suneel kumar
Guest
|
Ik Tooti Prem Kahani Kaafi samay baad aaj apne Shaher ki zameen pe khada tha, Just was thinking about the previous days, My past life. Khush bhi tha aur thoda parishaan bhi ki main apne shaher ko chod chukka hun. Kandhey pe ik bag taangey bas ghar ki taraf bad raha tha, GuitarHouse jahan main kabhi betha karta tha us jagah ik damm se nigaah gayi, Dekha puraane dost wahin bethe maje karr rahe they, Bas main khud ko wahan jaane se rok na saka.Sabhi puraane dosto se milke bahut achha laga. Tabhi ik purana dost Sanju kehta hai “Shani” can you gimme 25000 bugs, I will give ya back in few days, I said okie I will give ya but lemme know first what ya gonna do wid dat money. ”Main Shaadi kar raha hun” Shani – “Kya Shaadi” Sanju- “Haan isi liye main tumse paise maang raha hun” He was my childhood & family friend, Uske gharwalo aur mere gharwalo main bahut achhey sambandh hai. Shani- “ Papa mummy se baat kee” Sanju – “Nahi yaar bhaag ke shaadi kar raha hun” Shani – “ Tujhe nahi lagta papa mummy se baat karni chahiye” Sanju – “ Nahi karr sakta, Bas samajh jaavo tum yaar” Shani – “ Ik kaam kar mujhe baad main contact karke batana, Main baad main milke aaram se baat karta hun” I left dat place, I was not concerned about money or anything, I was concerned about Sanju, Wo shaks harr kaam jaldbaazi aur bin samjhe karta hai, Us se ziddi insaan maine meri zindagi main nahi dekha, Parents Achhey khaase paise wale, Bahut hi samajhdaar, Par wo apne maa baap ki izzat bilkul nahi karta tha. Bas dukh dene ke alava usne aaj tak kuch nahi kiya. Din beetane lage par harr doosre din Sanju mujhse paise maang-ne lagta, Is naasamajh kaam ke liye main usko paise nahi de sakta tha. Paise deta to shayad uske mummy papa se nigaah na mila paata, Naa hi uski madad karr sakta tha. Kehte hai Junoon ke saath Samajh, Soojh-Boojh aur Chalaki ki zarurat hoti hai, Par Sanju ke andar keval Junoon tha, Junoon ka ant hamesha bura hota hai. Maine Sanju ko bahut baar samjhaya, wo berozgaar tha, aise main Shaadi, Uske gharwalo se bhi uski nahi banti thi, Aise main shaadi, Kisi ki ladki ko aise hi utha lana koi bachho ka khel nahi, but he was determined. Maine us se 4 mahine ka time maanga, ki bas 4 mahino baad main itna kamaunga ki tujhe harr tarah se help kar sakta hun, Bas 4 mahine sabr karr main teri shaadi karaunga.But sab bekaar tha. Ik din mujhe ghar aane main der ho gayi,, kareeb raat 11 baje ko main ghar aaya, Dekhta hun ik van mere ghar ke saamne khadi hai, uske darwaaze khule hai, Mere ghar pe kisi ka itni raat ko aana dat was shocking. Maine bhaag ke ghar main ghusta hun. Dekhta hun Sanju ke ghar waale mere ghar pe bethe hai. Un boode maa baap ko dekh mera dil paseej gaya, mujhe sanju pe bahut gussa aaya, Sanju ladki ko bhaga ke le gaya tha.Maine tassali deke unke ghar waalo ko bheja. Jaate jaate uski mummy haath jodke kehti hai, Agar wo aapke paas aaye to please aap log uski madad matt karna. Raat bhar mere ghar ka phone bajta raha, Sanju’s parents were thinking that Shani is the mastermind of this plot.But finally when I came to know about this thing, Maine bahut hi seedhey dhang se uske papa ko aadey haathon liya. Mujhe is baat se matlab nahi tha ki kaun bhaaga hai, I was concerned about Sanju & his parents. Finally maine aur mere ghar waalo ne Sanju ko dhoonda aur samjha bujha ke uske ghar pe bheja. Sanju ladki ko bhaga to laaya tha, Par sab kuch gadbad, uske paas rehne ki jagah nahi thi, Apne shaher ki zameen pe hi usko chatt nahi mil rahi thi.Harr jagah parishaan ho usne mujhe call kiya, Aur mere aur meri mummy ke samjhaane pe wo apne ghar jaane ko raazi huva. Sanju ne kehne ko to court marriage karr lee thi, but sach to yeh tha ki usko kisi vakeel ne bevkeef bana ke paise thagg liye they, Ladki aakhri saans takk Sanju ke saath rehne ka waada karr rahi thi. Main aur mera ik Dost “Soori” raat bhar Sanju ke ghar rehke aaye, Uska saath le to uske ghar waale bigde, Uske ghar waalo ka saath le to Sanju bigdey, Jaate hi maine saari baatein clear karr lee thi. Ki aaj aapke ghar pe is liye hun ki yeh mera dost hai, aur aap iske Papa Mummy, Main aap logo ke bare main sochta hun is liye shayad aaj aapke ghar hun ya aapki itni madad kee, warna mera is main koi personal interest nahi. Waise main itna rude nahi bol sakta tha, Par Sanju ke Papa hi mujhse cross questioning kar rahe they, Yahan ik vishwaas ki haar thi jo un hone kho diya tha..Unki isi baat pe maine unko achha khaasa lecture diya tha, jisko dete waqt mujhe achha nahi laga tha. Sanju ghar pe hamare kehne se aaya tha, Ladki ko lekar sadako ke dhakke khaa raha tha, Kahin chain se bethke muh dhone takk ki jagah unke paas nahi thi.Aise main uska ghar jaana hi laajmi tha, Uske ghar waalo ki haalat din prati din kharaab hoti jaa rahi thi, Ghar ki 2 boodi aurato ne bistar pakad liya tha, Bas Sanju ke bare main soch soch ke.Aisa main kya Sanju ka ghar se baahar rehna uchit tha. Log Maarne Ke Liye Us- se Dhoond rahe they. Sanju, “Soori” ko kehta hai, Agar tu kuch bola to tujhe maarunga, Wo “Soori” pe haath uthaane ki baat kar raha tha.Hum log usko ghar bulvaa chuke they aur samjhaane ke liye uske ghar pe hi raat bhar ruke they. Maine “Soori” ko kaha chal beta ab apna yahan koi kaam nahi. Sanju ko maine bahut khari khoti sunayi, Jisko sun ne ke baad wo explanation dene laga. Raat bhar hum uske ghar ruke, agle din main aur Soori wahan se jaa chuke they. Uske ghar rukne ka kaaran raat ko isko ghar main ghuske koi mare naa, ya iske ghar waalo ko parishaan na kare. Ladki ke ghar wale aane waale they, par who aaye nahi, raat bhar main aur soori wait karte rahe ki ladki ke ghar waale aayenge but wo aaye nahi. Hamara kaam ho chukka tha, Hum hamara farz nibhaa chuke they. I was sure ki ladki ke maa baap ladki ko le jaayenge, Reason shaadi aise hi nahi ho jaati, the documents Sanju had was fake, aise documents kahin bhi ban jaate hain, Naa hi registration aise hi ho jaata hai, But Sanju that’s a legal marriage now no one can touch my wife & me. Sanju ki wife ko uske maa baap le jaa chuke hai. Sanju’s family is happy because wo us ladki ko kisi bhi keemat pe apne ghar main rakhna nahi chahte they. Sanju aap sab jaan sakte hain ki uski kya haalat hogi. Yeh duniya aam insaano ki hai, Jaise main aur aap.Koi hero nahi hai is duniya main.Kayi baar khud pe kuch ziyada hi vishwas aise zakhm dete hai jinki yaad kabhi nahi mit-ti. Love a divine word. Par yeh keval Junoon nahi hai, Ik samajh ka rishtaa hai, Jis ke liye zindagi ka harr pehlu dekha jaata hai. Naa jaane aap se kitne rishtey jude hai, Zara un rishto ka khayaal garr insaan main ho to shayad yeh duniya hi kuch aur ho. Baat yahan pe tikti hai, Aapke apne log kaise hai, Agar wo sachmuch sahi hai to unko dukh deke aap kaun se raashtriya puruskaar jeet loge. Apno se chupa ke bhi aap kya jiye,Kyun aisa kuch karna jisko chupana pade, Ya to kaleja itna bada ho ki harr kaam sir utha ke ho.Apno ka vishwaas jeet ke ho. Mujhe pehle nahi lagta tha ki its possible. But i learnt this thing from my family. Ki Imaandaari vishwaas ko harr Maa-Baap samajhte hai. Aur uska sila zaroor dete hai.Bhale wo pade likhe ho ya anpad. In sadako pe niklu to kuch khale na, Kuch cheezey meri aatma ko bhi zakhm dete hai, Main bhi insaan hun, par koshish karta hun. Aisa hi rahu
|