"Wo bhi ek aam subah thi,
Na jaane kyu? fhir bhi mujhko shuba thi?
Fajr ki ibadat mein sajde par jhuka tha
uthkar haath jab failaaya toh
aaj bhi dil mein bas wohi dua thi" "
Subah kitna waqt hua tha is baat ka mujhe andaaza nahi par jab neend ki aagosh se jaaga toh kamre mein halka halka neemandhera ab bhi chaaya sa tha...neend tutne ki wajah ilaake ke masjid se aa rahi azaan thi....fajr ki namaaz aur din ka pehla ibadat ka waqt ho chala tha....main bistar se uthkar haapi chodhte huye khidki khola toh bahar ki thandi hawa ka jhonka jaise mere chehre par pada....
wuzu karke kapre badalte huye main sidha janamaaz bichaaye uspar khada hua niyat baandhte huye kalma padhte huye main sajde mein jhuk gaya...har subah uthkar apni fajr namaaz padha karta tha....jab subah ki roshni ab bhi na nikali hoti thi....jab dua padhkar namaz se faarig hua....toh fauran apne chote se kitchen mein aakar chai ka patila chulhe par chadhaaya paani aur patti dono daalkar uske ubaal ka intejaar kiya fhir usmein apne laayak chai banaane ke liye doodh daala aur fhir shakkar...
kuch dair baad aasman dheere dheere roshan hone laga main garam garam chai ka pyaali haath mein liye khidki pe baithkar peene laga....aaj bhi wohi subah thi wohi aam din ki shuruwaat na jaane kab se yun akela roz aisi hi fajr ki waqt mein uthkar namaaz padhkar bas khud ke liye chai banaate huye tayyar ho jata tha apni rozi ke kaam par nikalne ke liye...
is sheher mein aaye mujhe kayi mahine ho chale they.....ek baar kamre ke diwaar par tangi apne parivar ki tasveer par nazar uthi....shayad wo ab bhi so rahe honge apne desh mein....bahut waqt ho gaya tha unse dur huye...lekin na jaane kyu dil mein aaj ki subah kuch shuba (doubt) mein thi? aisa lagta tha jaise aaj ka din hamesha ki din ki tarah nahi hai na jaane kyu? main jawaab dhudhne mein khud mein itna ulajh gaya ki kab suraj ki tej roshni mere chehre pe aakar padi mujhe maalum hi nahi hua...
main hadbadaate huye khaali cup ko kitchen mein laakar rakhte huye fauran nashta tayyar karne laga aaj lunch nahi tayyar karunga bahut waqt ho jaata hai aur cab service waale paisa kaant lete hai....ji haan khuda ke fazal se mere paas khud ki taxi thi jo ki main ek online cab service ke liye kaam par lagaaya hua tha....aajkal daur badal chuka tha log ab peeli taxi ya sheher ke 1000rs se shuru hone waale fair private cab ke mohtaj nahi they ab ola uber se aasani se log ghar baithe bina phone calling kiye minuto mein bookings kar lete hai...
mera schedule tha subah 7:30 tak ghar se rawana ho jaana....berehaal maine jaise nashta hadbadaake kiya aur tayyar hokar ghar se niklaa....taxi pe sawaar hua aur fauran gully ka modh kaantte huye kuch hi seconda mein main road par taxi sidha chalaane laga....system on kar chuka tha main fhir apne kaam mein vyast ho gaya....
Dopahar kahi jaakar lunch mein 15 mins ka break liya....taxi ek masjid ke kinaare rok di....do passengers abtak sirf mile they.....jinhe unke manzil par chodh aaya tha....is desh mein aane ke baad se main yaha ke mahoul mein dhal gaya tha paanch waqti namazi ho gaya tha aur koi bhi namaaz nahi chodhta tha kabhi kabhi tight schedule ki wajah se passengers ko jaha chodhne jaata tha wohi kahi park mein ya kahi dur daraaz kisi khaali pak jagah par namaaz padh liya karta tha lekin kayi dafa padh nahi paata tha ya fhir namaaz qaza ho jaaya karti thi...
parivar waale mere naa hi sirf yaha aane ke iraade se khilaaf they balki mere peshe se bhi unko nafrat thi...unka ek hi zumla tha ki itna padh likhkar tujhe koi dhang ka kaam nahi mila wo bhi itne dusre desh jaakar....lekin mera bhi wohi kehna tha ki white collar aur corporate job ki izzatdaar seniors ke bejjati se acha ye aasan dhanda tha mera duniya ko dekhne ka nazariya badal chuka tha....kabhi ek waqt tha ki main masjid ki shakal bhi nahi dekhta tha aur naa namaz padhta tha main adharmi tha khuda par bharosa nahi tha mera.....par main kitna galat aur gunaahgaar tha main hi jaanta tha...
achanak fhir apni beeti baaton se udaas hokar jaaga gaadi park ki aur sanjog se paas ke is masjid ka maalumaat chala zuhar ka waqt tha aur mere paas 15 minute se kayi ek aad minute kam huya break.....main beparwaah se masjid mein daakhil hua wohi nal ke paas baithkar wudu banaaya aur khutba sunte huye topi pehnte huye majlis mein jaa baitha.....aaj din mujhpar meherbaan tha aisa kabhi hi hota aaya hai ki ek waqt mein namaz padhne ka muqarrar masjid aur lunch break mil jaaye....
ibadat se faarig hokar jab main bahar lauta to apna silent phone dekha uspe kayi unknown passengers ke number flash huye they.....yakeenan meri kamaai to gayi lekin meri namaaz puri adaa thi is baat se mujhe koi farq nahi padta tha...
main paas ke thele waale ke paas khada hoke kuch kharidkar oose hi khaane laga yahi mera lunch tha kabhi kabhi to dopahar ka khaana naseeb hi nahi hita tha...aisi hi kuch naukri hoti hai taxiwaalo ki...itne mein faarig hokar main gaadi ke taraf badh hi raha tha ki itne mein passenger request maine fauran oose accept kar liya...kuch kadam aur chala to sidha phone call aaya
"hello?".....maine sawaali nigaho se beparwa hokar gaadi mein sawaar hua
"hello"......wo awaz kisi ladki ki thi mere liye aam baat thi koi lady passenger milane waali thi
"haan ji aapka location kya hai?"
"ji shahjalaal airport"
"great umm to theek hai main 10 min mein pahuchta hoo aap medical college ke paas hai na?".....maine location ki taraf screen par dekhte huye kaha
"ji bus stand ke kareeb okay pls jaldi aaiyega cancel mat kijiyega"
"koi baat nahi main pahuchta hoo aap wohi rahiye".....maine phone bagal waali seat pe rakha aur taxi start ki
main fhir main road par tha medical college masjid se mehez 15 min ke faasle par tha par raasta bhaari bheedh se tha main sochne laga shayad main waqt pe na pahucha to wo lady passenger bhi cancel kar degi....khair khuda ke ghar se nikla tha aafat kya rukawat banta....turant green signal huyi aur main fhir taxi chalaane lagaa....lekin jab medical college ke paas pahucha to waha ke bus stand par ikka dukka log they par unmein koi meri waali lady passenger to maalum nahi hoti thi...
Maine taxi side lagayi aur band karte huye apne passenger ka wait karne laga ho sakta hai aas paas hi kahi ho...kuch dair intezaar ke baad lagne laga ki lagta hai shayad usne ride cancel kar diya....aksar aisa hota bhi hai khair maine phone par check kiya to ride cancel nahi huyi thi...5 min aur guzar gaye dil mein aaya naa ab main hi cancel kar deta hun par naa jaane kyu? mujhe gawara nahi hua usne mujhse request kiya tha na cancel karne ka wo cab ki imdaad mein thi aise mein mera cancel kar dena oose airport hi jaana hai intezar mein hogi warna uski flight miss ho jaayegi...
achanak soch hi raha tha ki itne mein phone baja....wohi number flash ho raha tha....turant receive karte huye wohi awaaz mere kaano mein padi,