Hifazat - a thriller love short story (2017)

by asif biswas on August 24, 2018, 03:47:51 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 3502 times)
asif biswas
Guest
Hello dosto ek baar fhir aapka chahita wohi purana writer asif  notworthy fhir haazir hoo ek baar fhir aapko rubaru karaane apni last year purani ek short story ke saath....yun kehle toh ye ek peshkash thi meri taraf se ek contest ko jismein ise kamyabi ka khitaab toh na mil saka lekin sabki fav story zarur ye story banke reh paayi...toh aaj main pesh karne jaa raha hoo one of the last contest participated story ki....is story ke baad se hi maine kabhi koi contest pe dusre forum ke participate nahi kiya i hope u guys like this story ;)

This fictional story is a part of an ultimate story contest written originally by me at 2017 in other forum and now i am introducing you my one of the short thriller love story of all time  Winking

Story started from next post
 icon_thumleft
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #1 on: August 24, 2018, 03:51:29 PM »
“Anjaam se darrte hai wohh
Jinhein kal ki fikar hai
Zindagi ke is daastan mein
Maut ka bhi zikar hai”…


Amsterdam ke oos khubsurat canal pe ek boat chal rahi hai….aur theek oosi kashti pe sawaar oos ladki ke kalam kitab ke panno pe chal rahe hai..ek pal ko wohh apne dono taraf behte oos paani se dur port ke upar logo ki aava jaahi dekh rhai haitoh oon unchi imaarto ko jo kuch duri pe sthith hai…boat dheere dheere aage barh rahi hai toh is beech naav chala raha wohh aadmi kuch gaane lagta hai…jise sun ahana oose ek baar palatke dekhti hai aur muskurati hai…oose ahesas hota hai ki woh dil se kisiko yaad karke gungunaye gaa raha tha…diary ko band kiye ahana paani ki taraf dekhte huye kisi gambhir soch mein dub jati hai..

2 days ago….

(Shaam ka suraj dhal raha hai aur samundra ke kinaare oos port pe wohh dono dhalte suraj ko dekh rahe they aashif cigarette ka kash le raha tha dono khaamosh they)

Ahana : ye lo (aashif ne ek nazar ahana ke diye oon rupyo ki taraf phiraya)

Aashif : kya hai yeh?

Ahana : tumhari rihaai ke paise main chahti hoo ki tum jald se jald is sheher ko chodhkar balki main toh kehti hoo is desh ko chorke kahi dur chale jao

Aashif : itni meherbaani kisliye? Mujhe kya hoga? Maut hi toh aayegi…agar zinda raha toh tumhare sath kuch pal aur!

Ahana : tum samajhte kyu nahi aashif? Tumhari zindagi khatre mein hai…tum jaante ho main kiski aulwad hoo? Ooski jiske piche har pal musibat baahein bichaaye khari hai…mere khaatir tum khud ko yun na bemaut marrne do

Aashif : tum janti ho? tumhare pita is sheher ke jaanemaane rasukh hai…aur oonka daayna haath tumhein paa lena chahta hai tumhare izhaar ka oose harpal intezar hai aur main janta hoo oose jab malum chalega ki ooske boss ke beti ne kisi hitman se dil lagaya hai toh wohh mujhe toh maarega hi sath mein tumhein bhi

Ahana : wohh mujhe kuch nahi kar sakta

Aashif : itna yakeen hai tum janti ho ki tumhare pita ji jo is sheher ke rasukh bane huye hai kal ko police ki geraft mein honge aur tumhari saari daulat tumse cheen li jaayegi fhir is baat ka hi dhamki baar baar tumhare pita ko oonka daaya haath salim inayat deta rahega ki beti do warna jail mein sado koi power tumhare dad ko bacha nahi paayega

Ahana : toh tum kyu mujhe nahi pehle maar dete? oos kameene ke haatho mein aa jaane se pehle waise toh mulaqat toh isliye ki thi na mujhse (adam chupchaap khamosh raha)

Aashif : wohh waqt kuch aur tha lekin ab main wohh gunaah nahi karne jaa raha who mazburi thi jo mere haatho se salim inayat ne jaanbhujhke karwaya tha…oosne harpal tumpar mujhe nigah rakhne ko kaha hai taaki jab wohh tumhare inkaar ki had bardasht na kar paaye toh main tumhein jaan se maar du

Ahana : agar ye baat salim ko malum chali tohh wohh tumhein maar dega…aur meri inkar ka jawab toh oose aakhirtak milega chahe wohh mere pita ko kitno bhi dhamki kyu na de? Jaan ka ya police ka…kyu mile they oos din tum mujhe kyu kareeb aaye mere? Kyu main apne dard apne tanhaai ko bhulaye tumhein apna sabkuch manne lagi

Aashif : pyar pe kisi ka zor nahi…meri galti ki tumne mujh jaise insaan se dil lagaya jiska koi wajud nahi tumhare pita aur oos salim inayat ki tarah main bhi oosi napakiyat ka ek hisaa hoo

Ahana : hargiz nahi napak tumhein halat ne banaye hai mere dil mein ab bhi tum wohi ahemiyad rakhte ho mere honewale kal ka

Aashif ne apne aansu poche…aaj na jane kyu ooska dil is bebasi mein ro raha tha…aajtak itne dard sahe ki kabhi aansu na bahaya tha…lekin aaj mohabbat ne oos jaise berehemdil ko bhi pighla diya…oosne ahana ke dono baazuo ko pakda aur oosse pucha ki wohh kya chahti hai?

Ahana ne kaha ki wohh apne pita se baat karegi oonhein samjhaayegi agar na maane toh koi aur rasta ikhtiyar karegi…aashif ne pucha kaisa rasta?....”tumhein apne chalte na tabaah hone dungi tumhein riha kar dungi apne zindagi se aur khud ko kurban kar lungi”……”aur main rihaa pana chahta hoo tumhari zindagi se?”

Ahana ne ek pal ko paaya ki aashif ro raha tha…zazbat pe umade dono ekdusre ke gale lag gaye…

Present…

Ahana ka jab dhyan tuta…toh oosne paaya ki boatmen ne kinaare pe boat laga di hai…ahana ne uthte huye oose paise diye aur ooska haath pakre boat se port pe charhi…fhir waha pe aate hi muqarar harpal khari ooske liye gaadi ka driver ooska intezar kar raha tha…oosne aage barke gadi ka darwaja khola toh ahana andar ja baithi…

Ahana ki mazudgi apne office mein paaye ek baar ucchi imarat se jhaank rahe oos shaks ne piche palatke fhirayi..”tum yaha? Is waqt?”……..”dad I want to talk”…….”we will but not now”……cigar ka kash lete huye ahana ke pita mr.edwards chair pe baith gaye

Ahana : ye aapki beti ke zindagi aur maut ka sawal hai

Ek pal ko cigar chodh mr Edwards gaur se beti ki taraf dekhne lage….”kya hua?”…..saqti laaye chehre pe mr Edwards ne kaha…….”dad aajtak aapne mere bina kahein mujhe wohh sab diya jo maine kabhi expect nahi kiya ..par aaj aapse main kuch aisa maang rahi hoo ki shayad hi aap oose puri ka paaye”…….”aisi kya khwahish hai? Jo mere bas mein nahi”…….”bas mein toh aapke ye puri duniya hai papa…lekin maine ye irada kiya hai ki aap ooski hifazat ke liye kuch kare kyunki main oose kho dena nahi chahti”…….”kaun hai wohh?”……..saqti chehre pe laaye mr Edwards ne kaha…beti kisi ko dil de baithi wohh bhi itne bare rasukh ki beti…ooske ye zazbat berehem Edwards ko bhaa nahi rahe they…ahana ne thoda darte huye kaha fhir oose apni prem kahani batani shruu ki

Kuch mahino pehle ki mulaqat thi wohh….aashif naam ka wohh insaan jisne ooske zindagi mein ek hi jhatke mein apni jagah bana li…jise ahana apna dil de baithi…shruu shuru mein sabkuch toh normal raha lekin jab oos raat ke izhaar ke baad aashif ne oose bataya apne wajud ke baarein mein ki andar hi andar ek saazish ka wohh ek hisaa hai..ahana jiske pita jaane maane Amsterdam ke rasukh hai mr.edwards ka daaya haath salim inayat jo besavri se na sirf ooski beti ko par ooske pita ki saari basi basayi daulat ko haasil karna chahta tha salim inayat ke upar Edwards ke lambe samay se rival casinar ka oospar haath tha…aur wohi casinar ooska boss bhi tha…ye baat sirf aashif janta tha isi sazish ke tehet wohh sirf oos pal ke intezar mein tha ki kab ahana ko maut ke ghaat utar de ooske aakhri inkar karne se salim ko..andar hi andar ahana pehle toh darri par tabtak dair ho chuki thi ooska dil aashif se lag chuka tha..

Haalaki ooski hifazat ooske pita kar sakte they lekin kabtak kyunki wohh khud salim inayat aur ooske boss casinar se apni hifazat nahi kar sakte they….ye sab sunke Edwards ko jhatka laga…oosne pehle fhatkaara ahana ko ki wohh oosse dil lagna chah rahi hai jo oose hi maut dena chah raha tha kal tak..aaj ooski rihaai ki bheek maang rahi hai oosse…ye sunke ahana ghutno pe girke apne pita se bheek magne lagi ki wohh oose sacche dil se chahti hai oose kuch ho gaya toh wohh marr jaayegi agar ooske mann mein koi dushmani hoti toh oosi waqt oosi raat wohh oose jaan se maar deta…

Ye sab sunke mr edwards hil gaye..ooski beti ek rani ki tarah zindagi basr karti thi par aaj wohh kisi ke jaan ke liye ghutno pe apne pita ke saamne bheeg maang rahi thi…yahi hota hai mohabbat jab rishte naate aur haisiyat ko bhula deti hai…aage barte huye Edwards ne ahana ko uthaya aur ooske pyar se chehre ko sehlayaa

Edwards : main ye kabhi nahi soch sakta tha ki jise dilo jaan se maana who insaan is hadtak guzar jayega god itna bara game mere peeth piche khela jaa raha hai mujhe khauff nahi mere dushmano ka…lekin apni sabse bari daulat agar mujhse cheen gayi toh fhir mera kya wajud? Mere is milkiyat ka kya wajud? Jiske liye maine na jaane kitne gunaah kiye…leave all of the rest on me beta (Edwards ne apni beti ko gale laga liya ahana ro pari oosne shayad ye din kabhi na socha tha ki ooske pita oospe narazgi nahi balki ooski mohabbat ke liye aise peshayenge)

Next day

Oos imarat ke chauthe maale mein ek bara sa hall tha jaha anginat aadmi mazud they…aur sofey pe casinar apni goli ko saaf karta hua chupchap tha toh dusri or salim inayat chupchaap gusse mein ubal raha tha….kal raat office mein

Edwards aur ooski beti ke beech saari baat who sun chuka tha….casinar ne khaamoshi mein banduk saf kiye tahaka lagaya

Casinar : hahaha salim ye kaam toh tere bas ka nahi hua…bhaanda fhut chuka hai Edwards ko sabkuch kaise malum chal gaya kisne bataya oose? (salim aag babula bhauklaaye )

Salim : zarur ye oos kameene ki wajah se hua saale ko assigned maine kiya aur chura oosne hamare hi peeth pe bhoka ooski ye majaal jaan se maar dunga oose (daant peeste huye)

Casinar : wohh wafadar mera tha wohh kabhi bhi mere se gaddari nahi kar sakta tha mera khaas aadmi tha wohh socha nahi tha ki aisa daanv bhi apun ka koi khelega

Salim : par kar toh diya na oosne main oose goli maar dunga ahana oosse kaise mohabbat kar sakti hai…main ab ahana ko bhi jaan se maar dunga oose kisi ka hone na dunga

Casinar : shaant salim shaant apne chakkar mein kahi tu hamara khela daanv ulta na kar de…police ko saare evidences edwards ki kartuto ke sath send kar…aaj teri raat hai samajh raha hai na tu (salim ke chehre pe jaise shaitani muskurahat aayi)

Dopahar ka wohh waqt tha…ahana aur aashif dono oos water bridge ke theek upar khare they niche fatak se paani gir raha tha…suna tha ki wohh paani bhi samundra se mil jaa rhaa tha…in khubsurat nazaro se bhara para tha Amsterdam sheher

Aashif : sach ahana kya sach mein uncle maan gaye hai ? kya mr.edwards ne manzuri de di

Ahana : kuch aisa hi aashif maine apne jannewale se baat kar li hai yaha se kuch duri pe private jet port hai jo illegally yaha se humhe neitherland ke dusre desh chodh dega waha se hum Hindustan jaa sakenge…bas ab hum wohi se ruksat honge

Aashif : hum? Matlab tum bhi (jaise sunkar aashif ne kitna sukoon payaa)

Ahana : bilkul bas tum kal theek shaam 4 baje yahi mujhse aake milana…

Aashif : lekin tumhare dad kya oonko yun besahara akela tum chodhna chah rahi ho

Mann hi mann dil ro raha tha ahana ka wohh ek pal ko nazarein jhukaye apne aansu ponchi…kaise kehti oose? Ki pita ke oos waqt lavzo mein sirf ektarfa mohabbat thi ooske pyar ka koi wajud nahi…oosne sirf beti ko gumrah ke liye ye baat kahi asliyat mein oosi raat oosne apne pita ke room mein oonhein phone pe kisi se baat karte suna tha..

“Salim ko dhundho aur maar do ooski laash ko canal mein hi faikh dena sath mein oos ladke ko maar daalo kya pata malum nahi toh malum chal jayega? Khatam kar do oon dono ko wohh dono hi meri beti ki musibat ban rahe hai”……ye sunke apna aapa kho baith thi oos waqt munh pe haath rakhke na jaane kaise kehti aashif ko?

Ahana : tum oonki fikar mat karo bas meri baat suno kal kaise bhi karke yaha pahuch jaana

Aashif : agar main na aaya toh

Ahana : aisa kyu keh rahe ho? (sehemte huye kaha)

Aashif : na jaane kyu dil bechain sa hai? Kal agar main shaam 4 baje tak yaha na lauta toh samajh jana kabhi na laut paunga mera intezar karogi na

Ahana : saara din karungi agar tum kal na aaye toh samjhungi ki meri badkismati hamara yahi tak sath tha (apne ko saqt karte huye kaleje pe patthar rakhte huye)

Aashif ne aage barhkar ooske chehre ko sehlaya…aur ooske hontho pe honth rakhe..

“Aye waqt kaash yahi tham jaa tu
Ye pyar bhare lamho ko
Ruksat na yun hone de…
Kal aaye na aaye wohh din
Bas mujhe yun baahon mein ooske kho lene de”


Ek ek kadam piche hatta hua aashif muskuraye ahana se dur chala jata gaya..aisa lag raha tha shayad ye aakhri pal ho…ahana bas apne bebasi pe ro pari….

Tring tringg…phone ka receiver uthaate hi jab oos awaz ko aashif ne pehchana toh ek pal ko khauff se teher gaya….”kya re kahan hai tu?”…….”ji ghar par”……..”wohi toh main aaya suna ki yaha se khali kar gaya tu”……..”j..jii wohh”……..”casinar ka bulawa aaya hai raat 10 baje port pe mil”……oos kadak awaz ke sath phone cut ho gaya….aashif bekhabar ye janta nahi tha ki salim hi ooska port pe intezar kar raha hai apne aadmiyo ke sath plan tha ooski maut ka…

Aashif gambhir ho gaya fhir oosne darwaje ki oos dastak ko suna….oosne ek ek kadam aage barhaya….toh payaa ki bahar koi topi pehna shaks khara hai…oosne khidki se guzarte huye darwaje ko aahiste se khola toh kisi ne ooske kholne se pehle hi darwaje ko ek laat deke oose piche dhakka de giraya

Aashif abhi sambhal paata..ki ooske chehre ko dekh sehem utha…dhacch…silencer gun thi awaz ghut si gayi…sharer ko chirti who goli maans mein jaise dakhil huyi…aur oosi pal apne chaati ko pakde aashif wohi tadapne laga….tadapte aashif ka jayeza liye wohh shaks wahan se faraar ho gaya..

Port pe kaafi dair tak Salim aur ooske aadmi aashif ka intezar karte rahe par ooske aane ki koi wajah na dikhi…”phone laga oosko”…….gunde ne phone milaya..”phone baj raha hai utha koi nahi raha”……”bloody son of a”….kehte huye salim apne aadmiyo ke sath gadi mein sawar hua aur waapis sheher ki taraf morh liya….

Agle din apne saaman ko liye gaadi mein sawaar huyi subah 4 bajte bajte hi ahana ruksat huyi…who janti thi pita ke uthne se pehle oose ooske aankho se dur chale jaana tha….jab subah huyi toh jaise aalishan bunglow mein mr edwards ki dahadh gunz uthi..”ahanaa ahaana”…….cheekhte chillate naukro aur guards pe baraste huye mr Edwards ne ahana ko dhundha na wohh kamre mein thi na hi kisi saheli ke ghar tohh wohh aakhir kahan gai thi? Kya Edwards ke fhir naapak mansube oose malum chal gaye they..

Isse pehle ki wohh koi action leta police ki ek kadi ooske ghar mein aa dhamki….”ye sab kya hai?”..edwards ne fhir chillaya.”u are under arrest mr edwards aapke khilaf humhe saare evidences mil chuke hai”………”u r picking up a wrong guy…main ek kaabil businessman hoo aap meri pahuch nahi jante”……kehta gaya sher ki tarah dahadta gaya par casinar kamyab raha mr Edwards geraftar ho gaya….ooski daulat ooski shourhat banglow sabkuch police ne kabze mein le liya tha…

Ahana in sab se bekhabar ab piche mudkar dekh nahi sakti thi naa hi wohh waqif thi ki ooska kal bhi oosse cheen gaya tha…laachar bebas wohh apni gaadi ko sidha highway se lete huye oosi water bridge ke paas pahuchi jaha oose aashif ka intezar karna tha…wohh wohi khari rahi bridge se niche waterfall ko girte dekhti rahi…waqt beetta gaya dopahar shaam mein tabdil ho gaya…dheere dheere suraj ekdum surkh laal ho gaya…water bridge pe khaamoshi se khari akele mein aaj khud ko jaise tanha bebas mehsus karne lagi ahana dil hi dil mein dua karne lagi ki bas aashif aa jaaye har gaadi mein oose aashif hi muskurata ooske paas aata dikh raha tha….koi bhi gaadi jaise aati ooske paas waise guzar jati

Achanak ooske chehre pe badlav aaya ek gaadi theek ooske saamne aake khari huyi wohh hubahu kuch aashif ke gadi se milati julati thi jo wohh aksar chalaya karta tha…lekin oosse jo shaks nikalke ooske paas aane laga wohh khauff khaa uthi….saamne salim khara tha….aur saath mein casinar

“hahaha kiska intezar kar rahi ho? kya kar rahi ho yaha pe?”……salim ne shaitani hassi dete huye pucha

Ahana ke munh se ek shabd nahi na nikala wohh idhar udhar nazarein churane lagi ooska pura sharer tharr tharr kaanp raha tha…”oosi ke intezar mein ho ab bhi jise khud tumhare hi pita ne maar diya”…….ek pal ko ahana bari bari nigaah kiye salim aur casinar ki taraf dekhne lagi…oose ab khauff dugna satane laga tha oose yakeen na hua aashif ko ooske pita ne!

Casinar ne batana shuru kiya ki kaise oosne chaal khela jo kaam oose saunpa oosmein oosne oonhein hi dhokha diya par dhoka Edwards ne bhi beti ko diya aur humne oosko….salim ka aashif ko maarne se pehle kisi ne oose maar dala tha aur janne mein aaya ye Edwards ne kiya tha…Edwards ka aadmi jise salim ki maut ki supari di thi oosse salim ne maarke jaan liya tha…ahana samajh chuki thi ab koi dagar nahi koi safar nahi sirf maut hi ooska aakhri moqaam hai…pita geraftar ho chuka tha jisne kabhi ooske mohabbat ko na samjha…jisse pyaar kiya wohh bhi is duniya mein na raha…ye sunke jaise ahana ko yakeen na hua oosne kasske salim ke gereban ko jakada toh salim ne ooska gala dabochte huye oose grill pe taika diya niche paani ka girta fatak tha oosmein gir raha paani ka shor sunaai de raha tha..

Salim : oos kutte ko acchi sajaa mili hai lekin ahana mujhe inkar karke tum bhi nahi bach paogi ab kahan jaogi tum?

Kiske sath bhagogi agar ulatke gayi bhi toh muflisi ka aalam paogi pita toh geraftar daulat se bhi gayi aur apni mohabbat se ab kaun bachayega tumhein? Kiske liye jiyogi tum?

Ahana : maut ka oonhein darr hota hai salim jo tujh jaise kutte hote hai mujhe darr nahi soch kya raha hai maar de ab tohh janke bhi mujhe jeene ka koi chahat na raha hai…ek pyar hi toh chaha jo is berehem dunia ne mujhse cheen liya kaash ek baar aashif ko dekh paati jisne mujhe sacche dil se apna maana tha

Salim : afsos wohh toh chala gaya

Salim aage kuch kar paata itne mein daayi or se ek goli sidhe ooske bheje ke aar paar hoke nikal gayi…wohh waise hi tehri aankho se dekhta hua ahana ko wohi grill pe jaise aaundhe munh latak gaya…ooski laash pe ek nazar fhirate huye ahana piche huyi…toh dekha ki umeed mari nahi thi aashif saamne mauzud tha

Casinar ne bhauklaaye aashif ko zinda paaya…”tu?”…….jo goli thaame huye ektak ahana ko dekh raha tha…”allah ka karam hai bhaijaan jo jinda hoo warna tere aur Edwards ke aadmi maar hi daalte”……fhir aashif ne batana shuru kia ki aakhir oos raat hua kya tha?

Goli chaati mein na lagke kandhe pe lagi thi wohh dard se tadapte raha…Edwards ka aadmi waha se mauke pe faraar ho gaya tohh oosne uthke jaise taise himmat jutaayi..aur oos garam chaaku ko uthaya fhir khud hi bare muskil se goli ko apne kandhe se alag kiya. Oose aisa laga shayad ahana ke pyaar ne hi oose fhir bachaya tha..

Aashif : gunahgar toh main hoo par shayad iska pyar sacha hai jo main bach gaya (ahana ne dekha ki ooske kandhe pe patti bandhi huyi thi jispe khoon sukh ke dhabba ban chuka tha)

Casinar : is aurat ke liye tu itna musibat mol raha hai…agar isko maarta toh daulat tere kadam chumti

Aashif : daulat pyar se badkar nahi hai bhaijan main galat tha ab main ye pesha hamesha hamesha ke liye chorh dunga

Casinar : marega tu ab keh raha hoo marega tu ab bach nahi paayega police tujhe dhundh nikaalegi lekin ek kaayda hai nihatte pe waar na karega aur kitna daga karega mujhse jisne tujhe panaah diya

Aashif : panah nahi zillat di aur rahi baat daga toh zaalim ye dunia karti hai…tum toh oosi ke ek chote se kirdar ho ye ahana ke liye aur mere cheeni zindagi ke liye (goli daagte huye) khuda hafiz

Dhacchh dhacchh urrghhh..casinar dahadh utha….ahana ne aankhe mund li jab oosne aankhe kholi toh aashif ne apne haath niche karl iya tha gun se dhua nikal raha tha….ahana ke paas casinar ki lash giri huyi thi….

Apni rihaai sa mehsus kar apni khushi waapis paate huye jaise aashif aur ahana ekdusre ke gale lag gaye..ahana oose har jagah chumti rahi oosse aise kasske lipati jaise oose apne se dur na kar paa rahi ho…aashif muskuraye bas ooske baalon pe haath phairta rhaa…

Dono laasho ko water bridge se faikte huye aashif ne ek baar apne gun pe nighaah ki fhir ahana pe…aashif ne muskuraya aur gun ko jaise dur hawa mein fhaik diya dheere dheere gun kahi kho gayi dono waha se gadi mein sawar hoke ruksat huye…..private jet oonhi ka intezar kar rahi thi oospe sawar hoke ek baar ahana ne piche mudkar dekha

“mud kar mat dekh piche
Ab waha kuch na basa
Jo bhi tha tera aaj
Who ab kal bhi na reh saka”


Aashif ne jaise ahana ko thaam liya ek baar jhaanka oosne ooski aankho mein…toh apne pita ko khone ka dukh jaise nazaro mein dikha…aashif ne oose apne seene se laga liya ab yahi aaj tha ooska aur yahi kal…ahana ne sabkuch kho diya apne pita apni rayiz bhari zindagi sabkuch lekin kuch khoke bhi oosne kuch payaa tha aur wohh tha koi apna…dono apne aaj ko chodhkar na jaane kis kal ki raah pe nikal gaye …apne kal se anjaan bas yahi soch liye ki ab wohh ek saath hai aur pyaar oonka hifazat hai

The end…
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #2 on: August 24, 2018, 09:46:29 PM »
waah waah bahut khoobsurat kahaani hai Biswas Jee. Dheron daad.
 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #3 on: August 27, 2018, 07:55:29 AM »
waah waah bahut khoobsurat kahaani hai Biswas Jee. Dheron daad.
 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Shukriya janaab  notworthy
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 25 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #4 on: March 24, 2024, 04:34:54 AM »
Is kahani se judi padhe daastan "Geraft" sequel of  crime thriller stories  like "bedard", "anjaan" and "Firaaq" ✍️ which is posted on yoindia at 2024

http://www.yoindia.com/shayariadab/inspirational-stories-and-real-life-incidences/geraft-sequel-to-bedard-anjaan-and-firaaq-love-crime-thriller-story-t132748.0.html

Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 25 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #5 on: September 06, 2024, 07:19:37 PM »
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 25 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #6 on: October 29, 2024, 07:55:06 AM »
Is kahani ke agle bhaag ko zarur padhe

http://www.yoindia.com/shayariadab/general-stories/inteqam-a-sequel-to-hifazat-spinoff-to-geraft-love-crime-thrill-tale-t132778.0.html
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 12:27:09 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.133 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer