TWO SISTER -(suspence Story)by Vargis khan

by vampi khan on January 27, 2015, 09:52:00 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 18878 times)
vampi khan
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
12 hours and 38 minutes.

Jaan kar kya karo ge ???

Posts: 180
Member Since: Dec 2014


View Profile
Chapter 1 - Saloni




Vo ek normal sa din tha, par mujhe koi idea nahi tha ke us din se mere liye museebaton ka ek aisa silsila shuru hone wala tha jiska andaza main shayad khwaab mein bhi nahi laga sakta tha.


Agar mujhe zara bhi pata hota ke aane wale dino mein mere saath kya hone wala hai toh shayad main us din subah sokar uthta hi nahi ya uthte hi kahin bhaag jata. Chhutti par chala jata, kahin ghoomne nikal jata, bhale hi tirath yatra par chala jata par shehar se nikal jata. Par maine aisa kuchh nahi kiya. Vo ek aam sa din tha aur maine vahi kiya jo main ek aam se din mein karta tha.


Apna boss khud hone ka sabse bada fayda ye hota hai ke you are not answerable to anyone. Jo karna hai aapne karna hai. Koi puchhne wala nahi, koi batane wala nahi. Jab marzi mein aaye utho, jab dil kare so jao. Jab chaho kaam par jao aur jab mood na bane tab mat jao.


Kehne ka matlab ye ke mere 9 baje sokar uthne ki vajah sirf yahi thi ke main apna boss khud tha.


Aur us din toh had ho gayi thi. Maine aankh kholkar ek nigah ghadi par daali toh subah ke 10 baj rahe the.

"Uth ja mohan pyaare" Apne aap se kehta hua main bistar par uth betha.


Saamne deewar par lage poster par bada bada likha tha,

"You wont get rich sitting here all day"


Vo poster maine ye soch kar lagaya tha ke shayad vo mujhe motivate karega. Jab main aalas mein betha time paas karunga toh mujhe yaad dilayega ke mujhe kaam karna chahiye kyunki mujhe zindagi mein ameer hona hai. Ek bada sa ghar kharidna hai, ek lambi si gaadi leni hai. Bank balance itna badha dena hai ke Bank bhi balance na kar paaye.


Par nahi, aisa kuchh bhi nahi ho raha tha. Na toh main ameer ho raha tha aur na hi vo poster mujhe motivate kar pa raha tha.


"Yeah i know. I am not getting rich anyways so doesnt matter" Khud se kehta hua main bed se utha aur bathroom ki taraf badha.


Cell phone mein 10 missed calls thi par maine uth kar dekhne ki zaroorat nahi samjhi. Janta tha ke missed calls kiski thi.


Routine ke mutaabik stove par chaai rakhi aur music system on kar diya. Kamra Rafi sahab ki meethi aawaz se goonj utha.

Khoya khoya chand, khula aasman ......

Unki sur mein apni besuri aawaz milata main sofe par beth gaya aur ek cigrette jalayi.

Mera maanna tha ke Hindustan mein 3 hi singers aise hue jinki na koi barabari kar paya aur na hi koi unse aage nikal paya. Ek Rafi Sahab, Ek lata Mangeshkar aur teesre Kishore Da. Mere poore music collection mein 70% songs sirf in 3 singers ke hi the.


Sofe par betha chaai banne ka intezaar karte hue main cigarette ke kash laga hi raha tha ke darwaze ki ghanti baji.


Kaash mujhe pata hota ke darwaza kholne par mere saath kya hone wala hai toh main darwaza kholta hi nahi. Saara din balki aane wale 7 din aur kamre mein hi band betha rehta par darwaza bilkul nahi kholta. Par nahi, maine darwaza khola. Poora khola.

"Aditya? Aditya Sharma?"
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
-:::: huma my sweet sister ::::-- by fakharenaveed in Shayri for Khumar -e- Ishq
true story-don't doubt on luv-by sonya khan.. by romiAhmed in Inspirational Stories and real life Incidences.
~~~...SiStEr...~~~ by Tosha in English « 1 2  All »
HAPPY SISTER'S DAY !! by Pooja in Chit - Chat & General Discussion
Sister can you know by fatimiya in Share English Poetry!
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: January 27, 2015, 10:32:38 AM »
 Clapping Smiley
Logged
vampi khan
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
12 hours and 38 minutes.

Jaan kar kya karo ge ???

Posts: 180
Member Since: Dec 2014


View Profile
«Reply #2 on: January 27, 2015, 08:55:13 PM »
Vo koi 25 se 30 saal ke beech ki, aam si dikhne wali ladki thi. Halka sawla rang, medium kad kaathi, lambe baal.


"Ji haan" Maine jawab diya. "Kahiye?"

"Ji mera naam Saloni hai, kya main aapse thodi der baat kar sakti hoon?"


Mujhe mana kar dena chahiye tha, apne kaano par haath rakh lene chahiye the, munh pher kar darwaza band kar dena chahiye tha par nahi, maine aisa kuchh nahi kiya.


"Ji zaroor. Kahiye" Maine jawab diya.

"Kya main andar aa sakti hoon?"

"Sure, Please" Darwaze se hatkar side hote hue maine jagah banayi aur vo andar aa gayi.

"Bethiye" Maine couch ki taraf ishara karte hue kaha "Chaai lengi aap?"

"Ji nahi thanks" Usne muskurate hue kaha.

"Its no problem" Main kitchen ki taraf badhte hue bola "Maine stove par rakhi hui hai, ban hi gayi hogi"


2 cups mein chaai dalkar main vaapis living room mein aaya. Ek cup use diya aur doosra cup lekar khud uske saamne beth gaya.

"Kahiye"

"Ji aapke baare mein Internet par padha. Aapke office gayi thi, kaafi intezaar kiya par vo band tha. Internet se hi aapke ghar ka bhi address mil gaya tha toh yahan chali aayi"

"Office band tha?" Maine dil hi dil mein socha. Nisha toh subah 9 baje tak office pahunch jaati hai.

"I hope its not a problem" Uski aawaz se mera dhyaan toota "Ke main yahan aapke ghar aise chali aayi"

"Nahi koi baat nahi" Nisha aur office ki taraf se dhyaan hatate hue main bola "Kahiye main aapke liye kya kar sakta hoon?"

"Ji vo maine internet par hi padha tha ke aap missing logon ko dhoondhne mein madad karte hain?"

"Ji haan meri ek chhoti si agency hai aur ham missing person mein deal karte hain" Maine kaha.

"Good, then maybe you can help me too. Meri behen lapata hai aur main use dhoondhne ki koshish kar rahi hoon. Ky aaap meri madad kar sakte hain?"
Logged
vampi khan
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
12 hours and 38 minutes.

Jaan kar kya karo ge ???

Posts: 180
Member Since: Dec 2014


View Profile
«Reply #3 on: January 27, 2015, 08:57:51 PM »
Aap police ke paas yun nahi gayi? Ya gayi thi?" Maine sawalon ka silsila jaari rakha.

"Gayi thi. Kal FIR darj karayi maine"Usne jawab diya.

"Phir bhi aap yahan mere saamne bethi hain. Is baat ka matlab main ye nikalun ke aapko police par bharosa nahi ya aap apni behen se behad mohabbat karti hain aur uski talash mein you dont wanna leave any stone unturned?"

"Dono" Usna mere lambe se sawal ka chhota sa jawab diya.

"Hmmm" Maine sochte hue phir cigarette jalayi "Ye toh hue basics. I will need some more details"

"Jaise ke?" Usne phir dupatta theek kiya, meri nazar phir lalchayi par is baar kismet ne saath nahi diya.

"Jaise ke vo kahan kaam karti thi, kahan rehti thi, uske dost kaun kaun the vagerah vagerah"

"Uske doston ke baare mein toh main nahi jaanti, kabhi usne bataya hi nahi. Kahan kaam karti thi main ye bhi nahi jaanti kyunki usne sirf itna bataya tha ke kisi private office mein assistant ki job karti hai. Par haan, main ye jaanti hoon ke vo kahan rehti hai aur shayad usse hi aapko aapke pehle do sawalon ke jawab bhi mil jaayen" Vo boli.

"Matlab?" Main uski baat ka matlab samajh toh gaya tha par phir bhi uske munh se sunne ke liye sawal puchh dala.

"I mean vo ek ladies hostel mein rehti thi, you know what i mean?. Working women hostel. Paying guest type, outstation auraton ke liye"

"Haan main samajh gaya" Maine jawab diya "Vahan saath rehne wali ladkiyon ko shayad pata ho ke vo kahan kaam karti thi"

"Yep aur uske doston ke baare mein bhi vo ladkiyan bata sakti hain. Balki vo ladkiyan sab uski dost hi hongi"

"Yep. True. We can ask them" Maine kaha.

"Toh kya main ise aapki haan samjhun?" Usne vo sawal puchha jiska jawab mujhe na mein dena tha par aisa hua nahi.


Case dekhne mein bahut simple lag raha tha. Ek outstation ladki jo Mumbai mein rehti thi, kaam karti thi pichhle ek mahine se gayab hai. Ye koi nayi baat nahi thi. Aisa toh Mumbai aur Mumbai hi kya Hindustan ke har shehar mein roz-marra ki si baat hai. Log aksar kho jaate hain. Kabhi kabhi vo milte hain aur kabhi kabhi unki laash aur kabhi kabhi dono mein se kuchh bhi nahi.


Aise cases mein pehle bhi handle kar chuka tha. Log khote hain toh 2 hi suraten nikalti hain. Ya toh vo apni marzi se gayab hain ya apni marzi ke khilaff. Agar marzi se gayab hote hain toh aksar mil jaate hain aur phir mera kaam khatam ho jata hai. Vo kyun gayab hue, kya vajah thi ye unki aur unke gharwalo ki sardardi hoti hai, isse mera kuchh lena dena nahi.


Haan agar apni marzi ke khilaff gayab hon toh ismein bhi 2 suraten nikalti hain. Ya toh vo agva yaani ke kidnap hue ya phir unke saath kuchh anhoni hui. Agar kidnap huen toh aksar ransom call aa jaati hai aur mamla sulat jata hai. Ya toh insaan ghar aa jata hai ya uski laash ka pata mil jata hai. Agar anhoni hui ho toh bhi der sawer pata lag hi jata hai.


Case ek ladki ka tha aur mujhe shuru mein hi andaza ho gaya tha ke kya hua hoga. Agar paise ke liye kidnap hui hoti toh ab tak ransom call aa jaani chahiye thi par aisa hua nahi. Aur uski behen ko dekh kar ye andaza ho hi raha tha ke vo koi bahut ameer gharane ki ladki nahi thi toh ye option toh maine shuru mein hi rule out kar diya tha.


Yaani option number 2 jo ki hamare desh mein ladkiyon ke gayab hone ki sabse badi vajah hoti hai. Aise ayyash kism ke log jo apni tharak mitane ke liye rape ki hadh tak chale jaayen, aise logon ki hamare desh mein koi kami nahi. Ladki ko uthana, uske saath zabardasti karna aur phir kahin use ya uski body ko dump kar dena inke liye koi badi baat nahi hoti aur yahi possibility mujhe is case mein bhi lag rahi thi.


Kisi ne use kidnap kiya, uska rape kiya, aur kyunki ek mahine se uska koi pata nahi toh ye mana ja sakta tha ke rape ke baad uski jaan li aur ab uski laash kahin kisi naale mein padi sad rahi hogi. Aakhri andaza maine is baat se lagaya ke uske ghar par ab tak uski maut ki khabar nahi gayi thi toh isliye agar uski jaan li gayi hai aur kisi ko uska pata nahi toh matlab ke laash bhi ab tak mili nahi.


Kul milakar case aasan lag raha tha. Mujhe laga ke main pehle bhi aise cases mein deal kar chuka hoon toh koi badi baat nahi hai.


"Theek hai i will take the case. Aap aaj shaam ko mere office aa jaiyega, kuchh papers vagerah sign karne ke liye aur meri fees vagerah discuss karne ke liye.Baaki ki details bhi main aapse tab hi le loonga"

"Great" Vo ekdam se khush ho uthi aur tab pehli baar mera dhyaan uski badi badi chhatiyon se hatkar uski aankhon ki taraf gaya. Kuchh ajeeb si baat thi uski aankhon mein, ek ajeeb si kashish"

"Aur haan, shaam ko aate hue apni behen ki ek tasveer please le aaiyega"

"Vo toh abhi hai hamare paas" Usne apne bag mein haath dala aur ek photo nikal kar meri taraf badhayi. Maine tasveer apne haath mein li aur ek nazar daali.

"Ye toh aapki photo hai" Maine uski taraf dekhte hue kaha. Photo mein jo ladki thi aur mere saamne jo ladki bethi thi vo hubahu ek hi thi, sivaay kapdon ke.

"Nahi vo meri behen hi hai. Ham judva hain. Shakal soorat ekdam 100%
 
continue. ...
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #4 on: January 27, 2015, 09:08:46 PM »
bahut khoob. Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
vampi khan
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
12 hours and 38 minutes.

Jaan kar kya karo ge ???

Posts: 180
Member Since: Dec 2014


View Profile
«Reply #5 on: January 27, 2015, 09:11:19 PM »
Thanks bhai umeed karta hoon aap sab ko ye story be hadd pasand aaye gi
Logged
vampi khan
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
12 hours and 38 minutes.

Jaan kar kya karo ge ???

Posts: 180
Member Since: Dec 2014


View Profile
«Reply #6 on: January 29, 2015, 05:11:01 AM »
Saloni ke jaane ke baad maine kayi baar Nisha ko phone karne ki koshi ki, ye jaanne ke liye ke office band kyun tha par uska phone mujhe sara din not reachable hi mila. Shaam ko main khud office pahuncha toh Saloni bahar khadi mili. Aur ummeed ke khilaff, mujhe mera office ab bhi band mila.


"I am sorry main zara traffic mein phans gaya tha isliye thoda late ho gaya" Main use dekhte hue muskuraya aur jeb se office ki chaabhi nikali.

"Nahi its ok" Vo bhi jawab mein muskurayi "Par i thought aapne kaha tha ki aapki ek assistant bhi hai jo office sambhalti hai?"

Office ka darwaza khol kar ham log andar aaye.

"Ji haan hai toh par pata nahi aaj kahan reh gayi. Usually aisa hota nahi hai ke office band ho. Ya toh vo hoti hai aur agar vo chhutti par ho toh main office mein hota hoon. Par aaj ham dono hi gayab the"
Kehkar main halke se hasa aur office ki sab lights on karke ek chair par Saloni ko bethne ka ishara kiya.

"You know i cant thank you enough for taking up my case. Police par mujhe vaise hi mujhe bilkul bharosa nahi" Vo table ke doosri taraf mere saamne bethkar boli.

"Its no problem, mera toh kaam hi yahi hai" Kehte hue maine A.C on kiya "But before we do that, i think its better than we run through a few things first and then you can make up your mind"

"Yeah sure" Usne apne purse table par ek side kiya aur khisak kar apne dono haath table par rakhti hui thodi aage ko ho gayi. Vo ab bhi unhi kapdo mein jin mein vo subah mere ghar aayi thi.

"Good, first things first. kuchh baatein shuru mein hi clear ho jaayen toh better rehta hai"

"I agree" Vo muskurate hue boli.

"Dekhiye main koi policewala nahi hoon aur na hi James Bond ya Sherlock Holmes. Main sirf ek aisa banda hoon jisne bachpan mein bahut saari jaasoosi kahaniyan padh li aur uske nateeja ye nikla ke maine isi ko apna profession chun liya."

"I guess you are lucky in a way ke aapke apne shauk ko hi apna kaam bana liya"

"Yeah i guess you can say that but again, main jasoos hoon nahi. Sirf khoye hue logon ko dhoondhne ki koshish karta hoon. Aur koshish shabd par maine isliye zor diya kyunki 100% success ki guarantee main nahi de sakta. Main koshish karunga par aapki behen ko dhoondh hi loonga, is baat ki guarantee main nahi de sakta. I hope we are clear on that aspect"

"Crystal" Usne jawab diya.

"Doosri baat. Agar main aapki behen ko dhoondh bhi loon, toh vo aapke liye ek khush khabri hi hogi, is baat ki guarantee bhi main nahi de sakta" Maine apne drawer mein rakhe cigarette packet ko nikalte hue kaha.

"Main samjhi nahi"

"Dekhiye aapki behen ek mahine se lapata hai. Kahan hai, kaisi hai, uspar kya guzri, what she went through, ye koi nahi janta. Ye bhi ho sakta hai ke ....." Main keh hi raha tha ke usne meri baat kaat di.

"Ke vo mar chuki ho, zinda hi na ho aur aapko uski jagah uski maut ki khabar ya uski laash mile"

"Right" Maine kaha.

"Understood" Usne pehle ki tarah hi jawab diya par ab vo muskura nahi rahi thi.

"Ok. That brings us to the third point. My fee. Main ek standard per week base par charge karta hoon aur meri fees ke alawa is case mein jitna kharcha aur hoga, vo sab aapko pay karna hoga"

"Jaise ke?"

"Jaise ke kai cases mujhe ek shehar se doosre shehar le jaate hain toh un cases mein flight tickets, hotel bills etc etc. Kai baar logon ko pay off karna padta hai, rishwat you know. Ye sab kharche."

"All right" Main ummeed kar raha tha ke vo shayad is baat par thoda rukegi, sochegi par usne kuchh nahi kaha aur meri haan mein haan mila di.

"Good, then that birngs us to the final point and thats my fee and paper work" Kehte hue maine ek drawer se ek file nikali.

Agle 15 minute ham kaagzi karyavahi mein lage rahe. Maine usse kuchh forms sign karvaye aur uski behen ki ek passpot size tasveer lekar apne purse mein rakh li. Meri fees sun kar vo ek pal ke liye thodi jhijhki thi par phir usne apne purse se ek cheque book nikal kar meri kahi gayi amount usmein bhar di.

Uske jaane ke baad maine ek cigarette nikali aur case ke baare mein betha sochne laga. Amooman taur par main ek waqt par 2 se zyada cases handle nahi karta magar is waqt mere paas vaise hi koi client nahi tha balki pichhle ek mahine se nahi tha toh main apna poora waqt is ek case ko de sakta tha.

Nisha ka number maine ek baar phir milaya par cell not reachable hi mila. Maine office se bahar nikal kar gate lock kiya aur apni purani Maruti 800 mein beth kar paas hi apne pasand ke ek pub ki aur chal pada.
Logged
vampi khan
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
12 hours and 38 minutes.

Jaan kar kya karo ge ???

Posts: 180
Member Since: Dec 2014


View Profile
«Reply #7 on: January 29, 2015, 05:13:35 AM »
Chapter 2 - Sharafat Bar


Jab main pehli baar Sharafat Bar aaya toh naam dekh kar meri hasi chhut gayi thi.

Ye Mumbai ka ek typical bar tha jahan Auto Driver se lekar bigde raees-zaade tak sab milte the. Andar ghuste hi saamne ek hall mein tables aur chairs lagi hui thi jinpar bethe log sharab pi rahe hote the. Hall ke beech mein ek stage type gol sa platform bana hua tha jispar kuchh ladkiyan dance karti milti thi. Dance kya karti thi bas ek kamar ke kaafi neeche bandha hua lehenga aur bade gale ki tight si choli pehni hue apne jism ko aise hi hilati rehti thi. Shayad vo bhi jaanti thi ke yahan unka dance koi nahi dekh raha, bas unka jism hi dekh rahe hain.

Hall ke ek taraf Bar bana hua tha jahan se sharab serve ki jaati thi. Jo bhi order hota, ek ladki jisne ki dance karne wali ladkiyon ke jaise hi kapde pehne hote the, tray mein sharab lekar table tak pahunchati.

Pure hall mein aur khaas taur se dance floor pe paas kuchh ladke ghoomte rehte the. Kehne ko vo sab bouncers the par ek bouncer jaisi unmein koi baat nahi hoti thi. Kuchh toh itne duble patle ke hawa ke jhoke ke saath ud jaane ka khatra ho jaaye. Par Hall mein maujood har insaan ko pata hota tha ke unke paas ek aisi cheez hai jo unhein sabse zyada taaqatwar bana deti hai aur vo cheez thi unki kamar mein laga hua tamancha, pistol.

Ye tha saamne ka nazara. In sabke pichhe Sharafat bar ke pehle maale par jua ghar tha jahan log bethe jua khelta karte the.

Aur neeche basement mein hota tha jism-faroshi ka dhandha. Uper jo ladkiyan choli aur lehenga pehne naachti thi vo thode zyada paise lekar neeche basement mein bane chhote cabin type kamro mein poore kapde utar kar naachti thi.

Toh in short, yahan koi kaam aisa nahi hota tha jise aam bhasha mein sharafat ka kaam kaha jaaye. Par phir bhi Bar ka naam Sharafat Bar tha. Pehle mujhe laga tha ke ye naam mazak mein rakha gaya hai par phir baad mein pata chala ke Bar ke maalik ka naam Sharafat Bhai tha aur bar ka naam uske naam par rakha gaya tha.

Ab sawal ye paida hota hai ke main yahan kya kar raha tha?

Iski 2 vajah thi. Pehli toh ye ke mujhe is waqt ek drink ke bahut zaroorat mehsoos ho rahi thi aur ye Bar mere office se thodi hi door tha.

Doosri ye ke mujhe Chipku se milna tha aur vo aksar shaam ko yahin milta tha. Bar mein bouncer bankar ghoom rahe ladkon mein ek vo bhi hota tha.

Chipku ka naam Chipku kaise pada ye khud uske siwa koi nahi janta. Har koi bas use isi naam se janta hai. Ek do baar maine puchhne ki koshish ki toh vo taal gaya aur phir maine kabhi puchha bhi nahi. Vo Mumbai ka ek un hazaron tapori ladkon mein se tha jinka agla pichhla, maan baap, kunba khandan koi nahi janta. Vo yahin Mumbai ki sadkon aur slums mein pale badhe aur inki ko apni zindagi bana liya. Kuchh saal pehle ek case ke dauran main usse takra gaya tha aur usne jo mujhe information di vo mere bahut kaam aayi. Uske baad main aksar usse contact karne laga. Uske Mumbai Underworld mein kaafi gehre contacts the aur na jaane kaise par uske paas us kaali duniya ke baare mein bahut information hoti thi. Aur mera kaam aisa tha ke kai baar mujhe us information ki zaroorat padti thi.

Main Bar mein dakhil hokar ek table par ja betha aur aas paas nazar daudayi. Hall mein khade ladkon mein mujhe Chipku kahin bhi nazar nahi aaya. Maine apna phone nikal kar uska number milaya.

"Kahan hai?" Usne phone uthaya toh maine puchha.

"Main idhar apni kholi mein hai Adi Bhai" Vo pehle mujhe sahab aur phir pehchan badhne ke baad Bhai kehkar bulane laga tha.

"Aaj Bar nahi aaya?"

"Nahi thoda tabiat kharab tha isliye udhar se thoda jalti kalti ho gaya. Batao"

"Kya ho gaya? Sab theek?" Usne tabiat kharab batayi toh maine puchha.

"Haan aisa kuchh nahi hai. Pata nahi sala kya kha liya ke subah se sandas ke chakkar laga raha hai main. Isliye socha ke ghar aakar sandas mein hi kursi laga kar beth jaoon" Usne haste hue kaha.

"Mil sakta hai abhi?" Main uski baat sunkar has pada.

"Haan bolo kidhar aane ka hai" Usne aaj tak kabhi mujhe kisi baat ke liye inkaar nahi kiya tha.

"Bar mein hi aa ja. Main tujhse milne yahin aaya tha. Yahin wait karta hoon tera"

"Theek hai. 15 minute do. Apun pahunchta hai udhar" Kehkar usne phone rakh diya.

Maine Bar ke pichhe khade ladke ko ek Beer laane ka ishara kiya. Thodi hi der baad ek ladki aakar meri table par ek Beer ki bottle, ek glass aur kuchh namkeen rakh gayi. Maine jeb se cigarette ka packet nikal kar ek sulgayi.

Wo aaj aaye hain mehfil mein chaandni lekar
Ke roshni mein nahaane ki raat aayi hai

Mere pichhe se ek ladki ki aawaz aayi aur main bina palte hi jaan gaya ke vo kaun hai. Vo mere pichhe aakar ruki aur mere baalon mein haath ghumati saamne rakhi ek chair par aakar beth gayi.

"Bijli" Maine cigarette ka kash lagate hue uski taraf dekha.
Logged
vampi khan
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
12 hours and 38 minutes.

Jaan kar kya karo ge ???

Posts: 180
Member Since: Dec 2014


View Profile
«Reply #8 on: January 29, 2015, 12:40:28 PM »
"Aditya Sharma" Vo muskurati hue boli "Aapki tashreef yahan kaise? Aap toh us din bade josh mein keh rahe the ke na ye jagah aapke layak hai aur na yahan ke log"

"Main aaj bhi yahi kehta hoon" Maine uski baat ka jawab diya.

"Toh yahan ham shareefon ki duniya mein kya kar rahe hain aap?" Usne meri table par rakhe cigarette ke packet se ek cigarette nikali "Kya main ye kahun ke aapka bhi level gir kar hamare barabar ho gaya hai ya aap ham sabka level apne barabar karna chahte hain?"

"Na toh mera level kabhi itna gir sakta hai" Maine lighter jalaya aur uske munh mein lagi cigarette ko aag dikhayi "Aur na yahan ke logon ka level kabhi itna uper aa sakta hai"

"Bahut ghamand hai tumhein apne uper, hai na?" Usne cigarette ka dhuan mere munh par chhodte hue kaha.

"Kya karun. Ab khuda ne mujhe banaya hi is qadar qabil-e-tareef hai"

"Tumhari is baat se toh main bhi sehmat hoon" Usne aankh maari "Vaise aaj yahan kaise?"

"Kyun nahi aa sakta? Ye jagah tumhari hai?"

"Aji janab ye jagah agar hamari hoti toh kabki aapke naam ho gayi hoti. Bilkul hamari tarah" Usne meri Beer ki bottle uthakar apne munh se lagayi aur ek lambhi si ghoont maari.

"Tum jaisi agar kisi ek ke naam hone lagi toh ye Bazaar kaise chalega?" Maine uski baat ka jawab ek taane se diya.

"Aur agar bazaar band ho gaya toh tum mardon ka kaam kaise chalega, hai na?" Usne palat kar taana mara.

"Munh bahut bada hai tumhara" Maine ek cigarette se doosri jalayi.

"Tumhare dil se toh bada hi hai" Usne usi hazir-jawabi ke saath jawab diya.

"Haan jaise tum toh mere dil mein ghus kar dekh kar aayi ho na ke mera dil bada hai ya chhota"

"Vahi toh koshish kar rahi hoon Sharma Sahab. Kab se khatkhata rahi hoon par aap hain ke apne dil ka darwaza kholte hi nahi"

"Achha?" Main mazak banate hue hasa "Kyun tumhare baaki chahne wale kahan gaye?"

"Sabko chalta kar diya. Ab toh ham apne dil ka darwaza sirf aapke liye khole bethe hain. Magar aap janab na apne dil mein hamein aane dete hain aur na khud hamare darwaze tak aate hain"

"Tum jaisi ladkiyan sirf ek hi darwaza khol sakti hain, tumhari taango ke beech ka darwaza. Bas" Maine daant peeste hue kaha.

Meri baat se yaqeenan use bahut takleef pahunchi. Usne cigarette saamne rakhi ash tray mein bujhayi aur chup chap bina kuchh kahe uthkar chali gayi.

Vo kaun thi, kahan se thi main nahi jaanta tha. Uska asli naam Bijli hi tha ya kuchh aur, nahi janta. Pehle main takreeban roz hi shaam ko office ke baad yahan aakar ek do drinks lagata aur phir ghar jaata tha. Sharab main sirf ek had tak hi peeta tha kyunki zyada mujhse sambhalti nahi thi. Ek shaam nasha kuchh zyada hi ho gaya. Mera mood bahut kharab tha aur sharab ka daur ek baar jo chala toh ruka hi nahi. Maine bethe bethe itni pi li ke apna hi hosh nahi raha aur phir jab aankh khuli toh main neeche basement ke ek cabin mein Bijli ki bagal mein soya hua tha.

Kya hua kya nahi mujhe yaad nahi tha par vo meri zindagi mein pehli baar tha ke main ek call girl ke saath soya tha jo ki meri usool ke bilkul khilaff tha. Mujhe apne aap se itni ghinn aayi ke uske baad maine sharab pina takreeban band hi kar diya aur nateejatan mera yahan aana bhi band sa hi ho gaya. Usne baad jab bhi aaya kaam ke silsile mein hi aaya aur phir vo jab bhi milti, mujhse yun hi aashiqana andaz mein baatein karti.

Zindagi ne jo ek baat mujhe sikhayi vo ye thi ke insaan ko hamesha do cheezon par kaabu rakhna chahiye. Ek apna gussa aur doosra apni zubaan aur main aisa karta bhi tha. Par kabhi kabhi zubaan kaabu se bahar ho jaati thi jaise ke abhi thodi der pehle Bijli ke saath hua. Vo uthkar chali gayi toh mujhe apni kahi baat par afsos hone laga. Maine Bar mein apni nazar idhar udhar daudayi ke use dhoondh kar usse maafi maang sakun par vo kahin dikhi hi nahi."Kya haal hain Adi bhai?" Kuchh der baad hi Chipku meri table par aakar beth gaya "Aaj aap idhar kaise?"

"Tere se hi milne aaya tha" Maine jawab diya

"Zahe naseeb" Use urdu bolne ki zabardast bimari thi. Hamesha koshish karta tha ke jahan bhi ho sake, urdu ghusa de.

"Ek kaam hai tujhse" Maine apni jeb mein haath dalkar Saanwli ki tasveer nikali "Ye photo dekh"

Vo mere haath se tasveer lekar dekhne laga.

"Kaun hai ye?"

"Mera agla case" Maine bataya.

"Gayab hai?"

"Ek mahine se"

"Mahine bhar se?" Usne aankhen hairat mein phelayi "Bade baap ki beti hai?"

"Bade baap ki betiyan yun gayab nahi ho jaya karti" Maine tasveer vaaapis li aur apni jeb mein rakh li.

"Sahi baat hai. Abhi mere ko kya karne ka hai?"

"Pata laga ke idhar pichhle mahine bhar mein dhandhe mein nayi ladki kaun kaun aayi hai. Aur dekh ye kahin dikhti hai toh"

"Kya aap bhi Adi Bhai. Agar ye is daldal mein kahin phasi hai toh mahine bhar mein toh jaane kahan se kahan pahunch gayi hogi ab tak toh aur pata nahi kitne utar liye honge iske uper se"

"Matlab?"

"Matlab ye ke ladki dikhne mein theek thaak hai aur aajkal idhar market mein badi mara mari hai. Aajkal aise piece idhar local market mein rakhte nahi hain, bahar gaon bhej dete hain. Aur kisi achhe ghar ki ladki ko agar zabardasti dhandhe mein khincha gaya ho toh vaise hi nahi rakhte kyunki pata hai ke gharwale dhoondhne ko aayenge aur lafda padega. Isliye fauran bahar gaon, india se bahar"

"Tu dekh phir bhi kuchh pata chalta hai toh"

"Theek hai main soonghne ki koshish karega yahan vahan" Usne jawab diya.

Ek baar ko maine socha ke Saanwli ki tasveer use de doon par ye khatarnaak ho sakta tha. Ek halke saawle rang ki ladki ko koi dhoondh raha hai, ye baat uthe toh koi badi baat nahi par agar vo tasveer lekar ghoomta phirta toh mamla bigad sakta tha. Agar vo Mumbai mein hi thi toh usko bahar bhejne ka kaam aur jaldi kar diya jata, ya usko mamla thanda hone tak kahin aisi jagah bhej diya jata jo meri pahunch se bahar hoti ya aisa bhi ho sakta tha ke use maar hi diya jata.

"Aur sun ... " Maine kehna shuru hi kiya tha ke Chipku ne hi meri baat poori kar di.

"Haan malum hai bhai ke kisi ko bolne ka nahi hai ke aap dhoondh rahe ho, ladki ka exact description kisi ko batane ka nahi hai aur jo bhi pata karna hai chup chap khamoshi ke saath karna hai. Pata hai Adi bhai. Thodi si zaheeniyat khuda ne hamein bhi bakhshi hai" Phir se urdu.

"Samajhdaar hota ja raha hai" Main chair se utha aur jeb se paise nikale "Ye rakh"

"Sohbat ka asar hai Adi Bhai" Usne paise lete hue kaha "Kuchh pata chalta hai toh main khabar karta hoon aapko"

"Good. Chal main nikalta hoon abhi. Pet kaisa hai tera?"

"Theek hai abhi. Jitna aaj sandaas mein betha hoon akkhi life mein kabhi nahi betha"

Uski baat sunkar meri hasi chhut padi.

"Beer ke paise de dena"

"Haan koi waanda nahi hai Bhai. Niklo aap"

Bar se nikalte nikalte maine phir nazar utha kar dekha ke shayad Bijli kahin dikh jaaye par vo nazar nahi aayi. Bahar aakar maine ek baar phir Nisha ko phone kiya par number ab bhi band hi tha. Parking se car nikal kar main ghar ki taraf chal pada.

Talash ke liye pehla kadam main utha chuka tha. Doosra kadam tha jism faroshi ki us duniya ki taraf dekhna jo marzi se chalti hai. Jahan maine Chipku ko dekhne ko kaha tha vo aisi jagah thi jahan ladkiyon ko zabardasti unki marzi ke khilaff ghusaya jata tha. Middle class aur gareeb gharon ki vo ladkiyan jo majboor hokar ye kaam karti thi. Apne har khwaab ko bhoolkar har raat majboori mein kisi ka bistar garam karti thi, ab chahe vo nashe mein dhoot koi rickshaw chalane wala ho, ya paseene ki badbu marta koi mazdoor. Ek 50-100 ke note ke badle apni asmat bechne par majboor ladkiyan.

Par in sabse alag Jism faroshi ki ek aisi duniya bhi hai jo marzi se chalti hai. Jahan ladkiyan apni marzi se aati hain aur jahan ke rate 50-100 ka ek note nahi balki hazaron mein jaati hain. Ye vo ladkiyan hain vo 2 zindagiyan jeeti hain. Uper se sharafat ka chola aur apni ayyashi ka kharcha poora karne ke liye pichhe se jism faroshi. In short call girls, ya escort jo ameeron aur bade logon ko available hoti thi kyunki inke rates efford karna har kisi ke bas ki baat nahi thi. Ye hona tha meri talash ka doosra kadam.

Phir teesra kadam tha police files par ek nazar.

Aur chautha kadam tha Saanwli ki apni niji zindagi.
Logged
vampi khan
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
12 hours and 38 minutes.

Jaan kar kya karo ge ???

Posts: 180
Member Since: Dec 2014


View Profile
«Reply #9 on: January 29, 2015, 12:41:32 PM »
continue...
Chapter 3 - Policewala next in line post soon
Logged
razz honey
New Member


Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 hours and 7 minutes.
Posts: 13
Member Since: Jun 2014


View Profile
«Reply #10 on: October 27, 2015, 02:19:55 PM »
Where is chapter 3 of this story
Logged
vampi khan
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
12 hours and 38 minutes.

Jaan kar kya karo ge ???

Posts: 180
Member Since: Dec 2014


View Profile
«Reply #11 on: November 03, 2015, 11:26:42 AM »
Chapter 3 - Policewala


Agle din subah uthkar maine Nisha ko phone kiya toh usne utha liya.

"Kal kahan thi sara din? Kitna phone kiya maine tujhe. Aur office kyun band tha?" Maine uske call receive karte hi sawalon ki jhadi laga di.

"Kitna phone kiya tha maine aapko kal subah ye batane ke liye ke office nahi aa paoongi. Par aap toh aise ghode bech kar sote ho ke murde bhi sharma jaayen" Usne jawab diya.

"Achha maine phone nahi uthaya toh tune bhi apna phone band kar diya?"

"Office aa rahe ho na aaj. Vahin milo, poori baat batati hoon"

"Theek hai. Main thoda der se aaoonga" Maine bed se uthte hue kaha.

"Ismein kaun si nayi baat hai" Usne kaha aur haste hue phone rakh diya.

Kuchh der baad main taiyyar hokar ghar se nikla aur sidha Chembur police station pahuncha.

Vo mera bachpan ka dost tha, mera langotiya yaar. Bachpan mein ham ek hi school gaye, ek hi colony mein rahe, saath khele aur saath saath hi apni professional life shuru ki. Usne Mumbai police join kar li aur maine apni agency khol li.

Inspector Munawwar Khan, short mein Munna, Chembur police station mein bataur Police Inspector tainaat tha. Chunki mera kaam aisa tha ke mera wasta aksar policewalo se padta tha toh vo mera bachpan ka dost hone ke naate hamesha mere kaam aata tha.

"Vo aaye hain mehfil mein chandi lekar,
Ke Roshni mein nahane ki raat aayi hai "

Mujhe aata dekh vo uth khada hua aur apne baahen phailata hua meri taraf badha.

Uska sunaya sher sunkar main chaunk pada.

"Ye kahan suna tune?" Maine use gale lagate hue puchha. Kal raat yahi lines mujhe dekh kar Bijli ne bhi kahi thi.

"Jagjit Singh ki bahut famous ghazal hai, kyun?" Vo ghoom kar vaapis table ke doosri aur apni seat par ja betha aur main uske saamne beth gaya.

"Nahi aise hi. Kal bhi mujhe dekh kar kisi ne same lines kahin thi" Maine apna cigarette ka packet nikala.

"Pehli baat toh ye thi ke cigarette agar tune jalayi toh baaki ka poora din yahin jail mein bitayega aur doosra ye ke kaun thi vo?" Usne muskurate hue puchha.

"Pehli baat toh ye ke Jail jaane ko main taiyyar hoon basharte ke andar tu cigarette pine de" Maine usi ke andaaz mein uski baat ka jawab diya "Aur doosra ye ke tujhe kaise pata ke vo ladki hi thi, ladka bhi toh ho sakta hai"

"Dekh unless tu haal filhal mein Gay ban gaya ho, mujhe poora yakeen hai ke koi ladki hi hogi pakka. Aur agar tu sahi mein Gay ho gaya hai toh bhai sahab darwaza udhar hai, utho aur chalte bano. Mujhe apni izzat pyaari hai" Uski baat par ham dono hi dil khol kar hase.

"Nahi fikar mat kar teri izzat abhi salamat hai " Maine kaha.

"Kya lega. chaai mangaoon?" Usne puchha.

"Nahi rehne de. Nashta ghar se karke hi nikla tha. Ek kaam se aaya hoon"

"Haan bol na meri jaan, tere liye jaan haazir hai"

Vo bachpan se hi kaafi dabang mijaaz ka raha tha. Hamesha apni akad mein rehta tha aur apne dil ki hi karta tha. Kisi ko faaltu bolne nahi deta tha aur agar koi bol jaaye toh pal bhar mein haath chhod deta tha. Aaye din school aur college mein uske jhagde hote rehte tha aur mahine mein kam se kam ek baar toh uske maan baap ko uski shikayaten sunne ke liye school aana hi padta tha.

Aur shayad uska ye nature hi uske police mein bharti hone ki sabse badi vajah tha. Vo hamesha apni hi chalane ki koshish karta tha aur vardi pehenne ke baad toh use aisa karne ka sarkari license mil gaya tha.

Police force join karne ke baad vo theek vaisa hi policewala bana jaisa ke hamari hindi films mein dikhaya jata hai. Ek bahut hi kaaiyyan kism ka insaan jise Uper ki kamai se use koi shikayat nahi thi, rishwat lene ko hamesha taiyyar rehta tha, Had darje ka be-imaan, 2 second mein apni baat se palat jaaye aur munh ke bajaay haath se zyada baat kare.

Par in sabse alag mere liye vo aaj bhi vahi Munna tha jo mere bachpan ka dost tha. Mere liye kuchh bhi karne ko hamesha taiyyar rehne wala mera vo dost jo mere liye mere sage bhai se kam nahi tha aur yahi darja mera bhi uski nazar mein tha. Bahar ki duniya ke liye bhale vo kitna hi bada kamina aur be-imaan kyun na tha, mujhe usne kabhi kisi baat ke liye inkaar nahi kiya aur jo kaha, vo hamesha kiya.

"Abhi haal filhal mein koi ladki ka case aaya hai kya kahin? Koi gumshuda, koi rape vagerah, kahin kisi ladki ki koi laash baramad hui ho ya kisi ladki ne koi complaint file ki ho?" Maine puchha.
"Abhi haal filhal mein koi ladki ka case aaya hai kya kahin? Koi gumshuda, koi rape vagerah, kahin kisi ladki ki koi laash baramad hui ho ya kisi ladki ne koi complaint file ki ho?" Maine puchha.

"Naya case liya hai koi tune?"

"Haan" Maine bataya.

"Kya scene hai?"

"Vahi purana kissa. Ek insaan gayab hai, main dhoondh raha hoon" Maine phir se cigarette nikalni chahi par phir Khan ki baat yaad karke irada badal diya.

"Tu na saale, koi aur kaam kyun nahi kar leta. Ye gumshuda logon ko dhoondhte dhoondhte mujhe toh lagta hai ke tu hi kahin ek din na gumshuda ho jaaye"

"Ho bhi gaya toh mujhe dhoondhne ke liye tu hai na" Maine kaha "Aaya hai koi naya case aisa?"

"Ye Mumbai hai meri jaan" Vo kursi par aaram se pasarta hua bola "Yahan roz naye aise kisse aate hain. Kabhi rape, kabhi murder, kabhi kidnap. Tere sawal ka jawab bahut bada hai. Ek poori lambi list nikal kar de sakta hoon main tujhe"

"Yeah i guess you are right" Vo sahi keh raha tha "Anyways, ye tasveer dekh"

Maine Saanwli ki tasveer nikal kar uski taraf badhayi. Tasveer dekh kar uske bhaav ek pal ke liye badle, chehre par ek expression aaya aur chala gaya.

"Means iske baare mein kuchh aaya hai?" Uske chehre ke badalte bhaav ko padhte hue maine kaha.

"Yeah i think so. Jaani pehchani shakal lagti hai. Shayad kuchh information main de sakta hoon tujhe" Vo utha aur apne pichhe rack par rakhi files mein kuchh dhoondhne laga.

Kuchh der baad usne ek file kholi aur tasveer ko file ke andar lagi photo se milane laga.

"Nahi, shakal milti zaroor hai par koi aur hai" Kehte hue usne file meri taraf badhayi.
File ke andar kisi ladki ke gumshuda hone ke F.I.R darj thi aur ek photo lagi thi. Us ladki ke aur saanwli ke nain naksh halke ek jaise zaroor the, rang bhi saanwla tha par vo koi aur thi.

"Nahi not her" Kehte hue maine file use vaapis kar di.

"Tu photo chhod ja mere paas. Main scan karwata hoon police data base aur dekhta hoon kuchh nikalta hai toh. Naam kya hai ladki ka?"

"Saanwli Mitra" Maine bataya.

"Address?"

"Poora toh mujhe yaad nahi, baad mein message kar doonga tujhe par idhar kahin Kalyan mein rehti thi kisi ladies hostel mein"

"Theek hai main dekhta hoon agar kuchh milta hai toh. Kal shaam ko kya kar raha hai?" Usne photo apne drawer mein rakhte hue kaha.

"Kuchh khaas nahi, kyun?"

"Milte hain kahin. Dinner karte hain saath. Bade din ho gaye saath bethe hue"

"Pichhle Sunday hi toh tu mere ghar par pada hua tha"

"Haan toh pichhla Sunday gaye 5 din ho gaye mere bhai aur 2 din mein agla sunday aa jaayega"

"Theek hai" Main hanste hue bola "Ghar aa jana shaam ko. Vahin se nikal lenge kahin"

Police station se bahar aate hi maine sabse pehle ek cigarette jalayi. Vo mujhe kabhi smoke nahi karne deta tha. Jitna waqt bhi saath hota, mujhe cigarette jalane ki permission nahi hoti thi. Hamesha yahi hota tha ke uske jaate hi mera sabse pehla kaam cigarette sulgane ka hota tha.

Khan se milkar maine thodi der ke liye socha ke office jaoon par phir irada badalkar main Juhu ki taraf chal pada. Sooraj sar par aa chuka tha aur sadkon par traffic duguna ho gaya tha. Manzil tak pahunchte pahunchte mujhe khasa time lag gaya.

Ghar ke gate ke bahar pahunch kar maine doorbell bajayi. Bahar lage intercom par kuchh pal baad ek aurat ki aawaaz sunai di.

"Kaun hai?"

"Aditya"

"Kaun Aditya?"

"Aditya Sharma"

"Kaun Aditya Sharma?"

"Kitne Aditya Sharma ko jaanti hain aap?"

Mere sawal ka koi jawab nahi aaya. Intercom par kuchh der khamoshi rahi aur phir lohe ke bade se gate ke andar bana ek chhota darwaza apne aap khul gaya. Gaadi mujhe bahar hi chhodni padi aur main ghar ke andar daakhil ho gaya.

Darwaza mere pichhe phir apne aap hi band ho gaya.......cont......
 
Logged
vampi khan
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
12 hours and 38 minutes.

Jaan kar kya karo ge ???

Posts: 180
Member Since: Dec 2014


View Profile
«Reply #12 on: November 03, 2015, 11:27:49 AM »
Chapter 4 - Geentanjali Thakkar



Is ghar mein main pehle bhi kai baar aa chuka tha isliye janta tha ke kahan jana hai. Lawn se hota hua main sidha drawing mein room mein aa khada hua.

"Hello?" Drawing room khali tha. Maine aawaz lagayi.

"Be with you in a minute" Andar ke ek kamre se aawaz aayi. Main vahin rakhe ek couch par aaram se beth gaya.

Geetanjali Thakkar kehne ko ek busniess woman thi aur uska apne import / export aur real estate ka business tha par vo sirf ek upari dikhawa tha. Main shart laga kar keh sakta tha ke na toh usne pichhle 10 saal mein koi property deal close ki thi aur na hi kuchh import ya export kiya tha. Sara kaam sirf fake papers aur documents par hi hota tha taaki vo apni moti kamayi ka ek zariya Income Tax walo aur samaj ko dikha sake.

Nahi actually main galat keh raha hoon. Uska sach mein property dealing aur import export ka hi kaam tha. Bas uski properties aur import export ke items zara hat kar hote the. Jin properties mein vo deal karti thi vo the insani jism. Jo items vo import aur export karti thi vo thi khoobsurat ladkiyan.

Mumbai ka har ameer tharki aur ayyash ye baat janta tha ke jis tarah ki ladkiyan Geetanjali provide kar sakti thi, vaisi poore shehar mein kahin aur avaiable nahi thi. Paisa phenk tamasha dekh ka system tha uske yahan. Agar paisa hai aur keemat bharne ka gurda hai toh har fantasy, har shauk poora kiya ja sakta tha. BDSM se lekar role play tak, natural se lekar un-natural sex tak, jo bhi maang ho poori ho jaati thi basharte ke saamne wale ki jeb mein tina maal ho.

Uske rates poore shehar mein sabse zyada hote the par business chalta bhi sabse zyada usi ka tha. Indian se lekar Italian, American se lekar Australian, Hindu, muslim, christian, sikh har tarah ki ladki uske paas maujood thi.

Uske paas jo ladkiyan thi unhen vo khud chunti thi, sab handpicked. Uski list of girls mein sab behad khoobsurat aur shandar jism ki maalik ladkiyan thi jinhen vo dhyaan se parakh kar apne saath kaam karne deti thi. Aur in sab mein sabse aam baat ye thi ke ye saari ladkiyan ek dogli zindagi jeeti thi. Matlab ek social life aur ek call girl life. Uperi taur par koi student thi toh koi kisi company mein kaam karti thi.

Ladkiyon ki tarah hi Geetanjali ke clients bhi hand picked hote the. Sab ameer businessman, actors, sports personalities, politicians the jo zaroorat ke hisaab se Geetanjali ko phone karke address de dete aur paise transfer kar dete. Phir Geetanjali apni list of girls mein se kisi ek ko chunti aur phone par hi usko saari instructions de deti aur vo ladki uske bataye address par pahunch jaati. Saari ki saari dealing phone par hi hoti thi.

Maine toh yahan tak suna ke vo khud bhi ek lesbian thi aur uska khud ka interest ladkiyon mein hi tha. Is baat mein kitni sachchai thi, ye main nahi janta tha.

Kadmon ki aahat sunkar maine apni band aankhen kholi aur sidha hokar beth gaya.

"Hello Aditya" Vo haath mein ek wine ka glass liye drawing room mein daakhil hui "How are you my dear?"

Uski umar lagbhag 45-50 ke beech. Ek nazar dekh kar hi koi bhi ye keh sakta tha ke jawani mein vo kabhi bala ki khoobsurat rahi hogi. Aur is umar mein bhi usne khud ko bahut hi achhi tarah se maintain kiya hua tha. Jism par faaltu charbi ka kahin nishan tak nahi tha. Chehre par umar nazar aane lagi thi par khoobsurati ab bhi barqarar thi.

Uske baal gile the jo khule hue kamar par bikhre hue the. Usne ek safed rang ka patla sa robe dala hua tha jo saamne ki taraf se kamar par ek strap se bandha hua th. Rob ki lambai sirf jaangho tak thi aur chalte hue uska 70% jism saaf dikhai de raha tha.

Maine ek nazar use dekha aur phir apni nazar ghuma li.

"Ha ha ha" Vo samajh gayi "You havent changed a bit dear. Still so shy"

"How are you?" Vo mere saamne aakar beth gayi toh maine uski taraf dekhte hue puchha.

"I am very well. How have you been?" Wine ka sip lete hue usne jawab diya.

"I have been better but cant really complain"

Vo ek bade aalishan bungalow mein akeli hi rehti thi. Uski family, relatives ke baare mein kisi ko jaankari nahi thi or at least main toh kisi aise ko nahi jaanta tha jo mujhe kabhi uske background ke baare mein kuchh bata paya ho. Vo ek aisi aurat thi jise doosre sirf utna hi jaante the jitna ke vo chahti thi. Ye uski aadat mein shumar tha ke kabhi vo kisi ko apne zyada kareeb nahi aane deti thi. Na kabhi kisi ki party mein dikhai deti thi aur na kabhi kisi ke saath, a total loner. Aur ye uske akelepan ki intehaan hi thi ke itne bade ghar mein ek naukar tak nahi tha. Vo vahan kisi bhoot ki tarah bilkul akeli rehti thi.

"How do you manage to keep it all so clean. I know you dont have any servants" Maine apne chaaron taraf dekhte hue kaha,

"I dont have any that can stay here and bug me all day. They come in the morning, finish the chores and leave" Usne jawab diya.

"Hmmmm" Maine sar hilaya.

"But you didnt come here to discuss the cleanliness of my house, did you?" Wine ka khaali glass ek taraf rakhte hue usne puchha.
"Nahi you are right" Maine kaha "Kaam tha mujhe kuchh"

"Thats what i thought" Vo hansti hui boli "Ladki chahiye toh uske liye yahan aane ki kya zaroorat thi? Phone kar dete mujhe, you have my number. Ladki khud tumhare paas pahunch jaati"

"Arre nahi nahi. Vo baat nahi thi .... "Maine kuchh kehne ke liye munh khola hi tha ke usne meri baat kaat di.

"Arre dont worry, tumhare liye full discount. Kaho toh 100% discount"

"Na ladki chahiye mujhe aur na hi main aapse paise kam karne ke liye kehne aaya hoon"

"Toh phir"

"Ek ladki ko dhoondh raha hoon" Kehte hue maine apni jeb mein haath dala par phir dhyaan aaya ke tasveer toh main Khan ko hi de aaya tha.

"Abhi toh tum keh rahe the ke tumhein ladki nahi chahiye" Vo haste hue boli.

"Chahiye nahi, dhoondh raha hoon" Maine jawab diya.

"Whats the difference?" Vo na samajhti hui boli phir jaise achanak kuchh yaad aaya "Oh ok. Thats your job. You find missing people"

"Exactly. And this time i am looking for a girl"

"And you came to me because ....?"

"Because i was hoping that you would be able to give me some information"

"What do i got to do with a missing girl. None of my girls is missing" Vo kandhe jhatkate hue boli.

"Well that answers my question" Maine kaha.

"Matlab?"

"Matlab ye ke ladki Mumbai ki nahi hai, middle class family se hai, Mumbai kaam ki talash mein aayi thi aur ek mahine se gayab hai"

"Ohhhh" Uske chehre par lomdi ke jaisi muskurahat aa gayi "So you came here thinking ke shayad vo ladki meri list mein ho aur main tumhein kuchh bata sakun. Well pehli baat toh ye ke meri list mein ladkiyan bahut chuninda hoti hain, doosra ye ke i take good care of them aur teesra ye ke why the hell did you think i would let you see my list of girls? Its a top secret list baby"

"Janta hoon par baat itni hi nahi hai sirf. Aap is network mein logon ko jaanti hain aur main ummeed kar raha tha ke aap meri madad karen"

"Ye dhoondhne mein ke kya vo ladki kisi aur ke liye kaam karti thi?"

"Ye bhi aur iske alawa aur koi information ho toh vo bhi" Maine request karne jaisi shakal banate hue kaha.

"Ha ha ha. You are a strange man Aditya, a very stange man indeed. And you are funny too" Vo wine ka glass uthahe hue khadi hui aur phir chalti hui doosre kamre mein chali gayi. Vaapis aayi toh glass mein phir se sharab thi.

"You think so?" Vo phir aakar mere saamne bethi toh maine sawal kiya.

"Yes i do, and you know why? Because you are strange in every possible way, a complete weirdo but lets not pull that thread right now. Tumhein aisa kyun lagta hai ke vo ladki prostitution hi kar rahi thi? Aur vo bhi toh hazaar vajah ho sakti hain ek ladki ke gayab hone ki"

"Vo bhi cover karunga sab but for now, i am just ...."

"You are just setting up your watch dogs. Soonghne ke liye kutte har taraf chhod rahe ho ke kahin na kahin se toh kuchh na kuchh toh bu mil hi jaayegi. Gayab hone ki har vajah ke paas apna ek kutta betha rahe ho ke agar kuchh bhanak padi toh your dog will bark and give you the hint"

"Nahi main sirf apne doston se madad maang raha hoon" Maine khisiyana se andaaz mein kaha. Kar toh main actually vahi raha tha jo usne kaha tha.

"Oh thats new. So we are fiends, haan?"

"At least main toh yahi sochta hoon"

"So you are a friend of mine who hasnt spoken a word to me in, what, seven months now? Aur ab bhi bethkar baat kar raha hai toh kaam ki hi?"

Mere paas uski baat ka koi jawab nahi tha.

"Tumhein aisa kyun lagta hai ke main tumhari madad karungi?" Wine ka glass phir khali ho chuka tha.

"Maybe because maine aapki jaan bachayi thi?" Maine apna aakhri aur sabse zordar patta phenka.

Ab uske paas meri baat ka koi jawab nahi tha.

"Ek baar jaan bachayi thi toh kya saari zindagi uska hawala dekar madad maangte rahoge?"

Ye sach tha. Main pehle bhi kai baar isi baat ka hawala dekar usse madad le chuka tha.

"Main na bachata toh ye zindagi hoti hi nahi" Main janta tha ke ye patta kaam zaroor karege. Vo thodi der tak chup bethi rahi.

"Tasveer laaye ho ladki ki?"

"Filhal nahi par abhi office jakar aapko email kar doonga"

"All right, i will see what i can find. Agar vo kahin is field mein kaam kar rahi thi toh pata chal jaayega" Vo aakhir maan hi gayi.

"Thank you so much. Now can i too have some of that wine please?"

Main thodi der aur uske paas ruka aur ham idhar udhar ki baatein karte rahe. Kareeb aadhe ghante baad main uske Bungalow se nikla.

"I am guessing ke tumne us bazaar mein bhi pehra laga diya hoga jahan saste qism ka maal bikta hai?" Main uthkar jaane laga toh vo boli.

"Ji haan"

"And police?"

"Done" Usse jhooth bolne ka koi fayda nahi tha.

Uske ghar se nikal kar main apni car mein beth hi raha tha ke phone baj utha. Call Khan ki thi.

"Kuchh mila hai mujhe" Maine phone uthaya to vo bola "Ek case darj hua hai is ladki ke naam par"Really?" Maine khush hote hue kaha "Thats great new man, kya report darj hui hai?"

"Gumshudgi ki hi F.I.R hai, abhi 2 din pehle hi. Kisi Saloni Mitra ne likhvayi hai"

Mere josh par ghado pani phir gaya.

"Abe Dhakkan, vo toh iski behen ne hi likhvayi hai. Usi ne toh mujhe ye case bhi diya hai" Maine kheejte hue kaha.

"Haan toh aisa batane ka na re bawa. Kehne ka na ke ek F.I.R. ke alawa aur kuchh dhoondhna hai" Vo bhi chidta hua bola.

"Yeah i guess you are right. Mujhe tujhe pehle hi batana chahiye tha, i missed that part"

"Ab ye bata ke exactly dekhna kya hai? What kind of information are you looking for? Ye police files hain aur nikammi indian police ki files hain, open cases se bhari padi hain. Yahan jab tak ye na pata ho ke dhoondhna kya hai, aap kuchh nahi dhoondh sakte"

"Did you forget that you are a cop too?" Main uski baat par haste hue kaha.

"Haan toh maine kab kaha ke main nikamma nahi hoon? Maine kab mehanti hone ka dawa kiya? Nikamma hoon isliye toh police mein hoon"

"Sahi ja raha hai beta" Maine hasi rokte hue kaha "Achha chal lawaris laashon se shuru karte hain. Dekh last ek month mein koi aisi laash ka case jiski shinakht abhi tak na hui ho ya. Dossra road accidents mein marne walo ko dekh ke koi aisi body jiski shinakht na hui ho. Teesra dekh ke last month koi aisi dead body jiski shinakht nahi hui ya koi claim karne nahi aaya aur use municipality walon ne jalaya ya dafnaya ho"

"O Bhai, sun meri baat" Main janta tha ke ab vo kya kehne wala hai "This is a lot of dekhna. Mere paas aur koi kaam nahi karna kya?"

"Yes, you are right. Tujhe aur koi kaam karna hota to tu apne aapko nikamma kyun kehta?" Maine usi ka dialogue usi par mara.

Pal bhar ke vo chup ho gaya.

"Kuchh milega toh phone karta hoon. Aur sun, ye case Joshi ke paas hai toh dhyaan se zara" Kehkar usne phone kaat diya.

Main uske reaction par haste hue gaadi start ki aur apne office ki taraf chal pada.

"Aah,look who is here. Its the man who is never late" Main office mein daakhil hua toh Nisha mujhe dekh kar boli.

"Aah look who is here. Its the lady who doesnt come to work" Main ghoom kar apni chair par ja betha.

"Arrey kal kuchh kaam tha" Usne apni table ke drawer se ek bag nikala aur meri table ki taraf aayi "Vahi batane ke liye kal phone kiya tha par aapne uthaya hi nahi"

"Kahan reh gayi thi?" Maine puchha

"Rishta tay ho gaya mera" Usne khush hote hue kaha aur bag se mithai ka ek dibba nikala.

"Oh congratulations !!!" Main apni chair se utha aur usko gale laga kar badhai di "Achanak, yun?"

"Haan mujhe pata toh tha ke mere parents dhoondh rahe hain ladka par kal achanak Mom boli ke ladke wale aa rahe hain, office mat jao. Main ghar par ruk gayi. Ladke wale aaye aur baat pakki ho gayi"

"Amazing, good for you. Kya karta hai ladka?"

"Doctor hai, surgeon" Vo vahi ladkiyon wale andaz mein apne kandhe uper ko uchkate hue boli.

"Surgeon haan? dikhne mein kaisa hai?"

"Bahut handsome hai" Vo gardan hilati hui uchak kar meri table par hi beth gayi "Aur sweet bhi hai"

"Achha sweet bhi hai. Kal chakh ke bhi dekh liya tune?" Maine aankh maarte hue kaha.

"Shut up, you know what i mean. Mujhe toh samajh hi nahi aa raha ke use mujh mein kya dikha" Vo full ladkiyon wali style mein gappe ladane ke mode mein aa chuki thi.

"Come on, tum koi kam nahi. You are smart, beautiful, intelligent and a hard working girl. He is lucky to have you"

"Thanks. Aur shaadi ki bhi kaafi jaldi kar rahe hain vo. Agle week bol rahe hain roka karne ko aur agle mahine mangni"

"Wow thats quick. That dude is sure in a hurry" Maine dibbe se mithai nikalte hue kaha.

Nisha mere liye pichhle 6 saal ke kaam karti thi. Uski umar koi 27-28 ke kareeb thi aur dikhne mein kaafi khoobsurat thi. Par sabse badi baat thi ke vo kaafi mehenti thi. Itne arse mein vo meri assistant kam aur meri dost zyada ban gayi thi. Office ka sara kaam vahi dekhti thi.

"Achha kal ek naya case aaya hai" Maine batana shuru kiya.

"Haan vo dekha maine files mein. Ladki gayab hai koi?"

"Haan. Uski behen aayi thi kal"

"Aap office aaye the kal?"

"Nahi vo mere ghar hi aa gayi thi" Maine bataya toh uski aankhen chaudi ho gayi.

"Wow, ghar hi pahunch gayi sidhe. She sure has a lot of faith in you" Aur mujhe tana maar kar vo vaapis apni table par ja bethi.
 
Logged
vampi khan
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
12 hours and 38 minutes.

Jaan kar kya karo ge ???

Posts: 180
Member Since: Dec 2014


View Profile
«Reply #13 on: November 03, 2015, 11:30:28 AM »
Chapter 5 - HOSTEL


Main Saanwli ki talash mein 3 kadam utha chuka tha aur ab waqt chauthe aur sabse zyada zaroori pehlu par nazar daalne ka aur vo thi uski apni niji zindagi.

Jaisa ki Saloni ne mujhe bataya tha, Saanwli ek working women's hostel mein rehti thi. Vo ek sada si 2 manzila imarat thi jise bahar se dekh kar hi ye andaza ho jata tha ke ye kabhi kisi ka ghar rahi hogi jise phir baad mein badal kar ek paying guest type hostel ka roop de diya gaya.

Bahar gate par watchman se baat karne ke baad main kuchh der baad hi us hostel ki maalik Kamlaben ke kamre mein betha hua tha.

Vo ek had se zyada moti aurat thi. Uske naam aur Jism par bandhi hui saree ke style ko dekh kar main andaza laga chuka tha ke vo Gujarati thi. Umar koi 50-60 ke beech, aankho par bada sa chashma, sar mein zaroorat se zyada laga tel, jism par zaroorat se zyada gehne, aur gaalon par halki laali.

Kul mila kar bachchon ko darane ka full package.

"Dekho Mr. tum jo koi bhi hai" Vo naak sikodti meri taraf anguli utha kar boli "Ham idhar ye ladkiyon ko apni bachchiyon ki tarah rakhta hai. Inka izzat hamera apna izzat, samjha. Tamere ko aisa kyun laga ke tum idhar ko aayinga aur ham tumko aise hi kisi bhi ladki ka information yun hi de dega?"

Naam aur pehnava to uska Gujrati par jab vo boli toh mujhe samajh hi nahi aaya ke vo Goa se thi ya Sindhi thi?

"Dekhiye main ek agency chalata hoon aur gumshuda logon ko dhoondhna mera kaam hai. Khud Saanwli ki behen mere paas aayi thi. Unka sign kiya hua ye letter bhi mere paas hai ...." Maine jeb mein haath dala hi tha ke vo mota kaddu phir bola.

"Hoyinga koi letter tamere paas, apne ko parwah nahi samjha. Abhi tum jaldi utho aur phooto idhar se" Usne apne daayen haath se xxxxxki bajayi.

"Aap chahen toh main aapki baat kara sakta hoon Saloni se"

"Tum kya koi policewala hai jo aisa sawal karta hai?"

"Nahi policewala toh nahi hoon magar aap chahen toh policewale ko bhi saath la sakta hoon"

"Haan toh leke aao pan abhi utho idhar se. Hamko kaam hai bahut"

Uske baad usne meri ek nahi suni aur mujhe hostel se bahar nikal kar hi dam liya. Mera shayad din hi kharab tha ke bahar nikalte hi doosri museebat aan padi.

"Tu yahan kya kar raha hai?" Bahar police ki jeep khadi thi. Main gate se bahar nikal raha tha aur Joshi hostel ke gate ke andar aa raha tha.

"Kuchh khaas nahi" Maine taalne ke andaaz mein jawab diya.

"Toh yahan kya kar raha hai?"

"Yun hi dekhne aaya tha ke yahan ke charges vagerah kya hain"

"Kyun tu yahan shift ho raha hai?"

"Nahi tere liye dekhne aaya tha. Tu yahan rehta zyada achha lagega, nahi?"

Meri baat sunkar vo achanak meri aur badha par phir ruk gaya.

"Bahut hua mazak, ab dhyaan se sun. Saanwli ke case se bahar reh. Mujhe apne cases mein koi aur taang adata hua achha nahi lagta"
Kehkar vo hostel ke andar daakhil ho gaya.

Inspector Diwakar Joshi. Vo ek aisa policewala tha jinki nasl ab hamare desh mein vilupt hoti ja rahi thi. Pehli baat toh ye ke aise policewale ab banne band hi ho gaye the aur jo bache the vo dheere dheere khatam hote ja rahe the. Yaani ke ek imandar policewala.

Vo apne kaam ko bahut seriously leta tha aur har kaam imandari se karta tha. Aur yahi vajah thi ke uske aas paas ka har insaan usse pareshan rehta tha. Vaise bhi aaj ke zamane mein jahan duniya ka aadha kaam be-imani se hota ho, vahan imandaar aadmi sirf doosron ke liye sardardi hi ban sakta hai aur aisa hi kuchh mamla Joshi ke saath bhi tha. Dharam Karam mein uska poora yakeen tha aur roz police station mein kadam rakhne se pehle vo Mandir ka chakkar laga kar aata tha. Aur to aur, chhutti wale din Mandir mein pujari ban kar puja path tak karata tha. Pagal tha sala.

Dikhne mein bhi vo policewala kam ek Doctor zyada lagta tha. Sehat ka bahut khyaal rakhta tha, saaf safai par bahut dhyaan deta tha aur hamesha achhe kapde pehenta tha.

Yaani ke ek ideal citizen.

Us mote kaddu jaisi aurat ne mujhe koi bhi kaam ki information nahi di thi. Main apni gaadi mein bethne hi laga tha ke mere dil mein khyaal aaya ke shayad hostel ki koi ladki mujhe kuchh information de de. Main ek pal ke liye ruk kar ghar ki taraf dekhne laga aur tab meri nazar gate ke paas khade us buddhe watchman par padi jo bahut hi shakki nazar se mujhe dekh raha tha. Use ek nazar dekh kar hi main samajh gaya ke mujhe kya karna tha.

Jeb se maine 500 ke 2 note nikal kar hawa mein lehraye. Usne ek pal ke liye idhar udhar dekha aur jhapat kar meri taraf aaya.

"Shaam 5 baje, vo us paan ki dukaan par" Kehte hue usne mujhe gali ke aakhir mein bani ek paan ki dukaan ki taraf ishara kiya aur jitni tezi se vo mere paas aaya tha utni hi tezi se 500 ke note mere haath se khinch kar vaapis apni jagah par ja khada hua.
Hostel se hokar main vaapis office pahuncha toh vahan Khan mera intezaar kar raha tha.

"Tu yahan kya kar raha hai?" Maine use dekh kar puchha.

"Bhajiya tal raha hoon, khayega?" Usne jawab diya.

"Haan par chatni sirf hari wali dena, laal wali mujhe pasand nahi" Maine bhi usi ke andaaz mein jawab diya.

"Haan of course, teekha hi pasand hai tujhe toh tabhi itna teekha bol bhi leta hai"

"Matlab?" Maine apni chair par beth kar cigarette ka packet nikala par jab Khan ne mujhe ghoor kar dekha toh maine vaapis rakhd diya.

"Idhar se guzar raha tha toh socha tujhse milta chalun. Joshi se mila tha tu aaj?" Usne sawal kiya.

"Bada tagda network hai tera, abhi ghanta bhar bhi nahi hua aur tujh tak khabar bhi pahunch gayi" Maine hairan hote hue dekha.

"Usi ka phone aaya tha mere paas"

"Achha? Kya keh raha tha?"

"Keh raha tha mujhse ke main apne paaltu kutte ko uske case se bahar rakhun" Usne kaha.

"Kutta bhi hai tere paas?" Maine haste hue puchha.

"Mazak mat uda Aditya. Tu achhi tarah janta hai ke vo kaafi khatarnaak aadmi hai. Ye jo usne sharafat ka choga pehen rakha hai na, iski vajah se kaafi uper tak pahunch hai uski"

"Haan toh?" Main dono kohniyan table par rakh kar aage ko hota hua bola "Kehna kya chah raha hai?"

"Sirf ye kehna chah raha hoon ke thoda dhyaan se chal. Aur main toh kahunga ke case chhod hi de, koi doosra pakad le"

"Case chhod doon? Rozi roti pe kyun laat maar raha hai yaar. Aisa toh kuchh bhi nahi hua abhi"

"Hone se pehle hi baat maan le. Tu Joshi ko janta nahi. Na vo tujhe pasand karta hai aur na mujhe aur agar tu uske raaste mein aaya toh tujhe lapente ke liye usse jo ban padega karega"

"Dekh" Maine aage badhkar uska haath pakda "I appreciate your concern. Bhai hai tu mera aur main teri baat sun bhi raha hoon. Main sambhal kar rahunga. Filhal mujhe aisa koi andesha lag nahi raha par phir bhi agar aage baat bigadti hui nazar aayi, to jo tu kahega main vahi karunga. Happy now?"

Usne bhi haan mein sar hilaya.

"Tu sirf ye batane aaya tha mujhe?"

"Nahi aaya toh isliye tha ke yahin paas mein kuchh kaam se aaya tha. Ittefaq ki baat thi ke jab is taraf aa raha tha, tab hi Joshi ka phone aa gaya.

"Hmmm. Khayega kuchh?" Maine sawal kiya.

"Nah" Usne inkaar kiya "Abhi khaake hi aaya tha"

"Vo ladki ke baare mein kuchh pata chala?" Maine Saanwli ke baare mein puchha.

"Dekh bhai jahan jahan tune dekhne ko kaha tha maine dekha par kuchh nahi mila"

"Nothing at all?"

"Nahi. Maine traffic accidents ke records check kiye. Sadak haadso mein koi aisi maut nahi hui jiski shinakht na hui ho. Koi aisi laash filhal morgue mein nahi padi jiski pehchan na ki gayi ho. Municipality walo ne ek laash jalayi zaroor thi par vo Saanwli ki ho nahi sakti.

"Matlab?"

"Matlab ke ek buddhi aurat ki laash mili thi kuchh din pehle, koi nahi janta tha ke kaun thi na koi pucchhne aaya aur na records mein koi complaint mili. Kuchh din intezaar karke Municipality walon ke jala diya"

"Hmmm ... that was a dead end"

"Tu ajeeb hai vaise" Usne haste hue mujhse kaha "Koi khota hai toh log pehle ye pata karte hain ke vo aakhri baar kahan tha, kiske saath tha, kisne dekha tha use, kahan rehta tha, kya karta tha vagerah vagerah you know taaki kuchh pata lage. Tu sidha hi use laashon ki list mein dhoondh raha hai"

"Apna apna kaam karne ka tarika hai yaar" Maine kaha "Jahan tune dekha vo bhi ek aisi jagah thi ke jahan mujhe us ladki ka naam mil sakta tha par mila nahi. Toh shuru mein hi maine ye option apni list se nikaal diya. Mil jaati toh mujhe dhakke hi na khane padte. Ab at least case ke shur mein hi main ye janta hoon ke vo kisi sadak durghatna mein nahi mari aur na hi uski laash kahin lawaris batake jalayi gayi"

Khan ke jaane ke baad main kaafi der tak betha sochta raha. Jaane kyun mujhe kaafi ummeed si thi ke uske paas se mujhe koi na ko matlab ki information zaroor milegi. Aisa lagne ki mere paas ek bhi thos vajah nahi thi par ye gut feeling ya sixth sense keh lijiye, meri ummeed kaafi zyada thi jo ki ab nakaam nikli.

"Chal kahin bahar khane chalte hain yaar" Maine ghadi ki taraf dekhte hue Nisha se kaha. Dopahar ka waqt ho gaya tha.

"Aur ye jo ghar se laayi hoon?" Usne apne tiffin box ki taraf ishara kiya.

"Ise raat ko ghar par hi kha lena. Ab chal, main khila raha hoon. Its on me"

Ham dono uthe hi the ke office ka darwaza khula aur Saloni andar daakhil hui.
 
Logged
vampi khan
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
12 hours and 38 minutes.

Jaan kar kya karo ge ???

Posts: 180
Member Since: Dec 2014


View Profile
«Reply #14 on: November 03, 2015, 12:56:02 PM »
"Arrey Saloni Ji aap yahan?" Maine use dekhte hue puchha.

"Haan aise hi socha ke aapse mil loon" Vo andar aati hui boli.

"Haan andar aaiye na. Ye meri assistant hai Nisha. Nisha ye Saloni hain, hamari nayi client" Maine dono ke introduce karaya. Nisha apna bag vaapis table par rakh kar apni jagah ja bethi. Maine Saloni ko apni table ke doosri taraf rakhi kursi par bethne ka ishara kiya.

"Vo aapka koi phone vagerah nahi aaya so i wasnt sure ke aapko koi information mili ya nahi. Maine pehle socha ke aapko phone karun par phir milne hi aa gayi"

"Bahut achha kiya. Vaise main aaj shaam ko aapko phone karne hi wala tha"

"Did you find anything yet?" Usne aas bhari nazron se meri taraf dekhte hue puchha.

"Nahi abhi tak toh nahi par koshish kar raha hoon. Aapki behen ek mahine se lapata hai aur abhi toh filhal maine haath paon maarne hi shuru kiye hain"

"Oh" Uske chehre par ab tak jo ummeed thi vo mayusi mein badal gayi.

"Main asal mein aapse kuchh puchhna bhi chahta tha. Main aapki behen ke hostel gaya tha par vahan insaan ke roop mein bethi us bhains ne mujhe kuchh bataya hi nahi. Ulta mujhe dhakke dekar nikalne par aamada ho gayi. Toh jab aap vahan gayi thi toh kya aapko apni behen ke baare mein koi information mili?"

Meri baat sunkar uske hontho par muskurahat aa gayi.

"Jab main gayi thi toh tab bhi usne mujhse kaafi rudely baat ki thi. Maine apni behen ke baare mein puchha toh kehne lagi ke use kisi se koi lena dena nahi hai and she doesnt know ke kaun si ladki kab aati hai kab jaati hai. Said that she doesnt interfere in somebody's personnal life. Uske shabdon mein kahun toh jab tak mujhe use har mahine ki pehli tareekh ko rent mil raha tha, use na toh kisi mein koi interest tha aur na kisi se koi problem"

"Now thats strange. Mujhe usne ye keh kar tarka diya ke hostel ki har ladki uski apni bachchi ki tarah hai aur vo sabka bahut khyaal rakhti hai"

"And she still refused to talk to you even though one of the girls has been missing for 1 month now?" Is baar pichhe se Nisha boli.

"I know" Maine uski taraf dekhte hue kaha "Its kinda weird and ironic at the same time"

Kuchh der ke liye kamre mein khamoshi chha gayi.

"Aap Mumbai mein kisi ke yahan reh rahi hain ya hotel mein?" Maine Saloni se puchha.

"Ek hotel mein ruki hui thi. Main asal mein kal shaam ko vaaapis ja rahi hoon" Usne bataya.

"Saharanpur?"

"Ji haan. Meri bhi job hai, Mummy Daddy akele hain isliye zyada din yahan rukna afford nahi kar sakti"

"Hmmmm" Maine samajhte hue kaha "Toh ye vajah thi?"

"Ji?" Usne na samajhte hue kaha.

"Is vajah se aapne mujhe hire kiya tha kyunki aap na toh yahan ki hain aur na yahan zyada din tak ruk kar apni behen ki talash kar sakti hain. Na aapko police par itna bharosa hai. So you needed someone jo yahan reh kar aapki behen ko dhoondh sake. Jo extra koshish aap karna chahti hai use anjaam de sake"

"You are right" Usne haan mein sar hilaya.

"Fair enough"

"Abhi hostel ja rahi hoon apni behen ka saman uthane ke liye. Uska vahan ka kiraya due hue ek hafte se zyada ho gaya hai aur vo moti keh rahi thi ke agar maine kiraya nahi diya toh uska saman utha kar bahar phenk degi. Toh ek hafte ke jitne paise bante hai vo dekar saman saath le jaoongi"

"Ek kaam kariye, aaj nahi kal jaiyega aur main aapke saath chalunga. Aur shayad aapki behen ke saman se kuchh main rakhna chahun jo mujhe uski talash mein madad kar sake"

"Yeah sure, but why tomorrow?"

"Kyunki main abhi vahin se hi aa raha hoon aur kuchh aur kaam bhi hai mujhe" Maine kaha.

"Ok toh main yahan aaoon subah kal?"

"Nahi aap mujhe takreeban 10 baje hostel ke paas hi mil jaaiyega" Maine kaha.

Vo uthkar ja hi rahi thi ke achanak ruk gayi.

"Ek zaroori baat aur batani thi"

"Ji kahiye"

"Ek kisi Inspector Joshi ka phone aaya tha mere paas. Meri behen ki gumshudgi ke baare mein baat karna chah raha tha. Mujhe police station bulaya hai"

"Aapki behen ka case usi ke paas hai" Maine use bataya "Kab ja rahi hain usse milne?"

"Aaj shaam ko hi"

"2 baaton ka dhyaan rakhiyega. Ek toh galti se bhi ye mat batana ke aap mujhe janti hain ya aapne mujhe hire kiya hua hai."

"Vo toh acutally main vaise bhi nahi batane wali thi. Ab uske saamne ye toh nahi keh sakti na ke mujhe uspe bharosa nahi isliye kisi aur ko bhi hire kiya. Par aap aisa kyun keh rahe hain?" Usne sawaliya nazar se meri taraf dekha.

"Mera aur uska kaafi purana pyaar hai" Maine haste hue kaha.

"Dont worry, i wont say anything"

"Aur doosri baat, apni behen ka saman aap kal hostel lene ja rahi hain, ye bhi mat kehna"

"All right" Vo samajhti hui boli.

Vo chali gayi toh main Nisha ki taraf palta.

"Ek kaam karte hain, lunch bahar kabhi aur kha lenge. Aaj tera ghar ke khane ka dibba hi kholte hain"Shaam theek 5 baje main hostel ke paas bani paan ki dukaan par khada cigarette ke kash laga raha tha. Kuchh der baad hi vo chowkidaar sada kapdo mein aata hua dikhai diya. Maine use aata dekh cigarette bujha di aur uski taraf chala par vo mere kareeb se aise guzar gaya jaise pehchanta hi na ho.

Ek pal ke liye to mujhe samajh hi nahi aaya ke kya hua par phir agle hi pal dimag ki batti jali aur main palat kar uske pichhe pichhe chal diya. Vo chalta hua gali se bahar main road par aa gaya jahan meri car bhi khadi hui thi. Car ke paas aakar vo ruk gaya.

"Andar beth kar baat karte hain. Aisa khade mein kisi ne mujhe aapse baat karte dekh liya toh museebat ho jaayega" Main uske pichha chalta car tak aaya toh vo mujse bola.

Maine car ka darwaza khola aur ham dono hi front seats par aa bethe.

"Kaun ladki ka information chahiye?" Meri taraf dekh vo bola. Bolne ke andaz se hi main samajh gaya ke vo Bihar ka rehne wala tha.

"Vo sab baad mein, pehle ye batao ke kisi ne tumhein mujhse baat karte dekha toh museebat kyun ho jaayegi?"

"Abhi aap pehle ya akele toh nahi hain na jo ladki logan ke baare mein puchh rahe hain. Aaye din koi na koi aa jata hai ke vo kaun ladki hai, vo kaisi ladki hai. Ham pehle batai dete the, phir ek do baar pakde gaye. Final warning mila hai hamein ke ab kisi ladki ka information bahar diye toh naukri se jaayenge" Vo ek saans mein bola.

"Hmmmm" Maine Saloni ki tasveer nikali "Is ladki ke baare mein malum karna hai, Saloni Mitra"

Tasveer dekhte hi uske chehre ke bhaav badalte chale gaye. Usne kuchh bolne ke liye munh khola hi tha ke phir fauran band kar liya.

"Iska toh zyada lagega saahib" Vo bargain karne par aa gaya.

"Aur aisa kyun?"

Jawab nahi aaya.

"Zyada kyun lagega?" Maine phir puchha par vo meri shakal aise dekhta raha jaise main faarsi mein bol raha hoon jo uske palle nahi pad rahi.
Maine samajhte hue ek 100 ka note aur nikala.

"Ab kya hai na sahib" Usne 100 ka note liya aur jeb mein daal liye "Itna bhola toh hamko bhi mat samajhiyega na aap. Ye ladki ke zaroor koi toh bada lafda hai. Subah isko puchhte hue pehle aap aaye, phir ek policewala aur ab shaam ko phir se aap."

Main janta tha ke vo Joshi ke baare mein baat kar raha hai.

"Kya bata sakte ho iske baare mein?"

Vo phir chup chap meri shakal dekhne laga. Maine ek 100 ka note aur nikala.

"Ye ladki ko dekhte hi ham samajh gaye the na ke ye sasuri bahut lafdabaazi wali ladki hai. Always hamko ise dekh kar lagta tha ke ye uper se jitni thi, andar se usse 100 guna zyada thi"

"Matlab? Thoda detail mein batao"

Par vo phir chup ho gaya. Maine jeb se is baar 500 ka note nikala.

"Ye aakhri hai, ab chup chap rattu tuote ki tarah gana shuru kar do varna jitna diya hai sab vaapis le loonga aur tumhari complaint kar doonga. Maal se bhi jaoge aur naukri se bhi"

Meri dhamki kaam kar gayi.

"Koi saal bhar pehle ye yahan rehne ko aayi thi. Ek dam sidhi saadi, dekhne se hi lagta tha ke koi gaon ya chhote shehar ki hai. Hamko toh laga ke hamre Bihar ki hi hai. Hamne baat karne ka bhi koshish kiya par ye kisi se baat karti hi nahi thi. Pehle kaafi din naukri ke chakkar mein yahan vahan ghoomti rehti thi aur phir kahin shayad kaam mil bhi gaya tha ise. 2-3 mahine tak toh sab aisan theek hi raha.

"Phir?"

"Phir kya, phir chidiya ke par nikalne lag gaye. Shakal soorat aur rangat se koi khaas nahi thi par sab saman chaukas raha inka. Toh phir dheere dheere se kapde bhi aise ho gaye ke saman aur nikhar ke bahar ko aaye. Salwar kameez se jeans aur phir jeans se oo chhote chhote lehenge pe aa gayi"

Short skirts. Mumbai jaise shehar mein ye koi badi baat nahi thi.

"Toh isse tumhein laga ke ye lafde baaz hai?"

"Arrey nahi. Vo aadhe kate hue lehenge toh ihaan sab pehenti hain par iska chakkar kachhu aur hi raha"

"Kya?"

"Ek din ham ka dekhte hain ke raat ke waqt ek police ki gaadi isko chhodke gayi"

"Police ki gaadi?"

"Ji haan. Ab aap hi sochiye, jis ladki ko uske ghar par raat ko police ki gaadi chhodke jaaye, vo kaisan rahi hogi"

"Hmmmm" Main gaur se uski baat sun raha tha "Phir?

"Phir ye ek silsila hi ho gaya. Aksar ise log gaadiyon mein chhod kar jaate the aur beech beech mein ek aadh baar aur police ki gaadi ise chhodke gayi. Ab jahan tak hamari soch jaati hai, police ki gaadiyon mein toh vahi ladkiyan milti hain jo kahin raid mein pakdi gayi hon"

"Phir?"

"Phir yahi silsila raha. Pehle toh roz raat ko aa jaati thi par phir kabhi kabhi raat bhar nahi aati thi. Kabhi kabhi 2-3 din tak gayab rehti thi"

"Gaadiyon mein kaun log hote the?"

"Ab ye toh common sense ki hi baat hai saahib ke kaun aate honge. Ham toh vahi bata rahe hain jo hamne dekha" Usne daant dikhate hue kaha.

"Hmm"

"Phir koi ek mahine se ye yahan dikhayi nahi di hai. Hamein laga ke chhod kar chali gayi hogi par phir jab aaj aap aur police puchhte hue aayi tab ham samjhe ke lafda kuchh aur hi hai"

"Yahan hostel mein rehne wali ladkiyon mein koi iske kareebi?"

"Haan ek thi, Maya. Ye dono ek hi kamre mein rehte the. Par vo koi 3 mahina pehle chhodke chali gayi. Ham suna rahe ke kahin Pune mein shaadi kar li thi usne. Uske baad se ye akeli hi rehti thi"

"Aur koi ladki?"

"Aur kisi se toh ye sidhe munh baat hi nahi karti thi"
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 04:11:36 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.171 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer