Shauher---------Aulade akber

by javedarshad on February 11, 2009, 05:27:10 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1850 times)
javedarshad
Guest
SHAUHER------------------AULAADE AKBER (BADA)



Arey aap kahan hain , kabhi to meri baat sun liya karain.” Maine phir se biwi ko haank lagayee.”aap to bachchoon se bhi gaye guzre hain, naak mein dam ker rakha hai. Saans lena mushkil hai. Bas kahan ho, yeh ker do , who ker do, Khuda ke liye kabhi kuch to ker liya karain, main bachchon ko dekhon, gher dekhon ,ke her waqt aap ki han huzoori karoon. Bada wala roo raha tha dekh nahin sakte they , koii khiluana pakda ker chup nahin kara sakte they. Aap se to mera such dekha hi nahin jata--------“

“ Arre khuda ke liye lagaam lagain, aap ki taqreer shuru hoti hai to rukti hi nahin main to yah bhi bhool gaya ke aap ko aawaz kuin de raha tha , ab aadha ghanta phir washroom mein jaker baithna pade ga yaad kern eke liye ke aap ko kuin aawza di thee.Kambakht aaj kal yeh paijamoon mein elastic ka rawj itna aam ho gaya hai ke Allah ki panah, pahle ezaar band hoote they to girah laga laga ker Mirza ji ki tarah her baat aaram se zahen nasheen rahti thee.



“ Achcha aisa karain main aap ko aawaz kia kabhi pareshan kerna bilkul chood doongaa aap aik khilona mujhe bhi pakda dain main baitha khelta rahun ga.”Biwi ne ghoor ke mujhe dekha aur halke tabbasum ke sath nazarain teedhi kerte haiye boleen”Aap apni hertkatoon se baaz nahin aayenge, aap to bachchoon se bhi gaye guzra hain . Hai allah na aap ke pass sharm rah gayee hai aur sabr to kabhi tha hi nahin.””Haain haain yeh sharm aur sabr ke alfaaz biwi ke munh se achche nahin lagte, han ager padosan kahe to kisi had tak samajh mein aata hai.Mager sitam zareefi yeh hai ke kambakht padosanain bhi ab in alfaaz per yaqeen nahin rakhteen , who to aanan faanan per aagaayeen hai. “ Hai Allah kuch to sharm karain phir yahan kuin baithe hain jaayen kisi padosan ko aanan fanaan ka sabaq padhaian. Meri jooti se jain jis ko chahain khush karain , mujhe kia mujhe her waqt kuin diq kia kerte hain.” Unka chehra laal bhabhooka ho raha tha. Maine aaur tapate huye kaha “ Dekhiye aap ko pata hai mujhe koii kam ujlat wala pasand nahin hai. Main her kaam bade hi itminaan aur sukoon se kerne mein yaqeen rakhta hun. Jab koii padosan hamare meyaar ki mil jaye gee to aap ko shikayat ka mauiqa nahin diya jaye ga, aur ittaalan aap ko bata bhi diya jaye ga, abhi to meri majboori hai aap se kam chalana hai”Begam ka ghussa dekhne wala tha para saatwain aasmaan per. “Khuda samjhe aap se baadh mein jaye aap ki majboori .aap se aaj tak koii jeeta hai baton mein . aap mujhe kuch na sunain . meri jooti ko bhi gharaz nahin hai ke who kuch sooche. Jo dil mein aaye karain, ab aap ko main batati hun. “ “ dekhiye biwi mian biwi ka rishta ezaar bandi rishta hoota hai ager ab aap ne koii dhamki dee to main elastic ke bajaye loohe ka ezzar band bandh ke aajaunga phir shikayat na keejye ga.” Unhoon ne berjasta kaha ‘ Bhaad mein gaya aap ka ezzar bad aur---- main aik shareef aur seedhi saadi mil gayeen hon her waqt diq kia kerte hain koi kankaala mili hooti to hoosh thikaane aaj ate”Pair patakhti jane lageen to maine zoor se hank lagayee” aurat kah lo ya kankaala”bas phir kia tha wohi bachpan wali baat. Ammi dekh rahin hain mera jeena haram ker rakha hai na khud kuch kerte hain na mujhe kerne dete hain.’



Meri begum meri cousin hain , aur saath saath hi bade huye hain. Bachpan se unki chooti khainchte khainchte khud khinch ker unki good mein aa gire they.

Joint family mein bade yaqeen rakhne wale laq o daq kothee ke unginaat rooms mein ham chand loog aur kuch nauker yehi iske saakin they.Buzurgoon ka hukm jaise Qar’an ki aayat ho. Koii baher jaker nahin rah sakta her aik her waqt nazroon ke samne rahe.heraik aik doosre se aise bandhe they ke dhaga toota sare mooti bikher jayen ge.Isiliye dhaga rooz barooz mazboot kia jaraha tha.’

Meri biwi ki sabse badee khoobi yeh thee ke who mujhse dulhana piyaarya kerti hain, waise her dam ladti rahain gee, meri shikaitain karain gee.Mager meri zara si kharash unke dil ki phaans ban jati hai.ager khuda na khuasta kisi aurat ya ladki ne iltifaat ki nazer is nacheez per dal dee to uske saath saath meri zindagee aatish fishaan ban jati hai.kabhi aane mein deer ho,aik minute edher udhe ho jaye ya bewaqt aankh se oojhal huye, to gher mein hadboong mach jaye ga, yeh kahan hain ,kahan gaye, kidher gaye hain , abhi taka aye kuin nahin, her aik se pooch pooch ker naak mein dam,her koii meri biwi ka mera naam le ker mazaq udaata hai , mager who in sabse bekhaber, meri her baat ka chahe inki nabhi kerne ki ho khayal rakhna apni ebadat samajhti hain

Meri begum ki bachpan se aik khosusiyat hai her aik baat ki shikayat meri walada se kertee theen unke inteqaal ke baad apni maan se kia kerti hain. “ Ammi dekhiye yeh yeh ker rahe hain , sun nahin rahe hain ,tang ker rahe hain, waghaira waghaira”Unki ammi ka hans hans ke bura haal rahta hai , aai hai beti tera wo shauher hai usko samjho , her waqt shikayetain achchi nahin lagteen, tum loog isterah rahte ho jaise tale ooper ke ho, abhii tak zeedain istarah hain jaise bilkul bachche ho.”

Aikdin main baitha kitaab padh raha tha , aur coffee coffee ki guhaar lagaye huye tha . begum ne aik nauker se kaha ke sahib ko jaker coffee de aaye. Who ghareeb fauran coffee ley aaya maine usko samne wali chair per bitha ker zaberdasti coffee pila ker chalta kia .aur phir coffee coffee ki hank lagana shuru ker dee. Ab jo begun ne suna to unka ghussa saatawain aasmaan se bhi ooper tha. Aate hi” aap ne pagal bana rakha hai abhi to coffee pee chuke hain phir kuin rat laga rakhi hai’.Maine kaha “jis ne pee ho usper laanat, aur jhoot bolne wale per hazaar lanat, “ “ aree khuda ka ghazab aap to pee ker bhi jhooti qasmain khaate hain, Khuda ke qaher se darain , kuch khauf khain, pata nahin Khuda ke yahan aap ka kia hashr hoga.” Maine hanste huye aurtoon ki tarah jawab diya” Begum ager maine coffee pee ho to meri qabr mein keede padain”aur jaise hi begum ne baat sunee scene hi badal gaya . “ hai Allah kaisi buri batain munh se nikalte hain , aap ki jan per aisi hazaar coffee sadqe, qurbaan,aisi batain kuin nikalte hain, mager abhi to Mubeen coffee le ker aaya tha mere hi kahne per, kia ki ager aap ko nahin dee . main jaaker abhi uski jaan marti hun, aai hai sach to hai aap jhoot kuin bolainge who bhi muee aik coffee ke liye, wo hi hai namak haram ,nahin laya ho ga ,, dekho na ghareeb kab se coffee coffee kar rahe hain aur main yahan khadi batain suna rahi hun., main abhi jaker Mubeen ki khaber leti han aapko bhijwati hun” who jaldi se yeh ja who ja, main baitha Mubeen ke haq mein dua ker raha tha ke uski aaqbat na kharab ho.

Meri waleda ne bachpan se aik adat daal dee thee ke soote waqt aik glass doodh peena hai. Phle yeh kaam nauker kia kerte they, ab isper bhi begam ka haq ho gaya tha, who bhi maan ki tarah usi zimmedari se jaise unki saas her tarah se dara dhamka ker,mujhko usko zaher maar kerna padta tha chahe aap ko khuhish ho ke naho.”Jaise hi begum glass leker aayen unke chahre ka noor hi kuch aur tha , khila hua damak raha tha.sach much aaj kuch ziyaada hi haseen dikhaii de raheen theen. Waise ummoman yeh hota hai ke apne biwi ke bajaye doosre ki biwi chahe wo apni wale ke pasang baraber bhi na ho achchee zaroor lagti hai. Mager yahan ulta tha meri aankhian unke husn se chakachaund ho rahi theen. Aur jazbaat ke sath sath hiss bhi jag uthee thee.

Jaise hi unhoone glass mere samne kia maine kaha ‘ab yeh doodh glass se nahin piya jata ‘ Chehra aik dam gulnaar ho gaya ,”chaliye hatye aap to her waqt bachchoon ki tarah zeedain kia kerte hain. Achcha jaldi se bachche ki tarah baat maan ker pee lain. “ “ yeh aap her waqt kia bachcha bachcha kah ker sitam dhaya karti hain.” “ aap bhi to her waqt bade wale ki tarah aajeeb aajeeb zidain kia kerte hain . who bilkul aap per gaya hai..” Achcha usi ko samajh ker meri zid poori ker dain.”oof fooh aap se kaun jeeta hai aaj tak” aur besakhta mujhe apni aaghoosh mein chupa liya aur piyaar bhare yeh alfaaz bahut door se aate sunaii diye”YEH TO MERA SAB SE BADA BACHCHA HAI’


Khatm shud

javed
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Spose, Biwi banam Shauher by javedarshad in General Stories
Pooja
Guest
«Reply #1 on: February 11, 2009, 05:48:22 PM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bahoot alag, magar bahoot he payara likha hai... ek eke shabd gahre payar main dooba hua... bahoot khoob Javed ji!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: February 11, 2009, 06:45:35 PM »
Bohot hi khoobsurat 'Nasar' likha hai aapne...Ek walehana mohabbat, ek pyaari si relationship...Bohot Khoob !
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #3 on: February 13, 2009, 08:16:45 AM »
Pooja ji
adaab
Shukria bahut bahut aap ki dad aur muhabbat ka


Javed
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #4 on: February 13, 2009, 08:19:24 AM »
Talat adaab

Shukria aap ki is betakaluf dad ka , ab afsana to afsana hi , na bhi to bhi dikhana padta hai, Hahahahahah, kahiye aap ki kaisi beet rahi hai
Khuda her  khushi se humkinaar kare.
Kh

javed
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:33:48 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 20 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer