Saaqi--The Bargirl

by ghayal_shayar on January 18, 2008, 05:13:38 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2187 times)
ghayal_shayar
Guest
Doston ye ek aisi field hai writing ki jise maine aaj tak nahi aajmaya tha, aaj pehli baar ek koshish kar raha hun, aur ek kahaani ka pehla adhyaay likh raha hun, isi umeed ke saath ki aap logon ko jyada niraash nahi karunga...!




CHAPTER:1




Ek aur din, subah se shaam tak, khud me hazaaron poori aur saikdon adhuri kahaaniyon ko samete, kahin ateet ban.ne ke liye andhere me simat.ta sa jaa raha hai…!

Har shakhs kuch nayi hasraten, kuch udasiyan, kuch hansikuch umeedeN aur kuch zakhm samete, ghar ki oor laut raha hai…!

Par ek jodi khoobsurat par dabdabati aankhen, jinme kisi bhi ehsash ke na hone ka bhram kisi ko bhi ho sakta hai…! Do Bojhil aur thake hue kadmon par sawaar kisi chote dhabe ki oor badhti jaa rahi hai wo…!

Salaam, Salim chacha!,khana taiyaar hai..? ek pyari si aawaaz aayi, takreeban18-19 saal ki kisi ladki ki…! Haan CHAVI bitiya taiyaar hai…! leyi jaao…! Fir wahi pyari aawaaz aayi.. “maheene ke hisaab me jod lena chacha”, aur fir se wo kadam badh chal diye wo kadam apne ghar ki oor. Peeche Salim chacha logon se kehte reh gaye..”bechari kitna sehti hai, parivar ke liye, bhagwan iski jholiyan khushiyon se bhar de”, par uske paas ye duayen sunne ka bhi waqt na tha, wo to jaa chuki thi door,shayad itni door ki khushiyon ki duniya me kabhi waapas aa hi na sake…!

Ghar ke naam pe ek etoN ka ajeeb sa dhancha, kisi tarah jise ek kamra kaha jaa sake, aur usme ek boodhi aurat aur 2 kishor,13-15 saal ke baithe hain…! Sab dd ko dekh uchal padte hain, ye sochkar ki khaana aa gaya, aur wo baith kar dekhti bhar rehti hai sabko khaate hue…! Maa kal kaam par jaldi jaana hai, maalik ne kaha hai kuch baaten samjhani hain, to main sone jaati hun Chavi ne kaha…! Theek hai bitiya…! Wo gayi aur kalam le kar kuch likhne lagi,apni diary ke pennon me…! Aur na jane kab yunhi so gayi…!

Subah ke 9 baje hain, aur wo bhaag rahi hai apni office ki oor, aur uski manjil milti hai use sahar ke sabse bade bar me…! Wahaan jaa kar use pataa chala ki 30 Dec ko ek bahut badi party hone waali thi aur, uske liye sabko pehle se preparation kar leni hai…! aur sabhi lag agye us party ki taiyaari me…!


Doston ki ek mnandali jami hui thi ek college ke baahar, 19 saal ke kareeb 5 ladke hansi aur masti me lage hue the…! Tabhi kisi ne baat chedi, yaar ANSH tera janamdin hai yaar do dino me, aur tu hai kin a kuch bolta hai, na party ka koi jikra, bhai hum to nahi chodne wale…! Sahi kaha AAKASH, ye Ansh to shaayad goonga hi ho gaya hai, are mere baap, muh kholne ka kasht to kar de bhai…!

Kisi hanste ko kabhi rulana nahi,
Koi dil kabhi tum dukhana nai,
Humse hi hai roshan tumhari mehfil,
ANSH ke bina poora ye zamanaa nahi…!


Yaar plz apni sher-o-shayri fir se shuru mat kar, manta hunt u ahcha likhta hai, par humari kyun watt lagwata hai, kisi ladki ko sunaana, pakki pat jaayegi…!
Abe aakash kise keh raha hai, abhi hi saari iske peeche jaati hain, ab agar unhe pata chal jaaye ki janaab shayar v hain, tab to ho gayi samjho, hum sab kunwaareN hi marr jayenge…! 30 tareekh ko sab The Beach me milna shaam ke 7 baje, ab khush, b main chala, seedhe wahin mulaqaat hogi doston…! Bye guyz…! Aakash yaar shaam me ghar pe miliyo…! Theek hai, bye…!.


Yaar ye Ansh v ajeeb hai yaar, party de di hai itni badi, aur khud janab pahunche hi nahi hain…! Aa gaye dono langotiya yaar, kabhi time pe nahi pahunche dono…! Bhai ek baat sab pehle sun lo, jitna peena kahna ho karo, bas main peeta nahi, so mujhse jabardasti nahi…! chal mere bhai koi baat nahi, hum tere hisse ki v pee lenge…!

Yaar Ansh party to sakht badi di hai, par tu kuch khaa v to le mere bhai…! Hello ji ho aap yahaan pe, abe ye to gaya kaam se, beta us ladki ko kya tab se ghoore jaa raha hai…!
Yaar aakash us ladki ki hansi me v mujhe na jaane kyun kashish dikh rahi hai…! Are mere baap bar me baith kar to shayri ko aaraam de…!

Chavi ye sab fati aankhon se dekh rahi thi, usne kabhi itni badi party nahi dekhi thi, aur use wo lakdka v bahut ajeeb lag raha tha, jo sabse alag ek chair pe baitha use na jaane kab se ghoor raha tha, aur kuch tak nahi tha, use to ye v pata nahi tha ki party kiski hai.

Mere doston aaj aaksh yani ki main aap sabko batana chahunga ki aaj mere sabse pyare aur ajeej dost Ansh ka b’day hai, aur ek khaas baat ye ek bahut hi umda shayar hai…! Aaj jab ki ye party khatm hone ko hai, main chahunga ki aaj wo kuch aisa suna de ki dil jhoom uthe…!

Yaar Akash kabhi kabhi kam bola kar yaar, doston ye mera dost mera bhai hai, aur main to shayad saamne aata v nahi par iske kaaran aaj kuch to kehna hi padega…!


Koi hansi me aansu kuchalta raha,
Dil us saaqi ko dekh machlta raha.


Sabhi wah! wah! karne lage, ki tabhi ek aawaaz si aayi,


Saaqi se dil lagaane yahaan hazaaroN aate hain,
Fir aap hi khud ko kyun khaas batate hain….


Aaye haaye, Ansh bhaiya aaj mili takkar, ye kya hua bhaiye, kya baat kahi hai isne v yaar,


Sau chaman tik nahi paate, dil ke ek gulaab ke saamne,
Lakh nasha ho husn me, par feeki hai sharaab ke saamne.


Aur fir sab jaane lage apni ghar ki oor wah wahi me, par shayad do nazaren ek dooje pe hi tiki reh gayin thi, koi kuch chod kar laut raha tha wahaan se shayad…!





bazm ko ek baar fir mera salaam,

to hazir hun is kahaani ka doosra hissa le kar, bura mat maaniyega, par kahaani lambi jaayegi, umeed hai ki mere saath aap v dhairya ka daaman thaame rakhenge, umeed karta huN aapko ye hissa v pasand aayega.....!

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
SaaQi...!!! by badnaam_shayar in Kaifiyaat-ae-maye « 1 2  All »
Saaqi ye jaam thaam le ke kho gaya hoo.N mai.N by khalidrawat in Kaifiyaat-ae-maye
inaayat-e-saaqi by zarra in Kaifiyaat-ae-maye
ABB NA BACHCHE KI JAAN LE SAAQI ......... HASAN by F.H.SIDDIQUI in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3  All »
Chashm- e-saaqi…………………(sahal) by sahal in Shayri for Khumar -e- Ishq
Shikha12
Guest
«Reply #1 on: January 18, 2008, 06:49:41 AM »
Very Interesting...  glasses2

Ek baar itni badi post dekh kar socha ki baad mein padheinge isey..
Lekin shuru karne ke baad, beech mein rukna na-mumkin ho gaya...

Very Good start... Waiting desperately for next chapter...  Usual Smile
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: January 18, 2008, 08:52:20 PM »
good going.. waiting for next chapter!!
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #3 on: March 13, 2009, 07:15:02 PM »
bazm ko ek baar fir mera salaam,

to hazir hun is kahaani ka doosra hissa le kar, bura mat maaniyega, par kahaani lambi jaayegi, umeed hai ki mere saath aap v dhairya ka daaman thaame rakhenge, umeed karta huN aapko ye hissa v pasand aayega.....! aur is baat ke liye v maafi chahuNga ki is kahaani ko poora karna bhool sa gaya tha maiN... aaj do parts daal raha huN...!!






CHAPTER-2



Agli subah jab Ansh college pahuncha, use kuch v ahcha nahi lag raha tha, har cheez rookhi si nazar aa rahi thi. Har pal uski aankhoN me usi ladki ka wo masoom sa chehra thirakne laga tha. College khatm honw kw baad wo seedha us baar me pahuNcha aur us ladki ka pataa poochne ki kosish karne lagaa, par wahaan logon ne saaf inkaar kar diya,ki hum kisi v shakhs ki private details nahi dete. Ansh kuch soch hi raha tha ki, usne us raat fir se wahaaN rukne ka mann bana liya. Us raat jab us ladki se uska saamna hua to use aisa laga jaise na jane kitne arson se uski aaNkhon ko usi chehre ka intezaar tha. Badi mushkil se wo usse baat v kar paaya aur milne ko ek jagah tai ki, do din baad milne ki bat hui…!

Agle do din Ansh ne kaise kaate shayad wo khud v nahi jaanta tha, saari baateN wo sirf apne dost Aaksh ko batayiN thi, aur Aakash ne use manaa v kiya ki tudoor hi reh usse nahi to shayad tujhe aage pachtaana padega. Par Ansh shayad in sab bahut pehle hi age nikal chukka tha. Mukkamal waqt par wo usse mila aur bas dono ek khamoshi me hi ghanton baithe rahe, ek doosre ko samajhne aur padhne ki ek ajeeb si kosish kar rahe the dono. Aakhir wo meethi si aawaaz aayi, kuch bolna v hai aapko ya fir yuNhi waqt barbaad karne ke liye bulaya hai hume. Ansh ke muh se bas itna hi nikal paaya, kya hum dost ban sakte haiN..? Fir se wahi meethi aawaaz aayi, ek saaqi se dosti karoge aap….? YahaaN sab kuch na kuch maangte haiN kuch dene ko, aapko kya chahiye…? Is dosti ke badle me, us aawaaz me ek aisi kasish thi, ek chiddh si thi is jahaaN se. Ansh ne kaha, mujhe to bas tumhari dosti hi chahiye thi, ek sachhi dosti, agar tum bura na maano to. Wo use dekhti hi reh gayi, shayad ye soch rahi thi, ki aaj kal v aise seedhe chand log maujood haiN jahaaN me aur ek rishta jod kar dono apne raashtoN ki oor badh chale…!

BaateN badhiN, milna julna badha, aur shayad wo dosti v badhti chali gayi, Aakash ne ek din kaha ki yaar Ansh tu bahut badal gaya hai, kahin bhul se v usse pyar mat kar baithna. Us baat ko mazaak me udaa diya Ansh ne. Par shayad wo khud v jaanta tha ki pyar to wo kar chukka tha. Kitna ye pata nahi par haaN uske beej jaroor pad chuke the kahiN uske dil me…!

Ek din bahut der chup baithe rehne ke baad, achanak se Chavi ne kaha, Ansh ek baat kahuN, Ansh ne v bejhijhak haami bhar di. Main tumhe chaahne lagi huN jaanti huN shayad ye keh kar main tumhe gaNwaa duNgi par ab aur nahi chipa sakti main tumse is dil ki baat. Aur uske bache hue shabd un honthon se baahar v na aa paaye, Ansh ne unhe apne haathon se dhank kar, use apni baahoN me bhar liya…! Na jaane kab tak dono ek dooje ko seene se lagaaye rahe. Jab ****a, to dono ek dooje ki aankhoN me jhaank rahe the, shayad humesha ke liye unme samaa jane ki chaahat, shayad ek dooje ki aaNkhon me apne liye pyar naap rahe the, ya fir humesha ke liye us pal ko qaid kar rahe the ek dooje ki palkoN me.

Aaj fir ek baar do nozaren ek dooje me gum ho gayiN thi, par shayad is baar wo sawaaliya nishaan nahi tha, na kisi ko hi koi bhram tha, bas dono shayad ek dooje ko bahut ahchi tarah samajh gaye the, aur chahte the, ki koi aur unhe na rok paaye na samajh paaye, shayad ek dooje ki aankhon me hi apna gharaunda dekh rahe the dono, shayad yahi hoti hai mohabbat shayad isi ka naam pyar hai, jab hum kya karte haiN, kyuN karte haiN, kab karte haiN, hume kuch v pata nahi hota. Bas dil ki sunte jaate haiN………..!
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #4 on: March 13, 2009, 07:16:01 PM »
CHAPTER:-3


Phir kuch dino baad Ansh ko padhaai ke sinsile me baahar jaana tha, karib ek mahine ke liye par uska dil shayad is baat se betaab tha ki wo kaise reh paayega apni rooh, apne pyar se door itne dino tak. Par wo jaanta tha ki ye v taali jaane wali baat nahi aur wo mann maar kar apne pyar aur apne dost se vida le, chal diya ek naye safar ki oor, Aakash ne use tab v samjhaya ki tu padhaai ki soch wo ladki kahiN se v tere kabil nahi hai, uski soch kar apna bhavishya na gaNva, wo sirf sunta raha aur itna hi kaha, ab shayad ye sab baateN kehna bekaar hai kyuNki tu v jaanta hai aur main v ki ab main usse kitna pyar karne laga hooN, ki tabhi train ne seeti maar di, aur baateN adhuri hi reh gayi, aur wo chala gaya……….

Wo lagatar fone par Aakash aur Chavi se baateN karta raha, par achanak use Chavi ke baat karne ke lahje me kuch farq nazar aaya, aur use laga ki kuch chupaaya jaa raha hai, usne bahut kosish ki poochne ki par wo taal gayi. KahiN dil ki gehraaiyoN se bechain sa ho gaya tha Ansh, wahi Ansh jise sab uske dhairya aur saumyata ke liye jaante the. Aaj adheer aur bechain ho gaya tha…….!

Is baat ko abhi 4 roz hi hue the ki ek din der raat Aakash ka fone aaya aur usne kaha maine kaha than a ki vo ladki tere kabil nahi, ab wo mere saath vahi baateN karti hai jo kabhi tere saath kiya karti thi, sirf yahi sunne ki der thi ki maano vo ek zinda laash ban gaya, kaato khoon nahi, laboN ki jumbish par aawaaz nahi, paavN kaaNpne se lage aur aaNkhoN ke saamne andhera sa chaane laga, Par tabhi usne khud ko sambhala aur poori baat suni, ya sach kaheN to shayad hi kuch sun v paaya wo………

Agle din usi samay pe usne Chavi se baat ki, aur use apna pehla vada yaad dilaaya ki agar koi mujhse ahcha mile to beshaq chale jaana bas bata kar jaan aur yakeen maano mera main kuch v nahi kahuNgaa, par kabhi v peeth peeche se dhokha mat dena, Chavi ne use fir kaha ki aisa kabhi sochna v mat main tumhe kabhi **** kar nahi jaauNgi. Ye sun kar shayad kahiN Ansh ki jaan me jaan aayi, aur fir idhar-udhar ki baateN hone lagiN ki tabhi Chavi ne kaha ki uski tabiyat kuch theek nahi aur vo baad me baat kareNge, Ansh ne v bas itna hi kaha, apna khayal rakho, aur ek baat yaad rakhna………..

Na khauf khud ka na uski khudaai ka,
Mujhe darr hai to sanam bas teri judaai ka.


Wo apni padhaai khatm kar utha hi tha ki achanak se der raat Aakash ka fone aaya, to Ansh ko bada ajeeb sa laga. Fir Aakash ne kaha ki ruk aaj main tujhe sunaata huN teri mehbooba se apni baateN, dimaag ne lakh kaha ki ye kya kar raha hai tu Ansh…?? Tu to sabko path padhata tha vishvas ka aur aaj tu apni hi rooh par shaq kar raha hai…??? Ye kya ho gaya hai tujhe aaj…?? Par dil tha ki kuch sun.ne ko taiyaar hi na tha…………!

Usne conference pe rakh call lagaaya aur jo aawaaz aayi use sun maano dil baith sa gaya, Ansh ne socha isse bura aur kya hoga, par kehte haiN na sach sa kathor aur kuch nahi..! Aur jo baateN hone lagi wo itni antrang thin ki Ansh ko to laga jaise koi uske dil ko seene se cheer kar uspe tejaab ki baaris kar raha ho, par wo chaah kar v fone rakh nahi sakta tha use har baat sunni thi, aur jab baateN khatm huiN tab tak shayad wo apni jubaan kho chukka tha, par kisi tarah usne baateN khatm kiN aur bistar pe let gaya. Sochne pe majboor ho gaya vo ki kya “saccha pyar” naam ki v koi cheez hoti hai jahaaN me…..Huh? Achanak use badi jor ki pyas lagi, kanth to avruddh ho hi chuke the, jaise hi vo bistar se utha ki ek atyant peedadayak dard ka aabhaash hua use aur usne khud ko girta hua mehsoosh kiya………….

Jab hosh aaya to aspataal ke bistar pe pada tha vo, doctor ne kaha ki use dil ka daura pada tha, ye sun use haNsi si aa gayi, sochne laga ki kambakht jab tak dil tha tab tak koi daura na pada, aaj jab dil hi na raha to daure v padne lage. Tabhi usne apni jeb se apni diary nikaal aur bas itna hi likh paaya………


Dard, dard, dard, dard, dard, dard………….....Aur dard...!
Shayad in sab ko hi ek lafz me mohabbat kehte haiN…….!

Ki tabhi usk nazar usme rakhi chavi ki tasveer pe padi aur wo use dekhne laga, pata nahi kyuN use laga ki jaise vo tasveer v aaj usse nazreN chura rahi hai………………
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #5 on: March 13, 2009, 07:43:59 PM »
Kahani achchhi hai
ab aage ka interzaar hai
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #6 on: October 29, 2012, 03:05:16 PM »
sach kahun to maafi chaahuNga sabse, kyuNki maiN is kahaani ko bhool hi gaya tha, ab jitni jald waqt milta hai, maiN ise khatm karne ki kosish karta huN, aur is deri ke liye maafi ka talabgaar huN...
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 08:34:21 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer