Haavi - The uncontrollable possession (Horror Story)

by ASIF on February 25, 2022, 10:42:01 AM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 3468 times)
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 51 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #15 on: February 25, 2022, 04:49:30 PM »
Chapter 13

Us din ke baad se main sumi se daayra banane laga...harpal jab bhi raat ko sota toh aisa lagta ki wo sirhaane pe khadi hai aur jaise hi aankh khulegi wo mera gala pakadkar mujhe maar dalegi us ghar mein rehne ko main mazbur tha kyunki utna paisa mujhe kahi aur nahi mil sakta tha….isi liye main us khauff ke saath jeene laga raat gaye darwaja laga hua rehta bhi toh aisa hi lagta ki wo aafrupi taur se saamne aa mauzud hogi…

beech beech mein raat gaye mujhe uski woh cheekhe aur dahadh sunaai deti thi uska daura waaqayi lagta hai badh chuka tha puri raat bechaini rehti thi aur so bhi nahi paata tha bas kab subah ho aur kab ye raat guzare aisi hi dua karta tha…

Ekdin main islam sahab ke bulaawe par unke paas pahucha toh dekhta hoo ek kaale libaas pehna buzurg baba unke saamne kursi pe baithe ekdum gambhir aankho se sochkar unse baat kar raha tha aur baat bhi sumi ki chal rahi thi...mujhe dekhte hi islam sahab mere rubaru huye aur wo buzurg baba chupchaap mujhe ghurrne lage main sihamkar nazarein jhukaye raha

"adam shohona ko college se laana hai tum abhi gaadi nikaalo aur uske college pahucho"......islam sahab ne kadakkar bola

"ji sir"......maine hamesha ki tarah narmi se sehmati mein sar hilaaya

aur unke jaane ke izazat se main ulte pao waha se chale jaane laga achanak maine un dono ki baatcheet shuru hote suni jo ki main adhura hi sun paaya waha khade rehne se islam sahab mujh par shaq kar baithte..

"dekhiye islam sahab aapki beti ki haalat waqt ke saath saath zyada bigad rahi hai aapke kehne ke mutabik oosne aapke naukar pe bhi hamla kiya tha na toh aise mein ooska niqaah karaana uski marzi ke khilaaf koi bhaari nuqsan ka ishara kar sakta hai"

"toh main kya karu? beech beech mein jo oose daure pad rahe hai uspar jo bhi cheez savaar ho rahi hai oosse meri beti ko to taqleef pahuch rahi hai na"

"allah pe bharosa rakhiye maine oose kaabu karne ki tamaam koshishe kar li par ek do din se zyada oospar mera bas nahi chal sakta"

maine itni hi baat cheet un logo ki suni kyunki main wahan tehra nahi tha….pure raaste gaadi chalaate huye zehan mein sumi ki wo mujhe ghurrti nigaah ghum rahi thi…..achanak mera phone baj utha number sumi ka tha...main thoda siham gaya fhir khud ke ghabrahat pe kaabu karte huye maine phone uthaaya

"hello?"

"hi adam"......sumi ki meethi awaz sunkar main thoda sa siham gaya

"kya hua? phone uthaane mein itni dair lagti hai?"

"nahi darasal drive kar raha tha aapki choti behan ko college lene aaya hun boliye kya baat hai?"

"sawaal karne aur orders dene ka right mujhe hai tumhe nahi bhulo mat tumhari kya haisiyat hai naukar ho tum mere aage se phone waqt rehte uthaana khair tumhaare liye ek kaam hai 10 min ke andar meri behan ko ghar drop karke park street roof cafe pahucho samjhe"

"par mam islam sahab puchenge agar to kya jawab!?"

"fhir sawaal karne ki saza chahte ho?".......sumi ne baat kantte huye gusse mein mujhe dhamkaate huye kaha

"na..hii"....maine kaanpte huye kaha

"toh jitna keh rahi hoo utna karo huqam sirf abba ki nahi sabka manna hai tumhe 10 mins sharp i am waiting"........usne gambhir hokar kehte huye phone rakh diya

uski baat sunkar main bahut darr gaya fhir kyu mujhe ek anjaan jagah akele bula rahi thi...kahi islam sahab ko maalum chal gaya toh lekin manne ke alawa koi chara nahi tha...jab shohona ko ghar drop kiya toh ganimat thi us waqt islam sahab ghar par mauzud nahi they….fhir bhi main darrte darrte uske bataye pate par pahucha….restaurant khojne mein zyada waqt nahi laga lekin wo building ke rooftop par tha lift se waha pahuchkar thoda kapre theek karte huye sumi ko waha dhudhne laga…

dopahar ka waqt tha wo corner ke table ke paas seat pe baithkar ek glass juice mein dali straw se khelte huye oose pee rahi thi intehayi khubsurat lag rahi thi us sleeveless top aur jeans mein lekin mujhe uski khubsurati se zyada oosse darr lag raha tha...uska dhyaan meri taraf tab hua jab usne mujhe paas aate huye dekha...wo tab bhi straw se juice peeti rahi saamne pura ilaaka dikh raha tha sheher ka jaana maana cafe tha waha baithne ki tak meri aukwad nahi thi main uske paas aakar khada hua

"mam aapne bulaaya tha"

"tumhe aane mein pure 17 min lage matlab 7 min zyada lagaaye mere orders ki tumhe koi qadr nahi huyi".....chashma pehne hi sumi ne apni kalaai ki taraf dekhkar mujhe ghura

"mam darasal traffic mein fass gaya tha is wajah se aur thoda yaha dhundhte huye pahuchne mein waqt laga"

"hmm"....sumi ne aur kuch nahi kaha kuch dair sochkar usne mujhe saamne apni kursi par baithne kaha

maine inkaar kiya kyunki main uske ghar ka caretaker tha us hisaab se uske saamne baithne ki haisiyat meri nahi thi…"lagta hai maaliko ke tumhe orders dene ke liye tum jaise naukar ki marzi pehle sunni padti hai".....usne chashma utaarke mujhe aur gambhir hoke ghura

main dheere dheere uske samne wali kursi pe baith gaya...dhoop uske chehre pe padi toh usne chashma dobara pehen liya…"acha tum dusre sheher se aaye ho hamare yaha kaam karte hue kahi mahine ho gaye abba ko bhi tum pasand aane lage ho warna abtak toh tumhe naukri se nikaal diya jaata"

main chupchaap uski baat sun raha tha samajh nahi pa raha tha aakhir waha usne muje yu akele kyu bulaaya tha? aisa lag nahi raha tha ye wohi ladki thi jisne us raat mujhe jaan se maar diya hota…usne dheere dheere mere pure beete kal ke baarein mein har ek baat mere saamne rakh di main kahan se aaya tha? kitna padha likha hu ghar mein kaun kaun hai mere kyu gharwalo ne mujhe nikaal diya main apni hasiyat se bahut hi chota kaam uske ghar par kar raha tha sabkuch usne jab bataaya toh main sochne laga ye baat ise kaise malum huyi? main soch mein duba toh usne hass diya

"abhi yahi soch rahe ho ki main kaise jaanti hoo? main sab jaan chuki hoo tumhare baare mein tumhe dekhte ke saath aur main abba ammi kisi se nahi puchi aur unhe tumhare zyadti zindagi ke baarein mein itna malum nahi khair ab tum ye soch rahe hoge mujhe kaise malum? lekin usse bhi zaruri ye ki us raat main tumhe jaan se maar hi deti lekin tumhe chodhkar us band kamre se bahar kaise aayi? yahi janna chahte ho na jaan jaoge ekdin mere baarein mein sabkuch lekin mere kareeb aane waala agar mujhse dur jaane ki koshish kare na to jaan se jata hai"

usne aisi nazaro se mujhe ghurrte huye kaha ki main thook ghontkar ek baar un nazaro se nazare mila nahi paaya...tabhi waiter ne aakar order pucha maine koi jawab nahi diya toh usne meri taraf fhir ghura aakhir mein maine bhi ek cup coffee hichkichate huye order de di

"main janti hoo itne rayiz jagah par har cheez mehengi hoti hai tum jaisa gareeb afford nahi kar sakta par ye mat bhulo ki tum naukar ho mere yaha tum mere liye aaye ho bas samajh jao ki meri taraf se tumhe ek coffee qabul"

"mam aap pehle hi mujhe coffee dekar sharminda kar chuki mujhe laga yaha aapne mujhe kisi kaam ke liye bulaya jo mere naukari ka hissa hai lekin agar islam sahab ko malum chala ki main yun unki beti ke saath coffee pee raha hoo to wo mera kya haal karenge iska aapko behtar maalumat hai"

meri baat sunkar sumi ekdum se hass padi jaise mera mazaak uda rahi ho main idhar udhar dekhne laga….."waaqayi bahut darphok ho arre kya ek naukar ko ek malkin apne saamne bithaake coffee nahi pila sakti tum meri zarurat ke liye mere paas ho abba ko koi faraq nahi padega he trust you tum unke bahut kaam aate ho"......uski baat mein mere liye jo kahi na kahi taarif thi oose sunke dil ko rahat sa mila

"lekin agar behuqami meri karoge toh unke gusse se zyada mere qeher se khauff khaoge tumhare dil mein jo mere liye sawalat hai unka jawab bhi waqt rehte dungi filhal tum wohi karo jaisa main kahu"

main sumi ko ghurrne laga na jaane kya chahti thi wo mujhse? coffee khatam karke usne kuch paise purse se nikaale aur menu ke niche daba diya fhir usne ek glass paani uthaake thoda sa peete huye apne juto pe chullu bhar gira diya...fhir usne meri taraf dekha main samjha nahi

"lagta hai adab se bahut dur dur tak tumhara koi naata nahi kya tumhe dikhta nahi mera juta geela ho gaya saaf karo"

main kuch nahi keh saka uske shararat ke aage maine tissue paper uthaya aur sabke saamne uske pao ke paas baithkar uske geele juto ko saaf karne laga bahut bezzati mehsus huyi lekin main mazbur tha kar bhi kya sakta tha? sumi purse latkaaye uth khadi huyi fhir waha se jaane lagi main uske piche piche aaya lift khulwaaya ooske bheetar jaate hi khud bhi dakhil hua fhir niche pahuchkar gate se nikalte huye uske pahuchne se pehle gaadi ka pichla fatak khola wo gaadi mein baith gayi to maine waapis fhatak lagaaya aur saamne waali seat pe aake baitha gaadi start ki aur oose leke ghar pahucha..

Ye toh shuruwaat thi sumi mujhse jis tarike se pesha rahi thi oosse saaf tha ki wo sirf mere saath khel khel rahi thi apne ishaaro ka gulaam bana chuki thi wo mujhe ab main zyadatar uske kareeb hi rehta tha main samajh nahi paa raha tha achanak se sumi mujhmein itni khaasi dilchaspi kyu le rahi thi? mujhe bezzat karne ka wo koi bahana nahi chodhti thi usne waisi hi harqat apni saheliyo ke saamne bhi karwaaya tha mujhe bahut bura laga tha maine socha unki ammi ko sab bata dunga lekin ek anchaha darr dil mein uska rehta tha…

ek din sumi ko koi party lekar mujhe jaana tha us waqt islam sahab business tour par hongkong gaye huye they...main parking area mein khada uske aane ka intejar kar raha tha….itni raat gaye wo kabhi bahar nahi hoti thi….mujhe unke ghar se call aaya unki ammi ka tha unhone mujhse kaha ki sumi ko ghar jald se jald party se leke aau...maine sumi ko call kiya par wo phone kaant de rahi thi raat dedh bajne ko tha

achanak dekhta hoo ki sumi larkhraaye haalat mein bahar aa rai thi usne pee li thi...koi badi baat nahi thi kyunki ameer gharaane ki magrur bigadi huyi aulwad thi lekin uski parwah karna mera farz tha itne mein main dekha ki do ladke uska picha karte huye bahar aaye wo sumi ke saath zabardasti uska haath pakadne lage…."c'mon sumi we will drop u hamare saath chalo".......sumi lekin na nukur karne lagi chillane lagi unpar mujhe samajh aaya ki un dono ne piya hua tha shayad sumi ke hi dost log they jinke iraade mujhe theek nahi lage oose akeli samjha paakar hi wo uske picha karte huye aaye they…

main gussa gaya maine sumi ke paas aakar unhe oosse dur dhakela…."aye tu kaun hai?"....."what the hell u doing here chal jaa yaha se?"......."main inka driver hoo aur inhe lene aaya hoo behtar hoga ki tum log dafa ho jao".....maine unki baat ko kantte huye kaha

wo log mujhe dhakka  dete huye sumi ke saamne se bhagaane lage unke munh se baddhi gaali suni toh bas fhir kya tha? apne bezzati ko bardasht aaj nahi kar paaya meri mutthiya bheech gayi aur maine saamne waale ladke ko ek hi ghuse mein zameen par dhair kar diya oose apne jabde hilte mehsus huye dusre waale ne mauka paake hi sidha mujhse haatha paayi karne laga….maine oose sidha pait par laat dekar gira diya uske uthne se pehle uspar chalaang lagakar ooske chehre pe betahasha ghusse barsaane laga itne mein dusra ladka bhaagne laga main uske piche dauda par wo bhaag chuka tha us dusre ladke ke naak aur munh se khoon aa raha tha wo behoshi haalat mein nidhal mujhe dhamkiya de raha tha maine oose gerebaan se uthaaya aur uski gardan ko daboch diya wo dum saade tadapne laga jab mujhe khud uske bebasi pe taras aane laga toh ooske seene pe laat jamaate huye dur gira daala...wo wohi dhair ho gaya

maine mudkar dekha haafte huye sumi ka saara nasha utar gaya mujhe chupchap ghur rahi thi maine ek baar piche palatkar us gire ladke ki taraf dekha aur fhir sumi ke paas aakar gaadi ka fatak khole oose andar jaane ke liye narmi se kaha….wo gaadi mein baith gayi maine darwaja lagaate huye gaadi mein baithkar gaadi zor se start ki…..raat bahut ho chuki thi isliye sadak puri khaali thi….maine ek baar piche palatkar sumi ki taraf dekha jo chupchaap baithi huyi thi

"sumi mam maanfi chahunga par ek baat kehna chahta hun aap apne abba ki azeez ho wo yaha nahi hai isliye aapka khyal rakhna meri zimmedari hai khair ammi aapki fikar kar rahi thi unhe call kar lijiye"......sumi ne kuch nahi kaha usne fauran apni ammi ko phone lagaya par ye nahi bataya ki uske sath abhi kuch der pehle kya hua tha?

kuch der baad usne phone cut karke rakh diya fhir ek baar meri taraf dekha main khaamoshi se drive kar raha tha…"mujhe pyaas lagi hai"....usne ekdum se kaha

"par mam yaha aaspaas toh sab dukaan band hai aur mere paas jo paani hai wo mera jhoota hai"

"ek bottle rakh nahi sakte jo dusro ko kaam aaye such a pathetic you are!"....usne koste huye kaha

maine dekha ek chemist shop khula tha maine breaks lagaaye aur gaadi se bahar nikla sumi kuch samajh nahi paayi main chemist se ek water bottle kharida aur waapis gaadi mein baithte huye oose wo botal di...sumi dhakkan khole oose peene lagi maine fhir gaadi start ki aur oose liye ghar pahucha….sumi gadi ka darwaja khole apne bungalow ki taraf chali gayi aur main oose bina toke gaadi park kiye apne kamre mein pahuchkar bistar ke hawale ho gaya…

usne mujhe thanks tak nahi kaha aur kehti bhi kaise? jo kuch bhi maine kiya tha wo toh meri farz ka hissa tha bhale hi wo kitno bhi jaanbhujkar musibat mein pade...lekin us raat ke baat se sumi se mera khauff bahut hadtak chala gaya tha...lekin sumi ka mere saath bartav karna badla nahi...par ek din sabkuch badal gaya ye us din ki baat thi…

                                           ---------------------

Main islam sahab ke paas khada unke agle huqam ke intejaar mein tha aur islam sahab phone par kisi se baat kar rahe they ki itne mein waha sumi pahuchi sumi ne meri taraf dekha aur fhir apne abba ke rubaru hui...islam sahab ne phone kaantte huye uski taraf ghumkar dekha

"abba mujhe ghumne jaana hai apni saheliyo ke saath kuch din ke liye"

"nahi bete abhi pichle kuch mahine pehle toh tum gai thi"......main janta tha sumi ke walid kis baat se inkar kar rahe they apni beti ke us mansik haalat ki wajah se

"main kuch nahi janti abba main jaa rahi hoo bas aur kahi dur nahi jaa rahi apne sheher se bahar jo bungalow hai na wohi par"

sumi ke abba kuch sochte huye bole….."lekin beta main tumhe akele jaane nahi de sakta tumhara waha khyaal kaun rakhega? aur aise mein tumhari ammi bhi kuch din ke liye kisi rishtedar se milane gayi hai tumhari behano ke saath toh kispar tumhara zimma chodh du"

"main apna khyaal khud rakh sakti hoo abba aap fikar na kijiye bas kuch din ki to baat hai acha ek kaam karo mere saath adam ko bhej dijiye waise bhi aapki fikar dur ho jayegi aur mujhe ek naukar bhi mil jayega toh mere kaam aa sakega".....usne jab meri taraf mera zikar karte huye mujhe ghurrte huye muskrake dekha

toh main jhenp sa gaya nazare jhuka li islam sahab bhi waha mauzud they wo meri taraf gambhirta se mujhe ghurrne lage fhir unke chehre pe badlaav aaya….."theek hai beta tum waha apni saheliyo ke saath bejhijhak jao main nahi rokunga okay"

sumi bahut khush huyi apne abba se gale lagkar waha se jaate jaate bhi mujhe usne ghura...na jaane kyu? par uske sath jaana gawaara nahi laga….islam sahab ne mujhe awaz di main hadbadake unhe dekhne laga

"ji sir"

"tum meri beti ke sath kuch din ke liye sheher ke bahar hamare rest house jao meri beti ka pura khayal rakhna..tumhare zimme oose waha bhej raha hoo beech beech mein call karke mujhe waha ke haalaat batate rehna aur haan uska khaas khyal rakhna kitno bhi zidd kare uski saheliyo ke saath oose akela nahi chodhoge because i trust you main tumhare kaam se khush hoo adam par apne zimmedari ko halke mein mat lena"

unhone ahetiyat se mujhe samjha diya samjhaane se zyada toh unka agaah karna lagta tha main janta tha islam sahab kis baat se fikar kar rahe they apni beti ke liye...lekin ye pehli dafa tha ki uske abba uska zimma mujhpe chodh rahe they kyunki unhein meri wafadari aur imaandari pe pura bharosa ho chuka tha...lekin main nahi janta tha ki ye trip mere zindagi mein ek naya tufaan laa khada karegi jo meri zindagi ka sabkuch badal kar rakh dene wali thi…

to be continued….
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
.....Real Horror Story..... by sweet_raabii in SMS , mobile & JOKES
Tehkhaana (Horror story) by asif biswas in General Stories
Raj mahal (horror story) by asif biswas in General Stories
pretjaal (horror story) by raj1111 in General Stories
दर्दनाक चीख - Horror Story (2017) by asif biswas in General Stories « 1 2 3  All »
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 51 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #16 on: February 25, 2022, 04:51:47 PM »
Chapter 14

Uske agle din hi main sumi ke saath bungalow se rawana hua pure raaste gaadi mein hum dono ke beech koi baatcheet nahi ho rahi thi sumi ka bhi mujhpar dhyaan nahi tha kuch dair baad ekdum se sumi ne mujhe toka uski saheliyo ko mujhe unke gharo se sath mein pick karna tha unki bhi haisiyat sumi se kayi zyada toh nahi thi lekin ameer ghar se wo log bhi thi….jab sab gaadi mein dakhil huye toh aapas mein hassi khushi ki chehel pehel shuru ho gayi..

main chupchaap drive karne laga….unmein se ek ne sumi se mere baarein mein sawaal kiya to sumi ne itna hi kaha ki main uske ghar ka caretaker hoo aur uske abba ne picnic ke liye ek naukar ke haisiyat se mujhe hi bheja tha...uske baad wo aapas mein baat karne lage mera unpar se dhyaan hat gaya…

kuch dair baad gaadi sheher ke bheed bhaad waale ghani awadi ko piche chodh junglo ke beech se guzarne lagi kuch dair baad sumi ke bataaye pate par main waha pahucha jaise hi sadak khatam hua toh raaste ubbad khabad shuru ho gaye fhir uske baad dikhne laga islam sahab ki dusri milkiyat jo is sunsaan ghati ke beech thi khubsurat sa bungalow main waha pehli baar aaya tha sumi ki saheliya bhi hairat se us ghar ko nihaar rahi thi...maine gaadi roki horn bajaaya toh paaya uspar taala laga hua tha….sumi ne mujhe chaabi di maine ek baar uski taraf dekha aur chaabi lekar gaadi se bahar nikla tej kadmo se gate ke paas aakar us mote taale ko kholne laga lagta tha jaise yaha na islam sahab aate they naa hi dekh rekh ke liye koi yaha rakhwala rakha tha…

taala khul jaane ke baad zanjeer waapis gate ke salaakho jaisi lohe pe lapaitkar maine gate ek hi jhatke mein dhakka dekar khol diya...ek bhaari awaaz ke saath lohe ka wo main gate khulkar alag ho gaya tab jaakar meri nigaah charo taraf huyi yakeenan islam sahab ki milkiyat aisi kayi ho sakti hai lekin ye unke ghar se bhi bada tha gate ke dono taraf bagaan tha jo junglo ke simana tak tha par waha diwaar khaadi thi charo taraf paid paude lage huye they compound ke hi raaste saamne ghar se pehle ek fountain nikalne ki safed murti bani thi jo kisi greece ki akriti thi...uspar dhool jama hua tha lagta tha saikdo waqt se usse paani nahi nikla tha bungalow bada faila hua tha lekin bare hi khubsurati se uski banawat thi bungalow ke theek saamne khula pahadh ka dhlaan tha jaha se sheher ki haseen vaadiya dikhti thi...ye bungalow aehen ghaati ke upar bana tha...main waapis ulte pao gaadi ki taraf pahucha gaadi mein baithte huye tej raftar se oose dwaar se andar daakhil kiya compound ka mod kaantkar saamne bungalow ke main darwaaze pe gaadi roki…

is beech sumi apni saheliyo ke saath bahar nikal gayi thi...main unke piche piche aaya darwaaje ki chabi sumi ne khud hi khol daali darwaja khulte hi hum andar aaye...jitni bahar se ghar khubsurat thi utna hi andar se bhi lekin aisa lagta tha ghar andar se saaf tha….malum chala ki islam sahab ne bahut pehle ghar ki saf safai karwa di thi lekin waha kisi ko teharne ki izazat nahi thi…

"wow sumi bahut hi badiya ghar hai yaar tu yaha kyu nahi rehti?"

"because of family sonal wo log mujhe akela chodhte hi nahi ye mere father ne tab banwaayi thi jab hum chote they aksar yaha picnic ke  liye aate they aur yahi teherte they par ab abba ko fursat nahi hai aur ammi toh aana hi nahi chahti lekin mujhe ye ghar bahut pasand hai"..........aisa lagta hai ki bas yahi reh jau aur kabhi waapis sheher na jau

sumi pure ghar ko mohabbat se nihaar rahi thi main uski taraf dekhkar waapis main darwaje se bahar nikalkar sidiya utare gaadi se unke luggage nikaalne laga sumi ne ek ek karke unhein sidiyo se upar aakar saare kamre dikhaaye ek guest house mein do ladki ko rehne ki jagah usne di….uski sab saheliyo mein koi tareef kar rahi thi toh koi mann hi mann ooske shaano shukat se jalan….wo log thak haarkar apne kamre mein aaram karne chale gaye

sumi bhi apne kamre ki taraf jaane lagi ki itne mein usne meri taraf dekha main khaamosh khada tha uske huqam ke intejar mein….wo mere paas aayi…."arre tumhe toh main bhul gayi thi tum ek kaam karo upar toh sab ladkiya stay kar rahi hai yaha to tum teher nahi sakte isliye niche ke living hall ka jo sofa hai wohi raat tumhein bitaana hai".......sumi ki baat sunkar maine sehmati mein sar hilaya

"accha jao aur dekho kitchen mein kya hai? yaha sabkuch available hai abba ne sab intejamat karke rakhe hai aaj raat ka khaana tum sabke liye banaoge filhal lunch ki tayyari karo bahut bhook lag rahi hai"

itna kehke wo apne kone waale kamre ki taraf badh gayi...yakeenan accha badla liya tha mujhse yun naukargiri karwaane ke liye haalaki main mazbur tha apne kaam ka hissa maante huye main thaka haara sidiyo se niche living hall ko ghurrte huye kitchen pahucha waha bahut cheezein padi huyi thi istemal ke liye working fride microwave oven sab intejamat tha aisa lagta tha jaise koi cheez ki kami na ho aisa intejam karwaya tha islam sahab ne….main apne kaam mein jut gaya kaafi soch vichaar aur unke pasand ka khaana banane laga...kuch 1 ghante baad faarig hokar table par khaana sajaane laga oose dhakkar main sidiyo se upar unki saheliyo ko bulaane pahucha lekin mujhe laga ki sumi ko hi iktila karna zyada behtar tha kyunki ghar ki malkin toh wohi thi…

main jab darwaja khatkhataake uska naam pukaara to usne mujhe andar bulaaya main jaise andar aaya toh mujhe khushbu si lagi bahut suhaani khushbu thi wo..maine charo taraf kamre ko nihaara….kaafi aalishan khubsurat saja bedroom tha saamne diwaar par sumi ki badi si tasveer lagi huyi aisi dilkash ada mein apne gale pe hath rakhkhe huye bade bade nigaaho se ghurr rahi thi….achanak maine theek niche usi diwaar se sati diwaan se juda bistar par razaai odhe chashma lagaye sumi ko koi novel padhte huye dekha usne mujhe sawali nigaho se dekha

"mam wo khaana tayyar hai?"......usne sehmati mein mujhe jaane ka ishara kiya main uske kamre se nikal gaya

kuch dair baad sumi apni saheliyo ke saath dining table pe baithi khaane ka lutf uthaate huye hass khel rahi thi….main unke beech khada chupchaap unhein kisi cheez ki zarurat pade isliye shashank khada tha…..har kisi ko mera khaana pasand aaya wo meri tarif kar rahe they sumi chupchaap khaa rahi thi usne ek baar meri taraf ghura aur waapis khaane lag gayi…

achanak ek choti kaali billi kahan se mere pao se lagkar sumi ke pao par lapatne lagi...sab billi ki awaz se table se niche jhaankne lage...sumi billi ko uthaakar oose puchkarne lagi

"arre ye kaali billi kahan se aayi?"......ek saheli ne sumi se pucha

"ye meri pet hai sabse azeez meri sissy hai yahi rehti hai mere abba ko billiya pasand nahi isliye ise kabhi leke jaa nahi paai"

"arre to ise khaana kaun deta hai idhar yaha to koi rehta nahi"....dusri saheli ne sawaal kiya

"hahaha toh kya hua meri sissy shikhar karke apni bhook mita sakti hai"......sumi uske baalon par haath phairte huye meri taraf aise dekhne lagi maano jaise mujhe hi daraa rahi ho main nazare dusri taraf mor li

khaana se farig hone ke baad unke uthte hi main jhoote plates uthate huye kitchen mein rakhne chala gaya...fhir wohi bramde mein baithkar apna khaana khaane laga...waaqayi ek waqt tha jab ma se unka haath bataane mein jhagda karta tha aur aaj dusro ke liye naukar ki trah unka khaana bana raha tha...aaj akelepan mein mujhe dukh ho raha tha...khair din dhal gaya raat ka bhi dinner khatam ho chuka tha par dair raat ko unke sone ka koi thikaana nahi lag raha tha

kamre mein aapas mein saheliya gappe lada rahi thi aur sumi beech beech mein hasskar unke sath atkheliya kar rahi thi main dining table pe apna khaana khatam karte huye bartan dhole kitchen mein chala gaya...achanak koi baat pe behas huyi sumi aur uski ek saheli rehana ke beech baat itni zyada badh gayi ki sumi fauran tamtamate hue gusse mein apne kamre mein chali gayi uski saheliya darwaja peette huye oose bulaane lagi lekin usne darwaaza nahi khola….main sabkuch sun raha tha main sidiya chadhkar fikarmand sumi ke kamre ke paas aaya uski saheliya darwaje ke bahar khadi oose pukaar rahi thi par sumi darwaja nahi khol rahi thi..mujhe fhir ek anchaha darr lagne laga islam saheb ne oose mere zimme bheja tha agar koi baat ho gayi toh musibato ka pahadh mujhpar hi tutna tha..

kayi dair mashkkat ke bawjud jab sumi ne darwaza nahi khola to sab thak haarkar apne apne kamre mein chale gaye...lekin main nahi gaya maine darwaja pe dastak dete huye baar baar sumi ka naam liya….achanak sumi ki kadakti awaz mere kaano mein padi aisa laga nahi ki wo sumi thi……"leave me alone".....usne dohri bhaari awaz mein jab mujhe kaha toh main siham gaya uspar zarur koi cheez haavi ho chuka tha…

main bina kuch kahein sidiyo se niche utarkar ek baar islam sahab ko call karne ka mann banaya kya maalum oose daure na padne lage un raato ki tarah lekin agar sumi ko malum chala toh wo mujhe nahi bakshegi aur islam sahab toh dandanate huye yahi pahuchenge kaafi mushkil khadi ho jayegi mann mein dua padte huye main living hall mein rakhke sofe pe aa laita ghar andhere mein dub chuka tha raat bahut gehri ho chuki thi...achanak mujhe kisi ki aahat lagi main ahiste ahiste chadar chehre se hataye charo taraf dekhne laga andhere mein kuch dikh nahi raha tha ek to itne bade hall mein akele sone mein mujhe neend nahi aa rahi thi aur sumi ka khauff alag dil mein ghar kar gaya tha…

achanak do chamakti aankhe dikhi main ghabrakar uski taraf ghurrne lga gaur karne pe ahesas hua ye wohi kaali billi sissy thi..maine oose bhagaya wo meow meow ki awaz nikalte huye sidiyo se upar chali gayi...main waapis lait gaya chand ki roshni halki halki khidki se ghar mein aa rahi thi...meri aankhe fhir bhaari hone lagi aur kab main neend ki aagosh mein duba malum nahi...achanak ek cheekh sunai di main ghabrake jaaga par ye cheekh sumi ki nahi thi..

main lights jalaye upar pahucha toh paaya ki sumi ki sab saheliya bahar thi maine unse pucha ki kya hua? toh unhone kaha ki rehana ki cheekh sunaai di par wo hamare saath kamre mein nahi hai...main sumi ke darwaje ki taraf dekha toh itne mein sumi bahar hairat se nikalte huye aayi aur hamari taraf dekhne lagi uska jhagda rehana se hi to hua tha..

"kya hua guyz tum sab pareshaan kyu ho?".....sumi ne aise anjaane se sawal kiya jaise oose kuch malum hi nahi chala

"arre sumi rehana ki cheekh sunaai di par wo hamare sath hamare kamre mein nahi hai"

"ho sakta hai bahar chali gayi ho"....sumi ne sonal se kaha

"lekin agar wo jayengi toh mujhe malum chalta sumi mam main to living hall mein hi so raha tha aur ghar ka darwaza bhi toh band tha wo jaati to darwaja khulne ki aahat hoti"

meri baat sunkar sumi mujhe aise ghurrne lgi jaise main sabko yakeen dila raha tha ki rehana ke sath kuch galat hua tha..main chup ho gaya toh uski saheliyo ne sumi ko toka

"dekh sumi oose dhundhna toh zaruri hai uski cheekh saaf sunaai di hai adam tum bahar pure compound aur bungalow ka daura karo hum oose ghar mein hi dhundhte hai"

"theek hai mam"......main uski saheli ki baat sunkar sidiya utarkar main darwaja kholkar bahar nikla itni raat gaye kohre ke is sard raat aur thithurti hawa mein wo kahan chali gayi thi? ya yahi kahi mauzud thi sumi ne hi to kahi daure mein oose kuch!......main rehana kaa naam pukaarte huye oose bungalow ke charo taraf dhundhne laga

jab bagal ki taraf aaya to main chilla utha meri awaz sunkar kuch dair baad waha uski saheliya aa pahuchi hamare theek samne rehana zameen pe giri padi thi uske maathe se khoon beh raha tha..sabne munh pe haath rakh liya ki aakhir ye hadsa hua kaise? maine jhukkar uski nabz tatoli wo zinda thi maine uski saheliyo ko bataaya itni raat gaye madad ki imdaad milna mushkil thi berehaal uski saheliyo ne oose kisi tarah uthaaya to meri nigah upar ki taraf balcony pe huyi sumi ektak is manzar ko dekh rahi thi lekin usne niche utarkar aane ki zehmat tak nahi ki uski aankho mein mujhe koi dukh nahi dikha mera yakeen aur pakka ho chuka tha…

rehana ke peeth aur baanh par bahut zyada chotein aayi thi sar halka sa phata tha isliye dawaai lagakar patti hi sirf maine kar diya uski saheliya uske hosh mein aate hi oosse sawaal karne lagi aakhir hua kya tha? to usne jo bataya wo behad darawana tha….wo gusse mein balcony mein khadi thi itne mein oose hawa ka jhoka laga usne piche mudkar ek behad khauffnak chehra jo kisi insaan ka to nahi laga aur uske turant baad oose oos cheez ne dhakka diya aur wo sidha niche aa giri usi ki cheekh thi wohh lekin ganimat jaan bach gayi thi itna sab kehne ke baad wo buri tarah darr gayi uski saheliya bhi yahi sochne lagi ye ghar haunted hai lekin main janta tha wo saaya jo sumi pe savaar tha oosi ne sumi ka badla rehana se liya tha..maine sumi ki taraf dekha jo gambhir sehmi roti darrti rehana ko dekh mann hi mann jaise khush ho rahi thi….

Agli subah jab main jaaga toh maine paaya ki jaise bungalow par koi nahi tha main hadbadakar upar kamre mein pahucha guest house khaali pada tha par sumi ka kamra khula pada tha par waha koi nahi tha….meri kuch samajh nahi aaya aakhir sab gaye kahan they? ho sakta hai ghumne

main bahar jab pahucha toh compound mein hamari gaadi waise hi khadi thi…fhir wo log apna saaman liye kahan chale gaye? dayi taraf nazar ki toh sumi ko dur pahadh ke kinare chupchaap khada paaya wo khaamoshi se ghati se niche dekh rahi thi...main uske paas daudte huye aaya...us waqt bhi hawao ka shor kaano mein lag raha tha

sumi ektak chupchaap saamne ki taraf gungunaate huye dekh rahi thi…."sumi mam wo aapki saheliya kahan chali gyi kahi ghumne par guest house khaali hai unka saaman bhi waha mauzud nah!?"

meri baat khatam bhi nahi huyi ki sumi ne baat beech mein kaanta..aur usne jo bataya wo mujhe hairat mein daalne ke liye kaafi tha

"wo log jaa chuke hai maine un sabko chale jaane kaha kyunki mujhe apni khushi mein hissedar nahi chahiye rehana ki tabiyat zyada bigad gayi thi maine unhein sheher chale jaane keh diya waise bhi yaha rehti toh darr darrke rehti mere bungalow ko haunted kaha tha un logo ne bas isi ki saza di hai unhein"

main samajh nahi paa raha tha sumi ke dimaag mein kya chal raha tha? ekdum se usne apni saari saheliyo ko bhaga diya jabki wo yaha unhi.ke sath samay bitaane aayi thi...main jaan chuka tha sumi aam ladki nahi thi oose rehana ki bhi halat ka parwah nahi hua

"ab main yahi kuch din akele rahungi mere liye nashta banao aur suno aage se namak theek se daalna mujhe unki tarah tareef karna pasand nahi"......sumi ki baat sunkar main gambhir hoke sar sehmati mein hilaaye bungalow ki taraf aane laga

sumi chupchaap muskuraye fhir gungunaate huye saamne ki gehri khaayi ki taraf dekhne lagi…

to be continued...
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 51 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #17 on: February 25, 2022, 04:53:06 PM »
Chapter 15

Main sumi ke liye kitchen mein nashta bana raha tha saath saath dopahar ke liye khaana bhi banane laga bread toaster se nikla to maine oose jaldi se plate mein rakha fhir tawa pe omlette fry karke jaldi se oose plate mein daala...fridge se juice bahar nikaalke ek glass bharkar bread omlette ke plate ke sath sajaye tray par rakha aur fhir ek sandwich oven mein daal diya apne khaane ke liye...kashmakash mein tha ki sumi ki saheli rehana ke sath kal raat jo kuch bhi hua aur fhir ekdum se uthne ke baad kisi bhi saheli ka waha namauzdgi is baat ko kahi na kahi mujhe kaundhne pe mazbur kar rahi thi ki sumi do kisam ki hai ek wo jo hum jaisi aam insaan hai par magroor lekin dusri uske bilkul hi alag ek khatarnak jaanleva shaksiyat jo agar gusse mein aa jaye to kuch bhi kar baithe toh kya rehana ko dhakka dene wala wohh sumi nahi uske upar haavi jinn tha us raat bhi jab wo mere kamre mein aakar mera gala dabaye mujhe hawa mein utha di thi aur aafrupi taur se kamre se bahar chali gayi thi jabki darwaja toh andar se hi band tha yakeenan shaq ki gunzaish hi nahi bachi thi eka ek uski sabhi saheliyo ka chale jaana saaf tha ki usne jaanbhujkar aisa kiya tha….achanak tej siti ki awaz se main hadbada gaya..pressure cooker baj utha tha mujhe sumi ko nashta dene ka khyaal aaya jo kabse thanda ho raha tha tray par….

main jaldi jaldi oven off kiye tray uthaaye bahar aaya...sumi bagaan ke bich saje table ke paas kursi par baithi huyi thi...main uske paas nashta lekar aaya aur ooske saamne table par rakhne laga...sumi sidhi baithkar nashta karne lagi main uske paas khamoshi se khada ho gaya ki agar oose kuch zarurat pade toh main waha pehle se maujud rahu…..sumi ne meri taraf dekhte huye juice piya main nazare dusri taraf fhair li..

"adam tumne breakfast kiya?"......usne pucha
"ji nahi main baad mein kar lunga"......maine jawab diya

"jaldi se kaam khatam kar farig ho jao paas mein ek jheel hai hum wohi jaa rahe hai ho sake to lunch bhi wohi karenge aaj ghar mein rehne ka mood nahi hai"

"ji mam".......main sumi ke jhoote plates uthate huye gaur kar raha tha ki wo aaj behad khush thi oose koi afsos nahi tha ki uski saheliya chali gayi ya kal raat koi hadsa hua bhi tha…

main ulte kadam laut hi raha tha ki usne awaz di maine piche mudkar uski taraf dekha…"ek baat batao adam kya tumhe ye jagah pasand aayi?".......usne muskurake mujhse sawaal kiya

"ji mam"......maine bhi charo or nazar fhiraate hue uski taraf dekhkar kaha

"mujhe yha ki hawao ka shorr ye sannata ye khaamoshi aur usse bhi zyada charo taraf ki ye khubusurat waadiya bahut pasand hai"

main chupchap raha uski baat sunta raha usne baat ko badalte huye mujhe jaane aur jaldi se faarig hone kaha main hadbadakar waapis bungalow mein aaya jhoote nashte ke bartan sink mein rakhe aur fhir   ek glass doodh aur uske saath sandwich oven se nikaalkar jaldi jaldi khaake fhir kaam mein jut gaya

                                        --------------------

Kaam se faarig hokar main nahane chala gaya naha dhokar tayyar hoke maine dopahar ke liye tiffin pack karke kitchen se bahar lauta toh sumi ko sidiyo se utarte huye tayyar dekha uske ek haath mein uska wohi keemati phone tha usne meri taraf nazarein uthaayi main bag mein tiffin rakhne laga….usne mere pehne shirt aur jeans ko ghurrte huye mujhe chupchaap khadi dekhti rahi...maine uski taraf dekhkar bag peeth pe taangte huye ooski taraf palta

achanak kahan se uski kaali billi sissy daudte huye  uske paas aakar uske pao par lipatne lagi...sumi uske saath khelne lag gayi uske ruye par haath phairte huye oose pyar karne lagi….main ghar se bahar nikla gaadi ki dikki mein bag daala aur waapis ghuma to paaya ki wo sidiya utarkar bahar aa rahi thi uske goad mein ab bhi sissy thi...maine gadi ke piche ka fhatak khola to usne aage baithne ki iccha zahir ki meri bagal waali seat par...maine bagal wala darwaja khola to wo sissy ko liye ghadi mein baith gayi maine darwaja lagaya aur modh kaantte huye uske bagal mein driving seat pe aa baitha…

gaadi bhari engine ki garjan se shuru huyi main compound se gaadi ghumaate huye main gate se bahar nikla gaadi roki aur fhir utarkar dwaar lagaaye waapis gaadi mein aa baitha….sumi is beech khaamosh hi baithi sissy ke baalon par haath phair rahi thi..maine gaadi thodi tej ki itne mein galti se haath se mp3 player on ho gaya jismein mera pause kiya gaana dobara baj utha...main band karne ki niyat se haath aage badhaaya hi tha ki sumi ne tatkal mujhe roka

"bajne do ye gaane sab tum sunte ho?"

"ji mam"......main hichkichaate huye haan mein sar hilaaya

sumi ke chehre pe pehli baar maine itni muskurahat dekhi thi...us waqt mujhe uske saath baithne mein azib sa sukoon mil raha tha na jaane kyu? upar se wo gaana mahoul mein ek azib khichav paida kar raha tha hum dono ke darmiyaan

"aye meri zindagi tu mere saath hai
ab mujhe is zamane ki parwaah nahi
jaan de doo bhi main jaan le loo bhi main
koi keemat chukaane ki parwaah nahi
aye meri zindagi tu mere saath hai"

Wo gaana dheere dheere sumi khud gungunaane lagi main khaamosh drive karta raha itne mein baayi taraf jheel shuru huyi aaspaas sirf pahadh aur khaali raasta jaata hua dikh raha tha...maine gaadi kinaare roki toh paaya sumi soyi sissy ko piche ahetiyat se rakhte huye bahar utari...main bhi gaadi se bahar nikla hum dono akele jheel ke paas aakar pier ki taraf pahuche...sumi wohi pier par baithkar apne pao se sandles utaarkar aidi tak pao ko paani mein dubaaye khelne lagi..oose aisa tanhaai mein khush maine kabhi nahi dekha tha

"aao baitho na yha par".....sumi ne piche mudkar meri taraf dekhte huye kaha

main dheere dheere uske paas aakar baith gaya…."jaante ho bahut waqt baad yaha aayi hun wo ghaati dekh rahe ho na main aksar bachpan se abba ammi ke sath yaha aati toh waha khelte khelte pahuch jaati thi waise tumhe tairna aata hai?"

"nahi mam darasal mujhe bilkul tairna nahi aata"

"hmm accha tum caretaker ho na matlab yaha bhi main tumhare zimme hoo hamari hifazat karna tumhari duty hai hamari dekh rekh karna kuch zarurat ho to oose pura karna yahi tumhari duty hai na right?"

"yes mam sahi kaha aapne"

"toh agar main is paani mein dub gai toh tumhe toh mujhe bachana hoga na chahe iske liye tumhe paani mein kudna hi kyu na pade am i right?"

uski baat sunkar main sihamne laga main oose ghabrai nigaho se dekhne laga…..par uske sawal ka jawab dene mein mujhe bahut mushkil ho rahi thi wo gehra jheel tha aur dusra mujhe tairna nahi aata tha wo sankaahi thi agar paani mein jaanbhujkar kud gayi to uski hifazat ka zimma mujhpar hi padna tha chahe uske liye mujhe khud kyu na kudna padta? par main bahut darr gaya zarur wo koi khel khelne waali thi

"arre kaho na kya hua chup kyu ho gaye? kahi darr to nahi gaye hahaha arre main mazaak kar rahi thi accha chodho aao"......usne mera dhyaan todte huye uthkar meri taraf apna haath badha diya

"mam main uth jaunga"......lekin usne meri baat ansuni karte huye apne komal haath mere haath mein lapaitkar jaise mujhe uthaane ki lehze se kheecha

main khada hokar uski taraf dekhne laga usne apna haath mere haath se juda kiya…."mam islam sahab ko pata nahi aap yaha apni saheliyo ke saath nahi hai aur aise mein agar unhe ye malum chala ki main aur aap yaha akele stay kar rahe hai toh!"........mere keh paane se pehle hi usne maathe pe shikhar laate huye meri baat kaanti

"stay kar rahe hai toh kya adam? kya sochenge ki unki beti apne naukar ke sath hai tumpar bharosa karke hi toh mujhe yaha bheje hai na...toh kya sochenge wo? bolo na kya yahi sochenge ki unki jawan beti ke saath unka jawaan naukar na jaane uske akele mein uske saath kya kar raha hoga? yahi soch rahe honge aisa tumhe lagta hai na adam bolo na"

"m..mam mam pls rukiye mam aisa mai..ne nahi kaha mamm"....wo dheere dheere gambhir hokar mere paas ek ek kadam badha rahi thi aur main piche hota jaa raha tha ye bhul gaya ki pier aur mere pao ke beech ab koi fasla nahi tha

"mam main gir jaunga pls mam"........isse pehle main aur kuch keh paata usne mujhe zor se dhakka de diya main chillakar aundhe munh sidha jheel mein gir gaya

mera dum ghutne laga paani mere upar chadhte jaa raha tha main haath pao paani mein maarte huye upar uthne ki koshish kar raha tha lekin shareer paani ke dabaav se niche jaane laga…"mm.mam plss savve mee mamm"....main khaaste dubte tadapte huye sumi ki taraf guhaar lagane laga…"m..mam w..o muj.he tai..rna na.hii aata mam help me"....wo pier pe khadi hasste jaa rai thi aisa laga jaise wo mujhe maarne ke liye hi wahan laayi thi…

main ab aur paani ke gehraaiyo mein dubte huye jaane laga….ab aisa laga ki dum ghutt jaayega aankh bhaari hone laga saas rukne lagi...achanak usi waqt kisi ne paani mein chalaang lagaayi aur koi tairta hua mere paas aaya fhir usne ek jhatke mein mere jism ko paani se bahar kheecha main hawaa mein ukadhti saas kheechte huye tadapne laga wo sumi thi wo tairte huye mujhe pakade pier ke paas laakar mujhe upar dhakelne lagi main jaise taise behoshi ki haalat mein pier par chadhkar gir gaya hum dono bheeg chuke they sumi bhi paani se bahar nikli pier par chadhkar usne apne geele kapro ko jhaada aur fhir mere geele shirt ke buttons kholkar mere seene ko dabaate huye mujhe hosh mein laane lagi fhir mere upar sawaar hokar usne mere chehre ko jhinjhoda

"adam adam hosh mein aao kuch nahi hua tumhe tum theek ho"....usne mere haath ko ragadte huye to kabhi seene pe haath rakhkar zor zor se dabaate huye mujhe hosh mein laate huye kaha

meri aankhe bojhal si ho rahi thi achanak usne mujhe khaaste huye dekha usne seene ko sehlaate huye dono haath ke dabaav se waha push karne lagu...seene pe uske haath ke dabaav se main munh se paani ugalne laga...sumi ne mere chehre ko sehlaaya uski geeli zulfein mere chehre pe pad rahi thi uski garam saansein mujhe ekdum apne chehre pe lagti mehsus ho rahi thi main nidhaal padh chuka tha saansein kheech paana mushkil lag raha tha.. halat ko dekhte huye usne bina dairi kiye apne honth mere hontho se jod diye aur apne munh se saans mere munh mein dene lagi us waqt us haalat mein bhi mujhe uske hontho ki mehek aur garam saansen apne bheetar ek azib sa ahesaas kara rahi thi usne honth alag karte huye mujhe fhir dekha main hosh mein aane lag gaya…

"theek ho?"....usne mujhse pucha
"h..haan mam"....maine saanson par kaabu paate huye kaha uske haath ab bhi mere chehre ko thaame huye they

din dhal raha tha sard hawa geele badan par lagne se aur sirhan paida kar rahi thi par uska mere itne kareeb aa jaana mujhmein garmahat de raha tha main ektak uski taraf dekhne laga aur oosse alag hona chaha wo bhi abhi kuch dair pehle jo kuch hua shayad wohi sochkar sharam mehsus karte huye mujhse alag huyi...main apne geele shirt ko utaarke oose jhaadhne laga

"aapne meri jaan bachaai uska shukriya"

"chalo humhe waapis chalna chahiye shaam zyada nahi karna chahti mujhe lunch bhi karna hai main gaadi mein baithne jaa rahi hoo mere pure kapde geele ho chuke hai i have to change"....usne meri taraf nazar churaate huye meri baat jaise ansuna karke gaadi ki taraf daud gayi

main waise hi khada reh gaya aaj jo kuch hamare beech hua wo shayad nahi hona chahiye tha lekin isme galti meri toh nahi thi kitno bhi ho uski meri haisiyat mein zameen aasman ka farq tha usne meri insaniyat ke naate hi to jaan bachayi thi….lekin wo waaqya main bhul nahi paaya pehli dafa kisi khubsurat ladki ke pehlu mein maine khud ko mehsus kiya tha..

main gaadi mein sawaar hua toh paya sumi khaamosh thi mujse nazar nahi milaa rahi thi main samajh sakta tha mazaak mazaak mein jo wo mere kareeb aayi shayad oose bhi bura lag raha tha maine kuch kaha nahi main gaadi waapis bungalow laaye pahucha...dining table pe khaana jab rakhne laga toh sumi chheekhne lagi shayad geele hone se oose sardi lag gayi thi…

"mam aap change kar lijiye main coffee banake laata hun"....maine bhi apne geele kapre ko jhaadte hue oosse kaha

"main lunch upar karungi khaana upar le aana"

itna kehke wo sidiya chadhkar upar chali gayi main geele kapre utaare living room mein change karne chala gaya…..coffee aur khaana garam kar tray mein sajaaye jab maine sumi ke kamre mein dastak di to wo khuli huyi thi…."sumi mam sumi mam"....maine paaya sumi waha nahi thi kamra khaali pada tha main oose awaz dekar idhar udhar dhundhne laga par wo waha kahi nahi thi..

main waapis tray liye niche pahucha to paaya wo living room mein aakar chimney ke niche aag lagaaye haath saik rahi thi aag ki garmahat pure kamre mein fail rahi thi...main khaana table par rakhkar ooske paas aaya wo sofey pe mehez bath coat pehne uske upar razaai odhey baithi huyi thi maine table uske paas laakar rakha usne mere hath se coffee li wo aag ki taraf coffee ki chuskiya lete huye dekhne lagi

"meri tabiyat thodi theek nahi hai isliye main yaha aag saikne chali aayi"

"koi baat nahi mam aap kahein toh doctor ko bula lu"

"nahi mere abba ko malum chala to wo mujhe lene kisi ko bhej denge main yaha se jaana nahi chahti"

main khaamoshi se aag ki lapato ko dekhte huye uski baat sun raha tha…"accha adam ek baat batao kya tumhari zindagi mein koi bhi girlfriend nahi hai?"

uski baat sunkar main koi jawab dene mein sharam mehsus karne laga to wo meri taraf dekhne lagi maine na mein sar hilaaya….."koi dost bhi nahi hai".....maine kaha

sumi coffee peete huye kuch dair khaamosh rahi fhir khaane ka plate uthaye usmein saje khaane ko khaane lagi usne meri taraf dekha main waise hi zameen pe khaamosh baitha tha…."tum nahi khaoge?"......usne toka

"aap ke baad aapko koi!'

"mujhe kuch bhi zarurat hoga main keh dungi akele akele khaana mujhe pasand nahi ek plate uthaao aur mere saath aakar khaana khao"

pehli dafa sumi ke munh se khud ke liye parwaah mehsus kar raha tha warna aajtak wo hamesha mujhe meri haisiyat ya nicha dikhaane ka koi bezzat bhara mauka nahi chodhti thi main uske paas bagal mein baithkar khane laga is beech sumi mere personal life ke baarein mein puchne lagi main oose sabkuch bataata raha yaha aane ki mazburi tak apni saari daastan oose sunaai...mahoul thoda zazbaat se bhar gya usne bhi kaha ki uske abba ammi oosse bahut pyar karte hai unhe bhi fikar lagi rehti hai ki unke baad unki betiyo ka khaas karke uska kya hoga? log saamne nahi to peeth piche uske maa baap ke oose dimaagimariz to pagal kehte hai jabki koi rishtedar ya kareebi isi darr se uske yaha rehne nahi aata kehte kehte sumi maayus ho gayi

"aap bilkul theek hai sumi mam aapmein koi kami nahi aapke abba ammi aur behane hai naa apke sath to fhir kisi ki baat se kya farq padta hai?"

"hmmm faraq to nahi padta par jiska saath chahiye wo bhi aapse darrne lage ghabraye aapko chodh de to bahut taqleef hoti hai".......main sumi ka matlab samajh nahi paaya uska gala bhari ho gaya wo subakne lagi

us haalat mein mujhse aur kuch kehna nahi hua main chupchaap khaana se faarig hoke table pe rakhke jhoote plates ko uthaake waha se uthkar jaane laga….sumi ne ek baar palatkar mujhe nam nigaho se dekha fhir muskurakar saamne jalti aag ki taraf dekhne lagi….main jhoote bartan saaf karte huye yahi soch raha tha ki sumi kiske saath na hone ka zikar kar rahi thi koi uske zindagi mein tha jo shayad oose chodhkar chala gaya tha...koi bhi aam insaan us jaisi mansik haalat wali ladki ke saath kaise zindagi guzaarta? shaam hote hote jab main waapis lauta to sumi wohi sofey pe gehri neend mein soyi padi thi maine oose jagaya nahi saamne.aag thodi bujh chuki thi..

raat tak oose bukhar aa gaya aur uski tabiyat kharab ho gayi main fikarmand uske paas hi mauzud raha ooske jaagne ke baad oose raat ka khaana khilaaya dawaai di aur uske razaai odh lene ke baad main kamre ka darwaja lagaaye sidiya utare waapis apne sofey pe aake lait gaya...aaj thand thodhi zyada thi mere zehan mein abtak huye saare waaqye sumi ke ghum rahe they….dheere dheere mujhpar neend haavi hone lagi

dair raat na jaane kitna waqt ho raha tha dur diwaar pe tangi ghadi ki suyi tik tik karke bajte huye chal rahi thi neend mein bhi mujhe us awaz ka ahesaas ho raha tha ek pal ko main bhul gaya ki main akela us ghar mein aise ladki ke saath tha jispar kuch savaar hota tha lekin main sumi aur khud ke kareeb aaye us pal ko neend mein bhi anubhav kar raha tha jitna main oosse darrta tha wo waisi nahi thi uske bhi dil mein dard tha usne mujhe aaj bezzat nahi kiya balki shararat karne ke bawjud usne meri jaan bachaayi thi..

itne mein mujhe ho ho karti hawaao ka shorr apne kaano mein sunaai diya… aur theek tabhi."adamm".....kisi ne dheeme se mere naam ki awaaz mujhe di...gehri neend ke bawjud mere band aankho mein halchal hone lagi par main hosh main nahi aaya...achanak mujhe ahesaas hua koi mere theek upar savaar tha

to be continued...
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 51 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #18 on: February 25, 2022, 04:54:58 PM »
Chapter 16

Us sard bhari raat mein mujhe apne jism pe kisi ke savaar ho jaane ka bhaaripan mehsus hone laga saaf mehsus kiya ki us cheez ne mere jism se chadar ek jhatke mein kheechkar faikh di main kasmasane laga par mere haath pao mein jaan nahi thi wo mere pure badan par haath phair raha tha fhir jaise mujhe apne chehre pe kisi ki garam saansein mehsus huyi ek pal ko dhyaan mein aaya ki aisi garam saanson ko maine tab mehsus kiya tha jab sumi mere chehre ke paas apna chehra kareeb laayi thi…

wo garam saansein aur bhi tej mere chehre pe padne lagi...ab main kisi ki awaz mehsus kar raha tha wo jo koi bhi tha oose main khwab mein nahi haqeeqat mein mehsus kar raha tha achanak aisa laga jaise ab koi fasla uske aur mere chehre ke darmiyaan nahi tha...wo mere seene se lipati huyi thi aur mere badan par haath phair rahi thi achanak uski wohi dohraati bhari awaz kaano mein padi ab aisa laga jaise usne mujhe kasske thaam liya tha main uski pakad se azaad nahi ho paa raha tha main akadne laga mere gale se ghutti awaz maarein khauff se nikalne lagi apne chehre aur badan par uski garam saansein chodhne aur uske mulayam hontho ka ahesas ho raha tha maine ekdum se puri taqat jutaakar aankhe kholi toh main dehshat mein aa gaya..

main bhauklake cheekhte huye utha….us sard andhere living hall mein main akela sofey pe laita hua tha jise mehsus kar raha tha waisa koi bhi shaks mere upar sawaar nahi tha main hadbadaaye kabhi idhar kabhi udhar dekhne laga koi nahi tha gup andhera aur sannata shayad wo mera waqayi koi bura khwab tha maine chadar zameen pe faika hua paaya ho sakta hai karwat badalne pe niche gir gaya ho..

achanak ek baargi mann mein sumi ke kamre jaane ka khyaal aya dekhkar aata hun kahi wohi to nahi thi wo aam ladki nahi thi ek baar wo mere paas raat gaye aakar mujhe maarne ki bhi koshish kar chuki thi...main dabe pao sidiya chadhkar uske kamre ke paas aaya darwaja halka sa dhakelkar khola wo gehri neend mein dubi razaai odhe so rahi thi shayad mera hi khyal tha ki wo kuch der pehle niche aakar mujhpar sawaar huyi thi..

main darwaja sataaye waapis sidiya utarkar living hall pahucha sofey ke pehlu mein aakar dhair ho gaya...kayi dair tak oosi saaye ke baarein mein sochte sochte mujhe neend aa gayi…

Soyi huyi razaai odhe sumi ne achanak apni aankh ekdum se khol daali aur uske chehre pe ek kaatilana muskurahat aayi…

                                            ------------------

Agle din thoda dair se meri aankh khuli main kaam mein jut gaya saaf safaai ke baad sidha nashta banaakar tray mein sajaaye sumi ke kamre mein pahucha sumi us waqt bistar par waise hi soyi huyi thi maine darwaja khatkhataake oose awaz dekar jagaaya fhir uske paas aakar nashta bistar par rakha sumi coffee peete huye meri taraf dekhne lagi main khaamoshi se nazare jhukaaye khada tha..

"kya hua?".....sumi ne toka

"kuch nahi mam"

"toh tumhare chehre pe ye pareshaani kaisi? darro nahi islam sahab kuch nahi kahenge ki maine apni saheliyo ko bhaga diya aur tum mere sath yaha bungalow mein akele ho kal waali baat bhi main unhe nahi bataungi".....usne muskurakar jheel waale baat yad dilakar mujhe chedte huye coffee ki chuski lete huye kaha

main kuch nahi bola maine paas daraaz se dawaai uthaai aur oose dene laga….."mujhe dawaai nahi khaani".....usne munh sa banate huye kaha

"mam aapki tabiyat behtar ho jayegi waise bhi aapko kal raat bukhar tha pls mam le lijiye aap jaldi theek ho jaogi warna aapke abba ko pata chala ki aap bimaar hai aur maine aapki theek dhang se khyal nahi kiya to wo mujhe naukri se nikaal denge"

usne meri baat maante huye dawaai li….main nashte ki tray liye waapis jaane laga to usne mujhe awaz di…"yes mam".....main uski taraf palta

"mera itna khyaal rakhne ke liye shukriya and i m sorry ki itne waqt tak maine tumhe yun ill treat kiya pareshan kiya tumhe hamesha bezzat kiya"

"arre mam ye kya keh rahi hai? aur rahi baat ismein shukriya kaisi ye to mera farz hai isi ki aaude se to main yaha mauzud hoo aap logo ke diye se meri rozi roti chalti hai agar mujhse koi bhul huyi ho to main maanfi maangta hoo"

itna kehkar main muskuraaye jaane laga to usne jaate jaate bas itna kaha maalik ki di maanfi aur tohfe ko nakaara nahi qabul kiya jata hai...maine mudkar apne seene pe haath rakhke sar jhukaaya to wo muskurakar hass padi aaj pehli dafa uske chehre pe mere liye muskurahat thi aur mere dil mein khushi ki usne apni galti ko khud maan liya tha…

Isi tarah do din guzare main us bungalow mein uske saath saaye bankar rehne laga uska khyaal dekh rekh karne laga raat gaye uske sirhaane ke paas rehkar oose khilaana dawai dena baatcheet karna aisa karte huye uski tabiyat mein sudhaar aane lagi aur wo bilkul theek ho gayi mera bhi kaam mein mann lagne laga ab uske paas jaane se hichkichahat nahi hoti thi aisa lagta tha ki hum naukar malik nahi ek dusre ke dost hai main uske kehne pe ab uske saath khaane lag gaya..is beech usne ye qabula ki wo aam ladki nahi thi us raat ko jab usne mera gala ghotne ki koshish ki toh uski wajah mujhse sirf narazgi thi par na jaane kyu uska mann badla aur usne mujhe zinda chodh diya fhir rehem mein aakar usne mujhe khud uthaakar bistar par razai odhe behosh laita chodh diya aur wo oos darwaje se nikli bhi thi aur jaate waqt apni aafrupi taqato se usne darwaje ko andar s band bhi kar diya tha isliye mujhe yakeen kar pana mushkil lag raha tha usne fhir qabula ki uski zindagi mein main hi pehla aisa ladka tha jiske kareeb wo itne waqt tak rahi rehana ke sath jo kuch bhi hua tha uski bhi zimmedar wo khud thi kyunki wo dard dene waalo ko kabhi nahi bakshti thi usne fhir wohi bachpan ki kahani bataayi jo mujhko naukar kaka ne pehle bataayi thi...main sunkar afsos jaahir kiya lekin us masle pe baat kam hi cheda jo kuch uske sath hua tha ya jo cheez bhi uspar sawaar thi oose gehraai tak janne ki aur koi koshish maine nahi ki…

In do dino mein uska mere saath bartav bilkul badal chuka tha wo mere kareeb aa gayi aur ab ek naukar ki haisiyat se nahi dost ke haisiyat se peshane lagi thi….main uske is bartav se behad khush tha lekin ab bhi ek daayra banaye huye tha islam sahab ko agar malum chala ki unki beti mere nazdeek aane ki koshish kar rahi thi to ho sakta hai wo ye baat pasand na kare lekin jabtak hum oos ghar mein akele they tabtak kisi bhi kisam ki koi dikkat mujhe nahi thi..

Us shaam islam sahab ka mujhe call aaya ghar ke haalat ke baarein mein aur sab theek hai ki nahi unhone sawal kiya maine bejhijhak sab khairiyat hai bataaya unhe yahi laga ki beti ke sath unki saheliya ab bhi mauzud hai...sumi ko phone dene kaha sumi ne phone mere haath se lete huye unse kayi dair baat ki fhir usne phone cut kar dia usne kaha ki uske abba humhe waapis ghar bulaa rahe they unhone mujhe khaas huqam bheja tha ki agle saptah tak unki beti ko waapis sheher le aau maine sehmati mein sar hilaaya par sumi ka chehra udaas ho gaya tha kyunki wo waha se jaana nahi chahti thi..

Raat gehri ho chuki thi ghadi mein barah bajte hi tann tann karke ghanta baj utha...main kitchen se faarig hoke thaka haara kabse laite huye sofey pe takiya pe sar rakhkar chadar odhey karwat badal raha tha malum nahi sard khaamoshi chaayi thi...meri aankh bhaari hone lagi aur dekhte hi dekhte main so gaya..achanak gaye raat fhir sirhan mehsus karta hun apne pure badan par main kaanp utha koi thandi hawa ka jhonka jaise kisi ne mere kaan par fhuka ho maine aankhe nahi kholi par karwat badal li...achanak kisi ne mere badan ko chua jabki chadar odhe huye tha tabhi koi kasskar mujhse lipat gaya mujhe apne shareer pe fhir bharipan mehsus hua aur main mann hi mann khauff khaane laga kya ye sumi ho sakti thi? nahi ya uske upar ka wohi saaya! sochte sochte main ooske garam saanson ko dohri bhari awaz mein nikalti aahon ko saaf sunne laga uske baal mere chehre ke ird bikhare huye uska chehra mere chehre ke kareeb tha..

achanak maine haath badhaya toh uske peeth par mera haath tha maine aankh kholni chahi to usne kasskar mere aankho par haath rakh diya maine dheeme se kaha "kaun ho?".....par usne koi jawab nahi diya aur theek tabhi uske honth mere hontho se jud gaye...main kuch samajh nahi paaya mera jism mere kaabu mein nahi tha aur main ooske aur kareeb kheechta chala gaya usne mujhe apni aagosh mein bhar liya zazbaat aur hawas mein main itna malin ho chuka tha ki sacchai aur asliyat ko jaane bina usse nawaqif ho chuka tha…wo haqeeqat tha koi mera khwab nahi bahar baarish shuru ho chuki thi bijliya kadak rahi thi par mere kaano mein chute uske honth se nikalti siskiya sunaai de rahi thi wo mere chehre aur gardan seene ko chumte huye mujhse lipat gayi aur main bhi oose aur kasskar khud se lipat jaane diya na jaane us raat kab meri aankh lagi thi aur kab wo tufaan thama tha mujhe malum nahi….

Subah suraj ki tej dhoop mere chehre pe padi...main ekdum kasmasate huye haafte huye uthne laga toh maine paaya main sofey pe nahi tha wo koi laal resham ki moti razaai mere jism pe odhe huyi thi..main aankhe masalte huye hosh mein aakar charo taraf dekhne laga y..ye to living hall nahi sumi ka kamra tha...main bhauklaaye jab apne jism pe nigaah dalta hun to dang reh gaya mere jism pe ek bhi kapda nahi tha achanak mujhe ahesas hua ki main sumi ke bistar pe tha meri nazar bagal ki taraf jab huyi to main safed pad gaya us razaai mein sumi bhi mujhse lipati so rahi thi aur uska bhi kuch wohi haalat tha jo mera tha maine razaai uske badan se jaise hataakar jaayeza liya to kal raat hua wo sab waqya mere nazaro mein ghumne laga yaani ki wo saaya koi aur nahi khud sumi thi aur maine uske saath kal raat! ye kya kar daala tha maine? main ekdum se razaai odhkar nange jism bahar nikalke apna kapra dhundhne laga lekin waha mera kapra nahi tha paas rakhka paani se bhara glass maine uthaake oose ek saans mein pee gaya maare ghabrahat mein andar ke bathroom gaya aur waha apne chehre pe betasha paani maarne laga main samajh nahi paa raha tha aakhir aisa hua kaise? jo bhi hua wo galat hua wo meri zindagi barbaad kar sakta tha mujhe salaakho ke piche daal sakta tha islam sahab agar us waqt us haalat mein mujhe aur apni beti ko ek saath dekhte toh qeher naajil ho jata wo mera qatal kar daalte...main kamre mein lauta aur gaur karne laga kya in sab ke piche sumi ka haath tha aisa kaise par ho kyu nahi sakta? sumi aam insaan nahi hai main jaan chuka hoo to kya janbhujkar usne? par kyu?

maine sumi ko jagaane ka khatra mola nahi lekin oose malum to chalna hi tha main sar par haath rakhkar wohi baith gaya achanak mujhe ahesas hua sumi jaag chuki thi main oosse nazar nahi mila paa raha tha..

"s..summi mam ye sab kaise? kab?"........main bhauklaaye royi awaz mein oosse sawaal kar raha tha lekin hairani to tab huyi jab wo mujhe dekhte hi dekhte zor zor se hassne lagi main uljhan bhari nazro se oose dekhne laga

main itna to jaan chuka tha ki main ek bahut bhari musibat mein fassne wala tha...aur sumi ne ye sabkuch jaanbhujkar mere saath kiya tha….uski wo shaitani hassi jaise sabkuch byaan kar rahi thi...

to be continued….
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 51 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #19 on: February 25, 2022, 04:58:31 PM »
Chapter 17

Main bhauklaaye sumi ki taraf dekhne laga wo pagalo ki tarah apne nagn seene pe chadar ko mutthi bhar lapete mere haalat ko dekhkar hassti jaa rahi thi..

"m..mam be serious ye gambhir waqt hai aapko andaza bhi nahi ki kal raat kitna bara gunaah e azeem humse ho gaya hai pls mam stop laughing pls".....main chillakar uske hassi ko rokne ke liye royi awaz mein haath jodh raha tha

fhir uske chehre ka rang badla aur wo khaamoshi se takiye pe sar rakhkar lait gayi uski nigaah chatt ki taraf thi….main usse jawab paane ke intejar mein oose ghurr raha tha

"kal raat tumhare mere beech jo kuch hua wo tumhe gunah lagta hai jabki hum dono ki marzi shaamil thi khaaskarke tumari to zyada mard jo tehre ek khubsurat ladki zara sa pehlu mein kya aa laitti hai har shareef mard us waqt apni sharafat chodh uspar tut padta hai"

"mam meri koi marzi nahi thi m.mujhe to yaad bhi nahi ki main yaha aapke kamre mein is haalat mein kaise pahucha? main to sofe pe tha kal raat aapka wohi saaya mujhe apne upar mehsus hua tha mere haath pao awas kar diye they usne uthne tak ki mujh mein taqat nahi thi maano usne mere jism ko naa hi sirf bejaan kya balki it possessed me usne mere dil mein hawas ki aag paida ki aur main apna aapa kho baitha par main yaha kaise aaya mujhe kuch samajh nahi aa raha mam pls aap asliyat se waqif ye sab aapne hi jaanbhujkar mere sath kiya hai na"

sumi ekdum se fhunkarte huye meri taraf qeher bhari nigaho se dekhne lagi main ek pal ke liye darr gaya ki kahi wo mujhpe hamla na kar de...fhir usne gehri saans lete huye mere aankho se nikalte aansu dekhe uska chehra badalne laga wo mere kareeb aayi aur baalon par haath phairte huye mere chehre ko apne haatho mein lete huye meri nam nigaho ko dekne lagi mujhe uske nigaaho mein apne liye rehem aur mohabbat jaagti dikh rahi thi..

"kya tum khush nahi? kya tumhe apne kismat pe naaz nahi ki ek ameer khubsurat mujh jaisi ladki ne apna dil tum jaise shaks ko diya jise waaqayi log gareeb bebas ek badkismat naukar samjhte hai kya tu waqayi mujhse pyaar nahi karte"

"m..mainn k.aise aa.p se? ye kaise mumkin hai m..main toh aapke ghar mein ek naukar ki haisiyat se hoo itna badi soch main apne dil mein kaise laa sakta hun?"

"soch nahi ab laoge tum ab sirf mujhse pyar karoge aur mere hi rahoge"......sumi ke munh se nikalti garam saansein mere chehre pe  padh rahi thi main ghabraye uljhan bhare nazare idhar udhar fhair raha tha usne fhir kasske mera chehra pakadkar apni taraf mora taaki meri nazar uske aankho se idhar udhar na ho

"mam aapko andaza bhi hai agar aapke abba ko malum chala ki main aapke saath kal raat humbistar hua tha wo mujhe jaan se maar daalenge wo kattayi bardasht nahi karenge ki unke ghar ka unhi ke rehmo karam par rehne wala unka caretaker unki azeez beti se mohabbat kare ya uske kareeb bhi aaye mere chahne na chahne se koi farq nahi padta sumi mam wo kabhi hamare rishte ko badhne ki izazat nahi denge"

"naukar naukarr izazat haisiyatt damnn it"......wo ekdum se dahadkar gusse mein bistar par haath patakne lagi usne takiya nochke faikh diya aur gusse mein fhunkarne lagi main siham gaya

"main is bistar par kal puri raat tumhare saath nangi tumhare pehlu mein thi aur aise haalat mein mard aur aurat ke beech ka rishta sirf ek hi ho jaata hai haisiyat bhi ek ho jaati hai aur aukwad bhi aur tum kisse mere abba se darr rahe ho? mat darro main tumse waada karti hoo mere hote huye tumhe kuch nahi hoga"

"nahi mam mujhe darr lag raha hai kitno bhi ho unka wishwas aur apni imaandari ka maine gala ghont diya mere zimme unhone aapko bheja tha aur maine kya kiya? zazbat aur hawas mein andha hokar aapko kharab kiya nahi sumi mam behtar to yahi hai ki jo kuch kal raat hua aap oose bhul jaaye aur badle mein jo chahe saza de de main aapse kaise pyaar kar sakta hun? meri kya haisiyat aur waise bhi main aapse pyar nahi kar sakta kyunki main kisi aur ko pasand karta tha haalaki wo ektarfa mohabbat thi kabhi hum ek nahi ho paaye lekin aaj bhi mere dil mein wo basti hai jaane dijiye aap jo bhi kahiye mujhse nahi ho payega"

sumi ko yakeen nahi hua ki maine uska pyaar nakaar diya tha wo bari bari nigaaho se mujhe dekhne lagi jab maine kisi aur ka zikar kiya usne kasskar mere thuddi ko pakada aur mujhe bistar par giraate huye mere upar fhir savaar hote huye usne apni nazare meri aankho mein gada di

"kya kaha tumne dobara kehna matlab jo naseeb bhi nahi huyi uske naam par baithe huye ho aur jo main tumhare naseeb mein aayi oose thukra rahe ho bare wafadar nikle tum tohh nahi karoge na mujhse pyar tum ye bhul rahe ho ki tum kiske pehlu mein ho main agar tumhe pyaar de sakti hoo toh usse bhi badtar tumhe taqleef bhi de sakti hoo islam sahab tumhe kya maarenge? main hi us raat ka adhura kaam aaj pura kar deti hoo dhoka doge na mujhe pyar nahi kar sakte na toh chalo aaj tumhara bhi kissa khatam kar deti hoo aur tumhe maarkar main sidha yahi abba ko bataungi ki tumne mera zabran rape kiya aur uske baad tumhari yaha padi laash ke saath kya hoga ye tum soch bhi nahi sakte mere abba mujhe beinteha pyar karte hai wo meri hi sunenge mujhe koi farq nahi padega par tum zarur bemaut marr jaoge aur tumhari laash tak ka kisi ko malumat nahi chalega"

main safed padh gaya reh rehke mera jism dehshat se kaanp raha tha nahi janta tha ab mere sath kya hoga? sumi ki bari bari ghurrti nigaah meri taraf thi jisse qeher baras rahi thi...usne aise mujhe jakad rakha tha jaise kisi baaz ne apne shikaar ko...achanak main rone lag gaya main oosse minnat karne laga mujhe chodh dijiye mujhe maanf kar dijiye par oose aise jawab se koi farq nahi pada…

usne daraaz se dhaar dhaar chaaku na jaane kahan se kheechke nikaala aur oose mere aankh ke nichle hisse pe rakhkar sehlaane lagi….main buri tarah khauff kha gaya tha usne aisi shaitani muskurahat di ki oose dekhkar mera rom rom kaanpne laga usne wo chaaku sehlate huye mere aankho ke niche chehre pe dabaane lagi...main sisakne laga main oose apne upar se dur nahi kar paa raha tha….

"m..mam pls mam mam summii pls aisa mat karo sumii sumiii okay i will never leave you i will always love youu i will always love you i will do anything you want anything you want from me i will do it"......mere kehte usne hawa mein chaaku lehraate huye meri taraf chaaku ki nok bas aankho mein maar hi di thi lekin wo ekdum se teher gayi..

jab maine aankhe kholi to sirf ek ungli se bhi kam faasle mein chaaku meri aankho ke paas tha...main buri tarah darrkar oose rote huye dekhne laga usne chaaku ek taraf faikh diya aur mujhse lipatkar rone lagi main nahi janta tha maine ye kya keh diya tha? lekin ab mujhe ahesaas ho chuka tha ki ye baat zyada din islam sahab ya gharwaale kisi se chupegi nahi uske baad mera kya anjaam hoga mujhe malum nahi...lekin main sumi ki dehshat se mazbur tha waha se bhaag jaane ka koi rasta nahi tha siwaay maut ke...sumi itne waqt se kyu mere kareeb aayi ye mujhe ab jaake samajh mein aane laga

                                                 ------------------

Main sidiyo se niche aaya aur kitchen mein aakar sumi ke liye nashta banane laga dimaag puri tarah dehshat aur jo kuch hua tha usi mein duba tha….mera kaam mein mann nahi lag raha tha jab chaaku faikkar sumi mujhse lipatkar ye sunke khush huyi ki main uske sath rishta kaayam karne se raazi tha wo bas chahti thi ki sahi waqt aane par wo mujhse niqaah kar legi tabtak hamara rishta yun hi chalta rahe aur main oose yun pyaar karta rahu...mere aane se uski zindagi savar gayi thi jo mard wo apne zindagi mein talash rahi thi wo sabkuch oose mujhmein mil chuka tha...kal raat wo mere kareeb aayi thi jabki uspar uski jinni haavi thi jabse main uske yaha rehne aaya tha tabse hi wo mann hi mann mujhmein ek kheechav mehsus karti thi jo pehli dafa oose laga tha tabhi us raat mujhe wo maar nahi paayi thi ooska yun khyaal rakhna us raat un nashe kiye ladko se bachana….uski dekh rekh karna dost ki tarah uske paas rehna aur sabse badkar ooske dil ko jo maine samjha ye sab baatein oose mujh mein khub bhaayi…

usne ye dusri baar mujhpar apna jaadu kiya tha mujhe sammohan mein karke uski taqat ko mujhpar haavi kiya jis wajah se main uske kareeb kheechta chala gaya...oose is baat se koi faraq nahi padta tha ki main kaun hoo kya hoo aur kis haisiyat se uske paas hoo? wo bas muje paa lena chahti thi lekin agar maine naa kar diya hota uske faisle ke khilaaf apni marzi chalayi hoti to main baddtar maut uske haatho se paata aur rahi sahi kasar islam sahab to pura kar hi dete jisse darr ab bhi barqarar tha..

main hadbadaaye jaise taise toast pe butter lagate huye coffee aur omlette plate par rakha aur fhir sajaye nashta dining table par rakhne laga itne mein sumi mujhe utarte huye dikhi….main oose dekh kuch nahi bola sar jhukaaye waapis kitchen mein chala gaya...sumi kursi par baithe nashta karti huyi mujhe ghurr rahi thi kahi oose ye na lage ki main ghabra raha tha koi tarqeeb uske jaal se nikalne ki apne dimaag mein koshish kar raha tha wo kursi se uthkar mere kareeb aayi aur nazakat se usne mere chehre pe fhooka toh main hadbadakar oose dekhne laga….usne mere gaal ko chum liya mujhe uski aisi harqat karne ki umeed nahi thi wo akelepan ka khub fayeda utha rahi thi...usne mujhe kasske thaam liya aur apne gaal ko mere chehre se sataaye gungunaane lagi

"sumii mamm"

"sirf sumi kaho pyaar se"......usne mere kaano mein shehed gholti awaz mein kaha

"sumi ye sab mat karo pls"

"dobara mat kehna ab main jo kahungi wohi karoge samjhe main jab chahu tab tumhare kareeb aaungi tum kuch keh nahi sakte aur na sawal kar sakte ho"

"jii".....main kawadte huye bhari gale se kaha

usne mere kandhe par sar rakh diya...main bartan yun hi us haalat mein dhote huye ek taraf rakha...fhir usne mujhe apne haatho se nashta karwaaya wo mujhe pyaar dena chahti thi lekin main bebas mehsus kar raha tha samajh nahi paa raha tha ye sab kya ho raha hai wo meri nigaaho ko padhte huye gambhir hokar mujhe khilaate huye boli

"Soch rahe ho kaise bhagoge? kaise chodh paoge mujh jaisi pagal ko am i right?"

"n..haii nahii hargiz nahi sumi".....main ghabraayi baat pakde jaane ki dehshat se bola

"agar iraada aisa kiya hai to abhi ke abhi oose apne dil o dimaag se nikaal faiko kyunki mujhe naraaz karne ka matlab jante ho ye mat bhulo ki bachne ki koi gunzaish nahi milati nafarmano ko"....usne mujhe daraate huye nivaala khilaate kaha

main khaate huye sihamkar uski baat baccho ki tarah maan raha tha...usne muskuraya aur khaali plate sink mein rakh diya...main uske chale jaane ke baad waha se bhaari raahat mehsus kar raha tha ab koi rasta nahi tha uski baat maan lene ko...

                                        

Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 51 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #20 on: February 25, 2022, 04:59:13 PM »
Raat dhal chuki thi apni ukadhti saanson par kaabu paate huye sumi mere badan se alag huyi usne mujhe gulabi nazaro se dekha mere maathe par ungliya fhairte huye wo mere faile bazu pe sar rakhkar mere seene se lipat gayi usne kal din dhalte hi mujhe apni aagosh mein bhar liya tha aisa lag raha tha gunaah ko baar baar dohraane ki oose lazzat zabaan pe lag chuki thi...wo mujhse bejaan khilone ki tarah khel rahi thi...uski hawas thamne ka naam nahi le rahi thi aur main oosse khud ko dur nahi kar paa raha tha subah kareeban 10 bajne ko tha main nam nigaaho se apni barbaadi ko mehsus kar raha tha lekin kahi aisa lag raha tha main ab pura uske kaabu mein tha...achanak tej horn ki awaz huyi tyres ghassitte huye jaise zameen pe ruke main ekdum hadbada gaya aur sumi ki apne pehlu se dhakelte huye nange badan razaai faikkar paas khidki ke aaya sumi bhi sawali nigaho se chadar odhe apne badan par meri or dekhne lagi…

main dehshat mein aa gaya meri aankh fhati ki fhati reh gayi dwaar se gaadi andar islam sahab ki daakhil ho rahi thi…."ya allahh madad allah ab kya karu?".....khud se badbadaate huye main sumi ke kareeb pahucha paas bikhre kapde uski taraf uchaale

"jaldi kapre pehno tumhare abba aa gaye hai yaha par main isi din ke liye to darr raha tha niche darwaja laga hai mujhe aur tumhe aisi halat mein dekh liye to gazab ho jayega"

sumi hadbadakar bina kuch kahein apne bikhare kapre pehente huye uth khadi huyi...main jaise taise jeans aur shirt daalkar sharminda ka bhoj lete huye girte padte sidiyo se niche aaya aur fhir sidha main darwaja par pahucha darwaje pe dastak padti jaa rahi thi maine khud ke baal aur kapro ko theek kiya aur darwaja ek jhatke mein khola..

islam sahab dandanake meri taraf ghurrte huye andar aaye unka driver gaadi mein hi baitha hua tha dehshat se mera rom rom kaanp uth raha tha aisa laga jaise ab chori pakdi jayegi...main nazare jhukaaye unke piche piche aaya unhone charo taraf ghar ka jayeza liya...aur fhir meri taraf mude

"hmm darwaja khula kyu nahi tha? meri beti kahan hai sumi sumi"....unhone sumi ko pukaarte huye mujhse sawal kiya

"islam sahab sumi apne kamre mein so rahi hai aur billi ke khauff se darwaja band rakhta hun do baar kitchen mein nuqsan kar chuki hai".....meri baat sunkar islam sahab sofe pe baith gaye

"itni dair tak sumi soyi padi hai nashta wagaira kab karegi? kya tum oose jagaa nahi sakte they?"........unhone kadakkar kaha

"main unhe disturb nahi karna chahta tha"

"arre sumi ki sahelia nahi dikh rahi sab kahan hai?"......islam sahab ke is sawaal se main hadbada gaya

main kuch keh pata isse pehle wo uthe aur tej kadmo se sidiya chadhte huye upar ke maale jaane lage maine unhe rokna chaha par darr gaya...unhone piche mudkar nashta banane ka huqam diya...main sehmati mein sar jhukaaye waapis kitchen ki taraf chala gaya reh rehkar mann mein darr uth raha tha sumi kahi bataa na de kahi islam sahab ko kuch samajh na aa jaaye

kuch waqt baad maine dekha wo fhir niche utare is baar sumi unke gale lagkar unke saath thi…."abba aapka mere bina mann nahi lagta agle hafte ki to baat kahi thi aur aap aaj hi aa gaye"

"arre beta hahaha bas tumhare bina mann nahi laga accha ye batao itni dair se kyu soyi? koi taqleef to nahi huyi yaha pe waise bhi adam sahi se khaana wagaira de paata hai ki nahi? aur tumhari saheliya kahan hai?"

dono baap beti hass khelkar niche utar rahe they...mera darr thoda kam hua….main nashta dining table pe saja raha tha….dono kursi liye baith gaye…."darasal meri tabiyat thodi kharab ho gayi thi"

"kya? kaise?"......uske abba ne fikar se sawal kiya
"arre nahi abba aisa koi fikar wali baat nahi darasal halka bukhaar tha aur meri saheliya yaha se jaa chuki maine unhein chale jaane kaha"

"kya? adam tumne ye baat mujhse chupai? tum itne din yaha akele thi"....islam sahab mere rubaru hokar mujhse sawal kiye aur sumi ko dekhe main jhenp sa gaya

"arre nahi abba adam ne mere kehne pe baat chupaayi thi maine mana kiya tha ise aur isne mera behad khyal rakha accha khaana banane aata hai ise aur wo saheliya huhh kya kahu? wo logo ne kaha ye ghar haunted hai darasal rehana balcony se gir gayi thi oose kuch dikha tha"

sumi ki baat sunkar gambhir ho gaye islam sahab fhir meri taraf ghurrne lage main unhe aur unki beti ko nashta serve karne laga…"par abba darrne ki baat nahi isliye maine bhaga diya unhe dus baat banate afwah failaate"

"rehne do ab kuch kehne ki zarurat nahi"....islam sahab ne jaise uske saaye ki babat sochkar ye baat gambhirta se kahi thi main khamosh khada raha sumi meri taraf dekhte huye nashta karne lagi

nashta se faarig hoke islam sahab ne mujhe ghura…."tumne bataya nahi ki tum khaana bhi banaa lete ho".....unhe waqayi ye bat malum nahi thi maine haan mein sar hilaate huye bas yahi kaha ki main apni maa ka haath bachpan se bataate aya tha isliye khaana banana unhi se sikha tha...wo khaane ka jayeza lete huye jaise mujhse prabhavit huye they jabki main us ghadi kuch aur soch raha tha…

"main yaha aaj raat tehrunga aur main chahta hun ki ab sumi tum yaha se chalo akele rehna theek nahi tumhari ammi fikarmand hogi tumhari behane bhi aa chuki hai"

"nahi abba main itne jaldi yaha se nahi jaungi"

"par beta yaha akele karogi kya aur upar se tumhare parivaar ka yaha koi bhi nahi aur main tumhe yha akele nahi chodh sakta"......unka ishara meri taraf tha main gair ek jawan ladka unki jawan beti ke sath us ghar mein akela tha unki nigah meri taraf hi thi jabki main nazare jhukaaye kaam mein jut gaya tha

"nahi abba main yaha akeli nahi hoo adam bhi to hai aur adam koi gair nahi hai apne ki tarah khyal rakha hai isne mera..abba aapko meri baat pe yakeen nahi".....beti ke munh se meri tareef sunkar hairat mein pad gaye they wo jabki hamesha unhone oose mujhe sirf bezzat karte dekha tha wo kuch keh nahi paaye sumi ke zidd ke aage haar gaye

"theek hai par adam ki mujhe waha bhi zarurat hai main aisa karta hun tumari behan aur ek maid ko tumhara khyaal rakhne ke liye yaha bhej deta hun"

sumi lekin mana karne lagi mujhe darr laga kahi islam sahab ko shaq na ho jaaye sumi ne bas yahi kaha ki theek hai agar aap chahte hai to main aapke sath chalti hun par mujhe yaha akele waqt guzarna tha kisi aur ke sath nahi behane oose disturb karegi aur har kaam naukrani nahi kar sakti thi kyunki kahi laana le jaana ye kaam to kisi mard ko hi karna tha islam sahab samajh nahi paaye unhein apni beti ki mansik haalat ki fikar si huyi main un dono ke paas mauzud nahi raha taaki shaq ki suyi mujhpar na uth sake...islam sahab khamosh ho gaye to sumi mere kareeb na aane se pachtaate huye us ghadi apne kamre mein laut gayi….

                                             -------------

Main paudho ko paani daal raha tha ki itne mein islam sahab waha pahuche main unki taraf mudkar unke huqam ka intejar karne laga...unhone mujhe ghurrte huye kya hua tha rehana ke sath ye pucha? maine sabkuch us raat ki ghatna bataayi jise sunkar wo mann hi mann badbadaane lage….fhir meri taraf nazare uthaakar mujhe dekhne lage

"jabse sumi yaha aayi hai maine gaur kiya ki wo akele zyada rehna chahti hai aur tumse behave bhi uska badal gaya main nahi janta kaise? main tumhare zimmedari pe oose chodhkar gaya tha khair sumi ke yaha akele hone se mujhe fikar khaati rahegi kaltak hum yaha se nikal jaayenge tum jao aur dopahar ka khaana tayyar karo jao"

main huqam maante huye uljhan mein duba waapis ghar ke andar chala aaya sumi ke abba ko sumi ke bartav ke badalne ka shaq tha kahi wo ye na samajh baithte ki unki beti ke dil mein ab mere liye kya feelings thi...shaam hote hote sab kaam se faarig hone ke baad main islam sahab ko kamre mein soya hua dekh bungalow se bahar nikla us ucchi ghaati ke paas aakar niche khaai ko dekhne laga hawao ka ho ho karta shor kaano mein sunaai de raha tha abtak jo kuch mera sath hua tha wo kisi film ki tarah mere dimaag mein chal rahi thi..

achanak kisi ki pao ki aahat lagi maine mudkar dekha to sumi khadi thi…."kya hua adam yaha akele khade ho?"........sumi ne tatkal sawal kiya

"nahi kuch nahi".....maine nazare fhairte huye kaha

"darr rahe ho na ki abba ko kahi malum na chal jaaye hum dono ke rishte ke baarein mein theek hai aise mein wo akele hai unke paas jaakar sabkuch sach sach bata deti hoo"

"mam aisa mat kijiye mujhe bahut tension ho rahi hai unhein malum chala to wo mujhe maar denge"

"fhir wohi baat aur agar tumne mujhe dhoka diya to main tumhein pehle jaan se maarungi kuch nahi hoga main to bas tumse pyar karna chahti hoo tumhare paas aana chahti hoo jo zindagi tum abtak jeete aaye ho usse behtar zindagi tumhe dena chahti hoo"

wo kehte kehte mere kareeb aakar seene se lipat gayi…."mam pls mam chodhiye aapke abba dekh lenge"....main ghabraya oose khud se alag karte huye bola par usne aur kasske mujhe pakad liya uski zulfein mere gale se lag rahi thi main oose kasske khud se alag karna chaha to usne mere hontho se apne honth sataa diye main khauff khaaye oose nakam taqato se dur dhakela main haafte huye bola

"sumi sorry but pls samjho tumhare abba ko kaise raazi karogi wo kabhi ek naukar se apni beti ka rishta tayy nahi karenge kya tum chahti ho main marr jau to theek hai jo tumhe sahi lagta hai karo par mujhe apne abba ke qeher se bacha paogi?"

sumi ektak mujhe ghurrti rahi….."sumi main tumse jawab maang raha hoo batao"......lekin sumi ne koi jawab nahi diya wo ek ek kadam chalte huye mere kareeb aayi

aur usne mere kaano ke paas aakar kaha "wo tumhe maanenge bhi aur tumhe apnayenge bhi kyunki huqam unka ho par marzi meri hoti hai zindagi meri hai aur agar mere abba bhi na maane na toh unhe bhi raste se hata sakti hun".......kehte kehte uski awaz dohri ho gayi wo gusse mein aa rahi thi uspar kuch savaar ho raha tha us waqt hum dono ke siwaah waha koi nahi tha….main kuch samajh nahi paaya

"jaan de dungi agar tum na mile aisa dhaarna hai to bewakuf ho jaan le lungi agar kisi ne mujko tumse dur kiya ya agar khud tum mujhse dur huye toh tumhe bhi maar dungi"

main kaanp utha….main piche hone laga aur wo mere kareeb…."sumi kya kar rahi ho sumii sumi hosh mein aao".....main larkhara gaya gehri khaayi ke dhalaan ke paas mera pair tha

sumi azib nigaho se mujhe dekhkar muskuraye paas aate jaa rahi thi...main mana karne laga oose dur rehne kaha par wo nahi maani…."ab sabkuch mujhpar chodh do adam kya tum mere liye apni jaan jokhim mein nahi daal sakte?".....main samjha nahi uske baat ko aur tabhi usne ek karara dhakka mujhe diya aur main chilla utha

pahad ki dhalaan par aundhe munh girte huye main niche teji se jaa raha tha zameen se ragad khaate huye maine ek thos patthar pakad kiya mera aadha dhadh pahad se niche ki taraf tha sumi mujhse kayi faasle upar khadi thi….."summiii main marr jaunga pls bachao mujhee sumii"......main chillane laga sumi khaamosh mujhe dekh rahi thi samajh nahi aa raha tha usne aisa kyu kiya? ab meri jaan waqayi jaane waali thi us gehri khaayi mein girne ki kagaar par main tha haath cheelne ki kagaar pe pahuch chuke they bardasht se bahar tha waise latke rehna….maine minnat bhare nigaho se sumi ki taraf dekha to wo ektak mujhe ghurr rahi thi…

to be continued..
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 51 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #21 on: February 25, 2022, 07:26:47 PM »
Chapter 18

Mere haath buri taarah us gade patthar ko pakde cheel chuke they mujhe apne haath khoon se geele mehsus hote lage mera aadha jism pahadh ke pathrili dhalaan par buri tarah latka hua tha aur taange gehri khaayi ke upar latki huyi thi..main dard ko peete huye mazbur nigaho se sumi ki taraf dekhne laga wo bas mujhe ghurre jaa rahi thi…."ssummii summii main zyada dair tak aise nahi reh paunga ab mujhe koi nahi bacha sakta alvida sumi"

maine royi nigaho se dekhte huye patthar bani sumi se kaha achanak uske chehre pe badlaav aaya aur wo maarein khauff mein zor zor se chillane lagi apne abba ko pukaarte huye cheekhne rone lagi...main us haalaat mein bhi samajh nahi paa raha tha ki sumi ne jaanbhujkar mujhe dhakka diya tha aur fhir ekdum se uske chehre pe badlaav aaya aur wo pagalo ki tarah rone chillane lagi kya ye sab uski upar haavi us cheez ne usse karaaya tha ye kya khel chal raha tha? par ab sochne ka waqt kahan yahan to jaan kisi bhi pal jaane waali thi…

"abba abbba hellpp somebuddy helpp addamm tumhe kuch nahi hoga abba"....achanak sumi ke abba ko uske paas chillate bhauklaate huye aata dekhta hun

"kya hua sumi tum theek ho? what happened ?"......sumi ne ishara pahadh ke dhalaan par latke meri taraf kiya

mujhe dekhte hi uske abba bhi shocked wo bari bari nigaaho se haalat ko samajh nahi paa rahe they…"abba marr jaayega wo oose bachaaiye us..ne meri jaan bachaayi abba main pahadh se fisal jaati mere jism ko na jane kya hua tha main chalaang lagaane hi waali thi aur mujhe bachaate huye adam ka balance bigada aur wo waha par!"......kehte kehte sumi rone lagi

uske abba samajh nahi paa rahe they unki beti kisi ki jaan ki bheekh usse maang rahi thi itna zyada parwah khyaal wo bhi ek mamuli caretaker ke liye sumi ke abba samajh baithe shayad uski beti ko daura chadha tha aur wo aehen waha se kud hi jaati agar main ne bachaaya nahi hota par main janta tha sumi banawati kahani bataakar apne abba ke dil mein mere liye jagah bana rahi thi...uska khel kuch samjh mein aa raha tha...lekin main buri tarah fasa hua tha bachne ki koi gunzaish nahi bachi thi…

"sumi sambhaalo khud ko wo bahut faasle niche hai aur mere saath aadmi bhi nahi support aane mein waqt lagega tabtalak adam nahi teher paayega"

"abba oose kuch ho gaya to main khud ko maanf nahi kar paungi usne hamesha mere apne ki tarah mera saaye bankar raha agar oose kuch ho gaya to main bhi kud jaungi"

"sumii ye kaisi baatein kar rahi ho? pagal ho gayi ho wo hamara caretaker hai ye sab uska farz hai main nahi janta tumhe isse itni parwah kyu ho rahi hai? lekin filhal mujhe sochne do ki ise bachau kaise?"

"sirrr meri pakad dheeli ho rahi hai main bach nahi paunga"......sumi ke abba meri taraf jhaankte huye meri baat sunkar mujhe himmat dene lage

"adam hold that rock tight kuch nahi hoga tumhe you cannot leave like this"

"i am sorry sir par aapke huqm ki taamil nahi kar paunga mere ab bas mein nahi i m sorry sir agar kabhi meri wajah se aapko taqleef huyi ho and i m sorry sumi mam ki agar meri wajah se aapko kabhi!"

"no no adam aisa mat karna pls i m begging you adam nnnooo".....sumi ne rote huye pahad par jhukkar mujhe minnat karte huye roka sumi ke abba is beech saqte mein apni beti ko yu tadapta dekh rahe they

mere aansu nikal gaye main subakte huye allah ko yaad karke patthar se apne haath ki pakad ko chodhne laga...sumi ke abba bhi chillane lage wo mujhe rokne ke liye keh rahe they gaaliya de rahe they ki main aise himmat na haaru par haalat kya mere kaabu mein they? waise bhi aise hi marr jaana hi behtar tha is raaz ke khul jaane se ki mera aur sumi ke beech kya chal raha tha?...maine aankhe mund li aur dono haath se dhalaan ko dhakelte huye apne jism ko pichle taraf girta mehsus kiya….mere gale se ghutti ek cheekh nikali aur isi ke sath sumi ke abba aur sumi bhi ek saath mera naam pukaarkar chilaaye unki aankhe waise hi teher gayi…

mujhe aisa lag raha tha hawa mein main girta jaa raha hu ab mera sar ghum jaayega uske baad mujhe malum nahi mere sath kya hua bas itna yaad hai ki dhamm se kahi main gira tha aur mere sar aur jism par aisi chot lagi ki jisne mujhe sunn sa kar diya…..

                                     --------------------


aankhe dhundhli dhundhli khul rahi thi muje bas aisa lag raha tha jaise mera sar aur jism bejaan aur bahut bhaari ho gaya chillam chilli ki awaz bhi dabi dabi si kaano mein sunaai de rahi thi aaspaas doctor aur nurses dikh rahe they main strecther pe tha shyad uske baad ek darwaja khula aur tej roshni aankho mein padi…...mujhe sunaai nahi de raha tha samajh nahi aa raha tha wo log kya keh rahe they? bas mere jism ko koi pakde hua tha to koi mor raha tha…

meri aankhe fhir band ho gayi mere nigaaho mein apna pehla pyar ghumne laga wohi ladki jise main dilo jaan se chahta tha uski hassi uski muskurahat aisa laga jaise wo mere saamne khadi thi...achanak apne maa baba se jhagadta hua main unki aakhri wo baatein jab unhone mujhse rishta toda tha rishtedaro ke yaha aana aur waha se sumi ke abba se milna caretaker ki naukri sumi ka dikhta wo chehra rahim ki wo dardnaak saza sumi ka mere kareeb aana uski dahadhti wo cheekhen wo sumi ka mera gala ghotna us jheel se bachakar mujhpar sawaar hokar mujhe saas dena….mujhe jab usne dhamkaaya tha pyar karne ke liye uske sath raat gaye kiye apne gunaah sabkuch reel ki tarah mere saamne chal raha tha….fhir sumi ne mujhe dhakka diya aur achanak pahadh se girta hua main sumi ki cheekh pukaar aur fhir na jaane sab mitta chala gaya…

meri aankh khuli aankho se paani gir raha tha..tip tip koi machine ki awaz mujhe kaano mein itne waqt baad sunaai di mujhe apne jism mein harqat mehsus hoti lagi..main uthne ki koshish karne laga to sar pakad liya sar par itni moti patti mareez ke kapre jism par ek baazu mein plaster aur pao ki ungliyo par puri tarah se patti moti karke bandhi huyi thi….na jaane kabse tha main yaha main uthne laga to peeth ke dard se mujhe karhaane pe mazbur karne laga main fhir bhi kisi tarike se utha paaya wo awaz bagal ki machine se aa rahi thi aur uske taar mere ungliyo mein fase clips par they…

achanak suraj ki tej roshni mujhe chehre pe lagi main kab yaha pahucha? yaadash kamzor ho gayi thi..achanak darwaja khula aur hadbadakar doctor ne mujhe fhir laita diya……"hey calm down lay down back lait jao waapis abhi theek nahi ho tum my god tum hosh mein kab aaye? tum toh coma!".....itna kehkar wo doctor coat se apna phone nikaalte huye kisi ko call kiya mere haalat use bataane laga

"coma mujhe kya hua tha? main kabse aisi halat mein tha?".......mere kuch keh paane se pehle mujhe ahesas hua ki zabaan larkhara rahi thi bolne mein thodi thodi taqleef ho rahi thi wo wahan se chala gaya

kuch dair baad doctor ka dal waha pahucha nurse ne mera pulse check kiya doctor ne meri nigaho mein torch maarkar check karne laga fhir usne mere seene pe haath rakhke pyaar se pucha ki main theek hoo ki nahi..

"doc..doctor mujhe kya hua tha? main bol nahi paa rha hoo main yaha kaise pahucha?".......main mari huyi awaz mein bola
i
"dekho mr.adam tum theek ho tum hosh mein aa chuke ho tumhe malum bhi nahi pichle 4 mahine se tum is bed par mauzud ho coma mein they jaan jaati jaati bachi hai tumhari tumhare sar par bahut gehri chot aayi hai isliye zyada sochne pe dabav mat dena tumhare haath ki haddi bhi kahi had tak theek hai aur daaye pao ki ungliya fracture ho chuki hai ganimat hai tum sahi salamat ho warna kuch kaha nahi jaa sakta tha aise coma cases mein insaan ko waapis aane mein kayi saal lag jaate hai lekin ye to karishma hai ki tum allah ke fazal se jaldi recover kar gaye ab islam sahab ko tumhari khabar deta hun hamesha yaha aate rahe hai apni beti ke sath bahut fikarmand they tumhare liye"

doctor phone pe vyast ho gaya mere liye islam sahab fikarmand par kyu? wo to raaz jaan bhi chuke honge sumi ne agar sabkuch sach sach bata diya hai to meri maut toh pakki hi thi wo mere coma se uthne ke bajaay mujhe koi zeher deke hi pehle maar daalte par unhone mujhe marrne nahi diya par kyu?

main doctor ke jaane ke baad toilet ki taraf uthne laga bahut mushkil se uth khada hua nurse ne tabtalak clips mere ungliyo se nikaal di thi mujhe sahara dekar usne toilet tak chodha main langdaate huye kisi tarah andar aakar dekhta hu ki mera chehra kitna sukh chuka tha dhaadhi kitni badh chuki thi mera pura jism kamzor ho chuka tha kyu kiya sumi tumne aisa? main apne aap se sawaal kiya chehre pe paani maara aur faarig hoke bahar aakar bistar par lait gaya

kuch dair baad mujhe juice diya gaya main oose peete huye akela beshud pada laite laite us din ki ghatna ko yaad kar hi raha tha ki itne mein darwaje pe kisi ke aane ki aahat huyi maine nazarein uthaayi toh thoda siham gaya islam sahab gambhir chehra liye saamne khade they…

                                                 ---------------

"kaise ho adam?".....bhari awaz mein kehte huye islam sahab mere saamne kursi par baithte huye bole

"j..ji doctor ne bataya mujhe aaj itne waqt baad hosh aaya hai"......maine larkharayi zabaan mein kamzor awaz mein kaha

"hmm mujhe dekhkar yakeenan chaunk uthe ki main khud chalkar tumhara haalat ka jayeza lene kyu aaya? jabki mera yaha mauzud hone ka koi sawal hi nahi tha kyunki na tum mere sage ho aur na mere khaas….ek behaisiyat mere liye kaam karne wale ladke ke upar yun meri meherbani bahut strange lag rahi hogi na tumhe...kyu maine itne doctors ki team ko tumhare piche lagaaya tumhe sirf theek karne ke liye kyu kisi sarkari hospital mein admit karaake marrrne jeene ke liye chodh nahi diya? aur admit hi kyu sach janne ke baad toh tumhe jaan se hi kyu nahi maar diya? tumhari laash is waqt lawaris kahi thikhaane lagaye jaane ke bajay yaha itne waqt tak hospital ke bed pe tum zinda kaise pade ho? yahi soch rahe ho na"

unki baat sunkar mere shareer ne jor ki jhurjhuri li dehshat se...main us haalat mein bhi mehsus kar raha tha wo gusse ko pee rahe they to matlab sach khul chuka tha….islam sahab thoda mere kareeb aay aur unki qeher bhari nigaah mujhe ghurne lagi maine nazar jhuka li unka chehra badala aur wo fhir coat jhaadhte hue sidha hokar baith gye…

"maine apni beti ko tumhare zimme bheja tha par main nahi janta tha ki tum waqayi koi chaal chal rahe ho aur karte bhi kyu nahi? itna ameer daulatmand rayiz ucche rasukh wala kahi tumhe kahan milta jiski beti ka sach jaankar tumne uska fayeda uthaya na jaane kaisa jaadu tumne meri beti pe kiya hai shukar manao ki aaj jo saase tumhari chal rahi hai na meri beti ki badaulat warna mere maarne ke na bina bhi tum waise hi us pahadh se girrkar marr jaate aakhri saans gin rahe they tum..oxygen nahi jaa raha tha tumhe….par usne yaha aakar tumhare marre jism pe haath rakkha aur tumhari band hote dil ko usne aafrupi apni upari taqat se dobara zinda kiya yakeen kar sakte ho tum? itne bare ahesaan ki keemat chukaa paoge tum"

unhone dahadhte huye kaha main nazare jhukaaye muzrim ki tarah chup raha….unhone fhir khud pe kaabu paate huye baat ko aage badhaaya…."meri sumi ki haalat ke zimmedar aaj tum khud ho jante ho tumhare wajah se aaj wo band kamre mein pagalo ki tarah reh rahi hai haath pao baandhkar apni beti ko rakha hua maine….main is baat se darr raha tha ki agar tum marr jaate toh meri beti kahi khud ko".....kehte kehte islam sahab teher gaye

main ekdum se fikarmand ho gya kya hua tha oose? par mere sawal karne se pehle unhone fhir kehna shuru kiya….."agar meri beti ko kuch ho jayega toh kasam se adam jo jaan oosne bakshi hai ooski parwah main nahi karunga tum jante ho ki main tumhara haal kya kar sakta hun?"....unhone mujhe daraate huye kaha

"wo harpal minnat karte huye in 4 mahino mein tumhe dekhne aaya karti thi doctor ne saaf keh diya tha ki tum nahi bachoge lekin meri beti ko na jane kaise yakeen tha ki oose tumhare paas laane se wo tumhe theek kar sakti hai aur ye karishma main khud apne saamne tumhe jeete jaagte dekh paa raha hoo khair bachpan se hi apni beti ko fhool ki tarah rakha hai uski har zidd puri ki hai lekin aaj jo khwahish usne ki hai ye uske jaan se judi hai tum waqif ho uske raaz se ki meri sumi aam ladki nahi hai uspar koi saaya haavi hai kahi koshishe kar chuka par oose theek nahi kar paaya acche gharaane se rishta aakar tut gaya sirf uski haalat ki wajah se mujhe meri beti ki jaan apne daulat haisiyat izzat aur apni jaan se bhi zyada pyaari hai aaj ek mazbur baap bana diya hai aur iski wajah tum ho tum"........mujhpar ungli uthaate huye daant peeste huye islam sahab ne kaha

"khair main sabkuch bhulne ko tayyar hun tumhare aage mazbur hone ko tayyar hoo kyunki sawal meri beti ka hai adam dhyaan se suno ye order tumhare malik ka nahi hai ye fariyad us ladki ke baap ka hai jiski beti abhi bure haalat mein hai aur uski bimari ka mehez ek ilaaj tum ho main bhul jaunga ki tumhari kya haisiyat thi? tum kya they? aajse tum mere caretaker nahi rahoge mere damaad banoge meri beti se tumhe niqah karna hoga aur uske badle tumhe wo haq milega jo ek ameer gharaane ke member ko milta hai saari shaano shaukat paisa daulat sabkuch!"

"aapne jo kuch kehna tha keh diya islam sahab maanf kijiyega agar maine baat kaanta ho dekhiye islam sahab main nahi janta sumi ne kya aapko sacchai batayi hai? main ye bhi nahi keh sakta ki main uske kareeb nahi gaya usne mujhe apni taraf kheecha tha main soch bhi nahi sakta uske sath rishta banane ko par uske mann mein mere liye kya chal raha tha? main nahi janta aap chahte to waqayi mujhe jaan se maar sakte they jo kasar abbhi aap puri kar sakte ho mujhe aapki mazburi ka koi fayeda nahi uthana mujhe kuch nahi chahiye par agar sumi ki jaan ki baat hai to main apna ahesan utaarne ko tayyar hoo"

"tum kehne ka haq kho chuke ho ahesaan nahi asli mohabbat dena hai tumhe meri beti ko zindagi bhar uska khyaal rakhna hai oose koi kami nahi hone dena samjhe ab jaisa main keh raha hoo oospe amal karo"

"ji sir".....mera gala bhar gya main khaamosh se sar jhukaaye ek wafadar naukar ki tarah unki har ek baat pe amal karne laga...unhone mujhe meri pichli zindagi bhul jaane keh diya mere saamne unhone ek document nikaala usmein ye statement tha ki main pure hosho hawas mein apni puri marzi ke sath zindagi bhar ke liye mr.islam sahab ka damad banke rahunga unki beti se niqaah karunga aur agar kabhi bhi koi dhokebaazi ki toh mujhpar kayi dhaaraye lag sakti thi ek mota jurmaana jise kabhi nahi chuka paane ki meri aukwad thi uske sath saath umarbhar jail mein sadte baithna is binaah par ki maine unki beti ke sath zabadasti karke blackmail karke uski jaayejad ke lalach mein oosse niqaah kiya tha.

"aajse tum mere naukar nahi niqaah ke baad mere company ki managing director ki kursi sambhaaloge jiske sapne toh tumne kabhi nahi dekhe hoge par yahi kadwi sacchai hai par mat bhulna meri beti se hi tumhe sabkuch mila hai isliye tum uske shouhar se zyada uske pair ke niche rehne waale gulaam ho wo jaisa kahegi waisa karoge aajse tum"

maine sehmati mein sar hilaate huye haathyar daalte huye sign kar diya meri zindagi ka faisla usi din ho tayy ho chuka tha...islam sahab waha se chale gaye wo mujhe jaldi le jana chahte they par meri halat abhi sudhari nahi thi...taqreeban ek hafte baad mujhe hospital se discharge kiya gaya main sumi ke abba ke sath uske ghar pahucha...aise lag raha tha har koi mere hi intejar mein tha main waha aaj kisi naukar ki haisiyat se nahi balki parivar ke hisse ka wajud liye pahucha tha sumi ki ammi mujhe pakadkar rone lagi…."beta meri beti ko bacha lo uski haalat dekhi nahi jaati pls beta"

main samajh nai paa raha tha sumi ko hua kya tha? islam sahab gambhir biwi ko mujhse dur hatne ka ishara kiye wo sihamkar aansu ponchte huye piche ho gayi...uski behano se nazar nahi mila pa raha tha kal tak jo naukar tha aaj unke saamne main alag hi aaude se khada tha "upar jaiye didi upar hai".......shohona uski choti behan ne mujhse kaha main upar dekhne laga achanak wohi dohri bhari awaaz sunai di aisa laga jaise pura ghar dehel gaya maine piche mudkar dekha islam sahab apni biwi ka haath thaame mujhe dekh rahe they….main dheere dheere sidiyo se upar chadhne laga akele…

to be continued...
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 51 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #22 on: February 25, 2022, 07:28:40 PM »
Chapter 19

Main dheere dheere sidiyo se bangle ke upar maale par pahucha jaise jaise main upar aa raha tha meri dhadakne tej ho gayi thi...kyunki wo dohraati bhaari awaaz baar baar reh rehke mujhe kaanpne pe mazbur kar rahi thi...achanak se khanaak se koi sheesha tuta sumi ke abba upar aana chah rahe they par unki biwi ne kasskar unka baanh thaam liya unke chehero pe apni beti ko leke fikar simati huyi thi unki nigaah meri taraf ghurr rahi thi..

main unhe upar se jhaankte huye dekhkar fhir kamre ki taraf badha...main darwaaje ke paas aaya aur ek hi baar mein oose dhakelkar khol diya darwaja jaise hi khula sumi jiske haath pao bistar pe laite ird gird rassiyo se bandhe huye they jiski kalaiyo ke paas khud ke lage naakhun ke nishaan they wo surkh gulaabi nigaaho se ghurrate huye dahadhi aisa laga jaise wo sumi nahi wohi uske upar haavi jinni thi...main oose dekhkar sihamkar thithak gaya mere chehre ko dekhte hi uske bhaav badalne lage uski aankhe shaant hone lagi usne haath pao patakna chodh diya jo rassi se jakade huye they usne jo kapra pehna hua tha shayad khud ko chot pahuchaane mein oose jagah jagah se phaadh liya tha….maine paaya ek nurse jo sihami khadi thi wo mere aane ki mauzudgi mein hi kamre se bahar chali gayi jaise oose mere aane ka intejar tha…

maine jaakar darwaja lagaya aur uske kareeb dil ko saqt karte huye kareeb uske sirhaane pe aake baitha uska chehra ekdum safed sa padh chuka tha aankho ke niche kaale ghere aisa mehsus hota koi zinda laash padi ho….maine uske bikhare zulfo ko chehre se samaita wo mujhe aansu bhare nigaaho se dekhti rahi...maine fauran rassiya khol di uski kalai cheel chuke they...rassiyo ke khulte hi wo mere gale lipate rone lagi pagalo ki tarah mere maathe chehre ko chumne lagi maine oose kaabu karne ki koshish ki usne mera chehra thaame royi nigaho se dekha

"sumi tum theek ho na? ye sab kya tha? kya hashr banaa liya tumne apna? agar main waapis lautta nahi toh?"

"ssshhhh aisa mat kaho main jaanti thi tum waapis aaoge mere liye main pagal hoo tumhare liye adam mujhe bas tum chahiye mere abba ne bahut koshish ki thi mujhe tumse dur karne ki iraada bhi banaa chuke they tumhein marr jaane dene ka lekin maine din raat ek kar diya tumhe waapis laane ke liye hahahaha hahahahahaa hahahaha"......wo kehte kehte pagalo ki tarah hassne lagi

main ooske chehre ko bas uljhan bhari nigaho se dekh raha tha…."maine kaha tha na us shaam tumhe pahadh se dhakka dete huye yaad karo".......maine sumi ki baat sunkar us shaam ki ghatna ko dobara yaad kiya jab sumi us pahadh se mujhe dhakka dene se pehle kuch baatein meri kaan mein usne kahi thi..

"wo tumhe apnayenge bhi aur tumhe maanenge bhi ab sab mujhpar chodh do"....sumi ne waise hi mere paas aakar mere kaano mein kehte huye mere kaan ko chum liya

main sumi ki taraf hairat se dekhne laga jab mujhe sabkuch samajh aane laga toh sumi muskurane lagi jab oose ahesas hua ki mujhe sabkuch samajh aa chuka tha….yaani ye sab kuch sumi ka plan tha

"lekin agar mujhe kuch ho jaata toh main coma mein 4 mahine tak bistar par pada tha agar marr hi jaata toh fhir tum mujhe kaise paa leti?"

"aaj jo tum zinda ho ise karishma hi samjho meri upari taqato ne tumhe bachaaya hai us din tumhare pahadh se gir jaane ke baad madad aane mein bahut waqt laga mere haalat ko dekhkar mere abba samajh chuke they ki main tumse pyaar karne lagi hoo mere khilaaf ho gaye wo dhamkaaye tak bhi lekin meri zidd aur upari taqat ke aage unki kahan chal paati? mujhse khauff khaa ke hi mujhe aise kamre mein band rakha tha unhone kayi waqt se yaad hai wo ojha baba"

us din islam sahab ke sath baithe us ojha ka aks mere dimaag mein ghuma…."wohi baba mera ilaaj kar rahe they unhone hi abba ko bataaya ki tum hi ek maatra wo mera ilaaj ho jo mujhe maut ke munh se bacha sakta hai mere abba ne mazburan hathyar daal diye tumhare theek ho jaane ke piche doctors ki team lagaa di main jaanti thi ki tum nahi bach paoge isliye main khud us raat tumhare paas aayi i.c.u ward mein jaha tum khud maut ke munh mein fase pade they meri wajah se maine tumhare dil par haath rakhkar apni upari taqat se tumhe zinda kiya aur aaj itne mahino baad tum mere paas theek hokar jeete jaagte chale aaye ho"

main sunkar khaamosh aisa lag raha tha ki ab kuch kehne ko bacha nahi sumi ektak mujhe muskurakar yun dekh rahi thi jaise koi baccha apne naye khilone ko dekhta ho...sumi mere gale lag gayi mere baazu mein chadhe plaster aur kandhe aur sar par chadhi pattiyo pe haath phairte huye dukh karne lagi….."bahut dard ho raha hai na tumhe par ab aur nahi ye dard rahega bas ab hamari shaadi ho jaaye uske baad hamari zindagi mein sirf khushiya hi khushiya hongi"

main chupchaap bejaan murti ki tarah soch mein duba tha aur sumi mere jaangh par baithkar pagalo ki tarah mujhse kasskar lipati huyi khush hamare aane waale sapne ke baarein mein soch rahi thi…

main sumi ko kamre se bahar laaya usne mera haath kasskar pakda hua tha mujhe thodi jhijhak ho rahi thi uske parivar waalo ke saamne par main chup nazare jhukhaye oose sidiyo se niche leke aaya uske phate kapro ki wajah se uspar maine usi ke almirah se nikaala ek shawl dhak diya tha apne abba ammi ke paas aakar sumi unke gale lipat gayi uske abba ammi oose itne din baad normal dekhkar bahut khush they uski behane bhi oosse lipatkar rone lagi mahoul zazbaat se bhara tha…

main ek kinaare akela khada tha mere zindagi ka faisla to ab tayy ho chuka tha chahe usme meri marzi shaamil thi ki nahi thi isse koi farq na islam sahab ko padta tha aur naa sumi ko main ek aise bavandar mein fass chuka tha jaha se nikal paana ab namumkin tha..zazbat ka mahoul jab guzra toh islam sahab mere kareeb aaye mere kandhe pe haath rakhke mujhe pyar se dekh muskuraya pehli baar unke nigaah mein apne liye pyaar dekha tha maine warna mujh jaise behaisyat naukar ke kandhe pe haath rakhna unke mazhab mein kahan tha?

"main thode der aaram karna chahta hoo mera sar bhaari ho raha hai kya main kuch dair ke liye apne kamre jaa sakta hun sir?"

"ab tum is ghar ke caretaker nahi hamare parivar ka hissa ban chuke ho ab sirf tumhe saare huqam sumi ke manne hai aaj se tum servant quarter mein nahi balki is ghar mein rahoge"

islam sahab ka munh main dekhne laga mujhe bahut azib lag raha tha kyunki waha khada har shaks mujhe hi hairaani se dekh raha tha sumi ki ammi aur uski betiya bhi khadi meri taraf dekh rahi thi aur sumi oose to sunkar jaise khushi huyi….mere waha jaane se pehle hi mera saaman banglow ke ek kamre mein pahucha diya gaya tha maine socha bhi nahi tha ki jis ghar mein meri haisiyat naukar ki thi aaj us ghar ka main ek sadasya ban chuka tha jin kamro mein pair rakhne ki izazat nahi thi aaj waha main apne ki tarah chal fhir raha tha munh haath dhokar jab main us aalishan bistar par laita toh mere dilo dimaag mein yahi baat ghum rahi thi ki islam sahab ke rishtedar jannewale jab unko pata chalega ki main unke ghar ka caretaker tha aur ab unke ghar ka daamad banne wala tha to unse unki izzat pe toh acha khaasa aanch lag jayega lekin unhe kahan parwah thi? par mujhe apni bezzati ka darr tha

us dopahar pehli baar main un logo ke saath baithkar lunch kar raha tha mujhe thoda azib lag raha tha par mujhe iski aadat dalni thi...sumi ka to ravayya hi badal gaya wo ekdum normal mere sath baithkar na nukur karke apni maa ke haath se khaa rahi thi uski behane bhi chupchaap khaa rahi thi islam sahab lekin chup they andar hi andar shayad mujhe apnana unhein itne aasani se shayd gawara nahi lag raha tha par beti ke wajah se chup they…

"adam kal tum sumi ke sath jaana aur apne liye naye kapre le lena aur agle hafte mere sath tumhe office chalna hai ab se tumhe wohi kaam karna hai"

main khaamosh bas sehmati mein sihma sar hilaaya ye koi sapna hi lag raha tha lekin isme meri marzi thodi na thi main aise kisi ka ghar jamaai bankar saari zindagi aisa ameer bankar to nahi jeena chahta tha..sumi ne zidd ki wo kahi ghumne mere sath jana chahti thi...par islam sahab ne saaf inkar kar diya main nahi janta tha ki usne guesthouse mein hum dono ke beech huye humbistari waali baat to keh nahi di thi lekin mujhe ahesaas tha ki aisa kuch unhe malum nahi tha wo to bas yahi samajh rahe they ki unki beti mujhe apna dil de baithi thi…

"abhi adam ki tabiyat theek nahi hai oose recover ho jaane do aur sumi zidd chodho ab tumhari shaadi hone waali hai shaadi ke baad jaha bhi tum logo ko ghumne jana ho bejhijhak jaana par abhi nahi".....islam sahab ne saqti se sumi ki taraf dekhte huye kaha

sumi chote baccho ki tarah munh latkaaye mayus ho gayi...sumi ki ammi bhi uske abba ke baat se sehmat thi...usne bhi apni beti ko samjhaaya aur main chupchap khaana khaane laga….

                                       --------------------

Shaadi ki bhi taariq nazdeek aa chuki thi aur mujhe bataya bhi nahi gaya...us dauran sumi apne parivaar waalo ki wajah se mere kareeb nahi aa paayi...main apne injuries se kahi hadtak recover kar chuka tha ghar ko sajaana shuru kar diya gaya tha aur main mann hi mann apne maa baap ka khyaal kar raha tha unhein to pata bhi nahi chalega ki meri zindagi kya se kya mor le chuki thi? aaj waaqayi khud ko besahara akela mehsus kar raha tha jabki khuda taala ne meri garibi mohtajiyat ko dur kar diya tha..is beech naukar kaka mujhse mile unhone bhi mujhe samjhaakar kaha ki ise apna kismat maan lo aur islam sahab ki beti se shaadi kar lo zindagi savr jaayegi warna agar unke marzi ke khilaaf jaane ki koshish ki to bach nahi paoge...main bhi hathyar daalkar kismat ke faisle ko maan chuka tha…

sumi mujhe apne sath bare mall lekar aayi waha usne apni pasand ka mujhe ek se ek kapra pehaankar dekhte huye unhe kharida...mujhe niqah se ekdin pehle tayyar karna shuru kiya gaya….mere itne waqt se ugi dhaadhi saaf karwaa di thi sumi ne..mere baal katwa kar unhe smoothening kar diya tha mere chehre ko bhi nikhaara gaya aur fhir mujhe contact lens diya gaya aur jo chashma itne waqt se main istemal karte aaya tha oose dustpin mein faikh diya gaya...jab main kaala coat matching suit aur pant pehankar aayene ke saamne khada hua to main ek alag hi shaksiyat dikh raha tha aankho mein neele frame ka chashma pehente hi main khud dhoka khaa gaya kya ye main tha?

sumi ki bhi tayyariya chal rahi thi oose dulhan ki tarah sajaane mein na hi sirf uski behane balki pura parlour ke team jaise aa mauzud huyi thi...oose tayyar kar rahi thi aur wo mann hi mann aaj behad khush thi uski ek aur zidd jo aaj puri hone waali thi mujhe apna banaane ki zidd…

niqaah ke din main wedding hall pahucha jab gadi se utarkar andar aaya toh sabki nigah meri taraf uthi un sabke saamne se guzara to har koi mujhe dekhta raha koi haath badhaakar mujhse gale mil raha tha to koi sawaali nigaho se aapas mein baat kiye jaa raha tha saamne islam sahab khade muskura rahe they unhone mera jaayeza liya aur impress hote muskurahat ke saath mujhe kursi pe baith jaane kaha unke saamne baithne mein mujhe jhijhak ho rahi thi par main baith gaya sumi ke intejaar mein..kuch dair baad sumi shaadi ke laal jode mein dulhan saji jab pahuchi toh sab ektak oose ghurne lage wo modelling mein kitni baar bridal hokar saji thi par aaj wo kayi zyada khubsurat aur hatkar lag rahi thi aur main mann hi mann soch raha tha ki us jaisi kamyab model aur ameerzaadi allah ne mere naseeb mein likhi thi...ye khwab shayad hi kabhi maine socha tha lekin na jane kyu mann hi mann khushi ke bajaay fikar aur khauff thi log bhi soch rahe honge ki apni itni khubsurat beti kyu wo mujh jaise ladke ke niqah mein de rahe they kaun tha main kya thi meri haisiyat? koi nahi janta tha waha….uski saheliya aur behane oosse baatcheet karte huye mere saamne wali rajgaddi jaisi kursi ke paas oose le jaakar baitha di...sumi ne itne jevarat aur ghunghat kiya hua tha ki shayad uski nigaah meri taraf nahi uth rahi thi lekin ekdum se usne mujhe muskurakar dekha us waqt bhi aisa laga jaise wo ekdum se uth khadi hogi aur daudte huye mujhpar savaar ho jayegi...achanak mere kandhe pe sumi ke abba ne hath rakhka maine banawati muskurahat di…

kuch dair baad niqaah ka rasm shuru hua lekin oosse pehle islam sahab kuch elaan karna chahte they mujhe apne kareeb khada kiya aur apni beti ko apne paas bulaaya wo saree thaame huye apne abba ke paas aa khadi huyi…"ladies and gentleman may i have your attention please aaj is mubarakbad mauke par aap sabse rubaru karaana chahta hoo mere hone waale son in law ko inka naam hai mr.adam shaikh aur ye hamare khubi kareebi dost ke ikalute bete hai jo india se belong karte hai sumi aur adam ke beech kab mulaqat huyi aur kab mulaqat pyaar mein badla mujhe andaza nahi mujhe sabit karne ke liye ye mere ghar mein caretaker bankar ghus aaye hahaha sounds funny aur jab mujhe asliyat ka malumat chala ki ye koi aur nahi mere jigari dost ke iklaute bete hai toh maine fauran faisla kiya ki ab inke rishte ko rishtedaari mein tabdil karne ka isliye aaj meri beti sumi ka haath main apne hone waale damaad adam ke haath mein deta hoo pls give a big applause to this newly wed couple"

taaliyo ki gunz ho uthi charo taraf log hasskar muskurakar hamari taraf dekh rahe they to koi jalan aur hadas mein mujhe kitni bezzati mehsus uswaqt ho rahi thi kya kahu? itna bara jhoot islam sahab ne kya kahani gadi thi sirf apni beti ke khaatir..unke chehre ki muskurahat bhi mujhe banawati lagi...dekhte hi dekhte hamara niqaah karwaa diya gaya uske baad jab saare rasm rivaaz pure huye toh mujhe aur sumi ko ikhatte khaane ke liye ek taraf ek saath baitha diya gaya sumi mujhe apne mehendi rachii haatho se khilaa rahi thi aur main chupchaap khaa raha tha maine bhi oose apne haatho se khilaaya...hum dono ke us pyaar bhare lamhe ko photographers kheech rahe they na jaane wo waqt kaise guzara tha?

hum waapis ghar jab laute to kuch aur rasmo ki adaayegi karwai gayi...sab janne waale aur rishtedar aur parivar waalo ke chale jaane ke baad dair raat hum apne kamre mein pahuche sumi dulhan saji apne bistar par jaakar sharmaaye baith gayi main waise hi khada raha phoolon se bistar saja hua tha….."aaj se jabtak hum yaha hai hum ikhatte mere hi kamre mein rahenge"......sumi ki khanakti chudiyo ki awaz ne mera dhyaan toda to maine uski baat suni maine kuch nahi kaha sumi ne mujhe apne paas aakar baithne kaha

"kya tum is shaadi se khush ho? ki aakhir hum ek ho gaye hai?"

"mere paas kuch kehne ke liye lavz chodhe hi kahan hai tumne sumi? aaj toh mann ki muraad tumhari puri ho gayi mujhe paa lene ki mere chahne ya na chahne se kya farq padta hai?"

"ab sirf tum mere ho ab tumhare zindagi mein na koi tha aur na koi hoga siwaay mere jabtak meri saansein hai tum bhi ho aur jis din nahi us din tum bhi nahi chahe mujhe tumhein maarna hi na kyu na pade?"

uski baat ne mere rom rom ko kaanp diya tha..usne kasskar mujhe apni aagosh mein bhara aur main bebasi mein na chahte huye bhi uski taraf kheechta chala gaya...hamari zindagi ek naye sirhe se us din shuru huyi thi dekhte hi dekhte main badal gaya maine bhi haalat aur kismat ko maan liya tha…niqah ke kuch din baad se hi main islam sahab ke yaha managing director ki kursi sambhaal li unhone mujhe kaam sikhaaya main padha likha tha meri sujh bujh aur kaam karne ke jazbe se unhe behad pasand aaya unka ravayya mere sath pehle se thoda badal gaya jis baat se mujhe koi farq nahi pada ye sab unki beti ke badaulat tha….

main bete ki tarah unke business mein unka saath dene laga business mein hote munaafe ko dekhne ke bawjud mujhe kabhi ye nahi laga ki unhone mujhe apne bete ki tarah maana tha wo to bas sumi ke saamne hi jaise pretend karte they mujhe apnaane ka warna aise toh unhe mere se koi matlab hi nahi tha..maine apni puri imaandaari jitna unke sath business mein ki utna sumi ka rishta nibhaane mein bhi ki...dheere dheere main unke ghar mein ghul mil gaya abhi niqaah ko huye kuch waqt guzare they ki sumi ne mujhe ek din bataaya ki hum alag ho rahe hai kyunki wo nahi chahti thi ki hamare beech koi aur bhi rahe isliye hum shift ho rahe they...maine kuch nahi kaha

agle mahine tak hum gharwalo se vidaa liye apne naye ghar ki taraf pahuche saath mein naukar kaka bhi they jinhe islam sahab ne hamare dekh rekh ke liye muhayya karaya tha pure raaste gaadi mein sumi mere kandhe par sar rakhkar baazu jakade muskura rahi thi driver ne gaadi theek sheher se bahar ki jaate raste ki taraf mudi kuch dair mein mujhe hairani huyi ki hum wohi dobara aaye they jaha se meri zindagi mein tufaan shuru hua tha wohi sheher se dur usi ucche ghaati pe basi sumi ki wo guesthouse jaha kabhi pehle main sumi aur uski saheliyo ko picnic par laaya tha...main hairani se sumi ka munh dekhne laga aur sumi bas meri hairani ko dekh muskurayi

Gaadi rokkar naukar kaka bahar chale gaye zanjeer kholkar lohe ke fhatak ko ek dhakka dete hi wo tikhe shor ki awaz mein khulkar alag ho gayi hamari gaadi teji se compound ka ghaira kaantkar saamne ghar ke darwaje pe aen aakar ruki main aur sumi gaadi se utare kuch nahi badala tha waha par badala tha toh hamara rishte pehle main naukar ke haisiyat se waha aaya tha aur aaj waha ke chote malik ke haisiyat se...sumi main sidiya chadhkar naukar kaka ke darwaja khulte hi andar pahuche naukar kaka saaman lene bahar chale gaye aur sumi aur main sidiya chadhte huye upar aaye...sumi ne kone wala kamra khol diya kamra khushbu se mehek raha tha bistar sofa keemti furniture kamre se juda har saaman apni jagah salihat se pada hua tha saamne aalishan bistar upar badi si frame mein jadi sumi ki gale pe haath rakkhi ada mein ek modelling tasveer thi us kamre mein main pehle bhi aa chuka tha aur us bistar par main sumi ke sath kayi raat beeta chuka tha achanak khidki ke parde khulte hi bahar ki tej dhoop kamre mein dakhil hui….sumi ne meri taraf mudkar dekha mera dhyan tutte hi maine uski taraf dekha

"aaj se hum yahi rahenge kaisa laga mera surpise? socha ye secret rakhu ki hum dobara yaha rehne waale hai maine kaha tha na tumse mujhe ye jagah bahut pasand hai ab humhe koi rokne wala nahi koi tokne wala nahi sirf main aur tum aur koi nahi"

sumi ne kehte kehte mere seene pe sar rakh diya maine oose khud se alag nahi kiya...itne mein meow meow karti usi kaali billi ki awaz mere kaano mein padi...maine piche mudkar dekha toh sissy thi..sumi oose uthaakar pyaar karne lagi…."hey baby dekha maine tumse vaada kiya tha na hum waapis aayenge ab hum kahi nahi jaayenge sab saath rahenge isi ghar mein oh u missed me i miss you too muaahhh"......sumi oose chumte huye sehlaakar ek or rakh deti hai wo kaali billi mere pao mein aakar lipatne lagti hai sumi hasskar kehti hai shayad ab wo mujhe bhi manne lagi hai maine sirf muskuraya aur ooske ruye ko sehlaate huye main uthkar bistar pe uske bagal aa baitha

hum us din se wohi rehne lage...main wohi se islam sahab ke office jaane laga pure din meri raah taakti sumi baitha karti thi ki main kab ghar aaunga phone itni dafa karti thi ki main aaziz hi aa jata tha lekin kuch kehta nahi tha oose...mujhe laga ab sab theek ho jayega ho sakta hai sumi ki haalat bhi sudhar jaaye uske upar haavi wo cheez bhi utar jaaye lekin sahi mayno mein ye khwab mein tabdil hoti haqeeqat mere liye shaap ban jaayega maine socha nahi tha kuch din hum dono ka rishta normal raha lekin dheere dheere sumi ka bartav mere saath jitna diwaana ho raha tha utna hi saqt bhi ab dheere dheere mujhe ahesaas hone laga ki haqeeqat suhaane khwab jaisi khushnuma nahi hoti balki kadwi sacchai se bhari hoti hai jo asliyat ka ahesaas karaate hi raungte khadi kar deti hai..

to be continued…..

Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 51 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #23 on: February 25, 2022, 07:29:59 PM »
Chapter 20

Sumi ka mere saath bartav apne diwangi ke paymaane pe tha...pehle pehle to main uski haalat jaankar nazarandaaz kar deta tha darrta tha kahi uspar wo cheez haavi naa ho jaaye par jab bardasht ki had paar hone lagi to oosse aaziz aane laga...jab bhi gussa karna bhi chaha to darrta us contract pe kiye dastkhat se main uska mohtaj tha bhul nahi sakta tha ki main sirf naam ka uska shouhar tha jabki meri haisiyat uske gulaam jaisi hi thi...ek din office mein bahut important meeting chal rahi thi...usmein mera mauzud hona bahut zaruri tha islam sahab bhi apne kursi pe baithe mere team ka tayyar kiya presentation sun rahe they clients bhi baar baar mujhse sawaal jawaab kar rahe they….achanak phone baja maine dekha ki sumi ka call tha maine phone kaant diya main fhir presentation sunne laga fhir call maine fhir phone kaanta aisa koi 3 martaba aur hua toh chauthi baar maine phone uthaake bas itna dheeme se kaha munh par haath rakhke "sumi i m at important meeting i can't talk right now pls don't disturb"........sumi ne kuch aur kehna chaha tha maine phone kaant diya….silent karke ek taraf rakh diya

kuch 10 min baad fhir phone vibrate hua baar baar clients ko dikkat mehsus hone lagi mujhse baatcheet karne mein...unhone mujhse kaha ki agar koi zaruri matter hai meeting se zyada to oose suljhaiye hum itne dur abroad se important dealing ke liye aaye hai par aapko to fursat nahi baat ukadhti lagi maine islam sahab ki taraf dekha jo naaraz ho rahe they mujhpar maine phone switch off karke rakh diya fhir main unse maafi maangte huye sharminda hokar rubaru hua islam sahab sab harqat meri note kar rahe they…

kuch ghante baad meeting dismiss huyi foreign clients se haath milaakar main unki vidaai ke baad faarig mehsus kiya abhi meeting room se bahar aaya hi tha ki islam sahab ne mujhe toka main mudkar unke taraf dekha

"kya ho raha hai ye adam? ek business meeting ko tumne apne immature professionalism ki wajah se aaj to spoil kar hi diya tha wo croro ki deal leke aaye hai agar tumhari zara si laparwahi se wo ukadh jaate aur ye deal kisi rival company ke saath kar lete to kitna nuksan hota jaante ho?"

"sir maine apni team ke saath din raat mehnat kiya tha is presentation ke liye but aapki beti samje tab na usne muje baar baar call karke disturb kar diya aise usne hamesha kiye hai"

"don't you drag my daughter into this matter bhulo mat aaj jo ye kursi sambhaal rahe ho na usi ki badaulat"

"haan sir main kyu oose blame karunga? ulte to main uska ahesaanmand hoo ki usne naa hi sirf meri zindagi banayi balki us din meri marte waqt jaan bhi bachayi thi warna main ek gareeb mohtaj naukar kya haisiyat rakh sakta tha?"

islam sahab ne jaise meri baato ko ansuna kar diya unhe boriyat mehsus ho raha tha achanak unka call baj utha….unhone paaya unki beti ki taraf se koi msg tha oose padhkar islam sahab mujhe ghurre…."meri beti ko ignore kar rahe ho tum kayi din se oose kahi ghumaane nahi le gaye office mein to koi khaas kaam toh hota nahi aur agar hota hai tumare upar to koi burden deta nahi because afterall u r the managing director of this company ye sab kya hai?"

sumi ke msg ko unke phone mein padhkar main samajh nahi paaya ki sumi ne jhoot kyu bola tha? bahut gussa aaya mujhe uspar kab main oose ghumaane nahi le gaya balki uske wajah se mujhe office mein kayi dafa pareshan hona pada aur kabhi to ghar jaldi jaana pada par huhh kahan uske abba mujhpar yakeen karte? main unki teekhi baatein sunta raha jabtak unka mann bhar nahi gaya uske baad lambe dag bharte huye wo waha se ruksat ho gaye aur main victim bana khada reh gaya…

Maine jab phone on kiya to usmein 20 missed calls they aur whatsapp pe sumi ka futa gusse bhari baatein aaj lagta tha fhir ek baar ghar dozakh banne wala tha mere liye….jab ghar pahucha toh plates cup bartan tutkar pure kamre mein bikhare huye they main dehshat mein thook ghontta hua dheere dheere kadam sidiyo ke taraf laaya kamre mein aaya to sumi karwat badle soyi huyi thi matlab gusse se jab usne todfod karke shaant huyi toh shayad ab so rahi thi mere pao rakhte hi wo ekdm se uth baithi…

"aa gaye ayyashi karke huhh business to bahana hai arre mujhse dur rehna chahte ho tum ignore karna chahte ho mujhe".....usne cheekhte rote huye kaha

"n..haii sumii ye kaisi baat kar rahi ho? b.at samjho important meeting thi tumhare abba mujhpar naraaz ho jaate agar main tumse uswaqt baat karta pls samjho dekho mujhe maaf kar do pls kal hum ghumne chalenge"

"my foot get lost meri parwah nahi hai tumhe jao bhooke maro aaj tumhe kuch nahi milega jao jaake niche bhooke so jaana and dont you dare to step one foot on upstairs go f**k off".......is tarike se sumi peshai main ro pada

main maayus ulte pao uski gaaliya bardasht karte huye sidiyo se niche aaya ek cup ka tuta hissa mere pao mein chub gaya main dum saandke wohi baith gaya khoon aa gaya tha main pao dabaaye dard mein sidiyo pe apne bebasi pe rone laga….sumi aksar aisa hi karti thi mere saath bura peshaana gaali dena ghar ke cheezo ka nuqsan karna to jab isse bhi dil na bharta toh mujhe saza dekar taqleef pahuchana ek taraf kehti thi wo mujhe beinteha pyar karti hai dusri taraf jaanwaro jaisa salukh karti thi mere saath aisa lagta tha gin gin ke mujhse shaadi karne ka badla le rahi thi woh..

naukar kaka ko bhi wo jhataake ghar bhej deti thi aur mujse hi ghar ka saara kaam karwaati thi jab oose wo bhi kam lagta tha zameen pe kabhi paani gira deti to kabhi thook deti apne juto par aur kehti ki oose bhi saaf karo na jaane oose meri chuppi mein kaisa sukoon milta tha? dheere dheere mujhe uske abusing ki aadat hone lagi..

agle din uska vyavhar bilkul badal jata tha wo aise behave karti jaise usne mere saath kuch kiya hi nahi ho jaise oose kuch yaad nahi ho ki usne mujhe kitna bezzat aur hurt kiya tha….main kayi dafa sofe par laraai jhagde ke dauran raat gaye so jaata tha to subah wo jagaake mujhe pyaar karti thi main oose apne se dur dhakel deta to wo qeher bhari nazaro se jab mujhe dekhti to mujhe apni narazgi chodhni padti thi….koi bhi keh sakta tha ki wo ek sanakmizaaz pagal aurat thi jise ghar se behtar solitary confinement mein daal dena behtar tha lekin bhala main aisa kar paata?

ek din sumi mujhse fhir kisi baat ko leke kafa huyi….maine oose manaane ke liye uski pasand ka khaana banaakar uske plate mein jab parosa to usne ek nivaala lete huye oose thook diya….."kya hai yeh namak nahi hai isme?"........usne mujhe jhaadhte huye kaha

"par maine to khud namak check kiya hai sumi yaar kam se kam aise to mat kaho"

"accha matlab ab zubaandaraazi pe utar aaye ho matlab mere laad pyaar se sar par chadh rahe ho bhulo mat apni aukwad"

"dekho sumi bahut ho raha hai ab agar tumhe mere haath ka nahi khaana to main bahar se le aata hun"

"accha matlab ab mujhe tumhare hisaab se chalna padega ki kahan kya karna hai? kahan khaana hai? us mehenge restaurant ke paisa pay bhi mere credit se tumhe milta hai tumhara baap toh pay nahi karega na?"

"sumi zabaan sambhaalo main tumhare baap ka naukar nahi jo itne waqt se tumhari har harqat bardasht karta rahu main nahi pasand to nikaal kyu nahi deti mujhe ghar se"

wo pehli aur aakhri dafa hi tha jab maine awaz uthaayi thi uske baad jo qeher us din se girna shuru hua oose byaan aaj bhi karne se mera rom rom kaanp uthta hai...sumi ko mujhse aise jawab ki umeed nahi thi usne mutthi kasste huye mujhpe dahada aur uthte hi ek karara thapad mujhe lagaaya main oose hakka bakka dekhne laga mujhpar usne haath uthaaya tha usne garam garam daal ka katora mere chehre pe faikha mera chehra jal gaya aur katora daal bikharkar zameen pe jaa gira main munh pe haath rakhkar maarei jalan mein uski taraf kaanpte huye dekhne laga wo aisi qeher bhari nazar se mujhe ghurr rahi thi jaise abhi mujhpar tut padegi

"dafa ho jaa yaha se tu bhooka rahega to akal thikaane aa jayegi mujhse aaziz aa gaya hai mujhse zubaandaraazi karta hai jisne teri zindagi savaari tujhe sadak se mahal mein jagah di jaa dafa ho aur sun munh mat dikhaana mujhe apna main bhi dekhti hoo kabtak bhooka rehta hai saari akad nikaal dungi"

kehte huye usne mujhe dhakka deke ghar se nikaal diya main chehre ki jalan ko bardasht kiye uski tikhi baatein sunte huye ghar ae nikal gaya mere piche usne darwaja dhaddh se lagaaya aur dining table pe saje mere saare khaane ko ek jhatke mein oose dastarkhaan kheechkar zameen pe faikh diya….us din main subah ka nikla shaam ho gayi ghar se dur taalab kinaare jaakar baitha raha mera aadha chehra jal gaya tha waha laal nishaan se pad gaye they dawaai bhi kaise lagaata? main oos talaab ko dekhkar us din mere aur sumi ke kareeb hote us pal ko yaad karne laga jab usne meri jaan bachaayi thi na jaane kyu wo aaj badal chuki thi kyu jab bhi uske kareeb jaane koshish ki to usne mujhe sirf dard diya….mujhe bhook lagne lagi mere jeb mein paise nahi they aur sheher tak ka rasta tayy karna munasib nahi tha paidal jaata bhi kahan? islam sahab ko maalum chala to rahi sahi kasar wo bhi nikaal denge mujhpar

achanak andhera hone laga main waise hi pier ke paas laachar bhooka baitha subak raha tha itne mein kaali gaadi saamne aa khadi huyi sumi gaadi se nikali mujhe dhundte huye mere paas aayi maine uski taraf nigah nahi uthaayi..wo fhir maasum chehra liye mere paas aayi mujhe manane lagi apna kaan pakade sorry maagne lagi kehne lagi usne bhi kuch nahi khaaya mujhe usne kayi jagah talaasha aakhir mein wo yaha pahuchi fhir usne mere chehre ke laal jale nishan ko dekha wo aise sisakne lagi jaise dard oose ho raha tha wo rote huye mere chehre ko fhukne lagi "ghar chalo baby isshh kitna jal gaya hai chalo chalo"...maine apni narazgi chodh di main janta tha koi fayeda nahi main oosi ka mohtaj tha ulte maine oosse maanfi maang li usne muskurakar mera kandha pakde mujhe uthaaya aur mujhe gaadi mein bithaaya aur fhir ghar le aayi


Sumi ka mujhe taqleef dena dard dena gaali galoch karna ill treat karna ye sab uske mutabik mujhpar pyaar tha meri parwah thi jo ki kattayi main mann hi mann nahi chahta tha...kuch din acha guzarta toh koi na koi chote galti ya bhul se meri galti naa bhi hoti to bhi mujhe uska qeher bardasht karna padta tha...sumi mujhpar haath uthaane lagi thi aur jis din wo junoon mein aati to mujhe noch kaant leti thi main oospar kaabu nahi kar pata tha...aisi kayi raat guzari thi jab mujhe ghar se nikaal diya jata dair raat ghar se bahar sone kaha jaata bhooka rakha jaata kayi baar toh usne mere haath pao baandhkar mujhe torture bhi kiya tha in sab ke khauff se main dua karta tha ki aisa koi raat na aaye jab mujhe uske qeher ka saamna karna pade…

is beech sumi ka modelling career aasman chune laga tha kayi dafa wo sheher se bahar chali jaati ya ghar se 2-3 din ke liye chali jaati thi...mujhe bahut raahat mehsus hoti thi uske chale jaane se...bahar ke logo se wo jis masumiyat bholi aur khubsurati se pesh aati thi utna hi ghar mein wo ek alag shaksiyat jo ki saqt nirdayi aur usse bhi zyada qeher barsaane wali daayan ban jaati thi….ek raat party mein humhe invite kiya gaya hum bahut khush they sab badhiya chal raha tha...achanak waha kisi ladki ne mujhe dance offer kiya sumi to khud uske husband ke saath dance kar rahi thi friendly way mein to maine pehle to naa kiya par usne jor diya to main kuch keh nahi paaya usne mera haath kheechkar dance floor par mujhe laaya mere kandhe pe baanh daale aur mera haath apne kamar pe rakhwakar wo mere saath dance karne lagi….haalaki meri niyat bilkul paak saaf thi main ye bhul gaya ki sumi sab notice karke humhe ghurr rahi thi uske chehre pe badlav aa raha tha

"you're so handsome so charming i must say sumi is so lucky that she got a lovely husband like you"

"thank u but aap bhi khubsurati mein usse kam nahi ur husband is lucky bastard hahahaa"......main bhi hass pada aur wo bhi khilkhilaakar hass padi

udhar sumi ye sabsunkar galat fehmi ki shikaar ho rahi thi...wo dance chodh uske husband ke haath ko jhatakte huye bar ke paas baithi wine peene lagi…..sumi peete huye mujhe hi gulabi nigaho se chidhte huye dekh rahi thi...maine jab oose gaur kiya to main samajhne laga oose bura lag raha hai maine uske husband ke paas oose chodhte huye waha se jaane ki ijajat li sumi ne bahut drink kar liya tha wo larkharakar uthne lagi maine oose sambhaalna chaha to usne mujhe dhakel diya

"sumi u drunk kyu itna piya tumne? log kya sochenge?"
"log jaaye bhaadh mein tum kya kar rahe they mere saamne kisi aur ki biwi ko lift de rahe they company de rahe they uske saath naachkar huhh jawab do"
"sumi log dekh rahe hai scene create mat karo"

"i am waiting in car within 1 min bahar aa jaana warna yahi akela chodhkar chali jaungi main yaha kuch aur nahi kahungi do as i say"

sumi ki baat sunkar main gambhir ho gaya wo mujhe aankh dikhaate huye larkharaayi nashe mein bahar nikal gayi party mein sumi ke jannewaale mujhse puchne lage ki kya hua? maine bas itna kaha ki sumi ki tabiyat theek nahi main oose ghar le jaa raha hu...main party chodhkar bahar aaya sumi gaadi mein mera intejar kar rahi thi….main bina oose kuch kahe gaadi ghar ki taraf modh di hum ghar pahuche sumi gusse mein darwaja kholkar dhadaas se lagaaye upar apne kamre chali gayi main darwaja dhakelkar ghar mein dakhil hua..

main jab upar aaya to sumi par jaise wo cheez haavi ho chuki thi wo ghurra rahi thi dohri bhari awaz gale se nikaal rahi thi maine oose shaant karna chaha...lekin usne ek nahi suni aur mujhe gusse ke maarein mere haath pao par naakhun maar diye mere baal mutti bhar kheechte huye mujhe thappad laat maarne lagi….main oose apne se dur dhakelna chaha par wo bekabu thi..

"mere hote huye dusre ki biwi ko chua kaise aaj nahi chodungi tujhe"....uski dahadhti awaaz ghar ke bahar charo taraf gunz uthi

main sihma daraa hua fariyaad kar raha tha ki mujhe maanf kar do par wo kahan manne waali thi?....."aaj tujhe bataati hoo saza kya hoti hai chal tayyar ho jaa".....itna kehkar wo mujhe ghassitte huye sidiyo se lagbag giraaye niche le jaane lagi……"sumi pls chodh do pls sumi maanf kar do naa aayinda aisa nahi hoga sumi"....main kehta raha aur wo mujhe jabran ghassitte huye living room mein laayi

"kapde utar kapde utaar"......usne chilaake dahadte huye kaha main kaanpte huye uski qeher bhari nigaaho ko dekhte huye sihma apne kapre utaarne laga usne mujhe sar se pao tak belibaas kar diya main sharmindagi se aansu baha raha tha

"baar baar dard dene pe mazbur karta hai tu aaj batati hoo"....usne paas jalti aag mein se ek lakdi nikaali aur mere jism par rakhna chaha maine chillaya bhaagne ki koshish ki par usne muje pakad liya

"nahi sumi nahii aahahhhhh"......main dard se bilbila utha usne wo aag ki garam jalti lakdi mere peeth kamar aur kandhe pe lagaa di wo jagah jal gaya jalan bardasht ke bahar tha main tadapne laga

sumi ne fhir mera haath pao baandha fhir mujhe waise hi haalat mein farsh pe chodh paas tangi chaabuk uthaayi...oose dekhkar main bahut darr gaya fariyad karne laga rone laga ki ab bas karo sumi main marr jaunga...par sumi kahan thamne waali thi? usne chabuk ka jayeza leke ek vaar zameen pe kiya to chataak se jo awaz huyi usne mere rom rom ko dehshat se kanpa diya..

usne jee bharkar us raat meri peeth jaangh jism ke har ang par oosse maara jabtak ooska jee nahi bhar gya main cheekhta raha chilaata raha lekin koi na bachaane waala aaya aur naa madad karne wala us puri raat charo taraf sirf kohde barasne ki awaz aur meri cheekhe gunz rahi thi…

jab mere jism se khoon lathpath behane laga to sumi ko chain aaya wo chaabuk chodhe haafte huye apna pasina ponchkar chali gayi...aur main behosh pada reh gaya...agli subah naukar kaka ne mujhe zakhmi behosh dekha to unhone mujhe uthaaya mere badan ko kapre se dhakte huye meri marham patti ki sumi to dopaharbad tak soti rahi maine ro rokar apne upar huye saare zulam-o-sitam unhe bataaya to unhone bas savr karne hi kaha isse zyada wo kya keh paate?

sumi ne mere se bolchaal do din tak band rakha aur teesre din fhir apna jhoota pyaar mujhpar umada main kuch nahi bola uske haath ki katputli ki tarah jaisa usne chaha waisa main karta gaya...ab har saza mein sumi mujhe nanga karke mere badan par kodhe maarti thi bethasha aur iska zarra bhar ilm na islam sahab ko hua aur na sumi ke gharwalo ko jaankar bhi to nazarandaaz kar dete unhe meri kyu parwah hoti?

jis din ghar par rehta us din sumi ke nakhre sehne padte uska huqam maanna padta jhoota pyaar oosse karna padta wo mujhe chain nahi lene deti thi...saare ghar ki ek hi din mein saaf safaai karwaati jhagda hua to bhooka rakhti aur shaam ko jab thak haarkar aaram ke liye panaah leta toh wo bistar par mere jism ko raundti jindagi jeeti jaagti dozakh ban chuki thi meri...wo apni usi kaali billi sissy ko liye puchkaarte huye mujhe muskurakar dekhti thi jab jab main uski saza kaant raha hota tha jaanbhujkar poche ki balti ka ganda paani giraa deti aur main mazbur hoke dobara saaf karta na jaane kis baat ki khunnas thi ab to meri maut hi mere nijaat paane ka ek maatra rasta tha jo ki main sochta rehta tha….

Aakhirkaar ek din wo waqt bhi aa gaya jiski mujhe umeed bhi nahi thi mujhe nahi pata tha us trip par jaane ke baad hamara sabkuch ek jhatke mein badal jaayega….main nahi janta tha ki khuda ne mere savr ka ajr mujhe diya tha ya fhir sumi ko uske kiye ka azaab

to be continued….
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 51 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #24 on: February 25, 2022, 07:32:14 PM »
Chapter 21

Us raat sumi ke pehlu se jab main alag hua toh uska phone baj utha usne laite laite phone par flash number dekha aur call receive kiya kuch dair wo phone pe vyast ho gayi fhir usne phone cut karke meri taraf pyaar bhari nigaaho se dekha main lekin apne mein hi gum razai faikhe kapre pehnne laga par sumi waisi laiti apne nagn jism par chadar dhake gungunaati rahi main jaise hi mudkar uski taraf dekha to usne uthkar chadar thaamein apne seene par mere peeth par sar rakhkar mujhse lipat gayi..

"pata hai adam hamare shaadi ko itna waqt ho gaya par hum kahi bahar hill station wagaira ghumne nahi gaye honeymoon toh manaaya hi nahi behane bhi keh rahi thi ki jiju ko bolo aapko le jaaye kahi ghumaane to maine decide kiya hai ki agle mahine mein hum bern jaa rahe hai for outing"

main uski baat sunkar chaunka oose ghurrne laga usne mujhe sawali nigaaho se tokte huye kaha "kya hua? aise kyu dekh rahe ho? kya tumhe switzerland ki haseen vaadiya pasand nahi"

"n..ahi nahi toh aisi baat nahi lekin abba ko to bata dete ki hum ghumne bahar jaa rahe hai main company ka m.d hoo par unki izazat lena jaruri hai"

"wo sab chodho decide ho chuka meri travel agency se baat ho chuki hai tickets agle hafte tak mil jaayenge u just get ready samjhe"....sumi ne meri baat ansuni karte huye kaha

main khaamosh ho gaya kehta bhi oosse kya? haalaki mera safar par jaane ka koi mood nahi tha lekin sumi ke har baat ko order ki tarah manna bhi zaruri tha..maine oose naraaz nahi kiya...sumi haskar karwat badle sone lagi aur main kashmkash mein duba reh gaya…

                                                ----------------

Sumi aur meri flight us shaam switzerland ke haseen vaadiyo ke beech bane aalishan airport par land huyi…..ye pehli dafa tha jab videsh aaya tha naye log nayi jagah aisa lag raha tha jaise kitno baad acha mehsus kiya ho….kadaake ki sardi padi thi main aur sumi jacket odhe apne hotel pahuche hamara intejaam pehle se kiya hua tha...apne hotel ke room mein pahuchkar main aalishan room ko ghurrne laga sumi jaakar parda khole bahar andhere mein dubi chakachaund sheher ko dekhne lagi…

waiter kuch hi dair mein khaana room mein le aaya….main aur sumi dinner se faarig hokar bistar par aaram karne lage...main bahut thak chuka tha isliye neend ne mujhpar ghar jaldi kar liya..gaye raat neend jab tuti toh maine paaya sumi mere jism se lipati mere seene pe haath phair rahi thi...maine sumi ka haath hataaya to usne zabran fhir haath rakh diya

"sumi main thak chuka hoo mujhe kuch dair sone do pls"
"tum mere aaram ke liye ya khud ke aaram ke liye yaha aaye ho bhulo mat ki mujhe naraaz karne ka kya anjaam hoga?"

mera shareer ne ek jhurjhuri li darr se main khauff se aankh band nahi kiya sumi ne hasskar aur mujhe apne kareeb kheech liya...sumi aisi hi thi mujhe khilone ki tarah istemaal karti thi aur main chahkar bhi oose rok nahi paata tha….

agli subah jab utha toh sumi so rahi thi main bathroom mein jaakar fresh hokar bahar aaya to darwaje pe knock hua...ek vilayati hotel staff darwaje pe khada tha mera abhivaadan karte huye usne bataaya ki hamare ghumne jaane ki gaadi niche hamare intejaar mein khadi hai fhir wo chala gaya maine sumi ko jagaaya aur thaka haara kapre pehente huye tayyar hua

us din hum kayi jagah ghumne gaye switzerland ke haseen vaadiyo pahado aur museums aur castle wagaira dekhne ke baad shaam tak hum waapis laute sumi to bahut khush thi aur mera bhi mann kahi hadtak sumi se hat gaya tha hum fhir dinner ke liye hotel ke niche restaurant pahuche...waha ek reserved table par baithte huye sumi ne apni aur meri pasand ka kuch order diya jab waiter serve karke chala gaya to main chupchaap khaane laga achanak khaa hi raha tha ki itne mein sumi ne mujhe khaate huye kaha

"adam kal hamari shaadi ki pehli saalgirah hai".....main sunkar chaunk utha kaise bhul gaya tha main?

"h..han waqayi waqt bahut jaldi guzar gaya hamare rishte ko eksaal ho gaya pata hi nahi chala"

"isi khushi mein hum yaha aaye hai ekdusre ke saath time spend karne acha kal ek surprise hai tumhare liye mere sath chaloge na?"

main samajh nahi saka sumi kahan le chalne ki baat keh rahi thi surprise kya fhir sumi kahi mujhe taqleef dene waali koi darawani harqat karne waali thi ek pal ko uski kaatil muskurahat se main darr gaya wo ektak mujhe ghurr rahi thi usne mera haath thaam liya maine muskurakar sehmati mein sar hilaaya lekin mann hi mann darrta raha

agle subah main hotel se thoda tafreeh ke liye akele bahar nikla tha sumi us waqt so rahi thi to aise mein kuch waqt akele guzaarna mujhe bhi bhaaya...main sheher ke dukaano ka jaayeza lete huye road par ghum raha tha itne mein ek dukaan dekha main andar gaya wo jewellery ki dukaan thi meri haisiyat kisi laayak toh thi waha kharidne ki maine ek anguthi pasand kiya sumi ke liye...aaj hamari saalgirah jo thi maine to niyati ko maan liya tha na jaane kyu? sumi se pyaar kar raha tha jabki dil janta tha uska pyar kitna taqleef daaye hai oosse to nafrat karne mein bhi khauff lagta hai khair mann mein socha sumi ko surprise dunga aisa khud se kehkar maine wo anguthi gift wrap karne kaha dukaandar ne badhiya se oose pack kar diya main oos tohfe ko jeb ke hawaale kiye paisa adaygi ghar waha se waapis hotel pahucha…

sumi kamre mein nahi thi oose dhundhte huye main bahar lobby pahucha receptionist se puchne pe usne mujhe inform kiya ki wo bahar gaadi mein aaphi ka intejar kar rahi hai jaldi jaiye main acha keemati suit pehna red tye ko theek karte huye bahar pahucha sumi gaadi mein mere intejaar mein baithi thi main uske bagal mein baith gaya…"kahan gaye they? mujhe to laga yaha aake mujhe chodh dene ka irada bana liya tumne?"

"kya sumi kaisi anaap shanaap baatein kar rahi ho? ye anjaan desh mein main tumse dur kaha jaunga aur jaunga bhi kyu? agar tum mujhe suprise de sakti ho to main kyu nahi?"

sumi ne muskurake mujhe dekha mujhe raahat huyi ki usne mujhe kuch nahi kaha wo keemati kaali gown pehne huye thi aur uske lambe nakhuno mein laal nailpolish aur hotho pe laal lipstick ka rang kisi gaadhe khoon ki tarah lag raha tha wo mujhse lipati intejar mein thi ki kab hum apne manzil pahuche….jald hi gaadi bandargaah ke paas aakar ruki uske baad hum gaadi se utare gaadi wala chala gaya….sumi mera haath pakde paas boat lage qataar ke beech pier ke paas le gayi...maine paaya toh wahaek yacht khada tha do manzila khubsurat bara sa aur usmein koi bhi nahi tha siwaay hamare hone ke…."aao mere saath".....usne kehte huye sailorman ki taraf ishara kiya

ek palla lakdi ka hamari taraf yacht se juda faika gaya jo paani ke upar bridge ki tarah rasta ban gaya…..hum uspar ahetiyat se chadhte huye yacht par pahuche sailor ne sumi ka haath thaamein ooska swagat karte huye yacht par oose utaara main theek uske baad kudkar utara...sailorman ne us lakdi ke palle ko aadmiyo ke saath utha diya fhir usne humse thodi baatcheet ki aur apne niche waale cabin mein chala gaya…..grrr grrr karti motor ki bhaari shor sunaai di aur uske theek baad yacht tej gati se bandargaah chodh paani ko cheerte huye theek beech samundra ki taraf badh gaya dur sheher hota dikh raha tha charo taraf panchiya ud rahe they…

main sumi ke sath ek room mein pahucha…."to ye tha surprise sumi?"......maine pucha

"hmm aur pata hai ye intejam abba ne karwaaya hai khaas hamare liye aur yaha koi bhi nahi siwaay hamare ab humhare celebration mein koi dakhal andaazi nahi karega naa hi koi disturb"......sumi kehte kehte mera haath thaamein mujhe kursi par bithaate huye mere saamne baith gayi

achanak mausam mein tabdili aane lagi din kab dhalne laga maalum nahi chala ab badalo mein garazan shuru ho gayi thi bijliya chamak rahi thi...sailor ko saqt aadesh tha ki wo hamare kehne ke bina humhe disturb na kare….sumi itni khush thi ki usne Champaign ki botal kholte huye ek ek jaam tayar kiya main peena nahi chahta tha par oose mana karna mere bas mein nahi tha….maine ek jaam jaise taise khatam kiya lekin wo jaam pe jaam peeti rahi paas stereo mein halki halki music baj rahi thi hamare table pe jal rahi mombatti achanak se yacht ka hilne dulne se girkar bhuj gayi main oose uthaane ka upkaram kiya toh sumi ne dhyaan mera apni taraf karte huye mere baazu se mujhe uthaakar mere gale lagte huye mujhse dance karne ki zidd karne lagi ooske aankhe laal laal doro se bhari thi lagta tha nasha uspar chadh chuka tha

"accha tum ab batao mere liye kya surprise hai?"

maine hasskar oosse alag hote huye ghutno ke bal ek taang mode uske saamne jhukkar ek tohfa uske saamne jeb se pesh kiya wo hairat se dekhkar oose uthaaye kholne lagi jab usne kholkar paaya ki wo koi hire ki jadi anguthi thi to uski aankhe aansuyo se bhar gayi…

"i love you sumi chahe hamare beech jaisa bhi rishta abtak guzara ho lekin tumne meri zindagi savaari hai ye chota sa tohfa hamare salgirah par qabul karo"

itna kehte hi maine uthkar uske haatho mein wo anguthi pehna di...sumi fhafak fhafak kar rote huye mere gale lag gayi….."tum mujhse itna pyar karte ho adam i really love you too i really love you"......usne apne aansu poche aur muskurakar meri taraf dekha

"aaj ek baat tumhe kehna chahti thi aaj tumne mujhe zindagi ka sabse khaas tohfa diya hai sirf ye anguthi aur apne pyaar ke izhaar se nahi apni nishaani bhi dekar"

main samajh nahi paaya usne hasskar apne pait ki taraf haath rakha…."adam ye hai mera asli surprise i m pregnant aaj hi maine tumhare namauzdgi mein maalum kiya ye sabse bada tohfa hai"

meri aankhe jazbat se bhar gayi aur maine oose apne gale laga liya sab taqleef dard jo usne mujhe diya main bhul gaya tha...achanak yacht zor se kaanpta hua ek taraf ulatne ki kagaar par jaise ho gaya main sumi se bichadakar hadbadata farsh pe girke ulatte huye diwaar se jaa takraya...sumi chillake gir padi maine ooske kareeb pao ke bal chalkar oose thaama jab yacht fhir sidha hua to kisi tarah darwaaje se bahar nikle...toh main dang reh gaya wo badalta mausam bheeshan tufaan mein badal chuka tha hawaaye tej chal rahi thi ho ho karti hawao ke shorr mein pura vatavaran gunz raha tha samundra ka paani ubaal khaa raha tha daye aur baaye ki taraf yacht jhul raha tha paani mein tairta hua….kinaare se bahut dur they hum...tabhi ek bijli sidha sheeshe pe aa lagi khanaak se sheesha tuta aur sailor ki cheekh sunaai di

main daudta hua railing pakde hilore maarte bekabu yacht par uske cabin pahucha waha aag lag chuki thi machine mein na jaane kaise circuit chingaari maar raha tha? ye ekdum se khushi bhara lamha koi haadse mein tabdil ho chuka tha...maine sailor ko uthaaya oose gehri chot aayi thi usne kaha ki yacht ke machine mein aag lagne se control kho chuka hai yacht ab ek taraf teher chuki hai ab paani ke hi zabran se ye tairte huye kahi bhi jaa ultegi ye sunkar main khauff se kaanp utha main daudta hua sumi sumi chillate huye bahar aaya

tej barsaat se hum dono geele yacht ke room se bahar bheegte huye aaye…."sumi ek kaam karo emergency call karo"........."call lag nahi raha adam phone kaam nahi kar raha"

"oh damnit ab kya karenge?".......maine sumi se jawab maanga wo uljhan mein sihamne lagi

maine dur dur tak dekha andhere mein nazare daudaayi chillaya cheekha lekin kaun aata madad ke liye kise hamari awaz us  bheeshan tufaan mein beech samundra se sunaai de sakti thi?....achanak sailor ke room se zor ki awaaz huyi jaise dhamaka hua ho theek tabhi pure yacht pe aag failne lagi….main aur sumi dehshat se us aag ki lapato ko aate dekh rahe they itne mein yacht ne samundra mein hichkhole khaaye aur main girta padta railing thaame latak gaya jabki sumi waapis room ke bheetar jaa dakhil huyi…."sumi waha se niklo bahar aane ki koshish karo"...maine bahar se chillaya

"nahi adam tum bhi yaha aa jao lagta hai yahi hamari niyati mein tha hum marr jaayege adam aa jao mere paas yaad hai us suhaag raat mein maine kya kaha tha?"

"pagal mat bano sumi get out of there"......maine chillake uthte huye kaha yacht par se

"yahi kaha tha jis din main marrungi tum bhi mere sath is duniya se jaoge"......sumi pagalo ki tarah rote cheekhte huye keh rahi thi...itne mein aag sumi ke room tak pahuch gayi main dauda kareeb aaya achanak samundra ke fhir hilore se yacht baayi taraf girne laga main diwaar se takraake sidha railing pe jaa gira kisi tarah uthkar ghassitte huye sumi ke cabin pahucha achanak aag ka palla theek saamne gir pada mere..pure room mein aag ki lapatein fail chuki thi sumi aag ki dehshat se ek taraf khadi mujhe pukaar rahi thi maine uthkar us aag lage palle ko hataana chaha kyunki wo darwaaje pe gira tha aur na main andar jaa paa raha tha na sumi bahar aa sakti thi...dheere dheere yacht aag aur dhuye se bhar gaya kahi dur siren aur sitiyo ki awaz sunai dene lagi lagta tha beech samundra mein lagi hamare yacht ki aag ko dekhkar madad pahuch chuki thi wo log paas aana chahte they par aag itni fail chuki ki vispot hone ke darr se wo dur se paani ka fawwara faikh rahe they maine chillate huye unse madad maanga

maine mudkar dekha sumi behosh zameen pe gir gayi thi wo maa banne waali thi oose yun besahara chodhkar main nahi bhaag sakta tha maine sheesha paas rakhke jalte lakdi ke palle se tod diya sheesha tutkar bikhar gaya main andar kuda sumi ko uthaane laga usne mujhe kasske pakad liya

"chalo sumi yaha se nikal chale"....maine oose behoshi haalat se uthaana chaha
"sorry adam hum kahi nahi jaayenge marr jaayenge ekdusre ki baahon mein ab yahi hamari aakhirat ka faisla hai".....sumi ne gambhir hokar jawab diya

"shut up sumi himmat mat haaro utho kuch nahi hoga"
"agar main marri toh tum bhi mere saath jaoge aur yahi mera tumse aakhri huqam hai".......uski baat sunkar main ghabra gaya usne kasskar mere baazu ko jakad liya aur pagalo ki tarah mujhe ghurrne lagi

"sumi chodho mujhe sumii ye kya pagalpan hai? sumi aag fail chuki hai pure yacht mein hum nahi bach paayenge humhe yacht fauran chodhna hoga"

"t.tumhe tairna kahan aata hai adam us din yaad hai maine tumhari jaan khud bachayi thi taalab mein kudkar aur is beech gehre samundra mein tair paana tumhare liye aasan nahi marr jaoge bemaut isse accha hai hum yahi ekdusre ki baahon mein dum tod de"

"sumi no tum pagal ho gayi ho madad pahuch chuki hai wo kareeb kisi bhi waqt aa jayenge utho chalo bahar"

"nahii nahiii".....sumi zidd karne lagi pagalo ki tarah mujhe jakade rahi main oose apne se dur karne laga oose samjha paana ab mushkil tha

uske upar us aalam mein bhi wo cheez haavi ho rahi thi achanak ek zor ka dhamaaka hua mere kaano ke paas aur theek tabhi sumi mujhse alag hoke mera naam chillaye bheeshan aag mein kahan lupt ho gayi us dhamaake ki taqat ne mujhe lagbhag yacht se bahar de faikha mujhe kuch nahi dikh raha tha mera jism railing se takraya aur main ulatte huye sidha samundra ke paani mein jaa gira kaan mein kahi wo cheekh sumi ki aakhribaar sunai di thi uske baad maine mehsus kiya ki yacht pure dhamaake ke saath ud gaya aur uske malwe aasman mein kayi dur uchalte huye sidha paani mein jaa gire….mujhe kuch hosh nahi raha tha aankhe band ho chuki thi aur paani ki gehraaiyo mein main na jaane kahan dubta chala gaya….

                                        

Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 51 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #25 on: February 25, 2022, 07:32:48 PM »
Present

Adam ekdum se apni soch se bahar nikla uski aankhen nam thi na jaane kab se zazaat ka daur chal raha tha zaara ektak aansu bahaaye uski kahani sunke subak rahi thi aisa laga jaise adam ke byaan is kahani ke har dard ko usne apne dil se mehsus kiya tha...adam apne aansu ponchte huye kursi se uth khada hua aur tehelte huye khuli vaadiyo ki taraf dekhne laga…

"sach pucho zaara maine sumi ko bachaane ki laakh koshishe ki thi lekin mera bas nahi chala main us bheeshan haadse se kaise bach paaya ye toh khuda ke taraf se koi madad hasil huyi thi….sumi ki upari taqat uske upar savaar wo jinn oose uske aakhirat se nahi bacha paaya afsos to is baat ka tha ki sirf wo nahi marri thi maraa tha to mera hone wala baccha bhi jo uske pait mein aaya tha ek jhatke mein aayi khushi cheen gai sabkuch badal gaya tha mujhe hosh taqreeban kuch samay guzar jaane ke baad aaya tha kareeban hafte bhar baad malum chala ki main behosh zinda paani mein dubta mila tha police ki ek tukdi aur life guard ne dubi tabaah huyi yacht ka gambhiriyat se muayna kiya lekin sumi ki laash nahi mili yaa to laash jal chuki thi yaa fhir laash shayad bheeshan tufaan ke behte samundra mein kahi gehraaiyo mein dub chuki thi…

islam sahab apne parivaar waalo ke saath ye khabar authority se sunte hi switzerland pahuche unhe is baat ki hairaani huyi zinda sirf main bacha tha par unki beti bach nahi paayi kahi daanv paich ghumaaye mujhpe mukadma tak kar diya lekin police khud gawaah thi unhone saaf keh diya ki unhone mujhe dhamaake se pehle apni biwi ki jaan bachaate huye dekha tha aur dhamaake se aag lagte mere jism ko yacht se girte huye dekha tha main unhe mil gaya yahi chamatkar tha warna mera bach paana bhi mumkin nahi tha….sailor ki bhi jali laash mil chuki thi lekin sumi ka malum nahi chala mujhpe saazish tak ka mamla lagane se piche nahi hate they islam sahab main thak chuka tha unhein samjhaate samjhaate main to khud sadme mein tha sumi aur apne hone waale bacche ko khone se….yacht ki police chaanbin mein oose taqniqi kharabi aur bigadte mausam ke haadse ke shikar se jod diya gaya main police ke nigaah mein beqasoor sabit hua shayad allah ko mujhe bachana tha islam sahab niyati ke aage hathyar daal gaye aur apni beti ko khone ke gam mein tut gaye hum waapis apne desh apne sheher aa gye mujhse islam sahab har rishta tod lena chahte they maine bhi saare property jayejad ke papers office ki kursi ka haq sab dastavej unke aage rakh diye taaki ye na lage ki maine ye sabkuch paiso ke liye kiya tha

sumi ki ammi ko mujhpar wishwas tha itna kuch ho jaane ke bawjud unhone apne shouhar ko samjhaaya aur mujhe bhi bekasoor maana par sumi ke abba us din ke baad se mere se dur dur rehne lage jaanti ho zaara wo yahi ghar hai yahi guesthouse jaha hamare pyaar ki shruwat hui thi jaha hum shaadi karke aaye they….itna kuch ho jaane ke baad bhi aaj bhi sumi ki yaadein marri nahi hai aur ab to tumhe bhi samajh aa chuka hoga ki wo waapis aa chuki hai"

main kehte kehte piche mudkar zaara ko soch mein duba dekhne laga….."kya main oose dekh sakti hoo kya main ghar mein kadam rakh sakti hoo?".......zaara ne sawaal kiya maine sehmati mein sochte huye haan mein sar hilaaya

sidiya chadhte huye main kone waale kamre ke paas oose lekar aaya...usne mujhe sawali nigaho se dekha fhir oos darwaaje pe bandhi kapre ki gaanth kholi aur fhir taala kholte huye darwaja…..darwaja charr charaate huye khul gaya kamre mein dhoop ki roshni bikhari huyi thi sab saaman safed kapre se dhaka hua tha….zaara bheetar kadam rakhke charo taraf kamre ki cheezon ko ghurrte huye saamne bistar se theek upar lagi us tasveer ki taraf dekhi aur wo teher gayi ektak apni or ghurrti us gale par haath rakhke bari bari nigaaho se dekhti ladki ko ghurrne lagi……"yahi hai sumi islam meri pehli biwi".......zaara meri baat sunkar oos tasveer ko ghurrti rahi

"ab tumhe tumhari kahani mil chuki hai zaara lekin ek request is kahani ko galti se bhi mat!"

"nahi kahungi na kisi ke aage kabhi zikar karungi mujhe mere saare sawal ka jawab mil chuka hai ab main tumse milne ki bhi kabhi koshish nahi karungi kabhi nahi"......zaara rote huye waha se daudkar nikal gayi main zazbat mein tutkar wohi gir pada nam nigaaho se aisa laga jaise tasveer se sumi mujhe hi ghurr rahi thi...main aansu ponchte huye kamre ka darwaja lagaakar sidiya utare niche aaya

jaati zaara ko dekhne laga jisne ek baar palatkar mujhe dekha aur fhir royi muskurahat se alvida kaha main apne aansu ponchkar muskurake oose haath dikhaate huye alvida kaha zaara fhir raste ki taraf badh gai aur main chupchaap khada reh gaya kaise rokta oose jabki rishta mehez dosti ka tha lekin tabbhi uski mauzudgi se mujhe uski khairiyat ki parwah zyada thi mann hi mann main dua karne laga ki sumi oose kuch na kare….achanak usi kaali billi sissy ki awaz sunta hoo jo mere daayi taraf khadi na jane kabse mujhe ghurr rahi thi main oose dekhke na jane kyu chaunk gaya uske aks mein mujhe sumi ki mauzudgi ka ahesas lagne laga main ulte pao waapis ghar mein chala aaya…

to be continued…..
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 51 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #26 on: February 25, 2022, 07:34:22 PM »
Final Chapter

Zaara ka us din mann bahut dukhi tha us dukhad bhari adam ki aapbeeti ko sunkar oose ab samajh aaya ki adam waaqayi galat nahi tha..zaara ne un sab waqyo ko yaad kiya jo uske sath ghata tha wo saaya ka oose daraana fhir ekdum se uske khwab mein aana us raat aayene mein wo baat jo likhi usne dekhi thi "don't get into deep" aur uske baad us din us bathroom ke aayne mein adam ki dusri biwi jo ki shaiza ki rooh thi jo oose agaah kar rahi thi….fhir uska eka ek bimaar pad jaana waaqai zaara ekpal ke liye siham uthi wo chahkar bhi adam ki koi madad nahi kar sakti thi

sadme mein usne us raat dhang se kuch bhi nahi khaaya aur waise hi apne radio show ke liye office dair raat ko cab pakde nikal gayi….waha bhi pahuchkar pure waqt usne mehsus kiya ki pehle ki tarah koi saaya oose ahesas nahi ho raha tha jabki wo andhere sidiyo se gail parking area ka mor kaantte huye upar pahuchi thi...show shuru hua to usne dhyaan dusri taraf karte huye apne chehre pe fhir muskurahat laakar audience se baatcheet karne lagi

show khatam hone ke baad wo gumsum sidiya utare office se nikali hi thi ki uska phone baj utha….zaara ne phone number check kiya toh number oose international laga usne jab phone uthakar kaan se sataaya to eka ek us jaani pehchani awaz ko sun uske chehre pe khushi ki leher daud gai...uske aankh khusi ke aansu se bhar gaye phone par koi aur nahi uska lambe samay se  intejar karta mohabbat mauzud tha uska premi jo london oose chodhkar kayi saal pehle usse vaada liye chala gaya tha

"zaara kaisi ho?"
"kahan they tum? mujhe laga maine tumhe"

"maine yaha aakar aise koi bhi din nahi jo tumhe miss nahi kiya aur janti ho meri naukri acche firm mein lag chuki hai ab main yaha puri tarah se settle ho chuka hoo zaara i m so desperate to say ki main agle hafte waha pahuch raha hoo hum shaadi karenge aur is baar main tumhe apne saath hamesha hamesha ke liye le jaunga na ab koi duriya rahengi aur naa hi koi faasle hamare pyaar mein…..ab aur savr mat karna zaara"

zaara kuch keh nahi paayi oose yakeen nahi ho paa raha tha ki uska pyaar uski zindagi mein waapis laut aaya tha…"hello zaara are u hearing me?".......ekdum se zaara ne zazbaat pe kaabu paate huye oose jawab diya jaise uske jaan mein jaan aayi gaadi mein kareeban aadhe raste usne apne premi se baat kiya jab phone se faarig huyi to uske zehan mein adam ki wo baat ghumi jo usne oose pehli mulaqat mein kaha tha….."wo waapis aayega zaara tum fikar mat karo wo bahut jald london se waapis tumhare liye aayega".......kaano mein gunzti rahi adam ki wo jaate waqt kahi baat zaara ekpal ko adam ke liye fikarmand hokar khaamosh subakti rahi…

                                    --------------------

Gehri raat ko us sunsaan vaadiyo mein gup andhera aur khaamoshi chaayi huyi thi kahi dur kutton ki haww haww karti rone ki awaz sunaai de rahi thi….adam apne bistar par gehri neend ki aagosh mein duba pada tha achanak uski band aankhe fhadakne lagi gala sukh sa raha tha adam ke khwab mein abtak huye uske saath sumi se pehli mulaqat se leke abtak ke saare waaqye ghum rahe they...achanak ekdum se usne apni aankhe khol daali

koi gungunaa raha tha uske ghar ke saamne wala lohe ka fhatak jo shaam mein hi usne apne haatho se band kiya tha wo tikhi shorr ke saath aahiste aahiste khul raha tha adam uth baitha fhir kisi ke gungunaane ki awaaz koi aurat gaa rahi thi itni raat gaye kahi!.......adam ne razaai faikha aur khidki ke paas aakar bahar jhaanka uski aankhe fhati ki fhati reh gayi compound mein dakhil hoti oosi kaale gown mein jo us haadse mein sumi ne pehna tha adam ko oose pehchanne mein koi shaq ab raha nahi…

wo bhaagta hua sidiyo se utara aur girte parte fisalte huye usne main darwaja khola waha koi nahi tha...adam oose sab jagah talashne laga ab wo saaya puri tarah se dikhne laga tha….adam chillane laga "summi sumiii kahan ho tum dekho sumii main pagal ho jaunga kyu khel rahi ho mere zindagi ke saath kya chahti ho sumiii?"

adam pagalo ki tarah sumi ka naam pukaarte huye oose pure bagaan mein bungalow ke charo taraf talaash kar raha tha uske dil se jaise darr nikal chuka tha….achanak wo thithaka aur usne saaf dekha ki kohre ki us chadar mein ek saaya uske taraf hi kareeb badh raha tha wo gungunaaye jaa rahi thi..aur adam uske kareeb aate ooske chehre ko gaur se ghurrne laga jaise jaise wo kareeb aane lagi uska chehra saaf nazar aane laga wo koi aur nahi sumi hi thi jeeti jaagti maano us haadse mein wo marri hi naa thi...adam patte ki tarah kaanp utha

"teri chahat se koi bhi chahat nahi
kyunki ismein koi banawat nahi
mujhko paana hai usko kisi haal mein
mujhko paana hai usko kisi haal mein
ispe jaan bhi gawaane ki parwaah nahi

aye meri zindagi tu mere saath hai
aye meri zindagi tu mere saath hai"

sumi wohi gaana gungunaate huye adam ke paas aa rahi thi jise us din usne gaadi mein suna tha aur adam se kaha tha kicoose ye gaana bahut pasand aaya….adam ko yaad aaya to oose jhatka laga uski pairo ki aahat kareeb aake teher gayi wo adam ko ghurrne lagi adam kaanpte huye larkharaye zabaan mein sawaal karna chah raha tha

"s..sumi ye tum ho nahi tum nahi ho sakti tum to marr chuki thi oos raat"......adam ki apni hi awaz vaadiyo mein do do baar gunz rahi thi

par sumi ektak oose muskuraye dekh rahi thi….adam khaamoshi se usse ek kadam piche hata to wo aur ek kadam aage aayi adam dheere dheere bhaagne laga usne bina piche mudkar dekhe dehshat se dahadhta hua wo main darwaje ki taraf pahucha charo taraf dhua uth raha tha oose yaad aaya us raat shaiza ne bhi kuch aisa byaan kiya tha adam pagalo ki tarah sidiya chadhte huye apne kamre pahucha darwaja kasske lagaaya aur bistar par uthte huye razaai odhkar kaanpne laga

"nahii nahii wo nahi aa sakti wo marr chuki hai nahi aa sakti marr chuki hai nhi nahii"

achanak kisi ne bahut kareeb se oose awaz di adam kaanpte huye mehsus kar raha tha apne upar kisi bhaaripan ko achanak uske kaan ke paas aakar un hontho ne aahiste se kaha…"adam".....adam bhauklaaye jaise muda uske razaai par hi jaise sumi lipati huyi usko dekhti muskurate huye oose nazar aayi….adam jor se chillaaya usne oose dhakelna chaha lekin bahut dair ho chuki thi wo uske ab geraft mein tha sumi ne kasskar uske seene par baithte huye uske dono haath aise jakad liye ki adam ko apne haath kisi bhaari cheez se bandha mehsus hone laga….dekhte hi dekhte sumi ka chehra uske chehre ke ekdum kareeb aa gaya aur kareeb aur theek tabhi adam ki haulnaak cheekh pure bungalow mein hi nahi saari vaadiyo mein gunz uthi…uske baad sab kuch khaamoshi mein tabdil ho gaya
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 51 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #27 on: February 25, 2022, 07:35:33 PM »
Few weeks later..

Ek cab theek bungalow ke saamne fatak ke paas ruki zaara gaadi se utarkar darwaja lagaaye gambhir us bungalow ko ghurrte huye paas aayi usne fatak sata hua paya oose kholte huye wo andar dakhil huyi apne pao ki aahat sunai de rahi thi us khamoshi mein oose...wo main darwaje ke paas aakar dastak deti hai...oose yaha nahi aana tha lekin usne socha kyu naa aakhri baar sahi adam se mulaqat karke wo chali jaaye usne apne taabiz ko chute huye charo taraf ki or dekhte huye kuch dair intejar kiya

darwaja khula...darwaje ke khulte hi jo saamne shaks mauzud tha oose dekhkar zaara dang reh gayi..wo ekdum fhati aankho se dekhte huye sidiyo se kuch kadam niche larkharake utar gyi saamne koi aur nahi jeeti jaagti sumi khadi thi jisne neele rang ki saree aur pink blouse pehna hua tha wo greshti suhagan ki tarah saji dhaji hairani bhari sawali nigaaho se zaara ko ghurr rahi thi aur zaara hakka bakka oose dekh rahi thi

"ji aap kaun?".......zaara ne hosh sambhaala hi tha ki sumi ne oose toka uski awaz se zaara ko mehsus hua wo koi rooh ya saaya toh nahi lag rahi thi aur wo bhi oose sawaali nigaaho se anjaan shaks dekhkar sawaal kar rahi thi

"hello are u okay? kaun hai aap kisse milna hai?"......sumi ne fhir pucha

"j.jii wo adam hai"....zara ne pucha toh sumi ka chehra ekdum se udaas ho gaya zaara ooski har harqat ko ghurr rahi thi

"main jaan sakti hoo aap kaun?"......sumi ne fhir sawal kiya

"ji main adam ki friend asal mein main kal shaam ki flight se london jaa rahi hoo with my fiance toh socha adam se ek baar mulaqat kar lu kya wo ghar par hai?".....zaara ne jhijhakte huye sawal karke apni daaye haath ki ungli mein pehni engagement ring sumi ko dikhate huye kaha

"andar aao".....itna kehkar sumi andar badh gayi zaara jhijhakte darrte uske piche piche andar aayi vishal living hall ke paas sofey pe sumi ne oose baithne kaha zaara sumi ke saamne sofey par baith gayi

sumi kuch der chup rahi fhir usne nigaah saamne lagi diwaar ki taraf uthaakar zaara ko jaise udhar hi dekhne kaha zaara ne jab daayi taraf us diwaar pe lagi tasveer ko dekha to uske hosh ud gaye oose yakeen nahi ho saka waha adam ki tasveer thi jiske theek niche uske janamdin se lekar uske maut ke waqt tak ka saal likha hua tha zaara ekdum se uth khadi huyi sumi bhi khadi hokar udaasi chehre se sar jhukaaye fhir uski taraf dekhne lagi

"k..kaise hua ye sab? ye kaise ho sakta hai kuch hafte hi toh pehle main unse milane aayi thi"

"main jaanti hoo tumhare mann mein kya chal raha hai sirf tumhare nahi jise bhi hamare ateet ke baarein mein malum hai wo bhi aise hi chaunka hai kitni badkismat hoo main ki mere uske zindagi mein waapis aane se pehle hi wo is duniya se mere gam mein chala gaya aur jaata bhi kyu nahi? kitna dard diya tha maine oose itni shaano shukat dene ke baad bhi oose samajh nahi paayi asal mein main samajh chuki hoo tum mujhe pehli dafa dekhkar kyu chauki thi? main marr gayi hoo aur adam ke piche saaya banke hoo isliye na aisi kahani suni thi na tumne adam se "

zaara ke paas kehne ko koi jawab nahi tha wo apalak sumi ki baatein sun rahi thi….."mujhe malum hai mere se pehle tum adam se mili uski kahani suni hogi yahi bataya hoga na ki main kaise oose mili? hamare kin haalat mein niqaah hua aur kaise maine?".......sumi ne fhir wohi kahani dohra di jise zaara ne adam ke munh se sunaa tha zaara lekin janna chahti thi oose ye kaise malum tha?

"hahaha main koi bhoot nahi hoo jeeti jaagti tumhare saamne khadi ek insaan hoo asal mein kahani jo tumne suna wo sach nahi hai adam mere ghar mein kaam karta tha mera usse pyaar bhi hua shaadi bhi huyi kyunki mera uspar dil aa gaya tha aur abba ko mere liye koi ladka mil bhi nahi raha tha mere dimaagi haalat ki wajah se haalaki mujhpar koi jinn savaar nahi tha lekin adam ne ye mangadhant kahani mere jaane ke baad tanhaai mein banaa li ki maine oose taqleef di torture kiya asal mein galti uski nahi hai mere abba ke zaleel karne ke harqato se hi adam ke dil ko bahut chot lagti thi isliye toh hum yaha shift huye mere abba ko adam kabhi nahi bhaaye ye sach hai aur adam bhi ghar jamaai banke rehna nahi chahta tha hamesha mujhse uska jhagda hota rehta tha fhir ekdin hum honeymoon manaane switzerland gaye aur waha ek haadse mein main bichadh gayi asal mein main marri nahi thi aag ki lapato se jalkar behosh samundra mein gir gayi thi mera jism paas behke ek gaon ki taraf pahuch gaya tha waha se mujhe hospital le jaaya gya mera ilaaj kiya gaya aur mujhe hosh aate aate 2 saal ho gaye main apne parivaar apne adam se bichadh chuki thi"

zaara khaamoshi se sun rahi thi aur sumi kehte kehte ro padi thi fhir usne zazbat pe kaabu kiye aage bataya…."in do saalo mein mere chehre ki ek baar surgery bhi huyi jiske healing ke baad hi main theek ho paayi maine abba ko phone kiya unhein apne zinda hone ke khabar di aur bataaya main yaha kaise aayi abba hi mujhe leke yaha aaye lekin jab hum yaha pahuche toh bahut dair ho chuki thi

adam mere us kamre mein bistar par aundhe munh gira hua tha abba ne oose suprise sochkar kuch inform nahi kiya tha lekin bahut der ho chuki thi main aur abba wohi safed pad gaye bhaagte huye maine ooske bejaan jism ko jhinjhoda to uski aankhe waise khuli ki khuli thi aur munh se jhaag gir raha tha malum chala usne ek chitti chodh di thi jo paas mein padi mili oosi din hi adam ne zeher khakar apni jaan de di thi".....sumi fhafak fhafak kar rone lagi

"abba ne hi bataaya ki kai waqt se wo pagalo ki tarah behave kar raha tha mere jaane ke baad uski maansik sthithi bigadh gai thi hamesha oose aisa hi lagta ki main mauzud hoo aaspaas main rooh bankar oose daraati hoo lekin sach pucho to wo main nahi wo badzaat kameeni wo ladki shaiza thi shaiza".......sumi ne daant peeste huye rokar kaha zaara ekdum sunn pad gayi yaani us bathroom ke aayene mein jo rooh adam ne shaiza ki bataayi wohi asli insab haalat ki zimmedar thi zaara ko samajh nahi aa raha tha kis par yakeen kare

"usne zabran pehle mere adam se niqaah kia aur yaha chali aayi lekin sach pucho to wo ek pagal aurat thi jise daure aate they mere adam ka mati ghumaane waali wohi harami aurat thi usne mere jaate hi mera sabkuch cheen liya khuda oose dozakh mein bheje jo hua theek hua uske saath accident mein marr gayi thi wohh aur iska bhi zimmedar mujhe adam ne hi tehraaya is qadr mere jaane ke baad se wo bauraah gaya tha ki oose rooh bhi main manhus bhi main dushman bhi main aur uske haalat ki saari zimmedar main hi lagti thi"

"toh iska matlab adam ne jo kuch aajak mujhe bataya wo jhoot tha"......zaara ne sumi ki taraf dekhte huye mehsus kiya sumi ne gardan haan mein hila di

"main janti hoo koi bhi is kahani pe wishwas kar lega tum bhul rahi ho adam writer tha mere jaane ke baad oose yahi laga ki main marrkar saaya ban chuki hoo jabki ye saari baatein jhoot thi saaya to wo shaiza ka ghum raha tha hamare jannewaale ojha ne hi bataaya unhone is ghar ko pak saaf karwaya lekin kya fayeda mera adam mere jaane ke baad se mere sadme tanhai aur uske dehshaht mein dubaa ghuntte ghuntte aakhir dum tod chuka tha pichle hafte hi toh yaha pahuchi aur mili toh itne saal baad bas uski laash gale lagaane ko...pehle us raat yacht mein maine apna baccha kho diya aur khud ko aur aaj adam ko dekho meri kismat ko"

kehte kehte sumi girkar rone lagi...zaara apne aansu ponchte huye oose uthaati hai fhir oose chup karaati hai kuch dair baad zazbat ka sisila khatam hota hai toh sumi uske niji zindagi ke baarein mein puchti hai zaara batati hai ki oose apne mangetar ki aane ki umeed nahi thi ye hausla oose adam ne diya tha par afsos wo apni jindagi se haarkar chala gaya sumi kuch na boli...

"congrats and best wishes for ur future zaara hope ki tum dono ka saath kabhi na tute ab mera kya hai? ab to is ghar mein sirf uski yaade hai"

"aap himmat na haare adam aapse waqayi bahut pyaar karte they chaliye ab mujhe jaana hai aap apna khyal rakhna ho saka to kabhi future mein fhir milenge"

zaara ne sumi se vidaai li sumi oose bahar tak chodhne aayi zaara ne palatkar adam ki us hassti tasveer ko dekha nam aankh se fhir wo sumi ko muskurake salaam kar waha se hamesha hamesha ke liye chali gayi…

sumi ne darwaja band kar diya...suraj dhalne laga tha sumi sidiya chadhte huye theek oosi kone waale kamre ke paas aati hai uski kaali billi sissy bhi us waqt oose dur farsh ke kone pe baithi azib nigaho se ghurr rahi thi..

darwaja khulte hi sumi ne kadam andar rakha uske chehre ki udaasi dukh zazbat badalkar ek jhatke mein shaitani muskurahat mein tabdil ho gayi...dhalte suraj ki roshni hi us kamre mein padh rahi thi theek saamne bhauklata zanjeer mein jakda daraa sihma hua theek sumi ke usi tasveer ke niche palag par laita adam oose dehshat se dekh raha tha uske chehre pe bhi dehshat simati huyi thi aur uske pure badan par zakhm hi zakhm they jagah jagah se kapre phate huye they badan pe sukh chuke khoon ke laal nishan they chehra sukh sukh chuka tha uske ghane baal aur badhi huyi dhaadhi dekhke aisa lag raha tha jaise kayi waqt se wo kaidiyo ki tarah waha kaid pada tha

"nahii sumii nahii mujhe jaane do nahi nahi mere paas mat aana".....wo pagalo ki tarah fhir rote dahadhte huye sumi se kehne laga

"sssshhhh"......sumi ne oose daraate huye chup rehne kaha to adam subakte huye shaant hone laga dekhte hi dekhte sumi ki awaz dohri hone lagi aur uska chehra aadha jala hua ho gaya dono aankhe surkh safed aur munh aur haatho se dhair saara khoon behta adam ko dikhne laga

"marr tum gaye ho zamaane ke liye aise hi tadapte tadapte jiyoge mere saaye mein us raat yacht ke haadse mein main waqai marr chuki thi koi mujhe bachane nahi aaya lekin meri upari taqat ne mere bejan jism mein meri aatma ko dobara dakhil kar diya hahaha ab main yahi rahungi aur tum bhi yun hi….ab hamare zindagi mein kabhi koi nahi aayega aise hi ghutte ghutte tadap tadapkar marr jaoge tum...uske baad main tumari rooh ko apne saath hamesha hamesha ke liye le jaungi ab yaha hamare siwaah koi nahi rahega koi nahi hahhahaa hahahaha"......pagalo ki tarah woh dohraat awaaz gunzti rahi aur adam pagalo ki tarah cheekhte chilaata raha

 sumi dheere dheere uske kareeb dohri awaaz mein tahaka lagaaye badhne lagi adam ki aankhen fhir dehshat se badi badi hone lagi wo diwaar se zanjeero se bandha ghasitte huye sat gaya "nahii sumiii no no.nonnnnooooo"….adam ki dahadh aur sumi ka tahaka lagati wo hasi pure bungalow mein gunjti rahi dekhte hi dekhte kone waala wo kamre ka darwaja apne aap band ho gaya aur fhir bungalow ke bahar ka wo lohe ka fhatak bhi jispar aafrupi taur se band hote hi zanjeer bandhkar apne aap kass gayi khamosh vaadiyo mein charo taraf andhera chaa gaya aur isi ke saath sumi aur adam ki ye daastan wohi khatam ho gayi ….

the end….




Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:14:45 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.233 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer