Insan Kutta Nahain

by Dr Maqsood Hasni on December 11, 2014, 09:50:11 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1267 times)
Dr Maqsood Hasni
Guest

Insan Kutta Nahain


Insan Koutta Nahain,
Kottay ki firat hai, jab wo kisi dosray kuttay kay monh main haddi daikhta hai to pehlay os par bhonkta hai phir os say haddi chein lainay ki koshesh karta hai. Is tara donoon main ghomsan ka run parta hai. Yahaan tak kah wo haddi ko bhi bhool jatay hain. Donoon lar lar kar bai'hal ho jatay hain. Darein'asna koee tisra kota haddi lay kar chalta banta hai aur laraee ka moqam-o-midan manzar aur naak naqsha hi badal jata hai. Goya laraee ka silsala is china jhapti kay hawala say kabhi khatam nahain ho pata.

Insan Allah Ta'ala ki azeem tarein mukhlooq hai. Kuttay ki koee bhi adat insan main hona insaniat ki kholi tohein aur tazleel hai. Sari kaenaat insan kay tasaraf ki cheez hai aur kaenat hai hi insan kay liay. Allah nay insan ko Khalifah kay darjay par faez kiya hai. Goya is hawala say,
1. insan kaenat ka Amin hai.
2. Is ka behtar aur barh kar istamal
3. kaenat ki tazein araesh aur hifazat ka fariza anjam daita hai.
4. Maday ko tasaraf main la kar apni danish ka saboot faraham karta hai.
5. Is ki kavish say sukh, aasudgi aur kheer ko panpanay kay mowaqay mayassar aatay hain. Is hawala say insan kay paas:
• Vasael-e-qudrat wafar mojood hain.
• Mehnat ka onsar is ki fitrat ka khasa hai.
• Honar gor saliqa tariqa ki giraan qadar naimat say sarfaraz hai.
• Takhleeq kay liay namonay pehlay say hi kaenaat main mojood hain.
• Holy Books ki saurat main Hadait mayassar hai.

Hasad say barh'kar donyaan main koee bori aur na'pasandida cheez nahain. Yah khamioon aur kharabioon ki NANI hai. Yah bhi keh saktay hain kah hasad Shitan ka jorwaan bhai hai. Yah wo bala hai jo jhagray kharay karti hai aur chein lainay kay jazboon ko oksati hai.

Insan ki sar'bolandi doo hawaloon say wazay aur mosalam hai:
Mayassar main auroon ko shareek karkay khoshi mehsus karta hai. Jis kay sabab barkat say nawaza jata hai.
Mayassar na honay ki surat main mehnat aur kohesh karta hai.

Yah bhi pehlay say teh'shoda haqiqat hai:
1- Insan nay wasael talashay hain aur istamal main la raha hai.
2- Bohat say wasael say mota'alaq ilm hasal kiya hai laikin oon ka talashna aur istamal main lana baqi hai.
3- Un'gint wasael ka ilm main lana, oon par garift karna aur oon ka istamal talashna abhi baqi hai.
Baad'qismati yahaan say hi shoro hoti hai kah insan mayassar ko mil bant kar nahain kha raha. Auroon ko shamil karnay ki soch, sochnay ko bhi taiyar nahain aur nahi is kay hissay bikhray karna chahta hai. Halan'kah woh koli ya jozvi toor par kisi cheez ka haqiqi malik hi nahain. "Mairi, maira" kay lach nay aag ka darya kabhi khoshak honay nahain diya. Issi tara jin ko mayassar nahain woh her hila bahana aur harba say chein lainay par otray rahay hain.Yah andaz-o-rovaeya qatee sehat'mand nahain. Yahhi nahain is aavaizash say mayassar bhi tabahi-o-barnadi ka shakar hai. Agar yahhi surat-e-hal baqi rahi to aatay kal kay insan kay paas, agar kuch baqi raha to rakh main bhoja howa khoon. Woh is khoon ko daikh kar na ro sakay ga na'hi moskarahat os kay laboon par phoot sakay gi.
Kiya yah monasab nahain kah insan maloon ko daryaft kay hisar main la kar istamal main la'ay. Issi tara Na'maloom wasael ko ilm main la'ay ta'kah yah ya is ki aati nasalain aaj kay na'maloom aur kal kay maloom ki talash main nikal parain. Insan kay hath main abi to chand patyaan aaee hain jin kay mokamal tasarfaat par bhi puri girift nahain kar paya aur itna bara aur sharam'naak hangama khara kiay howay hai.

Issay abhi to mojood kay ziyada say ziyada tasarfaat talashna hain. Maloom magar istamal main na aanay walay wasael ki talash main nikalna hai. Agar insan mojood par os ki mojoda halat aur istamalaat par kat mara to talash ka amal kaisay jari reh pa'ay ga. Tail, gass waghera kay elawa bhi energy say motalaq bohat sari chizain kaenat main mojood hain, oon ki talash abhi baqi hai.

Insan to taqat kay bal botay par taleem kay shobay say motalaq wasael bhi khisay karna chahta hai. Asool, qanoon aur zabtay apni hi rakhsha kay liay bananay ki koshesh main masroof hai. Taleem aur research kay shobay ko kamzoor aur apni marzi-o-mansha ka bananay say maloom magar dastaras say bahar tak rasaee aur na'maloom ko maloom main lanay ka amal kamzoor'tar hota ja raha hai. Woh samjh raha hai mojood hi sab kuch hai aur issay samait laina hi ghanimat hai.
1- Taleem aur taleem say motalaq logoon ko mazboot bananay ki is liay ziyada zarorat hai kah: Mojood kay mazeed kamalaat, fazael aur istamalaat daryaft ki'ay ja sakain.
2- Maloom magar istamal main na honay walay wasael par dastaras kay gur aur honar talashay ja sakain.
3- Na'maloom ko maloom ki sar'had main laya ja sakay.
Yah baat bhi mojoda tanazur main thos haqiqat hai:
• kuch logoon kay psas wasael hain.
• Kuch log mehnat kar saktay hain.
• Kuch ilm-o-danish rakhtay hain.
In main say 1,2 ko 3 kay isharay par kaam karna chahiay. Jab tak yah tinoon motwazi aur bahmi ta'awan say nahain chalin gay, gari na chal sakay gi. Pehlay say mojood par kottoon ki se laraee ka silsala kabhi rok na pa'ay ga. Moeshat ko sahara yah tinoon mil kar hi day saktay hain.

Amrika nay aman kay qayaam aur dehshat'gardi kay khatmay kay naam par puri dunyaan ko aag main jhoon rakha hai. Diloon kay hal to Allah hi janta hai ho sakta hai kah os ki is koshesh main kahaan tak khalous aur insan dosti ka amal dakhal hai. Ho sakta hai, kisi sata par os kay haan mukhlasi ka onsar bhi mojood ho laikin donyaan issay aqwam-e-alam kay wasael par qabza karnay ka naam day rahi hai.

Amrika apnay wasael aman qaem karnay aur dehshat'gardi ko khatam karnay ya momkin hai pehlay say mojood wasael par qabzay ki koshesh kar raha hai aur is aag main apnay wasael jhonk raha hai. Natija-e-kar Boqool Sufi Dr. Mohammad Nur-ulAlam Sahib:
"The single superpower, the United States of America, is facing a great economic crisis, the greatest economic crisis in its history."
Amrika, qomoon ko apnay masael khud say hal karnay day aur donyaan ka mamay khan na banay balkah khud maloom wasael magar adam daryaat ki talash main niklay ta’kah aati nasloon ka bhi kuch to bhala ho sakay. Woh kabhi bhi mojoda koshesh main kamyaab nahain ho sakay ga kayoon'kah Mir Ja'afar kabhi kisi ka nahain ho sakata.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
kutta by Bhavesh in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
EH VAZ DA MOSAM NAHAIN by Dr Maqsood Hasni in Miscellaneous Poetry in Punjabi
Yah mosam-e-wa'az nahain by Dr Maqsood Hasni in Shairi - E - Zindagi
sabhi ko sabh kuch nahain milta jaan...... by Jan shayari in Other Languages
Allah Insan Ki Ghulami Pasand Nahain Karta by Dr Maqsood Hasni in General Stories
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: December 11, 2014, 02:10:56 PM »
waah waah
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #2 on: December 11, 2014, 03:23:13 PM »
Janaab main kabhi sochtaa hoon ke kutaa isaan se kahin behtar hai, woh aur kuchh nahin to insaan kaa wafaadaar to hai, insaan to apnee biwi tak kaa wafaadaar nahin. History batlaati hai ke woh dusron par hamlaa kartaa rahaa hai aur unhkee khuraak kaprhe daulat unhkee aurton kee izat tak loot kar le jaataa rahaa hai. Usse to koi bahaanaa chahiye kabhi mazhab kaa aur kabhi Insaaniyat kaa. Woh to bas sirf apne ko hee behtar samjtaa hai, kaash itnaa hee hotaa ke woh doosron ko apne se neech nahin samjhtaa. Dusron ko ghulam nahin banaataa. Meraa matlab kisee ko neechaa dikhaane kaa nahin hai, sirf jo history batlaati woh duhraa rahaa hoon. Warnaa Janaab ek adnaa saa shakhs hoon. Khuda bhagwaan mujhe yeh taakat de ke main doosron ko apne se behtar samjhtaa rahun aur kisee se kam nahin. Insaan jab khudko doosre se inferior samajhtaa hai to hamlaa karke superior baane kee koshish mein hotaa hai. Woh to itnaa bhi nahin sochh saktaa ke kisee kaa haq cheen kar woh khud ko inferior hee saabat kartaa hai.
Surindar.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:16:48 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer