Phir aaya khooni darinda - terror is back

by asif biswas on May 04, 2013, 07:46:12 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 59001 times)
asif biswas
Guest
Tez gharahato ki awaaz aur andheri raat mein who lehraate paid hawaao se takraati who shor….oos ghane junglo ke beech ek sunsaan si sadak…jahan koi nahi achanak ek roshni si dikhi ek chalti tez car jismein baithe do shaks jinhe naa parwaah hai is raat ki aur naa aanewaala khatro ki tez raftaar mein chal rahi hoo car mein baitha shaks baar baar shraab ki bottle munh se lagaye kabhi do ghunt pee leta aur to kabhi oosse bhi zyada

“stop it vishal ye theek nahi hai we already so late aur tumne mujhe bataya nahi ki hum jaa kahan rahe hai I mean kitna andhera ho gaya hai lagta hai aandhi chal rahi hai uff kuch dikh nahi raha”……larki ne bahar ke nazare ko dekhte huye kaha

Vishal ko lekin ksii bhi cheez ki parwaah nahi thi ek ziddi ayyash larka jiske zindagi mein bas sharaab aur larkiyaa hi matter karti thi ooske paas behisaab paisa tha jise woh apni ayiaashi ke liye istemal karta tha…..oose kisi ki parwah nahi thi bas khud ki …..ooske peeche larkiya marti thi lekin who kisi par nahi marta tha

“ lo aa gaya hamara khubsurat love point”…..vishal ne gaadhi rokte huye kaha
“are u kidding me ? tumne ek sunsaan jungle accha lagaa no pls khatre se khaali nahi yahan par teherna”…..larki ne vishal ke baazu ko kasske pakadkte huye kaha

Lekin vishal toh apni dhun mein tha “oh c’mon babe it’s my favorite one darro mat pehle bahar toh aao”…..vishal jjhat se car se nikal gaya
“I am telling u ye theek nahi hai hum koi aur jagah bhi jaa sakte they”…..larki bahar nikalte huye keh  rahi thi
“theek hai lekin kal subah aaj ye chandni raat kitni suhaani dekho chand ki roshni mein sabkuch dikh raha hai aur ye andhiya bhi chal rahi hai sounds like horrible hmmm hahaha don’t worry babe wo saamne dekho kitna sundar lake hai dekho to sahi “……vishal ne saamne ishaara karte huye kahaa

Chand ki roshni mein hailti oos paani ko dekhkar vishal aur who larki ek pal ke liye gaur se oos choti si taalab ko dekhne lage
“aao come wid me “…..vishal ne oos larki ke haath ko pakadkte huye kaha
“nahi vishal no no plss”…..lekin vishal kahan sunne wala tha oos larki ki

Vishal ne jhat se apne kapre utaar faikhe aur sidhe talaab mein chalaang lagaa di…..”vishal vishal no mujhe yahan theek nahi lag raha koi jungle jaanwar bhi ho sakta hai yahan “……larki ne zor se chilaate huye kaha
“it’s ok don’t worry main yahan pehle bhi aaya hoo tum taalab mein aa rahi ho ya nahi”…..vishal ne dubki lete huye kaha
“tthee..theek hai but tum wada karo college mein ye baat kisi ko kahoge toh nahi”….larki ne ungli dikhaate huye kha
“array meri shonaa nahi kahungaaa c’mon apne pyaar par bhi bharosa nahi hum yahan enjoy karne aaye hai darling aur ek surprise bhi hai tumhare liye jaaaneman champaign hahaha lekin pehle thodha khel le”…..vishal ne muskurakar tairrte huye kaha

Kuch dair mein hi larki bhi paani mein utar gayi achanak jab larki ne idhar udhar dekha toh wahan vishal nahi tha
“vishal vishalll vishaalll are u there? Vishal dekho mujhe daraao mat main darr gayi hoo pllss”…..larki ne sehemte huye kaha
Lekin koi awaaz nahi aayi…..larki thodhi ghabra gayi aur woh waapis dabey pao paani se bahar nikalne lagin tabhi piche se oose kisi ne kheench liyaa

“aaaaaaaaaaahhh “……larki ne darrkar jaise hi piche ki or dekhaa
“hahahahaha dekhaa darr gayi bewakuff silly girl”…..vishal waaqyai hasse jaa raha tha oosne paani se nikalte huye kaha
“tum bhi naa darraa daala merit oh jaan nikal gayi thi ab who sab chodho chalo paani bahut thanda hai mujhe thand lag rahi hai”…..larki ne khud ko vishal se alag hote huye kaha
“oh c’mon ek sunsaan jungle andheri jagah jahan koi nahi sirf tum aur main aur ye khusburat waadiya aur kya chahiye yaar ? kya tumhe garam kar dooo”……vishal ne apne honth aage badhate huye kaha

“no no no tum car mein aa rahe ho isi waqt”….itna kehkar larki se pani se nikal gayi
“array suno toh hahahaha aaj tumhe chodhungaa nahi “……vishal bhi jaldi se paani se bahar aa gaya

Tez hawaaye chal rahi thi……don one eke k jaam bharke jaam apne hontho se lagaa liya aaur peene lage….”vishal tumne who awaaz sunii”…..larki ne darrte huye kaha
“kaun si awaaz koi baat nahi kutta hongaa hahahaa tum bhi naa puri raat baaki hai aur tum ho ki bas romance ke jagah mujhe daraa rahi ho “……vishal ne jaam peete huye kaha
“daraa nahi rahi dekho kaisi hawaaye chal rahi hai ye jungle kaafi khatarank hai humhe itni raat gaye yahan theherna nahi chahiye chalo waapis sheher chalte hai”….larki ne fhir sehemte huye kaha

“ssshhhh tum nahi jaanti ki yahan khoon peete pishaach rehte hai agar oonhone humhe dekh liyaa toh humhe khaa jaayenge”…..vishal ne fhir oos larki ko daraate huye kaha
“stop it fool nahi aisi baatein mat karo main yakeen karti hoo in sab cheezon par”….larki ne chilaate huye kaha
“theek hai theek hai karo ek baat kahun I don’t believe in all these stuff tumhe kya lagta hai aisa sach mein hota hai tum jaanti ho aisa kuch nahi hotaa na aatma hoti hai naa bhoot…sirf dimaag ka wehem hotah ai ab chodho main kuch lakriya laata hoo wahan se tum darna nahi”…..vishal ne muskurate huye kaha
“nahi vishal plss mat jaoo mujhe darr lagta hai”…..larki ne roni surat bana li
“sssshh plss yaar abhi aaya theek hai array ok ok ye dekho ye gun rakhi hai yahan par koi bhi jaanwar dikhe shoot kar denaa don’t worry kaun sa officer dekhen aa raha hai main abhi aata hoo”…..vishal jaldi se car nikalke andheri jangolo mein kuch hi pal mein kho gaya

“nahi vishal vishal meri baat maano waapis aa jao kuch bhi ho sakta hai plssss vishal vishaalll”…..larki aakhir mein thak chuki thi oose pata tha vishal dur jaa chukka hai who waise hi lait gayi oosne sheesha lagaa liya aur gaadhi ke darwaje ko lock kar diyaa

Ho ho karti woh hawaao ki awaaz badh chuki thi bhediyo ki rone ki awaaz ne oos larki ko sehma diya tha hare k pal mein who bahayank awaazein darraaye jaa rahi thi

“ufff vishal can u hear me vishalll?”……larki ke aankho mein aansu they darr se thanda pasina sar se beh raha tha

Aur achanak bijliya kadakne laginn…..larki se raha nahi gayaa who baar idhar udhar ghum kar dekh rahi thi oose darr tha ki kahin is andhere saye mein koi jungle janwar toh nahi lekin darr janwaaro ka nahi balki kisi anchahe kahuff ka tha jo baar baar ooske dil ko zor zor se dhadhkaaye jaa raha tha

“aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaahhhhhhh aaaaaaaaaaaaaaaahhhh”……latki ekdum se oos dardnaak cheekh ko sunkar hil si gayi achanak ooske haatho se gun chutt gayaaur sidhe kaanpti haath se jaise jhaakne ki koshish ki car ka music baj uthaaa…larki ekdum se sehem gayiii

Darr dil par aur haawi hone lagaa….charo taraf dhuaa hone sa lagaa larki ne darrte huye bahar ki or dekhaa….koi nahi tha…..gaana baje jaa raha tha

Tumhare liye hoo main aayaa
Oh jaaneman jaaneman jaaneman
Ye raat hai purani jismein kayi kahani
Tumhe paana hai mujhe ohh ohhhoo aah aahh

Baar baar is gaane ko sunkar larki ne jhat se music system off kar diyaa….aur jhat se car se dabey pao bahar nikali dheere dheere kaanpte haatho se oosne car ke darwaaje ko bas sataa diya

“vishaalll vishaaall can u hear me ? dekho mujhe daraao nahi main break up kar lungi vishal main mar jaungi mujhe darr lag raha hai vishaall plsss vishaall plsss”…..larki ne kaafi dair tak chillakar kaha lekin koi awaaz oose sunaayi naa di

Achanak se oosne apna rukh oosi taraf modh liya jis taraf vishal gaya tha…..woh bhi dheere dheere gun ko liye oosi raaste par chalne laginn….tabhi aage ghane andhere ko soch who darr si gayi
“vishal dekho main darr gayi hooo plss vishaalll dekho main tumhe nahi sataungi tum jo kahoge karungi pls mujhe mat daraao main marr jaunggi vishaalll”……larki ne sehemte huye kahaa

Achanak se larki wohin teher gayi oosne fhir piche mudhke dekhaa aur waapis dabey pao car ki taraf chalne laginnn…..woh baar baar piche mudhke dekh rahi thi oosse darr sataa raha tha….achanak se oose lagaa ki koi daudhta huya ooske karee baa raha hai

Larki bhi tezi se bhaagi….daudhne lagin ek haath mein torch jo kabka haath se fhisal gayaa aur who cheekti huyi waapis car ki taraf aa rahi thi aur jaldi se oosne car ki darwaaje ko khola aur waapis andar ghuss gayi who waapis piche mudhdiii

Achanak se ek khoon se sana who haath sidhe sheeshe par paddhahahaa
“aaaaaaaaaaaahhh “…… larki cheekh parriii lekin oosne dhadhale se car start karna chaha
“neeeeelaa nee…ee..;laaa neelaa pls mujhhhee”……who vishaal hi tha
Neela ne jaldi se gate kholaa diyaa aur jab vishal ko dekhaa toh cheekh paririi
Kitne ghaav they ooske jismo mein ooski saansein bas thamne wali thi
“vishaalll ye sab kaise huyeaa plss oh my god sss”?......larki ne sehemte huye kaha
“aahh aahhh “”…..ooske baad vishal ka jism ne harqat karna band kar diyaa

Neela cheekhte huye uth kari huyi… who idhar udhar dekhne lagiiunnnn….woh waapis car mein aayi aur osne car ko band kar liyaa……
“aah aahh phone phone phone “……
“hello hello dekhiye main mere dost ke sath yaha aaaahhhh”……..larki cheekh pariii
Saamne ka nazara dekhkar ek bhayanak khoon se lathapth who darindaa jo koi aur nahi vishal hi tha achanak se ooske chehre par who shaitani muskurahat dekhkar neela ke aankho se aansu aane lage

“hahahaha ahahahaha ahahahhaahha aahhhahahha hahahaha hahahahaha ahaahhah hahahahahaa hahahahahha hahahahahaha”……..aur bas thaahakar lagate who toh hass ne lagaa jo vishal kuch dair pehle buri haalat mein tha who ekdum se uthkar hassne lagaa ooski aankhen safed hone lagin daant bahar aane lage….. awaaz jo hassi kit hi who badalne lagin…..aur fhir wohin cheekhhhhh aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaahhh

“aaahhh”…..neela darrkar bas ose hi dekh rahi thi
Aur kuch hi dair mein ek kahuffnak shair mein who tabdil sa ho gayaa

Aur oosne car par chalaang lagaa di oosne ek hi pal mein sheesha thodh daala au neela par jahapat paraa….oosne neela ke tango par daant gaadhaa diye

“aaahhhhh plss mujeh choddhh doo hellpp mee bachaaoooo plss”…..roti cheekti neela darr si gayi thi

Oosne ek hi pal mein oose car se bahar kheench liyaa aur oose kheencta huya oosi bahauank gehri andheri junglem ein le gayaa


Neela ka sar sidhe pathar par jaa takraaya who dard se tadap rahi thi tabhi piche se shair ko kareeb aata dekh who cheekhne laginnn “nahi nahinnn nahinnnnnnnnnnnn”…..dhadhate oos shair ne jhapatkar ooske jismo ko buri tarike se panjo se zakhmi kiyaa aur fhir shuru huyaa darindagi ka khel

Charo taraf diwaaro par padhti who khoon ki cheeteennn guffao kie charo taraf fail gayi parchaayi mein larki ka hilta jism se shair ooske pait ko daant se cheer chukaa tha….larki zor zor se cheekh rahi thi aur fhir shair ne ooske gale par apne daant puri gadha diye….

“aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaahhhh”…….ye khel kuch aur waqt tak chaltaa rahaa ooske baad andherein saayein mein sabkuch shaant ho gaya

Logged
asif biswas
Guest
«Reply #1 on: May 05, 2013, 03:32:47 PM »
Hospital mein ek stretcher par tezi se le jaa rahe oos ghayal shaks ko icu ki taraf oose le jaane waalo mein ek nurse do doctors aur piche do ajnabi shaks they….jinhein pehchaanne mein shayad waqt na lage ki who dono forest officers hai….

“sir iski haalat bahut hi kharab lag rahi hai oh my god pulse dheemi ho chuki hai I don’t think he will be live anymore”…..doctor ne oos shaks ke body ko check karte huye kaha

“kuch bhi kijiye ise bachaane ki koshish kijiye”……forest officer ne doctor ko minnati aankho se dekhte huye kaha

“alright I will try my best don’t worry”…..itna kehnkar stretcher mein laite shaks ko operation theatre mein le jaya gaya

Kuch hi dair mein wahan police bhi aa chuki thi….inspector khan…apne constable ke sath

Inspector khan ne ek nazar oos forest officer ki or dekha aur fhir dusre officer ko bhi waise hi ghurrte huye sawaal karaa

“hello I am investigating this case humhe pataa lagaa ki yahan do logo ko zakhmi haalat mein le aya gaya hai aur aap log forest officers hai kya aap mujhe byaan de sakte hai ki aakhir ye sab kaise huyaa?”…..inspector khan ne kadak awaaz mein kaha

“hello sir mera naam shekawat hai aur ye hai mere assistant Robert d souza sir baaki dino ki tarah aaj subah bhi hum jungle ka jaayeza le rahe they achanak se ek bmw car ko dekh hum dono thodhey hairaan huye because jungle mein aisi bmw car kahan se aa sakti hai aage gaye toh humhe zakhmi haalat mein padhaa milaa iske jismo kayi taraf kaant pit huye hai isse saaf zahir hai ki kaam kisi shair ka hi honga par hairaani waali hai ki agar shair ne aisa kiya hota toh yahan toh humhe iski laash milati but ye oos waqt maraa nahi tha aur dusri ek larki thi berehemi se ooske jismo ko cheer daala oos darinde ne organs bahar nikal gaye they aur gale ki nassi phati huyi thi”…..shekawat fhir chup sa ho gaya

“hmmm toh iska matlab kaam kisi shair ka hai par itni raat gaye ye dono wahan ootne ghane jungle mein kya kar rahe they ??”……inspector ne sochte huye kaha

“maybe shayad masti ke aalam mein ye haadsa huya ho because khoon koi insaan aisi buri tarike se nahi kar sakta…car ka sheesha tuta huyaa tha aur larki ki laash ko ghasit kar gufaa mein laaya gaya patto par lage khoon se hum oos laash tak pahuch paaye maine aaj tak aise cases kabhi nahi dekhe”….itna kehkar shekwat chup ho gaya

“ho bhi kyu naa sir sheher se outside ye jungle mein koi jaata nahi kaafi ghanaa hai aur raat ko aur bhi khatarnak lekin shair ke baarein mein kabhi sunaa nahi wahan koi jaata nahi aur humne logo ke liye prohibition bhi nahi lagaya kyunki waise hi wahan koi darr ke maarein jaata nahi toh fhir ye haadsa mujhe lagta hai in jawaani ki josh mein aakar in logo ne apni zindagi ko khatam kar liyaa”……is baat ko sunkar inspector soch mein dub gaya…oosne Robert ki taraf dekhaa

“hmmm lekin hum apni investigation yahan khatam nahi kar sakte maybe aapka kehna sahi ho kyunki ghaav aur laash ko dekhkar aisa hi lagta hai ye kaam ksii jungle janwar ka hi hoga lekin hum apni investigation yahan rok nahi sakte…khair koi baat nahi agar who hosh mein aayega toh hum ooska byaan le sakte hai tab talak aap restriction board lagaa dijiye aur tab talak hum apne specialist se oos jungle ka survey karwaate hai shayad woh shair ab bhi wohin chupaa ho aur kisi aur ki jaan naa le le”…… itna kehkar inspector khan apne constable ke saath nikal gayaa

Udhar ek college mein baithi who larki kaafi gehre soch mein thi….ooske baal ooske chehre par aa jaate jise who baar baar samait leti…..woh kisi gehre soch emin thi tabhi ooski do friends ko paas aate dekh ooske chehre par muskurahat si aa gayi

“hey girls whats up”….itna kehkar who uthkar oonse gale mili
“hey anjana tum bhi naa uff kitni careless ho aaj college mein ayae huye itna din hongaa aur tum ho ki bas soch mein dubi rehti ho why don’t you just hang out wid us I mean tumhe kuch sujhta nahi hai chalo aaj naa nahi karogi because aaj club mein dance karenge yeahhh aur pls no more excuses”…..itna kehkar anjana aur who larkiya hassne lagin
“theek hai baba theek hai aa jaungi lekin ek baat puchni thi?”……anjana ne ummed bhari aankho se pucchaa
“do mahine ho gaye vishal ka kuch pata chalaa?”…..anjana ne kaha
“nahi even humne fb par oose text bhi kiya even oose call bhi chodh na oos larke ke liye tu kyu mar rahi hai jo larka ek Casanova playboy hai har larkiyo ke sath flirt karna aur naa jaane oosne kitna kuch rakhaa hai”…..larki ne jawab diya
“oh my c’mon guys aisa mat kaho who dil ka bahut accha aur saccha hai pls main ooske mobile par contact karke thak gayi oosne koi call back nahi kiya even not give me a single msg”…..anjana ne roni surat banate huye kaha
“kahi oosne tere sath break up toh nahi kar liyaa hum sab jaante hai do mahine pehle tumhare beech laraai huyi thi ooske baad who kaafi din tak even abhi tak college bhi nahi aaya khair koi baat nahi tum ooske ghar kyu chali jaati”…..larkiyo ne kaha
“gayi thi wahan ooske naukar ne bataya ki who kisi kaam se sheher se bahar gaya hai lekin oosne mere sath kabhi aisa nahi kiya”…..anajna ne fhir kaha
“theek hai tu hi mar ooske liye jab tujhe sacchai ka ahesaas hoga humse bhi zyada nafrat karegi osse ab who sab chodh theek shaam 5 baje ready ho jaana chalo guys”….itna kehkar who larkiya chali gayi

“kahan ho vishal tum tumhe pata nahi how much I miss u?”……anjana fhir dukhi ho gayi

Oodhar kareeb 2 ghante ke operation ke baad….doctor jald hi theatre se nikala…..shekawat ooski taraf hairaani aankho se dekh raha tha

“kya huya sir ?”……shekawat ne kaha
“maine apne career mein kabhi aisa chamatkar hote huye nahi dekhaa ooske ghaav jitney gehre they ooske bawjud bhi woh bach gaya ye ksii chamatkar se kam nahi itne gehre zakhm se koi insaan nahi jee sakta but aaj ispe bhi yakeen ho gaya”…….doctor ne muskurate huye kha
“thank u sir kya oosse mil sakte hai?”……shekwat ne doctor ne izazat maangi
“yeah sure but aaram se abhi rest kar raha hai jo bhi puchiyega kam puchiyega”…….

Shekawat aur Robert andar daakhil huye oosne ek baar vishal ko dekhaa jiske jism ke charo taraf pattiya thi….aur gehri saansein le raha tha vishal

“kaise ho tum?”……shekwat ne kaha
Dheere dheere aankhen kholte huye vishal ne oonki taraf dekhaa aur fhir who ekdum se hil paraa

“huh huh mmma aiinnn woo….hhh nee…ela nee.la neela neela kahan hai kahan hai woh?”……ekdum se vishal kaanpne lagaa
“kaun neela woh larki jo tumhare saath thi ?”……robert ne jawaab diyaa
“ha..aa n kahan hai who mujhe ossse milna hai plss mujhe ooosse milna hai”….vishal ki aankho se aansu aane lage

“calm down calm down relax mujhe afsos hai ki woh ab nahi rahi kal raat tum dono oos sunsaan jungle mein kya kar rahe they?”…..shekawat ne sawaal chedha
“nahinn plss aah mujhe kuch yaad nahi main hamare camp ke liye lakri lene jungle mein gaya tha ooske baad who khaufnaak chehra oos darinde ka ek shair mujhe lagaa who mujhe maar daalega who mujhpar tut para oosne mujhe kaafi kaanta kaafi zakhmi karaa dard sehen nahi ho raha tha nahi nahi……..vishal ne apni aankhen band kar liye aur rone lagaa

“Robert I think ise gehra sadma lagaa hai abhi ke liye ise recover hone do tabtalak hum iske bataye huye baton ko inspector khan ko bataa dena chahiye I think ye saara maajhra oos jungle mein hi juddhaa hai aur hana prohibited board laga do koi jungle ke raaste naa jaaye”…..shekwat ne kadak awaaz mein kaha
“alright sir abhi ho jaayega”……itna kehkar Robert wahan se chala gaya

Lekin shekawat ki aankhen toh kisi aur baat ko lekar fikarmand thi oose ab bhi yakeen nahi tha vishal ki condtion par oose lag raha tha ki aakhir vishal bach kaise gaya itne dardnaak haadse ke baad bhi lekin who bas sirf chup rehkar soch hi sakta tha….

Udhar shaam ki club mein dj aur jaam ka apna suroor tha masti mein jhoomte woh larke larkiyaa bas khud mein hi gum they…itne mein anjanaa apni friends ke sath enter huyi….sabne oose hug kiya aur dance karne ko kaha
Lekin anajana ka dil vishal ke bina nahi lag raha tha…..woh bas vishal ko hi yaad kar rahi thi……
Aur thodhi dance karne ke baad woh waapis sit par baith gayi…..achanak se club ke dj ne announce kiya jise sunkar anjana thodhi hairaan huyi

“hey guys woaahhh aaj hamare yaahan solo perform karne aa raha hai ek talented dancer jisne isse bhi pehle kaafi competitions mein hissa lekar apna jalwa dikhaya hai he is non any one dancer maasum”…….dj ne zor se cheer up karte huye kaha

Sab tarak ek hi shor ek hi naam maasum “maasum maasum maasum”…….tabhi anjana ki aankhen jab saamne ke sidiyo par parriii toh dance floor par upar se chalang lagaate huye maasum ko dekh sab hairaan ho gaye

“woaahhhhh yeahhhhhhhhhhh”…….maasum sabka hero tha a break dancer oosi college mein padhta tha jis college mein anjana thi

Maasum ne apni topi ko utaar faikhaa aur apni maasoom aankho se anjana ko kone mein baitha paaya…..aur ek halki muskurahat di….anajan ne oose hi karke haatho se ishara kiyaa

Music on huyaa aur fhir shuru huyi dancing performance maasum ne break dance karna shuru kiya kabhi kudte huye sit par kabhi floor par laitkar…toh kabhi ghumke larki ko ek hi haath se ghumaate huye oosne jo jaal faikha oosse larkiya oos par mar mitti….masum ka ek hi sapna tha as a dancer….but oose koi attention nahi deta tha lekin oosne sabke dilo mein khud pe khud jagah banaa lit hi

Kaafi dair tak dance karne ke baad who sabse widaa lekar jab anjana ke kareeb baitha toh anjana muskurakar fhir se dukhi si ho gayi

“kya huyaa anjana tum itni depressed kyu ho?”…..maasum ne kaha
“tum jaante ho maasum vishal ka koi pata nahi?”……anjana ne dheere se jawab diya
“uff tum bhi array kahin gaya hongaa aaj gussa hai kal fhir tumse patch up kar legaa waise bhi who tumhe bahut chahta hai aur main jaanta hoo tumhe bahut like bhi karta hai dekh na jaldi aa jaayega college mein”……maasum ne haste huye kaha
“accha tum toh aise keh rahe ho tum ooske best friend ho who tumhe toh pasand bhi nahi karta oosne tumhe kitnah ar waqt bezzat kiyaa aur mere sath tumhe dekhkar oosne mujhe bhi bahut baar daanta bhi tha”……anjana ne dukhi hote huye kaha

“haan ooski tarah in larko ki tarah meri haisyat nahi ek strugglist dancer hoo main amir baap ka beta toh hoo nhi bas aaj toh kuch larko se shart thi isliye club aaya warna huhh 5000 hazaar rupee roz club ke liye laana impossible hai tm toh janti ho ek college mein tum hi toh ho jisse main baat karta hoo warna koi mujh jaise gareeb ke sath baatein toh kya pasand bhi karta  ye toh sirf dance ki wajah se mujhe maan rahe hai kal college mein ye bhi bhul jaayenge….bas khud ko auro ki tarah banaa raha hoo”…….itna kehkar maasum chup ho gaya

“mujhe yakeen hai ki tum ekdin kaafi lucky honge apni zinagi ke liye”….itna kaha hi tha ki anjana ki friends ooske paas aakar oose apne saath chalne ko kahaa

“theek hai toh fhir baad mein milati hoo”…..anajan ne muskurakar jaate huye kaha
“bye”…..anajana ko jaate dekh maasum msukuranae lagaa
“kaash anjanaa lucky toh main oos din hungaa jab tum mere pyaar ko except kar longi aur main tumse haan ka jawaab sununga lekin shayad mujh jaise badkismat ke liye tum kyu aaogi jo tumhe dhang se khilaa pila bhi nahi sakta khush rakhni kit oh baat hi chodho hum shayad dost tak hi reh jaayenge kunki main jaanta hoo vishal ki jagah koi nahi le sakta aur even who tumhe khush rakhegaa”…….itna sochkar maasum chup sa ho gayaa
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #2 on: May 06, 2013, 06:15:04 PM »
Kaafi ghante beet chuke they…..club se nikalte huye naa jaane kab anjana lait ho chuki thi jab osse is baat ka ahesaas huyaa toh oose bari ghabrahat hone lagin….larkiyo se baatein karte waqt oose jab jab waqt ka yaad ayaa toh who fhir ghabraane lagin

“girls oh my tum logo ki wajah se aaj kitna late ho gayi main uff ab nahi kabhi aaungi ghar bhi pahuchna hai”……anjana ne dukhi hote huye kaha
“relax yaar darrti kyu hai tu aaram se ghar jaa chalo guys”……larkiyo ne kaha
“yaar yaar tum log jaa kismein rahi ho itni raat gaye toh na bus hai aur na koi auto”…..anjana ne kaha
“hamare boys hai naa chalo guys apni bikes pe baith jao”….itna kehkar sab apni bikes par baith chuke they

“sorry baby bike par toh jagah nahi hai tum ek kaam karo naa taxi mangwaa lo waise bhi agar bike par jagah hoti toh tumhe bitha laite see you tomorrow baby bye”…..itna kehkar who larkiya apne boyfriends ke sath nikal chuki thi

“no no wait wait oh shitt ab itni raat gaye ghar kaise jaoo ab toh lift bhi maangna khatre se khaali nahi kaash vishal tum yahan hote lekin tum bhi farebi nikale sab logo ki tarah mujhe koi samjh hi nahi sakta shit”……itna kehkar anjana paidal hi chalne lagin

Paidal chalte chalte baar baar who piche mudhkar dekhti naa jaane kab woh sunsaan sadak par aa gayi thi….kutto ki rone ki awaaz….woh baar baar khud ko dhakk rahi thi….waise bhi jis tarah ke kapre oosne pehne they ooossse ooske liye khatra dugna hi tha

Oose darr tha kahin koi musibat naa aa jaaye woh tezi se chalne lagin…”uff ye mobile bhi kaam nahi kar raha mere paas paise bhi kam par gaye warna abhi cab bulwaa leti shitt”…….tezi ke sath chalte huye oose aur kadmo ki awaaz sunaayi dene lagin

Oosne ek baar rukkhar piche mudhkar dekha koi nahi tha woh fhir chalne lagin….oose fhir ahesaas huya ki koi ooske piche hai….oosne phir rukkar dekha…aur fhir khuaff ke sath aage tezi se chalne lagin achanak se ek tez roshni ooski aankho mein parrii…jab oosne apne haatho par se haath hatakar dekha

Toh saamne se aa rahi ek bike thi….ek red jacket aur jeans pehna shaks ooske kareeb aakar rukaa….anjana thodhi hairaan huyi ki aakhir woh hai kaun…..lekin jab oosne apna helmet utaara toh oosne ye expect nahi karaa tha ooske dil mein fhir darr khatam ho chukaa tha aur ek ummeed si jag gayi andhere saaye mein khud ko woh ab akela nahi samajh rahi thi

Oosne zor se kaha “maasum is it u oh my god my saviour?”……
“dekha kahan tha naa toh iska matlab tumhare dostto ne bhi tumhe dhokha de diyaa “……maasum ne bike ki chaabhi nikaalte huye kaha
“mat kaho oonhe mera dost main oonhein apna dost maanti hi kab thi bas socha tha ki dukhi pal ko bhulaane ke liye thodha enjoy karu lekin dekho musibat mein beech raaste par chodh diya oon dogs ne “……..anjana ne roti surat banate huye kaha
“chodho woh sab aao piche baitho”……anjana jaldi se piche baith gayi
Anjana ne apna haath maasum ke jacket ke upar rakh diya…..maasum ne ek tak ooski taraf dekhna chaha fhir jaldi se bike start kiya aur chal paraa

Bike tezi ke saath sadak par chalne lagin……kuch dair chup rahne ke baad…
“tum yahan kaise aaye mujhe lagaa tum kabke ghar jaa chuke ho”…….anjana ne dheere se kaha
“hmmm chala toh gaya tha ghar lekin socha ki ek baar tumhe dekh loo I mean uh woh tum akeli club mein ghar aaogi kaise is wajah se main tumhe dekhne ke liye bike se aa gaya”…….maasum ne hadbhadhate huye kaha

Lekin who apne jazbaato ko chupaa nahi sakta tha ki woh anjana ka kitna khyaal karta hai….anajana is baat par muskurayi aur maasum bhi dil hi dil mein anjana ke sath apne palo ko khoob enjoy kar raha tha…

Achanak se maasum ne baat chedhi
“if u don’t mind kya tum mujhe apna 10 min dogi”…….maasum ki iss baat par anjana thodhi hairaan huyi
“lekin kyu? Main late ho jaaungi”……anajana ne darrte huye kaha
“array tum bhi naa nahi hongi meri gurantee because main tumhare oon friends jaisa nahi hoo jo tumhe late hone degaa khair agar tum nahi dena chahti so it’s ok hahaha”……itna kekar maasum hass paraa
“array batao na baat kya hai?”…..anajan ne force karte huye kaha
“accha theek hai mujhe is waqt ek garam chai peene ka dil kar raha hai aura age mein ek tea stall hai toh maine socha ki main pee loo tumhare saath “……maasum ne dheere se kaha
“oh god tum mujhe chai pilaane ke liye itna insist kar rahe ho..tum waaqayi bahut alag ho lekin mera bhi bahut sar dard kar raha hai lag raha hai jaise ulti aa jaayegi”……anjana ne sar pakadte huye kaha
“tab toh aur bhi accha hai garam chai kuch toh raahat milengi shayad tumhare alcoholism se toh chai hi acchi hai hahaha”…..maasum ne haste huye fhir kaha

“theek hai lekin pls jaldi”……anaja ne ungli dikhaate huye kaha
“ok sir”……maasum ne muskurate huye paas hi ke tea stall par bike rok di

Dono bike se utare….aur dheere dheere kadmo se tea stall ki taraf aaye…..anajan sit par baith gayi…..maasum ne do chai laaya jise dekhkar anjana thodhi hairaan huyi

“ye lo chaai pee lo”……maasum ke haath se glass lete huye anajan ne oose hairaani se dekha
“lekin ??”….anajan ne fhir kaha
“lekin wekin kuch nahi chalo piyo isse tumhare dimaag ko thodhi raahat milengi….mujhe pata hai ki tumhe lag raha honga ki ye gareeb larka tumhe restaurant na le jaane ke bajaay ek chai pe laa raha hai”…..maasum ne sar niche jhukaate huye kaha
“kaisi baat kar rahe ho tum? Tum mere best friend ho aur tumne jo kiya ooske liye sukriya bhi kam hai aisa koi dost nahi karta jo tumne kiyaa….waise chai ka taste kaafi accha hai thank u”….anjana ne sip lekar muskurate huye kaha
“my pleasure”……maasum bhi anjana ko dekhkar muskuraya

Kuch hi dair mein dono fhir bike par baithey aur jald hi anjana ko ooske ghar maasum ne chodh diya bike se utarte waqt anjana ne ek baar palatkar maasum ko dekha

“maasum ek baat kahun”……anjane ne muskurakar kaha
“kaho”…..maasum jaise besavar tha sunnne ke liye
“tum mujhe like karte ho naa”…..is jawaab se maasum sahi mein hil gaya

Kuch dair chup rehne ke baad “like hi kar sakta hoo because meri aukwad tumhe khush rakhne ki nahi hai….aur main jaanta hoo tumhari zindagi mein vishaal hai aur ooski jagah mai ntoh kya koi bhi nahi le sakta”…..maasum ne udaas hote huye kaha

“tum aisa kyu sochte ho kit um ek gareeb ho toh main tumhari dost nahi tumne jo kiya who koi rayiz baap ka beta bhi nahi karta bina faayede lekin ek baat kahun thank u so much aaj tumne mujhe acchi sair karaayi mujhe lift diyaa aur chai pilaayi main kabhi nahi bhulungi ye raat”……anjana ne haste huye kaha

“accha aisa kya toh fhir no thank u aur haan dost hoo tumhara sukriya thank u ahesaan mat kehna”…….maasum ne haste huye kaha
“accha theek hai goodnight bye”…..itna kehkar anjana jaane lagin
“anjana wait”…..maasum ne anjana ko rokte huye kaha
“kya huyaa?”…..anjana ne rukkar piche dekha
“tumhara vishal jaldi hi tumhare paas aayega dekhna woh tumhe pyar karta hai aaj gussa hai kal aa jaayega”……ye sunkar anjana ke hontho par ek khushi chaa gayi

“bye”….itna kehkar bike ko waapis modhkar maasum dur jaa chukka tha

Aur anjana oose dekhte reh gayi….woh waapis andar darwaaje par daakhil huyi aur oosne ghanti bajaayi….ghanti ki awaaz sunte hi ek larki sidhe niche utar aayi

“bewakuf larki tujhe kahaa tha jaldi aana accha huyaa ki aunty round mein nahi hai warna tu jaanti hai ye khadhus landlord tere baap ko call karne se baaz nahi aayegi”….larki ne gussa dikhaate huye kaha

“sorry I am so sorry ki meri wajah se tujhe disturb huya kya karti socha thodha enjoy kar loo par dost ke naam pe sab dhokebaaz nikale sab larkiya apne boyfriends ki bikes par chali gayi mujhe akela chodh diyaa”….anjana dheere dheere sidiyo se chahdhte huye bolne lagin

“lekin tu aayi kaise itni raat gaye taxi?”….larki ne kaha
“woh sab chodh ek purana dost tha oosne bachaa liya ab who sab chodh chal jaldi andar”…..itna kehkar anjana oos larki ke sath apne kamre mein chali gayi

Oodhar raat gaye oos wayavaan jungle ke beech bane khubsurat ghar mein baithey they do shaks cigarette fukhey ja rahe they

“sir mujhe toh lagta hai ki woh shair nahi ho sakta”…..robert ne chair pe laitey huye kaha
“hmmm  tum bhoot prêt pe wishwas karte ho iska matlab Robert”…..shekawat ne hasske kaha
“maine jis tarah oos laash ko dekhaa tha aur fhir woh larka jo ab bhi hospital mein hai dono ko dekhke lag raha tha ki kitne berehemi se oonpar hamla huyaa tha…lekin itni zakhmo ke bawjud larka bach gaya….par larki ooske gale mein saaf nishaan dekhkar lag raha tha ki ooska khoon piyaa tha oos darinde ne”…..robert ne ciggratte jalate huye kaha
“hmmm ho sakta hai ye haadsa pehli baar is sheher mein huyaa hai..hamari job dekho kaise kaise cheezien dekhne padhte hai”…..shekwat ne hasskar kaha
“aapko yaad hai aaj se kareeb 5 saal pehle bhi aisa kuch huyaa tha ek shaks din mein insaan aur fhir raat ko ek shair ban jaata tha tab se oos sheher kohraam machaa huyaa tha ooske baad sunaa tha ki ek larki ne ooske dil mein khanjar ghop kar oose maar diyaa tha aur naa jaane ooske baad who darinda kahan gayab ho gaya pata hi nahi chalaa”…….robert ne sochte huye kaha

“ I see ek baar yaad mujhe bhi aaya tha ha haa ek larki thi shayad ooska naam yaad nahi aa raha lekin oosi larki ne oos darinde ko maara tha jo ki khud ooska boyfriend tha asliyat mein khair lekin tumheara matlab ab who darinda hamare sheher mein aa chukka hai how is it possible agar main tumhara yakeen bhi kar loo ki woh darinda mar chukaa tha toh fhir woh waapis kaise aa gaya?”…..shekwat ne hasska kaha

“sir jaise insaan marta hai ooski aatma bhatakti hai aur kisi na kisi insaani jism par kaabu karke chadh jaati hai waise hi jaanwaro mein bhi aatmaaye hoti hai jo junglo mein bhatakti hai jab main forest officer ke liye pehle assignment pe Africa gaya tha wahan maine aise waaqaye aadiwasiyo se sune they oonka manna tha ki jo shair zindagi mein rehkar khoon peete darinde kehlaaye jaate hai who markar bhi oonki talab jaati nahi isliye woh aatma ka roop lekar logo par hamla karte hai aur fhir logo mein ghusskar ek darinda ban jaate hai ye ek shaap hota hai”…..robert abhi aage kehta shekwat ne hasskar ooske kandhe par thaapi maari

“hahahaha tumne toh forest officer ki job ko interesting banaa diya kahir jo huyaa oospe hum wishwas hi kar sakte hai lekin hamari baton par ye sheheri log wishwas nahi karne waale khair abhi oos larke ki kya condition hai”……shekawat ne kaha

“abhi toh doctor se baat ki thi woh ab bhi neend mein hai 1 mahine ke andar andar bilkul accha ho jaayega discharge bhi jaldi ho sakta hai hairaat ki baat hai jis shaks ke bachne ki ummed nahi tha who zinda hai lekin oose gehra sadma lagaa hai”…..robert ne cigarrett ka khass lete huye kaha

“pata nahi aage kya hone wala hai”……shekwat ne sochte huye kaha

Udhar vishal gehri gehri saansein le raha tha…..hawaa se khidhki ekdum se khul chuki thi….charo taraf hawaao ka shor beh raha tha….tez hawa se chadhar odh rahe they…..vishal ki aankhen ekdum se khuli

“hahahaha hahahah ha hahahahahah hahaha hahaha haaaa hhahaha hahahah aaaaaaaaaaaaaaaaaahhhh “………vishal ekdum se baith chukka tha tahaka lagate huye ooski bhayankar awaaz fhir wohin khaufnaak cheekh ooske gale se nikal rahi thi
Oosne ek jhatke mein khudke taar ko kheench ke faikh daala aur jald hi bistar uthkar kharaa ho gaya tezi ke sath woh bathroom ki taraf gaya aur oosne darwaja kholar light jalayi…saamne aayene khud ke chehre ko dekhte huye oosne ek baar ek bhayank muskurahat si di

Aur fhir aankh jaise band kiyaa wohiin cheekh oos larki ki shair ka khaufaak khel who dard who cheekh oose sabkuch yaad aane lagaa…….oosne jhat se apne munh ko kholaa aur daant ko beech mein se ek maans ke tudke ko nikaal faikha

“ hahahaha darindagi dard cheekh khoon pyaas in sab cheezo mein mujhe mazaaaane laga hai mujhe khoon chahiye sorry neela tum mere bhait chadh gayi lekin sss mujhe aur talab uth rahi hai is chaar diwaari mein mera dum ghut raha hai yahin meri asliyat ki main ek darinda hoo aur ab isi darindagi ki taqat ke sath main jiyungaa hahahaha aaaaahhhh aaaaaaaaahh hahahahahahahaa “……..vishal ki aankhen ekdum laal ho chuki thi aur chehre par ek bhayanak muskurahat thi.

Logged
asif biswas
Guest
«Reply #3 on: May 08, 2013, 05:03:22 PM »
Vishal ko recover hone mein waqt na lagaa ooske zakhm bhar chuke they aur bas nishaan reh gaye they jismo ke kuch jagaho par….doctor har koi hairan tha….idhar anjana ko bhi Is baat ka pataa chal chukaa tha ki vishal hospital mein hai

“girls tumhe kaise pata chala ki vishal hospital mein hai ?”……anjana ne dukhi hote huye kaha
“anjana kal shaam ko ooske jannewaale ne bataya ki woh kuch din pehle jungle mein gaya huya tha aur tumhe pata hai ooske saath ek larki bhi thi haan lekin toh mar gayi…kisi ne oose berehem ise maar daala tha kehte hai koi shair tha aur vishal bhi oosi shair se zakhmi huyaa…lekin woh maraa nahi…khariyat ki baat toh yahin hai police ke shikanje mein hai is waqt tum ek kaam karo oose milne mat jana kya pata police log tumhe bhi ghere mein le “..larkiyo ne kaha

“uff aur mujhe lagaa ki vishal ne mujhse break up kar liya jabki woh zakhmi aur dard mein tha mujhe oose milna chahiye”…..anjana ne jaldi se kaha
“array ruk who khud hi college aane wala hai hospital se jaldi discharge karke wo sidhe yahin aayega tu bas apne par dhyaan de”…..larkiyo ne anjana ko samjhaate huye kaha

“uff lekin mujhe oose milne ka mann hai kaash vishal main tumhare paas hoti”…anjana ne sochte huye kaha

Oodhar hospital mein shekwat aur inspector khan bhi mauzud they jo ab vishal se interrogate kar rahe they….
“toh vishal aapke kehne ka matlab 21 taarik ki rat ko aise vyavaan jungle mein jaane ka saahas karke aap kya jatana chahte they”…..inspector khan ne kaha
“sir main ek shikaari hoo shikaar karna mera shouk hai jungle jaisi khusburat jagah hai mere liye main bachpan se hi junglo mein ghumta tha…lekin naa jaane kis manhus ghari mein maine apne saath neela ki zindagi bhi khatm kar di”……vishal ne dukhi hote huye kaha
“galti toh ki hai tumne khair humne pata lagaya lekin humhe koi shair ka sabut nahi mila…kyunki agar shair hota toh ooska koi na koi clue humhe zarur milta..vishal tum theek se yaad karne ki koshish karo kaisa tha woh jaanwar woh exactly shair hi tha ya fhir kuch aur”…..khan ne sawaal bhari nazro se dekhte huye kaha

“uff ooske bhayanak chehre ko kaise bhul sakta hoo woh shair tha zarur lekin ooske aankho mein khoon ki pyaas aur bhayanak uff main byaan nahi kar paungaa….oosne mujhpe jhapta main oose dekhkar main behosh ho chukka tha…safety ke liye gun maine neela ke paas chodha tha lekin meri badkismati se neela ki jaan chali gayi”…..vishal ne rote huye kaha

“khud ko sambhaalo khair ye case toh yahin close ho jaayega agar humhe oos shair ke suraag na mile oose jald hi humhe pakadna honga warna kahin who sheher mein naa ghus jaaye…tum rest kar sakte ho”….itna ekhkar khan jaa chukaa tha shekwat ne vishal ke kandhe par haath rakhha aur oose rest karne ko kaha

“alright aaj tumhara discharge papers tayyar ho jaayenge kya tumhare ghar waalo ko call kar de”…..shekawat ne kaha
“sorry sir  I am orphan mere mom dad nhi hai main khud business chalata hoo apna…isliye main khud chala jaaunga ghar aap fikar na kare”…..itna kehkar vishal ne apni aankhe band kar li

Shekwat muskurakar vishal ko ghurrne lagaa….maano oose vishal mein kuch aur hi dikh raha tha…lekin jise woh samajh nahi paa raha tha…

Oodhar coffee ki chuskiya lete huye anjana computer par surfing kar rahi thi achanak se oosne vishal ka fb khola…oosmein click karte hi vishal ke photographs dekh…oose khushi huyi oosne jhat se vishal ko msg kiya

“hi vishal sorry when I heard about ur injury I didn’t feel good I am desperately waiting to meet u pls pls come in college as soon as possible I will be waiting”…. Anjana ne dukhi hote huye fb page kaant diyaa

Ting tong…..ting tong anjana ne hairaani se jab uthkar bahar ki or jhaanka toh hairaan ho gayi ye maasum tha…maasum oose dekhkar muskurakar niche aane ka ishara kar rahaa tha….anjana ne jhat se apne kapre pehne aur niche utari…

“maasum tum yahan?”….anajana ne haste huye kaha
“haan kyu ? bore ho raha tha socha company mil jaayegi agar saath ghume toh if u free”….maasum ne sharamte huye kaha
“oh boy theek hai tum yahin ruko main abhi aati hoo aur haan pls bike lekar tum wahan dur par khare ho jao if aunty see u who mujhe maar daalengi”…..anajan ne darrte huye kaha
“accha accha tumhari aunty ke saamne se ek din tumhe ghumaane le jaaunga dekh lena aa jao jaldi se”….maasum ne haskar bike aage le li…

Kuch dair baad maasum ne anajan ko aate dekha aur oose bike par baithne ko kaha dono bike par baithkar nikal pare…..kcuh dair chup rehen ke baad anjana ne baat chedhi

“pata hai maasum”….anajana ne jawaab dene ke besavri mein kaha
“haan kaho na”…..masum ne jhat se kaha
“vishal hospital mein tha oospar kisi jungle jaanwar ne attack kiyaa tha ooske sath ek larki kit hi oose oos shair ne maar dala lekin vishal bach gaya”……anjana ne jaldi se batate huye kaha

“oh my god abhi kaha hai who”…..maasum ne kaha
“hospital se jaldi discharge hone wala hai bhagwan ka shukra hai wo bach nikla”….anajan ne kaha
“anjana tum kaisi larki ho? Yahin isi baat se mujhe darr lagta hai ye vishal itna careless kyu hai oose na toh apni parwah hai aur na kisi ki zindagi ki Itna baraa kaam kar dala oosne bechari wo larki”……maasum ki is baat ko sunkar anjana ko thodha ghussa aaya

“ismein vishal ki kya galti hai maasum wo bichara toh “…..abhi anjana ne kaha hi tha
“manta hoo manta hoo anjana kit um oosse pyaar karti ho lekin vishal ne apne shauk ke chakkar mein ek larki ko bhait chadhaa diya array main kehta hoo itni raat gaye vishal ko jungle mein jaane ki zarurat kya thi tum ooski hazaar galti ko maanf kar dongi lekin mujhe darr lagta hai ki kahin vishal ki ye laaparwahi ki shikaar tum na ban hao”…..maasum ne dukhi hote huye kaha

“enough maasum mujhe pata tha ki tum bhi auro logo ki tarah vishal ko bura hi kahoge”….anjana ne uthte huye kaha
“anjana baat to suno anjana pls mere kehne ka who matlab nahi tha ek minute anjana”…..maasum ne anajan ka piche se haath pakda

Toh anjana ooski taraf dekhne lagin….”dekho anjana I know ki tum oosse pyaar kati ho lekin asliyat ye hai ki tum ooski galtiyo ko hamesha sehte aayi ho main tumhe bhadhka nahi raha lekin ek dost ki haisiyat se keh raha hoo kya vishal tumhare laayak hai ? kya woh tumhare zazbaato ko samjhatah ai agar samjhata toh ek akeli larki ke sath jungle nahi jaata main manta hoo itni raat gaye har koi yahin kahega lekin tum vishal ko samajh nahi saki ho aur na hi who pyaar ko samajhta hai lekin jsi din who tumhare zazbaat pyaar ko samjhega who ek saccha aashiq kehlaayega…oosne abhi tak tumhe yaad nahi karaa..ye wajah kaafi nahi “……maasum ki is baat ko sunkar anjana thodhi soch mein dub zarur gayi thi

Oosne maasum ko ek pal ke liye dkeha…..”ok movie dekhne chale ek horror movie lagi hai kuch dair toh khush rehna chahiye aur waise bhi vishal safe hai toh fhir fikar kyu?”…..maasum ko zyada waqt na lagaa anjana ko mannane mein

Ek yahin aadat thi jo anjana ko bhaati thi masum ki who oose kabhi bhi dukh mein zyada dair tak dubne nahi deta tha aur anjana ooski baato mein aa jaaya karti thi…anjana fhir muskuraa hi chuki thi….maasum bas yahin chahta tha ki wo vishal ke liye wajah se aur pareshaan na ho isliye kuch dair oose dusre mahoul mein who daalna chahta tha….dono ek saath aage badh gaye….

Shaam se raat ho chuki thi maasum ne anjana ko bike se drop kar diyaa….anjane ne haske maasum ko bye kaha lekin tabhi oosne maasum ko fhir awaaz di maasum rukaa aur ooske jawaab ka intezaar karne lagaa

“maasum ek baat kahun?”…..anjane ne niche nazar jhukaate huye kaha
“aaj job hi tumne kaha wo sahi thi main hi gumraah ho gayi par kya karu ? par main vishal se pyaar jo karne lagin hoo”…..anjaan ke is baat se maasum zarur dukh huyaa tha par apne chehre par udaasi ki leher nahi laaya tha

“main janta hoo aur main puri koshish karungaa ki tum oos sadme se nikal jao…vishal jald hi tumhare paas aayega aur dekhnaa tum dono fhir se zindagi acche se guzaar paoge”……maasum ne helmet pehnate huye kaha

“thanks maasum”….anjana ne muskurate huye kaha

“theek hai fhir bye kal college mein milta hoo”…..maasum ne bike start karte huye kaha

Maasum ke jaate hi anjana bhi khushi se waapis apne ghar mein aayi….

Oodhar vishal jald hi apne bangle par pahuch chukaa tha khadhak rahi thi bijliyaa….dheere dheere sidiyo se chadhte huye oosne apne kapre utaare…aur bistar par lait gaya….oosne jaldi se pc off kiyaa aur larkiyo ki tasveerein dekhne lagaa….

“hahaha hahaha “….oosne ek baar zor se tahakaa lagaya aur muskuraaya

Wo baar baar oon larkiyo ki tasveero ko dekh raha tha oonke jism ko dekh raha tha aur fhir wohin aithan ooske jism mein shuru hone lagti aur apne sar ko ghumaate huye lait gaya

“hahaha hahaa sssss waqt waqt kya huyaa hai?”……jab vishal ki nazar ghari par pari…vishal ne haskar nagan haalat mein bathroom ki taraf chala gaya aur shower aur karke apne jism par paani daalne laga

Apne nishaan bhare jagaho ko chukkar oose bas shair ki ghurrhat mehsus hoti aur apne jism ko chukkar oosmein wohin shaitani leher daudh jaati ……vishal ki aankhen laal ho uthi….aur fhir achanak hi haste huye oosne apni aankhe band kar li…

Logged
asif biswas
Guest
«Reply #4 on: May 11, 2013, 02:58:35 PM »
Khaddhahd khaddhahh ho ho ki awaaz kar rahi thi….balcony mein khara vishal baar baar ghari ki or ghumm raha tha ooski aankhen puri tarah laal thi laal laal doro ke sath ooske pure aankh ka rang safed hone lagaa….aur wohin tez thahaka lagte huye wo bas haste hi jaa raha tha…

Achanak tan tan karta huya puri haveli gunj gayi ek pal ke liye….oosne jab piche mudhkar waqt dekhaa to raat ke 12 baj chuke they….tez hawaye ghar mein daakhil hote jaa rahi thi….vishal ki oos sarsaharat hawao se oosne apne gardan ko ek pal ke liye charo taraf ghuma liyaa aur ooske andar badhti darindagi waapis oos par haavi hone lagi

Wo jaldi se apne ghar se nikla…..aur jaldi car ko start ki aur tezi ke sath raaste par nikal gaya tezi ke saath chalaa raha car ko ooski nazar bahar ki or padhi….sunsaan sadak par koi nahi tha sirf wohin akela tha…..kutto ki rone ki awaaz badhne lagin jab bhi kisi sadak par chal rahe kutto ki nazar oos padhti….awaazo mein bhi oonke ek khauff tha

Vishal jald se apne car se utara…tezi ke saath saamne ke club mein ghuss gaya….bahar ki sannaato se alag yahan sif music ka shor gul ke alawa kuch nahi tha….achanak se vishal ne apne aankho mein chashma daal liya…aur aage badhne laga….achanak oosne charo taraf naachte logo ko dekha….aur kone par baithi oos larki ko dekh ooske chehre par ek muskurahat aayi maano kisi shair ne shikaar ko dekh liya ho….dheere dheere vishal ooske kareeb jaane lagaa…aur kuch hi dair mein wo ooske saamne baith gaya….

“ok tumse baad mein baat karti hoo “……larki ne vishal ko dekhke bas ghurra..
“toh aap yahan akeli hai kisi ne na aapko wine ke liye poocha aur naa dance floor par chadhne ke liye….main yahan naya hoo main bhi akela hoo isliye socha is akelepan ko mitaaya jaaye”…..vishal ki baton mein bhi ek azib si kashish thi

“no thanks I have already a boyfriend aur yahan bhi to larki hai jispar aap ka ye kashish jaa sakta hai”…larki ne teekhe lavz mein kaha
“oh sss yaani aapki baton mein teekhapan hai waahh yaani ki aap bahut spicy hai hahahaa”…..vishal ne ek pal ke liye muskura diya
“mera boyfriend kisi bhi waqt aata hongaa agar oosne mujhe tumhare sath dekh liya to tumhari khair nahi”…..vishal ne muskurakar ooska jawaab sunaa
“aur agar main kahoon ki aapka boyfriend bhi kisi larki ke chakkar mein is waqt kisi ke bistar par rat guzaar raha hongaa to fhir aap kya kahenig aapka boyfriend aapko kitne mehenge gifts deta hai 500 600 huhh ghumaane kahan le jaata hai middle areas mein aur maybe some times in high but main high mein hi jeeta hoo khair main chalta hoo if you are not interested”…..itna kehkar vishal oothkar jaane lagta hai
“ek minute what do u want?”…..larki ab gusse mein thi kyunki ooski asliyat khul chuki thi
“just a little dance”….vishal ne muskurakar oose dekha aur tez kadmo se aage jaane lagaa

Kuch dair baad vishal gusse mein wine ki chuskiya le raha tha ooske andar ka darinda bahar aane ko ho raha tha….itne mein oose ek shughand mehsus huyi aur jab oosne piche dekha to larki ooske saamne thi….”agar tum mere boyfriend hote to kya mujhe costly cheezein dete…aur kya main jo kehti wok arte”…..larki ne haste huye kaha
“chand to nahi de sakta kyunki wo to pehle se hi kisi ki nahi hai aur ye ek bewakufi hai kehna…”….vishal ne haske kaha
“let’s dance”…..larki ne muskurakar ooske baazu ko pakadte huye kaha
“soch lo bf problem to nahi hongi waise hongi bhi to main hi kaafi hoo”…..vishal ne muskuraya
“maybe u are right wo kameena kisi aur ke saath bistar par hongaa”….larki ne hasske kaha

Dono fhir saath dance floor par aakar naachne lage….vishal ne oose apne baahon ki giraft mein kheenchte huye oose itna roll kiyaa ki oos larki ko chakkar aa gaya tha par naa hi vishal thak raha tha aur naa larki…jab bhi vishal ooske kareeb hotaa ooski sugandh vishal ko pagal kar deti….aakhir aadhe ghante ke baad….vishal ne ooske kaan mein fusfusaaya…”chaho to ghar tak drop kar sakta hoo main bahar khara hoo”….itna kehkar vishal bahar chalaa gaya

Kuch dair mein hi ek larki ko bahar nikalte dekh…vishal ne ek shaitani muskurahat di….ye wohi larki thi oosne vishal ko dekhaa….”akele larke ke sath ho kahi khaa naa jaoo soch lo shair ki maand mein ghusne ki koshish kar rahi ho”…..vishal ne hasskar jawaab diya

“tum jaise shair ke saamne to main kurbaan bhi ho jaooo wohin mere liye kaafi hai “…..vishal ne muskurakar ooske liye car ka darwaja khola aur oose andar baithne ka ishara kiyaa

Ooske baaithey hi vishal bhi car mein baitha aur vishal ne car ko speed mein nikaal liyaa….”waise are we going in ur place or my place”…..larki ne darrte huye kaha

Vishal ka chehra jo kuch dair pehle muskurahat mein tabdil tha oos chehre par saaf gambhir aur chuppi bhaav they oosne apne daant bheeje huye they…
“kya huyaa tum chup kyu ho?”…..oos larki ne dheere se kaha
“ssssshhhh”…..vishal ne zor se kaha is awaaz se ek pal ke liye larki thodhi ghabra gayi
“darro nahi aage bahut hi mazaa aane wala hai….lo aa gayi hamari khusburat haveli”…..vishal ne haste huye kaha
“wow tum itni bari haveli mein rehte ho”….larki ne nikalte huye kaha
“haan kyu? Darr lag raha hai mujhe ye susaan shanti mein sukun milta hai chalo aage badho:….itna kehkar dono gate se andar daakhil huye


Kuch dair baad dono haveli ke andar they….larki ne hasskar kaha bytheway maine tumhara naam nahi puchha

Vishal – vishalll
Larki – main reshma
Vishal – ohh kaafi pyaar naam hai tum thodha fresh hona chahogi
Larki ne ek pak liye vishal ko dekhaa….vishal ne hasskar ooski taraf oos kaatil nazaro se dekha jise reshma samajh na saki…aur oosne fauraan muskurake kaha tum bhi aao na

Vishal ke saamne reshma ne apne kapre utaare aur fhir shower mein chali gayi…..idhar vishal ka jism mein fhir kulbulaahat si hone lagin oosne jhat se apne chashme ko kholaa aur apne shirt ko oosne ek jhatke mein fhaadh diyaa….

“yaaaaaaaaaaaaaa”…….is bhayank awaaz ko sunnn resha thodhe dair ke liye ghabaa gayi oose lagaa shayad ye vishal ki badmaashi thi oose daraane ki

Vishal ka junoon badhta chala gaya ooske jism ke har hisso par baal nikalna shuru ho gaya wo zameen par hi chatpatane lagaa…daant munh se nikalne lagaa chehra safed se padhne lagaa…..khadddhhhhhhhh vishal ab dahaadh raha tha……

Dheere dheere kadmo ke saath wo aage badhne lagaa….reshm show eke niche apne bheege badan ko saaf kar rahi thi achanak se darwaja khulaa…reshma ne apni aankhe band kar liye aur apne jism par haath rakh liya
“dekho vishal main darrti nahi tum chahae shair bano yaa jungle billi “,,,,itna kehkar jaise reshma ne apne saamne ki or dekhne liye aankh kholaa

Khadhaahh ek tez bijli kadhaki aur saamne ke nazare ko dekh reshma cheekh pariii
“aaaaaaaaaaaahhh”….reshma buri tarah darr ke mare kaanpne lagin….

Saamne dhaadhte khud ko ghurrte oos bhayanak se shair ko dekh reshma ka dil zoro se dhadhak raha tha….reshma pal bhar ke liye piche ki or palti aur sidhe hemam mein ghussna shair oos par jhapat para..aur ooske taang par apne daant ghadhaa diye…reshma sambhal na saki aur sidhe zameen par gir parii…haath ke fhisalte hi shower fhirse on ho gaya…
“nahi nahiii nahiiii aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaahhhh”……bathroom ke andar se wo dardnaak cheekho ke baad…bahar ke farsh bathroom se nikal rahi oon khoon ke fawaarro ko dekh koi bhi sehem jaata….

Kareeb 1 ghante tak ye khauffnak khel chalaa ooske baad shair ne apna shikhaar kar hi liya…..
Shair fhise dahaadhne laga ooske chehre par khoon hi khoon lagaa tha kuch khoon ki bunde munh se tapak rahi thi

Subah 5 baj chuke they…..vishal nange haalat mein apne bistar ke theek saamne laitaa tha oosne uthkar hadbahadht se khud ko dekha osoka chehra pasina aur khoon se nahaya huya tha oosne jhat se uthkar jab bathroom ki taraf dekhaa to bathroom pura khoon se sana huyaa tha charo taraf khoon ke cheetein..aur saamne ek laash….buri haalat mein reshma ki laash jiska jism pura khoon mein dubaa tha au aankhe bahar nikali si huyi thi aur jism puri tarike se kataa huyaa…charo taraf zakhm ke wo nishaan dekhkar vishal ek pal ke liye sehem gaya aur fhir wohin shaitani muskurahat

College classes khatam karne ke baad…anjana jab apne classroom se bahar nikali to saamne maasum ko khara paaya…
“kya huyaa ab bhi udaas ho?”…..maasum ne dukhi hote huye kaha
“kya karuu dil nahi lag raha main bas vishal se milna chahti hoo”….anjana ne roni surat banakr kaha
“array aa jaayega wo don’t worry”…..masum ne anjana ke haath ko apne haatho se pakadkte huye oose hausla dekar kaha

Tabhi ek black car college mein aakar ruki….maasum aur anjana car ko ghurrne lage sabki nazar oos black bmw car par tiki thi jab wo shaks car se bahar nikla…to anjana ki saansein ruk gayi….ye vishal hi tha jiske chehre par koi darindagi nahi balki insaaniyat ka wo mukhota tha jise kisi ne samajhaa nahi tha

Anjana ne apna haath maasum ke saath nikalte huye sidhe daudhti huyi vishal ke paas gayi….maasum ko ab apne akelapan mehsus ho raha tha….
“vishalllll”….itna kehkar anjana vishal ke kareeb aakar khair huyi aur oose muskurakar dekhne lagin
“tum kab aaye vishal kitna intezaar kiya tumhra maine”…..anjana ne khush hote huye kaha

Vishal ne ek pal ooski taraf dekhaa aur fhir oose aise ignore kar diyaa maano oosne kisi anjabi ko dekha ho…vishal ke is bartaav se anjana ko dhakka laga jab vishal ooske saamne se aage jaane lagaa….
“hey vishal main tumse kuch keh rahi hoo aur tum ho ki ab bhi gussaa ho maana mere se galti huyi thi par ooski sazaa itni bari mat do”…..anjana ne vishal ke baazu se oose apni taraf ghumaate huye kaha

Vishal gusse emin aa gaya
“oh really agar tumhe meri parwaah hoti to mere paas oos waqt aati jab main hospital ki bed par saasnein gin raha tha…mujhe apna waqt nahi barbaad karna…mujhe aur bhi kaam hai”,....itna kehkar vishal anjana ki nazro se dur jaane lagaa

Maasum ne anjana ko rote huye jab dekhaa to oosse gussa aa gaya oosne turant vishal ke saamne khud ko kharaa kar liyaa
“vishalll ye kaisi baatein kar rahe ho tum? Ek to galti tumne ki aur dosh anjana par lagaa rahe ho jaante ho pichle kayi mahino se won a dhang se kuch khaa pii rahi hai aur naa hi ooska padhai mein mann lagta hai tumhara naam jaapte huye wo thakti nahi tum oose ignore kyu kar rahe ho? Aur ye baat mat bhulo ki jab tumpar attack huya wo galti tumhari thi ek akeli larki ko lekar jungle mein gaye iska aur kya matlab hona chahiye”……maasum ne vishal ko ghurrte huye kaha

Vishal is gusse ko sambhaal na saaka aur oosne maasum ka collar pakad liya aur oose fhir oosne apni taraf laakar bola

“jitni aukwad hai utni mein reh warna mujhse bach nahi paayega kaash oos raat tu meri jagah hota to main phool baant raha hota hmm jaanta hoo meri anjana se tu pyaar karta hi I aur naa jaane mere naa aaye huye dino mein tune ooske saath kya kya kiya ho? Shayad oose apne bistar par leke apna bistar par garam karaya ho aur shayad tujhe ooske jism se pyar ho gaya ho mujhe jhooti cheez khaane ki aadat nahi “……is shabdo se anjana puri tarah tut gayi

Maasum ka gussa badhaka gaya aur oosne jhat se vishal ko dhakka de diya aur ooske chehre par mukka maarna hi chaha ki tabhi
“nahiii maasum plss maasuummm chaloo yahan se”…..anjaan ne maasum ko rokte huye kaha
“nahi anjana tumhe bura bol rah hai iski itni zurrat hamari dosti ko badnaam kar raha hai saale khud ko dekh naa apne paiso se kitno ki izzat nilaam kar chukaa hai tu”…..maasum ne gusse mein vishal ko dekhte huye kaha anjana baar baar oose wahan se le jaane lagin

“haan haan jaa jaa warna tujhe yahin maar dungaa jaa yahan se “……vishal ne itna kehkar gusse se aage nikal gaya

Anjana rone lagin maasum ne anjana ko chupp karaya aur vishal ko ghurrne laga…..

Logged
asif biswas
Guest
«Reply #5 on: May 14, 2013, 07:13:32 PM »
“sssh ro mat anjana c’mon chup ho jao”…..maasum anjana ke kandhe par haath rakhkhar oose chup karaane ki koshish kar raha tha

Lekin anjana ke aansu thamne ka naam nahi le rahe they…wo bas sar jhukaaye bilakh bilakh kar kisi bacche ki tarah ro rahi thidono railing par baithey they…maasum jaanta tha ki anjana ko vishal ki baton ka gehra chott lagaa hai lekin oose dil hi dil mein vishal ke prati gussa ho raha tha..

“listen anjana it’s ok maine tumhe pehle kahaa tha ki vishal doesn’t deserve u oose bas logo ko hurt aur oonhe apne marzi se nachana aata hai”….maasum ne anjana ko chup karate huye kaha

“nahi nahi vishal aisa kabhi nahi tha par oosne mere saath aisaa kyu kiyaa? Tum hi mujhe batao naa main to sirf oose chahti thi…oose kitna pyaar karti thi aakhir oosne mere saath aisaa??”……anjana fhir apne aansuyo ka rok saki

“anjana kaun kehta hai ki tumhe koi pyaar karta…main tumhe pyaar karta hoo tumhare dost log tumhe maante hai lekin vishal vishal to kisi ko pyaar nahi karta wo ek magrur insaan hai oose bas apni khwahishen aur chahat hi ooske liye maayene rakhti hai khair chalo aao”…..vishal ne anjana ko sahara dekar uthaate huye kaha

“agar aise karogi to padhai mein mann nahi lagega wo to tumhari feelings hurt hi karega…kyunki wo ek dushman hai behtar yahin hai ki oosse jitna ho sake ootna dur raho “….maasum ne anjana ko samjhaate huye kaha

“you are right mujhe sabkuch bhulaa dena chahiye ab main is baat ko aur nahi badhaaungi aur naa hi vishal se baat karungi aur naa hi ooski taraf dekhungi”….anjana ne aansu ponchte huye kaha

“that’s my girl ab ek muskurahat lao smile smile hahaha”….itna kehkar anjana ne aakhir maasum ke itna insist karne se muskuraa hi daala tha

Dono fhir apni classes mein jaane lage….

Class mein aate hi dono ki nazar vishal par parii…vishal chupchaap blackboard ki taraf nazar rakhe huye tha oose naa to anjana ko dekha aur naa hi ek baar bhi ooski taraf aankh jhapkaayi

Chupchaap dil mein bardaasht karte huye maasum ne ghurrkar vishal ko dekhte huye anjana ko sit par baithaa diyaa aur ooske bagal mein baith gaya….kuch hi dair mein sir aa chuke they

Lecture shuru huyaa….teacher apna padhaane lage…maasum notes likh raha tha aur lecture sunne mein concerntrate kar raha tha par anjana ooski nazar to baar baar vishal ko hi dekh rahi thi…vishal ki nazar ek baar bhi oospar naa parii wo bas sidhe dekh raha tha

“can anyone tell me about this chapter?”…..sir ne khadak awaaz mein piche ki or palat kar rakhaa
“anyone?”….sir ki nazar idhar udhar students ko ghurr rahi thi

Tabhi sir ki nazar anjana par parii “anjana hey aapka dhyaan kahan hai”…..sir ne kadhakte huye kaha

Sab students ki nazar anjana par thi aur maasum bhi anjana ko to kabhi sir ko dekh raha tha….anjana ekdum se bhaulkar keh uthi “ yes sir”….anjana ki awaaz mein dheemapan tha

“aapko itni dair se main pukaar raha hoo and u are just busy in ur own dreams c’mon tell me about this chapter aapko kareeb 15 dino se main ye lesson padha raha hoo is chapter ke main important functions kya hai could u tell me?”….sir ne swaal bhari nazar se kaha

“no I am sorry sir”….sharam ke maarein anjana ne apni aankhe niche kar li
“all I hope is just nothing from u bunch of nuts kuch nahi aata bas college mein pyaar karne aate hai disgusting “…..sir ne kadhakte huye kaha

Sir ki nazar vishal par pariii vishal apne mein hi magan tha
“hey u vishal itne dino se gaayab they maybe aapne padhai to ki hi hongi”….sir ne gusse mein kaha
“no sir main rest kar raha tha”….vishal ne aithte huye jawaab diyaa
“bas bahana chahiye aap logo ko anyways to maybe aapne chapter no. 8 to padha hi hongaa would u pls repeat that chapter again ?”……teacher ne muskurakar vishal ko dekhte huye kaha

“I said I was in rest period”…..vishal ne jaise hi kaha
“oh shut up shut up tumhe koi chapter to kya koi padhai hi nahi ki tumne naa jaane kaise students ho tum log you just all pushing ur future in dark larki ke saath jungle mein jaane ka waqt tha aapke paas par padhai karne mein koi bhi waqt nahi

Waise aapke baarein mein sunaa ye bhi hai ki aap ek Casanova boy ho so what the hell are u doing in my class? Get out now”…..teacher ne vishal ko bahar ki or ungli dikhaate huye kaha

Vishal ke chehre par ab saaf gussa jhalak raha  tha….vishal dheere dheere kadmo se utha aur sit se uthkar bahar jaane lagaa…”waise bhi tum jaise spoiled students meri class ko ganda kare I don’t like it”…..vishal ekdum se rukkar ooski is baat par chaunk gaya

Aur ooske aankho mein wohin gussa jhalakne lagaa vishal ekdum se sir ke saamne kahraa ho gaya sir ek pal ke liye ooski aankho mein dekhne lagaa

Vishal – bahut keh chukaa hai tu apni zabaan band rakh main naa tujhe teacher manta hoo aur naa main is padhai ko manta hoo

Vishal jaise hi piche mudhne lagaa “u idiot mujhe darrata hai apne professor iyer ko darata hai bloody spoiled guy……get out get out now tumhari princhipal se tumhe is college se naa nikaal diyaa to mera naam bhi professor iyer nahi professor iyer”……vishal apne gusse ko sehan na kar sakaa itne teekhe baton ko sun vishal ka gussa dugna ho gaya aur aankho mein wohin laal dore kheenchne lage

Aur oosne jhat se piche mudhkar sidhe iyer sir ka gala daboch liyaa sabki munh se awaaz nikal gayi anjana aur maasum hairaani aankho se bas vishal ko hi dekh rahe they…

Vishal ne ek hi jhatke mein khaich kar ek mukka iyer ke chehre par de maara…iyer sambhal na saka aur sidhe zameen par gir gaya aur fhir oose uthaakar vishal ne sidhe khidhki se bahar faikh diyaa khidhki tut gayi aur iyer bahar zameen par jaa giraa
Aur ooske baad behosh ho gaya

Vishal ki is harqat par sab bauchakka oose hi dekh rahe they…vishal ne ek nazar sabpar daudaayi aur fhir anjana ki or dekhaa…anjana darre huye aankho se oose dekh rahi thi….vishal ne apni nazar saamne ki or karte huye class se bahar nikal gaya

Kuch dair mein hi ambulance bulaayi gayi…aur vishal principal room mein mauzud tha….vishal ki is harqat se pura college shocked tha….ant mein vishal ke paiso mein dabe principal ko aakhir haar maankar koi case na lete huye vishal ko 1 mahine ke liye college se rusticate karna para…vishal chupchaap nikal gaya par oosne bahar nikalkar sidhe apne mukke se sheesha todh daala….sabki nazar oospar thi aur wo gusse se bilbilata huyaa college se nikal gaya…

“my god wo kitna daring hai oosne to sir ko ek hi jhatke mein todh daala…ab lagta hai 6 mahine tak wo bed se uth nahi paayega…..khair jo bhi huya accha huyaa…..isi baat par humhe padhna to nahi paregaa”…..logo ke shurgul ko sunkar anjana aur maasum bhi ghar ki or nikal gaye

“tumhe dekhaa maasum vishaal kitna badal gaya hai?”…..anjana ne hairaani se kaha
“haan dekhaa maine kaafi violent tha itni himmat to mujhmein nahi bhi nahi thi kuch to zaur huya hai vishal ke saath I mean maine kabhi oose itna gusse mizaaz waala kabhi nahi dekhaa tha chalo main tumhe ghar tak chodh deta hoo”…..maasum ne muskurakar anjana ko dekhte huye kaha

Anjana ne bhi muskuraya aur soch mein dub gayi…..

Oodhar vishal apni haveli mein aakar bistar par laitaa tha apni taaqat ki khumaar mein wo itna khush tha ki apne chehre ko sheeshe par dekhkar oose baar baar junoon sa chadh raha tha to kabhi apn nange jism par haath phiraakar oose kaafi maazaa aata

“hahahaha kitnaa sukoon hai is zindagi mein….mujhe bhook lagi hai mujhe khaana khaana hai aaah aaahhh”…..vishal jhat se fridge ki or gaya aur oosne ek bowl mein rakhke kaache maans ko bahar nikaala

aur fhir oose acche se saaf karte huye oosne plate mein daala…aur namak daalte huye…oosne oos ek hi pal mein kacchaa maans khaana shuru kar diyaa kareeb aadhe ghante tak bare chaav se vishal ne plate ko khaali kar daala tha…aur fhir sain mein plate rakhte huye oosne 1 bottle nikaali aur apni pyaas bhujaane laga


”hahaha pyaas to ab bhi hai par khoon ki mujhe khoon chahiye taazaa meetha sss lekin ooske liye mujhe apne naye shikaar ki talash mein nikalna hogaa is waqt to dopahar hai…jald hi raat ho jaayegi hahahahaha aur fhir ek aur baar hahahahaa”,……itna kehkar vishal gungunaata huyaa waapis apne bistar par jaa laita

Logged
asif biswas
Guest
«Reply #6 on: May 17, 2013, 08:50:38 PM »
Raat hone mein zyada waqt naa lagaa….bijliyaa zor zor se khadhak rahi thi….baarish ki bundein girne lagin aur ooske jhamajam raaste bheeg gaye….paid aur thandi hawao ki leher se saari jagah paani ki jhonkein padh rahe they….

Udhar anjana munh takiye par lagaye oos gehri soch mein dubi thi jab wo vishal ke sath khushipal bitaya karti thi…ooske saath har lamhaa ooski soch mein ghumm raha tha…

“kaho naa vishal plsss “…..”ok ye lo”….”ye kya hai?”….”meri taraf se hamari pyaar ki nishaani anjana”…..”thank u vishal”…..anjana vishal ke gale lag gayi

Vishal oose apni baahon mein uthaa chukaa tha tez gargaharat ki bijli ki awaaz ne anjana ko thodhey der ke liye chaunkaa diya oosne khud ko sambhaala wo itni kho gayi thi itni kho gayi thi ki oose har lamha apne saamne hote huye dikh raha tha…yakeenan oose bahut dukh tha vishal ke liye

Udhar vishal ko iski fikar nahi thi wo dheere dheere kadmo se apne haveli se bahar nikal gaya….khud ke kapre utaare aur ek hi baar mein swimming pool mein chalaang lagaa di….khud ke jism ko chute huye oose ek azib sa ahesaas ho raha tha….nange hi pal mein wo paani se bahar nikal aaya

“11 baj chuke hai waqt kareeb aa rahai aur ye waqt mujhe badal raha hai hahahahaa hahahahaha aaaaaaaaahh”……vishal ki awaaz mein badlaav sa aaya ek zor ki ghurrahat se pura jahan gunz sa gaya

Ting tong ting tong

Maasum ne jaise hi darwaja kholaa saamne anjana ko dekh oose hairanai huyi
“anjana tum yahan ?”…..maasum ne hairaani se kaha
“haan wo mujhe accha nahi lag raha tha ghar mein isliye maine socha ki tumhare saath thodha waqt bitaau”…..anjana ne roni surat banate huye kaha
“mere saath oh ho yaani iska matlab tumhe akelapan lag rahahai kyu?”…..maasum ne hasske kaha
“oh c’mon main depressed hoo”….ajana ne sir paakrate huye kaha

“depressed? Uff fhirse vishal ki baat leke soch rahi ho aaj jo oosne college mein kiyaa wo yakeenan bahut hi alag baat thi maine ooske andar aisa gussa kabhi pehle nahi dekhaa”…..maasum ne sochte huye kaha

“haan maasum lekin main jaan nahi paa rahi oosne mere saath aisa kyu kiyaa? I mean main to oose pyaar karti”…..bijli zor se khadhak uthi aur maasum ne anjana ke hontho par ungli rakh di

“sssshhh anjana plss tum kyu nahi samajhti wo tumse pyaar nahi karta wo tumhare jism se pyaar karta tha wo ek jaanwar hai “……masum ne anjana ko samjhaate huye kaha
“lekin mujeh ye baat ooske munh se sunne thi achanak se oosne aisa mere saath kyu kiyaa? Sabkuch to theek tha hamare beech bas oos shaam ki laraai ne mujhe oosse dur kar diyaaa hamari beech behas huyi thi wo mere kareeb aane ki koshish kar raha tha achanak oosi shaam main ooske ghar gayi to maine oose kisi au larki ke saath kamre mein akela paaya….main tut si gayi aur oosi waqt maine ooske chehre par thappad maara aur nikal aayi nahi jaanti thi ki wo shaam hamari pyaar ka aakhri din tha”…..itna kehkar anjana ke aankho mein aansu aa gaye


Maasum se raha nahi gaaya oosne turant anjana ko apne kareeb kheencha aur ooske chehre ko haath mein le liyaa

“anjana main tumhe school se jaanta hoo ek pal tha jab tumhe mere liye bhi koi hamdardi nahi thi lekin college mein aate hi hum dono itne gehre dost ban gaye ki sabkuch bhul gaye itne gehre dost ki agar koi mujhe kuch bura kehta to tum oose jhagad jaati khud ko sambhaalo tum strong larki ho vishal jaise larke tumhe apni zindagi mein bahut milenge jinhein na pyaar ki kadar hai aur naa dusro ke feelins ki vishal tumhara past tha oose baar baar yaad karogi to dard hi milegaa”…..maasum ke itna kehne se anjana ooske seene se lag gai

“aaj tumhe dil ki baat batau”…..maasum ne dheere se kaha

“jab bhi tumhe vishal ke sath dektha tha to mujhe bahut jalan hoti thi lekin main jaanta tha pyaar cheena nahi jaata vishal tumhe pyaar karta hai ye sochkar maine tumhari zindagi mein sirf ek dost bankar rehna ka faisla kar liyaa lekin dil ko kaun samjhaata main tumse bahut pyaar karne lagaa tha lekin main ye nahi chahta tha ki mera pyaar ektarfa ho isliye maine tumhe kuch nahi kehna hi munaasib samjhaa “….maasum ki is baat ko sunkar anjana thodhi hairaan zarur thi

Anjana ne maasum ke kandhe par haath rakhkaa aur oose apni taraf kheencha maasum ne anjana ki taraf nazar daudaai ….jiske nigaahon mein ek alag si kashish thi…maasum ne apni nazro ko ek pal ke liye alag karna chaha…lekin anjana ki nigaahon se wo bach na saka aaur aakhir wo bhi dekhne laga ooski aankho mein

“do u really care about me ?”…..anjana maasum ke har movement ko samajh rahi thi
“more than myself anjanaa I really love u”…..maasum ki is baat se anjana ooske thodhe aur karee baa chuki thi


Aur kuch hi palo mein dono ke honth ek dusre ke nazdeek they….maasum ne anjana ko piche dhakelaa….kyunki wo janna chahta ki anajan ke dil mein bhi wohin feelings maasum ke liye hai yaa nahi

“main jaanti hoo ki tum mujhse pehel chahte ho lekin wo ishaara tumhe pehle hi mil chukaa tha chahte to tum vishal ke hote hi mujhe apni banaa sakte they lekin tumne aisa jaanbhuj ke bhi nahi kiyaa jaanti hoo kyu saccha pyaar karte they tum mujhse”……is baat ko sunkar maasum ne ek nazar fhir anjaan par daudaayi


Dono ek dusre ki aankho mein jhaankte huye fhir karee baa gaye they par is baat kuch zyada hi kareeb…..anjana ne apne narm honth jab maasum ke nazdeek laaya to maasum khud ko rok na saka….wo jaan chukaa tha ki anjana oosse pyaar karna chahti hai

Oosne apne honth ko anjana ke hontho par rakh diyaa…dono ek dusre ke hontho ko chummne lage….kabhi gehri to kabhi halke se…ekdusre ke hontho ko feel karte huye ek dusre ka gehra chumban lene lage….

Udhar vishal ne apni shikaar ko fasaa liyaa tha….ek nayi larki…..oose apne saath car mein baithaate huye vishal oose hi bas ghurre jaa raha tha…aur wo bhi vishal ko dekh rahi thi…..vishal ne apnaa haath oos larki ke jangho par fhiraaya to wo kasmasa uthi

“fikar mat karo tumhe ahesaas nahi hone dungaa”……vishal ki fhir wohi shaitani muskurahat

Kuch dair mein dono haveli mein pahuch chuke they….vishal ne oos larki ko dekhte huye kaha “main bathroom mein hoo I am waiting for u”……itna kehkar vishal ne ooske saamne apna coat utaar faikhaa

Vishal ko jaate dekh ooske chehre par kaatilana muskurahat chaa gayi aur larki dabey pao ooske peeche peeche chalne lagin

Oodhar maasum ne anjana ko kabka apne giraft mein le liyaa tha….anjana ko bistar par laitaakar ooske chehre ko gaur se dekha…..aur fhir maasum neb hi khud ko bhi kapro se azaad kar liyaa aur ooske upar laitkar ooske gale par chumne lagaa

Anjana ne apne haath ooske peeth par rakh liye aur fhir wo bhi naa khud ko rok saki aur ooske hontho ko chumne laginnn…….

Udhar jaise hi bathroom mein wo larki aayi to oosne charo taraf dekhaa hemam mein lehraate oos paani ko dekh wo baith gayi aur apne nagan jism ko chupaate huye idhar udhar dekhne lagin

Oose kisi ka apne taraf aane ka ahesaas huyaa jaise wo piche mudhi vishal ka khauffank roop dekh ooske gale se zor ki cheekh nikali…aur khud ko naa sambhaalte huye sidhe paani mein gir gayi…..wo ek darinda ban chukaa tha aur jhat se wo oos larki par chalaang lagaa chukaa tha

Kuch hi dair mein khauffnak khel shuru ho gayaa….puraa kamraa cheekh se gunz raha tha paani khoon se laal ho chukaa thaaa

Udhar anjana maasum se lipati huyi thi apne jism ko ooske jism se lipatte huye oosne aankeh band kar li….achanak oose shair dikhaa ooski darindagi dikne lain…larki ka khoon cheekh maanss aaaahhhh

Anjna ekdum se bhaukla si gayi lekin maasum ko apne jism se lipate dekh wo ek pal ke liye sab bhul gayi aur maasum se kasskar lipat gayi maasum ne ooske hontho ko apne honth par rakh diyaa aur oose chummne lagaa….

Par anjana ki aankho mein wohin khauff cheekh dard dikhaai de raha tha oodhar shair ne oos larki ke jism ko buri tarah se cheer dala tha ooske maans ko khaate huye wo dard aur cheekh bardaasht ke kaabil nahi thi

Aur kuch hi dair mein shair ki aag shaant ho gayi aur oosne apne shikaar ko wohi chodh diyaa aur waapis insaani jism mein tabdil ho gaya khoon ke paani se nikalne ke baad vishal ne ek nazar oos laash par daudaayi aur haste huye bahar nikal gaya


Udhar anjana buri tarah se darri huyi maasum se lipati thi….
“kya huya anjana tum darrr kyu gayi?”……maasum ne dheere se kaha
“pata nahi maasum maine jaisi hi aankhe band ki wohin khauff darr shair wo larki ki cheekhen gunzjne lagi”…..anjana ne mehsus karte huye kaha
“hahaha koi horror movie dekhi thi jo tum hamare khaas palo mein aisi soch mein thi”,,,,,,,,maasum hassne laga

“main sach keh rahi hoo maine kabhi aisa kahuffnak tassavar nahi kiyaa…pata nahi kyu mujhe ye tassavar huyaa”….anjana abhi soch mein hi thi

Ki masum ne oose apne jism se liptaa liyaa “hey hey baby aisa mat socho dekho hamare beech kitna kuch ho gaya kya tumhe mazaa nahi aaya life enjoyable nahi lagi kyu aisa sochti ho zarur tension se tumhe aisa huyaa honga ab waada karo tum mujhe nahi chodhke kabhi jaogi”…..maasum ne haste huye kaha

“kabhi nahi”…itna kehkar maasum se anjana lipat gayi…

Logged
asif biswas
Guest
«Reply #7 on: May 21, 2013, 05:13:25 PM »
“aaah aaahhh ssss”……vishal ne jab khud ko dekhaa to oose koi hairaani nahi thi

Khoon se lipata…nange jism mein hi wo waapis bathroom ki taraf huyaa….kuch hi dair mein oosne diwaar se saare khoon saaf kar liye aur hemam mein rakhkhi oos laash ko ek pal ke liye ek bare se black plastic mein daal liyaa….

Ghasita huyaa oose sidhe apni car ki dikki mein daala car start ki aur sheher se dur junglo mein laakar oose sunsaan jungle ki waadiyo mein laaya aur fhir oos laash par tail chidhkar aag lagaa di

Kuch dair jalne ke baad maans ke jalne ki badbu se pure mahoul mein chaa gayi….tez tez kadmo se muskurate huye vishal wahan se nikal gaya….aur piche reh gayi jalti haddiyaa…

Subah ho chuki thi…..udhar anjana bhi so kar uth chuki thi…kal oos bhayanak sapne ne aaj bhi ooske dil mein ek anchaha darr banaa liya tha jis darr ko chahkar bhi bhulaa nahi paa rahi thi is darr se nikalne ke liye oosne computer par surfing karna shuru kar diyaa lekin oose kuch accha nahi lag raha tha….

“uff koi jawab nahi mil raha kya karu main? “……itna sochkar anjana waapis uthi

Oosne kuch dair padhai ki aur fhir ooske baad nahane ke liye bathroom gayi towel se lipata ooska jism dikh raha tha achanak oosne shower on kiyaa aur sheeshe ke saamne khud ke chehre ko dekhne lagi aur fhir towel ko apne jism se alag kar liyaa aur fhir sabun malne lagi apne jism ke har or….achanak aankhen band karte hi oose kuch mehsus huya jab oosne ghurrata huyaa shair apne saamne dekhaa sheeshe ke saamne oose hi wo darinda ghur raha tha

Aur jab darri aankho se anjana ne khud ko dekhaa to ooske jism par sirf khoon hi khoon tha khoon ooske chehre par jism par paani ki tarah gir rraha tha….achanak anjana zor se cheekhi


“aaaaaaaaahhh”…..aur jhat se bathroom se nikal gayi jab oosne aankhe band kiye bathroom ki taraf kaanpte huye jhaanka to wahan koi nahi tha aur shower ka paani ab bhi gire jaa raha tha

Anjana is haalat se khud ko nikaal nahi paa rahi thi….aur fhir dheere dheere kadmo se waapis shower ke niche nahane lagi kuch pal mein wo nahakar bahar nikal gayi


“pata nahi mujhe kya ho raha hai? Kal se mujhe aise khaufnak sapne kyu dikh rahe hai?”…..anjana ne sar par haath rakhte huye kaha

“nahi jaanti hoo maasum aisa mere saath kyu ho raha hai?”…..anjana ne sar par haath rakhte huye kaha
“zyada stress lene se ho jaata hai kabhi kabhar don’t worry theek ho jaayega fikar na karo”……maasum ne anjana ke kandhe par haath rakhaa

“nahi maasum sheeshe par maine sachmuch ek shair dekhaa tha apne saamne aur fhir khoon aisa bhayanak manzar maine kabhi nahi dekhaa”…..anjana ne sehemte huye kaha

“theek theek hai baba hogaa tum bhul jao shayad koi horror movie yaa fhir dil mein koi khauff tumne bana liyaa hogaa tumhe koi phobia to nahi hai naa”…..maasum ne muskurate huye kaha

“nahi maasum kuch nahi hai mujhe pata nahi aakhir mere saath kya kya ho raha hai?”…..anjana itna kehkar chup ho gayi

Maasum ne muskuraya aur ooske kareeb baithkar ooske kaan mein kaha “aur tumhe pata hai mujhe kya ho gaya hai tumse?”…..maasum ki muskurate huye chehre ko dekhkar anjana ek pal ke liye ooski taraf dekhne lagi

“pyaar ho gaya hai mujhe tumse pyaar aur ab aise khushi palo mein aise bakwaas baatein bhul jao aur hamare baarein mein socho”…..maasum ne haskar kaha

“u r right jab mujhe khushiya mil rahi hai to main bewajah khud ko kahin aur dekh rahi hoo theek hai chalo”……anjana ne muskurakar kaha
“alright jaisaa aap kahein”……itna kehkar maasum anjana ko leke wahan se jaa chukaa tha

Oon logo ko jaate huye dekhkar wo shaks muskuraa raha tha ooski nazar baar baar anjana ki taraf thi….wo shaks jald hi jhaadiyo se gaayab ho gaya

Anjana aur maasum dheere dheere park ke raasto par idhar udhar dekte huye chal rahe they…charo taraf oonki tarah ki kayi couples bhi mazud they jo apne apne mein mast they….anjana muskura rahi thi aur wo maasum ko dekh rahi thi


Ek pal ke liye sabkuch bhulkar sirf maafum ko hi dekhe jaa rahi thi maasum ne ek pal ke liye nazar jab anjana par daala to muskuraya….aur dono aage badhne lage

Kab shaam dhal gayi pata hi nahi chala…raat ho chuki thi dono sadak par chal rahe they chamakti lights ke niche se dono ek dusre ko dekh rahe they…aur kab anjanna apne ghar pahuch gayi oose pata hi nahi chala

“main chalta hoo aaj ghumte ghumte waqt ka pata hi nahi chalaa”……maasum ne msukurate huye kaha
“tum sahi keh rahe ho but thanks tumne mujhe bhulne mein madad ki”…..anjana ne hasske kaha

“ab yaad mat karna wo sab baatein ab main chal raha hoo kal phir milunga..aur haan bye”…..itna kehkar maasum wahan se jaane lagaa

Abhi 4 kadam hi aage badhaa tha…tabhi anjana ne oose rokaa

“maasum”…..maasum mudhkar anjana ko dekhne laga
Anjana maasum ke kareeb aayi aur ooske gaal par ek halki kiss deke chali gayi
“bye anjanaa”…..maasum bhi bina kuch kahe muskurakar oose dekhte huye aage chalaa gaya

Udharr police ko jald hi ek gumshuda larki ki laash milane mein dairi naa laginn

“saaheb ye dekhiye”……hawaldaar ne inspector khan ko laash dikhaate huye kaha
“hmmm ye dusri waardat hai laash jal chuki hai sirf kuch chamde aur haadiya hi hai pata nahi aakhir sheher mein ho kya raha hai? Pichli laash humhe yahan se kareeb 2 km dur par mili thi ye jungle kaafi Ghana hai koi shaq nahi dair raat ya subah ke waqt hi aisa kiya gaya hogaa kyunki yahan koi aata jata bhi nahi”……inspector khan ne constable ko bolte huye kaha

“theek hai laash forensic lab le jao aur haan agar pichli laash ka deta doctor bataa de toh turant thane le aana main jaa raha hoo”…..itna kehkar khan tezi se apni jeep mein baith chukaa tha

Agle din report thane mein aa chuki thi

“saaheb saaheb”….hawaldaar chilaate huye aaya
“kya huyaa sabot mil gaya kya?”…..inspector khan ne chai peete huye kaha
“haan sir ye dekhiye reports aap yakeen nahi karenge”…..hawaldaar ne ghabrate huye kaha

“tu to aisa dekhke keh raha hai jaise laash ka khoon kisi aadmi ne nahi balki kisi jaanwar ne kar”….reports par nazar daudhaate hi inspector khan ki rooh fana ho gayi

“aapka matlab shair”……khan ne doctor ko dekhte huye kaha
“haan shair iss laash ko dekhne ke baad aisa lag raha hai ki jalne se pehle iske jismo mein pehle se bahut zakhm they hamare liye pata lagana bahut mushkil tha lekin ise cheere phate huye organs ko dekh aur gale ki nass phati huyi dekh yakeen se keh sakta hoo ye kaam koi maanshaari janwar hi kar sakta hai”…..doctor ne observe karte huye kaha

“lekin agar kisi jaanwar ne I mean kisi shair ne ise khaaya hai to fhir ise kya shair ne jalaya hongaa what nonsense aur fhir ye itni raat gaye junglo ke beech kya kar rahi thi ek black plastic bag mein ek larki ki laash milati hai jali huyi jise jaanbhujkar jalaya gaya ooske baad ooske jism mein cheer fhaadh phati huyi gale ki nass isse saaf jaahir hota hai ye kisi insaan mein chupe shaitan ka kaam hai aur shaitan bhi koi sanki mizaaz humhe abhi mili laash bhi aurat ki mili isse saaf zaahir hota hai ki kaam kisi sanki pagal killer ka hai aur main iska pata jald hi lagaa lungaa”……itna kehkar inspector khan halwadaar ke saath bahar nikal hi raha tha ki wo phir mudhaa aur doctor ko ghurrte huye kehne laga

“doctor saaheb kya aap iske chehro ko face reconstruct kar sakte hai maybe isse humhe in dono larki ka chehra saaf dikhne lagega”……inspector khan ne gambhirta se jawaab dala

“alright I can do this par ooske liye waqt lagega kam se kam 20 din kyunki chehre par maans aur haddiya buri tarike se jalaa di gayi hai fhir bhi hum koshish karenge reports aapke paas jald hi pahuchegi”……doctor ne muskurakar kaha

“hmm ho na ho isi chehro se hum identity pata karke khooni tak pahuch sakte hai chalo shinde”….itna kehkar inspector khan apne hawaldaar ke saath nikal gaya

“darinda u mean shaitan”……oos doctor ne anjana ko dekhte huye kaha
“ji doctor sapne mein shair dekhti hoo munh se khoon gir raha hai ooske kal shaam shower lete waqt bhi mujhe ek pal ke liye aisa laga ki main khoon mein nahaa rahi hoo jab palat kar dekhaa to everything was fine and normal”……anjana ne dheere se sochte huye kaha

“hmmm maybe aapki koi bhul ho ya shayad koi bhayanak ghatna jo aapke saath beeti ho”…..psychatrist ne jawaab diya
“no doctor ghatna to nahi lekin mere ex boyfriend ke saath kuch ghataa tha”……anjana ne dheere se jawaab diya
“kya?”…..pyschatrist ne sawaal bhari nazro se kaha
“he was attacked by a wild animal fhir ooske saath ooski friend ko bhi maar daala tha but wo bach gaya”…..anjana ne dukh prakat karte huye kaha

“oh abhi lastly jo khabar suni thi accha accha”….psychatrist ne dheere se kaha
“yes doctor”….anjana ne ek pal psychiatrist par nazar daudhaakar fhir soch mein dub gayi
“main tumhe kuch medicine deta hoo and don’t worry shayad ooska sadma aapne apne par le liyaa but that was just an accident oose ek ghatna samajh kar bhulaa do lekin aapne oose break up kiyaa tha”…..psychatrest ne jaanne ki sochi

“hamare bech tensions chal rahe they aur wo mujhe attention nahi dene lagaa wo bahut rebellious attitude wala larka hai aur ooski isi soch ki wajah se ooske saath ye haadsa huyaa khair main chalti hoo doctor”…..anjana jaanti thi ki apne raaz batakar oose sirf dukh hi naseeb hongaa


Anjana fauran clinic se bahar aayi…aur car ka intezaar karne lagin…”uff itni khadhak dhoop aur upar se itni garmi sss taxxiii”……anjana taxi ke liye haath failaa rahi thi

Tabhi wo shaks black car mein baitha anjana ko ghurr raha tha aur fhir oosne chashma lagaya aur sidhe car ooske saamne rok daali…anjana ek pal ke liye chaunk gayi aur fhir jab oosne car mein baithe shaks ko sheeshe se khulte hi ooska chehra dekha to wo hairaan ho uthi

“hi anjana”….ye awaaz jaani pehchaani thi ye koi aur nahi vishal hi tha

Anjana ne bina jawaab diye aage badh gayi….”anjana anjana meri baat suno listen to me anjana”…..car ko ooske saamne rokte huye vishal ne kaha

Lekin anjana rukne kaha waali thi….vishal jhat se car ko ooske saamne rok daala…anjana ko rukna paraa

“leave me “…..anjana ne cheekhte huye kaha
“anjana stop sssshh main jaanta hoo tum mujhse gussa ho kyunki maine bahut bura bhala kaha hai lekin anjana sttopp”….anjana waapis piche kadmo se jaane lagi

Vishal ne jhat se ooska haath pakad liyaa “anjana listen to me”….vishal ne ooske haath ko kasske pakraa huyaa tha
“chodho mujhe vishal tum apni had paar kar rahe ho mujhe tumse koi baat nahi karni”…..anjana ne haath chudhaate huye kaha
“theek hai mat baat karo mujhse jaanta hoo kayi mahino se tumhe dard dete aa raha hoo oos din ki baat bhul jao hum ek hai we loves each other”…vishal ne abhi kaha hi tha
“oh shut up tum mujhse pyaar nahi karte jab chahte ho to pas aate ho aur jab mujhse dil bhar jaata hai to akela kar dete ho listen mr vishal singhania I am not ur toy”….anjana ne gusse se bhari nigaahon se dekhte huye kaha

“itni khadhak dhoop mein chehra garam ho gaya hai aao mere saath hum baat kar sakte hai ye saari galti neela ki thi oosne mujhe behakaa diyaa tha”…..anjana ne vishal ka haath jhatak diya aur oose piche dhakel diya
“galti oos bechari ko dosh mat do na jaane kitni larkiyo ki zindagi barbaad ki hongi aur oose bechari mari huyi neela ko dosh de rahe ho pura college jaanta hai ki tumhari wajah se ooski jaan gayi ab mujhe jaane do warna main chillaungi”…..vishal ki aankho mein wohin gussa paida ho gaya

“kaise jaane dooo tumhe tumhari kashish oon hazaar larkiyo se alag u are special baby”…..vishal ne kasske anjana ke dono kandho ko zor se pakad liayaa
“leave me leave me vishalall hellpp hellpp aaahhhh”…..dard ko bardasht karna mushkil tha oosse bhi zyada vishal ke kareeb honaa oose gussa dilaaye jaa raha tha

Aur aakhir mein anjana ne zor se oose dhakelte huuye chehre par kasske chaanta maar diyaa
“isi ke laayak ho tum agar dobara mere pas aaye to police ko call kar dungi tumhara mera rishta kabhi tha hi nahi tum mere liye mar chuke ho aur main tumhare liye aur pyaar ki baat karte ho mera saccha pyar maasum hai maasum se badhkar mere liye koi nahi saamjhe tum”……itnak ekhkar anjana wahan se rote huuye bhaag gayi

Vishal chehre par haath rakhta huya apne chashme ko mutthi mein kasskar todh chukaa tha ooski gusse ki iintehaa naa rahi aur aur aankhen laal hone lagin…..

“bahut pachtaogi tum anjana tumhe mera honaa hi hongaa aaaahhh”…..vishal ne zor se ghurrahkar apni laal aankho se dur jaati anjana ko dekhne lagaa...

Logged
asif biswas
Guest
«Reply #8 on: May 25, 2013, 07:48:48 PM »
Shekawat soch mein dubaa tha oose itna bhi yaad nahi tha ki ooske saamne Robert kab se baithaa oose hi dekh raha hai…..”shekwat sir hello?”…..robert ne muskurakar chutki bajate huye kaha

Shekawat jab apni soch se jaaga to hass paraa….”oh my careless tum aa gaye aur main sabkuch bhulkar tumhare saamne baitha hoo khair”…..shekawat ne kursi par laittey huye kaha

“aap kis khyaal mein khoye they wohin shair wala kissa”……Robert ne sochte huye kaha
“hmmm haan kal raat se soch mein dubaa hoo tumne akhbaar padhaa do katal ho chuke hai maana jaa raha hai ki sheher mein koi jungli jaanwar guss gaya hai “……shekwat ne fikar karte huye kaha
“jaanwar kaisa jaanwar? Humhe to aise koi jaanwar ka pataa nahi “……robert ne maathe par shikar late huye kaha
“pehle oos larke vishal ka attack honaa ooske baad se aise haadse ghatna…kuch to common hai basharte hum oos pehlu ko samajh nahi paa rahe inspector khan ka interview mein kehan tha ki wo jee todh mehnat kar raha hai qaatil koi sanki mizzaz hai jo in do vaardato ko anjaam de chukka hai kaatil koi sanki pagal hai jo apne shikaar ko khaata hai aur fhir ooska khoon peekar oose behremi se maar daalta hai jaisa ek sher apne shikaar ke sath saluk karta hai”…….shekwat ne bottle kholkar whisky glass mein daalte huye kaha

“shair? Qaatil mujhe kuch nahi samjh nahi aa raha ho na ho koi paagal aadmi hi hongaa warna ab tak humhe report mil jaati ki jungle mein koi shair vishal ke kehne par humne puraa jungle chaan maara lekin koi naa shair tha aur naa hi koi ooski pehchaan mujhe to lagta hai koi aur cheez hai jise hum samajh nahi paa rahe”……Robert ne sochte huye kaha

“tum jaante ho aaj se kareeb 130 saal pehle is junglo mein aadiwasiyo ka raj ho ya karta tha….wo jungle mein rehte they aur shair ko pujhte they…in junglo mein shair ghumaa karte they….oon logo mein itna andhwishwas tha ki oonhone logo ki bali deni shuru kar di…wo sochte they ki har saal ek insaan ki bali ooska khoon se shair oonhein pareshaan nahi karegaa….lekin tabhi theek ooska ultaa huyaa”…..robert shekawat ki baat ko dhyan se sun raha tha aur beech beech mein whisky ki chuskiya le raha tha

“isi beech oonhone ek zinda shair ko pakraa…..kaafi taandav kiaya aur fhir ooske baad ooski bali chadhaa di aur fhir ooskaa khoon charo taraf junglo kea as paas failaa diyaa….shair oon aadiwaisyo se dur rehte they…lekin ooska theek ulta huyaa
Jin shairo ki laash ko wo jalakar ek gaddhe mein dafnaa dete they theek oosi tarah oonhein baaki shairo ke saath aisa kiyaa…oonhe pakarte bali chadhaate aur fhir oonke khoon ko peete…..oonmein itna hinsaa fail gaya ki oonhone apne aapko kaatna shuru kar diyaa

Haahakar mach gaya aur kuch hi dino mein oon aadiwasiyo ka wazud in junglo se khatam ho gaya….ye kahani main eek budhe aadmi se suni thi wo inhi jatiyo ka wanshajh hai aakhri wanshajh oonhone ye bhi bataya ki ye sab shair ki aatma ka dosh hai jo ek bhayanak shaitaan ban chukka hai wo hawaao ki tarah is jungle mein bhatakar kisi insaan mein ghusskar wo shaitan mein tabdil hota jiski koi kalpana bhi nahi kar sakta”…..itna kehkar shekwat fhir soch mein dub gaya

“hahahah ahhaa to aap in saab baton par wishwar karte hai lekin ye sheheri log in sab baton ko kabhi nahi maanenge khair maybe khan apni puri koshish karke oosk kaatil ko pakad le humhe to bas jungle ka jaayeza lena hai lekin mujhe ab bhi ek baat khatakti hai in sab cheezo ko sunkar”…..robert ne sochte huye aankhe nichi kar li
“kya?”…..shekawat ne soch bhari nazro se khan ko dekhte huye kaha
“yahin ki kahin wo wohin shaitan to nahi jisne vishal aur larki neela par attack kiyaa aur ooske baad vishal par sawaar ho gaya aapne ek cheez gaur kiyaa wo shaitan chahta to vishal ko bedardi se maar daalta lekin oosne vishal ko sirf ghayal kiyaa aur vishal pehla shikar ban sakta tha kya ye bhi ho sakta ki kahin wo vishal nahi balki ek insaani bhais mein chupaa koi darinda ho”…….shekwat ne Robert ki baat jab suni to ooska kaleja kaanp gaya

Udhar vishal shower ke niche kharaa apne geele jism par hath phair raha tha ooski aankho ke saamne anjana ghum rahi thi ooska jism ooski khusbu oose behad pagal kar rahi thi…..vishal ke hontho par shaitani muskurahat chaa gayi aur wo phir se aankhe mundkar nahane lagaa


Anjana rote huye apne ghar pahuchkar bas chup thi oose bas vishal ka yun oosko pakadna ooski aankho mein apne liye pyaar ki bhaavna dikh rahi thi anjana ka mood off ho chukaa tha achanak se maasum ka call bell bajaa

“hello?”…..anjana ne phone call uthate huye kaha
“hi anjana wo kaise ho?”….maasum ne dheere se kaha
“not gud”….anjana ne chup rehte huye kaha
“kya huya?”….maasum ne chinta karte huye kaha
“aaj mujhe vishal milaa tha”……anjana ne dheere se jawaab diyaa
“what? Kya kiya oos kameene ne tumhare saath ?”…..maasum ne gusse mein aate huye kaha
“sssh  tum gussa kyu ho rahe ho? Kuch nahi bas mujhe wohin baatein keh raha tha wo keh raha tha oose apni galti ka ahesaas hai aur wo mere kareeb aana chahta hai”…..anjana ki baatein sun maasum ka gussa ruk na saka
“oos kameene ki ye zurrat tehro oos kutte ko aaj main batake rahungaaa tum mujhse abhi milo”…..maasum ne gusse mein kaha
“maasum pls calm down main abhi kahi nahi aana chahti aur promise me tum vishal ke paas nahi jaoge he is dangerouse maine ooski aankho mein gussa dekhaa wo pehle jaisa vishal nahi tha”….anjana ne rote huye kaha

”main duniya ki har dukh bardaasht kar sakta hoo par tumhe chot khaata nahi dekh sakta  hello hello”…..anjana ne phone kaant diyaa aur takiye mein munh chupaakar rone lagi

Kuch dair neend ki aagosh hi mein thi ki tabhi ooske saamne vishal kharaa dekhaa….anjana ekdum se bhauklaa kar uthne hi waali thi ki vishal ne ooske munh par haath rakh diyaa

“ssssshhhh barso se tumhara intezaar kiyaa galti meri thi kit um jaiai khusbsurat hoor ko chodhkar main kitne kaminaa ho chala tha auro larkiyo ke liye uff “…..vishal ke chehre ko dekhkar anjana sehem chuki thi

Wo cheekhna chahti thi par cheekh nahi sakti thi aakhr mein oosne apni puri taqat lagake oose niche giraa dala…aur bistar se uthkar sidhe khauff bhari nazro se vishal ko dekhne lagi

“tum yahan kya kar rahe ho? Auntttyyy”…….anjana ne chilaate huye kaha

Par vishal par koi asar nahi tha wo chupchaap ek chair par baith gaya aur anjana ko dekhne lagaa oose ghurrne lagaa

“mujhe maaf kar do”….vishal ne maaus hote huye kaha
“nahi karungi tumne wo haq kho diyaa tum mujhse pyaar nahi balki mere jism se karte ho”….anjana ne kaha hi tha

Ki vishal ek shair ki tarah sidhe bistar par kudaa aur oosne anjana ka gala pakad liyaa

“hmmm main dhokebaaz haaan haan kyu kyunki main oos ek kamzor insaan tha aur aaj tum ho mere paas aaj main tumse kuch chahta hoo tumhe apni banana chahta hoo tumne maasum ko apna dil kyu diyaa wo to isi pal mein tha ki tum mujhse kab chutto aur ooski ho jao”……vishal ne aankh bhaari karte huye kaha

“plsss mera gala chodho main police ko bulaa lungi”……anjana ne rote huye kaha
“sssshhhh aur nahi bas ek baar mujhe kareeb aane do ooske baad mujhe aur tumhe ek hone se koi nahi rok sakta even not that son of b**ch maasum bhi nahi”……anjana ne virodh karma shuru kar dala

Anjana ne vishal ko fhir dur dhakelaa aur bhaagne ki koshish ki vishal ne oose mazubti se piche se jakad liyaa aur ooske gale ko buri tarah se chummne lagaa…anjana ko accha nahi lag raha thaw o bas bhaagna chahti thi ooski cheekho ke baad bhi aunty nahi aayi thi

“anjana main janta hoot um ab bhi mujhse pyaar karti ho bas kehne se darrti ho main chahta hoo ki aaj main tumhe chodhoo nahi”…..anjana fhir cheekhen lagiiii

Tbhi vishal ne anjana ko bistar par de patka….anjana uthnaa chahti thi lekin jab oosne vishal ki aankho mein dekhaa to wo sehem si gayi ooski wohin laal aankhen aur ghurrhat ki wo awaaz jo ooske gale se nikal rahi thi

Achanak se wo abhi kareeb aana hi chahta tha tabhi piche vishal par kisi ne zor ka hamla kiyaa vishal kuch hi pal mein bistar se niche gir para….jab anjana ne apne daayi or dekhaa to wahan ek shaks kahraa tha wo koi aur nahi maasum hi tha

“maasummm “…..anjana jaldi se bistar se uthi aur maasum ke gale lagkar ooske baazu ko kasske pakde piche ho gayiii

“haraamzaade main janata tha tu apni aukwad kabhi nahi chodhega”…..maasum ne anjana ko thaamte huye kahaa

“accha to iska matlab tu mujhe oosse dur karegaa”….vishal ne uthte huye maasum ko ghuraa

“dur to tum oosi din ho gaye they jab tune anjana ka wishwas khoyaa aur aaj ooske saath itni had tak girne ki koshish tu pyaar nahi vaasna ko apna payar samajhta hai aur mere liye anjana tere vaasna se bhi badhkar hai main oose tujhe chune nahi dungaa”……maasum ne gusse mein apne mukke ko kass liyaa tha

Vishal ne apne sar ko madhodhte huye fhirse junoon mein aa chukaa tha….vishal aur maasum ek hi jhatke mein ek dusre se takraa gaye piche anjana darri sehmi diwaar ke ek kone par khari..

Vishal ne oos par kisi shair ki tarah jhaptaa maasum ne khud ko bachte huye vishal par dugna hamla kar dala….hathaapayi ke baad…cheezo ke tutna….aur fhir vishal maasum par haavi hone lagaa….maasum ne jitna ho saka ooske chehre par jismo par mukke maarein….aur ek hi jhatke mein vishal zameen par gir para….

Maasum ne anjana kofhir se sambhaalaa aur ooske sar par haath pahirne laga lekin tabhi vishal gusse se badhak to pehle hi chukaa tha oosne jaise hi botal maarna chaha….maasum ne anjana ko dur dhakel diyaa aur ooska hamla khud par le liya


Botal sidhe maasum ke sar par jaa takraayi aur fhir maasum cheektha huyaa wohin behosh ho gaya,....lekin fhir bhi wo kaanpte huye bas apne sar ke chot ko pakadkta huyaa vishal ko anjana ki taraf jaate huye dekh raha tha

Maasum ke sar se khoon osoke chehre par aane laga…..”maassummm”….anjana zor se cheekhi…..vishal anjana ke kareeb aaya hi tha

Ki tabhi anjana ki friend kamre mein aa chuki thi aur ooske peeche they policewaale oonhone jhat se vishal ko pakad liyaa….

“nahi nahi mujhe choddhh doo chodh doo mujhee anjanan tum meri ho aur meri hi rahogi samjhi tummm aaaaaaahhh”…..vishal ko police ghasiste huye bahar le gayi

Anjana khauff se darri huyi apni friend ke gale lag gayi….maasum ke paas jaakar oosne maasum ke sar ko dekha jo khoon se latpath tha….”tumhe kuch nahi hogaa maasum “….ambulance ki car bhi jald hi pahuch chuki thi….vishal ko jeep baithaya gaya aur policewaale oose le gaye maasum bhi jald hi hospital ke liye rawana ho gaya tha

“aaahh thank god tum bach gayi warna vishal is had tak gir sakta hai yakeen nahi hotaa accha huyaa aunty to out of station gayi huyi thi jab main kamre mein pahuchi to dekhaa ki vishal aur maasum ladh rahe hai maine turant police ko call kiyaa…aur aehem waqt par bulaa liyaa….”…….anjana ki dost ne roti anjana ko sambhaalte huye kaha

“sab meri galti hai meri wajah se maasum aagar wo sahi samay par nahi aata to vishal ki aaj main shikar ban gayi hoti “…..anjana ne subakte huye kaha
“tum lucky ho ki maasum jaisa dost tumne paaya hai lekin meri ye samajh mein nahi aaya ki vishal kamre mein aaya kaise khidhki bahar khuli thi shayad wohin se aaya hogaa don’t worry”….dost ne kaha

“miss anjana aapko inspector khan ne police station bulaaya hai chaliye”….hawaldaar ne anjaan ko kaha

Anjana ab bhi kaanp rahi thi anjana ki dost ne oose sambhaala aur dono police station ke liye rawana ho gaye…

Logged
asif biswas
Guest
«Reply #9 on: May 30, 2013, 05:13:21 PM »
Police station mein bahut dair se chupchaap baithey huye thi anjana aur ooski dost hawaldaar aur constables apne apne kaam mein busy they koi kaidi ko pakadkar andar le ke aaya gaya aur fhir ooske lock up ke taraf jaate hi khan lock up se nikalkar anjana ko dekhte huye aane lagaa

Anjana jo oos waqt darri sehmi huyi thi ooski friend ooske haatho par haath rakhkar oosse hausla de rahi thi….inspector khan saamne ke chair par baith gaya…

“toh anjanaa hmm humne byaan lene ki koshish ki vishal se lekin lekin ooska ek hi rat hai kehna ki wo tumhe pyaar karta hai”….abhi khan ne kaha hi tha ki anjana zor se chilaa uthi

“pyaar nahi karta wo mera wo bas mujhe use karma chahta hai sir oosne mere dost ko hurt kiyaa ooski wajah se maine apni bezzat huyi main jaanti hoo aur aap keh rahe hai ki main ossse”….anajana ki friend ne oose chup karayaa

“ok ok calm down main bas isliye keh raha tha kyunki main aapke aur  vishal ke baarein mein janna chahta hoo aapko apni saheli shukriyada karna chahiye jisne sahi mauke par aapki jaan bachaayi warna kuch bhi ho sakta khair aap dono kab se relationship mein they”….khan ne sochti nazar anjana ko dekhte huye kaha

“yahin koi 3 saal se”….anjana ne jhijhakte huye kaha
“ok ok khair koi baat nahi hum apni tafteesh jaari rakhenge aap jaa sakti hai”…inspector khan ne ek muskaan di anjana ko…anjana aankhe munde huye apni saheli ke saath station se nikal gayi

Udhar vishal lockup mein laitaa bas gusse ki aag mein deh raha tha…..
“stand up vishal mujhe jannna hai ki tumne ye sab kyu kiyaa?”….khan ne salaakho ke paas khare hokar kaha
“sar meri koi galti nahi hai main anjana se pyaar karta hoo”…..vishal ne laitte huye bina khan ko dekhe kaha
“pyaar balatkar ko pyaar jaise pavitra naam se ganda karne mein tumhe sharam nahi aayi kya kasoor hai oos larki kaa dekho vishal tum pehle hi mere aankho mein gadh rahe ho pehle ek gair larki ke sath jungle mein raat gaye tum gaye aur ooske baad ooska khoon isse abhi tak saaf nahi ho sakaa hai ki khooni koi jungle jaanwar hi tha yaa fhir koi insaan”……khan ne khadhak jaawab mein vishal ko ghurrte huye kaha

“inspector saaheb main bekasur hoo galti ki maine nahi oos maasum ne jo meri anjana ko mujhse cheenkar oose apna banaa raha hai…maine aapko pehle hi byaan de chukaa hoo ki oos raat mujhpar hamla huyaa tha kya ye zakhm aap bhul gaye “…..vishal ne gusse mei bilbalte huye kaha
“chilaao mat ye tumhara ghar nahi thaana hai agar itna hi pyaar tha anjana se toh fhir kisi larki ke sath akele raat gaye jungle mein kyu gaye isse saaf shak tumpar jaata hai ki tum ek sanki pagal ho khair saboot to hamare haath nahi hai warna tumhara wo hashr karta ki sapne mein bhi kaanpte mere naamse”…..khan ne gusse se daant bheej liye

Vishal apni laal aankho se khan ko ghurrne laga.a…khan oose dekhta huyaa bahar chala gaya….vishal ghurrata huyaa salaako par haath kass liye…”anjana ko koi mujhse alag nahi kar sakta koi nahi aaaahhhhh”…..vishal ki dahaad kisi darinde se kam nahi thi

Udhar maasum ko jald hi hosh aa gaya oosne jab apni aankhe kholi to anjana ko kareeb paaya….”aaahh”…maasum utna chahta tha lekin sar ke dard ne oose wapis giraa dala…anjnaa ne ooske jism par haath phairaa aur kaha “ssshhh khud ko dard mat do”…

Maasum ne anjana ka haath thaama aur haste huye kaha “mere liye aankho mein aansu”….anjana ne apne aansu ponche aur kaha “tum nahi hote to main aaj zinda nahi hoti main nahi jaanti thi ki vishal itne had tak gir bhi sakta hai maine agar saccha dost paaya to wo tum hi they…tum jaante ho main kitni bari bewakuf thi jo tumhe chodhkar aise insaan se pyaar kar baithi jisne meri ahemiyad kabhi samjhi nahi”…..anjana fhir rone lagi

“dekho anjana jo hua oose bhul jao pehle ye batao tum theek to hona oos vishal ka kya huyaa?”…..maasum ne hadhbahadht mein kaha…..”vishal ko police ne arrest kar liya hai main byaan dene thane gayi thi ab wo humhe koi nuksaan nahi pahuchaayega lekin aaj mere kiye ki sazaa tumhe mil rahi hai vishal ne tumhe hurt karaa sirf mere wajah se agar tumne mujhe dhakka naadiyaa hota to zakhmi main hoti kyu kiyaa chot kyu sahaa?”…..maasum ne muskuakar anjana ki saarein baatein suniii aur kaaha

“kyunki main tumhe dard taqleef mein nahi dekh sakta pata hai jab tumne phone kaanta thasocha tum mujhse naaraz kahin dukh tension mein waapis depress naa ho jao jab main tumhare ghar pahuchaa to maine tumhari cheekhne ki awaaz suni saath mein vishaal ki awaz main tumhe bachana chahta tha main sidhe khidhki se andar ghuss gaya aur vishal ko tumse “…maasum ne daant bheej liye

“ab wo sab chodho tum ab rest karo doctor ne kaha hai ki sar par zyada chot nahi aayi maasum main tumse kuch kehna chahti hoo”….anjana ne sar jhukaar kaha….”kya ? kaho “…..maasum ne hairaani se anjana ko dekhte huye kahaa…”maasum main chahti hoo ki hum kuch dair ke liye akele kahin time spend kare is sheher se dur kahin dur khubsurat waadiyo mein”…..maasum ne ye baatein suni to hassne laga aur khushi maano pagal ho uthaa

“main bhi yahi soch raha tha in dard taqleef se dur humhe kahin waqt bitnana chahiye main jald hi theek ho jaao fhir hum sheher se dur challenge campaign karenge ok”…maasum ne haskar kaha “ok”….anjanan ne hasskar maasum ke mathe par chumm liyaa

Tring tringgg….”hello”…..inspector khan ne receiver uthaate huye kaha “saaheb wo wohhh face sketch mil gaya hai wo ek larki hai sahib”……shinde ka phone tha……”theek hai shinde tum pata lagao ki aisi skectch waali larki kisi ne dekhi hai yaa nahi”…..inspector khan ne khadkate huye kaha …..”theek hai saaheb”…shinde ne phone kaant diyaa

Kuch ghanto baad khan ko mili khabar se wo ek club mein pahuchaa jahan shinde pehle se hi puchtaach kar raha tha shinde ne salute maari…khan club ke owner ko oos larki ka chehra dikhaane lagaa…

“hmmm kya aapne is larki ko yahan aate jaate dekhaa tha?”….inscpetor khan ne kaha
“haan saaheb do teen baar aayi thi par aakhri baa rise maine raat ko dekhaa tha yahin dance kar rahi thi”……owner ne chehre ko pehnchaante huye kaha
“theek hai to iske saath koi larka bhi tha”….inspector khan jawaa sunne ke intezaar mein tha
“haan haan saaheb larke to bahut they jiske sath ye masti kar rahi thi par ek larka tha jisne ise kuch kaha aur fhir ye dono club se bahar chale gaye”….owner ne yad karte huye kaha

“hmmm iska matlab hai ki khoon oosi larke ne kiya hongaa…”….abhi inspector ne sochaa hi tha ki shinde kaha “saaheb ye kaise ho sakta hai?? Khooni itni bedardi se kaise?”….inspector ne shinde ko ghurrte huye kaha “oh c’mon shinde khoon kisi darinde ne kiyaahai aisa ho nahi sakta zaurr koi sanki killer hi hai warna agar jaanwar hota to jism ko kisi sadak par chodh deta naa ki ghar par “…..inspctor ne cigarette jalate huye kaha
“ye bhi ho sakta hai ki kisi ne shair paala ho aur ooske liye”…khan ka gussa saatnve aasman par chadh gaya shinde chup ho gaya….”nonsense koi shair paalega aur larki hi kyu legaa larka kyu nahi idiot sab baatein bewakufi bhari hai chupchaap kaam pe lag jao”…..

1 mahina aur beet gaya anjana aur maasum apne trip ke liye tayyar ho gaye maasum ab pehle se behtar ho chukaa tha….dono sheher chodhne ke tayyaari mein they….anjana ooski madad kar rahi thi au maasum bag pack kar car mein rakh raha tha….dono fhir car mein baithey aur nikal pare….car sheher se dur junglo se guzaarne lagin….anjana maasum ke haath par haath rakhar oose dekh rahi thi maasum bhi drive karte huye anjnaa ko dekhkar muskuraa raha tha….dono jald hi sheher ke highway par chalne lage….

Udhar vishal gusse ki aag mein dehel raha tha shair ek pinjare mein kaid jaisa ho gaya tha….baar baar ghurraa raha tha tabhi lockup ki kundi khuli aur hawaldaar ne oose bahar chalne ko kaha….baahar nikalte hi vishal muskuraya…..ooska wakil kharaa khan se baatein kar raha tha

Inspctor khan gusse mein tha oosne vishal ki taraf gusse se dekhte huye kaha “ek min”….vishal apne waki lke sath nikal raha tha tabhi

“ye bail ne to tumhe bachaa liyaa lekin thosh sabut naa hone se maine tumhara gerebaan nahi pakraa…aayindaa aisi koi bhi galti ki ya anjana ke paas gaye to mujhse bura koi nahi hongaaa lekin jis din tumhari oos jhooti hamle waali baat saaf ho gayi tum nahi bachoge teen laashein mili hai tayyar ho jao”….vishal gusse se mutthi ko kasta huya khan ko ghurr raha tha

“its ok vishal let’s go munh lagne ki koi zarurant nahi “,,,,,,,wakil ne vishal ke kande par haath rakha aur oose bahar le jaane lagaa….par vishal khauffnaak nazro se khan ki aankho mein dekh raha tha aur oosne halki se muskurahat di aur nikal gaya

vishal ko college ke larke mile…..vishal ne oose ghuraa aur kaha “tumne anjana ko kahin dekhaa hai wo kahan gayi hai?”…”pata nahi par tu kyu janna chahta hai?”……ooske dost ne akadte huye kaha….”vishal ne jhat se ooska gala daboch liyaa aur oose uthaa liya hawaa mein “ab bata warna gala todh dungaa”..ooska dost saans nahi khench paa raha tha
“ba…ta.taa hoo aahhh gala chodh aahhh”……vishal ne ek hi jhatke mein oose giraa dalaa….ooska dost darr gaya…oosne kaha “wohh aahhh sss wohhh maasum ke saath is seher se bahar gayi hai bas itna jaanta hoo oonhone batayanahi wo kahan gae hai aahh”…khaaste huye kaha

Vishal muskuranae laa aur aur dubte suraj ko dekhne laga….to be continued…

Logged
asif biswas
Guest
«Reply #10 on: June 02, 2013, 07:41:39 PM »
Anjana aur maasum ek nayi waadiyo ki or aa chuke they….khusburat si waadi charo taraf hari ghasss dur dur tak hariyaali khubsurat sa jungle…jahan koi shorr nahi aur oosse bhi badhakar wo dono akele wahan par

“wow mujhe aise hi jagah janne ka bahut shouk tha maasum tumne aaj meri saari khushiyaa puri kar di”…..anjana khushi se pagal si ho gayi
“khushi hmm ye to sirf ek chotaa saa tohfa tha…dekho anjana wahan dur chalo aao”….maasum anjana kaa haath pakraa oose oos chote se ghar ki or le gaya

Maasum ne jhat se ghar kholaa aur anjana ko ghar dikhaane lagaa…”anjana I love this place yahan se wahan khidhki se jaakho dekh rahi ho taalab kitna sundar hai sirf tum aur main aur koi nahi”…..maasum ne anjana ke gale par kiss karte huye kaha

“oh c’mon maasum plsss itni bhi jaldi kya hai?”…..anjana ne maasum ko dekhte huye kaha….maasum ne halka muskuraya aur aankhe neeche kar li….”ab to tum depressed nahi ho naa?”…..maasum ne anjana ki aankho mei ndekhte huye kaha
“nahi maasum”…..anjana ne aansu ponchte huye kaha…”kuch nahi hongaa jab tak main tumhare saath hoo main tumhe kuch nahi hone dungaa chahe wo jitna bhi zor lagaa le aur waise khan oose chodhne wala nahi “…….anjana muskurakar maasum ko dekhne lagin

“kya huya?”…..maasum ne hasskark aha
“tum mujhse pyaar karte ho naa?”…..maasum thodha hairaan huyaa anjana ki baat ko sunkar
“haan apne se bhi zyada”….maasum anjana ke kareeb aakar bola
“mere liye apni zindagi kharte mein daal di thi tumne…”…..anjana ne dheer se kaha
“anjana agar oos waqt mujhe apni jaan bhi dekar tumhari zindagi bachani hoti to wo bhi kar baithta kyunki main tumse beintehaa pyaar karta hoo…”…….maasum ki baatein sunn anjana oosse lipat gayi

Anjana ne ooski aankho mein dekha aur maasum bhi ooski aankho mein dono ek dusre ke hontho ko chummne lage….itna gehraayi se ki ek dusre mein madhosh ho gaye….ek dusre se lipatte huye maasum ne oose girfat mein kheech liyaa….anajna ab maasum ki baaho nmein thi….maasum oose baahon mein uthaaye sidhe bistar par laitaa chukaa tha….anjana ne maasum ko apne jism se kaid kar liyaa…maasum betahasha anjnaa ko chummne lagaa….kabhi gale par kabhi ooske labo par….saansien dheemi ho gayi hawaaye thandi ho gayi….kuch hi dair mein dono ek dusre ke nange badan se lipate they mombatti ki roshni mein andhero mein lipate ek dusre se pyaar kar rahe they…..anjana maasum ke seene ko chummti huyi ooske upar laitkar oose dekhne lagin….maasum muskuraye ooske zulfo ko samiatne lagaa…..”kaash jo waqt maine khoye oonhe tumahre saath beeta sakti”…..anjana ne haste huye kaha
Maasum – jo waqt beet gaya so beet gaya ab hamare paas waqt hi koi seema nahi hai anjana
Anjana – main chahti hoo tum mujhe har tarike se payar karo

Maasum ne anjana ke zulfo ko hataakr ooske labo par apne honth rakh diye aur oonke honth ko chummne lagaa….anjana bhi khokar maasum ke honth ko chummne lagi thi….

Maasum ne oose apne jism se fhir liptaa liyaa…..

Udhar vishal bhi kisi ghurrate shair ki tarah anjana aur maasum ko dhundh raha tha….raat ho chuki thi…vishal ki aankhe fhirse laal thi….aankho ke saamne ghurrata huyaa bhooka shair dikh raha tha….achanak se oosne jab apni gaadhi roki to dur mein khari car ko pechaane mein dair na lagi ki maasum aur anjana yahin hai

Vishal muskurata huyaa dheere dheere oonki taraf badh raha tha anjana aur maasum is musibat se bekhabar ek dusre ke aagosh mein dube huye they….thandi hawaa mein do nagan jism ek dusre se lipate huye they….anjana maasum ke baalon par haath fhiraa rahi thi….maasum ki aankhe band thi “aahh kaash ye raat kabhi khatam naa ho”…..anjana ne muskurakar kaha “hmmm aaj mujhe lag raha hai ki maine sabkuch paa liyaa anjana tumhe tumhara pyaar sabkcuh “…..maasum aankhe band kiye anjana se lipata huyaa tha…oonka gora badan chand ki roshni se ujwal tha…choti si patli si chadar odhey dono ek dusre ke badan se lipate huye they…..”grrrrr”….anjna ek dum se bhaukla kar utha gayi

“kya huyaa anjnaa”….maasum laitakar hi anjana ko hairaani se ghurr raha tha
“tumne wo awaaz sunaa”….anjana ne charo taraf dekhte hue kaha
“nahi nahi to awaaz charo taraf sannaata hai aur dur dur tak koi nahi”….maasum ne uthte huye kaha

Anjana apne jism ko chadhar se dhaki maasum ko dekhen lagin…”maasum tum bahar mat niklo plsss”….anjnaa uthte maasum ke haath ko pakadkar kehne laginn….”anjana ssshhh calm down kuch nahi yahan koi nahi aayega wishwas karo…main yahan pehle bhi bahut baar aa chukaa hooo”…..maasum kuch dair tak anjana ko relax karta raha lekin oosse samajhne mein waqt naa laga ki anjana kya kehna chahti thi? Maasum gusse se uth kharaa huyaa

“maasum pls bahar mat jao maasum plsss”……anjana ne uthkar jaate huye maasum ko kaha
“main jaanta hoo wo kameena yahin aya hongaa fikar mat karo oose main chodhunga nahi”…..maasum abhi bahar jaa hi raha tha ki tabhi khidhki ke tuntne ki awaz aayi

Maasum dheere dheere kitchen ke taraf chal para…jab oosne jhaankaa to wahan tute sheeshe they….”maasuummmm”…..anjana ki cheekh ne maasum ko daraa dala tha maasu mturant piche ki or palta….oos kale saaye ne anjana ko pakd rakhaa tha….wo koi aur nahi vishal hi tha

“kameenne “….maasum daudhta huya tezi ke saath vishal se jaa takraya dono ek dusre par chalaang laga chuke they,….dono table se hokar sidhe niche gir pare…maar shuru huyaa mmaasume ne vishal ko khoob peetna chaha…lekin vishal kahan haar manta tha oosne maasum ko hi jhatke mein khidhki se bahar faikh diaya

Shessho ke tutte hi maasum sidhe farsh par jaa giraa ooske jism se khoon behane laga….anjana ki cheekhne ki awaaz maasum ko pagal kar rahi thi…

“oos kameene ke sath sone mein tumhe sharam nahi aayi”….vishal ne zordaar thappad anjana ke chehre par de maara…anjana kar sar sidhe sidi ke railing se jaa takraya aur wo ghumte huye sidhe farsh par gir gayi ooske sir aur chehre se khoob behne laga…..vishal jaanwaro ki tarah anjaana ko ghurrne lagaa….”aaaaaaaaaaaaahhhh sss aaaaaaaaaaaaahh”……vishal ka jism fhir akadne lagaa….daant bahar nikalne lage….chehre par baal badhne lage…anjana ki adhkhuli aankho se jab oosne vishal ko dekhaa to oose mehsus huyaa ki ye vishal nahi ho sakta ye koi khauffnak jaanwar hai…

Oosk iaankhe bari hone lagin…awaaz badalte huye kisi ghurrahat dhaadhte shair ki awaz mein badalne lagin….anjana oosse dur hatne lagi aur wo anjana ko khauffnak nazro se dekhne lagaa ooska kapra fhatne lagaa….jagah roye badhne lagaa haddiyaa chatakne lagin…naakhun badhne lage…kisi darinde ki tarah hone lagaa…anjana pagalo ki tarah oose dkehe jaa rahi thi achanak se  peeche se maasum ne ooske peeth kursi de mari kursi tut gayi aur vishal wohi gir para….maasum ne anjana ka haath thaama aur dono ghar se nikal gaye aur jhat se maasum ne langdhate huye ghar ki kundi laga di aur ek mota danda kundi pe fansaa diyaa

Grr grrrr rrr aaaahaaahhh aaaaaaaah”…..pagalo ki tarah dhaadhta huya vihsal cheezo ko tehes nehes karne laga aur fhir darwaaje ko panjo se todhne lagaa….”oh myyy goddd maasuummm vishaallll”….anajan ko kuch samajh nahi aa raha tha maasum ka dimaag bhi chakraa raha tha…..”don’t worry humhe police ko call karna hongaa warna let’s go get to the car”…..maasum au anjana ek dusre ka haath pakre car ki taraf jaane lage…vishal puraa shair mein ban chukaatha wo anjana aur maasum ko car ki taraf jaate dekh sakta tha…turant oosne khidhki se chalaang lagaa di aur dahadhtaa huya dono ke kareeb daudhtaa huyaa aanel aga….”wo pas aa raha hai anjana get in the car”….masum ne jhat se car kholaa aur anjana ko andar dhakel diyaa….maasum abhi kuch kar pata…dahdhata wo darinda maasum par chalaang lagaa chukaa tha…maasum bach naa saka aur shair oos par havvi hone laga…”maassuummmmm:,,,,,anjana ne shair ko ghayal maasum par hamla karte dkehaa oosne jhat se apnaa darwaja khol liyaa aur bahar nikal gayi

Anjana  turant car ki dikki kholne laginnn…..hadhbadhat mein osse chaabi chutt gayi maasum puri taraqt se shair ke hamlo se bachna chaa raha tha par shair par oos par tut paraa..maasum kabhi bhi mar saktaa tha…..anjana ne ek khulaadi dekhi….anjana turant oose haath mein thaam liyaa aur dheere dheere oos darinde ki  taraf badhne lagi ooske haath kaanp rahe they anjana ne ekzordaar waar sidhe ooske upar kiyaa khulaadi ke waar se shair chatpatakar girrr paraa aur fhir oosne dobara najana pe hamla karna chahaa anjanaa khulaadi chodh bhaagne lagi shair ooske peeche tha…shair ne kasske ooske tango par apne daant gadhaa diyaa..”aaaaaaaaahh”,,,,,,,anjana gir parii shair oose ghasita huyaa junglo ki taraf jaane lagaa….”massuummm aaahh”…anjana roye ja rahi thi dard se chilla rahi thi,…maasum larkharata huyaa cheekh raha tha…..maasum ne car ka sheesha todh daala…aur fhir drawer se ek gun nikaali….maasum ne turant kasske trigger pe ungli dabaayi aur sidhe shair ke sair par goli chala di dhacchhhh dhacchhhh dhacchhh…teen goliyo ke saath shair wohin gir para…anjana wohi behosh ho gayi…maasu mdheere dheere kareeb aane laga oosne anjana ko apne jangh par rakha aur oosko uthaane laga “anjanan baby tumhe kuch nahi hongaa anjanaa sshh anjanaa tum sun sakti hoo plss “….”aahh maasumm”…anjnaa ko hosh jaise aaya wo maasum se lipatkar rone lagin…

Kuch dair baad dono ne shair ko dekhaa….jiski aankhe band thi aur lag raha tha wo mar chukaa hai”accha huaa ki gun saath tha “….maasum kaanpta huya bola “lekin ye kya ye mar gaya?”…..anjana ne maasum ki taraf dekhte huye kaha
“keh nahi sakte ye ek shair hai jeeta jaagta ab mujhe sab saamjh mein aa raha hai wo attack oon larkiyo ka marna…oos raat oos larki ke sath vishal iska yahin matlab ho sakta hai ki ye sab vishal kar raha tha vishal hi wo khooni darinda hai jo khoon ki talab mein logo ko maar daalta hai ohh myy goodd maine apni zindagi mein kabhi aisa nahi dekhaa “humhe police ko sab bataa dena chahiyeee”….anjana ne rote huye kaha
“anjanaja anjaannaa listen to me police ko batana theek nahi koi wishwas nahi karega ulte vishal ke khoon ke ilzaam mein hum fass jaayenge ek kaam karte hai oos taalab mein vishal ki body ko giraa dete hai naa sabut rahegaa aur naa kuch”….anjana ne kaafinsist karna chaha lekin masum nahi maana
“lekin agar ye zinda hai to ooske kareeb mat jao”…..anjana ne masum ke baazu ko pakadte huye kaha
“anjana hosh mein aaoo chance to lena hi hongaa”….maasum dheere dheere shair ki taraf jaane lagaa

Tabhi ghurrahat se maasum wohi thithak gay aur oosne fhir se ek goli sidhe shair ke chaai par chalaa di dhacchhh…anjana kaanp gayi…maasum dheere dheere fhir aage badhne lagaa…khoon se nikal rahe oon ghaavo ko dekh maasum ne jaayezaa lena chaha…achanak se ghari par nazar daudaayi subah 5 baj chuke they….shair waapis vishal mein tabdil ho gaya ooske charo taraf goliyo ke nishaan…anjaan khauff se munh par haath rakh chuki thi….maasum ne turant oosk ilaash ko uthaaya…anjana ne ooske tango ko pakraa aur dono ne oose farsh par rakh diyaa…maasum ne ooske tango ko rassi se baandh diya aur ek bare se patthar ko bhi raasiyo se jakad diyaa…don one kasske dhakka diya aur vishal se paani mein dub gaya…ooski laash andar chali gayi dubti huyi….maasum aur anjana waapis apne cottage pahuche “main yahan aur nahi reh sakungi mujhe darr lag raha hai”….anjana ne rote huye kaha
“kuch nahi hongaa darro nahi it’s over vishal marr chukka hai agar hum oose nahi maarte to main tumhe kho deta ooska junoon hi ooski darindagi thi jise humne khatam kar diyaa lekin ye raaz humhe jald hi khan ko samjhana honga darro nahi humhe is raaz se jald se jald parda uthaana hi honga”…..masum ki aankhe soch mein dub gayi….
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #11 on: June 05, 2013, 08:54:18 PM »
“aahhh ssss uhhhh”…..anjana ne zor se apne dard ko sehan kar liyaa tha par tanag par lage zakhm kuch zyada hi gehre they

“uff accha huyaa ki aehem waqt par maasum tumhe yahan le aaya warna ghaav se zeher fail jaata”…..doctor ne anjana ke jaangh par patti lagate huye kaha

“maasum kahan hai??”…..anjana ne dard ko sehan karte huye kaha
“khushkismat hai tum dono ko jungle se dur rehna chahiye kya tumhe pata nahi kitne haadse aajkal jungle mein ghat rahe hai accha huyaa nass nahi phati warnaa police ko byaan dete dete hum thak jaate”…..doctor ne muskurakar anjana ko relax karne ko kaha

Kuch hi ghanto mein maasum anjana ke saamne tha sar par patti chehre ke ird gird pattiya thi…”uff maasum”…anjana ne jhat se bistar se uthkar maasum ko gale lagaa liyaa…maasum ne halke se ooske baalon ko sehlaaya aur oose apne se dur karte huye kaha

“aur theek to honaa tum behosh ho gayi thi accha huyaa ki wo jaanwar bhaag gaya oosne tumhe zyada nuksnaan nahi pahuchaaya”……anjana maasum ki baat ko samajhi nahi aur maasum ne ek aankh se oose ishara kiyaa ki wo jaisa keh raha hai waisa haami bhare

“haa…haan wo..wo kaafi khatarnak jaanwar tha”….anjana ne hakalte huye kaha
“hmm lekin ghaav se to koi baraa jaanwar lagaa kahin koi shair to nahi tha”……doctor ne muskurakar kaha
“nahi nahi shair agar hotaa to dikhta lekin andhere mein kuch samajh nahi aaya jungle ke beecho beech se aaya aur gaayab ho gaya”…..maasum ne hasskar kaha
“daad deni paregi tum dono ko ab aisa koi kadam mat uthana jisse nuksan pahuche ab aap dono jaa sakte hai but bed rest zaruri hai”….doctor ne hidaayat dekar muskurahat di

“ok doctor”…anjana bhi maasum ke saath hospital se bahar aa gayi

“maasum uff mujhe darr lag raha hai”….anjana ne kaha
“jaanta hoo but tumhe pretend karna hai tum kuch nahi jaanti ho vishal hi wo khoonkhar darinda hai aur mujhe darr hai ki wo abhi tak maraa nahi hongaa”….maasum to jaise bhaulka sa gaya tha
“nahi maasum tumne oose paanch baar goliya maari hai aur oose maine bhi to zakhmi kiyaa tha humne khud dekhaa tha ki wo waapis apne roop mein aa gaya tha main wo bhayanak manzar kabhi nahi apni aankho se mitaa sakti’’….anjana ne darrte huye kaha
“theek hai agar wo marr gaya hai to vishal ke lapata hone ki khabar police ko lagegi hi aur fhir shak ki suyi tab jaayegi jab aakhri baar oose kisi ne nikalte huye dekhaa tha”…..maasum ne sochte huye kaha
“to iska matlab”……anjana ne darrte huye kaha
“agar wo maraa hai to yakeenan koi bawaal nahi uthegaa par agar wo zinda hai to hamari zindagi khatre mein padh jaayegi chalo anjana”…..maasum ne anjana ka haath pakraa aur dono car mein chale gaye

Kuch hi din aise hi katt gaye…naa vishal ka kuch pata chala…aur naa hi wo shair waapis aaya…anjana aur maasum ko lagaa ki oonhone shayad vishal ko kahin na kahin jaan se maar diyaa hai…lekin oonhein is baat ka darr tha ki kahin vishal ki laash kisi ko mil naa jaaye….dheere dheere maasum aur anjana ka darr kam hone laga jab oonpar na shak ki suyi uthi aur naa hi oonki zindagiyo par na kisi darinde ka hamla huyaa….khair ek din aa hi gaya hi kisi tufaan se kam nahi  tha

“haan maasum theek hai main tumse baad mein baat karti hoo I need to attend my class”….anjana ne jaise muskurake abhi phone kaanta hi tha ki achanak saamne khare shaks wo takraa gayi…jab oosne apni aankhe oos shaks ko dekhne ke liye upar uthaayi to wo ekdum se bhoot ban gayi

“hi anjana”…..vishal ye vishal hi tha hontho par kaatil muskurahat aur aankho par kaala chashmaa aise dikh raha tha maano oos raat kuch huya nahi tha
“tu..tummmm”…..anjana ne darrte huye kaha

“han anjana tumhara vishal”…….vishal ne haste huye anjana ke kareb aakr kaha
“nahi nahi tum nahi ho sakte tum ek pagal darinde ho tum ek jaanwar ho tumne oos raat humhe maarna chaha bachaoo bachaoaoo”….anjanana bhauklaakar chillane lagin….vishal oose chup karane laga lekin wo kahan sunti aakhir mein vishal se anjana ko jhinjodh diya dono baazuo ko kasske apne hatho se jakad rakha tha
“anjanaa hahahaa tumne jo kuch bhi kiyaa wo mere liye bahut hi taqleefdayaak tha agar tumne mere khilaaf awaaz na uthaayi hoti to main itna embarrass kabhi nahi hotaa oos kameene ke saath tum kaise shitt aur rahi baat ab tumhe meri hona hi hongaa”…..anjana ne vishal ko jhinjodh diyaa vishal hadhbahadhkar zameen par gir para

“shutt upp tum ek janwar ho tumhara wo khaufnaak chehra maine dekhaa hai aur main jaanti thi tum humhe maarne zarur aaoge isse pehle ki tum kuch karo main police ko bulaaungi”…..anjana bhaagne lagi

Vishal ne ek dum se chilaaya..”hey anjnanaa hahaha kya kahogi ki tumne aur maasum ne milkar mujhe maara hai khoon kiyaa hai mera aur main waapis laut aaya hahhaa koi wishwas nahi karegaa tumpar ab bhi waqt hai meri ho jao to shayad main maasum ki zindagi baksh doo warna oose jaan se maarne mein mujhe waqt nahi lagega aur ooski laash tumhare aankho ke saamne hongi socho oos waqt tum par kya guzarogi wo ek mamuli insaan aur main hahaha sabse taqatwar haha”…..anjana bhauklaake wahan se bhaag gayi aur vishal apne shirt ko ponchta huyaa oose hi ghurrte dekh raha tha

Class mein ajana ka dil na lagaa oose baar baar vishal ki baat hi yad aa rahi thi wo bas kisi tarike se is problem se nikalna chahti thi…par darrti thi ki kahin vishal maasum ko nuksaan na pahuchayee

Wo jaanti thi vishal ko maarna naamumkin tha upar se kisi ko bhi batane par koi ooski baton ka yakeen nahi karegaa iss sadme se na jaane kab wo kho si gayi thi class ke khatam hote hi oosko hosh aaya wo chupchaap class se nikal gayi aur kitaab ko seene se lagakar chalne lagiii

Achanak se oos haath ne anjana ko kass ke pakad liya aaur oose sidhe bagal ke room mein kheenchta le gaya wo saaya anjana ko dekhne ka palbhar ka mauka naa milaa…aur anjana ko oos saye na jab chodhaa to anjana ke haath se kitaabein gir chuki thi anjana diwaar se chipak gayi uar wo saya ooske saamne kharaa ho gaya….ye koi aur nahi vishal hi tha

“aahh mmmmm”…..anjana ke munh par mazbuti se vishal ne apne haatho ko kass rakhaa tha..anjana bas khauff bhari nazro se oose ghurr rahi thi
“ssshhh mmm aahh kya khusboo hai is jism ki agar tum chahti ho ki tumhara maasum zinda rahe to tumhe meri hona hongaa bas mere hukam ko maanti jao mujhe apne jism se khelne do jo main hamesha se chahtaa aaya hoo warna maasum ko marne se koi nahi rok sakta”…..anjana ne vishal ke kasse haatho par kaant liyaa
“aahhh kaanti bhi ho shairni”…..vishal ne muskurakar dard ko sahaa
“chodho mujhe mujhe tumhare kareeb bhi rehne mein gheen aati hai tum ek jaanwar ho jungle jaanwar tumhe kya ho gaya hai tum pehle aise nahi they main jaan gayi hoo ki tumne hi oon larkiyo ka katal kiyaa hai oonhe berehmi se maara hai aur ab mujhe bhi aah chodho”…..vishal ne berehmi se anjana ke haatho ko masal daala
“haan chahta hoo tumhe tumhari par nazar tabse aayi jab se tumhe dekhne laga yakeen maano main aisa pehle nahi tha ye sab oos raat ki wajah se huyaa sunna chahti ho meri daastan to suno”…..anjana ne apne chehre ko dusri taraf modh liyaa vishal ki saans ooske gale par aa rahi thi jisse anjana kasamasa rahi thi

“oos raat neela ke saath maine socha tha ki main kuch waqt haseen guzaarunga hahaha lekin shayad kismet ko kuch aur manzoor tha…hamara breakup to oosi din ho gaya tha anajnaa yakeen maano maine bhi aisi zindagi expect nahi ki thi oos raat neela ko car emin chodhkar main jungle ki taraf gaya jheel ke kinaare paani lene ke liye achanak mujhe kisi ke ghurrane ki awaaz aayi….jab piche mudhkar dekhaa to ek baraa saa jaanwar mere saamne tha main bhauklaa gaya lekin ooske waar ne mujhe ek hi jhatke mein khacchakk maar daala…meri cheekh shayad neela ne sunni hongi…..oos shair ki awaaz mujhe apne kaan mein mehsus ho rahi thi wo mera dil ban chukaatha oosne mujhe kaha ki wo kayi saalo se isi raat ke intezaar mein tha koi insaani jism oose mile badle mein taqat beshumar milegi aur badle mein meri pyaas bhujhegi oos khoon se aurat ka jawaan khoon sss meetha oonka maans hahahahaa”…….anjana ne rote huye vishal ki khauffnak batein sunii wo wohi thithak gayi

“aur ab main sabkuch byaan kar chukaa hoo kahan jaaogi tum ab tumhare paas 5 din hai yaa to meri ho jao yaa fhir maasum ki laash tumhe jald hi milegi “…….anjana ekdum se chilaa parii aur vishal ke haath pao jodhne lagi

“nahi nahi pls maasum ko hurt mat karna ooski koi galti nahi ye sab meri wajah se shuru huyaa hai to haqdaar main hoo meri galtiyo ki sazaa oose mat do”……anjana darrte huye minnate kar rahi thi vishal ka khauffnak nazar oospar hi tha

“hahahaa to fhir in paanch dino ke andar soch lo warnaa maasum nahi bachegaaa”……vishal ne anjana kaa haath chodh diyaa anjana bhauklaakar darwaaja kholkar wahan se rote huye bhaag gayi aur vishal sukoon ki nazro se muskuraye jaa raha tha

Anjana hichak rahi thi oose pataa tha ki ooska pyaar khatre mein hai wo maasum ko sabkuch batana chahti thi lekin vishal ki baton ne oose darraa diyaa tha wo laashein wo khauffnak darindaa ye sab sochte hi anjana ki rooh fana ho agyi thi ab wo jaanti thi oose kya karna hai ?? aur iske liye oos jald hi kis ka sahara lenaa tha ye wo jaanti thi…

Logged
asif biswas
Guest
«Reply #12 on: June 08, 2013, 06:13:15 PM »
Band kamre mein akeli baithi,,,,gumsum si chupchaap bina koi awaaz kare…anjana chup baithi thi ooske dil aur dimaag mein bas ek hi khauff chaaya tha aur wo tha vishal ka…vishal ne oose zabran apne giraft mein kheenchkar ooske kareeb aakar jo baatein kahi thi oosse anjana sakdam khauff se darri huyi thi oose yahin darr sataa raha tha ki agar vishal ne sachmuch maasum ko maar daala to nahi aisa nahi ho saktaa anjana ne ek pal ke liye socha lekin agar oosne aisa kar dala to ooska pyar hamesha hamesha ke liye khatam ho jaayega aur reh jaayegi bas akelapan nahi mere wajah se oose kuch nahi ho sakta vishal bahut khatarank hai wo mujhe chahta hai…aur meri wajah se maasum ko nuksaan pahuche ye main kataayi nahi chahungi….anjana soch mein dubi dubi bas apne se baatein kar rahi thi…oosne vishal ka wo khaufnaak chhera dekhaa tha ooske hamle ko dekhaa tha koi oos par wishwas nahi karta ek khoonkhar darindaa jo oose pane ke liye kuch bhi kar saktaa tha anjana ne apna computer on kiya oosne thaan liyaa ki wo vishal se bachkar hi rahegi lekin oose ye jung khud larni paregi kyunki ismein ooski jaan bhi jaa sakti hai

“oh c’mon koi toh clue hogaa half human half animal sss nahi is search mein to kuch khaas nahi hai aakhir wo asal mein thaa kyaa”…….anjana ne ekdum se vishal ke oos badalte roop ko yaad karna shuru kiyaa anjana ekdum ke liye cheekh pari aur hil si gayi

Anjana ne turant ek site khoj nikaala….wo site insaani jism aur aatmao ke baarein mein thi…anjana ne type kiyaa werelion….kuch hi pal mein oooske saamne dhairo raaz khul gaye jinhe dekhne ke baad anjanaa oon stories ko bina padhe na rok saki

“weretiger ek khooni darinda yahi kehnaa hai meraa agar zindagi mein ek sabse zyada darr mehsus kiyaa hai to wo hai rooh kaa jo insaani jism mein hokar wo shaitan ban jaata hai jaise koi jeeta jaagta insaan..aaj se kareeb 5 saal pehle ye waaqya mere saath ghataa hai umeed kar rahi hoo ki main ye baat aap sab se share kar saku main apni zindagi mein khush thi mere maa baap bahut pehle mare jaa chuke they maa ek wildlife association mein kaam karti thi har waqt khatarnak jaanwaro se jhujna oonka kaam tha ekdin obseriving ke dauraan ek shair ne oonpar hamla kar dala maine apni maa ko marte huye dekhaaa tadapte huye dekhaa main byaan kar paayi oos din ke baad mujhe shair se ek khauff sa ho gaya roz raat ko mere sapne mein wo aata aur mujhe darata khoon dikhtaa lekin ye sabkuch meri zindagi se juddaa tha aanewaale baadhaao ke baarein mein mujhe ikthilaa kar raha tha hamare sheher mein haadsa huaaa ek shair raat gaye logo ke ghar mein ghusskar maar deta hairaani ki baat wo kahi na kahi mujhse judde they jis school mein main padhti thi oon sabhi shaks ko oos darinde ne maar dala….lekin asliyat mein ooski aakhri nazar mujhpar thi wo koi aur nahi mera pyaar tha jise main apnaa humsafar maanti thi….mohit lekin isse phele ki wo darinda mujhe maar sakta maine thaan liyaa ki main is raah mein akeli thi aur is musibat se main akele hi liptungi maine ek khanjar paaya jise sidhe maine ooske seene mein ghopp diyaa wo tadaptaa raha aakhir mein ooske shaitani jism ne ooske saath chodh diyaa….jaise insaan ki aatma hoti hai waise hi in jaanwaro ki aatma hoti hai….ye waas karte hai….maine kabhi socha bhi nahi tha ki main bach paaungi bhi ya nahi lekin ye huaa meri jeet huyi “…….anjana ne wo puraa article padh liyaa aur fhir oos larki ka naam khojne lagi aur jo oosne sunaa oos waaqayi yakeen ho gaya ki wo is raah mein akeli nahi thi

“sonyaa bharadwaj”……anjana ne naam padhte huye kaha
Anjana ne turant sonyaa ke details nikaale aur tabhi ooske haath sonyaa ka address nikal gayaa aur anjana ko yakeen huaa ki ye larki ab bhi bilaspur sheher mein rehti hai oos haadse ke baad wo pagal si ho gayi hai…anjana ne oos address ko padhaa aur hal nikaalne ke liye oosse milne ka mauka bana liyaa

Ting tong….anjana ne turant pc off kiyaa aur darwaja kholaa….saamne khare shaks ko dekh oose laga ki wo ek pal ke liye ooske gale lag jaaye lekin ye koi aur nahi maasum hi tha anjana jaanti thi jitna pyaar karegi masum oosse utna dur chala jaayega

Maasum ne muskuraye anjana ko hug kiyaa…”anajnaa kaisi ho sorry aaj college”….anjana ne turant maasum ko piche dhakel diyaa….”kya huyaa anjana?”….maasum ne sawal bhari nazro se kaha
“mere paas mat aao maasum main nahi chahti ki main tumhe kho doo”…..anjana ne dukhi hote huye kaha
“kya keh rahi ho Huh? aakhir maine kiya kya hai?”…..masum ne jawaab janne ke liye kaha tha
“plss maasum main tumhe koi jawaab nahi dena chahti main sirf itna chahti hoo ki tum mujhe chodhke chale jaoo main tumhari life nahi hoo naa hi tumhara pyaar tumne jo kiya ooske liye main tumhari sukhraguzaar hoo “…..maasum kuch samajh nahi pa raha tha hairaani se anjana ke chehre ko dekh raha tha
“aakhir maine kiya kya hai he heee look at me meri taraf dekho hua kya hai anjanaa?”……masum ne anjana ko kasske baazuo se pakraa aur ooske aankho mein dekhne lagaa
“he is alive meri wajah se tumhe bhi wo maar degaa “……maasum ko samajhne mein dairi na lagi aur wo ulte pao gusse se bahar nikalne lagaa
“maasum maasum plss mere khaatir tumhe mera waasta”……maasum ruk gaya ooske aankho mein aansu they
“tumhe mera vaasta ki tum vishal ke kareeb nahi jaoge osse dur rahoge aur mujhse bhi “…….maasum anjana ke karee baa gaya aur ooski baton se wo tutne sa laga
“lekin anjanaa kyu?? Hum kuch kar sakte hai hum oose rok sakte hai aur humne saath jeene marne ki kasam khaayi sirf oos kameene ki taqat se darr rahi ho zyada se zyada wo mujhe maar daalega ok fair but main tumhe ooska shikaar nahi hone dungaa ye mera zidd hai ye mera wada hai tumse”……maasum ki aankho se aansu girne lagae oosne mazbuti se roti anjana ko thaamte huye kaha
“nahi nahi yahi to main nahi chahti agar tumhe kuch ho gaya to main kya karungi? Ye meri laraai aur ise ant tak mujhe anjaam denaa hai tum mere ghar se chale jao plss mujhse jitna ho sake utna dur raho plssss”……anjaan ne maasum ko hath jodhte huye kaha
“theek hai wo kasam ka kyaa jab tumne mere saath relationship banate huye karaa tha bolo ek baar dhyaan se soch lo main tumhe ooska hone nahi dungaa chahe jo ho jaye main oose chodhungaa nahi chahe meri jaan hi kyu naa?”…….chataakkk ek zor daar thappad tabtalak maasum ke chehre par lag chukaa tha

Anjana ne apne munh par hath rakh liyaa….wo jaanti thi wo jo kuch bhi kar rahi hai maasum ke bhalaayi ke liye hai wo ye bhi jaanti hai ki vishal ki nazar anjanaa par harwaqt hai wo bas apne pyar ko khone se darrti hai
“theek hai lekin main tumhe kabhi bhulungaa nahi yaad rakhnaa”…..maasum rotaa huya anjana se dur chala gaya ghar se bahar nikalkar daudhta huyaa wo kab anjana ki aankho se ojhal ho gaya pata hi nahi chala

Anjana bas ek mazbur larki ki tarah baithkar bas roye jaa rahi thi bas oosmein himmat nahi thi ki wo kuch kar sake wo ye bhi jaanti thi ki vishal oose bhi maar daalega lekin oose khushi thi ki maasum ko wo kuch nahi karegaa…..

“what nonsense?”,,,,,,khan ne maasum ko dekhte huye kaha
“yes sir vishal hi wo darinda hai jisne murders kiye hai sir oos raat main aur anjana sheher ke baahar jab picnic karne gaye to wahan vishal aa gaya mujhe lagaa wo humhe maar daalega lekin oosko badalte dekh meri saansein ruk gayi sir mera yakeen maaniye main sach ekh raha hoo”……maasum ne khan ko khoob resquest ki
“oh oospar teen baar goliya bhi chalaai aur wo maraanahi wo shair ban gaya dekho larke tum mere saath apna bhi waqt barbaad kar rahe ho behtar yahin hai yahan se chale jao aur humhe apna kaam karne do plss warna jhoote aarop ke case mein tumhe band karwa dungaa”……khan ne daantte hue kaha
“aap mera yakeen kyu nahi kar rahe wo ek shair hai maine khud inhi aankho se ooske chehre ko dekhaa hai accha ye nishaan dekhiye ye sab ooske hamlo ke hai aap samajne ki koshish kijiye oose arrest kar lijiye”……is baar khan ka gussa dugna tha
“enough is enough haan 4 khoon huye hai ooska ye matlab nahi ki saare khoon vishal ne kiye hai wo bhi shaitan banker ek shair bankar college mein padhne wale larke ho aur aisi gavaaro bhari baatein kehkar mujhe pagal kar rahe ho get out I said get out warnaa main tumhe hi as a suspect ke taur par arrest kar sakta hoo hamare paas koi thos sabut nahi ki wo vishal hi thaa…ab jao yahan se jaoo”…..masum munh latkaaye police station se nikal chukaa tha

Udhar anjana ke mobile par call aaya…anjana ne jab number pehchaana to ye koi aur nahi vishal ka hi number tha…anjana ne hello kahaaa…..”waah tumhari awaaz sunne ek liye kab se betaab tha mujhe accha laga ki tumne kaise maasum ko thappad maara”…..vishal ne haste huye kaha
“tum kahan se dekh rahe they?”……anjana ne uthte huye kaha
“apni aankho se hahhaa ab hi dekh rahah hoo tumhe main chahta hoo ki aaj hum ghumne chale purane dino ki tarha”…..vishal ne haste huye kaha
“the..theek hai”….anjana mazbur thi

Achanak se anjana ko oos horn ne chaunka daala…anjana ne phone bed par rakhaaur bahar nikalke dekhaa to oose yakeen naa huyaa ek black ford car mein vishal oose ishara kar raha tha apne paas aane kaa…anjana ne jhooti muskurahat di aur kamre mein aa gayi….anjana ne turant ek chaaku rumaal se lapaitkar apne jeans ke piche chupaa liyaa….lekin wo jaanti thi ki vishal kabhi mar anhi sakta

Anjana dheere dheere car ke kareeb aayi anjana dheere se andar baithi….vishal oose dekh raha tha….”beintehaa khusbhurat lag rahi ho tum”…..vishal ne sunghte huye kaha
“kkyyuu kya mujhe bhi maar daaloge?”…….anjana ne darrte huye kaha
“hahahaa kaatil to tum ho aur main tumhe kabhi nahi ssss accha huaa jo tumne right decision liyaa chalo aaj is khuli hawaa mein gum ho jaaye”….vishal ne ek hi jhatke mein car ko start kiya aur tez raftaar se car ko sheher se dur le jaane lagaa….anjana sehem bhi rahi thi par wo jaanti thi ki ooske paas ab koi chaara nahi….to be continued….

Logged
asif biswas
Guest
«Reply #13 on: June 13, 2013, 07:48:31 PM »
Vishal tez raftaar se gaadhi ko oosi haveli mein rok chukaa tha jahan oosne pehle do shikaar laaye they….lekin aaj ooske saath anjana thi….vishal ne apne chashme ko utaarkar anjana ko dekhaa….anjana khauff bhari nazro se vishal ko dekh rahi thi

Vishal ne muskurakar oose ghurraa….anjana ne jab ooski aankho mein dekhaa to oosmein insaan nahi balki koi darindagi dikh rahi thi…shair ki ghurrahhat…anjana ekdum se hil parii….vishal ne gambhir aankho se anjana ko dekhte huye kaha

“kya huyaa?”….vishal ki awaaz bhari sit hi
“ku…uucchh na.h.ii..nn nahi wo…wohhh bass thoda darr gayi thi”….anjana ne bhauklaake kaha
“darr? Ohh shair ki maand mein aayi ho isliye hahahahahhaa”……vishal kareeb 2 min tak waise hi zor zor se tahaka lagaakar hassta raha

Fhir oosne jhat se gate khol diyaa…..anjana kaanp rahi thi oose pataa tha vishal ka wo khauffnak chehra oosne dekha hai kaisaa dikhta hai wo oos waqt ooske jism mein wo nishaan ab bhi taaza hai jo vishal ne oose diye they…..anjana waise hi baithi thi tabhi vishal ne darwaja khola aur anjnaa ko car se bahar aane ka ishara kiyaa

Anjana shemete huye bahar nikali….vishal ne darwaja jhat se band kar dalaa….”let’s get inside”….vishal ne anjana ke kamar par haath rakhte huye oose kaha
Anjana ne haan mein ishara kiyaa aur dono aage badhne lage….vishal anjana ke peeche tha aur bas baar baar anjana ke jism ko ghur raha tha..anjana ne apne baal par haath se sawaarte huye ek baar palatkar peeche dekhna chahaa….lekin vishal ne oose apni taraf naa dekhte huye kamar par rakhke haath se oose aage dhakelne lagaa…darwaaje ke paas aate hi…vishal ne oose ishara kiyaa aur darwaja ek hi jhatke mein khol diyaa

Kaddd kad kaddhh”….darwaje mein ek awaaz si aayi aur dheere dheere darwaja khulne laga
“chalo aao anjana”…..vishal ne anjana kaa haath thaama aur oose andar le jaane lagaa

Andhere ghar mein laal rang ki roshni mein sabkuch bhayanak sa dikh raha tha….anjana baar baar vishal par hi nazar tikaa rahi thi ki kahi wo ekdum se palte aur oospar hamlaa naa kar de…anjana ne apne chaaku par haath phairaaaur fhir top se oose chupaate huye vishal ke saath sidiya chadhne lagi….vishal ne ek baar piche mudhkar anjana ko ghurraa…anjana darri sehmi idhar udhar dekh rahi thi achanak vishal pe nazar padhte hi oosne halkaa sa muskuraa diyaa….vishal ki muskurahat lekin kaatil sit hi…dono jaise hi kamre mein daakhil huye….vishal ne ek jhatke mein kamre ka darwaja lagaa diyaa

“ye kya kar rahe ho vishal?”…..anjana ne piche ki or palate huye kaha
“jo mujhe bahut pehle hi kar lena chahiye tha”…..vishal dheere dheere anjana ke kareeb aane laga
“vishal ddeekhhoo tumm mere kareeb matt aaooo”….anjana ne vishal ke kadam se piche ki or chalte huye kahaa
“kyu nahi??”…..vishal ekdum nazdeek tha
“kyy..uu visshhaalll nahhhiinnn ye sab th..eek nahi huhh”….anjana diwaar se sat chuki thi
“ab kaho kaisi mitaogi ye duriyaa”…..vishal ekdum se anjana ke chipak chukaa tha ooske resham baalon par haath phairte huye kaha
“dek..khoo vishaall tumm vishal nahi ho sakte oos vishal mein pyaar tha lekin ooski nazarein itni khaufffnak nahi thi”….vishal ekdum se ooske chehre kareeb laakar ooski baatein sun rahatha
“to meri nazaro mein kya dikhta hai ?”……vishal ne muskurate huye kaha
“ekk..ek shair khauffnak darindaa”…..anjana ne sehemte huye aankhe neeche kar li

Vishal ne oose ek hi jhatke mein diwaar se kheenchkar sidhe bistar par faikh dalaa….”hhuhhh”…anjana ekdum se darr gayi aur jhat se makhmal bistar par gir gayi…jab oosne palatkar saamne dekhaa…to vishal kisi jaanwar ki tarha oose dekh raha tha…”visshahhaalll ye theekk nahiii mujhe jaane do”…..anjana ne uthnaa chaha…to vishal bistar par chadh chukaa tha…”plss vishallll calm down”…..vishal ne anjana ke dono haatho ko kasske pakad liyaa tha….”kyu hanta chahiye mujhe mujhe apne se dur kar rahi ho kya tum mere shair ko jagana chahti ho? Kya tum chahti ho ki oon dono larkiyo ki tarah main tumhe bhi hahhahahaa”…..vishal ne haste huye kaha
“nahi nahaiiii vishalallll plssss noo nooo mujhe jaaane doo aahahh you’re hurting me vishal”…..anjana ne vishal ko dhakelne ki puri koshish ki….

Lekin jab tak vishal kuch karta…anjana ne ooske seene par latt maartte huye oose dhakel diyaa vishal bistar se neeche gir gaya…aur hi ek jhatke mein shair ki tarah bistar par uchala…anjana ekdum se bistar se uthkar ooske saamne kharii ho gayi darri sehmi huyi…vishaalll muskurata huyaa kisi shair ki tarah apne shikaar ko dekh raha tha…anjana ne piche se chaaku nikaala…”aage mat aana vishal warnaa main tumhe jaan se maar dungi”….anjana ne darrte huye kaha….”tum apna wada bhul rahi ho anjana tumne wada kiyaa tha ki tum meri ho jaogi”…….vishal ne ghurrate huye kaha…”tumhari nahi kabhi nahi maine zarur maasum ko alag kar liyaa taaki wo safe reh sake tumse…aur rahi baat meri main tumhe aur kisi ko nuksaan pahuchaane nahi dungi”…..anjana ne chilaate huye kaha

Vishal ekdum se jhaptaa…anjana ne chaaku ka waar sidhe ooske chehre par kiyaa….vishal ki cheekh nikali aur wo wohin gir para…jab anjana ne ooske chehre ko dekhaa to oospar chaaku ke kharoch they…kate nishaan vishal gusse se bilbilaaya aur oosne sidhe anjana par haavi hona chaha…anjanaa ne jaise hi oospar chaaku ka agla vaar karna chaha…vishal ne jhat se chaaku ke waar ko rok diya..ooske chaaku thaame huye haath ko kasske apne haath se jakad liyaa aur ek hi baar madhod diyaa…anjana dard se cheekh parii aur oosne chaaku ko chodh diyaa….vishal ne oose apni baahon mein bhara..aur waapis bistar par patak diyaa…anjana uthne ki koshish karti…ki tabhi vishal zor zor se ghurrane laga….”aaahh aaaaaaaaaaaaaaaaaahh”……vishal kaa haath fhirse akadne lagaa…jism ki haadiyo ki chatakne ki awaaz aane lagi…aur haath ke naakhun aur baal bhadhne lage….chehra bhi badalne lagaa aankhe laal hone lagi…anjana ekdum se bhauklkar chatapatane lagi….lekin oose gehri chot lagi thi….maasum ne ekdum se apnaa kapra fhaadh dalaa…aur khauffnak nazro se anjana ko ghurrne lagaa…aur dheere dheere badhte huye theek anjana ke upar chadhh gaya

“aahhh “…anjana ki cheekh nikal gayi
“hahahaha tummmm merii hooo hahahahhahahaa”……vishala ki awaaz badal si gayi thi gale se do logo ki ek saath si awaaz nikal rahi thi

Anjanaa chatpatanel agi par vishal oospar haavi ho chukaa tha…..”nahhi nahinnnn nahinnnnnnnnnnnn aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaahh”…….haveli se kaafi zor zor tak cheekhne ki awaazein aayi

Anajana ke jism se lipata…wo darindaa anjana ke gale par apne daant gadhaa chukaa tha…”aahhh uhhh”….anjana ki saansein maano tham si gayi aur garden se khoon aane laga…oos darinde se anjana kaa khoon peena shuru kar diya…anjana nidhal si ho chuki thi kape fhat chuke they jismo par charo taraf khoon ke nishaan they kharoch ke nishaan they anjana ki aankhe band ho gayi

Maasum jald hi bike se utarkar vishal ke gate ko zor se maarta huyaa chillane laga…”vishaalll vishallllll kameene bahar aaa”……maasum ki aankhe khoon se laal thi

“vishal ne ekdum se khidhki se jhaanka..aur ek hi chalang lagkaar haveli ke saamne kud gaya…maasum ne vishal ke jism ko dekhaa jahan par ird gird khoon lagaa huyaa tha aur chehre par bhiii vishal ke munh par bhi khoon thaa…aur vishal maasum ko dekhkar muskuraaa raha tha

“kameenenneee”….maasum ne sidhe gate par chadhte huye haveli ke gate ko par kar liyaa

Aur sidha daudhta huyaa vishal ke gale ko daboch liyaa….”vishhallll kya kiya tune meri anjanaa ke saath bataa kameene vishal ne ek hi jhatk emin maasum ke haath ko apne gale se hataa diyaa aur sidhe ooske chehre par thappad maara….maasum gusse se bibilaa gaya aur oosne vishal ke chehre par mukka maar diyaa….vishal apne honth ko dabata huyaa maasum ko ghurrne laga….maasum daudhtaa huyaa haveli mein ghuss gaya,…..aur upar chadhtaa huyaa anjana ko dhudne laga

“anjanan anjannanaaa aanjnananaaa anjananaaaa aanjananaaaaa”……maasum idhar duhar bhakulta huyaa anjana ko dhundh raha tha tabhi oose kisi ke karhaane ki awaaz aayi

Maasum ne jhat se bedroom ka darwaja kholaa to ooski aankhe phat gayiii….anjana bistar par laiti karaa rahi thi bistar par charo taraf khoon ke cheente they..anjana ke haath khoon se lathapth they gale se jangh se har jagah se khoon aa raha tha…..aur kapre phate huye they……anjana ekdum nagan haalat mein bistar par parri huyi thi…

Maasum rotaa huyaa anjana ke haath ko chehre se thamakar oose uthaane laga..:anjananaa kya huaa anjanan ohmmy goodd anjana tum theek to ho naa baby main tumhe kuch hone nahi dungaa main tumhe marne nahi dungaa”….achanak se vishal ne peeche se maasum ko jakdaa aur sidhe switchboard par ooske chehre ko de maara

Switchboard tut gaya maasum larkharaa gaya….vishal oospar jhapat para….aur oose theek saamne ke sheese pe ooske sar ko de maara…khoon se lathapth maasum kaanpe lagaa…oosmein ab taqat nahi bachi thii…”meri anjana ko cheenega tu yaaa”…..vishal ne ooske seene par panje ka waar kiyaa…kharoch ke nishaan ke saath hi maasum zameen par gir para….vishal ne oose uthaya aur sidhe darwaje par faikh diyaa darwaje ke tutte hi maasum zameen par girpara..aur ludhkate huye sidhe sidiyo se neeche gir gaya..”maasuummmmm:……anjana dard mein cheekh rahi thiiii

Vishal ne oose uthaya aur sidhe haveli se bahar faikh diyaa…..zameen par ragadkhaate huye maasummmm adhmara sa ho gaya tha….vishal ne ooske haath par kasske apne juttaa ragadiyaa….”aaaaaaaaahhh”…..maasum cheekh para…..vishal ne oose uthaya aur sidhe ooske sar ko paid par de maara……maasum larkharata huyaa zameen par gir gaya khoon se sarobaar aab oosmein taqat nahi bachii thi…..vishal ne maasum ko uthaakar sidhe haveli se bahar zameen par patak diyaa…..masum chatpataa raha tha…aankhe khul nahi paa rahi thi lekin darine ke saamne wo kar kya saktaa tha???

Masum ke sar se khoon haath pao par bane zakhm dikh rahe they wo uthne ki naakam koshishein kar raha tha…achanak se vishal ne masum ko ghasitaa aur sidhe pahadhh se oose faikh dalaaa…”maasummmmmmmmmmmmmm:,,,,,,,anjana khidhki se sabkuch dekh sakti thi…maasum zameen se ghashitaa huyaa khaayi mein chalaa gaya

“ab tera kissa khatam”…..vishal ne haste huye maasum ko girte huye dekhaa

Vishal anjana ke kareeb aayaaur oose baahon mein uthaata huyaa bola…”ab anjanaa main tumhe jaan se to nahi marungaa lekin roz tumhare khoon se meri pyaas mitengi chahta to tumhe puraa khatam kar deta lekin mujhe dheere dheere apni pyaas bhujaani tabtalak tum mere is haveli mein rahogi hahahhahaahaa hahahahaa

Bejaan zindaa laash ki tarhahh anjana adhkhuli royi aankho se vishal ke khauffnak nazro ko dekh rahi thi jahannn bachnne ki ab koi gunzaaish nahi thi…….to be continued…..
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #14 on: June 16, 2013, 11:14:20 PM »
“hhhh hhhhh hahahahahahahaaa sabkuch khatam ho jaayega sss meri pyaas jald hi bhuj jaayegi hahahahahahahaaa”…….vishal ne apne honth pe lage sukhe khoon ko pochte huye kaha

Ek baar nazar jab anjana ke jism par fhiraai to wo bhayanak manzar tha jissne sach mein anjana ko hilaa daala tha…anjanaa vishal ka shikaar ho rahi thi….saansein zarur thi bas kuch hi dino ke liye….anjana ne ek baar nazar fhiraakar vishal ke haste chehre ko dekhaa to aankho mein aansu ghul gaye

Gale ke ird kate nishaan ab bhi taaza they….aur khoon behna band ho chukaa tha….

“tum isi tarah nidhaal behosh rahogi hahaha aur kuch hi dino mein naa tummein hilne ki himmat rahegi aur naa mujhse dur bhaagne ki main chahta to aaj isi waqt tumhe puri tarike se shikaar kar letaa lekin tum jaisi khaas cheez ko itne jaldi khatam nahi karna chahta main ab tummm hahhahahaa”…..vishal na itna kehkar gale ko madhodhta huyaa kamre se bahar nikal gaya

Idhar anjanaa beshudd bas roye jaa rahi thi…ooski uthne mein bhi taqat nahi thi lekin taqat to oose jutaana hi tha…aakhirkaar apni puri taqat se oosne khud ko sambhaal hi liyaa…aur ek nazar kamre ke darwaaje par jhaanki aur fhir dheeere dheere bistar se uthne lagi…dard se jism tut chukaa tha khoon nikalne se sharer kamzor tha…zakhm ka dard ab bhi kam nahi huaa tha…achanak anjana ka haath fhislaa aur wo sidhe fhisalkar bistar se neeche farsh par gir pari…

“aaahhh:….anjana dard ki aalam mein ek baar fhir dard sehkar cheekh uthi…

Anjana ko yaad aa chukaa tha vishal ne maasum ko maar dala hai…aur ab wo hi aakhri kadi hai jo oose rok sakti hai lekin ooske liye ooski himmat hi sabsi bari taqat thi is waqt anjana ne puri taqat ke saat hkhud ko aakhir uthaa hi liyaa…..tanag par lage chot se langdhatte huye diwaar to kabhi diwaar se sati cheezo ka sahara lekar oosne bahar jhaanka….suraj dhalne wala tha….anjana jaanti thi oose kya karna hai??? Anjana ne dheere dheere bistar ke ird gird chakkar lagaya bistar par pare khoon aur ooske fate huye kapro ko dekh oose khud par ronaa aaya…fhir himmat jutaate huye oosne aakhir kaar chaaku para huyaa dekhaa anjana ne jhat se chaaku ko uthaaya aur dheere dheere kamre se bahar jhaakne lagi…kamre se bahar nikalte hi anjana ki saansein tham gayi…vishal jam ki chuskiyaa le raha tha…..sofey par laitaa huyaa chhera upar ki taraf uthaa huaa….anjana dheere dheere sidiyo se niche utarne lagi….dabe pao utarte huye larkharate huye oosne khud ko sambhaal hi liyaa…..vishal ko ekdum se sugandh si mehsus huyi ooski aankh khuli to saamne koi nahi tha

“mmm aisa kyu lag raha hai ki anjana aas paas hai anjanaaaa anjaanaaaa”…….vishal fhirse dahaadhte huye sofey se utha kharaa huyaa
Anjana dabey pao sofey ke piche chuppiii darri huyi nazro se vishal ko idhar udhar ghurrte huye dekh rahi thi achanak se vishal ko naa jaane kya sujhaa aur sidhe sofey se chalang lagata huyaa sidiyaa chadhte huye upar chalaa gaya…

Anjana jhat se daudh pariii….tezi kadmo mein naa jaane kitne baar fhisali par oose ab bhaagna hi tha.....anjana ne darwaja khol hi liyaa…aur baharnikal gayiii

“anjanaaaaaaaaaaaaaa”…….vishal ne bistar par anjana ko naa paate huye zor se dahadhaa
Anjana ek pal ke liye piche murri aur fhir tezi se bhaagne lagi….vishal ne khidhki se jhanaka to ooski aankhen bilbilaa uthi anjana haveli se dur bhaag rahi thi….”anjanaa main kehta hoo wohi ruk jaoo”…….vishal ne chilaate huye kaha

Anjana ne binaa piche modhey haveli ke gate ki taraf dekhaa jahan motaa taala lagaa huaa tha….anjana ne piche dekhaa to vishal tez kadmo se kamre se niche utar chukaa tha….anjana binaa soche samjhe….gate par chadh gayi dheere dheere chadhte huye aakhir kaar gate ke dusre sire tak pahuchne mein wo kamyab ho agyi vishal duadhtaa huyaa kisi shair ki tarhao oski taraf lapakne ko tha

Anjnaaa ne bina soche samjhee chalaang lagaa di…aur chalaang lagate huye wo haveli se bhaar thi….anjanaa larkharakar haveli se dur sadak ki taraf bhaagne lagi…vishala ne gate ko jhinjodh diyaa oosne ek hi jhatke mein sikadh ko haat hemin lete huye zor se kheench diyaa sikadh tut gaya aur talaa bhi zameen par gir gaya…vishal ne apne dono haatho se gate puraa khol daala…..anjana oosse durr jaa rahi thi oosne apni kadam tezi se daudaa diye….vishal bhi ooske peeche bhaaga…..anjana ke kadam itne tez they ki wo kab beech sadak par aa chuki thi…piche vishal ko aate dekh oosmein ab taqat nahi thi ki wo ab aur bhaag sake….tabhi achanak se ek jeep anjana ke saamne aa takraayi anjana palbhar mein hi jeep se jaa takraayi aur zameen par uchaalte huye gir gayii

Jeep se utarne wala shaks koi aur nahi inspector khan tha….”anjanaa”….ooske munh se sirf itna hi nikalaa aur fhir oosne ghayal anjana ke chehre ko thapthapane lagaa

Udhar vishal ek jhatke mein paid ke piche chup gaya…aur khan ko dekhne lagaa….”anjanana are u okay oh my godd?”….khan ki jab ooske gale par aur zakhmo par nazar parii to ooska dil dehel gaya…oosne ek hi jhatke mein anjana ke jism par apna coat dala aur oose baahon mein uthaakr sidhe piche laitaa diyaa aur jeep ko start karta huya wahan se nikal gaya

Vishal gusse se bibilaaa chukaa tha….

Tip tip….”ise hosh kab aayega doctor?”…..inspector khan ne anjana ko dekhte huye kaha
“jo bhi huaa that was not a disaster is larki ke wounds ko dekhke lagtahai kisi jaanwar ne aisa kiyaa hai lekin humhe ek bahut hi hairat ki baat pata chali hai”…..doctor ne aankho se chahsma hatate huye kaha
“kya?”….inspector khan bhi janne ke liye uttejit tha
“she has been raped”…..doctor ne dheere se kaha
“what? Doctor rape aapne kahaa ki jungle jaanwar ne iska khoon piyaa jo ooske gale ke nishaan par lage daant se pata chale and now u’re saying rape what nonsense agar rape huaa hai to fhir kis jaanwar ne aisa kiya hongaa abhi pehle hi aise do vaardaatein huyi thi lekin victim was purely dead and not only that oonke saath aisa kuch nahi huyaa tha”……khan ne info batate huye kaha
“main to ye sab nahi jaanta sir lekin is larki ka rape bhi huyaa aur iska khoon bhi piyaa gaya karne wala shaks koi darinda hai matlab koi jungle jaanwar agar shair hotaa to maans khaata khoon peeta jisse maut ho sakti thi lekin is larki ki maut nahi huyi ye kisi miracle se kam nahi lekin rape aur wo bhi ek shair nahi maine aisa nahi kahaa rape huaa hai but kisi insaan ne aisa kiyaa hai “……inspector khan hairat mein padh chukaa tha doctor ki baton se

“theek hai ise hosh kab aayega”……khan ne kaha
“serious injuries hai 2 din baad tak abhi hosh mein aane ke chances nahi hai mujhe ab plss “……doctor ne jaate huye muskuraaya
“oh yeah surre”….inspector khan ne doctor ka raasta chodhaa

Doctor ke jaate hi khan hairat mein padh chukaa tha oose kuch samajh nahi aa raha tha….jis jagah se anjana mili wo jagah jungle ke satle hai aur vaardat vishal ke ghar se dur nahi…..inspector khan bhi gusse se tamtamata huyaa do constables ko anjana ki hifaazat ki duty pe tainaat karte huye nikal gaya

“ho na ho khooni tumhi ho vishal ab zyada banne ki zarurat nahi anjana ke blood samples se ye saaf pata chal chukaa hai ki she has been victimized by a psycho aur ye bhi yakeenan keh sakta hoo ki shair ke upar tumne maasomo ka khoon kiyaa jo kit um ho ek sanki pagal insaan”…..khan ne vishal par ungli uthaate huey kaha
“kya saboot hai ki maine oose maara hai she was my ex ooska chakkar to maasum ke saath tha ho na ho oosne shayad aisa karo aur waise bhi anjanaa yahan kabhi aayi hi nahi”…….vishal ne nazrein churaate huye kaha
“theek hai tumhare kehna ka matlab hai ki wo yahan kabhi nahi aayi to fhir oosmein tumhara haath kaise shaamil hai dekho vishal acting karne ka koi faayeda nahi sabkuch paani ki tarah saaf hai yaa to gunaah Kabul karo yaa fhir mujhe tumhe ghassite huye jail le jaana paregaa”…..khan ne chilaate huye kaha
“mujhe warning deke koi faayeda nahi maana maine anjana ko paane ki koshish kit hi lekin main ab oose bhul chukaa hoo aur aap bhi plss mujhe aur is mamle mein involve na kare aapse haath jodhtaa hoo”……vishal ne gusse se khan ko dekhte huye kaha

“agar tumhara haath is jurm mein shaamil huaa to fhir tumhara bachana mushkil hi nahi naamumkin ho jaayegaa”……itna kehkar khan nikal chukaa tha
Vishal ki khauffnak nazarein khoon se laal ho uthi thi….”khan tu nahi bachegaa”…..vishal ki awaaz bhi badal si gayii thi

“aahh aah”…..oos shaks ne jab apni aankhe kholi to do anjnabiyo ko dekh wo darr sa gayaa lekin fhirse wohin baat kehne lagaa
“aahh aahh sss meri anjannaa mmee..rr anjanaa kahan hai vishaalll?”…..abhi wo aur cheekh skataa oos shaks ne oose waapis laita diyaa
“kaun ho tum? Main darro nahi mera naam shekawat hai aur ye hai mere assistant Robert”….shekawat ne muskurate huye khud ka parichay diyaa
“siiirr meri anjanaaa”…….oos shaks ne fhir karhaate huye kaha
“dekho tum tafseel se batao aakhir mamla kya hai humhe tum pahad ke niche pare mile khairyat thi ki haddi fracture nahi huyi zakhmi they accha huaa humne tumhe aehem mauke par dhund nikaala warnaa kuch bhi ho sakta tha”…..shekawatne msukurate huye kaha

“sirr sirr plss meri madad kijiye wo anjana ko maar daalegaa meraa naam maasum hai aap mujhe jjaante nahi hai par mera yakeen kijiye”……ye koi aur nahi maasum hi tha

Jiske sar par patti aur hattho ke ird gird pattiyaa bandhi thi…..shekwat ne hairaan ho uthaa
“matlab kya hai tumharaa?”….shekawat ko samajh nahi aaya
“sir vishaalll naam hai oos shaks ka wo hamare saath college mein padhtaa tha…aapne ooski khabar sunii hogi oos par kisi jaanwar ne attack kiyaa thaa asaliyat mein woe k darindah ai insaan nahi aahah”…..shekawat aur Robert ekdum hairaan ho chuke they
“u mean that guy vishal jo oos larki ke saath humhe jungle mein zakhmi haalat mein”……shekawa ne itna kaha hi tha ki maasum ne kehna shuru kar diya
“haan haan balki oosi ne hi neela ko maar daala tha”…..maasum ne uthte huye kaha
“tum keh kya kar rahe ho tum kaise keh sakte ho ki wo ek khooni hai “…….shekawat ne sochte huye kaha
“kyunki sir wo ek jaanwar hai ek shaitan jeeta jaagta shaitan oosne isse pehle bhi mujhpar aur anjana par attack kiyaa tha lekin hum bach nikale maine ose khud inhi aankho se ek shair bante huye dekhaa maine oose 5 goliya bhi maari par wo maraa nahi sir wo ek khooni darindaa hai aur meri anjana oooske kabse mein hai”…..maasum ne jaldi se bolte huye kaha

“oh my godd iska matlab mera shak sahi thaa “……shekawat ne ek pal sochte huye Robert ko dekhte huye kaha
“matlab ki vishal yaani wo larke par shaitan haavi ho chukaa hai”…..robert ke haath se cigarette gir chuki thi
“haan oon junglo mein chuppi oos aatma ne vishal ke jism ko jakad liyaa hai vishal asal mein oos raat apni dost ke saath jungle mein gaya toh tha lekin wo tab hi marr chukaa tha ooske jism par ek shaitani rooh ka kabsa hai jise vishal ne apni dhal banaa li hai”…..shekawat ne khidhki ko band karte huye kahaa

Charo taraf mahoul ekdum khauff se bharaa khamoshi si chaayi thi maasum kabhi shekawat ko dekhta to kabhi Robert ko yahin haal Robert ka bhi thaa…aur shekawat ek gambhir gehri soch mein dubaa huyaa tha

“oosne yakeenan tumhari gf ke saath wohin kaam karne ki koshish ki hongi jo oosne pichle victims ke saath kiyaa oonka shikaar aur fhir bedardi maut mujhe to lagta hai”…..shekawat ne kaha hi tha ki maasum cheekh utha
“nahi aisa nahi ho sakta aisa bilkul bhi nahi ho sakta anjana nahi marr sakti agar oose kuch ho gaya to main oose zinda nahi chodunga khatam kar dungaa oose’….maasum gusse se uthne laga…lekin robrt ne tabtalak oose waapis bistar par laitaane lagaa
“yakeenan ye saare haadso ke peeche vishal ka hi haath hai asal mein insaan ke shakal mein chipaa wo ek aisa khooni darinda hai jiski nazar har oos maasum par hai jo ooska shikaar hai aur ab humhe ise rokna hongaa”…….shekawat ne maasum ko dekthe huye kaha

“lekin hum kar bhi kya sakte hai anjana ooske giraft mein hai aur oopar se wo is waqt ek khatra hai ooske saamne jaate hi naa jaane wo humhe bhi naa maar daalein”….robert nedaarte huye kaha
“agar darenge to ooska khauff chaaya rahegaa aaj ek maasum gaya hai kal kayi masum larkiyo ki zindagi khatre mein padh jaayengi….humhe khan ko inform karna hongaa”….shekawat telephone tak pahuchtaa maasum uth chukaa tha
“tehriye koi faayeda nahi khan in sab baton par kabhi nahi yakeen nahi karega even main bhi ooske paas gaya tha ulta oosne mujhe bhagaa diyaa…anjana mere zindagi ke chalte oos darinde ke paas chali gayi oos kameene ne meri anjanna ke saath jo kiyaa oose dekhkar main ek pal ke liye pagal sa ho gaya oos kameene ne meri gf ke saath”….maasum tut sa gaya aur rone lagaa

“himaat rakho khan ko iktihala to karni hongi ki anjana oosi ke ghar par hai mujhe call karne do agar wo hamari baat nahi sunenge to hum khud is darinde ko rokenege chahe ismein laakho khatre kyu na ho hum tumhare sath hai tum bas aaram karo”…..shekawat ne maasum ke kandhe par haath rakhkar oose samjhaya

“kya?? Anjana ko vishal ne kidnap kiya hai?”……khan ne sit se khare hote huye kaha
“haan sir aap pls vishal ke ghar mein”……abhi shekawat ne phone par kaha hi tha
“nahi anjana safe hai but humhe pata chala hai ki anjana ka balatkaar huaa tha aur oospar kisi jungle jaanwar ke attack bhi huye they lekin test se pata chala ki iske piche kisi insaan ka haath hai ab mere paas sabut hai mujhe yakeen tha ki ye vishal hi hongaa anjana city care hospital mein admit hai main osoke liye bhi fikarmand hoo bas maasum ki gawaahi mil jaaye to fhir hum vishal ko dhar daboch sakte hai”……..khan ne shekawat ko samjhaate huye kaha
“thanks thank u so much kya anjana theek to hai?”…..shekawat ne kaha
“haan she is safe but major injuries ke wajah se wo ab bhi behosh hai byaan 2 din baad le lenge ab is vishal ka bachnaa zyada muskhil nahi main aaj hi ooske khilaaf arrest warrant jaari karta hoo”…..itna kehkar khan ne receiver rakh diyaa

“tum khushnaseeb ho anjana zinda hai”……shekwat ne maasum ko dekhke muskurate huye kaha
“kya anjana zinda hai I am suree oose kuch nahi hongaa lekin ye sab hua kaise?”……maasum ne khush hote huye kaha
“inspector khan ki madad se khair ye sab to humhe anjana ke paas jaakar pata chalegaa khan ne arrest warrant nikaal liya hai ab vishal nahi bach paayega chalo anjana ke paas chalte hai”….itna kehkar shekwat Robert aur maasum hospital ke liye rawana ho gaye…
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:52:08 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.232 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer