Insan jab paida hota hai

by Dr Maqsood Hasni on December 10, 2014, 04:59:54 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1108 times)
Dr Maqsood Hasni
Guest

Insan jab paida hota hai

Insan jab paida hota hai os ka dil golab ki pati ki tara naram nazok komal aur khush'bu say labraiz hota hai jab'kah damagh koray kaghaz ki tara sofaid ojla shafaaf aur bai'dagh hota hata. Os ki moskarahatain her qisam ki tameez-o-imtayaaz aur tanz say bala'tar hoti hain. woh sab ka aur sab kay liay hota hai. Salamti aur dosti os ki fitrat/saresht main dakhal hoti hai. Os kay dil aur damgh main kisi kay liay nafrat, boghaz, hasad ya janib'dari nahain hoti. Woh ossi tara say hota hai jaisay insan ko hona chaheay.

Jab Insan paida hota hai Ahsan aur Khlipha kay darjay par faez hota hai. Tafreeq aur dehshat gardi qisam ki chizoon say na'aashna hota hai. Waqt, halaat, society, mahool, mafadaat, madi bhook, garohi janib'dari aur os kay so called apnay ossay insan nahain rehnay daitay. Woh soni, wahabi, shiya, barailvi, mashraqi, maghrabi, sikh, esae, hindu, kala, gora, mochi, naee, raja, malk, kambu, rajpoot ,molvi pandat, padri, ghreeb, ameer, apna, paraya, aman'pasand dehshat'gard qatil maqtool Allah na'janay kiya kuch, ho jata hai. Os ki zindagi in daeroon main ta'dam-e-marg moqaied rehti hai. Sar othata hai ya samaji-o-mazhabi nazriyaat waghera ke daeroon say nikalnay ki koshesh karta hai to baghi tehrata hai. Log os kay zahir ko malahza kartay hain aur yah daikhnay ki zahmat nahain otatay kah os kay mun/andar/batan main kiya chal rahai. Woh zinagi bhar til til qatal hota hai aur auroon ko mukhtalif hawaloon say masloob karta rehta hai. Eak waqt aata hai jab os kay liay yah sab Zindagi ka roop ikhtayar kar jata hai. Os kay nazdeek yahhi zindagi hoti hai.

Kamzoroon ki gardan marotay waqt os kay andar say koee aawaz boland nahain hoti.* Os kay insan kay darjay say gir kar siraf aur seraf wahabi shiya barailvi mashraqi maghrabi sikh esae hindu kala gora raja malak kabo rajpoot mochi nae darzi molvi pandat padri ghreeb ameer dehshat'gard qatil maqtool ban janay ki zima'dari kis kay sar par rakhi ja'ay?!
1- Os kay ghar waloon par?
2- Samaj society mahool ya insan kay tabeer yafta mazhab par?
3- Amir-e-shihar par jo saray wasael samait kar ossay gholami ki zindagi karnay par majboor karta hai?
4- Boray halaat-o-waqiyaat kay rad-e-amal par?
5- Aaghi kay darwazay band kar dainay waloon par?
6- Ustaad/Guru kay moashi-o-samaji aur os ki self respect kay qataloon par?
7- Khud os par kah os nay rasta ikhtayar kartay waqt apni samjh bojh say kaam na liaya?
8- ya phir hasab-e-ravaet taqdeer par?
9- ya phir samaji aur riyasti zulm-o-jabr kay nazam par?

Aakhar insan kay andar kay insan ka bai'dardi say khoon bahanay aur tafreeq kay darwazay kholnay ka alzaam kis ko diya ja'ay. Jis ki taraf ongli othein gay kobray saanp ki tara dasnay ko aa'ay ga. Jis say sawal karo gay khud ko sacha socha bata'ay ga. Agar apnay apnay hawalay say sab sachay aur naji hain to phir ghalt koon hai.
Kiya qatil mujram hai ya maqtool ya phir donoon?

Insan, insan kayoon nahain raha. Jis say sawal karo gay barmala kahay ga mein pehlay falaan hoon os kay baad insan hoon. Hazrat Sufi Sheik Baba Ustad Goru Nanak Sahib ka yah kaha kisi tara ghalt nahain :
There is no shortage of those who preach and teach.
kathnaa kathee na aavai tot.

Batan ki taharat kay sabab aur is hawla say mota'alaq log mojood hain aur Woh soni wahabi shiya barailvi mashraqi maghrabi sikh esaee hindu kala mochi nae darzi gora raja mochi nae darzi malk kambo raj'poot molvi pandat padri ghreeb ameer dehshat'gard qatil maqtool ko phir say golaab ki pati aur lathay ki tara kora aur bai'dagh bana saktay hain. Woh aisa saboon rakhtay hain jo diloon kay zang ko saaf kar sakta hai. Os kay baad kan son sakain gay aankhoon ki roshnaee dhanag say yaeni ossi tara say daikhay gi jis say tara say daikha jana chahiay.
--------------------
* oon kay dil zang'aloda ho jatay hain.

[/size
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
bahut aarzueiN paida kiN ..... by HumTum in Shayri-E-Dard
Jab aap paida huve......Rishi by Rishi Agarwal in SMS , mobile & JOKES
Joke : Her Ek minit main ek Bachha Paida hota hai. by R.M. Dixit in SMS , mobile & JOKES
Sawaal hi paida nahi hota by jazbaat in Share:Love Poetry
MOHABAT KE BINA INSAN PATHAR HOTA by BANSI DHAMEJA in Share:Love Poetry
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #1 on: December 10, 2014, 08:46:39 PM »
Janaab Doctor Maqsood Hasni Sahib aapne bahut achaa mazmoon chunaa hai aur likhaa hai, Janaab meri 80 saal kee umhr hai aur main aap ke khayalaat kee qadar kartaa hoon. Haqeekat mein jinh haalaat mein woh paltaa hai, woh uss kee mausimiyat cheen lete hain. Phir bhi barhaa hone pe jo bhi bantaa hai, uss kaa kasurwaar sirf woh hai aur woh khud hogaa. sirf dil behlaane ke liye main 2 line likh rahaa hoon.

Yeh bachaa dekhne mein jo itnaa masoom, bholaa aur pyaaraa lagtaa hai...
Abb bhi laachaar hai aur jo bane gaa usske liye bhi laachaar lagtaa hai!
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #2 on: December 11, 2014, 01:37:26 AM »
 Applause Applause
Logged
Dr Maqsood Hasni
Guest
«Reply #3 on: December 11, 2014, 09:46:36 AM »
aap ne tovajo farmaee dil o jan se ehsan'mand hoon
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 12:48:38 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer