Thoda pyar thodi Bewafai part1

by Vk9554 on March 08, 2013, 12:50:16 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2378 times)
Vk9554
Guest
HI
   MAI VIJAY RATAN LEKER AYA HU EK DIL KO CHHOO JANE WALI KAHANI THODA PYAR THODHI BEWAFAI PART1 -

Sham ko mai kareeb 4 baje college se lauta.
Hath pair dhula aur mammi se bola-Mammi lao jaldi kuch nasta vagairah do dosto ke sath cricket khelne jana hai.
Mammi almari se kuch fal aur mithai se bhari ek plate nikali aur mujhe dekar pani lane chali gayi.Aur mammi jab pani lekar ayi to mai bare chav se plate khali kar rha tha.

Mammi pani ka gilas mej per rakhte hue boli aj Anjali ki sagai thi.

"Anjali ki sagai" mammi ke muh se itna sunte hi mere pairo tale se zameen khisak gayi,mere hath se kab plate giri aur choor choor ho gayi mammi ne kya kya kaha, kaha ki nahi kaha mujhe kuch nahi pata.

Anjali mere chhathi(छठी) ke din paida hui thi yani bas 6 din ki chhoti thi mujhse.
shayad pichhle janam me hum dono saato janam sath rahne ki kasme khayi thi tabhi to is janam me bhi sath aaye the, anter tha to bas 6 din ka.

is 6 din me bhi raz tha.Kahte hain n ki fala(फला) Cheez to mere chhathi(छठी) me padi hai mai isko bhala kaise chhod sakta hun. Theek usi prakar Anjali mere chhathi me padi thi...

Anjali ka ghar mere ganv(village) me hi tha.
hum dono bachpan me ek achchhe dost ki tarah sath rahe,khele,sath sath school gaye aur ek sath bare hue
hum dono kafi ghule mile the hum jab bhi sath nahi hote to aisa lagta ki mera kuch kho gaya hai,mai adhoora sa ho gaya hu
hum dono ki sharir to do thi lekin shayad jan ek hi thi...

Jab kabhi Anjali apne riste me kisi ke yaha chali jati to mera ek ek pal ek ek din ki tarah beetate the.
aur shayad uska bhi......
Tabhi to bahut jaldi hi  Vapas a jati thi.

Ek din hum dono shatranj khel rhe the jane kb hum dono ek dusare ki ankho me dekhane lage...
Ab nazar n jhukate ban raha tha aur n hi milate, humari ankhe apas me bate kar rahi thi shayad ye ankhe ek dusare se I LOVE YOU aur I LOVE YOU TOO kah rahi thi .
jane kab Anjali ka chota bhai Aman aya aur hum dono ke bich se shatranj lekar chala gaya aur hume pata hi nahi chala
satranj per meri pari thi Anjali ne pari khelne ko kaha aur jab khelne ke liye nazar jhukaya to paya ki shatranj hi nahi tha...
Hum dono ko shayad ab bakhoobi pata chal gaya tha ki hum dono dosti ka rista ab khatm ho gaya tha aur uske jagah ek naya rista panap gaya tha
aisa rista jisko duniya pyar kahti hai....

KYA ANJALI  AUR MERA PYAR SHADI ME BADLTA HAI YA ANJALI KI SADI KISI AUR KE SATH HO JATI HAI?
PADHIYE AGLE BHAG ME


.......VIJAY RATAN
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #1 on: March 08, 2013, 12:59:05 PM »
gud,,,,,
Logged
aqsh
Guest
«Reply #2 on: March 08, 2013, 01:18:24 PM »
Very goooood...
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 17 hours and 51 minutes.
Posts: 18610
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #3 on: March 08, 2013, 01:24:08 PM »
wait for next part
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #4 on: March 09, 2013, 10:07:10 AM »
good
Logged
Aarish
Guest
«Reply #5 on: March 10, 2013, 09:19:47 AM »
bhai aage to likho
Logged
anmolarora
Guest
«Reply #6 on: March 10, 2013, 01:34:35 PM »
gud
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:17:00 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer