Unknown Target...........masoom

by Masoom Shahzada on August 13, 2012, 03:29:02 AM
Pages: 1 ... 5 6 7 8 [9] 10 11 12 13 ... 19
Print
Author  (Read 37203 times)
masoom shahjada
Guest
«Reply #120 on: September 24, 2012, 09:30:20 AM »
mujhe toh fight scene ka intezaar rahega jab karan aakhir mein main villain se fight karegaa...anways story going great ye jasoosi kahaniyo mein no.1 pe hongi yoindia mein...

Asif bhaai fighting scene to jald hi aane wale hai par fight Shaan ki hogi. Karan ki fight to na ke barabar hi hogi. Dar asal main kirdar es story ka Shaan hi hai.
.
Aur etna suspence jo banta chala ja raha hai wo Shaan ki entry ke baad hi kuch kam hoga.
.
By the way aapka bahut bahut sukriya.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
My mind sails, through an unknown sea! by abdbundeli in English
Na Kamal-e-Fun Hi Mila Mujhe - Not Mine (Shayr Unknown to me) by fernsk in Shayri-E-Dard
A shared poetry-writer unknown by tamanna1 in Share:Love Poetry
apnay badlay huway lehjay ki wazahat karna- Unknown by ghayal_shayar in Urdu Poets « 1 2  All »
saathoN ki kasoor ho geya--Unknown by ghayal_shayar in Pain in Love : Punjabi poetry
masoom shahjada
Guest
«Reply #121 on: September 24, 2012, 09:45:05 AM »
Masoom Sahaab Aadaab!


janab kafi dinoN se aapki kahaani padh rahe haiN hum.. par
samjh meiN nahi aaya ke yeH aap likh rahe haiN ke koi aur ?

dear behad khoob kahaani hai itne saare parts add kar diye haiN
aapne ke kia kaheN .... jab bhi login karne ka mood nahi hota hai
toH hum stories padhte rahte haiN.. par aapke stories ke kuch
hi panne padhe haiN abhi... Insha Allaah zaroor puri padh leNge

umdaa khaaniyaaN pesh aa rahi hai YO par us meiN aap bhi aik
khoob writter bankar samne aa rahe haiN...

Aise hi likhate rahiye... aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez... Usual Smile                   



Parwaz bhaai Aadab
Parwaz bhaai ye kahani maiN hi likh aha hooN. KahaniyaN to esse pahle bhi kuch likhi thi par we sab meri dairy ke panno me hi kaid hai. Ye pahli kahani hai jo mene Yoindia Shayariadab pe likhne ki sochee hai. HalaNki esse pahle Yoindia Shayariadab pe ek story likhne ki koshish ki thi par koi khash responce na milne ki wajah se adhori hi chod di thi. Par allah ne chaha to es story ko complete jaror karuNga adhori nahi choduNga.
.
Abhi aapne es story ke kuch hi update read kiye hai. Pori story read karke comment jaror karna. Aur ho sake to suggestions bhi dena.
.
Aur umda writer to beshak ham nahi hai. HaN ek bahut achchi story likhne ki koshish jaror kar rahe hai.
.
By the way bahut bahut sukriya
Khuda Hafiz
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #122 on: September 24, 2012, 09:46:56 AM »
keep it up.. Applause
Jee aap bas esi tarah sath dete rahiye. Ham kahani ko aur jayada intresting banane ki koshish karte rahege.
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #123 on: September 24, 2012, 01:05:35 PM »
MASOOM JI,
yakeenan yeh kahaani bahut hi achhee aur dilchasp ban padi hai,apko baar baar yeh poochhne ki avashyakta nahin hai ki kya vaakai?.ab yeh padne valon par hai ki ve beech beech mein comment dete hain ki nahin,main dekh sakta hoon ki kuchh hi members ne comment kiye hain visheshtaya mukesh ji ne.yeh bhi achha hai kam se kam apko yeh to lag raha hai ki aap jo likh rahe hai koi to unko pad raha hai, magar aap  hatotsahit na hon(mujhe yaad hai mukesh ji ne bhi ek baar aapko likha hai), jaroor kai log is kahani ko pad rahe honge. agar bhai, jo nahin pad rahe ho to is msg ko pad kar shuru keejiye padna,(kuchh panktiya ab tak na padne valon ke liye:-

      lambi kahaani ko dekh kar tum ghabrao mat
      nahi padi,koi baat nahin,ab to sharmao mat     
      yakeen karo isko padne mein aayega bada maja     
      ab samay kam hone ka bahaana tum banaao mat

maine ek page pada tha pahli sitting main baaki do sitting mein poore 8 page(40 updates) samaapt kar liye hain. besabri se itezaar hai apke agte update ka. bahut bahut shukriya yo india par hum sabko itna samay dene ka.
shubh kaamnaon sahit,
ghansham das ahuja

 

