mehram - The valantine heart touching love story

by vampi khan on February 14, 2015, 08:16:50 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2361 times)
vampi khan
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
12 hours and 38 minutes.

Jaan kar kya karo ge ???

Posts: 180
Member Since: Dec 2014


View Profile
MEHRAM


PART 1


Kamre mein rakhe Radio par halki aawaz mein gana goonj raha tha ...

"Kaise kahen alvida mehram, kaise rahen ajnabhi tum ham ....."

Workshop khatam ho chuki thi par hamesha ki tarah dono vahin bethe baaten kar rahe the.

"Mehram matlab?" Gaane ke bol sunkar vo puchh bethi.

"Mehram matlab koi aapka pehchan wala. Not only pehchan wala but koi aapka kareebi, well wisher type you know. Koi jo aapka bhala chahta ho." Usne samjhate hue kaha.

"Kamal hain yaar Sameer. Tumhari itni achhi urdu kaise bol lete ho samajh nahi aata, i mean you are not even a muslim" Vo hasti hui boli.

"Yeah i am not but jaane kyun mujhe hamesha do zubaan bahut achhi lagti thi. Ek toh punjabi aur doosri urdu. Punjabi maine thodi idhar aur thodi udhar se seekh li aur urdu maine college mein as second language li hui thi" Vo haste hue bola.

"So you went to college too? You never told me that" Vo shikayat karne ke se lehze mein boli.

"Well i am telling you now. Yeah i went to college, B.Com honors" Vo uske lehze ko sunkar muskurata hua bola.

"Toh accident kab hua tha tumhara?"

"Final year mein, exams se just pehle. Aankhen jaane ka afsos jo hai so hai, usse bada afsos ye raha ke B.Com pass nahi kar saka. Thoda baad mein ho jata, i means exams ke baad, toh kam se kam jis degree ke liye itni mehnat kar raha tha vo final year mein na chhodni padti" Vo hasta hua bola.

"Shut up, its not funny" Vo ab bhi vahi shikayati lehza qayam kiye hue thi.

"Ok ok i am sorry" Ladke ne fauran hathyaar daal diye "Achha ye batao aaj workshop mein kya seekha?"

"Lallu banana seekha. Hamen typing karna sikha rahe hain us special typing machine par jo andho ke liye bani hai. Main puchhti hoon ke agar chalo maine typing seekh bhi li inke tarike se toh bhala mujhe pata kaise chalega agar main galti kar rahi hoon toh. I mean i cant really look at it or can i? And unless i can see, how the hell am i suppose to know ke maine vahi type kiya hai jo karna tha ya galti se akkad bakkad bambe bo type kar diya"

Uski baat sunkar vo hamesha ki tarah dil khol kar zor se has pada.

"Haan haan haso haso" Vo uski jaangh par haath maarte hue boli.


Pichhle 2 saal se dono us workshop mein aate the. "Sight for Blinds" naam ki us workshop mein dekh paane se majboor logon ko tarah tarah ke kaam sikhaye jaate the. Aise kaam jinhen karne ke liye aam zindagi mein aankhon ki zaroorat padti hai. Usi kaam ko bina aankhon ke kaise kiya jaaye, yahi us workshop mein sikhaya jaata tha.


"Achha kuchh sunao na. Kaafi din ho gaye" Vo chehakte hue boli.

"Hmmmm" Vo sochne laga "Suno .....

Tere kooche se uthke jidhar jaoon main,
Chalun do kadam aur thehar jaoon main.

Duniya khafa rahe toh parwah nahi koi,
Tu khafa ho toh mar jaoon main.

Bin tere sambhale hoon khud ko magar,
Chhu bhi le zara sa koi toh bikhar jaoon main.


"Awesome. You should really try wrting professionally yaar. You have a gift, dont waste it. Kaafi kam log hote hain duniya mein jo shabdon ke saath mel betha paate hain. Tum aisa kar sakte ho toh apne shauk ko apna profession kyun nahi bana lete?"

"Sochunga" Vo hamesha ki tarah taalte hue bola

"Jab bhi main is baare mein koi baat karti hoon tum taalne lagte ho. Socho Sameer aur please meri baat ka bura nahi maanna. Dekho Iske alawa aisa aur koi talent hai nahi tumhare paas jo aankhen jaane ke baad tumhein 2 waqt ki roti kama kar de sake. Aur chahe ham kitna bhi is baat se inkaar karen, haqeeat toh yahi hai ke uper wale ne aankhen lekar zindagi ke zyadatat raaste band kar diye hain. Toh meri salah maano aur jo ek raasta ab bhi khula hai, us raaste ko apna lo"

"Baat toh sahi hai" Ladke ne sehmati jatayi

"Of course sahi hai. Aur jitna achha tum likh lete ho, yakeen maano do waqt ki roti se kahin zyada kamaoge"
Logged
vampi khan
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
12 hours and 38 minutes.

Jaan kar kya karo ge ???

Posts: 180
Member Since: Dec 2014


View Profile
«Reply #1 on: February 14, 2015, 08:18:55 AM »
PART 2


"Jaante ho agar main dekh sakne ke qabil hoti toh sabse pehle kya karti?" Vo uske kaandhe par sar tikaye bethi thi.

"Kya?" Ladke ne apne ek haath se uske baalon ko sehlate hue kaha

"Tumse shaadi karti" Ladki ne halki hasi ke beech kaha.

Thodi der ke liye dono ke beech ek khamoshi chha gayi.

"Itna serious kyun ho gaye. Main ye thode keh rahi hoon ke abhi shaadi kar lo mujhse" Ladki phir halki si hasi ke saath boli

"Haan kyun nahi" Ladke ne fauran jawab diya.

"Matlab?"

"Matlab ye ke haan, kyun na ham shaadi kar len. I mean abhi, haal filhal mein" Ladka uske haath ko apne hontho tak laya aur choomte hue bola.

Is baar chaunkne ki baari ladki ki thi.

"Kya keh rahe ho. You cant be serious" Vo apna sar uske kandhe se hatate hue boli

"Why not?"

"Isliye Sameer ke ham dono dekh paane se majboor hain aur 2 kamzor log milkar ek mazboot ghar ki buniyaad nahi rakh sakte" Shokhi aur mohabbat ki jagah ab ladki ki aawaz mein dard ne le li thi.

Kuchh pal ke liye phir khamoshi chha gayi.

"Matlab agar ham dono mein se koi bhi dekh sakta toh tum mujhse shaadi kar leti?" Kuchh der baad ladka bola

"Koi bhi nahi, Main. Shaadi mere liye ek aisa khwaab hai Sameer jo main sirf apne khyaalo mein nahi dekhna chahti. Main us khwaab ko sach hote hue, apne rubaru dekhna chahti hoon. Apni aankhon se"

"Magar ......"

"Nahi Sameer. Please" Ladki ne uski baat ko kaat diya "Main bachpan se andhi hoon aur dekhna kise kehte hain ye maine sirf suna hi hai. Tum hamesha kehte ho ke main bahut khoobsurat hoon par jab tak ye sab main khud mehsoos na kar loon tab tak main shaadi jaisa bada faisla nahi kar sakti. Agar main zindagi jiyungi toh poori tarah nahi toh aise hi ghut ghut kar marungi. Either its everything or nothing, beech ka rasta mere liye bana hi nahi"

Kamre mein phir khamoshi chha gayi. Kuchh der baad ladka bola.


Na mandir mein moorat, Na masjid mein khuda hota,
Hamse hi ye tamasha hai, Na ham hote toh kya hota.

Ghata chhati, bahar aati, tumhara tazkira hota,
Phir uske baad gul khilte ke zakhm-e-dil hara hota.

Bulakar tumne mehfil mein hamko gairon se uthvaya,
Ham hi uth gaye hote, ishara kar diya hota


"Come on Sameer" Vo phir bachche ki tarah bilakh padi "You know i love you, you know that. Its just that there are a few things ...."

"I understand" Isse pehle ke vo ro padti ladka beech mein bol pada "Koi baat nahi. Main naraz nahi hoon"

Ek baar phir usne ladki ke haath ko chooma.

"Achha ek baat batao" Usne ladki se puchha

"Haan?"

"2 aankhen hi chahiye? Kahin se ek mil jaaye toh nahi chalega?

Ladke ki baat par dono has pade.

"Bilkul nahi chalega. Kaani se shaadi phir tum khud hi nahi karoge aur ek aankh wali kaani kehelwane se better hai ke main andhi hi rahun"

Kuchh der hasne ke baad dono phir khamosh beth gaye.

"Kya hamare khwaab kabhi sach honge Sameer? Kya ham kabhi dekh payenge?"
"Dont worry. Aisa hoga. Pehle tum duniya dekhogi aur uske baad main par dekhenge zaroor"

"Pehle main kyun?"

"Taaki tum dekh sakne ke qabil ho jao aur hamari shaadi ho jaaye. Main apna number shaadi ke baad laga loonga"

Aur dono phir has pade.
Logged
vampi khan
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
12 hours and 38 minutes.

Jaan kar kya karo ge ???

Posts: 180
Member Since: Dec 2014


View Profile
«Reply #2 on: February 14, 2015, 08:19:29 AM »
Part 3


"I am scared Sameer" Vo bed par leti kaanp rahi thi. Kuchh darr se aur kuchh thandi A.C ki hawa se.

"Dont worry, you will be all right. Ye kaafi bada hospital hai aur yahan aksar eye transplant operations hote hain. You will be just fine"

"What if something goes wrong?"

"Nothing will go wrong, it will be all ok and in a few days, you will be able to see everything. Kuchh galat nahi hoga. Bharosa rakho" Vo bade pyaar se use samjha raha tha.

"And i still feel ke ye aankhen tumhein khud apne chehre par transplant kara leni chahiye thi. Itne barso mein ek donor mila tumhein aur tumne vo aankhen khud apne body mein transplant karane ki bajay mera naam suggest kar diya. I mean how often do you find a donor Sameer, its not an everyday occurence. Who knows how long it will be before you find another donor and that too if you find one"

"Exactly" Ladke ne kaha "And that is the reason why i chose you over me coz god knows how long it could take to find another donor aur tab tak tum mujhe shaadi ke liye latkati rehti. Isliye maine tumhara naam pehle suggest kiya. Ab tum dekh sakogi aur ham shaadi kar lenge. Phir baad mein koi doosra donor milne par mera bhi kaam chal jaayega" Ladka bola.

"Yeah right. Aur vo toh bhala ho Nishit ka ke usne mujhe ye baat bata di varna tum toh kuchh kehne wale nahi the" Nishit jis workshop mein dono mile the us workshop ka maalik tha. Vo apne kuchh doston ke saath milkar "Sight for Blinds" chalata tha.


"I love you so much. Promise that you will always be with me"

"Main hamesha tumhare saath hoon" Ladke ne ladki ka haath aisa thaama jaise use nahi khud apne aap ko bhi dilasa de raha ho.

"Wada?" Ladki ne phir vahi sawal kiya.

Aankhen bhar aayi aur aansoo ki boond tapak kar ladke ke haath par giri jise mehsoos kar usne kaha.


Poonch Daalo Na Aankh Se Kaajal
Kuch Tou Khanjar Pe Aab Rehne Do

Un Ke Chehre Ki Baat Ho Jaye
Aaj Zikr-e-Gulaab Rehne Do

Un Ki Chokhat Ko Choom lo yaaron,
Baaki Saare Sawaab Rehne Do.......



"Bas yaar. Pat gayi main tumse. Kar loongi shaadi. Itni jhuthi tareef mat kiya karo meri" Ladki ne haste hue shayri ka jawab diya.
Logged
vampi khan
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
12 hours and 38 minutes.

Jaan kar kya karo ge ???

Posts: 180
Member Since: Dec 2014


View Profile
«Reply #3 on: February 14, 2015, 08:20:14 AM »
PART 4



"She doesnt wanna meet you yaar Sameer" Nishit ne gusse mein jawab diya "Its over, ok?"

"I know its over yaar" Ladke ne bhi gusse mein jawab diya "What do you think i am, a kid? Mujhe sirf ye jaanna hai ke kya vajah ho gayi ke achanak har wada toot gaya aur har irada badal gaya?"

"I dunno, ok?" Nishit chidte hue bola "I asked her as you wanted me to, word by word. I repeated what you said. I asked her, ok?"

"And?"

"And she didnt say a thing. She bloody asked me to leave and went to her room."

"Kuchh bhi nahi kaha usne?"

"Nahi Sameer, usne kuchh nahi kaha. Mujhe ek glass pani ko bhi uski maan ne puchha aur tu janta hai uski maan ne mujhse kya kaha?"

"Kya?"

"Yahi ke ab ye baat zaroorat se kahin zyada khinch chuki hai, ke ab unki ladki apna faisla kar chuki hai aur behtari isi mein hai ke ham bhi baat ko jaane dein aur unhen pareshan na karen"

Nishit gusse mein baukhlaya hua bola

Uski baat sunkar Sameer ke munh se bol nahi phoota.

"Uski shakal toh dekhi thi na tune, tujhe kya lagta hai ke na kyun bola usne?" Kuchh der baad Sameer ne kaha.

" Again, I dunno bro. Maybe because ab use pata hai ke vo bahut khoobsurat hai aur ab vo ye bhi dekh sakti hai ke you are not exactly the hunk she must be wanting now. Kyunki ab use dikh gaya hai ke vo gori chitti hai aur tu kala hai, ke vo khaasi lambi hai aur teri height average hai, ke uske nain naksh achhe khaase hain aur tera chehra kisi common aadmi ka hai. In short dude i think now she knows that she is pretty and you are not, rather these gaping holes in your eye sockets make you look shit ugly. Ab toh vo apne jaisa khoobsurat ladka chahti hogi, ek kala badsurat andha nahi" Nishit jaise ab bhi apne dil ki bhadas nikal raha tha.

"I dont beleive it" Sameer bola

"Doesnt change that what i said is probably true" Nishit ne kaha aur kamre se bahar nikal gaya.


Transplant successful tha. Vo ab dekh sakti thi par jis baat ki shayad ladke ko sabse zyada khushi honi chahiye thi vahi baat uske liye ek gham bhari khabar ban gayi thi.


Kuchh din baad ladki ne usse milna julna kam kar diya tha aur kuchh arse baad bilkul band hi kar diya. Vo ab uske phone calls bhi nahi leti thi aur jab shaadi ki baat aayi toh saaf mukar gayi.


Kya hua, kyun hua, kaise hua ye sab jaise ek bahut bada sawal bankar ladke ke saamne khade reh gaye.


"Kya soch raha hai?" Thodi der baad kamre mein daakhil hote hue Nishit ne puchha.


"Yahi ke

Ajab apna haal hota jo visaal-e-yaar hota,
kabhi jaan sadqe hoti kabhi dil nisaar hota.

Ye maza tha dillagi ka ke barabar aag lagti,
Na unhen qarar hota na hamen qarar hota.

Uske waade pe sitamagar abhi aur sabr karte,
agar apni zindagi ka hamen aitabar hota."


"I am sorry Sameer" Nishit uske kandhe par haath rakhte hue bola "I really am"
Logged
vampi khan
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
12 hours and 38 minutes.

Jaan kar kya karo ge ???

Posts: 180
Member Since: Dec 2014


View Profile
«Reply #4 on: February 14, 2015, 08:21:03 AM »
PART 5



Neha kitaab ke aakhri page par thi aur aaj 10 saal baad vo guzra waqt jaise ek baar phir uske saamne aa khada hua tha.


Pichhle 5 saal mein vo ye kahani kam se kam 500 baar padh chuki thi aur kam se kam 1000 baar author ke liye phone kar chuki thi par har baar publishing company ye yahi jawab milta tha ke unke paas author ki koi personnal details nahi hain.


Kabhi kabhi insaan ke paas waqt hi waqt hota hai aur waqt ke siwa aur kuchh nahi hota. Aise hi haal mein Neha ne apni zindagi ke shuruati 25 saal guzare the. Andhepan ki maari vo aksar bas bethi yahi sochti rehti thi ke kaash vo dekh sakti toh kaisa hota. Sochne ke liye uske paas waqt hi waqt tha aur waqt guzare nahi guzarta tha.


Aur kabhi kabhi yun bhi hota hai ke waqt roke nahi rukta. Itni tezi se nikalta hai ke samajh nahi aata ke kya hua aur kya samajh aaya.


Nishit aakhri baar jab usse milne aaya toh kitna sahi andaza lagaya tha usne. Haan aisa hi toh tha.


Jab transplant ke baad uski aankhon ko roshni mili toh dil mein jaise kayi ummeeden thi par sabse badi khwahish thi Sameer ko dekhne ki. Apni khyaalon ki aankhon se usne hazaar baar apne us chahne wale ka chehra dekha tha, ek naksh banaya tha par jab haqeeat mein vo chehra uske saamne aaya toh vo bardasht nahi kar saki.


Us chehre ki kaali rangat aur vo band andar ko dabi hui aankhen, vo is baat ko bilkul bardasht nahi kar saki ke vo is shaksh se shaadi karna chahti thi aur zindagi bhar is chehre ko dekhne wali thi.


Par na hi vo sach batane ki himmat bhi kar saki. Bas berukhi se apna chehra doosri taraf ghuma liya aur Sameer se milna band kar diya.


Un dino uski zindagi mein kaafi kuchh naya ho raha tha. Vo pehli baar cheezen dekh rahi thi aur samajh rahi thi. Zindagi ek naye seere se shuru kar rahi thi. Zindagi se kaale rang ki chadar hat gayi aur uski duniya ab rangen ho chali thi. Kuchh arse baad hi vo Sameer ko is tarah bhool gayi jaise vo kabhi tha hi nahi.


Aur phir ek din use raaste mein Nishit mil gaya. Usne use bataya tha ke Sameer ka kisi ko koi ata pata nahi tha. Vo kahan gaya, kahan hai koi nahi janta, khud Nishit bhi nahi.


"Awesome. You should really try wrting professionally yaar. You have a gift, dont waste it. Kaafi kam log hote hain duniya mein jo shabdon ke saath mel betha paate hain. Tum aisa kar sakte ho toh apne shauk ko apna profession kyun nahi bana lete?"


Sameer ko kahi apni baat use aaj bhi yaad thi aur aaj uski apni kahani ek kitaab ke roop mein uske haath mein thi.


Kitaab ke aakhri page par likhi ghazal ko vo kai baar padh chuki thi aur har baar vo use apna mazak sa udati hui mehsoos hoti thi.


Kabhi sher-o-naghma banke,
Kabhi aansuon mein dhalke,
Vo mujhe mile toh lekin,
Mile sooraten badalke.

Ke ishq ki raah sakht,
Ke tumhare paon naazuk,
Na lo inteqaam mujhse,
Mere saath saath chalke.

Na toh hosh se rishta,
Na toh junoon se aashnai,
Ye kahan aa gaye ham,
Teri bazam se nikalke.


"Vo kabhi andha tha hi nahi. "Sight for Blinds" ham dono milkar chalate the. Ye jo aankhen liye ghoom rahi ho na, ye uski apni aankhen thi. Tumhein isliye di thi usne taaki tum usse shaadi kar lo. Kamal ki baat hai na, tumhein usse pyaar isliye hua kyunki tum use dekh nahi paati thi magar jab usi pyaar ko anjaam dene ke liye usne tumhein aankhen di toh tumne inkaar isliye kiya kyunki tab tum use dekh paati thi. Aur uska badappan dekho ke vo tumhein apne hisse ki roshni dekar khud andhere mein kho gaya aur ek baat jataya tak nahi " Nishit ki baat aaj bhi uske kaano mein goonj rahi thi.
Logged
vampi khan
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
12 hours and 38 minutes.

Jaan kar kya karo ge ???

Posts: 180
Member Since: Dec 2014


View Profile
«Reply #5 on: February 14, 2015, 08:23:04 AM »
THE END
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #6 on: February 14, 2015, 11:34:28 PM »
Bahut hee khoob. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 10:54:19 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.13 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer