musalman koon hain?!

by Dr Maqsood Hasni on April 26, 2009, 03:19:42 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2011 times)
Dr Maqsood Hasni
Guest
Musalman Koon Hain?

Es amar ko eak thos haqiqat ka darja hasil hai kah Ulma karam nay "Islam" kay asoloon zabtoon aur tariqah-e-kar ki tashri -o-tabeer kay hawala say hosala'afza aur qabal-e-qadar khidmaat sar-anjam di hain. Basad ofsus es kay ba'vajood woh gher'musalmoon kay diloom ko raam nahain kar sakay aur nahi koe naram gosha paida kar sakay hain.

Essi tara almi baradri say molaqaat karnay walay Islam kay hawalas say koe thos nota-e-nazar paish kar sakay hain. Goya oon ki sae bhi la'hasal rahi hai.

Yahi waja hai kah lafz musalman gali qisam ki cheez ho kay reh giya hai. Ab to Gher'Muslam es naam say cher se khatay hain aur essay fasadi jhagralu aur dehshat'gard qisam ki cheez samjhnay lagay hain. Eak dehshast'gard ko khatam karnay kay liay bohat saray ba'gonahoon ko bhi mout ki nind sola daitay hain. Es say baad'tarein baat yah kah es par onhain koe dukh ya ta'asaf nahain hota.oon kay khayaal main yah bhi dehshat'gard thay jihain maar kar onhoon nay insaniat ki khidmat sar'anjam di hai.goya oon kay nazdeek musalman aur dehshat doo mutradaf alfaz/chizain hain.

Musalmanoon kay nazdeek yah thek nahain, ziyadti hai. zabani keh dainay say kiya hota hai. Es ko sabat karnay ki zarorat hai. Yah haqiqat wazay karna lazam hai kah Islam, Salamti ka mutradaf lafz hai. Islam aur dehshat'gardi , doo alag aur motzaad chizain hain.

Mafaheem kay hawala say Islam salamti say ebarat hai. Jahaan salamti nahain wahaan Islam kahaan? Yah doon ossi tara eak sath nahain chal saktay jis tara aag aur pabi eak sath nahain chal saktay. Islam kay naam par qatal-o-gharat ka saman paida karnay walay musalman nahain hain. Ga'ay ka naam bakri rakh dain wo kis tara bakri ho sakti hai. ya shaiar ki khaal orh lainay wala gadha shaiar kaisay ho sakta hai. Khaal daikh kar gadhay ko shaiar kehnay walay ki soch main kaein na'kahein khalal zaroor hai ya wo la'yaeni ghalt fehmi ka shakar ho giya hai.Sojh bojh rakhnay walay par lazam hai kah woh os ki ghalt fehmi ko door karay warna es say bai'intaha kharabiyaan janam lay rahi hain aur lain gi.Woh shakas jo apna maal jan izzat koja auroon kay maal jan aur izzatko ko bhi otna hi aziz rehta ho jitna woh apnay maal jan aur izzat ko aziz rakhta hai, wohhi musalman hai. kisi dosray ki adam mojodgi main bila kahay os ki hifazat karta hai wohhi musalman hai. os ka dastar'khan bila'tameez-o-imtiyaz farakh rehta hai wohi musalman hai. Shab ki duaoon ko apnay tak mahdood nahain rakhta auroon ko bhi os shamilkarta hai wohi musalman hai. Apni piyas ko dosray darjay par rakhta hai aur her dukhi insan kay liay dua ka halqa dararaz karta hai,  wohhi musalman hai.

jo shakhs kisi dusray kay maal jan aur izzat ko halaqat main dalta hai, woh musalman ho hi nahain sakta, koe aur hai. gun'bardar ossay os kay kidar kay hawala say shanakht karay na'kah naam ko os ki waja-e-shanakht qarar day. Agar woh aisa nahain karta to woh musalman, jo salmti chahta hai par ziyadti ka motakab ho raha hai.

Isam rang nasl alaqa qoom zoban qabila konba waghera say motalaq cheez nahin. salamti chahnay wala koe bhi hai os
ki shanakht Isalm hai. salamti ka amin khud ko shiya soni wahabi syed sheik raj'poot jat, araqi, pakistani japani chini bharti irani lohaar tarkhan mochi nae sakh hindu, esae majosi, kha khuch bhi keh lay  es say kuch faraq nahain parta, bahar'toor woh musalman hai. Kirdar -o-Amal la'yaeni cheez nahain hain. lughat main achay ya boray ka sabqa musalman kay liay nahain hai. acha musalman bora musalman kala musalman falaan alaqa ka musalman ahmqana estalahain hain. musalman bas musalman hai.es say ziyada ya es say kam nahain. shalwal gitay say opar ya nichay ho es say kiya faraq parta hai.Darhi lambi choti darmiyani ya nahain hai ki koe maneviat nahain. chonkah dari lanbi hai lihaza yah dehshat'gard hai bai'maeni baat hai.mairay khayaal main aaj kay bicharay aur ghareeb Islam ko en kharafaat say door hi rakha ja'ay to acha hai. yah bhi Islam arsa-e-daraz say gitaygodoon  ki zad main hai. Es ko ab es hawala say munsalik nahain kiya jana chahiay.

Salamti ka daera mahdood nahain. Dusra salamti chahnay wala pehlay insan hain phir kuch aur hain. Na woh sarapa fareshta  hain aur nahhi shitan. On say acha bhi hota hai bora hai, kabhi danista aur kabhi na'danista.On ki kisi borae ka sabab koe dusra salamti chnay wala onhain qatal karnay ka haq nahain rakhta. Saza daina qanoon ka kaam hai jo qanoon kay hawala say hona chaheay. Haan dusra salamti ka khahaan os borae ko khatam karnay ki koshesh kary na'kah borae kay mortakib shakas kokhatam karay.

Woh shakas musalman kehlanay ka qate haq nahain rakhta jo borae ki bajay insan ko qatal karnay ka rujhan/rovaeya rakhta hai.
Sufiya karam  aur batni taharat kay qael logoon nay insan kay andar ki taharat par zoor diya aur es kay liay chara bhi kiya. Jin kay sabab bori soch ki hosala shikni hoe. Gonah aur juram ko oon kay ya oon say motalqeen kay haan bohat kam daitay hain. Wahaan yah oljhao nahain kah shalwar gitay kay opar ho ya nichay. Wo jahaan bhi hai thek hai. haan os kay hawala say satar'poshi hoe hai aur wo os ki sinaf say motalaq hi hai na'kah sinaf-e-mukhtalif kay motabaq hai. agar kahein koe en hazraat kay haan koe borae ki surat kahein nazar aati hai to wahaan afsoos aur ta'asaf ki aag bhi  dikhae daiti hai. Apni zaat kay moamla main hum onhain behtarein mosaf patay hain.

Fakhar-e-Insaniat, Bashar-e-baibadal, Hazrat Alama Sufi Shah Sheik Dr. Mohammad Nur-ul-Islam Salamti ka parchar karnay waloon ki rah kay rahi hain. Onhoon nay insan ki khidmat main zindagi ka her lamha mukhsus kar rakha hai. Wo seraf oon musalmanoon kay haqiqi namaenda hain jo salamti ka parcham otha'ay howay hain. Wo insan ki izzat jan maal ko motabar aur mohtam jantay hain. Tamam mosalmanoon ko (salamti chanay wloon) oon kay hath mazboot karna chahiay ta'kah woh her jan'dar ki jan ki salamti ko motabar karnay main apni sari rohani-o-jismani qovatoon ko saraf kar dain aur insan sukh ka sans lay sakay aur sakoon ki nind soo sakay. 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Koon kheyta hai by Sonu in Ghazals
Aakhar koon by Dr Maqsood Hasni in Friendship Poetry in Punjabi
Sachcha musalman by xxx200 in Miscellaneous Shayri
Aaj Ka Musalman Hai...(Shihab) by majid in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
he koon sa ye jahaan ..aaj tu layaa... by hameeda in Share:Love Poetry
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: April 26, 2009, 11:53:21 AM »
As Salaam Walaikum Maqsood Bhai, Ye To Ek Essay Hua, Story To Nahi Dikhti Mujhe Kisi Bhi Angle Se,.


Then Too Thanks For the Above Information.
Logged
Dr Maqsood Hasni
Guest
«Reply #2 on: April 26, 2009, 01:45:15 PM »
es say bhar kar janab aaj ki kahani aur kiya ho gi. jo musalman hain woh musalman nahain jo nahain hain woh musalman hain.
kiya yah aaj ki kahani nahain.afsanvi asloob na'sahi.
mein bonyadi toor par afsana nagar hi hoon likin yah kahani kay andaz mein kehta to maqsad pora na hota.
Logged
Dr Maqsood Hasni
Guest
«Reply #3 on: April 26, 2009, 01:47:55 PM »
mujhy majboran es kahani kay liay mazmoon ka asloob ekhtayar karna para hai.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:09:34 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer