MILAN (a love story)...........................(ambu)

by ambalika sharma on September 28, 2013, 04:17:10 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2711 times)
ambalika sharma
Guest
love9 MILAN...(a love story)  love9

Bahar tej barsat ho rahi thi. Dhund ne sadak ko apni panaah me le liya tha. Mushkil se ghar ki seedhiyan dhik rahi thi. Baadal apni garjan se sampuran aakash ko bhar rahe the,mano toofan aane wala ho koi. Toofan to Raajeev ke man mein bhi uth raha tha. Jo khidki ke kaanch se prakriti ke in badlaavon ko dekh raha tha. Khidki se ek tak bahar dekhta ya bechaini se idhar-udhar chehalkadmi karta. Use samajh nhi aa raha tha kya kare. Aaj har rishta  feeka lag rha tha use. Dil pe pyar ke vo ehsas Radhika ke liye  baaki har ehsaas par haavi ho rahe the. Shayad  itne waqt se jo jazbaat apne seene me samete  tha mano sabr ka har baandh tod kar uski aankhon se beh gaye the.
Kabhi kabhi hum kitne majboor ho jate hai. Apni khushi dekhe ya auro ki,ye tay kar pana kyo itna mushkil ho jata hai.” Apne jehan me ye baatein Rajeev khud se kar rha tha. Majboori ka naam de dete hai hum jab faisle lene ki himmat nhi hoti. Shayad vo Radhika ko kabhi jane hi nhi deta, to aaj uska pyar kabhi adhoora na hota. Ya shayad Radhika ka saath pane ke liye apne mata-pita se rishta hi kyu na todna padta. Isi udhedbun me apne mata-pita ko hi chuna tha us waqt. Radhika bhi to yahi chahti thi.

Par waqt ab aur tha. Baarish tej ho gayi thi. Haath me cellphone tha aur vo msg jo Radhika ne jane se pehle kiya tha.
Mein bahut pyar kalti hun janu aapshe, bahut jyada. Kis had tak ye shayad khud bhi nhi janti. Shayad aaj ya fir shayad kal, pta nhi kab ye jindagi saath chor de mera, tab tak bs chahti thi aap hi pyal kalo meko. Har din, har pal bas apka hi chehla ho mele saamne. Aapko bahut pyal dena chahti hu. Ye kehna chahti hun ke jindagi ne apko nhi diya mujhe balki aapne mujhe jindagi di hai. Aur agar aap hi iska hissa nhi hoge to kis kaam ki ye jindagi meri.
Har us pal ke liye shukriya kehna chahti hun jab aapne mujhe apne seene se lagaya. Mujhe ye ehsas dilaya ke mein kitne khoobsurat hu. Aap mujhe bahut pyal kalte ho, dhel shaara. Jab bhi aansu aate the meli aankho me to aapko kitna dard hota tha. Soly fol that. Pyal kiya nhi tha meko kisi ne aisa to aapko khona shayad mera khona hoga. Aap nhi jante aap kitne ache ho. Kaash hamesha ke liye aapko apna bana pati, hare k pal aapke saath bita pati[/b]
.”  tearyeyed

Aansuon tearyeyed ki boondo ne Rajeev ke chehre ko dho dala tha.
ab aur nhiRajeev ne khud se kaha. Usne apna samaan uthaya or daraz me se vo tohfa nikala jo usne Radhika ke liye liya tha. Hamesha se dena chahta tha use par shayad vo sahi waqt kabhi aaya hi nhi.
Baarish rukne ka naam hi nhi le rahi thi. Par agar aaj nhi to kabhi nhi. Rajeev bag lekar kamre se bahar nikal aaya. Saamne maa khadi thi. Unhe kabhi ye rishta manjoor nhi tha. Jaativaad ne uske pyar ko cheen liya tha. Par aaj koi deewar itni unchi nhi thi. Shayad maa mana kar dengi. Isliye vo bina kuch kahe hi darwze ki ore bad gaya.
Rajeev” maa ne pukara.
Par Rajeev palta nhi. Kahi vo kamjor na pad jae. Maa ne aakar haath tham liya. Uske maathe ko choom kar kaha ,“khaali haath mat lautna beta.” Bas maa ke gale lag kar itna hi keh paya, “haan maa khali haath nhi lautunga.

Itna kehkar Rajeev bus stop ke liye nikal gaya. Ye himmat pehle kyu nhi aayi usme. Kahi Radhika ab pyar na karti ho use, kahi usne shadi kar li ho, ya vo ab use itni nafrat karne lag gayi ho ke use dekhna bhi pasand na kare. Aise kayi sawal reh reh kar Rajeev ke man me uth rahe the. Par ab jo kadam badaya tha use peeche hatan nhi chahta tha vo.

Koshish ki thi kayi baar call karne ki par number switched off aata tha. Number to khud usne bhi badal diya tha apna. Par kuch sankhyaein jindagi se jud jati hai. Usne mushkil se Radhika ki saheli ka number dhunda. Use bhi khas pata nhi tha kuch. Radhika jyada baat nhi karti thi ab kisi se. usne ye bhi bataya ke Radhika ne shaadi nhi ki abhi tak. Saheli ke pass bhi koi number ublabdh nhi tha. Haan par usne address bata diya.
Rajeev ne ticket li aur apni seat par baith gaya. Baarish ab bhi ho rahi thi lagatar. Shayad ye aasman uska rona ro rha tha. Aankein moond li usne. Aur kho gaya un yaadon me.

Ek hi class me padte the dono. Radhika behad sunder to nhi thi par uski vo pyari si muskaan, vo khilkhilata chehra hi man jeet leta tha. Dosti se hi to shuruwat hui thi. Apne dil ki har baat kaha karta tha use. Achi buri, choti se choti baat. Use ehsas hi nhi hua kab vo pyar karne laga Radhika se. Radhika ko hamesha se hi likh kar kehna acha lagta tha or Rajeev ko unhe padna isliye jayadatar msgs ke dvara hi baat hoti thi. Jane kya jaadu tha uske alfaazo me jinme Rajeev bandhta chala gaya. Use aaj bhi yaad tha vo waqt jab usne pehli baar Radhika ko seene se lagaya tha. Vaisa kabhi mehsus nhi kiya tha usne aur aaj tak vaisa kabhi fir mehsus hua bhi nhi.
Kitna khush tha vo jab Radhika ka haath thama tha pehli bbar usne. Radhika ne use har kami ke saath apnaya tha. Doston ke saath rehkar bigad gaya tha vo, par Radhika ke pyar ne sab badal dya tha ,bina kisi bandish ke, bina kisi shikayat ke.
Usne kabhi mana nhi kiya kisi baat ke liye Rajeev ko. Uske pass aane ke liye,pyar karne ke liye. Shayad isliye hi unhone kuch hadein par kar li thi kuch had tak. Use yaad tha vo din bhi jab usne Radhika ko kareeb se mehsus kiya tha. Aur aaj bhi uski saanson ki mehak Rajeev mehsus kar sakta tha.

Kuch der ke liye bus ruki. Baarish bhi kam ho gayi thi. Rajeev ne chai peene ka faisla kiya. Chai ki chuski bhar hi raha tha ki ek bheeni si khushboo ne use band liya. Kahi to meetha ban raha tha. Rajeev ko bhi meetha behad pasand tha or Radhika aksar uske liye halwa banaya karti thi. Uski mithas abhi tak jehan me thi uske.

Safar fir shuru ho gaya. Use yaad aya jab bhi milta tha Radhika se kitna roti thi vo. Samajh sakta tha uske bhav par majboor tha. Use yaad hai Radhika ne ek rishta thukra diya tha uski khaatir. Vo aakiri semester kitna takleef dene wala tha koi samajh nhi sakta tha.
 Usne Radhika se baat karni kam kar di thi ye soch kar ke shayad aisa karne se dooriyan paida ho jaengi.Radhika ne kitni hi baar shikayatein ki. Uska gussa, uski chidchidahat yaad hai use. Rajeev kisi rishte me nhi bandhna chahta tha us waqt. Yahi baat ek baar Radhika se keh di thi usne. Use kitni takleef hui hogi vo aaj samajh paya tha. Radhika ne dheere dheere cheezon ke saath samjhota kar liya. Par kabhi shikayat nhi ki.

Use aaj bhi yaad aa rha tha vo aakhiri din jab Radhika jar hi thi. Sara saaman gadi me rakh diya tha. Unke pass kehne ko kuch nhi tha. Radhika ne uski ore dekha. Vo roi nhi, ek aansu bhi nhi. Bas halki si muskaan dekar gadi me baith gayi. Dard hua tha bahut. Par shayad vahi sahi tha dono ke liye. Vo aankein aaj bhi use vaisi hi dikh rhi thi, vahi sawaal tha unme. Jawab dene me deri to ho gayi thi use.

Do din baad Rajeev uske ke ghar pahuncha. Dil joron se dhadak rha tha. Kya kahega vo, kaise samjhaega. Doorbell baja di.
Darwaza khula. Ek ladki thi. Usne himmat juta kar saamne dekha ke vo Radhika nhi thi. Yaad aaya vo choti behan hai uski,Nisha. Thodi der gaur se dekhne ke baad Nisha ne aashcharyachakit ho kar kaha, “aap aur yaha?
haan Nisha.” Rajeev ne dheemi si aawaz me uttar diya. Sofe par baith gaya. Nisha chai bana kar lai. Thodi der ke liye sannata cha gaya. Nisha janti thi sab unke bare me.
Radhika yaha nhi hai,” Nisha ne dheere se kaha. Shayad usne Rajeev ke sawalon ko pad liya tha. Usne bataya Radhika ne shaadi nhi ki kyunki vo aaj bhi usse hi pyar karti hai. Kisi company me job kar rhi hai. Jyada ghar bhi nhi aati. Na hi kisi se jyada baat karti hai.
Uski is haalat ka jimmedar sirf mein hu.” Rajeev kehte hue ro pada. tearyeyed
Nisha ne kandhe pe haath rakhte hue santavana bandhane ki koshish ki. Rajeev ne Radhika ke kamre me jane ka aagreh kiya. Nisha ne rasta dikhaya or kitchen me chali gayi.

Kamre me pravesh karte hi laga mano Radhika ki mehak ho. Table par uski tasveer thi. Bhari man ke saath dheere dheere kadam badate hue Rajeev tasveer ki ore bada. Uspe apni ungliyan firate hue ro pada, “muje maaf kar do.
Daraz me dairy padi thi. Kuch panne jinpe usne dard bhari kavitaein likhi thi. Uski inhi kavitaon ne hi to Rajeev ko apna bana liya tha. Vo tohfe jo Rajeev ne diye the sab kuch sanjo kar rakha tha Radhika ne. Dairy ke har panne par Rajeev ka hi jikar ta. Har vo pal jo saath biate the,sab. Aakihri panne ne dil ka dard bada diya jisme Radhika ne sab kuch haarne ki baat likhi thi,ke uski kahani puri nhi hi. Radhika aksar kaha karti thi, “dekhna Rajeev meri prem kahani sabse alag hogi.”
Rajeev kos raha tha khud ko ki uski vajah se Radhika ka jeevan udaaseen ho gaya. Uski kahani adhoori reh gayi.
Achaanak kadmon ki aahat sunai di. Nisha thi or uske pitaji. Hamara rishta unhe bhi manjoor nhi tha. Vo pass aaye aur Rajeev ke kandhe par haath rakhte hue kaha, “jindagi ek baar milti hai beta. Tum dono ne hamari khushi ke liye sab tyag diya. Samaj me hamari naak unchi rhe isliye shayad humne tumhari khusiyom ko aihmiyat nhi di. Samajh gaya hu mein or tum bhi.Radhika ko le jao beta.” Itna kehkar ve ro apde. Un se ijazat lekar Radhika ke pass chala gaya.

Do saal beet gaye the. Janta nhi tha kya kahega, kaise maafi mangega. Darwaza khatkahtaya. Saanse tham gayi thi. Kuch der baad darwaza khula . Radhika stabdh thi, awaak . Shayad apni aankho par bharosa karne ki koshish kar rhi thi ke jo dekh rahi hai vo sach hai.
Kadam ladkhada gaye uske. Girne hi wali thi ke Rajeev ne tham liya. Gale laga liya use. Jo band tha vo tut gaya. Kuch kehne ki himmat nhi thi. Radhika ne bas itna hi kaha, “mein janti thi tum aaoge janu.” Rajeev ne uska chehra apne haathon me le liya or Radhika ke narm hontho par apne honth tika diye.  love8 Radhika ki kahani puri ho gayi thi. Aaj Milan ho gaya tha do pyar karne walo ka.

love9 love3 love3 love3 love3 love3 love3 love3 love3  love3 love3 love3 love3 love3 love3 love3 love3 love3 love3  love9
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
A Love Story by Suhas in General Stories
A love story............. by gurmeet in Chit - Chat & General Discussion
A Love Story by bobby.soni in Inspirational Stories and real life Incidences. « 1 2  All »
Love Story by dhadkan in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
An amazing Love Story - Dedicated To Shweta- My Love My Life by gum in General Stories
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: September 28, 2013, 08:24:48 AM »
 icon_flower icon_flower
Logged
Miru;;;;
Guest
«Reply #2 on: September 28, 2013, 10:24:51 AM »
Love Is Life.. love9 love9

 love9 Applause love9
Logged
ambalika sharma
Guest
«Reply #3 on: September 28, 2013, 11:51:37 AM »
thank u saini ji. and thank u miraj ji
Logged
Saman Firdaus
Guest
«Reply #4 on: September 28, 2013, 12:36:27 PM »
MASHA ALLAH.. bahot achhi LOVE STORY hai ambalika ji.. Applause Applause Applause

Yeah true..  love4 LOVE is LIFE... love4
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #5 on: September 28, 2013, 12:42:49 PM »
Great Work
Logged
Sudhir Ashq
Khususi Shayar
*****

Rau: 108
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
16 days, 19 hours and 27 minutes.

Posts: 1813
Member Since: Feb 2013


View Profile WWW
«Reply #6 on: September 28, 2013, 02:49:00 PM »
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Ambalika ji,
Kahin a real story to nahi hai?
Logged
Iqtedar
Yoindian Shayar
******

Rau: 24
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
11 days, 17 hours and 24 minutes.

Posts: 2382
Member Since: Mar 2013


View Profile
«Reply #7 on: September 28, 2013, 04:25:33 PM »
 Applause Clapping Smiley Applause
Logged
ambalika sharma
Guest
«Reply #8 on: September 28, 2013, 10:29:34 PM »
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Ambalika ji,
Kahin a real story to nahi hai?
sir thanx alot for reading the story....or sir har story kahi na kahin sach hoti hai.
Logged
ambalika sharma
Guest
«Reply #9 on: September 28, 2013, 10:30:20 PM »
MASHA ALLAH.. bahot achhi LOVE STORY hai ambalika ji.. Applause Applause Applause

Yeah true..  love4 LOVE is LIFE... love4
thank u saman.
Logged
ambalika sharma
Guest
«Reply #10 on: September 28, 2013, 10:31:06 PM »
Applause Clapping Smiley Applause
thank u for reading this
Logged
Saman Firdaus
Guest
«Reply #11 on: September 29, 2013, 12:31:48 AM »
thank u saman.
U r most welcome...
Logged
RAJAN KONDAL
Guest
«Reply #12 on: September 29, 2013, 02:55:29 AM »
v. Nice &gud work
Logged
ambalika sharma
Guest
«Reply #13 on: September 29, 2013, 12:52:06 PM »
thank u rajan..
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 19 hours and 41 minutes.
Posts: 18617
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #14 on: September 29, 2013, 01:23:17 PM »
nice work dear
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 08:06:30 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer