<>*Soni*<>

by *KasaK*....Dil Ki on November 09, 2014, 02:05:56 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1230 times)
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
<>*Soni*<>


Subah k 4 baj rahe the par ab bhi Soni ki aankhon me nind ka koi nishaan na tha … aankhon ki kor me kuch boondein thi jo fisal kar uske baalon me kho jana chahati thi par na jane kis bandhan me bandhi hui wahin atki hui thi kab se…. use ab AC ki hawa kampkampane lagi thi … usne rajaai ko apne aur kareeb khinch liya aur khud me simatti chali gai… fir kuch pal sone ki chaah ne use aankhein moondne par majboor kar diya .. par fir wahi hua jiska dart ha… aankhein band hote hi fir Raj ka chehra uski aankhon ke samne ghumne laga aur fir ek bar wo apne hi khade kiye unhi sawalon ke kathghare me mujrim bani nazar aane lagi khudko….
Bht koshishon k bawjood bhi jab nahi  nikal pai unse to uthh khadi hui bistar se wo aur nikaal lai apni iklauti saheli ko apni almari ki daraaj se…. haan uski ek maatra humraaz uski dairy… jo uske sawalon se bhari padi hai.. uske dard.. uski har khushi ki raazdaar .. kab roi.. wo kab muskurai ..ye us saheli se behtar kaun janta hoga…. Apne har ache bure haalaat wo apni dairy ko hi to sunati thi… use apne gum baant kuch halka ho leti thi Soni….

Table lamp ki halki roshni me soni ne likhna shuru kiya  to bas likhti hi chali gai….. apna har dard.. har sawaal.. ye sochkar k shayad koi jawab mil jaye .. thoda hi sahi ..sukun mil jaye….

aaj fir ye ghutan aur ye bad-hawasi chhai hai mujhpar... aaj fir uski yaadon ka hamla hua hai...
aaj ka din jisme log khuahiyan manate h...usme aaj main iss tarah bojhall aur lachaar kyun hun ..Huh?
kyun aaj bhi chahkar bhi muskura nahin paa rahi..??
kyun main fir unhi num palkon aur sukhe hothon k sath.. wahi bojhal jhuti hasi liye sabke samne khadi hun..??
kya aaj ka ye din meri zindagi me bhi kuch badlaw layega..Huh?
kya aisa kuch hoga ke main khud ke jine ka..duniya me hone ka maksad samjh paungi..??
kya kuch bhi aisa h jo mujhe wo sukuun de jiske liye ye meri rooh tadap rahi hai.. bhatak rahi hai...??
kya apni zindagi se main wo ek pal wo ek lamha kabhi nikal paungi jab tumhe pakar maine zindagi pai thi...??

shayad nahinnn ..kabhiii nahinnn...

khudko kitni bar wahan se bahar khinch lai hun aur har bar na jane kaise khudko wahin chhod aati hun jahan se aati hun.... khudko samjhne ki jaanne ki ..chaahne ki.. har koshish har pal kumtar lag rahi hai... nakaam ho rahi hai ..par fir bhi khud ko samjhne ki chahat mujhe na jane kahan kahan le jati hai ...kis kis se milwati hai ...

har bar koi naya mukaam ...koi naya rishta ...koi naya savera... koi nai raat..!!!
lekin main fir bhi wahin hoti hun.. mujhme koi badlav nahin aata ..na mujhe sukuun aata hai ...
aakhir kya hun main ..?? kaun hun main…?Huh?

ek parchhai…. jo har jism ke sath chalti rehti hai aur andhere aate hi kahin kho jati hai...

ya ek mrigtrishna.. jise paane ki chaah me log khudko kadi dhuup me jhulsa dete hain aur jab wahan pahonchte hain to sirf ret ka tapta samandar hi milta hai unhe ...

ek khwaaab... jo hai to bada rangeen.. aakarshak ..par har baar jo adhura h reh jata hai... pura hote hote hi nind se jaga deta hai .. aur shayad ye kabhi pura bhi na ho payega,,,,,

Yaa fir ek kahani.... jise uska lekhak likhte likhte adhuri chhod kar chala gaya aur fir ek k baad ek lekhak aate gaye aur usme apne adhyaay jodte gaye ...lekin us kahani ko pura na kar paye ;;; jisme anekon lekhkon k rang hain lekin fir bhi kaale aksharon se likhi aek adhuri berang kahani hai.wo...

inhi sawalon ke jaal me aaj fir ulajh gai hun main ... ek bar fir ye ghutan mujhse kuch aisa karwa yegi jo main nahin chahti k main karun... aur ye dar ab mujhe jeene nahin dega .. na jane kis mod pe kya ho.. kis kadam pe main fir koi galat kadam uthha dun... kab kya ho jaye ye dar .. ye dar hai ya tujhse dur hone ki saza... kya hai..?? lo ek aur sawaal ne gher liya mujhe ... tumse dur hone ki saza agar ye thi to kyun thi .. aur ye saza nahin to ye itni kashtdayak kyun hai...

Abhi soni inhi sawalon me uljhi thi k Gayatri mantra k madhur swaron se kamra gunj uthha aur uski soch ka daayra badla….
Ghadi par nazar padte hi use khud par fir gussa aane laga…. “Haayee re aaj fir bachon ko school jane me der ho jayegi… kitni bar kaha hai waqt pe so jaya karo par manti nahi ho”… khudse badbadati hui khudko kosti hui wo bachon k kamre ki taraf daud padi….

Jaldi se parde hatate hue usne Chahak aur Armaan ki taraf dekha…. Gehri nind me soye uske masoom bachchon ka pyara chehra dekhte hi uske raat bhar ki uljhane gayab ho gai…aur usne jaldi se jakar Armaan ko seene se laga liya… mamta ka such har dard se bada hai use ehsaas ho raha tha … usne bade pyar se chahak k baalon ko sehlaya aur jagane lagi…. “mummaaa school nai jana petu dukhra hai”.. kehte hue armaan uske gale me baahein daal jhuul gaya … wo muskurai aur use goad me uthhakar bathroom me pahoncha diya…
Raat ki thakaan se chehra jo bojhil nidhhaal lag raha tha ab fir kamal sa khil gaya tha….bachon ko jagate hue hi fir wo apne kaam me lag gai.. “kya banaun naashte me… ufff roz ka yahi kissa hai”…. Kehte hue kitchen me ghus gai….

Nashta banakar bachchon ko taiyaar kar  school chhod aai thi aur ab uske pas waqt hi waqt tha bachon k wapas aane tak apne aap ko fir se sambhalne ka k Rohit use dekhkar fir na puchh le “raat bhar soi nahi ho na jaan”…. Wo Rohit k samne aane se bachna chahti thi … chahti thi k wo aur 1 -2 din baad wapas aaye tour se lekin unki aaj hi ki flight honi thi… aur unke aane k pehle use khudko unke samne aane layak banana tha… ek wahi to hai jo uske bina kahe uska dard uski aankhon me padh leta h.. aur khud bhi dukhi ho jata hai…. Aur wo Rohit se itna pyar karti hai k thodisi bhi udaasi use bardasht nahi unke chehre par…..

Uske vicharon ki udaan ab Rohit par ruk gai thi… Rohit uske pati .. aur sabse achha dost bhi… papa sahi kehte the soni k.. rohit ne jis tarah iss ziddi akkhad ladki ko sambhala h koi na sambhal pata… pura badal k rakh diya hai usne soni ko…. Uske pyaar aur sath se hi soni aaj sabse chaheti ban gai hai pariwar me….
Tabhi darwaze ki ghanti baji .. ohhooo ye dudhwala bhi abhi hi aana tha…..


To b continued.........
Logged
RAJAN KONDAL
Guest
«Reply #1 on: November 10, 2014, 07:53:57 AM »
bhoot ache ma'am intzar rahe ga agle part ka  good work
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:56:44 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer