INTEQAM - A sequel to "Hifazat" & spin-off to "Geraft" ( love crime thrill tale)

by ASIF on October 29, 2024, 04:25:17 AM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 368 times)
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 20 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #15 on: October 29, 2024, 06:50:03 AM »
Alina sidiyo se niche basement mein utari uske piche uske kuch aadmi aur wo Islam ka khaas langda aadmi langdata baisakhi ek haath mein liye niche utara, waha bulb jal rahi thi jaha beech kursi par bandhi mishti thi aur uske haath pao rassiyo se jakade huye they jabki munh kapra se bandha hua tha wo gehri saas le rahi thi, oose dheere dheere hosh aa raha tha, Alina oose ektak dekhne lagi fhir sawalat bhari nazaro se Rajesh ki taraf dekha

"Ye monit ki wohi bandi hai jo uske sath jagah jagah fhir rahi thi, ye dono saale ek hotel mein chupe huye they wo toh steward apne khabri ka janne wala nikla toh usne bataya"

Mishti ekdum se hosh mein aati chillane ki koshish karne lagi apne haath pao chudhane lagi usne ek baar tamam waha chehro ki taraf dekha khaskar Alina ki taraf, wo jaan chuki thi woh kahan thi, is wajah se hi monit oose apne sath le jana nahi chahta tha us kothe se, par oose parwah nahi thi par dil mein dehshat toh tha ki wo log uske sath kya karne wale they? Tabhi ek jhannatedar thappad Rajesh ne uske chhere pe de maara wo kursi samait gir gayi do aadmiyo ne oose uthakar kursi ko sidha kiya

"Wo saala ab hamare haath ayega mere aadmi wohi mauzud hai wo log oose bhi adhmara kar laa hi rahe honge"

Tabhi uska phone Baja usne phone uthaya fhir jaise jaise uske chehre pe raunak aane lagi, "great le aao oose"......itna kehkar usne phone rakh diya wo khushi zaahir karta Alina ki taraf mukhatib hua

"Wo bhi pakda gaya hamare aadmiyo ne oose apne geraft mein kar liya Alina, ab hum oose tadpa tadpa kar maarenge aur puchenge ki aakhir wo hamare piche kyu tha?"

Alina lajawab huye bina reh na saki, wo janti nahi thi ki mishti ko utha Lana sirf monit ko jaal mein fasakar waha laana tha, jabki safdar ke hisab se plan ke mutabiq kal ki Tariq ko rally mein Chowdhury ko marwa dene ke baad unke khoon ka ilzam Alina pe lagake dushmano ka chaara banakar oose, wo aur Rajesh uski looti daulat liye underground hone wale they, Rajesh ne mishti ke munh se kapra nikaala

"Tum log ka kabhi bhala nahi hoga tujhe toh kutte ki maut maarega woh sun le kameene tu oose nahi apni maut ka saaman le aa raha hai oose yaha laakar aahhh"

Rajesh ne uski gardan dabochi wo daant peeste huye oose dekh raha tha,...."sali do take ki chinaal mujhe gaali degi ab dekh tere saamne uska kya hashr karunga main tu bas dekhna"

Rajesh mishti ke gale ko aur kasskar dabane laga toh Alina ne gusse mein aakar chillaya Rajesh ki pakad dheeli nahi huyi toh usne aage aakar Rajesh ko jhinjhodte huye piche dhakela aur oose gusse se dekhne lagi Rajesh hakbakaya oose ghurrne laga

"Bhulo mat ki yaha tumhari boss bhi khadi hai ek ladki par haath uthate huye sharam nahi aati kaise mard ho tum? Maana dushmani hai par itne bhi andhe mat ho jao ki gunaah hi kar baitho"

"Tu..tum iske liye mujhe bura bhala keh rahi ho"

"Awaz Kam Rajesh sarhadi ye mat bhulo ki tum mere liye kaam karte ho so do as I order you"

"Y..yes mam"

Mann hi mann gusse aur apmaan mein jalta Rajesh piche hat gaya...."sab yaha se jao aur jab hamara aadmi monit ko liye laute toh oose yaha le aana".....Alina ke kehne par tamaam log waha se Rajesh ke sath chale gaye, Rajesh bas intejar mein tha ki kab safdar ka contract killer Chowdhury ko shoot karega aur fhir Alina ko fasayega, oose dimag se us waqt Kaam lena tha is apmaan ka badla wo Alina se baad mein bhi oose maarkar le sakta tha, sabke chale jaane ke baad Alina mishti ki taraf mukhatib huyi

Wo uske paas kursi liye baithi uski aankho mein jhaakne lagi, "kya lagti ho uski?".....mishti subak rahi thi uske gale pe aur Gaal pe haath ka laal nishan pad gaya tha

"Koi nahi lagti par ab wo mere liye farishta hai Mera apna hai jisne mujhe kotha ke us daldal se nikaala mujhe naam diya uske liye meri choti si Jaan kurbaan ho jaye mujhe koi gila nahi"

"Janti ho jiske sath tum ho wo ek khooni hai"

"Toh aap log kaun se izzatdar ho? Agar wo galat hai toh uski wajah aap log ho aap logo ne ek bhole bhaale insan ki zindagi tabaah kar daali"

"Tum kya kehna chahti ho? Maine uski kabhi surat tak nahi dekhi main toh kya Abba ke purane aadmi bhi oose nahi jante kis baat ka badla le raha hai wo mujhse jawab do?"

"Tumhari wajah se uski biwi ahana aur woh marrte marrte bacha uska chehra jal Gaya wo log toh apna zindagi jee rahe they tum janti ho uske biwi ke pait mein ek baccha tha tumne to apne badle ke liye koi kasar nahi chodhi ye tak na socha ki wo waqayi wohi hai ki koi aur jise samjhkar tumne maut ke ghaat ye sochkar utaara ki wo wohi Asif hai"

Alina ek tak oose ghurne lagi...wo ekdum se khadi huyi aur behcain ho uthi, "y..yani wo ladka Aasif hai wo maraa nahi zinda hai wo monit asal mein"

"Haan haan Alina khan Islam yahi naam hai na tumhara? Wohi Aasif hai Amsterdam ke gangster casinar ka wo khaas aadmi jise!"

"Bas main sab janti hoo casinar ka bhaanja Sam mere Abba ke liye ek zamane mein kaam karta tha usse hi mujhe malum hai pehli dafa jab maine malum kiya ki mere Abba ko kisne maara toh mujhe uska huliya dikhaya gaya maine fauran pehchana tabhi oose budapest mein maarne maine aadmi bheja lekin sirf oose"

"Nahi uske sath sath ahana ka bhi qatal hua uske bacche ka bhi aur tumse uski koi dushmani nahi thi wo toh tumhe janta bhi nahi tha tumne toh ek humshakal chehre ke chalte ek pura begunah ka parivar aag mein jhok diya toh kyu wo insan badla na le? Tumhare Abba pe baat aayi toh tumne pure sheher mein aadmi dauda diye aur tumne toh uska pura parivar cheen liya oose besahara kar diya, wo fhir tumhe aur tumhare aadmiyo ko kyu chodhe? Alina tum mujhe yahi khatam kar do kyunki main oose marrte nahi dekh paungi aur tumhare aadmi isse pehle meri mitti palit kare meri izzat loote jiski kabhi izzat rahi nahi isse acha mujhe maar do pls"

Wo rone lagi uske zazbat dekh Alina buri tarah ghabrake do kadam piche hati ye wo kya keh rahi thi? Humshakal? Lekin usne saaf pehchana tha oose, usne fauran mishti se ahana ki babat pucha, jispar usne bataya ki uske phone par ahana aur Aasif ki kheechi tasveer thi jo uske aadmiyo ke kabze mein thi, Alina ne apne aadmiyo ko awaz di fauran ek uska phone lekar aaya usne sim bahar faika phone band tha, usne fhir gallery mein jaake check Kiya to Alina chaukte huye oos tasveer ko dekhne lagi wo Aasif ki tasveer thi, usne langde aadmi ko waha hukam dekar bulaya jisne us tasveer ki shinakat ki usne steamerboat par us raat Asif aur uski kabze mein rakhki bandi syeda arnisha ko dekha tha oose uska naam yaad aa gaya, us tasveer mein wo ladki nahi thi usne byaan kiya

"Nahi Alina memsahab ye wo nahi hai us Asif ki bandi bangladeshi thi main saaf pehchan sakta hoo aur haan uska naam syeda arnisha tha, Islam sahab ne uske sasural waalo ko maarkar waha se humne oose agwah kiya tha ye wo ladki nahi"

"Kya? Toh ye ladka ye ho sakta hai na wo Asif? Chehra oosi se milata julata hai par uske baal itne lambe nahi they aur aankhe bhuri nahi thi lekin 80 pratishat ye uski tarah dikhta hai"

Alina jaise aasman se giri wo wohi dhamm se kursi pe baith gayi, yaani ek khoon ke badle usne bhul se ek begunah ke parivar ko maara tha yakeenan wo casinar ka aadmi tha uska khooni tha lekin uska Alina se koi lena dena nahi tha, mishti ne oose aashif aur ahana ki prem kahani fhir sunai jispar ab oose apni bhul ka yakeen hua Sam kaun sa Naik tha uske mama kaun se Naik they? Wo bhi toh Chowdhury ko barbaad karne uske yaha khaas aadmi banke baitha tha? Usne uski beti ko bhi kharab Kiya tha ek zamana aisa tha ki mann hi mann Alina oose chahne lagi thi lekin wo bhi toh Abba ke najayaz dhandhe mein shareer unhi ki bure fitrat ki tarah tha, aaj jo uske sath uske Abba ke sath guzari unke kiye ki wajah thi, waqayi kya mila tha itna khoon bahakar? Ab oose aisa lagne laga ki usne khamokhah Chaudhary ko nuqsan pahuchaya monit uske piche tha wo fass chuki thi, toh asal Asif ab bhi zinda tha uske pahuch se dur na jaane kahan tha? Ab uske badle ki koi wajah nahi bani thi? Ab wo bhi apne Abba ki tarah gunah ke daldal mein dhass rhai thi uska anjaam bhi kuch waisa hona tha, usne chillakar Rajesh ko bulaaya

Rajesh niche aaya wo Mann bhari kiye uske paas aaya toh Alina ne aage badhkar oose thappad maara us awaz ki gunz saare hall mein fel gayi wo hadbadaya oose dekhne laga, "u bloody scoundrel kisse puchkar ahana ko maara tha tumhe sirf Asif ko maarne bheja tha tumhare enthusiast ki wajah se tumhare uksaane ke wajah se maine ek nirdosh ko apne Abba ka khooni Maan baithi aur gunaah kara"

Rajesh jaise aasman se gira tab Alina aansu ghule oospe chillate huye tamam pichli baat dohrai, ab toh Rajesh ko sanp sungh gaya yaani asli Asif maraa hi nahi aur bewajah ek aur dushman unke piche laga tha, oose apna plan fail hota nazar aa raha tha, "abhi ke abhi isi waqt ise yaha se jaane do aur humare yaha se nikal jane ki tayyari karo"

"What? Alina are u out of ur!"

Alina ne ek kadi ungli se oose dikhaakar qeher bhari aankho se dekha, wo thook ghottne laga "Abba mera mara tha badla lene ka irada mera tha tum gair ho aur mere under mein kaam karte ho so don't try to act like my family jaisa keh rahi hoo waisa karo"

"Nahi ho sakta itne aasani se agar hum yaha se jayenge toh safdar ukhadh jayega tamaam baat Chowdhury ko bata dega aur Chowdhury hamare piche!"

"Main wo sab seh lungi tumhe bemaut marrna hai tob shouk se maro but I m going now do as I say aaj hi ki flight se!"

Tabhi dhamaka hua wo log chauk uthe Rajesh ne banduk nikaal li Alina oose ghurrne lagi oosne oose roka, par usne parwah nahi ki wo bhaagta sidiyo se upar chala gaya aur wo langdata aadmi banduk nikaale alina ke paas aa khada oose cover karne laga, waha Alina ke aur aadmi aa gaye aur unhe ghair liye, unhone bataya ki kisi ne unke adde pe humla kiya tha, mishti mann hi mann muskurane lagi uska monit waha aa pahucha tha,

Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 20 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #16 on: October 29, 2024, 06:52:38 AM »
Monit ne driving karte aadmi ko thok diya tha aur qabristan jaakar qabar khodkar tamam hathyar nikal liye they, usne bulletproof vest pehna aur tamam hathyarband hokar gaadi sidha adde ki taraf modi, kuch der mein hi wo waha pahucha aur gadi se utarte huye usne sidha ek hand grenade us band godown ke saamne pehra karte aadmio ke paas faikha dhamaka hote hi main gate badhbadhake niche gira aur wo dono admi bhi maarein gaye, monit ak-47 rifle liye aage badha aur tabadtod goliya barsata dhua mein dakhil hokar andar pahucha, wo lamba galiyara jaisa adda tha uspar firing ki bauchar huyi wo sambhalta daayi taraf ki diwaar ke aade khada ho gaya kayi aadmi mauzud they waha, monit ne palatkar dobara firing shuru ki night vision goggles us andhere mein kaam kar raha tha jo usne pehna tha, wo tamam bando ko bina mauka gawaye shoot karne laga, ek ke baad cheekh guzti badastur firing hoti rahi monit aage badhta raha tamam chupte firing karte bhaagte aadmiyon ko shoot karne laga, wo sidiyo ke daayne pahucha uspar tabadtod goliya chali jo uske bazuyo par aur aur seene pait par lagi lekin bulletproof vest ne oose bacha liya wo us jhatke se piche gira, usne dusri machine gun utha li, aur sidha ghutno pe baithkar niche firing ki kahi cheekhen gunzi, Rajesh ulte pao bhaaga

"Wo bahut hathyar ke sath pahucha hai shitt safdar bhai ko phone karke madad maangna hoga maine socha mere aadmi ise bandi banake laa rahe hai lekin ye saala chaal khela"

Wo girta padta basement ki taraf daudta phone pe number punch karne laga, goliyo ki awaz aur kareeb aa rahi, uske aadmiyo ki cheekhe oose sunai de Rahi thi, udhar monit ne apna chura nikaala aur tamam aadmiyon ke kareeb pahuchte unpar vaar shuru kiya wo ek ek aadmi ko baari baari maut ke ghaat utaar Raha tha, maale mein jo aakhri banda bacha uske gale pe usne chura rakhka jo uske aadmiyo ke khoon tarbatar tha, "niche kaun kaun hai? Mishti kahan hai? Aur Alina khan Islam?"

"Sab niche hai downstairs se sidha niche jaane ka waha bhi kuch aadmi hai aur urgghhh".....kheechkar chura monit bina aur sune uske gale ko rait diya wo kata gale se behte khoon ko thaame wohi aankhe bahar kiye lohe ke sidiyo par dhair ho gaya,

Monit niche utara ahetiyat se, idhar Rajesh ka network nahi lag raha tha safdar ke bheje aadmi maare Jaa chuke they kuch aadmi hi niche mauzud they jo Alina aur mishti ko thaame huye they, wo niche aaya toh Alina ne oose khaa jaane wali nazaro se dekha

"Kahan marr gaye they? Kya ho raha hai?"

Is baar Rajesh jaise gussa bardasht na kar saka aur usne kheechkar Alina ke chehre pe thappad raseed diya, Alina ekdum kathua kar oose bauchakke dekhne lagi, uske aadmi gun taane Rajesh ki taraf huye

"U bastard how dair u to slap me?"

"Chup saali r**di kya samajh rakha hai tune mujhe tera bhadwa itne waqt se saala tere liye itna kuch kiya itna kaam kiya kya mila? Nahi ab aur beizzati nahi Alina ab hogi asli shuruwat mujhe to lagta hai tu Islam ki beej hi nahi"

"Son of a b***h mujhse Teri aisi baat karne ki himmat shoot this bastard right now"

Tabhi tamaam goliya uski taraf tann gayi, wo hairan piche palatkar tamam aadmiyon ko dekhne lagi, tab tahaka lagaya Rajesh hasaa itne mein mauka dekhkar wo langda aadmi ne gun sidha Rajesh pe taana toh usne ekdum se bachte huye us langde admi ke sar ko nishana banaya goli uske maathe pe jaa lagi uski dahadh uthi awaz gunzi uske haath pao hawa mein uthe aur wo sidha zameen pe gir pada, Alina ekdum safed pad gayi usne hinbhavna se Rajesh ki taraf dekhkar thooka, Rajesh baddhi hassi hasne laga

"Ye mere aadmi hai ab Alina khan Islam tu zarur apne Abba ke karobar ke khilaf hogi main nahi, maine bahut samjhaya tujhe tu nahi maani hamesha bina Aman Shanti ki baat Kari arre bewakuf insan ko ungli tedi karke hi ghee nikaalni padti hai aur mujhe teri dhairo daulat chahiye aur wo main ab tujhse cheenunga"

"Tu bhi marega kutte"

"Safdar bhai ab mere sath hai maregi toh tu wo bhi kutiya bankar jo na ghar ki Na ghaat ki hogi hahaha, Chowdhury udhar rally mein marega ilzam tujhpar tu x gang aur baaki giroh ki bhoj salamat bachi toh yaha ka kayda kanoon tujhe tere Abba ke sadqe nahi chodhega aur faasi pe latkayega hahaha"

Alina ko apne aage maut nachti dikhi wo rone lagi, "abhi tu nahi maregi pehle Chowdhury jayega tujhe Zinda rehna hai aur mere naam tamam saari apni daulat karni hai"

"Hargiz nahi"

"Yes my sweetheart maine saare papers banwa liye hai wo baad mein tujhse sign karaunga pehle tujhe aur is dhaal ko"......usne bandhi mishti ko bechain hote dekh kaha

"Yaha se leke nikalu safdar bhai humara intejar kar rahe hai, guards be quick piche me raste se niklo"

Tabhi waha monit gun taane waha pahuch chuka tha, Rajesh ne furati se uspe goli chalai mishti oose dekhkar ekpal ko umeed jaagti dikhne lagi, Alina ko oosi ke aadmiyo ne thaam liya aur oose mishti ko kursi se bandhan kholkar apne sath zabran le jaane lage, monit pe kuch aadmi goli barsaane lage, monit ne grenade unpar faikha jiske dhamake se 4 aadmi wohi ud gaye, Rajesh ghbaraya wo apne bache aadmiyo ke sath bhaaga pichwade ke raste se wo log bahar nikalne mein kamyab huye Alina ne bahut hath pao chalaye lekin koi fayda nahi tha wo un moshtando ke geraft se Azad nahi ho pa rahi thi,

Jabki mishti rassiyo mein ab bhi bandhi thi jise ghasitkar kandhe mein laade ek moshtanda Rajesh ke aage aage chal raha tha, tabhi ek goli sansanaati Rajesh ke peeth se guzari wo wohi dum saade gir pada, monit dhuye mein chalta daudta aage badh raha tha tabhi oose kisi ne awaz di wo karhata wohi langda aadmi tha jiski Chand saanse baaki thi uske maathe pe gehra surakh tha aur oose goli lagi thi, Karishma tha wo abtak zinda tha monit uske sar ko uthaaye uske chehre pe hath rakhkar narmi se pucha

"R..ruko"....usne fase gale se kaha

"Kisne maara tumhe?"

"Wo..hi har..amzada dh..okebaaz r..Rajesh tumse aakhri inte..ja hai alina memsahb beqasur hai saara kiyadhara aur badhkaaya raje..sh ka hai wo s..afdar s..e m..il chuka kal wo Chowdhury ko maarkar ilzam Alina pe laga dega Alli..na ahhhh"

Monit ne ooske seene ko sehlaya oose aur kehne protsahit kiya, "w..ohh Alina ki tamam daulat lootna chahta hain tumhari bandi oosi ke sath hai taaki oose tumhare khi..laf dhaal bana paaye wo log safdar ke paas jaa rahe hai alina ko mat maarna tumhe khuda ka vas..ta"

Usne ek aakhri baar aahh bhari aur uski aankhe shunya mein chatt ki taraf tehri aur wohi tehri reh gayi, wo marr chuka tha monit ne kalma padha aur uske nazaro ko band kar diya, tabhi oose kisi ki khaasne ki awaz sunai di, monit chura nikaale pichwade ki raste Wale galiyare ke taraf dauda waha neemandhera tha wo ahetiyat se chal raha tha tabhi oose ek saaya bhaagta dikha monit ne uske pao pe goli maari wo saya wohi gir pada,

Bahar nikalte huye gaadi mein dono ladkiyo ko bitha diya gaya wo safdar ke aadmi they gaadi mein sawaar hote wo gaadi ko raste ki taraf modte huye gaadi sidha dugni raftar mein waha se top ke chute gole ki tarah le bhaage,

Saaya Rajesh ka tha oose ghassitta hua monit oose wapis godown mein laa gira diya tha, Rajesh ke badkismati ki wo bhaagne mein nakam raha jabki uske aadmi Alina aur mishti ko leke gaadi mein sawaar waha se nikal chuke they, Rajesh ka shareer kaanpne laga monit kisi ghayal baagh ki tarah uski taraf badh raha tha,

Rajesh ne banduk sidha uske taraf taani lekin monit ne uski kalai madodkar banduk gira di, Rajesh ki dardnak cheekh gunzi, monit ne uske kalai ko bedardi se madoda aur sidha chura uske hath pe chala diya wo haath thaam dard se wo bilbila utha,

Monit ne oose gereban se thaamte huye pucha "meri mishti par haath uthaya tha ki nahi?"...usne inkar par sar hilaya monit ne mishti ko dekha tha oose chot khaaya paaya tha, monit ne uske chehre pe wohi chura sidha chala diya uske chehra Kant gaya wo aaundhe munh drums ke paas gira, wo dobara utha to uske chehre pe khoon katke beh raha tha

"Meri ahana ko maara pait mein baccha tha uske kya bigada tha usne Tera?"

"W..wohhh Alina ki wajah se w..ohh mere ko uksaayi maine aadmi bheja tujhe aur oose maarne"

"Maarna sirf mujhe tha na toh oose kyu?"...monit Ne dahadhte huye sidha laat uske seene pe jamaya woh peeth ke bal piche gira,

Wo fhir uthkar monit pe hamla karne ki dobara koshish mein hua lekin monit ne sidha chura uske kandhe pe chalake ek baar mein kheecha......wo kandha thaame wohi gir pada uska kandha kat gaya tha,

Wo khoon sane haath se uthne laga rehem ki bheek maagne laga, "uth ja haramzade Tera aakhirat aa chuka hai"

Wo uthne ki koshish nahi kiya, monit ne chura ka sidha vaar uske baaye baazu pe kiya aur uske baazu ke maans ko phaadhkar chura bahar kheecha wo dard se cheekhta hua diwaar se satkar baazu thaame khoon se lathpath oose dekhne laga,

Monit uske kareeb badha.....ab Rajesh ko apne aage maut naachti dikh rahi thi, monit ne uske pure badan par chura bedardi se ghopa aur nikaala jabtak uska pura shareer usne kaant nahi diya, uske ghope chure ne uske seene mein dhadhmte dil ko do tukdo mein kaant diya, tab kahi jaakar Rajesh ki saasein wohi tham gayi aankh tehri reh gayi wo khoon se bheega zakhmo se bhara aaundhe munh uske saamne zameen pe dhair hokar marr gaya, tabjakar monit ne jaise apni marhum biwi ka badla pura kiya wo uske laash se utha aur daudta bahar ki taraf bhaaga gaadi jaa chuki thi, waha koi nahi bacha tha siwaay lasho ke, monit apni gadi mein sawar hua tabtalak waha x gang ki gaadiya oose aati dikhi usne furati se gaadi sidha raste ki taraf modh di,

X gang ke log jab waha pahuche toh waha sirf laashe thi Alina Islam ke aadmi goliyo se mare pade they kahi kahi aag lagi padi thi barud ki tej gandh thi aur bullets jagah jagah pade they aur waha basement mein khoon si Sani Rajesh sarhadi ki laash padi thi, x gang ke second in command ne apne leader ko phone kiya aur waha ke tamam haal ko byan kiya unke liye Alina faraar ho chuki thi monit ka waha koi Nishanat na mil saka, kya ye sab monit ne kiya tha? Kyunki thikane tak unke aadmi ab jaakar pahuche they, khabar Chowdhury ko diya nahi jaa saka kyunki wo kal ke rally ki tayyari mein aur political meeting mein fasa pada tha jo kuch karna tha x gang ko karna tha,

Unhone pure adde ko bomb lagaya aur fhir pure ujaad imarat ka jayeja liya fhir wo log waha se nikle aur dhamake mein piche tamam laashe chodh gaye, ek dhamaka hua aur imarat deh gayi wha unke liye kuch nahi bacha tha

To be continued...  
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 20 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #17 on: October 29, 2024, 06:54:26 AM »
Bishal safdar apne us hall jaise bade kamre mein baitha biryani khaa raha tha, ki tabhi waha uske bache kuche aadmi dono bandi ladkiyo ko waha leke aaye, bishal ne saamne jab dekha toh wo chehek ke utha,

"Waahh khush aamdid khush aamdid Alina memsab kaisi hai aap? Sab khairiyat toh hai?"

Alina ke haath pao bandhe wo Moshtande oose daaye baaye taraf se thaame huye they, usne ghinna bhari nazaro se bishal ki taraf dekha aur munh fhair liya, tab uski nazar mishti pe huyi jiske hath pao bhi bandhe they, bishal paas jaakar haath dhone laga aur fhir dono ke kareeb aaya usne fhir apne aadmiyo ki taraf tawajjoh diya,

"Rajesh maara gaya bhaijaan adde pe koi nahi bacha wo saala hathyarband hokar aaya tha, jaise taise in dono ko leke hum yaha aane mein kamyab huye warna Darr tha ki kahi x gang ke log bhi na pahuch jaaye"

"Plan abhi fail nahi hua hai Chowdhury ab bhi marega, aur ye toh acha hua ki kuch saaman khud hi hat gaya warna hum toh waise bhi Rajesh ko maar hi dete hahaha"

Bishal ko hassta dekh Alina hairat se oose dekhte huye bol uthi, "tumhare behkaawe mein aaya na wo, tumne oose mujhe dhoka Dene ke liye uksaya laanat hai mujhe apne aap par ki tumhari madad maine li, kya chahte ho tum?"

"Hahaha tumhari daulat meri jaan jab mujhe malum chala ki tumhara mansuba kya tha? Aur tum kiski beti thi? Toh mujhe ek umeed dikhne lagi ek aisi umeed jisse main is sheher mein Islam aur Chowdhury ke baad ek naye sirhe se apna empire khada karta, par Chowdhury ki taqat dugni thi wo c.m tha oose maarna itna aasan nahi, aur toh aur mujhe gair kanooni karobar ke liye dhair saari daulat chahiye aur tumhara business toh Siberia mein bhi hai isliye maine Rajesh ko badhkana shuru kiya tumhare khilaf, waise bhi tum apne baap ke raah par Jana nahi chahti thi usse khunnas tumhare orders ke wo hamesha khilaf tha tum khoon kharabe ke khilaf thi, tum gair kanooni dhandhe ke khilaf thi jiska satta tumhara baap ke liye is state mein ek samay mashur hua, lekin tumhare paas badle ki aag thi tum chowdhury ko barbad karna chahti thi aur main oose maut ke ghaat utarne ka tamnnai  isliye maine tumse haath milaaya kisi ki zurrat nahi is state mein uske khilaf jaane ki, ab toh maine uske khufiya x gang se nipatne ka bhi intejam kar liya, waise bhi ab yaha Mera kuch raha nahi aaj nahi to kal Chowdhury ki maut ka khulasa hota naam Mera bhi uchalta lekin tabtalak main bahar desh se yaha par hukumat karta meri taqat Chowdhury aur Islam se kai aage hoti, hahaha fhir uske baad meri dhaak khufiya us syndicate jaisi international crime organisation tak banti jisse mujhe aur fayda pahuchta aur in sabke liye mujhe tumhari zarurat thi yaha ke ilaake ka chota sa Bhai aur desh ke crime lord banne mein bahut faraq hota hai"

"Tum apne napak mansubo mein kabhi kamyab nahi hoge mere Abba tumhari tarah sochte they Rajesh ne bhi kuch aisa hi socha anjaam dekh lo unka bishal"

Bishal ne qeher bhari nazaro se Alina ki taraf dekha aur pas akar uske gaal pe hath phairne laga, Alina kasmasayi wo piche hone lagi lekin uske gunde oose kasskar thaame huye they, mishti bechain ho rahi thi

"Hmm khair tumhare sath wohi hoga jaisa maine Rajesh ke sath plan Kiya tha tumhe shikar ka chaara banakar hum x gang aur khoon ke pyaase Chowdhury ke maut ke baad uske aadmiyo aur kayda kanoon ke liye chodh denge tamaam sheher mein jo abtak khoon kharaba hua usmein tumhara naam joda jayega tum fasogi aur saza bhi tum paogi isliye tumhara Zinda rehna zaruri"

Tab uski mishti pe nazar huyi usne oose sar se pao tak dekha "toh monit ki rakhail ho waise kyu piche pada tha wo in logo ke"......,bishal ne Alina ki taraf ungli uthate mishti se pucha

Mishti ne koi jawab nahi Diya....."bahut nuqsan kiya us haramzade ne mera mere aadmiyo ko maara mujhe dhamki di thi na bachega nahi woh yaha aadam katte aur pura mohalla uspar Tut padega"

Fhir bishal ne apne khaas aadmi jo Alina ko thaame piche khada tha us bodybuilder ko apne pass bulaya, "in dono ko yaha se sidha hamare private yacht par le jao aaj ka ugta Suraj Chowdhury ka aakhirat banega, main wohi pahuchta hu, taaki yaha monit ki maut ke swagat mein koi kami na reh jaaye

Mishti ekdum bechain ho uthi, wohi Alina ki halat aisi thi jaise oose faasi lagne wali ho, kaash usne badle ka rasta na apnakar wapis  chale jana chahiye tha,

                                ----------

Agli subah Zoro shoro se election ke liye sheher mein Chowdhury ki badi rally nikli thi, wo phoolon ki maala pehna truck pe mauzud tha jabki charo taraf public uski party ke sadasyo aur uske aadmiyo ki achi khasi bheedh jami thi, truck ki raftar raingte huye kachue jaise thi, achi khaasi bheedh jami thi police ka saqt pehra tha Chowdhury ke aas paas bhi kuch hathyarband black commando khade they, chowdhury haath uthata sabka abhivaadan kar raha tha bhari shorgul ho raha tha, kayi dair baad palki samane ke munch tak pahuchi jo khule maidan mein bana tha charo taraf bheedh thi, police ka saqt nizam waha tha, bheedh pe paini nazar thi manch ke aage kayi akhbar aur news channels ke live prasaran ke liye cameraman khade Chowdhury ko shoot kar rahe rhey munch par utarkar apne kayi chote bade karyakarta ke sath chalte huye kursiyo pe unke baithte hi Chowdhury saamne wali kursi pe ja baitha,

Oose pata nahi ki kayi feet dur safdar ka vilayat se aaya ek sniper shooter ek uche imarat pe aise laita chupa tha jiska sniper ka nishaana sidha Chowdhury par tika tha, oose saqt hukam tha ki Chowdhury ka mic par aakar bhashan dene ke beech mein hi ekdum se fire karna tha, jisse bekhabar Chowdhury aaram se baitha nischint tha kyunki waha uski suraksha ke kade intejamat they, aas paas ki chato par bhi Durbin lagaye kuch x gang ke aadmi tainat they lekin unke nazaro mein abtak wo safdar ka shooter nahi aaya tha kyunki wo kayi feet duri se Chowdhury par nazar gadaye tha,

Host ne fhir logo ko sambodhan karte huye fhir Chowdhury ko mic pe aake kuch Chand shabd kehne ke liye bulane laga, Chowdhury hath jodta khada hokar logo ki taraf dekhta mic ke pass Aya fhir sidiyo pe chadhta mic pe bhashan dene laga, log oose sunne Lage to koi uske naam ke naare laga raha tha, wo tamam virudh netao ka naam lekar unke khamiyo ko aur unke charitra pe khichadh uchaal raha tha, wo state ko aur behtar banane ka vaada kar raha tha aur ek baar fhir jeet khud ki saaf zaahir kar raha tha, udhar shooter ne kalai pe ghadi ki taraf dekha aur fhir aankh lens pe focus kiya usne Chowdhury ko aur bhi zyada apne nazaro mein kareeb kiya aur fhir trigger pe ungli rakhta uske seene ko nishana banane laga, tabhi click ki awaz huyi toh wo thithaka uske bheje pe ek naal lagi thi, wo mudkar apne sar par khade shaks ko dekh nahi paya wo koi aur nahi x gang ka second in commander tha,

"Kya socha nazar nahi aayega tu? Tamam imarato pe hamari paini nazar thi khaaskar kayi faasle dur in maarto par bhi goli chala lekin kandhe par khabardar agar Chowdhury ke seene ko goli pahuchi toh"

Wo bhauklaya usne hukam ka anusaran kiya aur trigger kheecha goli sansanaati sniper se nikli aur sidha munch pe khade Chowdhury ki kandhe pe goli lagi, ye goli lagna uska plan tha taaki sarkar aur janta ko  ye lage ki safdar jiska naam wo batane wala tha usne uske past rival marhum islam ki beti ke sath milkar uska qatl karna chaha par ganimat goli galti se kandhe pe lagi, Chowdhury ke kandhe se khoon fawarre ki tarah bikhra wo kandha pakda dard mein tadapta wohi gir pada, pubic mein bhagdadh mach gayi log bhaagne lage police munch par daudhti huyi aayi karyakarta zakhmi Chowdhury ko sambhaale unhe uthaaye jaldi jaldi munch se utaarneage kahi se bheedh mein ambulance dakhil huyi aur Chowdhury ko ambulance mein dakhil kar diya gaya, wohi us imarat par sniper shooter ki laash padi thi Chowdhury ko goli maarte hi uske bheje pe goli chala di thi us second in command x gang ke aadmi ne,

Wo furati se imarat se nikal chuka tha kuch hi dair baad waha police malumat karte pahuchi toh ek sniper shooter waha mara pada paaya gaya padtal mein malum chala ki goli oosi ke banduk se nikli thi, lekin hairat ki oose kisne maara tha? Aur kisne bheja tha?

Waha Chowdhury jab aspatal pahucha tob stretcher par wo ek hi naam ukadhti saanso ko kheechta bolta raha safdar ke aadmi Islam ki aulad ke sath milkar mujhe maare, meri maut se oose jo fayda pahuchna tha agar aisa hai to main apna naam chunav aur Rajneeti se bahar leta hu, is baat ne press reporter aur unke karykarta ko bishal safdar ke khilaf ek pukhta hathyar de diya tha, ab sarkar bishal safdar ke khilaf action lene Jaa Rahi thi, governer ne jaise wo byaanat zakhmi Chowdhury ka suna toh usne fauran safdar ke naam ko neta ki kursi aur party se nikal bahar karte huye oosi waqt suspend karwa diya, uske khilaf chargesheet tayyar hone lagi uski geraftari ab mehez waqt ki baat thi,

Udhar bishal safdar ko jab sabkuch malum jaise chala toh wo tilmila utha usne fauran apne kapre pehente huye banduk apne patloon mein koste huye ak-47 ka hathyar uthaya, ab uspe jaan ka khatra tha uska shooter nakam kaise ho gaya kisi ne zarur mukhbiri ki thi? Kaun? Sochne ka waqt nahi tha uske paas, tabhi oose balcony mein kisi ki aahat sunai di wo tehra aur banduk ek taraf rakhkar balcony ke paas aaya tabhi khanak se sheesha tuta aur monit uske saamne aa khada hua wo na jane kaise uske aadmiyo se bachta pichwade ke raste chala aaya piche bara sa neher khulta tha jo dhaka port tak jata tha, wo paani ke raste waha shayad chupte pahucha tha tabhi usne banduk uthani chahi toh monit baagh ki tarah uspar jhapta, bishal uske sath hatha payi karne laga, bishal ki taqat prachur thi usne sar ka vaar monit ke munh pe kiya aur sidha kohni ka vaar karke oose gira diya usne daraz se apna wala chura bahar nikala

"Saala plan fail hua toh kya ab yaha se main niklunga bhi aur tere tukde bhi karunga, Kasai ki tarah kaatunga tujhe janta nahi mere ko pehle main logo ko isi chure se kaantta tha aise nahi boss ban gaya main sabka"

Monit ne apna chura bahar nikaala aur oose  lalkarne laga dono ekdusre pe Tut pade, unki hathapayi se idhar udhar ka saman tutkar bikharne laga monit ko maarne mein chura sofey pe jaa ghusa jise kheechte huye bishal ne furati se monit ke seene pe laat maarkar oose gira dala uski pahuch banduk tak aayi lekin monit banduk hath mein le chuka tha, tabhi bhaari dhamaka hua bahar goli bari ki awaz shuru ho gayi, tabhi ek aadmi bachta bachata andar pahucha jo shayad bishal ko agaaah karne aaya tha,

"Bhaijaan bhaagiye hamare ilaake mein hamare ghar mein x gang ke log ghus aaye hai hamare aadmi unhe maar rahe hai par wo log yaha pahuche aap!"

Uski nazar monit pe teher gayi, monit ne fauran oose shoot kar diya, tabhi bishal ne monit par goli chalai monit aaundhe munh piche gira oose dekhne ka bishal ke paas waqt nahi tha wo apne admi ki lash ke upar se bahar jhaanka waqayi niche goliya chal rahi thi, aur x gang ke log aur uske aadmi katleaam macha rahe they ab wo jagah uske liye mehfuz nahi thi, bishal ne sidiyo pe aate x gang ke aadmiyo ko pehchana aur sidha ak-47 se unpar goliya daag di, dhadh dhadh ki awaz ke sath wo log wohi cheekhte huye gir gaye, bishal ne niche dekha usne apne aadmiyo ki bhi parwah nahi ki aur tabadtod goliya chala daali tamam logo par, uspe bhi goliya jab chali to wo ghabrata hadbadata girte padte wapis kamre mein aaya usne ek baar monit ki taraf dekha jo shayad goli khaa gaya tha, aur waha bina piche mude dekh apna chura nikaale balcony se niche pichwade ke lawn mein jhaaka waha rassiya bandhi thi niche uske do teen admi mare pade they  usne oosi rassi ka sahara liya niche pahucha aur fhir nazaro se bachta lawn ki diwar fhandkar tang Gally mein utarkar bhaaga waha raste mein ek aadmi gaadi mein dakhil ho raha tha jise piche se bishal ne chaku ghopkar maar diya aur oose tang gally mein faika fhir gadi ka darwaja kholkar jaldi se andar baitha aur waha se ye ja wo ja,

Monit hosh mein aa chuka tha bulletproof vest ke chalte goli oose lag nahi paai thi, wo bhaagta balcony ke paas pahucha fhir khud rassiyo se niche utara aur fhir lawn ko fhaandkar neher mein khadi us motorboat ja sawar hua oose samjh nahi aaya tha ki bishal kahan bhaaga tha? Wo janta tha wo sheher se faraar hone ki koshish zarur kar raha tha kyunki Chowdhury ko maarne ke baad sheher ko usne apne khilaf kar liya tha,

Udhar bishal safdar ka pura ilaaka gangwar mein jhulas raha tha kayi parivar ko goli lagi log gharo mein band ho gaye, katle aam mach raha tha dono taraf se goli chal rahi thi kayi x gang ke logo ko Kasai jaise bishal ke gunde maar chuke they jabki tabhi unke aadmiyo ko zyada se zyada maar Dene ke baad x gang unpar haavi ho paaya aur unhe qatal kar bishal safdar ke pure Ghar ko channe lage wo upar pahuche toh waha bishal safdar ka namonishan nahi tha tabhi waha police force aa pahuchi aur unhone firing shuru kar di kuch x gang ke gine chune log bhaag sake lekin police ne tamam logo ko wohi shoot kar diya unke kuch jawan bhi ghayal huye bishal safdar ka ghar unhone kabza liya par safdar gayab tha, uske saare aadmi dhair ho chuke they aur waha x gang ke kayi log bhi maare Jaa chuke they, unhone bishal safdar ko faraar mujrim ghoshit kiya

                              ----------

Wo sheher ke ulte taraf ka ujaad bandargaah tha, jaha us waqt dopahari ki dhoop tej pad rahi thi, kahi panchiya dur awaz dete huye samundra ke upar hawa mein dur udti jaa rahi thi, wohi dusri taraf sheher ka nazara dikh raha tha, us waqt samundra mein kuch machware kashti liye dur fhir rahe they, wohi bandargah se kayi haath dur ek veeran yacht samundra mein khadi thi, halaki usmein bishal safdar ke kuch hi aadmi mauzud they aur khud bishal safdar bhi, wo sab chatt par mauzud they jabki uske hathyar band aadmi Durbin se sheher aur aas paas ki taraf nazare gadaaye huye they, taaki kisi bhi harqat ko fauran bhaanp sake wo sheher mein wanted they aur ab Chowdhury aadmi ke saath saath police bhi unke piche thi,

Bishal safdar bhaagkar yacht tak pahuch chuka tha, oose malum chala tha ki piche uske ghar mein kitni tabahi machi thi uske adhiktar supporter aur aadam katte assassin maare Jaa chuke they, ab uske paas gine chune log they, police thamti toh uska encounter karti Chowdhury ke aadmi toh oose wohi goli se bhun dete, ab oose kaise bhi karke? Desh chodhna tha aur uska moqam tha Alina ki daulat apne naam kar Siberia bhaag Jana aur piche Alina pe saara ilzam lagake chaare ki tarah apne shikariyo ke liye chodh dena, uske chehre pe kharoch tha aur wo apne kalai pe monit ke diye zakhmo ko saaf kar raha tha, usne muskurakar saamne farsh pe baithi dono ladkiyo ki taraf dekha jo bandhi bandi bani huyi uske saamne pesh thi, wo fhir mishti ki taraf dekhne laga,

"Saala Tera mard toh bada saqt jaan nikla re Alina khan ke adde par se bhi Bach Gaya mere ghar salamat pahuch gaya saala kaun sa dhatu se bana aadmi hai woh?"

Mishti us halat mein bhi muskurayi fhir usne bishal ko lalkarte huye kaha "tere jaise chattis mard ko wo akele dekh sakta hai tu usko janta hi kitna hai? Wo Aasif hai jo kabhi tum logo ki tarah kisi ka aadmi tha"

"Kya?"......bishal ke manaspatal mein shikar aayi oose pichli ghatna ka wo Asif yad aane laga jo is sheher mein huye tamam gangwar aur khoon kharabe ki wajah bana tha

"Kahi tu us Asif ki to bat nahi karti jo tere baap ko maara?"

"Nahi safdar wo nahi ye oosi ki tarah hubahu dikhta wo insan hai jise samjhne mein maine bhul ki aaj wo meri wajah se hi yaha Aya hai"

Is bar Alina ne oose apni taraf dhyan khechte huye kaha, "iska matlab ye monit kahi us mashoor casinar ka admi toh nahi jisne apne hi boss aur daaya hath Salim Inayat ko"

Ab waqayi wo saqte mein aa gaya kyunki Chowdhury ka Asif Shaikh aur us Amsterdam ke gangster Bhai casinar ke us Aasif ko wo janta tha usne uske kisse ko suna tha, "toh tune ye nateeja nikal liya ki wo wohi Asif hoga jisne tere Abba ko mara jabki wo asal mein toh oosi ki tarah ek aur peshewar mujrim tha"

Alina ne sar jhuka liya oose andar hi andar aatam glani ho rahi thi, "hahahaha ek Asif to Mila nahi uske badle dusri aafat gale laga li koi baat nahi main oose khud inhi haatho se jaan maarkar yaha se niklunga, ab uski dastan mere hatho khatam hogi"

Usne Alina ki taraf aage badha aur jhukkar gun ki naal se uske chehre ko sehlane laga, "chal ab sign kar tamam un papers par jo teri tamam daulat mere naam kar sake taaki Siberia Jane ka rasta mera aasan ho"

"Hargiz nahi"....usne apne kalai pe bandhi rassi ko umaithte huye chillaya

Do aadmi aage aaye unhone ooske bandhe hath khole, oose farsh se uthaya aur zabran ek taraf laaye ek ne uske hatho mein pen diya jabki dusre ne uske hath ko apne hatho mein le liya, aur uski ungli ko bedardi se modne laga, Alina rone lagi lekin unhone parwah nahi ki mishti ne uthne ki koshish ki toh bishal ke khas us Moshtande bodybuilder ne oose wohi thaam liya aur uska gardan dabochkar ooske maathe ko farsh par sata diya,

Bishal ne chura nikaala aur uske ungli pe kheecha khach se khoon baha aur wo tadapte huye rone lagi tab bhi oose thaama aadmi oose chodha nahi, uske pen thame haath se usne oose fhir jabran sign karne kaha

"Sign kar jaldi warna is baar ek ek ungli kategi Teri"

Rote subakte Alina ne papers par sign kar diye toh jaise vijeta ki jeet sa bishal tahaka lagane laga usne uske haath se paper kheecha aur uske gaal ko jabran chumne laga tamam aadmi hass rahe they, Alina ungli thame wohi girkar rone lagi, bishal ne apne Moshtande aadmi ko Hawas bhari nigah se mishti ki taraf dekhte huye paaya,

"Kya re achi lagi? Jaa le ja ise cabin mein aur kar le hasrat puri waise bhi kaun sa isko rakhkar mujhe ab koi fayda hai?"

Mishti chillane lagi aur wo moshtanda oose kandhe pe thaama sidiyo se niche cabin mein le jaane laga, Alina gulabi aankho se oonhe jata dekhne lagi toh usne bishal ke aage haath joda,

"Uska kya kasoor hai? Dekho bishal wo maar dega oose, uski aisi aziyat kharab mat karo"

"Hahaha uske baad apun ka number hai na wo toh R**di hai R**di kitno ke sath soyi mitti palit ho bhi jaaye kya vaanda hai lekin tu toh kunwari hai na? Tujhe Aise marrne thodi dunga aakhir tu mere itne kaam aayi aur waise bhi kisi bhi kunwari ladki ko bina uske kunwarepan ke maut dena sarasar nainsafi hai hahahaa"

Alina ekdum apne kapro par hath rakhkar aur sikud si gayi ooske dil ki dehshat tej ho gayi ab wo uske sath jo khaana kharabi karne wala tha usse uski rooh kaanp uthi kaash us waqt uske pass gun hoti to wo khud ko goli maar leti, niche mishti ko cabin mein us gunde ne laakar giraya fhir darwaja lagaya mishti piche hone lagi, gunda oose khaa jaane wali nazaro se ghurrne laga aur ek ek kar apne kapde utarne laga tabhi mishti ki nazar uske jeb mein phase phone par huyi, ab chahkar bhi wo apni izzat kisi aur ko nahi de sakti thi ab wo monit ko apne shouhar jaisa manne lagi thi, wo ab wo dhandhewali nahi rahi thi jiski izzat koi bhi lut jaaye, usne tarqeeb Sochi aur muskurayi

"Hahaha kya hua? Bas akad dheeli ho gayi aa gayi apne chinal pane par tu bhi kiska de rahi thi? Uska jiski kutte ki maut likhi hai arre humse mili hoti toh Rani banake rakhte tujhe lekin tune ek vilayati ka sath diya"

"Bhul ho gayi usne kayi sapne dikhaye acha ghar achi zindagi main uspe marr Mitti dekh ye mere liye koi pehli dafa nahi jo main roungi chillaungi tujhe jo karna hai kar le lekin mujhe mat maar dekh dushmani tere boss ki us bande se hai alina Khan se hai mujhse nahi, main hoti kaun hoo uske raste ka kaata banne wali"

Wo moshtanda uske taraf lapakne laga usne kasske uski kalai thami, aur oose saree utaarne kaha, jispar wo na nukur karne lagi usne mishti ko apne kareeb kheecha uska pallu kheechkar utar faikha aur uske gale aur gardan ko chumta uski peeth pe bandhi blouse ki doriya kholne laga, apmaan se jalti aansu ghule mishti ne oose roka nahi usne mauke ka fayda uthaya aur uske jeb se phone nikaal liya, hawas ki aag mein andha us gunde ki nazar uske hath par na huyi jo piche se uski jeb se phone nikal chuki thi...                           
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 20 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #18 on: October 29, 2024, 06:58:58 AM »
Final Chapter

Wo aur kasskar uske gale se lipat gayi, aur ek haath se uski peeth sehlati usne monit ka bataya number dial karke oose kisi surakshit sthan par de uchaala jiski awaz se moshtanda Gardan ghumaye piche dekhne ko muda toh mishti ne kasskar uske chehre ko apni taraf moda aur uske aankho mein jhaaka wo usse dhakelte huye dur hone lagi,  wo uske kareeb badhne laga koi surat nahi thi mishti ke bachne ki, wohi dusri or monit ka phone Baja wo ek anjan number tha usne ahetiyat se phone uthaya wo ab bhi motorboat par tha us taraf se oose mishti ki awaz aayi wo hello hello karne laga par koi jawab na paaya wo kaan lagaye sunta raha mishti oose khatre mein lagi,

"Ye yacht kya tumhare Malik ka hai?"......mishti diwar se satkar usse kahi

"Haan aur nahi toh kya meri jaan? Lekin ab hum yaha zyada dair nahi tehrenge"

"Kyu ye ujaad bandgarh jo sheher ke ulte taraf beech samundra mein hai waha tumhare boss ko kya khatra? Unki toh sheher mein kayi jagah milkiyat hai upar tak pahuch hai aur waise bhi ab to Alina ki tamam daulat unki unki paanchi ungli ghee mein aur sar kadhai mein aahh"

"Bolti bahut hai tu saali abhi tujhe theek karta hu"

Itna kehkar Moshtande ne oose apne kandhe pe uthaakar paas ke sofey numa gaddar chair pe patka aur apne kapde utarne laga, udhar monit sab sun chuka tha haalaki awaz dheemi aa rahi thi lekin oose sab sunai dene laga, mishti ne oose baaton baaton mein wo thikana bata diya tha, motorboat ko wo puri taqat se speed badhaata samundra ko cheerta sheher ke dusre side ki taraf badha, jald hi wo waha pahuch chuka tha jaha dur ek yacht khada tha, motorboat ko usne paani ke andar aise speed se de ghusaya ki wo yacht pe khade logo ko koi bari machli aati malum lagi, saas paani mein roke puri taqat se yacht ke kareeb pahuchte huye usne motor boat ko paani bahar kisi udti machli ki tarah nikaala wo nazara dekh yacht pe baitha bishal Alina uske aadmi chauk uthe, monit hathyar band yacht pe fire karta hua ak-47 unpar daage sidha unke saamne motorboat se chalang maarkar yacht pe aa kuda, uske aadmi uspe tadatad goliya barsane ko huye wo kam aadmi they monit ne furati se un sabko shoot kar diya, bishal Alina ko thaama niche utarne ko hua Alina ne uske taangon ke beech de maara, dum saadta bishal ek taraf ja gira, monit ne chura nikala aur sidha vaar samne khade aadmi ke pait par de ghusaya, usne dusre hath se goli bayi taraf chalai aur goli chalate do aadmiyo ko wohi shoot kar diya, alina ne mare pade gunde ke banduk ko utha liya aur usne monit pe goli barsate gundo ki peeth pe goli chala di wo dono wohi dhair ho gaye, chura nikaale monit chupta hua yacht ke dusre sirhe par pahucha waha chupe gunde ko goli chalane ka mauka diye Bina usne chure ka vaar gardan ghumaate pehle gunde ke seene mein de ghopa aur fhir dusre gunde ki goli us laash pe dhaal banake chalwata hua usne chura sidha uske taangon ke beech de ghusaya wo aadmi wohi tadapkar marr gaya, monit ke gardan pe gardan pe goli chali jisse monit Baal Baal bacha usne fauran banduk se upar chadhe gunde pe de goli chalai wo sidha chatt se fisalta paani mein ja gira, wo saamne ke sirhe pahucha tabtalak oose mishti ki cheekh sunai di usne cabin ka sheesha toda aur andar dakhil hua usne sailor ko shoot kiya aur sidha sidiyo se cabin mein pahucha darwaja laga tha usne Puri taqat se banduk ki naal se darwaja tod diya, andar mishti ke upar wo bishal ka khaas aadmi wo moshtanda gunda sawar tha jab wo mishti ke upar se utha toh usne mishti ke phate kapdo ko dekha uske haath pao par uske haatho ke laal nishan they, taangon beech tak kapra utha hua tha, mishti ke roye chehre ko dekh ooske andar aag dehek uthi, wo moshtanda apne gatheele badan ko bheechta oose Lalkaar raha tha, monit dahadh utha aur usne banduk chodh uspar baagh ki tarah jhapta aisa laga usne mishti ko nahi uski ahana ko chua tha, usne ghumakar ek ghusa uske chehre pe raseed diya aur sidha baayi kohni ka vaar uske ribs pe de utara, wo dohra hokar monit ko thaamta hua diwar se ja takraya, monit ne puri taqat se uski peeth par kohni ka vaar kiya wo dard se bilbila utha monit ne ghutno ko modte huye uske chehre pe maara wo munh pakda piche gira, monit uske kareeb pahucha toh usne furati se uske pait par laat jamai monit pait pakda gir pada gunde ne paas padi banduk abhi uthai hi thi ki monit ne uske jaangh par chura de maara khach se chura uski jaangh ki manso ko phadhta haddi tak dhass gaya wo chilla utha, monit ne chura bahar kheecha aur sidha uske pait pe chura bhoka fhir bahar kheecha aur uske seene mein de utara, wo aankhe ulata wohi dhair ho gaya, monit chura chodhe mishti ke paas aaya oose baazuo se thaama mishti ghule aansuyo se rote muskurate uske gale lag gayi,

"Aisa laga jaise maine tujhe kho diya tha"

"Tumne aise kaise Maan liya mishti ki main tumhe Yun marrne chodh dunga ahana ko kho chuka tumhe nahi kho sakta"

Mishti aur kasskar uske seene se lag gayi, tabhi wo chaukkna hokar sidiyo ki taraf dekhne laga, "mishti bishal upar ho sakta hai uske tamam aadmi maare Jaa chuke sambhal ke rehna"

"Main bhi tumhare sath chalungi"

Sidiyo par ahetiyat se chalte wo cabin se bahar nikle upar khamoshi thi samundra ki lehron ki awaz aur yacht ka dagar magar hona paani mein ek azib sa bojhil sannata bana raha tha, wo upar pahuche tabhi piche se monit ke peeth par chura kisi ne chura de maara, aur dusre haath ne mishti ko apni taraf kheechte huye wohi chura uske gardan se laga diya, monit tadapta farsh par apne pairo par uthkar mishti ko bishal ki geraft mein dekhne laga, bishal oose qeher bhari nazaro se dekh muskura raha tha

"Haath upar".....monit ne waisa hi kiya bishal ka chura aur mishti ke gardan par Kass gaya  to nok ke niche se khoon aane laga mishti ne aankhe band kar li

"Oose kuch mat karna"

Bishal aur kasskar mishti ke gale mein chaaku daabne laga, uske shareer ko aise apni geraft mein thaame tha ki kabhi bhi wo uske gale ko murgi ki tarah rait de, monit samajh nahi pa raha tha ki wo kya kare? Tabhi usne ek taraf Alina ko paaya jo behoshi se uth rahi thi uske maathe pe gehri chot lagi huyi thi darasal jab usne banduk hasil kar dono gundo par goli chalai thi tabhi piche se bishal ne uske sar par chure ki muth ka vaar kar diya wo oose Zinda rakhna chahta tha warna uska kaam wo kabka tamaam kar deta wo ek maatra uski life guarantee thi jise chara chodh wo bhaag sakta tha,

"Kya socha tha tune? Mere aadmiyo ko maarkar mujhe maarkar sidha nikal jayega, kutte tujhe Teri ahana ke paas bhejunga is plan ke liye maine kitna kuch daav lagaya ab piche mudne ka koi sawal nahi meri jaan ke sab dushman hai ab"

Monit ne kuch na kaha wo ektak oose aur uski geraft mein mishti ko ghurta tarqeeb soch raha tha, mishti janti thi ki bishal mauka dhundh raha tha monit ko maarne ka  tabhi Alina gusse mein uthi aur paas rakhki banduk sidha bishal ke peeth pe de maari, bishal ko dhakka sa laga mishti ne furati se khud ko uski geraft se chudaya Alina dusri goli chalane ke liye trigger dabai par goli chali nahi, wo bechain ho uthi usne lagatar trigger dabaya par goli khatam thi, tabhi bishal dahadhte huye bhaagti mishti ke pait pe chura de maara, mishti ki aankhe bahar aa gayi monit wohi teher gaya uske pait se khoon beh raha tha usne utni taqat se chura bahar kheecha, mishti wohi pait thaame gir padi wo manzar monit ke liye bilkul waisa tha jab ahana ke pait par us gunde ne wohi goli mari thi, wo mishti ko girne se pehle thamta uske chehre ko dekhne laga mishti muskura rahi thi, uski jeevan jyoti bujh rahi thi aankhe bhaari hone lagi thi, monit janta tha wo bachne wali nahi thi,

"Nahi tumhe kuch nahi hoga mishti main hoon na dekh tumne wada kiya tha mere sath rahegi tumne kaha tha ki ahana ki kami puri karogi mujhse kabhi alag nahi hogi"

Pagalo ki tarah monit is baar rota oose kahe ja raha tha aur wo uske chehre par apne khoon se sane haatho se sehlati muskura rahi thi "t..tumhara m..era s..ath b..as yahi taq t..tha m..main chahungi ki agle janam bhagwan mujhe fhir bheje tumhari patni banakar w..waise bhi mere p..pas tumhe Dene ke liye kuch nahi bacha m..main tumhare layak!,"

Kehte kehte uska hath farsh pe gira aur uski aankho se aansu beh nikla, monit ne uski aankhe band kar di aur waise hi uske chehre par sar jhukaaye raha, tabhi bishal mauke ka fayda uthata Alina ke kareeb chura liye badha Alina bhaagne ko huyi uska chura hawa mein utha aur Alina pe jaise hi uska vaar hone wala tha piche se monit ne bishal ko kalai ko chaku thaami thi oose thaam ki, bishal safdar ke shareer mein jhujhuri paida huyi monit ne apna chura sidha uske pait mein ghop diya aur utne hi taqat se bahar khechte huye oose laat de maari wo pait thaame aankhe bahar kiye yacht ke railing pe gira, Alina sakdam ek aad khadi rahi monit ne ak-47 uthaya aur sidha tabadtod bishal ko sar se pao tak goliyon se challi kar diya, uska kaleja aur bheja bahar nikal aya so manzar haulnaak tha, bishal safdar laash bankar waise hi pada reh gaya dhua ugalti banduk ko faikta monit wohi baith gaya, Alina oose ektak ghurr rahi thi monit ko jab uska ahesas hua to wo oose uthkar ghurrne laga

Alina subakte huye uske paas gira banduk laayi, aur oose thamaya "maar do mujhe main tumhari gunahgar hoo meri wajah se tum, ye masum".....usne piche Mari padi mishti ki lash ki taraf dekhte kaha

"Aur na jane kitni jaane gayi? Main waqayi andhi ho gayi thi bhul gayi ki jiska badla main le rahi hoo wo kitne bade gunahgar they? Mere is andhepan ka fayda us kameene Rajesh aur isne uthaya".....usne safdar ki lash ki taraf ungli dikhate kaha

"Meri ek bhul ne tumhara Ghar barbad kiya tumhare astitva ko bigad ke rakh diya, aur main ye samjhti rahi ki tum wo insan ho jisne mere Abba ko maara? Kitni galat thi main? Kitni andhi ho gayi thi? Wo baap jisne meri ammi ko apni pehli biwi ke liye chodha sirf daulat de dene se kya baap ki mohabbat puri hoti hai wo pyaar hi nahi tha, unme aur is safdar mein faraq kahan tha? Aaj dekho main kis dagar pe hu isse pehle main inke plan ke mutabiq Chowdhury ya kisi x gang ke logo ka shikar Banu wo meri aziyat inse badtar kare mujhe maar do pls haath jodti hoo maar do main tumse bheek mangti hoo"

Monit ke pao par wo girkar rone lagi, monit ne banduk uski taraf ek dafa taani aur fhir gusse mein banduk dur uchaal di, usne jhukkar apne passejte dil se Alina ko baazuyo se uthaya

"Dekh liya bure logo ki sohbat, badle ki aag ne tumhe aur mujhe ek safar par laakar khada kar diya tumhare mafi se meri ahana to wapis nahi lautegi main janta hoo tumne order nahi diya tha sirf mujhe Marne ko kaha tha lekin Rajesh ne apni shaitani zaat dikhayi, agar main wohi Asif hota toh mujhe maarkar tumhara badla pura ho jata, kya hasil hua? achi safedposh zindagi ko chodh aaj tum ek khooni ban chuki ho wohi log ab tumse dugna badla lenge jab main is sheher tumhe aur tumhare aadmiyo ko dhundhte aaya tha na toh harpal khud se kaha tha ki ahana ke bagal mein ek qabr meri bhi hogi, aaj se 7 saal pehle casinar ke chalte maine kayi gunah kiye lekin main bhul gaya ki chahe main jitna sudhar jau jinka ghar ujada unki baddua mere sath marte dum Tak rahegi aur dekho maine ahana ko khoya apne hone Wale bacche ko khoya is masum ko khoya (Mishti ki lash par ungli uthate huye) kya mila mujhe? Tumhe bhi maar deta toh aur ghut ghut ke jeeta maar toh diya maine tamam apne dushmano ko aur jo khud Tut chuka jo oose main maar nahi sakta"

Kehte kehte uska gala bhari ho gaya wo rone laga, Alina ke aankho se aansu behne lage dopahar ka suraj ast ho raha tha, Alina ne aage badhkar uske kandhe pe hath rakhka usne palatkar uski taraf dekha Alina ki nazare bhi gulabi thi

"Mujhe maaf kar do"

Monit ne kuch kaha nahi aur uske haath ko thaame oose bas dekhta raha, uske aansu uske haatho par gire toh Alina ne uske girte aansuo ko poncha, "chale jao yaha se ab warna police aur Chowdhury ke aadmi yaha sa jayenge tum bhi lapaite mein aa jaoge jo hona hoga oose main seh lungi"

Monit chup raha fhir usne jo kaha oose sun Alina oose dekhne lagi, "yaha se dur ek container Siberia ke liye jaa raha hai agar main tumhe yaha chodha toh wo waise bhi tumhe tumhare Abba ki saza denge tum begunah ho aur jiske Dil mein pachtawa ho uski saza wo upar baitha samjho maaf kar deta hai chalogi mere sath"

Alina ekdum se uske gale lagkar rone lagi, aisa apnapan aajtak oosne kisi mein nahi dekha tha kaltak inteqam lene wala aaj khud uski hifazat mein aage aa gaya tha,

                             ---------

Chowdhury ke aadmiyo ke sath jab waha x gang ka second in command pahucha to wo tamam dalbal ke sath us yacht par utara waha siway lasho ke fhir kuch na mila safdar ki laash ektaraf padi thi wohi oose mishti ki laash mili jise usne kothe ki us dhandhewali ke taur par pehchana tha jisne monit ko panaah di thi, waha kahi bhi monit ka ya Alina khan Islam ka naamonishan nahi tha,

Udhar samundra mein behte us ship ke container mein chupe illegal passengers ke sath ek kone mein monit aur Alina khan baithe they, Alina uske baazuyo ko thaame sar rakhkar awas halat mein baithi oose farsh par chaku ghisste dekh rahi thi,

"Agar Chowdhury ko ya x gang ke leader ko malum chale ki tumne meri madad ki mujhe leke faraar huye to wo bhi tumhare khoon ke pyaase ho jayenge"

"Main na Chowdhury se darrta hu aur na uske kisi bhi gang ke leader se wo jo bhi koi hoga agar usme himmat hai to main bhi uska samna karne ko tayyar ab hum unsab ko piche chodh chuke wo desh chodh chuke wo humhe kabhi dhundh nahi payenge"

"Tum mere sath ek nayi zindagi shuru karoge mujhe tumhari jaise insaan ki zarurat hai ye samjna ki main apne gunah baksh rahi hu, ab aur hathyar uthane ki zarurat nahi"...usne monit ke chaku pakde hath ko wo hi thaam liya monit oose ektak dekhne laga, Alina usse kasskar lipat gayi, ship saat samundar paar karne laga

Conclusion

X gang ke kayi aadmi maare gaye, Chowdhury ki goli nikaal di gayi par wo is tarah kanoon ke jhamelo mein aur sehat ke chalte fasa ki kursi uske hath se cheen gayi, uska kaala karobar par ab kisi ko uske kamzor padne ke baad baithna tha jis qaman ko uski beti niha choudhary ne apnaya jo ab apne Abba ki tarah ban chuki thi, dhaka sheher par se Islam ke baad Chowdhury ka Satta hat gaya, sheher mein kanoon ki vyavastha saqt huyi, safdar ko drug lord aur kayi jurmo ka doshi paaya gaya zinda hota to wo fansi chadhta, wo itihas ban gaya aur ab saqt hidayat thi ki koi sheher mein nava gang khyal karne ka soche bhi na warna ab wo intelligence ke radar par aa sakta tha, wohi dusri taraf x gang ka leader kahi dur sat samundar paar kisi beach par baitha tha, oose sabkuch malum chal chuka tha uske aadmi ne bataya ki monit gayab tha aur Alina khan Islam bhi bishal safdar maara ja chuka tha, Chowdhury power mein nahi raha tha, ab aage kya faisla karna tha?

Tabhi zulfe savarti wo ladki muskuraye samundra se nahati bahar aayi usne paas rakhka tauliya lapaita aur us gang leader ke kareeb aakar baithi wo ab bhi phone pe uljha tha usne apna chashma hataya aur fhir uske honth ko chuma, fhir wo caller ki taraf mukhatib hua

"Ab mera waha koi kaam nahi hamare dushman maare gaye Chowdhury sahab ab power mein nahi rahe hamare aadmi bhi maare gaye is muthbhair mein ek baar fhir bahut khoon baha Jane do jo jaha chala gaya wo ab hamare pahuch se dur hai hamare liye ab koi khatra nahi, mera faisla hai ki ab straight life jeene ka, taaki kanoon ki nazar mein hamara koi bacha aadmi na aaye Chowdhury ko mera salaam kehna"

Wo phone rakhta koi aur nahi Asif tha aur uske sang baithi thi uski Humsafar syeda arnisha, wo khush they aur Mexico ke us khubsurat sheher mein chuttiya bita rahe they,

"Aisa lagta hai jaise kal ki hi baat ho"

"Sahi kaha arnisha tumne Aisa lagta hai jaise tamam ghatna mehez kal hi bat ho"

Wo dono dhalte Suraj ko dekhne lage yuhi ekdusre se lipate baithe huye,

Ek mor kahani le chuki thi,
Kitni zindagiya badal toh jaa chuki thi,
Waqt aur taqdeer ne aisa unka imtihan liya
Ki un tamam zindagiyo ki dastan ab is aakhri panne par aakar khatam ho chuki thi....



The End

(End of Crime thrill Universe)
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 12:39:38 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.195 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer