INTEQAM - A sequel to "Hifazat" & spin-off to "Geraft" ( love crime thrill tale)

by ASIF on October 29, 2024, 04:25:17 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 464 times)
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 25 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile


Disclaimer :- This story is a fictional story and not encourage and promote anti social elements, any places, characters name are written as fiction part if anything goes real it maybe co-incident, this story may contain strong language, obscenes and gore violence content, viewers may use discretion

Dosto aap sabka main sawagat karta hoo meri dusri likhi is saal ki dastan mein jo ki ek baar fhir hone jaa rahi hai crime thriller story, dosto ye kahani pichli tamam kahaniya jaise "hifazat", "bedard" ,"anjaan","firaaq", aur "geraft" ke baad is series ki aakhri story hone ja rahi hai kyunki ye tamam stories ek crime thrill Universe ka hissa rahi, lekin ek dastan thi jiska aehem kirdar ki storyline wapsi honi chahiye thi jo thi 2017 ki likhi hifazat dosto ye oosi ka agla bhaag hai aur geraft ki kahani ko aage badhata hai toh dosto agar aapne abtak tamam meri likhi crime thriller series nahi padhi toh oose padhe tabhi aapko ye kahani samajh aayegi
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 25 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #1 on: October 29, 2024, 04:48:46 AM »
Wo shaam ki ghadi thi maghrib ka waqt tha, jab aasman mein roshni naam matra bachi thi aur Suraj kayi waqt pehle dhal chuka tha, kuch hi dair huyi ki baarish ka mahoul paida ho gaya, badal garaz rahe they

Us kabristan ke paas wo kaali gaadi aakar ruki daayi baayi taraf se kaale suit boot pehne do aadmi bahar nikle jinke coat ke bheetari pehlu se bandhuk jhaank rahi thi, itne mein pichle dayi taraf ka fatak khol Rajesh bahar nikla unhi ki tarah kaala coat pant Tye aur chashma pehna hua aisa lagta tha wo log jaise kisi business corporate ke members they lekin Haqeeqat to yahi thi ki wo log kisi khaas ke aadmi they jo palbhar mein kisi ko bhi jaan se maar sakte they, aur Rajesh unmein unka leader tha us kisi ka khaas se bhi khaas aadmi tha, usne mor kaatkar darwaja khola aur palbhar mein jitne mein dair mein darwaja khulta usne ek chaata khol liya aur khud baarish ki aad mein ho gaya,

Pehle ek pao bahar utara jiski nokdar heel geeli mitti par chub rahi thi aur gadi se nikalte hi Rajesh ne chaata uske sar ke upar faila diya, wo dikhne mein nihayat hi Bala ki khubsurat thi mushkil se 30 ke niche thi aur us waqt uske chehre pe gehen mayusi thi usne ek kaala shawl odh rakha tha aur aankho mein ek bhure rang ka chashma tha jise utaarte hi uski neeli aankhe charo taraf ke Nazare ko dekhne fhirne lagi, wo jaise aage badhi uske aadmi bhi uske sath ho liye,

Kabristan ka fhatak dhakka deke khol diya gaya jo charcharati awaz ke sath dono or jaake teher gaya wo log kacchi mitti aur ghaas bhare raste pe chalte huye ek khudi qabar ki taraf pahuche haalaki aurat ka qabristan aana jayaz nahi hota lekin wo ladki us marhum ki iklauti waris thi uski beti thi aur us waqt uski nazar apne marhum baap ki laash jo kafan odhey padi thi uspar thi, waha unke siway sirf qabristan ka qabar khodne wala chowkidar hi tha Kano kaan kisi ko unke aamad ki waha khabar nahi thi,

Rajesh saqt chehra liya uske sath sath qabar ke paas pahucha jo khudi padi thi fhir usne apne ek aadmi ko chaata sambhalte huye dekar khud jukkar us laash par se kafan uthaya uspe nazar padhte kayi chehre sihar gaye Rajesh ka chehra aur saqt ho gaya usne palatkar apni Malkin boss ki taraf dekha jo subak rahi thi aankhe uski nam thi,

Laash is qadar jal chuki thi ki pehchanna mushkil tha daayi taraf ka haath gayab tha jabki chehra ek taraf se is qadar kharab ho chuka tha ki uspe nazar daudana ache acho ki bas ki baat nahi thi kafi aziyat se guzari thi wo laash, Rajesh ne kafan odha diya aur piche khadi apne boss ke bagal mein aa khada hua,

Tabhi waha langdate kadamo se ek adhedh umar ka laathi liye barish mein bheegta aadmi unke saamne aaya Rajesh ne oose dekhkar apni Malkin ko bataya ki wo kaun tha?

"Alina yahi hai  marhum islam sahab ka iklauta bacha aadmi inhone hi humne ikhtila ki aur apke father ki tragedy ke baare mein bataya tha"

Alina ne ek baar us aadmi ki taraf dekha aur fhir kafan odhey apne baap zahir Islam ki laash ki taraf,

" Islam sahab ke yaha kayi waqto se hu lekin socha nahi tha ki unka koi apna bhi hoga biwi ke chal basne ke baad to wo beaulad jee rahe they wo to ganimat thi ki ek Raat party mein mujhe Sam ne bataya tha ki unki koi aulwad bhi hai"

"Abba chahte they nahi they ki main unke paas rahu main unke dusre ghar ki beti hoo maa ne mujhe hamesha Abba se dur hi rakha tha Abba hamesha humse milane Russia aaya karte they lekin wo chahte nahi they ki main yaha aake unke sath rahu darasal Abba ko meri maa Pakistan mein mili thi wo nahi janti thi ki Abba ki pehli shadi ho chuki thi lekin haalat aise bane ki maa mujhe apne pait mein liye yaha se wapis Pakistan laut aayi aur uske kuch saal baad Abba aaye aur mujhe padhne ke liye Russia bhej diya aksar Abba maa ki gair mauzudgi mein waha aate they maa guzar gai to main bilkul akeli ho gayi pakistan mein koi raha nahi isliye Abba ne faisla liya ki wo mujhe wohi Russia mein hi rakhenge pehle ghar se koi unki aulwad na huyi jisse unka saara laad pyaar mujhe hi Mila par kaun janta tha ki wo is saal kyu na aa sake? Aayi to bas unki ye khabar"

"Calm down urself"....Rajesh ne Alina ke kandhe pe hath rakhkar oose samjhaya Alina rone lagi thi wo apne zazbat kabu nahi kar paai

"Ye sab hua kaise?"....is baar Rajesh ne mudkar Islam ke khaas aadmi se pucha

Usne lambi saas bhari fhir kehna shuru kiya "bahut lambi kahani hai pichle kayi mahino pehle yaha aisa khoon kharaba macha ki usse shayad hi koi bacha ho, Islam sahab toh waise hi sarkari mehekme ke nazaro mein aa chuke they, unke khilaf arrest warrant jaari ho chuka tha unke chappe chappe par dhandho par addo par unki yaha tak property par sarkar ka kabza ho chuka hai seize ki jaa chuki hai unki tamaam yaha ki milkiyat yaha tak unka ghar sabkuch, bas baari thi unke geraftari hone ki, lekin us raat sabkuch badal gaya"

Rajesh aur Islam ki beti Alina khamoshi se us ghadi apne aadmiyo ke sath unki baatein sune jaa rahi thi jabki barish tej thi aur laash ko qafan se achi tarah dhak diya gaya tha, wo langdata tamaam dastan ko dobara byaan karne laga

"Ye baat kisi se chupi nahi rahi hai? Ki Islam sahab netagiri aur apne safed posh dhandhe ke ot mein ek purane tajurbe kar aur kamyab smuggler they, agar koi unke khilaf sar utha sakta tha to unka wo iklauta rival tha neta Iqbal Chowdhury jo khud bhi ek bara smuggler tha abhi Islam sahab ki maut ke baad to jaise myaan mein wohi tehra hua hai is pure state mein uski taqat aur zyada dugni ho chuki hai aur ab to wo state ka chief minister ban chuka is sheher mein uska pehle se acha khasa dabdaba hai"

"Kya mere Walid ko us Chowdhury ne maara?"......betaabi se Alina ne oose beech mein tokte huye pucha

"Aisa keh sakte hai kyunki jis ladke ne Islam sahab aur unke tamam aadmiyon ko us raat steamerboat par maar giraya tha wo Chowdhury ka kabhi khaas hua karta tha Islam sahab ka kayi baar wo raaste ka kaata bana aur oose hi maarne hum sab steamerboat par pahuche bhi they maine khud uski talashi li thi pier par Islam sahab ne uski kamzori dhundh nikali thi aur oose bandi banane ke liye ooski mashuka ko apne kabze mein kar liya tha lekin afsos baazi palat gayi aur wo unpar hi bhaari pad gaya steamerboat ko aag lagakar wo dono paani mein jaa kude ek teesra shaks tha jo motorboat se waha pahuchi thi wo koi janana thi andhere ki wajah se oose theek dhang se hum dekh nahi paaye tabhi us ladke ne humpar goliyo ki barsat kar di humne kayi mumkin koshish ki isse pehle hum kamyab ho paate usne dynamite bomb ship par de faikha main kuch samajh pata ek dhamaka hua Islam sahab aur tamam hamare aadmi us bheeshan vispot ki chapait mein aa gaye wo to ganimat thi ki main samundra mein kud gaya kaash main Islam sahab ko bacha paata"

Kehte kehte wo ek qabr ke paas jaakar qabar ke gade patthar ka sahara liye teher gaya,

"Wo teesri shaks wo aurat kaun thi? Jisne us ladke aur uski mashuka ki jaan bachai yakeenan wo hathyarband thi tabhi to us ladke ki majaal huyi jo hamare Islam sahab aur aadmiyo par hamla kar paaya"

"Maine kaha na maine theek dhang se uski surat nahi dekhi lekin us ladke ki surat se main rag rag se waqif hu us surat ko main kabhi nahi bhul sakta, wo akela tha aur fhir bhi wo apne dushmano par qeher banke tuta aajtak maine aisa jaabaz aur taqatwar aadmi apni zindagi mein nahi dekha itne dushman maare hai humne par wo kuch khaas tha, sirf apni mashuka ke liye wo Islam sahab se nihatta takra gaya, jis aurat ne uski madad ki oose bhi talashne ki koshish ki par na wo motorboat Mila aur na hi wo teeno wo aurat to lapata ho gayi agar Chowdhury ko madad karni hoti toh apne aadmi hi bhejta jo uski hifazat mein aspatal mein is darr se tehre they ki kab Islam sahab aur Sam oose Jaan se maar de, khair main kisi tarah bandargah tak pahucha aur fhir apne thikaane, malum chala ki sheher mein toh kohram macha pada tha Islam sahab ko pagal kutto ki tarah police dhundh rahi thi jagah jagah nakabandi ho rahi thi unke aadmi geraftar ho rahe they humne apne kayi aadmi kho diye kuch toh us raat steamerboat pe hi islam sahab ke saath maare gaye police ko khabar mili steamerboat dhamake ki malum chalte hi waqt na laga ki wo milkiyat Islam sahab ki thi samundra mein kayi jali Kati laash kayi kayi kayi dino tak milti rahi aakhir mein yahi natija nikla ki steamerboat haadse mein rival gang ke haatho Islam sahab ki maut huyi thi, lekin Chowdhury ye kehke saaf bari ho gaya ki wo to us waqt hospital mein zindagi aur maut se lad raha tha aur uska daaya haath Sam uske haalat ka zimmedar tha Islam sahab ka front tha aur ek international smuggling dealer tha jo laga hi tha Chowdhury ke under mein oose tabaah karne, Sam ki bhi malumat ki gayi thi par uski laash nahi mili na jaane kahan Chowdhury ke aadmiyo ne oose thikaane lagaya oose maarne wala bhi wohi ladka tha Sam ne Chowdhury ki beti ko agwah kiya tha yahi nahi wo us ladke ko padosi state ke mayor Shah Alam ki beti ke sath sauda karke oose thikane laga chuka tha taaki wo log apne damaad ki maut ka badla le sake lekin paansa ulta pada aur wo ladka Shah Alam aur uski beti ko bhi maat dekar waha se nikal aaya aur na hi sirf Chowdhury ki beti ko bachaya balki Sam ko bhi maar giraya khair Islam sahab ki maut ke baad maamla jaise thanda hua maine kisi tarah aapko contact Kiya taaki Islam sahab ki laash aap paa sake"

"Aur fhir uske baad Alina, hamare aadmi yaha pahuche inke mutabiq us morgue hospital mein gaye jaha Islam sahab ki laash ko koi claim karne nahi aaya tha wo lawaris padi thi kehna to nahi chahta par police is ghaat mein thi ki shayad koi apna unka nikal aaye to wo usse jawabtalaabi kar sake lekin ganimat ki wo isliye teher gaye kyunki islam sahab jaise bare shikari ka shikar ho gaya tha unke mutabik ek bara crime lord aur gang leader maara gaya tha".....Rajesh ne kehna shuru kiya

Rajesh ke jabde kehte kehte beech gaye wo koi saqt baat kehne ke liye munh kholta usse pehle Alina ne oose shaant rehne ka ishara kiya fhir Rajesh ne bataya "uske baad malum chala ki unhe kahi lawaris gaadne ka mehekme walo ka irada tha bari mushkil se unki laash dhundhi gayi thi bahut buri haalat mein thi freezer room mein kayi waqto se padi thi itna ajiyat main hone nahi dena chahta tha isliye maine guard ko paise diye body ko badla aur uski jagah waisi hi jali hubahu laash waha daal di aur Islam sahab ki deadbody ba izzat aur ba hifazat yaha old cemetry le aaya uske baad tumhe Siberia se yaha bulaaya Alina ab saara darmodar tumhare haath mein hai"

"Ab hamari yaha koi wajud nahi bachi Rajesh mere Abba ka sabkuch jaa chuka hai agar wo Zinda hote to shayad unka moqaam jail hota ya fhir faansi jis raah par Abba they usmein aisa haalat to ek na ek din unhe dekhna hi tha"

"Alina ye tum kya keh rahi ho? Maana ki Islam sahab nahi rahe par unka empire unka dhandha unka kaala karobar humhe oose dobara se khada karna hai jo safed karobar hamara Siberia mein hai oose humhe yaha expand karna chahiye taaki ek baar fhir Islam sahab ki legacy khadi ho sake aur bhulo mat ek zamane mein ye sheher ye state unse thar thar kaanpta tha aur is baar hum eit ka jawab patthar se denge Chowdhury ko nes nabut karke bhulo mat tumhe apne Abba ka badla lena hai"

"Ye itna aasan nahi hai Rajesh sahab".....wo langdata aadmi is baar bola

"Kyu?"....is baar Rajesh us aadmi ke taraf palatkar keh utha

"Kyunki ab waqt pehle jaisa nahi raha Chowdhury ab chief minister hai, system bhi pehle se behtar ho gaya aur to aur koi bhi smuggler ya Bhai Navi gang khadi nahi kar sakta aur khaaskar uske khilaf to bilkul nahi agar koi aisi koshish karta hai to uska anjaam maut hota hai kayio ne koshish ki par kamyab na rahe aur Chowdhury ko agar malum chala ki Islam ka koi Zinda hai aur wo unki maut ka badla lene yaha aa chuka toh qeher bankar tutega wo aur main nahi chahta ki Alina memsahab par koi aanch aaye uske Abba ka kiya unhe bhugatna pade"

"Apne zabaan ko lagaam do bhulo mat tum Islam ke mulazim ho unke salaahkar nahi jo sahi galat ki pehchan humhe bataye aur ab jabki Islam sahab nahi toh ab tumhe wohi kehna chahiye jo hum kahe, Toh kya samajhte ho hum islam sahab ko dafnakar  wapis chale jaaye? Is darr se chori chupkar ki kahi yaha ka kanoon ya Chowdhury gang ki nazar humpar na padh jaaye hum badla chodh de aur ye Maan le ki waqayi Islam sahab aur unke empire ki yaha koi bisaat thi hi nahi, hargiz nahi Alina khan Islam abhi Zinda hai aur ab apne na hi sirf baap ka badla legi balki ek naye sirhe se yaha Islam empire khada hoga pehle se bhi zyada khatarnak bankar aur is baar qeher agar kisi pe tutega toh is sheher par aur us Chowdhury ki empire par"

"Mera aisa koi irada nahi haan mujhe apni jaan ki parwah nahi kyunki jis maqsad ke liye main yaha aayi hu usmein humare sath kuch bhi ho sakta hai lekin Abba ke kaale karobaar aur dhandhe ko dobara khada karna ye mujhe manzur nahi maana unhi ke daulat se main palhi badi lekin Siberia mein maine unki tarah karobaar nahi Kiya kyunki main janti hoo jis raah ka bura anjaam ho uski taraf insan ko bhi kabhi nahi badhna chahiye, main yaha sirf badla lene aayi hoo jinke haatho mere Abba ki maut huyi main janti hoo Chowdhury se takrana aasan nahin kanoonan pachde humhe waise hi nahi chodhenge main is sheher mein kuch din bane rehna chahti hoo jabtak main ye na soch lu ki kis tarah apne baap ki maut ka badla lu aur iski shuruwat hogi pehle us ladke se"

Rajesh jaise hadbadaya usne Alina ki taraf dekhte huye hairat se kaha "ye kya keh rahi ho tum? Kya tum apne father ke dhandhe ko yu nais nabut hote dena chahti ho unki legacy ka kya?"

"shayad tumne suna nahi inhone kya kaha? Tamaam Abba ki property, bank balance unka dhandha unka karobar sabkuch seized ho chuka hai yaha tak ki unka ghar bhi is sheher mein mera sabkuch hokar bhi kuch nahi hai jaise main yaha anjaan hoo, Meri ammi hamesha mujhe samjhaati rahi ki main Abba se dur rahu isliye nahi ki wo meri ammi ko chodhkar pehle kisi ke sath Ghar basa chuke they par isliye ki unhone apne fayde ke liye apne crime lord ki chavi ki wajah se kayi begunah ko drugs ke daldal mein jhoka kayi logo ko gumrah karke apne gair kanooni dhandhe mein fasaya smuggling ki arms dealing ki drugs ki narcotics ki aur na hi jaane kitne naapak cheezo ki?, Kitne galat sangat mein unka uthna baithna tha? Itna kuch ghata unke sath aur tum chahte ho main bhi oosi napak daldal mein dub jau taaki apne Abba ki qabar ke bagal mein meri bhi aise aziyat hokar mitti palit ho"

Rajesh munh baaye oose ghur raha tha, usne socha tha ki ab kursi uski beti sambhalegi wo log milkar dheere dheere us sheher pe dhaava bolenge Chowdhury aur baki dushmano ko maar girayenge aur fhir dobara se un tamam Islam ke aadmiyo se contact banayenge jinke sath Islam gair kanooni karobar karta tha Alina ke safed posh Siberia ke business ko yaha badhaakar wo ek naye sirhe se illegal drug manufacturing ka business shuru kar sakta tha jiska wo head banta jabki wo janta tha Malik hote huye bhi Alina ko control karna uska brainwash karna uske liye aasan hota par yaha to Abba ki maut ne oose andar se hilaake rakh diya tha wo pehle se hi gair kanooni dhandhe aur aise kisi bhi kaam ke saqt khilaf thi, Islam ke kehne par hi wo Russia mein Alina ka humzaad banke rehta tha uska caretaker tha aur munhlaga bhi, usne kayi baar koshish ki Alina oose apna Humsafar Maan le lekin aajtak ye mansuba kabhi pura nahi hua tha jiski aas ab bhi uske dil mein chupi thi,

"Alina memsahab main aapki baaton ki qadar karta hu apki soch aapke Abba se bilkul alag hai lekin badla bhi toh aapke dushman ko aur aapki taraf attract kar sakta hai behtar yahi hai ki ye kaam aap apne aadmiyo pe chodh de aur wapis Siberia chali jaaye"

"Hargiz nahi main jabtak Abba ke dushmano  se badla na le lu mujhe sukoon nahi milega"

"Par Chowdhury ko maarna aisa jaise madhumakhi ke chatte par dhela maarna paani mein rehkar magar se bair nahi ki jaati waise bhi Chowdhury ne to sirf Islam sahab ko expose kiya tha Islam sahab to khud hi us ladke ko aur uski mashuka ko bandi banake apne kabze mein laaye they agar badla lena hai to pehle usse hi lijiye"

"Aapne dhundhne ki koshish nahi ki wo ab kahan hai?"

Usne langde aadmi ne inkar mein sar hilaya, "uska naam kya tha?"....Alina ne fhir pucha

"Asif"

"Na jaane kyu ye naam maine pehle kahi suna hai"

"Uska naam jo bhi rahe agar wo refugee hai to wo ab bhi Isi Desh mein hoga jaayega kidhar uska huliya banwao aur humare aage pesh karo"

Langda aadmi ne hukam maana fhir usne laash ki taraf ishara kiya mahoul mein fhir sannata tha barish kam ho chuki thi aur dekhte hi dekhte Rajesh aur Alina ke baaki aadmiyo ne milkar pure rasmo rivaaz ke sath zahir Islam ki laash ko mukammal dafna diya jaise jaise unpar mitti gir rahi thi Alina ke ghulte aansuyo mein Asif ke liye nafrat badhti jaa rahi thi,

                  ----------------

Alina ko naya thikana ek purana band pada godown Mila jaha pehle hi Rajesh ne bahari aadmiyo ka bandobas kar liya tha haalaki Alina chahti nahi thi ki wo koi gang waha khadi kare ya koi mukhbir hokar Chowdhury ke aadmiyo tak uski aamad ki khabar pahuchaaye lekin Rajesh ne dor apne hatho mein le li thi, haalaki wo sacche Mann se chahta tha ki Alina waha gair kanooni dhandha naye sirhe se shuru kare par usne jab bhi Alina ko samjhana chaha uske zehan mein bas Abba ke badle ki hi baat thi,

"Chowdhury ko hum maar to nahi sakte lekin oose jhuka sakte hai taaki dheere dheere jab wo kamzor pad jaaye to oose khatam karne mein aasani ho is sheher mein ek hi Banda hai jo uske khilaf awaz utha raha hai par chori chupe"

"Kaun hai woh?"....Alina ne kursi pe baithe baithe Rajesh se pucha

"Bishal safdar old dhaka ka naamcheen Bhai aur local MLA opposition party ka kafi kamyab neta hai aur kayi hadtak Chowdhury ke khilaf hamesha kamyab hota hai aksar dono party ke aadmiyo ki khoon kharabe jaisi naubat aa jati hai lekin mamla control mein rehta hai bishal ko maarna Chowdhury ke bas ki nahi kyunki suna hai ki uski bhi pahuch upartak hai oose kuch hua to Chowdhury shaq ke ghere mein aa jayega maine yaha aane se pehle usse contact Kiya wo chahta hai hum meeting kare"

"Agar usne hamare badle waali baat cash ki aur Chowdhury ko bata diya ya humhe hi blackmail kar hamare khilaf police ko kuch bataa diya toh fhir"

"Aisa nahi hoga wo kattar dushman hai Chowdhury ka aur wo to dua karta hai ki kab Chowdhury mare? Aur wo is sheher par kaabiz ho ek naye crime lord ke taur par, wo humhe aadmi dega aur badle mein hum oose financial support agar hamari dosti kaayam rahi toh Chowdhury ka tabah hona nishchint aur uske khaas aadmiyo ka bhi"

"Theek hai milungi usse"

Itne mein Islam sahab ka khaas wo langda aadmi Alina ke paas aaya aur usne wo huliya jo usne byaan karke sketch banwaya tha Alina ko saunpa uspar nazar padte hi uski aankhe fhat padi, kyunki wo us chehre ko pehle bhi dekh chuki thi

To be continued  
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 25 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #2 on: October 29, 2024, 04:50:40 AM »
Rajesh ne bhi us sketch bane tasveer ka muana kiya lekin wo usse aprichit tha, Alina tehelte huye pehlu badal rahi thi jabki waha unke aadmi bhi khade oose hi sawalat bhari nazro se ghur rahe they,

"Main ise janti hoo"

"Kaise?".....Rajesh ne pucha

"Iska naam Aasif Sheikh hai aur ye koi aur nahi Amsterdam ke ek zamane ke jaane maane gangster casinar aur Sam ke mama ka ye kafi khaas banda tha unka sharp shooter casinar ke daaya haath Salim Inayat ka engage kiya wo killer jise hukam tha ki sheher ke jaane maane rasukh mr.edwards ki beti ko tab maar dena jab wo uski inkar ko bardasht na kar paaye, Salim Inayat bhi mr.edwards ke under mein unka khaas bana raha taaki waqt aane par wo Edwards ke peeth pe chura bhok sake aur gangster casinar ke raste ka sabse bada rival hat sake, lekin waqt aane se pehle hi uska bhanda phod ho gaya par Edwards kanoon ke geraft mein aa gaya, bachi uski beti ahana jisko maarne ki supari aashif ki thi wohi uska khair khawa ban baitha aur uski hifazat mein apne hi leader aur boss se lad baitha, usne casinar ko maarkar ahana ko kanoon ke shikanje se bachate huye us sheher ko chodh wo dono faraar hone mein kamyab ho gaye, casinar gang toh bikhar Gaya lekin apne dil mein badle ki aag liya uska bhanja Sam yaani ki Abba ka front oose har mumkin koshish mein tha dhundhne ki"

"Toh iska matlab Sam janta tha wo kaun hai? Toh fhir usne ye baat pehle hi tumhare Abba ko kyu nahi batayi? Kyu oose nahi pehchana?"

"Kyunki Sam ne kabhi oose theek dhang se dekha nahi tha casinar ki maut ke baad oose khud apni jaan ki parwah thi wo Amsterdam se cooch kar gaya aur fhir Italian mafia ke sharan mein aa gaya wohi ek party mein uski mulaqat mujhse huyi thi tab abba ko wo khub bhaaya aur unhone ooske aadhe Irani aur aadhe bangladeshi mul ke hone se oose apne giroh mein shamil hone ki salaah di isi dauran usne kafi padtal ki thi ahana aur us aashif ke faraar hone ke baare mein, suna tha oosi shaam jis din Mr Edwards arrest huye aur casinar aur uska daaya hath Salim Inayat maara gaya oosi hi din wo dono koi chartered plane pakde Budapest Germany ki taraf bhaage they"

"Ye kaise ho sakta hai? Woh ladka toh indian refugee tha Sam Bhai ne khud humhe ye baat jaankar batayi thi Chowdhury ke yaha wo adam ke naam se kaam kar raha tha uski asliyat se waqif siway Chowdhury ke koi nahi tha, jabki Haqeeqat mein sab chehro ka khel tha pehle Shah Alam ka damad Arif jiski biwi ko Sam ne Asif ko ye kehke sauda kiya ki wohi uske shouhar ka katil tha jabki usne khud Arif ko bhul se maar diya tha aur fhir wo adam jo kisi zamane mein dusre state ke Malik sahab ka hone wala damad banne jaa raha tha Malik sahab aur uske parivar ke geraftari ke baad wo yaha gumnam zindagi jee raha tha jab uski mulaqat Asif se huyi aur wo dono ekdusre ke maa jaaye Bhai ki tarah gehre dost ban gaye, oosi ki maut ke baad identity liye Asif uske Naam se jeeta raha toh fhir ye kaise ho sakta hai ki wo Amsterdam ke mahsoor gangster casinar ka khaas tha?"......us langre aadmi ne Alina ko itna sabkuch byan kiya

"Main nahi janti lekin ho sakta hai wo hindustan se hi ho khair agar ye wohi hai aur uske chehre ke do shaks pehle hi hamari  jankari mein hai toh yakeenan ye wohi hoga jo abhitak Zinda hai ye fhir apni identity badalkar yaha reh Raha ho"

"Meri kuch samajh nahi aa raha aur na main samjhna chahta hu jisne Sam ke mama ko maara wo hindustan ka refugee tha jo yahi ki ek bhasindi ko waha se ba hifazat bachakar yaha le aaya aisa kaise ho sakta hai jabki oose to Budapest mein hona chahiye wo bhi apni us ahana ke paas aisa kaise ho sakta hai? Ek hi chehre ke 4 shaks is dunia mein mauzud ho"

"Abba hamesha kehte they ek chehre ke 7 roop hote hai kya malum ki ye baat sach ho?"

"Tab toh ye azooba hai? Par mera mann maanne ko raazi nahi ho sakta hai wo Shah Alam ka damad jaisa dikhta ho wo us Malik sahab ke hone wale damad adam ke jaisa bhi dikhta ho par ye zaruri nahi ki jise tum janti ho wo bhi isi tarah ka dikhta ho aur in sab chehro se hum waqif bhi hai itne ittefaq ek sath kaise ho sakte hai? Ho sakta hai wo ladki ahana hi ho aur ye ladka Aasif jise tum janti ho bhavnao mein aakar kisi ladki ko yaha bachakar le aaya ho aur inhone kaha bhi toh ki wo dusri aurat motorboat par ye dekh nahi paaye ho sakta hai wo koi aur nahi ahana hi thi aur Islam sahab ne jisko Aasif ki mashuka samjha wo shayad yahi ki koi aam ladki jo ho sakta hai Aasif ke dil mein ahana ke baad apni jagah bana gayi ho"

"He is not a pervert"

"Mard zaat ka kya bharosa?"....Rajesh ne baddhi si hassi haste kandhe uchkaaye

"Toh fhir hum us ladki ki talash kar sakte hai jo yahi ki hai jise Islam sahab ne Aasif ki mashuka samjha"

"Dhundha tha ho sakta hai us ladke ne oose bhi apne sath lekar kahi gumnam kar diya ho".....langde aadmi ne is baar jawab diya

"Mera fhir bhi wohi sawaal hai ki tum jab Aasif ko pehchanti ho to Sam kyu nahi? Usne oosi waqt fauran Aasif ko kyu nahi pehchana? Kyu? Wo uski history background dhundhne mein lag gaya jabki wohi uske mama ka katil tha"

"Kyunki Sam ne sirf uska zikar suna tha aur oos raat party ke dauran hi usne mujhe jab bataya ki usne us chartered plane ki drop location dhundh nikali toh maine oose hausla diya ki main uske liye un dono ko dhundhungi ki wo Budapest mein kahan chupe hai? Uske baad wo mere Abba ke sath Bangladesh chala aaya aur maine Budapest ke ek secret private detective ko Sam ke bataye mutabik us chartered plane ke details aur un dono passenger ki babat bataya jise us agent ne pehle private port par Budapest ke us pilot se malumat kiya jo unhe Amsterdam se Budapest leke aaya tha aur fhir oosi ke byaan aur huliye ke mutabik wo un dono ki Sungh mein lag gaya aakhir mein nateeja jo saamne Aya woh ye tasveer thi jabtak Sam ko main kuch bata paati usse pehle hi itna sabkuch yaha ghat gaya aur Sam mere Abba ke saath maara gaya lekin ab main likhke de sakti hu wo mere Abba ko maarne ke baad wohi hoga apni ahana ke sath"

"Then what we just waiting for Alina? Main aaj hi ek contract killer hire karta hu jo jaake un dono ko khatam kar dega kam se kam hamara pehla badla pura hoga aur fhir uske baad hum Chowdhury ka sochenge"

Alina ne sehmati mein sar hilaya, Rajesh phone par lag gaya par zahir Islam ka wo khaas aadmi langdata hua yahi soch raha tha ki waqayi jise wo log samajh rahe they kya wo waqayi wohi shaks tha jisne uske boss aur uske tamaam aadmiyo ko maar giraya tha,

                           ---------

Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 25 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #3 on: October 29, 2024, 04:54:40 AM »
Somewhere in Budapest Hungary

7 saal ho chuke they us ghatna ko lekin ab wo dono jaise apna beeta kal piche chodh aaye they haalaki aashif ka sath oose zarur Mila lekin afsos tha ki wo apne baap se bichadh gayi thi, mr.edwards jo kabhi Amsterdam ke jaane maane uche rasukh hoya karte they apne crime lord chabi se jisne pure sheher ko dehla rakha tha aaj wohi insaan salaakho ke piche umarkaid ya toh faansi chadh chuka tha, us baat se ahana ki aankhe nam ho jaati thi, aashif ne oose sar jhukaaye mayus baitha dekha toh usne oose piche se apne seene se laga liya, ahana aur usse kasskar lipat gayi mahoul ko badalne ke liye aashif khushi Mann se oose rijhaane laga

"Arre meri princess ko kya ho gaya? Kya sochenge tumhare gharwale ki main tumhe khush nahi rakh paaya"

"Pls Aasif aisa mat kaho"

"Toh fhir itna gam kaisa? Shadi ke itne saal ho gaye ab bhi kis gam mein ho mujhe dekho Mera toh koi apna bhi nahi maa baap kaun they malum nahi, haan sang hokar bhi akele hai na jaane jabtak?"

"Aisa mat kaho Aasif tum ho toh mera sabkuch hai kisi apne ko khone ka dukh nahi itna lagta jaante ho kitna Darr rahi thi? Jab Salim ne mere maathe par banduk taani thi aur uska boss casinar piche khada hokar humhe dekh raha tha jeene ki jaise aas!"

"Ssshhh bhul jao us waqt ko un dono ko unke kiye ki saja mil chuki janti ho mujhe khooni banane ka kahi na kahi haath us casinar ka tha bachpan se tha uske paas usne mere dil ko insaniyat se jaise kahin dur faikh diya tha gunaah to main bhi kar raha tha tumhe maarkar agar tumhare kareeb mein na aata toh shayad ye zazbat kabhi nahi badalte na kabhi main badalta".....Aasif ne uske honth par ungli rakhkar kaha

Ahana ne muskuraya usne Aasif ka hath apne haatho mein liya wo dono tabse cafe mein baithe they dono uthkar apni coffee khatam kiye Sardi ke us suhaane dopahar mein sheher ki sadak kinaare baanh mein baanh daale chalne lage,

"Ek baat kehna chahti thi tumse maine kal apna test kiya tha"

"Kaisa? Kya hua tum theek to ho?"

Aasif uske maathe ko chute huye fikarmand lehze se pucha jispar ahana muskurai waisi muskurahat jaise usse pehli baar usne milkar di thi, usne kuch kaha nahi bas apne pait ko sehlaya Aasif jaise chauk utha aur wo khilkhilaake maarein khushi se ahana ko wohi kamar se apni goad mein utha liya sadak pe log unhe dekhne lage ahana lajjit hone lagi usne Aasif ko oose utaarne kaha

Aasif oose utaarkar uske jaise gale se lag gaya, khush hota bhi kyu na?, Ahana uske bacche ki maa jo banne wali thi wo pait se thi....ahana ke baap Edwards ki geraftari aur casinar aur Salim Inayat ko maar Dene ke baad ahana ne jo mauke pe faraar hone ke liye chartered flight ka intejam kiya tha oosi flight se oosi shaam wo dono Amsterdam se faraar hone mein kamyab huye ahana janti thi ki wo dono zyada dair kanoon aur casinar gang se zyada din chupe nahi reh payenge isliye unka bhaag Jana zaruri tha ab khatra unpar se utare kayi saal beet chuka tha wo ghatna unka ateet kisi aaye gayi jaisi bat ho chuki thi, wo khush they aapas mein ek naye sirhe se Budapest Hungary mein apni zindagi guzaar rahe they , ahana ko waha phoolo ke dukaan sambhalne ki naukri mili thi wohi Aasif straight life jeene ka aadi ho chuka tha wo ek bangladeshi parivar ke ek butcher shop mein meat packing ki naukri waha karta tha koi janta bhi nahi tha ki uska background kya tha kabhi wo casinar ka sabse wafadar aur khatarnak assassin kehlata tha aur Aaj unhi haatho se wo meat ko kaatkar unhe pack karta tha wo apni Saadi zindagi se khush tha, ahana aur usne bahut mushakkat aur bare chaturaai se Hungary mein nagrikta haasil kar li thi, aur waha ke logo se aise ghul mil gaye they ki koi soch bhi nahi sakta tha unki asliyat ko, jis ahana ko uske Walid ne hamesha aisho aaram aur sukoon bhare zindagi mein paala aaj wo ek middle class ladki ki zindagi guzar rahi thi jaha oose har kaam khud karne padte they chaar paise bachane padte they aur apne shouhar ke baare mein oose sochna padhta tha, apne Walid ko dekhne ki chahat uske Mann mein khaundhti rehti thi,

Lekin wo janti thi ki uske Walid tak wo pahuch nahi sakti thi in 7 saalo mein bichadhne ka gam oose bhi tha us raat agar usne Edwards ki napak mansubo ko jaana nahi hota to shayad aaj wo bhi apne baap ke kiye uske dushman ke hatho jaa chuki hoti, unhone toh oose jhoot hi behlaya tha wo toh Aasif ko maar dena chahte they lekin kismat ko kuch aur manjur hua aur unke contract killer ki goli ka shikar hokar bhi Aasif waqt rehte us bridge par pahuch gaya aur ahana ko casinar aur Salim se bachane mein kamyab raha, warna ahana ne to umeed chodh di thi wo toh Maan baithi thi ki uska pyar uske Walid ke qatl kiye maara jaa chuka tha, un 7 saalo mein akhbar se hi oose Amsterdam ki khabar mili thi jaha uske Walid ko umarqaid ki saja huyi thi, aur ahana ne unse raabta na kar unhe jaise zindagi bhar ka ek saja diya tha apne aur apne pyar ko judaa karwa Dene ki saja,

Wo beete kal se laut aayi us waqt wo phoolo ke dukaan mein khadi phoolo par paani chidhak rahi thi itne mein uska phone Baja Aasif bahut khush tha wo nahi chahta tha ki aise haalat mein wo kaam kare lekin Mann Ko behlane aur 4 paise ke liye ahana kaam nahi chodh sakti thi, "acha thek hai main tumhe pick karne aa raha hu okay"

"Acha"...ahana ne phone rakhka tabhi ek shaks ne oose bare gaur se dekha wo uske kareeb aaya aur gulab ke paise dene laga ahana ki nazar uske kharide gulab par thi usne muskuarakar uski taraf ek kharidar ke taur par dekha,

Gulab liye wo jab bahar nikla usne kisi ko phone kiya, phone par awaz sunte hi usne bataya "akeli hai ahana naam hai haan apne pati se baat kar rahi thi wo yahi aane wala hai sahi mauka hai aaj hi ke aaj badhiya"

                -------------

Aasif butcher shop se kaam se farig hokar bahar nikla usne ek taxi thaami aur ahana ke shop ki taraf rawana ho gaya, udhar ahana phoolon ke dukaan se purse taangi bahar nikli sadak kinare Aasif ka intejar karne lagi wo is baat se bekhabar thi ki wo do aadmiyo ke nazaro par thi jo ahen ulte taraf sadak ke us paar oose Durbin se dekh rahe they, achanak uske saamne ek taxi ruki aur Aasif bahar nikla ahana uske paas jaakar uske gale lag gayi aur dono baat karne lage, taxi aage badh gayi aur wo dono paidal hi aage badhne lage, wo log bhi saaye ki tarah unke piche ho liye do aadmi aur ahana aur Aasif se kuch faasle chal rahe they wo hathyarband they pehle to unka irada black point un dono ko shoot kar dene ka tha lekin aise bheedh bhaadh bhare raste mein unko maarna khatre se khali nahi tha,

Wo dono bekhabar un sabse daayi taraf mudh gaye wo rasta sunsaan tha shaam ka suraj dheere dheere dhal raha tha, sadak ke us paar ke do aadmi ab ikatta hokar sath sath unke kayi haath dur piche aane lage they,

Tabhi jaise Aasif ko kuch ahesas hua usne piche mudkar dekha wo charo waise hi teher gaye, Aasif unke taraf jaane laga ahana oose rokne lagi, wo paas aakar angrezi mein unse puchne laga ki wo log unke piche piche kyu aa rahe they? Unhone koi jawab nahi Diya ahana Aasif ka baazu thaame oose kheechne lagi Aasif kisi anisht ki aashanka se ahana ka baazu thaame fhir jaise hi wapis jaane laga achanak ahana chillayi, kyunki teesre aadmi ne ek churi nikaalkar sidha uske gardan par vaar karna chaha tha,

Aasif ahana ko khud se dur karta uske churi pakde kalayi ko apni taraf aane se thaamta dusre aadmi pe laat de maara ab wo log apne apne hathyaro ko nikaalne lage they, Aasif atank se chillayaa "ahana run" isse pehle wo aur kuch keh pata uspe kayi laato ke hamle ek sath huye Aasif zameen pe peeth ke bal gir pada, ahana bhauklayi ek pal ko tehri fhir bhaagne ko huyi uske piche ek aadmi bhaagne ko hua toh Aasif ne uske pao ko thaamte huye oose ghasitkar sidha farsh par aaundhe munh gira diya, Aasif puri taqat jutaaye uthne ko hua tabhi ek goli sansanaati uske peeth se guzari wo ghass khaake zameen pe gir pada, us aadmi ke banduk se dhua nikal raha tha ek ne aakar furati se oose pairo par khada kiya jabki us aadmi ne apne gun ki naal se uske pait aur chehre pe bheeshan vaar kiya, ahana ye sab dekhkar ulte pao teher gayi wo chillayi Aasif us haalat mein bhi baar baar ahana ko bhaagne keh raha tha tabhi chauthe aadmi ne gun ki naal ahana ke pait ki taraf Rukh ki aur trigger kheech diya, Aasif dahadh utha

"Noooo"

"Ughhhh aahhh".....ahana ke pait se khoon behne laga goli uske pait ko cheerti andar tak dhass gayi thi suraakh ki gehraiyo se bas khoon hi nikale jaa raha tha

Ahana dum saade aansuyo se ukadhti aahon ko bharti maare dard se Aasif ko dekhte hi dekhte wohi zameen pe gir padi, aashif ye manzar na dekh saka aur usne Puri taqat se kheechkar apne saamne khade goli ki naal se maarne Wale aadmi ko laat de maara oose pakda aadmi hadbadaya Aasif ne uske changul se khud ko chudhaate huye sidha kohni ka waar uske chehre pe kiya aur fhir uski baah madodkar Tod di, teesra aadmi uspar goli jaise daaga toh Aasif saamne se hat gaya goli oosi ke baazu pakde aadmi ko jaa lagi Aasif ne furati se jhukte huye sar uske pait par de maara aur oose thaamta hua sidha piche imarat ki diwaar se de takraya ek goli ooske baaye jaangh par piche se huyi Aasif dum saad gaya lekin tehra nahi usne us aadmi ke gardan par oosi ki banduk ko cheenkar trigger daba diya dhachh ki awaz ke sath wo aadmi wohi diwaar se fisalta dhair ho gaya, jis teesre aadmi ne oospe goli chalai thi usne furati se oose dobara goli chalane ka mauka nahi diya aur us aadmi se cheeni banduk ka ghoda piche mudte hi us teesre aadmi pe kar diya wo goli uske maathe pe surakh banati nikal gayi oosi ne ahana ko shoot kiya tha, jo aakhri aadmi bacha tha wo hadbadaya usne fhir goli Aasif pe chalani chahi lekin Asif ne goli uske kalai pe de chalai, banduk uske haath se gira aur wo goli lage khoon se lathpath haath ko liye bhaaga Aasif ahana ke padi shareer ke paas aaya aur oose uthaane laga wo oose jhinjhodhne laga lekin ahana ki shareer mein koi harqat nahi huyi usne jor se ahana ko jhinjoda uske surakh bane pait par haath rakhka uska haath khoon se tar ho gaya wo rone laga

"Ahana ahanaa jawaab do".....wo rone rone pe ho gaya

tabhi ek aakhri saans kheechti ahana ko jaise hosh aaya Aasif ko umeed dikhne lagi wo aur ahana ko jagaane ki koshish mein oose puchkarne laga, "kuch nahi hua tumhe main leke chalta hu hospital sab theek ho jayega okay hamare bacche ko bhi kuch nahi ho ga ahana sun rahi ho na Ahana ahanaa"

Wo kehta reh gaya oose ahesas na hua ki ahana ka daaya khoon se Sana haath kabka zameen pe gir chuka tha wo waisi hi tehri aankho se aansu bahaye oose hi dekhti chal basi, wo haalat jhinjhodh dene wala tha tamaam ahana ki baate Aasif ke kaano mein gunz rahi thi, jab usne oose paise dekar Amsterdam se dur chale Jane kaha tha, jab usne Aasif ko lautkar Zinda paaya tha, Aasif rone laga uske baahon mein thi ahana ki bejaan laash oosi ki taraf tehri nigaah Aasif ne haath badhakar uske aankho ko band kar diya aur theek tabhi usne bhaagte dur jaate us aakhri aadmi ki taraf dekha Jin logo ne usse uski khushi cheeni thi, Aasif laash ko wohi aaram se rakhkar sard nazaro se uske piche dauda wo ek galiyare mein jaane laga Aasif uske piche tha usne palbhar mein oose daboch liya gunde ne furati se uske ribs aur zakhmi jagaho par hamla kiya aur oose giraata ek imarat mein jaa dakhil hua, Aasif baagh ki tarah Sidi ke daahne pe oose daboch chuka tha usne oose kabhi is diwaar pe toh kabhi dusre diwaar pe patka, us aadmi ne chura nikaalte huye aashif pe maarna chaha lekin Aasif pe maano khoon savaar tha wo wohi berehem casinar ka khooni tha jise saalo pehle wo bhula chuka tha,

Ek ghutno ka vaar usne ooske taangon ke beech kiya aur furati se oosi ke cheene chure ko uske Baaye kandhe ke Maas mein jaa ghusaya, khachhh ki awaz huyi aur wo dard se bilbilata Aasif ki geraft mein tadapne laga, Aasif ne uske pait peeth chehre aur munh par apne ghusso ka jaise nishana banaya, kuch hi pal mein khoon se lahuluhaan wo aadmi Aasif ki geraft mein tadapta bin paani machli jaisa ho gaya tha,

"Kisne bheja tha tujhe? Bol"......Aasif ne wohi chura uske ghutno mein kandhe ke Maas se kheechkar nikaala aur de bhoka

Wo dard se rone laga, "bol haramzaade kiske kehne pe tum logo ne humhe Jaan se maarne ki koshish ki"

"B..batata hu wohh!"

Tabhi uska phone baj pada, Aasif ne furati se uske jeb se phone nikaala uspe ek international number flash ho raha tha, usne oose apni dard bhari awaz pe kabu rakhkar oosse speaker pe baat karne kaha Aasif dono haatho se oose uski gardan thaame huye tha, aadmi ne phone fauran uthaya udhar se wo awaz Aasif ke liye anjaan thi wo oose pehchan nahi paaya us taraf call par Rajesh sarhadi tha Alina ka khaas aadmi,

"Hello"...kaanpte awaz mein sakshat maut ko samne khada dekhkar us aadmi ne apni awaz par bharshak kaabu karte kaha

"Haan kya khabar hai? Maar diye unhe"

"H .Han"

"Theek hai gud un dono ki tasveer bhejne ka aur baaki paisa tumhare account mein transfer ho jayega"

Aasif ne fauran oosse phone cheenkar us number ko yaad kar liya fhir oose faikta hua us aadmi ko ghurrne laga "kaun hai ye?"

"Rajesh naam hai Bangladesh se contact Kiya kisi Alina khan Islam ke liye kaam karta hai tumhara supari diya tum dono Miya biwi ka"

"Meri usse kya dushmani? Tu janta hai jispar tune goli chalai wo pait se thi"

Us aadmi ne koi jawab nahi Diya...."do khoon kiye tune jiski koi bakshaish nahi koi rihaai nahi"

Wo darr se kaanpne laga, aasif ne puri taqat se uske gardan ko madodke Tod diya aur sidha oose khuli khidki se bahar faikh diya wo kayi manzil niche jaakar aaundhe munh gira wo marr chuka tha, asif langdata zakhmi halat mein bahar nikla uske paas un aadmiyo ki gaadi ki chabi thi waqt rehte oose waha se nikal jana tha...
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 25 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #4 on: October 29, 2024, 04:55:33 AM »
Aasif maarne se pehle us aadmi se uski gadi ka malumat kar chuka tha, waha goli chali thi police kabhi bhi aa sakti thi aur wo fhir un logo se chup nahi pata usne wo kaali gaadi un aadmiyo ki dhundh nikaali jo kareeb hi park thi usne wo gaadi sidha galiyare ke paas laa khadi ki jaha tamaam laashe padi thi, Aasif langdata zakhmi halat mein waha pahucha usne nam nigaho se ahana ki laash ko dekha wo maa banne wali thi uske bacche ki, kaise ek pal mein saari khushiya cheen chuki thi? Usne socha tha ki casinar ki maut aur uske Abba ki geraftari ke baad wo dono mehfuz they lekin ye sab sirf khyal hi tha kaun janta tha wo ek baar fhir besahara hone wala tha?

Ahana ki laash isse pehle police ki aziyat mein hoti to wo oose dur le jana chahta tha, ganimat thi ki goli ki awaz se waha koi pahucha nahi tha oose gaadi mein bithate huye wo mor kaantkar gaadi mein baitha aur fhir teji se gaadi waha se galiyare se bahar nikaalte huye main road ki taraf mor di, bagal mein laiti ahana aankhe munde aisi lag rahi thi ki wo abhi jag jayegi kaash uski saasein ab bhi baaki ho kaash koi Karishma ho jaaye jis tarah us raat uske sath hua tha Edward ke aadmi ki goli ke bawjud wo Bach utha tha, lekin kismat mein kahan aisa sabke likha hota hai? Shayad yahi ahana ki muqarrar miyaad tayy thi,

Reh rehkar Aasif rota hua aansu ponchta uske pait se behte khoon ki taraf dekh raha tha us bacche ne kya bigada tha? Uske baap ki kiye ki saza oose kyu mili?, Achanak uske zehan mein Rajesh ki awaz gunzi kaun tha wo kameena? Kyu wo uske aur ahana ke khun ka pyasa tha?, Uske nazaro mein fhir sam ka khyaal aaya casinar ne hamesha apne bhaanje ki tareef ki thi sujog se wo kabhi usse Mila nahi tha par suna tha ki wo apne mama ki tarah hi ek peshewar muzrim tha, kya kahi casinar ki maut ka badla Sam toh nahi le Raha? Lekin wo oose itna dur dhundh kaise paaya? Par casinar ki maut ke baad gang bikhar Gaya tha kayi toh gerafthar ho gaye they ya faraar usne pata kiya tha, Sam ne to ooski kabhi surat nahi dekhi thi ho sakta hai ye Rajesh koi uska aadmi ho, Bangladesh Alina khan ka aadmi Rajesh sarhadi kya connection ho sakta tha unka usse? Jo bhi tha ab kisi bhi tarah ooss ahana ki maut ka badla lena tha unhe dhundhna tha janna tha ki aakhir unki usse kya dushmani thi? Wo log contract killer they zaahir tha wo Bangladesh se hi unse sampark banaye huye they nazare gadi thi un dono par pehle se hi unki tabhi mauka paakar unhone maut ke ghaat dono ko aaj utarne ki nakamyab koshish ki,

Achanak uspe behoshi taari hone lagi wo bhul gaya tha ki oose goli lagi thi shayad zeher jism mein fail raha tha nahi wo itne aasani se nahi marr sakta oose kisi bhi tarah untak pahucha tha, tabhi wo is qadar kamzor padne laga ki gaadi kabhi daaye to kabhi baaye mudne lagi steering se uska control hatne laga aur theek tabhi daayi taraf se horn bajati ek truck rakshas ki tarah uske gaadi se aa takraayi

Aasif ne apne chehre pe haath rakh liya aur tabhi truck gaadi ko ek zor daar takkar dete huye oose raundta hua aage badh gaya truckwale ne us beqabu gadi ko kaafi horn bajakar agaah kiya tha par uska niyantaran apne raftar se hat gaya aur truck beqabu speed mein us gaadi se jaa takrayi gaadi truck se raundta hua sidha us bridge ki thamba ko todta niche ke sukhe pade neher mein jaa gira bheedh ikhatti hone lagi aur dekhte hi dekhte gaadi ek zor ke dhamake ke sath ud gai, bridge par logo ki achi khaasi bheedh lag gayi, kahi dumkal ki gadi to police ki siren bajte huye mauka e vardat par pahuchi,

                            ----------

Dhaka bangladesh

"Alina gud news wo ladka finish hamare hired contact killers ne un dono ko maut ke ghaat utar diya meri abhi thode der pehle un logo se baat huyi"

"Dono ko?"

"Haan oose aur uski mashuka ko"

"Ye tumne kya Kiya Rajesh? Tumhe sirf Asif ko maarna tha Naa ki uski wife ko usse humhe koi matlab nahi tha fizul mein ek begunah ki jaan!"

"Alina ye kaisi baat kar rahi ho? Tumhe uski mashuka ke liye itni parwah kyu ho rahi hai? Aakhir mein wo bhi dushman hi ke giroh se thi"

"Mera badla sirf apne Abba ke qatil se tha kisi lachar begunaah se nahi no matter wo uska kitna bhi saga kyu na ho?"

"Alina agar aise daya bhavna ka ravayya rakhogi toh hum kabhi bhi Chowdhury se badla nahi le payenge kya ho gaya hai tumhe? Khud ko badlo we are here to rule"

"Maine tumse pehle bhi kaha hai Rajesh aur mujhse ucchi awaz mein baat mat karna tum mere caretaker ho mere sage nahi jo mujhe ache bure ki samajh sikhaaye main fhir keh rahi hu main yaha sirf apne Abba ke qatilo ka pardafash karne aur unhe maut dene aayi hu na ki begunaho ko na ki us smuggling empire ko khada karne jiska wajud mere Abba ke maut ke sath dhair ho gaya"

Rajesh jaise sar jhukaaye apman ki aag mein jalta Raha fhir usne Manfi maangi,

"Mujhe maanf kijiyega ki maine anjaane mein kuch galat kaha ho wohi hoga jaisa tum chaho mujhe ijajat do bishal safdar se aaj tumhari sham ko mulaqat bhi hai"

Alina ne kuch nahi kaha bishal waha se bhari Mann se chala gaya piche chodhe Alina ko jise shayad Rajesh ko itna kuch kehne se bura laga tha lekin dil ke kone mein us begunah ki maut se oose na jane kyu bura lag raha tha?, Langda aadmi ab bhi sawalat mein tha ki kya waqayi uske bos ke haatho se bacha wo Asif waqayi Alina ke hired contract killer ke haatho Budapest mein mara gaya tha ye baat na hazm hone wali thi, jo islam sahab aur uske pure samrajya ko nes nabut kar sakta tha Shah Alam jaise mayor ko tabah karne mein kamyab ho sakta tha wo Chand gundo ke haatho itne aasani se maara gaya ye baat samjhne wali thi nahi, ab toh aage hi pata chal sakta tha ki kya sach tha kya jhoot?, Ya waqayi ek chehre ke 4 shaks wajud mein they naam bhi toh milta julta tha, apne mein khoya pareshan haal Alina ko chodh wo langdata bahar aaya to oose Rajesh cigarette fhukta gusse mein tilmilata dikha,

"Bloody bitch mujhse aise baat karti hai meri wajah se aaj oose apne baap ka mara munh dekhna naseeb hua Islam sahb ki waris kahi se bhi nahi ho sakti na jaane kis paak aurat ki beej hai jo sacchai se chalna chahti hai ek bar Chowdhury maara jaaye toh Mera rasta saaf uske baad Islam empire wajud mein hoga lekin ye kutiya nahi"

Langda aadmi ne chaha ki wo Rajesh ki asliyat jaake Alina ko bata de lekin wo janta tha Chowdhury ko maarna aa bail mujhe maar jaisi thi, usne itne kabil aur taqatwar zahir Islam ko Asif ke sath milkar tabah karne mein waqt nahi lagaya toh in badle ki bhavna mein uthte bulbulo jaisi aukwad rakhte dushmano ki kya bisaat? Chowdhury ko bas janne ki dairi hoti ki usi waqt Rajesh aur Alina ki laash paani mein tairti milti, wo nahi jaante they ki wo kis sanp ke maand mein pao rakhne jaa rahe they,

                        -------------

Old dhaka ka wo kafi badnam ilaaka tha jaha tamam sheher ke chintai lootere mawali gangsters jaise log raha karte they oosi juggi ke paas purane zamane ka khandar jaise kayi imarate thi jismein sabse badi imarat aur khubsurat aur saji huyi waha ke local MLA bishal safdar ki thi, bishal safdar ek zamane mein chota mota smuggling karne wala gunda tha jo ek neta ke liye kaam karne laga Aziz bana fhir unnati karta gaya uski chavi tamaam police mehekme walo se chupi nahi thi kayi dafa jail gaya thaane ka chakkar lagana unka shagal tha lekin hamesha bari hokar ya lack of evidence mein nikal jata tha jo log uske khilaf gawahi dete they wo muqar jaate they kyunki unhe Darr tha ki bishal unpar qeher bankar tutega, jab se neta bana tha kisi ki zurrat nahi thi oose haath lagane ki uska jurm aur badh gaya tha illegal smuggling ki dealing chori chupe port area se karwana, asla barood wagaira jaise ak-47 rifle air gun hand grenade wagaira distribute karwana cocaine charas ka local colleges aur pure desh ke aas paas ilaako mein failana kharid bikri uska kaam tha jisse uske dhande mein chaar Chand lag gayi thi uska bara neta Mohammad khairuddin jabse mara tha tabse wo uski gair kanooni dhandhe ka raja ban baitha tha, ab wo aur uthna chahta tha Chowdhury jaisi aukwad banana chahta tha kyunki Chowdhury oose shuru se hi pasand nahi karta tha wo hamesha zahir Islam ke sath kayi dafa kaam kar chuka tha lekin jab se wo netagiri se haara aur Chowdhury aur kanoon ki wajah se oose karobaar mein jo tabahi pahuchna shuru hua bishal oosse haath Kass gaya pichle kayi waqt pehle sheher mein kafi khun kharaba hua tha aur gangwar hua tha aur Islam ki steamerboat dhamake mein laash Milne ke baad toh jaise pura sheher dehel gaya tha wo janne ko betaab tha ki wo khaas aadmi kaun tha jisne na sirf Islam ko maara balki uska empire nes nabut karne mein kanoon aur Chowdhury ki madad ki,

Ab Chowdhury ka kabza tha aur wo kisi tarah kisi bhai ko navi gang khadi karne nahi dena chahta tha lekin politics mein ek bishal safdar hi tha jiski party ne Chowdhury ke area ki kayi seat pe jeette huye apne kabze mein liya tha, wo dhaka chupa apna giroh bhi tayyar kar raha tha ki itne mein oose khabar mili marhum islam ki beti ke baare mein jo islam ke dusri pakistani biwi ki aaulad thi Siberia mein apne abba ki di daulat par safedposh karobar chala rahi thi aur ab Chowdhury ko tabaah karne aur apne baap ke katil ko maut ke ghaat utarne Dhaka sheher aayi huyi thi, bishal bharosa kar sakta tha ek to wo Islam ki aaulwad thi dusri financial status mein wo uski bahut madad kar sakti thi kyunki aanewale waqt mein election hone wala tha aur kaun janta tha ki fhir ek baar sheher mein khoon kharaba ho? Wo Mann hi mann Chowdhury ki maut ki kaamna kar raha tha kyunki islam toh pehle maara ja chuka tha ab agar Chowdhury marr jata toh pure sheher par uski Navi gang khadi hoti aur wo sirf apne sheher ka bhai nahi pure state ka naami crime lord hota, lekin ye sab khyal karna itna asan nahi tha kyunki Chowdhury dhake chupe apne kaale dhandhe ko chala raha tha police pehle hi usse fix thi aur ab ek aafat aur thi jiska naam tha x gang koi nahi janta tha wo log kaun hai? Lekin ye sabhi kaale dhandhe karne waalo ko pata tha ki wo Chowdhury ke angel guard they jab bhi Chowdhury pe koi aafat hoti ya koi Navi gang khadi hoti wo log apna sar uthaane lagte qatl e aam machta yahi kaha jata ki Chowdhury ke aadmi hai lekin wo log bahut khatarnak they kisi ko pata nahi tha unka leader kaun tha? Kahan paaya jata tha? Ya sargana khud Chowdhury hi tha!

Bishal ko khyalo se uske aadmi ne jagaya wo bahar nikla aangan mein gaadi se kaale coat suit boot mein kuch aadmi bahar aaye aur theek dusri gaadi se Bala ki khubsurat Alina khan Islam aur uska shagird Rajesh sarhadi

"Jehnaseeb jehnaseeb waahh mashallah aapko dekhkar toh yakeen hi nahi hota ki Islam sahab ka koi itna khubsurat khaas bhi ho sakta hai"

Us baat se Alina bura sa mehsus karne lagi wo janti thi aise kaale dhandhe karne waale bure logo ki fitrat kitni kharab ho sakti hai, bishal safdar chashma utaare aankh bharkar oose sar se pao tak dekhne laga, Rajesh ne aage badhkar haath failaya usse milaane ke liye bishal muskuraya usne Alina ko dekhkar usse haath milaaya, fhir Alina ke aage apna haath failaya jise Alina apne hath mein liya fhir utne hi jaldi chodh diya

"Aaiye mere gareebkhaane mein aap dono ka khush aamdid (swagat) hai"

Wo ek bare se mehel jaise hall mein ek gol table par aamne saamne kursi liye baith chuke they dono paksho ke aadmi aamne samne khade they, mehmaano ke liye waha table par sharbat lazeez khaana pesh kiya gaya kisi ne ek tukda bhi nahi uthaya siway bishal ke jisne chandi bane jaam mein bhara sharbat apne labo pe lagake uske chote chote chuskiya lena shuru kiya, fhir Rajesh ne waha uske aur Alina ke aane ka maqsad byaan kiya siway iske ki wo waha Islam sahab ka kaala karobar khada karna chahta tha jiske Alina nagwar thi,

"Hum to jante hai Islam sahab ka kuch nahi bacha tamam unki daulat sampatti unka karobar unka ghar sabkuch govt ne seize kar diya ab yaha unka koi wajud nahi agar Zinda hote toh afsos ki baat hai kehna par unka moqaam jail mein hota jabki Chowdhury unhi ke barabar dhandha kar raha tha aur wo aaj chief minister hai"

"Islam sahab aur Sam ki maut ke piche Chowdhury ke aadmi ka hi haath tha warna wo kabhi marrte nahi wo ladka unki mauto ka zimmedar tha"

"Tha Matlab?"

"Maar diya gaya Budapest hungary mein chupa baitha tha iski history bahut lambi hai pehle kabhi international gangster casinar ka wafadar tha fhir oosi ke dushman ke sath jaa Mila Sam hamare giroh ka khaas aadmi tha casinar oosi ka mama tha"

"Lekin maine toh suna tha wo indian refugee!"

"Ho sakta hai wo hindustan ka tha hindustan sar chipaane aaya ho lekin daal nahi gali aur waha se yaha ki ek ladki ko leke Bangladesh chala aaya yaha basa basane aur Chowdhury aur Islam sahab ke rivalry ke beech aa gaya"

"Khair agar wo maara jaa chuka to Chowdhury ko malum chal chuka hoga agar malum chal chuka toh fhir wo shaq karega ki oose maarne wala kaun hai?"

"Faraq nahi padta wo to Chowdhury ka aadmi raha nahi, ho sakta hai wo yahi samjhe ki oose kisi international gangster ke lafde mein marwa diya gaya aur wo kya samjhta hai humhe faraq nahi padta hamara ek aehem dushman maara ja chuka usse hum bari hai lekin Chowdhury oose humhe internal damage pahuchana hai"

"Asif ko maarna koi badi baat nahi thi aap logo ke liye kyunki wo ek pyada tha lekin Chowdhury wo to shatranj ka raja jiske sath tamam fauj khadi hai uski upar se c.m hai govt security ka force uske sath hai hum koi galti karenge to strict action liya ja sakta hai upar se ab Chowdhury ke alawa ek gang aur hai jo unka front hai aajtak malum nahi chala ki uska leader kaun hai?"

Bishal kursi se uthta hua sharbat ka jaam Peete huye Tassavur karte huye unhe batane laga Rajesh aur Alina gambhir taur se uski baat sun rahe they,

"Agar hum Chowdhury ke kaale dhandho ko expose kar de toh"

Alina ki baat sunkar Bishal hass pada waha aas paas ke aadmi bhi hassne lage Rajesh Mann hi mann uski bewakufi par chidh raha tha wo zabt baitha hua tha, agar wo uski boss na hoti toh shayad wo oose zuban chalane ka bhi haq nahi deta,

"Aisa nahi ho sakta madam kyunki Chowdhury ki pahuch sarkari mehekmo mein ab to upar tak hai aur wo apna dhandha kaabu mein karta hai illegal arms ki trafficking toh band karwa di gayi wohi bandargah se smuggling hi chal rahi hai jismein bhaari narcotics ka saaman ab pehle jaisa nahi hota pakda agar koi khep jaaye bhi toh Chowdhury bari hota hai coastal guard bhi uski taraf hai"

"Dhandha chahe chota ho ya bada hai toh illegal hi aur agar hum unke dealers ko ye bharosa dila de ki Chowdhury se sauda karna bharose ka kaam nahi aur uske maal ko baar baar pakda de toh"

"Behtar hoga alina!"....Rajesh itni dair se baitha beqabu hokar alina ko bolne hi laga tha ki tabhi bishal ne oose roka

"Not bad, idea bura nahi hai aapka humare aadmiyon ki nazar unpar barabar hai kab kaun se thikane unka maal jata hai lekin narcotics bureau ko wishwas kaise dilayenge"

"Jab unhe bahar se ye tip milegi ki kaun sa maal kaun se steamer par hai aur kahan jaa raha hai?, Jab dealers geraftar honge toh kya Chowdhury ka naam nahi uchalega, paise ki fikar mat kariye mujhse jitna hoga main aapki madad karungi"

Nihal huye bina bishal raha nahi wo muskurakar Alina ka husn dekhne laga, "toh kya main ise hamare beech ki nayi dosti samjhu"

"Apne Abba ke qatilo ko main zinda nahi bakshungi manjur"

Alina ne muskurakar usse haath milaaya is baar bishal ko uska mulayam haath kafi dair tak chuna naseeb hua, Rajesh chahta tha ki bishal safdar se wo kisi tarah Chowdhury par hamla karke oose marwa de par Asif ki tarah contract killing itna aasan nahi tha pakde jane ka khatra tha aur woh aur Alina expose ho sakte they isliye wo mansha usne apne dil mein hi dafna di,

"Badle mein main apne aadmi aur aapko dunga hum to yahi chahte hai ki aap yaha Islam empire ko naye sirhe se shuru kare"

"Mujhe us napak dhandhe ka hissa nahi Banna aur oose uthane ki meri koi mansha nahi mera maqsad sirf badla tak hai uske baad mera yaha koi kaam nahi"

"Khatarnak to aapka badla bhi hai agar Chowdhury ke aadmi ya us x gang ko malum chala ki Navi gang unke khilaf khadi ho rahi hai to aap par jaan ka khatra bhi ho sakta hai"

"Maut ka unhe Darr hota hai jinhe zindagi se pyar ho mujhe nahi lekin main itni dozakhi nahi Banna chahti jo begunah ke khoon se tarr ho jaaye"

Alina apni gaadi mein baith gayi bishal oose bahar tak apne aadmiyo ke sath chodhne Aya tha usne khud hi gadi ka fhatak laga diya Rajesh mor katkar gaadi mein baitha aur gadi waha se yeh ja woh ja,

Bishal ka aadmi uske paas aaya usne oose lajawab halat mein paaya...."kya humhe Inka sath dena chahiye Bhai?"

"Hamare beech contract ho chuka aur Chowdhury empire ko giraana mera mansuba hai mujhe finance ki zarurat hai taaki election se pehle main Chowdhury ke kaale karobar ko dhwast kar du ooski image pe kalik pot du aur fhir mere favour mein janta hogi hahaha fhir hamara khud ka ek naya empire hoga hahaha"

Tahaka lagaye Chowdhury ki barbadi ko bunta bishal sidiya chadhta apne kamre ki taraf chala gaya

                            ------------

Chowdhury ke khilaf bagawat shuru ho chuki thi, jaha wo election mein busy tha wohi dusri taraf uske naye dushman sar uthane lage they pehle ek dafa fhir ek ke baad kayi baar full proof plan ke bhi bawjud uska maal ka khep bandargah to kabhi kisi veeran jagah par pakda jaane laga media mein dhake chupe uske khilaf articles chapne lage jo uski chavi badnam karne ke liye kafi they media walo ko Paisa khila sakta tha munh band rakhne ke liye lekin Chowdhury kitno ka munh band karta ab to police mehekme ke kuch imaandar log aur secret intelligence bhi dheere dheere uske khilaf hone lagi thi, Islam jaisi stithi paida na ho is baat ka oose khauff satane laga agar election se pehle wo bhaari badnaam hota to kursi to jati uspar karyavahi alag hoke rehti,

Usne apne aadmiyo ko is kaam mein laga diya tha ki narcotics aur coastal officers ko uski mukhbiri karne wale kaun gang ke log they focus har janne waale pe uska tha bishal safdar par bhi par wo to aise anjan bana raha ki uska uske maal pakde jaane pe koi hath nahi tha,

Aise hi kuch mahine guzare they jabki ab puri tarah se Chowdhury ke kaale dhandhe mein wo ghaata uthane laga tha bahari dealers ne uske sath dealing karni band kar di thi unhe Darr tha ki kahi wo pakde na jaaye jabki ek dealer narcotics bureau ke haalhi mein hatthe chadh chuka tha, aur ismein Chowdhury ka naam kafi uchala tha opposition party uske khilaf election mein zeher ugal rahi thi, kisi bhi keemat pe Chowdhury ko pata lagana tha ki aakhir uske khilaf sar uthaane wala naye sirhe se kaun Islam ke baad us sheher mein khada hua tha?
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 25 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #5 on: October 29, 2024, 04:56:55 AM »
Shaam ki wo khaas meeting Chowdhury ke aawas mein huyi thi waha tamaam uske jannewale khaas aadmi aur ooske kaala dhandha ke peshe se jude log mauzud they Chowdhury fikarmand tha haal hi mein kitno hi uske maal pakade gaye they? Uska naam badnam ho raha tha uska dhandha sarkar ki nazaro mein khul raha tha bhari fikar ki jo baat thi, uske aadmi oose khabar kiye they ki unke khilaf koi sar utha raha tha aisa koi nahi dikh raha tha, aur kisi ki majaal nahi ho sakti thi sheher ke sab bhai ko wo janta tha koi uske khilaf uth nahi sakta tha bishal safdar uske nazaro mein sirf political party tak uske khilaf bol sakta tha kaale dhandho ki babat uski bhi uske khilaf uthne ki majal nahi ho sakti thi,

"Hamare saath maal ka sauda karna bahari desho ke dealers ko unsafe lag raha hai wo alag alag desho se maal ka sauda karne ko tayyar ho rahe hai jaha unhe discount bhi mil raha hai"

"Filhal to deal hindustan aur baaki aas paas ke padosi mulko ke sath theek hai lekin bhari fikar ki baat isliye hai ki taipan ka ek dealer yaha dhara gaya hai haalaki wo mere khilaf kuch sabit to nahi kar payega lekin uske arrest hone se taipan kabhi humse deal nahi karega koi bhi client humhe Asia mein jaldi nahi milega ki unke client ke liye ye jagah mere cm hone ke bawjud unsafe hai sarkar ke aankho mein hai aise mein ghaata bahut badh jayega"

"Ho kaun sakta hai ye mukhbir? Ek phone mehekme walo se malumat ki gayi har baar mukhbir koi aur hi hota hai bahari desh mein baithkar wo ye sab kar raha hai?"

"Hamara koi bahari desh mein kaun dushman ho sakta hai? Ho na ho yahi ka koi bashinda hamare khilaf international smuggler se hath milaaya hai taaki hamari dheel kamzor pade aur wo humhe bhi execute kar is state pe partnership se kabza kare"

"Kisi ki majal nahi ho sakti Chowdhury sahab anjaam shayad wo Islam ka dekhkar nahi sikhe"

"Hamesha apne naye dushmano ko halke mein Lena nahi chahiye ye internal damage de raha hai mera maal pakadwa raha hai mere aadmiyo par direct waar nahi kar raha agar wo sauda karna chahta hai to hum pehle uski taqat aankenge agar wo waqayi koi dushman hai toh katwa denge oose"

"Hamare aadmi Puri koshish kar rahe hai kisi ka sungh ek baar mil jaye pata to chale aakhir in sabke piche kiski sazish hai to wohi thok denge un saalo ko"

"Pichle kayi waqto pehle jo khoon kharaba hokar hata usse kayi gangwar mein hamara nuqsan hua kayi naami log maare gaye aur usmein sirf apun hi salamat bacha agar main zyada expose ho gaya toh sarkari kursi  se mera election mein haar Jana mehez waqt ki baat hogi aur main hata to opposition party dushman ko tarah sar uthayega jo abhi kehne pe hichkicha rahe hai wohi kal mujhe smuggler khooni crime lord sabit karne mein lag jayenge Dhandha chaupat hua to toh main gaya samjho pichli baar Islam ke plant kiye uske wafadar ne mera kutta bankar mujhe hi kaat khaane ki koshish ki maut tak de dalne mein kasar na chodhi tab jaakar mujhe Islam ke piche hath dhokar padna pada mere khaas aadmi us jung mein maarein gaye aur jo behad khaas tha wo na jaane!"

Kehte kehte Chowdhury teher gaya Asif ka aks uske zehan mein ubhara wo Karishma tha jo is steamerboat hadse mein wo kaise Islam ko maarne mein Bach nikla tha usne Chowdhury pe bahut ahesan kiya tha bahut kaam aaya tha wo kaash wo aaj bhi uske paas hota, tabhi uske khyal mein x gang ghuma

"Un logo se rabta karo mota maal do unhe jo koi bhi sendh laga raha hai un chuho ko bill se nikaalkar unhe thok dene kaho ab wohi kuch kar sakte hai"

"Par isse qatleaam mach sakta hai hum nahi jante rival gang kaisa backfire kare?"

"Ek baar hua na khoon kharaba fhir mahoul shaant pada ek baar fhir agar waisa mahoul bane to koi Darr nahi bas damage mere tak na aaye"

"Theek hai sahab aapki baat un tak pahuch jayegi"

Chowdhury gambhir hoonkar bharta din dhalti raat ko dekhne laga,

                             -----------

"Hahaha well done well done safdar Bhai ab dekhiyega kis tarah dheere dheere Chowdhury ka karobaar dhalta hai aur woh sarkar ke aage expose hota hai is baar cm ki kursi se to kya sidha neta ki bhi position se jail na gaya toh dekhna ye sab aapki madad se mumkin hua hai main Alina mam ko aapka shukriyada zarur kahunga"

Alina khamoshi se apne suite ke us kamre mein sofey ke paas baithi cigarette Peete huye sheeshe se bahar chakachaund sheher ko dekh rahi thi, Chowdhury ke aadmi abtak uski khoj nahi laga paaye they, Rajesh uske paas khushi Mann se aa baitha fhir jaam tayyar karta hua oose batane laga lekin Alina ki na uski baaton mein koi dilchaspi thi aur na hi safdar ke shukriya mein

"Hamare aadmiyo ne kaam karna shuru kar diya hai Siberia ke jo hamare log hai wo aapki information sidha yaha ke mehkme walo ko kabhi narcotics bureau toh kabhi special crime branch walo ko pahuchakar iqbal Chowdhury ke maal ki khaip aur dealing ke thikano par raid padwa rahe hai baar baar Chowdhury ka naam uchal Raha hai apni bachav ki surat mein oose explain dena bhaari padh raha hai ek baar central govt tak uski corruption aur smuggling list khul gayi to wo cm bane nahi reh payega kursi se to jayega balki party sadasyata se bhi uske baad jo karyavaahi hogi uske shikanje mein wo zindagi bhar ke liye fasega safdar Bhai toh chahte hai ki hum unke kamzor padte hi unhe kahi qatal hi karwa de"

"Nahi agar unhe kuch hua aise waqt mein toh jo log unke heet mein hai wo hamare khoon ke pyaase ho jayenge maut dena hal nahi hota"

"Asif ko toh diya na"......Rajesh fhir bhadka

"Wo koi hasti nahi tha wo mere father ko maarke bhaaga tha agar wo aurat ahana thi toh zaahir hai hamara badla aadhe se zyada pura ho gaya"

"Aur wo ladki? Jiski hifazat mein us ladke ne dhairo Islam sahab ke aadmiyo ko aur unhe maara"

"Wo begunah thi Abba ne oose chaara ke taur par istemal kiya us ladki ka mere Abba se koi matlab nahi tha hamari dushmani sidha sidha in logo se hai"

"Alina tum samajhti kyu nahi? Badla jab kiya jata hai toh sut samait liya jata hai"

"Rajesh hamara focus sirf Chowdhury ki barbadi par hona chahiye na ki unki maut par unke gunah hi itne hai ki wo kanoon se bach nahi payenge"

"Toh yaani tum chowdhury ko nahi maarogi?"

Rajesh ne chidhte huye pucha...."agar haalat aise bane toh bhulo mat Asif ne jo kiya wo Chowdhury ke kehne pe kiya hoga wo ek pyada ho sakta hai asli sargana koi aur waise hi hum bahut khoon baha chuke bewajah ek aur jaan le hi liye safdar ko achi tarah samjha Dena Chowdhury ko humhe internal damage dena hai na ki jaan se maarna"

"Tum janti ho agar Chowdhury ko zara sa bhi hint mil gaya ya hamare yaha hone ka oose ahesas ho gaya aur hamare maqsad ka kya hashr hoga janti ho? Wo humhe sidha sidha maut ke ghat utar dega tum yaha dhandha nahi karna chahti aur tumhe aise rasukh se badla bhi Lena hai aisa kahi hota hai"

"Toh kya bishal safdar jaise Bhai ke sath haath milaakar main aur criminal ban jau jiska muqaddar siwaay bemaut ke kuch nahi "

"Meri samajh nahi aata tum ise aur complicated kyu bana rahi ho? Ye koi imandar desh nahi hai jagah jagah corruption hai system yaha ameeron ki jeb mein hai kanoon ki koi bisaat nahi aur agar yaha apni virasat ko jamaye toh sau dushman humse darenge"

"Maine tumhe aage bhi kaha hai Rajesh main apne Abba ka empire dobara khada nahi karungi wo haram ki kamai aur crime lordship paane ki napak hadas mujhmein nahi isliye behtar hoga jaisa main order du waisa ho aur bishal safdar se meljol ek darmiyan tak rakho humhe uske sath koi partnership karke gair kanooni dhandha nahi karna"

Itna kehte huye Alina waha se chali gayi Rajesh andar hi andar kasmasa raha tha kaash uske haath mein hota to badla chodh Alina ko maarkar wo uski tamam daulat ka raja banta aur waha Islam empire ke baad khud ki ek nayi empire khada karta lekin shaitani chaal chalna usne chodha nahi, usne bishal safdar se goli barood ki dealing ke baare mein baat kahi unke aadmiyo ke paas goli barud nahi tha aise mein Siberia se banduk wagaira samundra ke raste mangaana waha ke kanoon ke nazaro mein pakade Jana tha Alina ko pata chalta toh aur uspar aafat aati wo kisi bhi tarah khoon kharaba nahi chahti thi aur koi bhi sheher ka contract killer ko Chowdhury ki supaari dena maut ke munh mein kadam rakhna tha kyunki wohi log Chowdhury se mil sakte they ulta oose hi blackmail kar sakte they,

Safdar ne Rajesh ko bataya ki wo banduk aur tamam hathyar uske aadmiyo tak uske khufiya adde tak pahucha dega jiski keemat Rajesh ne Alina ko gumrah karke bishal safdar ki maang par usse wasooli Alina janti nahi thi Rajesh apni hi tayyari mein tha Chowdhury ko maar Dene ki tayyari mein taaki wo bishal safdar ka rasta aasan kar sake aur khud Islam ki daulat se gair kanooni dhandha dobara se us desh mein jama sake

                              ---------

Rajesh apne aadmiyo ke sath apne khufiya adde pe pahuch Raha tha jaha hathyar ki khep safdar ke aadmi laa rahe they, wo phone pe bishal se hi batiya raha tha nayi chaal chalne ki firaaq mein tha, wo khufiya adde pe pahucha aur waha hathyar lade truck ko kholkar jhaakne laga utna hathyar uske giroh ke liye kafi tha, "ye sab hathyar yahi thikane lagao aur Alina mam ko kuch bhi malum nahi chalna chahiye samjhe".

Usne apne aadmiyo ko agaah kiya waha se gaadi mein baithta woh waapis apne thikaane jaane laga, uske kuch aadmi oosi adde pe pehra de rahe they, safdar ke aadmi uske aadmiyo ke sath hathyar truck se khaali kiye waha se wo bhi ruksat ho gaye unhe pata nahi tha ki unki tamam harqate Durbin se koi kayi fasle dur note kar raha tha,

Udhar Rajesh abhi kuch hi faasla raste ka tayy kiya tha ki tabhi uski gaadi ka tyre phata aur gaadi ghissta hua kuch hi duri pe jaake ruk gaya, usne utarkar tyres ki taraf dekha tyres puncture ho chuke they

"Ye kaise ho gaya? Arre munh kya dekh rahe ho? Tyre badalne ka intejam karo"

Wo hairat mein tha ki charo ke char tyres phate kaise? Wo isi khoj mein piche raaste par aaya toh usne waha nukili kuch lohe ki cheezo ko paaya, waha oose rakhka kisne tha?, Uske zehan mein kisi anisht ki aashanka panpi aur wo charo taraf ke sunsaan veerano ko dekhne laga dur dur tak paid aur raste ke kuch nahi tha, usne apni gun nikaal li uske aadmi gaadi ko theek karne mein jute tyres nikaal rahe they jabki ek pehra de raha tha tabhi ek dhamaka hua gaadi ekdum se blast kar gayi Rajesh kuch hi duri pe tha kaan ke parde phadhti us shor ke sath dhamaka itna tej hua ki uske dhaav se Rajesh kuch fasle piche jaa gira, wo uska dil dhaadh dhaadh karke bajne laga uski gaadi dhu dhu kar jal rahi thi, uske aadmi us dhamake mein laash bankar pade they,

Rajesh ko jaise saanp sungh gaya wo bhauklaye sehme charo taraf dekhne laga uska phone baj utha usne hadbadate ghabrate phone uthaya jo khabar oose mili usne oose jhinjhodh ke rakh diya, wo waise hi bhaagta daudta jaise taise apne khufiya adde pahucha oose Darr tha waha kayi hathyar band log ho sakte they, khufiya adda bilkul veeraniyat mein duba tha jab wo andar pahucha to dwaar pe darwaze se atki ek laash padi thi wo oose laanghta andar pahucha toh waha tamam ke tamam pehra dete uske aadmi maut ke ghaat utar chuke they,

Bishal safdar ke bataye kahi wo Chowdhury ke wohi khatarnak khufiya x gang ke aadmi to nahi they, waise bhi Chowdhury unki talash mein zarur pada tha, waha hathyar gayab they jaha hathyar rakhke gaye they waha se kafi Sara barood aur hathyar gayab tha siwaay ikke dukke rifles ke, itna bhari aghaat kisi ne oose pahuchaya tha, tabhi ek ghayal uska aadmi karhata zameen pe ghasitta hua uske paas pahucha Rajesh fauran uske paas gaya oose Zinda dekh usne uspar sawal ki bauchar daal di,

"Kaise hua ye sab? Kisne kiya tum sabka ye haal? Kaun they? Hathyar kisne loot liya?"

"M..alum nahi b..oss wo ek Jana tha haan boss bahut hi tej taraar hum sab akele uspar haavi nahi ho paaye na jaane kaise wo andar dakhil hua pehle jamshad ko shoot kiya jo bahar pehra de raha tha fhir hum sabko banduk ki nok par hathyar ki khep ke baare mein sawal kiya"

"Pucha nahi wo kaun tha?"

"N..nahi us..se puch..ne se pehle hi usne kaha ki tumhare boss ki aakhirat ab nazdeek hai wo akela tha koi aadmi nahi they uske sath"

"Ho sakta hai Chowdhury ka bheja ho"

"Usne Chowdhury ka koi hint nahi diya wo toh jaise badle ki aag mein tha usne tabadtod goliya daagni shuru kar di aur yaha se saara hathyar leke wo faraar ho gaya"

Kehte kehte uske gale se dhair Sara khoon ugal gaya aur woh wohi dhair ho gaya, Rajesh uski laash par se utha, ab oose bishal safdar hi madad kar sakta tha oose pata lagana tha ki wo aadmi kaun tha? Oosi ne uske gaadi mein bomb plant kiya tha isse pehle wo waha kisi bahari insaan ki nazar mein aata usne apne thikane par baaki aadmi ko phone kiya waha uska tike rehna oose khatarnak lagne laga kya malum kahi kisi taraf se aati goli ka wo shikar ho jaaye?

                                  ---------

"Kya malum? Ho sakta hai Chowdhury ke aadmi ko tum logo ke baare mein malum chal gaya ho lekin agar aisa hota toh uske aadmi mere adde pe aa dhamkte nahi nahi x gang ke log jhund mein aate hai aur wo pyado ke sath sath wajir ko bhi nahin chodhte lekin fikar not mere khabri ke mutabik abhitak filhal Chowdhury ya uske kisi bhi aadmi ko hamari tumhari koi bhanak nahi lagi hai wo log to ye tak nahi jante ki unki barbadi ka saman kar kaun Raha hai?"

"Main marrte marrte bacha hu safdar Bhai agar gaadi ke paas hota to nischint dhamake se ud jata hamare itna hathyar bhara maal loot gaya ye choti moti baat nahi mujhe ismein Chowdhury ke un khufiya gang ka hath lagta hai"

Bishal safdar ne Rajesh ko bahut samjhaya par wo chahta tha ki wo log ab oos insaan ko dhundhe jisne uske adde pe hamla kiya tha aur uske gaadi ko dhamake se udaya tha, usne oose jitna uske ghayal aadmi ne bataya tha uska huliya byaan kiya

"Theek hai tum nischint raho bhai apun dekhta hai aur uski talash jari karta hai aakhir mein mera maal usne kabzaya hai"

Rajesh ne phone toh kaant diya lekin oose khauff satane laga ki aane waale din unpar bhaari fikar karne waale they, wo cigarette astray mein jhokta fikarmand sofey pe jaise baitha Alina tamtamaate huye uske paas aa khadi huyi Rajesh hadbadaya wo nazare nahi mila raha tha,

"Hamare aadmi ko kisne maara? Aur ye hathyar ka kya maamla hai?"

"Alina bishal safdar ne mujhe recommend Kiya ki humhe hathyar rakhna chahiye gaye waqt pe Chowdhury ke aadmi aur baaki dushmano se yaha apni hifazat ke liye kuch to intejam rakhna hoga"

"Toh iske liye hum gangwar kare jaante ho tumhari is bewakufi ke chalte aaj hamare kitne aadmi maare gaye? Mujhe sab kaka ne bataya Maine tumhe agaah kiya tha hum yaha khoonkharabe ke liye nahi aaye hamara maqsad Chowdhury ko jeete jee barbad karna hai"

"Wo humhe khud ko yu hi barbad hone dega agar oose bhanak lagi toh janti ho kitni badi aafat lag jayegi? tum janti ho aaj main marrte marrte bacha hu hamare aadmiyo ko aur safdar ka kharida hathyar koi lootkar hamare adde par se le gaya hamara khufiya adda expose ho gya aur ab darr hai ki kahi hamara malumat humare dushmano ko ab na lag jaaye behtar hoga hum wapis Siberia jaaye aur is baar tayyari ke sath aaye"

"Filhal hum Chowdhury ko koi nuqsan nahi pahuchayenge taaki uska focus aur shaq humari talash mein na fhire aur rahi baat us aadmi ki toh uska pata safdar se lagwao agar Chowdhury ki khufiya giroh x gang ka wo koi aadmi hota to abtak wo humpar dhaava mol chuka hota rahi baat yaha se jaane ki to main nahi jaane waali main janti hoo agar hum kisi ko tabah karenge to hum bhi tabaah honge main wo seh lungi lekin is tarah aapa khokar pure sheher ko tabah karti nahi fhirungi ya sidha Chowdhury se takkar nahi lungi jaisa main keh rahi hu waisa karo understand"

Rajesh ne anmane bhaav se sehmati mein sar hilaya, wo kisi bhi kimat pe uske baat ko khaas tawajjoh nahi de rahi thi ulte oose apne aadmiyo ki maut ka zimmedar maanne lagi ab waqayi agar aise mein wo sidha Chowdhury ko marwa de toh aafat unke gale ekdum se padni thi inhi sab kashmakash mein wo waapis sofey pe baith gaya,

                              ---------

Wo shaks pier par khada dhalte Suraj ko dekh raha tha aakhirkar usne Alina aur uske aadmi ka thikana malum kar hi liya tha, aur waqt rehte unhe karari chot pahuchayi thi, usne apna lambe baal wala wig utaarkar eye brow aur fhir apni ugi dhadhi aur chehre par se wo lamba banawati dhaadhi noch utaara ab uski kaaya palat thi wo ab umardaraz se naujawan lag raha tha wo hatta katta lamba kasrati badan ka malik tha jiske chehre pe ek gehen gambhirta aur nirdayta thi, usne wo tamam cheezo ka gola banaya aur behte samundra ke paani mein faikh diya, uska pehla maqsad pura ho chuka tha, wo gaadi mein baitha, usne oose wapis sheher ke raste moda fhir ek sunsan purane kabristan pahucha usne gaadi roki charo taraf ke jungle ko dekha aur wo bodybag uthaaye jismein Rajesh ke khufiya adde se hathyaya kafi Sara barood grenade aur ak-47 aur kayi tarah ke chote bade banduk mauzud thi oos bhoje ko uthaaye wo ek qabar ke paas gaya usne oosne khodna shuru kiya lagbhag 4 ft khodkar usne usmein wo hathyar se bhara bag daala aur fhir wapis mitti se qabar ko bhar diya, wo wapis gaadi mein sawaar hua aur ulte pao sheher ki awadi mein ja dakhil hua,

Wo sheher ka aisa hissa tha jaha chaaku chura aur talwar banayi jaati thi, ek lohaar ke paas aakar us shaks ne uske aage ek kaagaz kholkar us chaku ki shakal oose dikhai, lohar ne uski taraf dekha kuch dair mein garam lohe ki salaakh ko aag ki bhatti mein dheepkar uspe hathode ki chot maarkar usko shakal dete huye us lohar ne oose paani mein jhonk diya dhua utha pure vataavaran mein dehekti garmi thi jisse wo pasina pasina ho raha tha wohi wo shaks chupchaap khada us chure ko bante dekh raha tha maano wo chura nahi wo khud tayyar ho raha ho, uske baad chure ko ek lohe ki muth mein fasaya jaane lagaa uspe kayi kaam huye,

"Dhaar tej karo"

"Ye pehle hi tej hai aur kitna tej Karu?"

"Jitna kaha hai utna karo"

Uski baat sun lohar hakka bakka oose dekhne laga usne waqt zaya nahi kiya aur oos chure ko aur tej kar diya jab wo puri tarah se tej ho gaya toh usne ek leather sheath mein us chure ko ghusakar us shaks ke haath mein diya, jise sheath se nikaalkar wo us 7 inch ke chure ka bariq muana karne laga uski nok chamak rahi thi, lohar ko usne kuch paise diye jise ginta lohar oose jaate dekhne laga,

"Waise itne dhaar dhaar chaku ka karoge kya? Ghosht kaatoge ya insaan"

"Kuch purane logo se hisaab chukta karna hai".....usne mudkar aise sard Aawz mein oose ghura ki wo lohar ghabraye bina na reh paya

Wo shaks waha aur tika nahi us ilaake se wo bahar nikla wapis gadi mein baitha aur raat ke andhere mein kahin gum sa ho gaya

To be continued..
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 25 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #6 on: October 29, 2024, 04:57:53 AM »
Alina us waqt apne Siberia ki business meeting ko online kisi client se discuss kar rahi thi wo apna karobaar bhi dekhbhaal rahi thi, ki itne mein iske aadmiyo ke sath Rajesh uske paas aaya sath mein wo Islam sahab ka langda aadmi bhi tha, Alina business conference se farig hokar Rajesh ke mukhatib huyi

"Gud news Alina khabriyo ne bataya Chowdhury ke liye ek aur maal ka khep Afghan se dhaka port aa raha hai waqt gaye aadhi raat ka"

Alina muskurayi....."is baar apne aadmiyo se hum us maal ko pakadwayenge nahi balki oose hatya lenge taaki us bhari nuksan ko Chowdhury seh na paaye"

Is baar Rajesh Alina se chidha nahi balki mand hi mand muskurata uske irade se sehmat hua wo bhi yahi chahta tha waise bhi uske hathyar ko jisne bhi loota tha uske mutabik wo Chowdhury ka hi aadmi ho sakta tha aisa karke wo oose karari chot pahucha sakta tha

"Hum kuch hi duri se watch karenge aur hamare aadmi unke maal ko hathyayenge"

Alina ne is baar ooski baat ko kaata nahi uska bhi irada kuch aisa tha, ek baar fhir Chowdhury ko barbad karne ki planning shuru ho chuki thi

                         -----------

Wo gaye raat ka waqt tha aadhi raat paar ho chuki thi wo dhaka ka ujaadh port tha jaha aaspaas container they ek gaadi sidha bandargah ke paas aakar ruki uski Bim light do teen dafa jali kahi dur ek choti ship ki horn sunaai di, "wohi log hai"....Chowdhury ke aadmi ne baithe baithe driving seat par apne aadmiyo ko bataya

"Rasta saaf hai full proof hai kadi checking ho chuki yaha aas paas hamare siwah koi nahi".....kehta hua ek aadmi phone se Chowdhury ko sab khabar de raha tha

Tabhi walkie talkie se sampark bana us ship se ek vilayat gore ki awaz aayi...."we are coming".....wo log gaadi se baari baari utare kuch hi dair mein wo ship pier ke ekdum nazdeek aa khadi huyi, uspar hathyarband kuch us dealer ke aadmi they

Chowdhury ke aadmi ne aage badhkar unse pucha "maal kahan hai?"

"In dabbo mein"......torch jalakar us gore ki baat sun Chowdhury ke ek aadmi ne un bakso pe roshni daali usmein sone ki biscuits aur machli mein chupe beshkimati heere they jo pehle Chowdhury ke paas aate fhir wo oose distribute karwake uske baad kaale bazar mein uche daamo mein unhe bechta,

"Where is the money?"

Ek ne aage badhkar dollar ki shakal mein Noto se bhara do teen suitcase ship par theke rakh diya gore ka ek aadmi jhukkar suitcase khole un dollars ka muana karne laga, wo saari harqat kisi aur ke nazaro mein bhi saaf dikh rahi thi, aur woh they Alina khan Islam aur Rajesh sarhadi jo port ke dusri taraf andhere ke saaye mein gaadi ko band kiye usmein se high definition Durbin se sabkuch dekh bhaal rahe they, aur sath hi saath pier pe lage jagah jagah microphone mein unki awaz sun rahe they unhone unke aamad se pehle hi waha apna jaal faila liya tha,

"Hamare aadmi tayyar hai"

"Koshish karo ki kam se kam khoon bahaye"

"Aise haalat mein khoon kharaba to pakka hoga alina".....Rajesh ne ooske saaf Mann ko samjhaate kaha

"Humhe bas wo maal hathiyana hai taaki uske gayab karne se Chowdhury ko croro ka nuksan jhelna pade"

Rajesh ne apne aadmiyo ko jaise hukam dandanaya, waha Chowdhury ke gupt rup se nigrani karte kahi bhi aadmi ho sakte they lekin unhe pukhta malum tha ki waha dealing ke liye siwaay unke Chand aadmiyo ke aur koi nahi aaya tha,

Deal mukammal huyi hi thi aur Chowdhury ke aadmi gore dealer se abhi haath milaakar oose ruksati de hi rahe they, ki tabhi Alina ke aadmi ekdum se waha dhaava bole jo 8 log they hathyarband unhone ekdum se gaadi se aise unke saamne aakar roka ki unhe mauka nahi mila hathyar nikaalne ka tamam banduk unpe taane huye unhe ghairte huye Alina ke aadmi fhir gore dealer ko haath uthaaye ghutno ke bal baith jaane kahe,

"What is all this?"

"Chup bey angrez ye hamara ilaka hai aur ye maal ab hamare handover kiya jayega"

Alina ke ek aadmi ne kaha jispar gore uske aadmi aur Chowdhury ke aadmi bhi hadbada gaye, isse pehle koi kuch samajh paata Alina ke aadmi ne Chowdhury ke aadmiyo ko shoot kar diya is baat se Alina hadbadayi, wo Rajesh pe chillane lagi,

"Why did they shot them? Did I give the order? Kyu kiya inhone aisa? Unhe bandi banana tha"

"Uff ho Alina they were dangerous aur chand logo ko maarne se kuch bigadega nahi apna badla mat bhulo Islam sahab hote toh wo bhi yahi faisla lete, ab mujhe mera kaam karne do"

Alina kuch samajh na saki "suno maal ko waapis gaadi mein load Karo aur gore ko zinda chodhna hai aur ye kehna hai ki hum x gang ke aadmi hai hahaha aisa bluff chalega ki agar wo log Chowdhury ke dhake chupe gang hai to unme tafarqa paida ho jayega"

Alina bilkul khush nahi thi oosne ye nahi socha tha ki Aisa kuch ghat jayega lekin wo chup rahi kyunki Chowdhury ko damage karne mein waqayi khoon kharaba hona nischint tha, aur unhe chodhna matlab aur aafat mol lena tha unhe mauka milta to wo uske aadmiyo pe yakeenan haavi hote, tabhi jaise gadbad hua koi kuch samajh paata isse pehle waha aansu gas ke gole aasman se na jane kis taraf se unpar aa gire us dhuye ne un logo ko haalat patli kar di,

"It's a trap maybe it's a trap shayad yaha aur bhi unke log hai aahhh"......dhachh se ek firing huyi walkie talkie mein baat karta Alina ka ek aadmi ghutti cheekh ke sath wohi zameen pe aaundhe munh dhair ho gaya us baat me sabko chauka diya

Har koi charo taraf dekhne laga dhuye ki wajah se unke aankh jal rahe they, tabhi Alina aur Rajesh ne paaya ek saaya theek us bari si container ke upar khada face mask pehna unke aadmiyo ki taraf gun thaame khada tha, Rajesh chillaya lekin kisi ne walkie talkie ki awaz nahi suni wo log hadbada gaye aur tabhi firing huyi

Aur dekhte hi dekhte wo log bikhar gaye koi container ke piche chupa toh kahi kisi aur taraf wo andha dhundh firing karne lage lekin andhera aur dhua ke wajah se kisi ko samjh nahi aa raha tha ki wo kahan tha? Rajesh banduk liye furati se gadi se bahar nikalne laga to jaise uske sheeshe pe goli chali, sheeshe pe daraar pad gaye aur surakh se goli Rajesh ke seat ke daaye kaan ke paas jaa lagi, Rajesh wohi teher gaya jaise uska dum baithe baithe nikal gaya ho, Alina barf ki tarah safed thi us admi ke nishane par unki gadi thi lekin dobara firing nahi huyi,

Wo container se kudta hua sidha unke beech kuda kisi ko uska saya dikha fhir gayab hota, tabhi us shaks ne chura nikaala jise usne banwaya tha aur ek gunde ke sar par piche se aakr khada ho gaya Gunda hadbadaya lekin kuch wo koi harqat kar pata khoon ke fawwaare uske gale se katkar bikharne laga, ek ke baad ek wo Alina ke aadmiyo par bhaari padne laga kisi ke pait se chura andar bahar hua to uski cheekh se sab us taraf dekhte huye goli barsaane lage toh kahi kisi aur aadmi ki cheekh nikali aur sabka dhyan piche ki taraf hua ek aur laash chaku ghopkar gardan tak kisi ne kaant di thi, wo saari harqate Chowdhury ke ghayal do aadmi dekhkar ek taraf dubke huye they jabki gora aur uska aadmi waha se palayan ki koshish mein bhaag khada hua aur sidha ship par chadh gaya,

Isse pehle Alina ka aadmi unpe goli daagta uske kalai par wo chura chala, haath banduk thama hi katkar zameen pe gir gaya uski Kati kalai se fawaara ki tarah khoon nikalne laga aur wo maarein tadap mein wohi girkar chatpatane laga us manzar ko dekh Alina aur Rajesh dur gaadi mein siham uthe wohi Alina ke admi bhauklaaye andhadhundh uspe goli chalane lage lekin wo fhir andhere ki aad mein chup gaya wo log uske piche gaye tabhi andhere ke saaye se dusri taraf se wo fhir lauta wo log sambhal paate wo unke beech khada tha ab sabko wo ache se dikha wo anjana chehra tha lekin uske chehre pe ugi dhadhi aur kurur nazar sabki nigaho mein thi palbhar ka mauka na mila aur usne sidha laat ka vaar samne khade aadmi pe kiya fhir bina unhe waqt diye usne apne laat se piche ek Jane pe vaar kar ooske gardan par apne taang ko lapait kar maathe mein chura ghop chuka tha uski yeh harqat se wo bache aadmi log ghabra Gaye wo ulte pao daudne lage, usne chura uske mathe se kheechkar bahar nikala aur uski girti laash ke jeb se phone apne geraft mein kar liya,

Usne tamam aadmiyon ke taangon par goli chalake unhe wohi gira dala, udhar Chowdhury ke ghayal aadmi ne number punch kiya aur Chowdhury ko waha ki saari report keh sunaai udhar gaadi mein Rajesh ab bhi ghabraya kaanpte huye tamam apne aadmiyo ko marte dekh raha tha

"Wo akela hai uske sath koi nahi"

"Lekin wo sabppar aise bhari pad raha hai jaise wo koi professional ho par ye hai kaun?"

"X gang ka hi koi Banda hoga ya Chowdhury ka khaas faraq nahi padta"

Kaanpte banduk ko thaame wo abhi nikalne hi wala tha tabhi oose bandargaah ke daayi taraf roshni dikhne lagi wo 4-5 kaali gaadiya thi ho sakta tha wo Chowdhury ke aadmi ho, wo shaks unki gaadi ki taraf aane laga toh Alina ne oose bahar nikalne aur waha se nikal jaane kaha usne furati se gaadi ko reverse gear mein ghumaya aur waha se ye ja woh ja

Wo aadmi tehra usne piche mudkar padi laashe aur karhaate Rajesh ke kuch aadmiyo ko dekha usne jhukkar ek ke zakhm ko kasskar dabaya

"Rajesh kiska aadmi hai?"

"Alina khan Islam Islam sahab ki beti aahhh hum log unhi ke liye kaam karte hai aahhhh wohhh"

Uski baat uske munh mein hi reh gayi kyunki us aadmi ne apna chura uske seene mein ghop diya tha, ooski laash girti dekhkar baaki saathi uske us aadmi ke aage gidgidaane lage, wo utha aur lambe dag bharta waha se jaane laga uske guzarne se pehle usne us gore client aur Chowdhury ke karhaate ghayal aadmi ko dekha aur wohi tehra wo log jante they ki wo unka aadmi bhi nahi tha aur jinhone hamla kiya unke khilaf tha

"Kiska aadmi hai?"

"Chowdhury sahab ka"

"Unse kehna ki main unke khilaf nahi hoo isliye mere baare mein koi zyada chanbin na kare ye log jo tumhare aadmiyo ko maarkar tumhara maal lootna chah rahe they ye mere dushman hai aur unke purane dushman ke beej"

"Par tu hai kaun? Inse Teri kya dushmani? Kiska aadmi hai tu?"

"Khud ka, aur meri dushmani zyadti hai aur mera naam monit hai"


Wo aadmi kuch samajh na paya rokne ki himmat usmein thi nahi woh teji se andhere container ke galiyaro mein guzarta gayab ho gaya, wo log oose dekhte reh gaye waha par wo gaadiya pahuch chuki thi wo swat team ki kaali vardi pehne daksh hathyare they hathyar band they wo log waha pahuchkar tamam vardat aur ghatna ka muana karne lage, ek Chowdhury ke aadmi ke paas aaya jisne oose sabkuch keh sunaya, Alina ke bache kuche ghayal aadmiyo par wo aa sawar huye aur ek ke baad ek unse puchtach karke unhe shoot kar diya gaya Chowdhury ka maal wohi salamat tha gore angrez ko dhamki dekar waha se chale jaane ka hukam suna Diya gaya wo bhagte bhoot ki langot thaame jaise waha se ship par sawaar hokar waha se cooch kar gaya, wo log us aadmi monit ko dhundh nahi sake jaise oose aasman nigal gayi thi ya zameen

                           -----------

Gaadi teji se drive karta Rajesh raaste ki taraf dekh raha tha, sheeshe ki kaanch ab bhi charmarati surakh banaye dikh rahi thi uspe nazar dekhte hi dekhte Alina bahut zyada khauff khaa rahi thi, wo aadmi sakshat malqul maut tha jisne unke itne aadmiyo ko akele kaant dala tha, wo manzar se Alina kafi zyada ghabrayi huyi thi ager wo gaadiya na aati toh shayad wo shaks unke sar par haavi hota aur unhe bhi tukde tukde karta,

"Ye wohi hoga"...apni awaz ko bharsak kabu karta Rajesh driving karta bola raasta ekdum khaali tha gaye raat ka waqt tha ganimat thi ki unke piche koi gaadi nahi padi thi,

"Ab hum yaha zyada din safe nahi hai humhe waapis chale jana chahiye"

"Itne aasani se tumne hi to kaha tha ki tumhe Chowdhury se badla lena hai"

"Usne pehle bomb dhamaka karke tumhe marwana chaha fhir usne khufiya adde ka pata kar liya aur oose ye bhi malum tha ki hum Chowdhury ke maal ko hathyaane waha pahuche hai wo humse ek kadam aage hai aisa lagta hai har ghadi wo humpar nazare rakha hua hai kya hamara thikana usse zyada din chupa reh sakta hai"

Rajesh ko jawab na sujha, fhir usne Alina ke khamosh hote hi kaha "uska huliya bilkul waisa hai jaisa marrte waqt adde pe hamare aadmi ne byan kiya tha, ye wohi hai na mujhe jaankar usne chodha taaki wo yaha aa sake aur humhe bataye ki wo humari maut ka kitna tamannai hai kaash oose main goli mar sakta"

"Wo Chowdhury ya x gang ka aadmi nahi ho sakta kyunki wo jhund mein aate hai wo akela tha aakhir usse hamari kya dushmani?"

"Yaha toh kadam kadam par dushman hai Alina aur tumne jo raah Sochi hai usmein bina khoon kharabe ke kuch nahi ho sakta"

"Lekin ab Chowdhury ke aadmi ko humne maara hai kya wo chup baithega? Ek dushman ke sath aur bhi toh hai"

"Hum akele hai bhul gayi ki hamare sath bishal safdar bhi hai aur ab wohi is aadmi ko talash karega ab humne kuch din ke liye underground hona hoga jo karenge hamare aur uske aadmi karenge"

"Pehle hi hamare aadmi kam hai aur usne pehle hi din hamare kayi aadmi dhair kar diye"

Rajesh waqayi pareshan dikhne laga, Chowdhury ka maal kabzaane mein wo nakamyab rahe they kahi unki dobara koi koshish unpar fhir aafat na la baithti, wohi Alina ye soch rahi thi ki wo insaan kahi unke thikano tak na pahuch jaaye ya fhir wo x gang ke log jo ab bhus mein se suyi ki tarah unke talash mein jut jaane wale they, ek pal ko uska khyal aaya ki wo wapis laut jaaye lekin Islam ka khoon tha usmein itne jaldi ghutne taik dena aur wo bhi baap ke inteqam ke liye oose nagawara laga,

Tabhi itne mein unka phone Baja ye phone Rajesh ke ek aadmi ka tha jo us hamle mein unke sath tha, usne ek baar Alina ki taraf dekha, Alina ne oose phone uthaane kaha lekin Rajesh ka kehna tha ki uske tamam aadmi maarein jaa chuke they fhir unke number se kaun phone kar raha tha? Kahi ye x gang ka koi aadmi unke hawale to ye phone nahi tha, jigar mazbur karta Rajesh ne phone uthaya us taraf se fauran ek gambhir anjaan awaz aayi jisse dono aparichit they par wo shaks nahi wo koi aur nahi monit tha jo x gang ko dodge dekar bandargaah se khufiya piche ke raste se nikalkar apni gaadi mein sawar raaste pe tha,

"Kaun bol Raha hai?".....Rajesh ne sawal kiya

"Wohi bol raha hu jisne tumhare hathyar tumse hathyaye tumhare aadmiyo ko tumhare saamne qatal kiya tumhari Jaan dhamake mein jaate jaate bachi aur ye mat samjhna ki main tumko aur tumhari boss ko bakashne wala hoo"

"Aye chahta hai kya hai tu?".....Alina ne oose aankh dikhaya wo waqt aur haalat ko samaj rahi thi bari mushkil se bhadhakta Rajesh thama Alina ne phone apne hatho mein le liya

"Kaun ho tum?"

"Apne bhaadhe ke dalaal se kaho ki apne voice tone ko kaabu mein rakhke do baar Jaan bakshi ki sheeshe pe goli ka ched dikh raha hai na, ye suraakh uske maathe mein bana hota aur gale se abhi buland awaz nahi apno ke jo agar hote to uske liye maatam ka shor nikalta"

Rajesh buri tarah chatpataya par wo drive karta raha...."tum chahte kya ho?"....alina ki dobara awaz sunkar kuch dair khamoshi chaai

"Tum log soch rahe ho ki main Chowdhury ka ya x gang ka admi hoo agar mujhe tum logo se dusro ke zariye dushmani nikalni hoti toh tumhe zinda unke saamne pesh kar deta theek keh raha hoo na main miss Alina Islam khan"

Us baat ko sunkar Alina chaunk uthi oose uska naam tak malum tha Rajesh hontho pe zabaan phair raha tha

"Darro mat abhi tum tak pahucha nahi hoo lekin bahut jald fhir milunga is baar mulaqat shayad aakhri ho"

"Dekho jab tum sabkuch jaante ho to ye baat jaakar Chowdhury ko bata kyu nahi dete? Aakhir dushman to tum bhi ho na hamare"

"Hoo dushman aur ek ek khoon ke qatre ka, ek ek hissab tumse aur tumhare khaas aadmi Rajesh se mujhe khud hisaab karna hai maut bhi dunga lekin main tum nischint raho Chowdhury ya koi bhi aadmi se mera koi lena dena nahi mera lena dena sirf tumse hai sirf tumse"

Wo baat andartak Alina ko hila chuki thi, usne apne zazbat par zabt kiye usse puchna chaha ki uski oosse kya dushmani thi? Kya bigada tha unhone uska? Jispar uske koi jawab nahi Diya

"Sab malum chal jayega Alina khan Islam waqt do aur apne waqt ko zaaya mat karo apni jaan ki hifazat karo kyunki wo mere inteqam ke liye abhitak salamat hai"

"Toh fhir kiske aadmi ho tum?"

"Khud ka monit ka yaad rakhna is naam ko marrne ke baad bhi yahi naam tumhare zehan mein gunzega shabba khair"

Phone cut chuka tha kuch dair tak Rajesh aur Alina chalti gaadi mein la jawab bane reh gaye, bhaari fikar ki baat thi wo raat unpar bahut bhaari guzari thi

                        ----------------

Monit apni gaadi se utarkar dhalti raat ko dekh raha tha na jane aisi kitni raate usne jaagte guzari thi wo Bangladesh pahuch chuka tha aur unse sabse pehla kaam ye kiya tha ki usne Alina khan Islam aur uske aadmiyo ka pata laga liya tha, fhir usne ghaat lagakar unke khufiya adde ko dhundh nikaala aur unka hathyar hathyaya aur unhein ek karara jhatka de dala, kaafi tha baar baar unke dil mein dehshat daalne ke liye aisa karna taaki unki Jaan jab wo leta to wo log waise hi khauff se tadapte jaise wo tadpa tha uske khyal mein fhir wo beeta kal kisi bhayank sapne ki tarah ghumne laga na jaane kya uska Raaz tha? Aur kya uski dushmani thi?

Wo dhalaan se utarkar basti ke apne bhaadhe liye kholi mein lauta waha tang galiyo se guzarta wo apne kholi pahucha darwaja khola fhir badastur light jalaye us chote se kabutar jaise choti si kholi mein biche khatiye pe jaake lait gaya, ustak koi pahuch nahi bana sakta tha usne apna jacket utaara hathyaro ka saman ek taraf rakhka fhir apna chura liye oose kareeb nal kholkr uspar lage Alina ke aadmiyo ke khoon ko dhone laga oose sukhane ke baad oose fhir usne sheath mein ghusaya aur aur khatiye pe aa baitha wo nahi janta tha oose aage kya irada apnana tha? Ab uske piche sirf Alina ke aadmi nahi x gang jinka zikar usne suna tha aur jinko usne bandargaah par aate dekha tha unke log bhi uski talash kar sakte they par us chehre ko kaun pehchanta tha wo unke liye aparichit tha anjaan tha

                               ----------

Udhar Chowdhury ko sab khabar lag chuki thi wo hairat se apne ghayal aadmiyo ko ghur raha tha jinke shareer par pattiya aur ek hospital case bana aspatal mein admit tha uske kuch aadmi maare gaye they par uska maal x gang ke hifazat mein us tak pahucha tha uska gora client bhi safely us muthbhair mein bach Gaya tha, usne x gang ki kaafi tareef ki jispar uske aadmi ne bataya ki wo iklauta aadmi na unki taraf tha aur na x gang ka koi khaas wo koi aur tha,

Tabhi uska phone Baja toh usne Chowdhury ki taraf dekhte huye kaha "x gang ke leader ka phone hai aapse baat karna chahte hai wo"

Chowdhury ka chehra gambhir ho gaya usne apne aadmi ke hath se phone lekar oose apne kaan se lagaya

To be continued.....
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 25 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #7 on: October 29, 2024, 05:20:46 AM »
Chowdhury pareshan tha aur gambhir bhi jaha wo khush tha ki uska maal aaj bacha liya gaya aur na hi sirf dushman gang ke kuch aadmiyo ko x gang ne maar giraya wohin dusri taraf ek ek us ghatna us wardat ki baat uska ghayal aadmi oose suna Raha tha wo aur zyada pareshan tab hua jab x gang ke leader ne usmein apne ya apne kisi sadasya ka haath nahi bataya wo monit naam ka aadmi koi aur hi tha jo dushman ka dushman tha,

"Wo bataya mujhe wo log waha baad mein pahuche they un logo ke aane se pehle wo ladka waha pahucha hamara maal hathiyaane se bachaya dealer aur tum pantar log ki jan bachayi lekin dushman pehle hi faraar ho chuka tha par is baar damage oose Mila credit na x gang ko na mere aadmi ko saara shreya us ladke ko jata hai jo andhere mein waha pahucha aur kaala sayaa ki tarah gayab ho gaya tune uski surat dekhi kaisa dikhta tha woh?"

Chowdhury ke aadmi ne uska huliya byaan kiya....wo pehchan ka toh koi uska aadmi nahi tha, "x gang toh baad mein pahuchi"

"Tere call par unhe hi maine phone khadkhadaya"...Chowdhury ne kursi pe pasht hokar kaha

"Baap is baar hum log to marrte aur maal bhi jaata na jaane kaise wo farishta ki tarah utara aur malqul maut ki tarah un aadmiyo ko ek ke baad ek tadapa tadapa kar maarne laga, baap agar wo time pe nahi aata toh hum to gaye they usne rival gang ke aadmi ko adhmara chodh diya koi kehne layak bacha nahi x gang ne bahut khangala lekin koi Sutra na milane par unke boss ka unhein wohi shoot kiya"

"Ye acha warning jayega un haramiyo ko jo mujhse takkar lene ki koshish kar rahe hai khair x gang oos ladke monit ke talash mein active ho chuki hai jald hi nateeja saamne aayega aur un haramiyo ke baare mein bhi filhal ke liye tamaam karobari band matlab shut down yaha police ka bhi lafda aayedin uthna baithna ho raha hai taipan wala mere ko dhamki diya ki jail se bahar karne ka mujhe dhamki marega saala anyway ek baat bata wo tere samne se guzara koi hint Diya naam ke siwaay"

"Maine pucha baap tu kiska aadmi? Kaha khud ka naam monit maine ye bhi uske jaate jaate pucha usse Teri kya dushmani? To usne kuch theek dhang se bataya nahi par tumko ye msg dene bola Chowdhury sahab ko keh dena meri usse koi zyadti adawat nahi na hi koi dushmani aur jo dushman ko wo maara wo uske pichu, dushman kaun kaha tumhara jannewala tumhare purane dushman ka beej"

Is baat ne Chowdhury ko saqte mein daal diya, uska purana dushman uska beej kya matlab tha? Navi gang to aayedin sheher ke dada Bhai log sar uthane aur bagawat khadi karne ki koshish kiye they kuch gang khada karke Chowdhury ke sath hath batana chahte they par Chowdhury ne state mein saqti se ye warning di thi ki koi nahi matlab koi nahi, agar uske naak ke niche koi bhai ya gangster aisi galti karta bhi toh wo ya oose encounter karaa sakta tha ya fhir uski niji x gang ke logo ke zariye uska qatal, lekin ye jo log they yakeenan uske karobar ko damage karne ki uski image sarkar ke aage kharab karne ki niyat se uspe vaar pe vaar kar rahe they, police ke aage munh phadh rahe they, aur aaj unhone Chowdhury ke aadmi ko jaan tak se maara tha ab chup baithne ka koi sawal nahi tha uske liye,

"Lekin mera purana dushman aamtaur par ek hi tha sabse bada rival is sheher ka Jana mana Islam lekin wo toh kabka gaya? Toh kya?"

Usne ek baar apne aadmi ki taraf dekha pataa kar zahir Islam ke family background ko thoda khangal pata kar koi aas paas ka dur ka rishte ka koi chamcha ya fhir uske bache kuche aadmi jo kanoon se bach kar bhaag khade huye they malum kar jaha tak mujhe pata hai uske rishtedar usse sambandh Tod chuke bhari badnami ki chalte, wo beaulaad tha biwi pehle hi guzar gayi thi, toh malum kar uska koi bahar videsh mein koi apna hai thoda waqt khau kaam hai jo bhi uske kareeb uske aadmi hai unse puchtach kar agar waqayi aisa hai toh fikar ki baat, aur sun us ladke ka huliya malum?

"Ji Bhai"

"Uska huliya ka sketch bana aur x gang ko bhej tamam sheher ke chappe chappe ke khabriyo ko kaam pe laga oose dhundh aur milte hi utha aur mere samne pesh kar ho na ho wo saala janta hai ki hamara nava dushman ka sargana kaun hai?"

"Bhai wo mamuli aadmi nahi apun ghayal tha salamat hota aur zyada jirah karta toh apun ko bakra ke maafik wo javaah karta"

Chowdhury ne qeher bhari nazar se oose dekha uske aadmi ka khauff saaf oose bata raha tha ki wo koi waqayi mamuli admi nahi tha, lekin wo chahta kya tha? Kya maqsad tha un logo ke piche uska lagna? Chowdhury ka aadmi uska hukam pakar waha se nikal gaya, Chowdhury sofey pe baithkar sharaab peene laga

                               -----------

Bishal safdar us waqt chatt par baitha apne gang ke sath carrom khel raha tha ki tabhi uska chela waha aaya usne kal raat jo kuch muthbhair wali baat thi bishal ko batayi na hi sirf maal bach gaya Chowdhury ka balki uska client bhi wohi Alina ke aadmi ko x gang ke aadmiyo ne dhar dabocha aur khatam kar diya Rajesh aur uski boss waha se mauke pe faraar huye kisi monit ka saamne aaya bishal gambhir hokar oose ghurrne laga tabhi uska phone baj utha,

"Haan Rajesh Bhai boliye suna maine apne aadmi se buri khabar"

"Safdar Bhai humhe protection chahiye aur aadmi lagenge ab khatra sirf x gang ya Chowdhury ke aadmi ka nahi us monit ka bhi hai do baar mujhe Jaan se maarne ki koshish ki hai usne"

"Tum ghabra kaahe rahe ho mohlat diya na wo chokra tumko usko hi shamshan na pahucha diya toh dekhna janta nahi kiske dere mein aake panga le raha hai? Tum fikar mat Karo uska bataya huliya main apne logo ko de chuka jaha kahi bhi wo saala hoga bachega nahi x gang ka aadmi katayyi nahi ho sakta tum aur Alina mem kuch din underground raho dekho agar mujhpar focus bana toh mere liye bahut lafda main aag mein baar baar hath de raha hoo taaki Chowdhury tabah ho bahut risk kaam liya main, isliye plan ke mutabik chalo aur pehle us monit ko terminate karne ka"

Rajesh ko shantana dekar bishal safdar ne phone kaant diya fikar ki baat to uske liye bhi thi kyunki ab Chowdhury ke mal ke sath aadmi pe hamla matlab x gang aur Chowdhury ka focus sabhi uske khilaf Bhai logo par hota aur agar uska naam aata ki wo hi back support Islam ki beti ko kar raha hai toh ek baar fhir gangwar nischit, tabhi uske chele ne bataya ki Chowdhury ke khabri bhi aajkal jagah jagah isi huliye ki shinakt kar rahe hai wo log bhi monit ka wajud dhundh rahe they, "humhe usse pehle is monit tak pahuchna hai aur aakhir ye Alina ka dushman kyu ban baitha hai? Ise geraft mein karne ke baad janna hai Chowdhury se pehle samjhe sab, Chowdhury aur un x gang walo se pehle ise dhar dabocho".....kayi sar bishal ki baat se ek sath sehmati mein hile

                      

Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 25 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #8 on: October 29, 2024, 05:22:28 AM »
Chowdhury ke talab liye x gang aur Chowdhury ke aadmiyo ke khabri monit ko joro shoro se talash rahe they, tamam bastiyo mein rihayshi jagaho par hotels mein aise kisi ko bhi wo chehra dikha ho to oonnke aadmiyo ko khabar karna tha, aur nateeja kuch hi din mein saamne Aya monit jis kholi ki basti mein tha waha khabri ne kayi dafa monit ko waha se aate jaate dekha tha usne uska picha kiya to malum hua wo 76 no kholi mein rehta tha usne ye khabar aage Chowdhury ke aadmiyo ko di aur waha se wo khabar x gang ke members ko malum chali, us basti mein wo log uski talash karne pahuch chuke they tang galiya thi aur wo log basti ke andar se guzar rahe they, khabri ne ungli dikhaya un logo ne bina parwah kiye darwaje ke paas aakar dekha waha tala Jada tha, ek waha ke bashinde ko thaama gaya usse pucha gaya ki kaun rehta hai yaha? Kitne waqt se band hai?

"Mujhe nahi malum par kal raat is kholi mein wo ladka aaya tha"

"Aisa dikhta tha woh"....usne sketch bana monit ka huliya dikhaya

"Haan yahi hai naam waam kuch nahi bataya kisi se baat nahi karta akkha time andar rehta ya fhir kahi bahar jata dair raat gaye aata pata nahi yaha ka local tha bhi ki nahi"

Unhone taala Tod dala andar ki suyi jaisi talashi li waha khatiye chadhar takiye aur kuch kapdo ke kuch nahi mila, "do aadmi yahi pehra do agar wo dobara laute toh inform karna jaane na paaye"......unmein se ek aadmi ne sabse kaha unhe malum nahi tha ki dur se monit un sabpar nigah rakhke chupa tha,

Ab waha teherna khatre se khali nahi tha wo log uske piche pad chuke they, uske maqsad mein aade aa sakte they, monit chapri se utara aur tej kadmo se tang galiyaro se guzarta basti ke bahar nikalne laga wo log ab bhi basti mein mauzud they ooski yaha waha talashi karte fhir rahe they, wo basti jaha khulti thi us taraf besiya pada (kotha) tha, wo waha bhi pahuch sakte they filhal oose chupe rehna tha woh un badnam galiyo se guzarne laga sabhi auratein kamsin ladkiya oose dekhke oose apne taraf aane ka ishara karti ulti sidhi baatein keh rahi thi par uska dhyan kahi par nahi tha achanak uski nazar baayi Sidi ki taraf aakhri Wale Ghar ko uthi, wo idhar udhar dekhkar sidiya chadhta upar pahucha wo darwaje pe dastak dene laga toh usne bagal ki khidki se jhaaka

"Saali mere ko maaregi b****c##d aaj dekhke kaise ghodi ki puch sidhi karta hu"

"Choddhh Dee mujhe kutte r**ndi ki aulwad"

"Mujhe gaali degi chinaal".....ek thappad usne uske kulho par maara par wo uski pakad se uth nahi paa rahi thi dard se sisak rahi thi

Wo aadmi us saree pehni aurat par hath utha raha tha aur uske kalai ko madodkar oose bistar par jhuka raha tha uski ek taang uske kamar par chadhi huyi thi, ladki chilla rahi thi gaaliya de rahi thi, monit janta tha badnam ilaaka tha har kholi mein yaha dhandhe wali rehti thi, monit ne jhaakkar bahar dekha oose dur x gang ke aadmi aur khabri bauhraate huye idhar udhar bhatak rahe they kya wo waha se bhi bhaag jaaye? Tabhi usne dobara khidki ke andar jhaaka aur darwaje ko khatkhataya wo aadmi aur gaaliya dene laga "kaun hai bey? Baad mein aa"....wo waise hi us ladki ki kalai pakda oose bistar par pait ke bal giraaye chillaya

Monit ke chehre pe saqti ke bhav aaye usne ek laat darwaje pe jamai aur darwaja khul gaya, wo aadmi hadbadakar us ladki ko chodhkar apne saamne khade monit ko hadbadakar ghurrne laga ladki kalai thaame wohi girkar dard se subakne lagi

"Kaun hai bey tu? Andar kaise aaya?"

"Dafa ho jaa"

"Kya bola janta main kaun hoo? Main!"

Monit ne kasskar uske gereban se oose jakda aur sidha palli diwaar pe de sataya wo hadbada gaya uski taqat ka oose malumat nahi tha, "t..tu kaun hai be?".....usne kaapte lehze se pucha

Monit ne uske pait pe prachand ek ghussa mara jisse wo pait pakda dohra ho gaya monit ne oose kisi gend ki tarah uthake palatte huye zameen pe gira diya uske gale se ghutti awaz aayi monit ne ooski kalai ek aise laat jamai ki wo aadmi dard se bilbila utha oose apni kalai ki haddi chatakti mehsus huyi, usne gereban oose jakade oose uske pao par uthaya aur ek aur ghusa uske munh pe maara naak se faware ki tarah khoon baha monit ne uske sar ke baal ko thaama aur paas ke aayene pe uske sar ko de maara aayena tuta aur uski kaanch uske mathe aur chehre mein dhas gayi, wo dard se karhaata wohi chatpatane laga, chura jeb se nikaale Asif ne oose us aadmi ke gardan pe rakhka ek qatra khoon jaise uske gale se risne laga, uski aankhe dehshat se katoriyo mein ghumne lagi

"Dafa ho ja warna kaat daalunga samjha aayinda dikhna nahi mere ko na isko"

Usne ek nazar piche baithi us ladki par dhiraj jiske honth ke koro se khoon nikal raha tha, wo dehshat se monit ko dekh rahi thi wo tadapta larkharata waha se bahar nikalta sidiyo par girta padta bhaag khada hua, darwaje pe isse pehle koi aur aata usne paas jakar darwaja laga diya kamre mein andhera ho gaya usne khidki bhi laga di, jab wo mudkar ladki ki taraf dekhne laga to wo muskurakar bistar par baith chuki thi aisa laga jaise uske sath kuch hua nahi tha,

Monit ne jeb se rumaal nikaala aur oose diya "ponch lo isse khoon beh raha hai tumhara"

"Koi meri parwah kar raha hai pehli dafa dekha kaun hai tu?"

"Mujhe yaha kuch der teherna hai mere piche kuch log pade huye hai"

"Yaha to dus lafdebaz aate hai par main bhi unhe hi aasra deti hoo jo mujhe pasand aaye ye kameene ki nazar mere pe bahut waqt se thi saala Mera dalaal isse Paisa liya aur meri Marzi ke khilaf ise yaha bhej diya acha sabak sikhaya tune"

Monit apni jacket utaarkar bag ek taraf rakhkar apna jo paas pada tha uski taraf dekhkar uski baat sunne laga

"Waise bataya nahi tu hai kaun?"

"Monit naam hai mera aur main koi lafdebaaz nahi hoo"

"Tune jaise maara oose usse tu aam aadmi to lagta nahi aur tera ye hathyar itna bada chura rakhta hai tu koi kasaai hai kya?"

"Wohi samajh bas main sirf janwar ka nahi insaano ka bhi ghosht kaant deta hu"

Us baat se ek pal ko wo ladki ke jism mein sirhan daudi fhir woh hassne lagi, monit ne uski aankho mein apne liye koi dehshat nahi dekha wo dikhne mein Gori chitti ache bhari huyi jism ki katili naujawan thi afsos ki baat thi wo dhandha karti thi par is desh mein adhiktar khubsurat nain naksh aur ache shakal ke bawjud paiso ki ewaj mein aur garibi ki tangi ne masum ladkiyo ko deh vyapar mein hindustan ki tarah dhakel rakha tha,

"Tu jabtak chahe yaha reh sakta hai mujhe koi aitraz nahi"

"Naam kya hai Tera?"

"Mishti"

Monit ke chehre pe muskurahat aayi aur fhir gayab ho gayi usne jaise hassna khush hona chodh diya tha, mishti oose aankh bharkar dekhne lagi aur uske pehlu mein aur kareeb aakar baith gayi, monit ne jeb se oose kuch paise diye jise mishti ne le liya aur uske saamne apni saree ka pallu utaarne lagi, abhi wo blouse ke button bhi kholti monit ne uske haath par haath rakha wo ektak monit ko dekhne lagi,

"Apun ko ye sab nahi karna ye sab nahi maangta bas aasra chahiye yaha kuch waqt teherna chahta hu badle mein tujhe aur Paisa de sakta hu"

"Kamaal hai tu tedha aadmi bhi hai paisa bhi deta hai aur itni jawan ladki tere saamne pesh hai oose chuna bhi nahi chahta jabki main raazi"

"Majburi ka fayda uthana nahi aata mujhe agar tujhe dikkat hai to main chalta hu".....wo uthne laga mishti hadbada gayi wo dang reh gayi ki pehli dafa koi aisa mard uske zindagi mein aaya tha jo oose chuna toh dur uski jaise izzat kar raha tha uski parwah kar raha tha

Jabse wo is dhandhe mein thi wo zazbat bhul chuki thi aaj jaise uske dil mein parivartan hua usne haath thaamkar oose roka, "tu kahi mat jaa yahi baith".....itna kehkar monit ko usne bitha diya aur khud uske bagal mein hairani se oose dekhte huye wo baith gayi tabhi darwaje pe dastak padi wo dono chauke, monit ke jabde Kass gaye kahi wo log yaha tak to nahi pahuch gaye they,

Mishti ne bhauklakar monit ki taraf dekha jisne apna sheath se chura haatho mein dobara le liya tha waha kuch bada ghatna ghat sakta tha dekhte hi mishti ki aankhe us chure ko dehshat se bari ho gayi, usne monit ke kandhe pe hath rakhka monit oose dekhne laga, darwaje pe dastak padi jaa rahi thi

Darwaja khula saamne dal Bal ke sath kuch aadmi andar dakhil huye mishti ko pare dhakelkar idhar udhar kisi ko dhundhne lage usmein ek janne wala khabri aur uska dalaal nikla jisne hasste huye mishti ki taraf dekha mishti ghinna bhari nazaro se oose dekhne lagi,

"Kaun aaya tha idhar? Darwaja band rakhka bahar suna lafda hua jamshad ko koi thokhkar yaha se bheja"

"Suwaro ko bina ijajat mere aangan mein bhejoge to yahi hoga"

Wo x gang ke log they ek ki nazar aayena tute sheeshe pe lage khoon par gayi, mishti ne usko aayena dekhte huye kehna shuru kiya, "wo kameena ka sar phuta rape karne ki koshish Kiya yaha se phata sar aur tuti kalai liye bhaaga"

"Kaun tha tere sath yaha par?"

"Malum nahi naam to nahi bataya"

Ek ne uske aage monit ka sketch dikhaya "Aisa dikhta tha woh"....usne jaldi aur kadakar pucha

"N..nahi"

"Jamshad ko dikhaya toh usne toh ise hi saaf pehchana abhi jo yaha tha wo kahan gaya?"

"Mujhe kya pata? usse jaake puch kahan gaya aakhir Tera hi toh bheja bhadwa tha aur aayinda oose bhejna bhi mat waise wo bhadwa peeke aaya yaha Galata kiya yaha par ek customer aur tha usne meri jaan bachayi uska kahi se bulawa aaya wo chala gaya tehra nahi"

Dalaal ka chehra gusse se laal ho gaya x gang ke aage uski uspar haath uthaane ki majal na huyi usne oose qeher bhari nazaro se ghura mishti bhi oose gusse se ghur rahi thi, "bhai log ye jhoot bol rahi hai"

"Is kutte ki baat mat suniye ye kameena aadmi hai yaha jo tha wo iski tarah nahi dikhta tha abhi abhi yaha se gaya"

"Kiski tarah dikhta tha woh"......x gang ke ek member ne jaldi se pucha mishti ne Mann ghadant huliya bataya

Wo log soch mein pad gaye fhir unhone pure kamre ki talashi li mishti ka dil dhaadh dhaadh karke baj raha tha, "tere ko main dekhta hu baad mein".....dalaal ne kaan mein uske phuspasaya jispar mishti ne oose gandi gaali di

X gang ko waha koi nahi mila wo log jaise aaye they waise waha se nikal gaye har kholi mohalle ki talashi le rahe they unka manna tha shayad monit waha is ghadi ho sakta tha, dalaal unke piche sahab sahab kehta chala gaya, un logo ke jaate hi kafi dair baad mishti ne darwaja lagaya wo behcaini se pichli diwar ke paas khuli jangla se jhaanki waha jaali huyi thi aur monit kisi tajurbeqar shaks ki tarah makde ki bhaati diwaar ka kaggar pakda pichli taraf imarat ke latka pada tha, mishti uski madad karne lagi wo andar jaise taise chadhta dakhil hua uska haath khoon se cheel gaya tha, wo kamre mein kuda mishti hapaste huye uske jacket pe lagi dhul ko saaf karne lagi usne upar maale pe rakhka apna bag almirah ke sirhe se uthaakar niche laaya usmein uska zaruri saman aur hathyar they,

"Tu theek to hai na?"

Monit ne sehmati mein sar hilaya waqt rehte usne monit ki madad ki thi, x gang se mishti ne unhe chakma dekar oose bacha liya tha,

                                ----------

Alina sofey pe baithi Jaam ki chuskiya le rahi thi, har baar uske zehan mein wo hi maar kaat ka manzar dikh raha tha uske aadmi ko kis tarah usne nirday se maar kaata tha, uska rom rom sihar raha tha baat itni khun kharaba tak pahuch jayegi usne socha nahi tha, wo chahke bhi khufiya thikane se baahar kadam nahi rakh sakti thi uske hifazat mein Rajesh ne kayi aadmi pehra ke liye niyukt kiye they, aakhir wo tha kaun? Jisne unki gaadi pe goli chalai aur woh phone par oose din ginne keh raha tha kaun ho sakta tha? Chowdhury ka aadmi nahi usse juda x gang ka aadmi nahi toh fhir kaun ho sakta tha? Kya wo aashif tha? Hargiz bhi nahi wo toh Budapest mein apni biwi ke sath maara gaya tha Rajesh ne oose khud khabar di thi aur us bande ka huliya kahi se bhi us monit se milta nahi tha wo hatta katta 6 ft ki kad se nikalta balisht kasrati jism ka khoonkar shikari tha jo Kasai ki tarah uske aadmiyo ko maarkar unke sar par lagbhag aa khada hua, kya dushmani ho sakti thi?

Wo khud se sawaal karne lagi, Islam sahab ka khaas wo langda aadmi waha aaya usne Alina ko bataya ki Rajesh safdar ke aadmiyo ke sath bhuns ki tarah oos monit ko talash raha tha, Alina sunkar thoda nischint huyi,

"Ek badle ke liye sau dushman raste mein aate hi hai memsahab isliye kisi ne behtar kaha hai ki badla lene waale ko hamesha do qabr khodke rakhni chahiye"

"Aap kehna chahte hai main khud hi apni qabr khud khod rahi hoo main badla na lu buzdil ki tarah yaha se chori chupkar wapis laut jau dushman ko hassne du jinhone mere Abba ko aziyat kharab maut di".....Alina ne bhadhakte huye kaha

"Chowdhury ek taqatwar shaksiyat hai uspe itne jaldi haath daalna apne death warrant pe khud sign karna hai aur islam sahab ki maut ke baad uski taqat aur badh gayi hai agar haal hi mein oose kisi ne chot di hai toh wo aap hai maine Islam sahab ke liye umarbhar kaam kiya hai Islam sahab ki soch mein aur aap mein bahut faraq hai wo khoon bahate they apne fayde ke liye par aap waisi nahi hai, unki maut ne mujhe seekh di hai ki aadmi chahe kitna bhi taqatwar kyu na ho? Galat dhandha aur irada oose khaa hi leta hai main Islam sahab ki aaj bhi bahut izzat karta hu par unki maut ke baad se main badal sa gaya hu, aur aapko dekhkar mujhe aapki parwah hoti hai ki kahi aapko bhi kuch khuda na kare

Maine inhi hatho se logo ko maara hai khoon bahaya hai geraftar hua hoo Islam sahab ne riha bhi karwaya par ek goon jo aapne tha unme nahi aur wo hai gair kanooni dhandhe ko dobara na khada karne ka faisla"

Alina munh baaye oose dekh uski baat sune ja rahi thi....
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 25 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #9 on: October 29, 2024, 05:25:47 AM »
"jaante hai apno ko khone ka dard sirf aapne  nahi maine bhi jhela hai jab ek dafa ghar mein ghuskar meri beti ke sath ek ilaake ke bhai ke logo ne"

Kehte kehte uska gala rundh gaya, fhir usne apne aansu poche aur kehna shuru kiya..."koi mehekme wala koi fariyad na suna  wajah uske baap se us bhai ko khunnas kyunki wo Chowdhury ka munhlaga tha aur aayedin aapke Abba aur Chowdhury ki dushmani mein unke aadmi bhait chadhte they, meri beti ki na sirf izzat meri wajah se looti gayi balki oose nange haalat mein uski laash chodhkar mere aagman ke liye rakh di gayi socho kya guzari thi? Jab ek baap apni beti ki aisi fazihat dekhta, islam sahab ki dushmani mein meri beti bhait chadh gayi main bhi chup na baitha akkha aadmi ko leke Ghar mein ghuskar usko shoot kiya kayi din tak police wale meri talash mein they aur is tarah ek ke baad ek khoon bahata gaya main, ye gair kanooni dhandha ye bare logo ki dushmani kitni chot pahuchati hai ye wohi janta jo is aziyat mein jee raha hai"

Alina ka badan sihar gaya oose ek pal ko apne Abba ke kiye par sharmindagi hone lagi, "main aapko kehta hu aapke Abba ko maara gaya lekin kyu? Isliye na kyunki unhone bhi khoon bahaya tha aapsi dushmani mein kayi begunah ko maara toh sochiye aisa insaan apne sar par kitni baddua leta hai ki aakhirat allah tala uski aur aziyat bhari kar de, aaj agar wo Bach bhi jaate to kya ye corrupt system aur jo sarkari mehekma unki kaltak izzat karta tha kya wo unhe hi apne izzatdar society ke liye faasi ke raate pe khada karne ke tamannai nahi they, wo kitne nashe aur hathyar ke bare tasqari they mujhse zyada koi nahi janta kya mila unhe aakhir mein? Chand paisa aur uske badle wo kitna gunaah failaate they is baat ka unhe ahesas tha ki kitne masoom bacche gareeb parivar us drugs ki chapait mein they, apne khauff ke liye kitne begunah ke parivar ko unhone ujaada, kitne aise logo ko hathyar dekar mulk mein aur aatank aur dehshat failaaya, jo log kaala dhanda karte hai unka imaan kabhi allah qabul nahi karta chahe wo Chowdhury ho ya koi aur, wo ladka monit main nahi janta kaun hai? Lekin uski chavi bilkul us Asif jaisi dikhti hai jisne aapke Abba ko maar dala tha, aur agar aisa hai toh bhari khatre ki baat hai, Chowdhury aur x gang chahe jaise bhi rahe lekin wo unse dus kadam aage hai, ye khoon kharaba tabtak machega jabtak koi na koi iski bhait nahi chadh jata, kabhi kabhi aisa lagta maut munh baaye saamne khadi hai mera apko itna kuch kehna uchit nahi tha lekin aap Naik hai apne Walid ki galti mat dohraaye, aur agar badla na liya jaa sake toh allah pe chodh de kyunki ye rasta bad se badtar hai, main ek bat aur kehna chahta hu ye Rajesh Sahi aadmi nahi bishal safdar usse bhi gaya guzara hai Chowdhury aur usme koi faraq nahi apne fayde ke liye apna imaan bech dene waale log hai sambhal ke rahiyega ijajat de"

Kehte kehte wo langdata waha se chala gaya piche Alina ko lajawab chodh jaha usne ek taraf uske baap ke khilaf baat kahi thi wohi dusri taraf uski baat mein sacchai thi waqayi us badle mein siwaay maut ke kuch nahi bacha tha, aur Rajesh zarurat se zyada bishal safdar ke kareeb ho raha tha khoon kharabe ki naubat la raha tha, lekin kya ye aasan tha yaha se yuhi uska chale jaana? Kahi jo log uska sath de rahe they kya waqayi wo kaala dhandha karne wale log uske dushman ban baith sakte they? Lekin Rajesh uske lagaam mein tha jise wo jab chahe kheech sakti thi wo ab Rajesh ke liye waqayi fikarmand thi, wo kayi baar zor de raha tha ki wo apne Walid ki tarah kaale dhandho mein utarkar apna Paisa lagaakar sheher mein naye sirhe se empire khada kare,

                             ---------

"Pata hai bachpan mein maa ko baap bahut maarta Peetta tha meri maa yahi sab sehte sehte marr gai, uske baad mere Abba sharaab mein is qadar dubkar karzaai ho gaye ki wo din din tak ghar nahi lautta, mere mama ne mujhe apne yaha rakh liya wo bhi sharabi they jitna do waqt ka khaana nahi khilaaye utna taana diye aur fhir ek din ek aadmi ke haatho mujhe bech diya tab main 12 saal ki thi, wo mujhe Tangail ke kotha le aaya waha bahut mera sath bura suluq hua maara Peeta kayi kayi baar mujhe angrezi mein kya bolte hai haan molest karne ki koshish ki, par ek aunty thi wo hamesha mujhe maa ki tarah pyaar ki unhone meri hifazat ki lekin ek din kuch gunde aaye aur unhe uthaakar le gaye agle din pata chala wo aspatal mein thi bari muskil se unke paas jo sath wali rehti thi unke sath unhe dekhne gayi, unki haalat nazuk thi unhe bahut maara Peeta tha un logo ne wo toh mujhe chupa li warna wo darinde mujhe bhi utha le jaate"

Monit chupchaap uski aap beeti sun raha tha wo ab bhi uske ghar mein mauzud tha, na jaane kab mishti oose apna koi samjhkar apni Dil ka saara dard keh suna Rahi thi, "fhir uske baad agle din khabar mili wo marr chuki thi unke sath bahut bura rape hua tha, main us waqt 12 saal ki thi maine bahut koshish ki us daldal se bhaag nikalne ki lekin in bhadwo ne bhaagne nahi diya bhaagti bhi toh koi aur akela dekhkar mera hi shikar kar leta fhir oosi jagah laakar chodh deta maine kismat ko Maan liya tha aur kuch sal ke andar main theek dhang se jawan bhi na huyi aur mere sath!

Kehte kehte uska gala rundh gaya wo rone lagi fhir jab usne Rona kam kiya toh fhir kehna shuru kiya "ab to aadat ho gayi hai faraq nahi padta kisi ke sath bhi soyu lekin jab koi jabardasti karta hai na toh aisa lagta hai jaise wo main nahi hoo meri jagah wo aunty ho aur wo log wohi ho jinhone meri aunty ko tadpa tadpa kar maara tha, ye duniya waqayi bahut zalim hai bahut berehem hai bahut gandi hai re, meri chodh main to bahut kuch keh ki Teri kya dastan hai?"

Monit khamosh tha wo uski baat sunkar chup raha, fhir usne kaha "meri dastan to kabki khatam ho chuki ab kehne ko bacha hi kya? Main bhi bahut bura aadmi hoo khooni hoo"

"Yaha har tarah ke lafdebaz aaye koi us gang ka koi is bhai ka aadmi par tu yaha ka lagta nahi arre bol na kehte hai dil ko halka karna sehat ke liye acha hota hai"

"Hahahaa"......monit ko pehli dafa usne hasste dekha wo fhir khamosh hua toh fhir uska chehra saqt

"Acha theek hai mat bata aage kya irada hai?"

"Yaha se chale jaane ka main yaha zyada dair teher nahi sakta Tera wo jaankar dalaal dobara aa sakta hai wo jisko maara wo aadmi"

"Wo safdar ka admi hai bishal safdar bahut bada bhai hai old dhaka ka local neta bahut kameena aadmi hai"

"Koi bhi rahe mujhe faraq nahi padta main waqayi yaha ka nahi hoo yaha ek maqsad mujhe le aaya hai unhe maarna hai jinhone mera aur mere apno ka khoon bahaya hai"

"Kisne maara? Kaun tha Tera apna"

"Bahut lambi kahani hai mishti kabhi fursat mein sunaunga agar Jaan bachi rahi toh"

Tabhi monit ke jeb se ek tasveer fisal kar gir gayi jise mishti ne uthakar palatte huye dekha usmein ek khubsurat ladki thi aur sath mein ek ladka wo tasveer ahana aur aashif ki vilayat ki tasveer thi,

"Ye dono kaun hai?".....mishti ke puchne se pehle hi monit ne wo tasveer apne haatho mein le li aur jeb mein bharne laga

"Hai koi"

"Tu mujhe apna nahi manta na?"......aaahat bhav se mishti ne oose dekha monit ko uske nazare gulabi dikhi

Wo khamosh raha toh mishti uthkar jaane lagi jispar piche se oose monit ki awaz ayi

"Mere apne they is ladki ka naam ahana hai mashur Amsterdam ke rasukh Edwards sahab ki beti aur ye ladka Aasif mere sabse kareeb"

"Ab kahan hai?"

"Maare gaye balki maar diye aur unhe marne wala isi shehr mein mauzud"

"Mujhe bataa kya malum main Teri madad Karu?"

"Tu nahi bata payegi ye sab daldal ke gehraiyo mein dabe gair kanooni dhandha karne wale gangster log hai jisse bheedhna matlab maut tayy hai"

"Aur tu unhe yaha maarne aaya hai"

Monit ne oose dekha mishti samjh gayi..."isliye meri raah aasan nahi kabhi bhi maara ja sakta hu"

"Tu agar chala gaya toh main dobara us daldal mein fass jaungi jismein hu mujhe bhi apne sath le chal na re"

"Nahi teri life ki koi guarantee nahi rahegi main apne badle ke liye kisi begunah ko marrne nahi de sakta"

"Ye zindagi bhi kya jo kisi maut se badtar nahi, har roz marrti hoo ek baar hi marungi tere kisi kaam aaungi wohi bahut hai"

"Tujhe pata hai meri wajah se tu bemaut aur bewajah inki aziyat ka shikar hogi"

"Abhi kam izzat ki fazihat nahi hoti bol na tujhe mujhse gheen aa rahi hai isliye dur hai"

"Hargiz nahi aisa nahi hai"

"Toh fhir mujhe bhi le chal yaha se jaha bhi tu jayega ye meri inteja hai tujhse"

Wo monit ke bilkul kareeb aakr hath jode uske chehre ko ektak dekhne lagi, monit ko jaise jawab nahi sujh raha tha wo baaton mein usse jeet nahi sakta tha, aakhir mein usne apni haar maan li aur oose apne sath le chalne ka faisla pe sehmati zaahir ki, mishti aansu ghule nazaro se maarein khushi mein kasskar uske gale se lipat gayi monit ke liye wo ek azib sa ahesas tha uske hath uske peeth se dur hawa mein tike rahe jabtak khud hi usne oosse alag hone ka faisla nahi kiya....

                              
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 25 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #10 on: October 29, 2024, 05:28:45 AM »
Bishal safdar ke aadmi bhi kayi waqt se monit ko dhundh rahe they tabhi juye ke adde par uske kuch aadmi jua khel rahe they jaha adhmari haalat mein langdataa marham Patti kiya wohi aadmi pahucha jise mishti ke kamre mein monit ne buri tarah zakhmi kiya tha, uski halat dekhkar har koi sakpaka gaya

"Kya re kaun todela tujhe?"....ek ne pucha

"KHAMBHAKT SAALE NE BAHUT MAARA RE AAHHH JODH JODH DARD KAR RAHA HAII HAAYEE ARRE WO basti ki veshya ilaaka wali  apni MISHTI KE YAHA"

"toh galat time pe kisi aur garahak ke waqt waha jaayega toh yahi hoga hahaha".....sab logo ne uska mazaak udaate tahaka lagaya

"Arre nahi baap customer to laga nahi aisa dhoya jaise saala uska marad saala waha x gang ke pantarlog khabriyo ke sath ghum rahe they"

Jo taash khel rahe uspar hass rahe gunde log wo sab oose hataash dekhne lage jamshad ne bataya ki wo log waha kisi monit ki talash mein they uska huliya dikhakar puch rahe they wohi paas ke basti wali kholi mein wo paaya gaya tha lekin mauke par pahuchte hi wo na mila unhein,

"Safdar bhai ne bataya tha hum bhi toh monit ko talash rahe hai saala mil kahan raha hai? Wo sala yaha chupa tha matlab aas paas hi tha shitt Bhai ko pata chala ki humse pehle x gang walo ko malum pada mundi kaat ke railway track pe daal dega"

Tabhi uski nazar sketch par padi jo table pe rakhki huyi thi wo jhukkar gaur se us tasveer ka mauana karne laga "arre yahi toh tha woh"...usne tasveer par haath maarte huye un sab aadmiyo ka dhyan apni taraf kheecha

"Kahan dekha ise tune?"....ek ne uthkar uska gerebaan thama

"Mishti ke yaha yahi toh dhoya mere ko saala harami bataya tha x gang waalo ko"

"Haramzaade humhe pehle nahi bata sakta tha"....ek ne prachand ghusaa uske munh par maara wo jabda thaame wohi dohra ho gaya

Ek ne oose gerebaan se uthaya aur mishti ke kholi ka pata pucha, wo tote ki tarah batane laga oose ghaistte huye fhir wo log oosi waqt apni apni kursiyo se uthe aur jhund mein bahar nikle wo chahte they ki wo monit ko zinda thaame aur bishal safdar ke aage pesh kare

Darwaje pe fhir dastak pahuchi is baar mishti ka dalaal aur apne so pantar ko lekar waha pahucha tha, tabhi mishti ne jaise darwaja khola wo log hadbadakar andar ghus aaye,

"Aye kaun ho tum log?"....wo mishti ko ghere khade hokar uske badan ko ghurrne lage dalaal hass raha tha

"Bola tha na aake bataunga us waqt bhailog sath they ab to Tera wo marad bhi nahi jo tujhe jamshad se bachaya"

"Harami kutta".....hawa mein hi dalaal ne uska haath thaam liya ek ne oose piche se pakda

"Chodh de mujhe".....usne Kalai chudhaate chillaya

"Ye dono bare bhai ke aadmi kaafi maal diya aaj tu grahak nahi balki main tujhe grahak dunga kya dekh rela hai le jaa bistar par main darwaja lagake jaata hai hahaha"

Dalaal darwaje ki taraf badhkar abhi kundi lagaye tha ki tabhi uske peeth par dard ki sirhan uth gayi so karhaata peeth palte dekhne laga aage ka manzar dekh uske hosh ud gaye saamne monit khada tha wohi aadmi jisko sheher sheher Chowdhury ke aadmi x gang ke aadmi dhundh rahe they,

Jisne mishti ko thaama tha wo pait pakde niche zameen pe baitha hua tha, jabki dusra wala uske peeth se takrake ek taraf girkar karha raha tha, dalaal ne hadbadate huye darwaje ki kundi kholni chahi tabhi monit ne aage badhkar uske munh ko dabocha aur oose gale se uthata hua uska sar upar jal rahe bulb pe de maara bulb tuta aur wo sar thaame zameen pe aandhe munh gira, dono aadmi chaaku nikaalkar uske saamne khade ho gaye monit ne mishti ko ishara kiya wo ek aad jaakar khadi ho gayi

Ek ne furati se chillate huye uspe chaku ka vaar karna chaha jise beech mein rokte huye uski haatho ko madodta monit ne kohni ka zordar war uske chehre pe kiya dusra aadmi jaise hi uske kareeb chaku liye pahucha usne oose aur apne aage aane nahi diya aur ek laat jamata hua oose bistar pe de faila wo bistar takrata niche, palbhar mein uska chura uske haath mein tha usne oose piche khade aadmi ke gardan mein ghusaya aur ghuma diya uske gale se ghuntti cheekh nikli aur wo wohi dhair, dalaal ne uthne ki koshish ki tabhi ain saamne monit uske aa khada hua usne chura uske phone thaame haath mein de maara ungli kantkar gir gayi wo wohi kata haath thaame rone laga, dusra aadmi abhi utha hi tha ki monit ne taar kheechkar uske gale mein lapaita aur ek hi jhatke mein umaithkar uske gardan ki haddi Tod di, ye sab dekhkar munh pe haath rakhkar mishti khauff se nazare fhairi huyi thi,

Monit ne banduk apne bag se nikaala aur uska silencer theek kiya, "bhai m..aanf kar do jo kahega apun karega iske aangan kabhi nahi aayega mishti samjha na re isko"...wo rota pao pakda monit ke zameen pe girkar Kati ungli se fariyad kar raha tha, mishti ne koi jawab nahi Diya, monit ne oose gereban se uthaya aur oose qeher bhari nazaro se ghura, "bhai pls Bhai baksh de mere ko bara mistake hua"

"Munh khol".......usne na chahte huye bhi munh khola monit ne banduk halak tak jaise uske ghusa di wo bari bari khauff bhari aankho se monit ko ghurrne laga chatpatane laga par monit oose kasskar dabocha hua tha

"Jaakar banane wale se apni rooh ki bakshaish karna ki jitni bhi ladkiyo ki dalali ki uske badle tujhe jo saja chahe de de"

Uska maarein khauff mein na mein hilane laga, lekin monit ne suna nahi aur trigger daba diya silencer ki awaz se khamoshi rahi, diwaar par khoon ka fawarra bikhra aur dalaal ki laash monit ke samne diwar se lagte huye wohi gir padi.....mishti kaanpte huye paas aayi oose ubkiya aane lagi

"Zyada waqt nahi hai jo bhi saaman hai le lo koi bhi yaha aa sakta hai humhe nikalna hoga"

                               ----------

Darwaja khula toh jaise sabki saans tham gayi waha teen laash padi thi agal bagal ki dhandhewaliya aadmi har koi mohalle ka waha bheedh laga raha tha, bishal ka aadmi sar thaame charo taraf dekhne laga waha koi bhi nahi tha,

"Wo aurat kahan gayi?"....ek ne mohalle walo se pucha

"Main dekhi usko ek aadmi ke sath yaha se sidha nikal gayi"

Un lasho ko dekhkar safdar ke aadmi bahut zyada ghabra Gaye they wo unka jannewala dalal tha aur wo dono uske jannewale Bhai ke aadmi, wo log hadbadakar sidiyo se utare aur oosi raah bhage jaha se unhe jaate huye dekha gaya tha zaahir tha wo zyada dur nahi gaye they,

Apne sar ko chupaaye monit ke sath jaldi jaldi khatam se chalti mishti ko bahut zyada Darr sataa raha tha lekin monit kahi se bhi oose ghabraya hua nahi lag raha tha, tabhi jamshad ki unpar nazar padi "bhai wo rahe"....wo aadmi unhe hi dhundhte unke piche Tak pahuch chuke they, wo log chillate huye unke piche bhaage

"Bhaago mishti"

"Unhone humhe dekh liya lagta hai unhe tumhara malum chal gaya"

"Maine kaha bhaago sidha bhaagna aur kahi rukna mat"

Mishti daudi wo log hathyar band they unhone chura banduk nikaal liya tha monit mishti ke piche bhaaga jis jis taraf wo daudh  rahi thi wo ek aad mein hua aur sidha goliya piche chala baitha isse wo log bikhar gaye waha se bhi jawabi firing hone lagi, monit fhir teji se goli chalata bhaaga

"Bhaag rahe hai woh hathyar hai uske paas aisa maaro ki saale ko baad mein tadpa tadpa ke maare"

Monit mishti ke paas daudta aaya usne oose bagal wali gali ki taraf dhakela tabhi uspar goliya chali usne bag se Alina ke aadmiyo ke adde se hathyayi mac-11 banduk nikaali, wo log sambhale kuch dair waise baithe rahe, lekin koi harqat monit ke taraf se nahi huyi, wo log banduk thaame aur kareeb aane lage tabhi achanak ekdum se firing shuru huyi monit ke taraf se unke liye, uski andhadhundh ek ke baad ek goli ke chalne se wo log Bach na paaye unki pistol unka saath nahi di, aur kuch aadmi wohi dhair ho gaye,

Wo log hadbadaye tehre piche hone lage, banduk thaama monit unki taraf badha tabhi kisi ne chatt se hamla karne ki koshish ki jisko monit ne mauke pe shoot kar diya wo ghass khaake zameen pe aaundhe munh gira

"Apni apni banduk faikh do"

"Marega tu ye hamara ilaka hai kaant daalenge tujhe"....un gundo ka sargana ghabrati awaz mein bola lekin monit ki harqat pe koi badlav na dekhkar unhone banduk niche rakh di goliyo ki awaz se mohalla sunsaan ho gaya tha,

"Kaun bheja tum logo ko?"

"Safdar baap tujhe pakad mangwaane"

"Kyu?"

"Tune uske diye aadmi aur Navi gang ke aadmiyo ko maara isliye"

"Navi gang kaun?"

"Malum nahi"

"Ya batana nahi chahta"

"Jo samajh bishal safdar ko nahi janta hum tujhe uthaane aaye they tune hamare admi ko maarkar janta hai kisse panga liya? Bach nahi payega"

"Pehle khud ko to salamat kar"

Itna kehte hi monit ne uske bheje se leke pair tak goliyon ki bauchar kar di wo wohi dhair ho gaya wo log bhaagne ko huye chura nikaale monit unpar jhapta usne bhaagte pehle gunde ki peeth pe vaar kiya aur fhir dusre ke pait mein chura utaar diya dusra uspe jaise hamla ko hua usne pait se chura nikaalkar uske gardan pe chala diya dusra bhaagta gunda wohi teher gaya monit ne chura uski taraf faika jo sidha uske maathe pe ghus gaya us manzar ko jisne bhi dekha wo wohi dehshat mein pad gaya,

Monit ne paas jaakar chura maathe se nikaala aur galiyare ke paas pahucha mishti sehme khadi dubki huyi thi, usne oose dekha monit uska haath thaame bag liye  bhaaga, dusre gully haisa(machete) jaise chaku ka vaar hawa mein hua mishti ko kasskar monit ne piche kar diya aur chura us aadmi ke baazu pe de maara uska haisa Cheena sidha bhaagte aate gali ke dusre gunde pe de maara wo ek ke baad tamaam gully se aate aadmiyo pe vaar karta raha tab usne dobara mac-11 thaami aur sidha galiyo mein goliya chalai jisse kuch aadmi bhaag khade huye aur kuch wohi dhair, aisa khoon kharaba faila ki mishti ye sab dekh nahi paai,

"Police aa sakti hai humhe yaha se jitna jaldi ho nikal jana hai"

Wo log bahar sadak par basti ke bahar nikle jaha usne gaadi park ki thi wo waha satarkta se pahucha gaadi mein mishti ko bithaakar andar aa baitha fhir gaadi ko teji se mor kaantte huye sidha sadak pe dauda di jo aadmi uske piche basti se bahar aakar pahuche unhone uski gaadi ko dekha nameplate pe khichadh laga pada tha jisse kuch unke palle nahi aaya,

"Ab bhi kahogi saath rehna hai ab jo khatra mere liye hai tumhare liye bhi hai"

Mishti ne koi jawab nahi Diya oose shayad pehli dafa aisa khoon kharaba bhara manzar dikha tha, wo bhaari sadme mein thi ya fhir maare darr mein, monit ne usse kuch pucha nahi wo shaam dhalte maghrib hote aasman ko dekhte huye drive kar raha tha

                          ------------

Namaz se uthte huye jab bishal safdar aangan pahucha toh niche se uske aadmi uska naam pukar rahe they, wo waha aangan ke diwar se sata niche dekhta chilaaya

"Kya bat hai itna shor kyu macha Raha hai?"

"Safdar Bhaijaan apne aadmi wo basti aur galiyare mein maar diye gaye wo monit naam ka admi maara unhe, oose hi dharne gaye they koi nahi bacha jo bande log bache wo jaan bachaye usse bhaage sakshat maut hai wo saala Bhai"

Bishal ne kasskar diwaar par mutthi maara uske jabde bheech gaye aakhir sheher ke naami bhai ke aadmi ko ek anjaan bande ne akele maar jo giraya tha, "kidhar bhaaga woh? Kaun tha uske sath?"

To be continued... 
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 25 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #11 on: October 29, 2024, 05:30:08 AM »
"Wo ek R**di ke kholi mein panaah paaye tha x gang waale bhi dhundh rahe they oose par us ladki ne oose chupa liya, jab hamare aadmi uske kholi pahuche toh uska Dalal, kareebi bhai ke do aadmi khallas oose thaamne ke liye hamare aadmi unke piche Lage to sab khallas hathyarband tha wo"

"Kidhar bhaaga woh?"

"Basti se bahar nikla hamare kuch aadmiyo ne chupkar unhe jaate dekha wo kaali gaadi mein us ladki mishti ke sath sawaar hua aur ye ja woh ja number plate dekh nahi paaye, uspe khichadh lagi padi thi"

"Jaanbhujkar usne dhoka Dene ke liye aisa kiya khair wo ladki mishti ooska usse kya lena dena?"

"Malum nahi bhai suna hai dhandhewali hai aur 29 number us kholi mein rehti thi, aaj hi us bande monit ko waha basti ki aur dhandhewaliyo ne dekha tha uske chaukhat par ho sakta hai paiso ke lalach mein uske sath bhaagi ho ya fhir zazbat ki Rau mein usse Dil lag gaya ho waise wo ladka monit paas ke hi basti ke ek kholi mein reh Raha tha x gang se bhaaga hoga aur waha us ladki ne oose panaah de di aur badle mein shayad ladka oose us zaleel dhandhe se nikaalne ka vada karke oose sath le gaya hoga"

"Ye sochte ki wo bhi marregi azib waqya hai saala khair Mujhe isse koi matlab nahi agar humhe pehle malum hota toh shayad x-gang se pehle hum us tak uske dere pahuch chuke hote aur wo aaj hamare geraft mein hota Rajesh ne sahi bataya tha ye saala bara hi peshewar hatyara hai itne log ke hath mein nahi aana aur hathyarband hona matlab wo hamare liye behad khatarnak hai Alina Islam ke giroh pe bhi watch rakho kya pata wo waha unke thikane kabhi pahuch jaaye?"

                                -----------

Drive karta monit sheher ke paas 0 mile ki taraf bane motel ke paas gaadi rokta hai, mishti bahar jhankkar dekhti hai jaha saamne chamakta neon sign board par motel ka naam likha hota hai "Aashora"

"Utaro"...kehte huye apni seat belt kholta monit bahar nikla sath mein mishti bhi bahar nikli usne andar se ek burqah oose diya aur pehnne kaha

"Ye kisliye?".....mishti ne hairat se pucha beech raste mein monit ne gadi rokkar wo kharida tha

"Ise pehen lo ab tum bhi pehchan mein aa sakti ho dusri baat tumhare pehnaave aur huliye se yaha humhe room Milne mein dikkat ho sakti hai"

Mishti ne aahat bhaav se oose dekha, aur fhir nakli gussa dikhate huye kaha "Dhaka sheher mein aise kayi hotels badnaam hai pure Bangladesh mein chote se leke bade hotels mein ladkiya supply hoti hai aur main itni gayi guzari lag rahi hoo?"

Usne apne phool lage juda kiye kaale baalo pe apne tamatar jaise laal hontho ke lipstick aur chehre pe gehen makeup ko dekhte huye oose Ada se kaha, monit sar pakda oose dekhne laga, "theek hai theek hai sirf is baar tumhari wajah se bhaagi hoo ab saare nakhre uthaane honge tumhe mere"

Kehte huye wo burqah pehenkar hotel ke raaste badhne lagi, monit Naa mein sar hilata khud se badbadaye hathyaro ka bag apna aur uska saaman liye uske piche piche chalne laga......"main bachunga tabhi toh nakhre uthaunga"

Andar aate hi receptionist ne ek udti nigaah burqe pehni mishti pe daali aur fhir monit ki taraf dekha...."humhe room chahiye"

"Ye kaun hai?"...receptionist ne sawal kiya
"Inki stree (wife) 1 saal hua hamari shadi ko".....ekdum se mishti ne jawab diya monit lajawab oose dekh raha tha

"Oh ok ji Sir aapka I'd card aur details yaha darz kar dijiye".....mishti ko laga ki uske paas koi kaagazat nahi honge kyunki wo videshi tha par jaise hi Jadu ke jor se jeb se haath nikaale I'd card receptionist ko dikhaaye monit details bharne laga, jabki receptionist bada gaur se burqah pehni mishti ki nazaro ko dekhne laga mishti ye dekhkar nazare churane lagi aaj pehli dafa kisi mard ki nazar oose bhaayi nahi thi

Receptionist ke diye room boy ke sath wo apne kamre pahuche andar dakhil huye fhir room boy ko kuch paise dekar khaana laane kehkar monit apni jacket utarne laga burqah utaare mishti bistar par baith gayi fhir aage badhkar bahar galiyare mein lage parde ko khole bahar jhaakne lagi, andhera ho chuka tha

"Hum kabtak yaha tehrenge?"

"Jabtak humhe koi dhundh na le"....jacket utaarta monit bola

"Ek baat bata wo log tujhe kyu dhundh rahe they? Wo log janta hai bishal safdar ke aadmi hai"

"Kisi ke bhi ho kya faraq padta hai? Ho sakta hai mere dushmano ne oose engage kiya ho mujhe maarne ke liye".....bistar par baithkar apne juto ko utaarta monit ne kaha

"Tum dhaka se nahi bhaagoge"

"Main yaha maarne aaya hoo na ki bhaagne pehle hi tumse kaha hai mere sath chalogi kadam kadam pe maut hai main teri life ki guarantee nahi Le sakta"

"Abtak to ki na tune meri hifazat".....mishti uske paas baithkar boli monit ko us aakhiri lavz se kisi ki yaad aane lagi usne apne sar ko jhinjoda uski ye harqat dekh mishti hairan huye bina na reh paai

Wo utha aur bag ki zip kholkar andar cheezon ka muana karne laga.....mishti ne jhaaka uske bag mein kuch hathyar they agar Zara si hotel waalo ko bhanak lag jaaye to wo dono wohi hathyaro ke sath geraftar, ek gun ko nikaalkar oose tatolta check karta monit wapis oose apne jeans ke holster mein fasane laga uske baad bag ko band kar wo ek kone mein rakh bathroom mein chala gaya,

Jab wo bahar lauta toh hotel ka service boy khaana dekar jaa chuka tha, mishti burqah utaarkar samait rahi thi uski nazar monit ke bheege badan par padi uske jism par jagah jagah katne ke nishan they goliyon ka gehra zakhm bana sa nishan tha uske ribs aur chaati ke paas uska balisht kasrati badan dekhkar jaise wo oose ektak dekhne lagi wo tauliya pehne tha monit uski nazaro ko bhaapte huye koi parwah na kiye bistar par aa baitha aur apne ek bag se kapro ka tayy nikalne laga

"Ek baat bata tune abhitak mujhe apni story nahi sunai itna kuch ho gaya abtoh mujhe batana"......mishti uske bheege kandhe pe hath rakhkar kahi

"Fursat se bataunga filhal tum jao naha dho lo change kar lo tumhe bhook lagi hogi"

Bina uski taraf dekhe bheege badan mein baitha monit kapre chun raha tha pehnne ke liye,mishti aajtak itne mardo ke aagosh mein gayi thi lekin na jaane kyu monit mein oose itna apnapan dikh raha tha? Wo hotel ka bistar par bicha tauliya liye jaane lagi usne bathroom ka darwaja halka sa sataya jo theek dhang se laga nahi, wo shower ke niche khadi hokar apne peeth ke dori ko kholne lagi fhir usne wo chudidar frock utaar li fhir us blouse ko bhi apne jism se alag karke gira diya monit ki nazar uspar uthi to wo ek pal ko oose dekhne laga, mishti ne mudkar oose ek baar dekha toh monit ne nazare fhair li, wo jaise hi piche se apna bra ka hook utaar hi rahi thi ki monit ne uthkar darwaja theek dhang se laga diya, is bat se mishti muskurane lagi wo jaisa Dil ka saaf tha waise hi imaan ka pakka wo nal kholkar nahane lagi, jab farig huyi toh waha padi bathrob ko usne tauliye se khud ke badan ko pochte huye pehna fhir bahar aayi uske khule geele Baal aur chehra dekh monit ko ek pal ke liye aisa na laga ki wo koi peshe se dhandhewali thi, apne baal ko tauliya se jhaadhte huye ponchte uski nazar monit pe huyi to wo pare dekhne laga, wo mand hi mand muskurane lagi....."tum zyada chamkile bhadkile kapre Kam pehnna yaha aur zyada kisi ko munh mat lagana khaaskar receptionist ko"

"Kyu?"......khaana khaate huye mishti ne usse pucha
"Tum ab mere sath ho jaisa main kahu waisa karna kyunki isse hum mushkil mein aa sakte hai tum yaha meri biwi ho aur aise kapre bura mat manna ache ghar ki ladkiya nahi pehenti"

"Par mere paas aur kapde nahi hai"....usne aahat bhaav se monit ki taraf dekha

"Theek hai tum apna size aur measurement batao main le market se le aata hu"

"Main bhi chalu"

"Nahi yaha hathyaro se bhara bag chodhe ja raha hoo oose dekh rekh karna kisi ko ghusne mat dena aur agar koi dikkat zyada pesh aaye toh mujhe contact karna phone hai na tumhare paas"

"Hmm"

Monit jhoote plate uthata ek taraf tray trolley mein rakhkar munh haath dhone chala gaya, jabki mishti ko waqayi aisa lag raha tha ki wo uska naye navele pati ki tarah khyal rakh Raha tha,

                                 ----------

Rajesh tamtamata sofey pe chair pe aake dhair hua toh Alina uske paas aa khadi huyi, "kahan gaye they?"......Alina ke sawal ke bawjud wo kafi pareshan dikh raha tha

"Safdar bhai se baat karne, bahut bura hua bishal ke aadmiyo ko usne Jaan se maar diya wo oose uthaa na sake"

Alina ne paas khade langde aadmi ki taraf dekha jisne waqayi monit ko Asif se kam nahi aanka tha wo waqayi khatarnak sabit ho raha tha, Alina ko mann hi mann ek azib si dehshat hone lagi, kya wo waqayi un tak kisi bhi din pahuch sakta tha?

"Jis number se usne humhe call Kiya tha wo hamare aadmi ka tha oose trace karte"

"Kiya tha Alina lekin koi fayda nahi last location jaha mili waha Ganda Nala padta hai ho sakta hai humhe dhamki dekar usne phone wohi faikhkar chala gaya"

"Ab kya karenge? Mujhe lagta hai humne oose bahut kam nazaro se aanka hai wo zarurat se zyada khatarnak hai aise qatle aam hoga toh police ka aur khaaskar Chowdhury ka focus humpar barabar banega"

"Chowdhury ke admi bhi hamare un marre huye aadmiyo ki tasveer dikhaakar shinakt kar rahe hai lekin abhitak unhe kuch hasil nahi hua ek baar usko malum chala toh x gang to kya police bhi piche?"

"To ab kya kare? Wapis chale jaaye kyunki mujhe nahi lagta jo irada hum karke aaye uspe hum kabhi Amal kar payenge"

Rajesh saqte mein munh baaye kiye Alina ki taraf dekha jo kaltak badle ki aag mein jal rahi thi apne Abba ka inteqam Chowdhury aur Asif se Lena chahti thi aaj wohi piche hatne ki baat kar rahi thi, aisa lag raha tha jaise kisi ne uska dimag ghuma diya tha,

"Ye tum kaisi behki behki bat kar rahi ho?"

"Mujhe bhi yahi lagta hai Rajesh, safdar acha admi nahi hai kabhi bhi double cross kar sakta hai aur waise bhi wo hamara koi kareebi nahi kya malum kal ko Chowdhury ke sath milkar humara hi pardafash kar de"

"Acha acha bolo Alina why u getting so negative? Theek hai hum jante hai hamari taqat marhum islam sahab jaisi ab is sheher mein nahi hum khud chupkar waar kar rahe hai lekin saari facchar ki fasaad wo ladka monit hai ek baar wo raste se hat gaya toh sab aasan main bhi toh jaanu aakhir aisa kya humne ooska bigada ki wo hamare piche saaye ki tarah laga pada hai"

Tabhi achanak Rajesh ka phone Baja, Rajesh ne phone uthaya fhir oose speaker pe daala ..."bhai wo ladka monit hamare khabri ko dikha"

"Kahan par?"......utavla hota Rajesh ne pucha

"Dhaka New Market par waha dukaano ke chakkar laga raha hai jaise lagta hai kharidari karne aaya hai kya kare shoot kar de?"

"Wo bheedh bhaadh bhari jagah hai waha goli chali toh mushkil ho jayegi nahi oose ekaant mein dekhkar piche se uthana hai aur sidha adde le aana hai"

"Ji boss".....itna kehte huye phone cut ho chuka tha Rajesh ne vijeta ki muskurahat se Alina ki taraf dekha lekin Alina ke chehre pe muskurahat nahi thi

                              --------

Monit anjaan kharidari karta aage badh raha tha usne mishti ka naap to le liya tha lekin uski pasand na pasand ka oose koi andaza nahi tha, usne waha kapro ke dukan se kuch kapde kharide aur fhir kuch aur saaman ke liye aage badha wo jis jis dukan mein ghus raha tha waha waha wo khabri bhi saath saath chal raha tha kisi bhi waqt Alina ke aadmi waha pahuch sakte they, lekin waha us waqt bahut bheedh thi, khabri phone pe lagatar laga hua tha aur ek ek harqat monit ki note karta usse nazare bachaaye Rajesh ke aadmiyo ko ikhtila kar raha tha,

Wo bazar se nikla ab uske dono haath samaan uthaaye they, wo sidha raste pe chala toh palli taraf se ek gaadi aakar ruki, khabri daudhta hua unke pass pahucha aur un tamam gaadi se bahar utarte aadmiyo ko jaate monit ko taraf ishara kiya, khabri ko un logo ne bhaga diya aur wo log apne apne hathyaro ke sath uske piche ho liye koi nahi janta tha uske pass hathyar kitna tha? Wo anjaan sidha chal raha tha fhir uske baad daaye taraf mud gaya, wo log uska picha karte us tang gali mein ghuse jaise jaise wo aage badhe bheedh ka shor Gul na ke barabar ho gaya wo ekdum sunsan tang galiya thi, wo log ab bikharte huye daayi baayi taraf se oose ek jagah par jakar dharne ke firaaq mein they, do teen Moshtande banduk liye piche piche chal rahe they, tabhi uske piche piche chalte jab wo dusri gully pahuche toh wo samane se gayab tha, wo log hadbadaye unhone apni apni banduk nikaal li thi, saamne ke taraf se do aur bande chale aa rahe they unke unhone ishara kiya ki kahan gaya woh? Lekin kisi ke kuch samajh nahi aaya, wo tang galiyo mein na jaane kahan gum ho gaya tha?

Tabhi dhachh se ek firing huyi aur ek aadmi Kate paid ki tarah zameen pe gir gaya, wo log ghabraye aur idhar udhar banduk taane firing ki position mein ho gaye koi nahin janta tha? Ki goli kahan se chali thi? Achanak dusri firing huyi aur dusra Banda bhi dhair ho gaya baaki do siham uthe wo bhaage aage aur aadmi unhe mile jo idhar udhar bikhare huye they "kya hua?"....ek ne pucha baaki do gundo ne oose bataya ki unke aadmi ko piche shoot kar diya gaya tha wo log charo taraf upar banduk taane chatt ki aur niche aas paas ki gulliyo ki taraf jhaakne lage tabhi ek patli taar ek aadmi ke gale mein lipati aur wo uski ghutti cheekh nikli sabne uski taraf dekha toh uske gale se khoon beh raha tha aur taar kasse jaa raha tha wo uske kareeb aaye tabtalak uske piche khada monit ne unhe wohi shoot kar diya fhir aur kasskar us taar ko umaithkar us gunde ki gardan aur gale ko kaant diya dusri taraf se uspe goli chalne ko huyi toh usne oosi girti laash ko dhaal banaya aur us aadmi par faikha aur gunde uspar nishana lagane lage lekin uski goli un tamam logo ke hatho par unke banduk se nikli goli se pehle chali, sabke banduk gir pade ab monit ke hath mein chura tha usne palatwar kiya aur sidha pehle khud par goli chalaye us aadmi ke gardan ko kaant diya uske baad sidha chura dusre waale ke kaleje tak chati mein ghusa diya, fhir chura seene se nikaalta teesre aadmi ke pait pe bhonk diya palbhar ka kisi ko koi mauka na mila chautha aadmi dehshat se ulte pao bhaaga aisa laga jaise uske piche bhoot laga ho, wo gulliyo se guzarta diwaro se takrata haath pe goli lage zakhm ko thaama hafta ek taraf diwar pe jaa tika, tabhi khoon se Sana wo chura uske kareeb aane laga uski aankhe dehshat se phat padi tabhi wo chura uske jism ke aar paar ho gaya wo phati nazar se wohi dhair ho gaya,

Monit uski laash se jaise utha tabhi uske baazu ko cheerti ek goli lagi wo dard ko Peeta hadbadakar dusri taraf bhaaga abhi aur gunde baaki they wo aakhri gunde they jo ghaat lagaye aage wali sadak par chupe they, wo us gully ki taraf badhe apne aadmiyo ki laasho se guzare khoon aage bikharta sadak par jaa raha tha wo khun monit ko lagi bazu pe goli ka tha wo aur kareeb aaye toh jaise kisi tang andhere khidki se ek prachand ghusa us aadmi ke chehre pe pada wo wohi aaundhe munh piche gira monit ne chura ka waar sidha dusre aadmi ke thuddi pe kiya jo sidha uske jabdo mein jaa fasa wo haulnaak manzar dekh do gunde piche huye unhone dobara banduk uspar saadha lekin tabtalak un dono ke chaatiyo pe goli chal chuki thi wo dono wohi laash bankar gir gaye, monit bahar nikla usne sihame tute jabde ko pakde gunde ki taraf khud ko dekhte paya,

"Kiska aadmi?"

"R..Rajesh ka"

"Yaani Alina khan Islam ka"

"H..Han"

"Unka thikana?"

"Malum nahi"

Usne ooske jaangh pe goli chalai wo cheekha dard se bilbilaya, "ab?".......is baar monit ne banduk uske chehre ke taraf taani uska chehra safed pad gaya tha usne bataya, monit ne uske bheje pe goli chalakar uska kaam bhi tamam kar diya, usne uske laash se bajta phone dekha oose uthaya us taraf Rajesh tha

"Haan kya hua? Kahan par hai? Mila woh maara ki nahi oose?"

"Haan maar diya tamam tere aadmiyo ko"

Rajesh us awaz ko sunkar sofey par se utha alina oose dehshat se dekhne lagi, "kya hua? Saanp sungh liya meri awaz pehchana hahaha suwar ki jhund abkhatam hone ki kagaar pe pahuch chuki hai is baar safdar bhai ko kehna uska number"

"Dekh tu acha nahi kar raha tu bachega nahi"

"U better save ur and ur boss's ass cause I am coming after both of u"

"Aye"

"Chilla mat do baar Jaan bakshi ki hai is baar nahi karunga jo support kar raha hai na oose keh dena uske aadmi ko maara hu is baar uski baari hai apne waqt ko zaaya mat kar bhaagne ki bhi koshish mat karna warna Chowdhury ya x gang waale thaam lenge tum log mujhe dhundh rahe ho aur main tumhe, apni baari ka intejar karo uske baad jald hi mulaqat hogi ek aakhri baar"

Rajesh ne baddhi si gaali di aur phone cut karke ek taraf uchaal diya phone diwar se lagkar do tukde ho gaya har koi oose ghur raha tha, Alina ne kuch nahi kaha wo bar mein jaakar baithi aur ek bara jaam bharti oose peene lagi, Rajesh aise sofey pe dhair hua jaise gas nikale gubbare ki tarah uska Josh nikal gaya ho


                         -------------

Hotel ke pichwade se jaise taise monit baazu ko rumaal se bandha andar pahucha fhir sabki nazaro se chupta bachta usne darwaje pe dastak diya mishti kisi anisht ki ashanka se paas rakhka revolver uthaaye sihame darwaje ke paas darwaja buri tarah koi peet raha tha usne keyhole se ahetiyat se jhaaka aur fhir phat pade nazaro se darwaja ek jhatke mein khol monit ko andar kheecha darwaja lagaya,......"do not disturb ka sign bahar kundi par laga do"....wo Aseem pida mein kharidari ka saaman ek taraf rakhta jacket utaarkar rakhka uska baazu mein gehra ched ho gaya tha usmein goli fasi thi khoon baha ja raha tha rumaal khoon se sann chuki thi jise usne utaarkar faikha mishti munh par haath rakhkar oose thaami

"Kisi ne tumhe is haalat mein dekha toh nahi"

"N..nahi aahhh"

"Kisne kiya?".....mishti ne pucha

"Dushman ke aadmiyo ne baatein baad mein karo aahh sss intercom par ek baraf aur!"

"Ruko mujhe malum hai kya mangaana hai tum baazu thaame baithe raho".....monit chaukte huye ekdum se khamosh hua jab mishti ne beech mein baat kaantte huye usse kaha

Usne apne bag se ek dupatta nikaala aur oose kasskar baazu pe monit ke baandh diya, monit uski Tamam harqat note kar raha tha, usne bistar ke paas jaakar receptionist ko phone lagaya, monit pe behoshi taari ho rahi thi uska sar ghum raha tha aankhe beshud aur dhundhli pad rahi thi

To be continued...
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 25 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #12 on: October 29, 2024, 05:31:56 AM »
Jab monit ki aankh khuli tab usne paaya ki wo bathroom mein baitha tha na jaane kab mishti oose waha le aayin thi wo khule badan tha khoon se Sana mishti ka bandha dupatta farsh pe pada tha, mishti darwaja khole andar aayi usne bataya room service wala aaya tha isliye wo oose bathroom mein le aayi baazu se ab bhi khoon beh raha tha jisse usne waqt rehte farsh se room ke ponch liya tha taaki uska phone pe bataya saaman pahuchata hotel ka ladka na oose us halat mein na dekh le,

Saaman mein ek first aid box tha baraf tha aur kaichi aur dressing ka saaman tha, monit ne badhawas awaz mein mishti se pucha ki wo chaku ko kisi tarah garam kare oose garam karne ke liye oose chaku ko jalte aag mein dhipana hoga, usne kahe bataye mishti ne uske pant ki jeb mein fase holster se wo chura nikala jispe ab bhi khoon laga tha, usne washbasin mein jaake chura dhoya fhir ek lakdi dhundhne bahar gayi na jaane oose lakdi kaise mili wo paas ke sukhe paid ko tehni si thi, usne uspe apna bag se ek mota kapra baandha monit ke bataye usne fire starter uske hathyar Wale bag se baramad kiya fhir uspe chaku ko ghisa ek aad baar mein chingari uthi aur usne wo mote kapre pe rakhkha toh uspe dhu dhu karke aag jalne lagi kamre mein dhua uthne laga isse pehle dhua bahar jata usne aangan ka darwaja laga diya, bathroom mein lauti aur kaanpte haath se chura ko uspe rakhkar oose garam karne lagi, cotton pe Dettol bhigokar monit oose apne baazu se nikalte zakhmo ke aas paas saaf karne laga, fhir jab Puri tarah chura ki nok laal ho gayi toh usne mishti ke haath se chura liya, sihame mishti oose dekh rahi thi ye kaam usse hone wala nahi tha, usne mishti se kaha ki wo ooske munh mein kapra thus de aur ache se uske munh ko apne kapre se baandh de warna uski cheekh bahar tak jaane wali thi, mishti ne waisa hi kiya aur monit ke kandhe pe hath rakhkar uske garam chure pakde hath ko thaama, zakhm ki gehraiyo mein chura ghuste hi monit tadap utha lekin kasskar mishti ne oose thaam liya aur uske chura waale haath ko girne se roka aur puri dugni taqat se monit ne aankh dabate huye wo goli apne baazu se bahar nikaal faiki, farsh par goli ke sath uska barud ka kann bhi gira mishti ne jaldi jaldi munh se uske kapra utaara toh usne dekha ki usne mare dard se apni zabaan kaant li thi, uski aankhe aansuyo se gulabi thi, wo badhawas hokar wohi farsh par lait gaya, uski bebasi aur haalat par oose Rona aa gaya

Usne uske baalon bhare seene ko sehlaya aur fhir uske mathe ke Pasine aur aankho ke aansuyo ko poncha, usne Dettol lekar uske zakhm ko fhir saaf kiya waha fhir ache se dawai lagake uski dressing tajurbeqar dhang se wo karne lagi, jab monit ki aankh khuli wo bistar par beshud tha aur uske bagal mein mishti uske kandhe pe sar rakhkar so rahi thi apne bazuyo par Patti lagi dekh oose hairani huyi usne mishti ko na jagate huye uthna chaha to uski zulfien uske chehre pe aa gayi wo dheere dheere bistar se uthne laga to mishti bhi jaag gayi usne kasskar ooske seene pe hath rakhkar oose laitne kaha

"Bahut maar kaant kar liye mere Rambo thoda aaram kar lo goli lagi hai tumhe"

"Tumne meri dressing kaise ki?"

"Kyu? Is dhandhe wali ko sirf mard ke sath Sona aata hai"

"Pls aisa mat kaho tum ab wo nahi ho, ab ek aam aurat ho"

"Tumhari meherbani janab waise maine ye sab seekha tha aaye din koi na koi lafdebaz aa jata tha toh wo mere saamne aise marham Patti karta tha mujhe kehta tha idhar se pakad udhar se pakad bas Sikh gayi"...usne muskurakar uske seene par sar rakhkar kaha

"Ye sharab ki botal kaisi? Main Peeta nahi hoo tumne kyu mangwayi?"

"Tumhare aaram ke liye dawai samjhkar pee jao thand badh rahi hai tumhe bukhar aa jayega"

"Main zyada Aram nahi kar sakta mishti"

"Kisi ko to apna maante nahi kam se kam is baar mujhe to apna khud ko Maan lene do"

Is baar monit usse dur na ho paaya usne mishti ki zidd par sharab ki ek chuski li wo bahut kadwi thi oose ubkaiya si aayi fhir usne do teen ghunt aur liya aur glass ek taraf rakh di, mishti hassne lagi ek lafdebaz peshewar mujrim aur sharab se koso dur, monit ko dheere dheere dard mein aaram milane laga aur woh aankh munde bistar par lait gaya, usne paya ki shayad mishti ne bhi drink ki thi

"Ab to batao kyu maarna chahte ho un logo ko tum? Kiske liye lad rahe ho? Beshaq wo dono hi wajah hai na"......usne oose us tasveer ki yaad dilaate baat kahi

"H.haan sabkuch bataunga tumhe kuch baaki nahi rahega mere dil mein jo itne waqt tak maine apne seene mein dabaye rakha mishti"

"Haan main sun rahi hoo".....mishti ektak uski nazaro ko dekh rahi thi uska chehra monit ke chehre ke behad kareeb tha uska haath uske baalon bhare seene ko ab bhi sehla raha tha,

Monit mishti ko ektak dekhta raha aur tabhi mishti ne uske tapte hontho par apne honth rakh diye, monit khud par qabu nahi kar saka aur apne haath ko uski peeth sehlaata oose thaame karwat liye uske upar sawar ho gaya ab mishti monit ke jism ke niche thi dono ki garam saanse ekdusre se takra rahi thi monit ne oose chumte huye uske peticoat ki doriya khol di, uske baad dheere ek ek kapda uske aur apne badan se usne oose utaar faika, bahar badal jaise garaz rahe they wohi andar ek tufan chal raha tha, razaai odhey dono ekdusre ke nange badan par ekdusre ko pagalo ki tarah chum rahe they mishti ki aankhe nam thi aisa lag raha tha jaise Aaj wo apne shouhar ke sath ho aur wo waqt uski pehli suhagrat, mishti monit ke seene aur gardan Gaal ko chumte huye oose apne badan se aisi lipati jaise saanp kisi paid se lipata ho wo oose Qayamat tak jaisa chodhna nahi chahti thi aisa lagta tha ye waqt yahi tham jaye aur wo usse kabhi na bichadhe, monit jab uske jism ko chumta niche ho raha tha toh aisa lag raha tha jaise wo ek kamsin kunwari thi jo pehli dafa kisi mard ka sparsh pa rahi thi, uski aahein uthne lagi aur usne dobara se Monit ko apne upar chadhaate huye oose apne aagosh mein kheech liya, do badan yu hi bistar par jalte rahe,

                                ----------

 Safdar us waqt cigarette ke kash kheech raha tha saamne Rajesh sharab mein panaah paaye ek ke baad ek jaam pee raha tha, us safdar ke yaha tha aur oose wo monit ka paigam suna Raha tha, wo tabse chup tha usne fhir Rajesh ki taraf apni banduk ki naal uthai toh Rajesh chauka uski ungli trigger pe Kass gayi thi, "safdar bhai ye aap Bhai goli chal jayegi"
 
Ek click ki awaz huyi aur Rajesh buri tarah chauka, bishal tahaka lagake apne aadmiyo ke sath hasne laga jo idhar udhar unhe ghaire khade they, unki hassi se Rajesh buri tarah hontho pe zaban phairte huye mann hi mann oose gaaliya de raha tha,

"Hahaha apun kisi pe bewajah goli nahi chalaata"....bishal ne banduk table par rakhki aur Sharab ka jaam liye sofey pe pasar gaya

"Bhai Kasam se daraa diya tha aapne"

"Hmm toh us harami ka next target main hai main hahahaha"......uske hassi ke sath auro ne bhi saath diya tabhi bishal ne banduk jhatke mein uthayi aur daayi taraf sabse zyada hassta gunde ko goli maar diya, wo chillata wohi zameen pe girkar tadapne laga Rajesh uski ye harqat se buri tarah khauff kha gaya banduk se ab bhi uske dhua nikal raha tha

"Apun ek baar mazak karta hai baar baar nahi haramzaado wo saala khule saand ki tarah abtak ghum raha hai aur tum logo se wo ek aadmi maara nahi gaya pehle hathyar kabzaya fhir mere aadmiyo ko maara aur ab mujhe dhamki de raha hai mujhe janta bhi hai kaun hoo main?"

Sab ekdum ghabraaye waise khade rahe jise goli lagi thi wo ab bhi tadap raha tha, bishal ne ek aadmi ko oose le jaane kaha wo jaldi jaldi oose ghasitta waha se le gaya, bishal waapis sofey pe aa baitha

"Tumhari boss se bhi kuch nahi hone wala"

"Wo to khoon kharabe ki naubat nahi chahti wo sirf Chowdhury ko yu hi barbad kar dena chahti hai aur koi mansha nahi wo toh is desh mein tikna bhi nahi chahti ab pata nahi kaun uske kaan bhar raha hai?"

"Wo Islam ki beti zarur hai par unke jaisi nahi aur mujhe abhi uski aur paiso ki zarurat padegi"

"Main baar baar usse maang nahi sakta wo saaf Jaan jayegi tum gangwar chahte ho wo gair kanooni karobar ke saqt khilaf hai"

"Hahaha toh tu kya soch raha hai? Uske chalte tu to Bali ka bakra banega na kal ko Chowdhury ke hath Aya ya x gang ke haath aaya sabse pehle tujhe thokega"

"Wohi toh Darr hai bhaijaan aap kuch batao kya karu?"

"Ek zariya hai jisse saanp bhi mare aur lakdi bhi na tute hamare dushman jahannum raseed ho aur humhe koi damage bhi na ho"

"Samjha nahi"

"Sun plan ke mutabik Chowdhury aane waale election mein rally karne wala hai wohi pe oose shoot karwa denge ilzam lagega Alina khan islam pe aur usse pehle tujhe monit ko raaste se hata dena hai uske liye uski nayi mashuka ko kabze mein kar, naam mishti peshe se dhandhewali jo uske sath bhaagi thi agar wo uske sath hai to zarur uski Aziz hai tabhi uske sath hai agar bade jadugar ki jaan uske tote mein"

"Us do take ki chinaal aurat se oose kya matlab tha? Jo jagah le leke ghum raha hai oose"

"Humhe koi usse vasta nahi wo chaara hai hamare shikar ka oose kisi tarah kabze mein le fhir monit ko execute kar, idhar monit mara udhar Alina khan Islam Chowdhury ke aadmi aur x gang walo ke haath mein aur fhir tamam Alina Islam ki daulat Teri naya empire is sheher mein tera aur main Chowdhury aur Islam  ke baad ek kamyab neta aur crime lord hahahaha kaisi rahi?"

"Plan khatarnak hai par mujhe manjur".....shaitani muskurahat deta Rajesh apna glass bishal ke jaam bhare glass se takrata cheers bol utha, safdar ne uske dimaag mein zeher bhar diya tha

                          ------------

Jab monit ki aankh khuli toh usne haalat ka jayeza liya wo nagn halat mein mishti ke nange badan se lipata hua laita pada tha, mishti ki chaati uske badan se chipki huyi thi jabki uska haath uske seene par tha un dono par naam matra ek razai padi huyi thi, monit ke harqat karne se mishti bhi jaag gayi aur usne muskurakar uske seene pe haath phairna shuru kiya monit usse is baar dur nahi hua na hi wo sharminda hua wo uske nangi peeth pe hath phairta oose aur apne aagosh mein bharne laga

"Tumne bataya nahi"

"Pehle jawab do jo kuch hua kya wo sahi tha?"

"Kyu?".....mishti ne sar uthakar uski taraf pucha

"Bas yuhi"

"Jante ho main tumhare saath kyun soyi? Kyunki main tumhe tadapta dekh nahi paaye jis Insan ne meri itni hifazat ki mera badla un  logo ke khoon se liya mujhe us daldal se bahar nikaala, kya uske liye main itna bhi nahi kar sakti?"

"Main kisi ka najayaez fayda nahi uthata hoo  mujhe Nasha nahi hota to shayad zazbat mein aakar!"

"Tum jo bhi kaho tumhe pyaar ki zarurat hai monit tumhara patthar dil shayad kisi badle ki bhavna se aisa ho gaya hai lekin tumhe nahi malum kisi ke saath mein kitna sukoon hai? Tumhare aagosh mein mujhe jaakar aisa laga ki main kisi ki amanat hoo sach pucho toh itne dino mein mujhe tumhare sath rehte jaise tumse pyar ho gaya hai"

Monit sunta raha wo bas awaak oose dekh raha tha, "main janti hoo main tumhare layak nahi humbistar ki baat alag hai lekin tum bhala chahoge ki tum kisi weshya se dil lagao tum mujhe wo haq do na do lekin main tumhe hamesha apna shouhar dil hi dil mein maanungi"

Monit ne oose kasskar thaam liya aur uski aankho mein jhaanka "agar mujhe kuch ho gaya toh"......mishti ne uske labo pe haath rakhka uske aankho mein aansu they

"Sab bhala hoga tum gaye toh tumhara baccha toh mere pait mein aayega na aur main na rahi toh yaad rakhna ki tum kabhi akele nahi they"

"Mishti aisa mat kaho main pehle bhi ek insaan ko kho chuka hoo".....monit uthkar aansu ponchta bahar ki or dekhne laga

Mishti uthi aur oose kandhe se apni taraf moda..."kaun thi woh?"......monit ke aage ahana ka chehra ghum Gaya wo Amsterdam ki pehli mulaqat woh uska yun usse gale Milana oose apni baahon mein Lena uski hassi, wo pait par haath phairna unki pehli nishani, uska woh khoon se Sana haath, monit jaise Tassavur se bahar aaya mishti oose jhinjhodh rahi thi

"Kahan kho gaye?"

Tab jaakar monit ne tamaam kissa batana shuru kiya pehle ahana aashif ki mulaqat fhir unka aakhirat tak ka safar, uske baad jo jo baat mishti sunti gayi aisa laga jaise wo sab baatein uske nazaro ke saamne kisi manzar ki tarah chal raha ho, jab monit ne uski taraf dekha apni baat Puri karte huye to uske aankho se aansu ka qatra beh raha tha, "aur main sochti thi sirf meri hi zindagi narak hai?"

"Galat rasta kisi ko sukoon nahi lene deta"

Tabhi zazbat ke us aalam se bahar aata monit apne kapre pehnne laga wo fhir ek baar tayyar tha uska baazu kaafi hadtak theek ho chuka tha, "tumhe Aaram karna chahiye"

"Mujhe Alina Islam ka thikana malum karna hai unhe dehshat ka dusra paath padhana hai"

"Mujhe darr hai kahi kuch"

"Fikar mat karo main jald hi wapis aaunga fhir hum checkout karke yaha se nikal jayenge main tumhe kahi safely chodh dunga uske baad mere inteqaam ka aakhri waqt hoga"

Mishti rote huye uske gale se lag gayi aisa laga jaise wo aakhri baar oose dekh rahi thi, "main dua karungi tum lauto tumhara saara din intejar karungi"

"Jis tarah usne Kiya tha".......uska ishara muskurate marhum ahana ki taraf tha

"Beshaq"......monit ne uske maathe ko chuma aur apna hathyar bhara bag liye chupke se darwaje se bahar nikla galiyara khaali tha usne ek baar palatkar mishti ki taraf dekha

Fhir lambe dag bharta dur sidiya utarta chala gaya, mishti ne fauran darwaja laga liya wo aangan se oose jaate dekh rahi thi, usne apni gaadi mein saman bhara aur reverse gear mein gaadi modta highway road par sidha nikal gaya, mishti mann udaasi se oose aise jaate dekh rahi thi jaise oose Darr tha ki wo nahi lautega kabhi,

Monit gaadi teji se drive kar raha tha tabhi do gaadi ekdum se daaye aur piche baye taraf se aakar uske gaadi ke ahen saamne aur piche aa khadi huyi monit ko gaadi rokni padi usse hathyarband kaale wardi pehne log bahar nikle, monit gadi ko reverse nahi le paaya shayad kisi ne oose dekh liya tha kya mishti bhi pakdi jaa sakti thi? Uska dil dhadka, usne furati se darwaja khola aur bahar nikla ek ne uski peeth pe banduk ka naal maara wo aage jhuka toh uske jhuke sar par banduk saamne Wale aadmi ne taan di thi, wo sidha khada hua aur muskuraya

"Dushman ke aadmi ko maar sakta hai humhe nahi"

Monit janta tha wo Chowdhury ke khufiya x gang ke aadmi they, unhone monit ka haath uske piche bandha aur oose dobara uski gaadi mein dhakela fhir hathyar band aadmi uske sath baithe uske pasliyo pe piche baithte aadmi ne uski kanpatti pe banduk laga di driving seat pe teesra aadmi baitha jo khud hathyarband tha fhir tamam teeno gadiya waha se yeh ja woh ja

                                ----------

Uske chehre se ek kaala kapra nikaala gaya tab jaake uski aankhe tej samne padti roshni se andhi ho gayi fhir dheere dheere uski aadi, wo ek officenuma kamre mein tha jaha tamaam keemati cheezein mauzud thi wo bara sa conference hall nuna kamra tha saamne waha ke mukhya party ka chin aur uske theek upar dhaka desh ka jhanda aur beecho beech iqbal Chowdhury ki raees shano Shaukat bhari tasveer jo shayad uske mukhya mantri banne ke baad kheechi gayi thi wo tasveer aadhe diwar jitni badi thi, aur theek uske saamne keemati sofey numa gaddedar chair par iqbal Chowdhury neta ke kapro mein baitha oose hi ghurr raha tha aur cigar pee raha tha, monit ke khud ka jayeza liya uska chura hathyar gayab tha uske haath pao ek chair pe mote rassi se bandhe they us waqt vatavaran mein ek azib sa sannata chaya tha,

Tab andhere se do saaye agal bagal se uske rassi kholte huye oose uthne ke liye uska peeth pe banduk ka dastak dene lage, waha monit koi bhi hoshiyari karta turant wo oose wohi goli maar dete, wo ahetiyat se aage badha wo dono bhi uske piche piche mantri ke apne hathyarband bodyguard bhi waha us waqt monit ko paini nazaro se ghur rahe they, iqbal Chowdhury ne oose baithne ka ijajat tak nahi diya wo oose ghurre ka raha tha, jaise oose waqifkar ke taur pe pehchan raha ho, iqbal Chowdhury ka jab se Car accident hua tha tabse wo bahut zyada kamzor pad gaya tha wo zyada chal uth bhi kam karta tha us waqt uske hath ke paas ek bhari banduk padi thi jispe ek haath aise unka pada tha ki kab wo banduk uthakar oose goli maar de

"Naam?"

"Monit"

"Jaanta hai main, Mera aadmi bataya tha mere ko tujhe bhi abhi dekhkar pehchana tha usne jab behosh yaha laaya gaya"

"Meri aapse koi zyadti adawat nahi"

"Kiska aadmi hai tu? Aur kaun hai wo log jo mere maal ko beech beech mein pakda rahe they, sarkar ko gumnam khabar kar rahe they kiske log hai woh? Kaun hai ye nava gang aur tera unse kya vasta?"

Monit ko koi jawab na dete dekh is baar iqbal thoda gambhir hua "dekh tune mere aadmi aur dealer ko bachaya mera maal pakadwane se roka is badle tujhe abtak touch nahi kiya maine par teri ye khamoshi yaha nahi chal payegi ye x gang ke members hai wo khufiya gang jisse aajkal is state ke bhailog smuggler aur yaha tak police bhi darrti hai kyunki ye bolte kam hai aur vaar pehle karte hai"

"Ye meri ladaai hai jismein main kisi ko shariq nahi tehrana chahta lekin jab yaha aaya toh yaha pehle se hi mere dushman aap logo se war kar rahe they, is wajah se main aapke beech aa gaya pehle mere ek sawal ka jawab dijiye Asif kahan hai?"

"Is baat ko sunkar Chowdhury jo khamosh oose ghur raha tha ekdum se chauka piche khade wo dono x gang member bhi"

"T..tu Asif ko kaise janta hai?"

"Uski wajah se ye mere haalat huye main usse milna chahta hu oose bhi bahut dhundha is sheher mein par wo mujhe mila nahi"

"Usse Teri kya adawat? Kya wo bhi tera dushman hai?"

"Jiske wajah se mera ghar ujada ho wo dushman se badhkar hai"

Chowdhury ek aah si bharkar oose Kursi par baithne bola, wo baitha "dekh tu bahut kuch janta hai kaun hai tu? Kahan se aaya hai? Puri baat bata"

"Bataunga lekin pehle ek vaada kare mujhe Asif ke baare mein bataye"

Chowdhury jaise ektak oose dekh raha tha usne ishare se sehmati mein sar hilaate apni baat kehne bola, tab waqt tham sa gaya aur ek baar fhir pichli daastan dobara dohrayi gayi

To be continued....
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 25 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #13 on: October 29, 2024, 06:46:58 AM »
"main apni biwi ke sath Budapest hungary mein sar chupaaye reh Raha tha, kyunki hamari case history agar logo ko pata chalti toh bahut hi hamari badnami hoti, hum ek naye sirhe se zindagi jee rahe they main butcher shop mein packing ka kaam karta toh woh phoolon ke dukaan mein job karti thi ek bare hi naami ucche rasukh ki iklauti ameerzadi jise mere chalte aisi naukri karni padh rahi thi lekin fhir bhi sabkuch bhulakar wo aur main kafi khush they hum, lekin ek din hamari khushiyo ko grehen lag gaya meri biwi ne mujhe bataya ki wo pait se thi, main bahut khush tha oose leke paas ke restaurant oose kuch khilane le hi jaa raha tha apne us khushaal din ko celebrate karne hi le ja raha tha, ki achanak kahan se 4 log hamare saamne aa khade huye aur unhone humpe hamla kar diya pehle meri biwi aur bacche ko jo uske pait mein tha wohi goli maar di fhir uske baad muje jaan se maarne Wale they lekin wo ye bhul gaye ki unka saamna kisi aam admi se nahi tha balki unhi ki tarah ek fomrer assassin se tha, maine un sabko maar diya aur ek ko maarne se pehle malum kiya ki mujhe Marne wala koi aur nahi Bangladesh mein chupa koi Rajesh tha jo Alina kaa admi tha, main police ki nazaro se aur aziyat se apni biwi ki laash ko dafnane lekar gaadi mein sawar unke waha se bhaaga lekin goli lagne se main theek dhang se gaadi chala na saka aur mera accident ho gaya wo toh ganimat thi ki waqt rehte jab gaadi truck se takrakar bridge tode niche giri toh main gadi se bahar nikal chuka tha lekin us bheeshan dhamake ki aag mein meri biwi ki laash Puri tarah jal chuki thi aur wohi mera chehra bhi us bheeshan chapait mein aa gaya, mujhe uske baad kuch yaad nahi

Kayi waqt tak coma mein tha pehle goli nikaali gayi fhir ek bhale doctor ne mere bigade huye chhere ka muana kiya jab mujhe hosh aaya to main theek dhang se baat nahi kar paata tha meri biwi mera ghar mera baccha aur khaskar mera pehchan mera chehra barbaad ho chuka tha, doctor ne meri puri aap beeti suni wo hindustan ka tha oose mere se kadi sahanubhuti huyi aur usne wishwas dilaya ki wo mujhe theek kar dega lekin police mere hosh mein aane ka intejar mein thi kyunki ek Bahut bade kaand se mera naam joda gaya tha agar main geraftar ho jata ya kanoon ke shikanje mein fass jata toh main apni ahana ka kabhi badla nahi leta"

"Ahana?"

Chowdhury ke kehte hi monit ne apne gereban se apni aur apne pehle chehre wali Aasif ki tasveer nikaalkar ooske mej pe aage rakh di wo us tasveer ko uthaaye ektak aur chaunk utha fhir uske zehan mein Asif ka aks ubhara fhir adam ka fhir Shah Alam ke damad Arif ka aur ab wo ektak monit ki taraf dekh raha tha jiska chehra ab kahi se bhi us Aasif jaisa nahi dikhta tha,

"Chauk gaye! sab chaunk jaate hai jinhone bhi mere chehre ko dekha hai unhone meri plastic surgery ki kaafi mehnat ki mere chehre par aisa laga jaise wo koi maqsad ho unka aur aakhir mein jab mera operation sucessfuly ho gaya to meri pattiya kholi gayi jab maine khud ko aayene ki taraf dekha toh mera koi aur tha main khud ko dekhkar darr gaya tha Chowdhury sahab lekin doctor ne mujhe yakeen dilaaya ki yahi chehra meri dhaal banega taaki wo mujhe mehfuz police ke nak ke niche se bhaag jaane mein madad kare, usne jaanbhujkar ek laash plant karne ka khatra mola"

"Itna meherbani koi devta hi tha woh"....Chowdhury bol utha

"Devta nahi devi sagi maa nahi lekin ek naya chehra dekar mujhe janam dene wali yashoda maa jisne hubahu mujhe wo chehra diya jo kabhi uske marhum bete ka tha jo car dughatna mein maara gaya tha"

"Fhir"

"Sage se bhi badhkar mere kaam aayi woh fhir main hospital se unke madad se faraar hua police ko ye yakeen dilaaya gaya ki jalne ki wajah se meri gale ki nase bahut zyada sikud chuki thi aur operation nakamyab ho jane ki wajah se main complications mein maara gaya us lash ka chehra jala hua tha isliye kanoon shaq na kar saka aur main is tarah bari ho gaya main kuch din unke diye thikane mein Raha fhir apni Bangladesh ki jaalj I'd card banakar sea port se faraar hokar yaha aa gaya jo meri jama punji aur ahana ka rakhka paisa tha oose lekar".

"Kahin tu wohi Aasif to nahi jo Amsterdam ke casinar ka bataya khaas aadmi hoya karta tha jisne Amsterdam ke Edwards ki beti ko maarne ke jagah Salim Inayat ko maar giraya aur casinar ko bhi, uske baad Edwards suna tha casinar ne oose sarkar ke aage expose kar jail mein dalwa diya tha jise umarkaid huyi thi aur fhir uski beti aur wo Aasif faraar jinhe kabhi dhundhe kisi ko nahi mila

Monit kuch kaha nahi usne sehmati mein sar hilaya...Chowdhury jaise aasman se gira wo teesri baar chaunk utha, wo oose aise dekhne laga jaise wo koi azooba ho,

"T..tu aashif hai?"
"Aashif marr chuka Chowdhury sahab us ghatna mein main monit hoo unka badla lene wala waise itni saari baatein aapko kaise pata chali?"

"Sam ko janta hai Sam casinar ka Bhanja tere se badla lene ki nakam koshish ki thi usne tune uske mama ko jo maar diya tha Teri wajah se gang bikhar Gaya police mein bhaandaphod hua tamaam aadmi geraftar hone lage kuch bhaag khade huye unke daaya hath Salim Inayat ko bhi maar diya"

"Uski ahana pe gandi Nazar thi aur casinar wo toh Edwards ka empire lootna chahta tha unke gair kanooni dhandhe mein khud boss banna chahta tha taaki uske baad koi aur na rahe waise ye Sam kidhar hai kya ab bhi tumhare liye kaam karta hai?"

"Wo Mera aadmi nahi Islam ka aadmi tha mera khaas bankar aastin ka sanap bana Islam ke been par nachta tha woh jaisa uska mama waisa wo haramzada jisne koi wajah na chodhi mujhe Jaan se maar Dene ki hatthe chadhta toh badtar maut marrta Islam mujhse pehle oose Mila tha usko join karke wo mere khilaf mere gang mein shamil hua meri beti ke sath nazdeeki badhayi taki main uski usse shaadi kar du mera accident hua uske baad wo meri beti ko kidnap karke oose maar deta lekin waqt rehte paasa palta aur Asif tere jaisa dikhta aur tera purana naam wala wo ladka mera khaas aadmi bana aur oose na hi sirf thok dala balki uske aadmiyo ko bhi fhir ba izzat meri beti ko bachakar mere paas laaya fhir Islam ko bhi jahnannum raseed pahuchaya usne akele bahut kaam aaya mere woh bahut kaam"

"Wo ab kahan hai?"

"Malum nahi steamerboat dhamake se pehle wo apni bandi jise islam kidnap kiye tha oose ba hifazat bachaye kahi chala gaya dhundhe na mila"

"Uske chehre aur naam ki wajah se Bali Chadha main aur meri ahana"

"Ittefaq aur ye ittefaq kayi dafa hua hai wohi toh sochkar apun bhanna raha hai ki Aisa kaise ho sakta hai? Tujhe nahi pata pichle kayi waqt mein yaha kitna kuch ghata tha kitna khoon kharaba gangwar hua mere aur islam ke beech jismein kayi bade naam involve huye shah Alam ka damad uski beti uske aadmi wohi dusri taraf padosi state ke marhum Malik sahab ki beti safa (padhiye  "geraft") ye jo tera chehra hai na aise Asif ko chodhkar do shaks aur they jinka naam tha adam aur Arif aur ye dono wajah bane Asif ki zindagi ko barbaad karne mein ek tha Malik sahab ki beti safa ka hone wala mangetar adam aur wohi dusra Shah Alam ka damad Arif (padhiye dono alag alag dastan "anjaan" aur "firaaq mein)"

Monit ekdum se hairani se Chowdhury ki taraf munh baaye dekh raha tha, wo oose batane laga tamaam kissa kaise adam Dhaka sheher aakar naukri kar raha tha kaise uska Malik sahab aur safa kanoon ke geraft mein fase they? Fhir kaise Shah Alam ka dusra damad Arif Anika ka gulam bana kaise is sheher aaya aur adam ko marwa diya safa ke liye, jo Anika ki pakki saheli thi kaise wo faraar huyi aur is sheher pahuchi kaise Asif ranibagh ka wo naamcheen gunda jo ek Bangladesh ki pardesi ladki ko bachane aur salamt uske watan chodhne apne cousin Bhai se khatra mol is desh pahucha, aur kaise uski mulaqat adam se huyi? Aur oosi ki maut ka badla lene ke wajah se Arif jaan se hath dho baitha jis wajah se Shah alam ki beti apne aadmiyo ke sath yaha qeher banke tuti, kaise Islam ki nazaro mein Asif dushman bana aur kaise Asif ke Raaz ko jaankar Sam ne uska sauda Anika se kiya? Kaise Asif uski beti niha Chowdhury ki madad se Shah alam uski beti anika ko tabaah kar paaya aur kaise usne aakar pehle Sam ko aur fhir baari baari se zahir Islam ko maut ke ghaat utaara jo us raat steamerboat par uski premika ke parivar ko maarkar agwa karke oose apne sath bandi banaye rakha tha taaki tamam nuqsan ki bharpaayi wo Asif se sut samait wasoole uski jaan lekar, us tamaam waqye mein aakhir mein Malik sahab ki beti safa bhi maari gaayi thi, tamam baat Chowdhury ko Asif se malum chali aur usne aage monit ko batayi waqayi ab monit ke liye Asif bhi kisi rahasmayi shaksiyat ka malik lagne laga tha,

"Sam ne mujhe kabhi dekha nahi tha par maine oose dekha tha wo humhe dhundh kaise paaya hoga?"

"Nahi dhundh paaya tha usne mujhe itna hint Diya tha ki tu aur ahana kahi Budapest hungary mein they kyunki Amsterdam ki us private flight se tum dono wohi utare they"

Ab sab baat monit ko samajh aane lagi shayad isliye Alina khan Islam ko Sam se ye baat pata chali hogi ki wo aur ahana kahan they? Par ab bhi ek sawal tha ki oose kaise malum tha ki wo hubahu Asif ki tarah dikhta tha ye baat sirf Alina khan bata sakti thi

"Ab mujhe ye bata wo dushman Rajesh kaun hai? Jiske chalte Teri ahana Mari"

"Tumhare dushman ki beej"

"Ye baat mere aadmi ko tu pehle bhi bataya toh!"......kehte kehte jaise Chowdhury ko saanp sungh gaya zahir Islam ka chehra uske nazaro mein ghuma wo ekdum se sofey se uth khada hua tamam log uski taraf dekhne lage wo fhir aise apne kursi pe baitha jaise koi bhuli baat yaad aa gayi ho monit muskuraya

Tabhi waha uska aadmi aaya aur usne aisi baat batayi jise sunkar Chowdhury ka raha Saha shaq yakeen mein tabdil ho gaya,

"Yaani ki zahir Islam ki ek aulad bhi hai dusre ghar se (second wife) jo itne saal gumnam rahi yakeenan Islam ne ye baat kisi ko zaahir nahi ki ki uski ek beti bhi thi jo Siberia Russia mein apni pakistani walida ke sath raha karti thi aur wohi ladki aaj jawaan hokar yaha lauti hai shayad apne marre huye baap ka badla lene mujhse tabhi main Sochu kyu usne tujhe maarne aadmi bheje tujhe Asif samjha usne aur galti se oose na maarkar tujhe maarna chaha lekin oose ye baat pata honi chahiye thi ki tu woh hai jo uske Abba ke aadmi ke mama ka khaas banda tha par laakh sawal ki ek jawab Sam tujhe pehchanta nahi tha fhir Islam ki beti tujhe kaise pehchan Li?"

"Ye toh khud wohi bata sakti hai"

"Mere naak ke niche mere sheher mein aakar itna khoon kharaba kiya mahoul bigada mere aadmiyo ko maara mere karobar ka bhandha phodh kiya aur mere maal ko kabzaane ki koshish, aur toh aur mere khaas aadmi ko maarne ki koshishe lekin ganimat wo toh uski pahuch se bahut dur Jaa chuka lekin ab wo aur uska aadmi nahi bachega nava gang khada karenge Islam empire ko khada karenge Jaan se maar dunga jaise uske Abba ka hashr hua usse badtar maut milegi un logo ko"

"Toh waqayi aap nahi jante Asif kahan hai?"

"Main samjhta hu uske wajah se Teri zindagi barbaad huyi par zimmedar wo nahi ye log hai tune itna khoon kharaba kiya main ishara Karu to tu badla le ya na le sake par kanoon ke shikanje mein hoga aur encounter karwa diya jayega janta hai na main kaun hoo is state ka cm"

"Jinhone meri zindagi tabaah ki unhe main bakshunga nahi"

"Wo to pehle hi haalat ka maara tha ab jaakar toh oose uski mohabbat mili jise liye wo na jaane kahan gum ho gaya? Khair mujhe Islam ki beti ke baare mein aur bata?"

"Alina khan Islam naam hai uska apne baap ki tarah mujrim nahi ek safedposh Siberia mein karobar sambhalti hai yaha shayad apne mare huye baap ko mitti dene aur uska badla lene aayi ho"

"Aise yaha koi nava shaks aaye toh ho nahi sakta ki mujhe pata na chale x gang yaha kisi bhi aur bhai ya smuggler ya drug lord ko khada hone nahi dega zarur un naye logo ki madad koi kar raha hai warna Islam ki tamam daulat sampatti karobar zabt ho chuki hai kanooni taur se police ko pata chala toh waise hi uski beti pe interrogation lag jayenge agar uska bhi baap ki tarah gunaah mein haath shareeq hai toh mere haatho maut toh uska pakka uska thikana?"

"Thikana main bata du lekin main unhe khud apne inhi haatho se maarna chahta hu"

"Manzur Teri ye khwahish qabool tu hi maarega lekin tujhe uske liye aadmi chahiye aur hathyar"

"Hathyar main pehle hi hathya chuka safdar ka bheja Islam ke gang ke liye, rahi baat madad ki toh mujhe zarurat nahi fhir bhi main akela chana bhaadh nahi phod sakta isliye apne x gang ko kehna ki ek aur dushman hai jise maarna zaruri aur uska naam hai bishal safdar yahi wo aadmi hai jo inhe na sirf aadmi supply kar raha hai balki aapke khilaf shayad koi badi sazish rach raha hai"

Chowdhury bishal safdar ka Tassavur kar chaunk utha waqayi netagiri mein wo bahut zyada uski mukhbiri karta tha lekin wo aisa dushman niklega jo andar hi andar uski jad kaat raha tha usne socha nahi,

"Main izazat chahta hu agar baray meherbani ho to mujhe jaane Diya jaaye"

"Theek hai tu jaa sakta hai lekin ab tu mere liye ye kaam karega Alina khan Islam ko zinda thaamega uske gang ko khatam karega aur safdar wo mujhpe chodh de uska hisab kitaab x gang dekhega na jise usne bahut kam karke aanka"

Monit ne unhe thikana bataya, ek pal ko Chowdhury uske chehre ka fhir muana karne laga wo mej pe padi tasveer wapis apne jeb ke hawale kiye waha se jaane laga uska hathyar chura oose sab saunpa diya gaya, ab oose Chowdhury ya x gang se koi khatra nahi tha, piche Chowdhury ko lajawab chodh wo waha se nikal gaya, "Asif ke baad waqayi koi dusra kaabil aadmi mila mere ko tum logo ke leader se baat karne ka"

Tabhi Chowdhury ke kehne par saamne lcd tv par ek tasveer flash huyi wo x gang ka leader tha aur us waqt wo vilayat se kisi band andhere kamre mein baitha hua saamne dekh raha tha usne Chowdhury ko salaam kiya aur Chowdhury ne oose fhir savistar oose saari waha monit ko laayi baat keh sunaai, "aage kya order hai?"

"Kal 25 Tariq mera rally mein jaana hai election ke liye tum log bishal safdar ke ghar pe dhaava bolo wo Islam ka lifeline bana hai us lifeline ko cut karne ka media mein chapega police ke haatho safdar bhai ka encounter wajah drug lord kafi asla barood aur drugs ki khep waha paaya gaya, ek baar fhir qatleaam khoon kharaba zaruri kya?"

Leader ne sar niche upar kar hilaya, Chowdhury khamosh oose dekhta raha

                              ------------
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 25 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #14 on: October 29, 2024, 06:47:32 AM »
Raat ho chuki thi Sawa dus se upar ho chuka tha, mishti aangan mein waisi hi baithi raste ki taraf dekh rahi thi har gadi oose aati monit ki lagti, abhitak aaya nahi tha woh kahi kuch usne uthkar phone kiya, lekin phone laga nahi uska dil dhadka ab monit uske apno se badhkar ho gaya tha, na jaane kahan reh gaya? Tabhi darwaje pe haule se dastak huyi, mishti ne jakar keyhole se jhaanka toh oose room service wala dikha, usne ahtehiyat se darwaja khola aur oose kuch khaane peene se mana karne hi kaha tabhi ek sath kayi log andar dakhil huye wo safdar ke aadmi they, unke sabse aage Rajesh sarhadi khada tha, mishti awaak unki taraf dekhne lagi wo log pure kamre ko chanbin karne lage waha unhe kuch nahi mila siway bathroom mein pade dustbin mein khoon se sane kapre aur jale lakdi ke, Rajesh ne mishti ke chehre pe kasskar ek thappad mara wo bistar par girkar gulabi nigaho se apne Kate honth ke koro se nikalte khoon ko ponchne lagi,

"Kahan chupa hai woh? Bata"

"Main nahi janti tum kiski baat kar rahe ho?"

"Haramzaadi kutiya".....usne baalon se mishti ko thaama aur ooske gardan ko uthakar uske chhere ko dekh dant kitkitaate huye kaha

"Wo humhe dhundhega hum pehle oose dhundh liye".....Rajesh aur baaki gunde mishti ko hi ghurr rahe they

"Wo tumlogo ki pahuch se bahut dur hai kabhi tumhe naseeb nahi hoga"

"Accha Aisa kya? Hum tujhe le jaate hai tu uski Aziz hai na tere liye to aayega aur agar na bhi aaya toh hum uski puri kasar tujhse nikalenge"

Us baat se mishti ka shareer andar hi andar kaanpa, tabhi ek aadmi ne aakar uske gardan pe ek injection bhoka jiska taral padharth uske nason ke khoon mein dakhil hua wo lambe samay ke liye behosh ho gayi, oose ek aadmi ne kandhe pe uthaya aur wo sab baari baari waha se nikalne ko huye jabki kuch aadmi wohi monit ke intejar mein chupe rahe,

monit jaan bachaaye wapis apni gaadi se hotel pahucha wo gadi se utara aur ahetiyat se hotel mein dakhil hua wo sidiya chadhta apne room tak pahucha piche lobby se ek aadmi nikla jo phone pe lagta hua uske piche ho liya, monit ne darwaje pe dastak di par darwaja kisi ne khola nahi, usne fhir dastak di lekin jawab nadarad usne handle ghumaya wo khul gaya kya mishti bathroom mein thi? "Mishti mishti"....usne awaz di tab bhi koi jawab oose bathroom se nahi mila uska dil dhadka wo ahetiyat se bathroom ke paas aaya aur ekdum se andar jhaaka waha koi nahi tha lights jal rahi thi, tabhi samne ke aayene mein oose ek saaya apne piche aata dikha, monit ekdum se jhuka warna wo chaku uski peeth mein dhasta usne furati se  holster mein fasa apna chura nikaala aur sidha palatte huye us aadmi ke pait pe ek vaar kiya achanak bistar ke daaye baaye taraf se gunde furati se nikale tabtalak monit ne banduk nikaal li thi unke taraf se firing huyi par par monit diwar ki aad mein dono par firing barabar kar chuka tha ek ko chaati pe lagi toh woh wohi oose thaame gir gaya jabki dusra ab bhi badastur bathroom mein goli chalaa raha tha kisi bhi waqt hotel staff ikhatta ho sakta tha, monit ne banduk ko reload kiya aur sidha aundhe munh farsh par laitta saamne shoot kiya goli jaangh par us admi ke lagi,

Monit bahar nikla usne dobara uthte goli lage gunde pe ek round aur fire kiya fhir dusri goli chaku lage aadmi ke bheje pe utaarte huye sidha nishana us aadmi ki taraf tana wo hakbaka gaya "kaun bheja?"

"S..safdar ke aadmi tere ko maarkar le jaane vaaste"

"Yaha ek ladki thi kahan gayi?"

"Rajesh Bhai hamare aadmi ke sath oose le gaye"

"Kahan?"

"Adde"

"Adda kidhar?"

Usne bataya, monit ne usse banduk faikwaya fhir apna chura lehraya aur sidha uske seene pe ghop diya uski awaz uske gale mein ghutti reh gayi, wo wohi dhair ho gaya, chura bahar kheechte huye monit ne apna saaman waha se uthaya jo bhi zaruri tha, wo janta tha ab jo karna tha jald se jald karna tha kyunki waha se nikalte hi hotel staff waha laash paata police ko aage batata uska farzi naam pata wagaira dikhata, aur uska ya mishti ka huliya byan karta, ab oose mishti ki fikar hone lagi wo darwaja khole bahar nikla dono taraf galiyara sunsaan tha, wo aage badha achanak oose hotel ka staff aata dikha jisse woh bina kuch kahe aage guzar gaya, wo sidiyo ke paas thithaka koi saya ab bhi mauzud oose dekh raha tha wo uske taraf bhaaga wo sidiya chadhne laga piche se monit ne banduk uski pasliyo pe chubai, wo dehshat se monit ko dekhne laga

"Kya socha? Time to time Rajesh aur safdar ko inform karega ki main haath Aya ki nahi? Kahan le gaye wo us ladki ko bata?"

Monit ne kasskar banduk uske pasliyo mein buri tarah chubaya, wo ghabraya bechaini se pehlu badalne laga...."bata..ta hu"

"Gud aur kitne aadmi?"

"Bas ek driver"

Monit oose pichwade ke raste bahar le aaya, oose satkar chalne laga coat ke bheetar uski pasliyo mein gun sataye raha woh, wo mor kaatkar bahar pahuche usne gadi ki taraf ishara kiya monit oose sath saath gaadi ke paas le aaya waha ek aadmi aur mauzud tha shayad wo baaki aadmiyo ke intejar mein baithe they ki kab wo monit ko uthaakar le aaye, wo unke piche se kareeb pahucha aur aur silencer lagi apni banduk se un logo ke piche dekhne se pehle unhe shoot kar diya wo dono wohi aundhe munh dhair driver ekdum se hadbadaya, toh monit ne oose ishara kiya ki wo Zara sa bhi na hile usne gadi ka darwaja khola aur oose bahar kheecha ganimat thi us waqt waha highway raste ke aur ghane andhere ke chalte koi mauzud nahi tha usne banduk uske seene pe rakhkar trigger dabai wo bhi dhair fhir usne us admi ko un teeno lasho ko jhadhiyo mein faikne kaha, jise usne badastur banduk ki naal par anjam diya, wo wapis lauta toh monit ne oose gadi mein bithaya......aur khud driving seat ki bagal wali seat mein aa baitha

"Leke chal ab adde"......aadmi ne darrte gaadi start ki aur hotel ke raste se bahar highway main road se sidha nikal gayi mann hi mann monit ko mishti ki fikar hone lagi thi
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:42:00 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.284 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer