Spose, Biwi banam Shauher

by javedarshad on January 24, 2012, 05:18:25 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1541 times)
javedarshad
Guest
Aik afsana aap ki nazr


                                                                         SPOUSE
                                                               Biwi ba naam Shauher


Humko maghrib waloon ki yeh baat behad pasand aati hai, keh unke yahan masawat, kahun ya barabri bahut ahm hai. Jaise biwi aur shauher ka brabri ka derja. Na hi kisi qism ke discrimination  ka jazba kahin bhi , kisi bhi tarha ujager nahin hoota hai. Yeh aur baat hai keh inke dil is jazbe se aasmaan ki oonchai tak labraiz hain. Aurat ki barabri ka mazhaka khiaz jazba uski uryaaniyat tak mahdood hai.Hamesha khud ko is tarah paish kerte hain keh kisi complex ka koi muzaihera qatayee na ho, mager complex ke baghair inki gharat aur hammiyat ka her jazba buri tarah majrooh hoota hai.
    To huzoor baat spouse ki ho rahi thee,yeh usi tarah hai jis tarah , uncle ,aunty, brother in law, nephew etc etc. jis se aap hergiz rishte ka sahi sahi pata nahi ker sakte.maslan, b/in law , aap saale ki baat ker rahe hain jija ji ki, uncle ko lain , pata nahin mamun ki baat ker rahe hain ya chacha ki, and so on. Ab aap in rishtoon ki tafseel mein na jain tab tak mere liye to samajhna bilkul ghair mumkin hai. Hum logon ki tarah nahin jisko pukara sirf wohi boole ga ,hamare rishte bhi usi tarah saaf o shafaf hain jaise ke hamare dil..
      To janab spouse likhne se yeh qatayee ilm nahin hoota hai ke baat biwi ki ho rahi hai ya shauher ki. Meri naqis aql mein jahan tak samajh mein aaya hai keh in logon ko is common spouse ko qaim o daim ya raij kiya uski wajah sirf yeh ho sakti hai ke inko ilm kahun ya ahsas tha ke unqareeb yeh spouse aik ajeeb tarah ke spousy kashmakash mein dakhil ho ga aur us waqt doosra naam dhoondna pade ga ,is se behter hai ke aisa aik rakha jaye jo her jagah kaam aaye. Ab isko aap inki door andaishi kahain ya majboori , aap ka zahen shaied nahin pahuncha jo main kahna chah raha hun., hamare maashre mein biwi hamesh hi aurat rahe ge aur shayed shauher hamesha mard hi rahe ga, aap chaunkain nahin shayed maine isliye laga diya hai ,kia pata koyee sir phiree shauher ban jaye ya ser phira biwi ban jaye to mer qalam ko ser na dhunna pade, mager jab hum spouse ka wird kerte hain ,jab tak gender ki tafseel samne na aajaye ilm nahin hoota keh  mard ki baat ho rahi hai yake aurat ki. To janab aaj spouse ka raaz khul gaye mere nazdeek aap ka pata nahin, aapko bhi inki zahanat aur aql o shaur ka qail hoona pade ga inko ahsas tha keh inki society mein aik aisa din aaye ga keh mard , mard ka shauher aur aurat, aurat ki biwi ho gee . Aap ko inko dadetahseen dena pade gee ke kis tarah zamane ki oonch ,neech ki nawz ko pakad ker rakhte hain. Ikhlaq.,tahzeeb o tammaddun , nafsiyaat aur zahnee nafasat ko be daraigh maskh kerte huye apni anna ki taskeen , jah o jalaal, ghair ke liye badtareen zahnee aziyaat aur apni dunyawee lazzat ke liye kia kuch nahin ker guzarte hain, is nazariye ke tahat MIGHT IS RIGHT wala andaaz humko bahut bhata hai.waise chupke se ander wali baat batata chalun .might is rt. Ka zimmedar main khud ko manta hun.kuinke jaise hi inki shakl dekhi ya zara bhi inki  nazer iltifaat is nacheez per padi to humne her apni cheez in per mubaah ker dee aur is tarah inko paaish kerte hain jaise ———— hamare wujood mein ya yun kahun jaise hi inse wabastagee huyee (unki nazer mein aik jahil aur phansa ) iske baad nauzebillah khuda ka wajood bhi pheeka aur giraan khatir sa mahsoos  hoone laagta hai.mere in jumloon se kuch logon ko kafi azziyat aur pareshani lahaq hoogee. Seene per aik do nahin hazar ha saanp loot rahe hoongay.misal ke liye main Middle East  ya kisi bhi muslim mumalik ka naam be jhijak le sakta hun,mager kisi ko mustasna ker ke .Samajndaar ke liye ishara kafi hai aur ager tafseel ki zid karaingay to kafi aur uqday khulaingay.
  To janabe wala baat biwi aur shauher ki baunwane spouse ho rahi thee.Jab bhi main khuda ke is karishme ke bare mein soochta hun to ash ash ker uthta hun , waise haqqiqat to yeh hai uske her her  karishme per ser dhunna padta hai. Kuch aajeeb aur taajubkhaiz nahin hai ke do anjaan shakhs is tarah se aik doosre ke dame ulfat mein phans jate hain ya yun kahun aik jaan do qalib ho jate hain ke jaise woh aik doosre ki zururrat nahin majboori ho jate hain ,aik dooosre ke baghair na ji sakte hain na mer sakte hain,aur  sare purane rishte apne wojood tak ko kho dete hain.uspe sitam zareefi doosron ki dakain jo mafad parast hain is merne aur jeene ke marahel mein kia khoob khoob hath dhoote hain, aur spose her cheez se bekhaber apna khoon chuste rahta hain. Ab sawal yeh hai jab spouse mard ke liye mard shauher aur biwi ke liye aurat biwi, to yeh rishta kahan tak aur kis had tak jata hai.kahan ja ker bikherta hai aur kahan per tajawuz ker jata hai . abhi tak to main is se qatayee nabalad hun aur is koshish mein ghalta aur sergerdaan hun ke shayed koyee aisa dost hath lag jaye jo in sab lazzaton se aashna ho . khair khuda meherbaan , to gadha pahelwaan
   To janab yeh shauher aur biwi bhi ajeeb ajeeb qism ke paye jate hain.jaise keh koi shauher aik saanche ka dhala nahin mil sakta usi tarah biwi bhi  mayasser nahin aaye gee.
Maslan koi shauher biwi ko pair ki jooti samajhta hai to koi biwi , shauher ko zar khareeda ghulaam. Yeh sab hadsaat ya taqazoon ke tahat hoota hai.her koi her jagah per fit nahin ho sakta hai.Kuch spouse zamane ki rawish aur khandaani rawayaat ko qaim rakhte huye aankhon aur dimaagh ko kaam mein late huye pursukoon zindagee baser kerte hain.kuch halat ke tahat khud ko dhal lete hain yeh umoman biwi ke sath hoota hai.kuinke aik baar gher ujadne ke baad kafi azmaish ka daur aajata hai.mager kuch spouse  ki leela hi niralee hai.apna zaiqa badalne ke liye her do chaar saal mein apna gher hi ujaadte rahte hain .waise samajhdaar shauher khud ko biwi ke saanche mein dhal ker kia dad e aaish leta hai jis ki shayed biwi ko marte dam tak khaber nahin hooti hai. Is ke beraks biwi jab apne kamal per pahunch jaati hai to duniyaan ki koi taqat ,Ab khuda ko beech mein na le aayega, * uske faraib se nahin bacha sakti hai.
Misaal ke taur per aik shakki shauher apne zoom mein doobe , begum ki bahut tazleel kia kerte they,woh ghareeb shareef khandaan ki padhi likhi aurat,maan baap ki izzat ke liye  khamoosh,kuja kuja shauher ko in herkaat se baaz rakhne ki nakaam koshish kia kerti thee.mager woh hazrat aql se paidal samajhne se  qasir.jab bhin kisi mard se baat kerte dekha ,shak ka keeda reenga  ilzaam tarashi shuru. Aik din ghazab hi ker baithe , aik doost per doore dalne ka ilzaam laga hi diya .begum ki ti jaan hi nikal gayee khoon ka ghoont pee ker ghareeb rah gayee kafi samjhaya , mager wahan kahan kaan pe joon raingne wali,.phir kia tha Hawwa ki beti ko josh aahi gaya .kahne lagee abhi tak to kuch nahin  kia hai mager ab ker ke bataun gee .aur inshallah kamar band bhi tumhi se khulwaaungee.shauher sahib ka hanste hanste bura haal.tum mujhse kamar band khulwa ker aashiq ke paas jau gee.begum ne doon badoon jawab diya ji han bilkul.shauher ne taaish mein kaha us se pahle main tum dodn ko goli maar doonga , begum ne kaha theek hai dekhte hain kaun kia kerta hai , baat aayee gayee ho gayee.\
  Aik  din mamool ke mutabiq shauher saheb lunch ke waqt gher gaye , begum ne aata ghoondha aur roti se qabl shauher ke paas aayeein kaha , aji zara mera izaarband khool dain mere hath kharab hai mujhe washroom jana hai. Sahib ne izaarband khoola aur begum washroom mein, kuch dair baad begum washroom se aik adad aadmi ke sath wapis,jab sahib bahadur ne biwi ko aik aadmi ke sath dekha to haathoon ke toote udgaye . begum ne muskurate huye kaha dekha jo maine kaha tha ker dikhaya . ab to shauher ko katu to khoon nahin, phir dheere se begum ne kaha main tumhari tarah itni giri huyee nahin hun . bas tumharen liye yeh aik sabaq tha keh aurat ager kuch kerna chahe to usko koi nahin rook sakta hai siwaye uske zameer ke .shauher ne fauran mafee maang lee.
  Iske beraks aaj ke daur ke spouses ne ya yun kahun kuch fashionable ya ba zaauq logon ne aik aur mashghala nikal liya hai , Party mein biwi badalne ka , aur mashallah se wives ka jazba e shauq dekhiye keh woh bade karr o far se is muqable mein hissa leti hain.shayed is ummed se keh apne wale se ziyda lutf andooz ho sakain, To spouses ka yeh zauq dekhiye kahan tak lejata hai aur maashre ko kin kin naye unwanaat se lutfandooz aur hamkinaar karata hai.
   Hum to isi shauq mein mare ja rahe hain keh hamare saath bhi koyee isitarah ka ya ki spouse hath lag jaye ya yun kahun maashara sahi jis mein her pabandi aik mazhaka khaiz ya be aaibi ka ahsaas dilate ho.Aur shayed aaj ke daur mein spouse mard ke liye mard aur aurat ke liye aurat ban rahe hain, kuch bhi karain koi kisi tarah ka sawal na kare . sab apni apni lazzaton ,nafsiyati taskeen,apne apne nuqtaye nazer, apne rujhaan aur jazbaye hawis ke tahat maze loot sake
  Meri to khuda se yehi dua hai keh sab ko jis ki jaisi hawis ho usko usi tarah nawaze, aur apne hawan kund ke liye tere yahan kabhi koi kami na ho.

                     Tamam shud

      Javed arshad

 
 
 
 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Biwi ki ghulami by Delicate_Doll in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
biwi by desikurri in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Biwi ho to aisi by MøÐëRñ ÐëvDå$ in SMS , mobile & JOKES
Moti Biwi.... by Suhas in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Shauher---------Aulade akber by javedarshad in General Stories
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: January 25, 2012, 05:04:31 AM »
 Applause
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #2 on: February 03, 2012, 06:18:48 PM »
Tx

Mr.Saini


javed
Logged
htboy111
Guest
«Reply #3 on: February 11, 2012, 02:39:16 PM »
NICE
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #4 on: February 12, 2012, 05:11:23 AM »
tx





javed






Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:04:30 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer