KHOONI DIL : Reboot (Romantic thriller horror story)

by ASIF on March 01, 2021, 06:22:39 AM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 6045 times)
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 20 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #15 on: March 06, 2021, 03:58:59 PM »

4 days later  

Dopahar kareeb 12 baje meri neend khuli thi....jab main utha to ahesaas hua sunn taangon ka....main razaai hataye apne pao par chadhi pattiyo ko dekhne laga maine jhukkar halka sa haath lagaya to jism sihar gaya dard se yaad jaise hi aayi oos raat ki ghatna jab sumi ne mujhe baandhkar mere taangon par bedardi se maara tha.....main kaanpte kaanpte haatho ke sahare uthne ki bistar se koshish ki...taangon ko zameen pe rakhte hi jaise dard ki ek leher daud pari...main bistar pe larkharake baith gaya....bahut dard ho raha tha fhir bhi jaise taise utha toh do kadam chalte hi main larkharakar gir gaya...aahhh sss....zameen pe girkar main karhaane laga....kis baat ki saza di thi mujhe sumi ne ooske pyaar ko thukraane ki saza sach kaha tha kareem chacha ne mujhe sumi jaisi ladki se dur rehna chahiye tha...

par ab pachtaake kya fayeda? jo bura hona tha ho gaya naa ghar ka raha na ghaat ka....lekin main janta nahi tha ki barbaadi jab shuru hoti hai toh ekdum se hone lagti hai.....maine puri taqat se khud ke jism ka wajan taango par rakhte huye bistar ke sahare uthkar daala.....fhir dheere dheere kaanpte huye fauran diwaar pakde bathroom ke andar aayene ki taraf gaya apne chehre ko dekhkar is qadr rona aaya ki bata nahi sakta chehra dhass chuka tha jism ekdum kamzor ho gaya tha aisa lag raha tha jaise koi murda shareer hai...main shirt kholkar ek or faikhte huye apne chehre pe betahasha paani maarne laga...kaano mein apni hi cheekh sunaai de rahi thi....khud pe kaabu pakar zehan mein arnisha aur digonto ka aks ubhara....unki khushaal zindagi thi kitne khush they wo?  kya maalum ekandhekhi baat par chal raha hoo ki wo saath nahi hai.....kya arnisha bhi aisi ho sakti thi? hargiz nahi maine kahi pe kabhi bhi itni junooni ladki ko nahi dekha jo ek ladke ki zindagi aise barbaad kar sakti hai....gunaah bas itna tha ki main uske kareeb aa gaya tha aur arnisha ko bhulna chah raha tha aur aaj na chahte huye bhi mujhe oosse zabardasti shaadi karni pad rahi thi....

achanak wohi sapna dimaag mein ekdum se ghuma wohi chaaku haath mein liye ladki uska aks uska chehra ab saaf samajh mein aane laga tha hubahu zulfein wohi chehra wohi nain naksh sumi ka meri aur arnisha ki taraf badhte huye.....toh iska matlab allah ne mujhe pehle hi uske mere zindagi mein aane ka aagah dol diya tha....kaash us mulaqat mein main oose pehchaan leta....

bahar jab diwaar ke sahare kamre mein aaya...toh robert thaali mein khaana sajaaye oose bed par rakhkar mujhe sahara dene laga....main oose kya bolta? ooska kandha pakde bistar par baith gaya....."aapka dard kaisa hai? mujhe bula lete uthne ke liye doctor ne aapko mana kiya hai"

"sumi kahan hai?".......maine baat ansuna karte huye rukhe awaz se pucha

"madam office gayi huyi hai unhone kaha hai ki aap shaam ko tayyar ho jaiyega wo aapko leke kahi jaayengi"

meri haalat ki parwaah jaise nahi thi oose uske diye dard ke saath main is haalat mein kaise chal fhir sakta tha..uska pagalpan had paar kar chuka tha.....robert jaa chuka tha....maine thoda sa khaana khaaya aur dawai khaa li.....kyunki saqt hidayat thi sumi ki aur agar main khana nahi khaata ya dawai nahi leta toh wo fhir mere upar qeher barpaati....

Kayi mahino se tha main yahan.....aur in mahino mein kayi tortures jhel chuka tha....apne zakhmi patti lage pao ko uthakar main fhirse yaad karne laga jaha tak maine khyal kiya tha.....kaise sumi ne mujhe apne ghar laakar kaid kar diya tha mere saare documents education certificate passport jala diye they taaki main na sirf nakabil ho jau balki is desh ko chodhkar kabhi na jaa pau usne mujhe apaahij kar diya tha jannat ka dozakh khaana meri zindagi ko usne apne khooni dil ke khaatir bana dala tha.....

                                                 -----------------------------

Niqaah ki tayyariya shuru ho chuki thi sumi ke ghar ko khubsurati se sajaya jaa raha tha...bahar ka shor gul sunai deta tha aur main kamre mein kaid bandhe bediyo mein idhar se udhar tehel raha tha ki kab mujhe yaha se bhaag jaane ka mauka milega.....mere kamre ka darwaja hamesha band rehta tha....jaise bahar se taala laga rehta tha...haalaki wo sumi ka dusra kamra tha

Achanak darwaje ka taala khula aur sumi kamre mein muskurate huye khaana sajaaye mere paas rakhkar bagal mein aakar palang par baith gayi....usne mere thuddi se chehre ko apni or kheechte huye pyaar se mujhe nihaara aaj uska chehra azib sa lag raha tha ab to gunzaish hi nahi bachi thi ki wo paagal hai dimaagi mareez hai....

"kya hua? naaraz ho"......usne maasumiyat chehre se kaha main nazre darr se jhukaaye tha

"dekho maine kitne pyaar se tumhara pasandida khaana banaya hai khaana toh padega"

"dekho mera mann nahi mujhe kuch nahi khaana mujhe bahar jaana hai kareem chacha se ek baar!"

usne saqti se thuddi ko kasskar mere chehre ko dabocha.....fhir usne saqti se mujhe dekha...."mana kiya tha na ki mere saamne tum kisi ka bhi zikr nahi karoge marr chuke hai sab tumhare liye wo adam marr chuka hai aur ye baat tumhara chacha jaan ko bhi pata chal chuki hai aansu bahaaye they bechare par kya kar sakte hai? adam ko toh marrna hi tha waise jab tum apne maa baap ko chodhkar mehez ektarfa pyar mein yaha is desh aa sakte ho toh mere diye pyar ke liye gairo ko nahi bhul sakte"

"haan main murzrim hoo sumi apne maa-baap ka jisne mehez apni nafsani khwahish ke khaatir ghar baar rishte zimmedaariyo se munh modkar yaha mehez ek hopeless love ke liye aa gaya jisne kuch paana to nahi par khona tha allah ne aaj achi saza di hai main deserve karta hu"

sumi chiddhte huye uktaakar mere chehre ko haatho mein samaitte huye boli...."shut up aur chupchaap mera khaana khao mujhe kuch nahi sunna"

"nahi khaunga"......main zidd pe aa gaya mujhmein himmat paida ho gayi gusse se main wohi baat dohrata raha

meri gulabi nigaho mein gussa aur nafrat dekh apne prati sumi ko pehli baar hairat lagi thi....usne tamtamaate huye daant peeskar aahiste se kaha....."mujhe naa nahi sunna khao to matlab khao kya meri parwah nahi tumhein maine kuch pucha tumse"

jawab na milane par meri taraf se....sumi saqti se jaake darwaja lagaane lagi ek pal ko main ghabra gaya usne darwaje pe teen bane locks laga diye..."shadi ke mahoul mein bahar koi cheekhen sune toh mujhe manzur nahi ghar ki izzat main kharab hone nahi dungi aur ye darwaza itna mota hai ki cheekhen yahi is 4 diwari mein gunzti reh jaayengi lagta hai ab mujhe ungli tedhi karni shuru padegi tab jaake tum raazi hona sikhoge aur jab bhi tumhari aankho mein dekhungi to mera khauff hoga"........sumi ki wo baatein kisi ke bhi rooh ko kanp utha deti usne gambhir hokar ghurrte mujhse kehte huye mere kareeb aana shuru kiya

usne fhir kuch kaha nahi mere kareeb aakar mere haatho ko apne haatho mein lekar meri ek ungli ko kasskar pakadte huye modne lagi jaise wo ungli modti jaa rahi thi uske chehre pe saqti aa rahi thi main dard se chilla utha maine oose puri taqat se khud se alag karna chaha to usne kasskar mere jabde pe kohni ka vaar kiya mujhe apne jabde hilte mehsus huye uske baad usne kasskar mujhe bistar par gardan pakde gira diya taaki main ooske geraft se azaad na ho pau oosmein bahut taqat aa gayi thi uske munh se azeeb si dohri awaz nikal rahi thi main chatpata rahatha par usne kasskar mere gardan ko bistar pe dabaye aadhe shareer pe kaabu paa rakha tha usne apne dusre haath mein fase mere haath ki ungli tatkal madodna shuru kar diya

"aahhhh aahhh ssss na..hiii summii mujhhe dard ho raha hai sumiii plsss for god sake aahhhhh"......meri dard ki parwah kiye bagair usne ekdum se kasskar mere daaye haath ki badi ungli ko madodkar tod diya......main bahut buri tarah tadapne laga apni ungli pakde main bistar par tadapne laga bahut der tak dard raha meri ungli aadhi tutkar mudi huyi si thi....wo is manzar ko dekhkr khadi thi chupchaap

bahut waqt baad main dum saadein waise sunn pada raha..usne meri ungli ko jhapat ke pakad liya aur fhir oose sidha kheechne lagi......main pagalo ki tarah cheekhne laga aankho se aansu behte jaa rahe they par oospar jaise khoon sawaar tha wo gulabi bari nigahein kiye ungli par mujhe aur dard de rahi thi.....main rota cheekhta jab dard bardasht ki had se paar ho gaya to usne mujhe kasskar uthaaya aur lagbhag dhakelte huye bathroom mein le gayi...

hemam mein bhare paani ke upar mujhe ghutno ke bal jhugaate huye farsh par usne meri gardan ko kasskar dabochte huye sar ko paani mein daalne lagi....main dard se behaal tha kuch kar na saka...ungli pakde kaanp raha tha lekin usne parwah nahi ki....mere chehre ko paani mein de ghusaaya....main saas nahi le paa raha tha dum fhir jaise ghutne laga oosne fhir baal se mere sar ko bahar kheecha main khaasta hua saas liya tha ki usne dobara zor se mere sar ko gardan tak paani mein ghusa diya.....munh se bulbule chutt rahe they saas na le paane aur paani mein dum ghutne ki intehayi mujhe taqleef ho rahi thi ek pal ko laga meri saas ukhadhne ko hai tabhi usne paani se bahar mere geele sar ko kheecha main khaasta hua auklaane laga wohi zameen pe gir pada....

wo apne aansuyo ko ponchte huye uth khadi huyi......"chalo utho get up u son of a".......kehte huye wo mere behosh jism ko ghassitte huye mere dono baazuyo ke niche se haath kandhe par lapaite mujhe bistar par uthaaye gira di.....ab mujhmein taqat nahi thi usne mere chehre ko poncha aur mere sar ko apni goad mein rakha baithte huye mere sirhaane mein...

"chalo ab khao khao".......unse zabardasti ek nivaala thaali se lete huye mere munh mein zabran daalna shuru kiya

ek to ungli ke maarein dard se meri haalat bigad rahi thi aur dusri taraf paani mein aaundhe munh bahut der tak rehne se saas kheechne mein taqleef ho rahi thi...main munh se saas le raha tha aur jabran uske diye nivaale ko main khaane ki koshish karne laga...

khila dene ke baad usne daraz se ek syringe nikaala aur darwaja kholkar bahar chali gayi main beshud pada karha raha tha dard se....badhawas sa uthne ki taqat nahi thi....na jaane sumi mein aisi kaun si taqat thi? jo main chahkar bhi oose thaam nahi paaya....wo kamre mein aayi syringe ab kisi dawai se bhara tha.....usne jhukkar mujhe palat dia fhir meri peeth par se kapra hatakar usne kamar ke nichle bhaag par dabaav dete huye suyi dakhil kar chuki thi.....maine daant pe daant rakh liya kuch der baad usne injection ko khaali karke uski suyi jhat se mere jism se bahar nikaal di.....

mujhe palatkar oosi haalat mein chodhkar wo darwaje ki taraf gayi fhir usne darwaja kholte huye mujhe palatkar dekha aur chupchaap kamre se bahar thaali aur khaali syringe liye chali gayi...meri aankho ke aage dhundhlahat chaa gayi thi aur nasha mujhpar taari hone laga....

Jab shaam ko neend tuti thi toh ungli par plaster sa kiya hua tha shayad nashe ke dauran marham patti sumi ne karwaayi thi....sar oos injection ke dose se ab bhi bhaari tha.....mujhe yaha kaid huye 2 din hone ko they....sumi kya ye wohi maasum sumi thi? uski asliyat se sach mein main waqif nahi tha.....lekin wo 2 din nahi shuruwaat thi meri umarkaid ki saza ka sumi ke dil mein...jise mujhe marte dum tak kaatna tha sehni thi har uski manmani uski saza.....lekin wo koi pehla torture nahi hone wala tha kyunki uske agle hi din sumi jab mere paas aayi

toh woh kal waale hi junooni mizaaz mein thi maano ooska dil thanda nahi hua tha...wo mujhe khaa jaane wali nazaro se ghurr rahi thi....uske haath mein churi aur ek haath mein nimbu tha mera jism sihar gaya main rone lag gaya kyunki kal usne mujhe bahut berehemi se torture kiya tha

"chup ekdum chup chup"......usne pagalo ki tarah ungli honth par rakhkar mujhe aankh dikhaaya main darrkar chup ho gaya

"haan ab yahi khauff mujhe tumhari nigaho mein mere liye hamesha dekhna hai samjhe"

"pls sumi i m begging you pls i will always love you sumi pls mujhe aur taqleef mat do wada karta hun kabhi tumhe chodhkar nahi jaunga tumhara khauff hamesha apne dil mein rakhunga kahi nahi jaunga kahi nahi bhaagunga but pls mujhe torture karna band karo sumi pls pls".....main rote huye haath jode uske aage gira apni jaan ki bheek maang raha tha

uske aankhe aansuyo se ubal gayi aur fauran wo mere gale se lipatkar rone lagi....meri peeth sehlaate huye usne mere kaan ko chum liya...."main janti hoo asif tum mujhse bahut darr gaye ho mujhe pyar bhi karte ho lekin soch rahe ho ki main aisa kyu kar rahi hoo? pyaar hai yeh duniya jahan waalo ki nazar mein ye haiwaniyat ho par ye saza sirf is ibrat se hai ki tum aayinda mera khyal karo sirf mujhse pyar karo tum khud pe khud na chahkar bhi mujhse dur nahi jaoge".....sumi ne mere chehre ko haath mein lete huye muskurakar kaha

wo fhir mere gale se lipat gayi....achanak uski nigahein azib si huyi aur usne shaitani muskurahat di...."isliye main tumhe jaankar torture kar rahi hoo ki tum apna irada hamesha ke liye mere zindagi se chale jaane ka chodh do uske liye torture sehna zaruri hai".......main khauff.khaaye nigaho se uski baat sunkar oose khud se alag karna chaha....lekin usne mujhe kasske pakad liya tha mujhe apne dono haatho mein lohe jaisi koi cheez.mehsus huyi

usne mjhse alag hote huye bistar par mujhe dhakel diya....aur mere kapre ko mere badan se aadha utaarkar mujhe laitaa chodhkar wo churi aur nimbu mere paas laayi...mere haath hathkadi se usne baandh diye they....."nahi nahi sumi pls plss no noo bachaaoo somebudy helppp mee somebudy help me".....usne chaaku mere honth par rakhkar mujhe ekdum khaamosh rehne kaha wo pagalo ki tarah chaku ke nokh ko ghurrte huye nimbu ko beech se aadha kaatne lagi...

"khuda ke vaaste ruk jao sumi pls"....main uske paas aate chaku ko apne jism se dur karni ki koshish karne laga..usne nok mere seene pe dheere dheere fhiraate huye dabaav dena shuru kiya.....main dahadh utha khach se ek khoon ki lakeer mere seene par chaaku ne kheech di thi...

main chillata raha mana karta raha par sumi mere aansuyo ki parwah na karte huye jism ke har hisse par churi se kaant rahi thi....uske baad usne jab oos behte zakhm par nimbu chidhka toh main aage nahi bata sakta....

shaam jab dhal gaya tab sumi mujhe fhir ek nashe ka dose dekar mujhe karhaaye bistar par chodhkar darwaja band kiye bahar chali gayi.....mere jism ke ird gird churi se usne jaha jaha kaanta tha waha khoon ab jam gaya tha.....jalan reh rehkar tadpa rahi thi aur behoshi ke injection se main badhawas pada raha tha...us puri raat main akela bistar par karhaata raha tha

Agle din jab sumi aayi to usne khud baithkar har jagah bandages lagaye dettol se oon zakhmo ko saaf kiya kabhi dard dena to kabhi marham lagana ooske roop ke do pehlu they....mere theek hone ka usne intejar bhi nahi kiya aur fhir do din beet te hi usne mein 2-3 din tak lagle lagle fhir torture kiya sard ki raat ko usne mere jism par tej thanda paani daala kabhi jalti mombatti ke pighalte mom ko mere jism par daala....to kabhi jism pe ubalte paani ki cheetein usne mujhpar faiki thi.....main bilkul uske kaabu mein aa chuka tha zinda laash banke kamre mein pada rehta tha jab uske dil ko tassali ho gayi to usne mujhe taqleef aur saza dena band kar diya...

Jab uski marzi hoti tab wo mere kamre mein aati jaati aadhi raat gaye aakar mere pehlu mein laitkar so jaati to kabhi kabhi ab na chahte huye bhi mujhe uska khilona banna padta apna jism uske hawaale karke jise wo jaise chahe raundti...wo shaadi ki date nazdeek aane ke khushi mein thi aur main uski taqat ke aage hathyar daal chuka haara hua insan ban chuka tha...
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 20 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #16 on: March 07, 2021, 12:46:01 PM »
Mujhe azib lagta tha itne waqt se abtak main is chaar diwaari mein kaid tha kisi sazayafta muzrim ki tarah...par ek baar bhi mujhe kamre se bahar nahi nikaala gaya..na hi maine kabhi sumi ke parivar walo ko dekha oos din ke baad se to maine uske baap ko hi nahi dekha tha aur na hi wo ya koi onka parivar ka sadasya sumi ko chodhe mere kamre mein kabhi aaya tha....naa hi oonhein koi faraq padta tha ki unki sumi mere saath kya kya kar rahi thi? aisa lagta tha jaise sab sumi ki tarah hi sociopath they sanki pagal they jo shayad khud mujhe torture karne lag jaate...

Sumi se main bahut darrne laga tha....jab bhi wo kamre mein dakhil hoti toh mera badan uske diye taqleefo se sihar jata tha.....duniya jahan waalo ki nazar mein wohh khubsurat misuk achi kamyab celebrity thi.....lekin asal zindagi mein wo ek pagal sanki khooni thi...jiska raaz sirf kuch logo ko pata tha...koi sapne mein bhi nahi soch sakta tha uske baarein mein aisa....

Sumi hamesha utawali hokar apne naye shoot huye album song ya photoshoot ki baat muje batati thi....main fiki muskurahat dekar aisa ban jata tha jaise main wohi purana uska dost adam tha....raatbhar mere kareeb mujhse lipate rehna mujhe apne haatho se khilaana....mere zakhmo ki khud dressing karna jo usne diye they...sar par haath se thokte huye mujhe apne seene se lagaye sulaana uski ye diwani mohabbat pehle se kayi zyada mere liye ho gayi thi...

maine socha ki oose samjhaakar kya malum theek kiya jaa sakta hai? tabhi shayad mujhe is kaidkhaane se azaadi mil paaye...dheere dheere maine jab jab uske kareeb mohabbat khud ke dil mein jagaane ki koshish ki toh uski zidd uska diya dard na bhul paata tha...usne mujhe jab mera phone kayi waqt baad waapis kiya to oosmein bahut arnisha ki tasveere delete thi....main janta tha aisa kyu? wo koi bhi meri purani nishani mujhe rakhne dena nahi chahti thi...

Uski mere har harqat pe nazar thi phone calls check karna kahi main police ya apne parivaar waalo ko to nahi call karke madad ki imdaad hasil kar raha tha kahi main koi sazish toh nahi kar raha tha in wajaho se harpal mera phone check karti thi woh....ek bhi cheez na delete kar sakta tha na browsing history udaa sakta tha aur jis din bhi oose agar chahe shaq bhi hota to wo din mere liye qeher bhari guzarti....mere haath pao baandhkar mujhe torture karne lag jati thi woh...maine pehle pehle oosse haathapaayi karke oose rokna chaha par aisa karke main sirf bahut bara gunaah kar chuka tha.....wo mujhe bahut bedardi se haath pao baandhkar maarti thi.....ek raat toh usne mere daaye kandhe ki haddi pe itni bedardi se maara ki wo dislocate ho gayi thi....oose mere bachpan ki chot ka maalum pad gaya tha jiska fayda wo mere haath ko torture karke nikaalti thi....bahut taqleef di thi usne mujhe main ab umeed chodh chuka tha logo ki nazar mein meri maut ho chuki thi main bhaagkar desh chodh bhi nahi sakta tha maa baap ke paas jaana toh dur unse mera koi contact nahi raha tha aisa lagta tha ki ek gumnaam maut marrna muqarrar tha mere muqaddar mein sumi ke haatho...

Us din sumi mere paas baithi huyi thi ki tabhi uske baba maa aur beti kamre mein aaye....main mareez ki tarah laita hua tha unhein dekhkar uthte huye baith gaya.....wo log muskurake to meri haalat ko jaise pehli dafa dekhkar andaza laga rahe they ki main kitna simha hua tha mujhpar itne dino se kitna qeher sumi ne giraaya tha...."beta theek ho?".....sumi ki maa ne sawaal kiya

"ji aunty"......maine fauran jawab diya

"ab dekho asif meri bari beti sumi ki shaadi tumse hone wali hai isliye ab tayyariya tumhe bhi shuru kar deni hai understand"......pehli dafa sumi ke abba normally mujhse kahe...unke raubdar chehre pe muskurahat thi....maine sar haan mein hilaaya

"toh vaiya aap tayyar hai na niqaah ke liye"......shila ne sawal kiya...uski behan ne beech mein toka

"arre kyu nahi tayyar hoga it's our love marriage asif to khud besavr hai is din ke intejar mein"........sumi ke kehte hi sab hass pade par main nahi hassa

"i am proud of u my son allah tumhein is qadr meri beti ke kaabil banaye ki oose tamam jahan ki khushiya de sako i hope u will not disappoint me anyday"......aage badhkar sumi ke father ne mere kandhe pe haath rakhke mujhe jaise gavr se dua diya mere kandhe pe lagi patti par hath padne se unhein mere zakhm ka ahesaas hua wo chupchap dur hatkar ghurrne lage...

main nazarein jhukaaye khamosh tha....pehli baar khud ke prati uske father ki nigaho mein mujhe apne liye mohabbat dikha tha...sumi jaise apne khushi ke aansu ponch rahi thi....sab waapis kamre se chale gaye aur sumi mere kandhe pe sar rakhkar aanewale dino ke baarein mein planning karne lagi....main bas patthar sa bana uski baatein sunein jaa raha tha

Agle din mere kamre mein robert ne dastak di usne meri baaye pao ki zanjeer khol di.... mujhe kal niqaah ke liye tayyar hona tha.....wo mujhe leke kamre se pehli dafa bahar laaya sidiya utare main niche aaya wo apartment ka mehez ek pura flat sumi ka tha...har cheez waha rayiz thi....kisi filmy gharaane ka mahoul tha....ye pehli baar tha jab main kamre se bahar niche aaya tha....sumi sofey pe baithi mujhe dekh rahi thi.....main robert ke sath uske paas aaya.....uski choti behan shila bhi dusre sofe pe baithi humhe ghurr rahi thi...

"hum bahar jaa rahe hai kapde kharidne aur tumhara makeover karne kyunki mujhe tumhein badalna hai"

"m..ere baaki ke kapde?".......maine bina dair kiye sawaal kiya

"wo purane they wo jeans shirt ab tum islam parivaar ka hissa ho u r now the one of us so better ki tum naye ache kapre pehno"

main janta tha sumi ne mere kapre faikwa diye they....sumi mere saath ghar se bahar nikli....bewakufi hi hoti waha se bhaag jaana...lift se hum parking lot pahuche fhir gaadi mein baithe aur apartment society se bahar nikalte huye sidha road par...pehli baar maine charo taraf nigaah fhairi kitne waqt baad main bahari zindagi dekhi thi...sumi mujhe dekhkar muskura rahi thi....fhir bare salon ke paas gaadi ruki robert mujhe leke sidha salon ke andar dakhil hone laga....maine palatkar dekha sumi chashma lagaye gaadi mein baithe mujhe sidha andar jaane ka ishara kar rahi thi...

main pehli baar kisi bare mehnge salon mein waise aaya tha....robert ne salonist ko orders diya kya kya karwana tha?.....fhir mujhe salonist bade adab se seat par baithakar turant apne kaam mein lag gaya....main jab bahar nikla toh sumi mujhe chashma hataaye dekhkar hairat se dekh rahi thi....mere gaadi mein baithte hi usne mere naye look ki tareef ki....salonist ne mere itne mahino se bare huye baal kaant diye they....dhaadhi se bhara chehra clean shave kar diya tha nose wax kar diya tha baalon ko smoothening karke oose halka brown rang dia tha..fhir mere khule upari badan ke baalon ko trim kar diya tha....aayene mein main khud ko pehchan nahi paa raha tha main ab kahi se bhi adam nahi balki purana asif bhi nahi lag raha tha....

fhir gaadi mall mein aakar ruki hum mall mein dakhil huye fhir groom dresses wo khud mere liye pasand karne lagi jinki keemat lakho mein thi....fhir usne chhaatkar kaala coat matchin shirt aur pant mere liye kharida fhir kuch aur kapde....main trial room se jab formal shirt aur jeans men bahar aaya to wo mujhe ektak dekhti rahi...usne jee bharkar kapro ke upar se mere jism ko sehlaaya....main chupchaap khaamosh nazarein jhukaaye khada tha....

uske baad usne mere pasand se puch puchke kuch khubsurat dresses kharide jinhe trial room se usne pehen pehenkar mujhe dikhaaya......wo to har dress mein haseen lag rahi thi......"mera bridal dress toh father khaastaur se designer se mangwa rahe hai hamari shaadi ke liye par main tumhe apne pasand ka dulhe ke get up mein dekhna chahti thi isliye tumhari dress maine choice ki"...........main jabran muskuraye uske saath elevator se niche aaya uski baat sunta raha....fhir usne mujhe contact lens dilwaaye jinhe pehenkar main koi alag shaksiyat lag raha tha aasmani neeli aankhen mere gore chehre par bahut alag lag rahi thi aajtak maine sirf chashma hi pehna tha aaj khud ko aayene mein dekhkar mujhe aisa laga jaise bachpan mein ameeriyat ka wo khwab jo main dekhta tha jiski koi umeed nahi thi main aaj wohi ameer shaksiyat lag raha tha haato mein ghadi daale sumi ki kharidi huyi maine palatkar sumi ki taraf dekha..wo apne aankho ka kajal ungli mein lagaaye mere gale ke niche jaise wo aankh bharke mujhe dekh rahi thi....

Hum ghar pahuche sab  mujhe dekhte huye uth khade huye khaaskarke sumi ke abba...shila aur uski maa bhi hairat se mere naye personality kapro ko nigaho ko dekhkar muskurate huye tareef karne lagi....sumi mujhe leke unke paas baithi....aaj pehli dafa maine un logo ke saath lunch dining table pe kiya tha....faarig hone ke baad mujhe mere kamre mein laakar sumi ne darwaja lagaya....main change karke apne kapre pehne....ganimat thi ki aaj usne mere pair mein bediya nahi daali thi...

Shaam ko jab sumi kamre mein lauti to wo mehendi lagaye huye muskura rahi thi...."dekho khubsurat hai na?"......maine musurakar haami bhari....sumi mujhe apni mehendi dikhati rahi aur main chupchaap uski masumiyat bhare chehre ke piche ki asliyat ko samajhne ki koshish karta raha...usne aaj zyada dair na baat ki aur apne kamre mein sone jaldi chali gayi....usne mujhse bhi yahi karne ko kaha kyunki kal humhe subah jaldi uthna tha mehman rishtedar bare bare rasukh waale log aanewaale they aisa mujhe laga main raat ka khaana khaaye karwate badal raha tha par mujhe neend nahi bechaini aaj zyada ho rahi thi kaash main kal se pehle kahi....par ab bhaag paana to namumkin tha ab maut hi jaise rasta tha nikal jaane ka sumi ke ghar se...
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 20 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #17 on: March 07, 2021, 12:46:33 PM »

Puri raat so nahi paaya tha neend jaise ud chuki thi aankho se....jiska haal ye raha ki main subah 2 ghante mehez so paaya tha.....achanak robert mujhe jagane aaya....maine aankhe masalte huye uski taraf dekha..."sir chaliye jaldi tayyar ho jaiye niche hall mein islam sahab aapki raah mein baithe hai"......main aaj ke din ko to bhul gaya tha aaj asli barbadi thi meri...

"theek hai tum jao main aata hun".......robert wohi nashta table pe sajaaye chala gaya..paas almirah khuli thi aur oos hanger par kal sumi ka kharida mere dulhe ka joda latka hua tha...

maine nashta anman bhaav se kiya aur fhir uthkar kapre utaare  bathroom mein jaakar naha dhoke bahar nikla....maine black coat matching party wear shirt aur pant ki belt ko theek karte huye tayyar ho gaya lag raha tha jaise koi rajkumar hoo par sach mein chehre ki udaasi sabkuch byaan si kar rahi thi maine ghadi daraaz se uthaakar pehni aur fhir kamre se pehli baar khud bahar aaya....niche sofey pe sumi ke father unke kuch colleagues tayyar coat pant mein mauzud they.....sabne meri or dekhkar tarif ki....main muskurakar unhein salaam kiya islam sahab ko bhi salaam kiya wo mere gale lag gaye...aisa laga jaise unhein ab meri haisiyat aukwad se koi matlab nahi tha unka badalata roop apni beti ki tarah dekh main hairaan tha...

"chalo humhe jaldi se nikalna hai"........mere kandhe pe haath rakhkar islam shahab ne kaha

Hum fauran ghar se nikal gaye gaadi se wedding hall ki taraf.....jaise jaise manzil nazdeek aa rahi thi mere dil ki dhadkan tej ho rahi thi aankho mein dukh tha ki na chahte huye bhi aaj mujhe ek anchahe rishte ke dor mein bandhna pad raha tha kaash maa baba yaha hote toh shayad oonhein ameer ghar ke is rishte se hairat hoti ya fhir bahut dukh jo kuch main abtak seh raha tha meri maut ki khabar sunkar toh unpe qeher gira hoga allah na kare ki oonhein khabar lagi ho warna wo tut jaayenge aaj pehli baar mere mann mein khuda ki yaad aayi thi...

maine bagal mein baithe khaamosh sumi ke father ki taraf dekha jo gambhir khaamosh bas itraaye se saamne dekh rahe they....kisi ko meri aapbeeti se jaise koi matlab nahi tha....ye koi azib sa khwab lag raha tha..khair gaadi bare se khubsurat wedding hall ke carpet pe aake ruki...raah mein phool mere utarte hi mujhpar waha ki auratein daalne lagi....islam sahab mere kandhe pe haath rakhkar mujhe leke andar badhe bheedh si lagi thi jaise ek pal ko sab ghurrti nazarein mujhpar thi...photographer photo kheech rahe they.....fhir sab mehman se dheere dheere islam sahab ne mera taarruf karaaya...sab bare businesman to koi sumi ke dost ki family to kuch aise log mauzud they jo sumi ke saath drama show mein kaam kar chuke they....

hairat thi janne ki ki main kaun hoo? itni khubsurat haseen sumi ka hone wala shouhar main kaise banne wala hoo aakhir meri pehchan kya thi? aise kayi tarruf bhare sawaal mujhse aur islam sahab se baat karte har logo ke zubaan par they....wo mere paas har jagah khade mauzud they itne mein saji sawari shila mere paas apni saji dhaji sumi ki maa ke saath aayi

"Asif vai aap behad ache lag rahe hai pata hai api ne zidd pakad li hai ki jabtak aap nahi aayenge tabtak wo tayyar nahi hogi"

main khaamosh fiki muskurahat diye chup raha....achanak shila apni saheliyo ke beech chali gayi.....sumi ki maa apne shouhar ke paas main akela khada tha ki waiter ne aakar mujhe cold drink ka glass diya....achanak wohi torture waali baat sirhan paida kar gayi main khoya hua tha ki kisi mehmaan ne muje toka main hadbadakar uski taraf dekhne laga...wo runjhul thi sumi ki saheli main darr gaya oos raat hotel waali kaha suni yaad aa gayi jo sumi se unke beech huyi thi lekin jhadap mein sumi ne dosti tod li thi un saheliyo se

"hello asif kaise hai aap? bahut taarif sun chuk hoo ki aapki maine you are very are lucky man"......mujhe oosse baat karne ki umeed nahi thi par wo jaise anjaan hokar mujhse baat kar rahi thi

"aap toh wohi hai na jo oos shaam i am really sorry ki sumi ne aap sabse jhagda kiya tha mere!".......itna kehne se wo pareshan dikhne lagi

"aapko sumi ne waqai sab bata diya asal mein galti hamari thi hum sumi ko samajh nahi paaye wo ladka khair jaane dijiye"

"kya? boliye aap jhijhak kyu rahe hai?",.....mujhe hairat lagi ki usne mujhe pehchana nahi wo sihame hue kuch sochkar boli

"asal mein wo ek ladke ko date kar rahi thi koi adam naam tha uska gareeb tha garage mein suna tha unki dosti huyi thi humne sumi ko samjhaaya to sumi ka humse jhagda ho gaya oos ladke ke chalte baad mein khabar suna ki wo ladka yacht ke dauran samundra mein doobke marr gaya"......main pagalo ki tarah oose dekhne laga kya bak rahi thi wo mere saamne khadi hoke usne mujhe nahi pehchaana kya maajhra tha? kya mujhe dekhke oose malum nahi chala ki main zinda hoo

"sumi se milkar maine maafi maangi khair usne bataya ki aapke sath uska rishta tayy ho gaya hai pehle aapko kabhi dekha nahi aap!".......itne mein sumi ki dusri saheli ooske paas aayi jiya jo ki khud oos raat hotel ki jhadap mein mauzud thi

usne bhi mujhe bina pehchaane hello kiya aur apni saheli ka haath pakde kheechte huye oose le gayi.....baat adhuri reh gayi thi....mera sar bhanna raha tha kya kashmakash hai? kisi ne mujhe pehchana nahi ki main zinda tha main adam tha ye sab kya chal raha tha? bheedh bhaadh ki shorr sunte huye sabki taraf meri nigah paini huyi har koi hasste baat karte huye ekdusre se mujhe dekh raha tha koi muskura raha tha maano jaise koi meri asliyat janta na ho main washroom ki taraf aaya andar aakar maine aayene pe apna chehra dekha sabkuch to wohi tha saheliya ye baat chugli kar sakti thi ki sumi ek gareeb mechanic se niqaah kar rahi thi mujhpe huye sitam ka kisi ko ahesas nahi tha yakeenan par main uski saheliyo ko pehchaan mein kyu nahi aa raha tha?

itne mein taaliya gunzne lagi....main shorr sunkar bahar aaya to sidiyo se upar se aa rahi sumi ko ek bare haseen dulhan ke libaas mein dekha laal joda pehne huye chehra make up se aur kheel gaya tha bhuri nigah mein khushi thi wo muskurate huye apni maa ke gale lagi fhir apni choti behan fhir apne naate rishtedaaro ke main ek kone mein khada akela khud ko mehsus kar raha tha lekin oosse bhi zyada janna chahta tha ki aakhir mujhe koi jaankar bhi pehchan kyu nahi paa raha? kya kiya tha sumi ne aisa mujhpar....achanak mic haath mein liye islam saahab ne apni beti aur khud ka taaruf karaaya fhir mera naam kehkar mujhe pukara....jo log mere aas paas khade they wo taaliya bajate huye mere kandhe pe haath rakhke mjhe unke paas jaane ko bole....sumi baaki sab meri taraf dekhe jaa rahe they...main dheere dheere kadamo se unke paas bagal mein aakar khada hua...

"ladies and gentleman aaj mere zindagi ka sabse aehem din hai kyunki aaj meri beti niqaah karne jaa rahi hai ab aap logo ko main apne damad apne dulhabete se milata hoo ye khubsurat naujawan bare industrialist sheikh ke iklaute bete hai haalaki ye abtak hindustan mein they aur mer dekh rekh mein they...bachpan mein inke abba ammi ek plane crash mein guzar gaye wo mere kaabil dost they apne bete aur uski jaayejad mujhko sambhalne aisa zikr unhone marrne se pehle apne will par mention kiya tha....ye bachpan se meri dekh rekh mein pala badha aur apni padhai puri karne ke baad maine ise waapis dhaka bula liya maine tab faisla kiya ki main apni beti ka rishta apne bete jaise asif se karwaunga and the day is today give a big hand"...........................taaliyo se gunz utha hall waahh kya jhooti kahani gadii thi islam sahab ne mere liye mere aankho se aansu nikal gaye....fhir uske baad niqaah ki rasm shuru huyi...

hamare beech parde ki aad kar di gayi fhir ek maulana adhedh umar ka qaazi hamare paas baithe mere saath sumi ke abba bhi baith gaye they....qazi niqahnaama pe likhte huye fhir mere abba ka naam puchne laga.....main kuch keh nahi paa raha rha islam sahab ne mujhe ghuraa aur mere asli walid ka naam uspar likh diya main oonhein hairat se ghurrne laga......"main janta hoo tum soch rahe ho ki maine waha jhoot kaha aur yaha tumhare father ka sahi naam kyu likhwaaya? niqaah jayez nahi hogi isliye ye maulana sahab hamare bade purane jannewale hai sab malum hai inhein"......unhone muskurakar mere kandhe ko sehlaate huye piche hokar baith gaye...fhir dua hua mujhe haath uthaana pada islam sahab se lekar har koi mard aurat jo baithe huye they dua padh rahe they...

 fhir qazi mere kareeb baithkar mujhse qaboolnama niqaah ka maanga....jo bahut mushkil se kawadte huye main keh paaya mann hi mann mujhe arnisha muskurati apne husband digonto ke saath lipati nazar aayi....

"mubarak ho aap logo ko"......taaliya baji aur islam shahab se haath milaate huye qazi uthkar sumi ki taraf chale gaye mujhse har koi gale milkar mubarakbaad de raha tha aur main mann hi mann tut gaya tha

wohi jumla sumi ke aage dohraya gaya....jisne besavri se bina waqt gawaaye teeno baar is niqaah ko qabool kiya.......taaliya gunz uthi har kisi ke chehre pe khushi thi.....maine saamne dekha toh islam sahab rokar apni beti ke gale se alag huye fhir maa ne aur fhir behan ne baari baari sabhi aurato ne sumi se gale milkar oose duayein di...

niqah khatam hone ke baad shaam tak dinner saj chuka tha maine kuch theek dhang se nahi khaaya waha sabkuch mauzud tha.....uske baad bidaai shuru huyi main roti sumi ke sath gadi tak pahucha fhir hamari tasveer li gayi uske baad hum gadi mein piche baith gaye....dusri gaadi mein sabse haath milaate huye islam sahab apni biwi aur beti ke saath jaake baith gaye dono gaadi waha se ruksat huyi...gaadi mein main chupchaap baitha tha...bharr chudi mehendi saje haatho se sumi ne mujhe jagaya

"aaj main bahut khush hoo ki finally hum ek ho gaye aaj raat hamari asli suhagraat hai ab to tum mujhe apna maante ho na? kyunki ab na koi duri hai na koi faasle ab tum asif sheikh ho aur main tumhari bataur wife sumi islam shaikh".......usne kareeb aakar mujhse puchte huye kaha aur mera kandha kasske thaamte huye apna sar rakhkar mere kandhe par aankhe mund li...

main kuch keh nahi paaya....kya keh pata? ab to jo hona tha so ho gaya maine aankhe band kar li ek pal ko aisa lage ki ye mehez chal rahi ek kahani ho aur kuch bhi haqeeqat nahi....main aaj shaadi shuda tha aur sumi ka mujhpe ab pura adhiqar tha....aur ab na chahkar bhi arnisha ko yaad karna mehez jaise dhoka.....aur dhoka ke badle mil sakti thi mujhe taqleef.....
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 20 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #18 on: March 07, 2021, 02:28:20 PM »
Itne dino se main sumi ke ghar mein kaid tha par ek baar bhi is kamre mein naa to sumi ka parivaar wala koi aaya aur naa hi muje samajh aaya ki kya unhein maalum tha ki mujhpar kya guzar rahi thi? itna kuch sumi kar rahi thi aur naa hi uski behan ya maa kisi ko koi faraq nahi padta tha tazzub to is baat ka tha ki niqaah ke dauran kisi ko koi faraq hi nahi pada sumi ki saheliyo ne mujhe pehchana tak nahi.....wo kis ladke ka zikar rahi thi hatode ki tarah mere kaan mein unke anjaan banne ka sawaal khatak raha tha....

Niqaah ke baad jab ghar laute to gaadi se nikalkar flat mein daakhil hote hi sabhi aas pados ke logo ne hamara swaagat kiya uske baad anguthi rasm ka rivaaz hua jismein sumi aur mjhe sofe pe baithke doodh ke bhare bartan mein anguthi talashna tha par sumi pehle hi haath mein anguthi liye hass padi sabhi parivar ke sadasya hass pade......"ab tumpar mera huqam rahega".....main sunkar chupchaap raha mera koi bhi rasmo rivaaz mein mann nahi lag raha tha par mazbur tha mera niqaah sumi se ho chuka tha.......raat koi 12 baj chuke they niqaah ke baad jab shaam ghar laute to sumi kamre mein oosi waqt nayi dulhan ke libaas mein chali gayi aur bahar bhi nahi nikali thi main raat ka khaana uske abba ke saath khaakar yuhi chehel kadmi sidiyo par karta hua kamre lauta aaj suhaagraat ki raat thi mujhe ekdun kattayi kamre mein pao rakhna gawaara nahi ho raha tha

kamre mein pao rakhte hi darwaja chrr chrr ki awaz ke saath khula andar bas bistar ke sirhaane par bas do lamp ki roshni jal rahi thi...bistar par gulaab phool ki pankhudiya bichi huyi thi aur bistar par sumi ghunghat kiye laal jode libaas mein baithi shayad mere hi intejaar mein thi.....

"aa gaye tum?"...........sumi ne sawaal kiya

"H.haan".....maine hadbadaye oosse dur khade hi kaha

"baitho na mere paas aakar bistar par waha kyu khade ho?"

"nnnahii bas aise hi"........main dheere dheere uske kareeb aakar baith gaya

sumi gunghat kiye huye thi isliye uska chehra mujhe nahi dikh raha tha main suhagraat ki sej ko ghurrte huye mann hi mann jaise chupchaap sihma hua tha aaj ka din mere liye jaise bahut bhaari tha...

"kya hua kahan khoye huye ho?".......maine uski awaz sun hadbadakar uski taraf dekhne laga
"nahi nahi kuch bhi to nahi bas aise hi"........maine jhepte huye kaha
"hahaha main jaanti hoo aaj ka din tumhare liye bahut special tha bahut hairat ki baat lagti hai ki ekdum se hamare itno faasle ke bawjud aaj hum ek hai shaadi kiye ekdusre ke saath is kamre mein as a husband wife baithe huye hai"

maine kuch nahi kaha kaise kehta mere zehan mein toh dur hoti arnisha ka chehra ghum raha tha.....achanak sumi ne fhir toka
"kya tum is niqaah se khush nahi ho?"
"nnn...nahi toh balki main bahut khush hoo"........maine darrte darrte huye kaha
"jaanti hoo ki tumhare mann mein kya chal raha hai? aaj main tumhe khulkar sabkuch bataungi jo jo tumhare mann mein itne waqt se sawaal chal raha hai aaj main tumhein apne asliyat se waqif karaungi"

sunkar mujhe ek azib sa mehsus hua....aur fhir sumi ne kehna shuru kiya...

"main apne maa-baap ki pehli beti hoo hamare paas hamesha se aisa rutba shaano shaukat amiriyat nahi hoya karti thi...keh lo toh hamari bhi kuch waisi hi haisiyat thi.....main bachpan se hi behad haseen thi meri khubsurati ki tareef rishtedaaro se lekar jannewaale tak karte thakte nahi they.....main koi mehez paanch saal ki thi ki jab ekdin kuch aisa ghata jisne meri puri zindagi badal di....barsaat ka wo din tha bijliya kadak rahi thi....main ball ke saath hamare purane ghar ki chatt par khel rahi thi....itne mein ho ho karti hawaao ka shorr badhaa...niche se ammi ne mujhe awaz di wo mujhe niche aane ko keh rahi thi..."ji ammi abhi aayi".....kehte huye main sidiyo ki taraf aayi hi thi ki aisa laga jaise koi theek mere saamne udta aa raha ho aasman ki taraf dekha to dekhti hoo ek bala ki khubsurat azib si ladki udte huye mere kareb aa rahi thi...main oosse dekhke thithak si gayi uske baad wo gaayab....mujhe samajh mein nahi aaya wo kya tha? main sidiya utarne lagi achanak mera pao fisla ya kisi ne mujhe piche se dhakka diya mujhe kuch maalum nahi main girte padte sidiyo se sidha niche aa giri meri aankhe band ho chuki thi....

uske baad mujhe kuch yaad nahi ab jo kuch main bata rahi hoo wo byaanat meri ammi aur abba ka hai...ammi fauran abba ko call lagayi wo fauran ghar aate hi mujhe goad mein uthaaye hospital le gaye....mere maathe se behisaab khoon beh raha tha.....doctor aur  nurse mujhe icu ward mein le gaye mera ilaaj shuru hua.....kareeban kuch ghante baad jab doctor nikle to unhone bataya that i was no more sunkar mere abba aur ammi wohi gir pade unhein bahut gehri dil pe chot lagi thi....doctor ne saari koshishe kar li thi par unhone bhaagya ke aage haar maan li....kuch dair baad mujhe ward mein hi chodhe nurse doctor sab bahar chale gaye meri ammi mujhe dekhne ke liye ward room ke darwaje pe khadi hi thi ki unhone dekha ki meri lash ke theek bagal mein hubahu meri hi jaisi ek ladki khadi thi oose dekhte dekhte wo mujhmein sama gayi....ammi hataash wo daudte huye jab abba ko bulaaye waapis aayi to unki aur abba ki hairani ka thikana nahi tha....

main lambi lambi saans kheech rahi thi main hosh mein aa gayi thi machine mein heart rate normal chal raha tha mera seena upar niche saas lene se ho raha tha.....ye sab dekhkar fauran doctor ko abba ne talab kiya doctor nurse sab bheedh lagakar mere jism ko check karte huye shock they unhone apne pure profession mein marrkar pushti kar lene ke bawjud kisi ko zinda hote nahi dekha tha wo ise allah ka chamatkar samajh baithe....par ammi aur abba hi samjhe they ki main kaise waapis lauti thi? us din ke baad se main aur behad haseen aur badalti jaa rahi thi dheere dheere hamare din fhirne lage main jawaan hone lagi lekin wohi dusri taraf kuch aise hi waaqye they jinhone meri ammi aur abba ko mere wajud ko janne ke liye fikar mein daal rakha tha....main auro ladkiyo ki tarah normal nahi thi jo chahti thi agar wo na milta toh oose kisi aur ka hone nahi deti thi mujhse koi bhi agar bura saluq karta to wo barbad ho jata kayi ladke mere zindagi mein aana chahe par koi tik nahi paaya mujhe paane ki hasrat unhein aise barbaadi ki taraf le jaati jisse wo kabhi uth nahi paate....aur wo thi maut meri ammi abba mujhe ek naami aamil ke paas le gaye unhone mujhe dekhte hi ammi abba ko bataaya ki main ab unki beti nahi thi ek pari thi mere upar pari ka saaya tha oos din jab main khel rahi thi to oosi guzarti aasman se jaati oos pari ka mujhpar nigaah utha tha aur wo mujhe pasand kar baithi....aamil ne saaf keh diya ki usne tumhari beti par puri tarah se kabza kar liya tha oosse dur kar paana matlab sabki jaan ko khatra ho sakta tha isliye oose kaabu mein rakhne ke liye usne meri ammi ko kuch durood bataaye par jaise jaise meri umar badhti gayi uska kaabu mujhpar aur kada hone laga....main itni dilkash haseen shouhratmand sirf oosi ki wajah se thi...par joda to har kisi ka hota hai isliye aamil ne kaha tha ki mere zindagi mein wohi aayega jisko main pasand karungi aur naa fhir wo kisi ka ho payega siwaaye mere jo tum they barsaat ke oos din jab tum mujhe mile to main ek hi nazar mein tumhari tara kheechti chali gayi khair ab tumhara jo sawal tha oos raat samundra mein dubkar bach jaana wo mera hi saaya jisne tumne apni taraf aate tairte huye dekha tha....halaki mujhe to tairna tak nahi aata tha jaisa abba ne bataya toh fhir kaise? khair main model bani mujhe kamyabi mili aur is parivaar ko bhi mere asliyat se sab waqif hai dekte hi dekhte mere father rayiz businessman ban gaye aur aaj jane maane rasukh hai meri wajah se mere shaayat ki wajah se..ab tumhara sawaal toh suno wo tilasm hai unke aur waha mauzud har mezbaan ka dimaag mere saaya ke bas mein tha....isliye kisi ne kuch kaha nahi sabne wohi kia jo maine chaha aur isliye meri un saheliyo ne tumse tumhara hi zikar kiya par tumhein pehchan nahi paayi ab samjhe kisliye khair.....jab tumhe pehli baar oos barsaati shaam dekhi thi toh main samajh gayi ki tum wohi ho jiska mujhe besavri se intejar tha mere saaya ko tum bhaa gaye main aur mera saaya ek hi hai hahahaha hahahahhaa ghungatt kholo mera ab tum"


Sumi ke keh chukne ke baad main samajh nahi paa raha tha ki kya sach tha ya koi jhoot? ab mujhe asliyat samajh aane lagi....oos raat yacht par se mera girkar dub jaana sumi ka muskurata wo chehra paani mein.....mujhe behte samundra se aafroopi taur se bacha lena....ye ameeriyat ye daulat....sumi ki wo taqat wo junoon wo pal mein badalta roop wo torture....kisi ko main pehchan mein nahi aaya sab dimaag mein ghumne laga.....to ye sab sumi ne kiya tha uske saaye ne kiya tha ye main kis andhwishwas haalat mein fass chuka tha....

"tumhare dil ki baat main janti hoo asif yakeen nahi ho raha na khair chodho ab mere saaye ko tum naraz nahi karna chahte to ghunghat kholo asif"..........kehte kehte uski awaz dohri ho gayi

main kaanp utha usne fhir wohi baat dohraai.....main kaanpte haatho se ooske ghunghat par haath le jaate huye oose uthaane laga jaise jaise main ghunghat upar kiye jaa raha tha meri dil ki dhadkan tej hoti jaa rahi thi....main oose sanki pagal samjhta tha diwani samajhta tha lekin aaj main pehli baar apni zindagi mein itna chauka tha....ooske nigaho ko dekh main chilla utha aur sidha zamen pe girkar rone laga

wo khubsurat chehra jise hamesha maine paaya wo nigahe ekdum safed thi...aankho ki putliya nahi thi....chehra sard safed tha aur daant nukile se they......"kya hua asif darr kyu gaye? main tumhari biwi hoo na"

"t...tum koi aur ho?"........mere itna kehne se wo pagalo ki tarah hassne lagi  fhir khaamoshi se mujhe ghurrne lagi

usne apne lambi nakhun ko hontho mein lekar oospe zabaan fhairte huye halka cheera....fhir jaise apna hi khoon usne chakha.....aur mujhe ishare se apne kareeb bulaane lagi main maare dehshat se darwaje se satkar khada tha oosse kayi faasle dur....."kaha tha tumhein ki tum meri asliyat se waqif nahi ho hahahha"........usne dohri aawaz mein tahaka lagate huye mujhe ghurrke dekha aur kaha

mujhe laga ab main behosh ho jaunga aaj uspar kuch sawaar tha....mujhe yakeen nahi ho raha tha ki main uske kareeb yun kheechta chala gaya yaani aajtak main ek possesseed insaan ke sath tha bhoot palit jinn jinnat pari ka saaya kya ye sab sach tha ? kyunki sacchai khud saamne baithi huyi sumi ke roop mein thi...achanak eka ek uske bhar chudiya wali kalayi aur mehendi lage haath ekdum lambe hone lage aur mere kareeb badhne lage main chilla utha lekin tabtalak oosne mujhe apni taraf kheech liya tha ..main bistar par uske jaangh par aake gira main patte ki tarah us manzar ko dekh kaanp gaya....aakhir mein main behosh ho gaya jab maine aankhe kholi to wo mujhse saanp ki tarah lipati huyi thi....usne kasskar mere kapre ko apne dono nukile naakhun waale haatho se beech se phaadh dia aur naakhun se mere gardan gaal gale seene ko kharochne lagi....

"aahhhh sss aahhh sumiiii mujhe baksh do sumi mjjhe dard ho raha hai"......usne mere munh par hath rakha aur apni safed nigaho se chupp rehne ka ishara kiya

"aaj jee bharkar mujhe tumse pyaar kar lene do ye raat apni hai kya main tumhe khubsurat nahi lag rahi bolo na"....usne mujhe bazuyo se jhinjhoda

"h..haan haan lag rahi ho".......wo muskurayi main siharte kaanpte bola

uske baad usne meri gardan aur gaal ko chumte huye mujhe buri tarah daboch liya aur mujhpar lait te huye swaar ho gayi....aisa laga ki wo qeher bhari raat thi.....

Agle din jab neend tuti toh bistar par sumi nahi thi.....mujhe sumi ki gungunati awaz aayi....wo bathroom mein naha rahi thi....uski sachaai kal maine apne aankho se dekhi thi....uspar pari ka saaya tha ya uska jism hi mehez insaani shareer tha rooh to kuch aur thi....sumi toh bachpan mein hi sidiyo se fisalkar marr chuki thi jo hosh mein aayi thi wo toh koi aloukik rooh thi ek pari.....jo sirf insano ke khwabo mein mehez apsara jannat ki hoor jaani jaati hai asliyat mein wo khoon peene waali rooh hoti hai jo jinnat aur rooh ke baad is duniya mein jaani jaati hai....

dimaag sunn pad gaya tha bachpan mein maa se suna karta tha inke kisse aur kahaniya kise pata tha ki aisi anhonee mere saath ghat jaayegi....kal sumi ka wo chehra aur wo badhta lamba hota haath mujhe pagal karne par mazbur kar raha tha...toh yahi wo asliyat thi jo sumi ke abba duniya jahan se chipaaye huye they...

mere badan mein dard uth raha tha yakeen nahi ho raha tha ki kal raat ke  baad main zinda tha....main apne nange badan par haath phairte huye bistar se uthkar khada hua....aur saamne lage aayene mein khud ke chehre pe  haath phairte huye gale aur gaal ki kharoch chedne laga ghumkar dekha to gale ke hisse ke paas teekhi jalan hone ki wajah malum huyi wo kharoch nahi kaatne ke jaise nishaan they sumi ke wo nukile daanton ka aks mujhme siharan paida kar gaya....

main nishano ko chuye aayene ki taraf dekha toh kab sumi bathroom se nikali tauliya lapaite huye apne geele balon mein mere piche khadi thi mujhe ahesaas hi nahi hua......usne kasskar piche se meri chaatiyo se leke kandhe tak apne haath lapait liye.....aur zor se mere gaal ko chumaa....main oose darrne laga tha ye wohi haath they jo maine inhi aankho se lambe hote dekhe they un sumi ke nigaho mein kal raat ki tarah safed putliya nahi thi....

"kya hua? bare khaamosh ho".......wo mujhe aayene se dekh rahi thi aur main bhi oose

"ku....ch nahii bas"

"tum darr gaye ho ? aur darro bhi kyu na kabhi kisi pari ko tumne nahi dekha na hahahhaa uske saath toh puri raat guzaare hahaha"........uski hassi azeeb si lag rahi thi wo aur mujhse piche se lipat gayi

"pata hai kisi din agar mujhe kuch hua na to tumhein akela nahi chorungi apne saath is dunia se hamesha ke liye le jaungi".......usne junooni hokar mere peeth par sar rakhkar ye baat kahi

maine ooske haath apne kandhe se alag kiye aur do kadam oosse piche hua......"dekho sumi tum jo bhi ho mujhse vaada karo ki kabhi bhi mere apno ko nuksan nahi pahuchaogi"

"bhala main aisa karke kya haasil karungi?"......usne mujhse hairat hoke sawaal kiya

"main janta hoo sumi tum kuch bhi kar sakti ho kuch bhi"

"meri asliyat jaankar aaj tumhein darrta hua dekh rahi hoo ye darr mera pyaar hai jo tumpar hamesha haavi rehna chahiye warna jo tumne socha hai wo bhi ho sakta hai"......usne katil nigaho se dekhkar mujhe warn kiya fhir ulte kadam wo bahar jaate jaate teher gayi usne palatkar mujhe dekha.....itne mein shila ki awaz aayi humhe bulaane ke liye...."family hamara nashta ke kiye table par intezar kar rahi hai waqt na gawaao aur chalo".....kehte huye sumi darwaja khole chali gayi

main uske piche piche khud bhi bahar chala aaya....Aise hi hum dono ko saath rehte huye 1 mahina guzara hi tha ki sumi ne apne father se hum dono ko ekaant alag rakhne ka iraada kiya....islam sahab maan gaye wo bhi chahte they ki ab hum alag rehkar ek apna parivaar basaaye....sabse pehle oonhone apne office ka bhaar mujhpar dena shuru kiya...wo mujhe managing director banana chahte they....mere liye sumi se aadha din bachne ka yahi sahi raah tha.....lekin sumi ko ye gawara nahi hua wo chahti thi ki zindagi ki sari khushi wo khud mujhe de isliye usne kursi sambhaal li aur mujhe apne saath apne farmhouse jaha usne apne pehle mangetar ko maara tha waha shift hone ka faisla liya hum kuch din mein sheher se kuch duri pe bane uske farmhouse shift ho gaye.....robert bhi hamare saath naukar ke taur par sumi ke father ne dekh rekh ke liye bheja tha.....farmhouse kaafi badi jagah thi us din ke baad sumi mujhe akela chodhkar office chali jaati aur kabhi bhi waapis din ke kisi waqt bhi haazir ho jati thi.....dhere dheere sumi se main waqif ho gaya ab khauf kuch hadtak kam tha...lekin ye meri bewakufi thi...

ek raat sumi abhitak ghar nahi lauti thi....main phone par arnisha ki tasveer dekhte huye khud ke kismat ko abhi kos hi raha tha ki saamne mujhe sumi gusse mein tamtamaaye huye khadi thi usne mere haath pe zor se maarkar phone cheen li......."nahi sumi sumi"........"mujhe pata tha is kutiya ko nihaar rahe ho na tum ruko ab ruko"......sumi baal kheechte huye pagalo ki tarah gusse se chillaaye phone patakkar oose 4 tukda kar chuki thi main kuch na kar saka bas khauff se rota hua maanfi maangta raha usne paas rakhi belt uthaayi....mujhe uski awaz dohri mehsus hoti lagi....main bhaaga darwaje ki taraf lekin wo rooh ki tarah palke jhapkaaye hi mere saamne khadi thi...."nahi sumi nahiii nahii mujje maanf kar do ls".......fhir usne meri chillane ki parwah kiye bagair mere haath palang ke rassiyo se baand diye aur daaya pao dobara bediyo ke geraft mein fasaa diya.......oos raat usne fhir mujhe belt se maara tha jab wo ekdum thakkar mujhe beshud tadap mein chodh hati toh uski nigaah tukde huye phone huyi usne gusse mein aakar mere tukde huye zameen pe pade phone ko mere aankho ke saamne aag laga di...


                                                   ---------To be continued--------
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 20 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #19 on: March 08, 2021, 11:56:50 AM »
Present

Main apne khyalo se bahar aa chuka tha aankho se aansu beh rahe they.....kahan se kahan zindagi pahuch chuki thi? aur mere paas aaj sabkuch hone ke bawjud aisa lagta tha ki wo sab sirf dikhawa tha...wo paisa wo ameeriyat mujhse jis tarah sumi ne saluq karti thi....oosse kisi aam insaan ka normal life jeena mumkin nahi tha.....hamesha uske oos roop ko dekhkar meri rooh fanaa ho jati thi...

uske saath mujhe us chaar diwaari kamre mein band akela rehna padta tha aur main kahi bhaag nahi sakta tha....mera phone aag lagaa dene ke baad sumi ne mujhe fhir na naya phone diya naa hi rakhne ki izazat di....uska ravayya mere taraf ab pehle jaisa taqleef dene wala ho gaya tha....ki mere dil mein ab bhi arnisha thi.....isliye kabhi kabhi wo jaanbhujkar mujhe taqleef deti thi...

shaam ho chuka tha.....main apni taangon par bandhi pattiyo ko dekhte huye tayyar hone ko utha....mushkil se jeans pehni...taangon ki taqleef ki wajah se aur fhir shirt aur kalayi mein ghadi daalte huye main waapis palang par baith gaya.....gaadi ke rukne ki awaz sunaai di

fhir kuch der baad kamre ka mere darwaja khula.....sumi ne mujhe nihaarte huye dekha....uske chehre pe muskaan thi.....wo top pehni huyi thi jo mushkil se ghutno tak thi.......apne resham se baal par haath phairte huye usne aayene ke paas aakar mujhe aayene se apni bhuri aankho se ghura koi nahi janta tha ki is khubsurati ke piche kaun bhayanak cheez.thi?...usne fhir mere kareeb aakar mere taangon pe haath phairne lagi

"dard kar raha hai abhi bhi'"..........maine haan mein sar hilaaya usne maasum sa chehra banake jaante huye afsos kiya

"main bahut buri hoo jo hamare niqaah ke baad bhi tumse waise hi peshaati hoo tumhare dil mein pyaar kaise jagega jab main tumhein hamesha aise hi dard dungi taqleef dungi kaun insan itna bardasht karta hai mujhe ahesaas hai ki main tumhare liye obsessed hoo par koi nahi aaj se hum ek nayi shuruwaat karenge aaj se tum azaad jo bhi tum karna chahte ho kahi bhi aa jaa sakte ho chaho toh phone rakh sakte ho hum ek saath zyada waqt guzaarenge ghumenge fhirenge waise hi jaise pehli baar humne kiya tha lekin bas ek yakeen chahiye mujhe meri nazaro se kabhi dur mat jaana aur na galti se bhi oos ladki ko yaad karna samjhe"

main ghabraaye darr se haan mein sar hilaaya wo jab jab jo bolti thi main oospar amal karta tha....."ab chalo humhe dinner pe bhi toh nikalna hai"......wo fhir utaavali hote huye uth khadi huyi mujhe sahara dekar kamre se bahar lekar aayi mujhe chalne mein bahut taqleef ho rahi thi....usne mere kandhe ko kasskar pakad pakad  kar sidiyo se niche utara....chaha ki oose bolu ki main aaj jaana nahi chahta lekin khauff khaata tha ki ooske aehed pe amal karne ke liye haami bhari thi....

usne mujhe gaadi mein bithaaya fhir khud baithi aur tej raftar se wo gaadi drive karne lagi.....aadhe raaste mein usne fhir wohi gaana bajaya jo uska pasandida tha....wo saath saath gungunate huye saamne dekh rahi thi fhir mujhe main bas jhooti muskurahat diye sihma hua udaas baitha hua tha

"pagol pagol mon amar tomay valobashe ki je shey bujhe naa to chaiche tomar paashe chaiche tomar pashe hahaha".......gaate gaate sumi hass padi

pure raaste main khaamosh raha tha hum hotel pahuche....swimming pool ke saamne wala reserved two seats par jaakar hum baithe......sumi menu pe dhyaan dene lagi.....main apne soch mein duba baitha hua tha.....ekdum se sumi ke tokne pe dhyaan tuta main uski taraf bhauklaaya dekhne laga

"aaj main tumhein apni favourite dish khilaungi okay"........itna kehte huye usne menu pe padi kisi azeeb si dish ka naam liya fhir waiter sunkar abhi haazir hota hu kehkar chala gaya

Raat ka waqt tha roshni se pura mahoul khubsurat lag raha tha....ekdum se thaali se dhaki cheez hamare saamne rakhi gayi....sumi hontho pe zubaan fhaire waiter ke thaali kholne ka jaise intejar kar rahi thi....khulte hi thaali mein jo cheez thi uski uthti garam garam bhaanp ke saath mehek mujhe azib si lagi...

"ye ek red meat ka bangladesh ka sabse popular dish hai dekhoge".......usne oose beech se kaanta toh gaadha jhol oosse behne laga

"main mutton nahi khaata mujhe ruchta nahi hai sumi"

"uff ho don't be such a stubborn kid asif just eat it accha lagega kosish karo pls"........main folk se kaantkar uska ek tukda munh mein lete hi jaise auklaane laga

"nahi sumi mujhse nahi khaaya jayega"......maine tissue paper se apna munh ponchte huye kaha

"kaise nahi khaaya jayega? pehel karni padti hai abhi pehel nahi karoge toh fhir hamare vaadein ka kya asif? jo aehed humne kiya hai ekdusre ko pyaar karne ka sacche dil se......main tumhare liye itna kuch karti hoo kya tum mere liye sirf itna nahi kar sakte ki meri khushi ke liye ise khaa sako"

main kya keh paata oose? ek waqt aisa tha jab ghar pe mann marzi khaana nahi milata tha to main maa-baap se jhagda ladaai na khaake khaane se uth jaana aisi harqate karta tha par kya ab mujhmein itni himmat thi jo sumi ki baat taal deta.....uske diye taqleef se zyada uski sachai jaanne ke wajah se main sihar jaata tha.....na karne ka koi sawal nahi tha....

"koi baat nahi main apne haatho se tumhein khilaungi tab khud khaungi".......wo khadi huyi mere paas aakar  jhuki usne thaali mein pada wo bhune gosht ka bada tukda folk se kaantkar haatho se hi mere munh ko apne dusre haath se pakadkar kholte huye khilaane lagi....mujhe dikkat ho rahi thi main na nukur kiye jaa raha tha lekin sumi adi rahi.....usne zabran mujhe khilaana shuru kar diya....mere aankho se aansu beh rahe they par wo parwah kiye bagair pyaar se zabran mujhe khilaati rahi jab mujhse aur nahi khaaya gaya toh usne thak haarkar zidd karna chodh diya main khaasne laga tha usne fhir mujhe paas rakhke glass se paani mere hontho par lagaaye apne haatho se pilaaya fhir faarig hokar wo apni chair pe jaa baithi...uske baad usne mere haath se mutton khaaya....mere kalai ko pakde mere haath se nivaale ke sath sath munh mein lekar meri ungliya tak chaant rahi thi....meri haalat kharab thi par main khaamosh tha oose malum nahi chalne diya....

Fhir usne aehed kiya ki aajse wo sharaab ko haath tak nahi lagayegi isliye oosne aaj hotel mein aakar koi wine ka order nahi diya tha.mujhse kiya vaada tha uska....mujhe auklaahat hone lagi main toilet ka bahana banakar washroom pahucha jo hamari table pe kayi had dur tha....waha aakar mujhe ulti ho gayi oos dish ki mehek mujhe apne pure gale mein samaayi lag rahi thi....zaahir si baat thi jo cheez insaan khaa nahi sakta oose kaise koi itna forced kar sakta tha....main pait pakde wohi toilet seat ke paas baith gaya...mujhe aisa laga jaise is zindagi se acha marr jana hi tha....

main fhir zyada dair na karte huye normal hokar munh haath dhokar bahar nikla bahut kamzor haalat ho gayi thi tabiyat kharab si lag rahi thi.....jab main waapis lauta toh sumi phone par apne father se baat kar rahi thi main chupchap uske aage baith gaya...jab wo call se faarig huyi tab usne meri taraf dekhkar muskuraya....mujhe darr tha ki kahin oose maalum na chal jaaye kyunki oose sabkuch aafrupi malum chal jaata tha lekin usne mujhe kuch nahi kaha......hum fhir waapis hotel se bahar aaye

"ab tum gaadi chalao main bahut thak gayi hoo".......usne angraai lete mujhse kaha

"theek hai"......main oos haalat mein bhi raazi ho gaya sumi ko gaadi mein bithaate huye main bagal mein aakar driving seat pe aake baitha darwaja lagaya aur waha se nikal gaye hum

"kaafi dino baad drive kar rahe ho na warna itne mahino se toh ghar ki chaar diwaari mein aaram kar rahe they.....waise tumhe yaad hai tumne hi is gaadi ko hamari pehli mulaqat mein theek kiya tha main tumhare room mein aayi thi fhir oos mulaqat ke baad kitna hum ekdusre ke saath time spend karte they din shaam guzaarte they"........sumi yaad kar rahi thi aur mujhe keh rahi thi.....main drive karte huye khaamosh tha

Woh lamhe meri zindagi mein shaap ban jaayenge maine kabhi socha nahi tha.....itne mein sumi ne baat badli fhir wo mujhe batane lagi ki usne apne father se baat karke kuch faisla hum dono ke liye liya tha.....maine saamne se nazar hataakar uski taraf sawali nigaho se dekha

"kaisa faisla sumi?".......maine pucha

"yahi ki main ghanto ghanta office mein rehti hoo meetings mein busy rehti hoo mere peeth piche tum ghar mein akele rehte ho aur main chahti hoo ki hum saath rahe uske liye maine faisla kiya hai ki aaj se tum bhi office mere saath jaoge even aaj se tum mere personal assistant"

"sumi ye kya mazaak hai? tumhare father ne mujhe kuch din tumhari position pe rakha tha nahi sumi meri kya izzat reh jaayegi employees ke saamne wo log toh hamare rishte ka!"

"jisko naukri aur jaan ki parwah nahi hogi wo hi udaayega na keh ke toh dekhe koi".......sumi ne daant peeste huye meri baat beech mein kaantte huye kaha

"par sumi!".........sumi ne mujhe qeher bhari nigaho se dekha maine khaamosh rehna theek samjha

"kyu mere peeth peeche koi sazish karna chahte ho ya mere saath waqt kam guzare isliye bahane dhundh rahe ho maine faisla kar liya hai aur ab tum mere husband ho mera pura haq hai ki tum kaise jiyoge kaise chaloge ya kya karoge? tumhein raazi rehna hai bas and no arguments at all"

"i m sorry''

maine kawadte huye saamne sadak par nazar karte huye drive karne laga....sumi ne mere gaal par haath phaira uske haath fhir mere seene ke buttons par they.....mujhe uske andar vaasna jaagti mehsus huyi......."kal se tum chal rahe ho mere saath u better wake up early"....usne hath barabar dastoor mere seene pe phiraate huye jaise hukam farmaaya

"Jaldi ghar pahucho"......main uska matlab saaf saaf uske kaatil muskuraate chehre ki taraf dekhkar samajh raha tha

hum ghar pahuche fhatak apne aap charmaraate huye khula fhir lawn ke beech mod kaantte huye sidhe saamne ghar ke darwaaje pe gaadi khadi ki....sumi aur main robert ke darwaja khulte hi andar aaye....fhir upar apne kamre mein sumi ne mujhe sahare se bistar par bithaaya mere taangon mein dard thoda bad gaya tha....sumi kapre badalne lag gayi.....uske baad usne meri taraf hasskar dekha aur fhir mere paas aakar baith gayi....

"sumi main thak gaya hoo kuch tabiyat theek nahi hai so jau"

sumi mere goad mein baith gayi.....mere chehre ko haatho mein liye usne meri baat ansuni kar di thi......mujhe usne fhir aur kuch kehne nahi diya....mere gale ko apne haatho se dabaaye usne mujhe bistar par gira diyaa aur khud bhi meri baahon mein gir gayi....

Raat dhai baje ke kareeb main bistar se sumi ke pehlu se utha....bahar sard khaamoshi thi....maine sumi ki taraf dekha par khauff tha ki wo ekdum se uth baithegi ya uska roop badlega aur safed nigaho se mujhe dekhkar dohri awaz mein tahaka lagayegi....lekin mujhe bahut bhook lag rahi thi bechaini se neend bhi aankho mein nahi thi...

main kamre se bahar aaya darwaja lagaya sidiyo se niche utara aur fridge ke paas aaya fridge kholte hi waha rakhke khaane ke saaman ko parakhte huye bhooke hone se main bechaini se soch raha tha ki kya khau? ulti ke baad pait ekdum khaali tha.....maine fridge mein rakha sandwich uthaaya aur jaise hi utha murde ki bhaati shakal liye robert saamne khada tha fridge ke andar se aati roshni mein uska chehra dekh main kayi kadam piche ho gaya usne kathor nigaho se mujhe dekha....

"aap yaha itni raat gaye?".......usne sawal kiya

"bhook lag rahi thi isliye aaya tum soye nahi"

"halki awaaz se bhi main jaag jaata hoo mujhe laga ki chor ghus aaya hai"

kehte huye robert jaane laga.....maine oose rokna chaha kya wo bhi sumi ke asliyat se waqif tha jo bhi ho sumi se judi har cheez rahashmayi thi.....main sandwich garam kiye oven mein fhir oose nikaalkar khaane laga....jab main upar pahucha to paaya sumi bistar par waise hi so rahi thi....main guzarte huye achanak teher gaya nazarein theek saamne aayene ki taraf huyi....saamne bistar dikh raha tha par sumi ka chehra wohi bhayankar dikh raha tha jis suhaagraat waali raat maine uska asli chehra dekha tha...

main fhir palatkar bistar par dekha sumi ka chehra samaanya tha....fhir maine aayene ki taraf dekha toh sumi ka hubahu waisa hi chehra dikha.....wo gehri neend so rahi thi meri taraf karwat kiye aankhe munde huye....toh fhir guzarte waqt uska wo roop kyu dikha? aisa lag raha tha main pagal ho jaunga main darr darrke bistar par oosse ek haath dur lait gaya palak jhapakte hi sumi mere pehlu mein kareeb laite huye thi aankhe band thi usne kasskar mere upar haath apna rakh diya

oos waqt main khauff khaa gaya tha kya wo waaqayi so rahi thi? main aankhe munde waise hi pada raha.....us din ke baad se main aur sumi saath office jaane lage waha bhi sumi ke piche piche mujhe rehna padta tha....har meeting mein mujhe sumi ke saath rehna padta tha...wo nazaro se mujhe dur nahi karti thi....balki zara si baat par office walo ke saamne mujhse acha bura peshaati thi.....mujhe bahut sharmindagi mehsus hoti thi par main kuch nahi kar sakta tha....

Achanak business meeting ke kiye urgent client ko milane jaana tha sumi jaa na paayi kyunki wo drama ke liye oos din shooting pe gayi thi.....main uski gair haaziri mein client se meeting karne hotel chala gaya....sumi ko ab wishwas tha ki main oose koi dhoka nahi dene wala tha maine oose khud par bharosa karne par mazbur kar diya tha oose ahesaas karaa dia tha ki main bhi oosse mohabbat karne laga hoo.....

Main Waapis meeting se faarig hoke islam sahab ko inform karke ghar waapis apni gaadi mein aa hi raha tha ki tabhi saamne maine bheedh jama dekhi kisi ka accident hua tha aur oose charo taraf se logo ne ghaira hua tha...gaadi driver aage dheere dheere chala raha tha....main waise hi pareshan tha....achanak bheedh ke chatte hi maine jaani pehchani surat dekhi jo insaan zameen pe aaundhe munh pada tha aur uska maatha phat gaya tha baazu pure cheel gaye they astin phati huyi thi kapre ki....main chilaaya driver ne gaadi roki.....

main fauran gaadi se bahar aaya saamne ki bheedh ko hataye oos zakhmi gire aadmi ke paas aakar jhukkar oose jhinjodhne laga.....wo kareem chacha they jo beshud ghayal pade huye they zameen par....
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 20 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #20 on: March 08, 2021, 11:58:06 AM »
kareem chacha ya allah ye kya ho gaya?"......kareem chacha ke khoon se lathpath chehre ko hilaate huye maine oonhein hosh mein laate huye kaha

lekin wo hosh mein nahi aa rahe they..."ye sab kaise hua?".......maine charo taraf ke ghaire huye bheedh se sawaal kiya

toh maalum chala ki kisi gaadi ne oonhein takkar maar di thi......aur wahan se faraar ho gayi...bheedh bhaadh bhare road ko cross karte waqt aisa anjaam hua tha.....maine logo ki madad se fauran kareem chacha ko uthaaya gaadi ke pichli seat pe bithaaya.....aur driver ko hospital chalne kaha

"ye mere jannewaale hai fauran hospital chalo khoon bahut beh chuka hai"

kehte huye main driver ke saath bagal waali seat pe baith gaya mere shirt gale haath ke astin par kareem chacha ko uthaane se khoon lag gaya tha.....mujhe yakeen nahi ho raha tha ki is haalat mein kareem chacha milenge....itne waqt baad oonhein dekha tha.....oonhein to yahi malum hoga ki main zinda nahi hoo yacht se girkar samundra mein doob gaya jaha se meri laash tak na mili....

oos waqt main ek pal ke liye sumi ka khauff mere zehan se nikal gaya tha....main fauran hospital pahucha laash stretcher pe daale tezi se oose nurse aur doctor ke saath emergency ward le jaane laga...."a...assifff assiff t..tu aa gaya kaha..n c..halla gaya tha".......achanak adhkhuli nigaho se badbadaate huye kareem chacha ne mere chehre ki taraf dekhte huye kaha

"chacha aapko hosh aa gaya sab theek ho jayega main aa gaya hoo naa aap shaant raho allah pe yakeen rakho sab theek ho jayega"

wo bas mera naam bolte jaa rahe they fhir kehte kehte behosh ho gaye....."patient ke zyada khoon behne se haalat kharab hai unka operation jald se jald karna padega"

"aap kar dijiye doctor main saari formalities puri kar dunga"

"aap inke lagte kya hai?"

"darasal ye mere jannewaale!".........achanak sumi ki dhamki yaad aayi tum is duniya jahan waalo ke liye marr chuke ho agar tumne apne kisi bhi purane waqifdaar se milane ki koshish ki toh anjaam soch lena

main teher gaya......"darasal inka garage hai hamari gaadi wohi theek hoti hai mera naam mr.asif sheikh hai main sheher ke jaane maane busuness tycoon islam sahab ka daamad hoo"

unke naam ka kuch asar mujhe doctor ke chehre par dekhne ko mila unhone fauran kareem chacha ko bina zyada kuch kahe admit kar liya....main formalities puri karne chala gaya haalaki darr nhi tha asliyat khul jaane ka par main sumi ke taraf se thoda daraa hua.tha.....haalaki abtak wo photoshoot karwaake waapis ghar pahuch chuki hogi.....

mere paas jama kul jitne paise they maine oosse hospital charges diye.....lekin kharcha zyada tha......aakhir mein main waapis emergency ward pahucha mujjhe gaye aur operation shuru huye 2 ghante hone ko they....abtak meri na mauzdgi paakar sumi toh qeher barsaane waali thi....aaj pehli baar main ooske nazaro se dur apne mann marzi se uske pehle ghar nahi pahucha tha......mujhe na paake ghar mein wo zarur pareshaan hogi oose lagega ki main bhaag gaya hoo...

paise ke bhi zarurat thi mera jaankar sumi ne koi account nahi diya tha paise ki mujhe kabho zarurat nahi huyi fhir bhi thoda bahut cash main sumi ke hi izazat se rakhta tha....main sumi ko direct call karne laga phone lag nahi raha tha...main try karta raha ki itne mein doctor bahar aaye saath mein kuch nurses bhi......"any progress sir?".......maine sawaal kiya

"don't worry wo khatre se bahar but head injury ki wajah se wo apna pichli baaatein shayad hi yaad kar paaye"

sunkar mujhe jhatka laga....."par wo bechare to akele rehte hai unka koi nahi"..........doctor ne afsos zaahir karte huye bebasi mein sar hilaaya

"sorry asif par humse jitni koshish ho paayi humne kar liya ab ye to khuda ke upar hai ki wo kabhi theek ho payenge ki nahi jo ki kehna aasan nahi inhein kuch din hospital mein rehne dijiye fhir discharge karwane ke liye inke jannewalo ko bula lijiyega waise aap itne zyada pareshaan kyu hai?"

"n..ahi n..ahi nahi mujhe sunkar bahut dukh hua unki halat ke liye"........maine pehlu badalte huye kaha mujhe darr tha ki kahi wo islam saheb ko ye na bata de ki main kareem chacha ko janta tha aise hi dil mein dehshat utha....

doctor chale gaye maine khade hokar darwaaje ke window se andar jhaaka beshud laite pade huye they kareem chaha oxygen mask pehne huye haatho mein do clips jinki taarein sirhein ke paas waali latki dawaiyo ke botalo mein thi.....sar par patti thi jaha khoon ka bara sa dhabba sukh chuka tha....

"kaash wo hosh mein aa paate ki unhein khulkar apne huye saare zulmo taqleefo ke baarein meinkeh pata"

itne mein mujhe kisi ka apne piche aahat laga....kisi ne mere kandhe pe haath rakha.....maine mudkar piche dekha toh sann reh gaya sumi khadi mujhe ghurrte huye muskura rahi thi...

"toh janaab yaha hai apne waqifdar ko bachane ke liye"

"s..sumi ittefaq se mujhe chacha road ke haadse ka shikaar mile....koi help nahi kar raha tha isliye maine unhein uthaakar le aaya"

"hmm aur unke hosh mein aane ke liye yaha khade ho taaki tum sabkuch sach sach bataa sako am i right?"

"nahi sumi aisa kuch nahi hai main soch raha tha ki kise unki halat ke liye inform karu...unka koi nahi hai"

"tumhein unhone pehchaan liya?"

"nahi bas badbada rahe they unhein laga main saamne hoo par yakeen maano unki yaadash chali gayi hai chahkar bhi wo mujhe nahi pehchan paayenge"

sumi haath mode ekdusre se kafi dair tak sochti rahi fhir usne andar ward mein jhaaka.......maine mehsus kiya ki wo ektak wardroom ke chatt par lage pankhe ki taraf dekh rahi thi.....pankha dheere dheere azib tarah se hilane laga....."summii no no no"......maine oose roka mujhe samajh mein aane laga tha ki sumi palhar apni taqat se aafrupi oos pankhe ko sidha kareem chacha ke pade jism par giraane wali thi...

"agar unki khairiyat chahte ho toh mere saath yaha se chalo tumhari zimmedari puri huyi warna"

"main sab samajh gaya sumi but pls unhein kuch mat karna wo hamare liye kya musibat khadi karenge unhein kuch ho gaya to main zindagi bhar khud ko maanf nahi kar paunga"

maine  sumi ke pas jhukkar oosse minnate ki.....wo khadi shitani muskurahat mujhe deti rahi...fhir ulte pao jaane lagi usne aage badhkar teherte huye mujhe palatkar dekha maine ek baar mudkar kareem chacha ko beshud laita dekhkar unhein wohi chodhe sumi ke piche piche hospital se nikal gaya...

sumi ne fees adaygi kar di thi....aur doctor se keh diya tha ki ab ye case wohi sambhaale aur humhein aur na bulaaye.....sumi ko dekhkar wo jaise sammohit ho gaye unhone koi sawal nahi kiya aur humhe jaane ki izazat di...

main sumi ke sath bahar aaya ....."ab khush ho na tum ki unka pura khyaal rakha jayega discharge karke unko unke thikaane malum karke chodh diya jayega"

"thank u sumi"

"arre ismein shukriya kaisa? itna to main tumhare liye kar hi sakti hoo par darro nahi aaj tumhe koi saza nahi milegi aaj tum maanf kar diye gaye"

sunkar jaise mere mann ka jo khauff tha wo kam hua...."mujhe malum tha ki tum kahan ho? isliye bina savr kiye main yaha khud aa gayi main janti thi tumhare paas paise nahi they aur jo they wo tumne ada kar diye...tum jante ho ki mujhse kuch chup.nahi sakta"

maine haami bhari uske aseem taqat ke baarein mein main janta tha isliye bina maalum huye bhi wo mere paas pahuchi thi....aisa lagta tha oosse bhaag paana namumkin tha.....rooh ki tarah wo saaye bankar mujhpa sawaar thi...."lekin aage se aisa nahi hona chahiye"......maine fhir khauff khaaye sar haan mein hilaaya

hum dono gaadi mein baithte huye wahaa se nikal gaye....pure raaste mujhe dukh tha ki ek baar bhi main kareem chacha ke hosh mein aane tak oonse daikha nahi kar paaya tha...dusri taraf sumi ka aaj oonhein maar dene ki koshish thi maine sumi se kaul liya ki wo kabhi bhi kareem chacha ko kuch nahi karegi usne saaf kaha ki agar main baaz nahi aaya ittefaq se bhi milane se toh wo unhein jaan se maarne mein waqt nahi lagayegi wo to jaan hi chuki thi ki kareem chacha apni yaadaash kho baithe they isliye unhein maarna fizul tha....lekin main baar baar oosse minnat karta raha ki unhein kuch na kare sumi ne mere haath minnat bhare haath ko pakade kaatil muskurahat di aur apne seene pe mere sar ko rakhte huye mujhe nischint karne lagi ki wo aisa nahi karegi....mujhe thoda yakeen hua aur main tab khauff se bahar ho paaya


                                                          --------------------------

Agli shaam sumi ka date night ka plan hua shaadi ke baad bhi wo waise hi mulaqat bhare lamho ko taaza rakhna chahti thi jaise hum pehle mila karte they lawn mein hi table sajaye wo chair pe baithi mera intejaar kar rahi thi main jab tayyar hokar coat pant mein uske saamne aaya to oose ektak na dekhe nazarein fhair nahi paaya....sumi ne fite wali top peheni huyi thi aur beintehaa aaj khubsurat lag rahi thi....sumi ne gaal se haath hatakar mujhe sar se pao tak nihaara

main paas aakar saamne ki kursi kheeche baith gaya....table do roses ek white cup mein rakhe huye aur uske charo taraf lazeez dinner saja tha.....par meri ruchi kisi mein nahi thi main oosi ki taraf is haal se dekh raha tha ki abbhi kareem chacha se usne mujhe kaise dur kar diya unki haalat ki rattibhar parwah nahi ki.....

"pata hai asif aaj ki shaam bahut romantic lag rahi hai"

"haan".......maine haami bhari par wo meri udaasi nazaro ko bhaanp rahi thi

"kya hua? aisa lagta hai ki tum nakhush ho kya tumhein ye date night pasand nahi aa rahi"

"Aisa nahi hai sumi aisa kuch bhi nahi hai balki main toh bahut bada kismatwala hoo ki jise kuch na karke bhi bahut kuch mil gaya tum jaisi khubsurat dil se chahne wali wife aur itna financial support tumhari wajah se ki main kabhi bhooka nahi marr sakta kitna kuch kiya hai tumne mere liye even tumhari family ye jante huye ki main naqabil behaisiyat beaukwad jo apni wife ko ek sone ki anguthi tak tohfe mein nahi de sakta tha oose oonhone apni beti ke kaabil samjha waqayi ye toh sapno mein sapna hai jo haqeeqat main jee raha hoo"

mera gala bhar aaya usne jitni taqleef sitam mujhpar dhaaye sab yaad karte huye main uski tareef kiye jaa raha tha.....sumi pyar bhari nigaho se mujhe dekhne lagi fhir usne uthkar mere aage apna haath failaaya....."c'mon let's have some dance".......maine bejhijhak uske haath mein haath rakhte huye uth khada hua....

dheere dheere hum ekdusre ke haatho mein haath daale ballet dance kar rahe they....achaanak oose ghumaate waqt mere ungli mein dard uth gaya.....usne meri ungli ghumte huye pakad li....."dard ho raha hai tumhe? isshh"......ye wohi ungli thi jise usne tod diya tha.....fhir bhi main apna dard peeye ooske kamar mein haath daale dusre haatho mein haath daale nachta raha.....wo ektak muskurate hue mujhe dekh rahi thi.....hum dono alag hokar waapis table pe aa baithe...

"tumhare liye ek surprise hai asif"........main sunkar chaunk utha mujhe darr tha ki kahi wo fhir kuch anhonee to nahi kar baithegi

"kaisa surprise?"

"na na aaj nahi kal wo aisa tohfa hai jiske liye tumne barso se intejaar kiya hai jiske wajah se tumhari zindagi kharab hui ye surprise dekhkar tum hosh mein nahi rahoge"......kehkar sumi ne muskuraya

main kuch samajh nahi paa raha tha....isliye chupchaap bas ooska rahashmayi muskurata chehra dekhta raha.....us raat main bechaini se karwat badalta raha sumi bagal mein so rahi thi gehri neend mein par meri samajh nahi aa raha tha aakhir wo kaisa surprise tha? main kal ke intejar mein tha aur isi kashmakash mein puri raat sochta raha....

achanak kisi ne mujhe neend se jagaaya aisi hi neend kachchi thi.....main hadbadakar aankhe khole uth baitha.....sumi mujhe jagakar ek overcoat pehenkar aayene mein khud ko nihaar rahi thi......main ghabrakar waqt ki taraf dekha ghadi mein subah 4 bajne ko they...usne fhir mudkar meri taraf dekha.....main sawaali nigaho se oose dekh raha tha....

"surprise suprise let's go for it now".......main chaunkkar bistar se uth khada hua

"sumi aisa kaun sa surprise hai jiske liye tumne mujhe itni subah jagaaya"

"dekho asif sawaal kehne ka haq sirf mera hai tumhara haq sirf jawab dena hai wo bhi jab kahaa jaaye isliye kapre pehno aur mere sath chalo"

sumi ki naa jaane ye kaun si nayi harqat thi? oosse ulajhkar mujhe uske bhayankar roop ko nahi dekhna tha....main jaldi jaldi shirt aur jeans daalte huye uske saath saath kamre se bahar nikalkar sidiya utarte huye bahar aaya....sumi khud driving seat pe baith gayi....main ooske bagal mein jaakar gaadi teji se aage badhi.....oos waqt neemandhera tha sadak sunsaan thi farmhouse se sheher ka wo highway us waqt andhere mein duba hua tha....sumi headlights on kiye gaadi teji se sidha saamne sadak par chala rahi thi...tej hawa ka jhoka mujhe apne chehre pe laga kahi dur jungli janwaro ki rone ki awaz aa rahi thi dono taraf dur dur jungle tha isliye kaafi andhera tha oos waqt...

sumi apni wohi pasandida geet gungunaate huye wo drive kar rahi thi....achanak mujhe hosh aaya ki gaadi ka rukh office ke raste ke taraf tha dheere dheere shaq dur hone laga....jab gaadi ekdum hamare office ke main gate ke saamne aakar ruki....par waha koi gatekeeper ya watchman nahi tha jo aksar dekha jata tha....sumi ne mujhe utarne ke liye kaha

hum utarkar main gate ke entry door ke paas pahuche sumi ne chaabi nikaali taala khola aur andar dakhil huyi....main bhi uske piche piche....par band office ke raaste jaane ke bajaay wo mujhe sidha modh kaantkar ek bahut waqt se band pade store room ke paas le gayi...usne darwaja khola mujhe hairat huyi ki jise abtak store room samjha tha wo sidighar tha wo sidiya jinhein tehkhaane ke kisi andhere mein jaa rahi thi...

sumi utarne lagi main bhi uske piche......"yaha kaun sa surprise hai? sumi mujhe kuch theek nahi lag raha"........maine himmat karke jawab diya sumi ne teherkar meri taraf palatke muskuraya aur bas ishare se aane kahi...main jaise niche aaya mujhe sumi andhere mein kahi dikhaai nahi di aisa koi tehkhaana sumi ke office ke theek piche tha iska mujhe rattibhar ilam nahi tha....

par sumi ki kadamo ki awaz gayab thi sumi andhere mein kahi dikhaai nahi de rahi thi...."sumiii sumii dekho sumi mujhe darr lag raha hai"....main ek kadam aage badhaya hi tha ki itne mein dhadh dhadh ki awaz kiye pura hall tubelights se jaise ujagar ho gaya ek palko apne chehre ko kalaai se dhakte huye maine kasske aankh band kar li thi....fhir dheere dheere maine jaise aankhe kholi toh mujhe saamne sumi khadi dikhaai di aur theek uske bagal mein jo dekha usne mere kadam larkhara diye aankhe dang reh gayi....kaleja munh ko aane ko ho gaya kanpattiyo pe jaise hathode baj rahe they....kuch aisa manzar tha nazaro ke saamne ka.....
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #21 on: March 08, 2021, 02:49:21 PM »
Bahut khoob dheron daad. Applause Applause Applause
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 20 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #22 on: March 08, 2021, 05:05:55 PM »
Bahut khoob dheron daad. Applause Applause Applause

Thankyou ! bhai sahab aapko kahani acchi lag rahi hai iske liye dhairo shukriya
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 20 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #23 on: March 09, 2021, 07:36:53 PM »
Saamne ka nazara kuch aisa na yakeen paane ka tha ki main bhaukla utha....sumi ke theek bagal mein chair par bandhi ek ladki thi jiski kalayi pao rassiyo se jakadi huyi thi....pure badan pe maar peet aur chot ke jaise nishaan they usne ektop aur ghutno tak lycra pehen rakhi thi....par upar ka top jagah jagah phata hua tha aur waha chot ke nishan badastur they...chehre pe bhi nishaan they kaske munh pe rumaal ek dusre se dusre sirhe tak bandha hua rha baal chehre ke behoshi haalat mein hone se baal aage ki taraf gire huye they....

main uske dheere dheere paas aaya aur chehra gaur karne laga mujhe aisa jhatka laga ki main do kadam piche larkharate huye sumi ki taraf to kabhi oos ladki ki taraf badhawas dekhne laga....

"sumi sumi y..ee toh arnisha hai ye toh meri!".......bhauklahat mein bhi koi saqt baat na keh jau isliye teher gaya

"haan my love ye tumhari arnisha hi hai aur iska ye haal maine kiya hai".......sumi ne ooske paas khade hokar kursi ke piche haatho ka sahara lete huye kaha

"p..ar s.umi ye tumhe kahan mili tumne iske saath aisa kyu kiya?".......mere aansu aankho mein ghul rahe they aur bhaari gale hokar keh raha tha

"kyu kiya?".......sumi ne chidhte huye mera lavz dohraaya....."itna kuch isne tumhare zindagi mein na aakar tumhare saath kiya aur tab bhi puchte ho aisa kyu kiya? pucho isse ki mehez iski khusurati iski kashish ne kitna tumhare zindagi ko barbaad kiya kitna tumhein dard pahuchaaya kitni thokarein khaayi tumne is badzaat kameeni behaya aurat ke liye haan asif yahi hai tumhara surprise aur ye tabse yaha hai jabse tum mere sath office aane jaane lage they tumhe maalum bhi nahi is hall ke baarein mein is band andhere mein maine ise kayi din tak bandi banake rakha hai ise har din torture kiya tabtak jabtak ise maalum na pad jaaye ki iske saath aisa kyu ho raha hai? ab ise hosh mein laane ka waqt hai"

kehte huye sumi ne paas rakhki botal uthaayi aur ooske munh pe ujhal diya....arnisha hadbadakar saans kheechte huye jaag gayi.....sumi ne aage badhkar uske chehre se rumaal khol diya....wo khauff bhari nigaho se sumi ki taraf dekhein jaa rahi thi...fhir achanak usne ek anjaane shaks ko apne saamne paakar meri taraf dekha......usne jis maasumiyat aur khauff bhare nigaho se dekha mera dil paseej gaya.....main rone lag gaya wo mujhe rota dekh azib nigaho se hairat se dekhne lagi

ki tabhi sumi ne kheenchkar uske chehre pe thappad par raseed diya..arnisha ki cheekh nikali aur wo subakne lagi....."dekha tune tujhe dekhte hi kaise aansu bahane lag gaya? pagal tha tere liye teri chahat ke liye bahut dhundha isne tujhe par tu kahi nahi mili bezzat hua teri wajah se tere husband teri behan ke aage par kisi ne bhi iske emotions ki parwaah nahi ki nahi ki".......sumi ne uske baalon ko hath mein samaitte huye kheechkar uska sar upar uthaaya aur uske kareeb saanp ki tarah fhunkar maarte huye oose batana shuru kiya meri babat...

"aahhhh ss"......arnisha ko dard hua jab sumi ne aur kasske uske baalon ko kheecha usne aankhe mund li aansu gir rahe they uske aankho se

"na sumi oose hurt mat karo pls main tumhare aage haath jodta hoo ismein iska koi kasoor nahi hai sumi pls pls"......sumi meri taraf uske baalon ko badastur kheechti rahi ooske gardan ko fhir pakade meri taraf kurur nigaaho se usne dekha main siham gaya

"tadap uth rahi hai na tumhein maine tumse kya kaha tha asif tumhare dil mein sirf main hoo yahi hona chahiye par lagta hai ise yun haal mein dekhkar tumhari mohabbat jaag uthi hai bahut pyaar karte ho na par main isse bhi ziddi aur diwaani hoo ise toh pehle hi mujhe maar dena chahiye tha par nahi maine socha ki aakhri baar ise tumse milwa du aakhir ise bhi maalum chale ki ise kis baat ki saza mil rahi hai"

sumi ne kehte huye apne baaye pair ki laat sidha arnisha ke chaati pe de maari....arnisha kursi ke saath zameen pe gir padi......wo kasske ro padi dard se uska badan sihar gaya......"nahii"......maine uske kareeb jaana chaha lekin sumi mere aade hamare beech khadi ho gayi...

"sumi pls mat maaro oose tumne pehle hi oose kaafi torture kar liya hai marr jaayegi woh"........main ghutno ke bal baithte huye minnate karne laga

"mana kiya tha tumhe aur main yaha tumhe ise torture karne laayi thi...na ki iski jaan bakshi karne tum soch rahe hoge ki ye mujhe kahan mili? yaad hoga ki ekdin mujhe shoot pe jaana tha bas main waapis aa rahi thi ki maine socha tumhare liye koi tohfa pasand karu...main mall aayi aur wohi ye mujhe mili washroom mein.....maine iska picha kiya to malum chala ki ye dhaka sheher ke sabse paush bhare ilaake banani mein rehti hai fhir maine ise iske wohi shouhar ke saath paaya digonto ke saath....fhir maine dusre hi din mauka dekhte huye ise utha liya....bahut hi aasan tha pehle kuch janne ke lehze se ise apni gaadi ke paas bulaaya fhir apna tilasm ispe fhooka kaano kaan kisi ko malum bhi nahi chala aur ye yaha itne waqt se"

"jaise tumne mujhe bandi banake rakha torture kiya"....maine ghinna bhari nigaho se oose gulabi nigaho se dekhte huye kaha

"wo saza nahi mera pyaar tha saza to asal main ise de rahi hoo iski aakhri saas tak"...usne jhukkar arnisha ke haath ko kheechkar uski ungli dikhaai nakhun jaise ukhaade huye they waha bas khoon jama tha

"ye chotein ye nishaane maine kharoch se nahi is chaabuk se diye hai ise dekhna chahoge asif".......usne bina dair kiye chaabuk sidha giri arnisha ke jism pe de maara......jo teekhi awaz huyi

arnisha ki haulnaak dardbhari cheekh pure hall mein gunz uthi....main dahadh utha......."sshh sshhhh chup chup".......sumi ne pagalo ki tarah hontho par ungli rakhkar mujhe chup rehne ka ishara kiya aur dum saadti roti arnisha ko dekhkar muskurane lagi

"allah ka gazab girega tumpar sumi ye gunaah mat karo mat aur taqleef do oose....chahe tum mujhe maaro torture karo but pls oose chodh do main tumse rehem ki bheek maangta hun uske gharwaale na jane kitne dino se oose dhundh rahe honge pls sumi".......main ro rokar arnisha ke liye uske saamne gigida raha rha tha

arnisha se meri nazar mili....apne liye itna pyar dekhkar jaise oose shock laga tha wo mjhe janti tak nahi thi par meri wajah se waha oos haalat mein kayi din se thi......sumi ka gussa dehek gaya mujhe dard mein dekh arnisha ke liye jaise uska khoon khaul utha usne palatkar arnisha ki taraf dekha jo mujhe ektak dekh rahi thi....aur theek oosi pal usne pao ki thokhar uske taang pe de maari....arnisha dard se fhir chilla uthi apna pair pakde rone lagi......

mujhse aur dekha nahi gaya aur main daudte huye sumi ke dobara oospe hamle karne se phle sumi ko dhakelkar arnisha ko bachane laga....maine ooske taang par haath phairkar oose shaant karne ki koshish ki...wo pair jhatakne lagi mujhse dur hone lagi....."nahii nahi arnisha hosh mein aao mainn tumhein hurt nahi karunga arnishaa khud ko sambhaalo ssshh shaant ho jao"......main oose baazu se pakde shaant karne laga achanak kanpatti par bahut tej hamla hua is qadr tej ki mera pura sar ghum gaya arnisha khauf khaaye nigaho se mujhe girte huye dekhne lagi...

main zameen pe gir pada....maine dekha ki sumi ke haath mein ek pipe tha mujhe apna sar sunn hota mehsus hua......."taqleef ho rahi hai mujhe is kutiya ke liye tumne dhakka diya mujhpar haath uthaya mujhpar u bastard"......uske chehre pe hinsa ke bhaav aaye aur wo dohri awaz mein kehte kehte

mere pait pe mere kamar par do vaar kar chuki thi...main dard se bilbila utha mujhe ahesas hua ki baaye mathe ki taraf se khoon aa raha tha..."huhh bahut parwah hai na tumhari aankho ke saamne ise maarungi tadpaungi dekho"

sumi kehte huye giri arnisha ko kursi ke sath jabran uthaaye bithaayi fhir usne arnisha ka gala daboch liya....."tujhe koi nahi bachane aayega aur aayega bhi kaise jise pehle hi upar bhej diya"......sunkar jaise arnisha chilla uthi wo rone lag gayi lekin sumi ne kasskar ooska gala dabocha hua tha wo daant peeste huye ooska gala jaise tod dena chahti thi....arnisha ki jaise jaan halak se bahar nikal jaaneko thi wo pair patak rahi thi aur chair pe bandhi tadap rahithi aankhe upar thi....maine puri taqat se khud ko sambhalte huye pair ki thokhar uske piche de maara....sumi aundhe munh giri.....maine fauran arnisha ke pair se bandhi rassi kholni shuru ki arnisha khas rahi thi dum ghutne se.....maine rassi kholne ki puri koshish ki par uske khul paane ke pehle hi sumi uthne lagi.....mujhe mauka nahi gawana tha paas pada rod uthaaya aur na chahte huye bhi sumi ke sar pe de maara.....sumi sar pakde wohi behosh ho gayi.....maine rassi aakhir kaar khol daali arnisha ke pairo se.....mujhe pata tha ki maine kya gunaah kar diya tha sidha sumi ke haatho se khud ke liye maut ko dawat di thi....par baat apni khoye mohabbat ko bachane ka tha......jo sumi samjhna nahi chah rahi thi....maine arnisha ke haatho ki rassi bhi jaise taise khol daali....arnisha fauran uth khadi huyi....maine fauran oosi rassiyo se behosh padi sumi ke kalaiyo ko aapas mein baandh diya taaki humhare waha se bhaag jaane tak wo kuch na kar paaye...

maine arnisha ka haath thaama aur sidiyo se upar chadhte huye store room ke khufiya darwaje se bahar aaye....fhir bhaagte huye hum office ke main gate ke saamne they....bahar nikalkar maine gaadi ki chabi talashi aur sidha gaadi ka fatak kholte huye main baithne lag gaya par tabhi maine arnisha ko ulte raaste bhaagte huye paaya....main ooske piche dauda wo help help chillate huye bhaag rahi thi maine oose thaama aur jhinjodh diya baazuyo se apni taraf ghumaaye

"kya kar rahi ho arnisha hosh mein aao?"

"nahii chodh do mujhe....mujhe apne digonto ke paas jaana hai"

"hosh mein aao arnisha tumhara digonto marr chuka hai maar diya hai usne digonto ko"......ye sunkar arnisha ne mere chehre pe thappad maar dia

main uski taraf dekhne laga....wo munh par haath rakhkar wohi girke rone lagi....mujhe bahut afsos hua wo oose dilo jaan se chahti thi......main jhukkar oose sambhalne laga....."pls arnisha khud ko sambhaalo ye sab meri wajah se hua hai mere wajah se sumi ne tumhari ye haalat ki usne meri wajah se digonto ka qatl kar dala main hoo kasorwaar main jisne gunaah bas itna kiya ki tumse mohabbat kar dala kyu sumi kyu kiya tumne aisa?".......main kehte kehte rone lag gaya

arnisha tut si gayi thi...."mere saath chalo arnisa".........."nahi mujhe ghar jaana hai".............."pagal mat bano tum sumi ko nahi janti uske asliyat ko nahi pehchanti tum wo insan nahi hai ek pari hai"

"kya bakwas keh rahe ho? mujhe kuch nahi sunna"

"usne tumhein taqleef mehez di hai uska asli roop jab saamne aayega na to na wo tumhein bakshegi na mujhe samjhi tum hum jaha jaayenge wohi pahuch jaayegi wohh palak jhapakte hamare aankho ke saamne khadi ho jayegi"

"h..haan kuch toh hai wo bahut khatarnak hai usne usne mujhe bahut torture kiya har din aur usne mere pati ko bhi maar diyaa usne maar diya usne mere digonto ko".......kehte kehte arnisha fhir badwahas badbadate huye si rone lagi maine oose apne seene se laga liya apne aapko gunahgar ab main mehsus kar raha tha.....

udhar sumi ki aankhe khul chuki thi...usne uthkar cheekhte huye apne bandhe haath ki rassi ek hi jhatke mein tod daali....wo dahade kisi janwar ki tarah sidiyo se upar chadhte aayi fhir bahar....waha na uski gaadi khadi thi aur naa hi main aur arnisha kahi dikhaai oose de rahe they....hum bhaag chuke they ye baat wo jaan chuki thi....usne Aasman ki taraf dekha andhera chatt raha tha savera hone wala tha......

                                                               ----------------------

Main gaadi teji se drive kar raha tha sumi palbhar mein hosh mein aa sakti thi ab toh uske pakad mein aana matlab khudkhushi karne jaisa tha.....main janta tha jaha bhi hum jaa rahe hai waha sumi kabhi bhi pahuch sakti thi oos aalam mein maine ek baar munh baaye kiye arnisha ki taraf dekha jiske aankho se aansu tham nahi rahe they gehra sadma laga tha oose bechari ko apne shouhar ki laash tak dekhne se mehroom hona pada tha.....main bahut dukhi tha uske liye apne zazbat kaabu nahi kar paa raha tha koi raasta nahi tha is musibat se bach nikalne ka main dil hi dil mein allah se dua karne laga aaj pehli baar mujhe ahesaas hua khud ke musalman hone ka....jitne bhi bure salooq sumi ke saath....guzaari wo har pal bistar par....wo kareem chacha ki haalat sab ke liye main apne aapko kasoorwar maan raha tha arnisha ke barbaad zindagi ka kahi na kahi main zimmedaar pyaar to paa nahi saka badkismati apni har jagah failaayi thi main ro pada achaanak tej truck theek hamare saamne maine gaadi teji se daaye mori arnisha siham si gayi....tej horn kaano se guzarte huye truck ki bagal se nikal gayi......maine raahat ki saans li hamara accident hote hote bacha tha.....mera pura haath kaanp raha tha aise hi meri haalat kamzor karke rakhi thi sumi ne upar se jo haalat guzar raha tha humpar oos waqt...

"main marr jana chahti hoo main marr jaana chahti hoo"......kehte kehte arnisha rone lagi haath pao jhatakne lagi maine oose kaabu karna chaha par wo nahi sun rahi thi khud pe huye torture aur digonto ki maut ka rehrehkar oospar daura chadh raha tha

maine beech nadi ke bridge pe gaadi roki...aur ooske jhatakte haath pao pakadne laga....."arnisha arnisha control urself pls khuda ke vaaste teher jao kabu karo khud par"

"kaise kabu kar paau? hamari hassti khelti zindagi barbaad ho gayi hai mujhse meri asal daulat oosne cheen li hai ab main kaise jiyungi uske bina? kya kahungi uske parivaar ko ki ye sab meri wajah se hua un logo ne pehle hi mujhe napasand kar diya tha kyunki main unki tarah ameer gharaane se nahi thi mere parivaar waalo ko unhone kabhi pasand nahi kiya kaise jiyungi uske siwaah jise main sachche dil se apna maanti thi kitne khush they hum? haan shaadi se pehle mere piche kayi ladke aaye ek wohi tha jisne meri asmat ko lutne se bachaya tha mujhe wo dhair saari khushiya di thi jo mujhe apne parivaar se kabhi nahi mili aur ekdum se us khushi ko cheen liya usne sabkuch cheen liya mera main ye tak nahi jaanti ki mera digonto kahan hai uska jism kahan hai? kyu aakhir humne aisa kya gunah kiya jiski itni badi saza mujhe mili"

arnisha ne agwaah hone ke baad se apne upar beeti har ek taqleef ko byaan kiya....main janta tha saara kasoor mera tha meri wajah se sumi ne oose agwaah kiya oose torture kiya oose taqleef di fhir uske shouhar ko bhi maar diya....kaun seh pata itna kuch? arnisha ne sumi se khud ko dene ki saza ka kaaran pucha par usne sirf itna bataya tha ki koi uske wajah se barbaad ho gaya hai uske wajah se pyar karna bhul gaya hai aur wo oose tabtak torture karegi jis din uske aankho ke saamne wo uske sitam khaaye insaan ko na laa khada kar de....

"wo meri badkismati se biwi hai"

"k..kya?".......arnisha chaunk uthi..
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 20 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #24 on: March 09, 2021, 07:37:27 PM »
tab maine oose apni shuruwaat se khulkar saari kahani batani shuru ki....ooske tasveer pe marr mitna oosse anjaane mein ektarfa mohabbat fhir depression mein aa jana fhir ghar mein kalesh uske baad ghar chodh dena dhaka aana garage mein kaam karte huye ek shaam sumi se mulaqat fhir sambandh fhir uska mujhe torture karna zabardasti shaadi aur fhir uski asliyat jaan jaana....maine sabkuch uske aage batata chala gaya.....arnisha pehle to yakeen nahi kar paayi fhir usne sumi ki asliyat jaankar bahut zyada khauff khaaya

"wo humhe maar daalegi arnisha isliye behtar hoga hum koi rasta nikaalne ke liye kahi dur chale jaye"

"kabtak jaisa tumne bataya hai mujheabtak usne ye sachai nahi batayi ki wo pari ka saaya hai dekho main pehle hi tut chuki hoo mujhe digonto ko dekhna hai aur main tumpar bhi kyu yakeen karu? aakhir tumhari wajah se aaj mera digonto!"

"haan haan meri wajah se aaj tumhara wo shouhar is dunia mein nahi hai...main hi zimmedaar hoo sabka thokhar khaaya maine gareebi dekhi maine kya chaha tha khuda se bas ek mohabbat lekin wo bhi kisi aur ke naam....kya mila mujhe is zindagi har koi mujhe hurt karta hai ilzaam lagaata hai arre kya mere bas mein nahi tha agar mujhmein koi taqat hoti toh apni jaan kasam tumhare shouhar ko kuch nahi hone deta meri zindagi ko apni zidd aur taqat ke aage barbaad kar diya hai sumi ne.....main nahi ab darrta bahut saha hai maine bhi par ab bardasht ki had paar ho chuki ki....khuda bhi kehta hai ki zulm karne wala se zyada gunaahgaar oose sehne wala bhi hai.....mujhe nahi chahiye uski daulat paisa pyaar kuch nahi chahiye jo mujhe chahiye tha wo toh aage hi cheen liya khuda gawah hai maine tumse pyaar karne ke bawjud hamesha hamesha sirf tumhe ek baar dekhne ke liye hi tumhe dhudhta raha par aise anjaam mein milogi socha nahi tha haan main khooni hoo tumhare shouhar ka main apni zindagi kuch khatam kar daalunga taaki sumi kuch kar na paaye kuch kar na paaye"

mera gala kehte kehte bhaari ho gaya aur main bridge ke paas tej kadmo se jaane laga....mera intention tha nadi mein kud jaana.....arnisha ek pal ke liye teheri rahi uske baad wo zor se chillate huye mujje rokne ke liye daudi....main kudne hi wala tha ki itne mein usne mujhe piche se kasskar pakda aur hum dono waapis bridge par gire...."marr jaane do mujhe arnisha mat roko mujhe".....par arnisha ne mujhe kasskar pakad liya

main uske gale lagkar rone laga.....wo bhi zazbat na kabu kar paayi aur ro padi maine socha nahi tha ki aaj barso baad is mor par main uske kareeb hunga...hum dono alag huye to maine uske gale mein khule locket ko dekha.....usmein digonto ke saath ek tasveer aur thi...kisi chote bachche ki.....

"ye kaun hai?"......maine locket pe ungli rakhte huye kaha

"mere aur digonto ki nishaani hamara beta arifin"......sunkar jaise mujhe jhatka laga aankh se aansu gir pade......issh kitni badi saza de di tumne oose arnisha mehez meri wajah se bin baap ke kaise palega wo bachcha kal ko kya wo waaqayi apni maa ka chehra dekh paayega maine nazare fhair li arnisha ghutno ke bal girke rone lagi....

"utho arnisha himmat mat maaro main hoo tumhare saath main wada karta hun tumhara digonto to tumhein nahi lauta sakta par kasam apni jaan ki marr jaunga par tumhara beta tumhare paas hoga"

arnisha ne mujhpar bharosa kiya aur mere sahare uth khadi huyi hum gaadi mein baithkar sochne lage ki kahan jaaye? sumi ka jaal jaise har taraf tha.....wo humhe fasaa bhi sakti thi koi saazish kar sakti thi aur agar bas chalta to saaye ki tarah saamne aa khadi hokar hum dono ko jaan se maar dene ki taqat rakh sakti thi....

achanak arnisha ne dargah ka zikar kiya.....main uske chehre ki taraf dekhne laga usne bataya ki ek bahut hi pahuche huye dhaka ke mashoor aamil hai jo ek dargah mein rehte hai unki baatein mashoor hai ki wo jinn pari ke saaya ko utaarne oosse nijaat dene ka kaam karte hai....waha jaane se wo humhe arnisha ke saaye se hifazat ka koi tod nikaal sakte hai.....par mujhe khauff tha ki sumi kahi humtak pehle na pahuch jaaye......ittefaq se wo aitwar tha bheedh lagi thi dargah par

main gaadi rokkar sumi ke saath purani sidiya chadhte huye upar aaya arnisha ke phate top ko dhakne ke liye uske jism par maine gaadi se mila ek chadar dhaak diya tha.....usne oos chadar se apna sar chupaa liya main aamil ko khojte huye dargah ke piche bane ghar mein daakhil hua....dargah ke member ne mujhe andar chalne kaha....main arnisha ka haath pakde oos khandar jaise ghar mein daakhil hua aas paas kone mein cheekhne aur chillane ka shorr tha kahi koi aurat apna sar patak rahi thi par khoon ka ek qatra.bhi uske maathe se nahi nikal raha tha to kahi zanjeer mein jakda ladka dahadh raha tha....wo sab manzar dekhkar arnisha ne kasske mera kandha pakad liya....

hum andar aaye jaha aamil namaz ada kar rahe they....oose padhne ke baad do shaks jo baitha tha ooske aage unhone ek taabiz di aur unhein kuch hidayat dekar jaane kaha....main ye sab baaton par yakeen nahi karta tha par aaj sach mein yakeen karne pe sumi ke roop ne mujhe majbur kiya tha...

ek paini nigaah aamil ne meri taraf dekhi arnisha ne kasskar nazarein jhuka li.....unki aankhein surmayi lagayi thi aur ekdum gulaabi thi....

"bahut bure waqt mein yaha aaya hai"

"aap sab jaante hai?".....maine sawal kiya

"hmmm jaanta hoo tujhe aur is ladki ko bhi jiske piche jaan ka khatra hai jaan se maar dene ko utaaru hai wo pari jo teri biwi ke jism mein hai jiski rooh hi wo saaya hai".......unhone kadakkar kaha

maine koi jawab nahi diya......ekdum chuphaap bas ektak unhein ghurrta raha..
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 20 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #25 on: March 10, 2021, 12:34:52 PM »
Main hairan nazaro se unka chehra dekhne laga....aur wo ektak apni surmayi nigaaho se mujhe ghurrte jaa rahe they....arnisha sihme huye kaanp rahi thi....

"par koi toh rasta hoga aamil sahab main ise kuch hone dena nahi chahta iska ek chota bachcha hai aur shouhar oose toh pehle hi maar diya jaa chuka hai"

arnisha fhie rone lagi main ooske kandhe pe haath rakhkar oose chup karne laga....."meri jaan ko kuch bhi ho jaaye mujhe parwah nahi lekin meri wajah se sumi kisi aur ki jaan le mujhe gawaara nahi main oose pehle pagal diwaana ek khooni samajhta tha lekin us suhagraat wali raat saare raaz se parda uth gaya wo pari nahi ek aisa khauffnak pisach hai jise waqt rehte nahi roka gaya toh na jaane kitne aur zulm mujhe sehne aur dekhhne padenge uske...main haath jodkar unse raah talashne ke liye pucha is musibat se nikal jaane ko....

"Mere bas mein nahi hai oose rokna wo bahut had se guzari huyi hai koi amal bhi oose jaldi mein kaabu nahi kar sakta....us pari ke saaye mein bahut taqat hai abtak wo tumhein dhundh chuki hoti lekin tum log is dargah mein jabtak ho mehfuz ho......siway khuda ke ooske qeher se koi rok nahi sakta aur ab jab tum iska saath de rahe ho to tumhari bhi jaan ko khatra hai"

"fhir bhi koi to rasta hoga"..........is baar aansu ponchte subakte huye arnisha ne sawal kiya

"ek raasta hai"...........aamil ka chehra gambhir ho gaya......"lekin oose amal mein laana itna aasan nahi kyunki oos amal mein tumhein sidha oos pari se takkar leni hogi.....aur oosse takkar lena matlab sidha maut ko gale lagana"

"par hum zyada dair oosse chupe nahi reh sakte aamil sahab saamna toh karna hoga wo meri jaan kyu na le le? mujhe koi parwah nahi bas wo arnisha ko mehfuziyat se uske bachche ke paas jaane de"

"galti se bhi uske farebi vaadon par yakeen mat karna tum isse mohabbat karte they aur ab bhi karte ho ye baat oose bakhubi maalum jis wajah se aaj ye is musibat mein fassi huyi hai".......amali sahab ki baat sun maine sar jhuka liya sharmindagi se arnisha ne ek baar mujhe dekha aur nazar fhair li

"wo ab khoon ki pyaasi ho chuki hai behtar hai ki yahi raasta apnaao jo namumkin sa hai ab dhyaan se suno yha se kareeb 4 mile duri par jungle ke theek beecho beech ek kua hai wo kua jinnati kua ke naam se mashoor hai jinmein pari aur jinno ko kaid karke daal diya jata hai agar tum sumi ko giraane mein oos kuye mein kamyab ho gaye toh wo saaya wohi kaid reh jaayega"

"par sumi ki rooh to wo pari hai jisne bahut waqt pehle hi oose maarkar khud uska jism dharan kar liya agar aise mein sumi ko kuch ho gaya toh uske parivar waale alag musibat ban jaane they"

"piche ki naadi se aage ki khaai zyada khatarnak hai jo ki sumi hai isliye waqt zaaya na karo aur jo karna hai fauran kar daalo"........main arnisha ka haath pakde waha se jaane lag gaya ki tabhi piche se aamil ne humhe roka

"tehero"

maine aur arnisha ne mudkar unhein dekha.....wo mere paas aaye fhir apne mutthi par kisi khaale dhaage par fhunkte huye wo dhaaga unhone arnisha ki taraf badhaaya....arnisha ne wo dhaaga mujhe dekhte huye apne dono haatho mein le liya......"ise apne gale mein baandh lena wo tumpar haavi nahi ho paayegi ye tumhari jaan to nahi bacha sakta lekin tumhein oosski rooh se mehfuz rakh sakta hai"

arnisha ne wo dhaaga gale mein baandh liya....."allah tum logo ki hifazat kare aur is mushkil se nijaat de"

"ameen".......kehte huye maine arnisha ka haath thaama aur ulte pao bahar nikal gaya piche khade khaamosh aamil humhe jaate dekhte rahe

Dargah se bahar nikalne ke baad hum gaadi mein baithe aur sidha oos kuye ka rasta tayy karte huye us taraf jaane lage.....pure raaste arnisha apne gale par se kaale dhaage ke niche bandhi locket mein apne bete arifin aur shouhar ki tasveer dekh rahi thi.....uska dil tut chuka tha ab oose pura yakeen tha ki ab wo nahi bach paayegi....

main oose hausla dene ki koshish kar raha tha subah ke 12 bajne ke kagaar they par abtak bhari is dopahari mein kahi par bhi sumi dikhaai nahi de rahi thi....dur dur tak khet aur jungle dikh raha tha.....hum highway ke jaise raste par they....achanak radio apne aap on ho gaya gaana sunkar arnisha mujhe aur main arnisha ko dekhne laga

maine button off karna chaha par system band nahi ho raha tha....gaane badalte jaa rahe they....aur tabhi ekdum se sumi ki hassti awaz sunaai dene lagi speaker mein...."hahahaha asif kahan tak bhagoge? kabtak apni mashooqa ko bacha paoge? tum aur wo aamil ke paas jaakar kya jaan paaye? unhone bhi apne haath khade kar liye hai na hahahahahaha"........arnisha khauff bhari nigaho se mujhe dekhne lagi oose sab malum chal chuka tha....

maine gaadi ki speed tej kar di mujhe jald se jald waha pahuchna tha.....sumi hassti rahi......"enough sumi kyu? aakhir kyu kiya? kya maine kaha tha tumhein arnisha ki zindagi barbaad karne ko aaj main muzrim ban gaya hoo uske nazaro mein sumi baksh do oose pls"...........maine radio ki taraf chillakar kaha

"shut up you bastard tumne mujhpar haath uthaaya oos do kaudi ke ladki ke liye oose lekar faraar ho gaye galti ki bahut bara gunaah kar dala tumne jiski saza bahut buri hogi mujhe pehle hi oose maa dena chahiye tha main bhi kis farebi insaan ke baarein mein sochne lagi lekin arnisha tu nahi bachegi tu nahi bachegi nahi bachegiii"........sumi ki awaz dohri hoti chali gayi

"you bit*h".......maine kasskar baaye haath se radio system kheechke tod diya.....arnisha buri tarah ghabra gayi.....main gusse pe kaabu paate huye arnisha ki taraf dekhne laga...

"wo humhe nahi chodhegi maar daalegi mujhe jaise usne digonto ko maar daala"

"ssssshh arnisha calm down hum rasta dhundh lenge"

arnisha kuch na sunte huye jaise nazarein jhukhaaye huye subak rahi thi.....main mazburo ki tarah steering par haath maarke saamne sadak ki taraf dekh raha tha 0 mile hum cross kar chuke they

abtak hummein se koi nahi kuch bola tha.....arnisha ne nazare utaayi maine uski taraf dekhkar paas rakha paani ka botal oose diya aur saamne rakha tissue paper uske chehre ki taraf badhaaya arnisha ne apne aansuyo ko poncha aur paani piya janta tha hamare paas jaise ab zyada waqt nahi tha lekin mujhe oose himmat dena tha jabki meri himmat  tut chuki thi arnisha ki wajah se mujhmein taqat aayi thi sumi se ladd jaane ki....

"arifin abhi kahan hai?"

"mere maayke mein kaaron digonto ke gharwalo se mera jhagda hua to hum nikal gaye wohi manane aksar aata tha......par ab kya ? na wo aayega aur na main apne bacche ko dekh paungi nahi jaanti kal ko kaise oose sambhal paungi galti meri hi hai maine hi sabki zindagi barbaad ki allah mujhe kabhi maanf nahi karega"

maine arnisha ke kandhe pe haath rakha usne mera haath apne kandhe pe dekhkar oose hataya nahi....."bhul meri thi gunaah bhi meri wajah se hua aur ab is kahani ko aakhir tak main hi pahuchaunga".......main ektak arnisha ke nazaro ko dekhta raha kitni khubsurat thi wo uske chehre pe choto ke nishaan kitne dukh de rahe they mujhe...

achanak saamne dekh arnisha cheekh padi.....maine hadbadakar saamne dekha to meri aankhe phat gayi....safed kapro se dhaka pagdi pehna ek azib si safed shakal ka 7 ft ke barabar ek lamba aadmi haath failaaye hamari gaadi ke saamne khada tha........main horn bajane laga par wo hata nahi......tej gaadi oose takkar maarne waali thi.....lekin usne paas aati khud ki taraf hamari gaadi ko haath se jaise thaam liya...aur oosi waqt mujhe gaadi hawa mein takkar khaaye jaise ghumti mehus huyi....dusre.hi pal sdha zameen pe hamari gaadi gir padi...ulte palatte huye thodi dur jaakar ulatte huye gir gayi...kuch dair baad mujhe hosh aaya toh badan dard se bilbila utha maine paas jhaaka arnisha beshud padi huyi thi maathe se khoon beh raha tha aur hontho se bhi....main bari taqat se khule darwaje ki window se bahar nikla...fhir morh kaantte huye langadakar apnaa baazu pakde niche jhuka arnisha ke seat belt ko khola aur oose kheechkar gaadi se bahar nikaala....

"arnisha hosh mein aao arnisha"......maine uska sar apni goad mein rakhte huye uske chehre ko thapthapaya

arnisha ne kuch pal baad dheere dheere apni aankhe kholi....main oose sahara deke utaaya par wo chalne ke kagaar pe nahi thi uske ghutne cheel chuke they oosne kasskar mere kandhe ko thaam liya.....maine ooska haath thaama aur piche ghumkar sadak par dekha wo kya cheez tha jo ab gayab ho gaya tha.....mujhe khauff uthne laga bandish thi wo sumi ki taraf se....

Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 20 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #26 on: March 10, 2021, 12:36:56 PM »
maine arnisha ka haath pakde jaise taise oos kuye ki taraf bhaagne laga.....jab arnisha se chala nahi gaya to oose kandhe ke piche sawaar kiye dauda......arnisha badhawas mere kandhe pe sar rakhki huyi aankhe mundi huyi thi....achanak mere theek saamne mujhe kua dikhai diya aur tabhi mere kadam achanak se kisi bhari chez se takraaye.....main aundhe munh arnisa ko liye sidha zameen pe gir pada....jab uthkar piche dekha toh saamne wohi aadmi apne kad kathi aur shakal jaise 5-6 aadmi ke saath humhe ghaire huye tha uska chehra aur aankhe dekhkar arnisha cheekh padi aur usne kasskar mujhe pakad liya.....maine uske baazu ko pakde un logo ki taraf sihami nazaro se dekha...

Yakeenan wo insaan nahi ho sakte unke haath unke ghutno se niche tak they...unki daadhiya bhi kaafi lambi safed thi....wo hamari taraf badh rahe they main arnisha ko jaise taise uthaaya aur sidhe taraf bhaagne ko hua....kuye ke paas aate hi hamare theek saamne sumi khadi thi....ek safed si gown jaisa chamkila kapda oosne pehen rakha tha.....wo dheere dheere nukile daanton par zabaan phairte huye arnisha aur meri taraf dekhne lagi.....aankhe ekdum surkh laal aur safed si....dheere dheere sumi ke pao hawa mein uthne lage aur wo hamari taraf jaise udte huye aane lagi....."arnisha bhaago"......main chilaaya

arnisha daayi or bhaagi aur main theek ooske saame jaa khada hua...sumi mere hi saamne aa khadi huyi....usne daant peeste huye mujhe dekha apne ulte haath ka ek thappad mere chehre pe de maara....wo dus vaar ke barabar tha mera aadha sar sunn pad gaya aur main zameen pe gir gaya....jab uthne pe kaabu paaya toh honth se khoon beh raha tha....aur kaan se bhi sumi mujhe larkharate huye uthte dekhne lagi

"tumne mere pyaar ka ye silaah diya is badzaat ko bacha rahe they afsos ye toh maregi par ab tum bhi nahi bachoge lekin oosse pehle mujhe ise khatam kar daalna hai"

sumi dohri awaz mein kehkar bhaagti arnisha ki taraf palti achanak arnisha ke palak jhapakte hi wo dono lambe kad kathi ke aadmi uske saamne khade rasta roke they....arnisha zameen pe gir padi...."nahi sumi pls oose kuch mat karo saza mujhe do oose baksh do sumi oose baksh do".......maine fariyaad kiya

sumi ne meri taraf qeher bhari nazro se dekha......"bahut dair ho chuki hai ab anjaam toh bhugatna hi padega mujhe dard pahuchaane ka anjaam kitna bura ho sakta hai ye aaj tum jaanoge".......kehte huye usne dono ko ishara kiya....wo apna haath arnisha ki taraf badhaane lage....lekin itne mein koi cheez.ne unhein jaise jhatka diya wo dono piche ho gaye...wo kaala dhaaga jo aamil ne diya tha arnisha ke gale mein tha...

"main janti thi tum aisi koi chaal chaloge isliye main ye bata du ki agar tumne wo dhaaga nahi apne gale se faika toh mazburan tumhara anjaam tumhare bete arifin ko bhugatna padega"

"nahiiii sumi tum aisa kuch.nahi karogi"......maine dahada mujhe malum chal gaya tha ki oose arnisha ki aulwad ka malumat ho chuka tha wo kaatil muskurahat dete huye arnisha ki or dekhne lagi arnisha ghabra gayi wo chilla uthi

"nahi nahi tum mere arifin ko kuch mat karna tum jo kahogi mujhe qabool".......usne apne kaale dhaage ki taraf dekha maine oose rokna chaha

par sumi ne haath aage karke jaise mere pair wohi jama diye main hil nahi paa raha tha......bebasi se arnisha ki taraf dekh raha tha...."toh utaar faikho wo kaala dhaaga warna jo anjaam tere shouhar ka hua wohi tere bete ka kar dungi cheen lungi oose tujhse apni khairiyat chahti hai ya bete ki".............kehte huye sumi ne oose dhamkaaya sumi ka roop dekhkar wo siham uthi usne kaale dhaage ko kheechkar apne gale se alag kar liya.......sumi pagalo ki tarah hassne lagi uske saath saath wo aadmi log bhi pure vatavaran me dohri bhaari hassi ki awaz gunzti jaa rahi thi maine kaan pakad liya.....uske baad fhir gambhirta aa gayi sumi ke chehre par

"tujhe malum hai tere shouhar ke saath kya kiya tha? tujhe dhundhne ke liye ghar se nikla tha oosi raat maine mauka dekhkar oose bhi agwaah kiya aur mere inhi jinnato ne oose tadpa tadpa kar maar diya.....bahut taaza khoon tha uska mujhe bahut pasand aaya tha....7 gaj zameen mein gaad diya hai oose maine tujhe bhi wohi gaad dungi"

"nahiiiii allah ka khauff nahi tujhe dozakh mein jaane waali aurat allah sab dekh raha hai wo tujhe jahannum ki aag mein jalayenge ".......arnisha ne gusse mein cheekhte huye sumi ki taraf nafrat se kaha

sumi huyi is bezzati se hawa mein uthte huye uski taraf.palbhar mein aa khadi huyi uske lambe haatho ne uske gale ko dabocha...main mann hi mann uski tilasmi geraft se chuttne ki nakam koshisge karne laga....arnisha ka chehra laal ho gaya wo sumi ki kalayi pakde huye aankhe bahar nikaale saas kheech rahi thi.....

"badzaat kutiyaaa hatt".....usne arnisha ko hawa mein uthaate hue sidha dusri taraf zameen pe patak diya......fhir pair ki ek thokhar uske kamar pe maari jisse wo dard se bilbila uthi.....

main ayat padhne laga mujhe yaad aaya ekdum se ki meri nani mujhe ayat surah aur unke maane bataya karti thi.....aaj mujhe apne hatdharmi ko chodhna tha main tehdil se dua kiya ki mujhe aaj taqat de de aajtak maine sirf bura hi kiya aur kaha aur aaj meri wajah se arnisha ki jaan khatre mein thi kaash maine oosse pyar nahi kiya hota....is nafsani diwangi ke chalte meri zindagi barbaad huyi thi parivaar se bichada tha desh chodha tha sumi jaisi ladki ke zulmo sitam sehne pade they par kabhi bhi dil se khuda ko yaad nahi kiya tha....mere aansu nikal aaye aur main padhte raha aur tabhi muje apne pair azaad hote mehsus huye.....

maine aankhe khol daali......arnisha ko sumi ne baalon se pakadte huye ghasitkar dusri taraf faikh diya zameen pe arnisha ka chehra ghasita gaya wo dard se tadap uthi....."sumiiii"....sumi ne palatkar meri taraf dekha

main daudte huye oos par hamla kiya aur theek ooske chehre par jhannatedaar thappad par raseed diya.....fhir uska gala pakad liya....sumi ne meri aankho mein apne prati nafrat aur gussa pehli baar dekha tha.....usne fhunkaar bharkar pao ki ek thokhar mere se alag hote seene pe maari.....main dur jaa giraa....seena pakde dard se tadap gaya.....sumi ne apne honth se bahe us khoon ke qatre ko dekha uska gusse behad dehek chuka tha.....wo dohri awaz mein fhukkarti huyi meri taraf udte huye aa rahi thi.....arnisha badhaal zameen pe ghayal giri meri taraf dekh rahi thi...

Main larkharakar uthne laga ki tabhi sumi mere upar aa takraayi...usne gala dabochte huye mujhe zameen pe ghasitte huye....hawa mein ek hi jhatke mein gale se utha diya....main tadapte huye apna gala chodhne ki nakam koshishe kar raha tha....aankhen ulatne ko ho gayi thi....sumi safed nigaaho se mujhe ghurr rahi thi dohri awaz mein jaise wo dahadi....oosi ke sath uske haath ka dabaav mere gale par aur kass gaya uske haatho ke naakhun mere gardan ke chamde mein dhass rah they....ek ghutti cheekh mere gale se nikali main bas khatam hi tha....

ki tabhi usne mera gala chodh diya main zameen pe dhair ho gaya....gala pakade khud ka khaaste huye saas lene ki naakam koshishe kar raha tha...."bahut mauke diye tumhe par ab nahi bahut tadpaaya hai mujhe lagta hai tumhari akal thikaane nahi aayi mera dil agar khooni hai toh abtak tumhari saasein band ho chuki hoti...par main tumhe isliye baksh rahi hoo kyunki tumhe zinda tadaptadap kar til til marne du mere ye jinnat tujhe chahe toh maar daalein lekin sazaa to milegi mujhse niqaah karke iska haath thaamne ki saza"

sumi ne un jinnato ko ishara kiya.....wo log hawa ke bhaati palak jhapakte hi mujhe ghair chuke they paas se unke chehre behad khauffnak they....mujhe kisi ne gardan se thaama aur sidha taangon par khada kar diya.....tabhi ek zor ka hamla meri daayi taraf se mere kaan aur sar ke beech hua......aisa laga jaisa koi dhamaka hua mera sar ghumne laga fhir dusra vaar pait par fhir teesra vaar peeth par main dum saadein ghutno ke bal gir pada baari baari pao ki thokhar mujpar barasni ho gayi...mujhe peette huye dekhkar sumi bas ghurrti rahi....

fhir uske baad mere dono pair par vaar hua....meri taangein apne aap mudne lagi...uske baad pait par hamla fhir chehre pe ek ke baad ekzameen pe khoon ke saath mujhe apna daant girta mehsus hua....kisi ne baal ko zor se kheecha aur ek dusra vaar mere seene pe main dard se bilbila.utha......fhir dono taraf se mere bazuyo ko madodte huye wo do jinnat aise kheech rahe they jaise bas ukhaadh denge....meri aankhe aansuyo se bheeg gayi main dahadne laga......sumi ne ekdum se apne jinnato ko haath dikhaaya.....aur usne mere kareeb aakar mere oos kandhe pe haath rakha jise oosne tod daala tha.....usne apne lambe nakhun se kandhe ke maans mein apne naakhun dhasaa diye aur itni kasskar apne haath ko bheecha ki mujhe apna kandhe mein tej dard ki leher mehsus huyi......"aaahhhhhhhhhhhhh urgggghhhhh"............main bahut zor se dahada tha meri dahadh pure jagah gunz uthi...

aur uske baad main dard se nidhaal pad gaya par abhi bhi jinnato ki geraft mein tha......arnisha mere paas aakar sumi ke pao par girr padi......"mat maaro oose mat saja do plss aahhh".....sumi ne nirday nigaho se uski taraf dekhte huye uska sar baalon se samaitkar uthaaya arnisha chatpatane lagi...."uske liye tadapna ooski parwah karna sirf mere haq mein hai tere nahi kutiya".......sumi ne kohni ka waar ooske munh par zor se kiya......arnisha ke munh se khoon nikal gaya aur wo zameen pe aundhe munh gir padi...

sumi ne uski taang par apna pao rakha aur bina parwah kiye zor se apna laat de maara.......arnisha ke pao ki haddi tut gayi.....usne itna kasskar dard se bibilaate huye chilaaya ki uski dard bhari cheekh mere kaano mein gunz uthi main hosh mein aane laga.....par sumi tab bhi uske pao ko taang se masalte huye oose dard ka ahesaas karaaye jaa rahi thi....sumi ko bahut sukoon mil raha tha oose dard mein tadapte dekhne mein.....sumi ne gale se oose uthaaya aur kasskar oose sidha kuye ki taraf faikh diya arnisha zameen pe girte huye sidha kuye ke diwaar se jaa takrayi....sumi uske kareeb badhne lagi......main hosh mein aate hi.uthna chaha par unjinnato ke geraft mein hone se kuch kar nahi paa raha tha bebasi se sumi ko uski taraf jaate dekh raha tha arnisha ke khoon behte taangon ke beech ka zakhm dekhte hi main ro para..

"arnisha sumi pls arnisha ko baksh do pls sumi plss"......main pagalo ki tarah dahadh raha tha apne dard ki parwah kiye bagair par sumi nahi ruki...

arnisha ke paas aakar usne fhir uske gardan se oose apni taraf ghumaate huye ooske gale se oose sidha kuye ke diwaar pe aad kiye laita diya...uske maathe se khoon beh raha tha....sumi ne apne nukile daant uske paas laaye aur uske gardan pe bandi top ke hisse ko phaadh diya.....maine kalma padhna shuru kiya.....ab taqat nahi kalaam hi madad kar sakti thi.....maine ayat al kursi jaise padhkar fhunka ird gid wo jinnat aise mujhse dur huye jaise koi pakda saanp....

main kandha pakde larkhadaaye arnisha ke kareeb bhaaga.....palbhar mein beshud ghayal khoon se latpath sumi ke geraft mein arnisha ke gardan par sumi daant rakhne wali thi lekin tabhi sumi ne mudkar meri tara dekha mujhe ahesaas hua sumi ke haath ka naakhun arnisha ke pait par tha usne bina dair kiye mere do kadam paas aate hi khacch se wo naakhun kareeb upari ungliyo ke faasle tak arnisha ke pait mein dhasa diya tha....arnisha ne kasskar ek aahhh bhari khuli aansu bhari nigaho se usne meri taraf dekha....

"arniisshhaaa"......main dahadhta hua uske taraf aaya par tabtalak sumi ne naakhun uske pait se bahar kheench liya tha uske kheechte hi arnisha ne dhair saara khoon munh se ugal diya....sumi ne oose apne geraft se azaad kar diya tha arnisha kuye ke diwaar pe aad huye gir padi...

maine aate huye hi kasskar arnisha ko apni baahon mein bhar liya...."arnisha arnisha nahii nahiii arnishaa kuch nahi hoga maine vaada kiya hai tumse tumhara arifin tumhare paas hoga kch nahi hoga tumhein"........main rone lag gaya par arnisha adhkhuli nigaho se khaaste huye zoro se nakam saasein le rahi thi uski aankhe ektak meri taraf thi....."assiiff assifff"......do lavz kehte kehte uski aankhe band hone lagi

maine ooske jism ko jhinjoda khoon uske khaasne se mere chehre pe laga...."arnishaa tumhe kuch nahi hoga main tumhe le jaunga arifin ke paas suno arnisha pls aankhe mat band karo pls itne saalon tak tumhare intejaar mein bas roya hoo tadpa hoo muje malum ki tum meri kattayi nahi ho sakti par tab bhi mujhe sukoon tha ki bas ek baar tumhe dekh lu jee bharkar fhir uske baad marrte dum tak na tum mujhe milo par is haalat mein maine kabhi milane ki umeed nahi ki thi arnishaa arnisshaa".......main dahadhte huye oose jhinjodta raha main oose marrne dena nahi chahta tha khoon bahut beh chuka tha uske pait se jo ab bhi beh raha tha....

"arnishaa main tumse bahut pyaar karta hoo bahut nakabil hoo main tumhare liye par main tumse saccha pyaar karta hun arnisha saccha pyaar main vaade pe khara nahi utara tumhare kabhi kharaa nahi utara".......main ooske sar par sar rakhkar rone lag gaya

usne apne khoon se sane haath mere chehre pe rakhkar kaanpte huye mujhe dekha.......maine hadbadakar uski taraf dekha uske aankho se aansu ka qatra beh nikla aur saath hi saath chehre pe muskurahat aayi....mere aansu uske chehre pe gir rahe they.....maine apne chehre pe sate uske haath ko thaam liya "mujhe maaf kar dena arnisha main tumse bahut pyaar karta hoo bahut beintehaa!"

kehte kehte maine dekha arnisha ki aankhe waise hi teher gayi thi...honth se khoon ka qatra beh gaya.....uske baad mere uske haath chodhte hi wo zameen pe gir pada....aur uska jism mere baahon mein dum tode dheela padh chuka tha....mere zehan ko jaise hi maalum hua main dahadh uthaa kaanp gaya pura samaa....

"arnisshaaaaaaaa".......dahadhte huye aisa laga mera kaleja fhat jaayega aaj jaise apni zindagi saalo baad milkar khoyi thi....main waise hi uski taraf dekhta raha

uske jism ko zameen pe rakhkar uthne laga mere uthte hi sumi ne mujhe apni taraf kheechte huye palta.....uski surkh gulabi aankho mein aag thi.....usne theek waise hi mere seene mein apna khoon se bhara wo nakhun wala haath dhasa diya....ek aahh bharte huye mere aankho se aansu beh nikale...sumi ne bedardi se apne haath ko bahar kheecha...khacch ki awaz ke saath khoon ka cheenta uske jism pe pada....fhir usne royi surat se nazarein fhairte huye mujhe dhakka diya....mera jism kuye ki diwaar se takrata hua sidha niche kayi feet gehre paani mein jaa gira...gadgadaake mera jism paani ke bheetar jaane laga...
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 20 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #27 on: March 11, 2021, 07:39:56 AM »
Sumi kuye ke paas aayi....usne jhannkar kuye ke gehre paani ko dekha paani mein khoon bhi faila hua sa tha.....sumi ne apne safed nazaro se ek baar fhir kuye ke gehraaiyo ko dekha aur fhir ek nazar kuye ke diwaar pe padi arnisha ki jism ki taraf dekha....wo ulte pao jaane lagi...

abhi 20 kadam hi usne tayy kiye they ki achanak wo teheri....uske kaano mein piche se kuch awaz aayi......kuye ka paani jaise ubal raha tha uski bulbulo ki awaz sunkar sumi ka maatha thanka apni khaufnak safed nigaho se usne piche mudkar jaise hi dekha fauran jaise kuye ke paani se koi cheez zor se bahar nikali uske saath saath kuye ke paani kayi feet upar tak kisi phuware ki tarah hawa mein uthte huye sidha zameen pe barsa sumi aur baaki sab par girte huye....sumi ne apne chehre pe haath rakh liya tha.....aur eka ek jaise usne chehra hataya wohh dang reh gayi...

Mujhe saamne zinda khada paakar....mera pura jism geela tha badan par kapra nahi tha pure badan mein jaise koi neeli nase ubhari huyi thi aur munh se dohri awz si nikal rahi thi sumi mere chehre ki taraf dekhte huye gambhir huyi aur fhir uske aankhe faili maarein khauff se....kyunki wo meri nigaah kahi se bhi nahi lag rahi thi surkh gulaabi jaise khoon utara hua ho un aankho mein aur bilkul safed aankh.....

"asifff".......sumi ne apni dohri awaz mein kaha
"asifff nahii hum jinnat hai ek nahi do nahi balki kayi hai hum....uske jism pe swaar huye hai jise tune apni naapakiyat taqato se maar dena chaha bahut zulm kiye hai bahut dard diya hai par ab tujhe ruksat hona hoga is dunia jahan se"

"nahii main kahi nahi jaungi kahi nahii maine kayi mauke diye ise par isne mere pyaar ko thukraaya isliye iska aur is kutiya ka ye anjam hua par ab tum logo ko bhi main wohi bhejungi jaha se tum aaye huye ho"

"hahahahhaa hahaahahahaaa hahahaaaa"........tahaka lagaati meri wo dohri se bhi zyada kayi bhaari awaz ek saath pure samaa mein gunz uthi sumi ne kaan par haath rakh liya

"bass karro maine kaha bass karo"........par main dohri awaz mein tahaka lagaata raha

sumi ne palatkar piche apne jinnat ki fauj ko dekha aur mujh par tut padne ka ishara kiya....wo log jaise isi ghaat mein they....wo udte huye kayi saare palak jhapakte mere charo taraf mujhe ghair chuke they....maine hassna band kar diya aur gambhir surkh safed nigaho se oon sab ko dekhne laga...

ek ne mujhpar hamla karna chaha to oosse pehle hi mere haath ka hamla ooske seene pe hua....wo itni dur jaa gira ki waapis uth nahi paaya....sumi dekhke sann reh gayi ab ek saath sabne mujhpar hamla kar diya aur mujhe apne pao se jaise jakad liya......main unki geraft se uthne laga aur kuch hi dair mein itni zor se dahadhte huye un sabko ek saath kayi feet dur puri taqat se faikh diya.....ab unka gussa saatve aasman pe tha ab wo ek ek karke mujhse ek ke baad ek bhidne lage...

lekin mujhpar unke hamle ka koi asar nahi hua maine un do lambe haatho ko pakda aur sidha ukhaadh daala........wo jinnat aise tadpa jaise koi bin paani machli ho....dusra hamla se pehle pao agle jinnat ke gardan pe tha jo sidha kuye ki diwaar ko todta hua paani mein jaa gira....aur girte hi dhua bankar gaayab......maine teesre aur chauthe waale ki gardan puri taqat se apne baazuo mein fasaa li.....unka gala laal hone laga wo log dahadhne lage aur palbhar mein maine unki gardan sar se alag kar daali....

wo wohi dhair ho gaye....unke sar ko haatho mein liye main pagalo ki tarah dohri awaz mein tahaka laga raha tha sumi ye manzar dekhkar kuch kadam piche ho gayi.....ek jinnat mere piche khada mujhpar hamla karne ke maqsad se aa raha tha maine bina oose mauka diye uski nazaro ki taraf apni nazar milaayi wo jaise kaanp utha maine uska gala daboch daala aur sidha oose patak diya....zameen jaise kaanp uthi.....main oose ghasitta hua kuye ki taraf laaya aur usmein bina waqt gawaaye pao ki thokhar se sidha faikh diya uske baad wo jitne bhi they sab par qaabu paate huye baari baari unhein maarkar maine kuye mein unhein faikh daala kuye par jaise safed dhuya sa hua aur uske baad kuye ka paani dikhne laga....

maine mudkar sumi ki taraf dekha sumi cheekhte huye hawa mein tairte huye mere kareeb aa rahi thi mere seene ko nishaana banate huye.....main dahada meri dahadh se jaise wo kaanp uthi aur zameen pe gir padi usne wohi lambe nakhun wala haath mere zakhmi seene pe dobara daakhil karna chaha par maine uske haatho ko daboch liya aur itne kasskar oos haath ko saqti se bheecha ki sumi ko apna haath tutta mehsus hua.......wo zor se dard se bibilaaye cheekhi

"yaad hai aise hi dard tune ise bhi diya tha le samajh ooski taqleef ko".....maine uske haath ko aur kass diya....sumi dard se sar maarne lagi

maine koi rehem nahi kiya uspar......oose ek hi saas mein pao ki thokhar  se itna dur de faikha ki wo zameen se ghasitte huye kayi dur jaa giri....usne puri taqat se uthte huye apne dusre haath se mujhpar tilasm faika par oos tilasm ko maine aise apne haath mein thaama jaise koi mutthi mein aag kaid ho....maine wohi aag uske taraf faikhi sumi ghabra gayi aur bach na paayi uska pura jism tej jhatke se jaise wohi zameen pe kaanpne laga.....sumi ke palak jhapakte hi main uske ain saamne khada tha.....sidha uski gardan se uthaaya

"kya hua? badzaat pari kuch kar kyu nahi paa rahi? dozakh tere intezaar mein hai tere jinnato ki fauj ab tujhe bacha nahi sakti kyunki ab wo khud apne banane waale ke paas pahuch chuke unka wajud is kaaynat se mit chuka"........meri dohri awaz sunkar wo apni gardan mere mazbut haatho se chudaana chah rah thi...

maine aaundhe munh oose hawa mein uthaate huye sidha zameen pe patak diya....uski ghutti cheekh nikali.....maine ooske jism ko kandhe pe uthaaya aur fhir puri taqat se kuye ki taraf patak diya....wo zameen se takrate huye sidha arnisha ke kadamo ki taraf giri....usne apne khoon se lathpath chehre ko uthaaya aur arnisha ki laash ki or dekha....wo andar hi andar sihar uthi thi....wo mujhpar haavi nahi ho paa rahi thi jis baat ka khauff oose ab satane laga......maine uske taang par pao rakha aur khub zor se kuchal diya....sumi ka bhi wohi haal hua jaisa arnisha ka hua tha....uski haddi tut chuki thi wo dum saade tadap rahi thi....

"dekh liya yahi ahesaas wo leke gayi thi".......maine dohri bhari awaz mein sumi ki taraf jhukkar arnisha ki or ungli dikhaate huye kaha

sumi apna taang pakde rote huye mujhe dekh rahi thi....maine gambhir saqt chehre se sidha hote huye paas pade khunte ki oos lakdi ko dekha...oose haath mein uthaate huye main giri padi sumi ke paas aane laga....."nahii nahiii asiff nahiii asif".....maine uski aansuyo ki parwah naa ki aur sidha oos khunte daar lakdi ko uske jism ke har hisse par theek waise hi maara jaise usne aajtak mere jism pe kayi hathyaro se torture kiya tha....sumi ka kapra jagah jagah se fhat gaya maans mein khuta ghusaakar oose kheechke nikaal deta aisi taqleef main sumi ko deta raha sumi dard se tadapte huye bilbila uthti thi....maine khoon lage oos khuntedaar lakdi ko ek or faikh diya....aur gale se tadapti sumi ko hawa mein utha diya....

"ab waqt ho chala tere ruksat hone ka hahahhaha"........main tahaka lagaate huye oose kuye ke paas le aaya waise hi gala pakde hawa mein latkaaye

"m..muj..he m..aanf karr do asifff mujhe mat maaro mujhe in jinnato se bachao asif"

"kaun aayega tujhe bachaane arre asif ko toh tune apne inhi haatho se maar diya tha na toh fhir kaise madad ki guhaar laga rahi hai hum jinnat hai is kuye ke aur ab tujhe apne saath le jaayenge hamesha hamesha ke liye"

"jab mera asif zinda hi nahi hai toh main jeeke kya karungi mujhe khatam kar do....main apni taqat ke aage itni andhi ho gayi ki oos insaan ki zindagi barbaad kar gayi oose sabse juda kar diya oose taqleef di oose kaidi ki tarah til til maara asif mujhe maanf kar do agar tum is jism ke kahi andar ho toh mujhe maanf kar do"........sumi kehte kehte apne insaani roop mein aa gayi wo roti rahi

aur mere nirday chehre ko dekhti rahi....dheere dheere oose ahesaas hua ki meri aankhe safed se normal hone lagi thi...chehre pe saqti ke bajaay bholapan aane laga mere haath ki pakad ooske gale se dheeli hui....aur maine oose zameen pe ek or utaar diya

mujhe aisa laga jaise ek saath kayi jinn mere jism se bahar nikale jaa rahe they.....main kaanp sa gaya fhir saason pe kaabu paaya aur mehsus hua jaha jaha zakhm they wo jagah theek ho chuki thi....main dobara zinda ho utha tha.....maine sumi ki taraf dekha jo mere pao par gir padi sharmindagi aur apne kiye gunaho ki wajah se subak rahi thi

"sach mein meri jaan bakshi karke mujhe wo saza mili hai jo kisi jahan mein mujh jaise shaitan ko nahi mil sakti i m sorry asif"

maine oosse kuch nahi kaha kuch kadam piche hua aur ulte pao arnisha ki lash ke paas aaya.....oose apne kandhe pe uthaaya aur fhir sumi ke paas wapis aaya...

"maanfi maangni hai toh isse maango iske bejaan jism se maango us parvardigaar se maango jisne tumhari jaan bakshi ki un jinnato se main to tumhe kabhi maf nahi kar paunga un taqleefo se bhi badtar saza tumne mujhe di hai jise shayad hi main bhula pau"

"nahi asif main zindagibhar tumhari gulaam rahungi lekin mujhse yun mat munh modo haq to kho chuki hoo tumpar se apna lekin agar tum chale gaye to main marr jaana pasand karungi main tumhare aage haath jodti hoo asif is bhoj ke sath main tadap tadapkar nahi jee paungi kabhi nahi jee paungi"

kehte kehte wo wohi ghutno ke bal girkar rone lagi.....main kuchh dair waise hi tehera raha arnisha ka jism mere goad mein tha....."tumne mujse mohabbat nahi ek bete se uske maa aur baap dono ko cheen liya hai jaanti ho tumhari is diwangi ke chalte aaj iska beta anaath ho chuka hai jo taqleef tumne ise di kya wo bhulaayi jaa sakti hai? nahi sumi agar sach mein prashchit karna hai toh tumhein khud ko badalna hoga"

"main tumhe ab nahi rokungi jao asif chale jao jaha bhi tum jaana chaho tum azaad ho mere kiye ki wajah se jo kuch tumne khoya hai uske liye main zindagi bhar sharminda rahungi arnisha ki rooh se kabhi nazar nahi mila paungi shayad mera aakhirat thikhaana dozakh hi muqarrar hoga ya allah mujhe maanf kar de main andhi ho chuki thi is qadr ki apni jaat se gumraah ho gayi thi mujhe maaf kar de allah mujhe maaf kar".......kehte kehte sumi wohi rone lagi main oose kuch nahi bol saka shayad oose asal mein ahesaas ho chuka tha apne bhul ka

maine arnisha ki taraf dekha uski laash baahon mein uthaaye waha se nikal gaya piche chodh gaya pachtaawe ke dukh mein simati roti bilakhti ghayal sumi ko.....


                                                                
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 20 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #28 on: March 11, 2021, 07:40:58 AM »


Few months later....

Main islam saheb ke office mein baitha aaj bhi apne kaam mein laga hua tha....islam saheb ne mujhe managing director ki kursi waapis se de di thi.....sumi ab office nahi aati thi aur aati bhi kaise?......

Maine ghadi ki taraf nigaah daudaayi dopahar 1 bajne ko tha....main fauran computer band kiye cabin se bahar aaya....."ravi aaj ki business meeting shaam ki rakho"........."par sir client ne to meeting dopahar ki rakhi hai"........"alhamdullilah kaisi jahalat bhari baat kar rahe ho aaj jumaa hai aur main apni namaz qaza nahi rakhta shift the time otherwise cancel it for the day".......kehte huye khaamosh assistant ko piche chodhe main office se bahar nikla apni gaadi pakdi aur sidha masjid pahucha....

us ghatna ke baad bahut kuch mere zindagi mein badal chuka tha....sabse pehle main imaan le aaya tha aur apne namaz roza rakhne aur zakat dene ka paband ban chuka tha.....masjid ke paas mujhe kareem chacha khade mile unki yaadash allah ke fazal se theek ho chuki thi....aur sumi ke tilasm tut jaane ke wajah se bhi kayi hadtak tha....

"aur kaise hai kareem chacha?"

"bas rehmat hai khuda ki abhi tu kaisa hai?"

"main theek hoo"

"aur sumi?".........kareem chacha ne kandhe pe haath rakhte huye pucha

"chodhiye un baaton ko aur chaliye namaz qaza ho jayegi"

"tujhe pehli baar asif ke roop mein dekhke jo khushi mujhe ho rahi hai main byaan nahi kar sakta tujhe itni shiddat se ibadat aur savr karte dekh haalato se mujhe bahut khushi hoti hai bahut khushi"

"ab chaliye waqt zaaya na kare".......maine apni topi pehni aur kareem chacha ne apni...fhir hum andar chale gaye

Kuch dair baad jab namaz padhkar bahar aaye....toh maine jeb se aas paas ke fakir ko zakat diya....kareem chacha ne bhi diya aur jaake mere gaadi ke paas khade ho gaye....zakat dene ke baad main unke paas aaya to wo unhone mujhe gaadi mein chalne ka ishara kiya

kareem chacha ko garage mein chodha aur apne puraane garage ko dekhne laga jahan main kabhi raha karta rha.....kareem chacha ne gaadi ke darwaje pe jhukkar pucha "arre tujhe office nahi jaana"

"jaa raha hoo lekin oosse pehle kisi se milane jaana hai"

"acha theek hai to agle jumma milate hai".....kehte huye kareem chacha aage bade hi they ki maine awaz di wo paas aaye

"chacha ye paise khyal rakha karo apna".......maine kuch paise kareem chacha ke haath mein diya

"tu bhi na iski kya zarurat?"

"arre rakho na chacha beta bhi maante ho aur jhijhakte bhi ho? acha khuda hafiz".......kehte huye maine gaadi aage badhaa li....kareem chacha bhi muskurakar meri jaati gaadi dekhte rahe...

Kuch dair baad main play school ke saamne aake ruka....main gaadi se utarte huye jab pahucha toh chutti pehle hi ho chuki thi....lekin wo bachcha abhi bhi andar baitha hua tha...main aksar oosse milane waha aata tha mujhe dekhte hi teacher ki goad se chehekta hua wo daudte huye mere goad mein aa gaya.....main oosse khelne laga....ye bachcha koi aur nahi arnisha aur uske shouhar ka beta arifin tha....

arnisha ki maut ki khabar uske parivarwalo ko nahi abtak lagi thi naa hi ye malum chal paaya tha ki digonto uska shohar bhi kahan gaayab ho gaya tha? bahut koshishe ki un logo ne lekin koi khaas maalumat nahi chal paaya tha lekin main arifin ke liye hamesha se fikarmand tha apne nanihaal mein rehta tha uski nani oose bahut maanti thi...par unki maali haalat achi nahi thi mujhe arnisha ne marrne se pehle bataya tha...main apne aansu ponchte huye khud ko arifin uske maa-baba ka zimmedar tehraane laga....har mumkin main arifin tak pahuchne ke liye oos playschool ko fund karta raha jis wajah se mere waha aane aur arifin se mulaqat par koi nahi kuch kehta tha....halaki arnisha ki behan zenisa ko bhi meri malumat lag chuki thi par wo kuch kehti nahi thi...zenisa us waqt waha pahuchi jab main arifin ko leke tehel raha tha...

"arre aap yaha pe?"

"ji arifin ko dekhne aaya tha acha aur sab ghar mein khairiyat?"

"han ammi sab theek hai bas arnisha ke chale jaane ke baad sadme mein rehti hai din raat yahi dua karti hai ki wo waapis aa jaaye par naa police aajtak oose dhundh paayi naa hi uske shouhar ko na jaane kahan chale gaye wo dono"......zenisa ne aansu ponchte huye kaha

main bhi kya kehta? ki in sab ka zimmedar main tha kaise uski ammi ko keh paata ki wo kabhi nahi aa sakti wo marr chuki thi uska shouhar kahi chala nahi gaya balki uske sath is dunia se ruksat ho chuka tha meri wajah se sumi ne apni chahat ka aisa badla liya ki hassta khelta ghar ujaad diya...

"waise ab arifin bhi jaa raha hai iske dada dadi new york jaa rahe hai bete ke gumshudgi ke baad se saare gile shikwe dur karke unhone faisla liya hai ki iski parvarish ache se ho aur padh likhkar ye bhi unke bete ki tarah kamyab bane isliye ye agle hafte tak unke saath chala jaayega"

zenisa ne oose mere goadi se lete huye kaha.....mujhe thoda dukh hua kyunki oosmein arnisha ki chavi dikhti thi ab wo bhi jaa raha tha...maine uske maathe ko chuma aur mann hi mann oosse maanfi maanga....kaash arnisha aur main ek hote toh hamara bhi aisa chota parivar hota.....zenisa aur arifin ko maine gaadi se uske ghar drop kiya wo mujhse vidaa lete huye main gate pe jaake arifin ko mujhe tata kehne keh rahi.thi wo apne nanhe haatho se mujhe haath hilaate tata bol raha tha.....mere aansu bhar aaye jee bharke oose dekhte huye main khush hua zenisa oose liye andar chali gayi....bechara oose to malum bhi nahi hoga ki uske maa-baap zinda hai bhi ki nahi....

main pure raaste aansu bahate huye waha pahucha jaha main aksar aata tha....apne gaadi se nikalkar dheeme kadmo se oos pahadh ke paas aaya jaha arnisha ka qabr tha aur uspar saje phool uske marrne ke baad oose maine dunia jaha aur uske parivar walo ki nazar se bachakar yahi gaada tha nahi chahta tha ki uski laash ka malumat chale aur postmertum jaisi aziyat arnisha ke jism par ho....kise pata tha ki mere kismat mein oose mitti dena likha hoga haasil to na huyi par dum usne mere baazuyo mein sar rakhke toda tha...

main baithkar oos laal gulaab ko qabr pe rakha......do aggarbatti jalayi sirhaane mein ghusa daali mitti ke darmiyaan....main larkharate huye apne aansu ponchkar gaadi mein daakhil hua.....aur waha se nikal gaya...

Ghar aate aate shaam ho chuki thi apne oosi farmhouse par main pahucha....sidiya chadhte huye hall mein daakhil hokar upar ke maale pahucha to robert ne toka......maine mudkar ooski taraf dekha....main niche utara aur oosse khaana le liya...robert ne mujhe ghuraa....

"nurse ne aakar injection lagaya tha?"

"ji abhi unki halat shaant hai"

"theek hai"........main kehte huye waapis sidiya khaane ki tray ko saath leke chadha

apne bedroom ka darwaja khola jaha sumi ki har taraf pehle ki wo tasveere thi jab wo model hoya karti thi....har ek adaa mein khubsurat tasveer aur theek mere saamne safed si maili kar chuki gown mein bikhare baalon se khelte huye saamne diwaar pe  har taraf mera naam ghiss ghisskar slate se likh rahi thi....har taraf mera hi naam tha sumi ki peeth meri taraf thi...

"sumi".....sumi ekdum se piche mudkar mujhe dekhi wo baccho ki tarah khilkhilaake hassne lagi taaliya bajane lagi

"asiff asiff tum aa gayee".......wo apne munh mein ungli chusste huye pagalo ki tarah harqate karte huye keh rahi thi

"tumne khaana khaaya?"

usne bacche ki tarah sar hilaaya maine apna coat utaar dia aur uske paas baith gaya wo ab bhi daaye pao se langdakar mere paas aake baith gayi....uske dusre pao mein sikad tha jaise bahut waqt pehle oosne mere pao par baandha tha....

maine oose khilaana shuru kiya apne haatho se......"tumne nurse ko maara?"......maine uske munh ko haath se ponchte huye pucha

"haan pata hai wo mujhe naa injection laga rahi thi mujhe na injection se bahut darr lagta hai pls tum oose mana karo na ki wo naa aaye wo bahut gandi hai bahut gandi"......kehte kehte wo aage piche hilane lagi aur apne haath pe slate se daag dene lagi maine oose mana kiya par wo khilkhilaakar hass padi

"mujhe bahar jaana hai kab le jaoge?"

"bahut jaldi tum theek ho jao"

"promise?"

"pakka promise".......maine ooske sar par haath phairte huye kaha fhir oose saara khaana khila diya kuch dair tak wo mere saath khelti rahi kabhi mere baal kheeche to kabhi goad mein aakar mujhe betasha chumne lagti....maine oose goad mein uthaaya fhir bistar par oose laitaate huye chadar ooske upar faila di wo sar par haath rakhke sone lagi mujhe pakade huye....

Us ghatna ke baad sumi ke upar se jaise wo pari ka saaya gum sa ho gaya tha wo ab maansik taur se bimaar thi aur oose is qadr oos haadse ka gehra sadma laga ki wo apne nigaho mein muzrim hokar pagal ho gayi main oose waise hi band rakhta tha us char diwari kamre mein...zanjeer baandhe ooske pao mein ki kahi kisi pe hamla na kar de...kabhi kabhi wo violent ho jaati.thi jab oose daure chadhte they itna kuch hone ke bawjud maine ooska saath nahi chodha tha....kitno bhi ho? zimmedaar main tha in sab halat ke paida hone ka.....

bahut ilaaj hua par sumi theek nahi huyi uske abba ko jab malum chala to wo tut gaye lekin saath hi unhein chain tha ki main itna kuch hone ke bawjud sumi ke saath tha.....sumi pagalo ki tarah diwaar par mera naam likhti rehti thi uska career khatam ho chuka tha....halat badal gaye they uski upari taqat chali gayi thi lekin uske pagal hone ke bawjud usne meri diwangi nahi chodhi thi...kya kehta? shayad oose allah ne uske kiye ki saza oose de di thi....aur wohi mujhe ibrat bhi......agle mahine main kuch din ke liye apne maa-baba se milane delhi jaa raha tha....ab mujhe koi rokne wala nahi tha....

main soyi neend ki aagosh mein dubi sumi ka haath apne badan se hatate huye ek nazar uski taraf dekhkar uth khada hua aur darwaja lagaye kamre se nikal gaya......piche sumi ne mere jaate hi apni aankhe kholi jo surkh safed thi aur theek waise hi laite huye usne ek kaatil muskurahat di....


THE END....
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 06:42:17 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.294 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer