Tehkhaana (Horror story)

by asif biswas on August 20, 2014, 02:30:58 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 4360 times)
asif biswas
Guest
Tehkhaana
Amavasya ki wohh raat… aur ek sunsaan sadakkk…jahan maano kitne barso tak khaamoshi hi chaayi rehti hai..oosi sadak ke theek saamne ki or…ek purana sa khandhar jaisa kilaa..kutto ki rone ki awaaz…ho ho karti hawaao ka shorrr….ek gehra sannata charo or..ullu jo ki paas bane pipal ke paid par baithaa huaa hai…bari bari aankho se ghurrte huye ek azib si bhari si awaaz nikal rahaa hai…kuch hi pal mein ek roshni aate dikh rahi…naa jaane is veeran mein kaun zindagiyaa aayi hai?....gaadhi puri tez raftaar ke sath…ek shaks chalaa rhaa hai…”yaar Vicky maine tere ko pehle hi kahaa tha…itne sunsaan jagah par chalkar kya karenge?”…..rohan ne Vicky ko kahaa…jo gaadhi chala raha tha
“abeyy sunn ye sheher se 3 km ki duri par hi hai…aur ye jagah barso se veeran hai…kabhi yahan mugalo ki laraaiya huyi thi…tabse lekar aajtak yahan khandhar hai aur kuch nahi…apna munh band rakh….”….vicky ne piche baithi apni girlfriend ki or dekhte huye kaha…jo muskuraa rahi thi
Jald hi gaadhi..kile ke theek samne aakar ruki…headlights off karte huye…vicky apni gaadhi se bahar nikalaa..saath mein rohan bhiii aur wohh ladki bhiii…teen one ek dusre ki or dekhaa aur charo or dekhaa…kutto ki rone ki awaaz sunaayi de rahi thi…qila bhayanak dik hraha tha…vicky aur wohh ladki sehem gaye…”yaar vickyyy yahan aake humne koi galti toh nahi kar di..itni raat gaye..!”…..rohan ne vicky ki or dekhte huye kaha…
“hahaha abeyyy dharphok..hamara yaahan aane ka maqsad sirf yahii hai ki…hum jald se jald oos tehkhaane ke baarein mein pata kar le..jo yahan saalo pehle dafan ho chukka hai…ek baar pata chal jaaye naa…toh sabko daraa denge…humhein ek video toh banana haiii bass…chalo bhaii camera lo aur shuru ho jao Natasha madam pls will u start the story narration right now”……Vicky ne muskurate huye Natasha ko dekhaa
Natasha ne camere ke saamne pose lete huye narration karna shuru kar diyaa…teeno haunted ghost par video bana rahe they..saqt manaa hi thi..par in logo ne saarein niyam kanoon todhkar ye kaam shuru karaa tha…kuch dair baad…teeno oos tehkhaane ko dhundhne lage…andhere mein torch jalate huye…idhar udhar nazarein fhiraane lage…rohan ne camera hold kar rakhaa tha….
Achanakkkk Natasha bolte bolte ekdum se gir pariii….”aahhh”…ooski cheekh ne dono ko chaunka daala..vicky ne torch maara…aur ooske chehre par muskurahat aa gayiii….rohan oose hi ghurr raha tha..”that’ss itt fantastic”…Vicky ekdum se cheekh kar bola…”kya fantastic aah ss lagta hai ss ghiss gayaa uff?”…….dard bhari nigaahon se Natasha ne apna pair pakadh liya
“guys ye dekho Natasha ka pair is mitti mien dhass gaya tha…and now ye dekho ye mitti sidhe is oos bare gufa ki or jaa rahi hai…dekho andhere mein dikhaa nahi tha..ye dhassti huyi mitti hai..”……rohan Vicky ko chaunkte huye dekh raha tha..charo or jhinghur ki awaaz aur khaamoshi thi..
“ya..rr vickyy itna baraa risk nahi lena chahiyeee…pata nahi kab se ye gufaa band hai…koi andar gaya bhi nahi hoga…kahin dhas naa jaaye aur hum sab!”……rohan ne camera kaanpte huye kaha
“arre yaar..tum log bhi is project ka kyu hissa bane ho? Dekho 25000 milenge aur fame alag se…internet par upload hote hi kitne calls aayenge pata hairaaton raat amir khairr chalo mere sath..camera on rakhoo let’s get inside”…….vicky ne guffa ka jaayeza lete huye kaha
“butt it’s not safe I mean koi jaanwar something koi saanp?”…….natasha ne sheemte huye kaha
“kuch nahi hoga bandhu…ye dekho desi katta hai…revolver sidhe shoot kar denge..and don’t worry back up hai…chalo ab”….itna kehte huye Natasha kaa haath pakadhkar Vicky guffaa ke andar badhne lagaa
Kuch hi dair mein teeno gufaa ke andar they..”baap re yahan toh jaise mera dum ghuntt jaayega”….natasha ne khaaste huye kaha..”hmm jagah kaafi saalo se band hai..ek min”…..vicky ne diwaar tatolte huye oos mashaal par aag lagaa di…mashaal jal uthi…”wow itna purane zamaane ka mashaal bhi jal utha…waaqayai ye jagah par zarur koi khaazaana hogaa…chalo oos taraf”…..aage badhte huye Vicky ne kaha…”rohan tum camera on kar lo..video shoot karo..natasha tum narration do main jaayeza lete huye agae badhunga”….vicky ke kehane par dono apne kaam par lag gaye…guffaa ekdumm veeranthi…charo or roshni se patthar dikhaayi de rahe they…achanakk oon teeno ke saamne ek baraa saa mota darwaja aa gaya…jispar koi nishaan sa thaa
Garr garr karta huaa Vicky ne darwaaje ko khol daala…vicky kaanpte huye camera pakdhaa huaa tha….andarr ek azib si badbu thi…Vicky dheere dheere sidiyo se niche utarne laga..natasha ne oose manaa kara..lekin wohh toh ekdum hairaan tha…”waahhhh dekhaa guysss ye jagahhh toh tehkhaana haiiii…zarur yahan mughal sultanate ka khaazana garaa hogaaa…mazaa aa jaayegaa yessss”…..vicky ne zor se chillate huye kaha
“vickyyy yaarr waapis chalte haiii ye jagh mujhe kuch theek nahi lag rahi”…..kaanpte rohan ne kaha…”theek hai theek haii ek bar shoot kar le ooske baad nikal challenge ok”….rohan ne gufaao ki or dekhte huye kahaa….
Dheere dheere teeno…sidiyo se niche utaarein…charo or andheraa tha…lekin mashaal ki roshni mein sab kuch dikh saktaa tha…charo or ghass latak rahi thi…maano kaafi barso se bandtha….vicky aur sab hairaani se idhar udhar dekh rahe theyyy…achankkk se natasha ne narration shruu kar diyaa..”jee haan aap dekhte hai ki main is waqt purane qile ka oos rahasya ka parda faash kar rahi hoo jo aap dekh sakte hai apne charo or….ye jagah barso se band thi..par aaj is rahasya se parda uth gaya hai…ye tekhaana kareeb 200 saal se band tha..aur!”……Natasha ne sabkuch chodhkar Vicky ki or dekhaa…jo thodha kaanp gayaa tha..rohannn camera pakde oos or dekhte huye kaanpein jaa raha thaa
“y..yee salaakhennnn haiiii y..ee dekhooo taala lagaa haiiii udhar bhiii idhar bhiii au raise kayi saalakho jaise kamre andar tak jaa rahe hai”……Vicky ne Natasha ki or dekhte huye kaha
“matlabb ye koi kaidkhaana hai”……rohan maano khauff se darr gayaa
“hmmm shayaddd….udhar dekho”…..vicky ne oos kaid ke andar dekhaa…andar haddiyo ke dhaanchey pare huye theyyyy….
Natasha ekdum se sehem gayiii..”chiiii yee…yee kahan aa gaye hum? Let’s go guyzzz yahan rukna theek nahi….humne kya sochaa aur yahannnn kya nikal gaya”..natasha ne darrte huye kaha…”pata nahi guyzz chalo aage bhi dekhte hai”…..vicky ne kaha…”tera dimaag kahrab hai main aage nahi jauungaa ye toh kaid khaana hai..yahan sadi huyi laash aur haddi kankaal ke alawa kuch anhii main jaa rhaa hooo tujhe marna hai toh mar”…..vicky ke laakh kehane par bhi rohan ne kaanpte huye camera zameen par rakha aur waapis jaane lagaa…ki itne mein…oos awaaz ne teeno ko kaanp daala
“aauuuuuu aaahahahahaaaaa”….ekdum bhari…azib si awaaz…maano jaise koi janwar dard mein rota hai….vicky ne torchhhh oos andhere kaidkhaane ke kamre ki or maarte huye kaha
“bh..aaggg vickyyy challl chall”….rohan ne kaanpte huye kaha
“abeyy ruk yaar..shayad koi jaanwar hogaa”…..vicky ne sehemte huye Natasha ki or dekha..
Thak thakk thakk…natasha ka pasina chutt gayaa…aankhen bari bari hone lagi…rohan bhi ghabraayi nighaahon se charo or dekhne laga..maano jaise koi mota jutaa pehne oonke karee baa raha thaa…..
“aaaaaaaaaaaaaah”….natasha ekdum cheekh pari…saamnnnee ek dummm sar katta murdaa hatho mein zanjeer lipate…oon logo ke kareeb andhere se nikalkar aa raha tha…Vicky cheekhta huaa bhaaga…iske sath Natasha aur rohan bhi bhaag utheyyy
Teeno bhaagte huye waapis sidiya chadhne lage..itne mein Vicky ka pair fisla aur sidhe patthar par sar lagte huye wohh waapis gufaa mein gir para…”vicckyyy”….natasha ne cheekha…par rohan ne ooska haath pakra aur dono bahar ki or bhaag gaye…Vicky ne jab saamne ki or dekhaa…toh paayaa is baar wohh ek nahiii they kaafi saarien they…oonke haat hmein katili talvaare thi…kaidkhaane ke wohh murdee…theyyy jinhein berehemii se ghunt ghuntt kar is kaidkhaane mein zinda chodh diya gayaa…oon logo ne Vicky ko dekhaa..vickyyy ekdumm zor se cheekhaaa..aur ooske saath hi farsh par khoon bikhar gaya…teeno murde ooske jism ko haatho sse cheer cheer kar oose fhaadh chuke theyyy
Bahar nikalte nikalte….achanakkkk sse natashaa ki taang ko ek lambe naakhun waale hath ne pakadh liya…Natasha cheekhte huye gir pariii…rohan ne oose kasskapr kakadh liya..”nahii…nahiii mujhe chodhnaa nahii plsss mainn marna nahi chahtiii”…….natasha rone lagi…rohan ne oose bachanaa chahaa..lekinnn shayadd oos bhayankk chehre ko paas aate huye dekhkar oosne Natasha ka haath chodh diyaa…sataakkk se wohh hchehera andhere mein gaayab ho gayaa..natashaa ekdum se ghasitte huyi waapis gufa ke gehraaiyo mein gir gayii…..natasha cheekhtii huyi andhere mein kahin gaayab ho gayii…rohan apna seena pakadhte huye wahan se bhaag uthaaa
Zanjeer mein oon murdo ne Natasha ko pakad liyaa tha kisi ka chadhma toh kisi ka sar kataa huaaa….kisi ka maans nahi jism mein…har koiiii Natasha ko ghurr ghurrkar aise bhaari gale se hass raha tha..ki ooski thahaako se pura tehkhaana gunz raha hta….natasha cheekh rahi thi..”nn..nahiiiiii”….natasha cheekh rahi thi ro rahi thi…achankkk se…oos murde ne Natasha ke chehre ko ekdumm kheench liyaa…aur ooske chehre par ungli gadhaa di…charo or se khoon behane lagaa…dard se Natasha ka munh khula ka khulaa reh gayaa…charo or murde ooske chehre par ungli dhasaa chuke they aur oose bedardi se kheechne lage…jald hi khoon aur lattho ke saath oonhone berehemi se Natasha ka chehra kheench ke ukhaadh liyaa…”aaaaaaaaaaaahh”…..ek zordaar cheekh gunziii aur ooske baad sabkuch khaamosh ho gayaa…
5 days later…
Raat ke das baj chuke they…main chaii ki chusskiyaa leta huaaa…computer par paranormal research kar raha tha…lekin akele akele dil hi nahi lag raha tha…bhoot prêt pisaach in sab ke baarein mein jaankariya nikaal raha tha…lekin koi khaas baat pata nachali…ab ye sab janne ke liye mujhe azaan sir ke paas jaana tha…main oonhein disturb nahi karta…kuch hi dino pehle as an assistant main azaan ke sath join huaa…aur ab bina aise case mile…I was feeling bored.,.pure din office mein kaam kaaj karte karte waqt guzar gayaa..upar se paranomalist ke phone calls..waise azaan sheikh kaafi important lete hai..lekin jo case oonhein lage ki challenging hai oose toh bakhubi lenge..amaliyat ke sath sath azaan sir ne kaala jadu sifli amal jaise anek cheezo ke baarien mein jaana hai..kaafi professional kisam hai jis wajah se..aaj parnormalist mein oonka naam sabse upar hai…aur as an assistant ye kisi saubhagya ki baat hongi ki ekdin main bhi oonki tarah banungaa…achanakkkk se jism siharrr sa gayaa…thand se ekdum kaanpne lagaa
Charo or dekhne laga..kamre ke charo taraf siwaaye bed table aur computer ke kuch nahi tha…lekin ye kaisi ahesaas thi…pura sharer jaise kaanpne lagaa..main kaanpta huaa chair se uth kharaa huaa computer off kiya..aur sidhe darwajaa kholaa..chrr chrr karta huaa charo or andhera..upar ka kamra jahan azaan sir ka room hai..oonke mere beech ke faasle par sidiyaa..main sidiyo se upar gayaa…darwaja knock karna mere liye nahi..darwaaje ke khulte hi
Table par moti moti kitaab ke theek saamne chair par laitaa huaa gambhir shaks koi aur nahii..azaan tha…chupchaapp baithaa gaal thodha baithaa huaa aankho mein ek chashma…mota frame wala…ek kaala shirt aur pyjama pehnaa…haath mein ek rolex ki gharii..
“kuch dair pehle koi aaya tha kya?”…..maine azaan sir ke paas baithte huye kaha….”hahaha aaya tha…ek budha shaks..ek aatma”….azaan ne muskurakar…samajh liyaa tha ki wohhh mere andar chuppi positive energies ki baat kar rahe hai..matlab mujhe kisi bhi aatma ke baarein jo awaas ho jata hai ooske baarein mein
“aatma!”…ye mere liye koi nayi bat nahi thi..lekin azaan sir ke paas koi aatma milane aaye..ye azib baat tha..mujhe aaye kuch hafte hi huye they..aur itna kuch janne ke baad shayad hi koi insabpar yakeen kare..”haan ji…barrister kishan singh aaye they..mere purane friend jab zinda they tab bhi milane aate they..aur ab marne ke baad bhi oonhein mujhse kuch kaam tha..oonka mann hai ki oonke bete oonke liye naye ghar mein hawan karaaye..woh bahut bechain ho rahe they waise wohh chale gaye hai ab darro mat”…..maine hairaani se azaan sir ki baat ko sunaaa aur oonhein muskurate dekha
“par wohh tohh aatma hai naa?”….maine hairani bhare swar mein kaha..”haan tohh”….azaan ne normally jawab diya..”arre matlab ki wohh ek aatma hai toh aapko nuksaan!”…..abhi maien kahaa hi tha…”hmmm tumhein bahut kuch seekhna parega shekhar…ye shaant aatma thi..har aatma buri nahi hoti…aatmaye teen kisma ki hoti hai..ek prêt aatma jise kehte hai insaan ki aatma ek aatma jo jaanwar ki paayi jati hai jaise sher billi kutte ki..aur ek aatma hoti haiii jo naa toh insaan kehlaati hai aur naa hi jaanwar ki..jise jinn bhoot shaitan kaa naam diya jata hai”…..azaan ki baat ko sunkar thodhi hairanai huyiii aur matlab bhi samajh gaya ki har aatma ek jaisi nahi hoti…naa darawani hoti hai aur naa hi hinsak
Azaan sir se abhi baat kar hi raha tha ki itneyy mein…azaan sir ne taash ke patte uthaaye..waise azaan sir juaa in sab ko haraam maante they..lekin oonke andar kisi bhi cheez se koi gheen nahi thi…”ye patte dekh rahe ho kabhi aag dekhaa haiii”…..azaan ki baat sunkar hassi nahi tehri haste huye kaha “hahahhaa…haan dekha haii”….maine azaan sir ki taraf dekhte huye kaha..”hmm neeli aag laal aag”…..oonke is jawaab se mujhe laga pakka wohh mujhe koi trick dikhaayenge..is excitement ke liye main hamsha tayyar rehta hoo
Kuch hi dair mein oonhone naa jaane kya kya badhbadhayaa..aur maine dekhaa teeno patte kaanpne lage…table hil nahi rahi thi par ye kaanp kaise sakthey?....kuch hi dair mein..ekdumm se chingarriii uthne lagii dhuaa nikalne lagaa aur kuch hi dair mein mere saamne teeno patto par fhunkte hi..wohh teeno laal aur neelaa jalne lage…main hairaani se aankhen fhadh fhadh kar dekh saktaa tha..azaan muskura rahe they oonhone muskurakar mere ddhyaan ko hataya aur mujhe ishare se…ek glass paani laane ko kaha
Kuch dair laal rang aur neele mein jalne ke baad…teeno patte jalkar rakh ho chuke they..maine baithkar muskurakar azaan sir ko paani diya…oosne itna kuch seekhna waaqayi kisi jaadugar se jadu sikhne ke barabar tha ye koi jaadu nahi ise kehte hai upari ilam jo inhone haasil kar rakhi thi…kisi ojhaa tantrik se nahi balki aise logo se jinke baarein mein hum jaante tak nahi…khairr kuch dair ki idhar udhar ki baat ke baad…phone baj uthaaa
Thodhey dair azaan sir ne baat ki aur achanak oonka muskurata chehra gambhir ho uthaa…main bhi oonhein hairanai se dekhne lagaa…kuch der beete hi theyyy…ki ghar ki ghanti baj uthi…jaakr darwaja khola toh paaya do constables aur ek inspector aaye they…ghani muchhh raubdaar chehra…fhula huaa jism…aur haath mein ek police ki choti laathi…”azaan sheikh hai ghar par!”…..oonhone topi utarte huye gambhir awaaz mein kaha..maine sir haan mein hilaakar oonhein andar aane ko ishara kiyaa
Ghat ghatt tez bhari awaaz se wohh fauran jald hi…azaan sir ke cabin mein daakhil huye…azaan sir ne muskurakar oonse haath milaaya..aur mera parichay diyaa…aur fhir onka parichay diya…inspector syed siddiqui
“aaiye inspector syed saahebbb kaise aana huaa? Aaj yahan?”…..aavbhagat swar mein azaan ne kahaa….”puchiye mat…kya keher gir para hai mujh par? Bahut mushkilo ke baad hi yahan aa paaya hoo”….inspector syed ke chehre par shikhar daudh aayi
“kyu aisa kya hua?”….mujhse bina bole rahaa nahi gayaa…syed ne meri taraf dekhte huye pareshaani bhari awaz mein jawaab dena shuru kara…”darasall ye dekhiyee newspaper aap khud hi jaan jaayenge”…..khatt ki awaaz ke sath newspaper ke padhte hi…main hairaan ho utha..azaan sir bhi hairaan they..lekin gambhirr
“ye sheher mein bessvi waardat hai jo oos purane qile ke taraf huyi hai…kal teen naujawan ek ladki aur do yuvak is qile ke paas gaye..aur oonhone tehkhaane ki taalash karni chahi…tehkhaanaa…aisi jagah haiii jise mughal sultanate ke badashah ne banayaa tha a basal mein wohh tehkhaana kis taraf haiii aur kahannn hai? Ye pata lagana muskhil huaa..humne kaafi koshishein ki par hum naakam rahe”……..inspector syed ki in baton ko sunte hi maano jaise kaafi chinta ki baat thi
“toh sirr aap itne bare inspector hai bhalaa aapko in kaamo mein meri kya zarurat? Main koi jasoos toh nahii…ek paranomalist expert hoo”……azaan ne hasskar kahaa…
“aap samajh nahi rahe maine kaafi taftish ki isse pehle bhi crime branches neb hi koshishein ki par koi sabut haath nahi lagaa..lekin aaj jaake ek sabut hath lagaa ek chashmadid gawaah khud jo oos tehkhaane ke andar oon dono ke sath gyaa tha natasha aur Vicky ke sath..oosne dekha ki Vicky ko kitne bedardi se oon murdo ne maar daala…aur Natasha ko oos bhayank chehre waale shaks ne kheench liyaa aur kuch puchtte tab talak…oose heartattak aachuka tha..bhayanakk cheez ko dekhne se oose dil ka daura padh gaya wohh bhaag niklaa..lekin zyada gavaahi na de saka aur mauke pe hi mar gaya”…….kuch dair ke liye inspector syed ke kehane baad khaamosh chaa si gayiii
Azaan gambhir swar meinnn sochtaa huaa…meri or dekhne laga aur fhir kisi gehri soch mein dub gayaa…”pls help me ek toh upar se dabaav..orders aur press waalo ko jawaab de dekar thak gaye hai…ab itna pressure lekar chalna bhaari par raha haiii..plss sir aap iska hal jaante hai ye koi insanai masla nahi hai..”……azaan inspector syed ki baatein gambhir se sun raha tha
“aapko nahi lagta ki ismein kisi daaku dakait yaa fhir kisi aise shaks ka haath hai jiska is zameen par nazar ho”…azaan jaante huye bhi tukka bhaidh rahe they
“bilkul bhi nahi sarkaari zameen haiii aur oos veerane mein jaayega bhi kaun? Lekin maine oos ladke ke aankho mein wohh kahuff dekhaa..kitna darr tha ooske seene mein..jise who bardaashtn a kar sakaa..zarur wohh tekhaana wohiii kahinn haiii jismein koi cheez haiii jo kaafi khatarnak hai”…….inspector syed ki baton ne azaan sir ko gambhirta mein daal diyaa
“theek haiiii aapke paas waqt hai?”…..azaan ne thodhey der chuppi saandhkar kaha..”ji bilkul”….inspector syed ne haan mein jawaab diya…”theek haiii…aaj raat 12 baje tak aapko yahi teherna haiii main saare sawaalo ka jawaab aaj hi aapko bataa dungaa”…….azaan sir ki baton ko sunkar lagne laga tha ki kuch na kuch romanchak toh zarur hai…khairr hum teeno hall mein hi baithkar raat ke 12 baje hone ka intezaar karne lage….ho ho karti hawaao ka shorr badh chukaa tha..charo taraf mombattiya jal uthi thi
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
.....Real Horror Story..... by sweet_raabii in SMS , mobile & JOKES
Raj mahal (horror story) by asif biswas in General Stories
Phir laut aayi wohh daastan...(Horror story) by asif biswas in General Stories
Khooni qila (Horror story) by asif biswas in General Stories
AAFAT - A tale of horror (Horror story) by ASIF in General Stories « 1 2  All »
asif biswas
Guest
«Reply #1 on: August 20, 2014, 02:32:27 PM »
Azaan sir…ne apne chashme ko utaarkar…sidhe baithey huye aankhen mundraakar..dhyaan lagaa rahe they…munh chal raha tha..yaani kuch kuch bolkar badhbadhaa rahe they…mombatiiyaa bahar ki khuli khidhkiyo se padhpadhaa rahi thi…oonki jalti roshni aur ek azib si mehek se kamraa pura gunz raha tha…syed sirr ekdum chupchaap gambhir tarike se azaan sir ki or dekh rahe they…
Azaan jiski kuch hi dair mein aankhennn kaanpne lagi…maano jaise koi bhayanak sapna ooske andar chal raha ho…azaan dekh raha tha…ki ek purana sa qilaa hai..charo or jungle aur veeran…azaan ko kuch hi dair mein qile ke sate oos guffa ki or nazarana milaa..jalti mashaaelin…thak thak karte huye zanjeer mein bandhe kaidi..jinke dono taraf berehem sipahi..jinhein chaabuk se maara jaa raha hai….oonki chekhen gunz rahi hai..pura gufaa chekhon se gunz raha hai…oonke jismo par asture chalaye jaa rahe hai…oonhein tezaab se nehlaaya jaa raha hai…kucho ke cheekho ki aur oonke haatho mein qil thokne ki khaufnaak drishya dekhte hai..azaan pasine pasine hokar ekdum se apni aankh kholkar kaanpne lagaa..aankhen laal ho chuki thi…
Maine azaan sir ko is haalat mein dekhte huye oonhein jald hi paani diyaa…pani peen eke baad oonhein kuch raahat si mili…oonhone gale se ek lavz nikaala “shukriya” ooske baad munh ponchte huye kuch dair tak waise hi dhyaan karte rahe..kareeb subah 1 baj chukaa tha..neend naa meri anakho mein thi aur naa hi inspector syed ki aankho mein..
“toh kya dekhaa aapne?”…..syed sir ne cigarette jalate huye kaha..
“kaafi khaufnak Keh nahi sakta…kisi bure sapne jaisa…koi kaidkhaana hai…jahan saikdo kaidi ko zanjeer mein jakadhaa huaa tha…oonehin berehem sazaaye di jaa rahi thi…oonke cheekhen dard mere kaanon mein ab bhi gunz rahi hai”…….azaan sir ne coffee ki chuskiya lete huye kaha
“dekhiye ye khoon ka maamla toh nahi hai..par hum ise bhootiya ghatna banakar bhi nahi jhutla sakte..asal mein aap wahan taftish kare aur pata lagaaye ki aakhir wajah kya hai? Ye koi aam insaan ka haath!”…..abhi syed ne kaha hi tha
“bilkul nahi…rohan ki mautt huyi kyunki oosne wohh bhayanak manzar dekhaa jo oose kabhi socha bhi naa tha.oose ka dil ka daura padh gayaa..aur marr gayaa..oosne gawaahi mein oos purane qile ka sirf zikar kiyaa…yakeenan maine jo kuch dekhaa..wohh jhoot nahi ho sakta…”…….syed ke chehre par azaan sir ki baton ka accha sadma sa laga tha
“lekin mujhe is khooni kaand ko band karna hai…aakhir kab tak aise maasumo ka qatal hota rahega? Aap mere sath chaliye taftish kijiye aapka pura help main karungaa…kanoon aapke sath hai..koi andhwishwas ki baat nahi..main sach par yakeen karta hoo…kal hi din mein hum wahan chalte hai…taftish ke liye”……syed ne muskurakmar hote huye kaha…”ok’….azaan ne muskurakar syed ko widaa kiyaa
Azaan sirr ne oos raat mujhse zyada baat nahi ki..aur apne kamre mein chale gaye…par mujhe puri raat neend kahan aati…main bhi oon khaufnaak manzar ke baarien mein sochte huye naa jaane kab neend ki aagosh mein chalaa gayaa..agle din hamare paas ek case aa chukaa tha…azaan sir ne ye case..isliye liyaa thaa taaki wohhh aur maasum zindagiyo ko in shaitano se dur kar sake…aur in shaitano ko in duniya se taaki..ye humhe koi aur nuksaan na pahuchaa sake…
Jald hi kuch hi dair mein tapati garmi ke sath…hamari gaadhi oos veeran sunsaan sadak se guzarne lagi..jo ki purane qile se ekdum nazdeek tha….wahan pahuchte hi…humhe purana qilaa dikhaa..ekdum kaala purana sa khandhar…aur ooske charo or tuti diwaarein…in haadso ke chalte yahan koi aata jata nahi tha..dur dur tak na koi basti thin a koi gaanv…oos jagah par pahuchte hi mujhe kuch aisa mehsus nahi huaa…lekin azaan sir who ekdum gambhir aankho se oos veerane ko dekh rahe they…
Jald hi hum oos tute makbare ke saamne khare they…charo or tapati garmi dhool..aur veeran junglo ke kuch nahi tha..garam hawaaye chal rahi thi…inspector syed ne aage badhte huye kaha “ye wohiii jagah haiii jahan wohh haadse huye hai gawaah ne yahi ka byaan kiya tha…aajtak humhe koi suraag na mila isliye ye case bhi aur caso ki tarah band kar diya jaayegaa…waise kanoon ki taraf se aapko taftish karne ke liye koi adhchan nahi hogi…aap apna kaam bakhubi kar sakte hai”….itna sunne ke baad..azaan sidhe makbare ki or chala gayaa..main jungle ki taraf dekhne lagaaa
Mujhe ab tak koi aisi shakti ka sanket nahi mil raha tha…jisse lage ki yahan kuch hai..sabkuch bilkul tehraaya huaa tha…par naa jaane kyu dil baar baar maqbare ki or hi jaane ko ho raha tha…jab wahan pahuchaa..toh dekhaa azaan pehle se hi taftish mein jutte they…”kuch pata chalaa?”…..”nahii”…azaan ne mere sawaal ka ek hi baar mein uttar diyaa..kuch dair dekhne ke baad…achanak se hum bahar aaye…azaan ne achanak se piche mudhkar oos or dekhaaa…”ye miitti dhassi huyi kyu hai?”….azaan ne inspector syed ki or dekhaa…”sunaa tha kabhi yahan par nadi hoya karti thi…is maqbare ke theek is orrr”….inspector syed ne kaha…”hmmm theek haiiii waise toh kuch khaas pata nahi chala…lekin yahan ki hawaaye kuch aur hi keh rahi haiii”….azaan ne syed sir ke chehre par pareshaani dekhi “waisee aap yahan par kisi ko naa aane ke liye ek board laga de..taaki koi is jagah par aaye naa”…azan sir ke baton par amal karte huye oos jagah ko no entry crime scene ka naam de diya gayaa…jis wajah se koi wahan nahi aa paaye…hum waapis gaadhi se ghar ki or pahuchey…sawaalat kaafi they aur jawaab ek bhi nahi…tohh jo amal karke azaan sir ne dekhaa tha wohh fhir kyaa tha? Lekin jab ghar pahucha toh azaan sir ne jo kaha oosse dil ekdum dhak dhak karne lagaa
“wohh jagah behad khatarnak haiii..shekhar”….azaan sir ne meri or dekhte huye kaha..”k..kaisa khatarank mujhe toh koi awaas nahi hua..lekin ek azib si ghutan thi”…..maine azaan sir ki or dekhte huye kahaa..”hmm wohii ghutan asal meinnn tehkhaana oonhi zaamen ke kisi kone par hai”……sunkar main romanchit ho uthaa…”toh aapne inspector syed ko kyu nahi bataya?”…maine sawal bhari nazro se hairaani se kaha..”hmmm abhi nahi…agar bata denge toh zaahir hai hamari protection ke liye wohh apne aadmi logo ko bheje…aur ye koi insaano ki muthbhair nahi hai…wohh zindaa shaitane hai jinhein maine dekhaa hai…aur is raaz tak ab sirf hum dono hi jaana hai…aaj raat”…..itna sunne ke baad…soch liya maine ki shekhar beta aaj khatre se takkar lene jaa rahe hai…
Kutto ki rone ki awaaz…aur chandni raat…azaan aur shekhar purane qile ke paas aaye…oonhone charo or dekhaa…charo or behad sannaataa tha…azaan puri tayyari ke sath ayaa tha…jacket pehni huyi thi daay haath se khushbu si aa rahi thi…kuch padhte padhte azaan ne mujhe saath chalne ka ishara kiyaa…main dheere dheere sehemta huaa azaan sir ke sath badhaa….aage chalte huye…mujhe ab bhi kuch mehsus nahi huaa..azaan sir ke haath mein torch mere haath mein bhiii…charo or behad andheraa chayaa huaa tha…kutto ki rone ki awaaz se dil kaanpein jaa raha tha..lekin azaan sir ke andar darr ki koi nishaani nahi dikh rahi thi…achanakkkk dhass se mera pair fisla aur main munh ke balll sidhe oos mitti pe gir para…azaan sir ne mujhe uthaayaa..”ohhh tum theek ho”….abhi kahaa hi tha ki achanak oonki nazarr…mitti par parriii..oonka bhi pair bhi dhassein jaa raha tha…oonhone mere baazu ko pakra huaa tha”dhasstii mittii..jaldi se upar chalo fauran”….waapis thoss zameen par aakar humne niche ki or dekhaa…achanakkk maine apni anakho ke saamne oos andhere gufaa ki or dekhaa..jo mitti ke theek beecho beech bani huyi thi..surang jaisi…”yahii gufaa hai jo tehkhaana ki or jaati hai”….main ekdum se cheekh kar bola…”hmmm tum bilkul sahi keh rahe ho”…azaan ne mujhe wohi par rok diyaa..mera dil dhak dhak karne lagaa…hum dheere dheere surang ke nazdeek aaye…humhe ooske andar jaana tha…pehle toh torch maarkar dekhaa…fhir azaan sir ne kuch padhkar mujhpar phoonka aur khud par bhi…hum dheere dheere gufaa ke andar chale gaye….andar jaate hiii…daayi or ek lakri ki or dekhi..wohh mashaaal thi…azaan sir ne jalaa daala.a..hum dheere dheere aage badhne lage…ab mere andarrr mujhe kuch mehsus hone lagaa..maanooo jaisi kitni garmi aur ghutan ho…khaasi bhi uth rahi thi…azaan sir ke peeche tha…azaan sir puri tayyari ke saath aaye theyyy oononhone tehkhaane ke darwaaje ko dekhaa
Oonhone pehle dheere dheere darwaaje par kaan laagaya aur fhir oos nishaan ki or dekhaa do talwaar ka nishaan…azaan kuch padhte huyee tehkhaane ka darwaja khol chukaa tha ooske khulte hi..behad andhera aur ek azib si badbu…aisi badbu jisne mujhe apne munh par rumaal rakhne par mazbur kar diyaa…azaan ne bhi munh par haath rakhte huye sidiyo ki or dekhaa aur hum niche utarne lage…kaafi band tehkhaana saatha..charo or latthad aurr murtiyaa thiii…niche pahuchte hi mashaal ki roshni mein dekhaa…itna bhayank si jagahhhh niche dekhte hi meri rooh kaanp uthi..azaan bhi thithak gaya…niche sadi huyi ek laash thi….jiska chehra nahi thaa..haath nahi thaa….ek tarafff ek jism se andar ke sabkuch cheezein bahar nikale huye theyyyy kisi aadmi ki laash thi…yakeenan ye wohi dono theyyy jinhone yahaan aane ki galti ki…
Andar pahuchte hi torchhh ne jalnaa band kar diyaa….azaan ekdum se chupp ho gayaa…raat ke 12 se upar ho chuke theyyy…ek azib si hawaaye lag rahithi…mera dil zoro se dhak dhak kar raha tha..”shekharr shayadd khatra hamare saamne aanewala haiii…tumhein kuch mehsus ho raha hai”….azaan ki baton ne mujhe sehemaa diyaa…”haann”….mere raungte khare ho gaye..itni negative energyyy mujhhhee kabhii mehsus nahi huyiii…aur wohh awaas mujhee theek tehkhaane ke daayi or se aa rahi thi..jo kaafi andhera tha..abhi do kadam aage hi chale they…ki sirhan aur bhi badh gayiii ekdum se kisi ke hone ka mehsus hone lagaa…200 saal se band is tehkhaane mein kisi ki halchal hone lagii hamari hote huye bhi kisi aur ki mazudgi..”aauuuu”….ek azib si awaaz ne hum dono ko chaunka daala…azaan thodha piche huaa…”nahiii oos taraf mat jaooo”….azaan ne mujhe oos andhere ki or badhne se rok diyaa….kuch dair hum waise hi khare rahe…thakkk thakkk…pairo ki shabd jaise kisi ne koi lakdi ka jutta pehen rakhaa ho..aur hamari taraf badh raha ho…azaan ne zoro se kuch padhna shuru kar diyaa aankhen band ho gayiiioonhone kuch padhte padhte apne haatho se phunkkaa…aur oon andhere ki gehriyaao se ek bahut azib siii cheekhh gunzz uthii”aauuaaaaaaa”…jaise kisi ko dard huaa ho ek saath aisi azib si cheekh…dil dehel uthaa…haath pao sab kaanpne lage…achanakkkk dekhtaa hoo ki ekkk lamba kad ka aadmi kubda sa chalaaa aa raha haii
Hamari taraf…ooske peeche zanjeer ki awazo ke saath…langhdahte huye paas aa rahe haii…ye insaan nahi hai…ye hai murdaa…kankaal kisi ke jismo par maans nahii chamdhaa..maano zinda murda uthkar kabar se bahar aa gaye…kisi ka haath nahiii kisi ka khoonnn dikh raha haiii kisi ki haddiyaa dikh rahi haii..koi azib si tahakaa lagake hass raha haii…ye sab dkehte huye mujhe bhaag jaane ko dil tha…lekin tabhii azaan ne zor se kaha “shekhar charrooo or mere bichaaye gatbandhi hai humhe is ghere se bahar nahi nikalnaa ye hamara kuch nahi bigaahd sakte”…..itna kehkar azaan oon shaitano ko ghurrne lagaa…oonhone phir kuch padhna shuru kar diyaa…aur ek jhatke mein fhunkte hi oonpar maano jaise aag ka gola faikaa ho
Wohh shaitaannn darwani nazroo se…hamari or aa rahe theyyy par wohii teher gaye…piche piche dekhaa tohhh ek se ye log kulmilakar 15 se 20 hone lage…mera sharer se khoon sukh gayaa aisa khaufnaak manzar dekhkar dil halak mein aane ko ho gayaa…azaan fauran ghere se bahar utar gaya…main cheekh uthaa…lekin azaan ke zehan mein kuch aur chal raha tha…oonhone fauran apne baaye haath ki kil ko phoonkte huyee ek murde ke upar chodhiii wohh sidhe ooski sar ke beecho beech jaakar lag gayaa…wohhh cheekhtaa huua wohii tadapne lagaa…ooski dard bhari cheekhen sunkar kaan phat si gayiiii ab wohh murde azaan ke paas badhne lage…azaan sidiyo se upar chadhne laga…meri haalat gambhir thi kuch samajh nahi aa rhaa tha bemaut in logo ke haatho mera bhi piche gire oon laasho ki tarah hashr hogaa..azaan sheeshe kuch paani sa nikalta huaa haath mein chutki se lekar oon murdo par chidhak deta…jisse wohh cheekhte huye piche ho jaate…oonke jismo par daraarsi aane lagi…jaise koi tezaab oon par daala jaa raha ho…”shekharrr bhaago”….main faurannn chutt para…kuch murde mere upar jaise tut pare…main cheekh uthaa…lekinnn azaan sir ki batayi spells ko padhte hiii wohh log mera aur picha na kar sake…
“ye mashaal looo…aur in par aag lagaa doo…jaldiii karooo waqtt nahiiii”…..azaan ne mujhe wohh jalti mashaal faikhte huye di…wohh shaitan kaaf ikhaufnakkk lag rahe theyyy…main kaanpte huye wohh mashaal uthaayi ek pal ke liye toh dil na maana aur upar uthne ki koshishh kii”mujhse nahi hoga ye bahut saarein haii meri taraf hi badh rahe haii ye mujhe maar denge”….main cheekhkar sidiyo pe chadhey azaan ko kaha “koshish karooo jaldiiiii”…….maine hanuman chalisa ko yaad karte huyeee…sidhe mashaal paas aa rahe oon murdo ke upar de maariii…aag ki lapatein lagte hiii wohhh tadapte huyee chataptane lage..ooska sharer jalne lage…maine kayi murdo ko aise maarna chaha..jinhone mujhe ghair liya tha..ek ke baad ek ye murde mujhse dur hone lage…ek mujhpar ekdum haavi hona chahhh raha tha…azaannn ne fauran ek ek lambiii khanjar jaisi cheez ko ooske kandhe par ghussa diyaa…”aaauuuu aaauuuaaauuuu”…..ooski dardnaak cheekho kee saath hiiiiii wohhh zameen par girkar dhuaa chodhne lagaa…aur jald hi rakah mein tabdil ho gayaa…maine baakiyo ko mashaallll se jalana chahaa….kuch hi dairr meinnn wohh sabb hawaa ki tarahh gaayab ho gaye
Main kuch dair ke liye behosh sa hokar gir para….jab hosh aaya tohhh azaan sir ne mere aankho mein paani maara…”theek ho”…azaan ne muskurakar puchaa..”haann…uffff wohhh logg kahan hai”..ekdum se uthte huye idhar udhar dekhaa..”kuch nahii haiii subah ho chuki haiiii yahan ghutan ho rahi haiii humhein nikal jaana chahiye lekin oosse pehlee…humhe in shaitano ko jadh se mitaana hoga”…..itna kehte huye azaan sir ne mujhe uthaaya…hum oos andhere ki or badheyyy…sach mein ye toh saalakhen thi…band pari kaid khaana…jahan mughal ke sultanate log in kaidiyo ko maut ke munh mein chodh dete theyyy..bhooke pyaase “asal meinn ye kaidiyo ki aatmaye thii jinhone ne berehemi se yanan dum todhaaa…aur ise tehkhaana hi banayaa gayaa khufiya tehkhaana log khazaane ki lalach mein aakar yahan apni jaan gavaa dete…yahann oonhein sirf bhookhe khoon ke pyaase shaitano se apni jaan khoni padhti khairrr ye dekhoo”…….azaan ne haddiyo ki taraf dekhte huye kahaa…mera toh waise hi buraa haal tha..haddiyo ko dekhkar zanjeer mein kaid samajh gaye ki wohiii roohein thi jinhone humpar hamla kiyaa…”shekhar yahan network nahi milega fauran inspector syed ko call karo”…..itna kehte huye maine azaan sir ki baton ka paalan kiyaa
Jald hi inspector syed apni puri police team ke sath aaya…tehkhaane ke raaz khulaa..behad haddiyaa aur kankaal mile…laashein mili gayiii…media ko iski khabar nahi di gayiii…koi in baton par yakeen nahi kar paraa tha…lekin hamare chot aur nishaan ko dekhkar oonhein yakeen karna para…fauran azaan ke kehane ke mutaabiq oon sabhi ahddiyo aur kankaalo ko ek sath jalaa diyaa gayaa…azaan ne inspector syed se kehalwar oos tehkhane ko bhi hamesha ke liye dafan karwaa diyaa…wohh gufaa bhi bare bare bare pattharo se band kar di gayiii….sabne chain ki saans li…khaaskar maineee…hum waapis purane qile se shehr aaye…purana qila ek baar fhir khaamosh aur veeran waadiyo mein kaid tha..lekin ab wahan sirf khaamoshi thi koi shaitani taqat nahii…
“hahahhaa sacch mein manna paregaa aapko..lekin kaafi jokhim baraa kaam kiya agar kuch ho jaata toh”……..inspector syed ne chaai ki chuski li..hum teeno table par baithey huye they
“baat toh aapki sahii hai…lekin filhalll mujhe is baat ki khushi haii ki wohhh raaz ab raaz hi rahegaa….darasall jahan khoon hinsa ho wahan shaitan paanpata hi haii…khairr yahan se toh mera kaam khatamm..aur aapka permission guranted”…..itna kehkar azaan hassne lagaa…ooske sath main aur inspector syed bhi
“hmmm aap dono ke bina ye kaam anhi ho paata”…..inspector syed ne muskurakar kaha
“hmmm ye saara credit shekhar ko jata hai agar ooska pair fisla nahi hota..toh oos tehkhaane ka raaz kabhi pata nahi chalta..”….main muskurakar azaan sir ki or dekhne laga oonki baton ne mujhe khushi di thi
Kuch dair baat karne ke baad…inspector syed ke jaate hi…azaan ne mujhse baatein karni shuruu ki…”chaloo ye case bhi khatam ho gaya..waisee tum darr gaye they naa hahaa”……azaan sir ab bhi hass rahe they..”baap ree naa jaane kya kya dekhne ko milega..ek pal ke liye toh mautt nazdeek thiii aisa chehraa”…….azaan ne glass mein kuch dalkar mujhe diyaa…maine sawaal bhari nighaahon se dekhaa…”pee lo darr kam ho jaayegaa…ye aave jam jam haiii”…itna kehkar muskurakar azaan apne namaz ke liye chale gayeee
Main azaan sir ko dekhta reh gaya…kaise insaan haii? Ye jinhein maut ka koi darr nahiii…lekin aaj azan sir na hote tohh main bhi zinda na hota…aur ye case bhiii khatma cho chukaa tha….shaitani roohein bhi ab shaant ho chuki thi…aur oos din ke baad koi aur haadsa oos jagah par nahi huaa…purana qile ka raaz raaz hi reh gayaa…
The end…
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 07:47:39 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.156 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer