Sunsaan mansion (horror story)

by asif biswas on October 08, 2015, 09:02:23 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 4115 times)
asif biswas
Guest
Contributing to the bhoot pret ki duniya Usual Smile pls like if u like kahani puri tarike se enjoy ke liye banayi gayi hai iska asal zindagi se koi matlab nahi

Raat ke 10:53 ho chuke they aur main apni gaadi pe baithi intezaar ke ghari mein thi ki kab station aanewala hai...mere aas paas ke baugi mein jo bhi co-passengers they woh sab apne apne gehri neend ki aagosh mein dube huye they...sirf train ki zordaar dhadh dhadh karne ki awaaz aa rahi thi kitni speed train chal rahi thi kuch pata nahi bas beech beech mein khidki se aati bougi ke andar beech beech mein bahar ki roshni ujala kar deti...main tayyar hoke baiith chuki thi aur jald hi train ki raftar dheemi hone lagi

Aur ooske baad train bahut dheemi ho gayi....maine apne bag ko pack kiya aur fauran leke darwaaje tak aayi...bahar waiting list pe jo log idhar udhar baithe they woh bas mujhe ghurr rahe they...maine oon logo se koi baat nahi sirf bag leke apne station pe rukne ke intezar mein khari ho gayi

"kahan jaa rahi hai aap?"......ek budhi si aurat bol uthi....main hil si gayi thi ooske awaaz ko sun maine haan mein ishara kiya...woh bas muskurayi maano jaise woh kuch janti ho...aur aisi muskurahat mujhe behad azeeb lagi

"k..kyu kya baat hai?"......Maine hadbadake sawal kiya
"bas purani ek kahani hai is chote se purane sheher ke baarein mein".....mujhe ooski aur baat sunne ko thi lekin jis tarike se woh baat keh rahi thi oosse saaf tha ki woh kis baarein mein baat keh rahi thi ya toh woh mujhe daraa rahi thi ya fhir woh mentally unstable thi

maine ek baar oose bare gaur se dekha...fhir kuch nahi kaha siwaay apne ghari ki or dekhti rahi...main aisi andhwishwas baaton mein koi baat nahi karna chahti thi aur na mujhe yakeen tha..tabhi train ki awaaz sunaai di aur kuch hi dair mein ek chakachaund station ke main theek saamne thi

Main station pe utari...na hi koi suchna nigam na hi koi yatri...itna sannata maano jaise is station pe koi utarta nahi..."asif ne toh kaha tha woh mujhe receive karne aayega pata nahi".....maine badbadayaa aur oose phone lagaya....

Lo network bhi yaha kaam nahi karta...kuch dino pehle office ke dauran meri asif se behas huyi aur behas sirf is baat ko leke ki kaun ek raat akele ek veeran cottage mein ruk sakta hai....main tehri himmatwali aur bachpan se har cheez mein maine haan hi kaha aur jeeti bhi hoo..aur jeetne ka guroor is baar bhi ho gaya...jab asif ne kaha "lagi panch hazaar ki sharat toh ekddin rehke dikha domansion hum dono tehrenge jo darr gaya woh dusre waale ko paise dega"...........asif ki baat ko sunke maine haan keh di

"theek hai par main akeli rahungi"...........asif muskuraya oosne bola theek hai lekin main subah tak tumhein receive kar lunga even raat ko bhi waha chodhke kisi hotel ruk jaunga taaki tum challenge puri kar sako...mujhe bhi koi darr nahi tha

oosne bataya tha ki ooske sheher se pehle hi ek town padhta hai naam kaali ghaati au waha dur dur tak sirf jungle hai aur ek choti si basti basti ke paas hi ooske dad ka kharida hua mansion hai jo ekdum haunted hai woh waha kabhi tehra toh nahi par oos darawane mansion mein ek raat rehne ke liye sharat lagane laga wahan koi nahi rehta tha...ooske dad america mein rehte they aur jab aate toh kolkata...mansion sirf iski history ke liye kharida tha...baaki waha rehne ka sab intezamat tha...maine fhir asif ko phone kiya aur dheere dheere platform se bahar ka rasta dhundhte huye aage badhne lagi

lekin asif ka phone na laga...agar woh batayega nahi toh jaungi kaise?....jald hi bahar nikalke main khari ho gayi achanak ek ricshaw dikha jo karrhate bharke so raha tha...oose jagaya par woh jaaga nahi...achanak asif ka phone aaya "uff ho itne dair se try kar rahi hoo network nahi mil raha tum kahan ho?"............Asif sunke hairan

Asif : ohhh t..tum kahan se bol rahi ho?
raani: arre main kaali ghaati pahuch chuki hoo
Asif : oh shitt tumne bataya kyu nahi ki tum waha pahuch gayi damnnit main aajata tumhein receive karne
Raani : uff ab ye mat kehna tum bhul gaye plsss main tumhara wait kar rahi hoo main mansion pahuchungi kaise? raat bhi bahut ho rahi hai
Asif : arre yaar main toh aa nahi paunga khair ek kaam karta hoo mera nepali naukar hai jo mansion ki dinbhar dekhbhal karta hai oose phone karta hoo tumhein koi problem nahi hoga par tumhein akele raat bitaani paregi
Raani : ttheek hi to hhai waise bhi tum haarne ke bas kuch duri pe ho
Asif : accha theek hai tum wait karo

Asif ka phone cut ho gaya....shayad woh intezamat ke liye apne nepali naukar ko phone laga raha hoga....itne mein richshaw wala meri zor ki awaaz se uth chuka tha jab main asif se baat kar rahi thi...richshaw waale ki aankh jitni soyi thi utni khul gayi jab oose asif ke bataye mansion ka naam bataya....ooski aankhe fhat se bari bari hoke meri or dekhne lagi maano jaise maine koi hairani bhari baat keh di ho

woh raazi nahi ho raha tha lekin double paise ke lalach mein ho bhi gaya....maine asif ko theek hai toh keh diya tha lekin andar hi andar akelapan bhi tha...darasal asif ko surprise main dena chahti thi taaki oose challenge mein harakar jeet ki rakam haasil kar lu....itne mein asif ka phone aya kahan se kahan jaana hai aur saarein cheezo ka intezam oosne kar diya tha...main khush huyi aur ricshaw pe baith gayi

Dheere dheere richshaw oos sunsan raaste pe chalne laga fhir basti khatam ho gayi aur fhir kuch hi dair mein ek mansion jitna bahar se darawana tha andar se shayd oose bhi zyada ho...mere chehre pe ascharya ke bhaav ke sath saath muskurahat thi....aakhirkaar mujhe apna challenge yakeenan ek challenge lag raha tha

saamne ek bari si fountain maano jisse kabhi paani na nikala ho...saamne hi ek bara sa mansion dekhke hi lag raha hai british amal ka....kabhi in imarato mein east india company ke vyapari eliza raha karti thi kareeb 150 saal pehle ooske maut ke baad hi is mansion pe auction rakh di gayi aur fhir kaafi saalo baad ise kharida gaya iska pehla maalik iske kharidte hi sidiyo se girke marr gaya tha aisa suna  tha...richshaw waala bina piche mude chala gaya ooski is strange harqat ne mujhmein yakeen dal diya ki zaahir hai is mansion ko leke ye log ghabrate honge asif ke is bare challenge se mujhe kushi thi ye shayad mere zindagi ka sabse biggest challenge raha ho

kuch dair mein hi nepali naukar laaltain liye ghar ke darwaje se bahar aaya..."madam ji aap aa gayi? asif saahab ne bola tha tabhi hum aaya aap fikar na kare aapka khaana peena table pe saza diya hai ghar pura saaf kiye huye hai saara intezaam kiya hai ye lijiye chaabi"...........nepali naukar ne mujhe chaabi di aur teherene ki baat kaha lekin maine oose saaf inkar kiya "tumhein  yaha rukne ka koi zarurat nahi main akeli tehrungi asif saaheb ne bola hoga tumhein ab tum jaa sakte ho"....oosne samjhaya zarur tha par aur kuch kaha nahi

ooske jaate hi maine ek baar oos mansion ki or dekha jitna hi purana utna hi behad darawana…maine apna suitcase aur bag liya aur fountain se guzarte huye darwaja khola…andar lamp ki roshni jal rahi thi andar ek bara hall tha dusri or bari si sidi jo sidhe upar jaa rahi thi…apne hi kadamo ki awaaz mujhe daraa rahi thi…naukar ke anusaar saare kamro mein se koi bhi main use kar sakti thi..lekin maine oose fauran jaane ko keh diya tha warna wohh bata deta main upar jaake darwaje ka taala khola aur andar aayi kamre mein ek azib si mehek thi shayad bahut saalo se band ho…asif yaha kabhi aata nahi tha isliye oosne mujhe pehle hi bataya tha…kamre mein ek bistar tha aur saamne khidki jisse chand ki roshni saaf andar aa rahi thi fhat se light jalaya

tik tik tik…tannn tann…kahin ghari mein 12 baj utha tha…maine fauran bahar aake dekha toh upar lage jhumar ke thek saamne ki ucchi diwaar pe hall mein hi lage tasveero ke beech ek bara sa ghari tha jismein raat 12 baj chuke they…table pe khaane ko plate se Dhaka dekh khushi huyi…main niche utari aur mombatti ke lau mein hi plate se khaana nikaalke khaane lagi…dur lamp ki roshni se hall aadha jagmaga raha tha baaki sab andhero mein…tasveer pe british amal ke maharaja aur aur khud eliza ki tasveerein thi….main chupchaap apna khaana khatam karke

waapis upar laut aayi..sharat ek raat kit hi…lekin mujhe abtak sirf khaamoshiyan aur sannate ke siwaah kuch mehsus nahi ho raha tha…ek baar ko socha ki niche utarke sabhi kamro ko dekh lungi…lekin fhir dil na maana kyunki itni thak gayi thi train ki safar mein ki neend aa rahi thi…khair maine cottage ka darwaja band kiya aur kamre mein aake darwaja band karke apne suitcase se kapre leke change karne gayi…jahan jahan lights they who naam ke they oonki roshni kisi zero bulb jaisi thi isliye oonhein jalane ka koi mann nahi tha mombati ki lau mein hi hemam mein main nahane lagi…bahar kid kidd karti grasshopper ki awaazein aur itni khaamoshi is sunsan ilaake mein reh kaun sakta hai? yakeenan angrezo ko khaamoshiyan pasand thi…jab nahake bahar aayi toh bahar ki mombatti bhuj chuki thi aur aisa lag raha tha jaise andhere mein koi khara ho

Maine fauran apne bag se hi lighter nikaalke jalayi…aur mombatti ko fhir jalaya charo or koi nahi tha siwaaye khaamoshi aur andhere ke…bas ek raat ki hi toh baat thi…main dheere dheere bistar pe jaake lait gayi….aankhe kab dhalne lagi thakaan se pata nahi lekin beech beech mein aise ajnabi khaamosh jagah mein neend kahan jaldi aati…har beech beech mein darwaje ki or dekhti aur khidki jiska parda laga tha oosse dekhti aisa lagta tha maano jaise kitne log ho…jald hi aankhe dhal gayi…dhapp dhapp…ekdum se neend khuli aur uthke baithke oos awaaz ko suni…shayad woh wehem toh nahi tha….raat ke 1:30 baj chuke they fauran chadar hataya aur bahar aayi kya pata? Yaha kisi choro ya badmasho ka daira ho jo logo ko daraate ho ya fhir is ghar ko hadapne ke liye aisa kuch karte ho…parda hatane ki himmat nahi thi fhir bhi thodha sa parda hatake dekha bahar ki mombatti ab bhi jal rahi thi koi nahi tha lekin ek dhundh sit hi charo or maano jaise kohra kamre ke andar aa gaya ho mujhe laga shayad zyada neend mein hone se aisa mehsus hua ho

Maine fauran bistar pe laitkar aankhe mund li ho sakta hai shayad ye mera sapna ho….kuch dair mein hi neend fhir dhal si gayii…kuch dair tak khaamoshirahi fhir dekhti hoo ki pura palang hil raha hai…bahut zor se itni zor se ki maano bhukamp aa gaya ho..charo or ki cheezein hilane se khann khann ki awaaz karte huye kaanpne lagi..main ekdum se uth baithi ghabra gayi thi kya ye bhukamp tha par na toh aisa toh kuch hua nahi…shayad ye sab mera wehem tha ek shamshan jaisi jagah mein rehna kisi darawane khalayat se kam thodhi tha bas ek raat ki hi toh baat thi

Maine karwat badli aur takiya apne sar pe rakhke chadar odh li…kuch dair tak kuch nahi hua lekin achanak dhapp dhapp karti fhir sidi se is baar koi chalte huye upar aaya…main ekdum kaanp uthi kyunki awaaz bahut tez thi…main is baar uthi nahi dekhna chahti thi ki kya kya hoga?....awaz khaamosh huyi fhir aisa laga jaise koi kamre ke bahar se ek or se dusri or se guzara…fhir mehsus hua ki ek darwaja khula…chrrrr karte huye koi darwaja khula upar ke maale ka…jo saaf mujhe apni chatt ke diwaar se sunaai de rhai thi

Fhir khatt khattt khattt…karke koi bhari kadmo se chadhta hua upar jaa raha tha…main uthke chadar hatayi aur paas rakhi torch ko le li…darwaje ki kundi kholi aur bahar aayi jis or awaaz suna tha oos or hi gayi…dheere dheere paas jaake dekha na toh koi darwaja khula hai aur na hi koi upar gaya hai bas darwaja pe ek mota taala jhul raha hai…mere paas jo chaabi thi pure cottage ki oose nikaalke taala khola chrr chrr karte huyi wohi awaaz jo abhi kuch dair pehle suni thi….main dheere dheere upar ki or jhaanki torch maara andhere mein sidiya dekhi…jo sidhe upar ke maale yaani chatt ki or jaa rahithi…main upar chadhne lagi behad dheere dheere aur jaise upar aayi toh dekha ye kaise ho sakta hai? ek mota taala jhul raha hai chatt ka jab darwaja band ho toh fhir kaun upar gaya?..kya sach mein koi baat hai is ghar mein?

Kuch samajh nahi aaya mujhe?,,,,kya ye asif ki chaal hai? kya wohh mujhe daraane aur sharat haar jaane ke liye? Lekin itni raat gaye?,,,,,kuch samajh nahi aa rahi tha main waapis bahar ayai aur darwaja lagaya waapis ek bramde se hote huye niche hall mein jhaanka aur darwaja lagake fhir bistar pe aake lait gayi….neend ab tut chuki thi kya ho raha tha ye sab? Aankhe fhir mundne lagi…aur is baar jo drishya samne dekha oosse darr saaf lagne laga….train mein baithi wohh aurat jo hass rahi thi ooski tahaka lagati awaaz…who richshaw wala mujhe kyun aise ghurr raha tha? Asif ne jo bataya tha is ghar ki maalkin british ki raani eliza sabkuch aankho ke saamne aa gaya…aankhe band ho gayi…charo or khaamoshi andhera bas aisa lag raha tha jaise is raat ki subah nahi hone waali? Ye raat yun hi mujhe darati rahegi…achanak aisa laga jaise koi upar aa raha hai aur is baar awaaz tham nahi rahi wohh upar aa raha hai sidiyo se fhir ek awaaz chrr chrr jaisi huyi aur darwaja khula ye upar waale maale se aaya tha fhir se koi sidi se utarta mehsus ho raha tha ye wohi hai jo abhi kuch dair pehle upar gaya ho..woh kadam ab sidhe niche aaye ab mujhe saf wohh sunaai diya ab wohh dono kadam dheere dheere mere kamre ki or aa rahe they…achanak aankhe adhkhuli sit hi saf mehsus hua parde se do aks guzara aur kuch dair mein who kadam itne dheeme huye samajhne mein waqt na laga ki ab wohh meri or rukh kar rahe they mere kamre ki or….na jaane is sannate mein kaun zindagi ka gala ghotne aayi thi? Mera sharer itna kamzor ho gaya tha ki mujhe uthne t ak ki saans nahi thi...mera dil ghunt raha tha…aur achanak saaf sunaai diya darwaje pe dastak huyi…thakk thakk thakkk thakk…bahut zoro se dastak dene lage wohh saaye…lekin mera badan aisa numb ho gaya aisa sunn parh gaya ki uth nhai paa rahi thi bas awaaz ghonnt rahi thi mann hi mann darr se karrha rahi thi maano jaise mere pure badan ko lakua maar diya ho

“uhhhhh aahhhhh”….meri karrhattii awaaz nikal uthi

Fhir dheere dheere mehsus hone laga main kitne darwaaje ke paas hoo?...main paas nahi jaa rahi thi mera palang maano apneaap dheere dheere darwaje ki or khiskate huye paas jaa raha tha…maano jaise kitne aadmi mere palang ko kheenchke darwaaje ki taraf le jaa rahe they….achanak se dekha darwaja kaanpte kaanpte khulne ko ho gaya khidkiya bhi kaanpne lagi….aankhe band kar li mujhe dekhne ki or himmat na huyi

Aur achanak se darwaja bari zor se khulaa…mujhe kuch yaad nahi bas bandaankho se roshni dikh rahi thi koi mujhe jaise utha ke le jar aha tha….dohri dohri sanson ki awaazein sunaai de rahi thi….main uthne ki chahat bhi ki aankh bhi kholna chaha par kisi saqt cheez ne mujhe uthne na diya…pura palang kaanp raha tha aur mujhe janne mein dair na huyi ki mujhe palang ke saath oon cheezon ne mujhe kahin aur le jaa rahe they..

Fhir achanak so thanda mehsus ho raha  tha ekdum se garmi sa laga ghutan sa laga charo or aankho ke samane andhera sa chaa gaya…fhir ekdum se palang ruk gayi who awaazein bhi aani band ho gayi…maano jaise mere palang ko uthaake kisi ne rakh diya ho…mujhe mehsus ho raha tha azib si ghutan khaasi uth rahi thi….jab aankhe kholii…tohh..yee..kyaa? ye e main kahan aa gayiii? Yee…yeee mera k..amr..aa nahii haiii y.eee m..aainn k..ah..aannn aa gayiiii?


Charo or andhera ye mera kamra nahi tha koi band tekhaana sat ha…main ek veeran khandar jaise andhere room mein band thi mujhe kuch samajh nahi aa raha tha…saans lene mein itni taqleef ho rahi thi ghutan se khaasi uth rahi thi…aur achanakk tabhi kisi ki awaaz sunaai di jo behad mere kareeb aane laga…who aks saaf nazar aane laga aur jab oosk ior dekha toh saansein tham gayiii wohi jo tasveer mein dekha tha wohii safed nighty maili si wohi safed gora badann wohii hinsak bhari aankhe chehra itna jagah jagah se kharocha hua aur ooske hontho ke dono taraf se nikalte…uff bhagwann aisa drishya eliza east India company ki vyapari britisher jise mare huye kitne saal ho gaye aur who mere samne khari thi….janne mein waqt na laga ki wohh marr chuki thi wohh jan nahi ek rooh thi wohh dheere dheere kareeb aayiii “uuu ww..illlll ddiieeeeee”….ooosski awaaz ko sunkkke mainnn kaanp utthiiii charo or se ghurrati kuch awaazein aa rhai they aur janne mein dair na laga ki andhere mein mainakeli nahi khari thi charo or 19th century ke time ke mulaazim naukar chakar sipahi job hi angrez they sab jo marr chuke they who sab mere palang ko charo or se ghaire huye they….oon logo ki awaaz itni bharii aur eliza jo meri or karee baa rahi thi ooske badan se aati mehek ek azib si scent si khusbu mai nchilla rahi thi cheek hrahi thi jiski awaaz koi bhi sun le toh ooska dil kaanp jaaye…fhir dheere dheere ooske nukile haath mere gardan ki taraf badhne lage who dheere dheere haatho ke bal chalte huye mere upar sawar hone lagi

Jo jo sunaai de raha tha oose main gaurr se sunn sakti thi kaanpte huye wohh kya kya English mein keh rahi thii sab “yee meriii jagahhh hai yaha mera usul chaltta haii mere ghar mein tumharee aane ki himmmat kaisse huyi? Ab tummheinn bhi hamessha hameshaa ke liye hamare sathhh rehna hoga mujhe nafratt haii tummsee naffraattt”……wohh chilla uthi ooski dahadti awaaz ko sunkeee mujhmein aur jaan na basi…bas sirf itni dardnak jalan apni gardan pe ooske daanto ka aur mere gale mein naakhun jo oosne gaadh diye oon sab ki ek sath dard mere gale se ek zordaar cheekh banke nikali

Dheere dheere karke raani ke upar sab pisach jaise eke k karke sawaar hone lage kisi ne ooske haatho ke nabz pe kaanta aur kisi ne ooske baaki jismo pe….raani ka jism kaanpta raha aur ooske baad jab ooska sharer tham gaya toh eliza ne ooski tehri aankho mein jhaanka ooske hontho se nikalta khoon chadar pe tapakne laga aur fhir gunzti rahi who tahake bhari awaaz jis shaitani roohon ne maut ke aangan mein ek aur zindagi ko apne geraft mein hamesha hamesha ke le liya tha

Subah 5 baj chuke they dheere dheere suraj ki roshni uth baithi...gaadi se jaldi se asif aaya…”raani ne puri raat mujhe phone nahi kiya shayad yakeenan who karrhate bhar rahi hogi”….bekhabar asif muskruake darwaaje ke paas aaya “raaniiii raniiii”….asif ne darwaje pe dastak di…lekin kisi ne gate nahi khola….”hahaha bari himmat waali hai andar se kundi bhi laga li”…..asif ne darwaja khola aur andar aaya

“raaniiii raaniiii”……charo or sabkuch jaise tha waise hi tha…asif sidiyo se uthte huye upar ayaa….lekin rani kiawaaz na sunai di naa hi oos asif ko koi awaaz di asif apne aankho se chashma hatake charo or gambhir bhaav se dekhne laga “raaniii ? kahan ho tum? hahaha lagta hai bhaag gayi”……asif abhi dusre kamre ki or jaa hi raha tha achanak oos darwaje ko band dekh asif ne oose zor se dhakela arre kundi toh andar se laga hua hai asif ne badbadaya…aur ek zor se dhakela “raani darwaaja khollo raaniii”……asif ko kuch samajh nahi aaya aur oosne darwaaja ko bari zordaar tarike se khol dala

Darwaja khulte hi saamne ke drishya ko dekhke asif wohi kaanp utha…tapp tapp karke charo or khoon beh raha tha aur safed chdar pe laiti ek soyi ladki jo kabka maut ki neend so chuki thi “raanaiiii”……asif ne kaanpte huye ooske chadar ko hataya aur do hi kadam piche hoke bari bari aankhe nikale khauff se wohi kanap utha oosne munh pe haath rakh liya….saamne raani ka beshud jism para hua tha ooski aankhe waise hi khuli huyi thi ooske jagah jagah pe daanton ke nishaan they…ooske oon zakhmose ris risk e khoon beh raha tha kisi ne raani ka qatal kiay tha…ye baat asif ko samajh aa chuki thi

Who chupchaap waise hi khara raha…who afsos bhari nigaho se khaamoshi se dheere dheere sidiyo se utarne laga ulte pao kamre se bahar nikal gaya piche chutt gayi raani ki laash waisi hi laiti huyi khoon se lipati dheere dheere kohra hat raha tha…asif paas hi ke fountain ke kaggar pe jaake baith gaya chupchaap sadme mein maano ooski ek galti ne ooosse kitna bara gunaah karwaya ho…who janta tha who sabkuch janta tha…aur tabhi ek haath ooske kandhe pe kisi ne rakha…jab asif ne mudke oos saaya ki or dekha toh ooske chehre pe koi hairaani na huyi ye ek aurat thi wohi vesh busha mein wohi gora jism wohi bhayankar chehra wohi hinsak nigaahein…elizaa jo muskurake asif ko dekh rahi thi

Asif dheere dheere muskurane laga ooski aankhe achanak se neeli hone lagi “mommm why did u do  this?”….ye asif koi insaan nahi lag raha tha maano jaise ek pisaach dusre pisaach ke saamne khara tha asif ki nigahen saqt neeli thi…kuch hi dair mein eliza ke kandhe pe sar rakhke asif laita hua tha…aur eliza ka ek haath asif ke dusre ke kandhe pe tha…aajtak ye ekrahasya  tha yeh jise koi nahi janta tha

Is khaamosh veerane mein ek rooh rehti thi jisse har koi bekhabar tha….is baat ko asif hamesha chupaaye rakhta tha..bachpan mein kab who sidiyo se fisalke maut ki aagosh mein gaya oose nahi pata tha jab eliza ki rooh ne oose apne aagosh mein le liya aur oose ek naya zindagi diya asif insaan nahi raha is baat ko ooska baap bhi nahi janta tha…2 saal pehle hi ooske baap ki death ho chuki thi….apni maa eliza ke liye naye naye shikar ko dhundhne ke liye hi asif aise logo ko dhundhta jo apni himmat aur ghamand aur lalach mein churr hoke ek raat oos cottage mein rehne ki baat karte…aur fhir oonka bhi wohi hashr hota jo raani ka hua

“suraj nikal raha hai aao chalein”…..asif eliza ka haath pakre ooski baaton ko sun kisi chote bacche ki tarah ooske sath sat hchalne laga aur dono kab dheere dheere cottage ke andar jaake andhero mein kahin gum se ho gaye…aur fhir chaa gaya is cottage mein sunsaan aur veeranapan

The end…..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
.....Real Horror Story..... by sweet_raabii in SMS , mobile & JOKES
Tehkhaana (Horror story) by asif biswas in General Stories
Raj mahal (horror story) by asif biswas in General Stories
Khooni qila (Horror story) by asif biswas in General Stories
AAFAT - A tale of horror (Horror story) by ASIF in General Stories « 1 2  All »
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:18:40 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer