Teri nigaahein - A short sad love story (2015)

by asif biswas on November 03, 2017, 05:42:27 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2416 times)
asif biswas
Guest
"Teri Nigaahen" meri 2015 ki valentine story contest mein peshkash rahi thi....lekin contest mein ise woh ahemiyad na mili aur ye bas contest ka ek hissa banke reh gayi  sad10

Aaj 2 saal baad yun hi searching karte waqt nigaah huyi apni purani kahani par....aur sach puchiye toh ye kahani meri contest rules ke wajaho se jaldbazi mein aadhi adhuri si jaha tak main samajhta hoo ban paayi thi....warna ye story mein bilkul jaan hoti...waise toh pyaar mohabbat jaisi kayi kisse maine likhe lekin dil ko chu dene waali aankho se aansu nikaal dene wali ye kahani ne sabke dilo pe oos waqt raaz kiya....aaj ek baar fhir rubaru kar raha hoo aap sabse meri sad love story "teri nigaahein"



this story is a fictional story...and a part of 2015's valentine contest...pls give ur full feedbacks if u like this story of mine :D
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #1 on: November 03, 2017, 05:45:28 PM »
Plane ki sit pe baitha main chupchaap bas plane ki take off ka intezaar kar raha tha…charo or log kuch toh prathana kar rahe aur kuch salihat bhare log bas apne kaam aur parivaar se milane ke liye bechain chupchaap baithe they toh koi ek dusre se hass hasske ke baat kar raha tha lekin mere chehre pe toh jaise udasi chaayi thi aaj ye sheher ye desh chodhke main dur jaa raha tha…itna dur ki shayad mujhe koi dhundh na paaye aankhen nam si ho chali thi kab plane udh chala pata bhi na chalaa tassavar tab thama jab ek air hostess kabse awaz de rahi thi sir sir karke mujhe khaane ke liye puch rahi thi…maine halka sa muskaan deke bas oose order diya..ooske jaate hi main fhir oon tassvaro mein dub gayaa…plane kitne hazaar feet ki uchaai se udh rahi thi kya pata tha sirf andhera aur dhundh dikh raha tha sheeshe se main fhir oon tassavaro mein kho sa gaya jab meri nafrat ki aag ubal uthi thi jab maine apne maa baap se yeh larrkar kaha ki ab main fhir kabhi nahi lautunga kabhi is Hindustan waapis nahi aaunga wajah kya thi kayi mazburiya thi paise ki aur oosse bhi badhkar oon insaano se oon insano ne jinse mujhe sirf taqleef mili aur nafrat

Who baat mere dil mein kadhakti oon aasmano ki bijliyo si lag rahi thi jab mere baba ne mujhe haath uthake bola“arre laanat aati hai tere jaise bete pe jo haalat ke sath samjhota nahi kar sakta hum Hindustani hai teri maa Hindustani hai ab teri soch jis jagah ki hai wahan jaane ke liye rupya kahan se launga main ek acchi dhang ki zindagi tu basar kar yah ape kya kami hai?”…..baba ke oon baton ko sunke mera dil garza aur maine oonhein ek dhakka de diya wohh sidhe piche dhakel gaye tabtalak meri maa mujhpe chilla uthi aur mere baba ke saamne khari hoke mujhe jo so kehne lagi

Maa – aaj toh tune apne baba pe haath uthayaa kal tu apni maa pe uthayega kyu? maante hai aajtak tujhe dhang ki khushi nahi di tujhe kuch de na sake par diyaa toh pyaar tujhe bachpan se dekhti aayi hoo school mein college mein har jagah teri laraai badati chaliaayi hai kabhi kisiko maarna kabhi kisi aurat pe haath uthaana kya ye sab karke tujhe accha lagta hai
Akram – who mujhe kuch bhi bole toh aapko bura nahi lagta wohh log aapke bete ko galat kahein toh aapko accha lagta hai
Maa – main nahi kehti ki tu mat ladh par teri ladhaai kaun si jayez hoti hai tune ek ladki ko itna kasske pakadhke oose jo dhamki di kya oosse tub ach pata police case hoti tere baba aur main kitna chakkar kantte bol teri inhi aadato se main tang aa chuki hoot ere baba ko heart ki problem hai socha tha hamara beta hogaa wohhh humhe sahara dega par tujhe paida karne se accha tha kit u hota hi nahiii tu jis desh ko accha kehta hai wohh hamara nahi yeh log hi hamara sahara banenge zindagi mein pyaar toh tune samjhaa nahi par dekhna ekdin jab kisi ke pyaar mein padega na tab tujhe ahesaas hoga ki dard kya hoti hai kisi pe bitti hai toh oose kaisa lagta hai chala jay aha se chala jaa
Akram – han haan jaa raha hoo (ooske baad main oos ghar se hamesha hamesha ke liye nikal gaya ek baar bhi mudhke piche na dekha)

jald hi tassavar ne jab nikala toh paaya ki ab main rome mein tha bahar nikalke airport se hi thithurti thand naye log nayi wadiya dekne laga bharat se bilkul alag desh jald hi rasul ne mujhe pick up kiya jisne mujhe maal loading kaam ke liye bulaya tha oosse dosti huyi aur fhir dosti ke badaulat is desh mein acess paaya zaruri kagazaat ladh jhagadhke banaye they one way ka ticket oonhone hi karwaya tha pehle toh dar laga ki kahin koi smuggling toh nahi tha lekin bad mein pata chala ki wohh naukri mein kam paise de raha tha aur koi romanian kam karna nahi chah raha tha kahir maine woh naukri jutaa li aur jald hi wishwas bhi maal loading ka kaam karne laga aur truck ko le jana aana yahi pesha tha ismein paise bhi mujhe bahut milane lage aur main khushi se reh rha tha bas khalti thi toh akelepan aur maa baap ki kami lekin nafrat kahan pyaar ko jeetne deti

Khair maine zindagi waise hi jeene ki koshish jaari rakhi par akelepan mein jeene kit oh aadat thi par ab kami si khatakne lagi har mard ko dekhta ek aurat ke sath sochaa chal ek chance maar par kahan kismat ek toh bhaasha kam aati upar se yaha ki ladki ka bheja bhi sarka huaa zarasi baat pe gaali dena shuru kare toh bas Hindustani mein itna interest apun ko tha nahi…bas raah chalti ladkiyo ko dekhke aankh sekh leta ya fhir kabhi kisi randi ko paise deke ooske sath sex kar leta yahi jannat thi meri dheere dheere angrezo ki aadat lagne lagi sharaab peene laga itna heavyload ka kaam kaise sambhalta ghar aate aate thak jaata ek quarte rmein chota sa room tha dekhrekh ke liye rasul aur wohh Pakistani tha aur apni hi mulk ki kisi ladki se uljha hua main ooski izndagi mein koi dhakal nahi deta tha…lekin shayd kehte hai na waqt badalte dairi nahi lagti theek wohi hua meri zindagi ke sath bhi main pyaar lavz bhul chukka tha ek din sharaab peke raat ke 10 baj rahe honge sunsaan highway ko cross karne ke baad meri gaadi sheher mein ghuss chuki thi kaam ka bhaar utar chukka tha raat bahut hone laga tha wohh tassavar ab bhi dimaag mein chaaya hua tha aur maa ki baat dimaag mein guzar rahi thi itne mein saamne jab roshni mein ek ladko raaste ke beech khara dekhaa toh chamakte huye ekdum se steering bigadha aur sidhe main pole se jaa takraayaa..woh toh accha hua ki safety stoppages khul gaye aur main jaise taise oose hatake gaadi se bahar nikala..bahar aake dekhawohh ladki giri huyi thi…meri gaadhi ka ek headlight tut gaya tha maingusse se bahar nikalkar gaadhi se sidhe oos ladki ki or badhke oose ek hi jhatke mein baazu ko pakre khara kar dalaa “hey can’t u see u just almost killed urself”….maine angrezi mein bola lekin jab ooska chehra meri or hua..toh kya kahun yaaro itni khubsurat itni haseen gori mem maine aajtak nahi dekhi thi ooske sunhere golden baal aur theek neeli aankho se girte wohh aansu jo kisi moti ki tarah farsh pe tapak rahe they mere dilo dimaag ka gussa ek pal ke liye nial gaya wohh royi surat liye kaanp uthi thi shayad oose behad zor ka jhatka lagaa tha aur upar se meri dant khair maine ooske komal baazu ko chodhte huye naram awaaz mein oosse maanfi maangi
“dekhiye royie mat main 50 ki speed se aa raha tha aur aap ekdum se road ke saamne aapko chot lag sakti thi kuch bhi ho sakta tha”….maine ooske subakte hue awaaz ko suna who nazarein jhukaaye thi ek baar bhi ozone meri or dekha tak nahi mujhe laga shayad darr gayi hongi isliye mujhe dekh nahi paa rahi
“aapki galti nahi hai galti meri hai main hi sadak dekhke nahi chal paayi wohh asal mein mera stick nahi mil raha”….ooski is baat ko sunke ekpal ko jhatka sa laga kya matlab stick? Meri nigaah theek jahan wohh giri thi oosse 2 m dur pe pari oos safed si stick pe pari…ye stick toh! Ek pal ke liye aankho mein aansu utar gaye zazbaat dil se nikalne ko ho gaye maine bina waqt gawaaye oos stick ko hataya aur jab oos ladki ke tatolte haath pe diya toh oosne ekdum se kasske stick pakadh li ooski nigaah ab bhi meri or nahi thi

Akram – aap ? (meri nigaah ooske aankho ke upar)
Ladki – ji haan main dekh nahi saktii isliye maanfi mangna chahungi
Akram – oh my god (dil ekdum se tut sa gaya jee toh kiya ki khud pe gussa nikaal loo)
Ladki – aap khud ko dosh mat dijiye hum sab se galti hoti hai lekin sabse bara cheez hoti hai wishwas isi wishwas se aajtak main

Who itna kehke muskurane lagi shayad oose apni kismat pe rona tha jise wohh is muskurahat se chupaa rahi thi isshh itni khubsurat ladki itni haseen aur khuda ne ise kitni bari sazaa di thi main bas chupchaap oose jaate huye dekh raha tha lagbhag kuch hi pal mein maine oose awaaz di
Akram – mujhe maaf kijiyega maine anab shanab aapko keh daala khair ab aapne mujhe maanf kar dala hai toh kam se kam main aapki madad kar sakta hoo I mean aap itni raat gaye yaha
Ladki – ji haalat le aaye asal mein meri flowers ki dukaan hai aur main shop band karke ghar jaa rahi thi socha taxi mil jaaye lekin aaj pata nahi kaise main road pea a gayi
Akram – aap akele itna dur ka rasta tayy karke job karti hai koi hai nahi aapka
Ladki – agar hota toh aaj mujhe is haalat mein nahi chodhta main anaath hoo
Akram – oh I am sorry (main udaas hoke jhukke ooski or dekhne laga)
Ladki – it’s ok main chali jati hoo ab ohh aapko toh maine apna naam hi nahi batayaa my name is lily
Akram – kaafi accha naam hai bytheway my names is akram shah ab jaan pehchaan ho gayi toh pls ek baar mujhe aapki madad karne ka mauka de taaki main apni galti sudhaaru galti meri hai itni speed mein gaadhi laa raha tha
Lily – arre nah nahi arre aap fhir se maanfi kyu maang rahe hai main chali jaungi
Akram – bahut raat ho gayi hai taxi nahi milengi aur jagah bhi theke nahi hai aaiye main aapko aapke ghar chodh deta hoo

Kafi nanukur ke baad oosne mujhpe wishwas kar liya…maine oose gadhi mein bithayaa aur gadhi start karke chalane lagaa is baar slow harpal ooski taraf meri nigaah padhti wohh bas ekdum chupchaap aankhe jhukaaye naa jaane kya tassavar kar rahi thi do pal ki chuppi ke baad oosne hi baton ka saweal chedha aap kya karte hai? kahan rehte hai?...lekin main toh bas chupchaap apne kiye pe sharminda aur ooske liye afsos kar raha tha…aajtak kabhi kisi aurat ko maine sidhe munh baat nahi ki harpal dur raha aurat ko sirf ayyashi ka khilona hi samjha tha par naa jaane kyu baar baar lily ki or main kheecha jaa raha tha…puri safar mein hum dono itne ghul mil gaye ki dosti bhi ho si gayi rome kit hi wohh lekin anath thi maa baap ka koi pata nahi tha orphanage mein rehne ke baad oosne ye shop kholi thi…bachpan se hi oose aankho se andhpana mila who paidaishi andhi thi aankh hone ke bawjud ooski aankho ki roshni nahi thi ooski is dastan sunke aankho se aansu gir uthey jab ye ahesaas hua toh apne aap pe hairani huyi mujhe jaise kathor aadmi ke ankho mein aansu jisne sirf logo ko hurt karna seekha ooske aankho mein aansu ooske chote se ghar mein oose drop karne ke baad maintabtak khara raha jabtak who andar nahi chali gayi…hairaani thi aadmi andha ho jaaye toh wohh zindagi chodh deta hai jeena nahi chahta par itni mazburan ke baad bhi lily samanya zindagi beeta rahi thi oos raat ghar aake puri raat oosi ka tassavar karte karte so gaya


Logged
asif biswas
Guest
«Reply #2 on: November 03, 2017, 05:46:56 PM »
Agle din fhir oosi raaste se guzarnatha..flower shop dekhke main utara aur andar aaya…door ke paas lagi bell jab baji toh oosne mujhe lagbhag janne ke liye uthna chaha…maine muskurake ooski taraf hello kaha..jab osoe meri awaaz samajh aayi toh who khilkhilake muskurane lagi hum dono kcuh dair tak waise hi hasske baatei nkarte rahe ooske dukaan mein saje phoolo ko dekhaa waah kitne sundar na jaane dil aaj kaam pe kyu nahi lagaa late bhi ho gaya tha par kya karta mann jisse mil jaaye oose dur rehna aasan nahi…ab toh roz ka yeh schedule tha mere liye ooske paas jaana dukaan mein baithke oosse baatein karna sabkuch…wohh apne aankho ka ilaaj nahi kar paa rahi thi kyunki ooske paas itne paise nahi they saare paise ghar ke kharcho mein chale jaate..main oose manata khush rakhta aur ooske sath sundar si vaadiyo ka didar karta sheher ke aaspas hill station hai waha jaake coffee peena ghumna fhirna kabhi ooske pair mein thokar lag jati ya wohh sambhal na pati toh oose sahara deke ooske haath ko pakre chalta lekin wohh koi appatti nahi jatati lekin mujhe ooski aankho ki fikar thi main oose roshni dena chahta tha maine puri mumkin se oose raazi karte huye hospital le aaya acche doctor se mila doctor ne pehle ooske aankho ki ilaaj karna shruu kiya jab reports aaye toh wohh baat behad mujhe jhatkadene jaisi thi

“Sorry akram par lily ke dono eyeballs puri tarike se kharab ho chuke hai reports ke anusaar humhe ooski aankho ko replace karna hogaa agar koi donator milta hai tabhi ooski aankhen laut aa sakti hai warnaa behad muskil hai”…..doctor ki baat sunke main maayus ho chuka tha bahut koshish ki shayad main is dubte naav ko rok saku par shayad kismat sath chodh chuki thi jab lily ne puchaa ki bat kya huyi toh maine oose yeh kehke taal diya ki ooski aankho ki roshni waapis aa jayegi wohh dekh paayi khushi ke maarein ooske oon bejaan aankho se aansu aaye aur wohh mere gale lag gayi jhoota bharosa diya tha oose taaki wohh kahin tut na jaaye lekin main bhi haar nahi maan sakta

Lily aur mera rishta dosti se e aage badh chuka tha shayad ooske liye fikarmand ooske liye itna kuch karna ye alag hi rishta ho chala tha main janta tha dil hi dil mein main oosse pyar karne laga hoo ekdin lily ne who baat kahin jo shayad oon palo mein sabse keemati pal hota hai hum dubte suraj ko dekh rahe they…tabtalak mujhe lily ka hath apne hath pe mehsus hua maine ooska haath thamte huye ooski or dekha
Lily – main nahi jaanti ki wohh nazara kitna sundar hoga lekin khambhakt sirf mehsus kar sakti hoo jaan sakti hoo par dekh nahi sakti
Akram – lily agar oon haseen wadiyo ko tum dekh nahi sakti toh kya sabera toh hamesha hota hai who khubsurat wadiya kab tumhein dekhne ko mile
Lily – main tumse ek baat kena chahti hoo main jan gayi hoo ki tumne mujhe kabhi taqleef nahi hone di har cheez ka khyal rakha kya tum sabkcuh jante huye bhi mujhse shaadi karna chahoge
main chahti hoo ki tum mujhe sirf dost tak apnaao
Akram – kyu? tummm aisa?
Lily – kyunki andhe ki zindagi mein sirf andhera aur tumhari zindagi toh abhi abhi roshni huyi hai aur mere khaatir tum apni itni haseen zindagi ko mere liye andhere mein
Akram – dekho lily aayinda aisa mazaak mat karna tum meri ho sirf meri chahe tum jaisi bhi raho ye nigahe hai na toh fhir
Lily – I am sorry lekin
Akram – maine tumse wada kiya hai jaisa bhi tum raho main tumhein apnaunga tumhari in aankho mein roshni dungaa
Lily – I love you akramm I love you

Lily mere seene se lag gayi na jaat na dharam na desh sabkuch bhulkar maine oose ab apna manane ki thaan li thi…kuch din toh bahut acche gaye..ab hamare is naye rishte mein koi kami nahi thi maine quarter chodh diya aur lily ke sath ooske ghar mein rehne maine lily ko kabhi chua nahi tha logo ne tarah tarhe ke baat banaye par lily ko meri is baat se bahut khushi thi oose mujhpe atut wishwas ho gaya tha dheere dheere meri zindagi mein unnati hone lagi main lily ke ilaaj ke liye paise jutaane laga mere paiso mein bhi badhotri hone lagi sabkuch accha jaa raha tha lekin zindagi ka yun karwat badalna mumkin nahi tha

ho ho karti hawao ka shorr charo or Ghana jungle haseen waadiya ooske baal hawa se bikhar rahe they main muskaan bhare chehre ke sath oose dekh raha tha..achanak ekdum se lily dard se chilaayi “kk.ya huaa lily ? k..kyaa huaa lily?”…maine oose girte hi sambhalaa who apne baaye aankh ko paakdke dard se bibila uthi thi maine dairi na karte huye oosi waqt oose baahon mein bhara aur gaadi ko hospital ki or modh diya

Lagbhag dedh ghante baad doctor bahar aaya….”akram I am sorry par ek buri khabar sunaani padh rahi hai aapko lily ko eyeballs mein infection ho gaya jis kaaran mujhe nahi lagta ki wohh theek ho sakti hai par par ek umeedhai ab bhi agar oose koi jald se jald koi eye donate nahi kar payatoh I am sorry she will blind forever aur yahi nahi infection agar badhtachala gaya toh jaanleva bhi ho sakta hai is case mein bahut kam hi patients ki jaan bach paayi hai”….doctor ke is baat ko sunke jo bijli mere upar gir uthi oose main puri tarike se kaanp utha doctor ne mujhe sambhala lily ko agar aankh na mil saka toh wohh nahi nahii wohh nahi mar sakti nahi wohh mujhe chodhkee nahii nahiiii

oos raat maine ghar aake khub sharab piya tez raftar mein gaadhi chalayi tension itna tha ki puri raat so na saka agle din lily ko ghar chodhke main waapis kaam mein chala gaya lily ko kuch pata nahi tha maine doctor ko kasam de di thi

jab lily ke ghar raat ko aaya toh oose dhundha par wohh mili nahi na jaane kya baat huyi thi achanak oos lifafe pe meri nazar pari..maine jab wohh lifafa uthaya toh oosmein reports thi lily ke meri pao se zameen khishk uthi oosmein saf likha tha yaani lily ne reports jaan liye ki oose ohh no achanak nigaah theek piche ke oos kaagaz pe pari..jiske padhte hi mere haath se kagaz kisi phool ki tarah udhte huye farsh pe jaa gira..saaf likha tha ki oos din doctor se meri baatcheet aur aaj in reports ko dekhne ke baad oose sab pata chal chukka tha wohh janti thi ki main ooske liye paise juta raha hoo ooski aankho ke liye wohh ye sab baat se dukhi ho gayi thi aura b mujhe chodhke hamesha hamesha ke liye mujhse dur jaa rahi thi kyunki mujhe aur taqleef mein bardasht nahi karte dekh sakti thi main bhaukla utha kahinn wohh kahinn who kuch

main bhagta hua jabtak train station aaya tabtalak train chutt chuki thi daudhte daudhte maine keval lily ko front sit pe baitha paaya maine kaafi chilaaya par shayad oose meri awaz nahi sunaai di aur train puri gati se aage badh gayi aur main chillata hua daudhta hua girke wohi baith gaya aaj mujhe lily chodhke jaachuki thi

Jald hi ghar lauta aur do din baad jo mujhe call aaya oosne mujhe puri tarike se kaanp diya lily ko bleeding shuru ho gaye they ankho se jis wajah se oose turant station ko emergency side pe rokke turant agle station se waapis isi hospital laaya gaya tha ooski haalat kafi kharab thi dairy mein mera number tha turant main hospital pahucha

Akram - aisa mat kahiye doctor meri baat suniye
Doctor ko jo maine kaha oose doctor hairan ho utha oosne kafi na nukur ke bad hami bhari

Doctor ekdum kathor chehra liya hairangi se mujhe dekh raha tha…mere nikalte aankho ke aansuyo ko dekhte huye shayad ooska mann pighal gaya…oosne sirf itna bola theek hai ”sirr sirrr” nurse daudhti huyi aayi..aur jo oosne bataya who mujhe hilaane ke liye kaaf itha doctor daudhta hua ward roo mein chala gaya lily ke aankho se khoon band nahi ho raha tha ooska infection badh chukka tha…main patthar banke chupchaap wohi teher gaya aur andar jhaanka toh haalat bigadh si gayi dono aankho se khoon gir rahe they lily ke wohh bejaan kanp rahi thi basmera naam liye jaa rahi thi aajtak kisi ke liye maine aansu nahi bahaye kabhi bhi pyaar ko nahi samjha par aaj jaake mujhe sabkuch pe ahesaas hone laga maa ki wohh baat yaad aa gayi jab oonhone kaha tha ki jab pyaar hoga tohh tujhe sab samajh aa jaayega oon baat ko yad karke main allah se dua karne laga

Uhhh haaan haann bas basss bass okkk dheere dheere apni aankhe kholo haan great…doctor ne lily ke aankho se patti hataa di thi…lily dhundhli nighaaho se pehle dekhi aur fhir oose sab saaf nazar aane laga lily ekdum se khushi ke maarein apne aankho pe haath rakhne lagi…doctor muskurayaa
Doctor – well done excellent aakhikaar operation successful raha ab tum dekh sakti ho
Lily – main aapka ye ahesan zindagi pr nahi bhul saktii ohh myy ye sab akram ki wajah se hua hai naa kahan hai akram kya wohh aayaa?
Doctor – ummwohh darasall
Lily – kya hua sir? Aap kuch batate kyu nahiii
Doctor – dekho haalat kea age kiskazor chalta hai main jo kehnewala hoo oose
Lily – mujhe akram se milana hai kahan hai akram kahan hai plss doctor plss bataiye na wohh kahan hai ?

Doctor ne fhir kuch nahi kaha oose dheere dheere uthaake khara kiyaa…fhir oos darwaaje ke khulte hi doctor lily ko leke andar aaya…lily ekdum patthar si ban chuki thi ooski aankhe teher si gayiii…aur oosne kaanpte huye oos safed kapre ko jaise hataya bijali si gir uthi thi oospe ekdum cheekh uthi wohhh aur ooske baad betasha aansu chodhey oosne doctor ko oose sambhalna para…saamne meri laash pari huyi thi mere dono aankho pe patti lagi thi….lily ekdum kaanpte huye mere seene se lag gayii wohh mere bejaan jism ko chodh nahi rahi thi

Doctor - darasal oosne zidd pakadh lit hi ki tumhein wohh aankho ki roshni deke rahega oosne pyaar ke khaatir tumhein tumhare liye apni aankhe dedi humne oose bachaane ki koshish ki par excess bleeding ki wajah se hum oose bacha na sake oosne marte marte yahi kaha ki wohh tumhein khush dekhna chahta hai chahta hai kit um oon haseen waadiyo ko dekho oos zindagi ko ani aakho se dekho jo behad khubsurat hai aajtak maine aisa pyaar karne wala nahi dekha jo jaanbhuj ke maut chunke kisi ko zindagi de sakta hai oosne bina kuch kahein certificates pe bhi sign kar diye oosne tumhein aankhen de di
(lagbhag aankho se aansu pochte huye)

Doctor – bas yahi kaha ki kam se kam mere marne ke baad wohh jee toh paayegi dekh toh sakegii (doctor ke fhir aankhen laal ho uthi)

Patthar si ban gayi aur ek ek baat akram ki yaad karne lagi oosi pal hi ooska jism bejaan hua aur wohh behosh ho uthi meri laash morgue roo mein theek oos strectcher pe waisi hi padi huyi thi 2 din baad suraj ko dekhte huye lily theek oosi paahadh pe khari thi jahan main oose dubtasuraj dikhaane le gaya tha wohi haseen wadi jise who ab dekh sakti hti par aaj who akeli thi ooske aankho se ansu chalak uthe woh pal yaad karne lagi jo maine ooske sath bitaye they

Lily – maana tum mere sath nahi ho par tumhari ye aankhen harpal hamare pyaar ka nazrana dikhaati rahengi ye nishaani hai tumhari...main tumehin kabhi nahi bhulungi kabhi nahi (dubte suraj ke sath hi tez raftaar pakde gadi liye lily waapis sheher chali gayi)

The end…
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 03:58:33 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.165 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer