suun, maa, kya mera zakhm zakhm nahi?

by anjaan dharkan on January 08, 2009, 04:49:55 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2599 times)
anjaan dharkan
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
10 days, 13 hours and 44 minutes.
-May Allah Bless You-

Posts: 1900
Member Since: Jul 2008


View Profile
thodray dinon pehlay ek ladrki k bhai ko chot lagee usskee aankh se beyhud khoon nikla, tho maa kee jaan nikal gaee... wo kehtee hai k awlaad (children) ka dard unnse bardaasht nahi hota, aur jub unn k saamnay unn kee awlaad ka khoon behta hai, tho wo kehtee hain k unnko dhuk hota hai, unnko dard hota hai. uss maa ne bhai k khoon k ek ek katray par najaanay kitnay aansoon baha deeyay... aur unn kee beytee ka dhuk unn kee nazar se ghaafil rehta hai... unnko pata hai, k unn kee beytee kee jaan ub usskee nahi, kissee aur k naam hogai hai... magar maa aisa tamaasha paesh kartee hai jaise unnko kuch maloom nahi, aur jub aur koi saamnay na ho, tho beytee ko mana kartee hai "usse baat mat karna, uss ko bhool jao." aisa huqam muhabbat ko kurbaan karnay ka deytee hai...
kya usska dard, usskee taqleef taqleef nahi? beytay kee tho sirf aankh se khoon baha thah na, beytee ka tho dil zakhmee hai! beytee kee aankh tho huftay bahr mein theehk hogaee thee, magar beytee ka dil tho saree umar k leeyaen zinda nahee ho payega. beyta ka khoon dihka tho maa machal padree, beytee k tho undar se khoon behta hai, aur aansoon ban k aankhon se nikal jaata hai aansoon ban k. ye ussko kyon nahee dihkta??? beytat kee maa ne khoob sewa kee, haathon se khana aur dawa bhi kihlayee, aur beytee ko, zimidaareeyon kee jakadr mein giriftaar kar k rahkka huwa hai umar bhar k leeyaen... ye kahaan ka insaaf hai? beytay k zakhm pe wo marham lagatee theeh, beytee ko zakm dihkanay se bhi mana keeya huwa hai. wo beytee kisse se kuch kahay baghaer khud hee mein kudrtee rehtee hai, aur maa dhuk bantna bhi gawara nahee samhajtee. wo beytee chuhp chuhp k, dar aur khauf se maa ko bol tee rehee, k sub theehk hai, aur maa ne, ye jaantay huway k kuch theehk nahee hai, beytee k dard ko samhajtee nahee... beytee ko samhajtee nahee. maa kehtee hai k wo sirf upnee awlaad kee khushee chaahtee hai leykin roz roz beytee se nayee nayee kurbaaneeyan maangtee rehtee hai. aur beytee, beybussee ka shikaar ban k, kurbaan hotee rehtee hai.

kya mera zakhm zakhm nahi hai, maa??? kya mera khoon, meray aansoon dihktay nahee hain maa?
aisa usskee beytee sochtee rehtee hai, poohchtee rehtee hai, leykin inn sawalon ka jawaab nahi hai, inn khayaalon ka subub nahee hai. koi bataye uss maa ko, muhabbat guna nahee hai, hazoor ne bhi muhabbat kee theeh... insaan bhi kartay hain. kya uss maa ne kabhie kissee se muhabbat nahee kee?!? kya wo beytee k dhuk aur dard ko samhaj paayegee, kya wo ek itnee see kurbaanee nahi deysaktee? upnee beytee k dil ko ek naya janam nahee dey saktee?
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
zakhm by neha17 in Shayri for Dard -e- Judai
Zakhm by 99% §hå®èèf_Mµñda in Shayri-E-Dard
Zakhm Hi Mera Pyaar ka Sila by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard
- Zakhm Ab Mera Itna Gehra Nahin - by Meena is back in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Zakhm pe zakhm hum khatein hain by dksaxenabsnl in Miscellaneous Shayri
deepika_divya
Guest
«Reply #1 on: January 12, 2009, 07:17:10 AM »
No words to comment on this. Its realy a hear touchy story.
Logged
anjaan dharkan
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
10 days, 13 hours and 44 minutes.
-May Allah Bless You-

Posts: 1900
Member Since: Jul 2008


View Profile
«Reply #2 on: January 12, 2009, 01:07:51 PM »
thx.
Logged
Roja
Guest
«Reply #3 on: January 12, 2009, 01:42:39 PM »
this one touched my soul.. Good post from you
anjaani(Kaisi ho?)... ...
Logged
anjaan dharkan
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
10 days, 13 hours and 44 minutes.
-May Allah Bless You-

Posts: 1900
Member Since: Jul 2008


View Profile
«Reply #4 on: January 12, 2009, 03:02:51 PM »
this one touched my soul.. Good post from you
anjaani(Kaisi ho?)... ...

thank u! allah ka karam hai, aap kee duwaaen hain...
Logged
Roja
Guest
«Reply #5 on: January 12, 2009, 03:09:59 PM »
thank u! allah ka karam hai, aap kee duwaaen hain...

God Bless you dear...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: January 12, 2009, 06:54:56 PM »
Nice story Anjaan. Ma ko sab pata hota hai, beti ki zisam ka dard aor dil-o-deemag ka bhi. MAgar wo janti hai, agar is raste per beti ko jaane diya to ho sakta hai ki usse tamam umar ke liye aise dukh uthane parre... jin ki taraf beti ka dhayan bhi nahi hai.

Ek kahwat hai jo her ek bache ne apne ma-baap se suni hogi... beta jab humari umar mai aoge tab pata chalega..

bas kuch baatein aise hoti hai jo betio ko sirf beti ki MA ban.ne ke baad he samjh atti hai...

Never question your parents dear... ho sakta kabhi kabhi unki judgment galat ho jaaye... magar kabhi bhi koi ma-baap jaan bujh kar apne bacho ko kisi bhi tarah ka dard nahi dete... (Exceptional cases hai ki jahan ma-baap ne apne sukh ke liye bacho ko jaan se maar diya... ya ghar se nikal diya.... magar bahoot kam)
Logged
anjaan dharkan
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
10 days, 13 hours and 44 minutes.
-May Allah Bless You-

Posts: 1900
Member Since: Jul 2008


View Profile
«Reply #7 on: January 13, 2009, 01:00:29 PM »
Nice story Anjaan. Ma ko sab pata hota hai, beti ki zisam ka dard aor dil-o-deemag ka bhi. MAgar wo janti hai, agar is raste per beti ko jaane diya to ho sakta hai ki usse tamam umar ke liye aise dukh uthane parre... jin ki taraf beti ka dhayan bhi nahi hai.

Ek kahwat hai jo her ek bache ne apne ma-baap se suni hogi... beta jab humari umar mai aoge tab pata chalega..

bas kuch baatein aise hoti hai jo betio ko sirf beti ki MA ban.ne ke baad he samjh atti hai...

Never question your parents dear... ho sakta kabhi kabhi unki judgment galat ho jaaye... magar kabhi bhi koi ma-baap jaan bujh kar apne bacho ko kisi bhi tarah ka dard nahi dete... (Exceptional cases hai ki jahan ma-baap ne apne sukh ke liye bacho ko jaan se maar diya... ya ghar se nikal diya.... magar bahoot kam)

thx pooja, maine ye nahi kaha k ye kahaani meree hai...:D
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #8 on: January 13, 2009, 01:36:36 PM »
Nice Story Anjan Dhadkanji
Very Touchy
Logged
anjaan dharkan
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
10 days, 13 hours and 44 minutes.
-May Allah Bless You-

Posts: 1900
Member Since: Jul 2008


View Profile
«Reply #9 on: January 13, 2009, 02:23:33 PM »
Nice Story Anjan Dhadkanji
Very Touchy
thank u pankji
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: February 02, 2009, 09:22:44 PM »
Waah Kya Posting Hai,
Bohat Bohat Bohat Emotional,.
Logged
anjaan dharkan
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
10 days, 13 hours and 44 minutes.
-May Allah Bless You-

Posts: 1900
Member Since: Jul 2008


View Profile
«Reply #11 on: February 03, 2009, 12:37:05 PM »
Waah Kya Posting Hai,
Bohat Bohat Bohat Emotional,.

hai na?
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: February 03, 2009, 12:42:14 PM »
hai na?
hai na?

Haan Jaan,.
Logged
theyash
Guest
«Reply #13 on: December 05, 2010, 02:45:23 PM »
Dear good story written you but 1 thing in this story that is you blame mother she not know what is love.. in your story you before tell about it.... & every1 know i think...

ke jitna pyar maa apne bachho se karti hai utna pyar shayad hi koi kisi se karta hoga aur khuda bhi maa ki mohabbat ke liye tarasta hoga...
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:37:45 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer