Haunted Bungalow (horror story) (2013-4)

by asif biswas on November 07, 2017, 04:28:59 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 4477 times)
asif biswas
Guest
Dosto namaskar aadab...yoindia aisa ek platform forum hai jaha maine yahi se apna kalam pakadna aur daastan likhna sikha :D aaj main is forum ka shukriyada karta hoo aur dua karta hoo ye chalti rahe Usual Smile khair waise toh beyond yoindia maine kayi aisi forums pe kahaniya likhi hai jo non-horror bhi rahi hai romantic bhi rahi hai chaliye toh ek aur kahani se main aaj aapko rubaru karane jaa raha hoo...as u know guys ki maine bahut si horror stories yaha yoindia pe likhi hai...lekin shayad aap meri is kahani se yakeenan waqif ho ya shayad na ho toh ho sakte hai...toh aaj main waaqif or rubaru aap sabko karane jaa raha hoo apni aisi ek horror story se jise maine fb pe likha tha ek radio mein audio story post karne ke intention se ....mera andaza tha ki woh story select ho jayegi aur oose radio pe sunaaya jaayega lekin radio se kayi zyada woh story woh post is qadar fb pe aisi raaton raat popular huyi ki oosne mujhe horror story ka ek breakthrough de diya  notworthy sirf popular nahi generally criticised bhi huyi aur sabne pasand kiya kayio ne even mere family waalo ne jinhone bhi para oose sach maana akaha aisa laga ki real hai maine hasske kaha maine bas ek choti si horror likhi thi jo select toh na ho saki mujhe bahut khushi huyi thi par main oos story ke wajah se kafi fans,followers aur cricised karne wale logo se rubaru hone laga tha fb pe...oos kahani ke baad mera official horror story group page bana mujhe protsahit kiya gaya ki aur likhu aur maine likha bhi fhir haalat ke chalte mujhe fb se ruksat lena para aur i am still regret ki ek aad stories jo ki mere fb posts ki deleted ho gayi id ke wajaho se aaj fhir main rubaru karne jaa raha hoo meri pehli aisi horror story jo sabke dilo mein utari aur mujhe google pe as a horror stories writer jaana jaane laga mujhe saal toh exact yaad nahi lekin 2013 ya 14 ke beech mein likhi thi woh story jab mere mama ne mujhe kaha ki tum radio mein ek apni horror story likho aur fear a disloyal love,khooni darinda,khooni darinda 2 ke baad maine ek choti si peshkash fb pe bataur horror story ki..mera fb pe jeena muhal hua aur sabka yahi msg mein sawaal tha ki ye story real hai ya fake? hahaha toh maine kehta gaya log puchte gaye  laughing4
 
This story is complete fictional story...all the characters,places,events which written in this story is only the part of a fiction so no more questions pls this story which i wrote approx 2014 and was the submission to a radio official page...this story is also cnp by many of his fans and that's why i am all declared it's my creation only for fun and with hardwork and fantasy of my mind :D here we go...

Mujhe ab bhi yaad hai ki main
jis haunted house mein kareeb
12 saalo se tehraa tha….wahan
bahut kuch aisa huyaa tha…jo
main kabhi apne zindagi mein
bhula nahi sakta….mera naam
asif sheikh hai…aur main India
se hoo….mere ghar mein mere
papa aur mummy ke alawa…
koi nahi tha…maine zindagi
mein bahut gareebi jheeli thi…
mera pura bachpan garibi se
guzra…dukh jhele…bahut aisi
zindagi mein problems aayi…

jinse nijaat paana bahut hi
muskhil tha…paiso ki kami
honaa….ek acchi amir zindagi
naa honaa…cheezo ki kami…
aisa hi mere saath huyaa..khair
bachpan kataa..toh zindagi neb
hi ek karwat le li….maine apni
padhai delhi se ki hai…aur
padhai khatam hote hi…main
multinational company mein
job karne lagaa tha…khair toh
mera bachpan hi akela beeta
hai toh mujhe itne dosto ki
zarurat nahi hoti thi…

Aur main harpal tahaai ke
aalam mein raha karta tha..yu
samajh lijiye toh zindagi
ujaadh si thi…ek anchaha dukh
tha….khair company join karne
ke baad puri mehnat aur
siddhat se jo kaam ko main
anjaam de raha tha….oosmein
main kaamyab huyaa aur jald
hi promotions bhi huyee…toh
mere job mein transfer
hota….

har 2 saalo mein…ya fhir
oosse bhi zyada…toh delhi
chodhne ke baad main kolkata
mein rehne laga tha…in their
quarter…aur fhir ye waaqaya
ghataa..jisne meri zindagi ko hi
badal diyaa…aap log jin bhoot
par wishwas karte honge…

main kisi bhi bhoot prêt jin
pisach in sab supernaturals
cheezo par believe nahi karta…
even main allah ko bhi nahi
manta…5 waqt ki namaaz toh
kya jummaa ki namaaz bhi
nahi addaa karta tha main…

Khair toh fhir kolkata mein 2
saal beetane ke baad…mujhe
office se bataya gaya…ki main
ooty shift ho raha hoo…aur
waha mujhe jana tha..lekin
quarter ka arrangement
wahan nahi ho sakaa…toh
isliye maine faisla kar liyaa…ki
main ooty mein hi ek bunglow
kharidungaa…kyu nki ooty jaisi
khubsurat jagah mein mujhe
rehne ka bahut shouk
tha….mere maa baap toh delhi
mein hi settle hai…sirf kaam
badalne se main bhi apni jagah
badal leta hoo…aur promotion
ki income bhi badhne waale
they…isliye maine aankh band
karke haan keh daala

Ooty ke liye dusri raat mujhe
rawana honaa tha…toh main
ooty pahuchaa..khubs urat
haseen waadiyo se ek baar
mulaqat huyi…aur fhir jee bhar
gaya….khair maine sunaa ki
ooty mein hi ek outer area par
khubsurat sa bungalow tha…
main bungalow dekhkar pagal
sa ho gaaya tha..bungalow
bara nahi tha..par chaudhaai
mein kaafi faila huyaa tha…aur
sheesho se lage diwaare…jo
bahar se dikhte they…aur ek
wooden cottage jaisa kuch…
lekin bahut hi shaandar ooty
ke haseen bungalow se kareeb

2 m dur hi pahad tha…jahan se
pura ooty dikhta tha…basti
dikhti thi pahad dikhte they…
aur bungalow se sataa huyaa
tha jungle….raat ko thodha
darr tha…lekin mujhe kuch
sujh nahi raha tha…aur maine
haan kehkar bungalow ko
khareed liya…sasta paraa..aur
accha bhi…ek shaandar bangle
kyu chodh doo aise?Huh?
Bunglow jitna bahar se sundar
tha..andar se utna hi darwana
bhi

Khair main apne khaane aur
ghar ki saaf safaaai ke liye jab
gaanv se kisi naukar ko
bulaana chaha…toh oonhone
mujhe manaa kar diyaa..na
jaane oos bunglow ka naam
sunkar ye log itne darr kyu jaa
rahe hai??

Tabhi ek buzurg se aadmi ko
maine dekhaa…jinki nazar
mein darr nahi balki sawaalo
ke jawaab kehne ke intezaar
ho….maine jhat se oonhein
kaha

“uncle aap hi bataiye log mana
kyu kar rahe hai? Kya hai oos
bunglow mein accha khaasa
toh hai aur main paise bhi
double den eke liye tayyar
hoo”…..maine sawaal bhari
nazro se oos buzurg ko dekhte
huye kaha

“beta tum sheheri ho isliye
yahan ke baarein mein kuch
nahi jaante tum oos pahadi
haveli ki bat kar rahe ho…lekin
yahan ke log wahan jaane toh
kya bolne se bhi ghabraate
hai”…..bheedi jalate huye kahaa

“dekhiye main aapki baat kuch
samjhaa nahi?”…..maine
thodha jhukkar oonse ye baat
kahin

“baat samjhoge toh wahan
rehne se katraoge…darr jaoge
jao oos manhus haveli se dur
chale jao”……ye dialogue kisi
film ki kahani jaisa hai aisa hi
maine bhi oos waqt samjhaa
tha…aur hass daala…

“array uncle agar naukar nahi
mil raha toh who manhus ho
gayi…kya uncle? Kyu waqt
barbaad karte ho apna bhi
jaanta hoo ye chote log aap
jaise hamesha in adhvishwasi
cheezo par believe karte hai
aur fhir maansik taur se pagal
ho jaate hai”….maine fhir hass
diya…lekin oos buzurg ke
chehre ka rang badal gaya…

who gusse bhari nigaahon se
mujhe dekhne lagaa…par
maine itna dhyaan nahi diya
aur chupchaap apni car mein
baithkar bunglow waapis aaya

Bunglow mein aate hi darwaja
kholaa..aur thakaa huyaaa
apne bistar par lait gaya…
maine samaan parso hi shift
kar liyaa tha do dino se urgent
meeting ki wajah se office
mein hi teherna padh gaya
tha…ye do din ki mehant ne
mujhe thakaa daala tha…aur
main jhat se so gaya….aankhe
kab bhaari huyi pata hi nahi
chala

Achanak darwaaje par dastak
huyi…mujhe oos waqt ek
ahesaas sa huyaa..jaise hi
palakein jhpakakar uthaa toh
ek sirhan si mehsus huyi..aur
mere raungte khare ho gaye…
main hadhbadha ke uth gaya
aur apni peeth par haath
phairne laga…

Na jaane aisa kyu laga ki kisi ne
mujhe chuaa ho..maine jhat se
uthkar kamre ka moyana
kiyaa…aisa laga kisi ne peeth
par haath phairaa tha…ek
aahat si lagi thi mujhe jab
aankhen band thi…dastak bhi
band ho gait hi…jiski awaaz se
kuch dair pehle main jagaa
thaa

Maine jhat se dheere dheere
darwaaje ki taraf gaya kohra
chaaya huya sat ha..aur ye

December ka waqt bhi tha…
maine jhat se darwaja jab
kholaa…toh tez hawaa ka rukh
mere upar se hua..aur jab
aankhen darwaje ke bahar ird
gird daudaayi…toh wahan koi
nahi tha..ek dum shaant
watavaran shaanti bilkul
shaanti…koi awaaz nahi ek
chidhiya ki bhi nahi…main
baunglow se bahar nikalaa..aur
jab pahad se niche dkehne
lagaa…toh nazar kohoro se
dhakaa huyaa

Khair bunglow mein kadam
rakhte hi is bar sirhan ne
mujhe thodha sehmaa sa diyaa
tha…maine kuch dair tak yuhin
tehla tehli ki aur chehra dhokar
waqt ka jaayeza liyaa…dopahar
ke 12 baj chuke they…tv tha
nahi..laptop par hi surfing kar
raha tha….net chala raha tha…

Mere zehan mein fhir mehsus
hua ki oos waqt darwaaje par
dastak huyi thi..par mujhe koi
dikha nahi…mere peeth par
sirhan sa honaa..

kisi ka yun
chunaa…main eek tight
sweater pehni thi…aur ooske
andar do t shirt penhi
thi..thand itni thi…lekin fhir bhi
mujhe ek sirhan si huyi thi…
akhir maazhra kya hai??

Shayad maine koi sapna dekha
hogaa…har naya ghar toh alag
lagta hi hai

Dosto fhir shaam hone
lagin….suraj jald hi dhal gaya…
raat ka waqt kohra saye ki
tarah guzar raha tha…chand ki
roshni bhi bahut kam aa rahi
thi….aur main ghar mein light
on kiye apne study room mein
baitha…coffee ki chuskiya lete
huye ibne safi ka ek novel padh
raha tha…dilair muzrim…
tanhaai ke aalam mein maine
kalam ko thaam liyaa tha…jis

wajah se mujhe kabhi
akelepan ka darr nahi sataya…
har baat apni zubaan ki ek ek
baat diary par likhta tha……aaj
mere saath kya huyaa
tha….likhte likhte modh oosi
waaqaya par ruk gayi…

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
.....Real Horror Story..... by sweet_raabii in SMS , mobile & JOKES
Tehkhaana (Horror story) by asif biswas in General Stories
Raj mahal (horror story) by asif biswas in General Stories
pretjaal (horror story) by raj1111 in General Stories
Amavasya ki Woh Raat...(Horror Story) by asif biswas in Inspirational Stories and real life Incidences.
asif biswas
Guest
«Reply #1 on: November 07, 2017, 04:37:38 PM »
Continues...

jo haadsa mere saath aaj
dopahar ko hua tha…main
chupchaap coffee piyaa..aur
diary band karke son eke liye
apne kamre mein gaya…bistar
mein chadkar chadhar
odhi..aur fhir sone lagaa….raat
ka khana…maine sheher se
laakar khaa liyaa tha…achanak
neend ne jawaab de diya..aur
neend aankho mein nahi aayi…
main fhir utha.a.aur laitkar hi
sochne lagaa….oos waqt mujhe
mehsus toh nahi lekin ahesaas
sat ha…ki mujhe dekh raha
hai…koi hai jo mere alawa is
kamre mein hai…main
chupchaap bina kuch
kahe..dheere se utha…aur
idhar udhar dekhne laga…aaj
mera dimaag sahin mein
kharab ho gaya tha…mujhe
naa jaane kya ho raha hai?Huh?

Khair raat ko jaise aankh
bhaari hone lagin…fhir ek
anchaha khauff satane lagaa…
maine karwat badli…aur munh
takiye mein chupaaye sone
lagaa…..achanak fhir ahesaas
huyaa…kisi ki chalne ka par
isbaar kadmo ki awaazein thi

“thak thak thak thak”….dhadh
dhadh…..koi chalte huye daudh
raha tha…awaaz dur ho jaati…
aur fhir kamre ke bilkul
nazdeek ho jaati…dil dhadhkne
lagaa…sochiye agar aap meri
jagah aise kisi veeran ghar
mein hote…aur aise kisse hone
lag jaate hai ….toh darr..dil se
nikalne lagta hai..aap chahkar
bhi khud ke dil ko tassali nahi
de sakte…jab tak oos par
wishwas naa kar le….

Khair maine dheere dheere
aankhen peeche ki..aur
jhaakne lagaa…darwaaje ke
bahar ki roshni mein kuch saf
dikh nahi raha tha…dhamm…
koi kuddaa ho…koi kudke
duadh raha ho…maine apne
badan ke paseene ko pochte
huye ek dum se uth khara
huyaa..aur apne mobile ki torch
jalayi..main dheeere kamdo se
switch board ke paas gaya..aur
switch jaise hi on
kiyaa..daudhne ki kadmo ki
who awaazein shaant si ho
gayi…maine dheere se darwaja
kholaa…oos waqt mera jo haal
tha…who aap log samjh sakte
honge..mujhe laga shayad ye
koi chor ho…aur lutne ke firaak
se aaye ho…main hamesha
apne saath ek revolver rakhta
hoo…licensed hai…mere dada
police department mein hai toh
maine oonse hi ek gun lit hi
licensed who ek shikaari bhi
hai….khair maine jhat se
darwaja kholaa aur bhar
jhaakna…kaun hai? Kaun hai
yahan ??

Koi bola nahi…fhir wohin
shaanti….main chup
tha..shayad meri mauzudgi ka
ahesaas wahan job hi koi
hogaa…oose pata lag chukka
hogaa…ki main yahan akela
hoo…gale se thook ko ghont
rahatha…halak sukhaa padh
gaya tha..darr aankho mein
failne laga..jo larka kabhi in sab
cheezo par wishwas nahi
karta..aaj oose yakeen lagne
laga tha…

Khair achanak se fhir kadmo ki
awaz…main jhat se
daudhaa….revolv er haath mein
tha hi ek haath mein
roshni….jhat se aangan ki
switches on kiye..aur oos
kadam ki or badhne laga…main
jitna dur jaata…kadam aur dur
ho jaati…achanak main
baunglow se bahar aa gaya

who awaaz band ho
gayi..charo taraf paid paude
hawaa se lehraa rhea they…ye
ek sachcha waaqaya mere
saath ghat raha tha…raat mein
ek darr sataa raha tha…dil zoro
se dhadk raha tha…hawaa ki
ek shorr hoti hai….jo mere
kaano se guzar rahi thi…main
sehem gaya…wo awaaz
gaayab ho chuki thi…

lekin
awaaz toh yahin khatam huyi
thi aur yahan ye raasta toh
junglo ke mein jaata hai…mera
yun yahan teherna theek nahi
yakeenan who koi chor hi tha…
who koi chor hi tha

Main daudte huye waapis
haveli mein aaya…aur sone jaa
hi raha tha ki achanak zor ki ek
awaaz huyi aur bagal wale
kamre mein sheeshe tutne ki
awaaz aayi…main duadhta
huya jab dusre kamre mein
gaya toh jhummer purana sa
ek jhummer jo oos bungalow
mein kayi saalo se tha…who tut
kar bikar gaya….main darr
gaya….charo taraf sheeshe tute
huye maine kamra band
kiyaa..aur sofey par jaakar
baith gaya…gharwalo se dur
tha..oonhein phone karke
batane se oonka darr mere liye
aur badh jaayega…aur mujhe
waapis delhi bulaayenge..jah
an main jaana nahi chhata…


Kahir raat kis tarah guzri pata
hi nahi chala main sirf 2
ghante hi soya tha….subah
huyi suraj tha hi nahi tha…
yahan dhoop bahut kam
padhti hai sirf kohra aur safed
aasman…aur haseen hari
waaidya….main pahado ko
ghrr raah tha….achanak mujhe
oos buzurg ki baat yaad aayi…
maine apne ek friend ko call
kiyaa…jo mere saath kaam
karta hai….

Khair who mere ghar aaya..aur
mujhse baatein karne
laga….

maine oose apni saari
baatein batayi….oosne kaha
zaurr koi chor hogaa…jo
shayad ghar ka moyina kar
raha tha…yaa fhir shayad bure
logo ka is ghar pe nazar…khair
maine soch liya ki main is
maamle mein kuch
karungaa..jhumer girnaa…
kadmo ki saaf who awaaz
aana..duadhna maano mere
ghar mein koi guzar raah tha…
jaise ki main wahan nahi rehta
aur bhi koi log rehte hai….main
soch mein dub gayaa…aur
mera friend ko approach kar
liya ki mere saath who aaj raat
teher jaaye…because who bhi
bachelor hai..aur mera thodha
darr kam bhi ho jaayegaa…
mera friend bahut hi kam
hai….oosi se zyada jaan pechan
rakhta hoon

Khair raat huyi….aaj main
kamre mein akela nahi tha…
mera friend dinesh bhi mere
bagal mein son eke liye tayyar
huyaa….2 min mein hi zyada
kaam karne se nneed aa hi
gayi….khair dair raat ho
gaya..kuch nahi huyaa..achanak
mere dost ne mere kaan mein
fusfusaya….

“yaar mujhe toilet karne jaana
hai…bathroom kahan
hai”…..oosne mujhe sawaal
puchaa..

“abbey yaar tu bhi naa neend
kharab kar baithaa…array
sidhe se right kone waala hi
toilet hai jaa aur mujhe sone
de”……main chupchaap waapis
karwat badlke sone laga…
waise hi main thakaa huya
tha…aur gehri neend mein
mujhe kuch sujh nahi raha
tha….

Achanak ek zor ki cheekh
sunkar main bistar par uthkar
baith gaya…..”aaaaaah h
bachaaoooo assiff assifff

“…….ye cheekh mere dost
dinesh kit hi….mujhe darr fhir
satane laga….dil kaanpne laga…
aur main jhat se bistar se uth
khaaa huyaa…dinesh kame
mein aakar sidhe mujhse
takraaya aur hum dono
zameen par gir pare…mujhe
chot lag gayi thi

“arey tu kar kya raha
hai??”…..maine baazu ko
pakarte huye kaha

“ya..yaar w..o..h wohhhh”……
who ghabrakar halakne laga
tha…jo larka khushmizaaz har
waqt hasta rehta tha..aaj ooske
chehre par darr dekh main bhi
kaanpne lagaa tha

“abbey batana huaa kyaa?”……
maine oose kandhe se
jhinjhodh daala….

Who behosh ho gaya….main
darr gaya…khair oose bistar
par laake light on kar di…aur
oose uthnaane ki koshish ki…
mujhe laga shayad isne bhi
chor ko dekha hongaa…main
daudhte huye lights on ki aur
jab toilet room mein jhaanka
toh dekha wahan koi nahi
tha….andhera karke main
waapis room mein aakr ooske
bagal mein lait gaya par neend
gaayab ho gayi…mera saara
chain udh gaya….jab subah
huyi toh mere aankho mein
nass chadhey huye they…lekin
bichara dinesh oose tez
bukhar tha…dopahar ke 12
baje oosne aankhe kholi…
maine dr ko bula liya tha…
oosne thodha checkup kiya aur
bataya ki kisi darawani cheez
ko dekhne se ye buri tarike se
darr gaya hai….main soch mein
dub gayaa

Khair ooske uthey hi ek cup
coffee di..aur ooske bagal mein
baith gaya

“arra yaar kya huya tu darr kyu
gaya tha kal raat kya huya
tujhe ?”…….maine sawaal bhari
nazro se muskura baitha

“yaar kya bataoun? Maine jab
tujhe kehke toilet gaya tha
maine sheeshe par ek larki ka
chehra dekha tha….ooske
chehre ke ird gird kate huye
nisshan they..aankhen puri
kaali….gaal pure dhaasee
huye…ekdum bhootni lag rahi
thi…who mujhe ghur rahi thi…
aiyane ke saamne ooska
chehra mujhe dikhaa aur main
cheekhkar daudh gaya uff who
chehra ab bhi mere zehan
mein ghumm raha hai yaar
mujhe jaane de main yahan
aur nahi rukungaa…

jisne bhi
kaha tha sach kahaa tha ye
ghar bhutiya haweli hai…
mujhe jaane de mujhe jaane
de”…..maine oose kaafi rokaa…
lekin who rukaa nahi apni car
mein baithaa..aur chala gaya

“main akela ghar mein baitha…
chupchaa p darr sa gaya tha…
main toilet gaya aayine ko
dekhaa…kuch bhi nahi
tha..sabkuch normal…lekin in
sawaalo se nikalne ka mujhe hi
koi hal dhundha tha…maine
propery dealer ko call kara..aur
ooske office oosse milne chala
gaya

“mujhe shak hai ki who ghar
bhutiya hai mere dost ne
wahan kisi larki ke chehre ko
dekha hai”…..main sawaal
bhari nazro se dekha

“ho sakta hai shayd who
tumhara koi wehem ho meri
maano toh tumhara dost pagal
ho chukka hai haan tumhare
oos kadmo ki awaz wali baat
par main yakeen kar sakta
hoo ho sakta hai shayad koi
chor hongaa..tumhe dekhke
bhaag gaya”…..property dealer
ne kaha

“dekhiye main khud in sab
baton par believe nahi
karta..lekin isse pehle wahan
koi rehta tha….”….maine
sawaal chedha

“dekhiye aap mujhse behas
mat kijiye kaun rehta tha aap
jaise log America chale gaye
toh who ghar bhi chodhkar
chale gaye…aap aaram se
rahiye kisi ki baton par yakeen
karke aap mera bhi waqt
barbaad kar rahe hai”…..dealer
haskar mujhe kehne laga…aur
jaane ko kaha

Lekin main dil mein sawaal liye
tha…mujhe ye baat hazam nahi
huyi ki wahan aur bhi families
rehkar gayi aur sabkuch
bilkulsahi hua…ye jawab mujhe
basti se mil sakta tha…jinhein
maine adhwishwasi kehkar
naa jaane kya kya kaha tha?

Bhale hi property dealer ne
mujhse jhoot kaha ho…lekin ye
log sach hi kahenge….lekin
sach sunne ki himmat hai
mujhmein kyunki mujhe
wahanabhi aur raatein guzarni
thi…hmm main yun aise ye
ghar chodh nahi sakta tha

Khair banglow ke baarein mein
janne ke liye main wohin
buruzg ke paas gaya….aur
mujhe mere sawal ka jawab
mil bhi gaya

Wohh ghar bahut purana
tha..aur wahan mujhse pehle
kareeb 10 saal pehle who
jagah ek kablustan tha…
christians ka….saikdo laashein
wahan dafnaayi gayi
thi….

oonki rroohoin ne wahan
kabsa kar liyaa tha…job hi
parivaar wahan raha ooske
saath kuch na kuch hota chala
gaya…koi mar jaata…koi darke
bhaag jaata…paanch parivaar 2
saalo mein badle they

…..wahan se aur main oon
parivaaro ke baad tha….maine
oonse ruest ki koi hal baitaye…
aakhir who aisa kyu kar rahi
hai?
Oonka kehna tha ki roohein

kisi ko pasand nahi
karti….oonka waas sirf oonka
hi hota hai..aur insaan logo ko
jenee nahi deti…oonhe mujhe
hidaayat di main oos bunglow
ko chodh dooo

Maine bilkul waisa hi socha..aur
maine apne office seapply kiya
ki mera transfer delhi mein
karwaa dijiye..lekin 2 saal se

pehle mera transfer nahi ho
sakta…tha….main e oscha kyu
na chuttiya bitaane waapis
delhi chala jaooo isse shaayd
main is bunglow mein reh nahi
paungaa…ye accha idea tha

Lekin ticket kaatne ke do din
baad hi maine khabar suni ki
train hadtaal par hai aur
hadtaal 1 mahine tak rahegi…
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #2 on: November 07, 2017, 04:43:03 PM »
Continues...

ufff ye kaisi rukawat main darr
gaya…main jab bhi bunglow se
bahar jaane ki koshish karta
tab hi na tab mere saath kuch
ghadhbadh ho jata….car
kharab ho jaati….office mein
chutti ho jaati…kaam jaldi
khatam ho jaat.a..matlab ye
ghar mujhe rok raha tha…
mujhe waapis apne giraft mein
lena chahta tha…maano main
who ghar naa chodhu…ab
main yakeenan darrne laga
tha…

oos raat main bilkul soya nahi
tha…na jaane kitne hi raaton
ko main dhang se sota nahi
tha…har waqt dil mein ek darr
lagaa rahaa karta tha…kab kya
ho jaaye…kisey pata?....lekin

mujhe mehsus aur bhi zyada is
baat ki hone lagin thi….ki mere
kamre mein koi mujhe ghurrta
tha….raat beettti ….toh din
mein….khana banate waqt koi
cheez gir jaata….kabhi bahar
rakhke flower basket girkar tut
jaate….main hamesha sochta
aakhir ye giraa kaise? Lekin
mujhe aisa koi ahesaas nahi
huya jaise mere dost ko hua
tha…paanch dino tak who oos
haadse ke baad office mein bhi
aaya nahi tha…jab ghar jaakar
pata chala toh who bimaar
tha…

khair yuhin is ghar ke haadse
jaise badhne lage jaise mahine
badhne lage….kabhi kisi cheez
ka tutna…kadmo ki awaazein
saaf sunaayi dena…daudhne ki
awaaz…kisi ke bolne tak ki
awaaaz…mujhe lagne lagaa…ki

ye ghar theek nahi hai…aur is
ghar se juddey har mamley ko
kholne ke liye…maine turant ek
molvi saaheb se contact kiya..jo
ooty ke paas hi ke mazhar se
taaluk rakhte hai…jab main
oonke paas pahucha…toh who
namaaz padhkar laute hi they…
oonke aate hi maine oonhe
apni saari daastan sunaayi…ye
bhi yakeen dilaya…ki main naa
toh kabhi kuch aisa dekha
hai…lekin haan mehsus kiya
hai…oonhone mujhe bina kahe
hi aankhe band karke who
sabkuch keh dala….jiska mujhe
ilam bhi nahi tha

oos ghar mein jis kaa saaya tha
who aur koi nahi ek bahut hi
taqatwar rooh tha…ek shaitani
rooh…jo naapak maut markar
is duniya mein bhatak raha
tha…mujhe oonki baat sunkar
kaafi darr lagne lagaa….maine
baba se kaha ki mujhe toh aisa

kuch feel nahi huyaa…naa toh
oosne meri jaan lene ki
koshish ki…na aisa kuch….jab
baba ki dusri baat maine
sunaa…toh dil zor zor se
dhadhkne lagaa…oonka kehna
tha…ki mere ghar mein oonka
pura waas hai…yahan tak ki
who kamre mein ghumte zarur
hai…

lekin mujhe nuksaan nahi
pahucha sakte…lekin agar
maine koi raasta nahi
dhundha..toh who meri jaan
bhi le sakte they….mujhe dikh
bhi sakte they…is darr ko
khatam karne ke liye maien
who kadam uthaa liyaa…jo
kadam maine apni zindagi
mein kabhi nahi uthaya tha…
oonhone mujhe ek taabiz de
daali..aur namaz padhne ko
kaha jisse who roohein kuch
hadtak mere kareeb naa aakr
oos haveli se chali jaayengi…
maine bilkul waisa hi kiya…

jis allah ka naam main kabhi
zubaan par nahi laata tha…
maine oonhi ke saamne sazda
karna shuru kar dala…do din
ke baad hi mujhe who
awaazein sunaayi deni band
ho gayi…maine aawe zam zam
bhi laakar charo tafak
chidhka….roohon ki awaaz toh
gayab thi…aur aise hi naa
jaane kitne saal maine wahan
kanate…sabkuch normal ho
chukaa tha….lekin dil mein ek
darr hamesha panapta
tha….aur maa jab aayi…tab

ooonhe bhi aisa mehsus hone
lagaa tha ki sirhaane mein koi
kharaa ahai
k
hair maine maa ko saari baat
batayi…toh maine oonsey kaha
ki main ye ghar jald hi khaali
karne ki koshish karungaa…
aur ooske kuch mahino baad
hi maine apna transfer Mumbai
mein karaa liyaa..aur aaj bhi
wohin rehta hoo…maine jab se
oos haveli ko chodhi hai…
hamesha yaad karta hoon…

kabhi gaya nahi wahan
par..yakeenan jo bhi wahan
rahegaa..oose who awaazein
aur azibo garib haadse zarur
dikhaayi aur sunaai dete
honge….

kabhi kabhar zindagi
mein kuch aise cheezo se bhi
mulaqat ho jaati hai jispar
bharosa naa karke bhi bharosa
karna hi parhta hai…maine bhi
kuch aisa hi kiyaa….na jaane is
duniya mein aur kya kya chipa
hai?

Jo hum aur aap se
bekhabar hai…jinke baarein
mein hum door door tak nahi
jaante…isi ke saath meri ye
daastan khatam hoti hai….

[The End]

Kahani mein huye spelling,mistakes,errors ke liye maanfi chahunga kyunki behad muskil se ye meri story waapis maine dhundh nikaali ise dobara editing karke maine aapke saamne pesh ki hai...aapke amulya feedbacks ka mujhe besavri se intezar rahega.....tk care  Winking
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 01:54:17 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.149 seconds with 20 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer