Shayad Ek Short Story

by Quateel Ahmad on April 26, 2012, 10:10:46 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1767 times)
Quateel Ahmad
Guest
Kal puraane purzay padh raha tha,
Aur saath bahut kuch kar raha tha
Phir us khat par nazar gayee
Bheege lafaaz par jaa kar ruk gayee
Waqt jaise thehar gayaa
Yaad un dinon ki aane lagi

Main kuch sher likh kar
apne saath le chalta
Aur pulia par tumhaari rah takta
Phir bade dheere se chalta hua
Tumhara rickshaw dikhayee deta
Rickshevaan dubla patla
Pehle ek pedal par khada hota
Phir doosre pedal par
Isi tarah uski savaari aage badti

Besabri se nazdeek aane ka intezaar
Main karta rehta lekin
Kabhi aage badh kar nahin mila
Jaise hi mere barabar aa jaata
Main apni cycle chalane lagta
Phir sadak par bheed kam dekh kar apna purza tumhaare haath mein deta
Tum leti bhi aur nahin bhi
Phir thodi der baad khol kar padhti

Bachpan ki shaayri mein
armaan zyaada aur wazan kam
Padhte hue nikal jaati thi tum
Na kabhi palat kar dekha
Na ruke na salaam dua
Mera bhi department aa jaata
Aur tumhein aage jaana rehta

Kitne din chalaa ye silsila
Sirf chuttiyon mein rukta
Main bhi tumhaare
jaane ke baad ghar jaata tha
aur aane ke pehle aa jaata
Kabhi baat nahin hui
Bas classes ke timing
dekh kar pataa lagta
Ki kab lautna hai

Bade bechain din thhe wo
Jab main laut aata tha aur tum nahin
Phir ek din aisa bhi aaya
Exams khatam hue aur hum sab
Hamesha ke liye campus chhod kar
Duniya mein utar rahe thhey

Ek ajeeb mahaul chha gaya dil mein
Ek khaalipan jo aaj bhi barf ke andar
Phanse havaa ke bulbule jaisa hai
Jo us waqt bana jab main
Tumhaare rickshe ke saath
Jisme tumhaara samaan bhi tha
Station jaa raha thha
Tumhein chhodne
Iraada phir milne ka thha
Darr judaai ka

Phir tumne mere haath mein
Ek purza rakh diya
Maine badi mushkil se use jeb mein rakha
Mann keh raha tha ki usi waqt
Padh daalun lekin
Gaadi ka waqt ho gaya thha

Tumhaare hostel ki doosri ladkiyan
Platform par thi
aur mujhe khayaal aaya
Ki tum unke saath station nahin aayi
Alag se taaki main saath chal sakun
Aur tum mujhe ye chiththi de sako

Gaadi chali gayee
Bahot der tak station ke bahar
main ruka raha
Dil ko behlaane lagaa
Ye to dosti thi pyaar nahin
Pyaar hota to baat aur hoti
Main uska haath thaamta
Rukne ko kehta

Lekin yeh dil ne kuch nahin suna
Bas apne andar ek jagah khaali chhod di
Jahaan kuch gaya us din ke baad

Maine kabhi usse nahin poocha ki
Mere purzon ka kya hota tha
Phaadey jaate ya sahej ke
kitaab ke warq ke beech dhare jaate
Sher to maine kitaab mein bhi likhe thhey

Na jaane kab station se campus pahunch gayaa
Bada ajanabiyon sa mehsoos ho raha tha
Mann hua jhat se main bhi
is jagah se door chala jaaoon
Ab waise bhi rakha kya hai
Ek imtihaan khatam ho gaya
Aur doosre mein fail ho gaye

Kamre pahunchaa aur laet gayaa
Uska diya khat nikaala
pet par rakh kar sochne laga
Kya hai isme?
Uska pata? Uska number?
Itne din ke benaam saath ka alvidaai iqraar?
Padhne laga

'Aap shayar hain, jo ashaar aapne mujhe diye
Ummeed hai aapke paas bhi likhe hain
Kyun ki main saare khat apne saath le jaa rahi hoon.
Koi pooche ki kitne bade shayar hain
To yeh keh dijiye ki
Deewane lakhon baar aapke sher padh chuke hain
Aur baat sahi hai, is diwaani ne lakh se zyaada baar padh liya hai. Aur meri janib se aap ke liye kuch alfaaz hain Ghalib ke....aur bhi gham hain zamaane mein muhabbat ke siva... Ab aap ise wajah samjhein ya bahaana'


Yaad khatam ho gayee
Aur bete ne poochha
'Kya aap sachmuch ke shayar hain?'
Main hansa aur keh diya.... 'Nahin beta zehni taur par kangaal hain jo apni yaadon ki tijarat alfaaz ke lifaafon mein karte hain.'

'To phir yeh kya hai' puraane khat ko dikhaate hue poocha.
Maine kaha
'birth certificate'
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #1 on: April 26, 2012, 10:22:24 AM »
Nice
Logged
dolly
Guest
«Reply #2 on: April 26, 2012, 03:18:34 PM »
bahut khoob ahmadjii....bahut khoob
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #3 on: April 26, 2012, 04:34:25 PM »
kitna lambaaaaaa tha.....  icon_scratch

but it was nice..... Usual Smile

 Applause Applause
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #4 on: April 26, 2012, 07:12:12 PM »
Applause Applause Applause Applause Applause

bahut khoobsurat andaaz me aap apni kahaani keh gaye..... padhna shuru kiya aur padhta chala gaya .. pata hi nahi chala kab shuru huwa kab khatam... bahut khobsurat peshkash hai... bahut bahut khoob Quateel ji....!!!
Logged
sarfira
Guest
«Reply #5 on: April 27, 2012, 04:31:31 AM »
Hriday sahab ki tarah hi mere saath bhi bilkul yhi hua--
kab suru kab khatam pta nhi chala--
Quateel sahab bht pyari si story h jisme ehsaas bht hain--

bht saal pehle ek story pahi thi mene--!izhaar!
uski yad dila gye aap
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #6 on: April 27, 2012, 07:29:19 AM »
bahut khoob
Logged
Quateel Ahmad
Guest
«Reply #7 on: April 29, 2012, 08:00:42 PM »
Masoomji, Dollyji, Touhidji, Hridayji, Sarfiraji, Saini bhai ......hausla afzayee ka bahot bahot shukriya!!!!
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:17:01 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.094 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer