Taish- ek KHAT khamoshiyoN se bhara...!!

by ghayal_shayar on June 14, 2013, 08:20:58 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2483 times)
ghayal_shayar
Guest

Meri Qaynaat,

































Tumhara muntazir
Taish



Mere Zehan ki wusat me usska tasavvur jaise,meri pahunch se door kaheen sookhi hui, sehmi hui, tanha zamee per Kuch qatre shabnam ke,or usska ehsaas jaise Meri Shayri me rang phoolon ke,Usski yaaden jaise mere Dil-o-dimaag ke beehad or sunaan jangle me hawaaon ka sangeet,usske khwaab jaise kissi marte hue shaks ko aas Zindgi ki,Isske saath Usska kabhi na khatm ho sakne waala intzaar .. kuch na-mukammal duaaen use paane ki,jo her rab se ki gayi thee,Inper bhi ek vaahiyaat umeed usske aane ki jo
maasoom dil-e-nadaan khud me zabt kiye baitha hai,ye sab Apni shaksiyat ke saath tanhayi ke andheron ki chadar me lapete maazi ke samander ki gehrayi me bhooli bisri khwahison ke patther ke niche dabaane ke baad Ek nayaa shaks bann ker zamaane ki mehfilon me laut aaya ,Main andheron ka musafir roshini me laut aaya Ek naya chehra liye ek nayi pehchaan liye,Phir socha ki ek khat likhker ussko alvida keh doon or apne marrne ki ittilaah keh doon,Likhne ke liye na samander si syaahi mili or na he Baadalon ko kaagaz banaa sakaa,kuch sitaare chaahtaa thaa lafzon ki sajaawat ke liye wo bhi tod ker na la sakaa to phir
Dher saari khaamoshi likh ker khat me bhej di maine

Aankhen moond ker Kuch der khamoshi se baitha raha khat likhne ke baad or kuch sochta raha…. Ek tadap or bechaini kuch kho dene ki,jaise Naye Naye ZakhmoN per namak ki tees mach jaaye,tilmila ker uttha ,aankheN kholiN aur picche mudd ker dekha To sab ke sab mere saamne khade thai, Wo hi shabnami tasavvur usska,phoolon sa rangeen ehsaas wo Surmayi yaaden,or aas se bhare dilchasp khwaab,saamne thaa wo be-aqibat intzaar bhi ,wo na-mukammal duaaen wo vaahiyaat umeeden dil-e-nadaan ki sab andhere ki chadar ke saath mere maazi ke samander se nikal aayi thee,Unn sabko gale lagaa ker kuch der rota raha or Wo shaks jissko maine abhi abhi maara thaa Phir zinda ho gaya…………………….. judaa ho gayi ye zamaane ki mehfilen,or roshini ka safar,Hum andhere ke musafir Humko Tanhaiyaan mubaarak

Ye sab to mere humsafar hain, mera samaan jeene ka, us se bichad ker to phir bhi zinda houn,Inn sabse bichad gaya to kya jee paaunga?


Izzajat
Taish

muntazir-- one who is awaited

Wusat--- area

Tasavvur—imagination

shabnam-- morning dew

Zabt-- control

Maazi-- past

Be-aqibat--- non conclusive
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dil bhara bhara sa,khud mai ek khalipan.. by Pooja in Miscellaneous Shayri « 1 2 3 4 5 »
meri khamoshiyon by saahill in Miscellaneous Shayri
pyaar bhara ek khat.....Aqsh by aqsh in Ghazals « 1 2 3  All »
maine shayri bhara khat.. by Dineshkumarjonty in Chit - Chat & General Discussion
MOVED: maine shayri bhara khat.. by khwahish in Shayri-E-Dard
aqsh
Guest
«Reply #1 on: June 14, 2013, 08:41:43 PM »
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Waaaaaaaah taishji. apni khamosh muhabbat ko khoob achchi tarah se aapne lafzon mein piroya hai.kya andaz hai, kya ehsaas hai, kitni tadap hai subhan allah.

,Likhne ke liye na samander si syaahi mili or na he Baadalon ko kaagaz banaa sakaa,kuch sitaare chaahtaa thaa lafzon ki sajaawat ke liye wo bhi tod ker na la sakaa to phir
Dher saari khaamoshi likh ker khat me bhej di maine

Waah waah bahut khoobsurat ehsaas taish ji. Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Wo hi shabnami tasavvur usska,phoolon sa rangeen ehsaas wo Surmayi yaaden,or aas se bhare dilchasp khwaab,saamne thaa wo be-aqibat intzaar bhi ,wo na-mukammal duaaen wo vaahiyaat umeeden dil-e-nadaan ki sab andhere ki chadar ke saath mere maazi ke samander se nikal aayi thee,Unn sabko gale lagaa ker kuch der rota raha or Wo shaks jissko maine abhi abhi maara thaa Phir zinda ho gaya…………………….. judaa ho gayi ye zamaane ki mehfilen,or roshini ka safar,Hum andhere ke musafir Humko Tanhaiyaan mubaarak

Ye sab to mere humsafar hain, mera samaan jeene ka, us se bichad ker to phir bhi zinda houn,Inn sabse bichad gaya to kya jee paaunga?


Bahut bahut gehre ehsaas hai. ek alag andaaz aapka dekhne ko mila. bahut pasand aaya mujhe. Har ehsaas dil ko choo gaye. hazaron dili daad. hats off to you.
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #2 on: June 14, 2013, 09:04:00 PM »
 love4 love4 love4 love4 love4 love4 love4 love4 love4

taish















tumhari fan
anamika
love4 love4

ek khamosh replyyy
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #3 on: June 14, 2013, 09:06:00 PM »

Lucky Jee Aadaab... !


Bahut khoob janab shayraana taur par jo ahsaas O khayaal bayaaN kiye haiN waqai behad laa jawaab rahe... Usual Smile

MaiN aksar aise hi likhta tha apni dairy meiN.... wohi samaaN baNd diyaa aapne bhi behad umdaa daad... Usual Smile


HazaaroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye...

Likhate rahiye... aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye..

Khuda Hafez... Usual Smile


Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #4 on: June 14, 2013, 09:09:48 PM »
Sher-o-Shayari se Hat Kar One Of The Best Things I Have Read In Recent times.....

Bahut bahut Aur Bahut Khooob taish ji..Har lafz Apna Jaadu Bikher Raha Tha..

Just Beautiful....


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #5 on: June 14, 2013, 09:11:00 PM »
parwaaz ji ek dairy ka page aap bhi post kijiye na.... dekhna hai aapka bhi andaaz e bayaan.... plzzzzz
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #6 on: June 15, 2013, 12:00:40 AM »
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Waaaaaaaah taishji. apni khamosh muhabbat ko khoob achchi tarah se aapne lafzon mein piroya hai.kya andaz hai, kya ehsaas hai, kitni tadap hai subhan allah.

,Likhne ke liye na samander si syaahi mili or na he Baadalon ko kaagaz banaa sakaa,kuch sitaare chaahtaa thaa lafzon ki sajaawat ke liye wo bhi tod ker na la sakaa to phir
Dher saari khaamoshi likh ker khat me bhej di maine

Waah waah bahut khoobsurat ehsaas taish ji. Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Wo hi shabnami tasavvur usska,phoolon sa rangeen ehsaas wo Surmayi yaaden,or aas se bhare dilchasp khwaab,saamne thaa wo be-aqibat intzaar bhi ,wo na-mukammal duaaen wo vaahiyaat umeeden dil-e-nadaan ki sab andhere ki chadar ke saath mere maazi ke samander se nikal aayi thee,Unn sabko gale lagaa ker kuch der rota raha or Wo shaks jissko maine abhi abhi maara thaa Phir zinda ho gaya…………………….. judaa ho gayi ye zamaane ki mehfilen,or roshini ka safar,Hum andhere ke musafir Humko Tanhaiyaan mubaarak

Ye sab to mere humsafar hain, mera samaan jeene ka, us se bichad ker to phir bhi zinda houn,Inn sabse bichad gaya to kya jee paaunga?


Bahut bahut gehre ehsaas hai. ek alag andaaz aapka dekhne ko mila. bahut pasand aaya mujhe. Har ehsaas dil ko choo gaye. hazaron dili daad. hats off to you.
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

haaye itni tareef to shayad kabhi kisi ne nahiN ki meri, ab aqsh ji chane ke jhaad pe bhi na chadhaaiye, bechaari jhaad mera vajan nahin jhel paayegi, bas aage bhi aap yuNhi saath nibhaati raheN...!!
Logged
Sudhir Ashq
Khususi Shayar
*****

Rau: 108
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
16 days, 19 hours and 27 minutes.

Posts: 1813
Member Since: Feb 2013


View Profile WWW
«Reply #7 on: June 15, 2013, 12:30:56 AM »
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Wah,Wah,Wah Taish ji,
Bahut khoobsurat ahsaas.Really nice.
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #8 on: June 15, 2013, 03:42:37 AM »
love4 love4 love4 love4 love4 love4 love4 love4 love4

taish















tumhari fan
anamika
love4 love4

ek khamosh replyyy

hahahahahah ahcha andaaz tha ji, waise aaj to mera din ban gaya, aap aur meri fan, so chaliye aaj se aap meri pehli sworn fan haiN out of my frnz... Usual Smile bas yuNhi ye pyar aur hausla afzaayi mujhe dete rahyegaaa....
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #9 on: June 15, 2013, 12:40:34 PM »
hats off taish ji... bahut bahut umdaa... Usual Smile

Applause Applause Applause Applause
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #10 on: June 15, 2013, 04:54:41 PM »

Lucky Jee Aadaab... !


Bahut khoob janab shayraana taur par jo ahsaas O khayaal bayaaN kiye haiN waqai behad laa jawaab rahe... Usual Smile

MaiN aksar aise hi likhta tha apni dairy meiN.... wohi samaaN baNd diyaa aapne bhi behad umdaa daad... Usual Smile


HazaaroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye...

Likhate rahiye... aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye..

Khuda Hafez... Usual Smile




parwaaz bhai ab to hume aapki diary ke un pannoN se ru-ba-ru hona hai bas... bataaiye kab padha raheN haiN aap...

waise aapka tah-e-edil se shukraguzaar huN maiN ki aapne is kosish ko itna saraaha.... Usual Smile
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #11 on: June 15, 2013, 05:27:03 PM »
parwaaz ji ek dairy ka page aap bhi post kijiye na.... dekhna hai aapka bhi andaaz e bayaan.... plzzzzz

anamika ji maiN bhi aapki baat se poori tarah sehmat hun, ab jo parwaaz miyaaN ne baat ched hi di hai to ab to hume padhana banta hi hai...!!
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #12 on: June 16, 2013, 01:17:33 AM »
Sher-o-Shayari se Hat Kar One Of The Best Things I Have Read In Recent times.....

Bahut bahut Aur Bahut Khooob taish ji..Har lafz Apna Jaadu Bikher Raha Tha..

Just Beautiful....


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


aapne bas do lines meN meri saari trishnaa bujhaa di, dil khush ho gaya ye jaan kar ki kisi ko is darza pasand aayi meri ye kosish, bas yahi mansha rahegi ki aage bhi kuch aisa likhta reh sakooN...!!
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #13 on: June 16, 2013, 03:22:31 PM »
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Wah,Wah,Wah Taish ji,
Bahut khoobsurat ahsaas.Really nice.

sudhir saaheb padhne ki jehmiyat uthaane ka aur tareef karne ka bahut bahut shukriya...!!
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #14 on: June 16, 2013, 04:57:22 PM »
hats off taish ji... bahut bahut umdaa... Usual Smile

Applause Applause Applause Applause

touhid saaheb shukriya is kosish ko itni izzat bakshne ke liye...!! Usual Smile
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:24:52 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer