Khauff - Ek saaya...(HORROR STORY)

by asif biswas on March 22, 2015, 01:01:23 PM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 17046 times)
asif biswas
Guest
«Reply #15 on: April 05, 2015, 08:00:57 AM »
nice story

thanks bro bas aise hi padhte raho
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
.....Real Horror Story..... by sweet_raabii in SMS , mobile & JOKES
Tehkhaana (Horror story) by asif biswas in General Stories
Raj mahal (horror story) by asif biswas in General Stories
Khooni qila (Horror story) by asif biswas in General Stories
AAFAT - A tale of horror (Horror story) by ASIF in General Stories « 1 2  All »
asif biswas
Guest
«Reply #16 on: April 06, 2015, 12:56:13 PM »
Aag ki lapatein tez ho uthi...kamre ke andar ki chimney mein lagayi aag kaafi dehek chuki thi...Meri nigaah ab bhi sanjana se ektak alag na huyi..maine dheere dheere sanjana ke chehre ko thapthapaya..ooske jism ko ek mote razaai se dhak dia tha...sanjana ki saansein ab dheemi ho chuki thi..ek pal ko jo nazara mere aankho se kuch dair pehle guzara woh fhir ek baar zehan mein laut aaya..sanjana ki woh harqatein kisi insaani jaisi nahi thi..maine saaf dekha oose hawa ki tarah paid pe chadhna..ooske pao ka yun mud jaana..kya sanjana pe koi buri aatma haavi ho chuki hai? ya fhir jo main samamjh raha tha baat wohi hai...

Achanak zehan mein naa jane kya khyaal aaya? main tez kadmo se kamre mein aaya...almirah mein sanjana kuch kapre they..oose hatate hatate ek baar meri nigaah oos locket pe pari..om ke oos locket pe maine oose apne haatho mein utha lia...sanjana dharam pe vishwas karti thi hamari shaadi se pehle bhi wohh mujhe mandir le gayi thi hum mazhab aur kaum nahi dekhte sirf ek dusre ke dil ko jaana tha...maine woh om ka locket sanjana ke theek maathe pe rakh dia....

Achanak se sanjana ekdum se saans lenee lagi maano jaise oos kitni taqleef ho rahi ho ooski aankhe ab bhi laal thi aankho ke kanche bheetar tak chale gaye they...ooske munh se jhaag nikalne laga..sanjana ka pura badan ek baar fhir kaanpne laga ooske gale se aati woh tadapti dohri kisi mard ki awaaz mujhe daraa rahi thi...mera pura badan kaanpein jaa raha tha ho ho karti kamre ke aas paas ke saare cheezein kaanpne lage..aur theek oosi waqt sanjana ke munh se naa jaane kaisa kaala dhuaa nikala haan inhi aankho se maine sanjana ke munh se nikalte oos cheez ko dekha..main darr gaya main oose dur hona chaha lekin meri ek ungli om ke locket ko sanjana ke maathe pe dabaye huyi thi..

Aur theek kuch hi dair mein wohh dhuaa udte udte sidhe khidki ke tarf gaya aur khidki ekdum se khul gai aur wohh cheez ho ho ki awaz nikalta hua gaayab ho gaya...maie sanjana ki or dekha sanjana ne aankhe mund li...maine jaldi se om ke locket ko waise hi maathe pe lagaye uthke fauran khidki ko band kia aur parda lagaya...main dheere dheere sanjana ke kareb aaya...sanjana ne dheere dheere aakhe khol li

Main samajh gaya ye meri sanjana hi thi..koi aur nahi? "asi.ff"...sanjana ne sehemte huye meri or dekha aur main apne zazbato ko bina roke ooske gale se lipat gaya...hum dono ekdusre ko kho jane ke baad jaise mile they maine oose apne baazuo mein itna kaid kar lia ki wohh khaasne lagi maine oose apne se alag kia aur ooske aansu ponche

Asif - tum theek toh hona sanjana
Sanjana - a..siff m..ujhhe bachaa lo wohhh mujhhhe maar dengi wohh hum dono ko maar dengiii wohhhh
Asif - haan samajhta hoo sanjana samajhta hoo kuch nahi hoga tumhein main tumhein kuch hone nahi dunga..

Kuch dair tak hum khaamosh rahe...aag ki lapato ko dekhne lage..sanjana razaai odhey ek kone pe baithi thi aur sath mein main saamne kone pe baitha hua tha hum dono ki nigaah ekdusre ki or thi

Asif - sanjana tum kehna chahti thi? ki oos din phone kisi aur ne uthaya aur maine jiski awaaz suni woh koi aur thi
Sanjana - h..haan asif is ghar mein koi hai jo hum dono ko daraa raha hai...
Asif - pata hai sanjana maine aajtak tumhein aise harqatein karte kabhi nahi dekha ye dekho (asif ne apne gardan pe lage oos daanton ke nishan ko dikhaya sanjana ne apne munh pe hath rakh lia ek pal ko ooska dil sehem utha)
Sanjana - oh my goddd yee maine kya kia?
Asif - darro nahi ye nishaan kuch tumhare gardan pe bhi hai aao mere sath aao darro nahi

Maine sanjana ko aayene ke paas laaya aur ooske baaye sirhe ke kapre ko niche kar dia ooske gale pe bhi waisa nishaan tha.."dekha ab tum kuch samajh rahi ho ye nishaan tumhein kaise aaya? oos raat aakhir hua kya tha? mujhe khul ke bolo main yakeen karunga"....Maine sanjana ki aankho mein dekhte huye jhaanka

Sanjana - a..siff oos raat m..maine jab muddkar aayene ki or dekhaa toh meri jaise rooh fanaa ho gayi thi koi thi jo theek aayene mein thi wohh bilkul meri hubahu meri tarah dikh rahi thi ooska behad khaufnak chehra tha..aur wohhh

Asif ekdum chaunkk utha wohh janta tha ki ye sach nahi ho sakta? ek pal ke liye oosk iaankhen itni bari ho gayi ki ooske aankho se ek qatra aansu beh gaya...sanjana chupchaap asif ko aise chaunkte dekh ooske paas aayi

Sanjana - k..ya hua ? asiff
Asif - n..nahiii nahii ho sakta aisa nahi ho sakta nahii ho sakta
Sanjana - kya nahi ho sakta?? bolo jawaab do kya nahi ho sakta? tum jante ho na asif pls oos din bhi maine jab woh sapne ke baat kahi nthi tum! (sanjana ekdum se chaunk uthi badal garaz utha sanajana aur asif dono ekdusre ko seheme nigaho se dekhne lage)
Asif - h..haan jo raaz aajtak maine apne dil-o-dimaag mein dafan karke rakha hai ye wohi raaz hai jo aaj mere saamne mera atit mujhe dikhaa raha hai

sanajna chup rahi wohh jaan rahi thi ki asif kya kehna chah rahi hai? woh bas chupchaap hairan thi asif ke ek ek lavzo ko sun rahi thi...ooska kaleja asif ke byaanat ke sath zor zor se dhadhak raha tha..Asif ekdum aankhe bari kiye theek oos ateet ko yaad karne laga jise oosne naa waapis apni zindagi se rubaru karane ki kasam khaayi thi..

Asif - sanjana tum mujhe oos din kuch batane wali thi par oosi raat tumpe woh cheez haavi huyi jise maine aaj khud inhi nigaho se tumpe havi hote huye dekha oos raat bhi jab tum mere aagosh mein aayi thi tumhare chehre pe woh hinsak wohh baatein woh gaana ye mumkin nahi tha lekin ab mujhe lagne laga hai
Sanjana - asiff mujhe kuch samajh nahi aa raha ? ye sab kya ho raha hai?
Asif - tumhein bas filhal ise pehene rakhna hai (asif ne sanjana ke gale pe woh om ka locket pehnaaya)..aur mujhe ye batao yaad karne ki koshish karo ki oos rat tumne aisa kya jaana?
Sanjana - wo..hh mujhhe yaad nahi aa raha parrrr (ekdum se bijali kadak uthi..sanjana asif ki or dekhne lagi maano jaise oose yaad aa chuka tha dono ne waqt nahi lagaya aur tezi se sidiyo se waapis niche utare)

Sanjana ne oos zameen ki or ishara kia..asif turant kareeb gaya aur waha se carpet hatake theek oosi khufiya darwaje ko dekhne laga..asif chaunk utha...oosne sanjana ki or dekha maano jaise oosne kuch aisa jaan lia tha jise asif itne barso se chupaa rhaa tha aakhirkar woh sach ooske saamne tha

Asif ne bina dairi kiye bari hi taqat se oos khufia daraje ko uthaake khol dala...grr grr karta hua darwaza dadham se dusri or gir para...Sanjana kareeb aake asif ki or dekhne lagi..."aao mere sath"....Sanjana aur asif dono..dheere dheere sidiyo se niche utare..wohi andhera..asif ne sath mein lamp jala li thi

Dono dheere dheere niche utare mombati ki roshni mein kamra saaf dekha ja sakta tha dhool mitti se sanaa...asif ne fauran uthke khufia darwaje ko band kar dia...ab dono is basement mein kaid they...asif ne lamp paas rakha aur sanjana ki or dekhne laga

Sanjana - yahi aayi thi main oos raat ye dekho yaha woh saaman!
Asif - haan yaha saaman tha Par wohh gaya kahan?
Sanjana - wohh maine tumhe dikhaane ke liye store room mein rakhaa tha par tum kaise jaante ho ?
Asif - aaj waqt aa gaya hai ki tumhein apne ek kadwe sach se mulaqat karau..ye kamra kabhi mere liye sabse aziz tha kabhi maine yaha oon nishaaniyo ko dafan kia tha jise kabhi lautke na dekhne ki kasam khaayi thi
Sanjana - asif sach sach batao kya tum yaha aaye they? tumne mujhse jhoot kaha hai na? tum yaha pehle bhi aa chuke ho bolo jawab do? ye ghar tumhara apna hai?
Asif - haan sanajna haan main yaha aaya tha aaya tha main ye ghar mera hi hai jise salo pehle maine chodh dia tha jaanti ho kyu? kyunki main oos kadwe sach se khud ko azad karna chahta tha

sanjana chupchaap waise khari thi...asif ne paas jaake...oos tasveer ko ponch dia..sanjana ekdum se hairan hoke oos tasver ko dekhne lagi wohi tasveer jismein khud sanjana ka chehra bana hua tha asif ne ek baar sanjana ki or dekha aur fhir tasveer ki or

Asif - aisa lagta hai jaise tumhein hi dekh raha hoo hai na par ye tum nahi ho?
Sanjana - nah.ii yee kaunn hai? haan yahi tasveer hai wohhh yehh!
Asif - mere atit ka ek ghinona sach ye ladki jo bilkul hubahu tumhari tarah dikhti hai koi aur nahi mera pehla pyaar thi

Sanjana pe jaise bijali gir uthi...ekpal ke liye ooske kadam larkhara uthe..asif lekin saqt nigaho se snajana ki or dekh raha  tha.."main nahi janta tha ki kismat mujhe fhir oos raah pe le aayegi jise main kayi saal pehle isi jagah pe dafnaya tha"....asif ke aankho se behne lage

Sanjana - kya matlab hai tumhara?
Asif - Aaj se kareeb 5 saal pehle ki baat hai maine tumse ek baat jhoot boli ki main india mein aane se pehle kahin aur nahi tha...haan baat aaj se kareeb 7 saal pehle ki hai..oos waqt hindustan se ek choti job ke silsisle mein bristol aaya tha..socha yaha koi acchi job dhundhke settle ho jaunga...lekin itna aasan nahi tha..jis company ke liye main yaha aaya oos company ko shut down hona para..bahut nuksan hua tha...b.a complete karne ke baad bahut muskil se hi foreign job dhundha tha

Achanak company ke band hote hi meri halat bahut kharab ho gayi sadak pe rehne ki naubat aa gayi..paisa bhi dheere dheere jo india se laaya tha khatam hone laga..upar se hindustan janaa bhi muskil tha main bahut muskil mein fass gaya tha...lekin achanak kismat ne ek karwat badli bristol mein hi ek din job dhundha oos waqt mujhe paise ki bahut zarurat thi maine soch lia ki kisi bhi tarah mujhe naukri jutaani hai...main interview dene gaya tha..saikdo ladko ki line mera visa bhi sirf 1 saal ka tha 6 months ke baad return hona tha chahe jaise bhi ho par mujhe paisa kamana tha

Achanak hr recruiter se jab mila toh pata chala she was none other but boss ki hi beti thi jo khud apne employees ka interview leti thi ek bare baap ki ameer zaadi...mujhe dekhte hi oosne mere baarein mein jaana...kaafi sawalat kiye aur aakhirkaar mujhe select kar lia gaya...main kaafi khush tha lekin main kya janta ki ye khushi meri chand dino ki hai..agle din boss se bhi mila lekin pata chala ki yaha ki manager khud ooski beti hai jisne mujhse interview lia tha...dheere dheere main nahi janta kyu par wohh ladki mere kareeb aane lagi? behad kareeb zara zara si baaton mein mujhe yun gale se lagana main samajh nahi pata shayad foreigners ke dhang hi kuch aise ho par main nahi janta tha ki wohh aakhir kya sapna leke mere liye baithi hai?

Sanjana - oos ladki ka kya naam tha?
Asif - Saraya jewis kitna saamanya lagta hai ye naam tumhare naam se saraya sanjanaa chehra bhi ek jaisa..par ooske aur tumhare dil mein kitna antar hai
Sanjana - tumne ye baat mujhe shaadi se pehle kyu nahi batayi?
Asif - main tumhare dil ko todna nahi chahta tha dekho sanjana ma..inn sabkuch byaan karnachhta hoo pls tum naraaz mat ho jo kuch hua main behek gaya tha oos waqt jab tumhein pehli baar dekha toh main dhoka khaa gaya ki tum kaise ho sakti ho? wohh toh marr chuki thi maine hi oose!

Asif ekdum se chup ho gaya maano kuch aisa keh dia ho? jise sunke sanjana ekdum sehem uthi...asif waise hi thithak sa gaya "tumne oose kya? oose kya jawaab do?"....Sanjana asif ke aankho mein jhaankte huye boli oose jhinjodhne lagi par asif thode dair tak waise hi chupchaap khara raha..

dheere dheere byaan karna shuru kia asif ne sanjana fhir gaur se asif ko dekhne lagi..ooski baatein sunne lagi...asif oosi zehan mein dub gaya jis attet ko woh byaan kare jaa raha tha...dheere dheere theek oosi lamho mein oos bure saaye mein

Oos shaam main laut raha tha ki achanak dekha ki kuch gunde ek ladki ko buri tarah tang kar rahe they...main jaan gaya tha ki ye log badmash hai..maine turant gaadi rok di aur oonki taraf dekhne laga achanak jis cheez pe meri nigaah pari wohh ye ki ye wohi ladki thi jiske liye main kaam karta tha...mere andar ka jwala badhak utha aur main fauran gaadi se nikalke oon guddo pe tut para...saraya mujhe dekhke hairan ho uthi...lekin oos waqt mera pura dhyaan oon gundo ko pe tha...kafi marpit ke baad aakhirkaar wohh gunde bhaag gaye...maine saraya ki aankho mein jo nazakat dekhi oosse ye saaf tha ki wohh mujhpe fida si ho gayi thi lekin main bhi oos baat se zyada saraya ke liye fikarmand tha ki oose koi chot toh nahi lagi

Asif - mam aap theek hai?
Saraya - bilkul tumhare hote huye mujhe kuch ho sakta tha? are u okay?
Asif - yup can i drop u?
Saraya - sure meri gadi kharab ho gayi thi socha ki paidal hi nikal jau
Asif - it's okay aao meri gadi mein baitho

Pure raaste hum dono mein koi bhi baat nahi ho rahi thi....saraya meri or dekhte huye muskura rahi thi na jaane kyu? "kya hua mam?"....maine saraya ki or dekhke kaha

Saraya - dekh rahi hoo ki tum kitne cute ho?
Asif - hahaha aisa nahi hai mam cute toh aap hai itni khubsurat hai aap? hamara kya hai? hum toh tehre gareeb india se yaha aake aaphi ki badaulat acchi naukri paayi waise aapko yun akele ghumna fhirna nahi chahiye (mujhe laga shayad maine kuch zyada hi keh dala lekin oos deewani ke aankho mein toh shayad main hi basa tha)
Saraya - kaash koi hota jo is akelepan ko samajh sakta do u have any gf?
Asif - ummmm n..nahii mam
Saraya - banayi kyu nahi?
Asif - bas aise hi mann nahi mila
Saraya - hmmm waise mere ab tak kaafi boyfriends rahe but i don't like them any of them
Asif - ok lijiye aapka ghar aa gaya

Saraya utarkar meri or dekhne lagi.."ok mam main fhir chalta hoo late ho raha hai?".....Saraya ne rokna chaha lekin main na maana...maine kal office mein milane ka baat kehke waha se nikal gaya lekin main dekh sakta tha rear view mirror se ki wohh tab bhi woh khari meri or dekh rahi hai...main chupchaap nikal gaya...oos raat mujhe neend nahi aayi saraya ne maano jaise mere dimag mein kabza kar lia tha par sath hi sath darr tha ki kahin main naukri se haath na dho baithu par na jaane kyu ooski kashish mein aisa kya tha jo main ooski taraf kheencha chala gaya

Oos din se mulaqat ka woh sisila shuru hua...nahi janta tha kaise? par hua oose mujhmein kya aisa dikha? jo wohh meri ek jhalak ke liye pareshan rehne lagi..oos din jab main gaadi se oosi road se jaa raha tha saamne dekha ki saraya gaadi pe sahara lie khari hai maano jaise kisi ka intezaar kar rahi ho...maine muskurake gaadi rok di...oosne meri or dekha maano jaise mere hi intezaar mein ho..

Asif - hahaha gooodmorning aaj bhi aapki gaadi kharab ho gayi?
Saraya - kharab toh nahi huyi par shayad kisike intezaar mein thi jo ab aa gaya
Asif - k..kya matlab?
Saraya - aao mere sath (sanjana ne ekdum se mere haath ko pakad lia main thodha hairan ho gaya..lekin maine bina kuch kahein ooske sath jungle ke bheetar chala aaya)

achanak saamne ke oos khubsurat nazare ko dekhke main muskura para....kitna khubsurat nazara tha jungle ke bheetar jharna jisse girta paani charo or ghass aur bare patthar...jaise hi saraya pe nigah pari toh ek pal ke liye chaunk utha...oosne apne dheere dheere saarein kapre utaar liye aur bikini ko theek karte huye meri or dekhne lagi maine kabhi oos jaisi ladki nahi dekhi thi jise mujh jaise ajnabi se darr nahi laga balki wohh mujhse itna close hone lagi thi...saraya dheere dheere paani mein utarne lagi

Saraya - aao na main roz yaha aati hoo aao darro nahi aa jao sharmao mat
Asif - ohkkk

Darr toh tha par naa jaane kyu ooski muskurahat ne mujhe pagal sa bana dia...main apne shorts mein fauran kud para ye na socha ki abhi main office ke liye rawana ho raha tha aur beech raste mein saraya ke is azab se mulaqat ne mujhe itna badal daala...hum dono paani ke bheetar gote lagane lage jharne ke paas aake bheegne lage...saraya kabhi mere upar pani fakti toh kabhi main kafi dair tairne ke baad hum jhadi ke paas aake apne kapre pehne lage

Saraya - kaisa laga?
Asif - bahut hi accha lekin main samajh nahi paa raha kya tumhein ye pata nahi ki main sirf aapka ek employee hoo? agar aapke dad ko pata laga toh shayad wohh mujhe naukri se nikal hi de
Saraya - darro nahi wohh sirf mere step-dad hai
Asif - kya?
Saraya - haan khair wohh baat jaane do sach mein asif mujhe behad maza aaya..kya tum roz aaoge mere sath aise hi ghumoge pls?
Asif - umm theek hai

Main nahi janta ki is azab se mulaqat ne mujhpe kya jadu kia? kabhi ek mard ko koi aurat apni taraf kheenchti hai ye main nahi janta tha..lekin main ooski taraf kheenchta jaa raha tha...kuch dair baad hum gadi mein baithe aur apne office aaye...hum dono ekdusre se normally behave kar rahe they lekin saraya dhere dheere mere behad kareeb aane lagi kabhi project samjhane ke time woh mere ekdum nazdeek sat jati kabhi meetings jaane ke waqt mujhse lipatke baithti...assitant ke haisiyat se koi kuch keh nahi pata lekin main is saraya mein aaye parivatan ko dekhke kaafi gambhir tha..kya ye ooski taraf se dosti ka haath tha? ye fhir oose mujhse pyar ho gaya tha main nahi janta tha bilkul bhi nahi...to be continued
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #17 on: April 07, 2015, 10:55:22 AM »
Dheere dheere hum dono ke beech dosti itni gehri ho gayi ki ab mujhe saraya mein khud ke liye ek azib sa ahesas dikhne laga tha...wohh baar baar apne dad ko insist karti thi ki mujhe ooska permanent assistant ke sath personal assistant bhi bana de...ooske sautele baap ko itna matlab nahi tha...oosne bina kuch kahein mujhe offer dia aur zyada paise dene ka lalach bhi dia..main kya kar sakta tha? akelepan mein ek saathi mila tha bas haan keh dia..ab saraya mere sath bahut waqt bitaane lagi mere baarein mein janne lagi aur main bhi...lekin jo baatein maine saraya ke baarein mein jaani woh shayad behad azib thi

Saraya apne pehle baap ki iklauti beti thi...jab ooski maa ka kisi aur ke sath extra martial affair ho gaya..ooske baap ka apna ek chota shop tha...aur angrezo mein toh divorce aur marriages aam hote hai theek kuch waisa hi saraya ke gharwalo ne kia..ooski maa ne ek bare business tycoon se naata jod lia...dheere dheere oon dono ke affair ke baarein mein jab saraya ke dad ko pata laga toh oonhone ooski maa ko divorce de dia oose waqt saraya koi muskil se 2-3 saal ki hogi ghar ke aapsai jhagde aur akelepan mein rehte rehte saraya ko mansik problem ho gaya ooski maa bhi oospe koi khaas dhyaan nahi deti thi...lekin naa jaane kyu? saraya ki mom ka khoon hua tha jisne saraya ko aur bhi todh dia ye nahi jaana ki wajah kya thi? par dheere dheere saraya is sadme se ubharke dad ka business sambhalne lagi..sautela baap dus jagah munh marta tha..paise ki toh ko ibaat hi nahi thi wohh toh saraya ko bachpan se paala tha isliye ooske baarein mein ooska baap itna sochta nahi tha

Ye sab khud baatein mujhe saraya ne batayi..saraya bahut zyada bhaavuk ho uthi aur theek oosi pal maine oose apne kandhe se sahara dia par ek dost ke haisiyat se..saraya oon lamho se dur hona chahti thi wohh mere behad kareeb rehna chahti thi oosne mujhe harpal kasam di ki main oose kabhi akela chodhkar na chala jau warna wohh tut jaayegi maar lengi khud ko ooske is obsession ko dekhte dekhte maine oose khub samjhaaya..in sab palo mein kab main ooske behad kareeb aaya pata na chala

Yun toh ab ghumna fhirna hamare liye normal ho gaya tha...sabne dekh bhi lia tha lekin kisi ki himmat nahi thi..saraya bahut zyada mujhse khul khul ke baatei nkarni lagi thi shayad wohh mujhe apne kareeb laane ke liye uksa rahi thi par mujhe bahut darr lagta tha ek toh main ek chote sheher se gaya hoo kamane ke liye kisi bhi aafat ko gale lagana bahut hi nuskan bhara hota mere liye lekin kabtak sambhalata saraya itni khubsurat thi ki ooske kareeb bina gaye main nahi sambhal paaya

Aur hum dono ke beechh....(main chupchaap sanjana ki or byaan karte huye itna kho sa gaya tha ki ye bhi na dekh saka ki sanjana ne gheen bhare nigaho se apne munh ko fhair lia tha shayad ab oose meri aankho mein aankhe daalne se gheen aa rahi thi)...oosi beech saraya ka apne dad se jhagda ho gaya...na jaane kyu? oos din saraya ke dad ne bhari meeting mein oose thappad maar dia

Saraya ki aankho mein mujhe jo gussa dikha..oosse ek pal ke liye main khaamoshi se chupchaap raha..saraya ne ek jhalak sabki or dekha aur rote huye nikal gayi...oos waqt toh main kuch na kar saka...lekin jab oose har jagah khojte khojte office ke baad oosi veeran jagah pe baitha paaya toh ooske kareeb aake oose samjhaane laga..saraya mere gale se lipat gayi...maine oose khub samjhaaya aur oose ghar bhej dia aur main kar bhi kya sakta tha? oos shaam achanak mere kamre pe dastak huyi...saraya ko bahar khara dekh main chaunnkke nikala

Asif - saraya tum yahan?
Saraya - ab se main tumhare sath rahungi kya tum mujhe rehne doge?
Asif - umm the..ek hai aao

Main darr raha tha kahin saraya ke baap ko pata na chal jaaye...lekin saraya ke dad ne oose khud ghar se nikal dia tha...agar woh ye jaan gaye ki main oonke beti ke sath relation mein hoo toh shayad mujhpe bhi musibat ka pahadh tut parta...ab saraya mere sath rehne lagi...oosne office jaana chodh dia...ek din office mein ye baat leak out ho gayi aur oos din mujhe ooske dad ne khoob daanta

MR JEWIS - u little moron tumhari itni himmat ki meri beti ke sath raho how dair u? mamuli se ek employee hoke tumne mere beti ke sath u get lost isse pehle ki main guards ko bolke tumhein dhakke maarke yaha se nikaal doo
Asif - p..arrr sirr plss believe me sirrr sirrr

Mujhe bezzat karke naukri se barkhast kar dia gaya...mera ab sapna tut chuka tha..mera career khatam hi tha...main jab ghar lauta..toh saraya ne sab jaante huye oose behad gussa aaya..saraya ne oos din mere saamne apni deewangi ka imtihan tab dia jab plates aur cups ko oosne ek ke baad ek faika aur kaafi chilaaya..maine saraya ko shaant kia..aur oose chup karaya...maine oose samjhaaya ki hum dono ke beech aisa koi relation nahi ban sakta kyunki na main tumhari aukwad ka hoo naa hi tumhare mazhab ka aur na hi tumhare desh ka mujhe tumhare log kabhi except nahi karenge aur meri wajah se tumhein nuksaan ho i don't want that

Saraya bahut ziddi thi..aur oosi din naa jaane wohh kahan gaayab ho gayi? ooske ghar jaane ki himmat nahi thi ooska saara saaman mere ghar mein tha..meri visa extension bhi khatam hone wali thi ab mujhe waapis india jaana tha...saraya ye baat sunke shayad khud pe qabu na kar sake par dil pe patthar rakhkkar mujhe oose samjhaana tha...aur oosi raat darwaje pe dastk huyi bahut hi zor se

Dhadh dhadhh...maine jhat se darwaaja khola...saamne saraya ka bheegi huyi thi oosne apne geele kapre utaar daale aur apne lingerie mein hi apne badan ko ponchne lagi ooska aisa bartav dekhke main thodhe dair chup raha...fhir achanak meri nigah ooske kapro pe lage khoon pe pari...yahi barsaat yahi tufaani raat thi woh..

Asif - sara..yaa ye sab kya hai? saraya tum kahan thi? ye khoon? ye sab!
Saraya - tum fikar mat karo asif ab hum dono ko ek hone se koi nahi rok sakta haan mere dad bhi nahii maine oonhein maar daala theek jaise maine apni veshya maa ko maar dia tha
(saraya pagalo ki tarah mere chehre ko hatho se sehla rahi thi)

Main ekdum thithak gaya..sar.sarayaa ye kya keh rahi ho? what do u mean? are u out of ur mind? ye tumne ky..a kia?...main ek pal ke liye badhawas ho gaya

Saraya - h..haan tumhare liye sirf tumhare liye meri maa ne mere dad ko mujhse cheena..aur mere stepdad ne tumhein bolo aur main kya kar sakti thi bolo? bolo naaa kya tum mujhse darrte ho kya tum mujhse shaadi nahi karoge
Asif - s..araaya hosh mein aao meri baat suno saraya listen to me mera visa ab khatam hone wala hai mujhe waapis india jaana hai khabar ye bhi mili hai meri maa bahut bimar hai oonhein saqt paiso ki zarurat hai
Saraya - wh..att? tu..tumm mujhe chodhkee jaana chahte ho? tumm mujhee chodhnna chahte ho?
Asif – sa..raayaa tummm baat ko samjho main ab yaha aur nahi reh paunga aur tumne ye..sab k..kyuu kiaa? ohh my god (main bahut zyada pareshan hone laga)
Saraya - iska matlab tum bhi auro jaise ho sabne fayeda uthaya right? right?
Asif - saraayaa tum samajh nahi rahi tum khatre mein ho ab pata hai tumne apni nadaani mein kya kia?
Saraya - m..maine jo kia mujhe ooska koi afsos nahi main sirf tumhe paana chahti hoo zindagi mein ab sirf tum hi mere sabkuch ho tum kahi nahi jaoge mere sath rahoge
Asif - nahii saraya main tumhare sath ab nahi reh sakta tum ne ek gunah kia hai isse tum bach nahi paogi tum apne aape mein nahi rahi ab nahi rahi
Saraya - ac..chaa tu.m mujhse dur jaogeee mujhseeee

Saraya ke bartav mein sankipan mujhe dikh raha tha wohh mujhe gusse bhar nigaho se dekhne lagi...saraya ne ekdum se oos jacket mein fase basebal bat ko bahar nikala..oos balle pe khoon laga hua tha jo shayad mr jevis ka taza khoon tha jise kuch dair pehle saraya ne maut ke ghat utara

Saraya - t..tumm mere nahi banoge muj..hse durr jaoge
Asif - s..araaaya plsss bat niche rakho sa..raaya
Saraya - m..ujhse dur jaogee (mere kareeb basebal bat ko laate huye)
Asif - sa..raaya baat samjho tum apne aape mein nahi ho plss sa..raaya noo noo aahhhh aahhh

Saraya ne ekdum se mere pait pe balle ka waar kia aur fhir gusse se mere gardan pe bhi ek baar hamla kia...main buri tarike se dard ko peete huye jaise khara hua oosne theek mere gardan pe waar karna chaha lekin main bach nikala..aur sidhe ulte haath ka thappad ooske sar pe de maara...saraya ka sar sidhe daraaz se ja laga aur khoon behane laga..ek pal ke liye main hosh mein aa gaya..saraya maathe ki chot ko pakre wohi baith gayi

Asif - s..arayaa tu..mm theek ho? saraaya

Maine saraya ke junooni bartav ko bhulke ooske maathe ke chot ko sehlate huye kaha...lekin tabhi oosne mujhe ek pal liye dhakel dia...saraya ekdum se chillati huyi bhaagne lagi...main ooske piche bhaaga par tabtalak wohh mujhe do baar dhakelke gaadi ko tez raftar mein leke wahan se nikal gayi

Mujhe behad chot laga hua tha isliye main wohi farsh pe behosh ho gaya...kuch dair baad hosh mein aate hi mujhe woh kisi bure sapne ki tarah laga tha..saraya ek khooni thi aur ab mujhe bhi ooska kahuff sata raha tha maine fauran farsh pe lage khoon ko saaf kia aur saraya ke kapre jise woh leke bhag gayi thi ooske lage khoon ko bhi saaf kia taaki koi sabut na rahe..maine baseball bat ko bhi acchi tarah dhoke gadi ki dikki mein faik dia

Aur jaise taise aaram karne laga..oos raat mujhe neend nahi aayi...par subah police aayi thi..darwaja kholte hi main thodha sehem utha...police ne kayi tarah ke sawalat kiye..oonhone byaan kia ki saraya kal se gaayab hai oosne aatamghatak roop se maids pe bhi hamla kia..aur ooske dad ka qatal karke farar ho gayi janne ko mila hai ki main saraya ke sabse close tha...oonhone kafi dabav dia meri chot ke baarein mein pucha..maine saaf byan kia ki mera accident hua tha..kisi tarike se police ko samjha bujhaake maine vida kia lekin jo shocking sach mujhe saraya ke baarien mein pata lagi woh ye ki oosne apni hi maa ka qatal kia tha baseball bat se buri tarike se oonko jaan se maara tha aur theek oosi waqt oose minor hone ke kaaran mental institution mein admit kar dia gaya saraya mansik taur se pagal thi..jo wajah mujhe hilaa dene ke liye kafi thi maine saraya ke baarein mein koi bhi baat raat ka waqaya kuch bhi nahi police ko bataya..lekin dheere dheere dil bahut dhak dhak karne laga..aur theek oosi din to be continued...

Logged
asif biswas
Guest
«Reply #18 on: April 08, 2015, 09:44:16 AM »
Jab jab tumhari baaton se main tumhare paas aana chahti hoo khambhakt dil dhadhakne kyu aisa lagta hai jab kisi ko tumhare kareeb dekhti toh dil qatilana kyu ban jata hai? aaj agar tum mere nahi huye toh kasam hai oon pyar karne walo ki tumhare dil ko main cheer ke apne sath le jaungi kyunki ye dil sirf tumhare liye dhadhakta hai

Ye khat mere hatho mein tha...jiska ek ek shabd khoon se likha hua tha..main janta tha aade tedhe tarike se saraya ne apne deewangi ka jo byaan kia tha oose main nakar nahi sakta...ye baatein oosne mujhe english mein likhi thi...maine fauran oos khat ko ek side pe rakh dia...aur fauran soch mein dub gaya aakhir mujhe kya karna chahiye? saraya ek aise bartav aur upar se oosne jo khoon kiye police mujhe ooske sath agar dekh legi toh mera career barbaad bhi ho sakta wohh ab ek sanki muzrim hai aur apni deewangi ke liye bani agar woh mujshe pyar na karti toh apne khoon ka iqbal kabhi nahi karti

Maine fauran soch lia ki mujhe kya karna hai? saraya ka phone tap ho chuka tha shayad oosne sim card todke faik dia ho..aur kahan chuppi hai? mujhe bhi nahi pata upar se police ooski talash mein hai..dusri or maa ki tabiyat achanak se kharab huyi hai kuch bhi ho sakta hai aur 2 din hai mere paas hindustan jaane ko jab itni saari musibatein ek sath thi toh khuda ko hi apna sathi bana lia tha..fauran bina parwah kiye main saraya ko dhundhne ke liye nikal gaya main nahi janta saraya kahan hai? kya pata police mera picha kar rahi ho beech beech mein piche ki or nigaah jati par na koi nahi tha

Fauran ekdum se gaadi rok di maine..achanak saraya ki woh baat yaad aayi oose woh ghani wadia pasand tha jahan woh aksar jaaya karti thi..maine fauran gaadi ko oos taraf mod dia...ooska khat mujhe subah mein mila tha...saraya yakeenan mujhe bulana chah rahi thi...main oose samjhakar ooske liye kuch kar sakta hoo warna oose hamesha ke liye kho dunga...dheere dheere andar ka darr haavi hone laga aur theek oosi jagah main pahuch gaya..wohi girta jharne ka pani charo or hari wadiya..maine charo or saraya ko dhundhna chaha...par saraya kahin nahi dikhi achanak dekha ki dur ek veerane mein ek khandar hai...ek baar saraya ne mujhe bataya bhi tha ki ye britisher ka hoya karta tha..ek abadoned cottage..jo kisi bhutiye bangle jaisa tha

Main turant daudte huye khandar ke paas pahucha.."saraaya saraaya"....Main chillaye jaa raha tha..par naa toh saraya ki koi awaaz lagi aur naa hi kisi ki aahat...main dheere dheere khandar ke andar ayaa..dil kaanp zarur raha tha lekin shayad saraya ko mujhpe kiye hamle ki galti ka ahesas ho oosne khud khat pe byan kia tha..aur ye sirf bulawe ke liye hi ho sakta tha woh aaj subah mere ghar aayi thi..."saraaya"....main chilaaye jaa raha tha lekin koi nahi dikha..ekdum khandar tute huye cheezein chair kursi..achanak kisi ki gungunati awaazz

"Don'tt leavee me alonee don't leave me alonee withoutt u i am incomplete i always love u remained"....main dheere dheere sidiyo se upar aaya...aur achanak saraya ko ek kone pe farsh par baitha paaya oose dekhke koi bhi darr jata..ooski haalat kisi paagal mental assylum se bhage shaks jaisi ho gayi thi...achanak oosne mujhe muskurake dekha..ooske haath pao pe zakhm they...maine ekdum se daudta hua...saraya ke kareeb aake oose thaama

"s..araaya arre u alright? uff ye..kya kia tumne?"...maine ooske or dekhte huye kaha...par achanak ooski tahaka lagati hassi ne mujhe ekpal ke liye hairan kar dia
"u don't love me tabhii tum mujhe chodhkee jaa rahe ho aaj mere sath koi nahi everyone hates me thinks i am a psycho"....Saryaa pagalo ki tarah bartav karke rone lagi

Asif - d.ekho saaraaya meri baat suno main tumhein kahi chodhke nahi jaunga but u have to understand this mera jaana behad zaruri hai main koshish karunga dobara aane ki main kasam khaata hoo main dobara aaunga pls tu..m shaant ho jao tumne kya kia pata hai tumhein police tumhein dhundh rahi hai tum kabhi bhi arrest ho sakti ho
Saraya - nooo nooo i don't care ye kanoon mujhe mere wishes se nahi rok sakta...na mujhe tumse alag kar saktahai
Asif - sa..rayaa waitt saaraaya

Saraya mujhe dhakelke oos lambe se tute kanch wali khidki ke kaggar pe chadh gayi..."s..araaya what u doingg tumhein chot lag jayegi tum gir sakti ho pls come back"....Maine ooske paas aana chaha lekin oosne apne nass pe kanch ka botal laga dia

Saraya - u still hate me kaho agar tum mujhse pyar karte ho toh main tumhare sath chalungi
Asif - m..main tumse nafrat nahi karta..saraya saraayaa no noo plsss begging u pls aisa matt karo
Saraya- kahoo ki tum mujhe chodhke kahin nahi jaogeee kahoooo
Asif - dekho saraya main khud tumhein zuban deta hoo main wapis aunga mera jaana bahut zaruri hai meri maa bimar hai plss
Saraya - sab jhoot bolte hai sab chale jate hai aur wapis nahi aate tum bhi chale jaoge waapis nahi aaoge tum jhoot bol rahe ho jhoot jhoot dekho agar t..um ne haan nahi kaha toh main ap..na nass kaant lungi
Asif - dekho pagal mat bano saraaya plsss tum khud ko khatre mein daal dogi meri baat maano pls baby niche utar aao pls saraya kyu aisa kar rahi ho tum?
Saraya - tum mujhe pagal samajhte ho na main tumhare liye koi ahemiyad nahi rakhti tumhare liye sirf tumhari maa ahemiyad rakhte hai go to hell now gggoo
Asif - saraaya stop it kab se tumhein samjhaa raha hoo lekin tum nahi maanr ahi dekho saraya visa expire ho jayega mujhe yaha ki govt khud deport kar degi hum dono ek nahi ho payenge aur jis tarah tumne murder kia hai u won't be free saraya it's for u aao niche utar aao taaki hum kuch solution nikalsake
Saraya - haan ya naa asif
Asif - sar!
Saraya - haan ya na yes or no

Main chupchaap oos waqt kuch keh na paaya..aur na mere labo se haan nikal pa raha tha...sabkuch mere dimaag mein jaise kaanto ki tarah baras raha tha..achanak meri jhuke nazaro ko dekh saraya ne bhaanp lia ki main oosse pyar nahi karta..aur theek oosi pal oosne gusse mein aake apna nas kaant lia

"aahh..ahh"...saraya dum saandke wohi apne hatheli ko pakadke teher gayi ooske hatheli se khoon behane laga.."saraaayaa"....main chilla utha main ab aur bardasht nahi kar sakta tha lekin jabtak main ooske kareeb jaata...saraya ka achanak pair fisal gaya aur wohh tute kaanch ke khidki se takrakar gir pari..."saraaaaayaaa"....Main sirf chila sakta tha..aur wohi teher gaya..

Maano jaise kaanto toh khoon nahi mera kaleja munh se bahar nikalne ko tha..ek pal ke liye itni bechaini ho uthi ki mujhe ultiya ho gayi...Jab khud ko hosh mein sambhaala tab sabkuch veeranein mein dhal chukatha..main dheere dheere khidki ke paas aaya aur fhir tute kanch ke khidki se bahar jhaanka...3 manzil niche saraya zameen pe buri tarike se marri huyi pari thi..ooska gardan mud gaya tha..ooski aankhe waise hi tehri huyi...

Main kaanpne laga ki main kya karu?..lekin mujhe is khatre se nikalna behad zaruri tha...police ko zara sa bhi shaq hua mere aur saraya ke beech ke is vardat ko toh mujhe saza ho sakti thi woh log mujhe hi kaatil maante..himmat aur allah ka naam leke main bahar aaya..umeed thi shayad saraya jinda ho lekin jaise hi ooske nabz pe hath rakhna chaha...toh paaya ooska badan thanda pad chuka tha...aaj mere hi wajah se ek khoon huatha..is baat ko bardasht nahi kar sakta tha main..maine fauran saraya ko kiis tarah uthaya haddiya ooski tut chuki thi kaanch pait ke andar bahar nikal gaya tha...oos pal mujhse chala nahi jaa raha tha..fauran gadi se ek bara sa safed kapra laaya aur ooski laash ko oosmein daal dia..charo or dekh bhi raha tha..aur fhir dheere dheere main oose jungle ke raste se waapis road pe laaya badal garaz rahe they mausam bigadh raha tha

Khoon tapka nahi tha..maine ooski laash ko dikki mein rakh di..aur fhir fauran hi jahan pe ooski laash giri thi waha ke khoon ko paani se jaise taise saaf kia...charo or dekhte huye ghabrake main waha se bhaaga..achanak highway se aati gadiyo ko guzarta dekh ek pal ko sehem gaya..fhir gadi mein baithke oosi pal gadi ko sheher ke raste le jaye bina ville street le gaya suna tha wahan kablustan hai ek purana...jaha koi aata jatanahi lash ko thikane lagane ka wohi ek sahi jagah tha

Main bahut ghabra raha tha..ek pal ko lagta jaise dikki se nikalke saraya mere saamne aa jaayegi main pure raste apne jazbato ko rok nahi paa raha tha...maine aaj saraya ko kho dia tha...achanak ek tezi se truck aane se bacha..ek pal ke liye khud mein himmat jutayi mera ek galat kadam mujhe marwa sakta tha...andhera hone laga mauzam ka mizaz bigadhta gaya aur baarish shuru hone lagi mere liye toh accha hi tha ki koi mujhe dhundh nahi payega aur dekh bhi nahi payega aur tabhi...

Aur is tarah oos shaks ne kablustan aake dwar kholke ek khude huye qabr ko dekha aur ooske kankal ko hatake oos ladki ki laash ko dafna di..aur theek oosi pal qablustan se bahar aay aur gadi ko start karke waha se nikal gaya aur soch lia oosne ki ab na toh woh is baarien mein kabhi sochega aur na hi kabhi is hadse ko yaad karega oosne bura sapna samjhake oose bhulaa dia ye koi aur nahi asif hi tha..aur woh laash saraya ki..sanajana chupchaap asif ki baatei nsunke ekdum se chair pe ja giri...ooski aankho se aansu girne lagaa

"Ye cheezein jo tum dekh sakti ho ye sab saraya ki chodhi huyi saaman thi mere ghar pe jab wohm mere sath rehti thi ye ooski kuch yaadein jinhein chahke bhi main jala na saka".....Asif ne sanjana ki or dekha sanjaan sabkuch ab jaan chuki thi
"gam picha nahi chodti maa ki maut ke baad main tut gaya..aur fhir tum mili mere akelepan ko bhulane ke liye aur fhir hum dono ke beech pyar hua ek pal ko laga ki kahin tum meri saraya toh nahi? par tum ooski tarah kabhi ho nahi sakti kabhi nahi"....Maine sanjnaa ke dono bazu pe hath rakhte huye kaha

Asif - i am sorry main janta hoo ki tum mujhe kabhi manf nahi karogi par dil se kehta hoo main chahke bhi oos sacchai ko yad nahi karna chahta tha par aaj na jaane kaise ye sab?
Sanjana - tabhi woh qablustan wala sapna tumhe khauff kyu dilaaya? ab mainsamajh gayi ki ye wohi hai saraya yahi ladki jo is tasver mein hai yahi hai saraya hai na
Asif - haan

Achanak badal garazne ki awaaz sunke asif sanjana ki or dekhne laga..."kya tum mujhe ab bhi nafrat ki nigah se dekhogi..main tumse manfi mangta hoo sanjana mujhse ab aur ye bardasht nahi ho sakta i am sorry i am really sorry"....Asif wohi ghunto ke bal sanjana ka haath pakre rone laga

Achanak oose ahesas hua ki sanjana ooske behad kareeb hai oosne ekdum se asif ko gale lagaya..."tumm aisa kyu sochte ho? ki main tumse nafrat karungi halat ne hum dono ko is raah pe pahuchaya hai woh tumse saccha pyar karti hai ab bhi isliye tumhein kuch hone nahi di wohh mujhe nahi dekh sakti wohh mujh maar dalegi...sanjaan ka chehre mere haatho mein tha

Asif - sssh nahi wohh ek beeta kal hai main tumhein kuch hone nahi dunga
Sanjana - wohh ab ek aatma ban chuki hai khoon ki piyasi jabtak oose tum nahi miloge woh mujhe til til taqleef deti rahegi ab main samajh rahi hoo hamare yaha aane se ooski aatma kyu jagi? jo barso se in veerano mein bhatak rahi hai

Mainsanajan ki baaton ko kuch kuch samajhraha tha..lekin tabhi dhapp dhapp...kisi ki ek ek pal rukti kadmo ki awaz..thak thakk..woh awaaz ab sidiyo se utarke hamari or hi aa rahi thi..sanjana ne kasske mera haath pakad lia..."sanajana ne om ke locket ko ek haath se pakad lia"....kisi ki gungunane ki awaaz aa rahi thi koi tha jo upar chal raha tha...kabhi ek or se dusri or toh kbhi dusri or

Achanak grr grr karke wohh basement ke darwaaje ko kholne laga...sanajan aur main darr se ekdum ek or ho gaye "wohh kuch nahi kar sakti tumne om ka locket pehna hai woh tumhein kuch nahi hone degi kuch nahi"....Main sanjana ko piche kiye hue tha

Achanak woh gugunahat ko main pechan gaya wohi gaana saraya hi thi wohh yakeen nahi ho raha tha ki woh marrke ab bhi zinda thi..ooski chahat ooski deewangi oose zindagi se badhkar le gayi..hum dono khauff se sehem rahe they lekin woh awaaz dheere dheere sidiyo se niche aane ko thi par aa nahi paa rahi thi..achanak ek cheekh suniii..azeeb si ghutan bhari cheekh aur ooske baad ekdum se light aa gaya..

Jab hum dono ne charo or dekhatoh waha azeeb si khusbu gunz rahithi...Main fauran aage jaana chaha toh sanjana ne roka..lekin tabhi sidi ke upar ek nishaan dekhaa sidi ka kona jal sa gaya tha...main jaan chuka tha sanjana ke om ke locket ke wajah se woh saaya basement mein nahi utar saka..lekin main is baat se behad khush tha ki woh saaya ab sanjana ko nuksan nahi pahuchayega..to be continued..
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #19 on: April 09, 2015, 12:41:43 PM »
Jab aankh khuli toh ekdum se sehemke main uth khara hua savera ho chuka tha chidiya ki awaaz aa rahi thi...sanjana jo mere kandhe pe sar rakhkar so rahi thi ekdum se aankho ko masalte huye uth khari huyi..."sanjana tum theek ho?"....Maine sanjana ki taraf jhukkar oose jagate huye kaha.."h..haan"...sanjana ne bare hi dheeme lavz mein kaha...dheere dhere maine basement ka darwaja khol dia...grr grr karta hua darwaja dusri or jaake gir gaya..hum dono dheere dheere waapis upar aaye..sidi pe jo jale huye nishaan they ab bhi mazud they..maine sanjana ka hath pakre upar laaya..sanjana aur main bare hi sehemte huye idhar udhar dekh rahe they..charo or saaman bikhra para tha..kaanch khidkiyo ki tuti huyi thi bartan idhar udhar faile huye they

Sanajana - y..e kaun kar sakta hai?
Asif - oosne gusse mein aake nuksan pahuchaya cheezon ko
Sanjana - wohh ab bhi mauzud hogi?
Asif - nahi suraj nikal aaya hai charo or roshni hi hai aatmaye roshni mein nahi nikalti aao mere sath

Main sanjana ka haath pakre idhar udhar ke bhikare cheezon ko hatake fauran khidkia aur darwaje khol dala..."sanjana charo taraf ke khidkia aur darwaaje khol do...jitna dhoop ghar mein pravesh karega utna hi accha jaldi"....Humne fauran charo taraf ke khidkiyo ko khol dala"....sanjana jaise hi upar gayi achanak wohh cheekh uthi..ooski awaaz sunke main bhi fauran upar aaya

Asif - kya hua? (iske baad main kuch keh na saka aage ka manzar meri aankho ke saamne tha)

Deewar pe lagi paintings ko kisi ne noch noch ke kharab kar dala tha...hamari keemati cheezein tuti huyi thi maano ek raat mein ghar ke andar tufaan aaya ho sabkuch tehes nehes kar gaya...Achanak meri nigaah aayene pe gayi...aayene pe saf dekh sakta tha khoon se likhe woh lavzz...main aur sanjana ekdusre ka haath pakre aayene ke kareeb aaye..

"Mainnn Tummheinnn le Jaunggi".....Ye dekhke main ekdum se larkhara gaya...aur bistar pe baith gaya...sanjana ab bhi aayene ki taraf dekh rahi thi aayene pe jo likha tha oose padhkar oosne apne munh par haath rakh lia fhir meri or dekha

Asif - challo sanjana hum yaha aur nahi rukeenge
Sanjana - p..arr hum jaayengee kahan?
Asif - kahin bhi? is jagah se durr wohi hai wohh waapis aa gayi mujhe laga wohh marr chuki hai
Sanjana - asif asiff plss pareshan mat ho darro mat hum koi rasta nikaal lenge
Asif - wohi toh rasta nahi hai sanjana jaise jaise waqt badhega wohh waapis haavi hona chahengi chalo mere sath
Sanjana - rukoo

Asif ne mudkar sanjana ki or dekha.aur fhir dono daudhte huye niche waapis aaye sanjana ne almirah kholke woh kapre asif ko diye..."ye dekho ye mila tha mujhe oos waqt oos khufia kamre se"....Maine sanjana se woh cheezein liye main ek jhatke mein chaunk utha ye sab saaman toh sanjana ke they jise maine khud inhi haatho se chupaaya tha ooski in yaadon ko main chahke bhi jala na saka

Sanjana - tum sab jante they ye bangla mujhe pehle din se shaq tha itne jaldi tumhein ye cottage kaise mil gaya?
Asif - haan sanjana main yaha pehle bhi aaya tha saraya ke marne ke baad hum dono ki shaadi ke baad bristol ka woh case ab thanda padh chuka tha mer eliye koi khatre ki baat nahi thi...isliye maine ye bangla lia...maine ye khufia kamra oosi waqt paaya jab real estate agent ne mujhe bataya tha ki ye kamra britisha amal ka hai...maine socha in cheezon ko hamesha ke liye yahi dafna dunga kisi ko khabar nahi hogi par main galat tha
Sanjana - woh marri nahi soyi huyi aatma thi tumhari mauzudgi ke ahesaas se woh waapis jaag uthi hai
Asif - nahi sanjana main tumhein kuch nahi hone dunga aur naa main kabhi ooska hunga mujhe iska solution nikalna parega khud hi

Main aur sanjana ne aur zyada waqt nahi lia jaise taise bikhare saamano ko theek karke fauran subah ke 10 bajte bajte ghar se nikal gaye....piche woh veeran bangle ko dekhke hum dono khauff se sehem rahe they..aisa lag raha tha jaise koi hai jo hamara picha kar raha hai...hum nahi jante hum kahan jaa rahe hai? bas humse jitna ho saka utna oos ghar se dur jaa rahe they..laptop pe search karne ke baad sanjana ne mujhe jo pata aur aadmi dikhaya oose dekhne ke baad main sab samajh gaya...jald hi hamari gaadi sheher mein daakhil huyi....

thak thakk...thakk thakk...darwaaj khula...darwaje ke khulte hi ek aadmi ne humhe andar aane ka ishara kia...kuch dair baad..glass mein paani daalte huye oos panditji ne hamari or dekha "hmmm pee lo ise dil ka dar rkam ho jayega"....Hum dono ne bina sawal kiye oose pee lia

Asif - asal mein!
Pandit ji - bas kuch batane ki zarurat nahi (ooske rudraksh bhare kalai ko uthate hi oosne sabkuch khud hi byaan karna shuru kia)..ek buri aatma hai jo kayi salo se tumhari talash mein hai..Marne ke baad bhi kuch insaan marte nahi sirf oonka shareer marta hai woh ye sochte hai ki woh insaan ki tarah hi jee rahe hai par hote maut ke ansh ban jate hai ek aatma ban jate hai
Asif - mujhe samajh nahi aa raha main kya karun? sanjana ko leke main bahut darr gaya hoo agar aap kuch help kar sake toh
Pandit ji - madad ooske hath mein hoti hai wohh upar baitha is sansaar ka rachnakarta ab ishwar hi tumhari sahyata kar sakta hai lekin main sirf tumhari madad kar paunga kyunki oos shaktishaali aatmao se larrna itna aasan anhi main mauzudgi dekh sakta hoo oose mehsus kar sakta hoo kaafi pyasi hai
Asif - wohh meri sanjana pe haavi huyii thi
Pandit ji - haan oosne sanjana ko maarna chaha lekin woh asafal huyi is om ke locket ki wajah se suraj ki roshni mein ooski shaktia vifhal ho jati hai lekin jaise jaise suraj dubta hai ya andhera hota hai wohh waapis jag jati hai

Pandit ji ne sanjana ke dono aankho pe apna angootha rakha..ooske maathe tak oose ragda...main chupchaap bare hi gaur se dekh raha tha in sab pe wishwas nahi tha lekin aaj chahke bhi mujhe wishwas karna parh raha tha..achanak pandjit ne kuch mantra padhna shuru kia aur fhir oos safed patthar pe haath ko ragada...aur fhir uthkar oospe aag lagayii...ekdum se aag patthar pe lapato ki tarah fail gaya aur fhir jald hi bhuj bhi gayi aur jo drishya hum dono ne apni aankho se dekha oose hataya na ja saka

Ek ladki jiske khule baal they ooska bhayanak chehra ooske ird gird zakhm aur hontho ke beech do daant..thodhi thodi sanjana jaisi dikh rahi thi..."n..nahiii ye nahi ho sakta ye toh"....Main abhi kuch kehta isse pehle hi pandjit ne kaha "saraya jewis tumhari pehli girlfriend yahi hai woh aatma..aur ye hai iska roop"....Sanjana munh pe haath rakhkar meri or dekh rahi thi aur main ekdum sadme mein ghira hua saraya ke oos patthar pe bane chehre ko dekh raha tha

Pandit ji - oos aatma ki hawas puri nahi huyi hai jabtak oose ooski iccha na mil jaye wohh ye dunia chodhke nahi jayengi tumhein jaha oose dafan kia hai..wohi se ooski rooh aati hai...aur ab oosne tumhare ghar pe havi ho gayi hai darro nahi aisi aatmao se nipatne ka mere paaas upaay hai mujhe apne ghar le chalo

Jald hi hum teeno waapis apne cottage aaye cottage bahar se hi itna bhayankar aur veeran lag raha tha ki ek pao bhi andar jaane ko nahi ho raha tha....pandit ji ne fauran mantra padht ehuye pure ghar ka ek bar chakkar lagaya chalte huye waise hi khare rahe...achanak pandit mere paas aake ruke aur darwaje pe gangajal chidka..."ab woh aatma pravesh nahi kar payegi maine pure ghar ko baandh dia hai aao andar"....Hum andar aaye sab saaman waise hi para tha jaise chodhke gaye they

Pandit ji - darro nahi ooski mauzudgi ka koi ahesaas mujhe lag nahi raha

Hum kamre mein aaye....aayene pe jo kuch likha tha woh waise hi mauzud tha...pandit ji ooske paas jaake oos khoon ko apne ungli pe lie..ekdum se oonhone aankhe band ki aur ekdum se chaunk gaye..."k..kya hua baba?".....Maine sehemte huye bola
"Ooska rakht hai ooska chehra mere zehan mein ghumaa behad gusse mein thi woh ooski safed anakho se tapakta khoon ooske daant peeste chehre ki or dekhte huye sab kuch byan ho gaya"....Pandit ji ne gambhirta se kaha

Fhir oonhone gangajal aayene pe chidhak dia jisse wohh khoon apne aap mit gaya...hum ye dekhke hairan ho gaye..."ye lo"....Pandit ji ne mujhe ek dhaaga dia

Pandit ji - ise pehen lo koi bala aur aatma tumpe havi nahi hogi lekin ek baat yaad rakhna woh aatma agar tumpe haavi huyi toh sidhe is ghar mein pravesh kar sakti hai lekin woh khud nahi pravesh kar payegi agar oosne aisa kia toh wohi jal jaayegi ab tum dono safe ho
Asif - par woh aatma?
Pandit ji - oos aatma ko vash mein karna aasan nahi oose sirf jalaya ja sakta hai agar ooski laash pe mantro wala pani faika jaaye toh woh khatam ho jayegi lekin isliye mujhe waqt lagega kareeb 1 ghante ka tabhi kuch ho sakega main tumhe phone kar dunga theek hai tabtalak tumhe mere di huyi cheezon se khud ki hifazat karni hai
Asif - theek hai

Sanjana bhi chupchaap haan mein ishara ki...pandit ji fauran nikal gaye..."ab kya karenge?".....Sanjana me meri or sawali nigaho se bola
Asif - tum fikar mat karo tum aaram karo ab darrne ki zarurat nahi wohh kuch hamara nahi bigaad sakti chalo aao

Sanjana kafi kamzor ho gayi thi..maine oose fauran bistar par sula dia...dheere dheere dopahar shaam mein tabdil hone laga...lekin bahar ki roshni kam nahi huyi thi...achanak mera phone baj utha pandit ji ka tha.."hello asif?"...Maine ekdum se pandjit ki awaaz suni
Asif - haan baba boliye
Pandit ji - maine woh aushadi tayyar kar li hai tum jald se jald yaha aa jao aur haan sambhalkar aana
Asif - par sanjana?
Pandit ji - oose kuch nahi hoga tumhe jald se jald oos lash ko kabar se nikalke oospe ye aushadi daalni hai
Asif - theek hai main aa raha hoo

Sanjana ko oos haalat mein chodhke main janaa toh nahi chahta tha..par mere paas koi aur raasta nahi tha maine fauran sanjana ki or dekha woh bahut gehre neend mein thi...aur mujhe koi khauff bhi nahi mehsus ho raha tha maine fauran sanjana ke bagal mein ek kaagaz pe mere jaane ki baat likh di..kareeb 1 ghanta tha mere paas jaldi se ghar aa jaunga ye sochke main sanjana ko oos veerano mein chodhke nikal gaya sheher ki or..pure raaste gaadi mein mera pareshani aur darr mere dimaag pe haavi ho rahi thi

Achanakkk ekdum se maine apni gaadi roki...gaadi ke tyre ghisste huye ruk gaye...Maine saaf dekha tha rear view mirror se bahar ek ladki raste ke kinare khari mujhe hi ghurr rahi hai...waha koi nahi tha...mera darr aur zyada mujhpe haavi hone laga main fauran gaadi ko tezi se sheher ki or dauda dia...achanak dekha ki ek kali billi mere gaadi ke samne hai maine fauran gadi ko fhir rokna chaha par is baar meri gadi ka aisa balance bigada ki sidhe nukile pattharo pe ghisste huye ek paid se jaa takraiii

Main ekdum se steering pe munh ke bal gir para...mere pure chehre pe chot aayi...Main ekdum se kisi tarah waapis bahar nikala...aahhh sss...meri kohni pe chot aaya tha aur hatheli pe bhi jo gadi ke rear view mirror se lagke cheel gayi thi..main waapis gadi mein baithke gaadi ko start karne laga...gaddi start nahi ho rahi thi...fhir sek baar koshish ki naa ab kya kia jaaye? sanjana ki haalt nahi theek nahi hai mujhe jo karna hai jaldi karna parega damnittt...Main ekdum se gusse bahar nikala...achanak paidal hi chalne laga...bas 20 min ki duri ka rasta tha..kisi tarah sunsan junglo ke beech ke raste main chale jaa raha tha...achanak ek tez hawa mere piche se hoke guzari mera pura badan sihar gaya..."kaunn hai?"....charo or koi nahi tha....sunsaan sadak gaadi dur mein khari thi meri..achanak maine kisi ki gungunahat suni...main oos gungunahat ko sunte huye oos or badhne laga maano jaise woh mujhe apni or kheenchein jaa raha tha chalte chalte dekhta hoo ki main wohi khara tha jahan aksar saraya aur main jaaya karte they wohi jharna wohi hari vadia..jahan ab bare bare pair they main dheere dheere aage badhne laga aur jald hi maine saaf dekha wohi khandar jahan saraya ne jaan dekhke khudkhushi ki thi mere saamne jaha se maine ooski laash uthaayi thi..maind heere dheere oos khandar ke andar jane se pehle hi thithak gaya naa jaane kyu? ek khauff sa laga...charo or behad sannata

Achanakk main sehemta hua waapis daud para...daudte daudte mera gala sukhne laga....main hapasne laga lekin main chahke bhi ruk nahi sakta tha...achanakk kisi patthar se pao ja takraya aur main zameen pe jaa gira..aahhhh sss aahhh...Ab mujhmein uthne ki himmat nahi thi..Achanak kisi ke kadmo ki awaaz main apne kareeb mehsus kar sakta t ha...dheere dheere woh meri taraf chalkar aa raha tha...maine ghassite huye khud ko uthaana chaha par mere hath pao mein jaise jaan anhi thi achanank nigaah mere hatheli pe pari "arre mera dhaaga kahan gaya?"...shayad acciddent ke dauran woh wohi chutt gaya tha...main ab samajhne laga ki ye mehez koi hadsa nahi balki bala tha...main jaise uthke khara hone hi wala tha ki wohh haath mere gardan pe kass gaya "aaaaaaaaahhhh".....oos chehre ko dekhne ke baad gale se sirf cheekh nikali..

Dheere dheere larkharata wohh saaya langdate huye jungle se bahar aaya...oos gaadi ke taraf...aur theek oosi pal woh gadi mein baitha aur theek apne pas woh khoon se sani baseball bat ko rakha..aur oosne gadi ko start kia gaadi theek thi...oosne gaadi ko tez raftar mein waapis cottage ki or modh dia to be continued...
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #20 on: April 10, 2015, 11:46:09 AM »
Badal jaise garaz uthi...Andhera ho chuka tha..mausam itna kharab ki hawao se khidkia kaanpein jaa rahi thi...sanjana ekdum se uth baithi aur hapaste huye khauff nigaho se charo or dekha wohh chahke bhi ise ek bura sapna manne ko tayyar nahi thi...achanak paas rakhaa phone baj utha..jisse sanjana thodhi kaanp uthi oosne fauran receiver uthaya "hello?"...sawali nigaho se kaha

Pandit ji - hello sanjana
Sanjana - ji kahiye
Pandit ji - Asif abhi tak pahucha kyu nahi? oose toh kabka yaha pahuch jaana chahiye tha? agar woh sahi waqt pe nahi aaya toh saare vidhi dhare ke dhare reh jaayenge
Sanjana - m..main samajh nahi paayi asif yaha nahi dikhayi de raha yakeenan wohh shayad aapke wohi gaya ho oose nikale huye bhi kafi waqt ho gaya
Pandit ji - par abhi tak pahucha kyu nahi? kahin aisa toh nahi ki woh aatma asif ke piche saaye ki tarah ho dekho sanjana bahut hoshiyar rehna woh aatma gharm ein pravesh kar nahi sakti ok main dekhta hoo asif abtak kyu nahi pahucha? mujhe kuch theek nahi lag raha

Badal jaise garaz uthe aur bijli ki roshni mein sanjana ekdum se khauff bhari nigaho se aayene ki or dekhne lagi..oose aisa laga maano jaise wohi saaya oose dekhke muskura rahi ho..Sanjana ki nigah ekdum se dusri or gayi..waha ek kaagaz tha..jo shayad asif ne hi kuch ghante pehle sanjana ke liye chodha tha oose padhne ke baad sanjana behad pareshan ho gayi "agar asif abhi tak aaya nahi? toh fhir gaya kahan?"....Sanjana ne kaagaz ko dekhte huye kaha

Phone receiver rakhke panditji jaise hi piche mudte hai achanak oonhein kisi mauzudgi ka ahesas hota hai..ooske munh se nikalte huye garazne ko sunkar woh ek pal ko saqt chehre se dheere piche mudte hai..aur jaise hi piche mudte hai wohh ekdum ghabra jate hai "tumm?"....Pandit ji abhi aur kuch keh paate ki oos dahadhti awaz nikale oose saaye ne oonke chehre pe balle ka hamla kia baseball bat ki chot se pandit ji chakra ke gir par.e..oonke maathe se khoon behane laga..woh adhkhuli aankho se oos bhayankar saaye ko apne paas aate dekh sakte they aur theek oosi waqt oonki aankhe band ho gayi

Woh saaya langdata hua oos aushadi ki botal uthaaye muskura raha tha aur fhir oosne ooski dhakkan ko kholke woh saari aushadi baha di achanak ooski ek bund jaise saaye ke haath pe pari woh chilla utha...ooske haath pe ek ghav ban gaya..wohh dum saandke fhir lahoo luhan pandit ko dekhke wahah se langdata hua nikal gaya udhar sanjana tehel rahi thi kamre mein lekin asif ka phone nahi lag raha tha...oose dheere dheere darr jaise khaaye jaa raha tha...achanak oose kisi ki dastak apne darwaje pe mehsus hote nazar aayi

DHadhh dhadhhh dhadhhh..koi darwaje ko aise peet raha tha maano jaise andar ghussne ke liye bechain ho...sanjana kaanp si gayi fhir dheere dheere niche utarne lagi sidiyo se utarne ke baad oosne apne om ke locket ko pakade ghar ke keyhole se jhaanka ooske dil ka saara tufaan ek pal ke liye tham gaya..oosne jhat se darwaja khol dala

Sanjana - m..ain toh darr hi gayi thi asif tum kahan they? aur tum!

Ekdum se badal garza aur bijali ki roshni mein jo kuch sanjana ne dekha ooske baad wohh oosi kaanpti nigaho se ulte pao andar jaane lagi...ye asif nahi tha jiski aankhe itni safed do nukile daant munh se nikalta khoon aur haath mein ek baseball bat...sanjana ekdum se kaanpke asif ki or sehemi nigaho se dekhne lagi

Sanjana - a..sifff t..tumm theek ho ye tunmehin choott kaise aayi?
Asif kuch nahi keh raha tha lekin ooski awaz dohri si nikal rahi thi itni bhari awaaz woh larkharata hua oosi safed nigaho se sanjana ke kareeb aa raha tha sanajan ki haalat kharab hoye jaa rahi thi woh piche hone lagi aur bhi piche aur tabtalak daud uthi sidiyo se upar...woh samajh chuki thi asif ke upar saraya ki aatma haavi ho chuki hai...sanjana upar aake darwaja lagaye almirah ko kholke mein ooske niche chup gaii dari sehmi kaanpti nigaho se ched se dekhen ja rahi thi

Roshni nahi thi..dhere dhere thak thak karte huye asif upar aaya..woh ghurrate huye charo or dekh raha tha..abhi kcuh dair pehle baseball bat pe lage taaze khoon ko sanjana ne dekha fhir achanak asif dheere dheere bistar ke paas aake chadar aur razaai ko fhaddhne laga ooske andar manao jaise junoon chad gaya tha itna hinsak sanjana ne kabhi oose dekha nahi tha sanjana ko ab yakeen hone laga ki saraya ki buri aatma ab asif pe haavi hai

Achanak sanjana chillati huyi daud pari..aur theek oosi ke sath hi asif bhi larkharake daudne laga oosne do baar sanjana pe hamla karna chaha par dono baar naakam raha..sanjana ka acchank pao fisla aur woh sidhe munh ke bal sidiyo se niche gir pari...sanjana ko behad chot aayi thi woh dard ko peete huye kisi tarah khari hone ki koshish kar rahi thi ki itne mein asif larkharake ooski or dekhne laga...oosi ke paas aaye jaa raha tha bijli ki beech beech ki roshni mein asif ke khaufnak chehre ko dekhte hi sanjana ke gale mein awaz ghunt si gayi yaaaaa...asif chillakar jaise hi balla sanjana ke sar pe maarta sanjana bach nikali aur paas rakha lamp chaknachur ho gaya

sanjana jaise taise darwaja kholke bahar jaana hi chah rahi thi ki achanak ooske upar fhir se hamla hua is bar sanjana ke taang pe balla laga tha...asif pagalo ki tarah ooski or dekhte huye ooske kareeb ayaa aur oose ek hi laat mein faik dala ..sanjana sidhe aayene se takrake gir pari...sanjana ka kapra fhat gaya sanjan ko behad gehri chot lagi thi...sanjana rote huye asif ko minnate karne lagi.."asifff plss ruk jao tum apne hosh mein nahi hoo asiffff plss meri baat maano plsss"...lekin asif garazta hua sanjana ko jaise hi baalon se pakadta hai achanak ooske haath ko ek zor ka bijali ka jhatka lagta hai...asif dur jaake gir jata hai

Sanjana is beech kisi tarha bahar nikal jati hai...aur larkharate huye gaadi ke paas jaati hai..abhi kuch hi kadam hi woh dur thi ki achanak oose gadi ke sheeshe pe asif dikhta hai aur theek oosi pal woh sheshe se dur hat jati hai aur asif hamla kar deta hai sheesha baseball ki bat se tut jata hai...Sanjana asif ki or dekht hai jo ooske bas kuch fasle dur tha..woh samajh chuki thi saraya ab sanjana ko nahi bakshne wali.."maarr dunggiii tujhhhe marrr dungiii"....asif ki dohri awaz ko sunke sanjana sheme uthi aur theek oosi pal jaise hi saraya ne sanjana ke gale ko pakra hi tha ki om ka locket ooske haath meinaa gaya..asif kaanpne laga ooske munh se awaaz nikalne lagi...wohhh ekdum se dahadta hua dur jaakar gir para

Sanjana ekdum se asif ki or dekhne lagi..lekin ooske badan mein ab koi harqat nahi ho rahi thi...sanjana rote huye gaadi ka darwaja kholne lagi aur fhir jaldi se andar ghusske gaadi ko start karne lagi..gaadi start nahi ho rahi thi..."cc'monnnn chaalu ho jaa c'mon start damnitt start"....aakhirkaar gaadi chaalu ho gayi...aur jaise hi gaadi chalne wali thi ki achanak gadi ki roshni mein oose asif dikhayi dia..wohi khaufnak chehra lia khara tha wohh sanjana ne aankhe band kar liye aur gadi ko speed mein le lia achanak asif gadi se takrake dusri or gir para..sanjana ne piche ki or dekha..aur oosne ek baar gadi ko rokna chaha..lekin woh janti thi woh ooska asif nahi hai wohh ab ek shaitan ban chuka hai

Sanjana rote bilakhte kisi tarah gaadi ko sheher ki or le jaane lagi...achanak oose aisa ahesas hua ki koi piche baitha hai...badal garazte jaa rahe they aur beech beech ki roshni gadi mein par rahi thi achanak sanjana ne saaf dekha rear view mirror mein ki asif piche baitha hai jaise hi woh kisi harqat mein aati..asif ne kasske sanjana ka gardan ko haatho se pakad lia...aaahhhh...sanjana chilla uthi...gadi kabhi daye toh kabhi baaye or apna balance kho rahi thi tyre sadak pe ghiss rahe they....asif ghurrate huye sanjana ka gala dabaye jaa raha tha sanjana oosse chuddaane ki koshish kar hi rahi thi ki itne mein gaadi sidhe khaayi ki or badhne lagi..sanjana ne steering ghumana chha par oosse nahi hua..aur itne mein hi oosne asif ke haath pe kaant lia....aaahhhh..asif ne dono hath piche kar lie aur theke oosi pal sanjana gaadi ka darwaja khole chalti gadi se kud pari

Achanak gadi sidhe raste ke beech ke gaddhe ki khaayi mein girati chali gayi...aur jald hi khicadh mein jaa giri..bahut zor dar gadi ka accident hua tha...sanjana apna gala kapre rote huye niche ki or dekhne lagi...gadi ke fatak se dhua nikal raha tha sabkuch chaknachur ho gaya tha...aur asif bhi oosi mein tha..sanjana wohi pe girkar rone lagi oose samajh nahi aa raha tha ki woh is haalat se bahar kaise aaye? achanak oosne dekha ki koi upar aa raha hai...asif ke bhayankar chehre ko dekhne ke baad sanjana cheekh uthi woh fhir bhaagne lagi...jitna ho sakta utna bhaagte bhagte naa jaane kaun se raaste pe woh chali jaa rahi thi charo or behad sannata tha...daudte daudte achanak oose ek masjid dikhayi dia...sanjana haafte huye jaise taise darwaje se andar daakhil ho gayi

Aur theek tabhi jaise hi larkharate huye asif baseball bat liye andar daakhil hua oosi waqt wohh dahadh utha....aaaahhhhhhhhhh..ooski cheekh se pura masjid gunz utha....wohh larkharake jaise hi nikalna chaha oske pairo jaise bijali ka jhatka laga woh wohi farsh pe lotne lagaa..ooski safed aankho se khoon behane laga...sanjana asif ke haalat ko dekhke chilla uthi..rote huye sehemke ek kone pe gir pari...achanak asif ke munh se jhaag nikalne lagaa...aur ooske hatho se baseball bat gir para..ooska pura badan kaanpein jaa raha tha achanak ek 40-50 saal ka ek molvi sanjana ke theek saamne khara tha oose aadh mein karte huye oosne asif ke maathe jo ka pakra...aur fhir surah padhne laga...sanjana is haadse ko dekhte hi sehem uthi itni jaldi mein aisa sabkuch hua oose yakeen nahi ho raha tha

Achanak asif ka ankh ulat gaya aur ooska badan tham sa gaya..woh wohi zameen pe behosh ho gaya...ooske munh se achanak ek kaala dhuaaa aasman pe jaake jaise gaayab ho gaya...molvi saaheb ne oose kandhe se uthaya aur oose padha pani pilaaya "darro nahi ye theek ho jaayega"....molvi ne sanjana ki or dekha woh jaldi daudte huye asif ke kareeb aayi "ab tum theek ho ?"....Asif apne sar ko pakre achanak se charo or dekhke jaise bhauklautha

Asif - m..main yaha kaise?
Molvi - tumhein kuch yaad nahi
Asif - nahiiii main tohh sanjana ohh my god sanjanaa (asif roti sanjana ko dekhke oose gale lag para..sanjana ooske chati pe sar rakhkar rone lagi)
Sanjana - mu..jhe laga mainne tumhein kho dia
Asif - m..ujhe kuchhh samajhh nahi aa raha aakhir mainn yaha kaise pahucha?

Jald hi molvi saaheb ne sanjana aur asif dono ko masjid ke pichewale ghar mein le aaya...dono bahut zyada seheme huye they..molvi ne dono paani dia "ise pee lo aavezam zam hai ye"..Sanjana aur asif ne bina kuch aur kahein oose ek jhatke mein pee liaa...asif ko kuch raahat lagi sanjana bhi ab behtar mehsus kar rahi thi

Molvi - aisa lagta hai jaise kisi maut ke saaye se bach nikale ho tum dono
Asif - asal mein main wahi pahuch gaya tha oonhi vadiyo ke beech meri gadi kharab huyi aur fhir achaanak oos kandhar ke paas jaate hi saraya ne mere gale ko
Sanjana - saraaya? tumhein pata hai tumne mujhpe jaanleva hamla kia main toh marr hi gaii thi
Asif - i am.. really sorry maine aisa neech kaam kaisee kara? mujhe kuch samajh nahi aa raha
Molvi - galti tumhari nahi hai oos aatma ki hai jo tumhein sanjana se alag karne ki koshish kar rahi thi...main janta hoo ki oose khatam karna itna aasan nahi par main ye bhi janta hoo ki ye namumkin bhi nahi jo tumhari madad kar rahe they oose bhi saraya ki aatma ne tum dono ko juda karne se rok dia lekin woh aatma abhi puri tarike se shant nahi huyi bas is pavitra jagah pe aake oosne tumhare jism ko tyaag dia lekin tum log fikar mat karo jab tak tum yaha ho tumhein kuch nahi hoga main tumhara sath dunga
Sanjana - aapka bahut bahut shukria aapne aaj hum dono ki jaan bachaai
Molvi - ye sab upar wale ka karishma hai jo tumhein in naapak shaitano se baar baar bachaa raha hai...lekin ab is bhatakti naapak rooh ko rokna hoga

Iske baad asif ne sabkuch bataya..molvi jante they oonhone saaf kaha ki jabtak ooski laash ko khatam nahi kia jaayega tabtalak ooski aatma aise hi bhatakti rahegi..asif ye sochke ekdum se uth khara hua..."ek raasta hai"...molvi ki baat ko sunke sanjana aur asif dono ekdusre ki or dekhne lage

Agle din molvi asif aur sanjana ko leke asif ke bataye pate pe oos purane qabrustan pahuch gaya..18 ville street jahan ek bara sa purana qabrustan tha...molvi ne sanjana aur aasif aur khud ko baandh lia tha surah se..woh teeno dheere dheere qabarustan mein daakhil huye...charo or purani qabare thi saikdo saal purani..."yaha nahi waha oos kone pe".....Teeno kone ke oos qabar ke paas aaye

Asif aur sanjaan ekdusre ko sehemi nigaho se dekhne lage.."is jagah ko khodna hoga khodo ise"....Asif aur molvi dono milake oos jagah ko khodne lage ooske mitti ko ek taraf faikte kulhadi se oose kayi dair tak khodte rahe sanjana chupchap munh pe haath rakhke dono ki or dekhen jaa rahi thi...Jald hi Asif aankhe chaunk uthi..waha sirf ek kankaal tha...dusra aur koi kankaal nahi.."dikhen mein toh ye laash sadiyo se sadi huyi dafan hogi yaha lekin ye saraya ki laash nahi hai"...Molvi ne asif ki or gambhirta se dekhte huye kaha

Asif - is..ka matlab saraya ki laash yaha se gaayab ho gayi p..ar ye kaise ho sakta hai? maine khud oose yaha dafnaya tha
Molvi - yakeenan tumne oose yahi dafnaya tha par (achanak se molvi ke maathe ki shikar ekdum se gaayab ho gayi aur oosne ek baar sanajna aur asif ki or dekhte huye bolna shuru kia jise sunke asif aur sanjana dono hakke bakke reh gaye)

"iska matlab ek hi baat ho sakta hai saraya ki laash pe waapis woh aatma ghus chuki hai..jo sabse bare khatre wali baat hai..ooski shaktia aur bhi barh chuki hai isliye aajtak woh sirf rooh banke bhatki par kisi wajah se ooski dabi laash mein woh waapis"....Abhi molvi kuch aur keh paate

Sanjana - aapke kehane ka matlab hai saraya is qabar se nikal gayi hai aur ab ek jeeti jaagti shaitan ban gayi hai
Molvi - jis baat ka darr tha wohi hua...saraya ki shaktiya aur bhi zyada badh chuki hai woh is qabar se nikal gayi hai...aur ab asif ke hi talash mein hai
Asif - y..e nahi ho saktaa
Molvi - yahi sacchai hai asiff oose khatam karna ab behad zaruri hai warna woh apne naapak mansubo mein kaamyab ho jayegi oosne tum dono ka khoon piya hai isliye ooski shaktiya aur bhi taqatwar ho gayi hai ab ek yahi ek rasta hai

Asif ekdum chupchap thithak kar sanjana ko toh kabhi molvi saaheb ko dekh raah tha...sanjana kaanpti nigaho se khudi huyi qabar ko ghurr rahi thi aur fhir ooske baad molvi saaheb ne jo rasta asif ko ikhtiyar karne ko kaha oose sunte hue asif chaunk utha...to be continued....
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #21 on: April 11, 2015, 09:40:30 AM »
Raat kareeb 10 baj chuka tha...haw haww karte jungli janwaro ke rone ki awaaz ko sunke mahoul jaise aur bhi sannate mein fail gaya..jhingur ki kir kir awaaz pure vadiyo mein gunz rahi thi...jald hi woh gaadi cottage ke theek saamne aake ruki...gadi ka darwaja khula..aur ooske baad jo shaks bahar nikala oose pehchanne mein dairi nahi lagi ye asif tha..akela oosne ek baar cottage ko sehmi nigaho se dekha aur fhir gadi ka darwaja zor se lagaya

Main dheere dheere cottage ke taraf jaane laga..dur se hi veeran cottage ko dekhke maano jaise pure badan mein raungte khare hone lage..main khud maut ki khayi mein kudne wala tha..charo or andhera..ghar ki ek bhi lights nahi jali thi..main janta tha mujhe kya karna hai? aur mujhe sirf yahi ek rasta ikhtiyar karna tha..andar koi bhi ho sakta hai jise shayad dekhke meri rooh fana ho jaye..lekin mujhe himmat jutaake ye kaam toh karna hi tha..main dheere dheere sidiyo pe aake darwaja khatkhataya..kuch dair tak kisi ka awaas nahi hua..bas dheere se darwaje ke handle pe hath rakha aur dheere se dhakela..darwaja apne aap khulne lagaa..ooski chrr chrr karti teekhi awaaz ko sunke ek pal ko khauff mein sehem utha

darwaje ke khulne ke baad main andar aaya..mujhe apne bhari kadmo ke awaz hi sunai de rahe they..sab saaman salihat se jaise chodhke gaya tha waise hi tha..bas ek azib sa sannata chaaya hua  tha..maine charo or dekha...aur achanak kisi ke gungunane ki awaaz ayi..wohi gaana wohi awaaz maano jaise woh yaadein taza ho gayi..main dheere dheere sidiyo se upar chadne laga...jab upar pahucha toh dekha ki darwaza aadha khula hai oosi mein se maine jhaanka..jo dekha ooske baad aur kuch kar na saka aankhe phat si gayii

y..ee nahiii ho sakta yee bilkul nahi ho sakta? sarr..aaya"...darwaje ke andar jhaankne pe saaf dekh sakta tha dono or mombatti jal rahi hai aur bistar pe ghutno ke bal ek gandi si kapro mein kaale ghane bal jo bikhare huye they sar jhukaaye gungunana rahi hai...Maine achanak se darwaja khola..aur jab andar daakhil hua toh meri rooh jaise jism se azaad hone lagi..achanak saraya ne gaana band kar dia chupchap waise hi baithi rahi main ooske behad kareeb tha..pura badan kaanpein jaa raha tha

Asif - t..umm kaun ho tum? (mujeh ab bhi yakeen nahi tha)
Saraya - Don't leave me alone

Nights are getting lonely and cold
I am left in the dark
And all the words should have been unspoken
Trust in our hearts
Fire, I want it back
Desire, I want it back
This can't be the end of the story
Let's not fall apart

I know I can't escape the pain
It's falling on me like the rain
Don't leave me alone (oosne jo gaana gungunaaya woh gaana saraya hi gaati thi)

Asif - Sar..aya yee tum ho? t..tumm zindaa ho

Saraya ne gunguana band kia ooska sar meri or ghumne laga maano jaise ab uthke apna chehra meri or karegi..achanak jab mombati ki roshni mein oosne apna chehra meri or moda..toh ooski anakho ke niche kaale ghere they ye saraya thi par chehra mano jaise kitna fika sa padh gaya tha..honth sukh gaye they ek jeeti jagti mari huyi ladki mere samne baithi mujhe dekh rahi thi.."aa gaye tum?"....Saraya ne muskurake kaha

Asif - huhhh h..aan (main ek pal ke liye do kadam piche ho gaya)
Saraya - jaante ho kitna intezaar kia is waqt ka maine?
Asif - t..tum zinda ho? ye nahi ho sakta tum toh ma.rr
Saraya - marr chuki hoo aur mare huye log kabhi waapis nahi aate yahi kehna chahte ho na par aisa nahi hai dekho main aa gayi tumhein chodkar kahin ja sakti thi main bhala
Asif - tt..tummmhe toh mainee dafnaaya tha tumm toh marr chuki thi maine khud inhi haatho se tumhari laash ko!

Ek pal ke jaise bahar ki bijali garaz uthi ooski roshni mein saraya ko uthte dekha aur theek oosi waqt ooske pura dekhne pe main ek pal ke liye sehem gaya saraya ke zakhm waise hi they..jaha se khoon nikal raha tha waha ab kale dhabbe they...pura badan ekdum safed..aankho ke kanche ekdum laal..saraya ek pisach ban jaayegi ye maine socha nahi tha..wohh dheere dheere mere kareeb aane lagi oske gande phate huye kapre wohi they jab oosne aakhribaar pehne huye they..ooske nabz pe ek laal nishan tha jise oosne kaant lia tha..ooske gardan pe ek lakeer thi woh mere saamne aake khari huyi aur dheere se mere gaal pe apna haath rakha ooske itne lambe nukile nakhun se maine apni mutthi kass li

Saraya - aajtak akelepan mein jee jeeke acha nahi lagta..ab tum aa gaye ho toh ab hum hamesha saath rahenge (badal garaz utha) lagta hai aaj mausam ka mizaaz bhi bahut kharab hai tum kitne badal gaye ho?
Asif - s..araaya dekhoo m..main ab shadishud! (oosne mere hontho pe ungli rakhi)
Saraya - Main kisi gair aurat ko tumse lipatte nahi dekh sakti wohh mehez sirf ek bhool thi tumhari jise maine maanf kia lekin agar tum sochte ho ki woh tumhara sabkuch hai toh mujhe tumhare kal ko beeta kal banane mein waqt nahi lagega hahahaha (saraya ki gunzti hassi aur baat mujhe kahin na kahin darrati gayi)

saraya dheere dheere tehelte huye khidki lagane lagi ho ho karti hawao ki awaz gunz rahi thi...fhir saraya mere paas aayi.."ab toh tum sab jaan gaye ho? ki sanjana pe main kyu haavi huyi? bhulo mat ki hum dono hi ek dusre ke sabkuch hai"....saraya ki laal anakho ko dekhke meri toh jaise sansein ruk si gai thi

Saraya - jaante ho marne ke bad kaise lagta hai? ek veeranapan jab main chatt se gir pari toh mujhe kitna dard hua tha..oos waqt na jaane kyu main kisi gehri neend ki aagosh mein chali gayi thi mujhe kuch yaad nahi jab mujhe yaad aaya toh maine khud ko mitti ke andar paaya dheere dheere main mitti se bahar aa gai main saans le sakti thi..mujhe behad azeeb laga fhir oonhi veeran khandaro mein kabrustan mein bhatakti rahi mujhe khoon ki pyaas lagti aur sabse zyada tumhari zarurat khalti tumhein har taraf dhundha par tumtoh saat samundar paar jaa chuke they...lekin mujhe awaas hua ki tum waapis is sheher mein aa gaye ho..aur jab maine tumhe dhundha toh kisi gair aurat ko tumhari baahon mein dekhke mere andar jo gussa ubala jee toh kia ki oosi waqt oose wohi dardnak maut doo jisse main guzari

Saraya ka ekdum se daant bahar nikal gaya aur woh mere kareeb aake mujhe jaise darane lagi ooski chehre ko dekhke main ek pal ke liye diwaar se lag gaya...saraya ka hinsak chehra fhir insan mein tabdil ho gaya..."kaafi koshishein ki par har baar koi na koi aafat hamare beech aa jati khair tum toh jante ho ab tum mere paas aa gaye ho aur ab tumhe mujhse koi alag nahi kar sakta koi nahi"....Saraya ki baaton ko sunke mera pura badan jaise kaanp utha

Saraya - aao baitho yaha (saraya ne mere hath ko pakadke mujhe bistar par baitha dia)aaj kitna maza aayega hamare purani yaadein humhe waapis mil jayengi tum mere ho jaoge hamesha ke liye
Asif - sa..raaya dekho main janta hoo tum mujhe saccha pyar karti ho par plss meri sanjana ko jaane do ooska koi kasoor nahi maine oose chodh dia tumhare liye
Saraya - hahahaha tum nahi jante tumne mujhe kitna sukoon dia hai ye kehkar ki tum mujhe chahte ho mere liye tumne oose choda..aur agar na chodhte toh shayad oose toh kabka maar dia hota..tum yahi baitho main abhi aayi

Saraya ekdum se muskurake kamre se nikalke sidiyo se niche chali gayi ooske ulte pao ko dekhke mujhe jais eek bara jhatka laga..mujhe behoshi aane lagi..saraya kuch dair baad upar aayi oosne khud ko tayyar kia hua tha..jo cheezein maine oose tohfe mein di thi..."mujhe itni shaktiya mil gayi ki main ab waapis ji uthi hoo tumne mujhe khatam karna chaha hai na aakhir kyu kiya aisa jawab do?".....Saraya dheere dheere mere kareeb ayai aur mere chehre pe nakhun fhairne lagi

Saraya - jaane do aao aaj hum fhirse ek baar ekdusre ke ho jaye

Bijali jaise garaz uthi aur dheere saraya apne gown ko kholne lagi...tufaan itna zor ka tha ki sabkuch kaanp rahatha.."haan saraya main sirf tumhara hoo sirf tumhara"...Maine apni aankhe mund li...saraya mere saamne bina kapro ke khari thi...main ek pischani se lipatne jaa raha  tha...ek pal ko sanjana ka khyaal dil mein aaya lekin ye oosi ke liye tha ooski jaan ke liye agar mujhe kurbani bhi deni pare main ooske liye tayyar tha...

Jald hi saraya ne mujhe bistar par dhakel dia aur mere kapre utaarne lagi...main pait ke bal lait gaya main oosse lipatne ko mazbur tha...jaise jaise woh apne honth mere jism pe fhiraati mujhe jaise ek jhatka lagta..ooska pura badan barf ki tarah thanda tha...woh insan nahi thi ek jeeti jagti shaitan ban chuki thi...saraya ne mere kaan ko kanta aur mere gardan ko chumte huye mujhe apni or kheenchna chaha...main saraya ko bahon mein liye ekdum se bistar pe lait gaya...saraya ne apni aankhe mund li...jald hi chadar apne aap hum dono se lipat gayi..."isi din ka main intezar kar rahi thi uff ye raat kabhi na khatam ho ohh asiff tumhein kitna miss kia maine"...saraya ne apni tangein mujhse lipata li maano jaise ab mujhe kabhi nahi chodhegi achanak jaise hi ooski aankhe kholi toh ooska pura chehra ek pal ke liye khauff mein sama gayaa

Theek mere gale se jhulta woh ayat ka locket saraya ke chehre pe chamak raha tha...aaaaaaaaaaaahhh...saraya ekdum se chillayi ooski garazan itni tez thi ki pura kamra kanpne laga maine oose kasske pakad lia...saraya apne asli roop mein aa chuki thi wohi khaufnak roop safed aankhe nukile daant ek pal ke liye main darr gaya ooski taqat ke aage..par maine oose ekdum kasske pakad lia...aur theek oosi waqt mera locket ooski chati pe ja laga kisi jalte maans ki badbu ki tarah ooske chaati pe zakhm ban gaya saraya ne mujhe dhakelna chaha lekin maine ooske kasske pakad lia

Achanak saraya ka pura badan jalne laga saraya ekdum se mere jaise baazu pe kaatna chaha maine oose khud se alag karne ki koshish ki par ooske nukile danto se bach na paaya...saraya jald hi mujhse alag huyi...main apne gardan se nikalte khoon ko ponchne laga..saraya achanak se dahadhti huyi kisi janwar tarah khidki ko todke bahar nikal gayi...main khidki se bahar jhaankne laga saraya itni tezi se daudh rahi thi maano jaise koi jaanwar ho...achanak ooske saamne gaadi ki headlight aayi saraya cheekhke jungle ki or daudne lagi...hamara bana banaya ye plan kaam nahi ho raha  tha...jaise molvi saheb ne mujhe bataya ki jab main oosse lipatunga tab hi ooske nazdeek jaake oose pavitra cheezo se kabu karke jala sakta hun tabhi maine ye faisla kiya ki main saraya ke paas lautunga jo khud mera besavri se intezar kar rahi hai

Main bhi tezi se niche utara...molvi aur saraya seheme meri or dekh rahe they..achanak molvi ne apna padha pani mere zakhm meindala jisse mujhe behad zor ki jalan huyi aur woh zakhm jald hi mit gaya "woh bhaag gayi hai lekin woh waapis aayegi oose khatam karna itna aasan nahi mujhe oose waapis bulana hoga tabhi hum oose maar sakenge".....Molvi ki baaton se main saraya ki or dekhne laga jo seheme mere gal lag gayi thi

Jald hi mommbattiya jalake molvi wazifa padhne lage charo or mombatti ki lau phadhpadha rahi thi hawa ka shorr saaf sunai de raha tha...main ooske itne kareeb tha mujhe yakeen na hua..achanak kisi ki garazti awaaz sunaii di..dohri si bhari awaaz..dheere dheere ooske bhari kadam sidiyo pe padne lage hum dono ki nigah darwaje ki or thi...achanak darwaaj khula aur hawa ke shorr mein saraay ko dekhke hum dono ki rooh kaanp uthi sanjana chila uthi

Saraya ka pura jism akada hua tha woh ooski nangi haalat mein hamare kareeb aa rahi thi ooske aankho mein saqt gussa tha...achanak oosne jaise chillaya sari mombatiyaa bujhne lagi par molvi ke surah padhne se kuch mombatiyaa nahi bujhi woh aankhe band kiye padhe jaa rahe they maine sanjana ko piche kar lia...achanak se woh hamare ekdum kareeb aane lagiii

"Choodddhhh do mujheee"...oosne molvi ko dahadhte huye kaha...molvi ne aankhe kholi
Molvi - tu ek marri huyi bhatakti rooh hai tera is dunia mein koi wazud nahi tu ek naapak rooh hai tune tamamo zindagiyo ko barbaad karna chahaa...lekin tujhe ab thamna hoga
Saraaya - nahiiiii main oose liye bina nahii jaungii maar daalungi tujhe

Saraya ki baat ko sunke ekdum se dhuni ko molvi ne tez kia saraya ekdum se chillane lagi woh dhua jaise jaise saraya ke badan pe parrta saraya bahut dardbhari awaaz nikalti oosne rote huye meri or dekhaa "asiff mujhe bachaa lo plss asiff plsss mujhe bachaa lo"..woh mujhse minnat karne lagi main oose yun dard mein tadapte nahi dekh paa raha tha aur dheere dheere ooski or jaane laga sanjana mujhe rokne lagi par mujhmein aisa sammohan aaya ki main oose piche dhakelne laga

sanjana - asif ooski baton mein mat aao
molvi - ooske kareb mat jao asiff asif main keh raha hoo mat jao
saraya - asif mujhe bachaa lo mujhe dard ho raah hai

Main jaise hi ooske ekdum kareeb aaya achaanak oosne mujhe kasske jakad lia aur mera gala pakad lia..molvi chilla utha sanjana cheekh pari...oosne kareeb aana chaha par achanak piche ja giri..achanak se saraya ne jaise mujhe kaatna chaha molvi ne para pani ooske chehre pe faik dia..saraya chillake piche gir pari...tabtalak main oose dur hat gaya..woh ab fhirse molvi pe hamla karti oose pehle hi molvi ne ooske badan pe pani chidka tabtalak saraay fhir zameen pe girke tadapne lagi ooske liye woh kisi tezaab jaisa tha ooske maans ko jalte main dekh sakta tha...maine theek oosi waqt saraya ke gardan pe apna locket baandh dia..saraya jaise chilla uthi ooske gale se khoon nikalne lagaa..."pakade raho isse"....Molvi ne ekdum se apne paas rakhe pure aave zam zam ko ooske upar daal dia aur theek oosi pal

Pura ghar jaise ooski cheekh se gunz utha...sanjana is shaitani ant ko dekh sakti thi...main waise hi saraya ke gardan pe locket ko dabaye raha...saraya chillake machli ki tarah tadap rahi thi aur jald hi ooska mare huya jism galne lagaa...ek azib si gandi se badbu pure kamre mein fail gayii molvi surah padte gaye..aur tabtalak saraya ka pura badan dhuye mein tabdil hua aur kuch dair baad dhuaa ke hatte hi waha sabkuch gaayab sa ho gaya sarayawaha nahi thi

Molvi chup raha thode dair sanjana mere gale lagke rone lagi...main bahut zyada kamzor padne laga.."aakhirkaar wohh khatam ho hi gayi ab saraya ka koi wazood nahi raha"...molvi ne meri or dekhte huye muskurayaa

Sanjana - matlab woh waapis nahi aayegi
Molvi - nahi oos shaitan ka khaatma ho chuka is paak parvardigar ke dunia se ooska ruksat ho gaya hai ooski bachi kuchi shaitani taqat..aur rooh dono fana ho chuki hai aise kayi aatmaye jo naapak maut marrke is dunia mein ghumte hai asif ki deewangi ne oose abtak jagaye rakha kabhi kabhi ye deewangi dunia ke har pehlu ko badal deti hai insan kab marrke aatma ban jata hai oose pata nahi chalta ab tum dono hamesha khush rahoge

Maine molvi se gale milake oonka shukria kia aaj oonki badaulat hum bach gaye..kab woh bhaynakar rat shaitan ke ant ke sath khatam huyi pata nahi agli subah hamare zindagi ki ek nayi subah thi saraaya ko khone ka ek gam tha par maine oose tabhi kho dia tha jab ooski deewangi ko jaana...saraya mere liye ab marr chuki thi ab sirf meri sanjana hi mere liye sabkuch thi

Molvi ke sang maine oon har nishaniyo ko jalakar khaak kar dia jo saraya se jude huye they aur ooski woh tasveer bhi...ab hum is veeran jagah pe aur nahi rehna chahte they...maine aur sanjana ne milake faisla kar lia ki hum ye jagah bechke kahin aur chale jayenge kisi aur jagah jaha hum hamesha ke liye oos beete kal se dur rahenge....jisne humhe zakhm diye oos bura hadsa ko sanjana ne bhula dia aur kuch hi dino mein humne woh property baich di dukh toh tha par khushi thi ki ek naya modh hamari zindagi lia yakeen nahi tha ki marrne ke baad bhi koi insaan waapis aa sakta hai aaj sabkuch jaan lia khuda ne aaj meri jaan bachayi thi..aur khuda ka hamesha shukriyada karta rahunga jabtak zindagi hai sanjana hi mera woh pyaar thi jo deewangi se bhi upar thi sanjana hi meri ek maatra sahara thi jiske sath maine aage ke zindagi bitane ka faisla kia tha ab humhe kisi aatma ka darr nahi tha sabkuch fhirse normal ho gaya sanjana bhi theek ho gayi aur meri zyadati zindagi bhi main behad khush tha aur jald hi humne apni property bhi baich di

"ye lijiye ab aap ja sakte hai"...property dealer ne muskurake meri or dekhte huye kaha..sanjana aur main oos veeran cottage ki or dekhne lage..
"chalo sanjana ab hamara yaha se koi taaluq nahi"....maine sanjana ko waha se le gaya sanjana ne apna sar mere kandhe pe rakha..hum dono gadi pe sawaar hoke oos veeran cottage se hamesha hamesha ke liye dur jaane lage...

Mujhe sawalo ki nigaho mein dekhke sanjana mujhse aur lipat gayi oosne mujhe zyada sochne ko manaa kar dia...main muskurake ooske hontho ko chumke bina piche ki or dekhke apne aanewale kal ke raste ki or dekhne lagaa...jald hi gaadi ko maine airport ki or modh dia...ek nayi shuruwat ke liye

The end...  Winking
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 06:09:00 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.19 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer