Saffe Maazi Ke ( Paragraph from your Dairy )

by qadeer_junaid on June 03, 2010, 07:16:03 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2222 times)
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
Yaarane bazm , Aadab o tasleemath ,
Achanak  eak qayal aya ke kyun na koi issi thread shuru ki jaye jisme hum sub log apni maazi ki wo haseen pal yahan share Karen jisse hum zindagi me kabhi na bhul payenge ,

Lets share the moments of our life which we can’t forget ever and ever … kyun kya qayal hai .. ho jayen shuru , ye thread sub ke liye yaadon ka bab banke rahe jaye ..

Ap sub ki aara ka muntazir


Qadeertoopchi
Logged
dead heart
Guest
«Reply #1 on: June 03, 2010, 09:53:32 AM »
Bahaut khubsoorat khayal hai...Main ek baat share karna chahta hoon jisme uss waqt toh bahaut dard hua tha mager aj aisa lagta hai ke kuch acha hua hai...

Meri padayi main 3 saal ka gap aya tha kuch maslon ki wajah se...toh jab maine dobara parrayi shuru ki, toh obviously age agey jaa chuki thi aur class main eldest tha...hm tab bahaut sharm si ati thi ke main peeche rehgaya...I would appreciate my classmates ke woh mera yeh dard samaj pate the aur unhone apnaya mujhe aur kabhi chidaya nahin..hmm aj peeche dekta hoon toh bahaut acha lagta hai...maine bahaut ache dost banaye hai iss daur main, main headboy chuna gaya primary ka, mujhe woh shaks milgayi jisne meri zindagi banayi, woh khubsoorat lamhe diye usne jo shayad ager main normal education jari rakhta toh nahin milte...mujhe woh haseen dost mili, behad chahne wale log mile..Shayad maine bahaut brief likha hai mager main janta hoon ke har lavz dil se aya hai...ek message dena chahta hoon..Jo hota hai ache ke liye hota hai..Khuda pe bharosa rakhe..aj nahin toh kal apko pata chalega ke ho hua acha hua..

Intezar rahega kisi aur ki dastaan sun'ne ka..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #2 on: June 03, 2010, 11:08:53 AM »
Bahut Hi khoobsurat Thread Hai Qadeer Bhai..yakeenan Har Ek ki Zindagi mein Aise Koi pal Zaroor Hote hai Jinhe Woh Kabhi Bhool nahi Paate..Aur Bhai Rahim Aapne Bhi Bahut Achi Baat Kahi,Sach hai Jo hota Hai Ache Ke Liye Hota Hai....Main Bhi kuch Zaroor Share Karna Chahunga..

Maine Meri padhai Sharjah Shehar Mein ki thi jo Ki U.A.E Mein Hai,Wahan Sharjah Indian School Naam Ke School Mein Maine Padhai Ki,Mujhe Yaad hai Humare Hindi Ke Sir Hua Karte The,Unke sab Colleague's Unhe Khan Sir Kaha karte the..Unki umar uss waqt 55-60 ki thi..Unhe Sher-shayari ka Bahut Shauk Tha..kayi baar woh Hindi padhaate-padhaate koi sher arz kar liya karte the,jinhe suunkar hum bache aur zor-zor se Waah-Waah Karte The,Ke Yeh waah-Waah Suunkar Woh Padhaana Chodd Kar Shayari hi Arz karte rahe,aur humari class jald hi khatam ho..Ek baar Sir Ne Yeh Sher ArzKiya Tha,Jo mujhe aaj tak yaad hai..Jab sir ne yeh sher kaha tha to As Usual sab bache Waah-waah Karne lage,main akela uss class mein tha jo Sir se yeh puch baitha ke Iss sher ka matlab kya hai..To Woh sir Hasne Lage Aur Phir Woh sir ne sab bacho ko pucha..Jab matlab nahi pata to Waah-waah Kaise kar lete ho??....Jab sir ne mujhe uss sher ka matlab bataya..mujhe Sher-o-shayari se ek mohabbat si ho gayi..Woh Sher Main kabhi Zindagi Mein Nahi Bhool Sakta..Woh sher yeh Hai..

Kuchal De Sar Mushkil Ka Gar Kuch Martaba Chaahiye
Daana Khaak Mein Milkar Hi Gulle-Gulzar Hota Hai!!!!

Main Jaanta Hoon,Main Kabhi Woh sir Se Nahi Mil Paaunga,Par Unhe yeh zaroor batana chaahunga ke unki Baudalat Aaj Sher-o-shayari se kuch Yuh Rishta Juud gaya hai Jo shayad Hi kabhi mujhse Alag Ho..

Sir Ji,Aapka Teh Dil Se Shukriya...
Logged
dead heart
Guest
«Reply #3 on: June 03, 2010, 03:10:58 PM »
Wah Khwahish jee..bahaut acha share kiya hai apne...Main uss Sir ko khas tour par shukriya kehna chahunga ke unki wajah se hi aj one of my fav shayars mile hai mujhe...bahaut bahaut khubsoorat sharing hai dost...
Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: June 03, 2010, 03:58:56 PM »
Jab main fourth class main tha, tab ek baar maine ek assignment pura nahin kiya tha toh maine jhoot bola tha uss bus driver ko jo mujhe har roz leke jata tha ke main nahin aunga kyun ki main bimar hoon...Phir ussi raat meri mama ne mujhe samjhaya ke teacher ko bol dena ke im sorry main nahin kar paye mager agey se aisa nahin hoga...
So agle dinn main subah subah tayar hoke neeche agaya mager itni der tak driver nahin aya..padosi ne tab bataya ke driver toh akey chala gaya hai kyun ki maine bola tha...uss dinn ussi wat, mere papa ne mujhe bahaut marra...der se hi sahi main ko utra rota hua chehra leke school ponchaya..uss dinn mujhe wakei mere papa se nafrat si hogayi thi..mager aj, main janta hoon ke unhone bahaut sahi kiya tha...kyun ki woh marr mujhe aj tak yaad hai...hamesha rahegi..mujhe chaar baar highest attendance award mila hai toh mere papa ki woh marr ki wajah se..main bimar bhi houn toh bhi school jana chahta hoon...


maa-baap mare ya pyaar kare, dono hi sabak hote hai...yeh mera message hai meri zindagi se..
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #5 on: June 04, 2010, 01:07:33 PM »
QADEER SAHEB THEEK FARMAYA AAP NE .BADA NEK KHAYAL HAI AAPKA
HAR BEETA HUA PAL MAZI BAN HAMARE SAAMNE AA KHADA HOTA HAI .MERI DILI GUZARISH HAI KI AAP APNE MAZI KE KUCH PANNE HUMARE SAAMNE BHI KHOLE. AAPKI MANZARNIGARI KI MAI QAYAL HOON.AAP KI NAZM MAI PAHLE BHI PADH CHUKI HOON. MAZI KE KUCH HASEEN PAL ,KUCH KHATTA KUCH MEETHA AGAR AAP KI QALAM KA DAAMAN THAM LEN TO HUMARE LIYE LUTF KA SAILAB LE AAYEN.UMMEED HAI NAUMMEED NAHI KARENGE.

HAMESHA KHUSH RAHEN OR KHUSHI BAANTEN.......

MAMTA BAJPAI
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #6 on: June 05, 2010, 07:19:27 AM »
Bahut Hi khoobsurat Thread Hai Qadeer Bhai..yakeenan Har Ek ki Zindagi mein Aise Koi pal Zaroor Hote hai Jinhe Woh Kabhi Bhool nahi Paate..Aur Bhai Rahim Aapne Bhi Bahut Achi Baat Kahi,Sach hai Jo hota Hai Ache Ke Liye Hota Hai....Main Bhi kuch Zaroor Share Karna Chahunga..

Maine Meri padhai Sharjah Shehar Mein ki thi jo Ki U.A.E Mein Hai,Wahan Sharjah Indian School Naam Ke School Mein Maine Padhai Ki,Mujhe Yaad hai Humare Hindi Ke Sir Hua Karte The,Unke sab Colleague's Unhe Khan Sir Kaha karte the..Unki umar uss waqt 55-60 ki thi..Unhe Sher-shayari ka Bahut Shauk Tha..kayi baar woh Hindi padhaate-padhaate koi sher arz kar liya karte the,jinhe suunkar hum bache aur zor-zor se Waah-Waah Karte The,Ke Yeh waah-Waah Suunkar Woh Padhaana Chodd Kar Shayari hi Arz karte rahe,aur humari class jald hi khatam ho..Ek baar Sir Ne Yeh Sher ArzKiya Tha,Jo mujhe aaj tak yaad hai..Jab sir ne yeh sher kaha tha to As Usual sab bache Waah-waah Karne lage,main akela uss class mein tha jo Sir se yeh puch baitha ke Iss sher ka matlab kya hai..To Woh sir Hasne Lage Aur Phir Woh sir ne sab bacho ko pucha..Jab matlab nahi pata to Waah-waah Kaise kar lete ho??....Jab sir ne mujhe uss sher ka matlab bataya..mujhe Sher-o-shayari se ek mohabbat si ho gayi..Woh Sher Main kabhi Zindagi Mein Nahi Bhool Sakta..Woh sher yeh Hai..

Kuchal De Sar Mushkil Ka Gar Kuch Martaba Chaahiye
Daana Khaak Mein Milkar Hi Gulle-Gulzar Hota Hai!!!!


Main Jaanta Hoon,Main Kabhi Woh sir Se Nahi Mil Paaunga,Par Unhe yeh zaroor batana chaahunga ke unki Baudalat Aaj Sher-o-shayari se kuch Yuh Rishta Juud gaya hai Jo shayad Hi kabhi mujhse Alag Ho..

Sir Ji,Aapka Teh Dil Se Shukriya...

Sher asal me yu hai..........

Mita de Apni Hasti Gar kuch Martaba Chahe
Ke dana khaak me milkar gul-e-gulzaar hota hai

Allama Iqbal

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: June 05, 2010, 07:34:47 AM »
Sher asal me yu hai..........

Mita de Apni Hasti Gar kuch Martaba Chahe
Ke dana khaak me milkar gul-e-gulzaar hota hai

Allama Iqbal



Shukriya Sajid bhai Jo Aapne Asal Sher Share Kiya..Ho sakta Hai Bacho Ki Sahuliyat Ke liye,Ke woh Asaani Se Iss Sher Ko samjhe,Sir Ne Yeh Sher mein Yeh Tabdeeli Ki Ho..
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #8 on: June 05, 2010, 07:45:01 AM »
Shukriya Sajid bhai Jo Aapne Asal Sher Share Kiya..Ho sakta Hai Bacho Ki Sahuliyat Ke liye,Ke woh Asaani Se Iss Sher Ko samjhe,Sir Ne Yeh Sher mein Yeh Tabdeeli Ki Ho..

Jee bilkul Khwaish bhai sahi kaha aapne........teachers ka maqsad yahi to hota hai ke jaise bhi ho bachcho ko baat samajh me aa jaye......aur unke is hunar ko hum sab salam karte hai.
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #9 on: June 05, 2010, 11:18:30 AM »
Bahut Hi khoobsurat Thread Hai Qadeer Bhai..yakeenan Har Ek ki Zindagi mein Aise Koi pal Zaroor Hote hai Jinhe Woh Kabhi Bhool nahi Paate..Aur Bhai Rahim Aapne Bhi Bahut Achi Baat Kahi,Sach hai Jo hota Hai Ache Ke Liye Hota Hai....Main Bhi kuch Zaroor Share Karna Chahunga..

Maine Meri padhai Sharjah Shehar Mein ki thi jo Ki U.A.E Mein Hai,Wahan Sharjah Indian School Naam Ke School Mein Maine Padhai Ki,Mujhe Yaad hai Humare Hindi Ke Sir Hua Karte The,Unke sab Colleague's Unhe Khan Sir Kaha karte the..Unki umar uss waqt 55-60 ki thi..Unhe Sher-shayari ka Bahut Shauk Tha..kayi baar woh Hindi padhaate-padhaate koi sher arz kar liya karte the,jinhe suunkar hum bache aur zor-zor se Waah-Waah Karte The,Ke Yeh waah-Waah Suunkar Woh Padhaana Chodd Kar Shayari hi Arz karte rahe,aur humari class jald hi khatam ho..Ek baar Sir Ne Yeh Sher ArzKiya Tha,Jo mujhe aaj tak yaad hai..Jab sir ne yeh sher kaha tha to As Usual sab bache Waah-waah Karne lage,main akela uss class mein tha jo Sir se yeh puch baitha ke Iss sher ka matlab kya hai..To Woh sir Hasne Lage Aur Phir Woh sir ne sab bacho ko pucha..Jab matlab nahi pata to Waah-waah Kaise kar lete ho??....Jab sir ne mujhe uss sher ka matlab bataya..mujhe Sher-o-shayari se ek mohabbat si ho gayi..Woh Sher Main kabhi Zindagi Mein Nahi Bhool Sakta..Woh sher yeh Hai..

Kuchal De Sar Mushkil Ka Gar Kuch Martaba Chaahiye
Daana Khaak Mein Milkar Hi Gulle-Gulzar Hota Hai!!!!

Main Jaanta Hoon,Main Kabhi Woh sir Se Nahi Mil Paaunga,Par Unhe yeh zaroor batana chaahunga ke unki Baudalat Aaj Sher-o-shayari se kuch Yuh Rishta Juud gaya hai Jo shayad Hi kabhi mujhse Alag Ho..

Sir Ji,Aapka Teh Dil Se Shukriya...


khawish saheb ,, behad dilchasp qissa bayan kiya hai apne ,, aur mai apke hausle ki dad deta hon ke apne utne bachon ke bich us sher matlab jaane ki zahemat ki ,, waqai ye badi baath hai ,, aur allah apke teacher mahutram ko khush o abaad rakhe , jinki ba daulath aaj ap bhi shayari kar rahe hain ,, apne maazi ke bhi khuch auraaq khulonga waqath ki qillat hai ,, umid hai ap se aur sabhi doston se aur bhi sunne ko milega ..

Amma sajid bhai ap kya sahi galath hi dekhte rahenge ya khuch likhenge bhi yahan ,, umid hai ye meri khushmizaji badgumani na karegi ,,

khawish sahab bahoth shukriya apka ke apne waqath diya ..allah apko khush rakhe ..



Duwa go

Qadeertoopchi
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #10 on: June 05, 2010, 11:20:21 AM »
Bahaut khubsoorat khayal hai...Main ek baat share karna chahta hoon jisme uss waqt toh bahaut dard hua tha mager aj aisa lagta hai ke kuch acha hua hai...

Meri padayi main 3 saal ka gap aya tha kuch maslon ki wajah se...toh jab maine dobara parrayi shuru ki, toh obviously age agey jaa chuki thi aur class main eldest tha...hm tab bahaut sharm si ati thi ke main peeche rehgaya...I would appreciate my classmates ke woh mera yeh dard samaj pate the aur unhone apnaya mujhe aur kabhi chidaya nahin..hmm aj peeche dekta hoon toh bahaut acha lagta hai...maine bahaut ache dost banaye hai iss daur main, main headboy chuna gaya primary ka, mujhe woh shaks milgayi jisne meri zindagi banayi, woh khubsoorat lamhe diye usne jo shayad ager main normal education jari rakhta toh nahin milte...mujhe woh haseen dost mili, behad chahne wale log mile..Shayad maine bahaut brief likha hai mager main janta hoon ke har lavz dil se aya hai...ek message dena chahta hoon..Jo hota hai ache ke liye hota hai..Khuda pe bharosa rakhe..aj nahin toh kal apko pata chalega ke ho hua acha hua..

Intezar rahega kisi aur ki dastaan sun'ne ka..


Bahoth raheem saheb ,, Maaza aya padke ,, waise Khawish saheb ne jo Marhoom Iqbal saheb ka sher likha hai wo apke is maumle pe eak dam fit bait ta hai ,, allah apko khush rakhe ..


Apka bhai

Qadeertoopchi
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #11 on: June 05, 2010, 11:22:42 AM »
QADEER SAHEB THEEK FARMAYA AAP NE .BADA NEK KHAYAL HAI AAPKA
HAR BEETA HUA PAL MAZI BAN HAMARE SAAMNE AA KHADA HOTA HAI .MERI DILI GUZARISH HAI KI AAP APNE MAZI KE KUCH PANNE HUMARE SAAMNE BHI KHOLE. AAPKI MANZARNIGARI KI MAI QAYAL HOON.AAP KI NAZM MAI PAHLE BHI PADH CHUKI HOON. MAZI KE KUCH HASEEN PAL ,KUCH KHATTA KUCH MEETHA AGAR AAP KI QALAM KA DAAMAN THAM LEN TO HUMARE LIYE LUTF KA SAILAB LE AAYEN.UMMEED HAI NAUMMEED NAHI KARENGE.

HAMESHA KHUSH RAHEN OR KHUSHI BAANTEN.......

MAMTA BAJPAI

ji mahutrama qadim hukum badooli nahi karega ,, inshallah jald hi khuch apni dastaan bhi muqtasar se alfaz me rakhonga , filhal waqath ki qillat hai ,, tab tak ke liye apse adban guzarish hai ke app hi khuch apne qisse likh den to maherbaani hogi .. allah apko khush rakhe ...

Qadim

Qadeertoopchi
Logged
dead heart
Guest
«Reply #12 on: June 06, 2010, 02:07:18 PM »

Bahoth raheem saheb ,, Maaza aya padke ,, waise Khawish saheb ne jo Marhoom Iqbal saheb ka sher likha hai wo apke is maumle pe eak dam fit bait ta hai ,, allah apko khush rakhe ..


Apka bhai

Qadeertoopchi
Shukriya Qadeer bhai...
Logged
dead heart
Guest
«Reply #13 on: June 06, 2010, 02:07:47 PM »
Wah Wah Kya Kehne Aapki Sochke Qadeer Bhai
Humesha Kuch Naha Hi Dekhne Ko Milta Hai Aapse
Bahut Hi Khoobsurat Thread Hai Bhai...
Par Yeh Kya Baat Hui Sab Se Keh Rahen Hai Aap
Aur Khud Hi Kuch Share Nahi Kar Rahe?
Khair Hume Intezar Rahega...
Aur Rahim Ji Aur Khwaish Bhai
Aap Dono Ne Bahut Hi Achchi Baaten Share Ki Hain

Khush Rahiye...


~Shihab~

Shukriya Shihab bhaijan..
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:01:40 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer