Pyar ki kahani....

by diya_barsat on May 14, 2007, 07:41:23 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 3710 times)
diya_barsat
Guest
Pata nahi kiyon jab wo ata tha to esa lagta tha ke woh bilkul paas hai.  Jaise wo use choo sakti hai aur mehsoos kar sakti hai, aur jab kesi bhi din woh nahi  ata to sab kuch boring sa lagti thi use. esa lagta tha jaise kuch khogaye ho aur pata bhi nahi chalti ke kiya hai. Sara din gum sum sa rehti aur kesi se baat nahi karna chahti thi, bas yunhi apni khawabo aur khaylo ke duniya mein uske yaadon ke saaye mein rehti thi.  jab bhi uska koi khat ata to rooz parke khush hojati aur khat ko par par ke sab kuch yaad hogai thi. esa lagta tha ke usko wo milgaya hai jiska use sadyon se intazar tha.  Par jab khawbo ke duniya se nikal kar bahir akar sochti thi to sab kuch ek adhora sapne ke tarha dekhta tha use. Usne apni poori zindagi enhi khawbo mein hi guzari thi, aur kabhi en khawbo ke duniya se bahir nikhalna bhi nahi chahti thi. Kiyon ke use pata tha ke reality mein kuch bhi nahi hai siwaye dard aur gum ke.  Koi nahi tha usko samajhne wala uski feelings ko mehsoos karne wala, aur uske saath wo sab dar sshare karne keliye jo wo saalo se apni dil mein dabhaye howe bethi thi.  to be continued......
Logged
Nirbhay
Guest
«Reply #1 on: May 14, 2007, 06:38:09 PM »
Nice,,
Logged
*DeSi KuRi WaLaIti sTyLe*
Guest
«Reply #2 on: May 16, 2007, 01:37:50 AM »
GR8 STORY..................NICEEEEEE................. ....ITS TRUE THOUGH
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #3 on: May 16, 2007, 06:05:57 AM »
Sad Story of Love... sad5

Nicely written Diya_barsat... =D>

Well... Where is the Remaining Part :?:
Logged
diya_barsat
Guest
«Reply #4 on: May 19, 2007, 08:20:50 AM »
Use ek esa sathi ke zaroorat thi jo use samajh sake; par wo bhi esa nahi tha. Phir bhi na jane kyon uska saath use bahut pasand thi. Esa lagta tha jaise saare duniya ke khushiya milgaye ho jab wo baat karta tha uske sath. Ek pagal pan se chahyee howi thi uski zehan mein. Use kuch aur sochne ka mann hi nahi kar rahi thi. Par use to yeh bhi pata nahi thi ke wo use apna dost tak bhi manta hai ya nahi, aur hakeekat uske saamne thi. Par wo kuch samajhna nahi chahti thi. Halanke wo tha itna carefree aur western type  ka larka aur yeh chup chap se rehne wali khamosh aur bahut samajhdar larki, phir bhi use wo acha lagta tha. Khud bhi nahi samajh pati thi ke wo kiyon usko chahne lagi hai, kiyon ue pyar karne lagi hai. Jab ke un dono ka ek hona hakeekat mein to kiya khawabo mein bhi mumkin nahi thi.  Par lagta tha ke usko wo milgaya hai jiske sath wo apn poori zindagi bitha sakti hai. Aur agar na mila to uske yaado ke sahare sare zindagi jee legi. Use kabhi bhi esa kuch asar nahi howi thi kesi se baat karne se aur wo bhi net par.  Cont....
Logged
diya_barsat
Guest
«Reply #5 on: July 01, 2007, 01:33:23 AM »
Jo us keliye mehaz ek tafreeh thi aur wo apne saare net friends ko time pass bulati thi. Uske nazar mein Net aur Real duniya mein bahut farq tha aur wo dono ko kabhi compare nahi karna chahti thi.  Kyonke use yeh sab ek khel nazar ati thi. Par use khud bhi nahi pata tha ke ek di esa ayega jo se apne ek net friend se pyar ho jayega. Roz ek naya khawab dekhti apni zindagi ke bare mein apne bhavishar ke bare mein, par koi tabeer milti nahi usko. Zindagi sirf ek mazaq banke rehgaye thi uskeliye. Aur wo mehaz dosro keliye jee rahi thi. Uska apna tau kuch bhi nahi tha siwaye un khawabo ke jo uske dil mein chupi thi. Saare zindagi bas yahi intezar mein guzari thi ke ek din wo ayega. Aur saare duniya ke khusiyan uski qadmon mein rakhega. par esa kuch bhi nahi tha. Din dekhti na raat, bas ghanto uske intezar karti rehti thi. Par wo ata hi nahi, aur use ye pata bhi nahi chal jata ke ye uske intezar mein raat bhar jaagti rehti hai.  Uski mann mein ek khawab tha jo wo har waqat usi  khawab ko kahi tarha se sajati rehti apni khayalon se.
Logged
VIPAL
Guest
«Reply #6 on: July 05, 2007, 09:21:16 PM »
keep writing diya.

I m eagerly waiting to read ur creation !!!

Vipal
Logged
sanya310
Guest
«Reply #7 on: July 15, 2007, 08:45:20 AM »
hey diya keep writing u goin really great!!
Logged
diya_barsat
Guest
«Reply #8 on: July 17, 2007, 01:38:08 AM »
Zindagi mein ek baar us se milna chahti thi. Aur koi wish nahi thi uski mann mein bas us se milna tha usko.  Use yeh umeed bilkul nahi thi us se ke wo bhi use pyaar kare jaise wo use karti thi. Aur apne aap par itna bharosa tha ke wo apni saare zindagi uske naam kar sakti hai aur saare zindagi uske yaadon ke sahare jee sakti hai. Yeh kiya payee thi us mein, wo khud bhi nahi janti thi.  Rooz uske baare mein sochte sochte ek dun gungunati thi. Usko ek problem thi ke wo kabhi bhi us se naraz nahi ho sakti thi. Kuch minutes keliye bhi nahi. Halanke kahi baar dil par pathar rakh ker usne yeh thaan liyee thi ke kesi baat ka bahana bana ker us se baat nahi karegi, par hazaron koshishoo ke ba wajood wo kuch nahi kar saki.  Rooz ghanto baat karti thi us se phir bhi jab wo chala jata tha tau usko miss karti thi. Pata nahi ye kiya pagal pan thi, wo tau darr ke mare kesi ko batana bhi nahi chahti thi aur bata bhi nahi sakti thi.
Logged
diya_barsat
Guest
«Reply #9 on: July 17, 2007, 01:39:02 AM »
Kiyonke usko ye lagta ke sab log us par hansenge aur uska mazaq urayenge. Tao jab bhi apni dil ki baat kesi ko batane ka dil karti,  sab kuch apni diary mein lekhti, aur jab bhi uske yaad ati thi tao khud par leti thi. Es tarha sara din uske khayalo mein guzarta.

Flash Back......

Kuch saal pehle ki baat hai, ek din Hazel (main character) apni friends ke saath bethi hui thi school mein. Sab log apne personal life ke un sunehre pal ke baat kar rahe the jo kabhi nahi bhool sakte. Aur jab Hazel ki baari agayee tao us ne kaha ke har raat uske sapne mein koi ata hai aur dono kahi bethe hue hai aur hazel apni sir uske khande par rakhi hui hai, esa feel hota jo use us larke se be had pyar ho. aur jab usko dekhna chahti hai ke wo kon hai, wo chala jata hai. Tao hazel koshish karti hai ke uska chehra dekh sake par jitni jaldi uske peeche bhagti hai wo utni jaldi nazar se gayab ho jata hai. wo apne friends ko sirf itna bataye thi par wo nahi bataye thi jo asal mein ho raha tha. This.. jab subha hota tha tao ek naya feeling hota kuch khushi aur kuch uljhan.Esa lagta tha ke wo us se bahut pyar karti hai, ese feelings hoti thi jo sach lagne lagti thi. Aur wo jhagte hue bhi us feelings ko mehsoos kar sakti thi. Tao enhi feelings ko lekar ek dun banati hai aur dil hi dil mein gungunati thi...

Kon hai woh jo rooz mere khawabon mein ata hai...
Jo mujhe har waqat sata tha hai...
Jo zindagi ka wo rukh dekhata hai,
ke meine dekhne ki kabhi koshish ki hi nahi..
Aur mujhe jeene ki tamana de jata hai...
Kon hai woh jo din ke ujalo mein ere hosh urra deta hai...
Kon hai woh jo ek lamhe keliye sab kuch bhula deta hai,
aur raat ke gehrayeon mein mujhse neend mein baatien karta hai...
Kon hai woh?
Phir dil e ek awaz nikalti hai
Koi nahi sirf meri khayal hai

Back to present...

Ab us khawab ki tabeer mil gaye thi use, hazel ko esa lagta tha ke wo wohi hai jo raato ko uski khawabo mein ata tha. To be continued....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: July 30, 2007, 09:05:11 AM »
Good Job Diya Ji,..
Acchi Story Hai,..
Logged
diya_barsat
Guest
«Reply #11 on: December 29, 2008, 10:01:09 AM »
Par use doubt hone lagi thi ke kahi yea bhi koi khawab tau nahi. December ka maheena aa raha tha aur Hazel bechainee se intezaar kar rahi thi. Kiyon ke December main ek khas din thi us keliye, us maheene main uska birthday tha. Aur Hazel usko wish karna chahti thi, present de kar. Ek din jab wo online aya tau hazel ne uska address aur phone number pocha usne de di aur poocha kiyon chahye. Hazel ne kaha kisi din batadungi. Phir jab din qareeb aane lage tau hazel ne kaha ke yea jo address tum ne mujhe deya hai sahi hai na. usne kaha haan bilkul sahi hai, aur phir pochne laga kiyon. Hazel ne kaha ke usko khat bhejne wali hai card ke saath uske birthday par. Par usne kaha nahi mujhe kisi ne ab tak koi gift nahi bheja to sab ko ajeeb lage ga. Matlab uske family ko, aur wo log us se tarah tarah ki sawal pochne lagenge.  Hazel ne kaha theek hai kuch nahi bhejongi. Phir jab birthday ka din aa gaya tau hazel ne uske e-mail par birthday cards bhej di aur usko kahi baar wish kiya take esa na ho ke wo ek ko miss kare tau dosri ko dekh sake.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: December 30, 2008, 09:13:11 PM »
Hmmm,.
Aage Ki Jaldi Post Karo,.
Logged
diya_barsat
Guest
«Reply #13 on: January 04, 2009, 11:21:30 AM »
Usne cards dekh liya aur hazel ko thank you note bheja email par. Jab hazel ne thank you notes dekhi to wo khushi k mare pagal ho rahi thi. Phir kabhi kabhi khud sochne lagti thi ke wo kyon uske har email ke aane par itni khush hoti hai? par dimagh kaam nahi karta tha. Phir din chalte gaye aur January ka maheena aa gaya aur new year start howi, agla maheena main Jo February tha Hazel k birthday aa raha tha, aur wo bechainee se uske greeting card ka intezaar kar rahi thi. Usne raat ke 12 baje tak soyee nahi yahi sochte howe k shayad wo aa jaye aur use wish kare, par esa kuch nahi howa. Use yaad bhi nahi tha ke us din Hazel k birthday tha.   Din guzar gaye aur ek raat wo online agaya. Hazel us se baat nahi karna chahti thi, par jab bhi baat na karne ke baare main sochti to koi choice nahi hoti uske paas, bas baat kar bhetti us se. yahi uski ek majboori thi jo us se kabhi naraz nahi ho sakti thi aur who esi majboori ka faida utha leta har waqat. Bato bato main hazel ne uska naam le liya, usne kaha koi baat to hai jo aaj tumne mera naam liya hai.   Usne pochne laga aur hazel ne kaha ke ek sawal pochon tumse. Usne kaha haan pocho na kiya baat hai. hazel ne kaha tumhe pata hai mera birthday kab hai? Tab ja ke use yaad aaya ke hazel ka birthday hoga esi maheene ki koi date main aur exact date bhi yaad nahi tha usko. Phir sorry bolna shroo kiya jo k uske aadat howa karta tha.
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #14 on: January 04, 2009, 11:25:37 AM »
Aur aage ki kahani kya
Jara kar barsaat tu Diya
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 07:35:22 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer