Rang-e-zindagi

by tamanna.pt on April 05, 2010, 12:36:45 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 3742 times)
tamanna.pt
Guest
          
       Aadab doston! aaj main aap sabke samne ek kahani pesh karne ja rahi hoon. Yuun to ye kahani maine mere ek bahut azeez janne walo ki zindagi se li hai,par maine ise apne tareeqe se pesh karne ki koshish ki hai,saath hi maine unke zazbaaton ko bhi apni kalam se nikli ibaarat me dhalne ki har mumkin koshish ki hai.Aur kyunki isme zindagi k har rang shamil hai isliy ise ye naam diya hai.Ab aagaz karti hoon,,,,
      
    Ye kahani hai Rehana ki,hasti muskurati rehana,ammi ki pyari or abbu or bhai ki dulari rehana. Sara din mohalle me shor machana,khelna par fir bhi class me awwal aana.Aisi thi zindagi uski. Par zindagi jaisi dikhti hai waisi hoti nahi, Rehana k abbu ttheke pe makan banvane ka kaam kiya karte the,or jitni kamai hoti wo jhuthi shaan ya sharab me nikal jati. to uski ammi ne jo kewal highschool paas thi,inter karke ,BTC kiya jo ki us waqt itna mushkil nahi hua karta tha,or school me padhane lagi,. Waqt Kuch or guzra rehana or uska bhai saleem ab bade ho chuke the rehana 10th or saleem 12th me the,abbu ki aadat me koi sudhar nahi tha,gussa hone pe marna or fir baad me manana ek aaam baat thi,aisa nahi hai k wo apni aulaadon se mohabbat nahi karte the par sharab ki boondein mohabbat k har rang ko dho diya kati thi.Saleem jo padhne me bahut tez tha, ammi or rehana ki ummeed tha,waise bhi aksar gharo me eklaute bete paida hote hi umeed ban jaya karte hai,or wo umeedein wazni bojh me kab badal jaya karti hai pata nahi chalta,saleem bachpan se hi abbu se wajah-bewajah galia sunte or maar khate bada hua tha,jisse uska sabr bhi jawab de chuka tha,ek din abbu se kisi ne majak me saleem ki jhuthhi shikayat kardi,par wo hosh me hote to majak or haqeeqat ka farq samajh pate,abbu ne saleem ko itna mara k wo behosh ho gaya,uska bahut ilaaj karaya par davay zehen k zakhmo ka ilaaj nahi kar pati , wo gumsum rehne laga tha,ek din rehana jab use naashte pe bulane aai to wo uthha nahi tha, or wo fir kabhi uthha bhi nahi,usne zeher kha liya tha,shayad use zeene se jyada aasan marna laga.Abbu ko bete ki maut ne hila diya wo bahut pachhtay or fir dheere-dheere unhone iska ilzaam bhi khuda pe laga k ibadat na karne ka ek or galat faisla kiya. Zindagi chalti rahi waqt kuch or guzra or ab rehana college me aagai thi,Dekhne me aam si,sanwli si thi rehana,uske husn kisi ne koi sher nahi garhe the kabhi,par seerat me kamaal thi wo,milansaar,khush mijaj,or padhne me sabse aage. Wo B.sc first year me thi jab uski mulakat Amaan se hui jo uski zindagi me ek or rang le k aaya mohabbat ka rang. Baaki baad me likhungi doston,plz padhega zaroor n koi suggestions bhi dijiyega.  
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #1 on: April 05, 2010, 12:48:41 PM »
Bahut achhi kahaani hai Tamanna ji. Aage ki kahaani ka intezaar rahega.
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #2 on: April 05, 2010, 06:25:35 PM »
Kahani dilchasp hai... aage ki kahani ka intezaar rahega humko bhi...
Logged
tamanna.pt
Guest
«Reply #3 on: April 06, 2010, 07:44:02 AM »
 Shukriya Riyaz ji or klaskar ji aapne waqt dekar kahani padhi or pasand ki.Bahut shukriya. Ab aage likhti hoon,,,

         Rehana yun to hasmukh thi par uske dost bahut kam the,sara uske bachpan ki saheli thi n soheb jo ek doctor tha aksar abbu k ilaaj k liy kafi waqt se ghar aaya karta tha se,uski dosti ho gai thi.Bas yahi do kareebi dost the uske. Amaan se uski mulakaat pehli baar college k saalana jalse(annual function) pe hui thi wo final year ka student tha,amaan shokh,chanchal,khoobsurat or umda shakhsiyat ka malik tha. Rehana ko usse milte hi ek apnepan ka ehsas hua tha or amaan ko bhi wo or ladkiyon se alag lagi thi. Fir aksar library me dono ki dua salam ho jaya karti thi,dheere-2 dono ki baaton ka silsila aage badhta gaya. Rehana  amaan ki or ek khichav mehsus karne lagi tha par wo jaanti thi k amaan k liy ye sirf ek dosti tak thi kyunki college k itne haseen chehro k beech wo khud ko kahin nahi pati thi.Dekhte-2 1 saal guzar gaya,rehana k dil me amaan puri tarah utar chuka tha. Alvida k jalse ka din tha weh amaan ko jane se pehle ek baar dekhna chahti thi, wo college pahunchi to amaan jalse me nahi tha usne phone kiya to pata laga wo library me uska intzaar kar raha, wo wahan gai to use amaan library k bahar ki bench par mil gaya, weh kuch badla sa laga na wo muskurahat,na koi shokhi par majboot irade k saath,shayad wo kuch kehna chahta tha, usne iski wajah amaan se puchhi to usne ek khat rehana ko thama diya.jisme wahi lafz likhe the jo rehana pichhle saal bhar se sunna chahti thi, amaan ne rehana k hath thaam k usse nikah k liye puchha par rehana kuch ne keh saki use yakeen nahi tha k itna behtareen dikhne wale shks ne use pasand kiya tha, wo sirf muskurati rahi or amaan ne rehana ka iqraar uski ankhon me padh liya tha. Sach kaha hai kisi ne

       ANDAAZ BEHEKNE LAGTE HAI,BAATON ME SHARARAT HOTI HAI,
       AANKHON SE PATA CHAL JATA HAI, JIS DIL ME MOHABBAT HOTI HAI. (NM)

 Dono k gharo me mache kohraam k baad dheere-2 sab raste pe aane laga or college khatm hote hi rehana amaan ki hogai. Uski Zindagi me amaan ki mohabbat k phool khil gay the or rehana ko kisi khiza k aane ki umeed nahi thi. Par zindagi umeedo pe nahi chalti,use abhi bahut kuch dekhna baaki tha zindagi me..

Doston ab aage ki kahani baad me likhungi.
 
 
   
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #4 on: April 06, 2010, 08:00:09 AM »
Nice story Tamanna Ji
Waiting for more
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #5 on: April 06, 2010, 05:18:58 PM »
Hum raah dekh rahe hain age ki kahani ka ...
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #6 on: April 07, 2010, 12:50:15 PM »
Wah wah Tamanna ji aapne to bahut achhi kahaani likhi hai. 1st part ki tarah 2nd part bhi bahut achha laga. Ummeed hai baqi ki kahaani bhi jald hi padhne ko melegi.
Logged
tamanna.pt
Guest
«Reply #7 on: April 07, 2010, 02:32:25 PM »
    
      Shukriya riyaz ji, klaskar ji or rajesh ji.Khushi hui k aap kahani pasand kar rahe hai. Ab aage likhti hoon..

       Amaan nepal k ek kasbe ka rehne wala tha or lucknow me apne ek dost k wahan ruk kar college ki padhai kar raha tha. Uske abbu ka nepal me karobaar or khet the. Aisa nahi k wo dikhne me shehjade jaisa ho ,weh 21 saal ka thik-thak soorat ka malik tha,par uska baat karne ka dhang , or uski muskurati shaksiyat use bahut khaas bana deti thi. or isi wajah se usne college me sabke beech apni umda jagah banali thi . Rehana use or ladkiyon se alag soch wali lagi thi or uspar rehana use chahti thi to uska bahut khyal rakhti thi,paray mulq me kisi se itna apnapan mile to dil us or mud hi jata hai. Dono ne jab nikah ki baat apne-2 gharo me kari to koi raji nahi hua.  Rehana k abbu ammi bhi razi nahi the par beti ki mohabbat k aage wo jhuk gay wo saleem k baad rehana ko bhi khona nahi chahte the . Amaan k ghar se koi bhi us nikah me shareeq nahi hua tha . Rehana k do doston or abbu ammi ki mojudgi me ye nikah hogaya or amaan ne rehana ka haath hamesha k liy thaam liya,kam se kam rehana ko to aisa hi laga tha. Nikah k baad amaan use apne ghar le gaya wahan uske khandan walon ka ravaiya rehana ko lekar thik nahi tha, rehana unhe nepal ki or khoobsurat ladkiyon k beech feeki lagi,or upar se rehana ki gurbat bhi is ravaiye ki ek wajah thi. Amaan ki ammi ne use dekhte hi keh diya tha k amman tumne ladakpan me jo faisla liya hai tum uske liy bahut pachhtaoge or main tumhari zindagi yun barbad nahi hone dungi, rehana ye sunkar bahut dar gai thi par amaan ne use samjha diya or wo bhi amaan ko pa k bahut khush thi, Waqt guzarta gaya is beech rehana ko ek beta hua. Guzarte waqt k sath amaan me badlav aane laga tha weh 25 saal ka tha.Weh rehana se kheencha-2 rehne laga tha, amaan ki behen ki saheli jo bahut khoobsurat thi aksar amaan ki behen se milne aati thi, amaan chhup-2 k use dekhta rehta to kabhi uski tulna rehana se karta. Khoobsurti Mohabbat k rang ko dhone lagi thi. Rehana or amaan k Fasle badhte ja rahe the or us par amaan ki ammi aag me ghi ka kaam karti , pehle amaan unki baat nahi sunta tha par ab use bhi unki har baat sahi lagti thi.Rehana ko kuch samajh me nahi aaraha tha use lag raha tha shayad amaan karobaar me kisi pareshani se jhujh raha hai or kuch waqt baad sab thik ho jayega par aisa nahi hua. Akhir wo waqt aagaya jab amaan ki ammi ne ek raat rehana se wo baat kahi jo shayad koi biwi sunna nahi chahti, unhone kaha k amaan, Zeba (amaan ki behen ki saheli) se nikah karna chahta hai. Rehana ko unki baat pe yakeen nahi hua wo to amaan se beinteha mohabbat karti thi use laga k ye ammi ki sajish hai,uska amaan aisa nahi kar sakta. Wo amaan se baat karna chahti thi, wo puri raat uski raah dekhti rahi, or agli subah amaan ne ammi k lafzon pe mohar laga di. Rehana toot gai thi,wo kehti rahi k amaan tumne mujhe chaha hai,amaan tum aisa nahi kar sakte, khuda k waste aisa majak na karo. Amaan ne kaha rehana mohabbat andhi hoti or isi andhepan me main heere or pathhar me farq na kar saka or tumhe le aaya. Rehana ne kaha, Amaan sahab ye kyu nahi kehte k mujhse aapka dil bhar chuka hai. Or mohabbat sahi me andhi hoti hai jo main aapki dilnasheen baaton me chhupe,dilfekh or ghinone insaan ko na dekh pai. Is ek jumle k kitne alag matlab diy the dono ne Rehana ne kaha main tumhe ye nikah hargiz nahi karne dungi, waqt kuch or guzra amaan pe zeba ki mohabaat ka khumar badhta ja rahi thi or sath-2 rehana pe amaan or uske khaandan k zulm bhi badhte jarahe the.

   Doston baki ka baad me likhungi or kahani padhne ka fir se ek baar shukriya    
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #8 on: April 07, 2010, 02:44:28 PM »
Bahut achche Tamanna ji... aage ki kahani padhne ki hamari chaah badhti ja rahi hai...
Logged
tamanna.pt
Guest
«Reply #9 on: April 10, 2010, 01:18:48 PM »


    Kahani padhne k liy aap sabka shukriya.

     
    Rehana or amaan k beech fasle bahut bad gay the,Amaan ne rehana ko na to talak dene ki jarurat samjhi thi or na hi weh uske sath hi rehna chahta tha.kul mila k weh rehana se koi wasta nai rakhta tha Rehana un sabke k liy hindustan se aai ek khadim ban k reh gai thi. Rehana ko apne bachhe or khud ka pet bharne k liy pura din kheton pe kaam karna padta tha or uske baad bhi bhukh mitane k liy khana nai zulm milte the.Apne bachhe se bhi koi mohabaat amaan me nai dikhai padti thi Shuru me rehana ne apni shaadi-shuda zindagi ko bachane k liy har wo mumkin koshish ki thi,jo koi biwi karti, or yahan to rehana ne khud amaan ko chuna tha to weh is rishte ko bachana ki har koshish karti,par kuch koshishein do-tarfa ho tabhi kamyaab hoti hai. Rehana k liy wo ghar kaidkhana banta ja raha tha par uske paas ek rupya bhi nahi hota tha jo weh apne haal ki khabar gharwalon ko de pay, to paray mulq se yahan aane k liy paise kahan se aate. WO din raat apni or apne bachhe ki azaadi ki duaien karti rehti thi. Ek din rehana k abbu k janne wale nepal ghumne aay the to unhone socha k weh rehana se bhi milte chale, wo unhe kheton me kaam karti bahut buri halat me mili, uske jism par bahut choton k nishan the jinhe marham or ilaaj ki jarurat thi, par wo kisi gair ki ladki ko aise nahi le ja sakte the. Unhone rehana k abbu ko khabar ki, Ye sunte hi rehana k abbu ,soheb ko lekar aanan-fanan me nepal gay or rehana ko chhuda k apne mulq le aay. Bahut buri halat thi rehana or uske bete rizwaan ki. Rehana k abbu or ammi ne court ki madad se rehana ka talak karvaya or court ne rizwaan ko rehana ko saup diya,amaan to use waise bhi nahi lena chahta tha. Abbu ko rizu ko god me lete hi kaha tha k saleem laut aaya hai, abbu or ammi ne uski dekhbhaal ka zimma khud le liya tha, Rehana bahut toot chuki thi weh din raat roti rehti thi, soheb ka ilaaj karne ki puri koshish kar raha tha,waqt guzarta gaya rehana ne abbu or ammi ki madad se khud ko sambhala weh rizu ko achha bhavishya dena chahti thi,usne kisi pe bojh banne k bajai khud kuch karne ki sochi, padhai me to weh waise hi tez thi, usne padhai puri ki or school or ghar me tution dene lagi,isse uska man bhi laga rehta tha.Soheb or sara usse roz milne aate rehte the. Waqt ne karvat li thi rizu 4saal  ka hogaya tha, udhar nepal me amaan ne rehana se talaaq hote hi zeba se nikah kar liya tha,par 4 saal k baad bhi khuda ne unhe beaulaad rakha tha. Amaan ki ammi ne amaan ko rehana se apna beta wapas lelene ki baat kahi.     

     Doston aage ki kahani jald hi likh kar khatm karungi.
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #10 on: April 10, 2010, 08:28:58 PM »
Bachche ki chaah fir Rehana ko chot pahuchaane waali hai....

Intzaar rahega aage ki kahani ka....
Logged
tamanna.pt
Guest
«Reply #11 on: April 11, 2010, 01:46:23 PM »

   Shukriya klaskar ji aap kahani itni dilchaspi le k padh rahe hai , warna aksar log itni lambi kahaniya padhte nahi hai. Shukriya.

  Amaan ne ammi ki baat suni or rehana se apne bete ko lene k liy lucknow aagaya. Usne rehana ko phone kiya or usse rizu ko dene ko kaha to rehana ne usko dene se inkaar kar diya tha or kaha tha k wo sirf mera beta hai. Amaan ne kaha k sirf keh dene bhar se wo tumhara nahi ho jayega wo mera beta bhi hai, uske aage mera naam juda hua hai,jiski jarurat har aulaad ko hoti hai. Rehana ne kaha k wo aap k naam ki wajah se nahi ,meri parvarish se zinda hai, or use tumhari ya tumhare naam ki koi jarurat nahi ,agar main uski parvarish kar sakti hoon to use apna naam bhi de sakti hoon, uska naam rizwaan rehana khan hai or wahi rahega , tumhara naam to kya tumse hokar aane wali hawaon ko bhi main  use choone nahi doongi. Main use doosra amaan  kabhi nahi banne doongi. Rehana ka jawab sunkar amaan dang reh gaya tha. Par uske baad bhi weh aksar school se rizu ko lejane ki koshish karta rehta, rehana ne rizu k teachers se rizu ko kisi k sath bhi bhejne se mana kar diya tha. Rehana ne rizu ko boarding bhi bhejna chaha par uske door hone k dar se nahi bheja. Soheb ne rehana ko samjhaya k bhagne se kuch nai hoga, tumne koi gunah to nahi kiya hai,to rehana ne rizu ko bahar bhejne ka faisla chood diya or amaan ko police ki dhamki dedali. Waqt kuch or guzra rehana or majboot hogai thi ya haalaat ne use cmajboot kardiya tha, usne sahare dhundhna band kar diya tha , usne ammi,abbu or rizu or apne doston ko hi apni duniya maan liya tha. Soheb or sara rehana k bahut kareebi dost the jinhone har mushkil me uska sath diya tha. Soheb or rehana ki dosti us waqt se bhi pehle ki thi jab weh college bhi nahi gai thi. Soheb tab aksar rehana k abbu k ilaaj k liy aaya karta tha, rehana ki saadgi use bha gai thi, or uske dil k kisi kone me rehana ne kab apni jagah bana li thi khud use bhi nahi pata chala tha, par jab tak use malum chalta rehana ne amaan ko chun liya tha or soheb uski khushi me khush tha. Par ab jab weh rehana ko har dum bujha-2 sa dekhta to use zara bhi achha nahi lagta tha, yu to rehana har waqt muskurati rehti par us muskurat me uska dard saaf jhalakta tha. Ek din soheb ne himmat karke rehana ki ammi se rehana se nikah karne ki chahat jahir ki, rehana ki ammi ko bhi is baat pe yakeen nahi aaya tha. Jab rehana ko ye malum hua to usne soheb se kaha tha apni dosti ka farz tum hamdardi de kar bhi nibha sakte ho, par khuda k waste mujhpar rehem mat khao.Par soheb ne use yakeen dilaya k wo usse ek arse se mohabbat karta tha par rehana ne use inkaar use diya tha. Waise bhi mohabbat lafz pe uska aitbaar baaki nahi reh gaya tha, or bachpan se lekar ab tak saleem,abbu ya fir amaan jis bhi mard se usne koi umeed rakhi thi,hazaar zakhm dekar toot chuki thi, or ab to us par rizu ki bhi zimmedari thi, jab uska saga baap bhi uska na hua to soheb se wo kya umeed rakhti.

 Aage ki kahani bhi jald hi likhungi ab bas khatm hi hone wali hai.

   

   
Logged
tamanna.pt
Guest
«Reply #12 on: April 12, 2010, 06:17:06 AM »
      Rehana ki ammi ne use bahut samjhaya k soheb use chahta hai or is zamane me to aurat ka dusra nikah namumkin si baat hoti hai or yahan to soheb ne samne se uska haath manga tha. Ammi ne kaha k tum ek baar to apne man ki karke uska nateeja bhugat chuki ho ab humari baat maan lo. Is par rehana ne kaha tha k ammi agar amaan ko aapne mere liy chuna hota tab bhi kya aap yahi kehti, Faisle sahi ya galat honge iska koi paimana to nahi hota, Or isliy shayad apni pasand ko chunne ka ye faisla har ladki k liy itna mushkil hota hai.kya pata soheb bhi aage jakar amaan ka roop le le, or ab to rizu bhi mere sath hai. Main soheb ki bahut izzat karti hoon par use mera dost hi rehne de. Ammi ne haarkar rehana ki baat maan li thi. Waqt tezi se guzarta ja raha tha, rizu 10saal ka hogaya tha weh jaise-2 bada horaha tha, saath-2 uske sawaal bhi bad rahe the par rehana uske har sawaal ka jawab dene ko tayyar thi.Rehana ne apni mehnat se duniya me apna ek makaam bana liya tha or andar k khalipan ko bharne k liy kaam uska ek saathi tha or wo apne wajood ko ab banay rakhna chahti jo shayad ateet me khone laga tha. Soheb,sara or rehana ki dosti me koi farq nahi aaya tha , soheb ab bhi rehana or rizu ka bahut khayal rakha karta tha, rehana soheb ki pehle hi bahut izzat kiya karti thi or us par soheb k is apnepan ne rehana k dil me dheere-2 jagah bana li thi or ek unkaha sa iqraar dono taraf se kayam ho chuka tha. Waqt kuch or guzra idhar pichhle kuch dino se soheb kuch badla-2 sa rehne laga tha weh rehana or rizu se milne bhi kam aaya karta tha, kabhi-2 rehana se phone pe uski halki-fulki baat ho jaya karti thi. Ek din rehana school me thi to use rizu k school se phone aaya ,rizu ko ek car ne takkar maar di thi use bahut chot aayi thi,weh turant apne school se rizu k school k liy nikal gai thi,Rehana ka school rizu k school or apne ghar dono se hi bahut doori par tha or us par raste ka jam ,use dar tha k kahin use pahunchne me bahut der na hojay.Soheb ka clinic rizu k school k paas tha,rehana ne soheb ko phone kiya k wo wahan jaldi pahuchjay, Soheb k achha kehte hi phone kat gaya. Rehana ko uska ravayya ajeeb sa laga,usne abbu ko bhi phone kar diya tha. Rehana jald se jald wahan aphunch jana chahti thi soheb ka ravayya dekhkar use soheb k wahan pahunchne ki koi umeed nahi thi use lag raha tha k rizu to soheb ko amaan ki yaad dilata hoga or na jane aise kitne hi khayal uske dimag me ghoom rahe the. Rehana ko wahan pahuchne me 1 ghanta lag gaya tha jab tak weh wahan pahunchi rizu wahan nahi tha logo ne bataya ki use hospital le gay hai, Hospital pahunch kar dekha wahan soheb nahi tha ,Sirf abbu rizu k paas baithe the,abbu se rehana ne soheb k baare me nahi puchha k kahin unhe ye jaankar dukh na ho k unka apna soheb bulane par bhi aise waqt me nahi aaya. Rizu thik tha par use hosh nahi aaya tha,is tarah 1ghanta or guzar gaya tha .Wo bahar baithi hui thi k udhar se soheb haath me kuch samaan lekar wahan aaya.Rehana use hath pakad k bahar akele me le gai or us par bifar padi k ab yahan kyu aay ho soheb, main janti hoon k rizu tumhe amaan ki yaad dilaata hai par kya tum pal bhar k liy wo khyal dil se nikal kar ek chhote bachhe ki khatir wahan nahi ja sakte the,or upar se tumne phone band kar diya. Soheb ne sirf ek jumla kaha k mohabbat andhi hoti hai rehana. Ye jumla sunte hi rehana ki ankhon me amaan ka chehra ghumne laga tha,yahi akhiri jumle ka pathhar to amaan ne uspar maar k rishta tod liya tha,Uski ankhon me paani aagaya tha ,usne kaha soheb tum bhi. Soheb ne rehana ko sambhala or kaha, rehana main sahi keh raha hoon mohabbat andhi hoti hai , or isliy mujhe tumhari koi khaami nahi dikhayi deti, mujhe tumhara ateet nahi dikhai deta, Mujhe nahi dikhta k rizu amaan ka khoon hai, Main tumse or tumse judi har cheez se mohabbat karta hoon or isliy rizu mujhe bhi utna hi azeez hai kyunki wo tumhara hissa hai. or main rizu ko yahan bharti kara k uski dawa lene gaya tha jo yahan nahi mili to mujhe door jana pada kya tumne abbu se nahi puchha,main unhe bata k gaya tha or phone ka kya hai wo to kabhi bhi sath chhod sakta hai.Rehana tumhe mere bare me aisa kyu laga. Rehana ne kaha wo tumhara bartav pichlle kuch dino se kuch alag tha , is par soheb ne kaha mohabbat ka matlab ye to nahi k mehboob k paas hi ghumte raho,mere peshe k liy bhi mere kuch farz hai, mera clinic yahan se tumhare school k paas shift horaha hai isliy main un sab kamoon me masroof tha, or fir soheb ne shokhi se puchha or koi sawaal mohatarma. Rehana kuch bhi na keh saki wo bas roti rahi,or soheb ki baahon me sama gai shayad soheb ne ye aakhiri imtehaan bhi aaj paas kar liya tha,Mohabaat andhi hoti hai is jumle ka kitna sahi matlab wo aaj samajh pai thi. Soheb ne rehana k kaano me shokhi se kaha k har shaks Amaan nahi hota rehana ji. Rehana ne or bhi shiddat se khud ko soheb ki bahoon me samet liya tha or dil hi dil me apne khuda se dua k thi k ya Khuda duniya ka har shakhs Soheb ho Amaan nahi......... AAMEEN.

   Ye thi rehana ki kahani, Soheb ne apne abbu ammi ko thodi minnato k baad mana liya or soheb or rehana ka nikah ho gaya. Aaj soheb k do bete hai ek sahil soheb khan or dusra rizwana rehana khan. Rehana chahti thi wo rizu ko apna hi naam de jisse rehana apna wajood kabhi na bhule or fir kisi amaan se chot milne par use apna wajood k liy na ladna pade. Or soheb ne uske is israar ko tahe-dil se maan  liya tha.
   Is kahani me rehana ki sabse khaas baat mujhe ye lagi k unhone kabhi haar nahi maani or na hi kabhi khudkhushi jaise khayal apne dimag me lai bas har mushkil se umr bhar ladti rahi,or yahi to zindagi hai. Aur dusri baat unke bartaav me kabhi koi badlaav nahi aaya wo shuru se humare ghar aaya karti hai or sabse muskura k  bahut mohabbat se milti aayi hai kabhi koi rukha pan ya har waqt apna dukhda rone jaisi aadat maine unme nahi dekhi.
 
  Aap sabka ka ek baar fir kahani padhne ka bahut-2 shukriya.


                           ----Tamanna----
 
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #13 on: April 12, 2010, 06:36:19 AM »
Wah wah Tamanna ji aapki likhi kahani bahut achhi aur dilkash lagi. Marhaba.
Logged
tamanna.pt
Guest
«Reply #14 on: April 12, 2010, 06:52:54 AM »


      Shukriya riyaz ji k aapne waqt dekar itni lambi kahani padhi or pasand ki.
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 07:49:30 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.16 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer