Khauff - Ek saaya...(HORROR STORY)

by asif biswas on March 22, 2015, 01:01:23 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 17093 times)
asif biswas
Guest
Main nahi janta tha ki main kya kar raha hoo? Naa hi mujhe pata tha ki aage mere sath kya hoga?...Tez barsaat ho rahi thi...Badal garaz rahe they maano jaise badal hi baras parenge charo or bijli ki 1 second ki roshni aur fhir ghana andhera tez hawao ka shorr...In sab ke bawjud mere zehan mein jo tufaan chal raha tha wohh mujhe kisi aur khauff se rubaru karaa raha tha...Meri nigaah ek baar apne aapko gaadi mein mauzud paayi sheeshe ke lage hone ke baad hi ek azab sa khauff paida ho raha tha pura badan mein kaanta uth raha tha tharr tharr karke zabaan larkhara rahe they haath jo steering pe they kaanp rahe they achanak ek behad zordaar awaaz ke sath badal garza aur theek oosi pal mujhe apne saamne ke sheeshe se bahar ka nazara dekhne ko mila

Ek purana sa qabarstan beech beech mein bijali ki roshni mein purane qabar dekh sakta tha main...main theek qabarstan ke fatak ke bahar khara apni gaadi mein reh-reh ke oon baaton ko soch raha tha jo abhi kuch dair mein mujhe anjaam deni thi is beech meri nigaah apne piche wali sit pe rakhi oos band bori pe pari..Aur ek baar fhir mere zehan woh ghatna guzar gayi

Main dheere dheere gaadi se utara khichadh bhara rasta aur jagah behad sunsaan charo or kohra aur tez barsaat ke wajah se kuch na dikhayi de raha tha aur naa hi kisi ki mazudgi ka ahesas ho raha tha lekin dil itna dhak dhak kar raha tha ki mujhe samajh nahi aa raha tha ki kya karu? ek pal ko laga gaadi mein baithna chaha par jaise hi gadi mein baitha saamne ke rear view mirror pe oos bori ki or nazar daudi...nahii mujhe kisi bhi tarike se is kaam ko behad jaldi anjaam dena tha

Maine bina waqt zaaya kiye piche ka darwaja khola aur oos bhari bori ko ghasita hua zameen pe qabarstan ke paas aake ooska fatak khola...purana qabarstan suna tha 10 saal se is purane qabarstan mein koi nahi aata tha purani qabarein jo 100 saalo se bhi zyada purani thi...maine bori ko kisi tarah ghassitte huye andar laaya...aur fhir qabaro ke beech se ghassitte huye ek kone pe rakh dala...main buri tarah hapas raha tha aur sath hi sath khauff meri aankho mein aansu banke ghulte huye beh rahe they

Charo or nazar daudate hi dur hi ek chota sa qabar dikha...main oos qabar ke paas dheere dheere jaane laga jaise jaise paas jata hawao ka shorr mere kaano se hote huye guzarta aur theek oosi pal bijali kadakti aur badal ke garazan se main sehem uthta...jab main oos qabar ke paas gaya toh ek pal ke liye khauff se apne chehre pe hath rakh lia...kabhi laash nahi dekhi thi ek purani si kankal pari thi oosmein shayad jungli janwaro ne is qabar ko khod ke laash bahar nikaal di thi...agar is waqt mujhe koi dekh le toh shayad mujhe aafat gir uthe...lekin itni raat gaye is sunsaan wadi mein aayega kaun? maine dheere se bori ko oos qabar ke paas le jaake rakha..aur fhir dheere dheere apne kaanpte haatho se ooski dori kholi

Aur rassi ke kholne ke baad ek sar bahar nikalke zameen pe gir utha 28 saal ki ek khubsurat si jawan ladki jisne shayad kuch hi pal apne zindagi ke jiye they is tarah woh maut ke aagosh mein chali gayi ooske gale pe surkh laal nishan tha jo ooske marne ka kaaran bana tha..Bijali kadak uthi aur main apne thook ko ghontta hua seheme oos bejaan jism ko dekh raha tha jiski aankhe tehri huyi thi khuli huyi maine jhat se bina mauka gawaay bori se oos laash ko bahar nikala...jiska maine kuch dair pehle qatal kia tha  love9

Aankho se aansu ooske badan pe tapak tapak kar gir rahe they oose sahare se uthaate huye qabar mein dheere dheere daalna chaha..lekin tabhi geeli mitti ke kaaran mera pao fisala aur theek oosi pal woh lash fisalti huyi qabar mein jaa giri...main sehem utha aur dheere se uthke apne kapre ko jhaadhne laga...ooski aankhe ab bhi mujhe ghurr rahi thi ooska pura badan thanda pad chuka tha khoon ruk chuka tha..ooske khule baal bikhar se gaye they ooske gore badan par barsaat ki bundein oose geela kar rahi thi..maine bina kuch kahein apne aansu ponchte huye ulte pao kadam se gadi mein aaya..aur fawda liye fhir qabarstan mein dakhil hua aur oos qabar ke paas aaya woh ab bhi oosi haalat mein bejaan bani kisi murati ki tarah laiti huyi thi ooski aankhe khuli ki khuli thi ooske theek bagal mein pari oos sadi huyi kankal wali lash ke upar ooska ek haath para hua tha

Naa jaane oos waqt kyu mere dil mein itna dard dub raha tha..maine bori se oos safed kapre ko bahar nikala..aur fhir dheere se qabar mein utarke oos bejaan ladki ki lash ke sar ko dheere se uthaake safed chadar mein odha dia..aur fhir dheere dheere ooske pure badan ko oos safed chadar mein odha sa dia...ooske baad maine oose dono or se rassiyo se kasskar bandh dia..main nahi chahta tha ki kahin jungli janwar meri laash ko bhi aise na bahar nikal daale

Maine bina waqt zaaya kiye apni safed kafan mein lipati laash ko dekhke bahar aaya aur fhir tezi se mitti daalne laga khach khach sirf mitti mein faawde ki dhassne se woh awaz aa rahi thi...main bina idhar udhar dekhe oos laash ko dafna chuka tha aur jald hi mere saamne ek mitti se bhara qabar tha..

Maine apne zeb se oos gulaab ko nikala...jo shayad main ooske jeete ji dena chahta tha..maine dheere oos gulab ko qabar pe rakhkar ulte pao qabarstan se bahar nikal aaya purana sa fatak tha ooski kundi bhi jung se sadh gayi thi oose lagane ke baad maine gadi start ki aur bina qabarstan ki or dekhen ek hi raftar mein gadi ko waha se dur le gaya...aur khud se wada kia aaj ke baad naa ye manhus raat main yaad karunga aur naa hi apne oos kal ko apne aanewale kal pe haavi hone dungaa

Aur ooske baad woh raat dhal gayii...

4 YEARS LATERurake

Suhana wohh mausam tha...Hamari gaadi oon hari wadiyo ke beech chal rahi thi...sanjana baarbaar mera haath pakade mujhe kabhi bahar ki woh pahadh toh kabhi woh hari waadiya toh kabhi ghaaso pe charte woh bhedh dikake excited ho rahi thi hogi bhi kyu na? ye ooska pehla waqt aaya tha jab woh itne haseen sheher mein aayi thi...hum apne khubsurat aashiyane ki or jaa rahe they saamne driver baitha chupchaap aage rasta dekhte huye gaadi chala raha tha

Ye khubsurat sheher bristol kahin na kahin mujhe apni khubsurat wadiyo ki or kheench raha tha main apne haatho mein rakhi novel ko padhte padhte jab muskurake sanjana ki or dekha toh mujhse kafa thi maine muskurakar apni novel ko band karke rakha aur ooske kareeb aake nazakat se ooski or dekhne laga

Asif - kafa ho abhi bhi
Sanjana - nahi oh c'mon asif it's our first time and u r just pretending like that u came here before humhari ek nayi zindagi shruu hone wali hai aur tum bas idhar udhar ke haseen wadiyo ko chodhkar ye boring se novel padh rahe ho
Asif - hahaha kya karein? novel padhna toh meri purani aadat hai jab ek pal tha akelepan mein ek yahi sathi tha
Sanjana - bas basbahut shayari sunaa li yaar dekho toh kitni khubsurat jagah hai
Asif - haan hai zarur par apne paas waqt kaha kal se fhir office bhi join karna hai naye log naye musibatein naya desh
Sanjana - haan han tum bas wohi socho meri toh koi fikar hi nahi jaane do tumse behas nahikarungi

Abhi hum apni baaton mein khoye huye hi they ki itne mein driver ne hum dono ko suchit kia ki hamara naya ghar saamne hai...Hum dono jhukke oos cottage ki or dekhne lage kitna khubsurat cottage tha..."WAAHHH jagah ho toh aisi kyu sanjana?"....gaadi ke cottage ke saamne rukte hi maine kaha

"haan ab baat aayi samajh mein waise yaha aas paas bahut khubsurat view dekhne ko milega hey asif tumne itne dur veeran jaisi jagah mein cotage kaise le lia?".....Sanjana ne cottage ko ghurrte huye bola

Asif - bhai company ka problem tha saalo ne dhang ka quarter mein zyada deduction kaha toh maine socha kyu na koi cottage kharid loo
Sanjana - paise kahan se aaye asif? tumne mujhe bataya kyu nahi ki ye office se nahi mil raha ghar
Asif - batata toh toh meri chaand ki muskaan gayab ho jati aur waise bhi tumhare dad se help nahi lena chahta tha mere paas paise they toh ye shaandar ghar kharid lia
Sanjana - my god i can't believe this

Abhi hum apni baaton mein lage huye they ki itne mein driver ne bataya ki ghar ke piche side mein ek bara sa taalab hai..aur charo or koi bhi ghar nahi ye sheher se thodha out parta hai isliye yaha ka cost bhi mujhe kam laga..Sanjana bas is naye mahoul aur sheher se rubaru ho rahi thi khushi mann se woh cotaage ke andar ka zayeza le rahi thi...khair shifting ka zyada ko isaaman toh hamara tha nahi...isliye ghar ki shifting aur saaf safai ke intezam mein sanjana lag gayi main bhi ooski madad karne laga

Asal mein sanjana se yun milana ittefaq hi tha...jab oose pehli baar college mein dekha oos waqt meri mba final year mein tha...jab sanjana college ki teacher thi...oos roz milana ghap shap karna aur fhir sath mein kuch dair baithke coffeee peena yahi hamare mulaqat ka sisila ban gaya tha..ooski khubsurati mujhe apni or kheenchti thi...hamara rishta itna gehra ho jayega humhe pata na chala...pehle coffee aur ooske baad ek dusre ke ghar aana jaana dair raat phone pe baatein karna is beech maine apni sucessfull job career yaha banaa li thi...acchi khasi teft company mein job mil gaya...aur kuch hi salo mein mujhe itna fayeda hua apne kaam se ki industralist mein mujhe cheif officials banaya gaya...maine apne kamyabi se behad khush tha

Sanjana bhi m.ed karke delhi university ki professor toh thi hi jab mere naye plan ko oosne suna toh oose thodha gam hua main switzerland jaane wala tha...oosse dur hone wala tha sanjana ke dukh ko main dekh nahi sakta aur theek oosi din hi sanajan ke bina kahein ooske ghar jaake maine ooske papa se ooska haath maanga...sanjana isse ekdum surprised ho gayi....kafi sawalo jwab aur mba se bhi hard interview ke baad  ;)mujhe sanjana ke dil mein placement mil gayi sanjana ke papa bahut hi frank kisam ke they meri kamyabi aur pyar ko apne dharam aur nafrat jaisi cheezon ko daba chuke they

Aur theek oonke papa ke kahein anusar maine sanjana se hindu rivaz mein shaadi kar li aur fhir oosse niqaah bhi kia...mere ghar mein mera koi nahi tha naa hi sanjana ke kabhi is baat ka zikr ek akelepan mein main jeeta aaaya tha...jab sanjana mili toh zindagi mein maano jaise khoyi khushi laut aayi

"asif asif"....Ekdum se mera dhyaan apne beeti baaton se alag hoke sanajna ki or para
"Papa ka phone aaya tha puch rahe they ki hum theek se pahuche ki nahi bahut fikar kar rahe they".....Asif ne pyar se sanjana ke kandhe pe hath rakha
"ssshh sanjana it's ok woh tumhare dad hai fikar oonhein hogi hi ek gair mard ke hatho oonhone apni beti saunpi hai itna dur laaya hai tumhein maine tumhein khush rakhna meri zimmedari hai ok".....Maine sanjana ki aankho mein jhaanka ooske chehre ko haatho mein liye jald hi oose apne seene se laga lia

Jald hi suraj dhalne laga aur kab is hari bhari wadiyo mein andhera chaa gaya pata na chala...to be continued..

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
.....Real Horror Story..... by sweet_raabii in SMS , mobile & JOKES
Tehkhaana (Horror story) by asif biswas in General Stories
Raj mahal (horror story) by asif biswas in General Stories
Khooni qila (Horror story) by asif biswas in General Stories
AAFAT - A tale of horror (Horror story) by ASIF in General Stories « 1 2  All »
jeet jainam
Khaas Shayar
**

Rau: 237
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
60 days, 12 hours and 13 minutes.

my rule no type no life and ,i m happy single

Posts: 10150
Member Since: Dec 2012


View Profile WWW
«Reply #1 on: March 22, 2015, 06:26:16 PM »
 Feared. Feared. Feared. Feared.
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #2 on: March 23, 2015, 10:35:33 AM »
Feared. Feared. Feared. Feared.

:enjoy:
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #3 on: March 23, 2015, 11:12:39 AM »
Jald hi Andhera chaane laga...main aur sanjana dining table pe apna raat ka khaana khaa rahe they...ekdum khaamoshi chaayi huyi thi charo or..maine apna khaana khaa hi raha tha ekdum se sanjana ne muskurake mere novel ki tareef ki

Sanjana - hmmm dracula caves wow kitni baar padh li ise?
Asif - hahaha aadha hi padha hai bahut darawani kahani hai tum mat padhna kabhi mere absent mein warna darr jaogi
Sanjana - oh really main waise bhi nahi padhungi kyunki ye sab bhoot pisaach i don't believe all this aur waise bhi main sab cheezon se dur rehna chahti hoo
Asif - kyu tumhein darr lagta hai kya ?
Sanjana - hmmm waisa hi kuch
Asif - hahaha matlab tum darrti ho
Sanjana - toh ismein funny kya hai? khairr jaane do aur fhir kabse jaoge office?
Asif - hmm kal subah 6 baje hi nikal jaunga aur shayad aane mein raat ho jaaye ab nayi nayi naukri hai sifarish kar nahi sakta ki jaldi jaane de bahut bara firm hai saala aajtak maine boss ko nahi dekha khair chalo mujhe toh neend aa rahi hai shifting ke chakkar mein bahut thak gaya hoo
Sanjana - haan chalo mujhe bhi bahut neend aa rahi hai

Main kafi thak gaya tha isliye sidiyo se upar chadhta hua apne kamre mein aate hi pasht hoke bistar par chadar odhey lait gaya...kamre mein ghana andhera tha...kuch dair mein darwaje ke khulne ki awaaz huyi aur kisi ki aahat bistar par chadti mehsus huyi...ye sanjana thi jo ghar ka kaam khatam karke aayi huyi thi...main karwat badle jald hi neend ki aagosh mein dub gaya

Sanjana ne dheemein se jhukke mere kaan mein goodnight kaha aur khud bhi chadar odhey dusre or karwat liye sone lagi...raat kitna baj raha tha theek se nahi janta par bahar ki khaamoshi aur beech beech mein jungle se aate siyaar ki rone ki awaaz saaf mujhe sunaai de rahi thi..neend aankho mein chadh chuka tha...sanjana bhi gehri neend mein aa chuki thi

Ghar ke bahar andhera tha..aur beech beech mein jungle se aati oon jungli janwaro ki rone ki awaaz...achanak dekhta hoo ek thanda hawa badan se hoke guzara...maano se chehre pe aake laga..main ekdum sihar gaya...oos waqt mujhe behad garmi lag rahi thi aur ek pal mein hi thithurti thand lagne lagi..maine chadar apne chehre ke upar samait lia...aur fhir aankhe munde sone laga...woh hawaa mere kaano se hoke guzar rahi thi itni saaf hawa ki awaz sunai de rahi thi ki mujhe kuch samajh nahi aa raha tha

Bas aisa mehsus ho raha tha..ki koi hai jo theek mere saamne bistar ke kinare khara hai aur dheere dheere mere behad kareeb aa raha hai...ooski aahat sunte sunte mere andar na jaane kaisa kahuff paida hone laga wohh mere sirhaane mein aake khari ho gayi aur kuch hi pal mein dheere jhukkne lagi maano jaise ooska chehra ab mere chadar odhey chehre se chand fasla dur tha..kuch hi pal mein main ooska chehra dekhne wala tha saaf dikh raha tha ki ek white gown pehni ek aurat hai jiska rang ekdum safed aur jaise hi maine ooske bikhare baal dekhe toh ek pal ke liye meri saansein ruk gayi hath pao thanda ho gaya munh se awaaz nahi nikal rahi thi maano jaise kisi cheez ne mujhe pao se aur badan se bejaan kar dia tha main uth nahi paa raha tha

Aur kuch hi pal mein main khud mein himmat jutata hua ekdum se uth baitha..."aahhh nahii"....ekdum se mere munh se woh khauf se bhara shabd nikala..iske baad aur kuch nahi hua kyunki jo kuch main dekh raha tha woh mehez mere sapne ka tassavur tha mere theek saamne koi bhi mauzud nahi thi yakeenan naye ghar mein aane se ajnabi sa lagta hai par dheere dheere ooski aadat ho jati hai..maine apne chehre ke pasine ko ponchte huye sanjana ki or dekha jo gehri neend mein so rahi thi aur fhir oos sapne ko tassavar karne laga...uff kitna bhayanakar sapna tha...yakeenan ye sab novel padhne ka nateeja tha khair mujhe apne kaam pe zyada focus karna hoga warna kahin sanjana ko mera mazak udaane ka mauka na mil jaaye

Main turant chadar hataye niche utara...sidiyo se niche utarte waqt darr laga par jab charo or ghurraa..toh andhera sa tha...main turant tez kadmo se kitchen mein aaya aur fridge khola fridge ki roshni ekdum se aankh pari fhir maine paani ka botal lia aur fhir peene lagaa...tab jaakar jaan mein jaan aayi ek pal ko naa jaane kyu ? piche mudke dekhne ka mann hua...naa jaane kyu? aisa laga jaise koi piche khara hai ooska saaya ek baar nazar aaya

Mere haath ka botal kaanpne ko hua main gambhirta se gurrti nigaho se ekdum piche mudaa...naa koi bhi nahi hai...mujhe apni bewakufi pe bahut zyada hi gussa aaya..khidki se bahar jhaanka toh bas jhingur ki awaazein aur hawa se lehraate jungle ke woh bare bare paid hahaha yakeenan sanjana meri jagah hoti toh darrke maarein behosh ho jati...main wapis andar aaya ye sab dimag ka bhool tha warna bhoot palit kuch hota hai kya? main waapis jab andar apne kamre mein aaya toh paaya sanjana ekdum gehri neend mein hai is baar ooski karwat meri or thi...kitni maasum lag rahi thi woh? main chupchaap bistar par chadkar ooske kareeb aake lait gaya achanak ooska haath mere chaati pe aa gaya...woh mujhse simat rahi thi main samajhta tha neend mein bhi oose darr lagta hai

Aur jo meri haalat hi woh yakeenan kuch ooski hi tarah thi...maine dheere se ooske gaal par ek halka chumma lia aur oosse lipatake so gaya...kab neend ki aagosh mein duba aur kab raat dhal gayi pata na chala? agli subah angraai leke jab utha..toh sanjana ab bhi neend mein thi mujhe bhi neend aa rahi thi par office jaana behad zaruri tha pehla din bhi tha...maine sanjnaa ko bina uthaaye niche utara fridge se doodh nikaala nashta banayaa aur khaa peeke naaha dhoke tayyar hokar apni gadi mein sawaar hoke nikal gayaa

Main janta tha sanjana ko yun is anjaan desh mein akela chodhkar pure din ke liye oosse dur jaana yakeenan mujhe gawara nahi tha par nayi zindagi ki shuruwat har shadi shuda jode ko aise hi karni hoti hai humhari shaadi ko bas 2 mahina hi toh hua tha...aur in do mahino mein ek ek guzara pal meri aankho mein guzar sa gaya...aakhir sanjana ke liye hi toh main yaha itne dur aaya tha taaki oose khushiya de saku aur sanjana bhi ise samajh sakti thi

Pure din office ke kaamkaaj mein itna mashgool raha ki ek pal bhi sanjana ko call nahi kar saka...lunch ke time mein socha ek baar sanjana ko call kar loo...sanjana ko phone karte hi jhat se sanjana ne phone uthaya aur mujhpe baras pari main hasste huye oosse sorry maagne laga

Sanjana - tum chale gaye aur call bhi nahi kar rahe they pata hai maine tumhare mobile mein kitna call kia?
Asif - i am sorry sanjana par yaha ke log emotions nahi dekhte main thodha kaam mein busy tha bolo sab theek hai na
Sanjana - haan sab toh theek hai par yaha hamesha khaamoshi chaayi rehti hai kitna sannata hai yahan?
Asif - hahaha ab iski aadat daal lo kyunki itni khubsurat jagah humhe nahi milane wali chalo tumhein phone isliye kia ki koi bhi zarurat pare toh phone kar dena main market se saaman le aaunga aur haan agar koi bhi problem lage toh mujhe phone kar dena yaa emergency call number toh hai tumhein pata bas ok dear
Sanjana - tum kabtak aa jaoge?
Asif - 10 baje tak aa jaunga waise bhi 1-2 ghante ka rasta hai time toh lagega hi tabtalak tum ghumo bahar ka jaayeza lo ok
Sanjana - ok bye
Asif - bye love u

Sanjana ne phone receiver rakhkkar ekbaar gambhir hoke socha aur fhir muskaan bhare hi khaana banane lagi..jald hi shaam hone laga...sanjana dopahar se hi tv dekh rahi thi lekin oose mann nahi lag raha tha...achanak oosne socha kyu na bahar jaaya jaaye? aur wohh bahar nikal aayi...sanjana char oor dekhte dekhte kab ghar ke piche pahuch gayi pata nahi...ek bara sa taallab tha jismein dur batthak tair rahe they sanjana is drishya ko dekhke ekdum se khushmizaaz huyi wohh paas aayi aur tallab ke paani mein pao ki unglia daalne lagi....paani behad thanda tha sanjana wohi ghass pe baithke charo or dekhne lagi aur theek ooske baad jungle ke taraf jaane lagi

dhoop ki roshni mein itna khubsurat nazara pehle kabhi dekhne ko nahi mila tha...sanjana dheere dheere patli raaste se guzarte huye charo or dekhne lagi oose apni hi kadmo ki awaaz sunai de rahi thi fhir ooske mann mein kya aaya? ki wohh dobara ulte pao waapis jungle se bahar nikal aayi...ghar mein aake sanjana kaafi chalte chalte thak chuki thi...sanjana aankhe mundein sofey pe lait gayi...achanakkk sanjana ekdum se uth baithi...koi awaaz oose sunaai de rahi thi woh ek pal ke liye chaunk uthi aur dheere dheere niche sidiyo se utarne lagi...awaaz niche ke living room se aa rahi thi dheere dheere niche utarne ke baad sanjana ne chuppkar dekha toh awaaz kisi ki gungunati huyi thi sanjana sidiyo se utarte huye jaise hi darwaja kholke andar dekhne ko huyi toh oose behad darr lagaa..ek pal ke liye chaunk gayi

Music system se awaaz aa rahi thi ek gaana baj raha tha don't leave me alone...jise sunke sanjana gambhir hoke paas aayi oosne saaf dekha ki music system ka button daba hua hai...oosne ungli se jald hi button ko off kia aur chalta gaana band ho gaya sanjana jaanti thi ki asif ko gana sunne ka shouk hai par ye music system jise kal raat chedha bhi nahi kaise bajne lagaa...oose laga shayad shifting ke dauran button on hi reh gaya hoga aur plug fit karne se aisa hua...sanjana chup rahi aur fhir uthke darwaje se bahar nikal aayi achanak dheere dheere music system ka button ekdum se aafrupi tarike se apne aap dabne laga aur jald hi gaana fhir baj utha...

Don't leave me alone I know i can't escape the pain,It's Falling on me like the rain Don't leave me alone...is awaaz ko sunte hi ek jhatke mein sanjana wohi teher gayi aur ulte kadmo se waapis andar aayi wohi gaana bajein jaa raha tha oosne toh music system off kia tha toh fhir ye baj kaise raha hai? Sanjana ki nigaah oos button pe pari jo waise hi dabi huyi thi ooske dabne se wohi gaana baj raha tha sanjana ekdum kaanpte huye sehem uthi thook ooske gale se ghuntt gaya

"hahaha"...main khaana khaate huye sanjana ki or dekh raha tha...sanjana meri or ascharya bhari nigaho se dekh rahi thi

"tumhara kehne ka matlab is ghar mein koi bhoot hai? what rubbish? ab music system ka button kharab ho gaya hoga aur tumne plug nikala nahi hoga tum bhi na"....maine oos baat ko common lete huye kaha

Sanjana - asif main sach keh rahi hoo maine khud off kia tha aur woh baj kaise sakta hai? fhirse? yakeenan kuch gadbad hai
Asif - tumne kaha ki woh baja aur gaana khatam hone ke baad apne aap band ho gaya music system mein kuch gadbad ho gayi hogi mujhe theek karana hoga
Sanjana - ho sakta hai ki main galat hoo tum sahi?
Asif - hmmm ye novel ki kahaniya ye sab cheezein ek imaginative world se zyada kuch nahi hoti khair mujhe kal business trip ke liye 2 din tak bahar jaana parega tum reh logi
Sanjana - kya fhirse? oh my god ek din bhi nahi huaaur tum mujhse dur jaa rahe ho?
Asif - arre meri maa kaam hi aaya hai kuch aisa aur meeting hai important china aur baki desho ke bare ceo's ki baithak hai oosmein mujhe bhi shareek hona hai alright chalo pehle music system dekh leta hoo fhir repair man ko bula lunga
Sanjana - tumhare present mein hi bulana main kisi gair aadmi ko gharm ein bulana nahi chahti Tumare absent mein
Asif - hahaha accha theek hai baba jaisi meri begum ki khwahish
Sanjana - sada sukhi raho  Giggle

Main janta tha sanjana ke chehre pe ye muskaan dekhke mujhe khushi huyi ki ooske andar ka dar toh kam hua lekin ye baat azib thi off hone ke bawjud system kaam kaise kar sakta hai? maine turant music system ki jaanch ki toh paaya ki plug toh kabka diwar ke kone pe para hua hai plug ko uthaake oospe lagi dhool ko dekhke ekpal ke liye main khaamosh ho gaya ki ye kaise ho sakta hai? main chupchaap music system ke circuts ko nikaalke oose alag alag karke rakh dia tha taaki woh ab baj na sake jald hi raat dhalne lagi aur is chandni raat ki roshni sidha hamare kamre ke khidki se hamare bistar pe par rahi thi main saf taur se khud ko aur sanjana ko dekh sakta tha kamre mein charo taraf andhera jaise jaisa andhera badha waise hi ek azib si khauff fhirse haavi hone lagi


Logged
asif biswas
Guest
«Reply #4 on: March 25, 2015, 11:29:24 AM »
Aaj raat ka mausam bhi theek nahi tha...kafi dair tak badal garazte rahe....hawao ka shor sunai deta...jungle se aati bhayankar janwaro ki awaazein ek pal ko rom rom sihar deti...aisi sunsaan jagah mein rehna bhi jaldi koi nahi lena chahta....ho ho karti hawaao ka shorr jaise kaan ke aar se leke paar tak jaa raha tha itni saaf thi woh awaaz..aur achanak kadakte bijliyo ki gargarahat bhari awaaz uff pura badan sihar deti...ek ek second mein kamre mein khidki se bijli ki roshni pravesh kar rahi thi main aankhe mundein hi para huaa tha....aur sanjana mujhse lipati ekdum chippakar so rahi thi maano jaise ooska bhi badan kaanp sa raha  tha

Achanak tufaan itni zor se aane laga ki khidhkia bhi kaanpne lagi....darwaaje bhi kaanpne lage maano jaise koi darwaje aur khidkiya ek saath peet raha ho...maine uthna chaha..lekin sanjana ke mazbut haatho ne mujhe apne se kasske lipata lia..maano akele mein oose behad darr lag raha ho
main waise hi chupchaap laita raha..ho ho karti hawao ka shor ooski awaaz aisa lagta jaise koi ho ho bolte huye awaz nikal raha ho aur wohh bhi ek nahi naa jaane kitne sare log jaise ek sath tufaan mein kayi logo ki aatmaaye ho ho karti huyi awaz nikaal rahi ho....Aur fhir maine kuch nahi kia...bas oos tufaani raat mein aankhe munde apni sanjana ke sath paraa raha

Achanak khidki pe tapakte bundon ko dekh ek pal ke liye naa jaane kyu wohh anchaha khauff mere dil-o-dimaag pe chaane laga..Aur theek oosi pal main kab tassavur karte karte neend ki aagosh mein dub gaya...agle din jab neend khuli toh sanjana aaj uth gayi thi oosne kaha ki aaj office nahi jana...main thodha late ho gaya tha aur jaise hi phone lagake office mein ikhtila karna chaha

to pata chala ki kal raat ki tufaan se sadak blocked ho gayi hai aur kuch pahadi ilaako mein land slides bhi hua ye aayedin is sheher mein hota rehta hai...barfbaari tufaan aur earthquake aana yaha aam baat hai...mujhe khushi bhi thi ki chalo aaj apni sanjana ke sath waqt bita sakunga aur oosi lamhe ko sochte sochte main niche utara

Sanjana nashta bana chuki thi...aaj woh kaafi khubsurat bhi lag rahi thi "gudmorning"...sanjana ne halke se mere gaal pe kiss kia aur mere saamne baithke mere liye nashta lagane lagi

Asif - sanjana aaj chutti rasta block ho gaya hai saf hone mein ek do din lag jaayega aur kal hai sunday toh we have two days
Sanjana - oh my god bhagwan ka shukar hai chalo tumhein kuch toh mere liye time nikalne ko mauka mila...warna main is bhootiya bangle mein akele akele bhot banke aaj bhi dolti
Asif - arre meri jaan monday toh jaana hai na  trip pe fhir anyways ek baar kaam kaaj khatam ho jaaye ooske baad hum ghumne jaayenge

Abhi hum muskurake ek dusre se baatcheet karke nashta khaa hi rahe they ki itne mein khidki se bahar meri nigaah pari...dur jungle ka ek paid bahut lamba sa zameen pe gira hua tha aur khidki pe khicadh bhi lagi huyi thi

Asif - arre sanjana lagta hai paid gir gaya
Sanjana - haan kal raat bahut bara tufaan aaya tha uff mujhe toh laga ki kahin hamara koi nuksaan na ho jaaye main bahar gayi thi jab tum so rahe they ek bara sa paid gira para tha shayad bahut purana ho
Asif - ye jungle behad gehra hai naa jaane iske aage aur kya kya hai? waise ghar bechne waale ne kaha tha ki woh yaha kabhi raha nahi asal mein jiska ghar tha woh picnic manane ke taur pe yaha aata tha aur ab woh germany mein hai isliye ye ghar kharidne mein koi muskil nahi huyi haatho haath khaird lia aur kehte ye bhi hai ki ye jungle kaafi khatarnak bhi hai tum bachke raha karo koi saanp waanp!
Sanjana - haan asif mujhe saanp se bahut darr lagta hai tum fikar mat karo main safe rahungi
Asif - hmm (muskurake nashta karne laga achanak sanjana ne baat chedhi)

Sanjana - pata hai asif kal maine ek sapna dekhaa bahut bhayankar tha
Asif - kya dekh rahi thi sapne mein ?
Sanjana - dekh rahi thi ki ek qabrastan hai

Main abhi ek do nivala munh mein le hi raha tha ki itne mein sanjana ke munh se woh ooske sapne ke baarein mein sunke ek pal ko meri nigaah ooski taraf gad si gayi aur aankhe lagbhag gambhir ho gayi "fhir?"....maine gambhirta se bola

Sanjana - fhir ek aadmi aayaa aur wohh mere saamne hi ek laash ko dafnane laga ek khubsurat si aurat thi ufff ma..inn bol nahi paungiiii
Asif - kya? (ekdum se main chupchaap apne chehre ko ponchte huye ooski or dekhte huye kaha)
Sanjana - haan asif lekin main ooska chehra dekh nahi saki azib sa kapra pehna hua tha aur wohh ladki ooski aankhe khuli huyi thi aur wohh oosi shaks ki or dekh rahi thi
Asif - bas bas zyada dimaag pe in sab cheezon ko haavi mat karo
Sanjana - lekin maine bas itna hi dekha tum jaante ho iska kya matlab hota hai?

Main chupchaap apne chehre ko ponchte huye kabhi ooski nigaho ki or..toh kabhi apne nazarein jhukaaye chehre pe haath rakh raha tha...mujhe gambhir soch mein dekha sanjana ko bhi hairani huyi oosne mere haath pe haath rakha

Sanjana - asif is everything alright? tum darr gaye kya ?
Asif - hahaha nahi tohh wo..hh d..arassall i should make a phone call ki meeting monday ko fix hai ki nahi
Sanjana - but..t okk

Sanjana kuch aur keh paati main uthke apne kamre mein aa gaya...sanjana ko behad azib laga ki main aisa sehem kyu gaya? maano jaise main sabkuch janta hoo...par oosne mehez ise ittefaq samjha aur kaam ka pressure mujhpe socha

Maine oos baat ko aur aage nahi badhayaa aur naaa hi ooske sapne ke tassavur ke baarien mein oose aur kuch kaha naa hi baat uthayaa...pure din main sanjana ke sath raha hum dono ne khaana waana sath banayaa khaaye bhi sanjana ke kaamo mein ooski madad ki aur fhir taalab ke paas jaakar waha thode dair enjoy bhi kia..main sanjana ki tasveerein taalab se nikalti machli ko pakre pose mein le raha tha...jald hi shaam dhalne lagi

Hum dono ghar aake apni talaab se nikali machli khaaye aur fhir kuch dair tak ekdusre ke sath waqt bitate rahe...oos din sanajana ke insist pe main jungle bhi ooske sath gaya lekin jungli janwaro ki awaazein aur ghana jungle dekhke main thodha fikarmand bhi hua...lekin ye janne ko mila ki dusri or highway tha..jo sidha sheher se juda tha..sanjana ye dekhke behad khush huyi lekin maine oose aur gehre jungle mein jaane se mana kar dia

jungle mein bahut se khushbudar phool lage huye rang birange fhool jinhein sanjana tod todkar apne paas rakhne lagi..."waaqai asif jitna ye jungle dikhne mein sunsaan aur bhayanak lagta hai utne hi khubsurat wadia aur cheezein yaha pe"....sanjana chalte chalte bol rahi thi par meri zehan mein sanjana ka woh sapna ghum raha tha main itna fikarmand kyu tha? iski wajah byaan hone mein abhi waqt tha

2 din toh aise hi guzar gaya...aur kab hamara pyar bhara mahoul kam hua pata na chala..sonvar ki subah main apne business trip ke liye nikal gaya...sanjana mujhe vida kare kare wohi darwaje pe khari rahi..oose aaj yun akela chodhkar jaana mujhe nagwar guzar raha tha...office ke kaam kaaj mien na fursat thi aur naa hi chain leke ko saans hum out of city nikal gaye

Sanjana ko asif ko vida kiye shaam ho chuka tha..neend aaj bari hi dair se khuli sanjana oos music system wale hadse ko bhulaa chuki thi...aur jald hi nahane ke liye bathroom mein aayi...sanjana andar naha rahi thi oose hosh nahi tha ki bahar ke table pe rakha phone kabse baje jaa raha hai nal ki awaaz mein oose kuch sunaai nahi de raha tha woh gungunake naha rahi thi

Asif cabin mein baitha sanjana ko call pe call kiye jaa raha tha ooske dil mein naa jaane kaisa khauff paida ho raha tha? aur tabhi kareeb 2 call ke baad asif ko meethi si awaaz sunaai di lekin ye awaaz kaafi dheemi se boli ja rahi thi

sanjana - hello (ye sanjana ki awaaz thi par bari hi dheemi)
Asif - arre sanjana tumhein kabse phone kar raha hoo? ek baar bhi tumne jawab nahi dia waha sab theek toh hai na hello hello sanjana
Sanjana - tum kyu chale gaye asif? kyu chale gaye mujhe chodke in andhero mein jaante ho kitni barso se neend ki aagosh mein thi
Asif - hahaha kamaal hai sanjana kya yaar ? mere gusse ka tum mazak bana rahi ho aaccha thee..kk hai baba theek toh ho na? koi pareshani toh nahi huyi
Sanjana - akelepan mein kuch theek hota hai kya? haann bollo naa mujhe jab tumhari zarruat hoti hai tab tum mujhse dur chale jaate ho
Asif - hello sanjana tumehin hua kya hai yaar? aaj bara hi romance jaag raha hai
Sanjana - main tumhara intezaar kar rahi hoo jab tum aaoge toh main tumhein tumhari fav colour ke oosi white gown mein hungi ghar pe palake bichaye tumhare intezaar mein
Asif - dekho sanjana kahin aisa na ho ki main yaha reh na pau aur chala aau plss hahaha chalo meri jaan tum apna khyaal rakho i will definetely come soon bye
Sanjana - byee (iske sath hi wohh gunzti sanjana ki awaaz tham gayi)

Asif phone rakhkar apna kaam karne laga...oose bari hairani huyi ki sanjana ka bartaav itna zyada kaise badal gaya oose toh aisi baatein karne mein bari sharam aati thi..asif ko laag shayad sanajna apne dil-e-haal ko byaan karna chahti hai...asif chupchaap apna kaam karne laga

Sanjana jab bathroom se bahar nikali toh oosne apne geele badan ko ponchke kapre pehne jab woh table pe aayi toh oose apna mobile waise hi para mila...sanjana ne phone uthayaa..asif ke 2 missed calls aaye hue they...sanjana ne jaise hi calls list check karni chahi achanak ooske aankho mein jaise hairani si chaa gayi...received call mein sanjana ka number tha..jise 5:38 pe uthaya tha aur taariq bhi aaj ki thi

Sanjana - ye kaise ho sakta hai? maine toh asif ka aaj call hi nahi uthaya toh phir maine received kab kia main abhi asif ko phone karti hoo

sanjana - haan hello asif
Asif - haan sanjana bolo
Sanjana - tumne mujhe call kia
Asif - aur nahi toh kya? par main bahut khush hoo ki tum mujhe itna miss kar rahi ho i really love u so much
Sanjana - i love u too but aaj tumhein kya hua hai? mera phone received hua aur oos time main naha rahi thi
Asif - kya? kya bol rahi ho? tumhe hi phone uthaya abhi baat huyi hamare beech maine saaf tumhari awaaz suni uff tum na plss mazak karna band karo
Sanjana - par sach mein asif maine phone hi kab uthaya? tumne kisse baat ki?
Asif - tumse aur kisse? aur dekho mujhe ab aur tang mat karo kyunki agar main waha aaya toh tumhein bahut tang karunga accha chalo bye dear mujhe ek project tayar karna hai aur haan parso tak i will be there aur khaana wanaa khaake acche se locked karke so jaana
Sanjana - ohhkkk byee

Sanjana ko samajh nahi aa raha tha ki aakhir asif kya keh raha hai? oosne ek baar fhir received call kia last call asif ka thaaur phone bhi abhi kuch minuto pehle uthaaya gaya hai par sanjana ki awaaz asif ko kaise sunaai di? sanjana ko bahut hi azib lagaa..oosne ek baar ghar ke andar charo or ghumkar waapis kamre mein aayi aakhir ye sab kya ho raha hai? oos din music system ka apne aap on ho jaana gaana bajna wohi ek hi gaana aur aaj asif ka sanjana se baat karna jabki woh bathroom mein thi sanjana ko kuch samajh nahi aa raha tha..aur wohh chupchaap mobile ko ghurr ghurrke dekh rahi thi toh kabhi apne vatavaran ke charo or maano jaise oose aisa lag raha tha ki koi hai jo oospe nazar rakha hua hai...koi hai jo sanjana ko daraa raha hai jab sanjana ne insab baaton ko apne zehan mein laaya toh ek pal ke liye hartaf ki khaamoshi ooska khauff banne lagi...to be continued..
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #5 on: March 25, 2015, 05:32:17 PM »
Guyz apne keemati comments pls dete rahe :declare:
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #6 on: March 27, 2015, 09:45:33 AM »
Jaise jaise dopahar badh rahi thi...sanjana bahut zyada pareshan hone lagi thi..abhi kuch dair pehle jo asif ne sanjana ko bataya aur jo phone pe received call ke details oosne padhe oosse saaf zaahir tha ki kisi ne phone uthaya aur kareeb 5 min tak oosne asif se baat ki...sanjana ki awaaz kuch samajh nahi aa raha tha khud sanjana ko...kya koi mauzud tha oos waqt? ya fhir asif koi mazaak kar raha hai? sochte sochte kab oosne asif ke novel ko padhna shuru kia pata na chala...suraj jald hi dhalne laga aur sath hi sath sanjana ki aankhe bhi bhaari hone lagi..palak jhapakate jhapkate kab wohh gehri neend ki aagosh mein bistar pe lait gayi aur kitab kab hatho se chutkar ooske chehre ke paas gir gaya pata na chala

Jald hi suraj ke dhalte hi mausam ka mizaaz badalne laga...ho ho karti hawaao ka shorr badhne laga...aur jald hi badal garazne lagaa...Sanjana karwat badalke sone ki koshish karne lagi...achanak wohh saaya dheere dheere darwaaje ke paas aaya...aur oosne bare hi zordaar tarike se darwaaje ko pita..dhadh dhadh..Sanjana ekdum se uth baithi...is baar ooske aankho mein khauff tha..DHADH DHADH..koi darwaaje ko buri tarike se peet raha tha maano jaise andar aane ke liye kitna bechain ho? Sanjana chadar chodhey mausam ko dekhke hairan si huyi

Sanjana - arre itne tufani barsaat mein kaun ho sakta hai? (theek oosi pal badal garza aur sanjana gambhirta se sidiyo se niche utarne lagi)

beech beech mein bijliya kadhak uthti..jald hi sanjana darwaaje ke paas aayi...darwaja ab koi halke halke se dhakel raha tha...sanjana thodhi sehem uthi...sanjana thodhi sehemte huye keyhole se bahar jhankti hai...lekin ooska darr tab aur oospe haavi hota hai jab bahar oose koi khara nahi milta..achanak hawa ka ek jhonkha dhool ooske aankho mein padta hai sanjana ekdum se aankhe masalte huye karha uthti hai aur fhir paas ke hi nal ko chalake ooske paani se apni aankho ko dhoti hai

Sanjana - azib baat hai? bahar koi mauzud nahi shayad hawa se hi ye darwaja hil raha hoga mujhe aisi haalat mein kamre mein hi rehna chahiye (ekdum se badal garzi aur sanjana dabe pao waapis sidiyo se upar chadhne lagi lekin jo haadse ooske sath pichle do dino se ho rahe they oose woh nakar nahi sakti baar baar oosi ka khauff oose daraa raha tha)

Jald hi kamr emein aake oosne darwaja lagaya aur theek oosi waqt..ekdum se chrr chrr karta huaa ghar ka darwaja khulne laga...aur fhir ekdum se bari hi teekhi awaz ke sath darwaja band ho gaya..kisi ki kadmo ki awaaz sunaai de rahi thi..jo jald hi sidiyo par chadta hua upar hi aa raha tha...sanjana badal ki gargarahat aur hawao ke shorr mein razaai odhke lait gayi...wohh saaya jald hi kamre ke theek saamne khara hua aur jald hi kamre ka darwaja khulne laga adha khula hi tha ki saamne sanjana ko bistar par karwat badle soye dekh koi ghurra raha tha...ooski bhari saanson ki awaaz mahoul ko aur sehemaa rahi thi aur sath hi bijali ki gargarahat ke sath wohh saaya dheere dheere andar aata hai

Woh bas kuch hi faslo se sanjana se dur tha...sanjana ekdum se karwat modey jaise hi ooski or laitti hai ooski aankhe ab bhi band hoti hai...wohh saaya ek baar rukkke ekdum se sanjana ke chehre ke kareeb khara ho jata hai aur dheere se jhukke ooske chehre ko baariqi se dekhne lagta hai achanak...sanjana ko kisi ki thandi saansein apne chehre pe mehsus hoti hai aur wohh jaisi ekdum se kaanpke uthti hai...toh bijli khadak uthti hai...

Sanjana - aahhh ufff ohhh my godd (apne chati ko sehlate huye)

Sanjana ne charo or ghuraa..is baar oose kaafi darr lag raha tha...ooska gala sukh gaya tha...koi tha jo oos waqt ooske sirhaane mein khara hua aur theek oosi pal ooske chehre pe kisi ki saansein mehsus huyi thi..sanjana uthke darwaja kholke ek baar niche jhaankti hai koi nahi tha..sanjana bistr par baith jati hai aur paas rakhi novel ko band karke drawer mein rakh deti hai...lekin ooski soch se wohh waqiya hat nahi raha tha..kya ye mehez ek sapna tha? shayad oose yakeenan koi khwab hi dekha hoga..aur waise bhi oosne kuch zyada hisoch lia tha apne mann se jhagadte huye sanjana uthke raat ka khaana banane ke liye kitchen mein chali gayii

Lekkn ooski nigaah palang ke theek paas pare oos paani lage pao ke nishano pe nahi pari...jo har fasle pe bana hua tha maano jaise koi nange pao geele kadmo se andar aaya ho...

Andhera hote hote mausam bhi tham jata hai...sanjana tv dekh rahi thi achanak ekdum se woh sehem uthi paas rakhaa phone baj utha...Sanjana ne phone uthayaa asif tha

"kya keh rahi ho? tumhein fhirse kisi ki mauzudgi i mean koi kamre mein tumhare sirhaane ke paas khara tha? hahaha u must be joking i told u wohh novel nahi padhna ye sab oosi ke side effect hai"....asif manne ko tayyar nahi tha

"arre asif yakeen karo trust me maine khud kisi ke kadmo ki awaz suni aur fhir kisi ko khara paaya par main oose dekh nahi sakti asif mujhe bahut darr lag raha hai tum pls jaldi aa jao oos waqt darwaje ko bhi koi peet raha tha.".....Sanjana ne asif ko samjhaate huye kaha

"Dekho sanjana ya toh ye sirf mehez tumhara bharam hai ya fhir ho sakta hai ki hawa se shayad tufan mein toh aksar darwaje aur khidkiya kadhakne lagte hai ismein bari baat kya hai? dekho tum horror movies mat dekhna aur pls zyada is barein mein mat socho"....Asif ki baat ko haar maanke sanjana ko manna para

Sanjana ne thodhe dair baat karke phone cut kar dia...sanjana chupchaap tv dekhne lagi...jald hi raat 12 baj gaya...aadhi raat ka waqt ullu ki awaaz...aaj vatavaran kaafi shant tha..sanjana fridge se botal leke paani pe hi rahi thi ki achanak ooski nigaah farsh ki or pari...oose farsh pe kuch daraar sa laga...sanjana ekdum se daudke woh daraar dekhne lagi maano jaise wohh daraar darwaje ki tarah bana tha...sanjana samajh nahi paa rahi thi oosne ek chota sa surang dekha jispe haath daalte huye wohh thodhi sehemi par jald hi oosne oose puri taqat se uthaane ki koshish ki...lekin ye kya? ye toh koi khufiya darwaja tha jo farsh pe bana hua tha sanjana ekdum se hairan ho uthi aur oosne zor lagake darwaje ko uthaake dusri taraf faik dia

Dhadh andhere bhari oos surang mein jaise woh awazz gunz uthi...sanjana ekdum hairan ho uthi aur oosne theek oosi pal...torch laaya andar jhaanka...oose darr bhi laga ki andar kya ho? itne bare mansion mein ye kaisa surang bana hua tha? sanjana ne jaise hi torch maara toh niche utarne ke liye kuch sidiya thi..dhool se sani...oosne dheere dheere nange hi niche pao rakhna shuru kar dia..aur jaise hi ooske aakhri kadam zameen se takraaye toh oose thoss sa laga...yani ghar ke niche ek gupt surang tha jo shayad kayi din ya saal se band ho? sanjana ko in sab cheezo mein kuch zyada hi dilchaspi thi aur aaj ooski dilchaspi had se zyada badh chuki thi oosne charo or dekha

Charo or mitti aur dhool mein makdi ke jaal aur tute kuch kursi aur auzaar they...bahut hi ganda kamra tha....aur jald hi ooski nigaah saamne ki or pari..saamne jaate jaate oose ek diwaar mein lagi almirah jaisa kuch dikha...aur tabhi koi cheez ooske pao par chad gai sanjana cheekh uthi awaaz gunz gayi aur chuha pao se utarke bhaag gaya...sanjana ekdum se seene ko pakre saans lene lagi...oosne fhir charo or dekha aur bare hi dhere se oos almirah ko khola thodhe se hi dabav mein almirah ka darwaja khul gaya mitti mein sani kuch kitaabein thi...aur ek baksa tha

Sanjana - azib baat hai ye kya ho sakta hai? asif ne mujhe kabhi aisa kuch nahi bataya ki hamare ghar mein ek surang bhi hai shayad oose pata na ho

Sanjana ne fauran oos bakse ko jaise uthana chaha oose nikalte cockroaches ko dekhke oose faikh dia...bakse ka munh khul gaya aur theek oosi pal ooske andar ki cheezein bahar nikal aayi...sanjana ekdum se hairan ho uthi..ye sab? ladki ke kapre...kuch undergarments aur ek khubsurat si nighty thi jo bare hi acche haalat mein thi sanjana ne oon kapro ko jhaada oospe ek bhi mitti nahi thi bare hi salihat se jisne bhi rakha tha ooski daad di sanjana ne

Achanak oosne bra aur undergarments ko ek kone pe rakh dia..aur jald hi ooski nigaah theek saamne ki or pari...sanjana ekdum se hairan huyi kiis ki tasveer thi...sanjana ne torch lia aur kaanpte huye oos tasveer ki or badhi..oosne bare hi jaldi jaldi ooske dhool ko haatho se poncha aur makdi ki jaal ko hataya...aur jab oos saaf tasveer ko sanjana ne dekha toh ooske rom rom mein maano jaisa kaanta uth gaya...sanjana ekdum se bhaukla uthi y..ee nahii ho sakta yeee..mumkinn nahii? to be continued...
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #7 on: March 29, 2015, 12:20:42 PM »
Sanjana kaanp uthi thi ooska chehra ekpal ke liye patthar jaisa ban gaya...aankhe waise hi khuli ki khuli reh gayi thi dil ki dhadhkan maano jaise ruk si gayi ho..sanjana ekdum bhauklake do kadam piche ho uthi aur oosne apne munh pe hairani bhare awaz se haath rakh lia...saamne tasveer pe ek khubsurat ladki ki tasveer thi lambe kaale ghane baal,gora safed chehre aankho ke kataav kuch is tarah they ki ooske khubsurati pe koi bhi mar mite...aankho mein lagi kajal laal surkh honth ye saaf tha ki wohh koi angrez thi lekin sanjana waise ki waisi tehri oos chehre se apni nazar hata nahi paa rahi thi..maano jaise khud hi ko aayene mein dekh rahi ho...ye koi aur nahi sanjana ki hi ek humshakal ladki thi...lekin thodhi si chehre ki banavat aur kuch cheezein sanjana se mel nahi khaa rahi thi

Sanjana - y..ee kaisse ho sakta hai? m..maine kab ye tasveer khichwaiii aur ye kapre? ye jagah main toh isse pehle kabhi bhi foreign nahi aayi...aakhir ye sab ho kya raha hai? mujhe asif ko batana hoga...m..ujhhe samajh nahi aa raha...

Achanak sanjana ki nazar abhi tasveer se hati nahi thi ki itne mein ooska pao galti se paas rakhke oose kaggar pe lag gaya...sanjana dard se cheekh uthi aur wohi dum sandke pao ko sehlaane lagi...oose chot aayi thi...achanak ooski nigaah jaise saamne ki or huyi oosne dekha ki ek kone pe farsh pe kuch cd's pari hai...Sanjana ye dekhke ekdum khaamosh ho uthi..sanjana uthkar dheere dheere bare hi itminaan se oos cd ko uthaake idhar udhar dekhne lagi..CD pe likhaa tha "my love" sanjana ko kuch samajh nahi aa raha tha oosne cd uthaayi aur ek baar fhir tasveer ki or dekhte huye paas rakhe oon bra aur undergarments ko bakse mein bharkar aur woh cds lekar bahar nikal aayi...bahar ki taazi garmi se woh pasine pasine ho uthi jabki basement mein ek thandi hawa ka ahesas laga tha..sanjana ne jhat se oos darwaje ko puri taqat se uthaake dusri or faikkar oose band kar dia...

sanjana phone lagane lagi...lekin number network se bahar bataya jaa raha tha...sanjana ko kisitarike se ek aur din tak rukna tha asif ke aate hi wohh ye sab jaan sakti thi...lekin oose baar baar wohi tasveer khud ka chehra yaad aa raha tha..achanak sanjana ne ek cd uthaya aur oosse cd nikaalke dvd player mein daal dia..aur jald hi oose on kia

Player loading kar raha tha...sanjana ki aankhe aane wale drishya ko dekhne ke liye kathor si ho gayi thi ye ab aaya ki tab aaya lekin tabhi achanak se light chali gayi..tv band ho gaya aur sath hi sath sare kamre ki lights bhi bhuj si gayi..ab toh sanjana ka darr ke maarein bura haal hone laga..oosne fauran cds aur oos bakse ko living room ke paas bani drawer mein daal dia...aur idhar udhar dekhne lagi...andhere mein kuch dikhaayi nahi de raha tha...sanjana dheere dheere paas rakhi torch ko uthaake jalane lagi

Sanjana - uff ye kya? isshh iski bhi battery abhi khatam honi thi uff ab kya karu? ek kaam karti hoo kitchen se hi mombati jala leti hoo

Sanjana kitchen jaake andhere mein hi khidki khol deti...chand ki roshni mein ho ho karti thandi hawaye jab sanjana ko apne upar mehsus hoti hai toh wohh thodha kaanp uthti hai aur fhir paas rakhke mombatti ko jala leti hai..mombatti ke jalate hi ooski lau se pura kamra roshandan ho jata hai..achanak oose aisa lagta hai maano jaise chulhe ke theek paas koi khara hai..achanak se mombatti liye sanjana oos or ghumti hai...naa koi nahi..sanjana gale se thook ghontte huye bahar nikalke aati hai bahar aake wohh dusri mombatti jala leti hai...aur dheere dheere sidiyo se upar aane lagti hai...achanak mombatti apne aap bhuj jati hai...sanjana ekdum se wohi thithakar mombatti ki or dekhti hai..."arre ye kaise bhuj gaya?"...sanjana soch nahi pati...woh fhir utarkar mombatti ko jalati hai

Mombatti fhirse jalne lagti hai aur ooski lau phadhpadhane lagti hai sanjana jaise hi do kadam sidiyo pe rakhegi ki itne mein...mombatti fhir bhuj jati hai..sanjana ekdum se darr jaati hai...achanak oose khidki ke khulne aur band hone ki awaaz aati hai...sanjana mombatti ko dekhte dekhte kaanpte huye kitchen mein aake rasoighar ki hawa se khulti band hoti khidki ko fauran band kar deti hai...charo or khamoshi chaayi huyi thi...sanjana ka pasina pasina chutt raha tha woh fhir mombatti liye bahar aati hai..aur dheere dheere living room mein rakhi mombatti ko jalake waapis sidiyo se upar chali jati hai...ek baar wohh jhankkar dekhti hai lekin is baar mombati ki lau jal rahi thi...sanjana upar chali jati hai aur isi ke sath mombatii ki lau fhirse phadhpadhane lagti hai
aur saamne ke aayene mein wohh aankhe mombatti ki lau ko ghurr rahi thi jise byan karna aasan nahi tha

Jald hi sanjana ne ghari ki or dekha kafi dair ho chuki thi lekin naa toh light aayi aur naa hi kuch pata chal paa raha tha...wohh baar baar oos gupt kamre ke baarein soch rahi thi wohh cds wohh chehra sanjana aaj biklul hairan ho uthi thi...raat ke kareeb 1 baj chuka tha...lekin neend aankho se koso dur thi baar baar wohi khyala jaise zehan mein gote lag raha tha...sanjana ekdum se uth khari huyi oosne saaf sunaa kisi ki kadmo ki awaaz..sanjana khauff se sehem uthi...woh awaaz dheere dheere kadmo se kamre ki is or toh kabhi dusri or jaa raha tha...sanjana ke pair ladkadhane lage oose saaf sunaai de raha tha...achanak wohh dheere dheere palang pe jaake lait gayi...shayad oose wehem lag raha tha

Lekin nahi woh saaf sun sakti thi oosne dheere se takiye pe kaan lagaya aur oos awaaz ko suna wohh kadmo ki awaaz dheere dheere ab sidiyo pe chad raha tha...kahinn koi chor toh nahi..sanjana akeli oose ye baat jante huye khauff sa mehsus hua..sanjana kaanpte huye uth baithi...awaz ekdum saaf sunai de rahi thi kisi ke bhari kadmo ki awaz jaise ek pao dheere se rakhke dusra pao dheere se rakh raha tha..bahut hi dheemi gati se woh sidiyo pe bhari pair liye chad raha tha..sanjana pasine pasine ho rahi thi aur ek toh roshni nahi...sanjana ekdum se uth khari huyi aur dheere dheere darwaje ke kareeb badhne lagi "kaun hai kaun hai wahan?"....sanjana ne himmat jutaake kaha

Lekin kisi ka jawab na mila...abhi do kadam hi sanjana aage gayi ki darwaja apne aap teekhi awaaz ke sath khulne laga..chr chrr karte huye darwaje ke khulte hi sanjana ekdum se thithak gayi aur ulte pao piche hone lagi...darwaja dheere dheere khulne laga sanjana ne darr ke maarein ek kone pe khud ko chupaa lia oose laga ki wohh saamne ke bhayanak manzar ko dekh nahi sakegi..lekin tabhi jab oosne kisi ko na andar aate paaya..toh wohh ek pal ke liye khaamoshi se waise hi darwaje ke kareeb jhaankne lagi...shayad hawa se darwaja khula tha..sanjana ke jaan mein jaan ayi..aur waise bhi andhere mein itni raat gaye locked ghar mein kaun aa sakta tha? sanjana ekdum se uthke darwaaja se bahar jhaankti hai mombati ki roshni ab bhi jal rahi thi koi nahi tha..sanjana ne ekdum se darwaja lagake jaise hi saamne ki or mudii..achanak oose apne gardan pe kisi ki thandi saans ka ahesas hua

Sanjana dheere dheere palatne ko huyi..aur jaise jaise wohh palatne lagi..ooski aankhe khauff se bhari ho uthi..aur jaise jaise sanjana piche mudti hai..ooski saansein tez hone lagti hai..aur theek oosi pal piche ke manzar ko dekhke wohh ekdum se khauff se chillaa uthti hai aaaahhhhhhhh...wohh awaaz pure mansion mein gunz uthti hai..aur fhir khamoshi chaa jati hai...sannate aur is veeran bhare ilaake mein sabkuch pehle ki tarah ho jata hai...

Agle din suraj ke purab se nikalte nikalte woh gaadi oosi mansion ke kareeb aake ruk jati hai...asif jaldi se gadi se nikalke driver ko vida karke apne ghar ki taraf badhta hai...gadi waapis sheher ke raaste chali jati hai..asif charo or ki chidiya ki awaz aur lehrate paido ko dekhte huye darwaje pe aake dastak deta hai "sanjana sanjana sanjana dekho main aa gaya...sanjanaaa so rahi hai kya arre sanjana? sanjana?"....awaaz dene ke baad bawjud koi darwaja nahi kholta asif ko thodha fikar hota hai...asif fhirse darwaje ko zorse knock karta hai par naa andar oose koi bhi jawab tak nahi milata na hi kisi aahat sunai deti hai

Asif ka mann maano bechain ho jata hai..darwaja bhi locked sanjana aakhir jaa kahan sakti hai? wohh ek baar taalab ke kareeb jaake dekhta hai waha bhi koi nahi...jungle sanjana jaa nahi sakti oose akele darr lagta hai..toh fhir...jab sanjana darwaja nahi kholti toh asif ko fikar hone lagti hai wohh zor zor se dastak deta hai mann mein uthte kayi tarah ke tufano se wohh sehem uthta hai sanjana ke aakhri baar bhi darwaja na kholne pe haarke asif darwaje ko apne duplicate key se khol deta hai aur fhir andar aake sanjana ko pukarne lagta hai

Asif - sanjana sanjana are u here? snajanaaa ohh c'mon sanjanaaa jawab do sanjana kahan ho tum? (asif bhagta hua charo or dekhte dekhte jald hi sidiyo se upar chadke pahuchta hai)

Asif jaise hi darwaja kholta hai "sanjan..aa!"....ooski awaaz wohi teher jati hai...kyunki saamne jo wohh dekhta hai oose dekhne ke baad ooske hatho se bag gir jata hai aur woh bhauklake daudta hua farsh pe behosh pari sanjana ko utha leta hai

Asif - sanjanaaa sanjanaa ohh my god sanjana kya tum theek ho ? sanjana jawaab do sanajnaa sanjanaa (sanjana ke gale aur ird gird pe kharoch ke nishan they maano jaise kisi ne nakhun se ooske badan ko kharoch dia ho...ek taraf buri tarike se daanto ka zakhm tha jise dekhke asif ekdum munh pe hath rakhke kaanp uthta hai)

Lekin oos waqt oose hosh se kaam lena tha..wohh himmat jutaake kisi tarike se doctor ko phone karta hai...aur theek oosi pal sanjana ko waise hi baahon mein uthaaye bistar pe laitake oose chadar dhak deta hai...asif waise hi chupchaap sanjana ko hosh mein laane ki koshish karta hai par koi harqat na dekhke wohh bas doctor ke aane ka wait karta hai

Doctor - hmmmm (doctor behosh pari sanjana ka check up kar rahe they ooske ird lage nishan aur zakhm ko dekhke ooski marham aur patti karne lage)
Asif - main aaj subah hi ghar lauta 1 ghante jab sanjana ne koi jawab na dia aur na hi darwaja khola mujhe shaq hua pata nahi meri sanjana ko kya hua hai? kisi ne ise bedardi se maara ho..nuksan pahuchayaa hai jaise koi
Doctor - jaise koi jungli jaanwar yahi ho sakta hai kyunki ye nishaan aap dekh sakte hai kisi insana ke nahi hai chehre ke is taraf aur kuch phate kapro pe maano jaise oose buri tarike se sanjana pe attack kia ho aap log aise sunsaan area mein rehte hai yakeenan koi jungli janwar ka kaam hai waise darrne ki zarurat nahi maine anti-dote de diye hai now she will be fine waise inhein koi khaas nuksan nahi hua par gale pe lage is nishaan ko dekhke aisa lagta hai jaise kisi saanp ne kaanta ho par agar aisa hota toh abtak inki maut ho jati hai..but u r lucky ye kisi miracle se kam nahi kyunki sanjana pe attack raat ke kareeb 1 ya do baje ke beech hua hai iske zakhm hi bata rahe hai
Asif - main kuch samajh nahi paa my god itna bara hadsa hone se bacha hai main kya jawab deta sanjana ke mom dad ko
Doctor - u must relax because aap hi abhi sanjana ko sambhaal sakte ho..arre she is gaining consciousness wait oose apne aap aakhe kholne do

Dheere dheere sanjana hosh mein aane lagi thi...dhundhalat ke hatte hi sanjana ekdum chupchaap sadme mein maano jaise ghiri huyi thi..."sanjana are u alright now?"...doctor ne janna chaha
"uhhh..mmm yaa"....sanjana kaanp si rahi thi
"Kya hua sanjana? aakhir kal raat kya hua tha? kuch toh batao"...asif sanjana ke paas baithke ooske chehre pe hath phairte huye bola
"m ujhhe yaa..d nahii aa rah ahai?"....sanjana ke sar mein dard hone laga
"ok koi baat nahi tum relax ho jao kuch nahi hua hai tumehin u r now out of danger maine tumse kaha tha apna khyaal rakhna"....asif uthke sanjana ko chadar dhakkar doctor ka shukriya da karta hai

Doctor - jo haalat sanjana ke sath huyi hai oosse ye toh saf hai ki sanjana itne bure tariek se darr gayi hai ki oose kal raat ka waqya yaad nahi aa raha lekin haan sanjana ke dimaag pe zyada zor mat dena warna oose problem hongi
Asif - yes doctor pata nahi ye sab kaise ho gaya? parso se hi sanjana thodhi pareshan thi phone wale incident ko leke oosne kaha ki oosne mujhse baat hi nahi ki jabki maine khud sanjana se baat ki oosk iawaaz suni are u sure ki meri sanjana ko koi?
Doctor - dekho itne jaldi hum kuch keh nahi sakte but ye bhi ho sakta hai ki shayad sanjana ko maansik problem huyi hai khair we can't say anything rightnow we must figure it out first sanjana ko hosh toh aa gaya hai oose complete bed rest do aur haan ghabrana mat ab oose kuch nahi hoga she will be fine aur agar oose fhirse koi problem lage call me immediately
Asif - sure doctor

Asif ne doctor ko vida kia doctor ke jaane ke baad...asif kamre mein aake soyi sanjana ko dekhne laga...maano jaise wohh kitna dukhi ho is haalat ke zimeedar kahin na kahin asif khud ko hi samajh raha tha..asif office nahi gaya oosne 2 din ki leave maang li..bare hi muskil se oose chutti mil payi..woh sanjana ka zyada se zyada khyal rakhna chahta tha...jald hi dopahar ke 12 baje sanjana ko fhir hosh aaya..dhoop ki roshni ooske chehre pe pari...kal raat ka woh ghatna ooske zehanse utara nahi tha par wohh kahi had tak khud ko halka mehsus kar rahi thi ooske ird bane zakhm se oose thodhi thodhi jalan ho rahi thi..achanak darwaje ke khulne ke sath hi asif kamre mein aaya...
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #8 on: April 01, 2015, 09:59:24 AM »
"kaisi ho sanjana laiti raho bas bas".....Asif ne uthti sanjana ko dekhte hi fauran paas aake oose fhir laitayaa..sanjana beshud aur sehmi nigaho se asif ki or dekh rahi thi

Asif - ab sab theek toh hai? kaisa mehsus kar rahi ho?
Sanjana - tu..m kab aaye?
Asif - wohh darasal subah hi tumko behosh paaya aur tumhari haalat dekhkar main behad darr gaya tha sanjana is everything alright?

Asif ke nigaho mein jo sawalat they oose sanjana ne jald hi samajh lia tha aur yahi nahi dheere dheere ooski soch mein tabdili hone lagi kal raat ka wohi haadsa ooske dimaag mein maano jaise ghumne laga...

Asif - sanjana theek toh ho dekho darro nahi tum bilkul safe ho kal raat aisa kya hua tha? kya koi jungli janwar ne tumpe hamla kia? ya fhir kuch aur dekho sanjana mujhe sach mein samajh nahi aa raha ki aakhir!

sanjana - w..ohhh kitna bhayanakkk che..ra thaa
Asif - kya?
Sanjana - h..aan kal raat mujhe kuch azib sa mehsus ho raha tha..koi mere kamre ke taraf badh raha tha darwaja khula lekin saamne koi nahi tha lekin jaise hi maine darwaja band karke aayene ki or dek..haa tohhh tohhh
Asif - haan sanjana fhir kya aayene ki taraf kya?
Sanjana - ek behad khauffnak chehra tha..behad hi khauffnak ooske dono aankhe kaise jal rahi thi uff itna hinsak chehra kitni gusse mein thi wohh? asiffff mu..jheee bahuttt darr lag raha hai asif pls mujhe yahaann se le chaloo plss
Asif - sanjana sanjana hosh mein aao it's all just ur illussion
Sanjana - it's not my illusiionn damnitt i saw her face wohh koi aurat thi ooske jagah jagah pe kharoch they ekdum safed chehre aankhe ekdum surkh laal she is not human asif wohhh koi aatma thiii mera yakeen maano

Asif ne sanjana ko sambhaala oose chup karane laga lekin jaise jaise woh kal rat ke waqya ko yaad kar rahi thi ooska pura badan sehemein jaa rhaa tha..asif ne aakhirkaar sanjana ko kisi tarah chup kia aur oose yakeen dilaya ye mehez ek sapna tha ooska koi bura khwab shayad oosi haalat mein oosne khud ko nuksan pahuchaaya ho aur kisi aisi gehri cheez se sanjana jald hi shaant ho gayi..asif oose waapis laitake kamre se niche utara

Asif ke zehan mein ye nahi aa raha tha ki aakhir wohh do nishaan jo ooske gardan pe they wohh kiske they? asif ka dimaag maano jaise phatein jaa raha tha..lekin ooske liye ye baat yakeen karna itna aasan nahi tha...asif ne sanjana ke liye lunch banaya zehan mein ek hi baat ghum rahi thi oose aise sanjana ko akele chodhke jaana nahi chahiye tha lekin jo baat khayi ja rahi thi wohh nishaan daanto ke wohh nakhun ke nishan sanjana ke jism pe ye samajhna muskil tha

Achanak paas rakhaa telephone baj utha...Asif chaunkkar telephone ko dekhke ooska receiver uthata hai "hello?"...asif ne sawalat bhari nigaho se pucha

"Helloo"...awaz kisi aurat ki thi...lekin jaani pehchani asif is awaz ko pehle sun chuka tha
"ya whom do u want to speak wid?".....Asif ne sawal pucha..lekin kisi ka jawab oose nahi mil raha tha wohh aurat chup si ho gayi thi

"Hello hello!?"....asif ko laga jaise shayad oos aurat ne galti se number mila lia ho aur wohh abhi phone rakhne hi bas jaa raha tha ki achanak

"hahaha asiff pehchanna mujheee"....asif ekdum se thithak gaya oos awaz ko sunke
"ji aapko pehchaana nahi?".....asif ne sawal bhari nigaho se kaha is baar ooske maathey pe pasina chaane lagaa
"Don't leave me alone I know i can't escape the pain,It's Falling on me like the rain Don't leave me alone hahaha".....asif ke haath se jaise receiver chutt ke girane ko hua

Asif ekdum se piche hoke larkhara gaya ye awaaz ooski thi...aur ye gaana bhi asif behad acche se janta tha is gaane ko kaun gungunati thi? wohh sabkuch ooske zehan mein aane laga..asif ne abhi receiver uthaake bolna hi chaha tha ki phone cut gaya..asif ka gala ekdum se sukh gaya aur wohh wohi thithake baith gaya...ye kya hua tha? ye nahi ho sakta? wohh nahi ho sakti? ye sab sawal asif ke zehan mein ghum rahe they

Jald hi dopahar hone lagi...asif garama garam lunch liye kamre mein aaya...sanjana ke dono aankho ke niche kaale ghere se padh chuke they.."sanjana utho khaana kha lo"...sanjana laiti huyi thi asif oose sahare se uthaane laga..lekin uthte hi wohh ekdum se kamzor padh gayi

Asif - tumm theek ho?
Sanjana - bahut kamzori lag raha hai aisa lagta hai jaise kisi ne mujhe daba rakha ho sar ghum raha hai
Asif - aao dawaiya le lo abhi bimaar ho na isliye aisa lag raha hai fikar matkaro (asif sanjana ko apne haatho se khilaane laga)

Lekin ooska pura dhyaan sanjana se zyada telephone pe huyi oos rahasmyi aurat ke baat pe tha wohh asif ko janti thi woh wohi gaana gugunanane lagi jo gaana asif ke behad kareeb tha ye gaana sirf aur sirf wohi gaaya karti thi..asif ne khud ke dimaag ko jhataaya aur sanjana ko khilaake khud bhi khaaya..sanjana jald hi dawaiyo ke nashe se fhirse so gayi asif jaaga raha aur sanjana ke paas laitke ooske balon ko sehlane laga...karwat liye aankhe munde sanjana apni ek haath asif ke chaati pe rakhke so rahi thi..asif chupchap laita laita bas oos awaaz ke baarein mein hi soch raha tha aur jald hi ooske aankhe ekdum se kathor huyi aur oosne chadar kholke fauran sidiyo se niche utar gaya..ooski nigaah saamne thi
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #9 on: April 01, 2015, 01:30:31 PM »
Asif tez kadmo se paas aaya aur oosne jhukke table pe rakhi oos laptop ko uthaa lia...paas hi ke khidhki ke paas baithke bahar ke haseen wadiyo ko dekhte huye asif ne laptop on kia...jaldi apna internet usb on karne ke baad..asif ne jo naam type kia oose woh bakhubi janta tha balki oose yaad bhi tha...jaldi oos naam ke details nikaalne ke baad wohh pages pe pages click karta raha..ooski nigaah achanak ek khabar pe pari oose on karne ke baad lagbhag wohh kuch dair tak waise hi baithe chupchaap oos khabar ko padta raha fhir ooske maathe pe jo shikhar ki leher daudi oosse ye saaf tha ki wohh janta tha kuch aisa janta tha jo munh se byaan nahi ho paa raha tha oosne turant uthke laptop ko itminan se band karke ek kone pe rakha aur fhir thodhe dair tak waise hi soch ki kasmkash mein tehelta raha..

Tehelte tehelte waqt guzarne laga..shaam ho gayi..asif bare hi itminan se kamre mein aaya..sanjana chupchaap soyi huyi thi...achanak asif ka phone baj utha...asif ekdum se phone ko ghurrte huye sanjana ki or dekhne laga jo shayad neend mein kasmasa rahi thi..asif ne phone leke bahar nikalna munasib samjha..."hello?"..asif ne on karte huye pehle kaha

Doctor - haan asif maine sanjana ke blood test kar liye everything is very normal aisa lag hi nahi raha ki oose kuch hua tha
Asif - doctor main toh subah se hi hairaan hoo i mean what's going on? sanjana pehle se toh behtar hai but kal raat ka waqya oosne jo byaan kia i think she was having some nightmare koi bura hi sapna dekha hoga aur oosi haalat mein oosne apne aapko nuksan pahuchaay
Doctor - ye baat toh theek hai asif but ooske gardan pe jo nishaan hai oosse toh hum kuch keh nahi sakte maybe she was bitten by snake or some any animal jo harmless hoga jisne apni defence mein hi shayad
Asif - sir aisa kaun sa janwar ho sakta hai? mera dimaag kam nahi kar raha..sanjana ka kehna hai ki oosne koi jaanwar nahi bal...ki
Doctor - balki kya?
Asif - ek aatma ko dekha hai oosi ne hi sanjana pe hamla kia oose kaanta aur naakhun bhi maara
Doctor - hahaha i think ur wife is just mentally unstable aisa kaise ho sakta hai? maine khud reports padhe hai kaho toh tumhein email kar doo everything is normal asif don't take so much tension shayad sanjana ko koi bura sapna zarur dikha ho but oosi stage mein oosne ye harqat ki anyways main yahi kahunga ki oose jitna ho sake utna normal rakho i am not a psychatrist but meri maano toh ooske conditions ko dekhkar agar lage ki she is mentally unstable toh i would recommend u to go any psychatrism u just don't worry she is totally perfect
Asif - ok doctor i will talk u later aap jaisa keh rahe hai main theek waisa hi karunga normal behave
Doctor - ok asif bye
Asif - bye doctor

Phone cut karke asif jaise hi muda..ekdum se hil sa gaya..sanjana chupchaap muskuraye bistar ke upar baithi oose ektak dekh rahi thi ooske chehre ko dekhke naa jaane kyu asif ko aisa laga? jaise ki wohh sanjana hi nahi hai...ooski aankho ke dore laal laal ho gaye they ooski muskaan bhi katil si thi asif ne aage badhke muskuraya

Asif - sanjana is everything alright?
Sanjana - behtar toh tab hoga jab tum mere paas aaoge (sanjana bistar par hi apna pao chalane lagi asif is naye bartav se kafi hairan tha)

Asif chupchaap paas aake sanjana ke paas baitha.."dekho sanjana tum kal raat ki baat bhul jao it was just!".....Asif abhi keh hi raha tha ki sanjana ne zor zor se hassna shuru kar dia ooski is tahaka lagati hassi ko pehle kabhi asif ne nahi suna thaaakhir kis baat se wohh itna hass rahi thi?

Asif chupchaap khara ho gaya.."sanjana oh sanjana theek toh ho? kya hua?"....Asif sanjana ke dono baazu pe haath rakhke oose jhinjodhne laga hasste hasste achanak sanjana ne asif ko dhakka dia...asif ekdum se bistar par jaa gira...aur theek oosi pal sanjana ooske upar sawaar ho gayi

Asif - s..sanjana (asif thodha sehem utha sanjana ki aziboharqat dekhke)
Sanjana - sssshhh main toh kal raat ki baat kabki bhul chuki hoo..balki main toh aanewale kal ke liye sochna chahti ho..kitna maza aayega mujhe tumhari baahon mein (sanajana ungli asif ke hontho pe fhirate huye ekdum se ooske chaati pe sar rakhke hassne lagi)
Asif - s..anjana tumhari tabiyat theek nahi hai ye kaisi beheki beheki baatein kar rahi ho?
Sanjana - kya tum mujhse pyaar nahi karte? bolo kya mujhmein koi kami hai? kya tum mujhe fhirse chodhkar chale jaoge bolo na asif c'mon tell me c'mon
Asif - a..rree sanjana kaisi baat kar rahi ho? main tumhe apne jaan se bhi zyada chahta hoo tumhare liye maine apna sabkuch chodh dia yaha aaya tumhare sath ek nayi zindagi di hai tumne mujhe
Sanjana - itna pyar karte ho mujhse ? (sanjana ne ungli asif ke hontho ke beech rakhi asif ne sirf muskurake han mein sir hilaya)

Parivartan hote sanjana ko dekhke asif thodha hairan zarur tha...lekin oose kuch samajh nahi aa raha tha waise hi woh telephone ki oos jaani pehchani awaz se daraa hua tha...sanjana asif ke chaati pe haath phirate huye ooske taang pe taang ragadti huyi ooske bagal mein lait gayi..asif ekdum se uthke ooski or dekhne laga sanjana oose jis nigaho se dekh rahi thi aisa kabhi bhi asif ne mehsus nahi kia tha..asif chupchaap apne mann ko jhatakar paas rahke botal ke paani ko gale se utaarne laga..

Sanjana oose azib nigaho se dekhen jaa rahi thi...asif bina piche mudein bathroom mein chala gaya...ooske zehan mein wohh jaani pehchaani awaaz jaise gunz rahi thi...ye kaise ho sakta hai? ye nahi ho sakta? aakhir ye sab kya ho raha hai? jo do dino se sanjana ne mujhe bataya woh music system ka on hona oos bhayanak chehre ka dekhna..kuch toh aisa hai jo sanjana ke mann ko khaaye jaa raha hai...asif in sab kasmakash mein kab kamre se bahar aaya..aur saamne ka nazara dekhke wohh kab wohi darwaje pe thithak gaya oose pata na chala

Saamne sanjana ekdum nagan haalat mein asif ke saamne khud ko pesh kar rahi thi..."aao asif maine tumhein kayi sadiyo se nahi paaya hai tumhari raah mein din raat jalti rahi hoo aao aake meri is hawas ko bujha do come here comere here".....Na jaane sanjana ke aankho mein woh aisa kya tha jo khud pe khud asif ko ooski or le jaa raha tha...sanjana oose bistar pe aane ki daawat de rahi thi aur theek oosi pal jaise hi asif paas aaya..sanjana ne asif ko kandhe se apne kareeb bithaya aur ooske goad mein baithke ooske gardan aur gaal ko chumne lagi

Asif kasmasa raha tha..oose azib lag raha tha..jo sanjana hamesha se sharam aur mazak ke haalat mein rehti thi wohh aaj ekdum se itni romantic kaise ho gayi? asif ko maano jaise nasha chadh raha tha..sanjana ki awaz hassi sab gunz raha tha asif beshud hoke bistar pe lait gaya aur sanjana ne ooske chehre ko thaamte huye ooske honth ko ek baar chuma "kya dikhta hai mujhmein? boloo bolo na itne jaldi bhul gaye mujhe"...Asif ki adhkhuli nigaho mein sanjana ke chehre mein parivartan dikhne laga...asif ekdum se bhaukla gaya

Dheere dheere suraj dub raha tha..aur theek ooske sath hi tahaka lagati wohh hassi bhi sanjana ki bhari hone lagi...ooske baal hawa se udne lage beech beech mein khidki ki roshni mein ek baar sanjana toh ek baar wohh chehra dikhne laga asif is chehre ko dekhke ekdum se sehem utha..lekin khud ke badan ko bejaan mehsus karke asif bas khauff nigaho se sanjana ki or dekhen jaa raha tha jo harpal hassti huyi oose maano jaise khaa jane wale nazro se dekh rahi thi..."nnnaahii nahii nahiiii"....asif ekdum se apne sar ko jhataknelaga aur tabhi oose ahesas hua ki sanjana oose bholi nigaho se dekh rahi hai

Asif kachehra pasina pasina ho raha tha.."asif kya hua?"....sanjana ne dheere se kaha...main chupchaap hapaste huye sanjana ke chehre ki or dekhne laga jo maano ek pal sawalat nigaho se meri or dekh rahi thi..."oh sanjana"...maine sanjana ko apne seene se laga lia..aur theek oosi pal sanjana meri or fhir oon nigaho se dekha..shayad mera koi bura sapna tha mujhe is khushibhare lamhe ko yun dur nahi karna chahiye...main aur sanjana ekdusre se lipat gaye..aur kab ekdusre ke baahon mein baahein daale ungliyo mein unglia fasaye kab bistar pe ekdusre ke aagosh mein chale gaye aur kab ek dusre ke hontho ko chumne lage pata nahi chala

suraj dhal chuka tha..bas shaam mein andhera chadh raha tha..dheere dheere roshini gaayab ho rahi thi..achanak sanjana ki aankhe khuli..ooske aur asif ke badan pe jo chadar tha oosne woh chadar samaitkar apne badan ko dhak lia..woh uth baithi aur muskurake asif ki or dekhne lagi...jo gehri neend mein tha..sanjna ki nigaah jaise hi aayene ki or pari oosne muskurayaa..aaye ne mein sanjana ke chehre ke jagah wohh khaufnakk chehra dikh raha tha wohi surkh laal aankh wohi jagah jagah kharoch aur nishaan jo sanjan ne asif ko byan kiatha..sanjana uth baithi aur isi ke sath hi chadar odhey bathroom ki taraf jaane lagi

Ooske ulte pao farsh pe kadam rakh rahe they...jabki sanjana sidhi chal rahi thi wohh wohi gaana gunguna rahi thi jis gaane ko sunke asif sehem utha tha oosne ek baar mudke asif ki or dekha aur ulte pao se chalte huye apni safed aankho ke sath andhere mein chali gayi..

piche reh gaye woh ulte pao ke nishaan jagah jagah khoon laga hua tha..laal gaadha khoon to be continued...


Suraj dhal chuka tha..
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #10 on: April 03, 2015, 10:06:02 AM »
Kadhakti bijali ki shorr ne ekdum se meri neend ko jaga dia..maano jaise garazte baal ek sath zameen pe girne wale ho..dhamm se awaaz karti oon takrati badalo ke shorr ko sunke ek pal ko main bhi sihar gaya tha..achanak neend mein hi bagal mein hatho se tatola toh paaya..ki sanjana nahi thi? ekdum se main uthke baitha..khidki khul gayi thi jiski tez thandi hawa mere chehre se takra rahi thi..ek pal ko bahar ki dhool kamre mein aa gayi..Main uthke ekdum se bagal mein dekha toh..sanjana waha nahi thi? achanak sanjana kahan gaayab ho gayi? kahin niche toh nahi..ek pal ko piche kuch dair mein huye oos waqye ko sochke main muskuraya..aur nanga hi bistar se uthke apne farsh pe gire kapro ko uthaane laga lekin kab farsh pe gire kapro mein sanjana ke kapro ki or meri nigaah pari toh main chaunk gaya oosi waqt badal garaz uthe...

Main ekdum se khara hoke sanjana ke kapro ko dekhke hairan tha...sanjana aakhir gayi kahan?...maine awaaz di..par sanjana naa toh bathroom mein thi..aur naa hi niche warna awaaz sunke zarur mujhe pukarti..main tez kadmo se jeans pehenke jaise taise niche utara...charo or darwaje aur khidki khule huye they...light nahi thi..tufaani is raat mein sanjana jaa kahan sakti hai? main ye sochke abhi kamar pe haath rakhe hi huye tha ki achanak dhadh dhadh karti oos awaaz ki taraf nigaah pari...darwaja ekdum khula hua tha aur hawa se kabhi band toh kabhi khul jata..Main ekdum chupchaap dheere kadmo se darwaje ki taraf gaya bahar ki tez chalti tufaan aur ooske hawa ke jhatke mere munh pe parr rahe they aankho ko ekdum se dabaye main waapis andar aaya

"sanjana sanjanaaa where are u sanjana?"...ek toh waise hi sanjana ke sath huye haadse ne mujhe daraa dia tha aur fhir wohh awaaz aur sanjana ke chehre pe wohh chehra dikhaa ye sab koi ittefaq nahi koi bura sapna nahi lag raha tha balki haqeeqat lag rahi thi main sanjana ko awaaz diye jaa raha tha kabhi bathroom,toh kabhi toilet toh kabhi dusre kamro mein jaake dekha par sanjana kahin nahi thi

Darr aur ghabaraht ke chalte main samajh nahi paa raha  tha..sanjana ne koi bhi kapre nahi pehne toh kya wohh bahar oosi haalat mein? ye sab kya ho raha hai? aakhir sanjana ko hua kya hai?....main tezi se ghar se bahar nikal gaya...aasman kaale badalo se gehra hua tha itna bhayankar vatarvaran ki rooh kaanp uthe beech beech mein bijali ki woh garagarahat hawaa se paid maano jaise hass rahe they..oon hawao mein ek shorr tha maano kitne log ek sath ho ho karte huye ghum rahe ho...main aankho pe haath rakhke idhar udhar snajana ko zoro se pukaarne laga..lekin itni tufaani raat mein sanjana jaa kahan sakti hai?

sanjanaa sanjanaaaa...main baar baar pukarta hua ghar ke piche waale oos taalab ki or gaya..aur tabhi bijli ke kadakte hi ek roshni si pari..fhir ek baar aur is baar saaf dekha ki taalab ke kinaarein sar ko ghutno pe rakhke koi baithi huyi hai...mera dil ekdum kaanp utha...ekpal ko gala sukh gaya azeeb khayalat aane lage..ek baar laga naa nahi jau..lekin dusri taraf aagaz hua..aur main tezi se daudta hua oos saaye ki or jaane laga..baarish tez hone lagi thi...tap tap karke main bheege jaa raha tha aur jab ooske nazdeek ayaa toh ek baar mein hi bijali ki tez gargaraha bhari awaaz ki roshni mein saaf dekhaa ek ladki baithi huyi hai thand se thuthurte huye aur ooske gale se azeeb si ghutan bhari rone ki awaaz aa rahi hai..main kaanpte huye ooske kandhe pe jaise haath rakhaa..achanak ooske chehre ko dekhke ek pal ke liye khauff se sehem utha

"sanjanaaa sanjanaa k..kya hua tumhein? are u alright?"....Maine sanjana ko jhinjodha woh kabse waise hi bheegi nagan awastha mein waise hi baithi azeeb si awaaz nikalte huye roye jaa rahi thi..ooska shareer itna bhari ho gaya tha ki mujhse uthaya nahi jaa raha tha..maine oose apne baahon mein uthaaya..aur theek oosi pal daudta hua waapis ghar mein le aaya

oose jaldi se sofey pe litaya aur darwaza band karke thithurti thand se kaanpti sanajan ke badan ko ponchne lagaa...sanjana ki dono aankhe ekdum se dhali huyi thi sirf safed nigahe dikh rahi thi...maine fauran aag lagayi chimney side mein aur ooske haath aur pao ko ragadne laga..taaki oose garamahat mile...oose ek mote razaai se dhak dia tha...sanjana ab chupchaap gumsum thi

Asif - kya hua? sanjana tu..mm aisi haalat mein bahar kyu gayi? aakhir hua kya hai tumhein?
Sanjana - n..nahi janttiii
Asif - matlab? tumhari abhi tabiyat theek nahi hai aur tum ekdum se bahar

Mujhe aisa lag raha tha...jaise sanjana ko hosh nahi tha...woh apne marzi se gayi? ye thodha azeeb tha par ooske sawalat aur maathe pe shikhar dekhke main samajh chukatha..sanjana apne hosho hawas mein nahi kya ooski mansik stithi theek nahi thi...khair oos waqt toh mujhse kuch kaha nahi jaa raha tha..snajana ki halat dekhke main kafi pareshan ho gaya..jald hi sanjana ko soya dekhke main kitchen mein jaake coffee banane laga..aur jab coffee leke bahar aaya

Toh sanjana hosh mein aachuki thi...jab main ooske kareeb baitha toh naa jaane kyu ooski aankho mein fhir wohi azeeb si nazar dekhi...maano jaise ye sanjana nahi hai..maine oose coffee di..wohh mujhe ektak nigaho se dekh rahi thi muskura rahi thi

Asif - pata hai main k..itna darr gaya tha? aakhir baat kya hai sanjana? tum bina bataye waise bahar itni tufaan mein baarish mein waha taalab ke paas kya karne gayi thi?
Sanjana - Mujhe ye wadiya ye haseen raat behad pasand hai
Asif - k..kya? are u out of ur mind? kuch bhi ho sakta tha aakhir tumhein hua kya hai?
Sanjana - ssshhhh itna naraaz mat ho jao mujhe jab tum mujhse kafa hote ho toh behad bura lagta hai yaad hai hum isi baarish mein ghumaa karte they

Sanjana ki baatein ooski awaaz ooska bartaav ekdum badal sa gaya tha..ooski aankhe ekdum laal laal ho si gayi thi beech beech mein woh gehri saans jab chodhti toh aisa lagta maano jaise woh apne hosho hawas mein nahi hai oose saans lene mein kitni taqleef ho rahi hai...ye sab sochte sochte main uth khara hua...aag ki garamahat ne mahoul ko garma zarur dia tha..lekin kahin na kahin mere pure badan mein kaanta uthne laga...main coffee ka cup rakhke kitchen se jaise hi bahar aaya...toh dekha sanjana gunguna rahi thi..ooski gungunati awaaz mein wohi gaana tha..main ekdum chupchaap thithakar oos awaaz ko sunne lagaa..wohi gaana..ye sab kya ho raha hai? Main sanjana ke kareeb jaake ekdum se ooske saamne khara ho gaya

Asif - tumhein ye gaana kahan se mila?
Sanjana - sawal toh aise kar rahe ho jaise jaante nahi (ooski laal aankhe mujhe niche se ghurr rahi thi)
Asif - nahi sanjana ye gaana tum kabhi nahi gaati thi ? i meann!
Sanjana - ssshhhh raaz hai bahut lekin hum oonse waaqif nahi yahi hai ishq jo humhe malum nahiii (sanjana ki baatien mere dhyaan ko fhir badal rahi thi mujhe naa jaane kyu ab khauff lagne laga kya sanjana sahi mein mansik taur se bimar hai ya fhir kuch aur?)

Achnak maine ooske pair ki or dekha..jo dheere dheere karke ulta ho raha tha...mere andar ka kaleja nikalne ko tha..ekdum se main oose dhakelke piche ho gaya..."tum snajana nahi ho sakti? kaun ho tum?"....Main kaanpte huye bola...sanjana ekdum se tahaka lagake hassne lagi..aur sath hi sath ooski hassi mein itna bharipan aa gaya..ki koi bhi dekhe toh darr jaaye ooski awaaz  gunz rahi thi chehra laal hone lagaa...Mera gala sukh gaya ekpal ko jaise aage badha hitha ki oosne mere haath ko kasske pakad lia

Badal garaz utha..bijali chamak uthi main dheere dheere ooski nazaro se nazar milaya...ooski aankho mein ek sammohan tha..jo ektak meri nigaaho se hat nahi raha tha meri aankhe bhi bhaari hone lagi..aur theek oosi pal wohh mere kareeb aayiii aur dheere se apni lipati razaai ko utaar ke gira dala..sanjana ne mere chati pe nukile nakhun gadaaye..aur mere gardan ko halke se chum lia..aur fhir gale ko bhi

Sanjana - main tumhari sanjana hi hoo asif bhul gaye mujhe do pal mein hi barso ki mulaqat ko bhula dia oos dosti ko bhula dia jo tumne mere sath nibhane ki baat kahi
Asif - m..mainnn

Main aur kuch keh nahi paaya ooske sammohan mein main kheenchta chala gaya..aur theek oosi pal wohh dheere niche niche jhukne lagi...meri palake bhaari ho gayi..jalti aag ke saamne mere kapre ko utaarke sanjana ne faik dia..main ekdum badhawas aaj ooski aagosh mein tha..jald hi mere kadan ladkadhaye aur main farsh pe hi dhair ho gaya...dheere dhere snajana mere upar haavi hote huye mere hontho ko chumnne lagi...apne aap hi mere haath ooske badan pe aa gaye...aur theek oosi waqt meri nigaah ooske safed khaufnak nigaho se takraayi main ekdum se uthna chhta tha..lekin oosne mujhe zara sa bhi mauka na dia..aur wohh mere hatho ko farsh pe dabav diye apne hatho se mere hontho ko chumne lagi...achnaak oosne jab apne honth mere hontho se alag kiye toh ooski dayne honth se khoon laga hua tha

Mujhe apne hontho pe jalan si huyi mere honth se khoon beh raha tha...aur achanak oosne uthke mujhe sahare se uthaaya..aur main kab ooske sath sath kamre mein aaya pata na chala...darwaja apne aap band ho gaya..oosne mujhe fhirse bistar par dhakel dia..aur apni khaufnak nazaro se meri or dekhte huye hontho ke khoon ko ungli se munh mein bhar lia...kuch dair ke baad wohh mujhpe haavi ho gayi..aur kab main ooski aagosh mein kheenchta chala gaya pata na chala...achanak sanjana ekdum se uth baithi

Ooske nazarein behad khaufnak thi ekdum safed aur dono hontho ke beech se khoon nikal raha tha oosne apne daant jab khole toh woh khoon se sane they..aur dono daant ekdum nukile bijli ki shorr mein aur chamak mein ooska chehra dekhke koi bhi sehem jaaye..main badhawas behosh para tha aur oosne bina dairi kiye mere gardan pe haath rakhte huye ekdum se apne nukile daant mere gale ke maans mein dhasa die aaaaaaaaaaaaahhhhh

to be continued....
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #11 on: April 04, 2015, 11:45:12 AM »
Oos Dardbhari cheekh ke baad...tufaan jaise tham sa gaya..wohh bhayanak raat kab dhalti chali gayi pata nahi...Jab neend khuli toh ek baar aankho ko masalake dhundlahat ko hataya...kamra waise hi andhere mein duba sa tha bas suraj ki roshni khidki se andar aa rahi thi...Pura badan jaise kamzor padne laga...sss aahhh ek halki jalan gardan ke piche huyi..main bistar se uthkar fauran charo or dekhne laga...kal huye oos waaqye ko main yaad karne laga ki kaise badhwashi mein bhi maine sanjana mein kisi aur ko dekha aakhir kal raat ye sab kya ho gaya? kya ye koi bura sapna tha? ek pal mein hi jaise piche rakhi aayene pe khud ko mudke dekha toh ek pal mein jaise paani ki taraf sab saaf ho gaya mere gardan ke piche do nukile daanto ke nishaan they jiske ird gird khoon jaise sukh chuka tha..main ekdum se bhaukla utha aur chadar odhey karwatein badli sanjana ki or dekhne laga

Mann bhaari sa hone laga ek pal ke liye dil dhak dhak karne laga...Main kaanpte huye sanjana ke kareeb gaya aur oose dekhne laga wohh soyi huyi thi gehri neend mein lekin ooske chehra ka rang itna safed tha aur aankho ke niche kaale ghere...meri darr ke maarein buri haalat hone lagi...ye sapna nahi tha..ab samajh aa raha hai ye sab kya hai? sanjana ko aakhir kya hua hai? ye samajhna muskil hai..aur iska hal dhundhne pe mil sakta hai...main chupchaap sanjana ko dekhte dekhte kamre se bahar nikal gaya achanak sanjana ne apni aankhe kholi...wohi laal sukh aankhen..maano jaise wohh meri harqat ko jaan chuki thi ki aage main kya karne wala hoon?

Main jhat se sidiyo se utara aur kapre pehne...khaaya nahi jaa raha tha sanjana agar uthey toh shayad woh kamzor ho aisi haalat mein mujhe oose chodhna toh nahi chahiye par mere paas koi rasta nahi tha..achanak nashta table pe rakhkar jaise hi main piche mudaa..ekdum se do kadam larkharake table se ja laga main puri tarike se kaanp gaya tha

Sanjana saamne khari thi sar jhuka hua ooske baal saamne jhul rahe they isliye chehra dhang se dekha nahi jaa raha tha...sanjana ko aise khara dekhke piche main darr gaya tha..main dheere se sahare se utha aur sanjana ke kareeb aaya

Asif - k..kya hua? sanjana t..tumm jag gayi?
Sanjana - Kahin jaa rahe ho ? (ooski awaaz mein itna bhaaripan tha ki main ek pal ke liye chaunk gaya)
Asif - H..aan w.ohhh Darrsalll officee jaana haii tum ab kaisa meh..sus ka.r rahii ho?
Sanjana - Pehle se aur bhi behtar aur bhi khushhaal (wohi bharipan bhari awaz maano jaise snajana ke gale se kisi aur ki awaz nikal rahi ho)
Asif - Okk Ma..in chaltaa hoo t..heek hai
Sanjana - Main intezaar karrunggi Tumm aaoge naa bolo

Ek pal ke liye mujhe behad azeeb laga sanjana ki aisi baatein..main kal raat ki ghatna dekhke toh jaan gaya tha ki sanjana ke sath kuch toh chal raha hai aur ye mere business tour ke baad shuru hua hai oos rat jab sanjana pe hamla hua tha.."Haan bilkul jaldi aaunga"....Sanjana ke chehre pe muskurahat dekhke main jhooti muskurhaat diye jaldi jaldi ghar se nikal gaya

Ek pal ko thoda sehemke ghar ki or dekhne laga...sanjana khidki se khari mujhe ghurr rahi thi...ooske azeeb bartav ko dekh main chupchaap gaadi mein sawaar hoke nikal gaya...dil mein fikar toh tha hi lekin sath sath khauff bhi aakhir snajana ko hua kya hai? oosne kabhi aisa bartav nahi kia..zarur wohh kisi mansik tanaav mein hai nahi wohh danato ke nishaan jo ab bhi mere gardan pe hai wohh khoon kya sanjana ne mera khoon pia? ye sab kya faltu ki baatein hai mujhe kuch samajh nahi aa raha tha...lekin achanak ekdum se maine break maara..gadi ekdum se rukne ke wajah se ghisste huye tyre ko thodha aage badh gayi..mere zehan mein aaya ki oos din sanjana ke gale pe bhi toh maine waisa nishaan dekha  tha...toh iska kya matlab tha? Ho na ho mujhe iska pata karna behad zaruri tha

Dinbhar kaam mein mann nahi lag raha tha..pure din bas sanjana ki fikar thi ek pal ko hua jaise phone karke sanjana ka haal puchu lekin dusre hi pal ekdum se mann sehem jata sanjana pe havi is azeeb bartav ko dekhke mujhe behad fikar ho rahi thi...Aur tabhi mujhe khyaal aaya ki sanjana kuch kuch jaan si gayi thi oos din kablustan mein lash dafnane ki baat mera kisi aur se phone pe baat karna woh awazein aur koi raaz jo wohh mujhe kehna chah rahi thi par oosi raat ooske sath na jaane kya hua?...ye sab sochte sochte kab shaam dhalne lagi pata na chala

Jald hi andhera hote hote main waapis ghar lauta...Ghar mein roshni nahi jal rahi thi..Main ekdum chaunkkar gaadi se bahar nikala...charo or dekha sunsaan waadiya aur hawa se jhulte paid...main jaise hi darwaje pe aake khatakane wala tha achanak darwaja apne aap chrr chrr ki awaz ke sath khul gaya...Main andar aaya charo or dekhne laga

"sanjanaaa sanjanaaa".....Main charo or dekhein jaa raha tha..achanak saamne ki or nigaah pari sidiyo pe dusre kamre mein jalti roshni...Main dheere dheere oos kamre ki or jaane laga...andar se bari hi azeeb awaaz aa rahi thi...Achanak dil tab sehma jab kamre ke saamne aake khara hua aur diwaar pe ek parchaai dekhi...oose dekhte dekhte main sehemte huye andar jhaakne laga

Andar ek kone pe sanjana baithi huyi thi farsh pe aur charo or mombattiya jal rahi thi...main chupchaap ooske kareeb jaane laga achanak kuch azeeb si awaaz mujhe lagne lagi ooske kareeb jaate hi "sanjanaaa sanjana?".....main sanjana ko pukarne laga lekin woh waise hi baithi rahi meri or dekha bhi nahi

"SANJANA are u okay?"..main ekdum se paas aake ooske kandhe pe haath rakha..aur wohh ekdum se piche mudi..main ekdum se chilla utha...ooske pure munh pe khoon laga hua tha wohi surkh laal aankhen aur haath mein kaccha maans "hehehehe"....Oooski dohri awaz ki hassi wohh tahaka lagana aisa lag raha tha maano jaise kitne log ek sath hass rahe ho..ooske chehre ki or dekhke main ekdum se sehem utha aur bhaagne ko hua...

Achanak do kadam hi dauda..ki saamne darwaje pe sanjana khari...Main ekdum se farsh par larkharake gir para..."ss...sanjanaaa k..yaa huaa hai tumhein? sanjanaa tummm apnnne hoshh mein nahi ho what's wrong wid u?"....Main sehemte huye piche huye jaa rhaa tha aur sanjana meri taraf ek ek kadam badhaa rahi thi

Sanjaan chupchaap meri or badhein jaa rahi thi ooske munh se khoon farsh pe tapak raha tha shayad oose taaze maans ka tha..ooska ye haivaniyat maine pehle kabhi nahi dekha tha...ooske munh se garazne ki awaaz aa rahi thi..shayad ab ooska agla shikar maintha..achanak woh thode kareeb hi aayi thi ki ekdum se chilla uthi

Ooska pura badan aithne laga..Main is manzar ko dekhke behosh hone ke kagaar pe tha...ooske pure badan ke nasso ko main dekh sakta tha ooske aankhe bhaari hone lagi sath hi sath ooske munh se rone ki awaaz aane lagi..lekin ye meri sanjana nahi thi aur dheere dheere sanjana ka badan hawa mein uthne laga..main is nazare ko dekhke sehemte huye wapis farsh pe gir para...AAAAAAHHHHHHH..ooski cheekh itni bhayanak thi ki mere kaan ke parde phatne ko ho gaye maine kaan kasske band kar lia aur sth hi sath charo taraf ki ke khidki aur sheeshe tutne lage..

"AAASSIFF"....ekdum se maine kisi ki dardbhari awaaz suni dheere se kaan se hath hataya aur sanjana ki or dekhne laga maano jaise woh ab bhi hawa mein latki huyi ho...main chupchaap kaanpein jaa rhaa tha...."asifffff Mujhhhee bahuttt darddd ho raaha haiiii w..ohhh Hummm sab..ko Maarrr daalengiiii".....Ooski aankhe badal gayi thi main jaan chuka tha ye meri sanjaan thi wohh haivan nahiii

Abhi main bas uthke ooske kareeb haath le jaane hi wala tha ki achnaakk...ooski tahaka lagati hassi aur ooske chehre ke tabdili ko dekhke main teher gaya...ooski aankhe laal ho uthi nukile daant fhir nikalne lage..."AAAHHHH"...Ooski wohh dahadhti cheekh se main jaise gir para...woh ekdum se mere upar kud pari...Ooska chehra mere chehre se kareeb kuch hi fasle dur tha ooski aankho ke kancho ko dkehke lagaa maano jaise kisi sanap ki aankhe jaisi ho..."Maarrr dungggiii sabkooo maar dunggiii mujhhe tumne apne see durrr kiaaa mmmainnn kahinn nahi jaunggiii kahiii nahiiii"....sanjana ekdum se hatho ke bal chalte huye itni raftar se khidki se chalang lagake bahar kud gayi mujhe samajh na aaya

"sanajnaaaaa"....Main sanjana ke piche bhaagaa andheri raat mein main sanajan ke piche daudh raha tha snajana waise hi hatho ke bal chal rahi thi...main ye nazara dekhke ekdum se kaanp gaya...ye sanjana nahi thi? ye sanjana nahi ho sakti?...sanjana itni tezi se chalte chalte daudne lagi ki ekdum se palak jhapkte mujhse woh kaafi dur thi...wohh theek talaab ke kinare wale paid pe chadne lagi...wohh kisi chipkali ki tarah paid pe chadhe jaa rahi thi...aur theek oosi pal paid ki ek tehni pe jaake latak gayiii

"SANAJANAAA SANJANAAAA Tumheinn chott lag jaayegiii plss sanjanaa utar aaoo plss"...Main sanjana ko awaaz de raha tha lekin wohh kisi janwar ki tarah tehni pe jhulte huye hassein jaa rahi thi mujhe behad khauff satane lagaa dimag aur dil kaam nahi kar raha tha..aur theek oosi pal maine bhi paid pe chadna chhaa..lekin tabhiii sanjnaa teheni pe khari ho gayiii

Asif - ssaanjanaa bewakufi mat karo sanjanaaaa sanjaanaaaaaaa (tabtalak bahut dair ho chuki thi jabtak cheekhta  tabtalak snajana paid se kud chuki thi)

Woh tahaka lagate huye kab taalab mein kud gayi main dekh na saka...Main ekdum se apni shirt ko utaarke ek or ghaas mein faikhte huye sidhe paaani mein jaa kuda...paani behad thanda tha aur gehra bhi sanjana ka shareer dubne laga woh chatpatane lagi...Main sanjaan ke behad kareeb pahuchne ki naakam koshish karne lagaa aur theek oosi pal ooske kareeb jaate hi maine oose apni or kheenchaa.."san.janaa"...sanjana khaasein jaa rahi thi aur theek oosi pal ooski aankho ke kanche andar chale gaye bas adhkhuli safed aankhe meri saamne thi

Maine snajana ko jaise taise taalab se bahar laaya aur oose ghass pe laitake ooske seene ko dabake paani nikalane laga...sanjana ne kaafi paani pee lia tha..aur theek do teen baar dabane se oosne dhair saara paani ugala...Main larkharake wohi paas mein lait gaya main hapaste huye sanjana ki or dekh sakta tha ooski saansein chal rahi thi...lekin aaj ka jo ye manzar meri aankho se guzara shayad hi koi ispe yakeen kare..mere zehan mein sab saaf ho chuka tha sanjana sanjana nahi balki ooske jism mein kisi aur ki rooh thi aise kisse apni maa se sunta tha movies mein dekhta tha lekin aaaj jab khud pe beeti toh yakeen sa hone lagaa main oos waqt behad darr gaya bas sanjana ko baahon mein liye waapis ghar mein le aaya...
Logged
Rashi Verma
Newbie


Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
39 minutes.
Posts: 1
Member Since: Apr 2015


View Profile
«Reply #12 on: April 04, 2015, 09:40:37 PM »
Hello asif sir..
Apki sabhi stories mujhe bhut achi lgi...

Rashi
Logged
kushagra94
Newbie


Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
25 minutes.
Posts: 2
Member Since: Apr 2015


View Profile
«Reply #13 on: April 05, 2015, 03:55:30 AM »
nice story
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #14 on: April 05, 2015, 07:59:39 AM »
Hello asif sir..
Apki sabhi stories mujhe bhut achi lgi...

Rashi

Dil se Shukriya Rashi aise hi padhti raho aur mujhe behad khushi huyi ki ab dheere dheere aap log mere stories pe comments dene lage ho pls be wid me Usual Smile
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 07:08:43 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.166 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer