vampi khan
Shayari Qadrdaan
Rau: 4
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:12 hours and 38 minutes.
Jaan kar kya karo ge ???
Posts: 180 Member Since: Dec 2014
|
Lucknow - 1971
Sang-e-marmar sa tarasha hua ye badan, Itna dilkash hai ke apnane ko jee chahta hai.
Surkh honthon mein thirakti hai ye rangeen sharab, Jise pee kar behak jaane ko jee chahta hai.
Naram seene mein dhadakte hain vo nazuk toofan, Jin ki nazuk lehron mein utar jaane ko jee chahta hai.
Ek arsa lag gaya use ye malum karne mein ke ek lamhe mein jo chehra uski neend, sukoon haram kar gaya tha vo kiska tha. Us chehra dikash chehra ka naam kya tha, vo kaun thi, kaisi thi aur kahan rehti thi. Aur jab khabar hui toh phir shuru hua roz shaam ko isi waqt Babu Miyan ke yahan aakar chaai pine ka silsila. Vo roz shaam is waqt kahin se apni ek saheli ke saath vaapis aaya karti thi aur vo roz yahan uski raah mein uske deedar ko muntazir hota tha.
Uska naam Shaheen tha aur sirf itna hi vo malum kar saka tha. Vo kya karti thi, kahan jaati thi aur is waqt kahan se aati thi, use kya pasand tha, kya na-pasand tha, in sab baaton se abhi vo ghafil tha. Ab tak usse jo 2 baatein hui thi vo sirf nazron nazron mein hui thi. Vo roz shaam yahan se guzarti, vo kisi deewane ki tarah palken jhapkana bhool kar uski aur dekhta, vo ek lamhe ke liye usse nazar milati aur aage nikal jaati.
Aur us pal ek lamhe ke baad vo phir agle din ka intezaar karne lag jata, phir us lamhe ka jab un dono ki nazar phir ek doosre se milegi.
Tum se kya rishta hai, kab se hai, ye maloom nahin, Lekin us husn pe mar jaane ko jee chahta hai.
Rakh le kal ke liye ye doosri paazeb bhi, Kal is bazm mein phir aane ko jee chahta hai.
Bekhabar soye hain vo lootke neenden hamari, Jazba-e-dil pe taras khane ko jee chahta hai.
Pehle kayi din tak shayad use khabar bhi nahi thi, koi ehsaas nahi tha ke vo yahan us waqt sirf usi ke intezaar mein betha hota tha. Us waqt shayad Asghar ko uske deedar se zyada aur koi khwahish bhi nahi thi, aur koi armaan nahi tha. Vo toh bas us ek bachche ki tarah tha jo rozana ek dukaan ke saamne se sirf isliye guzarta hai ke bahar sheeshe mein rakhe ek mehenge khilone ko dekh kar khush ho sake, bina us khilone ko paane ka armaan kiye.
Par phir aahista aahista ye badalne laga. Uska vahan hona, roz hona aur nazar utha kar uski taraf dekhna shayad us dilnashin chehre ne bhi mehsoos kar liya tha. Aur phir ek din jawab bhi usne bhi nazar utha kar uski taraf dekha, jaise aankhon hi aankhon mein uske sawal ka jawab de rahi ho. Ek aisa sawal jisse dono bekhabar the par ek aisa jawab jo dono ne samajh liya tha.
Aur phir dil mein uske deedar ki khwahish ki jagah ek doosre armaan ne le li. Use haasil karne ke armaan ne. Use apna kehkar bulane ke jazbaat ne.
Vo roz isi jagah se guzarti aur vo roz yahin betha hota. Vo dono ki nazar aapas mein takrati, vo ek pal ke liye muskurata aur vo sharma kar nazar jhuka leti. Khuda ne jaise tamam qaynat jaise us ek lamhe mein samet di thi. Dono jahan ki khoobsurati jaise uski nazar mein bhar di thi. Saare zamane ki ada aur haya ka haasil jaise uska sharma kar nazar jhukana ho gaya tha.
Apne haathon se sanwara hai tumhein qudrat ne, Dekh kar dekhte reh jaane ko jee chahta hai.
Noor hi noor jhalakta hai chehre se, Bas yahin sajde mein gir jaane ko jee chahta hai.
Chand chehra hai tera aur nazar bijli, Ek ek jalwe pe mar jaane ko jee chahta hai.
Aur aaj ka mamoon bhi kuchh aisa hi tha. Theek waqt par vo door se hi aati hui nazar aa gayi thi. Usne apne bikhre hue baalon mein haath phiraya, steel ke glass mein apna chehra dekhne ki koshish ki aur kapde durust karta hua sidha hokar beth gaya. Aas paas nazar utha kar usne dekha ke kahin koi uski taraf dekh toh nahi raha. Sheikh Chacha uthkar ja chuke tha aur Babu Miyan dukaan ke andar jalebiyan talne mein masroof the. Kisi ka dhyaan uski taraf nahi tha aur uska dhyaan door se neele rang ke kapdo mein aati apni khwahish ki taraf tha.
Babu Miyan ki dukaan ek chaurahe par bilkul kone par thi. Dukaan ke saamne sadak ke paas rakhi kursiyon par vo chaai ka glass thaame betha tha. Vo roz ek aur se aati, uske kareeb se guzarti aur sadak paar karti hui sidhi nikal jaati. Ek pal ke liye vo uske kareeb hoti aur lagta jaise saba ka har jhonkha uske jism ko chhuta hua sidha uske seene par dasta de raha hai. Dhadkan pur-josh ho uththi aur nazar pur-sukoon.
Ek pal ke liye mili nazar jaise hazar baatein keh jaati.
Kabse khamosh ho aey jaan-e-haya kuchh toh bolo, Kya abhi bhi sitam aur dhane ko jee chahta hai.
Par aaj kuchh alag tha. Roz jab tak vo uske kareeb na hoti, apni nazar nahi uthati thi. Bas vo ek lamha jab vo uske nazdeek se guzarti, bas tab hi azar utha kar uski taraf dekhti thi. Jaise is baat ka iqraar karti thi ke uske vahan hone ka ilm use bhi hai. Par aaj vo do nazren thodi door se hi mil gayi thi aur jab milin toh kuchh pal ke liye ek doosre se ulajh kar reh gayin. Na us parizaad ne nazar jhukayi aur na hi Asghar khud nazar phira saka. Vo door se usi ki jaanib dekhti hui uski aur badhti rahi aur ye deewano ki tarah usse nazar milaye raha. Uske saath uski saheli jaane kya kahe ja rahi thi par Asghar janta tha ke saheli ki baat mein vo sirf haan mein haan mila rahi hai, khud uska bhi poora dhyaan Asghar ki taraf hi tha.
Chand ki hasti kya hai, saamne jab suraj ho, Aap ke qadmon mein mit jaane ko jee chahta hai.
Uske kareeb se guzarti hui vo aage nikal gayi aur aaj pehli baar usne apni nazar ke saath saath apni gardan bhi ghumayi. Vo janta tha ke agar kisi ne Asghar ko uski jaanib yun dekhte hue dekh liya toh ghazab ho jaayega. Vo yahin isi mohalle mein rehti thi aur ye baat ke ek ladka is tarah uske mohalle ke chakkar kaat raha hai uski ruswai ki vajah ban sakti thi. Isliye vo hamesha hi uski jaanib dekhne se pehle is baat ki tasalli kar lete tha ke koi bhi uski taraf nahi dekh raha hai. Un dono ke nazar yun milane ka aur koi gawah nahi hai.
Par aaj jab usne bhi nigaah Asghar ki nigaah se milaaye rakhi toh dil ke haath majboor ho usne palat kar uski taraf dekh hi liya.Vo sadak paar karti hui doosri aur pahunchi aur phir yun hua jaise ke us ne ek teer sa chhoda jo sidha Asghar ke kaleje ko chaak karta hua nikal gaya. Vo doosri aur pahunch kar ek pal ke liye ruki, palti, Asghar ki taraf dekha, muskurayi aur apne haath mein pakda ek laal rang ka rumaal sadak par gira diya.
Mere daman ko koi aur na chhune paayega, Tum ko chhu kar qasam ye khaane ko jee chahta hai.
Vo achhi tarah janta tha ke vo rumaal vahan sirf usi ke liye giraya gaya hai. Vo rumaal us waqt uske liye mehaz kapde ka ek tukda na hokar duniya ki sabse besh-keemti cheez ho gayi tha. Ek aisi cheez jiski keemat do jahan ko bech kar bhi nahi lagayi ja sakti thi. Be-ikhtiyaar vo utha aur sadak paar karta hua us rumaal ki taraf badha, apni daayin taraf se sadak par aate us truck se bekhabar.
Chhod kar tumhein kahan chain milega hamko, Yahin jeene, yahin mar jaane ko jee chahta hai.
Achanak uthe shor se Shaheen aur uski saheli palte. Sadak ke beech jis taraf se vo aaye the, vahan ek kaafi bada sa majma jama ho gaya tha.
"Kya hua?" Usne apni Saheli ki taraf dekhte hue kaha.
"Pata nahi" Uski saheli ne kandhe uchkate hue kaha.
Kuchh pal ke liye dono vahin khade rahe aur phir uski saheli ne us jaanib se aa rahe ek aadmi se puchha.
"Kya hua Bhai-jaan?"
"Koi Truck ke neeche aa gaya" Us aadmi ne udaas chehra banate hue kaha.
"Zyada chot aayi kya?"
"Khatam ho gaya vahin" Kehkar vo aadmi aage badh gaya.
"Bechara" Uske saheli ne kaha aur vo dono phir apne raaste aage badh chale.
Uske saheli ab bhi jaane kya kahe ja rahi thi par Shaheen ka poora dhyaan toh apne us mashooq ki taraf tha jiske liye vo apni mohabbat ke izhaar ke roop mein apna rumaal gira aayi thi.
Kal vo phir vahin betha hoga, kya rumaal uske haath mein hoga ya usne apne gale mein bandha hoga, ye sochkar vo muskurati hui apne ghar ki taraf badh chali..
THANKS FOR READING EVERYONE
|