Khaamosh Raatein - {Horror Story}

by asif biswas on November 24, 2016, 01:35:14 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 10351 times)
asif biswas
Guest
Kahani shuru karne se pehle main kuch chand baatein likhna chahta hoo...main kisi bhoot pret aatma hone ka koi daava nahi karta...as i have written many stories on various genre...so horror is my one..where i love to write more...is kahani mein likhe gayi koi bhi scenes na asli hai aur na asli hone ka koi daava karte hai...ye kahani mehez manoranjan karne ke liye likhi jaa rahi hai...is kahani ko real samajhne ki mistake na kare...kahani mein likhe har paatra,log,jagah,naam puri tarike se kaalpanik hai...kuch aise kisse hote hai hamari zindagi mein jo humhe yakeen karne pe kabhi in sab cheezon pe mazbur kar dete hai lekin humhein oonhein sirf sochke mind se nikaal dena chahiye...main ksii supernatural cheezon ko barhawa nahi deta..na hi kisi ko protsahan karta hoo ki in sab cheezon pe yakeen kare...khair kahani paanch parts mein likhi jaa rahi hai toh koi zyada lambi nahi hogi aap aaram se parh bhi sakenge aur boriyat bhi nahi hogi...kahani agar pasand na aaye toh wohi padhna chodh de aur apna keemati waqt bachaaye....yun toh is forum pe meri kaafi horror stories reh chuki hai kuch mein se lagbhag dusre websites pe cnp hoke mazud hai my luck  sad11 but ek writer hoo toh yakeenan kahani likhna band nahi kar sakta shuru kar raha hoo my fictional horror story just like my previous stories...KHAAMOSH RAATEIN

Badalon mein garazan shuru ho chuki thi.....maano jaise aasman mein vispot ho rahe ho....oosi garzan ke beech bijli ki tez roshni beech beech mein andhere saaye ko kuch second ke liye roshan bhara karte huye fhir tham jati...beech beech ki is bijli ki roshni se mere aas paas ke dono taraf ki waadiya mujhe dikh rahi thi....dono taraf ghana jungle aur tufaan ke tez hawao mein lehraate woh paid....

itne mein oos hath ne jaise mere kandhe ko chua...main ekdum se hil gaya....woh haath mere dost ka tha jo mere bagal mein baitha gaadi ko tezi se drive kar raha tha...meri aankho mein khauff dekhte huye oosne muskurake saamne ki or dekhne laga

"tu bhi na yaar? sirf haath rakha aur tu darr gaya?"......ooski baat jaise mere kaano mein gunzi hi na ho......jab 2 min tak khaamoshi chaayi rahi....toh oosne meri or dekhte huye chehra gambhir kiya ooske daaye haath ki ungliyo ke beech fasaa cigarette jisse dhua nikal raha tha oose apne hontho pe lagake oosne ek kassh lete huye bagal ki khuli khidki pe apne munh ka dhua chodhne laga

darr ooske kandhe pe hath rakhne ka nahi tha....mere soch aur mere nazaro mein ab bhi woh kisi tasveer ki tarah ghatnaaye ghum rahi thi jo kuch abtak mere sath ghat chuki thi......itne mein drive karte huye rohan ne khidki mein parh rahe kohre aur barsat ki bundo se bheegte khidki ko automatic window viper se saaf karna shuru kiya....ab sheesha saaf dikhen laga tha aage raaste pe headlights ki roshni fail rahi thi...raat  baj chuka tha...gaadi ki awaaz aur garazte baadal aur is bigadti raat ka tufaani mausam hi sunai de raha tha..

rohan : kya alif itna ghabra kyu raha hai? jo hona tha so ho gaya? ab oon sab baaton ko sochne ka koi wajah hi nahi banta...kyu soche apne ateet ko? haalat ke aage hum insaan kar hi kya sakte hai? [rohan mujhe samjhaane ki koshish kar raha tha...yakeenan woh mere ateet se waaqif tha]

ab rohan ki awaaz mere kaano mein shayad gunzi thi isliye maine is baar ooski baat ko ansuna na kiya aur oosse baat karna shuru kiya

alif : yaar jo kuch bhi hua wohh bhule nahi bhulta...par

rohan : dekh alif bhulaane ke siwaah aur koi chaara nahi hai hum oos jagah se bahut dur aa chuke hai...apne sheher mein hai fhir kaisa khauff? ekdum se itna kuch ho gaya hamari toh galti nahi thi na sirf hamara yahi mistake raha jo hum waha gaye

alif : ye sabkuch kahi na kahi hamare wajah se hua hai na hum waha jaate na wohh sab karte aur na hi hamare sath aisa kuch ghatta

rohan : oh c'mon aliff [rohan ke chillane se badal ekdum zor se oos waqt takraaye aur bijli ki ek roshni sidhe pure aasman mein fail gayi aur charo or roshni si jagmaga uthi]

rohan bhi kaanp sa gaya par oosne pure niyantaran se gaadi pe kaabu paaya hua tha...oosne meri or gusse bhari nigaho se dekhke fhir khud ko relax kiya...."dekh bhai manta hoo bhulana aasan nahi par ab kasam khaa ki hum wahan hargiz nahi jaayenge chahe jo ho jaaye ye raaz raaz hi rahega jo koi bhi oos raaz ke panne kholega sirf ooski maut hogi...ye main nahi keh raha...jo kuch suna dekha wohi hoga understand humhe sirf apni jaan pyaari hai baaki duniya jaaye baarh mein"....rohan ke aisa kehte hi bijali kadak uthi main chhupchaap

alif : main toh bhul nahi paunga aur shayad na tu bhul paaye...par oos shaitan ko tu rok nahi sakta wohh na humhe bhulega na humhe bhulne dega kabhi na kabhi woh waapis hamare saamne aake khara ho jaayega

rohan : shut up alif bahut ho gaya main kisi aisi ghatiya waahiyat andhwishwas pe yakeen nahi karta samjha tu nahi kartaa main

alif : rrohhhannnnnn sttooppp theee carrr

oosi waqt jab rohan chilla chillake apne andruni darr ko dabane ki koshish kar raha tha oosi waqt maine dekha theek gaadi ke saamne bijli ki ek tez roshni sidhe zameen pe giri ooski awaaz itni zor se gunzi ki oosi pal mere saamne maano jaise roshni chaa gayi rohannn ka balance bigadh gaya maine rohan ki steering ko left ki or bina soche ghumaa diya rohan accelerator pe kitni baar pao maara aur is hadbadahat mein gadi ekdum balance bigadte huye sidhe daayi or ki or buri tarike se ghum gayi....sirf gaadi ke tyres ghasitti nikalti awaaz....aur mera khauff jo mere dil ko mere munh mein laa dene wala tha...

aur oosi waqt rohan bhi khauff se chilla utha....jabtak kuch samajh paate gaadi sidhe highway road ke theek bagal mein oos bargad ke paid se takra chuki thi.....gaadi ka saamne waala engine door khul gaya aur headlights ki tutne ki awaaz aayi aur ooske baad zor ka ek jhatka jo sidhe rohan aur mere maathe pe laga hum buri tarike se wohi dum saandke behosh ho gaye

ooske baad maine apne dard ko peete huye apne maathe pe haath rakha uthne ki naakam koshish ki kandhe ke joint aur maathe ke daayi or tez dard ho raha tha jab haath lagay toh maathe se khoon beh raha tha...meri fauran nazar rohan ki or gayi jiska sar gaadi ki khiski se bahar latka hua tha

maine fauran rohan ko jhinjodna shuru kiya...oose awaaz di rohan ki saansein chal rahi thi...rohan ke bhi maathe se khoon nikal raha tha...achanak baarish shuru ho gayi....apne aap khidkiya lagne lagi....main ekdum se darr gaya

haath mein jo mobile thaama tha woh bhi kaanpne laga...gaadi ki headlights apne aap jal uthi...gaadi apne aap back hone lagi chala kaun raha tha? gaadi ki seat pe toh rohan behosh para hai...maine rohan ko jaganaae ki koshish kiooska chehra thapthapane laga.....achanak gaadi apne aap highway road pe khari ho gayi main charo or dekhne laga bijliya ab bhi kadak rahi thi

moosaldhar baarish ho rahi thi sadak charo taraf se khaamosh tha sirf tufaani hawao ka shorr bijli ki kadkadahat aur chamakti roshni aur paid jo hawao mein ekdusre se takrate huye lehra rahe they....gaadi ka engine ki awaaz apne aap hone lagi aur tabhi gaadi ka window viper apne aap chalne laga

sadak pe kuch dhua dhua sa dikh raha tha....maano jaise badal zameen pe utar aaye ho ek toh kohra upar se aisa bhayankar manzar...achanak oos dhuye mein saaya dikhne laga...aur jab wohh saaya hataa...toh meri aankhe bahar aane ko ho gayi

jis ateet se main bhaag raha tha wohh mere saamne khara tha....abhi hum do din se jis jagah se bahut dur bhaagte huye aa rahe they wohi maano jaise mere saamne mazud tha.....wohi kaale libaad mein...wohi haatho mein pakra woh laathi jiske sirhe pe chura gada huaa tha....wohi nukile aur jali huyi chamdi jo ooska pura jism tha jo oos kaale libaas mein dhaka hua tha....woh meri or ekdum gambhirta se apni khooni nigaho se mujhe ghur raha tha....

ab mera marna tayy tha...main ekdum zor se rohan ko jhinjodhne laga par ooska jism mein koi harqaqt nahi huyi main bhauklate huye rone laga chillane laga....darwaja bhi band tha....jaise wohh meri or aa raha ho...aur oos pal kaanpta mera jism main ek pal bhi bahar nikalne ke baarein mein soch bhi nahi sakta tha ooska itna bhayankar chehra ab ekdum kareeb dikhne laga wohi laal aankhe wohi jala hua sa chehra wohi nukile daant...

"nahiii nahiiii mereee paaas mat aanannn nahiii rohannn utthhh rohan utthh wohh paas aa rhaa hai wohh humhe maar degaa rohannn uthhh rohhhhannnn".........ekdum se rohan ne aankhe kholi aur ooski aaankhe bhi theek oosi tarah chamak rahi thi jis tarah oos shaitan kii

Ek jhatke mein alif uth baitha apne bistar se ooske sath hi ooski cheekh gunzi thi....bahar musaldar baarish ho rahi thi aur woh kaanpte huye is sard raat mein bhi pasine se tarbatar tha...ufff ye mehez ek bura sapna tha...jo oosne kuch lamhe pehle dekha...aliff ke liye woh sapna ekdum haqeeqat sa tha....do mahine ho chuke they ghar waapis aane ko fhir bhi jo waaqya ooske aur rohan ke zindagi mein ghataa tha wohh bhul nahi paaya tha

"kitna bhayank tha wohh chehra".....alif sochte huye paani ki ek ghuntt leta hai aur fhir relax ho jata hai

trinng trinnggg.......alif ekdum se ghabra gaya....itni raat gaye phone baj raha hai kiska aaya hoga....wohh dheere dheere apne kamre se bahar aata hai...is pure ghar mein wohh akela hi rehta aayaa tha apne maa baap ke marne ke baad par aaj akelepan mein rehne ke itne saalo baad oose khauff hua tha...wohh dheere dheere niche sidiyo se utarta hai bijli ab bhi kadak rahe they

alif phone utha leta hai....."hello?"....itne mein oose rohan ki awaaz sunaai deti hai

rohan : h..ii aliffff t...tuuu soyaa huaa tha kyaa??

alif : abbeyy itni raat gaye insaan sota hi tohhh hai

rohan : mujhe lagaa meri tarah tu bhiii daraa hua hogaa

alif : kyu? kya hua?

rohan : maine ek behad darawana sa khwab dekha bolunga tu darega toh nahiii

alif : kaisa khwab? [badal chamak uthe aur itne mein alif ke mann mein sawaal bhi ooska dil dhak dhak karne laga]

rohan ne jo kuch oose sunana shuru kiya ooske thamte hi...alif ka kaleja maano munh mein aane ko tha.....same wohi sapna wohii ghatna aisa lag raha tha jaise oonke zindagiyo pe ooska kaabu tha jo oonhein baar baar oos haadse se rubaru karaa raha tha

rohan : dekh alif mera dil toh ghabraye jaa rahah ai tune bhi wohi khwab dekha aur maine bhi same sapna ye koi ittefaq nahi ho sakta ek kaam kar kal mujhse mil humke milke hi koi hal nikalte hai aaj raat toh main so hi nahi paunga aliff

alif oose kya shaant karta? woh toh khud hi khauff se ghabraye jaa raha tha...aur oosne phone rakh diya.....wohh janta tha yeh sab kyu ho raha hai? ab dheere dheere karke sacchai ooske saamne aa rahi thi aur ye koi ittefaq nahi tha balki ek bulawa tha ye baat alif acche se jaan chuka tha...

aur fhir alif waapis apne kamre ki lamp on karke bistar pe lait gaya neend koso dur thi...ooske dimaag mein fhir wohi manzar shuru hone laga jo abtak ooske sath ghata tha jise oosne bura sapna aur na jaane kya kya naam deke bhula diya tha....oos raaz ko dafna diya tha..par wohh raaz apne aap jaag uthke kabar se bahar aa gaya tha

Aaakhir aisa kya hua tha? alif aur rohan ke sath? woh kis baat se itne khauff mein dube they? wohh kya raaz tha? jo oonke saamne aana chah raha tha....sabkuch jaanenge is kahani ke agle paatra mein tab talak to be continued...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
.....Real Horror Story..... by sweet_raabii in SMS , mobile & JOKES
Tehkhaana (Horror story) by asif biswas in General Stories
Raj mahal (horror story) by asif biswas in General Stories
pretjaal (horror story) by raj1111 in General Stories
AAFAT - A tale of horror (Horror story) by ASIF in General Stories « 1 2  All »
asif biswas
Guest
«Reply #1 on: November 25, 2016, 12:30:59 PM »
PART 2

Kitne khush they hum?...aisa lagta tha jaise zindagi mein mauj masti chodhke hamare kuch nahi thi...naya college join karne ke baad rohan se mulaqat huyi...rohan ke baaki friends bhi mere dost bane...par rohan aur meri dosti sabse zyada gehri thi...hamara waqt ghanto ghanta bitta tha...lekin kise maalum hamari zindagiyo pe ek buri nazar lagne waali hai...kaash main rohan ko rok paata lekin bahut dair ho chuki thi...zindagi pe nazar lagane wali ki dastak lag chuki thi...jis din rohan ne mujhe apni girlfriend saumya se milaaya...saumya khubsurati ki woh bala thi jise ek baar koi dekh leta toh ooske dil-o-dimaag pe sawaar ho jati...ooske liye koi kuch bhi kar sakta tha

rohan bhi ooski kashish mein kheecha chala gaya....dono ki haisyat kareeb ek jaisi thi....kabhi bhi rohan aur mere beech aukwad ka comparison nahi hua tha..main kahan middle class aur wohh kahan apne bare businessman baap ka ikaluta beta....shayad ooski aukwad ke hisaab se hi saumya ne oosse dosti ki thi haalanki ooske kashish mujhe bhi kahi kheechi thi par main sirf oose apni dost ki gf samjahke ignore karne laga

lekin wohh mujhe aise ghurrti thi jaise ooske dil mein kuch aur hi chal raha ho...rohan ko kehna matlab apni dosti ka dushman ban jaana tha...rohan ooske khilaf ek bhi cheez nahi sun sakta tha...maine bhi haalat ke aage ghutne taik diye aur oon dono ke sath waqt bitaane laga par sirf rohan ki dosti ki haisyat se

lekin kaash oose main rok pata...kaash sabkuch pehle se maalum hota ki humari ye trip hamare liye kitni bari manhusiyat laane waali hai?...jiske baad hamari zindagiya badal jaayengi....kaash mujhe pehle se sab maalumat ho jata...lekin bahut dair ho chuki thi bahut dair [alif ki aankhe badal ke oos kadakti bijliyo ke shorr ke sath fhir apne ateet ko dekhne lagi thi]

aisi hi mausam ka mizaaz oos din kharab tha....badalo mein gargarahat shuru ho chuki thi....ho ho karti hawaao ka shor charo taraf beh raha tha...aur hamari gaadi oos khaamosh raat ki sunsaan sadak pe apni headlights ki roshni failate huye oos andhere sadak ko cheerti huyi aage barh rahi thi....rohan kaafi khush tha jo drive kar raha tha....aur idhar main charo or dekh raha tha....mera is trip pe aane ka koi mood nahi tha aur upar se rasta bhatakne ki wajah se hum pehle hi paanch ghanta late ho chuke they sheher se 1 din pehle ke nikale huye they....na dhang se soya tha main...aur na khaaya tha...dheere dheere sheher ke khatam hote hi kuch gaon pare...lekin jab gaon ke baad khaamoshiyan barhne lagi aur din dhalne laga toh ab mere andar ki dhadkan tez ho gayi...charo taraf sirf jungle hi jungle

rohan ne mujhe kaafi insist kiya tha ki wohh apni gf ke purane bunglow humhe le jaayega....suna tha saumya ke purkho ki wohh haveli hoya karti thi...isse zyada na rohan ko pata tha aur na saumya ko fhir bhi saumya kaise razamand thi aur humhe le jaana chah rahi thi main kuch samjah nahi paa raha tha

rohan : kya darling? tumhari batayi aisi koi jagah hai bhi ya nahi?

saumya : hahaha tum thak gaye kya? hum toh sirf aadhe raaste hi pahuche hai....raat tak pahuch hi jaayenge [meri nazar gaadi ke front mirror se piche ki or gayi toh saumya jo piche baithi thi ooski neeli aankhe meri or hi dekhke muskaan bhar rahi thi main ekdum se bahar dekhne laga]

rohan : 9 baj chuke hai ab kya aadhi raat ko pahuchenge?

saumya : ek bar pahuch toh jao fhir dekhna kitna maza aayega? bahut hi haunted jagah hai...charo or hari bhari waadiya aur 5 km dur gaon...

alif : itni dur haveli....kya tumhare purkho ko bheedh bhaadh pasand nahi thi [badal garaz utha oosi pal saumya ne teekhe nigaho se meri or dekha jaise meri baat se ooske chehre pe ek kaatil muskan aa gayi ho]

saumya : hmmm wohh log zamindar they so maybe they don't like aur mujhe bhi zyada shor gul aur log pasand nahi siwaay khaas logo ke [saumya ki muskurahat aur nazaro ko apni or dekh alif sakpaka gaya aur oosne nazarein jhuka li...itne mein rohan ki baaton ne saumya ka dhyaan toda]

rohan : haan alif sahi keh raha hai...aur saumya bhi bhala bheedh bhaadh mein koi privacy nahi hoti yaar jagah thoda out mein ho tohh hi mauj masti ki jaa sakti hai kyu saumya? [saumya ko aankh marte huye]

saumya : bilkul rohan ek baar pahuch toh jaaye ooske baad ye trip hamari sabse yaadgar trip mein se hogi kabhi bhul nahi paayenge aur dil karega yahi zindagibhar reh jaaye

saumya ki baaton se main zarur oos waqt ghabra gaya tha....par meri ghabrahat aur beichani tab barhne lagi jab mujhe kuch theek nahi lag raha tha....mausam kharab hone laga...jald hi hamari gaadi ek gaon mein ghusi....gaon ke log hamari gaadi ki or dekhne lage...meri bhi nigah oonki or huyi

ooske baad gaon se hum bahar aa gaye...fhir ek nadi shuru huyi fhir ooske baad ghana jungle....ab sirf jungle mein aate jaanwaro ki awaazein sunaai de rahi thi....rohan bhi thoda sehem utha par oosne gaadi roki nahi..kuch dair baad andhera itna ghana ho gaya ki bina headlight ki roshni on kiye kuch dikhta nahi

kuch dair baad raasta ekdum kharab sa ho gaya bahut jhatke khaaye ooske baad hum ek gate ke saamne ruke....purana sa fatak tha wohh...achanak maine gaur kiya toh paaya ki hum ek bare se purane ghar ke saamne ruke they....achanak laaltain liye haath mein kambal odha ek shaks langraate huye gate ke paas aaya fhir oosne gate mein lage chain aur taale ko khola...

ooske baad wohh hamari gaadi ke nazdeek aaya...rohan ne sheesha khola toh ooske chehre ko dekhke hi sehem utha...aisa lag raha tha jaise kambal odh raha koi murda saamne khara ho gaya ho...chehre ki haddi saaf dikh rahi thi

saumya darri nahi oos laaltainwaale shaks ne meri or fhir rohan ki or fhir saumya ki or dekha....fhir muskuraya....."aaiye maalkin hum aap logo ka hi intezar kar rahe they"......saumya muskurake humhe bahar nikalne ko kehti hai

main rohan aur saumya bahar aate hai...saumya ek tak apni haveli ki or dekhne lagti hai....bijliya chamak rahi thi...aur mera dil dhak dhak kar raha tha....rohan meri or dekhke muskuraya "hahaha lagta hai aaj is haunted house mein raat guzaarni hogi"....main sirf muskuraya sach hi keh raha tha wohh

laaltain wala shaks bina kuch bole fhatka kholne laga..."tum dono andar jao main gaadi andar park kar deta hoo".......itna kehke rohan waapis gaadi mein baith gaya saumya mere sath andar daakhil huyi charo or ek azeeb si gandh si aa rahi thi....jaane kitne saalo se yaha koi aaya bhi ya nahi....jald hi darwaja khula chrrr chrr karta hua pure hall mein awaaz gunz uthi darwaje ke khulne ki

charo taraf khaamoshi si thi….”yaha pe kya light nahi hai?”……maine jaise ye sawaal kiya wohh kambhal odha laltain liya shaks meri or ekdum se mudaa….saath hi sath bijali chamak uthi aur badal ke garazte shor ke sath ooske chehre pe bijli ki roshni pari….ooska murda chehra meri or tha…ooski aankhe jaise kitni saqt aur kathor thi…fhir ooske gale se halki hassi ki awaaz aayi

“babu kal raat ko bhaari tufaan aayi thi jis wajah se bijli ka khamba gir gaya……fikar na kare roshni aa jaayegi”……ooske jawaab mein bhi ek kathorpana tha…jaise koi murda keh raha ho…..saumya muskurayi oosen meri taraf dekhte huye kaha “tumhein andhere se darr toh nahi lagta do u afraid?”….main sakpaka gaya…”n..nahiii”……saumya muskurayi

Tabtalak rohan bhi andar aa gaya tha….chrr chrr karke darwaja fhir band ho gaya….”ab pure haveli ke bheetar andhera tha….jald hi dining table, aur hall ke baaki diwaaro ke paas mombatti jalaa di gayi thi…”malkin yaha darwaje aksar band rakhe jaate hai kya hai na ki? Junglo se kabhi kabhar shikar ke liye jungle janwar haveli ke aas paas bhi mandraate hai toh aap log mei nse koi bahar na jaaye aadhi raat ke baad”…….bolke wohhh baba lathi liye aur laltain liye haveli se bahar chala gaya

Khaane ki plates aur khana dono dining table pe sazayi huyi thi….roshni mein maalum chala ki yeh haveli kitni purani hai diwaaro pe har tarike ke tasveerein thi…na jaane kitne saal ki purani paintings thi jismein dhool ki parat baith chuki thi aisa lagta tha jaise yaha sach mein koi aaya jaaya nahi karta….rang birange sheeshe diwaro ke upari manzilo mein lage they…ek bari si sidiya upar jaa rahi thi jaha kamre they……”mere dad hamesha yaha aaya karte they oonke baad ab main yaha aayi hoo”……saumya ne meri or dekhte huye kaha

Rohan : jo bhi rahe mujhe toh bhook lagi hai aaj hum log khaake soyenge nahi ek sath mauj masti karenge theek hai alif

Alif : par mera pura badan tut raha hai mujhe nend bhi kaafi aa rahi hai

Rohan : uff ho rohan pura din kal ka para hai sote rehna aaj hum is haveli mei naaye hai akele hai tujhe itni ghutan aur andhere mein bhala neend kaise aayengi…?

Rohan ki baat bhi sahi thi…aisi ghutan bhari jagah mein bhala neend kisko aayegi?....saumya ne oos jagah ka itihaas batana shuru kiya….woh zamindar ki par poti thi..ooske dada ki rahasmayi maut ke baad saumya ke mata pita sheher mein rehne lage….kuch saal pehle hi accident mein ooske mata pita bhi chal base they….saumya akele rehti thi bilkul meri tarah….ooski daastan ko sunke afsos zarur laga par ooske chehre pe kahi bhi dukh nazar nahi aa raha tha mujhe….

Raat kareeb 12:50 ho chukka tha….baatein karte karte itna hum log kho gaye ki waqt maalum hi na chala….itne mein saumya ne muskurake kaha ki wohh humhe baaki rooms bhi dikhaayengi…..main aur rohan ooske peeche peeche jaane lage wohh isse pehle bhi kayi baar bachpan mein aayi thi…..oose ye jagah bahut pasand tha….logo se dur bheedh bhaadh se dur….ooski pasand bhi kaafi azeeb thi


Logged
asif biswas
Guest
«Reply #2 on: November 25, 2016, 12:32:15 PM »
Jald hi tasveero ko ghurrte huye hum sidiyo se upar aaye ek or se dusr ior tak kuch kamre they…..do kamra khula hua tha…shayad oos budhe laltain waale shaks ne hamare liye saaf karwaya ho teherne ke liye…..hamare kamre bhi bahut bare they jhulti phaanush jiske neeche purane zamane ka bistar….charo taraf tasveerein jaise niche thi….zamindaar ko aurato ki tasveero ka bara shouk tha shayad

Ek or purane zamane ki kuch lamps daraaz chote moti tuti purane zamaane ki cheezein flower basket jismein ab phool nahi dhool aur mitthe they..dusra kamra jahan rohan aur saumya teherne waale they wohh room bhi kaafi bara tha….rohan ko toh kisi cheez se koi matlab nahi tha who sab baaton ko ansuna kar raha tha saumya ke parivar ki kahani ki bas main hi saumya ki baatein sun raha tha….rohan ne meri or dekha aur fhir saumya ko piche se pakad liya saumya ooske yun pakadne se hil gayi

Rohan : bahut ho gayi history ki lecture professor sahiba ab toh mujhe bhi neend aane lagi

Alif : theek hai toh rohan fhir main apne kamre mein jaata hook al hi mulaqat hogi ok guys goodnight [bolke main bari tezi se waha se nikal gaya…saumya ek pal mujhe jaate huye dekh rahi thi fhir rohan ooske gaal se khelne laga saumya oose dekhke sirf muskurayi]

Apne kamre mein aane ke baad…maine darwaja laga liya tha….fhir bhi neend kahan aane waali thi?...charo or tasveero ko ghurrte huye main apne bistar pe aake lait gaya..kitni khaamosh raat hai?....naya naye bistar pe sone ki aadat nahi thi….isliye sirf karwat badal raha tha…par jab neend na aayi…..toh main uth baitha…..paas hi water bottle jo pure raaste pee raha tha oose apne labo se lagaya….oosmein kuch bacha paani piya aur khara ho gaya

Diwaar mein ek khidki thi bahar ki roshni andar aa rahi thi……main mombati ko side kiye khidki se bahar jhaakne laga….charo or lehraate who ped…piche jungle tha….khub duri mein mujhe kuch dikha….aate waqt toh dikha nahi shayad ye jungle ke bheetar waale hisse mein tha ek khul maidan sa….achanak bijali ki tez roshni aur kadkadahat se main sehem utha aur jab oos roshni se dur nigaah huyi toh sehemna laazmi tha….dur is veerane jungle aur haveli ke kareeb ek qablustan tha…

Oosi pal bijlai fhir kadki aur ek pal ko sab kuch second ke liye dikha aur fhir andhero mein dub gaya…paido ki ekdusre se takrane aur hilane ki awaaz se main thoda siham gaya….aur maine jaldi se khidki laga li….tik tik tik tik…paas hi rakhi meri ghari ki itni kam awaaz bhi mujhe sunaai de rahi thi bistar pe razaai ko lapaite huye main bas chupchaap charo or dekh raha tha…achanak kisi darwaje ki charcharane ki awaaz sunaai di

Is awaaz ko sunke main buri tarah siham gaya…razaai haatho se pakad liya….ye awaaz kahan se aayi hogi?....lekin bahut kareeb se awaaz sunaai di…fhir kisi ki kadmo ki awaaz…jaise bare hi dheeme dheeme koi chal raha ho….jo bhi rahe lekin main darwaja nahi kholunga….kuch dair mein bahar mombati ki roshni si aayi..ho na ho rohan ya saumya mein se koi hoga shayad…abki baar ek baar dekhne ki chah huyi…fauran razaai apne jism se utaari…aur chappal pehenke darwaje ki taraf barha….ek lamp toh dining table niche ke hall mein rakhi huyi thi aur do mombattiya mere aur rohan ke kamre mein….

Fhir bhi darwaje kholne ki koshish ki…darwaja bari teekhi awaaz ke sath khul hi raha tha maine oos shor ko daba liya adhkhule darwaje se bahar jhaanka…charo or khaamoshi thi…achanak saamne ki or nigah gayi....hawa se dur ka wohh darwaja baar baar ek dusre se takraye jaa raha tha…oosi ki awaaz mujhe apne kamre mein lagi thi..lekin itni raat gaye

Main bahar nikala is baar torch saath mein rakha…pehle rohan aur saumya ke kamre ki taraf aaya…oonka darwaja sata hua tha…oonhein disturb karna theek nahi yahi sochke…main khud hi khulte band hote hawa se oos darwaje pe roshni maarne laga….ek baar piche bhi ghumke dekha…aur fhir niche hall mein jaha koi nahi tha lau pharphara rahi thi dining table pe rakhi mombatti ki…..main sidiyo se upar charne ko hua upar aate aate dekha ki ek moti chain aur taala paas ke sidiyo ke kareeb pari huyi hai….darwaja hawaa se thaddh thadhh ki awaaz nikale kaanpein jaa raha tha…

Ye chatt ka darwaja tha…maine dheere se darwaja khola…bahar ki tez sard hawa mere chehre pe jaise pari meri raungtein khari ho gayi main fauran torch liya chatt pe aaya…charo or khaamoshi si chaayi huyi thi….chatt pe itni kheech kheech maano jaise kabhi koi aaya hi na ho…pehle toh saumya ka behavior ooske baad wohh laaltain wala murda jaisa guard…aura b yeh rahasmayi haveli

Sabkuch bahut hi azeeb sat ha..achanak meri nigaah samane ki or huyi….ek white gown pehni ladki meri taraf peeth kiye dur chatt kekinare pe khari oos or dekh rahi thi…….oose dekhke main bhaybhit ho gaya…eke k pao aage barhte huye main kaanpein jaa raha tha…lekin meri himmat nahi ho rahi thi ooske paas jaane ko

Kaun ho sakti hai? Achanak wohh dheere dheere piche mudi aur theek oosi pal mere kaanptein haatho se torch chutt gaya main ghabra gaya aur jhatpat jab torch uthaake upar kar paata who saaya bilkul mere saamne khari tha..ooske chehre pe torch daalte hi mere munh se aahh nikal gayi…..wohh ekdum se tahaka lagaye hassne lagi…saumya hi thi wohhh…..”kya hua? Main tumhein bhoot nazar aa rahi hoo?”……..main hapaste huye ukhadi saans pe kaabu paate huye muskuraya

Alif : t…tumm yaha pe?

Saumya : kyu? Meri haveli hai main kahi bhi jaa sakti hoo

Alif : p..par itni raat gaye itni thand mein wohi main sochu mombatti ki roshni kyu dikhi? Aur fhir kadmo ki awaz

Saumya : hmmm toh tumhein kya laga koi aatma??

Alif : nahi bas aisa feel hua…par tum akele yahan?

Saumya : hmm rohan so gaya tha toh main akeli bore hone lagi sochaa tumhein disturb na karu par tum toh khud hi aa gaye mere paas [muskurate huye saumya ne fhir meri or dekha]

Alif : okk waise jabse yaha aaya hoo sabkuch behad azeeb sa lag raha hai….pehle wohh chowkidaar aur fhir yaha ki cheezein is haveli ke paas qablustan bhi hai

Saumya : who chowkidaar  35 saal se is haveli ki rakhwali kar raha hai aur wohh purani qablustan hai waha koi aata jata nahi…abhi waha chaloge [ooski shaitani muskurahat aur baat sunke main ekdum se oose azeeb nigaho se dekhne laga]

Saumya : hahaha mazaak kar rahi hoo main janti hoo tum darr gaye ho…lekin pata hai is akelepan aur is khaamosh raat mein mujhe ek hi cheez khalti hai wohhh hai kisi ka sath

Alif : s..saumyaa wh..att uu doing? S..aumyaa [saumya alif ke chehre pe ungli fhiraane lagi alif piche hone laga]

Saumya ko ekdum se dhakelte huye saumya jaise naraaz ho gayi thi…..alif ne oosse maanfi maangi…aur oose samjhaane laga….alif ooske zazbaat ko samajh raha tha wohh baar baar oose kyu ghurr rahi thi?

Alif : dekho saumya tum mere dost ki girlfriend ho aur main nahi chahta ki tum mere sath

Saumya : rohan ki gf hoo wife nahi aur mujhe rohan se zyada tummein dilchaspi hai ye baat tum bhi acchi tarike se jante ho

Alif : par saumya mujhe tumhare liye aisi koi feeling nahi hai plss agar rohan ko malum chala toh oose lagega ki hum oose dhoka de rahe hai main aisa nahi kar sakta

Saumya chupchaap thi….”chalo yaha zyada ruko mat thand lag jaayegi”…..maine oose apne saath aane ko kaha……par jaise oosne meri baaton ko ansuna kar diya aur tez kadmo se sidiyo se niche utar gayi..main tabtalak chatt ko lagaye fhir oos chain ko baandhne laga fhir taala lagake darwaje ko niche aaya….saumya rohan ke kamre mein jaa chuki thi…main bhi thoda udaas chehra liye…apne kamre mein aa gaya

Wohh raat kaise beeti maalum nahi?...jab agle din neend khuli toh darwaje pe zoro se dastak parh rahi thi….jab maine darwaja khola…toh rohan tha sath mein saumya bhi ooske chehre pe wohh gusse bhare bhaav nahi they jo kal raat maine dekhe they…..woh ekdum normal lag rahi thi..

“pata hai yaar humhe kuch mila hai kyu saumya?”…….saumya bhi muskurayi rohan bhi jaise mujhe koi surprise dena chah raha tha

Kuch dair mein hi darwaje ka taala khul gaya….darwaje khulte hi kuch sidiya niche jaaaa rahi thi…hum dono khaas uthe…itne dair mein saumya lamp liye niche utarne lagi “ye hamara purana store room hai…”……saumya kehte huye niche utarne lagi

Rohan : sach mein saumya u r too great tumhara ghar itna mysterious hoga socha nahi tha..ek se badhke ek suspense khul raha hai….

Alif : par rohan andar kya hai? [rohan ke kandhe pe haath rakhte huye]
Rohan : chal toh sahi

Rohan bhi utarne laga…..abhi tak wohh budha murda laash jaisa chowkidar aaya nahi tha…isliye saumya ko himmat barh gayi koi raaz tha jisse who humhe rubaru karana chah rahi thi

Jald hi hum ek band ghutandar kamre mein daakhil huye charo or jarjar diwaar aur band sanduk…..”jo raaz aajtak dafan tha wohh ab khulega”……..saumya  ekdum se bol uthi

Main aur rohan chauk gaye……ooske kahein anusaar humne Jald hi oos bhaari sanduk ko upar uthaake kholne ki koshish ki….makdi ki jaal ko hatate huye oosmein ek kitaab tha…saumya ne furati se oose mere haath se le liya

Aur fhir oose zameen pe rakhke mombatti ko uthaaye roshni dikhaaye parhne lagi…..kuch prachin baasha hai hamari parivarik baasha mein….”iske kaayde hai ki ise raat gaye parhna hota hai….aur sabse maje ki baat hai rohan?

Inmein jo mantra hai oosse aaatmaye aati hai jo bhi aas paas ho

Main ekdum se ghabra gaya…..rohan muskuraya….”wow tab toh aaj is haunted haveli mein hum aatmao ko bulaayenge bhala aisa ho sakta hai? Aatmaye? Ye kiski kitaab hai?”…..saumya muskurayi sawaal se

Saumya : ye kitaab kisi bahari desh se laayi gayi thi jo kisi mashur tantrik ne likhi thi……ismei naatmao se sampark kiya jata hai….lekin tabhi jab agar jis jagah mein ise parhi jaa rhai ho jaha kuch aisi supernatural cheez mauzud ho…mere par dada ne ise karne ki koshish ki thi…lekin oonhone iske kuch niyam na maane aur ise halke mein liya jiska khaamiyaza oonhein apni pure parivar ko khoke uthana para

Fhir ooske baad pardada ne bhi khudkhushi kar lit hi…aur ooske baad is kitab ko mere parivar ne fhir kisi gupt jagah mein rakh diya….nahi maalum ki kahan rkaha tha? Lekin aaj kaafi searching aurk hoj ke baad ye mere haatho mein hai

Alif : par fhir bhi hum ise nahi parhna chahiye ye sab galat hai ise kahi faik dete hai

Saumya : nahiii aliff iske liye maine bahut intezaar kiya hai aur hum jab mauj masti karne aaye hai toh ek game kyu na khele aatmao ko bulane wala khel aur mujhe yakeen hai hum aisa koi niyam nahi todenge

Alif : main khaamokhah apni zindagi barbaad nahi karna chahta
Rohan : alif calm down it’s just a myth ise sirf andhwishwas samjho brother ho sakta hai oonhein kisi aur wajah se nuksan uthana ho

Alif : par rohan

Rohan : calm down first alif just relax aur humhe kuch nahi hoga….aatma ko bulaane se  kya maalum hum apna bhavishya jaan sake aur mujhe toh lagta nahi ki kuc haisa padhne se koi aayega bhi hahahaha it’s just a superstitious thought

Main kuch keh nahi paaya rohan ko rok na saka main…saumya ke aankho mein ek azeeb si shaitani khushi thi….ooski muskurahat dekhte huye main ghabra gaya…..tabtalak hamare nashta ka intezaam kiye wohh Buddha baba bhi aa gaya….lekin rohan aur saumya ne wohh kitaab wali baat oosse chupaa lit hi…kya malum who oonhein roke? Oose rokna lazmi bhi tha….oos manhusiyat ghari ko kaash main rok pata kash

Oos kitaab ke agle panne ko saumya ne nahi kholne diya…aur hum sab raat ka intezaar karne lage mere laakh samjhaane pe rohan sirf hassa…oose in sab pe ek takka yakeen nahi tha….woh Buddha baba bhi jaise humpe nazar rakha hua tha…who utni raat gaye kahan jata hai? Kahan rehtahai? Kuch maalum nahi

Rohan se maalum chala ki wohh gaon ka hai….raat gaye laaltain liye wohh paidal hi gaon chala jata hai…lekin sach mein wohh kisi murda se kam nahi tha…hamare raat tak ka khaana intezaam kiye wohh chala gaya……suraj dhal gaya aur haveli mein khaamoshiyan fhir chaa gayi

Hum ek kamre mein baithe huye they charo or haveli ke diwaro ke paas mombattiya jal rahi thi…..saumya ne muskurake kitaab hum teeno ke saamne rakhi aur oosse dhul saaf karne laga….fhir oos kitaab ko dheere dheere kholne lagti hai……ooske khulte hi panne palatte huye meri nazar oos azeeb se ghinone bhayankar chitra pe jaati hai

Wohi laal chamda wohii bhayankar aankhe wohi nukile naakhun…ek rakshas ka chitra tha wohh…….rohan ne oose dekhke muskuraya “demon….kisi horror movie ke film ki tarha lag raha hai na?”…..rohan hasaa….”par iski tasveer kyu hai?

Aisa lagta hai kisi ne iska sketch banaya hai”……saumya oos tasveer pe haath fhirane lagi

Saumya ab tayyar thi oosne apni bareeq nigaho oon mantro ko parhna shuru kiya…..haveli charo taraf se ek dum khaamosh thi…….oos khaamosh raat ko na jaane kya ghatne wala tha? Jisse hum bilkul anjaan they…

To be continued….
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #3 on: November 26, 2016, 11:53:15 AM »
Part 3

Jaise jaise andhera badh raha tha….mere dil ki dhadkan tez ho gayi thi jo roshni khidki se hamare kamre mei naa rahi thi ab wohh roshni suraj ke dhalte hi band ho gayi….charo taraf gup andhera chaa gaya….aisa lag raha tha is veeran haveli mein sirf teen zindagiya mazud ho….hum mein se koi baat nahi kar raha tha sab chupchaap they….main bas gambhirta se kabhi rohan toh kabhi saumya ki taraf dekh raha tha

Saumya ne oos bhayankar chehre waale shaitan ki tasveer ke panne ko palat diya…..oosmein kuch mantra they….pure haveli mein mombattiya mehez jal rahi thi….abhi tak roshni ka koi patan ahi tha aur upar se ek azeeb sa khauff….aatmao ko bulane ke liye itna dono tayyar they ki meri ek bhi sunne ko raazi na they….rohan ne is baar muskurake pucha “saumya ab hum kiski aatma ko bulaayenge?”…..saumya ne apni aankhe upar ki..aur fhir oosi gambhir nigaho se kaha “mere dada ji ki aatma ko”…..sunte hi mere toh jaise raungte khare ho gaye

Rohan sirf chupchaap muskuraye naa mein sar hilaaye waise hi baitha raha…saumya ne mantro pe haath phairte huye oose parhna shuru kiya….”is kitab ka niyam hai ki aap jaha bhi ise shuru kar rahe ho ye waha ke hi aatmao ko bulaayengi…..jo aatmaye waha barso pehle gaari gayi ho…aur barso se so rahi ho…oonke jaagte hi jaag uthega wohh veerana…jaha barso pehle ateet hai gar rakhe hai”……rohan is baar chidhte huye utha

Rohan : huhh enough saumya kya yaar? Kya likha hai ismein aisi azibo gareeb baatein….are u serious

Saumya : I am seriousss rohann [aisa laga jaise saumya kitne gusse mein thi ek pal ko rohan bhi siham utha fhir saumya saamanya hone lagi]

Saumya oos baasha ko acche se janti thi…ooske honth phadphada rahe they…jaise kuch mann hi mann wohh wohh badabadate huye oon mantro ko padh rahi thi…

Main na toh rohan se oos waqt kuch keh sakta tha….aur naa hi rohan ki himmat thi shayad beech mein kehne se saumya ka dhyaan tut jaaye charo ki mombattiya waise hi phadphada rahi thi…..bahar kahi dur kisi jungle jaanwar ki rone ki awaaz…khaamosh raat sunsaan veeran jungle jiske theek beech hamari haveli…jaha hum mazud ho…yaha se gaon jaane ka bhi rasta itna dur…aur behad khatarnak

Mera dil toh jaise har ek second mein dhak dhak karte huye barh raha tha…panne palatti jaa rahi thi aur padhti huyi saumya ekdum khaamoshi se kitaab pe jaise aankhe gadaayi huyi thi….kareeb 20 min tak parhne ke baad….saumya ne apni aankhe mund li shayad ab aatma ko bulaane ki vidhi shuru huyi thi…..lambi lambi saans lete huye saumya ekdum chupchaap aankhe munde barbara rahi thi

Rohan ne mujhe ishara kiya ki lagta hai aaj koi aane wala nahi hai….par mujhe ek baad khatakne laga barso pehle yaha is haveli kea as paas kya ooske dada ji ka antim sanskar hua tha ? par yaha se kuch duri pet oh purana band qabrustan hai…mera dimaag kaam karnab and kar chukka tha….jo bhi rahe ab humhe aanewale haalat ko jhelna toh tha hi…

Bahut dair ho gaya par naa toh saumya ne aankhe kholi aur wohh waise hi dhyaan mein baithi rahi…..ab toh rohan bhi uktaane laga…lekin main ekdum chupchaap baitha hua tha….dua kar raha tha ki kuch na aaye….lekin tabhi achanak…..kuch azeeb si ghuntti awaaz mujhe mehsus huyi

Main ekdum se piche mudke khidki ki or dekhne laga….khidki haveli ka piche wale hisse mein khulta tha oos paar Ghana jungle aur theek jungle ke bheetar wohi purana qabrustan….ek azeeb si awaaz thi wohh jaise kisi jungle jaanwar ki bhi na ho..hawaaye toh tez chal rahi thi jisse khidki baar baar khul band ho rahi thi……rohan ne mujhe ishara kiya khidki band kar do warna mombattiya bhuj jaayengi…..lekin oos waqt apni jagah se uthna theek rehta ya nahi….hum jaise ek ghere mein they….

Hawaaye tez ho rahi thi….aur aisa lag raha tha jaise koi cheez ghassitte huye zameen pe karee baa rahi thi…..behad kareeb paido ki tehniya ooske guzarne se chatakke tut jaate…..oosi gati barhne lagi aur ab bahut zoro se wohh cheez hamari haveli ki or aa rahi thi……ek shorr saa tha….azeeb sa jaise kitne log ek sath ho ho karti hawao ke shorr mein pukaar rahe ho….achanak wohh dhuaa wohh cheez sidhe haveli ke paas aane lagaa….theek oosi jagah jahan se roshni aa rahi thi oosi kamre ke kareeb jiski khidki khuli huyi thi aur jiske andar baithe they hum teeno….jab rohan ko lagne laga ki main darr raha hoo oosne uthke

Jaldi se khidki laga di….aur apni jagah aake baith gaya ab hawaao ki awaaz tham chuki thi kamre ki mombattiya waisi hi jal rahi thi….achanak dhadhh….ksii ne bari zor se khidki ko maano dhakela ho….jiski awaaz sun main aur rohan khidki ki or dekhne lage…saumya ektak dhyaan mein malin thi..
“wohh kyat ha?”….rohan ne dheeme se mere kareeb aake kaha
“maalum nahi?”…..main bhi khidki ki or dekh raha tha bahar jaise Ghana andhera tha…..

Achanak saumya ne apni aankhe kholi…..rohan fhir ooski taraf aake baitha….”saumya? are u alright?”…..saumya ko chute hi rohan ne apna haath peeche kar liya….mujhe bhi azeeb laga ki aakhir rohan ko aisa kya hua?

Alif : kya hua rohan?

Rohan : iske haath kitne garam ho gaye hai are u alright saumya

Saumya : h..haan main theek hoo bas ekdum se sar chakra gaya [saumya jaise hosh mei naayi….main bhi fikar karne laga tha]

Rohan : hahahaa shayad tumhein bukaar aa gaya hai main toh pehle hi kaha tha khaamokhah ye sab karne ka koi fayeda nahi na tumhara dada ji ki aatma aayi…aur na koi aur

Saumya : p…par mujhee tohh aisal aga ki wohh ayenge ye possible nahi ho sakta oonhein aana hi parta

Rohan : dekho kya tumhare dada ji ko yaha kahi dafnaya gaya tha

Saumya : oonka isi jagah antim sanskar hua hai

Rohan : fhir bhi ye sab andhwishwas hai insaan marne ke baad kabhi waapis nahi aata hahaha kyu alif?

Alif : tum dono ab ye sab band karo chalo rohan kamre mein chalte hai saumya tum thoda aaram kar lo aur ye sab pls band kar do ab karna

Saumya kuch nahi boli oose rohan uthate huye kamre mein le gaya main bas soch mein duba hua tha….maine oos kitaab ko paas rakhe sanduk mein rakhke jaldi se band kiya aur darwaja laga diya…

Raat bahut gehri ho chuki thi….chand apni fiki roshni chodh raha tha is sunsaan veerane mein…sard raat ki hawa barh chuki thi….aur teeno apne apne kamro mein gehri neend mein they…achanak alif ki neend khul gayi oose kuch awaaz sunaai di…..oosne uthke ek baar apne paas rakhi lamp ko jalayi….

Jaise taise toh neend ki aagosh mein duba tha….lekin fhir apne hosho hawaas mein aate hi aaj raat jo kuch oon logo ke sath hua fhir yaad taaza ho gaya….alif ne paas rakhi apni torch jalayi aur darwaje ko khola….bahar aate huye oosne ke baar torch rohan aur saumya ke kamre mein maari..jaise hi oosne hall ki taraf jhaanka….hall mein ekdum ghup andhera tha…lekin wohh awaaz jaisa band ho gai..charo or khaamosh raat ka wohh pal

Achanak alif ekdum se hil gaya….woh awaaz fhir aani shuru ho gait hi ye awaaz niche se aa rahi thi…ab alif jaise jaise sidiyo se niche utarne laga who awaaz behad saaf sunaai dene lagi…..oos awaaz mein aisa lag raha tha jaise koi bhaari bharkam insaan saans le raha ho…lekin wohh insaan ki awaaz toh kattayi nahi thi….torch jaise jaise nichemaarte huye alif utar raha tha ooski dil ki dhadkan bhi utni tez hone lagi

Aur jaise wohh niche utara….wohh awaaz oose ek kamre se sunaai dene lagi….osoek maathe se pasina behane laga…itni sard raat ko itni veerane mein itni khaamosh raat mein ek band haveli jismein ooske aur ooske dost ke koi nahi kaun ho sakta hai?.....darr se torch jo haath mein liya tha wohh kaanp rahe they…..ab wohh awaaz behad darawani si lag rahi thi ooske awaaz mein aisa bhaaripan tha jisse puri haveli kaanp uthe…ye wohi kamra tha jahan teeno dosto ne milake aatma ko bulaane ki naakam koshish kit hi

Ab alif ne khud ke dil ko mazbut karte huye ooske kamre ke darwaje ko halka halka kholne ki naakam koshish ki…aur jaise hi wohh darwaaja pe haath rakhta hai oosi pal darwaja apne aap chrr chrr ki teekhi awaaz nikalta hua khulne laga….ooske khulte hi alif ko sirf aur sirf andhera nazar aaya alif ne jaise hi torch kamre pe maara….wohhh chilaaa utha….aaaaaaaaahhhh….oos cheekh ko sun rohan jo apne kamr emein gehri neend mein tha ek jhatke mein bhauklake uth gaya

Rohan : ohhh no yee awaaz aliffff aliff [chadar ko hataaye rohan darwaja kholke bahar aaya daudta hua sidha sidiyo se utarte huye niche pahucha]

Tabtalak wohh ekdum se ksii cheez se takraya…alif ekdum se bhaagte huye ulte pao oosse hi takraya tha…alif aur rohan dono farsh pe gir pare…haatho se torch chutt chuki thi…sirfchand ki fiki roshni kamre haveli ke bheetar aa rahi thi

Rohan ne saqti se bhauklaye alif ko jhinjodha oose pakadte huye shanat karne ki koshish ki “k…kya hua aliff? Kyaa dekha tune? Aliff kya huaa? Aliff kuch tohh bol”…..par alif jaise bhauklaya hua sat ha…ooske munh se jaise awaaz ghuntt si gayi thi kaafi dair baad jaise wohh hosh mein aaya….osone apni bari bar iaankho se oos or ungli ka ishara kiya jis or wohh kamra tha

Rohan : kya hua? Aliff alif calm down what happenened? Aliff kuch toh bol

Alif : m..mainee kuchhh awaazeinnn suniii oosi ko suntte huye ni..chee aa..yaaa aur jab niche aake dekha toh awaaz oosi kamre se aa rahi thi jab oos kamre ke..paa..s gaya tohhh tohh waha koi mauzud thaa wohhh koii aur nahii saumyaa thi….aur tabhi ooski anakhe dekhi maine rohann yaar wohh
saumya nahi lag rahi thi ooski aankhe ekdum safed gulaabi ooske pure labo se khoon beh raha tha…aur wohhh dohri awaaz mein mere karee baa rahi thiii aur tabhiii ke azeeb hawao ki shorr mein kaala dhuaa meri or jaise guzara ho

Rohan : hahahhaa (itni dair se alif bhauklaye jo kuch keh raha tha larkharate huye oose sunke rohan ki jaan mein jaan aayi oose laga shayad koi aur tha jo ooske dost pe hamla kiya ho koi jaanwar par jab oosne ye baat suni toh oose mehez ye mazaak laga)

Rohan : yaar alif tu ye kya keh raha hai? Saumyaa bhootni banke tere saamne khari thi hahahhaa

Alif : yaar mera wishwas kar jabse saumya se mile hai azibo garib cheezein ghatt rahi hai yaar aaj maine ooska asal roop dekha mu..jhe toh lagta hai ye sab oos aatma bulane ki wajah se hua hai yaar shayad wohh saumya na ho koi aatma (alif ekdum bhauklate huye keh raha tha)

Rohan : what rubbish? Chal theek hai tu jo keh raha hai oose dekh lete hai saumya mere kamre mein mere bistar pe so rahi hai…aur tu saumya ko idhar dekha ho sakta hai tujhe andhere mein illusion hua ho koi bhram hua ho ki saamne tere koi aisa kuch!

Alif : tu kitna jhootlayega yaar theek hai meri baat pe yakeen nahi hai na toh chal oos kamre mein c’mon

Alif rohan ka haath kheechte huye oos kamre ki or leke aaya……rohan ne torch jalayi….waha koi nahi tha….lekin paas hi mein sanduk aur kitaab dono jaise taise pare huye they……”arre ye kitaab aise kisne rakhi?”………alif bhi ekdum se rohan ke sawaal se bhaukla utha…sach mein oosne toh ye kitaab acche se sanduk mein rakhi thi fhir ye kitaab

Rohan ko kuch samajh na aaya..aur ekdum se dono bhaagte hue sidiya chadhte huye kamre mein daakhil huye….jis baat ka darr alif ko tha aur jo shaq rohan ko mehez farwaad lag raha tha wohhh yakeen mein tabdil ho gaya..raat fhir khaamosh thi..rohan ekdum se chilla utha “shittt saumya kahan hai? Saumyaa saumyaa”…..dono bahar nikalke saumya ko pukaarne lage

Kisi tarah mombattiya aur torch ke sahare khaamosh sard andheri raat mein dono haveli ke idhar udhar saumya ko talaashne lage….”rohan saumya kahi nahi mil rahi chatt pe bhi taala laga hua hai yaar? Na jaane aakhir kya chal rahah ai?”……rohan ko toh kuch samjah nahi aa raha tha baat fikar karne waali hi thi

Bahut dair dhudhne ke baad jab koi na mila…toh dono ne bahar jaane ka faisla kiya….lekin itni raat gaye…oos chowkidaar ne toh mana kiya tha....fhir bhi rohan maana nahi aur saumya ko dhudhne ke chakkar mein wohh bahar nikal gaya alif bhi ooske peeche bhaaga…saumya saumyaa ka naam pukarte huye rohan pagalo ki tarah jungle aur sadak pe torch maarte huye chillaye jaa raha tha…achanak rohan ke kadam aage barhte alif ne oose pakad liya…..”rohan aage qablustan hai?”…….dono jungle ke bheetar se qablustan ke raaste aa chuke they…….rohan ki bhi nigaah apne kareeb qablustan ko dekhke teher gayi….rohan ke aage barhke qabaro pe torch maarte huye idhar udhar dekhne laga..

Alif : bhala saumya itni raat gaye kablustan kyu aayegi?

Rohan : maalum nahi fhir bhi haveli se bahar jaayegi bhi kahan? Gaadi toh khari hai….aakhir ye sab ho kya raha hai?

Alif : mujhe toh darr lag raha hai rohan ye saumyaa ko kuch ho toh nahi gaya

Rohan : faltu baat mat kar par aise saumya kahan jaa sakti hai?

Achanak rohan ki nigaah teher jaati hai….aur theek oosi pal main bhi ooski nigaah ko dekhte huye oos or mudta hoo jis or ooski nigaah thi….nigaah theek dur hamare haveli ki or thi haveli ke chatt pe ek saaya kharaa tha bilkul kinaare..

“saumyaaaaaa”…….rohan zor se chilaaya aur ooske saathi wohh fhir daudh paraa haveli ki taraf…..main ooske theek piche daud raha tha…aanan faanan mein….saumya chatt pe khari thi aisa lag raha tha jaise who ab bas kuch secod mein chatt se kudne waali hai….hum bhaagte gaye bhaagte gaye…aur theek haveli ke kareeb aake rohan chillane laga par saumya ekdum chupchaap khari thi….main ekdum se darwaja kholke haveli ke bheetar aaya sidiya chadhta hua chatt ke darwaje ki or aaya…darwaje pe lagi chain gaayab thi……ye sab kya ho raha tha? Mujhe kuch samajh nhai aa raha tha

Main sidiya chadhta hua oos sard hawa ko mehsus karta hua oos khaamosh raat pasine pasine hote huye chatt pe aaya….charo or gehra sannata aur andhera tha…ho ho karti hawaao mein ek azeeb sa shorr tha…aur theek oosi pal main chatt ke oos or aaya jahan maine aur rohan ne saumya ko khara dekha tha…saumya waha se gaayab thi

Maine niche khare rohan ki or chillaaya “rohannnn saumyaa yaha nahii hai…”…….rohan bhi ekdum hataash ho gaya…..ye kaisa khel khela jaa raha tha hamare sath ye sab kya ho raha tha?.....jaise hi main piche muraa…main ekdum se chilla utha saumya mere saamne khari muskura rahi thi

“s…saumyaa tu…tummm ya..ha kya kar rahi ho?”…….aisa laga jaise saumya ko kuch maalum hi na ho

“yahi sawaal mujhe tumse karna chahiye jab soke uthi toh dekha na tum ho na rohan hai…mujhe is akeli haveli mein chorke kahan bhaag gaye they?”……main ekdum se ooske is baaton se kaanp utha

Tabtalak rohan bhi upar aaya aur saumya ko dekhke chilla utha “had kar diya tumne saumya aakhir itni raat gaye tum kahan chali gayi thi? Hum haveli se bahar nikal gaye they? Akahir kya chal raha hai ye sab?”……rohan bhi darr gaya tha jo baat maine oose batayi thi ki maine kya dekha tha? Wohh saumya nahi koi aur thi par ab rohan ko meri baat jhoot hi zyada nazar aa rahi thi oose toh saumya bilkul insaan nazar aa rahi thi

Saumya : tum dono kya keh rahe ho meri kuch samajh mein nahi aa raha

Rohan : tum kamre se gaayab kyu huyi ?

Saumya : mujeh nahi pata tum log kya keh rahe ho?

Rohan : accha pehle alif ko niche andhere kamre se daraati ho aur fhir gayaab hone ka natak karti ho

Saumya : main keh rahi hoo na tum log kya keh rahe ho meri kuch samajh mein nahi aa raha

Rohan aur main kaafi ghabraye huye they…..lekin sach mein humhe oos waqt kuch kahein nahi ban raha tha…abhi kuch dair pehle jo kuch ghata wohh kyat ha?....saumya adi rahi ki wohh soyi huyi thi…fhir achanak oose jab hum na mile toh chatt pe aa gayi..ooske kisi bhi baat pe mujeh yakeen nahi tha kyunki khud wohh gaayab huyi thi aur fhir ooska wohh bhayankar roop maine dekha tha….rohan ne kaha ki main akele na soyu isliye hum teeno ek hi kamre mein sath so gaye

Par main janta tha…saumya wohh saumya nahi thi jise abtak main normal samajh raha tha….par ooske raaz ko janna hi mere liye har mumkin zaruri tha….oos raat na main soya aur naa hi rohan…saumya bistar pe aake so chuki thi….har pal yahi darr lagta ki wohh fhir oosi roop mei naake hamare saamne na khari ho jaaye..wohh rat katna behad muskil tha

Agli subah maine kuch bhi chowkidaar se chupaaya nahi ooske aate hi maine oose kal raat ka waaqya aur wohh sanduk aur wohh kitaab sab kuch bata dala….rohan bhi khara saamne chupchaap gambhir bhaav se oos chowkidar ko dekh raha tha….saumya ab bhi apni kamre mein so rahi thi……ooske baad jab maine chowkidar ki aankho mein dekha toh oose dekhke mere dil dhak dhak karne laga….jaise ooske saamne koi raaz aa gaya ho aur ooska parda dheere dheere khulne laga hai

To be continued….


Logged
asif biswas
Guest
«Reply #4 on: November 27, 2016, 04:23:20 PM »
PART 4

“main jaanta thaa m..mainn jaantta thaa ki yehh raaz jo barsso se is jagah mein dafan hai wohh bahar nikal hi aayega ek din tohh aana hi tha”……budhe chowkidaar ki aankhe ekdum bari bari hoke kisi gambhir soch mein dubi sit hi

Main aur rohan ekdum chupchaap ooski or dekh rahe they gambhir bhaav se…oosne palatke ekdum se hamari or dekha is baar ooska chehra behad khauffnak nazar aa raha tha ooske chehre ki shikar bata rahi thi ki wohh andar se kitne khauff mein tha

Tab shuru kiya oosne byaan karna jo…ooske baad toh jaise zameen hamare pao se khiskane lage they….”35 saal se hoo main yaha 35 saal se is haveli ki rakhwali kar raha hoo….gaon waale bhi mujhse dur rehte hai kehte hai ki main pagal hoo..jo oos manhus haveli ki chowkidari kar raha hoo…lekin zamindaar saaheb ke yaha barso se kaam kiya tha…oonka namak khaaya tha kaise is haveli Ko chodh deta? Aaj who log mazud nahi hai par fhir bhi yeh haveli mere zimme hai”……tasveer ko ghurrte huye chowkidar ne meri or dekha

“barso pehle is pure nagar mein asuro ka waas tha….jise daitya shaitan bhi kaha jaata hai…..oon daityo ne is nagar mein insaano ka jeena muskil kiya hua tha…gaon ke logo ka yeh bhi kehna hai ki barso pehle maa kaali ne khud in shaitano ka vinaash kiya tha…ooske baad hi asuro ka naash hua tha…lekin oonki aatmaye ab bhi dafan hai….jaante ho zamindar ki is haveli se pehle yaha kyat ha?”……..ooski baatein kisi darwani kahani ki tarah zarur thi par rohan aur main chupchaap they

“is veeran sadiyo se banjar rahi is zameen pe kayi maveshi janwar jaise jaise gaay ghode oonke maut hote hi yaha gaadh diya jata tha…oos taraf jo purana qabrustan hai wohh gaon ke oon logo ka hai jo yaha aaye par ooske bhait charh gaye”……….kadakti awaz mein oos buddhe chowkidar ne kaha

“kiski bhait?”……..rohan ne sawaal kiya….buddha chowkidar muskurake ooski or dekhne laga

“oon hi shaitano ki jo yaha barso pehle dafan ho chuke…wohh shaitan wohh daitya”……rohan ka gala jaise sukh gaya tha…mera dil dhak dhak kiye jaa raha tha…par sawaal tha kya ye sab oos aatma ko bulane ki wajah se hua

“zamindaar saaheb kisi ki nahi sunte they…..shikhar aur ekaant ke wajaho se oonhone yaha is haveli ko banaya….har saal kaali puja ki raat ek puja hoti hai taaki yaha ke oon shaitano se khud ke jeevan ko bachaya jaa sake…zamindaar saaheb in baaton pe kabhi yakeen na karte they…fhir oonke paas ye kitaab aayi”…….buddhe chowkidar ke haath ne oos kitaab ko khola jo sanduk mein thi…wohi kitaab

“hmm jo galti aaj se theek 60 saal pehle saumya malkin kepar dada ji ne ki fhir oonke dada ne aaj wohh galti oonse ho gayi….yahi hai wohh shaitan jise jagaya gaya hai…tum log soche honge ki aatma aayegi hahaha par nahi jaante ho tum insaan ki aatma nahi maut aayegi maut….bulayaa toh tha tumne par aayi ooski aatma jo yaha barso se kaid thi wohi shaitan wohi daitya….kyu bulaaya tum logo ne kyu ki itni bari galti?? Jawaabb do”…….jaisa chilla utha ho wohh humpar ooski nigaho mein saqt gussa tha

“is pure haveli ke theek niche in zameeno ke andar oon jaanwaro ki laashein gaari gayi hai aur oosse bhi zyada khatarnak oos shaitan ki…wohi aaya hai waapis wohi…lekin main nahi janta ye sanduk toh tum logo ne kaise dhundh li?”………buddhe chowkidar ke chup hote hi rohan ne oose bataya ki saumya ko is band tehkhaana ke baarein mein maalum tha…

“toh fhir iska matlab aatmao ke bulane ke chakkar mein humne oos shaitan ko jaga diya hai oos daitya ki aatma ko”………mere itna kehte hi chowkidaar haan mein sir hillake ekdum se bola “haann”…..main ekdum chupchaap rohan ko toh kuch bolte nahi ban raha tha

“zyadatar In daityo ki aatma insaan ke jism mein sawaar ho jati hai…tumne jo kal raat dekha wohh saumya hi thi…saumya ab insaan nahi rahi hai”……..itna sunte hi rohan ne apni chuppi todi

“what?? Theek hai saumya agar insaan nahi hai toh kya wohh shaitan ne oose maar diya?”……..chowkidaar ne is sawaal ko sunke apne bari bari nigaho se sochte huye rohan ki or dekha

“saumya maalkin zinda nahi rahi sahi sunna tumne”………ek dum se rohan hil para…main toh ghabra chukka tha

Alif : iska matlab wohh dhuaa kaala sa wohh saaya jab saumya mantro ko parhne lagi thi….kuch samajh nahi aa raha ki aakhir yeh sab ho kya raha hai? Kya humne galti se ye sab kiya ? yaa fhir saumya ne jaanbhujhke kya oose malaum tha ki is haveli ke piche ek kaala sach hai ek bhayankar raaz dafan hai

Chowkidar : saumya is haveli ki malkin hai aur pidiyo dar ye raaz sabse waaqif rah ahai oonke pitaji tak ko yeh baat maalum thi…aur aksar maine saumya maalkin ko bhi apne hi dada aur pardada ki tarah waise hi dilchaspi lete huye dekhi thi…oos waqt toh oos shaitan ko waapis kaabu kar liya tha par ab wohh jaag chukka hai naa jaane kab wohh jaag uthe aur tum logo ki maut ban jaaye…

Rohan : p..ar hum saumyaa ko aisi haalat mein chodh nahi saktee kya malaum? Kahin wohh zindaa?

Chowkidaar : wohhh marr chukii hai ladkee maalkin ke upar wohh shaitan sawaar ho chukka hai jot ere is dost ne dekhaa wohh koi jhoot nahiii ekdum sach hai….abtak oosne tum dono ko isliye kuch nahi kiya kyunki tum log ooske raaz se waaqif nahi ho par ab oose sacchai ka maalum ho jayega meri maano toh bhaag jao chale jao kahi dur ooske saaye se dur

Rohan : par saumya ko agar malum chala toh wohh ab bhi so rahi hai

Chowkidaar : ye dekho ye kaali ki locket dekho…ise main aajtak apne aap se alag nahi kiya hoo jaante ho kyu? Kyunki yahi mujhe oon shaitano se abtak mehfuz rakhi huyi hai…jungle ke raaste jaana itna aasan nahi hotaa na jaane kitne maut ke saaye ghumte hai par mujhe in sab cheezo ki aadat lag chuki hai par ab jab sabkuch saamne aa chukka hai toh saumya ke upar savaar who shaitann kisi ko nahi bakshega..saumya malkin kabhi bhi jaag sakti hai is waqt din hai jitna jaldi ho sake chale jao chale jao warnaa (oos buddhe chowkidaar ki aankhe hamari or khauff se thi…..rohan ne meri or dekha ooski baatein oos waqt kisi filmy dialogue ki tarah zarur lag rahi thi par mujhe bhi ab apne peeche ek shaitan nazar aane laga tha jitna jaldi ho sake humhe bhaagna tha saumya se dur oos shaitan se dur)

Rohan kaanp raha tha…ooski himmat nahi thi jo upar jaake dekh sake ki saumya jagi ki nahi…fhir bhi humhe apna samaaan toh lena tha…jaise taise karke rohan ne apne kamre tak kadam rakhe…saumya apni razaai odhe huye thi oose dekhke nahi lag raha tha ki wohh koi shaitan hai yaa fhir kuch…par bhaagna toh tayy tha…warna maut din ke dhalte hi saamne aane wali thi

Jaise taise apna saaman leke hum dikki mein daalne lage…”mera dil ghabra raha hai alif kya ye theek hai? Aise yun bhaagna agar kahin saumya ke sath aisa kuch hua hi na ho agar who zindaa ho hum oose aise haalat mein”…….main rohan ke zazbaat janta tha…par they toh hum mazbur hi ab oose kaise yakeen hota? Ki jitney pal oosne ek insaan ke sath guzaare jise wohh mohabbat karne laga tha wohh ek jeeta jaagta shaitan ban chukka hai……Buddha chowkidaar hamare sath chalne ko tayyar tha ooske bhi chehre ka khauff saaf bata raha tha ki wohh bhi yaha ek second aur nahi teher sakta….kyunki wohh janta tha shaitan ke jagte hi wohh jab humhe nahi paayega toh oose kaise zinda chodhega..jaise wohh bhi ab is haveli se dur bhaagna chah raha ho

“hum yaha se gaon chalenge ab wohii koi rasta nikal sakta hai”…….itna kehte huye chowkidaar haveli ke paas jaake ooska fatak fhir se laga deta hai aur fhir wohi chain baandhne lagta hai….rohan ka dil ghabra raha tha hum saumya ko akela chodhke jaa rahe hai….par main oos buddhe chowkidar ki baat pe pura yakeen kar raha tha main janta tha saumya ab zinda nahi rahi…

“chalo jaldi se”…….chowkidar ne gaadi ke back seat pe baithte huye kaha..rohan ne ek baar mudke piche dekha fhir puri raftaar ke sath gaadi ko sadak pe dauda diya………piche chutti chali gayi manhus haveli..aur who shaitannn

Haveli ke khidki pe wohh sayaa oonhein jaate huye dekh sakta tha…..ooski muskurahat se ooske nukile daant saaf nazar aa rahe they aur ooske safed surkh gulaabi aankho mein bhayankar gussa…jaan chuki thi saumya ki hum waha se bhaag nikale they

Hum bahut dur nikal chuke they khaamosh waadiyo ke beech se….sarsarati hawaaye chal rahi thi…is sard din mein kohra bhi kaafi chaaya hua sat ha jo suraj nikala tha wohh bhi jaise dhal chukka tha….main aur rohan khaamosh they aur wohh Buddha chowkidaar jaise kuch padh raha tha..

Alif : piche mudke mat dekho rohan aisa lagega jaise who hamare saamne aake khari ho jaaye (rohan ne meri or dekha ooske aankho mein aansu they dukh ke bhi aur khauff ke bhi )

Rohan ne ek baar piche mudke chowkidaar ki or dekha..”galti se bhi gaadi mat rokna oos shaitan ke jagne se pehle hi humhe nikalna hai”……rohan jo gaadi chala raha tha oosne apne aansu ko ponchte huye gaadi ko tez se hi chalaye rakha

Jald hi hum gaon pahuch chuke they……logo ko dekhke lag raha tha jaise ab jaan mein jaan aayi ho…gaadi gaon ke chaupaal pe hi rukte hi chowkidaar langdaate huye bahar nikal gaya oosko aur humhe har koi ghurr raha tha sabke nigaho mein sawaal aur oos buddhe ko dekhke azeeb sa darr tha…jaise oonhein hamari khauff dikh gayi ho

“kyaaa? Aissa nahi ho sakta”……sarpanch hukkah ka kassh le raha tha oosne hukkahh chodha aur hamari or dekha..main charo or dekh sakta tha humhe ghere huye they gaon ke log

“nahii jis baat ka darr tha wohi huaa wohh sh.aitaann ab humhe bhi nahi chodhega eke k karke sabko maar daalega”……oon logo ka khauff dekhke hamara darr dil mein aur barh gaya tha..rohan chupchaap tha khauff se sehmaaya hua aur saumya ko khone se bhi

Kaafi dair baad chaupall mein hi baithe logo ne humse baat ki fhir saari baat janne ke baad humpe gussa bhi huye aisa lag raha tha jaise who log dobara humhe oos shaitan ke paas bhej denge taaki hamari maut se who log ke upar koi keher na gire…..aur main oos pal yahi chahta tha ki yaa allah bas mujhe aur mere dost ko sahi salamat waapis sheher jaane ko mil jaaye

Wohh log turant paas ke mandir humhe le gaye jaha gaon ke kaali mandir thi oosmein baitha ek budhaa aadmi hamari baat ko sun chukka tha oosne turant hi humhe waha se chale jaane ko kaha…baaki wohh log gaon ko oos shaitan se baccha sakte hai…lekin hamare wajah se wohh koi khatra nahi molenge….rohan ko ab bhi ye sab sunke jaise behad azeeb lag raha tha

Buddhe chowkidar ne kaha ki hum aaj raat yaha ruk sakte hai aur kal subah hi nikal jaaye…par rohan ne kaha ki wohh yaha ek second bhi nahi rukega wohh raat ko hi waha se nikal jaayega….maine bhi ye faisla ooske kehne pe liya tha…kyunki main bhi waha rukna nahi chahta tha….hum dono ke liye aaram ghar ka intezaam kiya gaya…hum wohi gaon mein teher gaye

Aisa lag raha tha sabkuch ekdum se badal gaya ho…kahan hum khushi khushi aaye they? Aur kahan aise haalat mein bhaag rahe hai?....jaldi badalo mein gargarahat hone lagi aur mausam kharaab hone laga…dheere dheere andhera bhi sard mausam ke wajah se andhera mein tabdil ho gaya…kyu hoti hai ye raat? Oso waqt mujhe lag raha tha ki jaise ye raat kabhi ho hi na?

Gaon sunsaan ho gaya charo or khaamoshi chaa gayi…..haww haw karte kutte bhaukte huye rone lage they…..main aur rohan sirf karwat badal rahe they…..rohan ne chaha ki oosi waqt nikal jaaye par hum itne thak chuke they ki sone ka alawa hamare paas koi rasta nahi tha….aur aisi haalat mein neend bhi kaha aati….rohan ne uthke waqt ki or dekha shaam paanch baj chuke they oosne meri or dekhaa aur barbaraya “kahi saumya ko maalum nahi chala gaya ki hum bhaag gaye hai? Kya wohh sach mein shaitan hai toh fhir kya is gaon mein bhi pahuch jaayengi? Hamare ghar k e charo or oos pandit ne ek raakh laga di thi jisse hamari chaukhat pe who shaitan pao nahi rakh sakta

Achanak wohh haveli jo khaamosh raat ke veerane mein simati huyi thi achanak kaanp uthti hai…ooske sidiyo se koi utar raha hai…ooski bhaari bharkam awaaz maano yun ki badal ek sath garaz rahe ho…..aur fhir ekdum se wohh oos kohre mein chalta hua fhatak ki or aata hai fhir oos chain ki or dkehta hai jiska taala apne aap khulte huye chain ke sath gir jaata hai….fathak ko apne haatho se ek hi jhatke mein who saaya gate khol deta hai…jiski teekhi awaaz charo taraf fail jaati hai….

Aur theek oosi pal oos white gown mein wohh saaya theek meri or aa raha hai…ooski gulaabi aankhe wohi munh se ugalta khoon wohi shaitani muskaan wohi tahaka lagati hassi…wohi bhayankar roop…wohi dohri awaaz jaise jaise wohh mujhse hi keh rahi ho “tummhheinn nahi chorungiii maar daalungi tummheiinnnn mujhse tummheinnn koi nahi bacchaa saktaaa tummheiinnn koi nahii baccha sakktaaa aliffff main aa rrrahiii hooo tummheiiinn kya lagaa tumm mujhse dur bhaag jaoggee is havelii se bhi durr hahahahhahahahha hahahhaha”……….main kaanpte huye cheekhke is baar uth baitha

“nahiiii”……….ekdum se kaanp utha mere bagal mein soya rohan bhi..oosne meri or dekha meri bari bari aankhe mera pasina bhara badan…”kya huaa alif? Tu theek hai aliff??”……mere zaban larkhara rahi thi…baap re kitna bhayankar sapna tha wohh

Alif : rohhhannn rohh..aannn maine saumyaa ko dekhaa wohii rooop wohh humhe maar daalengi yaar wohh humhe maar daalegi aisa laga ooski rooh mere saamne ho…wohi haveli wohi sabkuchhh main marr jaungaa rohhannn rohannn (main rone laga tha darr se)

Rohan ne paas rakha paani bhara glass mujhe diya jise peeke main kuch dair ke liye khaamosh hua…..ab bhi kutto ki rone ki awaaz sunaai de rahi thi bahar se bahar ekdum khaamoshi chaayi huyi thi

Rohan : chal theek hai hum abhi nikal chalenge shaam hone ko hai mujhe nahi lagta yaha teherna safe hoga chal

Alif : p..par hum jaayenge kahan?

Rohan : waapis sheher chal

Alif : par agar wohh saamne aa gayi tohh

Rohan : yaha rahenge tohh pakka wohh humhe dhundhte huye aa jayegi

Alif : par yaha safe hai hum

Rohan : mujhe kuch nahi samajh aa raha ki saumya zinda bhi hai ya nahi…kya maalum humhi bewakuf banke oosse bhaag rahe hai

Alif : itna kuch ho gaya aur tujhe yakeen nahi ho raha

Rohan : fhir bhii yaar mera dil ek pal bhi yaha rehna nahi chah raha….chal pehle yaha se bhaag chalte hai.

Main aur rohan bahar aaye toh saamne Buddha chowkidar khara tha hum oose dekhke ghabra gaye….”bhaagne ke siwaah tum logo ke paas koi chaarab hi nahii lekin wohh tumhein dhundh legi kitna dur bhaagoge…ye khaamosh raat oosi ki hai…who fhir jag chuki hongi aur tumhein hi dhundh rahi hogi behtar isi mein hai kahi chup jao”………….rohan is baar chilla utha

“marne se toh accha hai ki yaha se bhaag jaaye….humne kuch bhi galat nahi kiya sabkuch saumya ne khud kiya tha”…….buddha muskuraya aur kaha “oosne sirf apni khwahish ke liye oos shaitan ko jagaya aur ismein tum logo ki madad li ab wohh jo chahti hai wohi hoga…oos shaitan se oosne jo khwahish maangi hai wohi oose milega…jaa toh rahe ho apni zimedaari pe par agar zinda bache rahe toh lautke kabhi na aana”………rohan ne meri or dekha aur oos buddhe chowkidar ki or

“chal rohan”…..maine rohan ka haath pakra aur hum jaldi se gaadi mein sawaar huye gaon waalo ne humhe rokne ke liye kaha bhi par yaha se sheher ka rasta kaafi dur tha isliye humhe jaldi se nikalana tha waha se…ooske baad hum waha ek second bhi na there aur kacche sadak se nikalte huye gaadi ko gaon se nikaal le gaye

Ab fhir se khaamoshi thi charo taraf veeranpan tha….buddha chowkidar gambhir bhaav se oon gaon waalo ki or dekhte huye hamari gaadi ko jaate huye ghurr raha tha…shaam andhere mein tabdil ho gaya…aur hamari gaadi yun hi chutti chali jaa rahi thi…rohan aur mera dil ghabraye jaa raha tha…ooske steering pe rakhe haath kaanp rahe they..

Ab bhi kaano mein saumya ki who awazz guunz rahi thi jaise wohh hamara picha kar rahi ho…..raat tezi se dhalne laga tha waqt ki suyi badhte jaa rahi thi….aur ab dheere dheere barsaat bhi shuru hone lagi thi….khaamosh sard raat mein langdata hua wohh saaya sadak ki or dekh raha tha…..ye koi aur nahi wohh Buddha chowkidar tha..achanak ooske chehre pe khauff jama ho gayi….kyunki saamne barsaat mein ek saaya khara oose hi dekh raha tha….dheere dheere wohh saaya saamne aane laga

Buddha chowkidaar oose dekhte hi chilla utha “nahiii yee nhai ho saktaa nahi ho saktaaa”….woh piche hone laga….saamne wohi shaitan khara tha jo saumya ke roop mein ooske saamne tha..ooski muskurahat bata rahi thi oose sabkuch maalum chal chukka tha….ooske aankho mein apni maut ko dekhte hi chilla utha wohh chowkidaar jaise taise langrate huye bhaagne ki koshish kar raha tha

Par ooske pair jaise geeli mitti mein dhassne lage theywohh cheekh raha tha chilaye jaa raha tha par charo or khaamoshi chaayi huyi thi aisa lag raha tha jaise aas paas koi na ho aur zaahir tha oos shaitan ki dehshat se har koi gaayab ho chuk a tha

“Nahiiii nahiiiiiiii choddhh doo mujhee jaane dooo”…….dheere dheere wohh nukile haath ooske gardan mein kaste gaye..aur fhir oos shaitan ke nukile daant ooski gardan ki taraf barh gaye….oos chowkidaar ki ghuntti sehmi awaaz gale se nikal rahi thi…au tabhi ek bahut dardnaak cheekh gunz uthi…..jald hi sadak pe ek laash mazud thi jiski aankhe waisi hi khuli thi aur gale aur gardan pe gehra zakhm tha…tahaka lagati khoon se lathpath apne chere ko ponchti huyi saumya dheere dheere waha se chali gayi maut ka tufaan guzar chukka tha….bas  charo or tahaka lagati oos shaitan ki awaaz gunzte huye tham chuki thi….

Charo or kutte bhaunkein jaa rahe they oonke rone ki awaaz ko sun har koi apne apne gharo se bahar aaya…toh ekdum se waha ke logo ke chehre pe dehshat si aa chuki thi….sabhi ki bari bari nigaahein oos buddhe chowkidaar ki laash pet hi ooske khuli tehri aankho se hi saaf nazar aa raha tha ki koi khauffnak cheez oosne dekhi ho ooske zakhm ko dekhne ki himmat kisiko nahi ho rahi thi sab apne munh pe haath rakhke dehshat se khare huye they…..jaante they maut ne dastak deni ab shuru kar di thi

Achanak mera dhyaan tab tuta jab ghari pe oos alaram ko bajte dekha….uff puri raat main soya nahi tha…subah 6 baj chuke they dheere dheere roshni chaane lagi thi raat dhal chuki thi….kitna kahuffnak tha wohh manzar jo mere aankho se guzarte huye gaya….aaj 2 mahine ho gaye lekin aisa lagta hai jaise kal hi ki baat ho oos din ke baad saumya ka kya hua tha?

Kuch maalum nahi bas rohan ko khabar mili thi oos buddhe chowkidaar ki maut huyi hai wohh bhi behad dardnak aur rahasmayi tarike se…rohan aur main dono ghabra rahe they….saumya ke ghar bhi rohan ne jaana chodh diya tha ek baar gaya bhi that oh waha sirf talaa laga hua dekha tha…..rohan ko ab yakeen ho chala tha ki hum jiske sath itne waqt tak they wohh insaan nahi rahi thi ek shaitan ban chuki thi jeeti jaagti shaitan

Aaj mujhe rohan se mulaqat karni thi..isliye subah ke nashte ke baad tayyar hoke rohan se milane jaane hi wala tha itne mein darwaja khola tohsaamne rohan khara tha…

To be continued….
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #5 on: November 28, 2016, 01:24:25 PM »
PART 5 update 1

Darwaje pe rohan ko dekhke chaukne ki koi wajah alif ko nahi lagi…wohh janta tha alif se zyada rohan bhi ghabraya hua hai…kareeb 2 mahine beet chuke abtak oonke sath koi aisi ghatna nahi huyi thi par ye achanak se aaya khwab iski kya tabir thi isi ko janne rohan alif ke paas aaya….alif janta tha rohan intezar ke mood mein nahi tha isliye wohhh khud jald se jald alif ke yaha subah hote hi pahuch gaya
Rohan aur alif ghar ke andar aaye….alif ne jaise darwaja lagaya…rohan ekdum se bol utha “bahut ho gaya bahut ho gaya yaar kabtak aakhir kabtak? Hum aise ghutte rahenge…kal raat kitna bhayankar khwab dekha maine?”……..maine rohan ko samjhaane ki koshish ki oose relax karne laga

Alif : aakhir hum kar bhi kya sakte hai? Ek bhayankar haqeeqat hum piche chodh aaye hai…par ye musibat hamare peeche lag chuki hai…tu toh janta hi hai wahan se aane ke baad oos buddhe chowkidar ki maut ki khabar suni thi maine (rohan ne thook ko gale mein ghuntt liya jaise sehema wohh bhi tha)dil bahut bechain rehta hai mera dil bahut ghabrata hai yaar aisa lagta hai jaise kab saumya mere saamne aake oos shaitan ke roop mein khari ho jaaye wohh maar dengi humhe maar dengi rohann (alif ko kawadte huye dekh rohan ne ooske kandhe pe haath rakha)

Rohan : haan yaar jabse aaye hai tabse aisa hi darr hai par kuch nahi hoga main kal mandir gaya tha…dekh ye om ka locket (rohan ke gale mein ek om ka locket jhul raha tha) kehte hai isse koi bhi buri aatma shaitan koi bhi paas nahi aa payega wohh humhe chune kit oh kya kareeb aane se bhi katrayegi jala ke rakh kar dunga oose

Alif : par fhir bhi rohan mera toh dil baitha jaa raha hai kabtak hum yun chupe rahenge…waise oos din ke baad saumya toh humhe nazar nahi aayi na

Rohan : nahi yaar oosne jaise college aana bhi band kar dia ho sab ooske baarein mein puchte hai…ooske ghar bhi taala laga hua dekha hai merit oh himmat nahi hoti ki main waha akele jau…aisa lagta hai jaise wohh kisi bhoot ki tarah gaayab ho gayi ho

Alif : gaayab nahi huyi hai yaar shaitan ban chuki hai wohh shaitan jeeta jaagta shaitan…humne oose bahut pehle hi kho diya aakhir kyu gaye hum oosi ne hi toh humhe waha jaane ke insist kiya tha

Rohan : jo bhi ho alif tu fikar mat kar main puri koshish karunga tujhe oosse bacchane ki koi toh raasta hoga filhal abtak wohh humhe nahi dikhi ho sakta hai oosne hamara picha karna chodh diya ho

Alif : nahi rohan…jab wohh raat humhe haveli mein nahi paayi hongi toh bhuke jaanwar ki tarah humhe khoj rahi hogi agar wohh hamara picha nahi kar rahi hoti toh fhir oos buddhe chowkidar ko kyu maari bol

Rohan : ho sakta hai…par tu dair raat bahar mat jaaya kar aur khidki darwaje band rakhna…koi bhi dastak de toh tu darwaja mat kholna (rohan ki bari bari aankhe meri or khauff se dekhte huye sachet kar rahi thi)

Alif : tu bhi savdhan rehna..ek min (alif rohan ko apne kamre mein le aaya…wahan pc on tha…computer pe kuch tasveerein dikhi…jise rohan behad gaur se dekhne laga….tasveer ek mazaar ki thi jiske theek bagal mein ek pokhar (taalab))

Alif : is article ke hisaab se ye tasveer oos mazaar ki hai jo oos nagar mein parhti hai jaha wohh haveli hai (rohan chaunkke oos jagah ka naam jab parhta hai toh alif ki or dekhta hai) ye mazaar kaafi purana hai aur kisi pir saaheb ka dargah hai inhone oos shaitani aatmao ko hamesha hamesha ke liye insaano se dur oos taalab mein kaid kar diya tha….jo shaitan demons bhi kahe jaate hai gaonwaalo se jaanenge toh who humhe baaki information waha ki bata sakte hai baaki humhe waha ek baar toh jaana hoga

Rohan : par kisliye? Tera dimaag toh theek hai nahi aliff main tujhe oos jagah ab jaane nahi dunga bemaut maara jaayega tu wohh humhe pagalo ki tarah khoj rahi hai

Alif : wohh shaitan rohan wohh shaitan…yaha koi aata jata nahi hai lekin agar hum saumya ke jism ko jismein who shaitan sama hua hai agar ooske jism ko hum is taalab mein dubo de toh shayad humhe is musibat se nijaat mil jaaye
Rohan : par ismein khatra hai saumya ko pakadna aur itne aasani se who hamare kaabu pe nahi aa payegi..

Alif : aa sakegi rohan aa sakegi…aur hum hi laayenge oose (rohan ko samjhaane ki koshish ki par oosne meri baat ko anusuna kar diya kaha ki ye sarasar bewakufi hai bhala ek shaitani jism ko pakadna aur fhir oose oos taalab tak le jaana ye mumkin nahi tha wohh humse taqatwar ho chuki thi shaitani rooh oospesawaar hai agar hum mil jaaye toh fauran wohh hamara kaam tamaam kar sakti hai)

Rohan bina kuch sune waha se chala gaya…..par ek yahi zariya mujhe mila tha…main janta tha rohan saath nahi dene wala…rohan ne jaate jaate ye zarur keh diya ki wohh oose zinda nahi pakdega balki oose apne haatho se khatam karega ooski ye baat sun mujhe ooske liye kaafi darr lagne laga…

Rohan ke jaate hi main chair pe baith gaya…puri raat aankho mein neend na hone ki wajah sem ujhe fhir se neend aane lagi thi..itne mein darwaje ki ghanti bajtte hi main ekdum se ghabrake uth khara hua….kuch dair baad fhir bell ki ring huyi ting tong ting tong…is waqt kaun aaya hoga? Abtak aisa khauff mere dil mein samaya hua tha ki mujhe ek aahat se bhi darr lagta maano jaise saumya hi khari ho maano jaise saumya hi oos waqt darwaje pe khari ho

Main ghabrate huye niche aaya…ek baar keyhole se jhaakna chaha par meri himmat jawaab de gayi..achanak fhir ghanti baji…ab jo karna tha savdhani se hi karna tha..paas rakha chaaku maine utha liya aur theek dheere dheere darwaje ke kareeb aaya…..darwaje ke keyhole mein jaise jhaanka mere jaan mein jaan aayi ye koi aur nahi ritu thi…meri dost..maine dhadhh se darwaja khola…aur ekdum se ritu chaunkte huye meri or dekhne lagi….”ritu tum ho uff my god?”…..main diwaar ke sahare sar rakhke saans lene laga…is beech maalum chala ki main kitna daraa hua tha…ritu ne mere haath mein chaaku dekha fhir sawaali aur azib nigaho se meri or dekhte huye kaha “what happened alif na tum darwaja khol rahe they? Aur ekdum se tum darre darre se ye haath mein chaaku what’s going on?”……..maine oose jhat se andar kiya aur darwaja lagaya

“aao mere saath upar aao”…..ritu ka haath pakre main oose stairs se upar le aaya apne kamre mein…”arre aakhir hua kya? Tum mujhe aise yaha kyu laaye?”…….main janta tha ritu ko sachaai ka kuch maalum nahi hai…1 mahine pehle mulaqat huyi thi oosse..haveli se aane ke baad hum fhir se apni normal life bitaane ki koshish kar rahe they aur is beech meri mulaqat ritu se huyi thi….mujhe darr is baat ka bhi tha ki kahin ritu ki bhi jaan mere wajah se khatre mein na parh jaaye..ritu sawaali nigaho se mujhe dekh rahi thi oosne fhir se sawaal kiya…is baar maine oose saari baat khulke saaf saaf byaan kar di ki 2 mahine pehle hamare sath kya hua tha? Sabkuch sunne ke baad ritu ke chehre pe bhi ghabrahat aur darr saaf nazar aa raha tha…par ritu se mera rishta mehez dosti ka nahi raha tha hum ekdusre ko chahne lage they…mujhe laga sab theek ho jaayega lekin ateet bhala kaise dafan ho sakta tha oose toh aaj nahi toh kal saamne aana tha…

Alif : dekho ritu mujhe apne liye koi fikar nahi par tumhari fikar hai…saumya insaan nahi rahi hai aur tum toh oose jaanti bhi nahi kabhi dekhi bhi nahi par is tasveer ko gaur se dekh lo ye hai saumya rohan aur hamari kabhi dost hoya karti thi par ab ye hamare liye sirf darr ban chuki hai (ritu ne saumya ke oos khubsurat chehre ko dekha aur fhir meri or)

Ritu : yakeen nahi hota ki aisa bhi ho sakta hai…tum logo ne ye baat mujhe pehle!

Alif : tum yakeen nahi karti ritu par plzz ab jab bhi tum yaha aao toh ek baar mujhe phone zarur kar liya karo….mujhe lagta hai jaise saumya yahi kahi aas paas mandra rahi ho aur tumhein dekh le main tumhein khona nahi chahta hoo ritu

Ritu : aur main itni buzdil nahi jo apne life ke fikar mein tumhari jaan ko kyu jaate huye dekhu? Ye baat sunke mujhe bahut darr lag raha hai tumhare liye alif agar tumhein kuch ho gaya toh

Alif : huhh jo hona tha wohh ho chukka hai ritu ab pachtane se kya fayeda?

Tum filhal ghar jao mujhe kuch der aaram ki zarurat hai…aur haan plss bina mujhe ikhtila kiye yaha aise mat aa jaana main nahi chahta ki meri wajah se main tumhein kho doo

Ritu : alif tumhein kuch nahi hoga dekh lena sab theek ho jayega yakeen rakho (alif ke aankho mein aansu ghul chuke they ritu ne ooska haath jo apne gaal pe rakha tha oose apne haath mein le leke seh ritu ke aankho mein apne liye pyar umadta dekh alif kuch dair ke liye khauff se bahar tha)

Kisi ki ghutti awaaz dheere dheere kadmo se sidiya chadhte huye darwaje ki or barh rahi thi…fhir wohh sayaa dheere dheere ghar ke dusri taraf aaya….oosne ek baar upar khuli ghar ki khidki ki or dekhi aur dheere dheere eke k haath diwaar pe rakhti huyi upar aane lagi

Alif aur ritu ke baahon mein they…alif ke hontho ko chumte huye ritu ne oose apne se alag nahi hone nahi diya tha….lekin is baat se anjaan ki wohh saaya khidki ke pardo ke beech mein se dono ko milate huye dekh raha tha…ooski garzan ab barhne lagi thi…alif aur ritu bekhabar ekdusre ki baahon mein they oonhein maalum nahi tha ki saamne ke parde pe ek parchaai dikh rahi hai…

Alif ne ritu ko apne se alag kiya “chalo ritu tumhein dairi ho rahi hai main tumhein ghar tak chodh deta hoo andhere mein main tumhe akele jaane nahi de sakta”…….ritu ne muskuraya…alif bina piche mude ritu ko leke ghar ka darwaja khole nikal gaya..woh garzati awaaz jaise ekdum gusse mein tabdil ho chuki ho….ye koi aur nahi saumya thi ooski laal khoon se bhari gulabi aankhe ekdum khauffnak nigaho se sheeshe ke andar jaank rahi thi..

Ritu aur alif gaadi mein baithe huye they….ekdusre ko dekhke bas muskura rhe they…achanak raaste mein oonhein ek saaya kharaa dikhaa…alif jaise hi saamne dekhtah ai ooski aankhe teher si jaati hai…saamne saumya dur khari oose dekhke muskura rahi thi saumya ekdum se ooske saamne mauzud thi….charo or sannata gehra hua tha…alif se bolte nahi ban raha tha…ritu ne alif ko sehemte dekha toh ek baar saumya ke taraf ooski nigah gayi ooski bhi aankhe khauff se bhar aayi thi..

Ritu : al..iff g..addi matt rokkko plzz mujhhe darr lag raha haiii (ritu oose dekhke ghabrayi zarur par oose saumya ekdum normal dikh rahi thi oose lag nahi raha tha ki saamne koi ladki nahi balki ek shaitani rooh khari hai)

Alif ne bina kuch soche samjhe gaadi ko tezi se ooski taraf daudaa diya…ek pal ke liye ritu ko laga ki alif lagbhag saumya ko kuchalte huye nikal jaayega par alif ne aisa nai kiya alif ke kandhe ko kasske saumya ne pakda hua tha…alif ne furati se jab saumya ko paas aate dekha toh oosne gaadi ghuma li….gaadi daayi or se saumya ke nikal gayi….aur kafi tez raftar mein….alif baar baar piche mudke saumya ki taraf dekh raha tha jo picche chutti jaa rhai thi…who waisi hi sunsaan sadak ke beecho beech khari huyi thi dur jaate jaate saumya ka dikhna band ho gaya

Tab jaake alif ko jaan mein jaan aayi…oosne ritu ki or dekha who janta tha ek second bhi rukna munasib nahi saumya ab oonke zindagiyo mein waapis aa chuki hai….woh pure raaste dono khaamosh they..alif ne ritu ko ooske ghar drop kiya par ritu ka dil nahi maan raha tha alif ko akele chodh dene pe…par alif ne oose kasam di ki chahe oose kuch bhi ho par ritu ooske maamle mein na pare..ritu bas royi nigaho se alif ko jaate dekh rahi thi wishwas toh dilaya tha alif ne oose ki who waapis lautega par ritu ko gawara nahi tha ki wohh akele rahe

Alif ko bhi ritu ki fikar hone lagi thi chunki saumya ne oose dekh liya tha…par wohh janta tha ooske sath kuch nahi hoga agar aisa kuch hua toh wohh khud saumya ko maar daalega par kisko maarega ek insaan ko nahi ek shaitan ko….alif ne fauran rohan ko phone kiya…rohan ne phone uthaya alif ne oose saari baat batayi ki oosne saumya ko aaj dekha tha..rohan darr gaya oosne kaha ki wohh fikar na kare wohh jald hi oose ghar aa raha hai darwaje khidkiya band rakhe…wohh puri tayyari ke sath aayega


Logged
asif biswas
Guest
«Reply #6 on: November 28, 2016, 01:28:09 PM »
Alif ye baat sunke thodi himmat paida karta hai…fhir oosi sadak se fhir apne ghar aake alif darwaja jhat se laga deta hai…abtak toh saumya oose fhir nazar nahi aayi matlab tha ki wohh itne jaldi alif ko chodhne nahi waali…alif ne socha ek baar naha dho le toh shayad dil ka darr nikal jaaye

Alif apne kapre utaarke shower on karke nahane lagta hai….utni hi dair mein diwaar pe lagi bulb ki roshni kabhi band toh kabhi jalne lagti hai..ekdum se alif shower off karke bulb ki or dekhta hai….aur achanak ekdum se bulb ki roshni band hote hi andhera chaa jaata hai….sard raat ki khaamoshi…alif ke dil ki dhadkan tez hone lag jati hai

Alif : k…kaunn haiii? Kaunn hai? (alif barbarata hua bathroom ke darwaje ko kholne ki koshish karta hai lekin darwaja jaisekhul nahi raha tha) ohhh nooo open the damnnn door darrwaaja kholllo plssss

Alif kehta bhi kisse aajtak toh who akele is ghar mein rehta ayaa tha…fhir achanak light chali jaana bathroom ka darwaja band hona ab ooske zehan mein saumya ka khauff samane laga tha..aur tabhi kisi ke gungunane ki awaaz…itni paas se wohh awaaz thi ki alif bilkul sehem utha….dheere dheere alif piche mudne laga ooski aankhe khauff se ekdum darri huyi thi…ooska gala sukh chukka tha pure badan pe itne nahane ke baad bhi pasina pasina hone laga tha..jaise hi alif piche mudaa who ekdum zor se apne chehre pe haath rakhke bathroom ke darwaje ke aade ho gaya gale se ekdum cheekh nikal pari

Saamne bathroom ke theek kone pe ek ladki ghunto ke bal sar rakhke gunguna rahi thi achanak ooski bhari awaaz rone mein tabdil ho gayi…aur wohh dheere dheere alif ki or dekhne lagi….saumya ke chehre ko dekhte hi alif kaanpte huye baithne laga tha farsh pe darwaja khul nahi raha tha….ooski halaat kharab huyi jaa rahi thi

“kyu aliff? Kyu chodhke aa gaye mujhe oos band akele ghuntte veerane mein..kaise chodha tumne mujhe? Aliff kyuu chodhaa aliff? Kitni khaamosh raatein thi na wahan ki? Kitna sukoon tha oon raaton mein jawaabb do”……………..ekdum se jaise maano koi dohri awaaz ek sath bolte huye dahadh uthi ho…alif chilla utha wohh saumya ki gulabi aankho mein nahi dekh paa raha tha jisse ris risk e khoon beh raha tha…maano ooske aansuye thi

Alif : s.ssaumm..yaa y..ee tum..heinn k..yaa huaa hai?

Saumya : hahahahha hahahahahaa (saumya ki who awaaz nahi thi wohh awaaz itni bhaari aur dohri thi…ki agar oos  tahaka lagati awaaz ko koi sun leta toh ooska dil phat jata)

Saumya : sabkuch tohh jaan chuke ho tum sabkuchh mere baarein mein…jisne tumheinn bataya wohhh tohh marr chukaa jaa chukaa wohh lekinn tumheinn kaun bachaayegaa? Bollo tum log mujhse bhaag rahe they ymujhhseee (ek baar fhir saumya garaz uthi ooske garazte hi pure ghar mein jaise who dohri bhayankar awaaz gunz uthi ho)

Oos raat hum sab so rahe they hum sab….ooske baad mujhe ek kaala dhuaa dikhaa…(alif is baat ko sunte hi ekdum se saumya ki or dekhne laga ye wohi kaala dhua wohh rooh thi jise saumya ne mantra padhke jagaya tha alif ki khauff bhari  bari bari nigahen saumya ki or thi) fhir ooske baad oon hawao ke shor mein wohhh cheekhti chillati rooh jaisi cheez mere saamne aayi fhir oosne mera naam pukara aur jab maine apni aankhe kholi toh wohh mere sharer ke andar jaise ghuss chukka tha….mujhe saans lene mein kitni ghutan huyi thi? Maine rohan ko jagaane ki koshish bhi ki par wohhh karwat badle gehri neend mein tha (saumya ke nukile daant aur ooske gulabi aankhe jinse laal khoon ubal raha tha)

Alif fhir sunta gaya saumya ke munh se oos raaz ko…jab saumya ekdum se uth baithi….aur oosne ek ek pao sidiyo pe rakha…achanak niche aate hi oosne oos kitaab ko uthaya aur fhir oos panne ko palata jismei nwoh shaitan bana hua tha…..aur fhir tahaka lagati gunzzti ooski awaaz jaise ek naya janam hua tha shaitan ka….

Alif ekdum chupchaap saumya ki or dekh raha tha khauff se behoshi hone lagi thi……par ekdum se ooski aankh khul jati jab saumya ooske behad kareeb aane lagi….”aajtak tum zinda kyu ho maalum hai? Chahti toh kabka tumhein maar daalti…main tumhein paana chahti hoo alif haan aliff main tumse pyar karti hoo tumm mere sath nahi chaloge hum dono hamesha hamesha ke liye is insaani duniya se dur oosi haveli mein rahenge ooske baad tum bhi shaitan ban jaoge aur hamare zindagi mein koi nahi hoga hahahahahaha “…….tahaka lagati oos hassi se main chillane ki koshish kar raha tha lekin gale se awaaz nahi nikal rahi thi…aisa lag raha tha shaitan mere chaati pe sawaar hai ooska ek toh khaufnak chehra jise mere aankho se dur nahi ho raha tha

“nn…nahiii nahiii nahiiii”…..achanak saumya ne mere tango ko pakadh liya aur mera gala dabocha ….ooska chehra mere nazdeek aane laga….ooska shaitani roop aur bhi khauffnak hone laga tha ooski dohri awaaz mein tahaka lagati aur fhir garazati shor ko mere kaan bardasht nahi kar pa rahe they

Aur tabhi aisa laga jaise kisi ne zor se darwaje ko peeta “aliff aliffff aliff darwaja kholo alifff”…..ekdum se saumya darwaje ki or dekhne lagi…aur tabhi theek oosi pal darwaja ko lagbhag todte huye rohan andar aaya aur theek oosi pal ooske haath mein latak rahi om ki wohh locket theek oosne saumya ke saamne dikhaa di…….”aaaaaaaaaaaaaaahhhhhh”…….saumya ekdum zor se chillayi jiski awaaz se kaan ke parde phatne ko they charo taraf ki khidkiya apne aap khulne lagi hawaa itni tez andar daakhil huyi jaisa laga tufaan aa gaya ho

Saumyaa ulte pao chatpatati huyi apne chehre pe haath rakhte huye khidki se bahar kud pari……rohan bhi bathroom ki khidki se bahar jhaankta hai….lekin waha kuch nahi tha….tabtalak main behosh ho chukka tha…jab hosh mein aaya toh chillake uth baitha…rohan aur ritu dono meri paas they..wohh mujhe shaant karne lage “aliff aliff hosh mein aao alif”……..”alif hosh mein aao”…….”sab theek ho jayega alif sab theek ho jayega”……ritu ne mujhe samjhate huye kaha

Rohan : thank god main waqt pea a gaya tha…warna aaj alif tujhe bhi wohh apne sath le jati

Alif : r..ohannn maine ooska wohh bhayanak roop nahi dekha par tu yaha ritu ke sath? (meri kuch samajh na aaya)

Rohan : haan ritu ne hi mujhe phone karke bataya kit um dono ke sath raste mein kya hua? Main samajh chukka tha ki zarur kuch na kuch ghatega..isliye mauke pe main pahuch aaya…piche ritu bhi aa gayi

Alif : uff aisa lag raha hai jaise ooski awaaz abhi bhi mere kaano mein gunz rahi ho

Rohan : khair koi baat nahi main aaj yahi rukunga aur ritu tum bhi ghar mat jao yahi tehero aaj is khaamosh raat mein aur kuch ghate humhein satark rehna hoga

Ritu : par hum kabtak aise chupe rahenge ? koi na koi tareeqa toh nikalna hoga kya hum kisi ki madad nahi le sakte

Rohan : na police madad kar payegi aur naa hi koi mamuli insaan…saumya bahut khatarnak shaitan ban chuki hai oose maarna aasan nahi…(fhir rohan ne darwaje aur khidkiya lagaye ab shayad saumya waapis aa sakti thi isliye oosne pure ghar ko acche se band kar diya)

Fhir oosne mujhse sabkuch jaana…sabkuch janne ke baad oosne meri taraf dekha…”iska matlab saaf hai alif saumya tujhe chahti thi…aur isi chahat ke nateeje mein oosne oos shaitani rooh ki madad li taaki tujhe paa sake my god mujhe nahi maalum tha ki wohh itni khatarnak nikalengi

Alif : abhi waqt hai rohan iska ek hi ilaaz hai humhein waapis oosi gaon jaana hoga wohi se hum is shaitan ko maarne ka tod nikaal sakte hai

Rohan : par waha bahut khatra hai…aur kaun hamari madad karega? Dekha nahi tha oonhone humhe kaise bhaagne ko kaha tha

Alif : ye khel jahan se shuru hua hai is shaitani khel ka ant bhi wahi se hai…ek kaam karo hum teeno waha sath chalenge aur main nahi chahta ritu key aha akele hone se oospe khatra aaye

Ritu : haan rohan alif sahi keh raha hai main bhi tum dono ko yaha akele chodhke nahi reh paugi kya maalum wohh mujhpe bhi hamla kare

Rohan : nazar mein toh tum bhi ooske aa chuki ho kyunki oosne tumhare alif ke sath dekha hai..ab lagta hai humhe fhir waha jaana hoga fhir se oos manhus haveli (alif aur ritu rohan ki or dekh rahe they teeno ki nigaho mein gambhirta thi jahan se waapis aa toh zarur gaye they fhir oos maut ke munh lautna tha)

Jald hi wohh agli subah hote hi gaon ki or nikal jaate hai……wohi sadak wohi jagah wohi rasta….aisa lag raha tha jaise kal ki aap beeti fhir aankho ke saamne aayi ho……jald hi gaon pahuchte hi logo ki nigaah ek baar fhir rohan aur alif ko dekhte huye khauff se bhar aayi…….oon logo ne chetawni di ki wohhh yaha se chale jaaye…par alif ne oonhein manane ki koshish ki….par sarpanch ne oos buddhe chowkidar ki maut ke baarein mein bataya ki oosne pehle hi oonke aadmi ko maar diya hai…ab nahi chahte ki wohh manhusiyat who shaitan fhir waapis laute..kaafi request karne ke baad kali mandir ke baba ko jo kuch alif aur rohan ne bataya toh oos talaab ka naam sunke wohh oonki madad ke liye oonhein raasta dikhate hai oonhone oose waha ke sabse puraane baba se milane ko kaha alif rohan ritu oos mazaar pahuche sath mein gaon ke kuch log bhi they

Hari pagdi aur lambi dhaadi mein amal mein baitha who shaks ekdum se aankhe khole ritu rohan alif aur baaki gaonwalo ki or dekhta hai….aisa laga jaise oose sabkuch maalum tha

Baba : maut laayi hai tumhein yaha kheechke maut….(osoka ishara hum teeno ki or tha) ye koi choti moti baat nahi hai tumhare piche jiska saaya laga hai wohh behad khatarnak shaitan hai ek naapak rooh jo aajtak soyi huyi thi oose jaga diya oos ladki ne wohh tohh marri hi ab ooski naapak hasrat tum logo ke upar hai

Rohan : koi toh rasta hoga koi toh tarika hoga oosne baar baar mere dost pe hamla kiya kal shayad main hoo ya fhir koi aur iska koi toh upaay hoga

Baba : tariqa hai ek tariqa hai jo tumhare is dost ko maalum hai (alif ne rohan ki or dekha baba ka ishara ooske hi or tha) lekin main nahi keh paunga ki wohh aayegi aur hum oose oos talab mein dubo sakenge jiske paak paani se aur upar wale parvardigaar ke hukam se wohh oosi pal khatma ho jayegi ooska wajood mit jaayega wohh ye galti kabhi nahi karegi

Rohan : toh kya hum sabmilake oose yaha nahi laa sakte

Baba : murkho wali baat mat karo wohh ek rooh hai ek shaitann….aur tum chahe sau bhi kyu na ho? oose tum logo ko khatam karne mein ek waqt bhi nahi lagega ek waqt bhi nahi mujhe kuch sochne do sochne do mujhe

Itna kehte huye baba apne jagah pe baitke apni aankhe mund lete hai….hum sab chupchaap oonki or dekh rahe they…dheere dheere oos baba ka dhyaan oosi haveli ke paas aaya….jiska fhatak dheere dheere khul jata hai…fhir darwaja chrr chrr ki teekhi awaaz se khul gaya waha pari wohi kitaab jisske panne khule huye hai….aur oosmein bana who shaitan...fhir pureh all mein gunzti tahako ki awaaz…baba ki band aankhe jaise sehem si rahi thi…..aur theek oosi pal ho ho karti hawaao ka shorr khaamosh sard hawaa aur saamne saumyaa jo dheere dheere saamne ki or mudti hai

“agar tune mujhhee bulaane ki koshishhh kiii tohhh maar dungii sabkoo maarrr dunggiii….mujhhee sirrff alliff chahiyyee sirrff alifffff”……ekdum se baba ghabrateh uye aankhe khole hosh mein aaye..fhir oonhone hamari or dekha hum chupchaap oonhi ki or dekh rahe they

“ya all..ahhh aisa khauffnak chehra maine kabhi nahi dekhaa wohh oosi haveli mein hai oosi jagah”………ooski teheri aankhe hamari or thi…”aur oose tu chahiye sirf tu”……..baba ki ungli theek meri or thi…abtak main sirf khauff mein samaya hua tha par ab ghabrahat beichaini sabkuch dheere dheere jaane laga tha…job hi tha shayad iska kasoorwaar main hi hoo

Maine uthke khara ho gaya….aur theek oosi pal baba bhi…..”keh toh nahi sakta ki oose khatam kiya jaa payega bhi….woh kisi ke upar bhi sawaar ho sakti hai..ye le”……theek oosi pal oonhone kuch padhte huye apne haatho mein dum kiya aur fhir mutthi mein rakhke oose band kiya

Jab maine dheere dheere oos hath ko khola toh oosmein chamakti sone jaisi moti teen keel thi..jispe bare hi bareeqi se aaytein likhi huyi thi..”is surah-e-keel tujhe ooske seene mein dhasa dena hai iske gaadte hi ooski shaitani rooh chatpatake is duniya se hamesha hamesha ke liye dur ho jayegi par main yeh nahi keh sakta ki tu bachke aa bhi payega”…….ye baat sunke main khaamosh ho gaya dil ki dhadhkan bahut tez chalne lagi

Ritu mana karne lagi ki wohh mujhe maut ke munh mein jaane nahi degi….tabhi rohan ne mere haath se who keel le li…..aur oose ghurte huye apne zeb mein daal liya……”main oose marunga”……rohan ne kaha…par maine oose mana kiya main nahi chahta tha ki wohh apni jaan gawaah baithe…

Par rohan ne mujhe jhinjodhte huye kaha ki wohh mujhe maut ke daldal mein aise jaane nahi dega….ritu bhi mere saath thi….lekin maine ritu ko mana kiya chalne ko….oonmein se koi bhi nahi laut kea a payega oos shaitan ko maarna itna asan nahi tha…gaonwale seheme huye they….sirf yahi ek rasta tha…

Jald hi gaon se humne ruksat li..sab hamari or khauff nigaho se dekh rahe they jaise wohh humhe aakhribaar dekh rahe ho shayad iske baad hum waapis na laute…par ye kahin hadtak sach bhi tha…jald hi hamari gaadi sunsaan sadak pe chalte huye piche gaon chodh chuki thi…….sab gaon waale ikhatta hoke hamari gaadi ko haveli ke raaste jaate dekh rahe they…..”koi nahi lautega in mein se koi nahi”…….sarpanch ne apne logo ko dekhte huye kaha..ooske chehre pe khauff tha aur khaamoshi bhi

Jald hi hamari gaadi sunsaaan have like theek saamne thi….aaj yaha koi mauzud nahi tha….siwaay khaamoshi ke…..”aa gaye hum haveli”…….rohan ne gambhir awaaz mein kaha…hamari nigaah haveli ki or thi….ritu bhi sehemi dekh rahi thi oos haveli ko….aisa lag raha tha jaise wohh shaitan humhe hi apne paas aate dekh raha ho…

To be continued….

Kahani jaari rahegi is bhaag agle sesh mein…..this story will be continue till it’s last update of this last part…..which will post very soon
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #7 on: November 29, 2016, 10:16:14 AM »
PART – 5 (LAST UPDATE)

Sard tez hawaaye chal rahi thi…charo or jaise ek azeeb sa sannata tha…ek khaamoshi thi….suraj ka rang bhi fika sa parh raha tha…haveli ke charo taraf ki khaamoshiyo ko dekh maine ritu aur rohan ki or dekha…rohan ne apni gaadi ki dikki kholi aur oosmein se oos shaitan ko maarne ka saara saaman bahar nikaala…mere paas do keel thi jabki rohan ne ek rakha hua tha….oske gale mein jhulti om ki locket jise oosne apne haath mein lapait liya….hamari nigaaho mein gambhirta thi…ritu ekdum khauff se sehemi huyi thi oosne saumya ka wohh bhayanakar roop toh dekha hi tha…

Alif : ritu meri baat suno ab bhi waqt hai tum waapis chali jao…kuch bhi ho sakta hai…main tumhein khona nahi chahta hoo ritu (maine ritu ko samjhaate huye kaha)

Rohan : alif sahi keh raha hai ritu hum yaha maut ke munh mein ghusne ko jaa rahe hai…waapis aani ki koi guarantee nahi aur agar is shaitan ko maara nahi tohh ye ek ek karke hum sabko jaan se maar dega

Ritu : rohan alif plss tum log ye mat samjho ki main tum logo ko akela chodh dungi…alif bhi andar jaa raha hai aur mujhe nahi maalum ki aage kya hoga? Par main alif ko khona nahi chahti hoo main bhi saath chalungi it’s my final decision jo hoga dekha jaayega

Hum teeno khaamosh rahe..mera dil toh nahi tha par fhir bhi ritu adi rahi…fhatak ke kareeb aake rohan ne chain ki or dekha….waisi hi chain lagi thi jaisa chowkidar ne lagaya tha…aisa laga maano oos din se ye haveli band hi pari thi…rohan ne taale ki or dekha…aur apni gun nikaali…aur sidhe taale pe goli maari…dhach ekdum se goli lagte hi taala sahit chain bhi gate se sasarke gir pari

Rohan ne meri taraf dekha fhir dheere dheere fhatak kholne laga..dheere dheere fhatak chrr chrr ki teekhi awaaz ke sath gunzte huye khul gayi….main ritu ka haath pakre huye tha jabki gun liye rohan aage barh raha tha…..jald hi haveli ke darwaje ko humne dhakelke khol diya….ek teekhi awaaz ke sath darwaja bhi khaamoshi mein jaise gunzte huye khul gaya….pure hall mein darwaje khulne ki awaaz gunzi…haveli ab pehle se bhi zyada darawani lag rahi thi…andar ek azeeb si mehek sit hi..charo taraf mitti dhool lipate huye they…aisa lag raha tha jaise chodhke gaye they sabkuch waisa hi hai

Manhus haveli mein kadam rakhte hi mere dil ki dhadkane tez hoti gayi….rohan ne om ke locket ko charo taraf dikhate huye gun ko sambhaale rakha..hum sidiya charhte huye upar aaye…..ek ek kadam upar rakhte huye theek oon kamro ke paas jahan hum tehre huye they….rohan ne ek hi laat se darwaja khola…toh waha saara saaman bilkul waisa hi para hua tha….tasveerein waisi hi latki huyi thi purani cheezein bhi waisi hi bikhri huyi thi….makdi ki jaali ko hatate huye rohan ne oos bistar ki or gun rakhi jispe razaai rakhi huyi thi oosne jhat se oos razaai ko piche faika….lekin bistar pe koi mazud nahi tha

“ho na ho saumya aas paas hi hai…shayad dhoop ki roshni se chupi huyi hongi kahin…ya fhir hamare hi aane ka oose intezaar ho par wohh nikalegi zarur”…..rohan ne meri or dekhte huye kaha….ritu mujhe seheme huye pakadi huyi

Dheere dheere suraj dhalne laga par saumya ka koi naamo nishan nahi mil paa raha tha jaise wohh haveli se gaayab ho gayi thi…ab toh rohan ne bhi ooska wohh bhayankar roop mere ghar mein dekha tha oos waqt ooske dil pe kya beeti thi? Ye wohii janta tha…hum teeno kamre ke kone pe dubakke baithe huye they intezaar mein they oos shaitan ke….ki kab wohh saamne aane waali ho? aur kab hum oospe hamla kar de…

Na jaane kab dekhte hi dekhte hamari aankh lagne lagi aur pure haveli mein khaamoshi aur andhera chaane lagaa….kahin durr jungle janwaro ki awaazei naani shuru ho gayi…..tohh kahii kisi jungle siyaar ke rone ki awaaz…ekdum se rohan oon awaazo se jag utha….oosne meri aur ritu ki or dekha….oosne uthke bare hi ahetiyat se darwaje ki kundi kholi aur bahar jhaanka…hall aur baaki jagaho mein gupp andhera chaaya hua tha….ho ho karti hawaao ka shorr aa raaha tha…rohan bhi thoda sihamne laga tha par oosne apne dil ko mazbut kar liya tha…..

Oosne torch jalayi aur charo or fhiraayi tasveero pe purani jhummar aur lamps pe sidiyo pe…aur fhir niche hall mein…..theek oosi pal who jaise piche mudaa hi tha…kuch awaaz oose sunaai dene lagi…bahut hi kareeb se rohan ne ekdum se palatte huye gun oos or ki…ye awaaz theek bagal waale room se a rahi thi jahan kabhi wohh aur saumya tehre they….rohan dheere dheere oose kamre ki or jaane laga

Ek ek dheeme kadamo se….maathe pe pasina…gala sukh chukka tha….dheere dheere oosne kaanpte haatho se oos darwaje ko halka sa dhakela…..darwaja apne aap aadha khul gaya…ab awaaz ekdum saaf sunaai dene lagi thi…”ye toh kisi tape recorder ki awaz jaisi hai?”….rohan ek ek kadam andar barhaata hua kehta hai

Andar aate hi charo or andhera….lights jalane ki koshish ki..par lights jali nahi…achanak ooske haath apne aap gun uthaake oos or badh gaye..wohh awaaz theek bistar ke niche se aa rahi thi…aisa lag raha tha jaise koi gaana baj raha ho…..jaise oosne dheere dheere bistar ke kareeb jhaakna shuru kiya toh ek pal mein oose dikhaa…..ek tape recorder….”y.e to..hh s..aumyaa ka hai?”…..rohan ne oos tape recorder ko haatho mein thaam liya

“ye raatein nayi purani,
Aate aate jaate,
Kehti hai koi kahani,
Ye raatein…nayi purani
Aate aate jaate,
Kehti hai koi kahani,”……..oos puraane gaane ko sun rohan ne ekdum se tape recorder ko band karke oose bistar pe rakh diya……ooske mann mein ek hi sawaal umadne laga aakhir ye baja kaise? Oose kuch samajh nahi aa raha tha…

Achanak kisi ke aahat oose apne peeche mehsus huyi….rohan ne bina piche mude…ekdum se saans lena shuru kiya….piche koi nahi balki saumya hi oose gulabi nazaro se ghurrte huye muskura rahi thi….ooske nukile daant apne aap bahar nikal rahe they…..ekdum se rohan ne piche mudte huye om ka locket oos or kiya…lekin ye kyaa? Waha koi mazud nahi tha…

“hahahahha hahahahaha hahahaha”………tahaka lagati who awaaz pure haveli mein gunzne lagi…rohan charo or dekhne laga….ooski haatho mein pakdi gun kaanp rahi thi….aur achanak ooski nigaah apne upar lage aayene ki or pari…..aisa lag raha tha jaise saumya hi saamne khari ho….lekin jab oosne charo or dekha tohh waha koi nahi mazuud tha…par tahaka lagati saumya aayene mein khari hoke oose hi dekhen jaa rahi thi…ooski hassi ki awaaz se rohan ne apne kaano kasske band kar liya

“shut upp youuu b***h”…..ekdum se rohan ki goli sidhe aayene pe lagi dhacchh khanaak….sheesha tutte huye sidhe farsh pe bikhar gaya….achanak fhir ooski nigah dusir or huyi….kamre ke har aayene mein saumya khari thi…….rohan ne gusse mein tamtamate huye sab aayene pe goliya chala di…har shessha bikharta hua farsh pe gir gaya

Itne der mein alif ko awaaz sunaai di oosne fauran darwaja kholke bahar aaya...”rohhannn”……alif tabtalak kamrem ein ghusaa toh charo taraf tute bikhare cheezein thi aur ek taraf rohan haanfte huye chillaye jaa raha tha…..saumya ko gaali diye jaa raha tha

“rohan hosh mein aao rohan”……..rohan ekdum se haanfte huye alif ki or dekhta hai

“who shaitann hai oospe ye insaani cheezein kuch nahi ooska bigaad sakti”……….alif ne rohan ko shaant karte huye kaha

Oosi pal ritu zor se cheekhi…dono aanan faanan bhaagte huye dusre kamre ki taraf barhe….ritu ekdum se munh pe haath rakhke oos or dekh rahi thi….oos or saumya khari thi….saumya ko dekhte hi hum teeno thithak gaye….ritu ki bari bari nigaahe oose hi dekhen jaa rahi thi

“hahahahaha aa gaye tummm log ufff mujhhe tohh laga aliff tumm akele aaogeee parr tumm dono ne bhi aake sirff mujhhe gussa dilaayaa hai”……..rohan ooske roop ko dekhteh uye oospe om ka locket dikhata hai…saumya piche hone lagti hai….aisal ag raha tha jaise hawao mein wohh khari thi balcony ke theek upar ooske pao they

Ooski dahadhti awaaz se hamare kaan ke parde jaise phatne ko they…..rohan ne fauran oospe goli chala di…dhacchh goli sidhe saumya ke aar paar ho gayi ooske pait pe gehra zakhm ban gaya….leki ndekhte hi dekhte wohh zakhm bharne laga aur saumya ka khaufnak chehre pe hassi aa gayi…..”hahahaha mujhe marroge mujhee jo pehle se hi marr chukii hai maaro mujhhe rohaann maaro”…….ab dheere dheere saumyaa dohri awaaz mein bolte huye hamare kareeb aane lagi thi

Rohan ke haath ab bhi kaanp rahe they oosne theek oosi pal fhir oose om ka locket dikhaaya……oose dekhte hi saumya cheekhte huye piche hone lagi aur theek oosi pal oosne balcony se cheekhte huye chalang laga di….ritu cheekh uthi……..aur hum dono balcony se niche jhaanke…lekin saumya gaayab thi

“rohann wohh humhe jaanbhujhke bhatkane ki koshish kar rahi hai”……..rohan ne meri or dekha aur fhir meri baat ko sunaa

Rohan main aur ritu fhir se dheere dheere saumyaa ko dhundhne lagte hai……main sidiyo se niche utarta hoo…saath mein ritu bhi thi….aur rohan chatt ki or jaata hai…hamare haath pao bahut kaanp rahe they par raasta tohh kuch aisa hi tha….jaha maro ya maaro….ritu baar baar mere baazu ko kasske pakri huyi thi….rohan bhi upar taalash karte huye aage barh raha tha

Achanak oose kisi ki fhir aahat mehsus huyi…oosne fauran bhaagte huye oos or aaya…..ho ho karti hawao ka shor tuti huyi khidk ise andar aa raah tha…..rohan ki nigaah fhir piche ki or huyi….lekin apne khatre se bekhabar….jo oose maalum nahi….saumyaa chatt ki diwaaro pe chalte huye oosi ki or barh rahi thi

Achanak ooski nigaah theek saamne ke darwaje pe huyi….jo darwaja kaanp raha tha….rohan ne charo or dekha fhir oos darwaje ki or barhne laga…aur theek oosi pal oosne ek hi jhatke mein oos kaanpte darwaje pe haath rakha…toh kaanpna band sa ho gaya…..charo or gehra sannata aur khaamoshi chaayi huyi thi oosne dheere dheere oos darwaje ko jaise dhakela andar ki dhool mitti ooske chehre se takraayi ho…..rohan khaaste huye apen chehre ko ponchke fhir oos andhere kamre ki or dekhta hai….aur theek oosi pal oos behad azib si awaaz sunaai deti hai aur theek oosi pal chamgadaro ka jhund oospe tut parta hai

Rohan ekdum se cheekh uthta hai…aur oon chamgadro ko apne chehre se hatate huye fisal ke farsh pe gir jata hai….chamgadar tuti khidki se bahar nikal jaate hai..rohan sisakta hua apne chehre aur haath pe lagi kharocho ko dekhta hai.fhir uthne ki naakam koshish jaise karta hai theek oosi pal saumya ooske chaati pe charh jaati hai….”nahiiii nahii iaahhhh ahah”….rohan bhauklake chilla uthta hai

Saumya ooske dono haatho ko kasske jakad leti hai….oose hairani uthti hai ooski daayi haath mein rakhi locket gaayab hai….shayad chamgadaro ke hamle se ooska locket kahin dur gir jata hai…..oose ab apni maut nischint lagti hai…”nahiii nahiiii”…….is cheekh ko suntte hi main daudte huye sidiya charta hua upar aata hooo

Rohan : s..aumyaaa m..jujhhe chorrr dooo m..mainn to..hh tummmse pyaarr kartaa thhhaa fhir aakhirr kyu?

Saumyaa : hahahhaha ssssshhh mohabbattt meri mohabbatt tum nahii they rohhannn tumm nahiii hahahaha (ooski dohri tahaka lagati awaaz ko suntte hi rohan ko maalum ho jata hai ki ab ooska marna tayy ho chukka)

Aur theek oosi pal sidiya charhta hua main rohan ke gale se nikalti ek behad dardnaak cheekh k o sunke kaanp uthta hoo……aaaaaaaaaaaahhhhh…..wohh aisi bhayanak cheekh thi jo pure hall mein gunz uthti hai……”rohhhannn”………main daudhta hua upar aake jab dekhta hoo tohh aisa bhayanak drishya mere saamne hota hai jisse dekhke meri rooh kaanp uthti hai….

Logged
asif biswas
Guest
«Reply #8 on: November 29, 2016, 10:16:52 AM »

Rohan ke gardan se jab saumya apna chehra uthtati hai ooske chehre pe betahasha khoon laga hota hai ooske munh se khoon beh raha hota hai….”nahiiiii”…….main rohan ke kareeb jaanel agta hoot oh ek tez dhakka hawa kam ujhe fhir se piche ki or dhakel deta hai…..main uthtte huye paata hoot oh kareeb 2 haath dur om ka locket para hota hai

Oos om ke locket ko uthaake sidhe main saumya ke or barhta hoo jiske upar ekdum shaitan sawaar tha aur wohh ab bhi rohan ke nabz se ko kaantke ooska taaza khoon piye jaa rahi thi…ooski is bhookh ko dekhke mere raungte khare ho rahe they kaleja munh mein aa raha tha….aur theek oosi pal jaise hi om ke locket pe ooski nigaah huyi wohh chillate huye piche hone lagi oosne mujhe rokna chaha par ooske nukile haath sidhe om ko pakadte hi jalne lage…maans ki ek gandh jalti huyi mujhe mehsus huyi aur oosi pal ooske haath ke zakhm sen ikalta dhua…wohh dahadhti huyi andhere mein kahi gaayab ho gayi

Tabtalak meri nigaah rohan ki or gayi….rohan ke jismo ke har or gehra zakhm tha ooski aankhe waisi hi tehri huyi thi…..main rota hua ooske sar sehlaa raha tha…aaj mujhse mera dost dur ho chukka tha…oos shaitan ne mujhse mera dost cheen liya tha….theek oosi pal ritu ne bhi is bhayanak manzar ko dekha aur who wohii kaanp uthi

Oosne mera haath kasske pakra aur mujhe uthaate huye haveli se bahar le jaane lagi…..”chalo aliff yaha ruknaa theek nahii wohh humhe bhi maar degi aliff c’mon”…….maine rohan ke zeb se tabtalak oos keel ko apne paas rakh liya…ek baar rohan ki laash pe nigaah ki par oose dekhkar meri rooh kaanp rahi thi

Hum dono bhaagte huye haveli se bahar aaye….aur theek oosi pal gaadi ka darwaja kholke andar ghuse…aur gaadi start karne laga….aisa lag raha tha jaise wohh khaamosh raat kitni bhayankar ho jaise apni maut humhe ekdum nazdeek dikh si rahi thi…
Khub tez raftar se main gaadi haveli se dur le jaane laga tha…pure raaste

Ghana andhera chaaya hua tha….ritu subak rahi thi aur main khauff bhari nigaho se kaanp raha tha….achanak beech raaste mein gaadi rukne lagi….gaadi ko fhir shuru karna chaha par engine ne jaise jawaab de diya

“uff is gaadi ko kya hua? Alif ye sab kya ho raha hai?”……ritu baar baar piche mudke dekh rahi thi jaise oose darr sata raha tha ki abhis aumya hamara peecha karte huye yaha aa jaayegi……maine jaise hi darwaja khola engine ekdum garam tha….”ri..tuu paani ki zarurat hai”……”lekin hum yaha paani kahan se laayenge”……”paas mein ek nadi parta hai lekin thoda andar hai”……”nahi alif tum akele mat jao plzz mujhe darr lag raha hai”…….”theek hai aao mere sath”……gaadi hi hamara ek raasta tha nikalne ko…ritu mera haath pakre bahar aayi…raat kareeb 11 baj chuke they..charo or khaamoshiyo mein jo jhingur ki awaazein hoti hai wohh aa rahi thi…main dheere dheere jungle ke bheetar utara…ritu bhi saath mein thi…theek oosi pal paas mujhe nadi dikhi….”wohh dekho ritu nadi”……..ritu ne bhi nadi ko dekha aur hum dheere dheere oos or barhne lage

Achanak ho ho karti hawaao ka shorr barhne laga mausam jaise kharaab hone laga…..badal mein gargarahat shuru ho chuki thi…itni khaufnak raat mein akele jungle mein sirf hum do aur jo kuch ghata ooske baad se tohh dil ekdum beichain tha…jaldi jaldi kaanpte huye main pokhar ke paas gaya….aur nadi se paani lene laga…ritu kinaare mein khari thi…..paani pura bharke main jaise hi piche mudke ritu ko bola”chalo ritu”…oosi pal ritu waha se gaayab thi

“Rittuuuu rittuuuu”….ritu ka koi naamonishaan nahi tha..main ekdum se bhaukla gaya ritu ka naam baar baar pukarta gaya rittuuuu rittuuuuu…..par ritu kahi nahi dikh rahi thi mere dil ki dhadkan tez hone lagi….aur theek oosi pal ritu ki chekehhh..main jaise hi piche mudaa….nadi ke oos paar ritu ke gale daboche huye apne khaufnak chehre se saumya meri or dekh rahi thi ooske nukile daanto pe laga khoon aur gulabi khoon ugalti nigahein meri or thi….ritu khauff se ekdum chillaye jaa rahi thi jaise madad ki guhaar laga rahi ho mujhse…..main cheekhte huye sidhe nadi mein kud para….chalang lagate huye jaise taise oos or barh raha tha “saumyaa oose chodhh doo saumyaa rituuu”…….jabtak main waha pahucha toh kinaare se ritu gaayab thi…..rittuuu….main pukaarte huye apne pait ko pakre saans le raha tha…charo taraf ghupp andhera…kuch samajh nahi aa raha tha aakhir ye kya ho raha hai?...aur theek oosi pal ritu ki laash paani se bahar nikalke mere saamne tairne lagti hai….oose dekhte hi main kaanp uthta hoo….aur cheekhte chillate huye ooske laash ke paas pahuchta hoo

“rituu rittuu aankhe kholo aankhe kholo rituu rittuuu”….mera sab kuch cheen chukka tha ritu bhi maari jaa chuki thi…ooske gale se behta khoon aur wohii zakhm jaisa rohan ke gardan aur gale aur baaki jagaho pet ha….kitna socha tha humne apne liye par meri badkismati ne oose bhi mujhse cheen liya tha….ab mere zindagi ka jaise kuch raha hi na ho..oos shaitan ne mujhse mera sabkuch cheen liya tha

Main ekdum patthar ban sa gaya tha dil ka khauff shokhh mein tabdil ho chukka tha….dheere dheere barsaat shuru ho gayi charo or andhere mein gargarate aasman mein chamakti bijli aur ooski awaaz…ritu ke bejaan jism ko apne baazuo mein uthate huye jungle se bahar aaya…fhir oose gaadi ke piche rakhke ek baar socha…ooski khuli nigahe jaise meri or thi….maine ooske aankho ko haatho se band kar diya..main janta tha ab mujhe kya karna hai? Ab dono raaste sirf jaise maut tha mere

Maine gaadi ko start kiya….aur waapis haveli ki taraf oos khaamosh tufaani raat mein mod diya..charo taraf barsaat ho rahi thi….jald hi hum haveli ke theek saamne khare they…maine darwaja kholke ritu ki laash apne baazuo mein fhir thaami aur fhatak kholta hua andar daakhil hua…..jald hi main haveli ke bheetaraake khara tha…charo or maut ka sannata jaise chaaya hua tha…beech beech mein bijliya chamak uthti toh hall jagmaga jaata ooski roshni se…ritu ki laash ko haath mein liye main chillaya

“saumyaaa dekhooo saumyaaa main aa gayaa hooo aa gaya hoo tumhare paas ab jiske zindagi tumhein chahiye thi main le aaya hoo osoe saumya le aaya hoo khud ko aao saumyaa aao ab mujhe tumse koi khauff nahii aao saumya kar log apni khwahish puri tum kar lo apni khwahish puri”…….tabhi maine saaf dekha bijliyo ki beech beech ki roshni mein

Saumya ko utarte dekh…ooske chehre ki shaitani muskaan…”mujhe maalum tha tum zarur aaoge aliff aliff zarur aaoge”….ooski dohri awaaz sunte hi main chupchaap kahra tha…maine ritu ki bejaan jism ko farsh pe rakha aur ooski or barh gaya….oosne mere kareeb aake mere badan pe haath fhiraaya ooske nukile haatho ki kasmasahat mujhe jaise daraa si rahi thi

Saumya : aao alif aaj hum ek ho jaaye iskhaamosh raat ka mujhe behad intezaar tha behad aao alif (saumya mere haath ko pakade huye upar sidiya chadhte huye mujhe le jaane lagi)

Upar mere dost rohan ki laash ek or pari huyi thi mere aankho mein jaise aansu ghul gaye ho…khud ko jaise kurbaan karne jaa raha tha main…..dheere dheere saumya ne darwaja dhakela aur hum kamre mein aaye…”ab sirf tum aur main aur yehh khaamosh raatein hahahahaha”…….saumya ne sisakte huye apni dohri awaazm ien kaha…maano jaise ek shaitan apne shikar ko apne paas dekhte huye khush hota hai

Saumya ne mere shirt ko phaadh diya….aur mere badan pe naakhun se sehlate huye mujhe apni baahon mein jaise lipatal iya ho….ooski naapak jism se lipaatte hi mere rago mein jaise khoon khaul gaya ho…oosne mere peeth pe naakhun phairte huye meri or dekha aur oosi pal ooska khauffnak chehra mere saamne aa gaya….oos ugalti gulabi nigahe aur nukile daanto ko dekhke mere jaise raungte khare hone lage they wohh mere badan se aisi lipati huyi thi jaise kabhi chodhne nahi waali aur theek oosi pal hum bistar pe they…maine oose muskurake sidha laita diya…..aur ooske chehre ki or pyar bhari nigaho se dekhne laga…..ho ho karti hawaao ka shor itna tez ho gaya jaise tufaan umad raha ho

Saumya ne mere chehre ko kasske thaama aur theek oosi pal jaise hi ooske lab mere kareeb aate theek oosi pal maine ooske gardan ko kasske daboch liya…aur apni jeans ki jeb se keel nikaal li aur ooske seene pe rakh di saumyaa ko mauka bhi na mila aur maine fhir oospe sawaar hote huye apni aankhe mund li aur surah parhne laga…”nahiiiiiiiiiiii nahiiiiiiiiiiiiiii”……….suamyaa ki dahahdti cheekh ooske chahtapata jism mujhe dhakelne laga

Jaise puri haveli dehek uthi thi…….maine ayat al kursi ko parhna shuru kiya….aur khudak a naam leteh uye sidhe ooske chaati pe rakhii surah-e-keel ko apne hathode se ek jhatke mein thok diya oos pal mere rago mein gussa tha apne dost apno ko khone ka….oos waqt ritu aur rohan ki dardnak cheekh mere kaan mein gunzi thi…aur har thokne se keel ooske bejan jism mein dhasti chali gayi jisse gaara laal naapak khoon nikalne laga…….ab toh jaise saumya ka asal bhayankar roop mere saamne tha wohh jaise ekdum machli ki tarah tadap rahi thi ooski cheekh se sheeshe darwaje sab ek jhatke mein tutne lage..

Jaise is manhus haveli ko dard pahuch rahi ho….jhummar hilane lagi bistar kaanpne laga dharti jaise bhukamp mein kaapti hai theek waise hi oos shaitan ka ant ho raha tha….main ekdumse bistar uth khara hua aur ooske pait pe dusri keel jo rohan ne lit hi oose bh ibedardi se thokte huye ghusaa diya…ab saumya ke gale se dohri bhayankar awaaz dard ki aahh jaisi nikal rahi thi

Main khara ho chukka tha mere badan pe ooske naapak khoon lage huye they…aur jald hi saumyaa ka chehra jaise tezaab ki tarah galne laga…ooska pura sharer galne laga tha….ek azeeb gandi badbu pure mahoul mein gunz uthi…main apne chehre pe haath rakhke oos ghinone manzar ko dekh nahi paa raha tha
Jald hi ooski awaazein thamne lagi….aur oos shaitan ki laash apne aap galte huye jal uthi….ab sirf bistar pe aag hi aag thi….jald hi waha raakh tabdil ho gaya aur keel waise hi bistar ke upari aur niche ki or para hua tha…

Jald hi haveli se main bahar aaya baazuo mein ritu ki laash thi……ek baar maine nigaah haveli ki or ki jo ab khandar mein ban chukka tha jiski manhusiyat jaa chuki thi aur khuda ke fazal se who shaitaan maara jaa chukka tha….maine oos kitaab ko bhi jala diya jisne ye saari kahani shuru kit hi ooske jalte hi aisa laga maano jaise oos shaitan ka bhi ant ho gaya ho….dheere dheere andhera chatne laga raat dhal gaya subah ka saaya charo taraf failne laga….main ritu ki laash ko apni baazuo mein uthaaye sirf dukhi nigaho se chalta huaa raste ki or barh gaya kitne khush they hum?

Aur aaj sabkuch jaise mujhse cheen chukka tha…dost pyaar aur sabkuch…lekin dil mein ek khushi thi ki ab ye khaamosh raat mehez khaamosh hi rahegi..ab na hi koi shaitan waapis aayega aur naa hii kisi maasum ki jaan jaayegi

Alif baahon mein ritu  ki bejaan jism ko uthaaye bas raste ki or jaise jaane laga….piche chutt gayi wohh saari daastan mehez daastan banke

The end…..
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:11:44 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.204 seconds with 20 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer