Pyaaar...........ek balidaan

by Anjili.swetty on July 29, 2012, 11:27:19 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 8745 times)
Anjili.swetty
Guest
HI FRNZZ..........NAMASKAAR
I AM anjali.........AND ITS MAH FIRST STORY ON YOINDIA.ITS A NICE FORUM FOR YOUNG READER AND WRITER.ITS STORY ABOUT LOVE,CARE,FRIENDSHIP AND SACRIFICE.ITS A FICTION BUT MANY POINT AND LINKEDSTORIES ARE REAL.







............bhagwan ke liye meri baat to suno ragini.yuvak buri tarah larkhara raha tha aur aansuo me duba hua tha.magar logo ne uski ek na suni aur use uthakar stairs se niche fek diyaa.voh yuvak rone laga aur kaanpne laga aur ek baar phir gidgidane laga.....bhagwan ke liye ragini....please meri ek baar to suno.
Ek moti aurat us par chilaate hue"roj roj aa jata hai meri gaahki kharab karne".abdul,salim.....ise utha kar bahar fek do.aur wo do mustande us yuvak ko uthakar bahar fek dete hai.vo yuvak sarak par girta hai........aur ragini,ragini chillate hue idhar udhar bhagne lagta hai.niche charo taraf log use dekh rahhe hai........ek dukaandaar ek aadmi ko batati hai......kabhi ye yuvak har kothe par hatho hath liya jata tha.......lekin aaj....bechara abaga kothe ki gandi galiyo me sacchi mohabbat dudhne chala hai....bechara.
Bechara yuvak chillata hua edhar udhar bhagta hai.......ragini,kahan to tum.please mujhse baat karo ragini.tabhi acchanak ek BMW uske saamne aa jati hai aur uske ankho ke aage andhera cha jata hai.Aur ek ladki ki awaj  sunai deti hai"dekh ke nahi chal sakta pagal aadmi,sharabi kahin ka........aur wo niche utar kar aati hai.

Are Atul babu aap..........ye aapko kya ho gya.us ladki ke tewar badal jate hai.aur wo atul ko apne bahon me sahara dekar uthati hai aur car ke pichle seet par lita kar darwaja band kar deti hai.aur car start karke drive karne lagti hai.Thodi der drive karne ke baad car ek apartment ke saamne rukti hai......aur wo gaurd ko bulati hai aur sahara dekar atul ko uthakar le jati hai.GAurd atul ko dekhkar kehta hai.......mam,aap kaun ho.Ye to roj aise hi nashe ki haalat me aate hai raat ko.........phir wo atul ko sahara dekar uske flat me le jate hai.lekin flat pehle se khula hota hai.Ladki hairaan ho jati hai andar dekhkar...........uska dil joro se dhadkane lagta hai.vo sochti hai ki turant vahan se chali jaye.Lekin atul ki haalat dekhkar uska dil use izzazat nahi deta.WO flat ke andar jati hai.Vahan ek aadmi baitha hota hai jo ladki ko dekhkar chauk jata hai,aur usse bolta hai....shayad maine tumhe kahin dekha hai.

Ladki ki iccha hoti hai.Ki wo vahan se bhaag jaye aur uski aankho me aasu aa jate hai.....haan, aap mujhe jaante hai,mera naam JULIA hai.......us aadmi ke gusse ki koi seema nahi rahti......aur wo julia ko do thappad marta hai aur niche gira deta hai.Julia ke sar se halka sa khoon aa jata hai lekin uski ankho me aansu nahi aate.Vo aadmi chhilata hai......bhag ja chudial,tune mera jeevan barbaad kar diya.......tune meri chandni ko mujhse cheen liya aur uski aankhein gusse se lal ho jati hai.
Julia hath jodkar uske kadmo me gir jati hai aur rone lagti hai...........ab mai badal gayi hu suraj babu,bhagwaan ne mujhe bhut saza di.Mere apno ne mujhe barbaad kar diyaa.......please suraj babu,ab mai pehle vahi julia nahi hu.Suraj ka gussa thoda sa bhi kam nahi hota.........aur wo bolta hai,agar tumne hamare atul ko na bachaya hota.......to mai turant tumhari gardan tod deta.
julia roti rahti hai........aur acchanak se apna top phad deti hai aur uski puri peeth nagn ho jati hai..........suraj dekhta hai,uski peeth par kaale kaale nishan pad pad gaye hai aur lothde ajjeb se nazar aa rahe hai.ab suraj ka gussa halka sa shant hota hai.Julia roti rehti hai aur batati hai.......maine wo sab chodd diya,ab mai cabre dancer nahi hu.jinka maine sath diya tha unhi kamino ne mera ye haal kiya.Jab hum us din tumhari bacchi ko chura na sake aur jaan bachakar bhag nikle............tabhi jagga ko police ne pakad liyaa aur thane le gayi........jaaga ko shak hua ki maine police ki mukhbiri ki hai aur usne mere upar TEJAB fikwa diyaa.........bhagwaan ki daya se mera chehra to bach gaya lekin aur pura jism ................itna kehkar julia fafak fafak kar rone lagti hai.suraj use sahara dekar uthta hai aur kehta hai...........chahe kuch ho jaye,tum meri nazaro me hamesha gunahgaar rahogi,bhagwaan ne tumhe tumhare kiye ki saza de di hai.lekin mai tumhe kabhi maaf nahi kar sakta.
Suraj julia se puchta hai......jagga ka kya hua Huh?
Wo jel me hai........aur maine apni bachi sampatti se ek kapde ki ghate me chal rahi company kharid li.wo company aajkal accha chal rahi hai.....aur mai export ka bussiness karti hu.....aur din raat bhagwaan se prayer karti hu.....ki wo vo mere gunaho ke liye mujhe maaf kare.Itna kahte kahte julia ki ankhein nam ho jati hai aur wo phir se rone lagti hai.suraj usse vahan se chale jane ko bolta hai......aur julia rote rote vahan se chali jati hai.

FRENZzz.......kaise lagi mei story ki suruwaat.yeh ek lambi kahani hai aur  kuch bhut acchi love,emotion aur dosti ki batein.ITS my first story ......please response me,jis se mai aage continious kar saku.......
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Underworld: khoji Patrakarita aur Mukhar hogi Jyoti Dey ke balidaan se by khumaar in Shairy-E-Watan
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: July 29, 2012, 01:44:20 PM »
good
Logged
Anjili.swetty
Guest
«Reply #2 on: July 31, 2012, 02:45:07 PM »
Thxxxx for compliment...........

Julia ke chale jaane ke baad suraj baithkar sochta rehta hai.Subah jab atul ki ankhein khulti hai hai to woh suraj ko saamne baitha hua pata hai.
Atul: aap kab aaye suraj bhai.......
Suraj use coffie ka cup dete hue bolta hai bas samjah lo,jab tum uthe tabhi mai aa gaya.......vaise mai kal raat ko aaya tha.Atul last night ke bare me sochne lagta hai,use yaad aata hai ki wo road par gir pada tha aur uska accident ho gaya tha aur ek ladki ne uski jaan bachai thi aur use uthakar ghar tak laayi thi.....
Suraj: sasur ji apni akhiri saanse gin rahe hai aur din raat aapko yaad karte rahte hai.unka aapse koi gila sikwa nahi hai.aap unse chal kar ek baar mil kyun nahi lete......
Atul:mere paas itni himmat nahi hai ki mai us devta tulya aadmi ka saamna kar saku.mai nahi jaa sakta .......mai unki beti ka gunahgaar hu.mere karan us bhale vyakti ko na jane kaise kaise din dekhne pade......mai unka saamna nahi kar sakta..
Suraj samjha samjha kar aakhir haar maan leta hai aur use paiso ka ek packet dekar gaun chala jata hai....
Atul apne purane din ko yaad karne lagta hai.kitni haseen zindgi thi uski.........ragini use kitna chahti thi.usne us bichari ke sath itna bura kyun kiyaa.atul khud ko ragini ki maut ka jimmedaar maanta tha...

Ragini apne papa ki laadli beti thi.Seth bhagwaan das ka unke gaun me bhut naam tha.wo bhut bhale aadmi the.lagataar mehnat ne unhe ilaake ka sabse ameer aadmi bana diyaa tha aur unke acche vyavhaar aur insaniyat ne unhe gaun me pujya bana diya tha.kitna hasta khelta pariwaar tha unka.ragini,uski choti bahen chandni aur ek god liya hua beta suraj.Suraj gaun ka ek aanath ladka tha jise bhagwaan das ne sahara diya tha............ragini ki ma unhe bachpan me hi chodkar chali gayi thi.ragini sahar me rahkar higher education ki study kar rahi thi aur apne gaun bhut hi kam jaati thi.uske pita ko hamesha uski yaad satati rahti thi.........is beech ragini ke relation atul ke sath ho gaye.atul ek berojgaar ladka tha jisne amir bankar,logo se udhari le lekar showoff karke ragini se dosti kari thi.Bechari maasoom ragini atul ke jhanse me fas gayi thi jo ragini ke ameer baap se paisa vasoolna chahta tha.Is tarah atul ragini ka relation chalne lagta hai.jab bhi ragini ke parents use ghar bulate the wo koi na koi bahana karke hamesha taal deti thi.aur seth ji chintit ho jate the ki kahin unki beti galat sangat me na pad jaye..........acchanak ragini ke ma ki tabiyat kharab ho gayi thi aur unki akhiri saanse chal rahi thi....unki akhiri wish apne ragini ko dekhne ki thi lekin ragini kaise ghar jaye........usne to padhai chod di thi aur atul ke sath ek flat lekar rahne lagi thi.seth ji ke bachpan ke bhut acche dost the........dr. Shadashiv,jo unhi ke sath rehte the apni beti anusha ke sath.....anusha ne medical ki study puri ki thi aur apne papa dr. Shadashiv ke sath gaun me public welfare ka kaam kar rahi thi.jab ragini ki ma ki tabiyat kharab thi tab dr. Shadashiv aur anusha din raat unki sheva karte the aur seth ji ki haveli me hi rahte the.Suraj aur anusha ek dusre ko dilo ja se chahte the.anusha ek bhut hi acchi ladki thi aur hamesha chanchalta uski chehre pe chahkti rehti thi.......anusha aur chandni bachpan ki frnds thi aur hamesha se ek dusre pe jaan chidkti thi...............kahani ka ek aur pahlu ye tha ki chandni bhi suraj se pyar karti lekin ektarfa.Usne suraj se kabhi izhaar nahi kiyaa tha.bas use dilo ja se chahti thi aur kuch na kehti thi......bas yu hi din beette rahte hai ki acchanak ragini ki ma ki death ho jati hai.ab ragini ko majburan sahar se aana padta hai,atul bhi uske sath aata hai.Ghar me udasini ka maahaul rehta hai,isliye koi ragini ki taraf dhyan nahi deta tha.Ki acchanak ek din ragini ki tabiyat kharab ho jati hai aur wo behosh ho jati hai........dr. Shadashiv jo seth ji ke family dr. Hi the,wo ragini ko dekhte hai aur seth ji ko batate hai ki unki beti ragini pregnent hai,ye sunkar seth ji ke pairo tale jamin khisak jati hai........patni ko khokar vaise bhi unka bura haal tha ki ek unhe ki aur sadma aa lagta hai........vo bhut pareshan ho jate hai.unhe samjh me nahi aata ki vo kya kare.vo apni beti ragini ko bhi bhut chahte the isliye koi faisla nahi le pa rahe the.unki haalat buri ho jati hai aur unhe dil ka daura pad jata hai.haalat bad se badtar hote ja rahe the tabhi dr. Shadashiv unke ek upay batate hai ki suraj aur chandni ki shadi kara dete hai.shadi hone ke kuch mahine baad suraj aur chandni bahar ghumne ke bahane se bahar jayenge aur ve atul aur ragini ke bacche ko le aayenge.is tarah pariwaar ki izzat bhi bach jayegi aur ragini ke bacche ko jeevan bhi......uske kuch baad jab sab kuch normal ho jayega to phir hum ragini aur atul ki bhi shadi kara denge.is tarah sab kuch normal ho jayega.seth ji ko ye upay accha lagta hai aur ve shadi ki tayari karne lagte hai.chandni bhi is shadi ko razi ho jati kyun vo to suraj ko chahti hi thi.seth ju suraj se kahte hai ki pariwaar ki izzat bachane ka yahi rasta hai.suraj par seth ji itne ahsaan the ki wo mana nahi kar pata aur use majburan haan kehna padta hai.Is tarah haveli me vivah ki tayariya hone lagti hai.bechari anusha na to kuch keh paati hai aur na hi ro pati hai.Haveli ki izzat ke khatir vo apne pyaar ka balidaan de deti hai aur apne hi hatho apni jaan se pyari saheli aur apne pyar suraj ke shadi ki tayariya karne lagti hai.Is tarah suraj aur chandni ki shadi ho jati hai aur atul ragini ke sath vapas sahar aa jata hai.apni shadi ki pahli raat ko chandni ko suraj se pata chalta hai ki
Logged
Anjili.swetty
Guest
«Reply #3 on: July 31, 2012, 02:50:55 PM »
suraj chandni se pyar karta tha.to uski ankho se aansu nahi rukte,use lagta hai ki usne apni pyari saheli ki mohhabat ka gala ghont diya hai.aur suraj ko jab chandni ki mohhabat ke bare me pata chalta hai to shocked rah jata hai.suraj chandni se kehta hai jab tak wo anusha ki yadon ko bhula nahi deta tab tak wo chandni ko patni ka pyar nahi de payega......chandni rone lagti hai aur is tarah se zindgi aage badhne lagti hai. Aur suarj chandni me married couple hone ke baad bhi pati patni jaisa koi rista nahi rahta.idhar atul ke lendaar use paise chakane ke liye uske upar presure daalne lagte hai aur ragini ki maasumiyat dekhkar atul ko sach me usse pyar ho jata hai aur vo usse dil se mohhabat karne lagta hai.ek din jab uske lendaar vasooli karne ke liye uske flat pe aate hai vo rajni chupke se sari batein sun leti hai aur use ye jaankar bhut dukh hota hai ki atul ne uske sath sirf paise ke kiye pyar ka khel khela tha to use bhut dukh hota hai aur wo sadme me chali jati hai aur uski bacche ki delivery bhi hone wali thi
.wo behosh ho jati hai aur atul use hospital me admit karata hai.wo hospital me atul se kehti hai ki agar wo garib bhi hota to bji wo atul se utni hi pyaar karti.atul ko ye sunkar bhut dukh hota hai aur vo use apne dil ki baat batata hai lekin ragini ki tabiyat din pratidin bigadti jati hai aur ek din wo ek beti ho janm dene ke baad is duniya ko chodd deti hai aur atul paaglo jaisi condition me pahuch jata hai.suraj aur chandni jo plan ki mutabik sahar me hi rahne lage the,ve aate hai aur ragini ke bacche ko apne sath lekar chale jate hai.jagga jisne suraj par paise kharch kiye the ragini se friendshp karate vakt,wo atul ke upar paise ke liye pressue daalne lagta hai.aur use jab pata chalta hai ki atul use kuch nahi de sakta kyunki usne apni saari sanpati apni beti swetty ke naam kar di hai jo gaun me suraj aur chandni ke paas thi.phir jagga ek cabregirl julia ke sath mil kar bacchi swetty ko kidnap karne ki yojna banata hai aur planing ke tahat julia train me chandni se milti hai aur uski dost ban jati hai.Maasoom chandni ko pata bhi nahi chal pata ki kaise ek ladki uski acchanak dost ban gai.phir gaun par julia jagga ke sath swetty ko kidnap karne ki kosish karti hai.lekin wo apni yojna me safal nahi ho pate aur pakde jane ke dar se jagga tabadtod goliya chalane lagta hai,aur teen goliyan chandni ke seene me lagti hai jo sweety ko bachane ka prayas kar rahi thi,goliya khakar jamin par gir jati hai..
Suraj paglo ki chillane lagta hai.chandni ishare se suarj aur anusha ko paas bulati hai aur unka haath ek dusre ke hath me rakh deti hai aur bolti hai ki wo dono milkar puri zindgi tak swetty ka khayal rakhenge aur shadi kar lenge aur itna kehkar apni aankhein band kar leti hai.suraj aur anusha rone lagte hai..................


FRENZZZ AAPKO KAISA LAGA STORY KA FLASHBACK PART.................KAHANI LAMBHI NA HO ISLIYE MUJHE IS BHUT KAM SHABDO ME BAANDHNA PADA........AB AAGE EK ROMANTIC,CUTE,FRIENDSHIP AUR SACTIFICE KI EK ANUTHI MISSAL AAPKO DEKHNE KO MILEGI......AAPKO KAHANI KAISI LAGI,REPLY ME......
Anjali
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 01:46:57 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.091 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer