Thoda pyar thodi bewafai part2

by Vk9554 on March 10, 2013, 12:05:49 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1894 times)
Vk9554
Guest
Hi
Mai Vijay Ratan ek bar fir se hazir hu kahani-'Thoda pyar thodi bewafai' ka 2nd part lekar..
Pichhale bhag me ap ne padha ki mai aur Anjali dono ek hi gav me paida hue sath rahe sath khele aur sath-sath school gaye aur ek din hum dono ka dosti ka rista pyar me badal gaya tha
aur ek din aisa bhi aya jab mujhe pata chala ki Anjali ki shagai ho gayi.

Aieye apko batate hain isase age ki kahani-


Us din jab mujhako pata chala ki Anjali ki sagai ho gayi to mere sare sapne aise choor choor ho gaye jaise kanch ka mahal
ji ha kanch ka mahal,
jis tarah kanch ka mahal bahut khoobsurat hota hai lekin tutane ke bad uska koi mahatva nahi rah jata
Theek usi tarah mere sapne bhi pahle to bahut khoobsurat the lekin ab unka koi mahatva nahi rah gaya tha.

Mujhko Anjali se jo ho gaya tha uska nam pyar tha, ji ha wahi pyar jo sunane me to bahut pyara kagta hai lekin iski rasme tedhi kheer hoti hai, jisko nibhana bada muskil hota hai,
wahi pyar jisne na jane kitno ki jan liya hai, jane kitno ka katla kiya hai
isi pyar ne kitno ki hasti mita di
na puchho kin kin logo ki jindagi ko nark bana ke rakh diya
kayiyo ki khushiyo me aag laga diya aur na jane kitno ko jindagi bhar tarpate rahne ka uphar diya hai..

Isme pyar ki koi galti nahi hai kyonki pyar ye sab khud nahi karta hai usase karvaya jata hai aur pyar se ye sab karwane wala hota hai wakt! ji ha wakt,    wakt bada katil, bada beraham aur bahut hi kroor hota hai,
jisko chahta hai hasata hai jisko chahta hai rulata hai
yahi wakt jisko chahta hai khushiyo ka khajana lutata hai aur jisko chahta hai tooti footi khushiyo ke liye tarsa deta hai.

Wakt mere sath bhi shayad khel khelne ja raha tha,meri khushiyo me ag lagane ja raha tha
mere pyar ka katla karne ja raha tha,
wakt meri Anjali ko mujhse alag karne ja raha tha!!!

Us din mai kricket khelne nahi gaya, rat ko neend nahi ayi sari rat jagta raha, Anjali ke sath bitaye purane din yad karta raha kabhi kisi bat ko soch kar ek pal ke liye hasi ati to uske dusare pal ankhe bhar jati kisi tarah se rat bitaya,subah ka intjar tha
Mere ghar ke samne mandir tha Anjali roj jal chadhane yaha ati to kuch der mere ghar rukti thi maine socha tha ki jab Anjali ayegi to usase puchhenge
ki kyo usne aisa kiya jabki usko bhi pata tha ki mai uske bina nahi rah paunga wo janti thi ki wo meri sanso me basi hai fir bhi usane mera sath chhodne ka nirnay kyu liya.
Kisi tarah rat beeti subah ho gayi
subah hui ghanta do ghanta din bhi beet gaya lekin Anjali dikhi nahi
intjar karte karte dopaher ho gaya lekin
Anjali ka abhi tak kuchh pata nahi
Bad me pata chala ki Anjali to apne mammi papa ke sath subah lagbhag 4 baje hi delhi chali gayi
aur ek mahine ya 15 din rah jayenge tab ayegi...

Mai bahut bhala bura socha,kaisi ladki hai ek bar bataya bhi nahi ki wo kisi aur ki duniya basane ja rahi hai.
Badi mushkil se gin gin ke ek-ek din beetata gaya aur ant me wo din aa hi gaya,
pata chala ki Anjali a gayi hai.
Mai uske ghar milne gaya Anjali to mili lekin apne mammi papa ke sath
maine uncle aur anti ka pair chhua aur anjali se hath milaya
na jane kyu mujhe laga ki yeh hath Anjali ka nahi hai isme wo pyar nahi,wo apnapan nahi  jo Anjali ke hath me hua karta tha
kya Anjali ab mujhse pyar nahi karti,kya uske dil me ab mere liye koi jagah nahi thi
mai waha khada hokar sochta raha, aur kuch der Anjali se ekant me milne ka intjar karta raha aur fir vapas ghar chala aya,

Roj bhagwan se prarthana karta ki Anjali kahin mile lekin  ek-ek din beetata gaya aur Anjali kabhi nahi mili...


KYA ANJALI FIR SE MERE JINDAGI ME ATI HAI YA HAMESHA KE LIYE KISI AUR KI HO JATI HAI
BATAUNGA ISKE AGLE BHAG ME
BAS PADHTE RAHIYE DARD BHARI KAHANI-
"THODA PYAR THODI BEWAFAI''
written by me
 

    Thank you

.....VIJAY RATAN
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: March 10, 2013, 01:22:47 PM »
 icon_flower icon_flower
Logged
aqsh
Guest
«Reply #2 on: March 10, 2013, 04:31:55 PM »
nice reading it....achcha likha hai aapne. aage bhi jaldi hi post kijiyega.
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #3 on: March 10, 2013, 05:53:16 PM »
very nice
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 05:50:16 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.091 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer