Phir aaya khooni darinda - terror is back

by asif biswas on May 04, 2013, 07:46:12 PM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 59050 times)
asif biswas
Guest
«Reply #15 on: June 23, 2013, 09:13:40 PM »
Waooo waooooo waooooo……police ki siren ki awaaz sunsaan raasto ko cheerte huye vishal ke ghar pahuch rahi thi……vishal ke ghar pahuchte hi oonhone haveli par motaa talaa lagaa dekhaa….

“shinde jaldi se haveli ko charo taraf se gher lo…agar shoot bhi karna pare…to don’t hesitate ok”…..khan ke order se saare policewaale chitiyo ki tarah haveli ke charo taraf fail gaye

Khan apni haath se revolver liye gate ke taale ko ek hi jhatke mein uraa chukaa tha…haveli ka gate jaise hi khulaa khan aur ooske saath do constables haveli ke taraf aane lage…..”dhyaan rahe wo bachke bhaag na sake”……khan ne chuppi se kaha

Khan jald hi haveli ke darwaaje par dastak dene laga.a…thak thak….lekin darwaja apne aap hi khul gaya….ek azib si bhayank si darwaaje ke khulne ki awaaz se dono constables ek pal ke liye sambhal gaye….lekin khannn kahan ruktaa wo jhat se andar ghuss gaya….charo taraf laal roshni mein oose kuch nahin dikh raha tha…khan ko ek pal ke liye cheekhne ki awaaz aayi….”aaaaaaaaaaaaaaahh”….isse ek pal ke liye kahn bhi sehem sa gaya…lekin oosne jhat se daudhte huye oos taraf jaane ka sochaa….piche ki khidhki se jab oosne bahar dekhaa to ooske hosh udh chuke they….do constables bahar marre pare they….khan ne wireless nikaala…”hello hello is anybody listening me”…..abhi khan ne kaha hi tha ki ek zor ki hawaa ka jhonkaa ooske piche se guzra jab oosne piche dekhaa…to piche khare dono constables gaayab they….”what d hell ye sab kya ho rahah ai?”……khan ne apne mann mein kahaa

“hahahahaha hahahahahahahaa”………khan ekdum se upar ki taraf jaakhne lagaa…ye awaaz upar ke kamre se aa rahi thi…..khan revolver liye upar ki or jaane lagaa….ooska sampark bhi apne logo se tut chukaa tha ab wo akela hi wahan tha….khan dheere dheere sidiyo se upar chadhne lagaa…jab wo upar pahuchaa to ek kamre mein roshni si aa rahi mombatti ki roshni….khan kaanpte kaanpte oos taraf jaa raha tha thanda paseena chutt chukaa tha….khan ne dheere se oos darwaaje ko andar dhakelaa ye janne ke liye ki andar kaun hai? Khan ekdum apni position mein tha jab oosne andar jhaanka to oosne ek shaks ko dekhaa jo haanf sa raha tha khan ooske chehre ko nahi dekh sakta tha peeth hi ooski dikh sakti thi…ooske mudhne ki dairi thi…ki khan ne revolver liyaa aur zor se kaha
“vishalllll main jaanta hoo ye saara khel tumahra hai ab behtar yahin hai ki ye daraane ka khel chodho aur khud ko kaanoon ke hawaale kar do I said!”……khan ne abhi kaha hi tha

Ki wo shaks jaise khan ki taraf mudhaa to khan ki saansein atak gayi aankhen phatne ko ho gayi…itna bhayanak chehra…maano koi insaan na ho…”aaaaaaaaaahhhh”……ye koi aur nahi vishal hi tha…ooske dahaadh se khan ek pal ke liye diwaar se takraa gaya…dil zoroo se dhadhakne lagaa…..ooske saansein atakne lagi…”tu jannachahta tha naa ki maine oon larkiyo ka khoon kyu kiyaa kyunkii main khoon ka pyaasa hoo hahahahahaaa”……vishal zoro se hassaa aur wo puraa badalne sa laga naakhun badhne lagaa…jism ki haddiyaa chatakne lagi….aankhe laal ho gayiii baal badhne lage kuch hi dair mein khan ke saamne ek dahadhta babbar shair kharaa tha

Khan ne jaht se revolver liye aur kaanpte haatho se oos par chalaya….goli ka koi asar naa para…aur  shair ek jhatke mein khan par kud para….khan bhaagne ki abhi koshish kar paata….babbar shair ne sidhe ek panjaa khan ke chehre par demaraa…”aahahhh”…..khan itni zor se faikaa gaya ki sidiyo se girate huye sidhe zameen par gir para ooske chehre se khoon beh raha tha haalat zakhmi they…ab bachne ki kooi gunzaasih nahi thi…achanak sidiyo se utarte huye oos daridne ko dekh..khan khauff se bhar gaya par ab uthne ka kahan dumm tha oosmein….achanak se shair dahaadh para….aur oosne khannn ko ek jhatke mein cheer daala diwaar khoon se rang gaye ….maut ka aisa khauffnak manzar shayad kisi ne dekhaa ho..

Udhar shekawat aur maasum jald hi hospital ke room mein pahuche…”anjanaa”…..maasum ek dum se anjana se lipat gaya
Anjana ab bhi behosh thi….”relax oosne uthne mein waqt haiii”…..shekwat ne maasum ke kandhe par haath rakhte huye kaha
“ye sabb ye saab oos vishal ke wajah se ho raha hai main oose chodungaa nahi”……maasum ne rote huye kaha
“aahh aahh”…..anjana ki karhaat ne maasum shekawat ko chaunka dala
“anjanana haan main tumahre paas hoo anjana”……anjana ki anakh dheeri khuli aur apne saamne maasum ko dekh wo ek pal ke liye hairaan si huyi

Ooske aankho mein aansu bhar gaye aur fhir wo maasum se lipatkar rone lagi…”maasummmm”……anjana ne rote huye kaha….”main oos kameene ko chodhunga nahii ab tumhe kuch nahi hongaa khan gaye hai wo oose zarur arrest kar lenge”….maasum anjana ko relax karte huye kaha
“anjana tum theek to ho”……anjana sadme se bahar nahi aayi thi oosne shekwat ko bas dekah par koi jawaab nahi diyaa…ab shekawat ne pehel ki…”darasal ye sab kisi chamatkar se kam nahi humne maasum ko pahadh ke niche se bachaya tha..lekin tum to viahal ke kabse mein thi fhir bachi kaise”……shekawat ne sawaal bhari nazro se kaha
“wo daridnaa hai sir oosse bachnaa mere liye namumkin tha kisi tarah wahan se bhaag gayi ooske baad ek jeep se main takraayi aur mujhe yaad nahi fhir kya huaa tha?”….anjana waapis bistar par lait gayi..
“main jaanta hoo anjana oosne jo bhi kiyaa oose tum tut chuki ho par oose sazaa dilaani to padhegi hi lekin oose maarna koi assan kam nahi wo raat ko babbar shair ban jaata hai oose khatam karna behad zaruri hai lekin iska jawaab to humhe koi aisa hi shaks de sakta hai jise is baarein mein kaafi jankari ho”…..shekawat ne socthe huye kaha
“haan sir ek shaks hai”……anjana ki baat ne sabko chaunka dala..
“kaunn?”….maasum ne kaha
“aaj se kareeb 4 saal pehle aisa hi ek waaqya bilaspur naam ke sheher mein huaa tha…wahan bhi koi samajh nahi paa raha tha ki aakhir aise haadse kyu ho rahe hai?? Aakhir mein jo larki victim thi oosne pata lagaya ki in sab ke piche ek shaap hai…jo insaan ko darinda banaa chukaa hai aur wo koi nahi oosi ka kareebi tha ooska naam haan yaad aaya Sonya bharadwaj”….anjana ki baat se shekawat massum aur Robert soch mein dub gaye
“oh yes yess I got it haan mere ek purane dost ne bataya tha lekin oos haadse ke baad wo larki na jaane kahan gaayab ho gayi yaani in sab sawaalo ke jawaab ab oos larki se mil sakte hai”…..shekawat ne muskurate huye kaha
“haan sir aur maine ooska address bhi note kar liyaa hai maine apne saare sawaalo ke jawab dhund nikaale hai bas humhe ooske paas jaane ki dari hai is sheher se kareeb 10 km dur oooska ghar padhta hai…wo oos hadse ke baad tut si gayi thi oosne apni kahani bhi net par di hai maine padhaa hai….aur main jaanti hoo yahin hamara aakhri hathyaar hai jisse hum vishal aur oos darinde ko rok sakte hai”……anjana ne shekwat aur maasum ko samjhaate huye kaha
“theek hai hum wahn jayenge tum maasum ke saath yahi ruko”…..shekawat ne kaha
“nahi sir main bhi chalungii ye sabkuch mere saath ho raha hai main hi in sabki wajah hoo aur main nahi chahti main piche hatkar oos darinde ko aur himmat doo wo masumo ka khoon kar raha hai main baith nahi sakti chuppchaapp”…..anjanan ne uthte huye kaha
“nahi anjana ismein khatra hai shekawat sir sahi keh rahe hai”……par anjana khaana maanne waali thi…
“theek hai mujhe bhi ye theek lagta hai ki kahin vishal tumpar bhi attack na kar de”….humhe jitna jald ho sake anjana ko vishal se dur kar dena chahiye…”par sir khan ne to oose arrest kar liyaa hogaa”…..robert ne chuppi todi
“main police station njaake aata hoot um dono yahan se kahi mat jaanta Robert tum saath ruko aur haan main call kar dungaa”……itna kehkar shekawat nikal gaya

Anjana massum ko dekhne lagi…maasum bhi chup hokar anjana ko dekh raha tha….
“kya keh rahe hai aap?”……shekwat ne sit se uthate huye kaha
“haan khan sir aur baaki ke officers ko gaye huye kaafi waqt ho gaya hai wo abhi taka aye nahi hai”…..officer ne shekawat ko kaha
“oh my god theek hai”…..shekawat turant car mein baithkar vishal ki haveli ki taraf rawana ho chukaa tha

Ho na ho in sab maamlo ke peeche oos shaitan vishal ka hi haath hai….shekawat jald hi haveli pahuchaa….haveli ka darwaja khulaa tha….shekawat chupchaap haath mein banduk liye haveli ke andar jaane lagaa…..dheere dheere…ho ho karti awaaz hawao ki…mahoul puraa khauff se bharaa huyaa tha…..achanak se haveli mein ghusste hi maano ek azab sa darr lagaa ho shekawat ko….shekawat chupchaap andar jaane lagaa….achanak se ooska pao kisi cheez se takraaya..aur wo sidhe farsh par gir para…”ohhh”….shekawat ne uthte huye karhaahat li…shekawat ne mudhkar piche ki or dekhaa…to ooska dil zoro se dhadhak utha….haath kaanp gaya…munh se aahh nikal gayi…aankhe khauff se bhar gayi…..wo kata haath dekh shekawat uth khara huyaa….shekawat ne jaise hi uthkar dusri or dekha…aadhi kati laash khan ki shekawat ke nazro ke saamne farsh par khoon se sani thi…aankhe khuli maano koi khauffnaak cheez niche ke pair gayab aur dyaana haath gaayab….ooski jagah khoon se bane zakhm….shekawat wohin farsh par gir para..”aahhh oh my godd oh myyy godd it meanss ahh w..wohhh darindaa bannn chukaahai mujhe yahan nahi rukna chahiye mujhe yahan se jald se jald nikalna hogaa”….shekawat palbhar na tehraa aur wahan se bhaag nikala….jeep ke paas aakar oosne gehri sans li ooske haath kaanp rahe they jhat se jeep mein baithkar oosne jeep ko ghumaaya aur haveli se bahar nikaall liyaa….
“hello hello Robert masum speaker on karo”……shekawat ne kaha
“ji sir ye lijiye”…..robert ne theek waisa hi kiya
“maasum anjanana meri baat dhyaan se suno khan marr chukaa hai ooske saath hi baaki ke officers bhi…maine vishal ko wahan nahi paaya ho naa ho oose tumhari bhanak lag gayi hongi aur shayad hospital aa raha hoo tum teeno kisi safe rush area mein chale jao…is waqt raat ke 11 baj rahe hai tumhara akela honaa theek nahi do it fast”……maasum anjana aur Robert ek dusre ko dekhne lage
“oh my godd jis baat ka darr tha wohi huaa”…..maasum ne khauff bhari nazro se kaha
“ab kya kare?”……Robert ne darrte huye kaha
“ek hi raasta hai yahan se nikal chalte hai”…..anjanan ne kaha
“pagal ho tumhari physical condition”……maasum ne kaha hi tha
“meri physical condition ki fikar mat karo bhaadh mein jaaye mujhe hamari parwaah hai ab vishall rukegaa nahi jab tak wo humhe maar nahi daalegaa humhe jald se jald yahan se nikal jaana chahiye”…….anjana en maasum ko pakadkte huye kaha
“theek hai Robert sir aap ek kaam kijiye main anjana ko leke aaj hi sheher chodh deta hoo…aur aap shekawat ka intezaar kariye anjana ka safe rehna bahut zaruri hai”…..robet ne haami bhari aur maasum ko anjana ke saath jaane kahaa

To be continued …

..
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #16 on: June 28, 2013, 07:35:58 PM »

Tez raftaar ko cheerti huyi car sunssan raasto par tezi se daudh rahi thi…..maasum aur anjana dono baar baar ek dusre ko dekh rahe they…kabhi anjana maasum ko dekhti…to kabhi maasum anjana ko dekhtaa…..dono ek dusre ki aankho mein they…itne musibato mein uljhe hone ke baad bhi maasum ki nazar anjana par thi…anjana ne ek pal ke liye maasum ko kho diyaa tha lekin kismet ka khel dekho dono fhir mile…darr is bat ka tha ki shayad oonk pyaar zyada dair tak saans na le sake….kyunki oonke piche vishal lag chukaa tha….ek dusre ki aankho mein dekht ehuye kab maasum ne apna baaya haath anjana ke haath par rakh diya..aur aankho se ye byaan kar diya ki sabkuch theek ho jayega

Lekin dono jaante they ki na ye khatra tal sakta hai aur naa hi oonka pyaar aur chain ki saans le paayega….maasum aur anjana kuch hi dair baad sheher chodh chuke they…dono sheher se dur ho chuke they….charo taraf ghanaa jungle…lekin ek khushkismati ki shayad aakhri baar hi sahi dono ek dusre ke saath they….aaankho ka silsila kuch hi pal mein hat gaya jab kisi truck ki horn ne dono ki nazaro ko todha…maasum ne car ko side mein kar liyaa…aur dheere dheere chalane laga.a..oosne ek pal ke liye anjana ko dekhaa aur fhir saamne dekhne lagaa..
“anjana 2 ghante aur lag jaayenge dusre sheher pahuchne mein tum so jao”……maasum ne saamne dekhte huye kaha
“neend dur jaa chuki hai..ab to shayad hamesha ke liye aankhe band karni padhengi”…..anjana ne sochte huye kaha….maasum ne ek pal ke liye ooske chehre ki taraf dekha
“main vishal ko tumhare paas aane nahi dungaa ye mera wada hai”…..maasum ne anjana ko dekhte huye kaha
“wo ek darinda ban chukaa hai ek khooni darindaa jise harana shayad hamare bas ki baat nahi hum mar jaayenge shayad yahin hamari zindagi ka aakhri modh hogaa”…….anjana ki aankho mein aansu ghul chuke they
“tumm tumm uff kaise samjhaoo tumhe to fhir hum kyu bhaag rahe hai jab humhe saath marna hi hai….maana hum saath na reh sake…lekin kam se kam is baat ki tassali hogi ki maine tum khoya to nahi”…….maasum ne anjana ko dekha is baar ooske aankhen bhi surkh laal thi

“khairrr hum jald hi pahuch jaayenge..shekawat aur Robert bhi humhe wohin milenge…tab talak tum thodha aaram kar lo”….maasum ne car ko thodha tez karte huye kaha
“bachne ka ek upaay hai mera saath yahi chodh do”…..anjana ne maasum ko kaha
Ek pal ke liye maasum teher sa gaya….”agar marna hai to saath marenge lekin main tumhe is daldal mein akela nahi chodhungaa”……maasum ne guse se daant bheej liye….

Anjana ne ek pal ke liye muskuraa diyaa…wo jaanti thi maasum bahut ziddi hai….aakhir kuch hi ghanto mein anjana sochuki thi….jab ooski aankhe khuli to oosne paaya ki maasum ab bhi jagah hai aankhe surkh laal ho chuki thi…chehra saqt sa ho gaya tha…maano puri raat oosne anjana ki hifaazat ke liye ek pal tak apni palak bhi na jhapkaayi ho

“lo anjana hum pahuch gaye “……..maasum ne anjana ko saamne dikh rahe sheher ko dekhne ka isahara kara.

Kuch hi ghanto mein dono oos jagah par they jahan oonka maqsad oonhein laa chukaa tha…”anjana address yahin hai”…..maasum ne car ko rokte huye kaha…”shayad yahin hai main ek min ke liye nikalti hoo”…..anjana ne sit belt kholte huye kaha

Dono car se utarkar saamne ki taraf jaane lage….saamne ek baraa sa ghar tha wooden hous jaisa…..maasum anjana ko leke aage ki taraf chal para..dono ek pal ke liye chupp they…kuch dair baad dono jab oos ghar ke darwaaje par khare huye to wahan address board par saaf saaf shabdo mein likhaa tha…sonya bharadwaj

Dono ne darwaje par dastak di..kaafi dair baad darwaja khulaa….dono saamne ke shaks ko dekhaa ek topi aur muffler odhaa hua shaks dono ko ghurr raha tha….”kisse milna hai aapko?”…..shaks ne dheemi awaaz mein kaha
“sonya bharadwaj ka ghar yahin hai”……maasum ne dheere se kaha
“haan lekin aap log kaun?”…..shaks ne dheere se jawaab diyaa
“hum kuch jawaab lene aaye hai…kahan hai Sonya?”……anjana ne shaks ko dekhte huye kaha
“aaiye aaiye andar”….itna kehkar oos shaks ne dono ko andar aane ka ishara kiyaa

Dono dheere dheere ghar ki taraf aaye ghar mein ek azib si sanaanta chahaaya huyaa tha…charo taraf andhera….”memsaaheb kahan hai tumhari?”…..anjana ne idhar udhar dekhte huye kaha
“memsaaheb ko guzre do saal ho gaya hai”……ek bari si bijali dono par girr si gayi maasum aur anjan ek dusre ko dekhne lage…maano oonke saarein sawaalo ke jawaab wohin tham gaye they
“kya Huh? par kaise?”……anjana ne swaal bhari nazro se kaha
“kareeb 2 saal pehle ek hawayi durghatna mein oonki maut ho gayi…tab se is haveli mein veerani chayi hai veerani to oonki zindagi mein bahut pehle se chaa chuki thi…wo harpal akeli rehti thi oonke saath koi nahi tha…oonki maa baap koi nahi tha siwaay mere….lekin shayad “……shaks wohi aankhe nam huye rone lagaa
“dekhiye hamara yahan aane ka maqsad sirf yahi hai ki hamare peeche ek khauffnak saaya mandrara hai aur jiska jawaab sirf Sonya hi de sakti thi lekin ab oonke maut ke baad shayad ye raaz raaz hi reh jaayega”…..anjana ne aankhe jhukaate huye kaha
“kaisa raaz? Aap kya jaannachahte hai”…..shaks ne dheere se kaha
“hum aise hi musibat se jhunjh rahe hai jise byaan karna behad mushkil hai mera ek dost tha lekin ek haadse ne oose badal diyaa aur oos par ek shair ki aatma sawaar ho gayi woe k darinda ban gaya khoon ka pyaasa jo ab meri talaash mein bhatak raha hai…main apne zindagi ke liye nahi par oon hazaar maasumo ke liye oose rokna chahti hoo jo ooska aage chalkar baith ban jaayengi”……anjana ne rote huye kaha
“jannta hoo main kyunki isi musibat ne meri memsaaheb ki zindagi ko ujaadh daala lekin aap fikar na kare ye ek aisi shaitani taqat hai jise rokna kisi insaan ke bas ki baat nahi siwaay oos par uparwale ke jiskudrat ne ise janam diyaa hai wohin iska vadh kar sakta hai aur iske liye aapko bas oos hathyaar ka prayog karna hai jo oos shaitan ko rok sakta hai lekin ismein jaan bhi jaa sakti hai”…….shaks ne chalte huye kaha

“mujhe apni maut ka darr nahi mujhe bas jaanna hai ki aakhir Sonya ne kaise khud ko bachaya tha…kaise oos shaitan ko maar dalaa tha maine oonki kahani padhi hai”…..anjana ne shaks ke saamne khare hokar kaha
“hmm memsaaheb ne khud oose apne dono haatho se maara tha…khanjar ghopaa tha oos shaitan ko asal mein wo shaitannn oonka apna hi pyaar tha….oos hadse ke baad…Sonya madam tut chuki thi….lekin agar aapko ye janna hai ki oose kaise roke to aaiye mere saath upar ke kamre mein”…….itnka kehkar shaks sidiyo se upar chadhne laga

Maasum anjana ko dekhta huaa anjana ke saath upar chadhne lagaa charo taraf diwaaro par Sonya ki tasveer thi…jismein kahi ooska muskurata chehra to kahi college friends ke saath….saari yaadein taaza si ho gayi “ye sab kaun hai?”….anjana ne tasveero ki taraf dekhte huye kaha
“memsaaheb ke dost they kabhi ab nahi rahe oos haadse ke dauraan ye sab maarein gaye memsaaheb ki ye khaas dost thi “…..itna kehkar langraate huye shaks aage jaane laga

Ek darwaja khulaa….darwaaje ki awaz se mahoul sanante se bhar gaya….charo taraf andhera sirf ek khudki se aa rahi roshni se kamre ko dekha jaa sakta tha….”ye hai memsaaheb ka kamra oos haadse ke baad oonhone bilaspur ko chodhkar yahin apna ghar bana liyaa tha aapko jo kuch bhi janna ho wo sab aapko in daraazo mein rakhkhe sabuto se mil jaayega

Itna kehkar shaks darwaaje par khara ho gaya….aur maasum anjana diwaaro par lage tavseero ko dekhne lage….”ye memsaaheb ki ma aur papa hai memsaaheb ki maa ek haadse ka shikaar huyi thi”…….shaks ne kaha
“jaanti hoo oonhone likhaa tha ye baat bhi”…..anjana ne shaks ko dekhte huye kaha
Anjana ne daraazjab khole to oosmein ek kitaab aur kuch tasveerein thi anjana ne turant oon tasveero ko jhaadha aur mez par rakh diya aur kitaab ko kholaa

“ye meri aap beeti hai agar main na rahu to jo koi bhi is diary ko padh raha hai wo meri byaan ki huyi baato ko nahi nakarega meri zindagi mein khauff to tabse chaaya jab se maa ka dehant huaa tha maa parek shair ne hamla kar diya aur maine apni maa ko tukdo mein alag hote dekhaa to wo bhayanak manzar jo mujhe todh chukaa tha meri zindagi cheen chuki thi lekin kismet n mujhe oosi shaitan ke saamne waapis khara kar diyaa…oos babbar shair ke saamne darasal sheher mein aayedin hasdso ne mujhe todh dala…yahan tak mujhe oos shair ki ghurrant apne bistar to kabhi apnea as paas mehsus hone lagi….lekin oosi waqt maine jisse pyaar kiyaaa oosne mujhe sahara diyaa hum khush they…lekin oos raat oos cottage mein jo haadsa huuaa ek ke baad ek mere kareebi log marne lage…oonka shikar huaa tha aur bachi thi sirf main…lekin jab mujhe pata chla ki wo shair koi nahi mera apnaa pyaar tha…main sehan na kar saki oosne mujhe har tarike se maarna chaha…lekin isse pehle wo kuch kar sakta maine ooske seene mein khanjar bhok diyaa oose maine shair se insaan mein tabdil hote dekhaa…main akeli besahara zakhmi haaaalat se wahan se bhaag nikali oos haadse ke baad maine wo sheher wo khushaali zindagi chodh di main khush thi apn izindagi mein lekin mujhe hamesha se aisa mehsus hotaa ki kya sach mein main bach gayii kyaa wo ek bura sapnaa tha??? Mujhe kcuh samajh nahi aya is duniya mein aisi alokik shaktiya hai jinse hum aparichit hai hum jante hai ki aatmaye sirf insaano ki nahi hoti khoon peete jaanwaro ki bhi hoti hai….aur wo kisi bhi roop mein aapke saamne aa sakte hai jo koi bhi is dairy ko padh raha hai oose main yahin khaungi ki agar ooske saath bhi kuch aisa ho raha hai to darro mat oosse laddhoo oose harane ke liye ooski kamzori par waar karo wo khud be khud mar jaayegaa bhagwan ne oose banayahai aur bhagwan hi oose khatam karegaa zariya tumhe apne aap mil jaayegaa padhne ka shurkiyaa”………….itna padhne ke baad anjana ki anakhen bheeg gayi thi

“is diary ko likhne ke baad Sonya madam ko kisi kaam se America jana tha durbhaagya vash oonki maut ho gayi…beti main yahin kahungaa ki himmat mat haroo”……..shaks ne anjana ko hausla diyaa “ye tasveer kiski hai”……….anjana ne tasver uthtae huye kaha

“yahi to hai oonka pyaar mohit…jise wo bhula na saki mohit hi wo shaitan tha jisne Sonya ko maarna chaha lekin sonyaa ne aehem waqt par ooske khel ko khatma kar diyaa “……….shaks ne tasver lete huye kaha
“theek hai thank u”………..itna kehkar aansu ko ponchte huye anjana sidiyo se utarne lagi

“ufff anjana ab kya karein ab to hamare paas vishal ko rokne ka koi zariya nahi hai”………….maasum ne kaha
“haiii ek zariyaa aur wo ye hai ki hum ooska saamna kare”…..anjan ne itna ekhkar car mein baith gayi…maasum bhi bas hairaani se oose dekhta huya car mein baith chukaa tha

“khaddhhh”……oos ghurrahat ke saaye ne ek pal ke liye dono ko jaate huye dekhaa…ye koi aur nahi vishal tha jiski aankhe car ko ghurr rahi thi….ooski aankho mein gussa tha aur apne shikaar ko paane ki talab….jald hi muskurahat ke sath wo saaya ghass se gaayab ho gaya

To be continued…..

Logged
asif biswas
Guest
«Reply #17 on: July 01, 2013, 11:02:18 PM »


Khadhahh khadhdh khaddhhh …..tez gargarahat ki awaaz se bijliyaa ek pal ke liye saaf dikhti aur dusre hi pal andhere mein gaayab ho jaati…..charo taraf ghanaa andhera….aur anjana car mein baithi….maasum jo car ko tezi se chalaa raha tha…raasto par headlight jalate huye wo baar baar anjana ko dekhta…anjana ab bhi gumsum baithi huyi thi

“hum kuch hi dair mein mansion pahuch jaayenge don’t worry”……maasum ne anjana ka dhyaan todhne ke liye kaha
“pahuchkar kya hogaa Huh? kis uljhan mein hai hum…socho kitna dard sahaa hogaa oos larki ne aur humse kayin zyada wo to akeli thi…”……anjana fhir soch mein dub gayi
“uff kya samjhaoo tumhe? Agar haadse milte julte hai to iska ye matlab nahi ki hum apne aap ko oos haadse se judda huaa mane maana jo kuch ho raha hai wo bilkul same hai but even we have to figure it out”…….maasum ne anjana ko ye ahesaas dilate huye kaha ki oonhone abhi jung haari nahi hai

“you are right vishal is waqt ohh godd”……anjana abhi kuch keh paati ooska haath kaanp utha…
“kya hua anjana?”…..maasum ne anjana ke bajte phone ko dekhte huye kaha

Dono ek pal ke liye chup baithe ek dusre ko ghurrne lage…fhir achanak se maasum ne car ko beech sadak par rok diya….”its vishal”…..anjana kaanpte haatho se phone uthaate huye kaha
“phone mat uthana phone switch off switch off the damn phone”……..itna kehkar aadhi toofan ki tarah maasum ne car ko tezi se bhagaa dala

Anjana phone switch off kar patii..isse pehle hi maasum ne apne baaye in hath se mobile switched off kar diyaa aur fhir tezi se car ko bhagaa dalaa..ek pal ke liye anjana bhi hil si gayi thi
“ho na ho wo kameena ab bhi hamare peeche hai…wo sirf ye janna chahta hai ki hum kahan hai?”……maasum ne raasto par dekhte huye kaha

Dono kuch dair waise hi chup rahe….darr dono ke dil mein saaf chaa chukaa  tha…chehre par pasina tapak raha tha…achanak se house mansion mein gaari rokne ke saath..maasum jhat se car se nikalaa..aur ooske saath anjana bhi jaldi se nikali…wo maasum ko dekhne lagi…maasum ne dikki se kuch saaman nikaala aur anjana ko apne saath aane kaha
Dono ne apne pasine ponchein….aur mansion ke andar aaye…saamne ek aadmi baitha huaa tha…yakeenan receptionist….”uhh excuse me we need two room here for one day”….maasum ne muskurate hue kaha
“ok sirr yahan verification details likh dijiye”…….maasum ne kaanpte haatho se pen pakdaa aur jaldi jaldi likhne lagaa….receptionist anjana ko ghurr raha tha..par anjana idhar udhar dekh rahi thi
“oh thank u sir this are ur keys and if u got any problem call us”…..itna kehkar receptionist muskuraya
“oh yeah suurre”….maasum ne muskurakat di aur anjana ke saath sidiyo se upar chadhne lagaa
“tum kuch bataoge bhi hum jaa kahan rahe hai?”……..anjana ne jaldi se kaha
“humne sheher cross kar liyaa hai…kuch din tak hum sheher se bahar rahe to accha hai..lekin wekin kuch nahi vishal humhe jagah dhund raha hogaa we should be stay away from him as soon as we can”……maasum ne anjana ko chaabi diya

“ye bedroom tumhara aur bagal wala mera hai…agar kuch anhoni ho to ye lo gunn”……maasum ne gun nikaalte huye kaha
“what??”….anjana ek pal ke liye sehem gayi
“darro nahi ek yahin safety hai tumhare liye”……..maasum ne anjana ke haath mein gun dete huye kaha
“par agar tumhe kuch!”…….anjana isse pehle keh paati maasum ne ooske hontho par ungli rakh di
“plss trust me meri fikar mat karo…shekawat sir aur Robert bhi jald hi yahan pahuch jaayenge then we will discuss how to get away from this trouble? Tum jao aram karo aur haan darrna nahi ok”……maasum ne anjana ki aankho mein oose relax karte huye kaha

Anjana ne ek halki muskurhaat di aur chaabi kholkar apne room mein chali gayi….masum bhi apne room mein aa chukaa tha…”thak thak thak thak”…..maasum ke darwaaje par dastak huyi…maasum ne dheere se key hole se jhaanka..aur darwaja khol diya
“your dinner sir”…..shaks ne maiz par khaana rakhaa aur chala gaya
“dekhta hoo anjana ne kuch khaaya ki nahi”……..maasum ne anjana ke darwaaje par dastak di

Thak thak…kuch dair baad darwaja khulaa…anjana nightgown mein kharrii thi….”kya hua?”,,,anjana ke dil mein ab bhi khauff tha
“kuch nahi sochaa puch loo tumne kuch khaaya ki nahi”…….maasum ne muskurate huye andar aakar kaha
“haan khaa liya tumne “…….anjana ne dheere se kaha
“uhh nahi abhi tak to nahi…khairr main sir ko call karta hoo oonse puchuu to”…”thak thak”……darwaaje par ek baar aur dastak huyi
“arre is waqt kaun aaya hogaa?”……maasum ne darwaaje ki taraf hairaani se dekhte huye kaha
“kaun hai?”…….maasum ne zor se kaha
“thak thak”……darwaaje par dastak huyi par koi awaaz nahi aayi
“mmm..maasumm”…….anjana ne darrti aankho se maasum ko dekhte huye kaha

Maasum dheere dheere darwaaje ki taraf gaya pasine se tarbatar darr se haath kaanp rahe they….maasum ne fauran..bed se revolver uthaya aur sidhe darwaje ke bagal ki diwaar par kharaa ho gaya…oosne dheere dheere jhukkar jaise chaid par apni aankh lagayai…wo ek pal ke liye fhirse kharaa huyaa..anjana ghabraa si gayiii
Maasum ne dheere dheere..handle ko niche ghumaana shuru kiya….aur ek hi jhatke mein darwaja khol diya…anjana ek pal ke liye sehem chuki thi lekin ooske baad oos shaks ke kamre mein aate himahoul fhirse shaant ho gaya
“uff tum to meri jaan le lete”…….ye sheakwat tha aur pcihe Robert

“oh thanks sir aapne to daraa diyaa tha…accha huaa aap aa gaye aap baithiye”…..iske saath hi maasum ne darwaja band kiyaa aur charo chair par baith gaye
“hmm bahut buri khabar hai khan nahi rahaa”……..shekawat ne darrte huye kaha
“kya ??”……..anjana ke saath saath maasum bhi hakka bakaa tha
“oos shair ne khan aur ooske police karamchariyo ko mar dala main khud haveli se jaake aaya tha…baad mein Robert ne bataya ki tum dono sheher chodh chuke ho to maine bhi faisla kiyaa ki tumhari madad karuu”……….shekawat ne sab keh dala

“lekin ab kya kare isse pata chal raha hai ki vishal kitna ghatak ho gaya hai ab ooska ek ek pal kareeb aana hamare liye khatre ki baat hai”……..maasum ne shekawat ko dekhte huye kaha
“keh to tum theek rahe ho lekin anjana mujhe ek baat batao koi sabut milaa”……..shekawat ne uthte huye kaha
“nahi sir Sonya mar chukki hai maine ooski saari daastan padh li oosne kisi khanjar se oos shaitan ka khaatma kiyaa tha lekin oos shaitan ke khaatme ke saath saath wo khanjar bhi naa jaane kahan gumm ho gaya”………anjana ne byaan kar diya
“hmm iska matlab khatra abhi tala nahi wo khanjar hamari aakhri hathyaar thi….ab to oose khuda hi maar sakta hai lekin jis kudrat ne oose janam diya hai oosi kudrat ke paas aisi koi na koi taqat to hogi jisse hum is shaitan ko rok sakte hai”……..shekawat ne tehelte huye kaha
“lekin sirr ooske liye ab hum kya kare sheher se dur to aa gaye lekin oos shaitan ki parchaayi ab bhi hamare kareeb hai”………Robert ne daarrte huye kaha
“tum log darro nahi main kuch hathyaar laaya hoo police ko bolne ka koi faayeda nahi…ho na ho vishal hamare peeche hi hai…wo bas sahi ghaat par hamla karega…ek shair ki tarah tum dono anjana aur maasum tum bagal waale kamre mein rehna yahan main aur shekawat honge…kuch bhi lage to phone kar dena…hum turant hi madad ke liye aa jaayenge”……..shekawat ne hiddayat dete huye kaha

“theek hai sir..chalo anjana”…….itna kehkar anjana maasum ke sath dusre kamre mein chali gayiii…

Raat ke kareeb 12 baj chuke they…sbakuch sannate se bharaa tha…kutto ki bhaunke ki awaaz aa rahi thi….jo har pal anjana ko sehemaa rahi thi…achanak se ooski neend khuli…maasum bhi palak jhapakte hi uth baitha
“kya hua anjana?”…..maasum ne anjana ke kandhe par haath rakhte huye kaha
“uhh tumne wo wohh awaaz sunii”….anjana ne maasum ko dekhte huye kaha
“nahi to kaisi awaaz?”……itna kehte hi maasum samajh gaya…..

Maasum ne dheere dheere uthkar khidhki ke bahar jhaanka…charo taraf chandni raat ki roshni mein sabkuch saaf dikh raha tha…..khadhhhh is baar maasum bhi sehem gaya…oh shittt jaldi se phone lagao”……..dono darr gaye…darwaaje ko koi maano peet raha tha…”kaunn hai?”….maasum ne chillate huye gun haath mein le liyaa

Darwaaja koi zoro se peetta raha…achanak se hawaa tez ho gayiii…maasum ne keyhole se bahar jhaanka to ooski saansein atak gayii….”oh my godd “……..maasum ne anjana ko liyaa aur kamre k eek kone mein ho gaya…”wo aa gaya wo bahar ghumm raha hai call karna hogaa”……maasum ne jhat se phone liyaa aur call karaa

“hello sir wo bahar hai”……maasum ne kaanpte huye kaha
“oh shittt tum wohi ruko kamre ko kisi keemat par mat kholna…ok”………shekawat ne hidaayat di
“theek hai sir”……..maasum ne sehemte huye kaha

Khadddhhh….darwaaje ko todhta huyaa shair kamre mein ghussne ki koshish karne laga…anjana ek pal ke liye cheekh ne lagi…maasum ne anjana ko daboch liya…”c;mon anjana…maasum ne khidhki khol li….aur dono khidhki se bahar nikal gaye...shair kamrem ein ghusskar sidhe anjana par hamla karne hi wala tha..anjana baramdae mein aa chuki thi…maasum ne balcony ke railing par chadhte huye pipe ko dekhaa…”anjana aao mere saath darro nahi aao aaoo “…….”grrrr”…..shair dahadhtaa huaa khidki par naakhun maarne lagaa…..anjana darrte huye balcony ke raling pe chadii aur fhir pipe par…dono dheere dheere pipe par chadhne lage…”aaaahhh”….anjana ekpal ke liye slip si huyi par maasum ne oose jakad liya…”dheere dheere ananjana”……maasum dheere dheere pipe se utarne laga…shair balcony mein aachukaa tha….par 2nd floor se niche uttar chuke they….shair railing par chadhta huyaa bas ghurraa raha tha…aur fhir achanak se wo andar chalaa gaya…..”jaldi jaldi anjana…wo niche aayegaa”……maasum jaldi se niche utara..aur anjana bhi dono bhaagte huye car ki taraf jaane lage…..”aaahhhh”……..receptionist ki kati laash ko dekh anjana cheekh kar rone lagi….khoon se lathapath kati lash
‘bhaago anjanaa”……..anjana aur maasum bhaagne lage…shair daudhta hua karee baa raha tha….achanak se shair ne ek chalaang lagaayi…aur isse pehle ki wo maasum ke kareeb aa pata…dhacchhh”………sidhe ek goli shair ko lagi aur wo wohi gir para….piche shekawat aur Robert dheere dheere kareeb aane lage

“you both okay”….shekawat ne kasske banduk taane huya kaha
“haan sir thanks uhh isne to jaan hi nikaal di thi…”…….maasum ne saans lete huye kaha…
“chalo yahan rehna theek nahi”……..shekawat ne abhi gun chodhaa hi tha

Ki achanak dahadhta huyaa shair uth khara huaa….aur oosne sidhe Robert par chalnag laga di…”aaaaaaaaah”…….shair ne Robert ke gale ko kasske daboch liyaa….shekwat anjana aur maasum cheekh pare”nahi nahinnn”……shekawat ko maasum ne pakad liyaa

“sir yahan se bhaag chaliye plss wo nahi rahe chaliye sir”…….maasum ne shekawat ko pakadte huye kaha

Tadapte Robert ko shair ghasista huyaa le jaa chukaa tha….shekwat rone lagaa…maasum aur anjana ne oose hausla diya
“ab sir humare paas waqt nahi hai chaliye sir”………itna kehkar maasum aur anjana jhat se car mein baithkar wahan se nikal pare…

Logged
asif biswas
Guest
«Reply #18 on: July 06, 2013, 02:30:21 PM »
Car ko aandhi tufaan ki tarah bhagaa chukaa tha…maasum…sadmein mein teeno dub chuke they….ab shayad khauff dimaag par bhi haavi hote jaa raha tha…..
“hum bahut dur nikal aaye hai…subah hone mein ab bhi 7 ghante baaki hai au hamare paas abhi tak oos shaitan pe kaabu karne ka koi hathyaar nahi hai”…….maasum ne car ko chalate huye kaha
“sach keh rahe ho tum itne mazbur ho gaye hai hum…aur sheher se bhi kaafi dur aa chuke hai ab to lagta hai zindagi kuch hi palo ki hai”……anjana ne sadmein mein kaha
“chup raho tum dono abhi dair nahi huyi hai oosne mere dost ko maar dala main oose jaan se maar dungaa agar mere saamne wo fhir aa jaaye to main ooske jismo mein kartoos bhar doo”…….shekwat ne gusse se bilbilat ehuye kaha
“sorry sir but aap ki goliyaa ya fhir koi insaani hathyaar oospar koi kaam nahi karegaa ek hi raasta hai ooose jitnah o sake ootna dur ho jaaye jab tak hamare paas”……abhi maasum ne kahaa hi tha…ki achanak fuel khatam hote dekh maasum ek pal ke liye chup ho gaya

“shittt shitt shittt petrol khatam ab hum aura age nahi jaa sakenge”…….maasum ne steering pe haath maarte huye kaha
“oh god”…….anjana ne bas itna kaha aur apne sar par haath rakh liyaa

Car thodhi dair mein hi beech sunsaan highway par ruk chuki thi…charo taraf andhera hi andheraa…jhinguro ki awaaz…aur hawaaye sansanti huyi baar baar aati to teeno ke rauntte khare ho jaate…..”ek kaam karo car se kuch bhi ho jaaye mat nikalnaa”……shekawat ne banduk thaamte huye kaha
“aisa karke koi faayed nahi hai wo hum par hamla karne se nahi chuekgaa behtar yahin hai ki isi waqt car se nikalkar kisi safe jagah par chupp jaaye”…….maasum ne kaha hi tha ki shekawa chilla uthaa
“tum akal se kaam lo yahan tum dono safe ho…aura age ka raasta behad khatarnak wo palbhar mein yahan pahuch jaayegaa…main apni banduk se oose distract karungaa…taaki main oose maar saku””………shekwat ne hidaayat dete huye kaha

”ek raasta hai”…….maasum ne jawab dete huye kaha
“raasta kaisa raasta?”,,,,,,,,sawaal bhari nazro se shekawat aur anjana dono maasum ko ghurrne lage
“aag shair aag se ghabrata hai aur humhe oose kisi tarah aag mein jalanaa hogaaa ooske liyee humhe gaadhi se nikalna to paregaa hi”………maasum ne itna kaha hi tha…lekin shekawat ne baat ansuni kar di
“dekhiye sir agar yahin aakhri raasta hai aur waqt abhi bahut baaki hai …..raat tak wo shair hai ooske baad suraj ki roshni mein wo vishal…humhe isi beech oose jaan se maarna hoga”……maasum ne zor se kaha


khaddhhhhh…….oos dahadhati awaaz ne teeno ko chaunkaa dalaa….shekawat ne jhat se chitanki ko kasske tight kar diyaa,,,,”wo paas aa raha hai aaahh”……..anjana ke khidki par hamla kar diyaa..shair car ko zoro se hilaane laga aur sheesho ko panje se todhne lagaa….”tum log kuch bhi ho jaaye car se mat nikalna..”……shekawat ne piche htoe huye kaha…maasum bhi piche ho gaya tha..aur khaufnaak nazro se shair teno ko ghurre jaa raha tha…ooske dahadhte huye daanto ko dekh…dono ek pal ke liye sehem gaye

achanak sheesha tutaa aur shair andar ghussne lagaa….shekawat ne jhattt se banduk uthaayi aur sidhe shair ke chehre par goli maari…dhacchhh….shair wohin par gir para….maasum ne jhat se darwaaje ko khol liyaa aur anjana bhi jhat se car se utar gayi…..achanak se shair ne fhir hamla bol diyaa…anjana aur maasum dur jaakar ruk chuke they…..”aahh sss :.,…shekawat par hamla hone lagaa….shair ka….”oh nahi shekawat to andar hi reh agye”…….anjana ne sehemte huye kaha

“aahhhh chalaaoo goli goli challaaooo is shaitan ko maarne ka ek tarika hai aahhh meri parwaahhh mat karooo goli chalaaoooo goli challooaaa”………shekawat ne dard mein tadapte huye kaha

Shair car mein ghuss chukaa tha….maasum ne kaanpte haatho se gun liyaa lekin oosmein itni himmat nahi thi….”main kehta hoo goli chalaaoo meri fikar mat karo chalaaoo goli”……..shekawat par shair haavi ho chukaa tha…..maasum ki aankho se aansu nikal gaya aur achanak oosne aankhe band kari aur sidhe do goliya chala di…dhadhhh badhaammmmm……car ek jhatke mein dhamaake se udh gayi…..aur charo taraf aag hi aag baras gaya….anjanaa maasum se lipat gayiii

“khaddhhhhh”……..is awaaz ne dono ko sehmaa dalaa…..maasum ne shair ko dekhaa to ooski aankhe fhat chuki thi…shair bahut pehle hi car se kud chukaa tha….aur wo ab ghaat lagate huye duadhta hua kareb aa raha tha
Anjana aurm aasum dono bhaagne lage…daahadhta shair bhi oonke peiche tha……bhaagt bhaagte huye dono ek knadhar mein ghuss gaye……charo taeaf andhera...anjanana ka jhat se par filsa….aur maasum ne oose uthe uthaaya..jab oosne saamne dekh to ooski bahut hairaani huyi

“ye kaali mata ka mandir hai”……….maausm ne anjana ko sambhaalte huye kaha
“ab hum kya karee anjanaa”…….maasum ne sadmein hote huye kaha
“ek raasta hai kudratt kudraattt “………anjana ne maasum ko dekhte huye kaha

Achanak se palak jhapakte huye babbar shair saamne aakar kharaa ho gaya tha….”anjana piche hatoo”……..”nahi maasummm nahi”………”main keh rahah oo dur hat jaoo aaj main ise rok kar rahungaaa”………”nahi aahahh”…………shair ek pal mein daahadta huaa sidhe maasum par hamla bol diyaa…

Dono ek dusre par bheedh gaye….babbar shair ne maasum ko buri tarahhh se ghayal kar diyaa…maasum dar dmein chatpatata huaa sidhe zameen par gir gaya…khoon se lathpaath…shair dheere dheere kadmo se maasum ke kareeb aane lagaa…..
Anjana ek pal ke liye sehem gayi achanak se mandiro ki ghanti aapsas mein takraate huye bajne lagi… tann thannn thannnn

“ek minnnn ek minnnn kudrat hi tumhara saath degaa samajh gayi Sonya ke dairy mein yahin likhaa tha…..kudrat madad karegaa…is duniya mein jo kudrat se bane hai oose kudrat hi khatam karegaa…..haann samajh gayiiii..”…………..anajnaa ne ek dum se kaali ke haatho mein dikhe trishul ko chamakte dekhaa


Anjanaa ne mann mein kahha “mujhe raasta dikh gaya hai khauff par kabu khauff par kabuuu khauffff par kabbu darr nahi main nahi darungii main nahi darungiiii”…….anjana ne uthte huye sidhe trishul ko apne haatho mein le liyaa…..

Shair maasum par hamla karne ke firaak mein tha…ooski gale ki nasoo ko todhna chahata tha……maasum adhmara ho chukaa  tha……shair ek hi jhatke mein jaisie maasum ke kareeb hamla bolne kudaa hi tha ki achanak…..”heyyyy tumhara khel khatam vishalll”……..anjana ke haath omein trishul dekh shair wohi teheraa

Isse pehle koi harqat mein aata…..anjana ne sidhe trishul ko kasske pakadkte huye shair ke seene mein ghopp diyaaa….”yaaaaaa”,,,,,,,,khacchhhhh ……….”grrrrrrrr”……shair ekpal ke liye zor se dahahadaa….aur wohin chatapane lagaa ooska bhaari jism farsh par dhair ho gayaa…..aur wo zor zor se cheekhne lagaa….achanak se vishallll anjana ke saamne aa chukaa tha…”aahh aahhhh ss aahhh”…….vishal aankhri saansien le raah tha….
“jis kudrat ne tujh jaisie shaitan ko banaya hai aaj oosi bhagwan ne tujhe khatam karaa hai….aaj se tumharaa koi wajood nahi rahegaa vishalllll “………anjana ne gusse se bhari chehre se vishal ko dekhte huye kaha vishal seene mein ghopaa trishul leke bas dard se tadapne lagaa tha…..aur fhir kuch hi dair mein ooski saansein tham gayiii…..aur fhir achanak se ooska jism phatkar aag mein bhasam ho gaya…..anjanam aasum ke kareeb gayiii…maasum ghayal hokar uth chukaa tha

“annjannaa”……..maasum ko anjana ne sambhaalte huye dekhaa
“sab theek ho gaya hai maasum vishall maara gaya hai kaali mata ne humhe raha dikhayaa hum bach gaye:,……..anjana ne maasum ke sar par haah phairte huye kaha

Thodhi hi dair mein subha ho gayi aur dono ghayal haalaat mein mandir se nikal gaye….isi ke saat hshaitan ka khauff mit gaya aur phir ek baar achaaii ki jeet huyi aur khooni darinda kak hauff mit gayaa….

The end…..

Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 12:58:57 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.137 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer