Ishwar

by ambalika sharma on September 19, 2013, 05:32:06 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1465 times)
ambalika sharma
Guest
ISHWAR
Ting tong,Ting tong.Darvaaje ki ghanti ki dhwani sun kar Vasudha drwaza kholne gayi.
Aap Vasudha ji hai na?” postman ne pucha.
Ji haan! Mein hi Vasudha hun.
Ye khat(letter) apke liye hai or ye parcel bhi
Dhanyavad” itna kehkar Vasudha ne darwaza band kar diya.Chitthi kholi to bade hi maarmik dhang se likha tha,
[color=pink]Maa ! mein aapse bahut pyar karti hun.Mein nhi janti ke mujhse kaun si aisi galti hui ki kabhi aapka pyar nhi paa saki.Ishwar ne mujhe sab diya par shayad mein hi is yogya nhi ban payi ke aapki mamta ki chatrachaya pa saku.
Jab tak ye patrr aap tak pahunchega shayad mein aap sab se bahut duur……
Hamesha khush rahiyega,
Apki beti,
Somya
[/color]
.”

Vasudha ki aankein bhar gayi thi or aansuon ki jaldhara khat par is prakar pad rhi thi mano koshish kar rhi ho apne un paapon ko dhone ki jinka prayashchit karne ke liye shayad ab samay haathon se choot gaya tha.Aankhon se ashruon ki dhara roke nhi ruk rhi thi.Uska pratyek aansu use kos raha tha,mano keh raha ho,dhikkaar hai tum par,tumhe maa kehlane ka koi adhikar nhi hai.Dabdabai aankhon ke saath Vasudha sofe par baith gayi or uski bheegi,aansuon se dhundhlai aankhein use 19 saal peeche kheench le gayi.Jab vo maa banne wali thi.Bda hi kathin samay tha vo unke liye.Operation krne par unhone apni pyari nanhi si beti Somya ko janm diya.Bahut hi khush thi vo.
Badi hi pyari beti ko janm diya hai tumne Vasu.Bilkul tumhare jaisi hi hai.” Unke pati Ajeet ne kaha.
Ajeet beti ke janm se ati prasann the.Ve Vasudha ko ghar le aaye.Jeevan ab sukhmay ho gaya tha.Ek din vasudha apni nanhi beti ko god me  lekar use baatein kr rhi thi,
Somya beta kuch hi samay baad tumhara nanha,chota bhaiya bhi aa jaega or fir tum uske saath khela karna,theek hai.Meri pyari beti.muuuuaa.
Ajeet ye sab sun rhe the.Unhe laga jaise ki unhe Vasudha ko sacchhai bta deni chahiye.
Vasu mein tumse kuch kehna chahta hun.
Arre aap kab aaye.aap baithiye mein chai bna kar lati hun.
Nahi chai baad mein.” Ajeet uske pass aa kar baith gaye or Vasudha ka haath tham kar kehne lage,
Vasu mene tumse ek bahut hi mahatvapurn baat chupai hai…….Doctor ki report…..” itna kehkar Ajeet ruk gaye.Unhe samajh nhi aa rha tha ki vo ye baat kaise kahe.Unhe soch me dooba dekh Vasudha kehne lagi. “Bataiye na kya baat hai?
Doctor ki report ke anusar…..tum …..tum kabhi fir se maa nhi ban paaogi.
Itna sun kar Vasudha sann reh gayi.Vo kisi pathhar ki moorat ki bhanti stabdh thi.Usne Somya ko god se ek taraf kar diya.
Vasu kuch to kaho na.kuch to kaho.Tum ghabrao mat hamari somya hai na.Vo hi hamara  sampurna sansaar hai.Vasu!”(ajeet ne vasudha ko jhakjhorte hue kaha)
ye nhi ho sakta Ajeet,nhi ho sakta.Somya mera sansaar poora nhi kar sakti.Vo mera vansh aage nhi bada sakti.Mein…..mein ab bete ke liye aajeevan tarasti rahungi,is manhus ke karan.Ye paida hi kyun hui.Paida hone se pehle hi mar jati,to mujhe……..
Ajeet Vasudha ke is badalte roop ko dekh kar avaak the.
Tum ye kya keh rhi ho? isme is bechari ka kya kasoor”.Ajeet ne dukhi ho kar pucha.
Bas vo aakhri din tha jab Vasudha ne Somya ko seene se lagaya tha.Achanak aaye is badlav ne Somya ko maa se dur kar diya.Nanhi Somya maa ka aanchal dhundti,parantu Vasudha use kabhi apna na saki.Jinki sach me maa nhi hoti unka dukh to smajh aata hai.parantu Somya ke pass hote hue bhi maa nhi thi.Ajeet Somya se behad pyar karte the.Unhone kabhi use kisi baat ki kami nhi hone di.
Somya school jane lagi.Vo bahut hi hoshiyar thi.Kaksha me sadaiv avval rehti.Sabhi uska protsahan karte the.Parantu use to maa ki mamta ki aavashyakta adhik thi.Vo samajh nhi paa rhi thi ki uske prati uski maa ka ye nishthur vyavhar kis karan se hai.Vo 8Th kaksha me pratham rhi or maa ko ye khushkhabri sunae bina reh nhi payi.Bhaagi bhaagi maa ke kamre me pahunch gayi,
maa maa! meine……meine(hanfte hue),aathvi kaksha pass kr li hai or vo bhi pratham sathan lekar.Aap khush hai na maa.boliye na.
Tere hone se mujhe khushi kabhi naseeb nhi hogi.chali jao yahan se.” Vasudha ne gusse me Somya ko dant diya.
Vasu ye kya kr rhi ho? Vo tumhari beti hai.
Meri koi beti nhi.” Ye kehkar Vasudha kamre se bahar chali gayi.
Ajeet ruansi Somya ko god me baitha kar puchkarne lage.
Papa! Maa mujse pyar nhi karti.par kyu? Mene aisa kya kar diya.
Ajeet ne somya ko puri sachhai bata di.Somya ye sab jaankar khud ko kosne lagi.Usne fir kabhi ye prashan maa se nhi kiya.Vo ab badi ho rhi thi parantu saath hi aksar beemar bhi padne lagi.Use apni maa se gila nhi tha. 12th karne ke baad aage ki padai karne ke liye doorchali gayi.

Ek baar achaanak hostel se Ajeet ko phone aaya.Somya bahut beemar thi.Ajeet foran ghar pahunch gaya or jane ki tayiyari karne laga.Use bag me kapde dalte hue Vasudha ne puch hi liya,
Kahan ja rhe ho is tarah achaanak?
Somya bahut beemar hai.Hume jald hi nikalna chahiye!” Ajeet ne uttar diya.
“Mujhe use kuch lena dena nhi.Tum jao.
” Usne beparvahi se kaha.
Tum nhi chahti to mat chalo,par ek din yahi svabhav tumhe sab se door kar dega.Meri ye baat avashya yaad rakhna.” Bas itna kehkar Ajeet nikal gaye.
Ajeet hospital pahunche.Somya ki tabiyat bahut kharab thi.Us samay Somya so rhi thi.Doctor ke pass gaye to pta chala ki Somya ko cancer hai.Ye sunkar mano unke pairon tale jameen khisak gayi.Unki aankho se aansuon ki dharaein beh nikli.Ve Somya ke pass gaye or uska haath tham kr rone lage.Somya jag gayi or pita ko rote dekh usne kaha, “Papa roiye mat.Agar aap hi himmat kho denge to maa ko kaun sambhalega.
Tumhe abhi bhi uski chinta hai, jiske liye tumhara hona na hona ek saman hai.”  Ajeet ne bade hi dukhi svar me kaha.
Papa vo maa hai.Mujhe unse koi gila nhi.Mein unse aaj bhi utna hi pyar karti hu or hamesha karti rahungi.Mein unke liye ek tohfa chode jar hi hu…..
Achanak Somya ki aankhein band hone lagi.
Somya! Somya!.... beta kya hua? Aankein kholo…..Doctor! Doctor……..”Ajeet bechain ho kar chillaane lage.
Papa hamesha khush rahiyega.Mein aap dono se bahut pyar karti hu.Mujhe maaf kar dena.aa…..aappp dooono ko chorrr ke jaa..a rhi..iii huu.uuu.”Or Somya ki aankhon ke samaksh andhera cha gaya.

Teen din baad Ajeet ghar laute to bilkul khamosh the.
Vasudha ne pucha, “Kya hua? Kyu us manhoos ke liye itna pareshan ho rhe ho.Kaas vo mar……….
Ajeet ye sunkar khud ko Vasudha par haath uthane se rok nhi pae. “Vasudha mujhe sharam aati hai ki tum meri biwi ho or mein khush hu ke Somya is jindagi se mukt ho gayi.Tum maa kehlane ke yogya hi nhi ho or tabhi shayad………shayad Ishwar ne tumse aaj vo adhikar bhi cheen liya.
Vasudha ko samajhte der na lagi ki Somya ab unhe chod kar bahut door chali gayi hai.Aaj use samajh aaya ki usne kya khoya hai.Vo bas roti thi or kho gayi un aansuon ke saath.
.
.
.
Vasu! Vasu!....kahan kho gayi.Vasu…” Ajeet ki aawaz sun kar vasudha ki tandra tut gayi.Aansuon ko ponchte hue “kahin nhi.Bas apne kiye gunahon……uhu uhu.”or vo phoot padi.
Mujhe maaf kar dijiye.
Koi baat nhi Vasu.Par ye tumhare haatho me kya hai?” padkar unki aankhein bhi aansuon se tharrra(bhar) gayi.Par swayam ko unhone rok liya.
or ye kya hai parcel me?” Ajeet ne pucha.
Mujhe nhi pata.Abhi tak khola nhi.
Vasudha ne parcel khola.Usme ek pustak thi.Sheershak(title) ISHWAR.Use khola to pehle panne par kuch panktiyan thi,
ISHWAR se unchaa agar kisi ka sthan hai,
Vo maa hai.
Jiske charno me swarg,aanchal me jeevandaan hai,
Vo maa hai,keval maa hai.”
[/i][/color][/b]
Vasudha ko mano ye shabd antar tk cheer gaye.Uske man ki bhari glani ne uske kanth ko roondh diya tha.Bas  itna hi keh payi, “Muje maaf kr dena Somya,….maaf kar dena!!!!!
Bas ab yahi nishani reh gayi thi jiske sahare Vasudha apni beti ke un bhavon ko samajh sakti thi,jinhe samajhne ke liye shayad unhone der kar di….
# ------------------ # ---------------------- #
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Hey Ishwar !! by Talat in Shayari-e-Parastish
ishwar aur madira by Prateek Mardia in Kaifiyaat-ae-maye « 1 2  All »
Ishwar ki sirishti ki seva karna, Ishwar ki asli bhakti hai ...bansi by BANSI DHAMEJA in Miscellaneous Shayri
he ishwar.....jyuthika... by jyuthika in Miscellaneous Shayri
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #1 on: September 19, 2013, 06:03:57 PM »
Ambalika ji Good Work.
Logged
ambalika sharma
Guest
«Reply #2 on: September 19, 2013, 06:11:49 PM »
thank u
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #3 on: September 19, 2013, 06:19:04 PM »
You'er Welcomeji.
thank u
Logged
premdeep
Guest
«Reply #4 on: September 19, 2013, 08:10:50 PM »
beautiful inspirational and emotional story
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #5 on: September 20, 2013, 02:56:41 AM »

Ambalika Jee Aadaab...!


Bahut hi dardnaak aur dil ko jhanjhorne wali story likhi hai jee aapne... just mind blowing..
Emotions hai inspiration hai aur behad achcha lesion hai jee...

is khoob story par kia kahe jee...
daad nahi de sakte na mubbarakbad de sakte haiN...

Likhate rahiye jee.. aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez...   

Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #6 on: September 20, 2013, 09:13:40 AM »
beautiful beautiful
Logged
ambalika sharma
Guest
«Reply #7 on: September 20, 2013, 09:16:41 AM »
aap sabhi ka bahut bahut shukriya...
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #8 on: September 20, 2013, 09:43:40 AM »
very very nice
Logged
ambalika sharma
Guest
«Reply #9 on: September 20, 2013, 10:50:49 AM »
thank you
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:26:38 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.138 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer