ruksana ki daastan

by asif biswas on January 19, 2011, 05:01:30 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 5144 times)
asif biswas
Guest
       hello friends ye kahani mere sage bhai ki banayi huyi kahani hai jise usne badi menat se likha hai main nahi jaanta ki ye story kalpanik hai ya real but uske mann ki kahani hai to aaj share kare uski kahani
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
daastan e dil by ankit20 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
daastan by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
Ek Pal Ki Daastan by syednaami in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Daastan by jitesh in Shayri for Khumar -e- Ishq
@ AAJ EK DAASTAN @ by Matrix Guy in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
asif biswas
Guest
«Reply #1 on: January 19, 2011, 05:12:28 AM »
ruksana ke aansu

main devesh ek painter hoo lekin maa ka saath bachpan mein hi chutt gaya meri zindagi mein meri maa ki ahemiyad thi mere dad ek waqil they aur ek businessman kuch hi dino mein wo itne busy ho gaye ki yeh bhi bhul gaye ki unka koi beta bhi hai aur shayad main bhi aisa sochta hoo ye unhe zara sa bhi maalum nahi tha meri zindagi mein talaash thi to pyaar ki pure din ghar mein paintings banaana meri hobby aur shayad junoon bhi main shaam ke 7 baje apne ghar jaa raha tha baarish ghanaa kohra aise mein kisko ghar na jaane ki padegi main bhi speed se ghar jaa raha tha ki itne mein mere dil mein ek bechani si huyi bijli kadakne se mujhe ek ajib sa darr laga lekin main apne raaste par chalta gaya mujhe pata tha ki zindagi mein to aise darr kaafi honge maine mp3 on kiya aur gaane sunne laga itne mein pata nahi kaise karke gaane apne aap ruk gaye maine kaafi player ko hilaaya par farak nahi padaa tabhi main ghar pahucha apne ghar se nikla main akela rehta hoo aur mere dad ne mujhe seperate room de rakha hai maine car band ki aur tez kadmo se garage band kar apne room ke andar gaya darwaja band kiya ki tabhi ek budhe ko dekha jo mujhe ghur raha tha main bhi oose dekh raha tha itni thandi khohre mein koi shaks aise bhala mujhe kyu dekh raha tha shayd mera wehem tha ki main oose yuhi darr raha tha ghar ke andar pahuchkar maine chain ki saans li aur apne bed par rest karne laga ek dum se ek tez awaaj ne meri sharir ko hila sa diya telephone baj raha tha maine kaha hello udhar se awaaj aayi hey devesh kya haalchaal na koi call na koi phone kahan hai tu maine kaha main theek hoo chalo shukra hai wo mera dost tha par shayad hamari awaaj bich phone par cut gayi aur yahi baat thi ki mujhe ek alag sa khauf us samay lag raha tha
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #2 on: January 20, 2011, 01:07:12 PM »
Maine phone rakhte ke saath bed par rest karne laga mujhe ek ajib sa khauf mehsoos ho raha tha maano kitna akela hoo main kitna helpless hoo main ki tabhi meri aankh lag gayi shayad mujhe thakaan se nind aa rahi thi ki tabhi ek dum se maine dekha ki koi mere paas aa raha hai ghar se rone ki awaaj sunaayi de rahi hai ek awaaj aisi jisme kitna dard ho kitna darr ho wo shayad madad maang rahi thi ki itne mein mera alarm bajaa aankhe khuli ek bura sapna sa laga tha shayad aaj zyada pee li thi alarm mein time dekha raat ke 9 baj rahe the kamaal ki baat thi ki aaj mujhe nind aayi jabki main kabhi sota nahi hoo shayad mujhe kuch zyada chadd gayi hai apne dimaag ko ek thappad maara aur bed se uthkar bathroom mein gaya aur waha se shower kholkar nahane laga sharir par saboon lagate waqt mujhe aisa lag raha tha ki maano koi mere piche khadha ho ek dum se piche mudaa koi nahi tha maine nahakar bahar aaya kapde pehne aur tabhi fridge ke waha gaya fridge khola sirf oats pade they maine thodha sa oats khaaya aur fhir dekha ki meri beer ki bottle khaali hai bina iske to main mar jaunga main waapis garage gaya car nikala aur sidhe apne ghar ke paas waala market gaya wahan jaate hi parking lot mein car khadhi ki aur fhir main store gaya wahan se kuch subah ke naashte ke liye khaane ke liye aur jab bhi bhook lagti hai to us time ke liye kuch snacks le liye sab car mein rakha ki tabhi mera dhyaan tabhi ek shaks ko ghurne laga jo mujhe ghur raha tha maine oose kuch nahi kaha bas oose dekhta raha shayad darr se maathe par pasina aa raha tha kyunki yeh wohi shaks tha jise maine aaj dopahar ko mere ghar ke bahar khadha dekha tha mujhe kuch daut laga lekin itna saahasi to nahi tha car mein baitha aur sidhe apne ghar jaane laga jab car ko wahan se nikaal raha tha tab bhi uski nazar mujhpe thi main ghar aakar maine darwaja lock kiya aur sidha apne bed par baith gaya paas mein pade laptop ko uthaya aur usme kuch sexy clips they meri gf ke jisne mujhe kaafi pehle chod diya tha shayad main nahi jaanta aakhir baat kya thi ki tabhi dil kiya ki ek word type karoo naa jaane kyu aisa mujhe oos samay lagaa maine word type kiya khooni pyar achanak ek images par bade dardnaak images ane lage jisme ek ladke ke dil se khoon nikal raha tha aur ladki oose chodkar jaa rahi thi maine wohi laptop band kar diya dimaag aaj kyu itna ajib sa lag raha tha ki maano main kaisa ho gaya hoo ek dum se mujhme ek ajib sa mann hua maine colors nikaale ek kaagaz par painting banaane laga uski aankhe banaayi shakal banaayi aur fhir ooske baad oose pura banaya aur fhir oose dekha uske aankho se aansu nikal rahe they chaahti kya thi ki tabhi mera telephone bajaa maine kaha hello ek gambhi awaaj aayi


Devesh – hello kaun?

Shaks – 56332176 kya ye aapka no.hai

Devesh – ji mera number hai

Shaks – mmm devesh babu hai kya devesh chaudhary

Devesh – ji baat kar raha hoo boliye kya chahiye

Shaks – oh oh hello namskar

Devesh – namaskar

Shaks – aap se mujhe ek behad jaroori baat karni hai kya thodha time denge

Devesh – ahh is waqt raat ke 12:30 baje nahi hum kal baat kar lenge waise bhi main sone jaa raha tha

Shaks – nahi nahi mujhe abhi aap se baat karni hai aap jaante hai mujhe

Devesh – chaukte huye bola kya main aapko jaanta hoo aap ka naam kya hai

Shaks – ha ha ha dekhiye janaab mera naam sudhir patil hai aur main aapke baare mein har chiz jaanta hoo

Devesh – mere baare mein aap kya jaante hai aur aap ka naam maine kahin sunaa hai par aap ko main pehchaan nahi paaya

Shaks – ha ha haaaaa haa ji shakespare ne kaha tha naam mein kya rakha hai

Waise hi aap ko jaanne ki jaroorat nahi ki main kaun hoo aap ko ye swaal puchna chahiye ki main chahta kya hoo

Devesh – thodha darke bola ki dekhiye aap mere baare mein kya jaante hai pls mujhe bataiye ?

Shaks  - ji aap jab 5 saal ke they to aap ki maa ka ek cylinder phatne se dehaant ho gaya aap jab apni jawani ke dehlij pe pao rakhe to aapko ek ladki se pyar hua aapki gf thi par aap ki badkismati se usne bhi aapko name aur fame ke chakkar mein chod diya par main ek baat jaanta hoo uska naam shayad sophie tha

Devesh – hairaan ho gaya aur kaha ji bilkul itna sabkuch aapko mere baare mein kisne bataya I mean ki aapko mera background kisne bataya

Shaks – ji mujhe sab kuch pata hai aur aane waale pal mein jo bhi aapke saath hoga un sab ka baat pure tarike se pata hai aap mujhe apna dost maaniye

Devesh – aap kya kehna chahte hai aur aapko mujhse kya kaam hai mujhe nahi pata lekin main itna jaan sakta hoo ki aap mujhe kya batana chahte hai pls sudhirji

Sudhir – ji to suniye ek daastan sacchi ek ladki thi ruksana badi khoobsurat ek dum pari jaisi uske dad ki wo bahoot pyaari thi shayad wo aap na jaane par wo meri beti thi padhai mein khoob acchi shayad aap bhi oose jaante honge

Devesh – ji ruksana ko to main nahi jaan paaya kaun hai ye ladki

Sudhir – ji wo aapke saath aapke class mein padti thi yahi 6th standard se wo aap ke saath 5 saal tak padi uske baad aap apne dad ke gaan chale gaya jahan aapne 2 saal spent kiye fhir uske baad aapwapas seher aaye par aap oose bhul chuke they yaad hai kuch

Devesh – haa itne dost they ki sab ko main aaj bhul chukka hoo shayd jaanta hunga fhir kya hua

Sudhir – uske turant baad ruksana ko pyaar ho gaya tha aapse aapki yaad mein wo har pal tadapti thi usne yaha tak ki aapka picha karna bhi shuru kar diya tha lekin aap oose bhid mein dhund nahi paaye kyunki wo aapko sirf ek jaannewali lagti thi lekin uski galat aadat thi ki oose cigratte aur sharab bahoot pasand thi ooski ye ek aadat si thi main uske is parbhaav se kaafi pareshaan tha lekin kya karta ek mazboor baap jiski biwi ne uska saath kitne pehle chod rakha tha shayad isi ummed ke saath ki uski zindagi mein koi aayega aur oose leke jaayega

Devesh – dekhiye meri naa to koi dost thi par shayd ye naam maine pehle sunaa hai kahan sunaa hai pata nahi

To be continued ……



Logged
asif biswas
Guest
«Reply #3 on: January 21, 2011, 02:34:07 PM »
sudhir - kya aapko pata hai fhir kya hua?

devesh - nahi fhir kya hua aapki beti ruksana ke saath

sudhir - fhir kya tha usne raat bhar apne sharir par wo jakhm dena shuru kiya jo wohi insaan kar sakta jo pyar ke liye oose paane ke liye kuch bhi kar sakta hai us raat usne apne haath kaat liye khoon se tarbatar wo tumhare naam ki shabd apne jism mein gudwana chahti thi shayad oose pyaar tha tumse isliye usne aisa kiya khoon se apne oose dard ki parwaa nahi thi lekin usne oos din sirf aapka hi naam ko apna banaa liya shayad isi mein wo khush thi lekin lekin

devesh - bahoot sochte huye kaha lekin kya?

sudhir - wo aapse agli raat aap jaha rehte hai wahan usne milne ki koshish ki lekin shayd uski badkismati thi ki usne aapko sophie ke saath dekh liya aur rote huye ghar aayi usne apne naso ko kaat liya aur fhir maine oose turant hospital le gaya lekin meri badkismati thi ki shayd ek baap ne apni beti kho di sirf aap ki wajah se sirf aur sirf aapki wajah se

devesh - ye aap kya keh rahe hai meri kuch samajh nahi aa raha pls dekhiye maine oose kabhi dekha bhi nahi tha baat maaniye mujhe uski maut ka afsos hai par ye meri galti nahi hai pls samjhiye devesh darr chukaa tha lekin tabhi

sudhir - hasne laga bahoot jor se hasne laga aaj ka paper padaa aapne kya likha hai

devesh - ne kaha ek minute tabhi usne paper nikala dekha ki do log ki death huyi hai mritak ka naam sudhir patil aur driver suresh jo ki ek bus durghatna mein maare gaye 13 log gahayal huye devesh hairaan hote huye bhola ye kaise ho sakta hai aap aap to mar chuke hai fhir aap mujhse baat

sudhir - ne kaha ye sach hai to fhir aap kisse baat kar rahe hai ye main hi hoo aap dariye nahi ha haaaaaaaaahhaaaahhaa

devesh - kya chahte ho ? maine tumhara kya bigadha hai

sudhir - bigadaa to kuch nahi hai lekin mujhse meri beti chin li tumne lekin main tumse aakhri baar milna chahta hoo apne chat ke upar sirf ek aakhri chiz dene jo ruksana aapko dena chahti thi lekin
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #4 on: January 21, 2011, 02:46:36 PM »
devesh - nahi main upar nahi aaunga nahi aaunga

sudhir - to theek hai main hi aapke ghar mein aa jaata hoo

devesh - nahi nahi kisi ki kadmo ki awaaj aa rhai hai

sudhir - haaa main aa raha hoo uske turant baad sudhir ki baat devesh se nahi huyi

devesh ne sudhir ki kadmo ki awaaj apne kamre mein jaate huye suni kuc 1 ghante baad sudhir dhire dhire apne dusre kamre ki or badhaa jahan usne darwaja khola light on ki tabhi oose maze par ek gift dekha jo khoon se sanaa hua tha devesh ne oos gift ko khola usme us ladki ki tasveer aur love locket tha ladki ko dekhte ke saath yaad aaya devesh ko ki usne is ladki ko kabhi baat karne ka mauka nahi diya aur isi ladki ki tasveer to usne aaj hi to banaayi thi wo tasveer banayi huyi ke paas gaya aur wo wohi thi ruksana devesh ki aankho mein aansu aa gaye usne khoob roya ki tabhi ek trin trin awaaj mein telephone bajaa receiver sambhala

devesh - hello

sudhir - ha ha haa haa to kaisa laga gift meri beti ka

devesh - bahoot accha par aap aap main kya kahoo lekin aapne aisa kyu kiya

sudhir  - zindagi mein to hum sab se bhul hoti hai main tumhe kyu nuksaan pahuchaungaa waise tumne mujhe dekha hai yaad hai wo budha sa aadmi jo kal shaam ko tumhare ghar ke baahar khadhaa tha market mein bhi tumne parking lot mein dekha

devesh - ha haan tum wohi ho lekin tum to mar chuke ho

sudhir - haa ab mera kaam ho gaya tumhe ye ahesaas karane ka ki ab bhi tumhe koi pyaar karta tha par shayad khuda ko tumhare pyaar manzoor nahi tha islye maine tumhari nind kharaab ki maaf karna goodnighttttt.

dvesh - hello hello mr.patil hello can you hear me ?

devesh ne receiver rakh diya aur bahar ki or bhaaga bahar nikalte hi usne ek parchaayi di oosi saaye ki jo sudhir ki thi oosi budhe se buzurg ki wo kab hawaa mein gayab ho gaya devesh ko pata hi nahi chala is ghatna ke baad devesh ne fhir kabhi wo call nahi sunaa naahi us shaks ko fhir kabhi dekha to ye thi ruksana ki daastan
Logged
diya_barsat
Guest
«Reply #5 on: February 08, 2011, 03:36:51 AM »
Nice one
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 12, 2025, 12:33:48 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer