ASIF
Shayari Qadrdaan
Rau: 0
Offline
Waqt Bitaya:1 days, 51 minutes.
Posts: 187 Member Since: Feb 2021
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
ASIF
Shayari Qadrdaan
Rau: 0
Offline
Waqt Bitaya:1 days, 51 minutes.
Posts: 187 Member Since: Feb 2021
|
|
«Reply #1 on: March 01, 2021, 06:40:24 AM » |
|
"Usne kaha tha ki wohh shaam dhalte dhalte ghar waapis aa jayegi...aur uske jaane ke baad hi main fhirse apne oosi kaam mein jut gaya jo lagbhag kayi arso se maano karne mein juta hua tha.....is band kamre ki kaid se azaadi ka kaam"
"main koshish pe koshish kiye jaa raha tha lekin namumkin tha kyunki charo taraf ki saqt diwaaro ke beech ka wo darwaja jise kholne ki main nakam koshishe kar raha tha wo aise bahar se band tha maano jaise wo darwaja bahar se mehez koi saqt siwaar hi tha main puri taqat se thelte huye darwaaje pe teen chaar baar laat maar chuka tha lekin darwaje pe koi hilne tak ka asar nahi pada"
main cheekhte dahadhte huye nakaami se haarta darwaaje pe apne dono patti bandhe haatho se lagbhag darwaje ke sirhe ko aise peetne laga maano jaise darwaje ko tod dena mere liye mehez waqt ki baat thi.......maarte maarte jab main thak gaya jo ek aseem dard ka ahesaas mujhe apne dono haatho mein hua mere haath mein bandhi wo pattiya khoon se bheeg chuki thi
"aaahhhhhh urggghh'.......main dahadh utha apne zakhmi haatho ke maarein dard se....
wohi darwaje ki chaukath pe baith gaya haatho ka dard maarne se aur bigadh chuka tha.....maine oon pattiyo ko noch nochke chidhte huye rote huye jaise utaar diya mere dono haath ka upari sirha cheel chuka tha aur oosse khoon beh raha tha.....main bhul gaya tha ki inhi lohe ki darwajo pe naa jaane kitne dafa maarte huye maine ye haath zakhmi kiye they abhi bhare bhi nahi they ki aaj fhir oos azaad hone ke josh mein ghaav taazein ho gaye...
kamre mein charo taraf sab saaaman tha jo ek aalishan bedroom mein hota hai....drawer wardrobe charo kono mein rakhi table phoolon se saji huyi vase oosse leke saamne laga lcd tv uske niche hoe theatre theek saamne ek lakdi ka khubsurat design ka sheeshe ka table aur theek uske saamne king size ka wo bistar jaha main apni raatein guzaar raha tha.....aaj lagbhag 6 mahine beet chuke they mujhe is aalishan ghar mein kaidi ki tarah zindagi basar karte huye kehne ko khula aasman dekhne ke liye aangan tha lekin waha khada hone ki mujhe izazat nahi thi kyunki sliding mazbut sheeshe ka wo darwaja raat aur din hamesha band rehta tha....
In 6 mahino mein lagbhag har din hi maine koshish ki.....par koi fayeda nahi hua na aajtak main bahar nikal sakta tha aur naaa hi kisi se baat tak karne ki mujhe ijajat thi....achanak dopahar ka waqt ho chala soch ki gehraai tab tuti jab saamne latki diwaar pe oos ghadi ne 3 par apni suyi rakhi main lagbhag 5 ghanto se koshisho mein tha aur ghadi ki suyi aise bhaag rahi thi jaise wo waqt ko mere nikal jaane se pehle guzaar dena chahti ho....
achanak darwaje mein halchal si huyi kisi ne darwaaje ki beech ka hissa jo kareeb 1 foot aur chaudaayi mein 5 inch tha wo khula mujhe bahar ka halka nazaara nazar aaya main larkharate huye darwaje ke taraf bhaaga wo plate andar sarakne se pehle hi maine oos kalayi ko thaam liya...wo hadbada utha is baar wo sambhalkar bhaag nahi saka tha wo is ghar ka naukar tha....uska sabse khaas aur wafadar aur us ghar ka iklauta naukar....
"nahi nahiiii mujhe khaana nahi chahiye mujhe yaha se nikaalo robert pls i am begging you pls main 6 mahino se ghutt raha hoo pls mujhe uske aa jaane pehle pls yaha se jaane do plss robert mujhpe rehem kar mere bhai plsss"
"nahi maalik aisa main sapne mein bhi nahi kar sakta mujhe saqt mam k a aadesh hain i am sorryy pls meri kalayi chodh dijiye warna khaana gir jaayega aur mujhe mam ke gusse ka saamna karna padega"
"nahi nahi chodhunga robert robert listen to me mujhe kuch nahi khaana bas mujhe is band kamre se bahar nikaal do main promise karta hun tum jo bologe wohi karunga"
"aapko mujhe orders dene ka haq hai na ki main aisa koi gunhagaari waali baat bolu jo aap sune aap mere maalik hai mam ke gusse ka saamna hum dono ko karna pad sakta hai isliye behtar hai aap ye khaana khaa lijiye aur mam ke aane ka intezar kare"
haath pakade huye main minnate kiye jaa raha tha lekin robert ke kaan mein ju tak nahi raingi usne plate ek taraf rakha aur mazbuti se mere haath ko apne dusre haath se mazbuti se chudha liya mujhe lagbhag haath andar daalkar dhakka diya aur plate andar lagbhag tezi se rakhte huye mere baagh ki furati se darwaaje pe haath badhaane se pehle hi robert ne darwaje ki oos daraar ko band kar diya main darwaja pitta reh gaya
robert wafadar tha par utna hi khauff tha oose apni madam ka.....aur ho bhi kyu na? uske baal bacche they bhala madam ke gusse ka keher wo bhali bhaati janta tha kis tarah wo naukro ki galti pe unhein dardnaak sazaaye de diya karti thi...kitni baar uske gusse bhari kehr ko usne apni aankho se dekha bhi tha.....bhala mujhe bhagaa dene se wo toh kisi bhaari gunaah ke azaab ka haqdar ban jata jo wo kattayi nahi chah sakta tha.....
uske chale jaane ke baad main baitha reh gaya fhir oos sadme mein dopahar shaam mein tabdil ho chuki thi mujhe suraj kahi dur aasman mein dubta dikhaai de raha tha.....saath hi meri umeedein bhi dubti mujhe aaj ek baar fhir dikhaai de rahi thi...dheere dheere mujhe bhook lagne lagi..
main faisla karte huye ghabraya bhi kyunki agar maine khaana nahi khaaya toh uski saza bhi mujhe wo bahut haulnaak tarike se de sakti thi....ooske keher bhari wo aankhe mere zehan mein aate hi main kaanpte huye ghutno pe plate rakhkke dhakkan hataye khaane ko khane laga achanak mujhe khyaal aaya main janta tha mujhe kaabu karne ke liye oosmein kuch toh nasha wagaira wo daalti thi....robert bhi bakhubi is baat ko janta tha aur wohi aisa karne pe amal karta tha....
khaana khaane ke baad mujhe nasha ghairane laga fhir kamzori lagbhag fhirse main larkhadaane laga aur dheere dheere aangan ki khidhki ki taraf badhne laga sliding door ko puri taqat se kholne laga kyunki mujhe bahut ghutan si ho rahi thi haalaki mujhe ijajat nahi thi puri taqat laga di lekin wo darwaja bhi tass se mass nahi ho raha tha....apni kismat ko koste huye achanak zanjeer ko maine aise kheecha ki wo mere haath mein aa gayi kundi pe lagi wo zanjeer junk khaaye kamzor ho chuki thi kisi ka dhyaan itne din se uspar nahi tha....na hi mera bhi
darwaja jhatt se khul gaya maine puri taqat se aangan mein kadam rakha larkharaye balcony ki lohe ke railing ko maine thaam liya hawaaye mere chehre se takraake guzar rahi thi....maine niche jhaakne ki koshish ki toh ahesaas hua oos na dikhne waale band jaali ka jo mere chehre se takraaya wo puri jaali balcony ke upari sirhe se hote huye railing tak judi huyi thi matlab sirf waha naam barabar khada hi charo or ke nazaro ko dekha jaa sakta tha charo taraf siwaaye is ghar ke lawn ke kuch nahi tha aur kayi feet uchaai thi is balcony ki jaha se koi jhaak nahi sakta tha....main pagalo ki tarah jaali pe chadhne laga jaali jaise jhinjodhne laga fhir cheekhne laga "hellppppp mee koiii sun raha hai hellppp meee hellppp mee hellpp"
achanak mujhe ahesaas hua ki koi cheez mujhe upar aur chadh jaane se rok rahi thi maine niche jhannkar apni baayi paao pe bandhi oos sikad ko dekhne laga jo kareeb 12 ft lamba tha aur sidha bistar ke ek sirhe se juda hua tha na jane kab se..mujhe ahesaas hua ki agar yaha se bhaag paane mein kamyab ho bhi jau ya is balcony se suicide bhi karne ki koshish karu toh yahi sikad mujhe nikal jaane nahi degi main bhul chuka tha ki kitne maah se wo mere pao mein bandha tha jiska mujhe ahesas tak nahi tha....
dheere dheere jab main shaant hone laga aur umeedein fhir tut gayi toh main wapis sliding door lagaaye kamre mein aake zameen pe lagbhag deh gaya uske baad mujhe kuch hosh nahi kuch malum nahi ki kab andhera hua aur kab mujhe kisi darwaja khulne ki aahat mehsus huyi...
TO BE CONTINUED...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ASIF
Shayari Qadrdaan
Rau: 0
Offline
Waqt Bitaya:1 days, 51 minutes.
Posts: 187 Member Since: Feb 2021
|
|
«Reply #2 on: March 01, 2021, 06:41:49 AM » |
|
Mausam suhaana sa tha....dopahar ka waqt tha par oos patjadh ke mausam mein bhi suhaana sa lag raha tha...charo taraf hare bhare baagho ke beech jaise oon phoolon ke paas baithi wo koi apsara si lag rahi thi...aur
kaale rang ki jeans ke upar oosne kalayi bhar jaise koi purple rang ka full sleeve sweater sa pehen rakha tha......wo apne gore haatho se oon lage khile huye phoolon par haath phair rahi thi...apne zulfein apne kaano ke beech fasaate huye muskurakar oonhein dekh rahi thi.....
main paid ki aad mein khada bas oose hi nihaar raha tha charo taraf koi nahi tha oos khubsurat baagho ke aaspaas chidiyo ki awazein kisi geet jaisi lubhavni lag rahi thi....main muskurakar ooske piche aa khada hua kahi koi nahi tha aisa lag raha tha sirf hum dono ke sivaa waha koi nahi tha....maine jhukkar nazakat se keh dala
"mera intezar kar rahi thi?"
oosne palatkar meri taraf dekha....aur khushi se uth khadi huyi
"tum aa gaye".....wo mere gale se lagkar jaise bol uthi
"aana toh tha itne waqt baad jo hum mil rahe hai nahi janti ho arnisha tum kitna? kitna intezar kiya maine is pal ka aisa laga jaise kabhi milunga hi nahi tumse....maine toh umeed chodh di thi ki tum mil paogi par sach mein khuda kab khwahish qabul kar le kise pata?"
"itna pyar karte ho mujhse tum itni acchi lagti hoo main tumein ye jante huye ki main shadi shuda thi aur apne husband se seperated hoo"
wo mere gale se lipati huyi thi aur main muskurakar oose apne seene se lagaaye ooske sar par haath phairte huye uski baat sun raha tha....uske keh jaane ke baad maine oose apne seene se alag kiya aur bazuyo se thaame hi uski nigaho mein shikayat bhari nazaro se dekhne laga uski wo bhuri aankhein dekhte hi jaise madhosh ho utha
"don't say that word again you're all mine arnisha you're all mine kya faraq padta hai tum shadi shuda thi ya seperated ho tum sirf meri ho aur main tumhein mohabbat karta hoo aur jald hi main tumse shaadi kar lunga jo main kabhi zindagi mein bhi karne ki kisi se nahi socha tha"
arnisha jaise ro padi uske wo aansuyo ko maine ponch daala wo fhirmere kandhe pe sar rakhkar muskura uthi.....hum dono baagh ke beech ke sadak par saath saath chalne lage......"sach asif sach mein tum mujhse shaadi karoge?"
"bilkul arnisha balki main khud yahi chahta hoo ab hamare beech koi faasle na rahe ab jitni duriya thi tumhe paane ki wo puri ho chuki ab mujhse aur savr nahi ho sakta waise hi bahut arsa tumhare liye tadpa hoo mehez tumse milane ke liye aur aaj tum mere zindagi mein mere paas ho mere saath ho"
arnisha ne aur kasskar mujhe khud se jod liya kasskar mere kandhe aur seene pe hath rakhkar meri baaten sunte huye wo mere saath chal rahi thi.....
achanak mere kadam wohi thithak se gaye arnisha bhi ghabraaye samne khadi oos ladki ko dekhne lagi aur fhir mujhe...usne kasskar mere haath ko pakad liya.....saamne wohi khadi thi gusse mein jaise wo dehek rahi thi.....ek ek kadam aage badh rahi thi tab mujhe uske daaye haath mein chura nazar aaya arnisha aur main dono waise hi ghabraaye oose hamare paas aate dekh sakte they....
uski kadam ab jaise tej they....main arnisha ko piche kiye uski taraf himmat se khada hone laga....wo tej kadmo se ab kuch faasle dur thi...."bhago arnisha bhago arnishaa!" mere piche palatte hi arnisha gaayab thi.....main charo taraf dekhne laga fhir maine dobara palatkar apne paas aati us ladki ka jaayeza lena chaha lekin wo bhi gaayab thi ab jaise waha main akela hi khada tha.....
mera sar chakrane laga charo taraf koi nahi tha ab wo hari bhari wadi ki khaamoshi sunsaaniyat ki manhusiyat si mujhe lagne lagi.....lekin meri arnisha kahan thi? kahan chali gayi wo ? itne waqt baad toh maine oose dhundha tha oose paaya tha fhir wo kahan chali gayi? wo ladki bhi gaayab thi kaun thi woh? kyu wo hum dono ko maarna chah rahi thi? kya ho raha tha?
"arnishaaa arnishaaa arnishaa".....main cheekh raha tha daudte huye baagh ke charo taraf oose dhund raha tha par wo kahi nahi thi main bhaagta raha charo tarf dekhta raha par us pal ke baad wo mujhe kahi nahi mil rahi thi...
achanak daudta dhundhta maine saamne dekha wohi khada tha kaale rang ke oos jacket aur pant mein ooske baalon se main oose pehchan gaya aankho mein wohi black lens wala chashma kutil muskurahat dete huye usne baanh failaaye aur maine daayi or se daudte huye arnisha ko ooske baahon se lipatte dekha....main sakdam khada hairat se is manzar ko dekh raha tha....
usne honth badhakar arnisha ke maathe ko chum liya arnisha nazakat se aankh band kiye apne pati ke jaise gale lag gayi....achanak oosne bhi meri taraf dekha aur khaamoshi se mujhe azib nigaho se yun ghurrne lagi jaise uska mujhse koi taluq nahi tha....meri kuch samajh nahi aaya main sar pakde bas un dono ki taraf dekhne laga aur ek hi pal mein main bhi gusse ki aag mein dehekta hua oon dono ki taraf badhne laga....arnisha uske theek aad aaye khadi ho gayi jaise oose rattibhar ka mujhse khauff nahi tha
maine oose dhakelte huye raaste se sidha digonto ki gerebaan pakad li.....digonto bas mujhe dekh raha tha....."you bastard tujhe kya lagta hai khuda sabkuch tujhe de dega huhh nahi saale ab wo teri nahi meri hai meri".....maine ooske pait fhir chehre pe hamla kiya wo zameen pe dhair ho gaya maine uske girte hi ooske gale ko daboch liya aur apne mazbut haato se oose dabane laga....mere chehre ka rang hinsa aur gusse se laal tha
"wo meri hai maine intejaar kiya itne waqttak apni zindagi tabaah kar daali tere allah ne mujhe kuch nahi diya aur jab wo mili toh wo bhi teri ho chuki thi paisa souhrat wo sabkuch tujhe allah ne diya lekin main tujhse arnisa ko cheen lunga cheen lunga"......main mazbuti se uska gala dabaaye dahadhte huye keh raha tha wo mere haath ko apne dono haatho se thaame huye tha par kuch kar nahi paa raha tha
meri awaz dohri nikal rahi thi jaise mujhpar kuch sawaar tha.....achanak wo bol utha "wo tumhari kabhi nahi thi asif kabhi nahi thi....uske dil mein hamesha se main tha alag ho jaane ke bawjud aaj bhi hum saath hai uske dil mein tere liye koi jagah nahi hai dekh uski nigaho mein".........uska chehra surkh laal tha maine munh baaye arnisha ki tarf nazar uthaaya uski nigaho mein aansu they aur wo sar hila rahi thi usne mujhe rokne ki koshish bhi nahi ki...bas apne pyaar ko tadapte jaise dekh rahi thi....
mere haath dheele hone lage aur lagbhag maine uska gala chodh diya arnisha fauran jhukkar ooske seene se lagkar rone lagi....wo bhi mujhe dekhne lagi khauff se...."wo tumhari kabhi nahi thi asif kabhi nahi".....wo baat charo taraf se mujhe sunaai dene lagi....main hadbada sa gaya charo taraf wo awazein maano meri kaan mein takra rahi thi...maine kaan band kar liya aur un dono ki taraf dekhne laga jo mujhe khauff se dekh rahe they.....
main dahadh utha ye mujhe manzur nahi tha main ooske bina nahi reh sakta tha mujhpar fhir jaise koi cheez haavi si hone lagi main daant peeste huye us gunj ko sunte huye un dono ki taraf badhne laga paas mein ek bhari patthar rakha tha maine oose puri josh se utaate huye taqreeban un dono ki taraf jaise faikne ko hua wo kasskar gire ghabraye ekdusre se aur lipat gaye maine bas patthar ka rukh arnisha ki taraf kiya to digonto cheekh utha wo haath dikhaaye mujhe mana karne laga...
"yaaaaa"......achanak patthar main arnisha ke upar faikta oosse pehle mujhe uska wo khubsurat chehra dikha jise dekhke main oose mohabbat kar baitha tha jiske liye maine sabkuch kho dala tha kaise main oose jaan se maar sakta tha? wo royi nigaho se maasumiyat khauff khaye chehre se digonto se lipati huyi thi.....main fhir apne kaabu mein tha ro padi meri nigaahein......aur tabhi mujhe apne piche azaan ki awaz sunaai dene lagi....
main palatkar piche ki or dekhne laga kahi dur se azaan ki awaaz aa rahi thi....
--------------------------------
"wo koi gehra khwab tha par azib tha na jaane kabse main bistar par tha wo azaan ki awaz haqeeqat mein bahar se aa rahi thi raat dhal chuki thi bhor ho chuka tha main angraai lekar aankh masalte huye pasine pasine ho raha tha jaati sardi ka waqt tha razaai ek or faikkar main bistar se uth khada hua main abtak oos khwab ko bhula nahi paa raha tha aaj pehli baar tha ki maine aisa koi khwab arnisha ke liye pehli baar dekha tha...
jise aajtak maine asliyat mein dekha tak nahi tha....jiski mehez tasveer hi mere paas padi huyi thi haqeeqatan wo suhana khwab sa tha lekin tabtak jabtak wo ladki hamare beech na aayi hoti aur naa hi uska wo pati mere oos khwab mein na aaya hota....par azib sawaal tha wo kaun thi jo churaa liye hamare kareeb aa rahi thi....jisne palbhar mein mujhpar aur arnisha par hamla kar hi diya tha.....aur oosse badkar arnisha ka mujse dur chale jaana aur uske husband ka hamare beech aana.....ye to main suna tha wo alag ho chuke they par kya ye sach tha? ki arnisha ab bhi oose chahti hai? kya farq padta hai? bhala kaun sa wo mujhe naseeb hone wali thi....itne waqt se is bare anjaan sheher mein tha lekin aajtak oose dhundh nahi paaya tha na jaane kahan thi wo? itne saal tak bas ooske talash mein waqt guzaare tak haarkar main apni haari zindagi jee raha tha......
maine paas jaakar khidki kholi taazi hawa ka tej jhoka mere chehre pe pada....paas ke masjid mein farz ki namaz ho rahi thi wohi azaan se shayad mera khwab tuta tha.....main khidki khula hi chodhkar kursi pe baith gaya.....phone pe uski tasveer nikaali aur oose nihaarne laga sach mein oos jaisi khubsurat koi nahi thi kitni haseen aankhe thi wo? kya pata sirf khubsurat uska chehra tha par dil nahi....
2 saal huye mujhe yaha is sheher aaye huye apne ghar se kayi faasla dur....kuch saal pehle ek mehez mazaak mazaak mein yun is desh ki ek ladki pasand aa jayegi maine sapne mein bhi nahi socha tha....wo mazaak tha jo maa mausi sabse karta fhir raha tha ki ye ladki mujhe pasand hai mujhe ye pasand karti hai par ye asal mein kahi se bhi haqeeqat nahi thi....anjaane mein internet mein paayi wo ek anjaani ladki ki tasveer thi....
sabne oose pasand kiya meri pasand ki taariff bhi ki akhir thi hi wo itni khubsurat....dheere dheere wo mujhe sach mein hi pasand aane lagi tasveer pe tasveer nikaalkar dekhkar sach mein main oospar nihaal ho gaya jisne bachpan se kabhi bhi mohabbat ki taraf tawajjoh nahi di thi wo oos anjaan par marr mita tha.....aam taur par main gareeb middle class parivaar se tha maali haalat khaas nahi thi maa baap ke jhagde mein mera bachpan guzara tha iklauta beta tha par khwahish zindagi ki kabhi puri nahi huyi thi...
bachpan se hi main kaafi akela rehne wala insaan tha na dost na kisi se koi zyada baatcheet school ke baad ghar mein hi raha karta tha lekin adhuri khwahishein maa baap ka jhagda khud ki bezzati aur logon ke mazaak ka hissa banne ki wajah se main dheere dheere ghutt raha tha aur isi ghutan mein main baaghi ban gaya main apne gusse ko paalne lag gaya jawani mein aate aate sage sambandhi ya kisi gair se jhagda haatha paayi mein ikhtiyar ho jata tha mere violent nature ki wajah se mere maa baap kaafi pareshan rehte they unki apni bhi pareshani thi...
sabse badkar jis cheez se mujhe nafrat thi wo tha pasand aayi cheez ko na paa sakna ya koi agar mere feelings ko hurt karta tha to main khud par kaabu nahi kar paata tha....isi gareebi aur wajaho se maine zindagi ke wo tamaam harqate ikhtiyar kiye jo bure they aur oosse bhi badhkar gunaah ka kaam maine apne maa-baap ke dharam ke raaste ko chodhkar kiya tha na main namaz padta tha aur na hi masjid jata tha....lekin tab bhi meri chavi logo ke nigaho mein gussail khaamosh rehne wale berozgar ladke ke hi thi....
main saari harqate chodh sakta tha lekin arnisha ki oos tasveer ko dekh lene ke baad main oosse pyaar karna nahi chodh paaya kitno bhi thi wo gair mulk ki ek musalaman thi jabki main khud adharam ke raaste par tha.....lekin ooska wo khubsurat chehra aur sabse alag ladki hone ki wajah se main pagal tha uske liye oose paane ko betaab kayi koshishe oose dhundhne ki kar chuka tha....par wo mujhe kabhi nahi mili....
aur jab maalumat huyi khudayi madad se to pata chala wo pehle se kisi aur ko dil de baithi thi shaadi shuda thi aur kisi ameer rutbe wale ki ho chuki thi uski tasveer uske saath pehli baar dekhkar mera dil tuta main oos ladki ka naam tak nahi janta tha....baad mein malum hua wo arnisha thi jo padosi mulk bangladesh se taluq rakhti thi aur ooske shouhar ka naam digonto tha kayi tasveero mein wo kaafi close they bachpan se jise koi khilona na mila wo kaise apne mohabbat ki hasrato ka gala ghontt sakta tha ooske bajaay kisi aur mein dil laga sakta tha?
maine digonto tak pahuch banani chahi par oosne magrooriyat mein mujhse chat tak nahi kiya.....baad mein mujhe ahesaas hua ki mere jaise kayi ladke oos ladki ke deewane huye they par wo kisi tak pahuch na paayi na ooski koi id thi na hi koi contact....shayad inhi diwaano ki wajah se showcase ki murati ki tarah digonto ne oose duniya jahan se jaise chupa liya tha...
uski viral pics ke zariye main uski behan tak pahucha par usne bhi mujhe ignore karte huye apni id lock kar di thi....ab internet par oose dhundh paana mere liye namumkin tha maine umeed chodh di thi...lekin har baar bas uski tasveer meri nazaro ke saamne guzar jati thi.....isi kashmakash mein main depression ka shikhar ho gaya ghar mein maa ko maalumat chal chuki thi usne mujhe samjhaaya par main kisi ki nahi sunta tha....
thak haarkar meri haalat ko dekhte huye wo kisi pahuche molvi saheb ke paas gayi aur waha se mujhe wishws dilaate huye onhone samjhaaya ki wo ab digonto ke saath nahi rehti wo molvi pahuche huye they na wishwas karte huye bhi mujhe unki baat mein yakeen laga lekin wohi kahi is baat se dil bhi tut gaya ki wo mujhe naseeb nahi thi na allah ne mujhe uske kismat mein likha tha....afsos bahut hua par oose bhulaana aasan nahi tha mere liye....
jaha ek taraf main tabaah ho raha tha wohi dusri taraf meri taqdeer bhi padhai puri ho chuki thi lekin abtak mujhe sahi kaam nahi mila tha naa koi ambition tha arnisha ki wajah se mera kisi bhi kaam mein dil nahi lagta tha aur naa hi is sheher mein rehne ka in sab ke bawjud bhi mere parivar waale mujhe sudhaarne ki koshish karte they....lekin main chahkar bhi samjhte huye oose apne dil se nahi alag kar paaya dua kya kabul.hoti? jo namumkin thi shayad khuda ke liye kyu wo mujh jaise gareeb ki zindagi mein oose likh sakte they jo kisi laayak nahi jo khud musalman hokar bhi imaan wala nahi tha...
maa baap ne koshish bhi ki par kisi bhi aadmi ne mujhe financially aur mentally support nahi kiya thak haarkar ek din bhaari jhagde mein mere baap ne mujhe bangladesh dhaka rawana kar diya tha jaha hamare kuch rishtedar raha karte they ye uska sheher tha kitna paas tha uske nayi jagah naye log sabkuch pehle pehle to lubhavna sa laga....jaha main aaana chahta tha shuru shuru mein bahut dikkat huyi yaha bhi koi support mujhe nahi mil saka rishtedaro ne haath khade kar liye ki tumhara guzara nahi ho payega yaha naukri mil pana mushkil hai tum waapis jao aur maarein waapis hindustan jaane ke khauff se main apne rishtedaro ke ghar se bhaagkar dusre jagah chala aaya wo janne waale they mere kareebi dost jaise they unka naam kareem khan tha aur unhone mujhe garage mein mechanic ki naukri de daali thi wohi garage ko sambhalta tha aur upar ke iklaute kamre mein raat guzaarta tha maalik chittagong mein rehta tha isliye imaandar hone ke chalte mujhpe pura garage ka bhaar tha...jis mehnat bhare kaam ko main dhyaan lagaye kayi mahino baad sikh chuka tha.... haalaki parivar se dur tha dukh toh tha par mujhe yahi jeena tha...
Dhyaan tuta toh suraj nikal gaya tha..... subah 8 baj chuke they...darwaje ko kareem chacha peet rahe they aur mujhe awaz de rahe they....main arnisha ki tasveer ko screen se hataye phone bistar par chodhe darwaja kholne bistar se utha.....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Nahid Ayaz
Shayarana Mizaaj
Rau: 1
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:16 hours and 0 minutes.
Posts: 85 Member Since: Aug 2019
|
|
«Reply #3 on: March 01, 2021, 11:48:46 AM » |
|
Wow Bhai awesome keep going on like this , next part ki liye waiting
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ASIF
Shayari Qadrdaan
Rau: 0
Offline
Waqt Bitaya:1 days, 51 minutes.
Posts: 187 Member Since: Feb 2021
|
|
«Reply #4 on: March 01, 2021, 12:57:37 PM » |
|
Wow Bhai awesome keep going on like this , next part ki liye waiting
Thanks sis
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ASIF
Shayari Qadrdaan
Rau: 0
Offline
Waqt Bitaya:1 days, 51 minutes.
Posts: 187 Member Since: Feb 2021
|
|
«Reply #5 on: March 02, 2021, 01:54:20 PM » |
|
Darwaja kholte hi saamne kareem chacha khade muskura rahe they....main darwaja khole waapis ulte kadam andar aakar gas band kiye cups mein chai daalne laga
"uth gaya tu chal garage kholne ka time ho gaya hai".....kareem chacha ne mere haath se bhara cup chai lete huye bistar par baithte huye kaha
"haan chacha bas chai banakar fresh hokar aa hi raha tha niche".....maine ek cup chai ki chuski lete huye kaha
"waise manna padega tu akela chokra hokar pure ghar ko ladki ke maafik saaf rakhta hai dekh har cheez kitni salihat se har jagah rakhi huyi hai aur teri umar ke ladke yaha ke bas ladkiya patayenge awara gardi karte ghumenge kaam pe dhyaan nahi maa baap se koi matlab nahi bas saala ayyashi aur khaana peena"
main hass pada...."arre chacha kya farq padta hai? humhe apni zindagi dekhni hai aur apun toh tehra akela launda aur waise bhi bachpan se main ghar ka kaam karte aaya hoo aur mujhe bhi ye aadat hai ki har cheez saaf suthri honi chahiye time agar maalik thoda zyada deta toh khaana bhi apun daily khud hi bana leta"
"manta hoo teri baat par akeli jaan kabtak saare kaam khud karegi....aur is kaam mein toh tere jaise chokre ke liye toh koi future nahi bas do waqt ka khaana hi mil sakta hai aur tu toh tehra padha likha koi sahi kaam dhundhne ki koshish kar jismein paisa zyada mile aur khatni bhi kam ho main keh raha hoo na ek baar ache se kamane laga na toh bas achi ladki dekhkar ghar basa lena tu bhi khush aur maa baap bhi"
ek pal ke liye mere chehre ki muskurahat udaasi mein badal gayi....kareem chacha bhi bolte bolte teher se gaye oonhone pucha kya hua?.....main khaali cup ko dhote huye oose paas rakhke unke bagal mein aake baith gaya
"nahi ho sakta main shaadi nahi kar sakta chacha jiske chalte main sabkuch chodh chaadh kar yaha aaya jise paa hi na saka bhala uske bagair kisi aur se shaadi ye nahi ho sakta chacha kattayi nahi ho sakta maa baap ne toh meri aane ki umeed hi chodh di kyunki wo jante hai main ye sheher chodhkar waapis hindustan nahi aane wala"
"ye kaisi zidd hai teri tu apne maa-baap ka iklauta beta hai unke paas rehne ke bajaay yaha akele kabtak yun ghutt ghutt kar jiyega aur kiski chahat mein afsos kar raha hai uske jo tere naseeb mein hi nahi jo kahan hai tujhe khud nahi maalum? itne bare sheher mein oose kahan talashega aur agar talaash bhi liya toh kya wo tujhe mil sakegi? wo shadi shuda hai ya alag ho chuki hai kya faraq padta hai? beta main yaha ka bashinda hoo umar guzaari hai maine yaha....ye sab khubsurat ladkiya sirf ladko ko diwana banaati hai fhir unki haisiyat tatolti hai allah ka koi khauff nahi inhein bas bara ghar aisho aaram naukar chakar aur dhair saari daulat aur mehenge cheezein yahi shouk hote hai inke"
"har ladki ek jaisi nahi hoti chacha chahe wo ameer kitno bhi kyu na ho? kabhi kabhi mohabbat paiso se zyada ahemiyad rakhti hai oose hi saccha pyaar kehte hain aur wohi pyaar wo karti hai oose aur main sirf oose"
"chal fhir bhi teri baat apun ne maani adam lekin tere oose pyaar karne se kya farq padta hai? wo toh dil pehle hi oose de rakhi hai jo uska pati hai kya naam bataya tha tune haan digonto rutbe mein aukwad mein tujhse bilkul alag janta hai na tu is baat ko aur wo toh tujhe jaanti tak nahi jaan bhi jayegi toh kya tere itne barso ke savr ka qadr karegi wo oose ghanta koi farq padega samajh is baat ko tu adam samajh"
main chupchaap uth khada hua.....sar jhukaaye khada tha kareem chacha ko laga shayad unhone jaane anjaane mein kuch zyada keh diya tha....lekin kitno bhi kyu na? wo bhi mujhe aaj fhir maa baap ki tarah samjhaa hi rahe they.....par kaise unhein bata paata ki mere dil mein wo bas chuki thi oose chahke bhi bhul paane ki nakam koshish main pehle hi kar chuka tha par sirf naakam raha tha ...
"i m sorry beta agar jaane anjaane mein mujh badbakhti budhe aadmi se koi saqt baat zabaan se nikal gayi ho tu meri aulwad jaisa hai tu toh janta hai na ki apun bhi biwi ki maut ke baad ekdum akela hai dekh maanf kar de".....piche se kandhe pe hath rakhte huye chacha ne jaise meri chuppi todte kaha
"arre nahi nahi chacha aap mujhe sharminda na kare kisne kaha aap akele hai apun ko beta bhi kehte hai aur khud ko akela aap hi toh they jiski aasre par main apne rishtedaaro ka ghar chodhkar is anjaan sheher mein rehne ke kabil bana warna mera yaha kaun tha? kareem chacha maanfi mat maangna par tum toh jante ho kitna hard hai oose bhula paana main oose bahut pyar karta hoo aur agar wo mujhe jis bhi haalat mein mil jaati main oosse turant shaadi kar leta par khuda ke aage mere pyaar ki koi keemat nahi"
"allah jaanbhujkar tujhe oosse dur nahi karte wajah hoti hai piche kya malum wohi tere laayak nahi thi isliye aajtak tere uske darmiyaan faasle they tune itna talasha bhi toh bhi nahi mili bas mili toh uski aduri malumat dekh lena kya pata oosse bhi achi koi ladki tujhe yaha mil jaaye jaisi tu sochta hai"
"par wo to nahi milegi na substitute toh sirf dawaiyo mein ho sakta hai ye toh sachi mohabbat hai jo ek se hoti hai mujhe farq nahi padta ki wo milegi ki nahi par mujhe bas wohi chahiye meri zindagi barbaad kiye main un dono ko khushiya jeete nahi dekh sakta chacha nahi dekh sakta"
"Khair chodh tujhe samjhaana apne bas ka nahi teri story ek hi patri pe rahegi main baat toh batana bhul gaya ab dhyaan se sun tera asli naam asif hai na khair jaisa tune kaha tha tere yaha ke national id card pe badla hua naam adam pad gaya hai adam Fernandez paidaishi ilaaka rajshahi aur janam tariq wohi daal di jo teri asli thi"
"11/04/1995"
"haan wohi wohi ab tera pakka yaha ka resident card banwa diya hai wo bhi full proof ke saath apni yaha bahut setting hai maa baap ke baarein mein puche toh dil pe patthar rakhke keh dena ki apun ne tujhe paala posa bada kiya tu late joseph fernandez jo koi mera dost tha uska beta tha halaki apun ki puri setting hai yaha koi verification zyada to hogi nahi agar ho bhi gayi oh jawab talabi itni nahi hogi aaj se tu khud ko bangladeshi samajh"
"thank u chacha thank u so much".....main chacha ke kandhe pe haath rakhkar bola
"lekin sach mein tu india back nahi hona chahta yahi isi gareebi mein basar karna chahta hai meri maan toh ek baar fhir soch le tu padha likha hai ache ghar se taluq rakhta hai kya aise illegal hokar tujhe dukh nahi lagega soch le"
"arre chacha soch liya ab sochna nahi kuch karna hai mehnat karna hai kamana hai aur yaha basna hai....mujhe koi dukh nahi chacha aaj nahi toh kal toh maa-baba samajh hi jaayege aur apne bete ke paas yahi kya malum aa jaaye? aur ye toh mazburi thi jo kadam maine waha se bhaagkar uthaaya warna mujhe zabran waapis jaana padta aur oosse dur ho jana hota jo judai main bardasht nahi kar paata accha khair wo id card kabtak?"
"bas agle mahine tak mil jayega khair ab tu tension na le aur niche chal maalik Chittagong se aane wala hai paisa uthane garage ka"
"theek hai aap chabi lijiye main fresh hoke niche aata hoo"
"pura pagal hai yeh oos ladki ke liye"......kareem chacha mann hi mann budbudaate huye mujhe ghurrkar darwaje se bahar sidiya utar gaye
---------------------------------
Kaam mein is qadr mashroof raha ki subah ka wo sapna lagbhag zehan se utar gaya tha......aaj gaadi ki jaise baarish lagi thi servicing ke liye mere saath kaam karte ladke bhi apne apne kaamo mein jute huye they.....maalik dopahar baad hi pahucha tha....aate hi pehle usne intejar kiya fhir fursat se baari baari sab servicing karamchaariyo ka office mein mahina lagaya....baari baari pagaar lene ke baad main office mein jab aaya toh wo toh paiso ka hisaab kar rahe they maalik mota chote kad ka 40 varshiye khaddus tha par oos waqt uska mood acha tha....
"Adam ye le tere pure 9000 taaka is baar achi kamaayi huyi kaafi gaadiya aayi servicing ke liye lagta hai kaam pasand aa raha hai apna"......paisa mujhe dete huye seth ne kaha
"shukriya uncle wohh toh bas allah ki rehmat hai"
"hmmm aur sab theek chal raha hai na kareem se baat ki thi maine keh raha tha bahut mehnat karta hai tu chal aise hi mehnat karta reh".....seth aur tehra nahi kehkar paisa dekar garage ka ek baar jaayeza lekar waha se apni gaadi mein baithkar chala gaya
Raat 10 baje tak rihaai mili.....aaj kaam bhi khub tha kuch gaadiya theek hone ke liye ab bhi garage mein khadi thi....saare launde chutti pe ghar ya toh sharaab adde jaa chuke they....maa se kiya vada tha ki akela rhkar main sharaab ko kabhi haath nahi lagaunga isliye aajtak maine piya nahi tha haalaki is dhandhe mein aadmi thakaan se peene lagta hai par main unmein se nahi tha.....garage band karke main dhaba chala gaya waha sabzi roti baandhein upar ke maale apne kamre mein daakhil hua....
maa baaba ko malum nahi tha ki maine kareem chacha ki madad se yaha illegaly basne ka faisla kiya tha haalaki abtak rishtedaro ke ghar se bhaag jaane ke baad se darr tha ki kisi ko meri pehchan ka malum na chal jaaye....lekin main nischint tha naam bhi aisa tha ki koi shaq nahi kar sakta tha halaki maine ye naam jaanbbhujhkar rakha tha isliye bhi ki gair kaum ka hone se koi shaadi rishte ki niyat liye koi mere paas fatak nahi sakta tha aur mujhe yaha namaz ke liye koi tok nahi sakta tha siwaay kareem chacha ke jinhone bahut baar koshish bhi ki main namaz padhu roza rakhu musalman naam hi se yaha rahu....lekin maine hamesha inkar kiya sirf is narazgi se ki allah ne meri kismat mein oose nahi likha tha ....toh main uski ibadat kyu karu? shayad main khudgarz ban chuka tha isliye allah ne bhi mere sar se apna haath hata diya tha kitno bhi mehnat kar lu par seth jaise raubdar insaan ke aage mujhe kam tankha mein apni gareeb zindagi guzaarni padti thi....kayi dafa dhaka sheher ke un ilaako tak pahuch banai jaha ki tasveer maine arnisha ki dekhi thi lekin market mall toh dur woh raah chalti sadak par bhi mujhe kabhi nahi dikhi thi.....shayad ye mera pagalpan tha aur naa mumkin aas....
Raat ke oos ghadi kashmakash mein duba khaana khaa raha tha....achanak zehan mein us ladki ka aks ubhara fhir mera digonto aur arnisha ko maar dene ki koshish.....main samjhta tha wo meri nafrat thi jo maine arnisha aur digonto ko ek hote dekha aur unhein jaan se maarna chaha tha par ekdum se oos anjaan ladki ka saamne khada hokar yun chura liye mere paas aana aakhir thi kaun woh? achanak kareem chacha ki baat yaad si aayi...kya pata oosse bhi achi koi ladki tujhe yaha mil jaaye jaisi tu sochta hai"......chacha ki baat sunkar hassi si aa gayi fhir maine gambhir hokar oos chehre ko bari gaur se sochna chaha par nahi uska chehra ekdum mann mein nahi aa raha tha bas uski zulfein aur haath mein liya chura bas reh rehke yaad aa rhaa tha....
aakhir mein main maatha jhatak kar dhyaan tode haath dhone ke liye khaane se utha....."ye kaise ho sakta hai? arnisha ke bajaay aaj main kisi aur ke baarein mein kyu soch raha hoo wo toh mehez khwab hai uska mujhse kya rishta? sach mein kareem chacha theek kehte hai main pagal ho gaya hoo jo in fizul khwabo mein apni sehat kharab kar raha hai"
Kal subah jaldi uthne ke niyat se main bistar ke hawale ho gaya par mere aankho mein aaj bhi neend nahi thi subah 2 baj chuka tha aur main karwat badale aankh khule chatt ki taraf dekh raha tha....aaj sach mein mujhe neend nahi aa rahi thi....kayi saal se yuhin main raatbhar sota nahi tha aur jab neend lagti thi toh dopaharbad hi neend khulti thi par bangladesh mein aaye huye garage ka kaam sambhaalne ki wajah se main subah kayi hadtak jaagna padta tha aur pure din mehnat aur pasina bahane ke bawjud raat ki neend bechaini ki wajah se udd jaati thi....kayi baar garage ke dusre ladke sharab ka sahara lene kehte they lekin main unki baat ansuni kar deta tha delhi se jaana hua tha ki psychatrist ki di wo pills bhi insaan ke dimaag ko kharab kar deti hai jo lambe samay tak neend ke liye unhein lete hai.....main dheere dheere fhir arnisha ke baarein mein sochne laga paas mein rakha mobile par maine uski tasveerein nikaali lekin jab bhi uski tasveere dekhne lagta to kahi na kahi uske shouhar digonto ko uske saath mauzud tasveer mein paata.....main naraaz bhi kya hota? allah ne aakhir oose uski zindagi mein likha tha.....haarkar phone rakhke main karwat badle aankhe mundein sone laga....
dheere dheere palke bhaari hone lagi aur uske baad din duniya se bekhabar main neend ki gehraai mein dubta chala gaya khwab mein bhi jaise mujhe arnisha ka muskurata wo tasveer wala chehra ghum raha tha...
to be continued.........
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ASIF
Shayari Qadrdaan
Rau: 0
Offline
Waqt Bitaya:1 days, 51 minutes.
Posts: 187 Member Since: Feb 2021
|
|
«Reply #6 on: March 02, 2021, 02:00:01 PM » |
|
Aise hi din beet rahe they....maalum nahi tha ki mera kal kya hoga? bechain bhari wo raatein fhir gehre sapno mein aankh lagi toh kho jana fhir subah subah uthkar jaise taise kaam mein jut jaana fhir thak haarkar raat gaye kamre mein lautkar fhir khaane se fursat paake bistar ke hawale ho jana....yahi roz ki zindagi thi
Nahi maalum tha ki kabhi kamyabi haasil hogi ki nahi....dhaka sheher mein kaam milana aasan nahi tha hunar wagaira bhi kuch khaas nahi tha aur bare firms mein kaam karne laayak jo degree thi wo bhi padhai likhai bangladesh ki nahi thi.....apne ceritificates dikhaate hi fass jaana tha kyunki padhai likhai toh maine hindustan se ki thi....aur interview mein puchne par meri asliyat pe sawaal uth sakta tha aur illegal immigration ke pachde mein fass jaane ka khauff....
isi mushkil mein kahin kaam nahi jutaa paaya tha wo toh khuda ki rehmat thi ki usne kareem chacha ko meri zindagi mein jariya banaake bheja tha warna yaha rehne ke chakkar mein gair kanooni kaam waalo ke beech fass sakta tha kaam ki talash mein.....
Kitno bhi ho main ye gareeb khatni zindagi se hi aaram mehsus karta tha na koi tension na hi koi mushkil.....haalaki mehnat bahut thi padhe likhe ke hisaab se bahut choti haisiyat ka kaam kar raha tha....lekin pait ki bhook aur sar ki chatt kuch bhi karne ko mazbur kar hi deti hai....bas koi lambi chutti nahi milati thi koi achi tankhwa nahi milati thi....apna bhavishya theek karne ka koi zariya nahi tha is kaam se par sukoon tha ki stable tha.....maine toh achi zindagi ki umeed bachpan mein hi chodh di thi...isliye koi faraq nahi padta tha bas faraq padta toh bas arnisha ki kami mehsus hone ka padta tha jo namumkin khwahish thi meri....dil masos ke mann maarke hi sahi main apni ye zindagi jee raa tha....
Lekin kise pata kab kismat mein kya modh aa jaaye? main sochta tha yahi meri kahani thi....par meri asli kahani toh ab shuru hone waali thi....jo modh tufaan sa bankar aanewala tha oos din.....
Baarish tej ho rahi thi......jab neend khuli toh bijli ki gargarahat sunaai di.....kamre mein andhera faila hua tha.....main angraai lekar waqt dekhne laga fhir nishchint hua ki garage ki aaj chutti thi har jumaa ko yaha chutti hoti hai aur aaj andolan bhi laga tha jisse logo ki aawajahi achi khaasi band thi....
shukra tha ki aaj garage naam ke kholne ke barabar tha.....garage khole kafi intejar kiya par koi karamchaari nahi aaya aur upar se ye musladhaar baarish jaise thamne ka naam nahi le rahi thi....main aadha shutter lagaaye waapis upar apne kamre mein aaya khidhki kholi aur bahar galiyaare ki taraf dekhne laga.....dopahar hone ko tha par suraj aaj is tufaani barsat hone ki wajah se badalo mein kahi ghum tha aasman toh ekdum kaale ho rahe they.....fhir bijli kadak uthi aur baarish tej ho gayi....
"Itne dino baad chutti mili hai chalo lunch karke thode dair aaram hi kar leta hoo waise bhi maalik toh yaha rehta nahi aur garage ka koi ladka bhi aaj aaya nahi sab aaj chutti kiye honge chalo kuch banake khaa lu par banau kya? dhaaba jaa nahi sakta kareem chacha bhi aaj subah subah aaye nahi ek baar call kar leta hoo"
Main khud se badbadaate huye kareem uncle ko phone lagaya....udhar phone bajta raha par koi uthaya nahi fhir chauthi baar chacha ne phone utha liya.....chacha ne bataya ki aaj tabiyat unki thodi dheeli hai kaam ke wajah se wo ghar mein hi aaram farma rahe they....maine unhein aaram karne ki hi salaah di aur phone cut kar rakh diya...
berehaal main tava chadhakar gas par bread omlette banane laga.....kuch hi dair mein light bhi chali gayi.....main kismat ko koste huye plate pe bread omlette liye khidki ke paas baithkar khaane laga...kuch dair baad jab faarig hokar jab haath munh dhoke waapis aakar baitha toh mujhe ek khubsurat black ford car niche garage ke theek saamne waali sadak pe khadi mili....uske headlights jal rahe they par gaadi aage badh nahi rahi thi aur start hone ke bajaay azib si khadd khadd awaaz nikaal rahi thi.....
Kareeb kayi dair tak wo waise hi padi rahi....main uthkar andar aaya fhir mere mann mein naa jaane kya hua? ki mujhe laga ki ek baar niche jaakar haal janna chahiye shayad koi raahgir fasaa hua ho aur madad ki imdaad chah raha ho baarish na hoti to wo garage ki taraf zarur aa sakta tha...
Main khidhki se jhaanka waise hi gaadi khadi thi headlights ab band ho chuke they....main fauran sidiya utare bheegte huye geeli sadak ko paar kiye gaadi ke paas aakar ruka jhukkar dekha toh paaya window wipers chal rahe they saamne jispar baarish ka paani pad raha tha....main daayi or aakar sheeshe pe khatkhataaya.....turant wo kaala sheesha khula andar aadmi ki umeed mein driving seat pe ek khubsurat meri umar ki hi ladki baithi huyi thi...."madam kya main aapki gaadi theek kar du!".......bijli zor se kadki aur theek oosi pal ooske chehre ko dekhkar main kehte kehte jaise ruk gaya
uska chehra saamne tha meri baat sunte hi oosne apne zulfein hatayi aur meri taraf apni neeli aankho se dekha uska gehra behad gora chehra tha nain naksh bhi kaafi khubsurat they wo pehli baar tha jab maine bangladesh ki koi sundar ladki ko arnisha ke baad dekha tha ye oosse bhi khubsurat thi koi shaq nahi tha gaadi mein uske kapro se aati perfume ki mehek gunz rahi thi....honth surkh gulaabi hone ke bawjud jaise usne lipstick lagaya hua tha kaafi mehengi jacket pehni huyi thi haath steering pe they jab maine uske kalaayi pe bandhi ek choti si garhi dekhi wohi dusri kalayi pe bangles they
Maine khud ko sambhaala aur oosse dhyaan hatate huye fhir apna sawaal dohraya.....usne mujhe gambhir se apne sar pe hath rakhkar bare gaur se dekha main nazar chahkar bhi nahi mila paa raha tha oosse kahi na kahi main dil se sharam sa mehsus kar raha tha oose ektak dekhne ki wajah se.....wo aur bhi khubsurat oos adaa mein lag rahi thi...
"ummm yes i need help".....uski meethi awaz si thi
"koi baat nahi mam darasal maine aapki gaadi ko kayi dair se yahan khada dekha jaisi engine awaaz kar rahi hai oosse mujhe samajh aaya ki ismein koi phacchar aa gaya hai if u don't mind can i help you? ye bagal mein mera garage hai main is gaadi ko andar tak le jaata hoo agar baarish nahi hoti toh wo saamne wala half shutter wala garage aapko zarur dikh jaata asal mein aaj koi mechanic nahi aaya hai aur na koi customer isliye maine half shutter gira diya tha kaam na hone ki wajah se aap fikar mat kijiye aap yahi baithiye main dekhta hoo main kya kar sakta hoo"
Ek saans mein main bolta hua oosse nazarein churaaye main waapis furati se sidha hua aur tej kadmo se garage mein daud gaya....thode der baad main rain coat pehne sar khule hi gaadi ke paas aakar engine door khola wo andar chupchaap baithi huyi thi shayad oose bin maange mechanic beech raaste mein mil gaya tha jo ooski car theek kar sakta tha.....main kaam mein ulajh gaya jab faarig hua toh engine door lagaaye uske paas waali seat ke darwaje pe khada hokar jhuka oosne sheesha niche kar liya tha....
wo mujhe hi dekh rahi thi...."mam engine garam tha aur thoda kachra bhi fasaa hua tha maine oose nikaal diya hai aur distilled water daal diya hai ab aap start karke dekh lijiye"
"okay"......usne turant chaabi ignition mein ghumaai aur gaadi start ki gaadi start ho chuki thi lekin tabhi usne pareshan nigaho se meri taraf dekha
"oh no fuel khatam hone wala hai gaadi zyada dair tak nahi chal paayegi"
uski baat sunkar mujhe bhi dukh hua....yakeenan baarish thamne ka naam nahi le rahi thi aur petrol pump main road par tha jo yaha se kuch dur pe tha waha tak jaate jaate fuel fhir aadhe raaste mein hi khatam ho jata jo khatam hone ki kagaar pe tha.....bheegte huye jhuke gaadi ki window pe maine oose panaah dene ki offer ki haalaki main jhijhak raha tha par wo madad ki maari thi....
"madam agar aapko problem na ho toh aap kuch dair mere garage mein stay kar sakti upar mera ghar hai aap chahe toh kisi ko phone karke bulwa sakti hai kyunki aise mein cab milne ki umeed bhi kam hai baarish bhi bahut tej ho rahi hai aur andhera bhi jaldi ho jayega"
"nahi nahi main yahi theek hoo"
"koi baat nahi par ye beech ka rasta hai koi gaadi aayi toh aapko hataani padh sakti hai aur madad kabtak aayegi uske intejar mein gaadi mein hi baith rehna mushkil ho sakta hai waise bhi main ye car garage mein park kar dunga agar is mein koi technical fault hua toh oose bhi fix kar lunga itna fuel to hai ki ye aasani se garage tak main le jaa sakta hun"
Kuch dair sochte huye oosne muskurakar haami bhari shayad mujh anjaan mechanic par oose bharosa hua tha....maine shutter garage ki puri khol di aur andar hall ki lights jalayi....fhir bhaagta hua uske kareeb aaya wo gaadi se bahar nikalkar bheegte huye apne sar ko purse se chupaate huye mere saath saath garage mein dakhil huyi fhir usne mujhe chabi deke oose garage mein park karne keh diya.....main bheegta hua gaadi mein sankoch se baitha aur fhir gaadi start kar drive karte huye oose daayi or garage ki hall mein dakhil karte huye modh kaanta aur fhir andar laakar gaadi roki....jab bahar aaya toh hall ki lights mein wo aur khubsurat dikh rahi thi uski jacket aur jeans geele they jinhein wo apne rumaal se jhaandh rahi thi....uske bheege baal uske chehre pe latke huye se they jinhein samaitkar wo oonhein jhaadhte huye sukhaane lagi.....
Main bhi bheeg gaya tha isliye apne kapre jhaadhne laga....."meri wajah se tum bhi geele ho gaye"......usne muskurakar khaamoshi todte huye kaha
"ji aisi koi baat nahi ye toh mera farz tha aap upar jaake baithiye main tabtalak aapki gaadi bhi dekh lunga"
Usne hichkichaate huye haami mein sar hilaakar muskuraya.....main oose sidiya chadhte huye apne saath upar ke kamre mein le aaya...darwaza ki kundi kholi aur wo charo taraf nihaarte huye kamre mein daakhil huyi....ye pehli baar tha ki kisi anjaan ladki ko main apne kamre mein laaya tha.....main farsh par gire samaan ko uthaate huye ek or rakhkar khidhki acche se khol uske paas aaya
"ye mera kamra hai aap yaha aaram se baithiye wo baazu mein washroom hai agar aap fresh hona chahe toh waha jaa sakti hai main aapki gaadi dekhne jaa raha hoo check kar lu koi fault hai ki nahi agar hoga toh main fix kar dunga mera time bhi pass ho jaayega aur aapki problem bhi solve hahaha tabtak aap madad ke liye apne family ya friends mein kisi ko call kar lijiye"
"okay".....usne muskuraya aur main bhi hasskar kamre se bahar nikle sidiya utar gaya
Shaam ho chuki thi....aur baarish ab dheere dheere kam pad rahi thi.....shukra tha ki light pehle hi aa gayi thi...main garage mein ooski gaadi ka jaayeza le raha tha wo mehengi gaadi thi wo toh rutbewali oos ladki ki haisiyat se hi samajh aa raha tha main ahetiyat se gaadi check ki aur paaya uske piche ke bumper pe halki si daraar thi....name plate ke paas kabhi kahi thuk jaane ki wajah se wo jagah pichki huyi thi.....main gaadi ka pura jaayeza liye jab upar aaya toh woh khidhki ke paas phone pe kisi se baat kar rahi thi....meri mauzudgi paakar usne jaldi se okay theek hai bolkar phone kaanta aur mujhse mukhatib huyi
"maine gaadi dekh li hai sab theek hai bas ek aad fault hai jo fursat se main theek kar dunga baaki overall condition theek hai"
"hmmm koi baat nahi tumne meri itni madad ki uske liye thanks mujhe laga ki itna lamba bill tum banane waale ho hahaha".......usne shukriyada karte huye mujhse mazaak karte huye hass diya
main bhi hass pada....."sorry i was just kidding waaqayi tumne bahut imaandari se kaam kiya warna koi aur hota toh help ki jagah mujhse paise aith leta anyway i am very thankful to you"
"arre mujhe sharminda na kare mam ismein sukraguzaari kaisi? waise bhi khuda kehta hai ki madad ke kaam humhe har kisi ke aana chahiye waise aapki kisi se baat huyi"
"oh haan mera driver aane wala hai meri dad ki car leke aadhe ghante tak wo yaha pahuch jaayega"
"hmmm great tabtak agar aap bura na maane toh main coffee bana du aapke aur mere liye kyunki ek toh aap waise hi bheeg gayi thi aur thand bhi zyada hai toh"......maine hichkichaate huye ijajat se sawaal kiya
wo apne phone ko haatho mein ghumaa rahi thi baat sunkar oosne pehle toh socha fhir usne haami bhar di....."okay"
main sunkar muskuraya aur paas ke table se coffee uthakar gas on karke doodh ubaalne laga......do cups mein 1-1 chammach coffee daalte huye main mudkar oose dekh muskuraya wo mujhe hi maano bare gaur se dekh rahi thi itne mein mujhe ahesas hua ki usne jacket pehle hi utaar di thi aur ek khubsurat full sleeve ki black t-shirt wo pehne huyi thi....jacket bistar pe mauzud tha
"Ye garage kya tumhara hai?".....maine fhir doodh cup mein daalte huye uski taraf sawaliya nigaho se dekha
"nahi main yaha kaam karta hoo is garage ko main hi sambhaalta hoo aur upar ke is kamre mein hi maalik ne mujhe kiraaye pe de rakha hai"
main coffee banakar cup ooske paas lekar aaya usne haath badhaakar fhukte huye coffee ki chuski lete huye meri baat suni....
"waise kahan ke rehne waale ho?"
"ummm rajshahi"......maine baat chupaate huye kaha
"hmmm".......coffee peete huye usne sar hilaaya
"waise aapko dekhke lagta hai ki aap koi model ho"......meri baat se wo hass padi
"hmm you're right actually aaj mera shoot hi tha but u know due to strike and bad weather main late ho gayi aur apne destination tak pahuch nahi paayi baad mein main waapis ghar jaane lagi toh gaadi kharab ho gayi raaste mein yaha as u know"
"ya i can understand"......maine humdardi se ooski baat mein haan milaate huye kaha
"looks like you are educated the way you speaking english and understanding my words wonders me"......usne hairat se jaise meri chori pakad li ho galti meri thi jaane anjaane mein main apni pehchan chupaaye ye bhul gaya ki wo hadtak mujhe pehchan gayi thi ki main padha likha tha
"nahi nahi bas aise hi bachpan se english ka shouk tha toh newspapers wagaira padh padhke filmein wagaira dekhkar sab samajhne laga isliye halki fhulki english bol samajh leta hoo main khaas padha likha nahi hoo agar zyada padha likha hota toh ye sab kaam thode hi na kar raha hota hahaha"......main banawati hassi hasste huye jhoot keh raha tha
"oh ok but tum achi english bol lete ho really waise tumhare maa baap kahan rehte hai? wohi rajshahi mein"
main khaamosh ho gaya apne asal maa baap ka chehra tassavur karte huye maine fhirse jhoot kaha ki wo ab is duniya mein nahi hai main akela hoo mujhe ek uncle ne paala hai aur unhi ke chalte yaha garage mein kaam sambhaala hoo
sunkar jaise oose behad afsos hua oosne mujhse maanfi maangi...."arre ismein maanfi kaisi? koi bhi sunta hai toh aise hi afsos karta hai par kya karu akele rehne ki ab aadat si pad gayi hai.....khair aapki coffeee thandi ho jayegi pee lijiye"......main itna kehke khaali cup apna sink mein chodhe uske paa aaye baith gaya
Is baar maine gaur kiya wo mujhe dekh rahi rhi thi bare gaur se main muskuraye chupchaap apna phone check karne ka natak karne laga par jab jab nazare uthti toh oos khaamoshi darmiyaan mein wo coffee peete huye meri tarf dekh rahi thi....jab usne coffee khatam ki toh maine ooske haatho se cup lete huye oose dhone chala gaya wo bistar pe baithkar charo or dekh rahi thi....
main waapis uske paas lauta aur kursi leke uske saamne baith gaya wo kitno bhi ho ameer anjaan ladki thi jiske paas baithne ki haisiyat shayad meri nahi ho sakti thi.....usne is baat par gaur zarur kiya par kuch kaha nahi....itne mein chuppi todte huye hum dono fhir ekdusre se baat karne lage......baarish ab bilkul tham chuki thi.....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ASIF
Shayari Qadrdaan
Rau: 0
Offline
Waqt Bitaya:1 days, 51 minutes.
Posts: 187 Member Since: Feb 2021
|
|
«Reply #7 on: March 03, 2021, 02:15:13 PM » |
|
Hum dono ek dusre ke aamne saamne baithe huye ekdusre ko dekhkar baatein kiye jaa rahe they....baarish kab thami aur kab shaam se andhera chaane laga waqt ka pata hi nahi chala.....oos mehez kuch ghante ki mulaqat mein ab wo mujhse strange behave nahi kar rahi thi balki meri baaton mein khaasa dilchaspi le rahi thi....mujhe dukh toh hua ki maine apne baarein mein oosse jhoot kaha par aisa kehna mere khud ke liye zaruri tha.....main kisi anjaane insaan ke aage sabkuch reveal kaise kar sakta tha?
par itne waqt baad sach mein pehli baar koi ladki zindagi mein mili thi jisse main apno ki tarah baat kar raha tha is sheher mein aaye huye....warna abtak toh kareem chacha hi they....ek pal mein aisa nahi laga ki main mehez uske nazaro mein mechanic aur wo koi anjaan rutbewaali ameer shaksiyat mere nigaah mein thi....hum ekdum hassi khule vichaaro se dost ki tarah ekdusre se baat kiye jaa rahe they...
"waise aap rehti kahan hai?"
"dhaka cantonment mein jo ilaaka padta hai wohi pe 70 no. apartment"
"oh wow wo toh bahut rihaayish logo ki jagah hai".......meri baat sunkar wo bas nazarein jhukaaye muskurayi
"waise tum single ho ya koi girlfriend wagaira bhi hai tumhari"
"nahi mam main single hoo aur kabhi koi girlfriend maine nahi banayi waise bhi akela kamane wala hoo koi khaasa is line mein future nahi hai toh dosti kyu karna?"
"matlab agar future nahi hai toh insaan girlfriend nahi bana sakta ye toh duniya ka style chala aa raha hai ki har gareeb se gareeb aur ameer ke paas koi na koi biwi ya girlfriend hoti hi hai aur tum toh tehre jawaan toh fhir sochna kaisa?"
"pasand bhi koi cheez hoti hai madam mujhe koi yaha ki ladkiyo mein dilchaspi nahi hai koi attraction nahi hai dosti karna bhi ek zimmedaari hai wo aapse pyaar kare aur aap uski khwahishein puri karne ke laayak hi na ho toh fhir wo kaisa rishta? har ladki ka yahi toh sapna hota hai ki acha ghar ya acha ladka ho koi dhang ki naukri karta ho kabhi bhi uski koi bhi tamanna puri karne mein wo nakabil na ho par jab hamara koi kal hi nahi toh aise mein khud ke sath aur kisi ki zindagi kyu kharab karna? main un ladko mein se bhi nahi jo peete hai khaate hai aur ladkiyo ki zindagiya ayyashi ke naam pe barbaad karte hai mera aisa koi iraada nahi main akela hi khush hoo"
Jab main khaamosh hua to mujhe ahesaas hua ki wo kitne gaur se meri baat ko sun rahi thi....apne jaangh pe jhaangh rakhkar uspar kohni rakhke thuddi par haath rakhkar wo chupchaap meri hi taraf ektak gaur se dekh rahi thi.....
main jaane anjaane mein shayad kuch zyada keh gaya tha isliye fhir chuppi saadhe nazarein jhukaaye raha
"jaante ho maine pehli baar tum jaisa koi insan dekha hai jo khud se zyada kisi aur ki kitni parwaah karta hai"......usne muskurakar kaha
"really itni gehri soch toh meri bhi nahi u know just get into relationship hang out and move on if it not works out par aaj mujhe ahesaas hota hai ki har ladka ek jaisa nahi hota"
wo palang se uthkar tehelte huye khidki ke paas jaakar waapis meri taraf mudkar muskurai.....
"waise puchne ka toh right nahi hai but fhir bhi personally puch raha hoo aapka bhi koi boyfriend hai kya?"
wo chupchaap gambhir si hokar diwaar ki taraf dekhne lagi jaise maine koi zyada zyadti sawaal oosse pucha tha....main apni galti samajhte huye oosse maanfi maangne laga
"i am sorry if i asked u something very personal"
"arre no no aisi baat nahi wo bas aise hi main kuch sochne lag gayi thi darasal i had a boyfriend but now we no more together".....oosne halki si muskaan dete huye kaha
ho sakta hai boyfriend ke chodh dene se oose wo sawaal upset kiya ho aur wo relationship mein bhi na ho aisa ho nahi sakta tha wo toh ek modern ameer khule khyalo waali ladki thi bhala uske zindagi mein koi ladka kaise nahi ho sakta tha ? aur bala ki wo bhi khubsurat....
"uff itne dair se hum baat kar rahe hai par ekdusre ka naam hi jaante aur pucha tak bhi nahi"
"hahaha hota hai anjaane mein bytheway my name is adam"
"oh christian?"
"j..ji mam"......maine jhenpte haan mein sar hilaaya
"hey just don't call me mam again and again main bhi toh tumhari humumar jaisi hoo call me!".........itne mein bahar se horn ki bajti awaz se wo khidki ki tarf palti main bhi uske piche bahar dekhne laga
"oh yaa dad ki car aa gayi shayad driver niche ho"......itne mein kehte kehte uska phone bhi baj utha fhir wo kuch dair apne father se shayad baat karne mein ulajh gayi
"chaliye aapki car aa gayi main aapko niche tak chodh deta hoo"
"okay let's go".....wo kehte huye mere saath saath kamre se nikalkar sidiya utarne lagi
"acha aapki ye car?"
"kal main ya mera driver aakar meri car tumse pick karlega oh i am sorry wo charges kitne huye they engine problem ke?"
"arre nahi nahi aap mujhe sharminda mat kijiye wo toh choti si problem thi aur waise bhi aapse kya paisa lunga ?"
"arre tum apne profession ka charge nahi loge?".....usne hairat se pucha
"nahi mam aapki madad karna mera farz tha ismein paisa lena kaisa? aapkal aake ya driver ko bhejkar apni car le jaaiyega okay oosmein koi itna issue nahi hai agar koi zyada major technical fault hota gaadi mein toh main fhir aapse maang leta"
wo ladki muskura padi mere imaandaari se shayad wo waaqayi prashan huyi thi bahar geeli sadak par chalte huye wo gaadi mein baithne hi waali thi ki usne mudkar mujhe awaz di main palatkar uski taraf dekha
"sumi sumi islam"......apna naam kehkar wo gaadi mein baith gayi uske baithte hi furati se gaadi aage badh gayi
main waaqyi behad hairat mein tha us ladki ko leke....usne kya chaap mere dil mein chodh di thi....kitni alag si thi baaki ladkiyo se bilkul alag haalaki yaha rehte huye kayi ameer ladkiyo ko maine dekha tha....par wo waaqayi mujh anjaan se aise ghul mil gayi ki maano oose meri aukwad aur profession se koi matlab nahi tha pehli baar kisi se itna kareeb se maine baat kiya tha
meri nazar uski gaadi par thi...main toh bhul gaya tha ki uski gaadi ab bhi mere paas mauzud thi.....pure shaam main uski gaadi theek karne mein hi waqt lagaya aur saari servicing karne ke baad bahar se laakar petrol maine oosmein bhar diya......jab faarig hokar main kamre mein garage band kiye pahucha toh main thakkar bistar pe gir pada
mujhe mehsus hua ki jo perfume oosne lagaya tha wo ab bhi kamre mein jaise gunz rahi thi chadar ke paas bhi wo smell aa rahi thi....wo khushbu waaqyi azib si thi achanak maine khud ko jhinjoda ye main kya uske baarein mein soch raha tha wo madad ki maari thi maine ooski madad ki kuch time hi toh saath mein guzaara ki main uske baarein mein sochne laga wo khubsurat thi toh kya mere dil mein toh arnisha ki jagah koi nahi le sakta? na jaane kyu mera mann aaj mujhe uske baarei mein reh rehkar sochne pe mazbur kar raha tha.....
raat ko aaj bhi neend nahi aa rahi thi arnisha ki tasveer dekhte huye fhir main sumi aur apni baatein yaad karne laga jaate waqt usne apna naam bataya tha aur ye bhi bataya tha ki wo naami model hai.....main arnisha ki tasveer screen se hataaye google par uske naam ko search karne laga....theek mere saamne uski bahut saari pics pesh thi....
main hairaan reh gaya ki jitni khubsurat wo aaj lag rahi thi usse bhi zyada haseen wo apne har tasveer mein lag rahi thi shayad make up ki wajah se par wo aise bhi kayi haseen thi....kahi kisi adaa mein waise thuddi pe haath rakhke toh kahi sar par hath rakhke kayi poses mein uske tasveere mauzud they unhein dekhte huye maine phone cut kar rakh diya
"kya farq padta hai? uski toh duniya fan hogi waaqayi kisi din filmo mein as an leading actress wo nazar aa jayegi fhir meri is choti si mulaqat ko toh bhul hi jaayegi main kaun hota hoo meri kya aukwad do meethi baatein oosne friendly hokar kya kar li? main bhi uske piche padne laga shitt aisa toh main nahi hoo kya faraq padta hai? ki aaj jaise hamari mulaqat huyi dobara ho boyfriend ka zikar sunkar kaise wo udaas si huyi thi ho sakta hai uske zindagi mein bhi koi tha jo shayad mehez uske saath fun karna chah raha ho uski khubsurati aur ameeriyat ka fayeda uthana chah raha ho ye bare log ki zindagi bhi kaafi open minded hoti hai break up and divorce not a big deal to them"
main khud se hi jaise keh raha tha.....achanak sochte sochte kab aankh lagi maalum nahi....jab aankh khuli toh agle savere hi khuli....main kaam mein aaj fhir ulajh gaya tha aaj ka din kal jaisa nahi tha aaj suraj savere se hi nikla tha aur garage kachamkach karamchaariyo se bhara pada tha aaj kaam bhi acha khaasa tha......ek ladke ne mujse oos black ford car babat sawaal kiya maine oose kisi bare customer ki gaadi batate huye maamla taal diya main nahi chahta tha ki koi sumi ki gaadi ko chede...
shaam ko main ek gaadi ka tyre fix karne mein laga hua tha...ki itne mein garage ka ladka ne mujhe bataya ki koi driver wo black ford car lene aaya hua hai main uthkar ooske paas gaya....usne bataya ki sumi mam ne oose bheja tha gaadi receive karne ke liye main janta tha par umeed ye thi ki wo aayegi shayad kal ke liye mujhe thank u kehne par wo nahi aayi shayad kal ittefaq se wo mere garage mein aa gayi thi warna wo aisa na chali aati...khair driver ne mujhe paise dene chahe maine mana kiya par oosne saaftaur pe kaha ki ye mam ka order hai aur woh deny nahi kar sakta
"fhir bhi main nahi le sakta waise bhi ye gaadi chaukas hai chote mote problems they maine dur kar diye servicing achi kar di apni mam ko bolna ki maine unse kaha tha ki main koi charge nahi karne wala"
wo fhir bhi kehta raha ki kuch toh le lijiye warna unhein ye lagega ki usne jaanbhujkar mujhe paise nahi diye.....uski naukri pe baat aa jaati...usne zabardasti petrol bharaai ki hi keemat mere haath mein pakdaai jise mazburan garage ke ladko ke saamne mujhe lena pada....driver black ford car leke chala gaya mujhe laga shayad sumi ko laga hoga ki oosse paise na lene se shayad garage ka maalik mujhpar baras padega isliye shayad insaniyat ke naate usne aaj paise bhijwaaye they....
main waapis apne kaam mein jut gaya.....aur lagbhag sumi ka khyal zehan se nikal gaya.....hafta bhar hi hua tha ki oos dopahar garage mein main lunch karke tyre pe thak kar baitha hua tha ki eka ek mujhe kisi ki meethi awaz apne kaano mein sunaai di....main oos waqt phone pe arnisha ki tasveer dekh raha tha ekdum se hadbakar nazarein uthaayi
saamne sumi khadi thi muskurate huye....aaj wo suit pehne aayi thi neele rang ki matchin dupatta ooske gale ke ird gird lapata hua tha....aaj usne halka make up kiya tha na jaane kyu kajal aankho mein na laga hone se ooska chehra fika sa dikh raha tha uske chehre ki muskurahat aaj bhi sarobaar thi....
"addamm"....oosne mujhe dekhte huye muskurakar awaz di
"hey mam aaiye na".....wo halki kadamo se ahetiyat se apne heels par chalte huye sambhalkar farsh pe bikhre grease aur purjo se bachti huyi mere paas aayi
main thoda bura mehsus kiya uske uncomfortable hone se shayad garage mein kyunki us jagah uska aana service boys logo ke saamne thoda azib sa tha....main uski hichkichahat ko samajhte huye oose apne saath upar kamre mein chalne ko bol utha
"yaha baithne ki jagah theek nahi aap upar chaliye"....mere kehte huye wo sidiya chadhne lagi garage ke jannewaale ladke oose reh rehkar ghurr rahe they par kaam mein fasse ho jaane ki wajah se wo log mujhse puch nahi paaye they..
kamre mein aate hi maine oose bithaaya aur chai banane lag gaya...
"aao baitho na adam tum mere liye pareshan kyu ho rahe ho?"
"nahi mam ismein pareshani kaisi?"......maine hasskar chai banate huye kaha
"fhir mam maine tumse kya kaha tha ki tum mujhe naam se pukaaro mujhe acha nahi lagta ki tum mujhe mam kaho"
"sorry sumi ji wo darasal mujhe laga ki aap kya sochengi?"
"bhala main kya sochungi par mujhe pata hai tum kya soch rahe ho yahi ki main ek ameer ladki hoo tum mujhe dhang se jaante nahi aur as a respect dene ki wajah se tum mujhe mere naam se bulaakar sharminda nahi hona chahte yahi na"
'jjjii aisa toh nahi"
"aisa hi hai dear"......ye pehli baar tha ki kisi ladki ne mujhe dear kaha tha sunkar main hass pada
"arre maine koi joke toh nahi sunaaya tum waaqayi kaafi sharmile ho zindagi mein kabhi koi ladki nahi aayi na isliye waise main toh tumhein kaafi frankly samajhti thi"
"frankly toh main hoo sumi but thoda sa sharmila hoo ismein koi shaq nahi".......main muskurate huye bol utha
wo bhi muskuraye mujhe nazakat se dekh rahi thi......"acha toh aaj yaha kaise aana hua? mujhse milane"......main himmat karke bol pada
"kyu? mujhe nahi aana chahiye tha?"
"nahi nahi bilkul aana chahiye tha par oos din aapka driver aaya toh mujhe laga ki aap nahi aane waali"
"kyu nahi aanewaali?"......usne gaal pe haath rakhke masum sa chehra banate huye pucha
"bas aise hi shayad ab yaha aap kisliye mujhse milane aati? oos din toh mazburan barsat aur kharab gaadi ki wajah se aapko mere saath yaha aana pada"
"aisa kuch nahi hai aur agar tum oos din meri help nahi karte toh mujhe kitna fass jana padta? wo ittefaq hi sahi par oos muaqat se main tumse milkar ye toh jaan paayi ki is duniya mein har insaan ek jaisa nahi hota bhale hi tumne apne farz aur profession ke naate meri help ki par sach mein oosdin mujhe ahesaas hua ki tum kitne imaandar ho aur aaj main tumse anjaan ki tarah nahi ek dosti ke naate milane aayi hoo"
mujhe laga nahi tha ki uske dil mein itni baat thi mere liye main kitna galat tha kya kuch samajh baitha tha par oosne aakar mujhe ye ahesaas karaya ki wo mujhe bhuli nahi thi balki uske dil mein meri chavi kisi dost ki tarah thi sabse hairat tha ki itni ameer rutbe shaan waali model hone ke bawjud wo kitni misuk thi kis tarah wo mujhse ghul milkar dost ke naam dekar mujh jaise gareeb se milane aayi thi
main cup mein chai daalkar oose dekar uske paas aakar aaj baith gaya.....hum fhir baatcheet karne lage aur fhir kab shaam ho gayi maalum nahi niche se mujhe ladke ne bulawa bheja main bhul gaya tha ki main beech kaam chodhkar ooske paas baithkar baat kar raha tha
mauke ki nazakat ko samjhkar oose bhi ahesaas hua aur wo jaane lagi...."main chalti hoo fhir milenge tum meri wajah se apna kaam chodhkar upar aaye ho"
"nahi aisi koi baat nahi main maanfi chahta hoo ki beech mein mujhe uthna aise pad raha hai"
"koi baat nahi ab toh hum aise hi milate rahenge hai na?"
"ya ofcourse".......maine uski ye baat ki umeed nahi ki thi jo usne kaha
"par yaha mera baar baar aana theek nahi ho sakta hai tumhare owner naaraz ho jaaye tumpar tum ek kaam karo weekend mein free ho?"
uske is anjaan baat se mujhe thoda jhijhak mehsus hua par main oos waqt hum dono ke beech ki huyi is naye dosti ke baarein mein soch raha tha hairat thi ki ek ameer ladki mujh jaise mechanic ko fhir kisi mulaqat ka nyota de rahi thi...maine oos waqt apni haisiyat ki parwah kiye bina as a dost milane ka haami bhar di....main bhii samajhta tha wo to mujhe mehez dosti ke naate hi toh ahemiyad de rahi thi warna mujhmein khaasa dilchaspi lene ki wajah aur kya ho sakti thi?
Uske baad main oose garage se bahar uske gaadi tak chodh aaya....wo agle hafte free thi friday ki shaam eco park mein chalne ka vaada kiye chali gayi....main uske jaane ke baad is kashmakash mein tha ki mujhe oosse milane jaana chahiye ya nahi...garage mein sab puch rahe they ki wo kaun thi? maine oose apna kareebi rishtedar bataake baat ko rafa dafa kar diya tha lekin ye baat kareem chacha se chupi na reh saki kisi na kisi garage ke ladke ne sumi ka garage mein mujhse milane aa jaane waali baat oonhein bata di thi.....jiska sawaal leke wo raat ko mere kamre mein pahuche they mujhse milane....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ASIF
Shayari Qadrdaan
Rau: 0
Offline
Waqt Bitaya:1 days, 51 minutes.
Posts: 187 Member Since: Feb 2021
|
|
«Reply #8 on: March 03, 2021, 02:16:24 PM » |
|
"kya? matlab ittefaq se uski gaadi kharab ho gayi toh tune uski madad ki uski gaadi theek ki wo bhi mufat mein fhir oose yaha panaah di aur fhir wo tujh anjaan par aise lattoo ho gayi ki tujhse milane fhir dobara aayi jabki driver ko bhejke apni gaadi agle hi din le jaa chuki thi......matlab ek hi mulaqat mein wo tujhse dosti karne aa gayi"
hmmm aisa hi kuch samjh lijiye warna mujh jaise gareeb fhaktahaal ke paas hai hi kya? jo kisi ko attract kar sakta hai bas shakal surat thodi bahut allah ne chaukas di hai"
"hmmm shakal surat toh allah ne achi hi di hai tujhe par is tarah ek anjaan khubsurat ameer ladki ka yun tere paas baar baar chale aana ho sakta hai ki tujhmein oose dilchaspi ho par teri haisiyat toh janne ke bawjud wo tujhe itna line kyu de rahi hai zarur koi matlab hoga warna aise tujhse uska kya vaasta?"
"dekho kareem chacha sab faltu baatein hai mujhe line nahi de rahi sirf as a friend apun ko bula rahi hai aur main kaun sa uske saath bade restaurant jaa raha hoo jo tum ghabra rahe ho wo naik dil ladki hai ache ghar se hai mujhse apnepan ki tarah ghuli mili warna aise kya wo yaha kabhi dobara aati? aur ek baat aap toh jante hi ho ki mera interest sirf dosti tak ka hai oose main samjha dunga ki main kisi aur ko chahta hoo"
"usko jise allah ne tere naseeb mein hi nahi likha"
sunkar maine naraz hona chaha par fhir kuch kehne se pehle hi chup ho gaya...."waise bhi mere paas oose dene ke liye kya hai? main ek gareeb mechanic hoo jise khud ko paalne mein bhi kayi dikkato ka saamana karna padta hai bhala mujhmein dilchaspi leke sirf wo apna waqt zaaya hi karegi main sidha sidha keh dunga oosse kuch nahi chupaunga"
'"hairani toh hoti hai mujhe par khyal rakhna adam baat sirf dosti tak rakhna aur meri maan toh oosse kinaara hi rakh ye bade log ki niyat kab palat jaaye aur khuda na khasta tujhe kisi tarah ke hurt ho toh fhir saari zindagi tu khud hi ko kosega meri baat yaad rakhna"
main khaamoshi se sunta raha baat toh unki kayi hadtak sahi thi....friday ko waadein ke mutaabik main tayyar hokar achi denim shirt aur jeans pehne garage se bahar nikla....aaj pehli baar mujhe aisa laga ki main koi aur hi asif tha lag hi nahi raha tha main koi garage mein kaam karta hun....
bahar modh kaantke main auto ke liye soch hi raha tha ki itne mein wohi black ford car mere saamne aakar ruki....uske rukte hi piche ka sheesha khula toh sumi chashma lagaye baithi huyi mujhe muskurate dikhi....aaj oosne earrings bhi kaano mein pehni huyi thi main jhukkar ooske khidki pe haath rakhke hasaa
"hahaha arre mujhe laga aap eco park mein hogi mera wait kar rahi hogi"
"haan pehle toh socha par mujhe laga ki tum aao ya na aao ya kahi bhul jao toh tumhe pick karne chali aayi"
"hmmm"
"arre khade kya ho aao andar aakar baitho"
"okay".....main uske izazat paate huye gaadi ka mod kaantkar uske sang bagal waali seat par aake baith gaya
usne mere baithte hi driver ko chalne keh diya...main driver ko dekhkar hichkicha zarur raha tha par sumi mujhse khulkar baatein karne lagi
"aaj pehli baar main eco park sirf tumhare saath jaa rahi hoo warna abtak toh bas friends at all".......main bas muskuraye chup raha
"acha tum batao tum kaise ho aur waaqayi is dress mein ache lag rahe ho".......apni taarif sunkar main hass pada oose shukriya bola
wo fhir mujhe batane lagi ki uske friends ooske piche har ghadi lage rehte hai....uski parwah bahut karte hai akela nahi chodhte aaj pehli baar hua jab usne oonhein ignore karke mere saath chalne ka plan banaya tha....main chupchaap uski baatein sunta raha
kuch hi dair mein hum eco-park pahuch chuke they.....gaadi driver ne park ke side hi park kar di.....fhir hum dono utare....usne driver ko wohi hamara intezar karne keh diya.....aur fhir hum main gate se andar park mein dakhil huye charo taraf bagaan tha aur dur mein shuru hota talaab jiske beech choti si lakdi ki bridge thi zyadatar chehelkadmi karne waale couples they us shaant bhare ilaake mein main sumi ke sang sang chal raha tha...
"tumhein pata hai main yaha aksar aayi hoo par kabhi akele kisi ke ek ke sang aane ka mauka nahi mila u know i really love this place especially it's nature greenery and for this beautiful pond a lot yaha maine kayi pics bhi li hai"
main chupchaap uski baatein sun raha tha hum ab bridge par dheere chadhte huye talaab ke theek beech par they kuch couples humhe dekhte huye aapas mein romantic baatein karte huye guzar rahe they...mujhe thodi sharam si aayi kyunki tha toh main bhi ek akeli ladki ke sath hi shayad oose bhi azib lage aisa mere saath yun tehelte huye oonki harqate dekhna
"tum toh aaj ekdum khaamosh ho kya mere sath aana tumhein acha nahi laga?
"arre nahi nahi sumi ji aisa kuch nahi hai"
"call me just sumi kya ab bhi tum mujhse sharam kar rahe ho we know each other now bhul gaye"
"sorry sumi darasal it's very first time ki main tum jaisi khubsurat model ke saath pehli baar ghum raha hoo matlab ek akeli ladki ke saath khud akele acha time spend kar raha hoo bahut waqt baat to mujhe garage ke mehat bhare kaam se chutti mili"
sumi pait pakadkar hass padi model waali baat se oose hassi aa gayi thi main bhi hass pada....."tum waaqayi bahut sharmile ho hota hai par kya hai na? kaam se time nikaalna chahiye u need to get a little bit social a little bit extrovert ghumna fhirna chahiye yahi to zindagi hai"
"kya karu? time hi nahi milta aur akele kiske saath ghumu main bachpan se akela raha hoo aur jab jab koi khwahish kiya wo mujhe mila nahi bas dard taqleef aisi hi zindagi jeene wala hoo main toh kaise khush rahu aur ghumu fhiru?"
"tum waaqayi pareshan ho main samajhti hoo haalat sabke ek jaise nahi hote but u know what? problems har kisi ki zindagi mein hai mere hi dekh lo paisa shourhat rutba shaan sabkuch hai par itminaan nahi sukoon nahi baba khub pyaar karte hai par maa ka khyaal aisa lagta hai jaise wo formality ho baba bhi kaam ke pressure mein time nahi de paate friends se hi jo hassi mazaak hoti hai wohi khushi milati hai warna ghar mein toh main kisi ghutan bhari zindagi ki shikar hoo na jaane kyu mujhe kuch acha nahi lagta main chahti hoo ki koi mujhe pyaar kare dil se khyal kare harpal mere paas rahe"
main chupchaap uski baat sunkar bridge ke railing pe peeth taikaaye khada tha wo bhi teheri mujhse kahein jaa rahi thi phone ko haath mein liye ghuma rahi thi...."kya problem hai? sabkuch toh hai tumhare paas main waise janta toh nahi zyadti taur se par tumhare itne friends hai wo toh tumse pyaar karte hai na tumhari care karte hai na support karne waale puri family hai aur upar se tum itni khubsurat ho bhala koi sacha pyaar karne wala insaan kyu nahi milega kya kami hai tummein?
"khubsurati se pyaar karne wala shaks oosi tarah laalchi hota hai jis tarah kisi ko paiso ki hasad ho tum aisa isiliye keh rahe ho ki tumne meri zindagi nahi jee ye modelling ye glamorous life se log sirf deewane hote hai par sacche dil se pyar koi nahi kar sakta main nahi kehti ki kamiya puri nahi koi meri kar sakta even har ameer ladka bhi agar mujhse pyaar karta hai toh koi swarth ke liye ki main model hoo famous hoo ameer hoo ya khubsurat aur main nahi chahti ki koi mujhpar hukam chalaaye...main oosi ki hona chahti hoo jo mujhe dil se apnaaye meri parwah kare"
"inshallah aapko aapka muqarrar chahnewala zarur milega bahut khushnaseeb hoga wo trust me".......meri baat sunkar wo hass padi fhir oosne mera shukriyada kiya
"acha meri chodho tum apni kaho main nahi chahti ki tumhein ye lage ki bas main hi kahein jaa rahi hoo aur tumhari baat nahi sun rahi"
"kya kahu apne baarein mein? meri zindagi bilkul juda hai"
"fhir bhi dil halka toh kar sakte ho kuch to hai tumhare mann mein mujhe aisa lagta hai"
yakeenan oosne sahi pehchaana tha haalaki ooske aage mujhe kuch chupaana to nahi chahiye tha par main nahi chahta tha ki meri asliyat puri uske saamne khul jaaye ki main apne maa-baap ko chodhkar dhaka sheher mehez anjaan ladki ke mohabbat mein padkar aaya tha aur yaha illegaly reh raha tha....fhir bhi uspar ek wishwas tha wo naikdil ladki thi...
main dheere dheere to sab nahi par arnisha ki baat uske aage bataane laga....ki main kisi ko sachche dil se chahta tha uski ek baar bhi surat aajtak main dekh nahi paaya tha....mehez ek tasveer se pyaar kar baitha tha uske baad kaise meri zindagi mein tufaan aaya? sabkuch sunne ke baad wo tehelte huye chupchaap mujhe dekhti rahi
"kya hua?".....main khaamosh hokar oosse sawaal kiya
"samajh nahi paati hoo ki ye sachi mohabbat thi ya mehez bachpana matlab jiski koi umeed nahi jiska koi thikana nahi ki wo kahan hai? jise kabhi mile nahi uske liye itna pyar itna pagalpan matlab diwaane toh mere bhi hai par aise koi kisi ko bina jaane na asliyat mein dekhe apni zindagi kharab kar le koi junooni hi ho sakta hai"
uski baat sunkar main hass pada....."sab aisa hi kehte hai ki main pagal hoo jo mehez ek tasveer ke piche diwana huye baitha hoo par kya karu zindagi mein pehli baar kisi se pyaar kiya tha and meri dictionary mein move on hone ka toh sawaal nahi hota bahut koshish ki thi maine khud ko uske khyalo se nikaalne ki kayi aur dil lagane ki koshish bhi ki par sab fizul mera dil oose bhula nahi paaya"
"kya tum abbhi oose pyaar karte ho? aur ye jante bhi ho ki wo kaise nature ki hai? wo ladka uska husband jaisa bhi ho hai toh oosi ki pasand na tumhare savr aur sacrifices se oose koi faraq nahi padega ho sakta hai wo isi sheher mein kahi rehti ho fhir bhi tumhare life mein wo kabhi nahi aayegi"
pehle oosne jo sawaal kiya wo gambhir tha aur fhir jab oosne muje samjhaana chaha toh aisa laga jaise wo kadwa sach keh rahi thi baat uski sahi thi par wo bol jis lehze mein rahi thi usmein meri pagalpan ka jaise oose chiddh tha main samajh nahi paaya aakhir wo aise kyu keh rahi thi?
"khair tumne mere sawaal ka jawab nahi diya do u still love her?"
"h.haan".......mere dil se ye baat nikli jise sun wo ekpal ke liye idhar udhar dekhne lagi
"kisi aur ki tarf chahkar bhi main dil nahi laga sakta uska chehra yaad aa jata hai chahe jitna bhi oose bhulne ki koshish karu oose bina dekhe reh nahi paata"........meri baatein jaise oose acha nahi lag raha tha
"i m sorry sumi ki aap meri wajah se bore ho rahi hai?"
"arre na..nahi toh tumhe aisa lagta hai?".....oosne pehlu badalte huye kaha........main sirf hassa
hum fhir waapis tehelte huye baagh ki taraf aaye...."u know sumi agar main kisi aur mein dilchaspi daalu bhi toh main uski koi khwahish puri nahi kar sakta main gareeb hoo ek mechanic ki job karta hun koi future nahi hai mera bhala aise mein kisi ka haath thaamna it's not gud main chahke bhi oosse dil nahi laga paunga aur wo zindagi bhar ghutte rahegi main toh ooski koi khwahish bhi puri nahi kar sakunga"
"karne ko sab mumkin hai mr.adam bas oos ladki ko samajhne ki zarurat hai agar wo sacche dil se tumhe chahe to wo adjust kar sakti hai aur haalat hamesha ek jaise toh nahi rahenge"
"hmm sach to hai par mujh badkismat ke zindagi mein kahan?"......usne ektak mujhe aise nigaaho se dekha ki main nazarein churaaye nahi reh paaya
Bahut der tak hum park mein yuhin ghumte rahe...uske baad usne phone nikaala aur mere saath 2-3 tasveere kheech li...har tasveer mein wo mere sath satke khadi thi usne un tasveero ko mujhe bhejna chaha par tabtalak uska phone baj utha kayi dafa calls ko wo abtak kaantte aa rahi thi phone par uski choti behan thi jo hubahu uski tarah dikh rahi thi pic mein
baat karne ke baad wo mere saath bahar ki taraf chal padi jaha se hum andar dakhil huye they....."ye meri choti behan hai shila bahut naughty hai ye saath mein hoti toh bas tumhari taang kheechne lag jaati"
"acha hahaha".....main hass pada
"yaad rakhna meri baat ko sumi jab haisiyat ho to hi pyaar kiya jaa sakta hai"
"main janti hoo tumhara ishara apni taraf hai par meri bhi baat yaad rakhna agar haisiyat aur barabar waalo se hi pyaar hota toh fhir main bhi waisi hi soch rakhti jaisi tum rakhte ho"........ishaaro ishaaro mein main sumi ki baat samajh chuka tha
par tab bhi mujhe ye nahi laga ki wo mere sath kisi aur wajah se hai jo dosti se badhkar hai lekin uski rahashmayi baatein mujhe kahi na kahi sochne pe mazbur kar rahi thi...
suraj dheere dheere dhal raha tha hum dono gaadi mein baithe....oosi dauran humne numbers exchange kiye....achanak beech raaste mein usne driver ko rokne kaha....main samjha nahi usne mujhe gaadi se utarne kaha jab main utara toh saamne naami cafe tha main pehli baar uske saath aisi rihayshi cafe mein aaya tha.....
andar sab apne apne tables pe baithe huye coffee pee rahe they....main uske saath ek sit pe baith gaya......"ummm what do u like to have? main aksar yaha aati hoo yaha ki coffee bahut hi achi lagti hai mujhe"
"okay just a plain coffee"
"okay waiter one cappuccino and one coffee".....oosne turant order diya kuch hi dair mein waiter do cup hamare saamne coffee aur cappuccino ke pesh kiye jaa chuka tha
main jhijhakte huye peene laga....."ummm kaisi lagi?"......oosne sip lete huye mujse pucha............"bahut hi badhiya"......maine muskurakar kaha
achanak meri nigaah uske hontho par huyi cappuccino peene se uske hontho ke dono taraf malai lag gayi thi jo mujhe kafi hassi dilaane lagi....usne hairani se dkhte huye pucha kya hua? maine oose ishara karke samjhaaya wo bhi hass padi aur ungliyo se apno hontho ke dono taraf saaf karne lagi.....par saf jab na ho paya toh maine tissue paper leke khud hi uthkar ooske dono hontho ki sirhe ko ponch diya....mere ponchne se jaane anjaane wo mujhe dekhti rahi fhir jab mujhe ahesaas hua ki main naadani mein kya kar gaya tha? toh jhenpte huye fauran tissue oose dene laga...oosne mere haath ko thaamte huye tissue mere haath se liya aur apne honth pe ek baar fhiraakar phone ke front side camera se khud ke chehre ko dekhne lagi....fhir usne phone rakh diya
hum dono kuch pal khaamosh hi rahe...fhir coffee khatam karne ke baad maine paise dene chahe par usne paise mujhse pehle menu book ke niche daba ke rakh diya aur mujhe uthkar chalne ka kehkar uth khadi huyi....hum dono cafe se bahar uski gaadi ke paas aaye....
"aapne mujhe pay karne nahi diya"
"toh kya hua? agli baar tum pay kar dena hisaab barabar".......usne mazaak mein jaise meri is baat ko udaate huye hass diya
main kuch bola nahi.....hum dono fhir gaadi mein baith gaye....ek dusre se fhir baat karne lag gaye kahi na kahi mujhe ye din uske saath guzaarne mein acha laga tha....aaj humne jaise ekdusre ko jaana tha kayi waqt baad arnisha ko bhulkar maine kisi ke saath khushi mehsus ki thi...
"kin khayalo mein kho gaye?".....usne chutki bajate huye mere chehre ke aage sawaal kiya gaadi tej chal rahi thi
"nahi bas tumhe thanks kehna chahta tha ki tumne aaj mere saath pura din time spend kiya mujhe ye mulaqat bahut achi lagi"
"aur main?"......uski baat sunkar main teherkar oose bare gaur se dekhne laga wo khilkhilakar hass padi
"hahaha mazaak kar rahi hoo".......meri jaan mein jaan si aayi usne haste huye jab kaha
"sach pucho toh tum bahut achi ho aur main ye baat maanta hoo ki har ladki ek jaisi nahi hoti"
oose ye meri baat sunkar jaise khushi huyi thi....."acha fhir kab mil rahe ho?".............."aap jab kaho"..........."aane wala saturday cause main bangkok jaa rahi hoo friends ke saath ghumne to aane wala saturday theek rahega"
"okay"
"miloge na?"
"haan zarur milunga"
gaadi garage ke paas aakr ruki.....main gaadi se utarkar jaane laga.....piche se sumi ne awaz di....."hey adam"......main palatkar dekhne laga wo mere paas aakar khadi huyi "sach mein mujhe bhi ye lamha yaad rahega itna enjoy toh shayad hi maine apne friends ke sath kiya ho tumhari baatein mujhe yaad rahengi"
"mujhe bhi sumi i am very thankful ki aaj hum ghumne gaye main saturday ko ready rahunga till then b.bye"
"bye".....itna kehkar sumi gaadi mein baithkar chali gayi
kamre mein aate aate raat ho gayi thi waqt ka aaj jaise pata hi nahi chala....aaj main pehli baar kisi akeli ladki ke saath itna waqt guzaara tha...main oose theek se janta bhi nahi tha lekin hum dono aise apno ki tarh ghulmil gaye ki mujhe samajh nahi aaya ki maine ye sahi kiya ya galat par thi toh wo dosti hi....ek ameer ladki ka mujh jaise gareeb ladke se......kahin wo tasveer apne friends ya family ko wo na dikhaaye kya kahegi mere baarein mein unse ki akele wo ek anjaan ladke ke saath time spend kar rahi thi....maine parwah nahi kiya zyada sochkar....
main munh haath dhokhar jab waapis lauta toh aaya ki whatsapp par oosne hum dono ki park mein kheechi tasveer bheji thi....wo waaqayi kafi achi pics mujhe lagi...main muskurakar phone rakhne hi wala tha ki uska msg aaya....."kya kar rahe ho?".......main bas hasskar oosse dobara chat karne lag gaya
faasle banane ke bajaay main oosse dosti kar baitha tha.....wo thi hi aisi ki bina oosse baat kiye raha nahi jata tha....ek taraf wo mujhe attention deti thi jiske ek reply ke liye kayi ooske deewane fans uske intejar mein rehte they aur wo thi ki mujhse direct baatcheet aur mulaqat karti thi....
Oos saturday bhi hum ghumne nikale they oos din wo car se nahi aayi thi shayad wo ekdum akele mere saath time spend karna chahti thi..maine taxi kar li thi...baat cheet ke dauran wo apne friends se bhi baat karte huye phone kaant rahi thi mere saath waqt guzaarne ke liye....hum kayi jagah oos din ghumne gaye oos din baarish shuru ho gayi thi bhaagkar hum paid ki chanv ke niche jaa baithe...jaha wo mujhse satkar baithi thi jab mujhe ahesaas hua to main oosse thoda duriya banane laga...lekin wo kareeb hi baithi rahi....usne bangkok ki mujhe apni aur apne dosto ki tasveere dikhaai...main muskurakar uski prashansa kar raha tha.....baarish thamne ke baad main oose paaske thele waale ke paas le aaya golgappa aur chaat khaane ke baad hum waha se fhir ghar ki taraf ruksat huye...wo cab se nikalkar mujhe bye kehke wohi khadi rahi...main bhi oosse vida lekar sidha apne garage ki taraf nikal gaya
aise hi waqt guzarta raha aur hamari mulaqat badhti rahi...raat raat gaye wo mujhse chat karti thi....toh kabhi ek aad baar mere garage wo pahuch jaati aksar wo suit pehen kar aati thi ki aisa lage ki koi bare ghar se uska taluq hi na ho wo saade chehre mein bhi behad haseen lagti thi.....lekin tabtak bhi main oose apna saccha dost maanne laga tha....wo hamesha aksar mere liye gifts wagaira laati thi...main bhi apni haisiyat ke hisaab se oose kuch na kuch deta tha.....jo ghadi maine oose di thi wo harpal apni kalayi mein.baandhi mere paas aati thi...oose wo itni pasand thi....sabkuch jaise khush haal pal ki tarah guzar raha tha par ek din sabkuch jaise badal gaya....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ASIF
Shayari Qadrdaan
Rau: 0
Offline
Waqt Bitaya:1 days, 51 minutes.
Posts: 187 Member Since: Feb 2021
|
|
«Reply #9 on: March 05, 2021, 02:54:47 PM » |
|
"Kya dinner wo bhi mere saath?".......main apna kaam beech hi mein chodhkar sumi se phone par baat karne laga
"haan toh".......sumi apne baal ko savaarte huye tayyar ho rahi thi aaj wo bridal photoshoot pe waha mauzud thi aur wohi se mujhse baat kiye jaa rahi thi
main soch mein dub gaya....kyunki dinner matlab kisi five star hotel mein hona tha jaha jaane ke liye na mere paas dhang ke kapre they aur na khaas paise fhir bhi sumi ke insist zyada karne par main uska dil rakhne ke liye maan gaya...
"mujhe pata hai tum kya soch rahe ho? ki main tumhein mere saath dinner ke liye kyu le jaa rahi hoo? don't be so hesitate kya hum thoda aur time zyada spend nahi kar sakte aur ye bulawa meri taraf se hai"
"acha theek hai kab aur kahan aana hai?"
"kahi aane ki zarurat nahi main khud tumhein pick kar lungi"
"arre khaamokhah tum mere khaatir itna dur aaogi main hotel pahuch jaunga alright tum batao kaun se hotel kitne baje aur kab aana hai?"
sumi ne mujhe bataaya......hotel naamcheen tha sheher ka.....mujhe thoda khauff bhi laga ki aise mujhe jaane ki waha izazat milegi ki nahi kyunki baat rutbe ki thi....main fhir bhi sumi ka dil rakhne ke liye commitment kar chuka tha aane ka.....oosi din maine acha coat pant aur matching tye bari mushkil se kharida tha aur hotel jaane laayak ooska menu aur charges maalum internet se karke nischint hua....
Bahut azib toh lagta hai par mujh jaise gareeb ko soch vichaar ke toh jaana hi tha.....kyunki sumi mere liye sabkuch kare aisa mujhe kattayi manzur nahi tha......muqarrar din ke mutaabik main blue hotel diamond raat 9 baje ke kareeb pahucha.....abhi kuch faasle hi chalna baaki tha ki itne mein sumi ki gaadi mere bagal se guzarte huye ekdum se ruki...
main paidal chal raha tha isliye uski gaadi pehchan gaya.....gaadi ki backseat ka daya wala sheesha khula aur sumi ne bahar jhaankte huye mera naam pukaara....main uske paas hi aa raha tha
"arre tum paidal aa rahe they?''
"kya karu beech mein taxi kharab ho gayi toh socha by walk pahuch jau kasrat bhi ho jayegi aur pahuch bhi jaunga"
"maine dekha tha tumhein taxi mein baithte huye"
"matlab tum garage se mera picha kar rahi thi"..........mujhe uski harqat pe hairani huyi jabki oose keh diya tha ki main sidha hotel mein milunga par malum nahi tha uske dimaag mein kya chal raha tha?
"haan ofcourse par beech mein traffic mein car fass gayi thi aur tum aage nikal gaye isliye ab jaake mile tum chalo gaadi mein baitho"
"okay"..........main uski baat maante huye gaadi mein baith gaya
usne ektak mujhe niche se upar tak dekha....."kya hua bura lag raha hoo kya?"........maine tye theek karte huye kaha
"jach rahe ho isliye dekh rahi hoo"
"pehli dafa maine aisi outfit ki hai waise tum pe bhi ye chamkili black dress bahut khubsurat lag rahi hai"
"hmmm it's a black radium mini cadbury thanks meri pasandida hai"
Wo kehkar muskurayi kuch dair baad hamari gaadi vishal blue diamond hotel ke kinaare khadi ho gayi...maine utarkar mod kaanta aur uske gaadi ka darwaja khola usne apne heels pehne kadam bahar rakhe waaqayi wo behad khubsueat aaj oos dress mein lag rahi thi....main uske sang sang sidiya chadta hua hotel mein dakhil hua....gateman ke darwaja kholne ke baad andar jab aaya to waqayi dang reh gaya hotel kaafi bada aur khubsurat tha.....uske baad hum sidiya chadhte huye upar pahuche jaha kayi qataar mein aage piche tables aur chairs they...kayi log waha virajmaan they....hum ek table par aakar baithe jaha manager humhe khud lekar aaya tha
halki jazz music ki awaz upar bane chatt ke speaker se aa rahi thi jo pure hall mein gunz rahi thi......"its one of the most delightful night hai na?"........sumi ne muskurate huye kaha
"hmmm main toh pehli baar yaha aaya hoo"
"anyway ye lo aaj tum order karo dekhti hoo tumhare kya choices hai?".....usne shararat se mujhe jaise kaha
"kuch bhi chalega"
"arre aise kaise ? nahi pasand toh tum aaj doge lo padho"........usne mujhe menu thamaai par itne mein piche kayi ladkiyo ki awaz mere kaano mein aayi
"summii hey baby what's up?"......piche se 4 ladkiyo mein se ek daudte huye hamare table ke kareeb aake sumi se gale lagte huye bol padi....sumi oonhein dekhke chaunk uthi wo khadi hokar baari baari sabse gale mili main waha thode dair ke liye chupchaap ho gaya
"arre tum log yaha par?"......sumi ne sabse sawaal kiya hasskar
"bas runjhal ne plan banaya aur tu toh janti hai na weekend pe hum hamesha dinner pe kahi jaate hai tujhe kitna call kiya ab samajh aaya tu humhe ignore kyu itna karti aa rahi hai?"........dusri ladki ne mujhe dekhte huye ishaare se shararat bhare lehze mein kaha
main nazarein jhukaaye chupchaap baitha hua tha......"hmmm kya baat hai sumi tu dating kar rahi hai aur humhe bataya tak nahi kaun hai ye ladka?".......teesri vaali ne bina sumi ko waqt diye kehne ka pehle hi tok diya
"aisa kuch nahi hai tum log galat le rahe ho we are friends arre adam batao na".....sumi ne hasskar jaise unhein samjhaate huye mujhe toka
"haan sumi sach keh rahi hai"........maine beech mein kaha
"oh ho toh boyfriend bhi sumi ko defend kar raha hai but u know sumi we got it tum bari chupi rustam nikli ab to shah aur wali ka dil tut jayega"........sunkar sumi chauthi waali ladki ko aankh dikhaane lagi chup rehne ka wo ishara tha mere saamne
main janta tha sumi ki friends oosse behad mazaak kar rahi thi lekin oos waqt main ekdum chupchaap baitha tha sumi mere saamne aakar baith gayi aur uski friends bhi hamare aazu baazu sit liye baith gayi....wo log khud orders dene lage aur main sumi chupchaap muskuraye ekdusre ko dekh rahe they isi dauran baaton ka silsila chala aur ek ladki ne aakhir puch liya mere baarein mein
"toh mr.adam aap sumi se kaha mil liye? i mean kahan mulaqat huyi thi aap dono ki?"
"ummm woh"
"ittefaq se"......mujhse pehle sumi keh padi sunkar uski saheliya aapas mein munh dekhne lagi
"acha ittefaq se sahi kahan par kaise kab?"......jab main kuch keh na paya toh usne fhir pucha..."khair toh adam tum karte kya ho?"
"ji m..main filhal kuch nahi karta".......main keh nahi paaya sumi chupchaap thi oose bhi malum tha ki aise garage mein kaam karne ka zikar main kar nahi sakta tha ittefaq ki wo mulaqat bhi to garage mein huyi thi kya kehti sumi oonhein?
"oh matlab businessman ke bete ho?"........dusri ladki ne taunt kiya
"nahi mere parents nahi hai"........us waqt sumi ke aage main jhoot nahi bol paaya aur khud ki asliyat ko chupaane ki wajah se mujhe wohi kehna pada joabtak sabhi ko kehte aaya tha
"oh i am sorry toh fhir tum karte kya ho kahan rehte ho?"
"ji darasal mere under pura garage hai main wohi sambhaalta hoo".......sumi ke kehne se pehle hi main keh gaya wo log chupchaap ekdusre ka fhir sumi ka chehra dekhne lage
ek ne ishare mein jaise sumi se sawalat kiya...sumi ne kuch kaha nahi mujhe us waqt bezzati si mehsus ho rahi thi jhoot keh nahi paaya tha sumi ke saamne aur asliyat ka jaise uski saheliyo ko samajhh aa gaya tha...."excuse me main abhi aaya".......kisi ke aur kuch keh paane se pehle kehkar main chair se utha aur tej kadmo se washroom ki taraf chala aaya....hamara table washroom ke paas tha isliye andar munh dhokar kuch dair diwaar ke aad unki baaton ko sunne ki koshish karne laga.....wo log ab mazaak masti na karte huye sumi se sawalat meri baabat kiye jaa rahe they
"what the f**k? sumi tujhe ye mamuli ladka mila tha date karne ko?"......"arre sumi tum janti ho ki tumhari kya position hai kuch din baad tumhari dramas aayengi wo bhi itne ache actors ke sath aur tum ek aise ladke ko date kar rahi ho jo garage chalata hai mechanic hai rubbish"............"haan jiya sahi keh rahi hai kahan tum kahan woh? tumhari family jaanegi toh kya sochenge wo log?"........sumi chupchaap un logo ki taraf dekhi jaa rahi thi udaas muzrim bane
"sumi what's wrong wid you?"
"enough you girls bas bahut ho gaya wo garage boy rahe ya tumhari nazar mein gareeb wo meri choice hai alright wo bechara to mere saath aana bhi nahi chahta tha mere khaatir wo mere saath aaya....anyway jitna main oose jaanti hoo acche se oosse bhi zyada usne mujhe pehchana ache se usne meri baaton ki qadr ki mujhe samjha aur maine uske dil ko mujhe tum narrow minded logo ko koi explaination nahi dena tum log kya samjhoge tum logo ko to bas fame paisa rayiz lifestyle prince charming boyfriend dikhta hai ab main tum logo jaisi nahi rahi hoo"......wo khadi hoke eka ek apni saheliyo pe baras padi thi aazu baazu baithe log oose hi dekh rahe they....
mujhe bahut dukh hua ki meri wajah se sumi ko apne dosto ke aage aise peshaana pad raha tha.....mujhe pata tha ek na ekdin ye baat uthegi......kasoor mera tha mujhe sumi se dosti nhi karne chahiye thi na aaj jaise main bezzat hota aur naa hi sumi ka apni saheliyo se rishta kharab hota....
main waapis sumi ke paas aaya jab wo normal hokar sit par baith gayi.....mujhe dekhte hi oose laga shayad maine peeth peeche apne saari baat sun toh nahi li thi....uski saheliya mujhe ghurr rahi thi....."i m sorry sumi mujhe jana hoga".........sunkar eka ek sumi uth khadi huyi
"kya hua?"
"wo garage mein eka ek urgent kaam aa gaya hai mujhe jana padega"
"but adam hamare dinner ka kya?"........usne hairat se sawaal kiya
"fhir kabhi waise aaj tumhari saheliya bhi hai company dene ko mere na hone se koi faraq toh nahi padega na".......mere kehne ke lehze se sumi ko jaise samajh aa chuka tha ki mujhe sab malum chal chuka tha
usne mujhe rokna chaha ooska gala roye sa ho gaya tha maine oose samjhaaya aur waha ek pal bhi ruka nahi....main tej kadmo se waha se nikal gaya piche sumi waisi hi khadi reh gai......main sidiya utarte huye saamne se aati auto ko rokne ka ishara kiya mera mood waaqayi bahut kharab tha aaj pehli baar jaise bhari mehfil bezzat hua tha oosse bhi zyada dukh mujhe sumi ke liye tha meri wajah se oose apne dosto ke saamne humiliate hona pada tha.....
achanak mujhe ahesaas hua sumi ki awaz ka auto chal padi thi....maine rear view mirror se piche hotel ki sidiyo se utarti sumi ko dekha wo meri auto ki taraf dekhkar mera naam pukaar rahi thi....par main ruka nahi....apni kismat ko kosta hua ek baar fhir udaas hokar garage pahucha tha....
Us raat main soya nahi phone bhi switch off kiye rakh diya taaki sumi mujhe call karne na lag jaaye.....sochta tha ki agar sumi ki jagah arnisha hoti toh wo bhi aise mere liye bezzat hoti...main bhul gaya tha ki meri kya aukwad thi? jab raat gaye phone on kiya toh whatsapp pe messages sumi ke ambaar they wo janna chah rahi thi ki mujhe kya hua hai? wo sab explain karna chah rahi thi....maine koi jawab nahi diya bas phone waise hi switch off dobara kiye rakh diya.....na jaane kab aankh lagi malum nahi.....
Gehri neend mein tha ki tabhi niche kisi gaadi ke rukne aur tyres ke road par ghissne ki awaaz huyi kisi ne zor se break maara tha....uske baad gaadi ka gate khula aur zor se band hua....main karwat badalkar fhir sone laga ki itne mein shutter pe zor zor se koi maar raha tha fhir kisi ne mera naam pukaara.....awaz pehchanne mein dair na huyi wo sumi thi...
wo chillaye jaa rahi thi shutter peetein jaa rahi thi.....ekdum se bhauklakar main utha waqt dekha toh subah 5 bajke 40 hua tha....main razaai ek or faike bistar se uthkar khidki khole niche jhaakhne laga garage ke theek saamne sumi ki gaadi khadi thi aur khud sumi awazein lagate huye garage ki or dekh rahi thi achanak uski mujhse nazar mili....main khidhki lagane laga
"addamm pls mujhe upar aane do mujhe tumse baat karna hai pls adam dekho agar tum niche nahi aaye toh main yuhin chillati rahungi awaz deti rahungi niche aao".......
main sochkar tute mann se darwaja kholkar sidiya utarne laga.....niche aakar garage ke shutter ka taala kholte huye mazbuti se maine oose thoda upar uthaaya....mere uthaate hi sumi lapak se jhukkar andar ghus gayi....usne uthkar meri taraf nigaah daudaayi maine oose gaur kiya toh paaya wo knotted stripped neeli shirt aur kassi skinny jeans pehne aayi thi ekpal ko meri nigaah uske naabhi par chali gayi jo khule pait ki wajah se dikh rahi thi main nazarein idhar udhar karne laga
usne kasskar mere chehre ko apni taraf moda....uske aankho mein aansu dikh rahe thy....."batao adam kal tum aise jhoot kahe mujhe beech restaurant mein chodhkar kyu aa gaye they?"
main palatkar diwaar ki taraf haath rakhkar khada ho gaya...."samajh gayi meri wajah se na galti meri hai mujhe oosi waqt un ladkiyo ko jaane keh dena chahiye tha unki wajah se tum hurt huye ho puri raat main sochti rahi mujhe bahut gussa aaya unpar maine oonse dosti tod li now we are no more friends"
maine palatkar hairani se uski tarf dekha....."k..kyu? mere khaatir tumne aisa kiya aakhir main tumhara lagta kya hoo? dekho sumi main pehle hi kaha tha hamare beech haisiyat ka faasla hai main ek gareeb mechanic hoo mere paas koi future nahi mujhse dosti karke sirf tum bezzat hogi aaj unhone kaha kal kahi tumhare father jo itne bade businessman hai tumhari behan ya tumhari maa unhein agar pata lagega to wo log bhi yahi sochenge dekho sumi baat samjho"
"koi kya kahega mujhe parwah nahi main bas itna jaanti hoo ki tum mujhe bahut ache lagte ho mera khyaal karte ho aur tum un sabse alag ho chahe iske liye mujhe sabse duriya hi kyu na banani padh jaaye? tum nahi jaante meri zidd ke aage kisi ki nahi chalti"
uske aankho mein aansuyo ke saath maine pehli baar gussa dekha tha....oose behad dukh tha wo khud ko kos rahi thi main ooske wajah se bezzat hua tha main oose samjhaana chaha par wo samjhna nahi chah rahi thi.....maine oos ittefaq mulaqat ko bhi insaniyat ka naam dena chaha apni dosti ko mamuli hi rakhna chaha par sumi hamari dosti ko bahut zyada ahemiyad de rahi thi.....
"dekho sumi tum filhal jao tum aaram karo mujhe abhi koi baat nahi karna aur ho sake to mujhe maaf karna aur na mujhse ab zyada milane ki koshish karna pls main aise hi pareshaan hoo aur kuch jhelne ki taqat nahi hai mujhmein pls try to understand"
main haath jode oose saqte mein chodh waapis sidiya chadhne laga....wo bhi mere piche sidiya chadhte huye upar aane lagi.....main teherkar oose roka "pls jao sumi yaha se pls"......."main nahi jaungi mujhe maaf kar do nahi adam nahi main tumse dur nahi ho sakti pls adam meri baat suno
main kamre mein aakar uski baatein ansuni karte huye palang par baith gaya chehre pe haath rakhkar ro pada....wo mere haatho ko thaamein huye mere sar ke baal par haath phairne lagi....."pls adam suno meri baat suno na i am sorry i am really sorry main wada karti hoo tumhein koi bhi kuch nahi kahega par pls tum mujhse rishta mat todo hamari dosti mat todo adam meri taraf dekho".....wo kisi chote bachche ki tarah mera haath pakde keh rahi thi....
usne fhir kasskar mere chehre ko apne haatho mein liya mere aansuyo ko ponchte huye wo rote huye bolti rahi....."tum ro mat dekho main bhi tumhari tarah hurt huyi hoo main bhi akeli hoo adam mujhe apne se dur mat karo pls".....wo haath jode mere ghutno ke paas baithkar minnate karne lagi
main oose uthaane laga toh usne khade hote huye kasskar mujhe seene se laga lia....mera chehra uske pait par tha zazbaat ke haalat mein hum dono kareeb aa gaye they jo mujhe theek nahi laga maine ooske kamar se oose khud se dur kiya....wo haanfte subakte alag huye mujhe dekh rahi thi....usne kasskar mere chehre ko pakad liya aur mere maathe gaal chehre ke har taraf chumne lagi...
wo ahesaas pehla tha ki koi khubsurat ladki ki aagosh mein main tha...achanak arnisha ka chehra dhyaan aaya ooska wo pyaar mere liye ab bhi maraa nahi tha...maine uthkar ooski kalayi thaam li aur oose kaabu karne kaha wo apalak mujhe dekhe jaa rahi thi lekin oos waqt jaise oosmein koi azib si taqat sama gayi thi..."mujhe tumse koi dur nahi kar sakta koi nahi"
ekpal ko uski aankhe dekhkar main darr gaya wo sumi ki azib si nigaah thi oose dekhte dekhte mera khud par se jaise kabu hatt gaya usne kasskar mere baazuyo ko thaam liya uski muskurahat azib si thi.....main oose chahkar bhi khud se dur na kar paya oosne aise mujhe pakda ki uski pakad mujhe mazbuti si lagi jaise kitni taqat aa gayi thi usmein.....
main chahkar bhi kuch na kar paaya aur hawas mein main andha ho gaya.......Bahut dair baad maine ghari ki taraf nazar daudaayi 8 bajne ko they aur abtak kareem chacha aa sakte they mujhe jagaane aur garage khulwaane main hadbadaaye sumi ki aagosh se khud ko alag karke uspar razaai daale bathroom chala gaya jab munh haath dhokar bahar aaya toh sumi gehri neend ki aagosh mein so rahi thi...us waqt mujhe ahesaas hua ki mujhse kitna bada gunaah ho gaya tha? maine ek taraf sumi ke wo kapre uthaaye aur bistar par rakhkar......waapis nahane chala gaya....mujhe anjaam ki fikar ho rahi thi jisne zindagi bhar ye aehed kiya ki wo kabhi shaadi nahi karega kisi ladki se arnisha ko chodhkar pyaar nahi karega aakhir aaj kaise ye sab mujhse ho gaya?
main tauliya lapaite jab bahar aaya tab sumi angraai lekar meri or razaai odhe dekh rahi thi muskurakar.....uske chehre pe koi guilt nahi tha jo kuch hua jaise uski razamand thi.....mere bheege badan ko dekhkar wo razaai faikkar uthne lagi main nazre dusri or kiye apne kapre pehnne laga....wo kasskar oos haalat mein mujhse lipat gayi
"adam sach mein main is pal ko bhul nahi paaungi"
"par humne ye galat kiya na ye sab toh najaayez!"......usne mere hontho le ungli rakhi.....usne wo shaitani muskurahat fhir di
"sach mein paak dil hai tumhara warna tumare jagah koi aur hota toh meri marzi ki parwah bhi nahi karta"
"main hawasi nahi hoo sumi"
"jaanti hoo"......usne kehte huye mere hontho ko chum liya
"yakeen hai tumpar".....kehte huye wo ulte kadam bistar par pade apne kapre lekar oose pehnne lagi.....achanak kareem chacha ki awaaz aayi main hadbada gaya sumi bhi mujhe dekhne lagi
"koi nahi lagta hai chacha aaye hai garage khulne ka waqt hai na tum jao abhi"
"fhir kab miloge?".....oosne apna knotted shirt theek karte huye muskurakar kaha
"call kar lunga abhi jao jaldi warna ladke log aane lage to mushkil ho jayegi maalik ko koi bata dega"
main kehkar kamre se bahar nikla fhir sidiya utara kareem chacha andar garage mein ghusskar mujhe dekhke sawaal kiye......"arre ye shutter aadha khula hai tu aaj jaldi sokar uth gaya tha kya?".......mere kehne se pehle hi tej kadamo se utarti sumi par unki nigaah tehri
wo mujhe fhir kareem chacha ko dekhkar nazarein jhukaaye khule shutter se bahar jaate jaate palatkar mujhe aankh maar gayi.....main kuch bol hi nahi paaya...uske jaane ke baad hi kareem chacha ne bolna shuru kiya
"oh to maamla kamre tak pahuch gaya arre ye kya kar raha hai tu ganimat samajh main pehle aa gaya garage ka koi ladka hota toh maalik tak baat pahuch jati fhir wo mujhpe barasta ye kehte huye ki garage badnaam ho raha hai"
"arre chacha kaahein darr rahe ho apun sab samajhta hai waise bhi wo koi raat guzaarne yaha nahi aayi thi mujhse milane thode der pehle aayi thi abhi gayi"
"hmmm dekh adam ye tehri rayiz ameer ladki tu apne dosti ka daayra rakh aur ise samjha ki aise yaha chali na aaya kare tere kaam par musibat aa jayegi malik kahi tujhe naukri se na nikaal de"
kareem chacha ki baat theek hi thi...par daayra toh ab hamare beech na raha tha....main janta tha ki chacha fikarmand they mere liye....par sumi ki diwangi ko dekhte huye main chahkar bhi oosse duri nahi bana sakta tha......aaj uske dohre roop ka jhalak maine dekha tha...bahut kareeb se......
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ASIF
Shayari Qadrdaan
Rau: 0
Offline
Waqt Bitaya:1 days, 51 minutes.
Posts: 187 Member Since: Feb 2021
|
|
«Reply #10 on: March 05, 2021, 02:55:50 PM » |
|
Us waaqya ke baad se sumi aur mera rishta badal gaya tha....khaaskarke sumi mere aur kareeb aa gayi thi...jab bhi wo modeling photoshoot se farig hoti fauran mujhse milane garage chali aa jaati thi par aise waqt mein jab garage band hone ka time hota ya fhir kabhi behad subah subah....toh main bhi kayi dafa chutti karke uske saath kahi na kahi ghumne chala jata tha......wo harpal mere kareeb aane ke bahane jaise dhundti thi
kabhi bhi hum akele hote toh jaise wo mujhse lipat jaati....wida hone se pehle jaise mere seene par sar rakhkar mujhe kasske thaam leti aur zazbaati hote huye mere gaalo aur hontho ko betahasha chum leti...lekin wohi kitno hi baar maine usmein arnisha ko dhundhna chaha oose bhulaakar sumi se mohabbat karna chaha par bala ki khubsurat sirat bhari naikdil ke bawjud wo mere dil se arnisha ki jagah nahi nikaal paayi.....wohi dusri taraf main kal ke baarein mein sochta tha ki sumi aur mera rishta nahi ho sakta wo kitno bhi ho ameer thi aur main gareeb....main chahke bhi uske pagalpan ki had se bhari chahat se duriya nahi banaa saka to wohi jinsi hawas ne mujhe andha kar diya tha....
mujhe uski aadat si lag chuki thi haalaki main oose dhokha nahi de raha tha....par har mulaqat hamari waisi hi hoti thi....aisa lagta tha jaise hum ekdusre ke jism ke bina nahi reh paate they.....sumi ki mehrbaaniya bhi mujhpar hone lagi sirf jismi zarurat nahi balki wo har dafa kuch mehengi cheezein mujhe tohfe ke taur pe deti thi....jise mujhe accept karna padta tha....dheere dheere meri zindagi badal rahi thi ab mujhe paise ki koi kami nahi lagti thi......sumi meri har khawahishein maano puri kar deti thi.....
Sumi ke parivaar ko jaha tak maine jaana oosse saaf tha ki unka parivaar kaafi rayiz tha pita tour par aksar rehte toh maa ghar ke kaam kaaj se zyada maayke ya dharam karam ke kaamo mein rehti....betiyo pe uska koi kaabu nahi tha....choti behan shila bhi behan ke nakshokadam pe thi aur zyadatar apne friends ke saath hang out karti thi kisi ko sumi ki zyadti zindagi se khaasa matlab nahi tha jiska fayeda sumi uthaati thi...
Par hamesha dil ke ek kone mein ek darr tha mere....kahi kisi din uske maa-baap ko mere aur sumi ke rishte ka maalum chalega to mera anjaam kya hoga? wo log yahi samjhenge ki main unki beti ko faas raha hoo...kaise sumi sambhalegi is baat ko? idhar hamesha sumi ke jism ke geraft se jab main chutta tha toh aksar palang par laita mujhe jaise apna hi zameer dhikkaar ta tha....kya yahi mere sachi mohabbat thi? main arnisha ko ektaraf chahta tha jo naseeb nahi aur wohi dusri taraf kisi aur ka fayeda utha raha tha mujhe bahut bura lagta tha maine aksar sumi se baat karna chaha par sumi meri ek na sunti thi wo mujhpar bahut haq chalaati thi....uski zidd ke aage mujhe ghutne taik dene padte they....
------------------------
"waahhh kya lazeez biryani laaya hai tu?"............kareem chacha mere saath kamre mein baithe biryani ka lutf utha rahe they
"hmmm aise waise jagah ka thodi na hai five star ka hai dhaka ke sabse naami hotel ka".........main nivaala munh mein daalte huye paas rakhi beer ki botal ka 2-3 ghuntt peene laga
mujhe peete dekh kareem chacha hairat mein pad gaye jo kabhi nasha nahi karta tha hamesha garage ke ladko ko daant ta tha aaj wohi munh se botal lagaaye ghunt pe ghunt beer ke peeye jaa raha tha
"manna padega tujhe adam tujhe bhi iski aadat lag gayi main teri wo ameer girlfriend ko complain karega very bad".......kareem chacha leg piece todte huye kahe
"Arre chacha ye lat oosi ki lagayi huyi hain ye chicken biryani ye beer sab oosi ki wajah se hua hai....warna apun kabhi mehenge restaurant jaata tha khaane tumhara maalik to zindagi guzaari ka paisa deta hai itna mehnat leke apun ka aur sumi oose toh bas pyaar karna hota hai dekh lo khud pyaar ka phal jholiya bhar deti hai meri kabhi kabhi lagta hai wo meri girlfriend nahi boyfriend hai jo mard ki tarah mujhpe kharcha karti hai warna roz roz ye naseeb tha....ye mehenge kapre ghadi mobile khaana mere bas ka tha aur agar uska dil rakhne ke liye ek do jaam uski khushi ke liye pee liya toh kya? tum zyada socho mat chacha bas meri taraf se is dawat ka lutf uthaao maine hi kaha tha sumi se hotel mein ki mere supportive chacha ko biryaani bahut pasand oosne fauran pack karwa diya"
kareem chacha chupchaap sunkar khaate rahe fhir unhone meri taraf dekha......"asif haan aaj tujhe tere asli naam se pukaar raha hoo kya ye sab meherbaaniyo ki tujhe koi qadr hai maa se kiya vaada na peene ka wo tune tod diya.....ek anjaan ameer ladki ke pehlu mein tu bandh gaya kya tu oosse shaadi karega?"
"haan vaada to toda hai par wo asif tha main toh adam hoo na wo to badkismat tha jise zindagi mein kabhi kuch nahi mila tarasta tha woh arre ek pyaar hi toh chaha tha kahan mili itne paas aakar bhi kahan hai woh? aur waise bhi ab main oose yaad nahi karna chahta jabtak sumi jaisi ladki mere zindagi mein hai mujhe ab aur struggle nahi karna padega"
"tune abtak mere sawal ka jawab nahi diya kya tu oosse shaadi karega? main tujhe auro se alag ladka samjhta tha imaandar naikdil lekin aaj mujhe aisa lagta hai ki tu sirf apne baarein mein soch raha hai tujhe sumi ki mohabbat se koi matlab nahi"
"aisa nahi hai chacha main khudgarz nahi parwah hai mujhe par shaadi ke liye abhi socha nahi maine.....ghabrata hoo darr lagta hai ki kahi is baat ki zidd sumi na karne lag jaaye"
"aaj nahi to kal kabhi na kabhi wo karegi usne tujhse dil lagaya ? tere liye apne dosto tak se jhagda kar liya aaj ke zamane mein apun ne aisa filmy bhalobasha kahi nahi dekha kyunki wo hi kyu? har ladki yahi chahti hai ki oose manpasand pyaar karne wala mard mile....aur wo tujhse bepnaah mohabbat karti hai mere sar par haath rakh aur kasam khaake bata kya tu sacche dil se oose chahta hai arnisha ki jagah de paayega tu oose?"
jhonk mein aakar kareem chacha ne mera haath apne sar par rakhte huye mujhse sawal kiya main darr gaya....lekin vaada na kar saka kareem chacha muskuraye
"dekha wo saali ladki tujhe naseeb na ho ye tujhe gawaara hai par ooski jagah kisi aur ko dena nagawaar hai yahi main janta tha".........main sharminda sa ho gaya
"dekh adam tujhe pehle hi samjhaaya tha ki aage is rishte ko mat badha jo tujhse naadani mein ho gaya par ab piche mudne ka koi sawaal nahi kar lena sumi se niqaah agar uske maa baap raazi huye toh....warna dil mat todna tu akela hai tujhe saath ki zarurat hai wo daulatmand hai jaan aur maal dono se teri kami puri karegi arre naseebwala hai tu oos parvadigaar ka diya aaj tujhe sab mil gaya hai aankh band karke arnisha ka khyaal chodhkar oosse shaadi kar le aur kiske liye akela rahega uske liye jo khud paiso ki laalchi thi jisne mota asami faansa pyaar ya mohabbat tha bhi uske dil mein main nahi janta....shaadi kar daal sumi se"
"nahi chacha main ek pal ke liye khudgarz ho gaya tha par ab teri baat mujhe samajh aa rahi hai par main kaise oosse shaadi kar paunga main chahkar bhi arnisha ko nahi bhul sakta main chahe hazaar ladkiyo ke saath so jau par main oos ek ko bhi pyaar nahi kar sakta siwaay uske nahi chacha main sumi ko samjhaunga ki jo kuch hua hamari naadani se hua lekin humhe apna saath yahi tak rakhna chahiye main oosse shaadi nahi kar sakta wo zindagi bhar arnisha ki jagah na le payegi aur hamesha dhoke mein rahegi main oose dhoke mein nahi rakhunga"
"nahi adam baat sun aisi galti mat karna anjaam bahut bura hoga wo ziddi pagal hai tu apni zindagi mein aag mat laga mat laga adam ya allah ye kya ho gaya ye kya ho gaya?"..........piche se mujhe awaz lagate reh gaye kareem chacha par maine suna nahi wo mere anjaam ka soch maarein khauff mein they....
main tehelta hua sidiya utare sumi ko call lagaya mere zehan mein arnisha ka aks ubhara aur fhir nawaqif anjaam se sumi ke saath guzaara har waqt yaad karne laga....aaj mujhe faisla lena tha sumi ko samjhaana tha....sumi ne tatkal phone uthaya uski meethi awaz pehle sunaai di....
"mujhe tumse milna hai sumi it's urgent"
"haan par itne utaavle kyu ho? kya raat gaye mere bina neend nahi aa rahi"
"i am not joking mujhe sach mein tumse kuch zaruri baat karni hai"
"mujhe bhi karni thi par kal shoot pe jaa rahi hoo toh mil nahi paungi suno parso tum pier mein aa jao wohi milenge wohi tum bhi keh lena aur main bhi keh lungi acha"
"theek hai".......main phone kaatne jaa raha tha sumi ne roka
"suno main chahti hoo tum well groomed ho ke aao kaala coat black tye mein"
main samjha nahi uski sanak kuch waisi hi thi jispar maine dhyaan nahi diya haami bharkar phone cut kar diya....ab mujhe parso ka intejar tha
Do din beetne ke baad main oos shaam dhaka ke bandargaah waale ilaake mein pahucha jaha choti choti ship boat wagaira chalti thi....saamne pier tha suraj meghla aakash mein dub sa raha tha....dubta suraj samundra ke beech khubsurat laal sa lag raha tha....main sumi ke bataaye pier par pahucha apni coat aur tye theek karte huye achanak saamne yacht paani mein khadi kinaare dikhi...
Yacht bari si safed rang ki thi theek ooske upari maale pe sumi khadi thi....oosne kaale rang ka behad patla khuli gale aur peeth waala party dress pehna hua tha jo ghutno tak thi upar se uske sunhere bhure kiye baal piche bandhe huye they jabki saamne chehre pe do zulfein patli si latak rahi thi.....wo ekdum tayyar si meri intejaar mein shayad khadi thi meri nazaro se nazar milate hi wo chillayi......."hey adam come come over here".......kehte huye wo tej kadamo se piche ki lohe ki sidiyo se utarkar niche pahuchi....main pier pe hi tehra tha....pier aur yacht ke faasle pe moti lakdi bichi huyi thi....jispar wo chadhte huye sambhalkar aahiste mere saamne aa khadi huyi
"oh my god adam dekho kaisa laga?".........usne yacht ke taraf ungli dikhaate huye hasskar pucha
"bahut hi khubsurat sumi mujhe tumse baat karni hai"
"haan aao mere saath yacht par sirf hum dono hi honge ye khaastaur se tayyari maine tumhare liye ki mere dad ke dost mujhe bahut maante hai unhi ki ye yacht hai chalo dair mat lagao andar chale taaki samundra ke beecho beech mere aur tumhare siwaah koi na ho"
usne mera haath pakda aur mujhe lagbhag kheechte huye lakdi ke pool par chadhne kaha main yacht par utara uske sath fhir yacht ke aadmi ne lakdi uthwa di...aur wo saamne sailor cabin mein darwaja lagaye ghus gaya.......ek horn si baji aur yacht pier se sati kinaare ko chodhti huy samundra ke taraf badhne lagi kuch hi dair mein andhera hone laga....kuch dair baad hum theek sheher ki chakachaund roshni se dur samundra ke beecho beech khade yacht pe they....
sumi bahut utawali thi usne ye sab mere liye kiya tha ab main samjha oosne mujhe khaas tayyar hokar aane kyu bola tha? tabtak main chup tha uske sang dur logo ki aabadi bhare sheher ko dekh raha tha jab yacht beech par aayi tabhi usne mujhe upari cabin ki taraf chalne kaha
"hum yaha thode der time spend karenge fhir waapis".....usne maasumiyat bhare chehre se mujhe dekhte huye kaha
kitna bura lag raha tha mujhe? ki maine ektarh se uske zazbat ka fayeda uthaya tha....cabin khubsurati se saja hua tha bahar pura yacht decorated lights ki roshni se chamak utha...sumi ne aage badhkar music player ka button daba diya.....pura cabin oos gaane ke shor se bhar gaya....sumi palatkar mere kareeb aayi....."dance wid me adam".....usne mere kaan ke paas apne honth laakar aahiste se kaha
main uske haatho mein haath fasaaye uske steps follow karne laga par usne mere ek haath ko apni khule peeth par rakh diya aur apne haath ko mere kandhe par....gaana bahut romantic tha main uski aankho mein dekhne laga aur wo meri......wo khud hi mere haath ko upar kiye ghumkar mere seene par lagbhag gir gayi kasskar mujhse lipat si gayi kayi der tak hum waise hi ekdusre se lipatkar nachte rahe....idhar hum chup they aur udhar gaane ke bol jaise sumi ke saare khyaal ko ujagar kar rahe they
Pagol pagol mon amar tomay valobashe kichu shey bujhe naato chai je tomar paashe chaaye je tomar pashe.....daikho na cheye eai hridoy pinjore shudu tomar valobasha shudu tomar valobasha......
ek pal ko oos gaane mein main kho sa gaya sumi ko dekhte huye achanak arnisha ki nigaah mere nazaro mein aa si gayi main hadbadakar oosse alag ho gaya....sumi jaise neend se jaagi usne palatkar volume kar diya......"jaante ho mera pasandida gaana hai ye iska matlab samajhte ho pagal hai mera mann tumhein jo chahta hai kuch nahi samajhna chahta bas tumhare paas rehna chahta hai dekho naa chahkar is dil ke pinjare mein jismein sirf hai tumhara pyaar sirf tumhara pyaar"
main ek pal ko samajh chuka tha ki sumi ke dil mein mere liye aseem diwangi thi....par mujhe apni baat rakhni thi.....sumi khushi mann se paas rakha champaign kholne lagi jo zor ki fawaare se khulkar charo or bikhar gaya....."cheers wid the loved ones once and for all"......kehte huye usne do jaam banaye
"main nahi pee sakta sumi maine!"......main kehte ruk gaya apni asliyat khul jane ke darr se vaada jo maa se kiya tha...sumi ko meri asliyat ka malum chal jata....sumi teher si gayi fhir usne muskurakar mere labo se jaam bhara glass sata dia.....pucha mujhse kya hua? kuch nahi kaha khamoshi se jaam bhara glass ka ek ghuntt pee liya
"aaj aakhri baar pee lo uske baad main wada karti hoo main bhi sharab ko kabhi haath bhi nahi lagaungi jo kahoge jaise kahoge waise jiyungi aaj khuda ne mujhe bahut bari daulat di hai aaj main mehsus kar rahi hoo ki aaj tumne mujhe kitna bara tohfa diya mere zindagi mein aake"
"sumi pls meri baat suno sirf ek baar".......mere gambhir nigaho ko usne padhte huye mujhe kehne ka ishara kiya.....diwaar ki aad mein khadi hokar wo jaam ki chuskiya leti rahi maine ek ghuntt piya par sach mein aaj dil ne gawahi nahi di....main jaam ek or rakhkar sumi ke nazdeek aaya
main dheere dheere sumi ko samjhaane laga ittefaq ki mulaqat se lekar us din ki ghatna tak sabkuch badal chuka tha hamare beech humne kayi seema paar kar li thi....wo sab tabhi jayez tha jab main oosse niqaah kar leta lekin hamara rishta nahi ho sakta kyunki hamari ek toh haisiyat nahi hai aur upar se mera mann shadi ke liye bilkul nahi tha....main arnisha ko bhula nahi paaya tha par hamare beech jo hua usne yakeenan mujhe muzrim bana diya khud ki nazaro mein.....maine oose kaha ki uske bahut ahesan hai mujhpar mujhe usne har khushi di thi bin maange naseebwalo ko jaise moti milti hai waise di thi par ab main aur gunah nahi kar sakta main chahta tha ki hum ab apne rishte ko yahi khatam kar de..
mere is lavz ko sunne ke baad jaise bhara jaam ka glass uske hath se girkar tutkar bikhar gaya....uske chehre ki khushi maatam mein jaise badal chuki thi...bahut badi baat keh dali thi maine...main ek pal ke liye bahut ghabra gaya...wo mere kareeb aakar mere gerebaan ko thaam chuki thi...
"main janta hoo sumi maine tumhare saath bahut galat kiya main is laayak nahi isliye dekh lo khuda ne mujhe kya saza di hai ki main akele hoo tanha hoo bebas hoo par sumi sach maano mere dil mein tumhare liye koi galat niyat nahi thi jo kuch bhi hua wo sirf hawas tha jiske liye hum dono zimmedar hai main nahi chahta ki main tumhein aur hurt karu"
"tumhare chahne na chahne se kya farq padta hai adam fernandes huhh"......wo zor se chillayi main kaanp utha.....wo gulabi nigaho se qeher bhari awaaz mein bol uthi......"jabtak tumne chaha maine tumhe sab diya jism paisa daulat main samjhi ki tum auro mard ki tarah nahi ho mere oos bhule chahat ki tarah nahi ho jisne mujhse shadi ka vaada kiya fhir niqaah se pehle hi rishta todkar meri hi saheli ke saath sote range hatho pakda gaya is that what i worth into ur eyes? yahi keemat hai meri tumhare saamne"
"nahi sumi main waisa nahi hoo mujhse bas yahi gunaaah hua ki maine tumhe chua tumhari mohabbat ko mehez dosti samjha zarurat samjha aaj mujhe ahesaas hua ki kitno bhi main tumhe chah lu? wo sirf dhoka hoga tumhare feelings ke sath khelna hoga main chahkar bhi oose nahi bhula sakta"
"zindagi barbaad kar di hai usne tumhari aur meri bhi oos b**ch ne....chahkar bhi nahi bhula sakta chahkar bhi nahi bhula sakta tum pagl ho you are sick arre main diwaani ki tarah tumhe chah rahi hoo tumhari life savaarna chah rahi hoo aur ek tum ho jise wo naseeb nahi fhir bhi ratt lagaaye huye ho uska"........sumi ki awaz badal chuki thi maine pehli baar uska ye qeher bhara roop dekha tha
"tum pagal ho sach kaha tha sabne main hi bewakuf thi jo tum jaise gareeb fakir insaan ko sacha acha samajh baithi kya ye feelings meri hurt nahi kar rahe mujhe thukrakar mehez ek do kaudi ki ladki ke liye"
"enoughh sumi".......main dahadh utha kitno bhi tha main uski gaali bardasht nahi kar saka sumi hil padi pehli dafa main oospar chillaaya tha
"dena chahti ho na mujhe saza de do par main oosse pyar karna nahi chodh sakta kya tumse shaadi karke main tumhari koi zarurat puri kar bhi paunga kya tumhare maa baap mujhe apnaayenge".......maine sar naa ki taraf hilaate huye kaha
sumi khaamosh thi...."main jaa rhaa hoo sumi".......main jaane hi laga ki sumi darwaje ki aad khadi ho gai aur pagalo ki tarah mujhpar tut padi
"nahi adam nahi aise mat jao aise mat chodhkar jao mujhe main marr jaungi pls mere feeling ke sath mat khelo i m sorry maine tumhein gaali di pls adam"......main uske haalat ko dekhkar ro pada wo kisi pagal diwani ki tarah mere pao ko pakde huye thi...
"pls pls sumi mujhe jaane do mat roko mujhe pls sumi"......main oose dhakelkar yacht ke darwaje se bahar nikal gaya yacht kinaare pe aane ko thi
sumi chillayi wo yacht ki chatt par sidiya chadhte huye khadi ho gayi...."agar tum gaye adam toh meri maut ke zimmedar tum hoge bas tum"
"nahi pagalpan mat karo sumi"
main darr gaya tha sumi ka chehra kajal aansuyo ki wajah se kharab ho gaya tha wo pagalo ki tarah hass rahi thi.....kuch hi pal mein wo kudne ki kagaar par kinaare khadi thi......main fauran sidiya chadhte huye upar aane laga......"nahi adam agar tum mere paas aaye toh main kud jaungi".......main uske kareeb badhte hi teher gya
"pls aisa mat karna tumhein khuda ka vaasta"
"tum mere nahi hoge na toh theek hai jao dhundho oose par ab main tumhein dhundhte bhi nahi milungi marr jaungi aajtak sabse dard hi to mila hai"......wo kuch bhi sunna nahi chah rahi thi bas pagalo ki tarah cheekhte huye keh rahi thi...
"okay okay i will always love you pls tumhein mera vaasta"
"jhoot farebi ho tum main nahi maanti nahi maanti tumhari baat ko"
"main apni jaan ki kasam khaakar keh raha hoo main kabhi tumse alag nahi hunga kabhi dur nahi jaunga main tumse niqaah karunga"
"k..kya kaha? fhirse kehna"........wo tehri jaise hairat se sawaal ki
maine apna jawab dohraaya...."really really yessss u see he said yes he said yes".....wo chillate huye aasman ki taraf diwani ki tarah khush hone lagi......mujhe ahesaas hua ki wo uska asli roop tha uski diwangi se aaj parda uth chuka tha.....achanak ooske kadam maarein khushi mein larkhara se gaye wo fisalte huye sidha girne ko ho gayi....main bhagte huye fauran uski kalayi pakad chuka tha aur oose puri taqat se kheechte huye apna jism aage ki taraf dhakel diya tha....isse wo sidha ulta yacht ke chatt par gir padi aur main aaundhe munh yacht ke kinaare se takraakar sidha paani mein girkar dubne laga....maine uthna chaha par samundra ke bahav ne andar gehrai mein kheench liya...oosi pal meri aankhe bhaari hui aur dum ghuttne laga....main puri taqat lagaye paani se bahar jaise apna sar laaya mujhe apna naam pukaarti sumi cheekhti chillati dhundhlat nigaho se yacht par khadi dikhai di....uske baad meri aankho ke aage uthta paani tha aur fhir andhera....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
ASIF
Shayari Qadrdaan
Rau: 0
Offline
Waqt Bitaya:1 days, 51 minutes.
Posts: 187 Member Since: Feb 2021
|
|
«Reply #12 on: March 06, 2021, 09:10:00 AM » |
|
thanks and welcome sir
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ASIF
Shayari Qadrdaan
Rau: 0
Offline
Waqt Bitaya:1 days, 51 minutes.
Posts: 187 Member Since: Feb 2021
|
|
«Reply #13 on: March 06, 2021, 03:54:11 PM » |
|
Mujhe itna yaad tha ki mere kaan paani ke shorr se kahi dab chuke they....dum ghunttein jaa raha tha saas ukadhti jaa rahi thi....achanak jaise bachpan ki wo baat zehan mein ekdum se aa ghumi oos aalam mein.....jab maa mujhe ek dafa nehla rahi thi jab ekdum se tej paani mujhpar gira tha aur main dum saad gaya tha aur saas ukadh gayi thi.....doctor ne bataya tha meri maa ko ki mujhe upasi ki bimari thi aur paani ka darr aur aaj oos ghari itne arse baad mujhe ahesas hua meri halat theek oos ghatna jaisi huyi thi....
ab mujhe malum tha ki ab mera bachna namumkin tha main haath pao maarne ki koshish kar raha tha par paani mujhe gehraai mein duboti le jaa rahi thi main tadap raha tha.....achanak oos ghari mujhe apni jaan ukadhti mehsus hone lagi aankhe band ho rahi thi achanak theek oosi aalam mein maine ek saaya apni or aate dekha wo tairta hua meri taraf aa raha tha teji se....uske baad wo saaya ekdum kareeb tha palak jhapakte hi.....aakhe band ho rahi.thi bas itna yaad hai ki dobara jab kisi tarah nakam koshisho ke bawjud aankh kholi toh mujhe sumi ka chehra apne chehre ke kareeb dikha tha....wo mujhe dekh azib si muskurahat de rahi thi....uske baad meri aankhe band ho gayi...
fhir mujhe mehsus hua ki wo khyaal nahi tha behoshi taari thi mujhpar par kisi ne mere jism ko bade zor se upar kheecha paani ki gehraai mein jaane se...uske baad ekdum se main paani ke bahar khud ko mehsus karne laga main khaas utha paani mere gale se bahut utar gaya tha jis wajah se main khaastein jaa raha tha bahar ki hawa milate zor zor se saasein kheeche jaa raha tha.... samundra ka shorr tej roshniya sheher ki taraf se mujhe band nigaho mein lag rahi thi....uske baad fhir behosh.....fhir jor se kahi dhapp se main zameen pe tha koi seene ko mere kass kasskar daba raha tha....main ultiya karne laga paani ugalne laga....fhir bhi meri saans bhaari aur chaati dhaukni ki tarah chal rahi thi....
achanak sumi ki awaz ne mujhe nigahe kholne par mazbur kiya....dhundhlahat se maine sirf itna dekha ki mere saamne sumi mere jism ko jhinjodte huye mera naam pukar rahi thi....wo puri geeli thi toh kya wohi paani mein tairkar mujhe bahar laayi thi....ye kaise mumkin tha? tej bahaav tha aur sumi khud akele kaise mujhe samundra ki gehraaiyo se nikaal paayi wo pagalo ki tarah roti mere chehre ko thapthapa rahi thi....par achanak mujhe fhir aankho ke aage andhera chaata mehsus hua fhir kuch na dekh paya na mehsus hua na sunaai diya....
--------------------------------
Jab mujhe hosh aaya toh maine paaya ki main ek makhmal gaddedaar bistar par tha...charo taraf azib si khushbu thi...achanak hadbada kar utha toh paaya main khule badan tha aur razaai odhe laita hua tha...maine charo taraf nazar daudaayi kamra bahut khubsurati se saja hua tha.....ye main kahan tha? ye ghar mera toh nahi achanak badan mein ek tej dard ki leher daudi....maine sar par haath phaira toh mere maathe pe patti bandhi thi theek waise hi mere daaye kandhe par....main razaai faike jaise taise uthne ki koshish mein dhamm se bistar par gir pada.....mujhe kuch yaad nahi aa raha tha naa jaane kab se oos bistar par para hua tha......achanak saamne diwaar par lagi bari si tasveer par nazar uthi.....ye tasveer toh sumi ki thi uski kisi photoshoot ki tasveer thi jismein rajkumari ki tarah saji si huyi thi...aankhe bhuri si muskurai aisa laga mujhe hi dekh rahi ho......achanak mere nigaho mein dubte waqt uska azib sa muskurata chehra dhyaan aaya oh haan main toh.....kal shaam oosse mulaqat karne main pier pe gaya tha fhir yacht par usne mujhe laaya tha fhir naachna fhir wo gaana fhir wo baat jo maine rakhi thi fhir ekdum se wo jhagda uska pagalpan marrne ki koshish aur fhir mera oose bachaate waqt samundra mein gir jaana fhir uska pani mein uska muskurata chehra mujhe bachaana kinaare laana fhir kya hua tha ? shayad sumi mujhe apne ghar le aayi thi...oh nahi iska matlab main ooske parivaar ke beech mein tha......
"uth gaye tum laite raho"......ek bhaari mardana awaz sunkar maine mudkar dekha saamne ek adhedh umar ka shareer se bhari bharkam kemati suit mein khada mujhe ghurr raha tha uski awaz gambhir thi
maine uthne ka prayas kiya to usne wohi baat dohraai...main sihamkar bistar pe lait gaya...usne paas aakar kursi kheechi aur mere bagal mein baith gaya....wo yakeenan sumi ke abba they....main toh ekdum khaamosh shayad meri aur sumi ke rishte ki bhanak oonhe lag chuki thi....
"tumhe maalum hai ki main kaun hoo? waaqif to hoge meri beti ne tumhein hamari tasveer dikhai hogi"
maine sirf gardan haan mein hilaaya....unhone nischint kiya chehra gambhir tha...."tab toh tumhein ye bhi yaad hoga ki tum is haalat mein pahuche kaise?"
"ji yaad hai darasal!"....mere aur kehne se pehle unhone mujhe chup rehne ka haath dikhaaya main hadbadakar chupp ho gaya
"jitna pucha jaaye bas utna batao aur jo main sawaal karu wohi saaf saaf batana"........main unki kathor awaz sunkar bahut ghabra raha tha na jaane waqif hone ke baad wo mere hosh mein aane ka intejar kar rahe they na jaane ab mere saath kya hoga?
"meri beti tumse ittefaq se oos din mili jab uski gaadi beech raaste kharab ho gayi thi uske baad tumne uski help ki oose apne garage mein panaah diya aur fhir dheere dheere meri beti tumhare kareeb aa gayi tum dono ghumne fhirne lage ek din hotel mein uski kuch saheliyo ne tumhari bezzati uske saamne kar di ki tum behaisiyat uske aukwad ke kahi se nahi ho fhir meri beti ne oonse jhagda kar liya jo uski best friends hoya karti thi....tumne oosse baat karna band kar diya kinaara krna chaha par nahi kar paaye"
"ji"......maine sharminda hokar nazarein jhukate huye unki baat sunkar haami bhari
"lekin meri beti par tumhari ishq ki deewangi sar chadh boli thi oose tumse bina rehna nagwar tha lekin tum oosse pyar nahi karte they isliye oos shaam yacht par mulaqat ke dauran tumne oosse rishta todna chaha oose laga ki tum bhi oose un ladko ki tarah dhoka de rahe jo uske daulat ya shareer ke bhooke they lekin asliyat mein wajah thi haisiyat meri beti ko chodh tum jaane lage usne khud ko jaan se maarne ki koshish ki tumne oose bachaaya lekin khud ko dub jaane se nahi bacha paaye aur uske baad tumhari jaan khud meri beti ne bachaayi jo ki naamumkin tha jisne aajtak tairna bhi nahi sikha usne tumhe kinaare pe laaya fhir waha se mujhe call lagaya aur fhir aaj itne din baad tum hosh mein aa paaye"
Sab sunkar main jaise dang reh gaya tha matlab sumi hi thi wo lekin aisa kaise ho sakta hai ki oose tairna nahi aata tha par lekin oosse hairat zyada ye thi ki uske pita ko sab maalum tha balki wohi mujhe yaha le aaye they sumi ne kuch nahi chupaaya tha aur main kayi din se behosh pada tha jo ab jaakar hosh mein aaya tha
"agar meri beti ne tumhari jaan nahi bachaayi hoti to aaj tum maut ki gehraiyo mein hote".......mere dhyan ko todte huye ghurrte sumi ke abba ne jaise kaha
"ab tum soch rahe ho jab sab mujhe maalum toh maine tumhein yaha kyu laaya? jaan se kyu nahi maar diya police ke hawaale kyu nahi kar diya? tumhein apne ghar panaah kyu di? ek gareeb mechanic behasiyat meri phool jaisi beti ko pagal diwana banaye hua hai main sabkuch jaankar tumhre saath kya sulook karunga yahi soch rahe ho na?"........wo kursi se uthkar tehelte huye meri taraf munh baaye kiye bolte rahe
maine is baar na gardan hilaayi na koi jawaab diya......."meri beti sumi normal nahi hai ye toh tum achi tarah samajh gaye hoge bahut gehra raaz is seene mein dafan hai jo main tumhare aage nahi keh sakta agar maine tumhe kuch kiya bhi to meri beti mera khoon kar degi fhir khud ka aisi sanak hai usmein"
ye sunkar main thook nikalne laga...."darro mat main tumhein kuch nahi karunga haan agar oose kuch oos raat ho jaata toh fhir khair wo kissa chodho"......unki qeher bhari nigaho ko badalte maine dekha jo mere badan mein sirhan ki leher dauda di
"sumi kahan hai uncle kya wo theek hai?"........maine ekdum se himmat jutaaye sawal kiya
"wo theek hai besavr hai tumhare hosh mein aane ke liye khair dekho adam ye yaad rakhna meri beti ko khushi doge to wo apni jaan tumpar kurbaan kar degi lekin agar oose chot pahuchaoge oose dukh doge toh dushman se bhi baddtar wo tumhara haal kar degi main janta hoo tum darr rahe ho soch rahe ho ki tumhara aage kya hoga? toh wo faisla sumi pehle kar chuki hai ab naa toh tumhara pesha mechanic hai naa tum behaisiyat ho aur naa hi meri aankho ka kaanta"
"main samjha nahi".......maine fhir sawal kiya
"samajh jaoge aaram karo par meri baat yaad rakhna ab tumhe kahi jaana nahi hai kahin bhi nahi".......wo ek azib si baat kehkar chale gaye darwaza band kiye bahar....maine uthkar bahar jaana chaha par mujhe oos haalat mein gawara nahi hua yaha sabkuch rahashmayi tha hathode ki tarah mere kanpatti par islam saheb ki baat ghum rahi thi...main aankhe munde lait gaya na jaane wahan garage mein meri na mazudgi se kya chal raha tha? maine phone tatola apna par wo gaayab tha na jane dub gaya tha yaa kahi kho gaya tha kareem chacha se baat karna zaruri tha
dopahar ho gayi suraj ki roshni behad gehri andar kamre mein pad rahi thi.....main aankhe khole badhaawas laita hua tha ki achanak mujhe bistar par kisi ki aahat mehsus huyi main sihamkar jaise uthne ko hua toh sumi mere seene par chadhkar sawaar thi....uske baal mere chehre par gir rahe they dono hath mere kandhe par they....aisa laga wo sumi nahi koi bhoot ho jo kab kamre mein aayi aur mujhpar sawaar ho gayi..
wo gehri nigaho se mere chehre ko dekh rahi thi muskurate huye khushi mann se usne sawal kara....."uth gaye tum".....main kuch bolne ke liye kehne wala tha ki usne kasskar mere hontho ko chum liya
"aisa laga jaise maine tumhe kho diya tha tum hosh mein aa hi nahi rahe they jante ho kitna darr gayi thi main?"......uska fhir gala bhari ho gaya royi awaz mein kehte huye wo lagbhag mere seene par sar rakhkar khaamosh ho gayi
Maine ooske baazuyo ko thaamte huye khud se uthana chaha...."tumhe dard ho raha hai na? bahut chot aayi thi tumhein tumne meri jaan bachane ke liye khud ki parwah nahi maine tumhe maanf kar diya adam maine tumhe maaf kiya maan gayi ki tum sach mein meri parwah karte ho dekh lena tum mujhe pyaar bhi karne lagoge sach kaha na maine?"....usne bagal mein laitkar mere patti lage jagaho par haath phairte huye pucha...
"sumi tumhare father ko sab malum chal chuka hai".......sumi ke chehre pe koi hairaani nahi huyi jaisi maine umeed ki thi
"maine tumse kuch pucha adam tumne jawab nahi diya"......main kya keh paata oosse beech majhdaar par khada tha maut ke munh se bacha tha aur wohi dusri taraf qeher baahein failaaye mere ek galat kadam lene ke liye biche they
"h.haan"......maine ghabraye awaz mein kaha
sumi muskurayi aur kasskar mere seene se lipat gayi......"sumi kya kisi ko koi aitraaz nahi mere yaha hone se main bahut waqt se behosh tha tumhare father aaye they mujhse milane yaha kya tumne oonhein sabkuch"
sumi ne muskurakar haan mein sar hilaaya.....mera shaq dur ho chuka tha unhein sab malum chal chuka tha.....sumi ne bataya ki mere dubne ke baad madad fauran mili aur mujhe yacht ke sailor aur baaki paas ke bandargaah logo ne bachaya tha
"nahi ye jhoot hai wo tum thi mujhe tumhare father ne sab bata diya hai ki tumhein toh tairna tak nahi aata aur tum mujhe bachaane paani mein kud padi maine khud tumhein dubte waqt dekha tha mujhe kheechte huye tum kinaare laayi mujhe hosh mein laane ki koshish karne lagi maine tumhe saaf dekha tha"......main uski is jhoot par keh utha kyunki ooske pita ke rahashmayi baaton ne mujhe shaq mein daala hua tha
dheere dheere maine sumi ke chehre ko badalte dekha aisa laga jaise maine uski koi dubti rag pakad li thi....wo nazarein idhar udhar kar rahi thi....."khair main jaa raha hoo mujhe mera phone nahi mil raha mujhe kareem chacha ko contact karna hai khaamokhah wo pareshan ho rahe honge"
maine uthna chaha toh kashmakash mein khoyi sumi mujhe uthte dekh mere seene pe haath rakhkar mujhe laitaane lagi....."nahi tum kahi nahi jaoge kahi nahi".......wo bhauklaaye awaz mein boli
"arre re sumi what's wrong main theek hoo mera jaana zaruri hai aur ab yaha rukne ka koi matlab nahi maine vaada kiya na tumse main tumhare paas rahunga tumse shaadi karunga"......haalaki mazburi aur haalat ko dekhte huye maine sumi ke chehre pe haath rakhkar kaha
"nahi adam tum nahi jaa sakte aur tumhare jaane se kisi ko koi farq nahi padega kyunki"
"kya bakwas kar rahi ho? agar main nahi gaya toh!"
"suna nahi tha jo mere father ne tumse kaha tha na tum behaisiyat ho na garage ke mechanic na koi gareeb akela"......usne apne abba ka hubahu jumla dohra diya
mujhe kuch samajh nahi aa raha tha maine gambhir hokar sawal kiya....."tum aisa kyu keh rahi ho?"............"kyunki unki nazar mein duniya jahan waalo ki nazar mein adam marr chuka hai?".......usne gambhir nigaho se mujhe dekhte huye kaha
main azib nigaho se oose dekhte huye bistar se uthkar darwaje ki taraf jaane laga darwaja khole bahar kadam rakha hi tha ki main girte girte bacha kisi cheez ne mere daaye pao ko roka tha....main niche jhaanka ek Lohe ki kadi bandhi thi mere pao par aur oospar juda ek mota lamba 12 ft ke jitna sikad sidha andar bistar ke sate diwaar se juda tha....main dekhke darr gaya maine oose kholna chaha par wo mazbut thi.....maine sumi ki or dekha jo pagalo ki tarah mujhe dekhkar hass rahi thi....
"ss..sumi ye sab kya hai? tumne mujhe baandh kar kyu rakha hai ? kholo ise dekho sumi tum kya kar rahi ho mujhe kuch samajh nahi aa raha"
"hahaha hahahaa".......wo hassti jaa rahi thi meri baaton ka jaise oospe koi asar nahi pada tha jaise
"i said stop it stop it hassna band karo plz".....main kawadte huye chilla utha
"ssshhh hey don't cry baby ye sab tumhare liye kiya hai taaki tum bhaag na jao kahi fhir mujhse dur na chale jao haan maine hi paani mein kudkar tumhari jaan bachayi thi kyunki tum meri asliyat se waqif nahi ho tumhe yaha koi dikkat nahi hogi main hoo na tumhara khyal rakhne ke liye ab tum kahan jaoge kaho na asif kahan jaoge?"
main gir pada tha aur wo jhukkar zameen pe pairo ke bal chalte huye mere paas aakar baith gayi...mere chehre ko haatho mein liye to kabhi chehre toh kabhi mere baalon par haath phair rahi thi....jab usne mere asli naam se mujhe pukaara toh jaise main aasman se gira..
hairat se uski shakal dekhne laga......"kyu? jhatka laga na asliyat se parda uth chuka hai asif tumhe kya lagta hai? tum nahi batate to mujhe maalum nahi chalta sab maalum tha mujhe oos dauran se jab tum mujhse mile they tumhare maa baba bhi zinda hai aur tum delhi se yaha aaye ho sirf usko dhundhne ki chah mein"........sumi shaitani muskurahat diye mere ek ek raaz ka faash karne lagi
"mujhe gam nahi ki tumne jhoot chupaaya asli pehchan chupaai par main jankar anjaan bani rahi taaki waqt rehte main tumhari rag pakad saku aur tum bachke jaa na pao mujhse"
"tumhein kaise malum chala?".......maine beech mein tokte huye kaha
"kaha nahi tha maine ki tum meri asliyat se waqif nahi ho".......usne fhir kutil muskurahat dekar rahasmayi nigaho se mujhe dekhte huye kaha
"tumhara phone mere paas hai lekin ab wo tumhe tabhi milega jab main dungi tum ab yaha se kahi nahi jaa sakte oos raat tum bach to gaye par dunia ke nigaho mein tumhara wajud khatam ho chuka hai tumhara sab saaman mere aadmi garage se yaha la chuke hai tum jante bhi ho ki tum kitne dino se behosh they....kisi ko na pehle farq padta tha aur na aage padega aur jo yaha tumhe jaante bhi hai unhein yakeen ho gaya hai ki tum ek haadse ka shikaar huye ho jo dhundhne par bhi na mil saka kyunki wo samundra ki gehraai mein dub chuka tha ab rahi baat yaha se bhaagne ki jo tum kabhi kar nahi paoge aur agar bhaag bhi gaye toh main tumhe nahi bakshungi main jaanti hoo tum refugee ki tarah reh rahe ho tumhari jaali id card tumhare hindustan ka parmaan sab mere paas mauzud hai jise main tumhare saamne aag lagaa rahi hoo"....
kab sumi kehte huye khadi hokar dur jhukkar kuch kaagaz dikhaaye uspar aag laga rahi thi mujhe pata nahi chala main chillaya aur uske kareeb bhaaga...lekin tabtalak usne mera passport hindustan ka expired visa saare bangladeshi goshit karne ke jaali documents usne jala daale they.....main aage badh na saka uske kareeb wo ekdum diwar se satkar khari hass rahi thi aur sikad ne mujhe aage badhne nahi diya zameen par jalte kaagazat bikhar gaye...main girkar unhein uthane laga toh sumi ki pao ki thokhar mereseene par padi main aundhe munh gir pada..."ye mujhe pyar na karne ki saza mili hai tumhein"
"nn.oo noo"........main rone laga cheekhne laga chillane laga zameen pe gira hua bebasi se apni barbadi dekh raha tha
sumi ne jhukkar mere aansu ponchne chahe par maine oose jhatak diya wo fhukarte huye mere haatho ko zabran thaam li...aur qeher bhari nigaho se usne mujhe ghuraa "yaad rakhna asif mujhe nafrat jab jab dilaaoge taqleef paoge ab yaha se tum kabhi nahi jaoge ab tum buri tarah fass chuke ho agar bahar gaye bhi to jail mein sadoge zindagibhar koi madad bhi nahi paa sakoge kyunki main aisa hone nahi dungi understand u better understand that"
usne gusse mein mere chehre pe halki si chapaat lagayi aur uthkar mujhe dekhti rahi...uske nakhun ki kharoch mere chehre pe lag gayi
"Agle mahine hamara niqaah hai mere father saari tayyariya shuru karne waale hai agar tumne koi bhi rukawat paida ki toh tum bahut pachtaoge"
"arre maar kyu nahi deti ho? mujhe kyu tadpa rahi ho? kya milega aisa karke tumhein aise kaidi ki tarah mujhe rakhne se behtar hai ki jaan se maar do maar daalo mujhe tumnne mera sabkuch cheen liya hai sabkuch"......main chillate huye apne bebasi ko zaahir kar raha tha uske aage ro raha tha
achanak uske qeher bhare berehem kathor chehre par maasumyat bholapan aane laga....wo dukhi hokar ro padi aur mujhe aisi nazro se dekhne lagi jaise oose is baat ka dukh ho ki usne mere saath ye kya kar diya?
"i m sorry asif main agar aisa nahi karti toh tum nahi maante mujhe chodhke chale jaate jaise usne kiya tha jiska zikar maine yacht pe kiya tha mera mangetar pata hai maine bhi oose bahut samjhaaya pyar ki bhasha samjha nahi wo rishta todkar mujhe bezzat karta raha aur meri hi saheli ke saath munh kaala bhi karta raha pata hai maine kya kiya? aise hi oose bulaaya ki saare gile shikwe dur karke wo bas ek baar mere paas aa jaaye chahe niqaah na bhi kare tab bhi main tumhein wo jannat dikhaungi jiske liye tum tarse ho"
main badhawaas daaye pair ke zanjeer mein jakda laachar kaidi ki tarah uske badalte rup ko dekhte huye sabkuch sun raha tha wo baccho ki tarah bolte huye rote huye bataati jaa rahi thi uske bhuri aankho mein jaise khoon sa utar gaya tha kehte kehte uska chehra fhirse kathor aur awaaz bhaari hone lagi
"fhir maine kya kiya maalum? us kameene hawasi ko pehle nasha pilaaya uske baad oose farmhouse oosi haalat mein le gayi.....kacche gosht ko uske pure badan mein baandh diya taaki wo bhaag na paaye aur uske baad maine kayi din se bhooke rakhke kutton ko uspar chodh diya janna chahoge uske baad uska kya hashr hua tha pehchanne laayak laash bhi nahi rahi thi uski ab socho jab usne itna kuch karne ke baad aisi baddtar maut jheli toh tum asif.....tum toh mere saath kitno baar soye they na...toh saza bhi tumhein oosse bhi baddtar mil sakti hai kyu? theek kaha na maine"........muskurakar sumi ne qeher bhari nigaho se mujhe dekha
main kaanp raha tha sihar utha pura badan to wo maasum si sumi nahi balki ek khatrnak cold blooded sociopath thi ek maansik bimaar jo berehemi ki had paar kar sakti thi.....sumi ulte kadam wohi gaane ko gungunaate huye darwaja zor se lagakar bahar chali gayi main apne jale huye kagazo ko dekhkar ro pada main is haalat ka khud hi zimmedar tha...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ASIF
Shayari Qadrdaan
Rau: 0
Offline
Waqt Bitaya:1 days, 51 minutes.
Posts: 187 Member Since: Feb 2021
|
|
«Reply #14 on: March 06, 2021, 03:56:50 PM » |
|
Kisi ne kasskar mere chehre pe paani faika tha mera jaise dum nikal sa gaya tha ekdum se ghabraye gehri neend se hosh mein aa gaya tha......mujhe ahesaas hua ki main zameen pe nahi tha bistar par laita hua tha mere dono haath bistar ke sirho se bandhe rassiyo mein jakade huye they....aur kamre mein tej roshni thi jis wajah se ek baar maine apni aankhe kasskar band kar li thi.....maine jab dheere dheere aankh kholi to mujhe ahesaas hua ki saamne sumi qeher bhari nigaho se mujhe dekh rahi thi...
mujhe samajh nahi aaya aakhir kab wo aayi thi? aakri baar yaad karta hun toh aaj bhi main naakamyab raha tha darwaja kholne mein....robert ne mujhe khaana dekar dhakka diya tha aur darwaja mere koshish se pehle hi band kar diya tha fhir main sliding door ko kholne mein kamyab raha tha lekin bahar ke na dikhti oos lohe ki jaali ki aur pao mein bandhi kadi ke wajah se main kuch nahi kar paaya tha fhir main aundhe munh zameen pe hi khaane mein mile nashe aur jism ki kamzori se dhair ho gaya tha uske baad reel ki tarah ek ek waqya shuruwaat se leke abtak mere nazaro ke saamne kisi bure sapne ki tarah ghum raha tha.....
lekin un sabse zyada bura mujhe sumi ka aaj fhir wohi bhayankar roop haqeeqat mein dikh raha tha...wo khadi mujhe gusse se ghurre jaa rahi thi usne glass ko bina parwah kiye ek aur faikh diya jo tutkar bikhar gayi....fhir dusre haath se usne mujhe sliding door ki taraf ishara kiya uske tute zanjeer par uska ishara tha
"robert ne mujhe sab bata diya hai kyunki wo janta hai agar wo na bhi bataaye to bhi mujhe malum chalna hai ki pure din tumne kya harqate ki? oose tumse zyada mera khauff hai....bhagna chah rahe they na tum chalo main tumhein nikaalti hoo"
wo sanakiyo ki tarah meri rassiya kholne ka jaise natak kar rahi thi....main mana karne laga uske qeher se bachne ke liye oosse maafi maagne laga.....sumi ne kasskar mujhe teen chaar thappad lagaye aur munh kasskar daba diya itni zor se ki mujhe jabdo mein tej dard ho utha......"sumiii summi no aahhh"........main chatpataye pair patakne laga
"dard ho raha hai na mujhe bhi hota hai tumhare harqato se kya kaha tha tumse maine? mujhee dard doge to bahut pachtaoge dushman se bhi badtar haalat kar dungi tumhari tum samajhte kyu nahi ho kyu nahi samajhte? ki ye sab maine sirf tumhare liye kiya...lekin nahi lagta hai jabtak saza nahi milegi tumhein pyar ki bhasha samajh nahi aayegi"
main patte ki tarah kaanp utha jab usne aansu ponchte huye saza ki baat kahi abtak uski jitni saza maine jheli thi unhein yaad karte huye mere pure badan mein sirhan ki leher daud gayi main zor zor se pair patakte huye haath rassi se kholne ki koshishein karne laga bistar par chatpatane laga...
"naiii naiii pls mujhe mat maarna pls".......sumi ke aankho mein aansu they dukh se wo mujhe gidgidaate dekh rahi thi
lekin usne nazarein fhair li...aur kathor nigaho se aage badhte huye usne daraaz ke piche rakha baseball bat haath mein utha liya....oose dekhte huye usne fhir meri taraf dekha mere paas aakar usne razaai mere pair se hataa diye aur kasskar dusra pair bhi pakadte huye mazbuti se usne bistar ke dusre sirhe ke rassi se baandh diya......"nahi sumi nahi pls meri taangein khol do main vada karta hoo kasam khaata hoo nahi bhaagunga sumi".....usne pair baandhkar meri taraf ghurrkar gambhir aankho se dekha aur uthkar sidha khadi ho gayi fhir uske mann mein kya aaya? usne apne jeb se rumaal nikla aur oose gol karke mere munh mein zabran thuss diya taaki main kuch bol na pau main khauff khaayi nigaho se uski harqate dekhe jaa raha tha....usne baseball bat ka jayeza liya aur fhir meri taraf dekha....main na sir mein hilaate huye oose mana kar raha tha gidgida raha tha par wo berehem ho chuki thi.....
usne mere daaye taang aur jaangh tak baseball bat touch kiya....fhir chehre mein saqti liye usne kaafi zor se dahadhte huye baseball bat ko hawa mein fhiraate huye mere daaye taang pe de maara....kapra thussne ke bawjud meri jo haulnaak ghuti dardbhari awaz nikali wo pure bungalow ko dehla gayi.....uske baad fhir kayi aur dair tak cheekhe pure ghar mein gunzti rahi bedardi se sumi mujhe maarti rahi....aur fhir sab kuch teher gaya main behosh ho chuka tha sumi pasine pasine hokar haafte huye dekh rahi thi...
bistar ki chadar par khoon bikhra hua tha taangein zakhmo se bhari padi khoon se lathpath thi aur mera pura badan kaanp raha tha....sumi khoon lage baseball bat ko ek taraf faikkar mere sirhaane par baith kar rone lagi mere munh se usne kapra kheecha jispar khoon laga hua tha dard se maine zabaan kaant li thi...."robert robert"........uske chillane ke fauran baad robert kamre mein aaya zameen par bikhre glass ko dekhte huye usne chadar pe khoon aur meri bandhi rassi aur kadi se zakhmi taang ko dekha aur fhir zameen pe pade khoon lage baseball bat ko mera hashr dekhkar uski rooh kaanp uthi thi par wo khud ko qabu mein kiye nazarein jhukaaye huye tha
"robert doctor ko call karo aur unse kaho sidha farmhouse par pahuche aur ye chadar hata lo asif ke pairo aur haatho mein bandhi rassi aur lohe ka sikad khol do".......usne aage badhkar meri saanson ka jaayeza lete huye mere maathe ko jhukkar chum liya aur uthkar aansu ponchte huye waha se chali gayi
"maine aapko kaha tha par aap meri baat nahi maane"......wo afsos karta hua badbadaate huye mere zakhmi taangon ko ahetiyat se chute huye chadar kheechne laga tha.....usne doctor ke aane se pehle saari rassiya aur wo kadi bhi khol di thi...
Main beshud pada tha mujhe kuch hosh nahi dard ke maarein main sunn pad gaya tha saansein buri tarah kheech raha tha....kuch dair baad doctor aaya usne haalat ko samajhte huye pehle zakhmo ko poncha dawaiya lagayi aur fhir mere dono pair par moti pattiya baandh di aur mujhe ek injection lagaya wo uthkar sumi ko ghurte huye uske paas aaye sumi ne noto ka bundle jaise unke haatho mein diya wo bina kuch kahein paisa lete huye robert ke sath waha se chale gaye...
kuch dair baad robert ne aakar saari dawaiya sumi ko batayi....haddiya tuti nahi thi lekin maansphesiya phat gai thi buri tarah taang cheel chuke they....doctor zaahir tha janta tha ki ye berehemi se maarne ka torture ka case tha par uske pita ke niche power mein daba tha....
sumi dawaiya robert ke haath se liye oose jaane ka kehkar mere paas aakar lait gayi main behosh injection ke dose se beshud pada hua tha...."bahut dard hota hai tumhe taqleef dene par.....par tum nahi maante to kya karu? kaise samjhau ki main tumse kitna pyaar karti hoo".....kehte huye usne kasskar mere sar ko apne chaati se satate huye balon par haath phaira/b]
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|