne lagi pehle jaisa uska bartav nahi raha tha hamesha khaamosh rehti thi..shaiza aur maine faisla karke oose teesre din uske ghar ke liye ruksat kar diya shaiza mujhe chodhkar jaana nahi chahti thi…
Us subah mujhe shaiza ke gharwalo ke yaha se call aaya aur ek jhinjodh dene waali baat maalum chali...ruhi maansik taur se pagal ho chuki thi ye baat sunkar main shocked ho gaya….uske gharwalo ka kehna tha jabse aayi thi tabse chupchup rehne lagi thi raat ko cheekhkar uthti aur fhir oose reh rehkar daure padne lage wo baccho ki tarah sabke saath harqat karne lagi shaiza ke abba ko bahut fikar huyi jab uska treatment hua toh doctor ne oose pagal goshit kar diya uska ilaaj ho raha tha…..parivaarwaale yahi janna chahte they ki aakhir aisa kya hua tha? main kuch keh nahi paaya kuch dair baad maine phone bhi cut kar diya….maine ye khabar shaiza ko bataayi shaiza tut gayi insabka kasoorwaar main khud ko manne lagaa kyu mera ateet mera picha nahi chodhna chahta tha?
Us raat main aur shaiza so rahe they charo taraf khaamoshi thi...ki tabhi fhir koi awaz kaano mein sunaai dene lagi main hadbadakar uth gaya bagal waali khidki se bahar lehraate paid dikhaai de rahe they bahar shayad tej hawa chal rahi thi ab mujhe is ghar mein darr lagne laga tha..main dheere dheere bistar se utara aur kamre se bahar jhaanka gup andhera main bina roshni liye sidiyo ke kareeb aaya wo awaaz is baar niche ke living hall se aa rahi thi...main dabe pao sidiya utarkar waha pahucha kya dekhta hoo ki koi us kursi pe baitha aage piche ho raha tha us waqt hawao ka shorr mere kaano mein padne laga main dheere dheere uske kareeb aaya
usi waqt kursi ke saamne waale parde hawa se udne lage bahar bahut andhera tha main kursi ki taraf ektak dekh raha tha uski peeth meri taraf thi isliye uska dhyaan shayad saamne ki khidki par tha...achanak maine awaz di
"kaun? kaun ho tum?"......kehte hi usne kursi thaam li kursi aage piche hona band ho gaya
main aage badha nahi wohi khada raha aur theek tabhi ek saaya khada hua main inhi aankho se dekha saaf ek kaala gown pehni ladki bikhari zulfiein safed kalaiya aur jism...usne jaise hi mudkar gardan ghumaaye mujhe dekha main chilla utha….darwaje pe larkharaye sat gaya pura badan kaanpne laga wohi surkh safed nigaah wohi chehra aur munh se wohi ugalta khoon jaisa ruhi ne byaan kiya tha ye koi aur nahi wohi thi….mere munh se uska naam nikal gaya main oose pehchan chuka tha
lekin tabhi palak jhapakte wo gaayab kahan gayi? yahi toh thi toh fhir..wo kursi bhi khaali thi pura kamra andhere mein dubaa hua main hadbadakar sidiyo tak pahucha hi tha ki shaiza ki cheekh suni….main daudta hua upar aaya "shaizaa shaiza kya hua?".......main jab kamre mein pahucha toh shaiza kone mein darri sehmi ghutno par sar rakhkar ro rahi thi….main uske paas aaya pehle kamre ke ird gird dekha koi nahi tha..
"shaiza u okay? wo waapis aa gayi hai ojha baba ne sahi kaha tha chalo hum abhi yaha se nikal chalte hai shaiza".....main oose jhinjoda toh usne ekdum se sar upar uthaaya wo shaiza nahi balki uske chehre mein muje wo dikhi
"aahhhhhh"........main chillakar piche gir pada
wo pagalo ki tarah hasste huye darwaze se bahar nikal gai…..main piche bhaaga "shaizaa ruk jao ruk jao pls khuda ke vaaste shaizaa"......wo dohri hassti awaz mein na jaane andhere mein kahan gum ho gayi thi
"ya allah ye sab kya ho raha hai?".....main bahut darr gaya tha main sidiyo se niche utarkar shaiza ko dhundhne laga
achanak mere kaano mein kisi ke kuch khaane ki awaaz huyi main gambhir hokar kitchen ki taraf aaya toh meri aankhe phati reh gayi...shaiza fridge khole saaman bikhere huye zameen pe baithi thaali mein rakhke kacche khoon lage gosht ko pagalo ki tarah chabaa rahi thi oose bhukhe jaanwar ki tarah khaa rahi thi usne meri taraf dekha main kaanp utha wo gusse se mujhe ghurrte huye aur zor zor se ghosht ko khaane lagi
uski dohri awaz se mujhe mehsus ho chuka tha ki uspar wo rooh uski behan ki tarah haavi ho chuki thi…
to be continued….
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ASIF
Shayari Qadrdaan
Rau: 0
Offline
Waqt Bitaya:1 days, 51 minutes.
Posts: 187 Member Since: Feb 2021
|
|
«Reply #12 on: February 25, 2022, 04:40:39 PM » |
|
Chapter 10
Agli subah doctor ne aakar beshud shaiza ki band nigaaho ko kholkar torch jalaye uski putliyo ko dekha aankho ka rang ekdum gulaabi tha aur safed….pura jism peela padh chuka tha nigaho ke niche kaale kaale ghere padh chuke they ek hi raat main jaise woh badal chuki thi doctor ne chadar uske jism par dhak diya aur meri taraf muda main chupchaap sofe pe baitha chehre pe haath rakhkar unke treatment ko dekh raha tha
"toh aapka kehna hai? ki inhe daura chadha ye kamre se bhaagi aur fhir kitchen mein aapne inhe kacche ghost ko azib jaanwaro ki tarah khaate dekha well that's really strange behaviour of an ill patient ye bimaar hai koi shaq nahi par maansik rup se hai ye keh paana zyada mushkil baat nahi kya inke ghar mein koi pehle mentally challenged raha hai"......doctor ne chashma pehente huye gambhir hokar kaha
"meri shaiza ko kya hua hai doctor? wo koi pagal nahi hai normal hai bas ye bataiye kya bimaari huyi hai?"......maine bhi gambhir hoke doctor ki baat kaantte huye pucha
"dekhiye mr.adam sharirik roop se aapki wife theek hai par unka jism ka yun peela padna aur nigaho ka aise azib badalna mujhe iske liye inki reports check karni hogi iske liye blood sample unka le liya hai main blood reports check karne ke baad hi kisi natije pe pahuch paunga par jaha tak mera tajurba kehta hai she is just suffering from mental trauma koi gehra sadma koi aisi ghatna agar kabhi unke saath ghata hai toh wohi unke is haalaat ka kaaran ho sakta hai khair main kuch dawaiya likhke de raha hoo for fever and weakness inhein bed rest hi lene dijiye aur ho sake toh kahin bahar mat jaane dijiyega i will confirm the reports to you by call and then after i will resume her treatment"
"thank u doctor"......main doctor ko bahar tak chodh aaya unke jaane ke baad waapis kamre mein lauta
shaiza ki haalat dekhkar main khaamosh huye dobara uske paas baith gaya...naukar kaka mere paas aaye…."ojha baba ne jaisa kaha tha theek waisa hua maine unhein inki behan ke baarein mein bhi bataaya ki aise aise unki haalat ho gayi wo yahi kahe ki ye toh hona hi tha ganimat thi ki unhone us ladki ko jaan se nahi maara lekin choti malkin ke baarein mein saaf keh diya wo inhe nahi chodhegi"
main gusse se naukar kaka ki taraf dekha to woh khamosh huye nazare jhukaakar khade rahe…."aakhir kabtak kyu wo waapis lauti? kya usne jeete jee meri zindagi dozakh nahi banaai thi jo marrne ke baad bhi uski mansha puri nahi huyi wo mujhe dheere dheere maar rahi hai lekin main aisa hone nahi dunga meri wajah se ek begunaah maara jaayega aap wakil sahib ko call kare aur unhein kahe ki talaaq ke paper banaaye"
naukar kaka ko jaise jhatka laga unhone mere gambhir nigaaho mein dard ke aansu dekhe wohh kamre se nikal gaye...main bistar par soyi shaiza ke kareeb kursi liye uske sirhaane baith gaya….
Us raat kareeb dhai baje meri neend tuti toh sidhi nazar bagal mein soyi shaiza ke upar padi...shaiza neend mein hi dohri awaaz mein ghurra rahi thi….main ek jhatke se utha aur uske haath pao ko jo ki shaam rehte rehte main ek anchahe darr se baandh diya tha ooska jaayeza liya...ruhi ki tarah shaiza bhi hinsak ho uth sakti thi...main akela apni shaiza ke saath us waqt ghar mein tha koi madad bhi raat gaye milne ki imdad nahi thi...achanak shaiza ne ekdumse aankhe kholi uski surkh gulaab aankho ke putliya laal thi usne meri taraf nazar daudaayi aur tahaka lagaaye hassne lagi
uski hassi itni khaufnaak thi jaise na jaane kitne log ek saath pure kamre mein hass rahe they...jaise koi bhaari dohri awaaz main sihamkar palang se dur jaa khada hua…..fhir uske chehre pe eka ek gussail bhavna aayi...wo mujhe kha jaane wali nazaro se ghurrne lagi maine darr se nazar fhair liya
"adamm kya hua? mere aane se khush nahi ho bolo na"......usne dohri awaz mein mujhe chedte lehze se jo kaha oosse saaf tha wo shaiza nahi wohi rooh thi
mujhe ghurrte huye wo bolte jaa rahi thi aur main nazare fhaire uski dohri awaaz mein nikalti baaton ko khamoshi se sun raha tha...wo fhir hassne lagi jaise oose mere haalat ko dekh khushi mehsus huyi
bahut dair tak hassti rahi...fhir eka ek gusse se wo dahadi shaiza ka sar takiye par patakne lagi….main ghabrakar oose dekhne laga...usne ekdum se mujhe ghuraa aur muskurayi uski muskurahat shaitani bhari thi…
"kyu re kameene do kaudi ke kutte tujhe kya lagaa main marr gayi toh tu khuli hawa mein aazadi se saans lega bari parwah tujhe iski jo ise tadapte nahi dekh sakta tera wo ojha kuch nahi kar saktaa wohh mehez insaan hai aur main ab insaan nahi hahahahaa"........wo fhir tahaka lagakar hassne lagi
"shaiza sorry"......mujhe ahesas hua ki wo shaiza ke jism mein koi aur thi jiska naam maine fhir zabaan par laaya apna naam sunkar wo muskurayi
"dekho ise jaane do main ise apne se dur kar dunga khuda kasam"
"hahahaha mere darr se tu ye baat keh raha hai par ab inteqam ka waqt hai adam wo bhi mera tujhse tere sab azizo ko main tujhse dur kar dungi tujhe tanhaa akela besahara kar dungi jaisa tu pehle hoya karta tha mere tukdo pe palne waala kutta tha tu jise maine apna banaaya lekin bhul gayi ki aukwaad toh asliyat mein hi tere jaiso ki pata chalti hai"
"dekho tumhari problem mujhse hai ise baksh do pls maine tumse koi bewafai kabhi nahi balki tumne hamesha mujhe tadpaaya hai hamesha taqleef di fhir bhi main sabkuch sehta raha waaqayi tumne mujhe shouhar maana hi kab main toh mehez kutta hi tha tumhara"
"chup kar jhoot bolta hai main teri wajah se marri thi oos raat koi jaane na jaane main janti hoo ki us raat tu mujhe maut ke munh mein chodhkar chala gaya lekin niyati mein kuch aur likha tha tabhi aaj main waapis hoo kitni bechaini hoti hai marrne ke baad iska ahesaas tu khud marrkar karega"
main bahut darr gaya shaiza daant peeste huye mujhe ghurrkar fhir hassne lagi...uska shorr mere kaano ke pardo mein suyi ki tarah chub raha tha…"tu toh isi firaaq mein tha ki kab mujhse chutkaara paaye"
"jhoot hai maine tumhe bachaane ki koshish karni chahi par tumne ulte haalat ko aur bigaad diya main samundra mein nahi girta toh oos steamer ki aag mein main bhi!"
"lekin tune meri parwaah nahi ki muje marr jaane diya itni aasani se main tujhe nahi bakshungi is ladki ko maar dungi aur agar koi bhi tere kareeb aana chahega ya mujhse tujhe dur karega toh wohh marrega main tujhe nahi jaan se maarungi lekin tu apni maut se pehle mere haatho khub tadpega jaisa main chahungi wohi hoga main ab kahi nahi jaungi ab jaayegi tohh ye ladki hahahaha"
"nahi nahi aisa mat karna"......main uska naam kehte huye ooske aage minnate karne laga par wo hassti rahi
shaiza ka jism ekdum se akadne laga aur usne kheechkar wo dono rassiya ukaadh faikhi….main ghabrakar gir pada...shaiza gardan jhukaaye mujhe pagalo ki tarah dekhkar hassne lagi achanak uske chehre pe badlaav aaya aur wo rone lagi uski awaz waapis badal gayi
"adam mujhe bachao ye mujhe maar degi bahut taqleef de rahi hai ye mujhe aahhhhhhh"....shaiza chilla uthi main uske kareeb aana chaha toh achanak uski nigaah fhir laal ho uthi uspar rooh dobara havi ho gaya
main darrkar piche ho gaya…."kya hua adam tumne toh kaha tha ki tum isse pyaar nahi karte toh iske ek ishaare par iske kareeb aane ki zurrat kyu ki?"........wo dahadhte huye apni kapre fhaadkar apni baazu pe naakhun dhasaaye cheerne lagi….shaiza zor se dard se chillayi
main rokar oose rokna chaha...par shaiza ke upar savaar rooh ne mujhe paas aane se jaise roka...uske baazu se khoon behane laga usne apne gale pe khud kharoch maari fhir apne dusre baazu par har hamle se shaiza dard se tadap rahi thi...main kuch nahi kar pa raha tha bas bebas hoke chila raha tha oose manaa kar raha tha ki oose aur taqleef na pahuchaaye
"shaiza ko mat maaro oose mat taqleef pahuchaao i swear i will leave her"....shaiza zakhmi hokar bistar par dhair ho gayi uske jism par kapde jagah jagah se phat chuke they aur waha par nakhun aur kharocho se khoon beh raha tha chehre par bhi thappad aur naakhun ke lagne se nishaan padh chuke they nichle honth se khoon beh raha tha
aur main chahkar bhi usko chu nahi sakaa wo raat kitni bhari guzari mujhe yaad nahi bas dehshat tha ki fhir kahi dusri raat mujhe wohi sab manzar na dekhna pade….dheere dheere din beetne lage us raat ke agle din main samjah chuka tha ki wo saaya shaiza par pure din nahi aata tha main uske zakhm ko ponch paaya marham patti karke oose dawaai di oose yaad nahi ki ye chot usne khud ko apne hi haatho se pahuchaya tha…main kuch din tak office nahi jaa paaya kis haalat mein jata hamesha darr lagaa rehta ki shaiza ko kuch ho na jaaye aur shaiza uski toh din pe din haalat bigadne lagi thi har raat wo chillati dahadhti wo rooh oose khub tadpaati thi main ek kamre mein oose baandhe saamne ke sofey pe sota tha lekin aankhe hamesha khuli rehti thi darrta tha kahi kisi raat wo kuch kar na baithe ya mujhe hi naa nuqsan pahuchane uth jaaye…
talaaq ke papers mujhe mil chuke they uske hisaab se muje 6 mahine toh kam se kam court ke anusaar shaiza ke hi saath rehna tha lekin naa shaiza ne un kaagazat pe dastakhat kia aur naa hi unse mujhe talaaq dekar meri zindagi se chale jaane ka faisla kiya...maine laakh samjhaaya lekin shaiza nahi maani uske parivarwaalo ko maine sabkuch bataa diya pehle toh unhein yakeen nahi hua lekin baad mein tab bhi unhe aisa laga ki ye meri hi sazish thi shaiza ko chodh dene ki….uske abba jab khud aakar shaiza ki halat dekhe toh mujhe apni beti ke haalat ka rote huye kasurwaar tehraane lage shaiza ke haath pao ab rassiyo se hamesha bandhe rehte they na jaane kab wo kispar hamla kar baithe….shaiza ne hosh mein rehte apne abba ko samjhaaya ki meri koi galti nahi thi sabkuch oosi ke kaaran hua tha ruhi bhi isliye suffered huyi….ojha baba ki saari baat maine uske abba ko bataayi
ek pal ke liye bhi uske abba ne oose waha na chodhne ka faisla kiya wo oose apne saath oosi haalat mein le jaane lage….."main tumhe zindagi mein kabhi maanf nahi karunga kabhi nahi"......wo aakhri baar mujhse wo baat kahein unhone zor zabardasti apni beti pe dabaav dekar oosse divorce paper par mere hi saamne sign karwaaya kisi bhi haalat mein shaiza bimaar haalat mein bhi sign nahi karna chahti thi….uske abba ne oose jhinjhoda aur thappad maarkar keh daala "agar tujhe marrna hai toh mere ghar par maregi tu lekin is manhoos ghar aur is dhokebaaz ke yaha tujhe bemaut marne nahi chodhunga agar tune sign nahi kiya toh apne baap ka maraa hua munh dekhegi tu samjhi"
unki baat sunkar shaiza kuch na keh paayi thi uske baad sign karwaake wo kaagaz unhone mere munh par faika.."ab azaadi se jiyo tum aur tumhari wo marri huyi biwi par yad rakhna itne aasani se nahi chodhunga tumhe meri beti ki zindagi barbaad karne ki saza zarur bhugtoge tum zarur bhugtoge".....kehte huye rokar wo gusse mein beti ka haath thaamein oose bimaari haalat mein lagbhag ghasitkar gaadi mein bithaaye aur waha se chale gaye shaiza mujhe rote huye gaadi se bebasi se dekh rhi thi…
main tut gaya tha wohi sidiyo par girkar rone laga...naukar kaka waha mauzud they unhone mujhe kasskar sambhaalte huye chup karne lage…"allah sab dekh raha hai sab theek ho jaayega chote malik sab theek ho jayega"....wo zazbaati hote huye mujhe samjhaane lage main unke seene par sar rakhkar rone laga
-----------------------
us din mujhe doctor ke yaha se call aaya unhone bataaya ki shaiza pure tarike se normal thi oose kuch nahi hua tha berehaal wo uska aur checkup karna chahte hai….maine doctor ka phone cut kar diya kya kehta unse ki ye unki samajh se bahar tha aur ab haalat bahut aage badh chuke they ab to mujhe aisa lag raha tha ki kahi main kisi musibat mein naa fass jau….achanak oosi shaam mujhe call aaya nazdeeki ilaake ke thaane se wo ek jhinjhodh dene waali khabar thi
main girta padta gaadi speed mein drive karte hue ghar se nikla jald hi main ghaati ke kareeb pahucha...toh paaya waha police ke log khade they main daudta unke paas aaya meri aankhe fhati reh gayi ye wohi gaadi thi jismein baithkar shaiza ke abba oose leke gaye they main bhaukla gaya police ne mujhe shaant kiya…"kya hua tha kahan hai meri shaiza aur unke abba?"
"darasal unki gaadi waapsi sheher jaane se pehle ek durghatna ka shikar ho gayi gaadi ko crane se uthaa liya gaya hai uski jaanch hogi baaki dono ko hospital ke liye bhej diya gaya tha aap ke baarein mein humhe maalum driver se chala jiski jaan bach gayi hai usne bataaya ki gaadi ekdum se bekaabu huyi aur pahadh ki choti se sidha behti nadi ke ghati mein jaa giri...driver pehle hi mauke par gaadi ke khule darwaaje se kudkar apni jaan bacha paaya hai aap mere saath hospital chaliye"
mere zehan mein wohh rooh ka chehra jaise ghumne laga ye accident nahi balki oos rooh ka kiyadhara tha…..main jab hospital pahucha toh doctor ne jo khabar sunaai wohh mujhe todh dene liye kaafi tha main wohi gir pada…..police ne hi mujhe sambhaala tha...shaiza ke abba ki jaan bach toh gai thi lekin wo coma mein jaa chuke they sar par gehri chot aane se….aur shaiza ki maut ho chuki thi uski laash morgue room mein padi thi main wahan pahucha..
jab maine uski laash se kapra hataaya toh main dekh na paaya aakhir mein jo oos rooh ne chaha tha wohi hua mere ankho ke saamne shaiza ki baddtar haalat mein laash padi thi chehre aur jism ke tamaam jagho par bare bare kaanch ke tukde fase huye they pura jism khoon se zakhmi tha
"i m sorry mr.adam aapki wife ab is duniya mein nahi rahi yaha laane se pehle hi wo haadse mein on the spot marr chuki thi"
ye sunkar main kuch nahi keh paaya laash par kapra dhak diya gaya….gaadi mein divorce paper jo mile they aur jo byaan mujhse liya gaya uske baad postmertum report se ye baat confirm thi ki ye mehez accident tha ismein meri koi sazish nahi thi lekin talaaq dene ki wajah jaankar police ne chaanbin kar mere pichle rishte ka pata lagaa liya main kuch din tak unke nigaah mein raha baar baar taftish huyi puchtaach huyi par unhein rooh ki kahani se bilkul bhi yakeen nahi hua….talaaq karwaane ki wajah unhein hazam nahi huyi talaaq ki pehel maine ki thi is baat ko leke wo naye naye sirhe se is haadse ko kahani dene lage jab mera aur sheher ke jaane maane rasukh islam sahab ka rishta unhe malum chala toh aur shaq ghaada unka hota gaya meri pichli biwi ki rahasmayi gumshudgi bhi haadsa thi ye baat unhein khatki naye sirhe se taftish chalti rahi lekin main daraa nahi kyunki main toh pehle hi tut chuka tha ek din ek wakil chaanbin ke dauran mere aur inspector ke baatcheet ke beech aaya jab meri interrogation chal rahi thi….wo islam sahab ka bheja wakil tha mere rihayi ke orders they islam sahab ko thaane bulaana unke bas ki nahi thi lekin wo hairan huye ki beti ke haadse ke bawjud unka mere sath ab bhi rishta kaayam tha wo wakil meri hi rihaayi ke liye aaya tha police ne fhir aur mujhe nahi bulaaya main waapis oosi haunted baungalow pe pahucha…
naukar kaka ne bataaya unhe meri bahut fikar huyi thi….maine unke sahare ki qadr ki...oosi shaam islam sahab mujhse rubaru huye wo mere ghar pehli dafa mujse milane aaye they
"toh tumne dusri shaadi karke talaaq tak kar diya tha kisse puchkar tumne itni bari ijajat li itna bada kadam uthaaya meri beti ke jaate hi niqaah?"......islam sahab ne kadakte huye ghurrte huye mujhse pucha
"aapne kabhi meri parwah nahi ki toh fhir mujhe riha kyu karaaya aap to yahi chahte they hamesha ki aap mujhse apni mari huyi beti ka badla le jo sirf mehez ek accident!"
"accident nahi maara tha tumne oose sabut haalat kuch bhi kahe mera dil nahi maan sakta ki tumne meri beti ko jaanbhukar marrne chodh diya tha oos raat tumhari wajah se wo aaj is duniya mein nahi hai laash tak naseeb nahi huyi mujhe uski dekhni na jaane kya hua tha? agar main aaj wakil nahi bhejta toh tum abhi salaakho ke piche tabtak sadte jabtak kuch asliyat nahi nikalti lekin jaante ho tum kyu bahar ho? kyunki wo aisa nahi chahti kayi raaton se wo mere khwab mein aakar tumhe rihaa karne ki maang karti hai marrne ke bawjud oosne tumse pyaar karna tumhari parwah karna kuch nahi chodha"
"aapki oosi beti ki wajah se ek begunaah ki jaan chali gayi islam sahab maanta hoo main aapka ahesaan ke tale dabaa hamesha se raha hoo lekin is baat ko aap bhi nakaar nahi sakte ki maine harpal aapki beti ko chaha hai"
"agar maine chaha hota toh uske jaane ke baad tumhe is ghar is jaayejaad aur business se alag kar diya hota lekin ek mazbur baap ke naate maine tumpar taras khaa kar uska shouhar hai ye sochkar tumhe chodh diya"
"main manta hun maine gunaah kiya dusra niqaah karke lekin uski saza aapki beti ne mujhe de di hai wo parwaah nahi uska inteqaam hai wo muje tanha akela bebas karke din pe din tadpaana chahti hai jaise jeete ji usne kiya"
"shut up u son of a".....sun nahi sake islam sahab unhone mujhpar thappad uthaane ki koshish ki par ruk gaye main gambhir muzrim bana un budhi nazaro ko dekh raha tha jisme mere liye sirf nafrat aur gussa tha
"mujhe chup karaane ya maarne se sachai nahi badlegi islam sahab aapki beti ki rooh jaag chuki hai aur wo isi ghar mein mauzud hai wo waapis aa chuki hai oosi ne wo accident karwaaya oosi ki wajah se main aaj fhir tanha hoo aur yakeen maaniye maine kabhi uske sath dhoka nahi kiya main toh khud oos raat marr jaana chahta tha par kismat ko mujhe jeete jee maarna zyada manzur hai main shaiza se niqaah nahi karna chahta tha oosse mazburan maine niqaah kiya uske gharwaalo aur uska mujhpar dabaav tha lekin aapki beti ne mujhe juda karke hi maana main vaada karta hun jabtak zinda hoo kabhi kisi aur ke saath rishta nahi jodunga jo aapki beti chahegi wohi karunga wohi karunga"......maine rote huye islam sahab se kaha
islam sahab ne kuch aur nahi kaha wo waha se nikal gaye….lekin main janta tha wo is baat ko nakaar nahi sakte they ki us ghar mein unki beti ki rooh mauzud hai wo waapis aa chuki hai jise khwab mein unhone dekha wo unhi ki beti ki bhatakti rooh thi….
us din ke baad mere zindagi mein fhir veerapan aur tanhai chaa gaya….jaise uske jaane ke baad chaayi huyi thi
-----------------------
adam ne apni kahani khatam ki toh usne paaya ki zaara jo bahut dair se khaamosh uski aapbeeti sun rahi thi nigaahon se uske aansu beh rahe they….adam ne kursi se uthkar thode dur chalkar teherte huye ek gehri saas li...usne piche mudkar zaara ki taraf dekha
"ye toh mehez dusri kahani thi zaara ab tum hi samajh sakti ho ki meri parwah karne wala ya mere kareeb aane ki koshish karne waale ka kya anjaam ho sakta hai? main shaiza se mohabbat toh nahi karta tha lekin uski mohabbat ki qadr zarur karta tha uske zidd ne hi uski jaan le li mujhse dur rehne mein hi tumhari bhalaai hai zaara"
zaara uth khadi huyi usne apne aansu ponche fhir mere paas aakar wo khadi huyi…"tumne mujhe apne pehle rishte ke baarein mein khulkar nahi bataaya wo kaun thi? kya naam tha uska?"
"ab main jo kahani bataane jaa raha hoo usmein sab malum chal jayega tumhe"
"batao mujhe"....zaara ne dobara se gambhir hokar mujhse kaha
main fhirse soch ki gehraaiyo mein apne beete kal mein dubta chala gaya
to be continued….
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ASIF
Shayari Qadrdaan
Rau: 0
Offline
Waqt Bitaya:1 days, 51 minutes.
Posts: 187 Member Since: Feb 2021
|
|
«Reply #13 on: February 25, 2022, 04:42:37 PM » |
|
Chapter 11
Kuch saal pehle…..
Jaisa aaj mujhe log jaante hai izzat dete hai maan dete hai meri shouhrat ameeriyat ya fhir reputation ke wajah se ya fhir as a successful businessman ya best selling novelist ki wajah se toh un sabka credit meri oosi biwi aur uske parivaar ko kahi na kahi jaata hai aaj jo bhi main hoo sirf aur sirf unhi logo ki wajah se ye aalishan bungalow ya fhir jameen jaayezad sirf isliye mujhe naseeb hua kyunki main islam sahab ka damad tha aur unki bari beti ka shouhar lekin main pehle aisa nahi tha naa meri koi haisiyat thi main toh ek gareeb ghar se belong karne wala ek college graduate tha jo kayi waqt se naukri ke liye struggle kar raha tha…
main dusre sheher mein apne maa baba ke saath rehta tha hamara guzaara mushkil se hota tha aur mere ghar mein kamaane wala sirf mera baap tha jisse mujhe kabhi koi sahara nahi mila tha har waqt taana unke aapsi jhagde aur nafrat bhare mahoul mein mera bachpan guzara tha kisi bhi rishtedaar ke yaha jaata tha toh wo mujhpe taras khake zakat ki tarah paise de dete to kabhi koi apni naukargiri karwaata ghar mein sabse gareeb hamara hi parivaar tha unke paas toh rehne ko chatt bhi thi lekin hum toh bhaade ke ghar mein hi zindagi guzaarte aaye they...koi aisa waqt nahi guzara jab bezzat aur haar mujhe apni zindagi mein naseeb nahi huyi…
oosi dauran ek ladki pasand bhi aayi tohh wohh kisi aur se shaadi kar chuki thi bahut khubsurat thi ek wohi thi jispar mera dil aaya tha main tut gaya aur bhi zyada depression mein chala gaya ghar ki ladaaiyo se aaziz aakar bahar rehne laga mere baap ko mujhse chaar paise ki bhi umeed nahi thi main naakara nakabil tha jiske paas koi hunar nahi tha siwaay kahaniya likhne ke…..suicide ka bhi mann banaaya tha par waha bhi naakam raha dhaarmik ho gaya namaz pakad liya aur dheere dheere maan liya ki mujhe tanha gareeb zindgi hi guzaarni hai chahe do paise ke liye kisi ki bhi gulaami ya naukargiri hi kyu na karni pade? kisi tarah gaadi chalaana sikha maa ka haath toh bachpan se bataata tha toh ghar ka kaamkaaj bhi kar leta tha….
Main ghar chodhkar nikal gaya mujhe mere rishtedaar ne kuch din rakha aur fhir unhone saaf keh diya ki kahi apnaa dekh lo fhir unhi ke jannewaale ek aadmi ne mujhe is sheher ka pata diya jab main uske saath yaha pahucha toh meri mulaqat islam sahab se oosi ne karwaayi thi haalaki mamuli aukwad tha lekin islam sahab se acha waqif tha...mujhe unke yaha as a caretaker ki naukri mili mujhe rehna khaana sab unhi ke yaha karna tha maine ye khabar maa baba ko bataayi toh unhone mujhse saare bache kuche rishte bhi tod liye kyunki main kisi kinaukargiri karne ke liye ghar se nikla tha ye unhe bardaasht nahi hua ek padha likha ladka hokar aisi odd job mujhe nahi karna chahiye aisi unki dhaarna thi maine bhi saaf keh diya ki dus taane aur gaali agar sunna hi hai toh chaar paise kamaake hi kisi ki sun lunga lekin izzatdaar waali naukri dhundhna aur dhakka khaana aur mere bas mein nahi….us din ke baad se main islam sahab ke yaha kaam karne lagaa
unki bahut bari milkiyat thi bare ucche rasukh waale they is shehr ke jaane maane karobaari they...apne se beaukwad waalo ke aage wo ek min bhi nahi teherte they meri bhi ginati unhi bando mein shaamil thi….shuru shuru mein unhone mujhe napasand kiya mere bartaav ki wajah se na zyada jhukne ya talwa chaatne ki wajah se na khushamad ya unhe sidha apna khuda hi samajh lu is wajah se kayi wajah thi….islam sahab ka ghar bahut bada tha jaha wo apni biwi aur teen jawaan betiyo ke saath raha karte they...unki ek beti meri humumar thi aur uska naam tha sumi apni dono behano se sabse zyada alag khubsurat aur ek naami shaksiyat modelling karti thi aur aksar music albums mein bhi nazar aa chuki thi sapna tha ki ek din woh top ki heroine bane jitna wo dikhaati thi ki wo apne fans ko bahut maanti hai asliyat mein wo uski bilkul ulti thi...magrur ghamand mein churr apne deewane keh lo ya fan unhein toh wo nakhun mein lage mitti ki tarah jhaadh deti thi…
uski dono behane bhi usi ki tarah thi par kam thi ghar pe kaam karne waale zyadatar ladke kam rakhte they auratein hi zyada thi lekin islam sahab ko ladke ki zarurat thi tohh unmein ek main shaamil tha...isliye kuch din ke andar main ghar ke andar bahar aane jaane laga bas kisi ke kamre mein jaane ki hamari izazat nahi thi...raat dair mujhe jaagna padta tha aur subah bhi maalik ke uthne se pehle apni haaziri deni padti thi...islam sahab ne mujhe hire karne ke baad se mujhmein khaas dilchaspi nahi dikhaai zyada tawajjoh nahi dete they jaise kaam pada turant kadakkar mujhe awaz dete aur mere waha aate aate mujhe hukam mil jata tha..na sawaal na koi puch sidha orders maanna hi mera farz tha…
main waise kabhi sumi ki nazaro se nahi guzara kyunki oose naukar wagaira se koi matlab nahi tha...lekin ek din wo din bhi aa gaya jab main uske aamne saamne khada hua...wo apne abba ke saath sofe pe baithi huyi mujhme nigaah uthaaye bina chewing chabaate huye apna phone ghumaa rahi thi…
"ji sir"
"adam meri beti ko shooting set pe le jao aur waapis aaram se laana chahe jitne ghante lage theek hai jao gadi nikaalo"
"yes sir"......main kehke waha se nikal gaya
wo sumi ki gaadi thi jiski chaabi mujhe darbaan se mili main gaadi mein baitha fuel wagaira check kiya fhir gaadi start karke compound ka rasta kaantkar main gate ke saamne gaadi khadi karke uska intejar karne laga..sumi tayyar hokar apne phone mein vyast kisi saheli se baat karte huye mere paas pahuchi toh gussa ke khadi ho gayi usne chashma hataake chewing gum thookte huye mujhe gaadi mein aage baitha ghura..
"where are ur manners u fool? gaadi ka darwaja kya tumhara baap kholega?"......usne teekhe awaz mein kaha
main gusse ka ghunt pee gaya gaadi se utara apne bhul ki maanfi maangi fhir uske liye darwaza khola…"disgusting arre nothing yaar i am not calling you but this crazy driver"......wo kehte huye phone par gaadi mein baithkar darwaza lagaaye baat karne lagi
main modh kaantke gaadi ke andar baitha aur gaadi start ki….gaadi chalaate huye maine oose ek baar nihaara wo apni baaton mein lagi huyi thi...toh main bhi drive karne mein magan ho gaya….kuch dair baad uska destination aa gaya...wo gaadi se utari apna purse aur phone liye tamtamaake shooting studio ki taraf ghus gayi...puchne tak ka mauka nahi diya mujhe main wohi khada reh gaya kabtak aana tha kaha intejar karna tha? bina mujhpar dhyaan diye wo chali gayi waaqayi kaafi bigdail thi main waise hi darwaaze par sar rakhke khada raha….dopahar se zyada waqt ho gaya bhookh ke maare meri jaan nikalne lagi main dukaan talaashne laga dur dur tak kuch nahi tha paani ki botal nikaale peene laga...shaam 7 baj gaya andhera chaane lagaa tab jaakar sumj bahar aate dikhi mujhpar bina nazar daudaaye gate ki taraf ishara ki maine gate khol diya to woh andar jaa baithi maine gate lagaaya aur mod kaantkar gaadi mein baithte huye gaadi modte huye waha se rawangi di…
sumi chupchaap mobile chalaa rahi thi uske badan se aati perfume ki mehek pure vatavaran mein gunz rahi thi...main dhyaan lekin aage de raha tha achanak traffic police ne humhe roka...bas ameer gaadi dikhni thi unhe...sumi ko to koi faraq nahi pada lekin usne kaha ki jaldi se is maamle ko dafaa karo aur dair mat hone dena….ab maine keh hi daala
"mere hath mein nahi hai mam ye police hai chalaan liye bina nahi chodhegi" "toh give them na".....usne aise kaha jaise uske baap ne mere jeb ne noto ka pulanda thama rakha hai mujhe yaad aaya ki main wallet toh ghar chodh aaya tha
bahar nikla police ko samjhaaya unse jhujha par wo log kahan maante? maine unse vaada kiya ki main khud aakar chaalan bhar dunga mere paas paise nahi hai...toh unhone islam sahab ka naam sunkar mujhpe taras khaa liya ki main ek ucche rasukh ka naukar hoo lekin waade ke mutabik unhe paisa time se thaane pe jama karwa du….500 rupee jeb mein pade they wohi ada karke main gaadi mein baithkar waha se jaa paaya….pure raaste sumi chupchaap rahi oose koi faraq nahi pada...lekin islam sahab ko malum chal gaya unhone mujhe shaam ko khub baat sunaaya ki mere diye tankhwah mein tum sab uda dete ho jo mehez 1000 rupya pay nahi kar sake unki reputation ka mazaak ban jaata main janta tha sumi ne baap ko sab bataa diya hoga gussa bahut aaya hahaha lekin khud par hassi bhi chaar paise ke liye chaar gaali khaana kaun si badi baat thi? mujh jaise gareeb ke liye
Us din ke baad se main sumi ko jaan paaya ab zyadatar oose hi main drop karne aur pick karne laga ghar se market bhi jaana hota toh main hi parivar waalo ko le jaata tha….unka mujhpar bharosa aane laga...oosi beech mere sehkarmi naukar jo meri hi umar ka par puraana tha wo ek raat chori karke bhaag gaya suna tha ghar ki koi keemati cheez churaake bhaaga tha….uske jaane ke baad se hi iislam sahab bahut saqti se ab hum logo se peshaane lage
"wo toh pakda hi jayega nafarmaan kutta lekin tum log ko keh du ki agar kisi ne koi bhi tarah ki saazish ki ya galti ki toh uski saza bahut bhaari padegi unki upar tak pahuch hai saza saqt se saqt milegi aur sidha jail jaoge pehle unke haatho se saza paoge"......ye agaah khasskarke meri taraf zyada thi kyunki main naya naya laga tha naukri pe unke
Kuch din hi huye ki mujhe naukar kaka se maalum chala ki wo chor pakda gaya hai uske saath jo beeti bataa nahi sakta oose maar peetkar islam sahab ke saamne laaya gaya islam sahab ne oosse kaaran pucha toh usne saaf qaboola ki uski bimaar maa ke liye oose paise ki saqt zarurat thi kam samay mein aur oose yakeen tha islam sahab oose phuti kaudi bhi nahi dene waale they…..islam sahab ka us din maine saqti dekha unhone bas uske qaboolne ka intejar kiya uske baad bina uspar nigah daudaaye apne aadmiyo ko kuch kaha wo rehem ki bheekh maagne laga uske baazuyo par ghosht baandh diya gaya fhir oose bhaagne kaha aur thek tabhi uske piche sher jaise paltu kutton ko dauda diya gaya wo bhaag nahi paaya aur bhaukte kutto ne ooske jism ko cheer phaadh diya bahut chillaya wohh main wo manzar dekhkar khauff khaa gaya tha kuch dair mein hi jab zulm ki inteha had paar kar gayi tab islam sahab ke huqm se unke aadmiyo ne oose uthaake fhir aspatal shayad bhej diya lekin uski halat gambhir thi…
maine jab nazar upar uthaayi toh balcony mein khadi sumi ko dekha jo ye manzar shuru se aakhir tak dekhte huye mujhe yun dekh muskurayi ki main kuch samajh nhi paaya...usne ungli se gale pe apne dayi or se baayi or lakeer jaise kheechi main samajh gaya uska matlab tha tumhare saath bhi aisa ho sakta hai isliye ahetiyat rakhna..
main bina kuch kahein apne kamre mein laut aaya...us din ke baad se islam sahab ki asliyat se main parichit tha wo jitna bahar se izzatdaar bante they utna hi apne niji zindagi mein saqt mizaaz aur berehem they aur unki beti toh unse bhi zyada main galat ghar mein aa gaya tha par main naukri chodhkar jaa bhi kahan sakta tha?
---------------------
Aise hi din guzarne lage mujhe islam sahab ke yaha kaam karte huye 6 mahine ho gaye is beech unki betiya bhi mujhse parichit ho gayi wo mujhe bhayya bhayya kehkar bulaati thi islam sahab ki biwi jo malkin thi wo mujhse behad pyar se khyal rakhti maa ki tarah peshaati thi hamesha khaali waqt mujhse mere gharwaalo ke baarein mein ek do baat puchti jarur thi...main bhi unhe bahut manta tha unko beta nahi tha isliye bete ki tarah hamesha unke kaam aata tha lekin islam sahab aur uski beti sumi se main ahetiyat hi rehta tha…
Ek raat ki baat hai main bungalow se sate compound ke kinaare waale apne room mein pahucha raat koi sade dus baj raha tha main nasha nahi karta tha lekin naukar kaka ke sath baithkar do chaar baat zarur kar leta tha aur unhin bidi peene ki company mil jati thi mere saath baithne se wo bhi mujhe bete ki tarah maante they unka koi parivaar nahi tha purane mulazim they is ghar ke naukar kaka bidi ka kassh le rahe they aur main khaamosh baitha saamne islam sahab ke bungalow ko ghurr raha tha
"aaj lagta hai neend nahi aane waali aapko fhir kal uth paoge kaise?".....naukar kaka ne sawal kiya
"is ghar mein neend aana koso dur hai harpal bechaini rehti hai ki kab kya ho jaaye?"
"aisa kyu?"
"us din rahim ke saath dekha nahi kya hua? ye log bahut khatarnak hai kaka tumhe darr nahi lagta saza bhi toh kitni dardnaak dete hai"
"aisa nahi hai beta aapki galatfehmi hai jitna wo bahar se saqt hai utne dil se madadgaar tum imandari se kaam karoge wo kabhi kuch nahi kahenge ulte tumhara support karenge bahut saqt abhimaani apne ameeriyat aur paiso ke guroor se aise ho chuke hai haan rahi baat unki beti wo thodi ziddi hai"
"bari waali?" "haan wohi wohi bahut laadli hai baap ki...beta nahi hai naa isliye har waqt fikar karte hai ki kal ko unke shaadi ke baad ye daulat jaayejaad ka haqdar kaun hoga?"
"aur kaun jamaai?".....maine hasskar kaha "itna aasan nahi hai bete baap rayiz daulatmand se hi apni beti ka niqaah dega warna jute ki nok ke barabar hi unke shouharo ki haisiyat hogi"
achanak hum baat hi kar rahe they ki itne mein ek cheekh sunaai di aisi haulnaak gale se nikali wo awaaz ki main kaanpke khada ho gaya...naukar kaka bhi ekdum se ghabraye uth khade huye...hum dono ki nazar saamne us islam sahab ke bungalow ke or thi...woh cheekh wo dahadhti awaz kisi ladki ki thi raat ka waqt tha saare naukar aadhe jaa chuke they aur unmein se ek main aur naukar kaka mauzud they..
"kaka ye cheekh kaisi kaun chilla raha hai baar baar aisa lagta hai jaise ye awaz jaani pehchani ho"
"nahi beta waha ka rukh bhi mat karna mat jao meri baat suno chalo apne kamre mein fauran".....unhone mujhe kasskar baazu se pakda aur zabran kamre mein le jaane lage
main piche mud mudkar us aati cheekh ko sunta raha fhir islam sahab ki awaaz aur oos awaz mein apni beti ka naam wo le rahe they…"summii summi hosh mein aao damnit control urself".....fhir wo cheekhi aisa lag raha tha jaise wo kisi ko kaabu kar rahe they oose kuch karne se rok rahe they...tabhi upar ke maale ka sheesha utha aur us khidki se koi cheez dhamm se zameen pe aa giri….main waapis bungalow ki taraf jaana chaha toh naukar kaka mujhe daantte huye kamre mein le jaane lage aur mere andar ghuste hi unhone apne piche darwaja lagaa diya kuch dair tak wo shorr gunza aur fhir khaamoshi…
"kya tha ye sab ? kaka yeh aakhir kya ho raha hai? islam sahab ki awaz suni maine wo sumi sumi kehkar kise rok rahe they kya ye cheekh ye azib si bhaari dohraati awaz unki beti ki thi?"
"haan bete aur main janta tha ye raaz tumhare saamne kisi na kisi din zarur aayega aur tumhe waqif hona bhi chahiye islam sahab ne jo baat aajtak is milkiyat se bahar nahi jaane di wo baat tumhe bhi unke saamne apni zaban pe nahi laani kabhi kisi ke aage qabulna nahi ki is ghar mein kya hota hai? ye wo raaz hai jiska dard islam sahab barso se jhel rahe hai"
naukar kaka gambhir hokar tehelte huye kisi baat ko sochkar aisa keh rahe they…..maine janna chaha toh unhone jo mujhe bataana shuru kiya wo waaqayi mere ilm se bahar tha tab mujhe pehli baar us cheekhti awaaz aur sumi ke zikar se darr lagne laga….
to be continued….
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ASIF
Shayari Qadrdaan
Rau: 0
Offline
Waqt Bitaya:1 days, 51 minutes.
Posts: 187 Member Since: Feb 2021
|
|
«Reply #14 on: February 25, 2022, 04:47:09 PM » |
|
Chapter 12
"ye bahut purana raaz hai bete darasal islam sahab ki pehli beti sumi ke sath bachpan mein ek ghatna ghati thi...us waqt main naya naya islam sahab ke yaha naukari karne aaya tha...ek din pura parivaar ghumne ek hill station pahucha islam sahab apni beti se bahut pyar karte they jo aaj bhi karte hai sabkuch acha khaasa chal raha tha...ekdin ek pahadi pe wo log gaye bahut gehri khaai thi unke maa baba baithe aapas mein batiya rahe they ki tabhi unhe apni beti ki cheekh sunaai di wo log fauran waha pahuche jaha unki beti akeli khel rahi thi wo wahan par nahi thi bahut taalashne par sumi ka koi pata nahi chal raha tha shaam ho gayi islam sahab ne toh chaanbin ke liye police adhikaariyo ko kaam pe laga diya tab jaakar unhe apni beti purani neher ke paas behosh padi mili
oose ghar laaya ilaaj karaaya tab jaakar wo hosh mein aayi lekin wo unki beti sumi nahi rahi thi gusse mein aati toh koi bhari nuqsaan ho jaata us choti umar mein wohh aisa kuch baat keh deti jo bare bare sunkar hairan ho jaate they ek raat maalkin ne oose chatt par se kudte huye dekh liya wo chillayi aur jab unhone niche aakar dekha toh unki beti sahi salamat thi bahut hairaani ki baat thi jaha se girkar uski haddi tut jaati wo marr jaati woh ekdum zinda sahi salamat khadi muskura rahi thi lekin jab kabhi bhi oose gussa aata toh wohh dohri awaaz mein chillati dahadhti cheezein todti psychatrist doctor aisa koi shaks bacha nahi jisse sumi ka ilaaj nahi karwaaya gaya har koi kehta tha normal hai lekin islam sahab ko baat hazam nahi huyi ek din ek mazaar ke baba aaye they malkin ke zor dene pe unhein aane diya gaya warna islam sahab toh khilaaf they aisi andhwishwaso ke unhone saaf keh diya ki unki beti toh oosi din ghaati se girke marr jaati lekin oospar oosi ilaake ka ek bhatakti huyi jinn uske shareer aur dilo dimaag pe puri tarah se savaar ho chuki hai ye bahut bada jhatka tha parivar ke liye unhone bataaya ki ise kabhi gussa mat dilaana aur iska niqaah kabhi mat karaana jabtak ye khud kisi ko pasand na kar le aur jaise jaise iski umar badhegi wo jinn bhi iske sath bari hone lagegi tab se lekar aaj itne saal baad bhi sumi ke bartav mein koi tabdiliyat nahi aayi unke saheliyo aur dosto ko bhi unki sachai nahi maalum haalaki wo bahar se normal lagti hai lekin unki kya sacchai ye sirf main aur unke parivaarwaale khaas jaante hai isliye beta tumse guzaarish hai kabhi zyada uske saamne mat jaaya karna aur kabhi oose gussa mat dilaana"
main badi dair se sunkar naukar kaka ki baat se sehmat hua us raat wo cheekhein aani band ho gayi puri raat sumi ki hi baat zehan mein ghumti rahi….aankhe jab bhaari huyi toh wohi kaano mein cheekh uski gunzti thi..
Agli subah gardener chutti pe tha isliye bagaan ki badi bdi ghaaso ko kaatne ka zimma mujhe diya gaya main ghaas ko machine se chataayi kar raha tha aur paas mein table saja aamne kursi pe islam sahab apni biwi ke sath baat kar rahe they dono ko maid chai aur nashta dekar andar chali gayi toh itne mein wo chai ki chuskiya lete huye ek baar mujhe ghure main acche se chataai karne laga taaki unke daant ka shikaar na ho jau….meri taraf se nazar hataakar unhone apni biwi se baat karna shuru kiya chehre pe gambhiriyat thi sumi ki ammi bhi pareshan haal dikh rahi thi kal raat jo hua shayad oosi ke babat baat chal rahi thi...main chataai ka kaam khatam karke paido aur paudho ko paani dene laga paas pade mote pipe se dheere dheere main un dono ke kareeb kuch faasle dur paido ko paani dene pahucha unka dhyaan mujhpar nahi tha par unki baat dhyaan se sunaai de rahi thi aur agar wo dhyaan dete toh mujhe kaam mein dhyaan magan hi samajhte…
"kuch bhi kahiye kal raat sumi ke daure ne dono behano ko daraa diya tha aap oose kuch din ke liye ghar ke dusre kamre mein band kyu nahi rakhte?"
"dekho sumi ki maa bakwas mat karo wo koi bimaar ya koi pagal hai jo oose kahi dusre kamre mein band rakhu aur ek jawan ladki se uski azaadi cheenu"
"aakhir kabtak aisa chalega? main toh kehti hoo koi acha ladka dhundhkar uska niqaah tayy kar dijiye oose ladke ke tasveer dikhaaiye oose manaaiye wo aapki baat nahi taalegi aur ho sakta hai khuda ke fazal se sab theek ho jaaye"
"aisa tum sochti ho? kya mujhe apni beti ke liye fikar nahi hai khair mere nazar mein ek se ek ladka hai lekin mujhe darr hai ki kahi wo meri beti ki kamzori ko jaankar oose baad mein jeena mushkil na kare main darrta hun kahi uske haath se kisi ka khoon!".......kehte kehte wo tham gaye unki biwi ke bhi chehre pe bhaari fikar ke bhaav aaye
islam sahab ekdum se uthe aur bina biwi se baat kiye pareshaan bhaav se waha se chale gaye main bhi kaam khatam karke unki baatein sunkar sochne laga ki waaqayi beti ki wajah se maa baap bhi pareshan they….lekin mujhe kya? meri haisiyat toh naukar ki hai ye unka zyadti parivarik maamla tha ismein mujhe zyada gehrai mein jaane ki zarurat thi bhi nahi...main waha se jaate jaate sumi ki ammi ko pareshan chinta mein duba dekha khair unhe isse faraq nahi pada ki unke ghar ki baat mujhe malum chal chuki thi lekin dopahar ko naukar kaka ne mujhe bataaya tha ki islam sahab ne saaf unhein ahetiyat kiya tha ki agar maine kal kuch suna tha toh oose nazarandaaz kare aur naa hi us waqt bungalow ki taraf rukh kare aur kabhi bhi kisi bahar waale ke aage main apna munh na kholu ki unki beti ke saath kya hota hai? sunkar toh mujhe khauff laga lekin maine fhir naukar kaka se vaada bhi kiya ki ye zikar main kabhi naukri chodhne ke baad bhi kisi ke aage nahi karunga
----------------------------
Waqt toh guzar gaya lekin wo waqya main bhul nahi paaya...main hamesha ki tarah us raat bhi islam sahab ki gulaami karke main kamre mein aate hi khaana khaaye so gaya….sard raat thi woh achanak koi dhai baje meri neend khuli samne waali khidki se koi kaala saaya guzara meri aankho ne saaf dekha bahar lawn ke ird gird pole ki roshniya jalti thi...jiski roshni sidha kamre mein padti thi main razaai faikhe bistar se utha darwaja khola toh bahar ki khaamosh sard hawa mujpe padi….sardi ki wajah se charo taraf kohra chaaya hua tha…
main torch jalaye bahar nikla achanak kisi ke gungunane ki awaz mujhe us ho ho karti hawao ke shorr mein sunai dene lagi...kohre mein chalte huye main us awaz ka picha karne laga achanak maine paaya ek ladki white gown pehne bagaan mein tehel rahi thi uski peeth meri taraf thi zulfein khuli huyi thi pehchanne mein wo awaz mujhe sumi ki lagi…."kahi koi pagal ya mansik bimar toh nahi hai itni raat gaye yeh jinn wagaira par mujhe yakeen nahi lagta lekin naukar kaka ki baat jhoot bhi nahi ho sakti".....main gambhir hokar uske piche piche chalne laga kuch dair mein ghane kohre mein naa jaane wo kahan palak jhapakte gum ho gayi?
main samajh nahi paaya usi waqt bahar galiyaare se mujhe kayi kutto ki ek saath rone ki awaz aane lagi...main ghabraaye waapis apne kamre pahucha...darwaaja lagakar main jaise piche muda toh meri saansein atak gayi main ekdum se darwaaje se sat gaya kyunki saamne sumi ekdum se khadi mujhe ghurr rahi thi...usi white gown mein gulaabi nigaaho se mujhe aisa laga ki aaj uspar kuch sawaar tha main ghabrake kaanpte huye khada hua
"a..ap yaha par? kisi ne dek.h li.ya to..h gazab ho jayega sumi mam aap andar kaise aayi?".......maine kaanpte huye usse sawal kiya
wo kuch nahi boli mere kareeb aayi mujhe ek baar to laga ki kahi neend mein toh nahi hai...usne mujhe ghurrte ghurrte kehna shuru kiya
"tum mera picha kyu kar rhe they?" "n..ahii tohh wo mujhe aisa laga koi bahar itni raat gaye chehel kadmi kar raha hai to ho sakta hai koi ghuspaithiya ho"
"jhoot bol rahe ho tumhe janna tha ki meri sacchai kya hai? janna chahte ho ki mujhpar kya hai?"
main ghabra gaya usne saqti se oos baat ko dobara dohraaya...maine naa mein sar hilaaya…."i m sorry mam muj..hse b..hul ho gayi aage se kabhi aapke aas paas bhi nahi bhatkunga i promise"
"hahahha hahaha".......wo pagalo ki tarah hassne lagi main anjaano ki tarah oose dekhne laga
usne ekdum se kasskar mera gala pakad liya...main darr gaya uske chehre pe saqti aa gayi aankhe khaa jaane waali nazaro se mujhe ghurrne lagi ab toh jaise saans ghutne lagi...main nakam koshisho se uske haath ko apne gale se chudhate huye chatpatane laga...ahesaas hua ki usmein kitni taqat thi usne mujhe gale se zameen se kuch faasla hawa mein utha diya meri aankhe dehshat se kaanp gayi wohi dum ghutne se jaan bhi jaane lagi...main tadapta saans kheechne ki nakam koshish karne laga...main haath pao patakne laga…"summii mam plss"....maine ghutti awaz mein kaha lekin uski aankhe surkh gulaabi ho chuki thi wo shaitani muskurahat dete huye aur kasske mere gale ko dabane lagi….mera pura chehra laal ho gaya aur aankho se paani girne laga….ki theek tabhi apni aankhe bhaari hoti mehsus huyi aisa laga main ab nahi bachunga...achanak usne mera gala chodh diya main sidha aundhe munh uski pakad se chutte hi zameen pe gir pada...apne gale ko pakde main khaasne laga bahut taqleef ho rahi thi ukadhti saanson ko kaabu paane mein..achanak mujhpe khauff aur dum ghutne se behoshi taari hone lagi aur kab meri aankhe bhari hokar band huyi mujhe malum nahi…
Jab agle din main jaga toh naukar kaka jagaakar uthaaye wo bahut pareshan haal mein meri halat ko dekh rahe they…..main ekdum se bhauklakar uth baitha bahar suraj ki tej roshni ghar mein daakhil ho rahi thi...main naukar kaka ka haath thaame badhawas bolne lag gaya..
"w..wohh kaka wohh aayi thi yaha usne mera gala dabakar mujhe hawa mein utha diya uspar kuch sawaar tha kaka wo mujhe maar daalegi wohh"
"arre bete shaant ho jaiye kya hua? sab khairiyat toh hai tumhara darwaza toh andar se band tha wo to ganimat ki piche ke darwaje se main yaha pahucha tumhein bistar par nidhal behosh paaya ache bhale gehri neend se toh uthe ye kya kahein jaa rahe ho kaun aya?"
"kaka lekin main bistar par kaise pahucha? main toh niche zameen pe behosh pada tha"......meri baat sunkar kaka kuch samajh nahi paaye
maine lambi saansein lekar ek baar mein hi kal raat ka sab waqya unke aage rakha...sunkar wo dang reh gaye aur bare hi azib nazaro se mujhe dekhne lage
"lekin bete kamra toh andar se band tha tohh woh bahar nikalii kaise? aur farsh par hone ke bajaay mujhe aap bistar pe soye mile...kya ye koi bura khwab bhi to ho sakta hai?"
"kaka ye mera koi bura khwab nahi haqeeqat hai warna main itne dair tak soya pada nahi hota main behosh tha aap naa aate to na jane kab neend khulti ab to mujhe waaqayi bahut darr lag raha hai zarur wo mere saath khel khel rahi hai kyunki main uska raaz jaan jo gaya hun"
"dekho bete ise apne darmiyan hi rakho agar bhul se bhi islam sahab ko ye khabar pahuchi ki tumhare saath jo kuch bhi hua unki beti ki wajah se toh ho sakta hai koi mushkil tumpar aa jaye chup rehne mein hi bhalaai hai bete is ghar mein nazarein nichi aur kaan band karke hi rehna allah sab theek kar denge main toh bataana bhul gaya ki islam sahab subah se tumhe dhundh rahe they maine hi keh diya ki tumhari tabiyat kharab hogi bahut naraz huye ek baar unke aate hi haziri de dena aur haan bete is ghatna ko bhul jao isi mein bhalaai hai"
naukar kaka ki ahetiyat rakhne ki baat par sehmat hone ke alawa mere paas koi chaara nahi tha waaqayi kuch toh tha sumi mein usne mujhe kitni taqat se mera gale pakde hawa mein utha diya tha kaise mera gala dabaane lagi aur uska wo shaitani muskurahat aur ghurrti nigah lekin main bistar par aaya kaise kahi usi ne mujhe uthaakar chalo aisa hua bhi ho toh band darwaze se wo bahar gayi kaise? jab darwaza kaka ko subah andar se band mila….sumi ab mere dimaag par haavi hone lagi….
shaam ko main jab islam sahab ke paas pahucha toh wo apne living hall mein baithe secretary ke saath kuch business meeting ki baat kar rahe they mujhe dekhte hi unhe jaise koi faraq nahi pada kuch der baad secretary ke waha se jaate hi islam sahab mere rubaru huye….
"maanf kijiyega sir wo darsal subah se tabiyat theek nahi thi toh aankh dairi se khuli"
"hmm dekho adam hamare yaha kaam karne wala har shaks ki jarurat humhe har din padti hai tumhari ek din ki na haaziri bharne se humare bahut kaam adhure reh jaate ek din se zyada waqt na lage tabiyat theek hone mein samjhe"
"ji sir"
"aur muje malum hai ki tumhari koi tabiyat nahi bigadi tumhare kareebi naukar kaka se humhe sabkuch maalum chal chuka hai kyunki wo humse kuch nahi chupa sakte us raat ka waqya aur kal raat jo kuch tumne dekha aur tumhare sath hua oose bhul jao us baat ke gehrai mein jaane ki koshish bhi mat karna samjhe"
"ji sir"......main samajh chuka tha haan mein hi jawab deta raha aur islam sahab ne saqti se jaise mujhe agaah kiya
"park 5 restaurant yaha se 5 km dur hai waha meri beti apni behan ke sath mauzud hai shaam 7 bajne se pehle wo ghar mein honi chahiye so now u may leave and pick them from there kaam pe lg jao"
main kuch keh nahi paaya unhe mere haalat ki parwah nahi huyi ulte apni beti ka raaz pe parda daalne ke liye mujhe saqti se unhone khaamosh rehne behtar kaha...main unke orders ke maante huye garage se gaadi nikaalkar sumi aur uski behano ko lene unke bataaye pate par restaurant pahucha...main ye soch raha tha ki main sumi se kaise nazar mila paunga kal raat ka ghatna fhir mere nazaro ke samne ghumne laga...kuch dair baad mere phone par sumi ka msg aaya main parking area se mor kaantkar sidha restaurant ke saamne aa khada hua...sumi hasste khelte apni behano ke sath bahar aa rahi thi...maine fauran gadi ka fhatak khol diya sumi ki behane pehle baithi aur uske baad dheere dheere sumi daakhil hone lagi usne ek baar palatkar mujhe aise dekha maano jaise yaad dilaana chah rahi thi ki mere sath kal raat usne kya kiya tha?
main nazare fhaire uske baithte hi gaadi ka darwaja lagakar saamne apni driving seat par pahucha..gaadi start ki aur waapis ghar ki taraf moda pure raaste main baar baar upar lage sheeshe se sumi ki taraf dekh padta aisa laga nahi jaise wo kal raat waali wohi sumi ho...wo aapas mein hass khelkar baatcheet kar rahe they...darbaan ne main gate khola toh hamari gaadi andar daakhil huyi...lawn ka ghaira kaatkar gaadi main darwaaje pe ruki to baari baari pehle uski behane hi utari….achanak sumi gaadi se uthne ke lehze se jaise gate kholkar bahar niklegi usne meri taraf kaatil nigaaho se dekha ekdum chupchaap main saamne hi dekhta raha fhir wo utarkar chali gayi achanak meri nigah upar ke sheeshe se jo oose ghurne ke liye uthi toh apne gale pe bane laal nishaan pe huyi maine apne gale ko gaur se dekha uske ird gird zor se dabaaye rakhne se jaise laal nishan they main jaan gaya woh ghatna haqeeqat tha…main sumi ko darwaje se andar jaate dekh raha tha wo ek dum se teherkar piche mudkar mujhe fhir dekhi fhir aise ghurrne lagi jaise kal raat jo khauff usne mere dil mein chodha tha wo mere chehre pe barqarar hai ki nahi is baat ka jayeza le rahi thi
to be continued
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|