Ghansham das ahuja jee
Dost wakai baar baar esliye pochna padta hai kiyoNki es kahani pe bahut hi kam comments aaye hai. Chalo comments kam bhi kuch samajh aate hai par shayad es story ko only 700 + baar hi view kiya gaya hai. Esliye agar koi kahta hai ki aapki story bahut achchi hai to lagta hai shayad mazak ho. Esliye wakai pochne ko dil kar jata hai. Par ab wakai lagta hai ki meri kahani achchi hai.
.
Aur bhaai inshan ki fitrat hai agar wo koi kaam kare aur use appreciation na mile to wo hatosahit to ho hi jata hai. MaiN bhi inshan hooN jhot nahi boluNga. Jab es kahani pe koi comment nahi kar raha tha to suru suru me mujhe aesa laga ki MaiN bin matlab ke es story ko likhe ja raha hooN, koi ese read hi nahi kar raha hai. Tab mera dil kiya ki es thread ko yaheeN chod do, es kahani ko adhora hi chod du..
Par Mukesh bhaai(mkv ji) ne mera hosla afjai kiya. Mujhe encrouge kiya. Jisse maiN es kahani ko aage barane me safal raha. Ye kahani aap Yoindia Shayariadab pe jo read kar rahe hai ye sirf aur sirf Mukesh bhaai ki wajah. MaiN apni es story ko dedicate bhi unko hi karna chahuNga.
Mukesh bhaai ke hosla barane ke baad mene es story ko continue rakhkha ... Aur ab mene es story ko ek dosri site pe bhi paste karna suru kar diya hai. WahaaN se es story ko etna appreciation mil raha hai ki mujhe bhi manna para ki story me kuch to dam hai.
.
Aur aapne es story ko read karne ki request Yo walo se ki hai.... Uska maiN aapka bahut bahut sukargujar hooN.
.
Kahani to ye thori lambi hai par kadam kadam pe aapko sochne ke liye majboor kar dene wali bhi hai. Har feeling ko dikhane ki koshish ki hai mene. Dosti, pyar, bewafai, badla, crime, rishte, wagerah wagerah.
.
Next update jald hi post karne ki koshish karoNga.
.
MaiN etna khulke kisi bhi social jagah nahi likhta. Par aapke pyar ne mujhe majboor kar diya.
Agar kisi ko bhi meri koi baat hurt kare to mujhe maaf karna....
Masoom Shahzada

Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #124 on: September 24, 2012, 05:49:05 PM »
Update 41

Shaam ke 04:00 bajne ko hai, Sanjana apni mammi ke room me baithi mammi se bate kar rahi thi. Tab hi use door-bail bajne ki aawaz aati hai, wo uthkar ye sochti huyi gate ki aur chal deti hai ki kaun aaya hoga. Uske papa to business ke silsile me dosre shahar gaye huye the jo do ya teen din se pahne aane wale nahi the..
Sanjana gate kholti hai to saamne Shaan ko khara pati hai..
.
"Aap" Sanjana ke monh se hairat se nikalta hai. HalaNki raat Karan ne use bataya tha ki use lene wo Shaan ko bhejega par Shaan aaj hi tapak parega use ye ummid nahi thi.
.
"Aapke khasam ne bheja hai aapko lene ke liye,..... Aur ye monh band kar lijiye warna makhkhiya laat markar daaNt tor degi" Shaan ne Sanjana ke hairat se khule monh ko dekhte huye apne khas andaj me kaha.
.
Shaan ki aawaz sunkar Sanjana kuch samhali aur boli.."Kaise ho"
.
"Bahut bhoka hoN" Shaan ne halka sa muskurate huye kaha.
.
Sanjana etni hairan thi ki abhi tak usne Shaan ko andar aane ko bhi nahi kaha tha. Wo apne dono hatho se gate pakre huye thi.. Jisse  rasta band tha. Shaan aage bara aur Sanjana ke ek hath ko darvaje se hatakar andar dakhil ho gaya. Sanjana sarminda si gate band karne lagi.
.
"Safar kaisa raha" Sanjana ab apni hairat pe kabu pa chuki thi.
.
"Bhabhi jee, safar, raste aur manjiloN ki dastan baad me pahle khane ko kuch lao" Shaan Sanjana ke paas hi khare huye pore ghar pe najar dourate huye bola
.
Wo kareeb 10:30 ka apne ghar se chala hua tha. Aur Shaan ke Shahar se Sanjana ke shahar tak aane me kam se kam 5 ghante lagte the. Shaan ne beech me kuch bhi nahi khaya tha esliye wo shadeed bhook mahsos kar raha tha. Ab Shaan etna sareef to tha nahi ki mahmano ki tarah chupchap baithkar mejbano ke rahmo karam pe rahta. Wo to bilkul apne ghar ki tarah Sanjana pe hukam chala raha tha.
.
HalaNki Shaan yahaaN sirf dosri hi baar aaya tha. Pahli baar wo Karan ki baarat me yahaaN aaya tha. Par bilkul besarmo ki tarah pesh aa raha tha.
.
"Mammi kahaaN hai" Shaan ne pocha
.
"Ma..mam...Mammi... Kiski mammi"  Sanjana tajjub se boli
.
"Aapki mammi aur kiski mammi. Ab meri mammi to aapse etna pyar karti nahi jo Bhagwan se permission lekar aapse milne aaye" Shaan ne gambheer lahje me kaha

.......................
(Jaaree...)
Logged
mkv
Guest
«Reply #125 on: September 24, 2012, 06:36:48 PM »
MASOOM JI,
yakeenan yeh kahaani bahut hi achhee aur dilchasp ban padi hai,apko baar baar yeh poochhne ki avashyakta nahin hai ki kya vaakai?.ab yeh padne valon par hai ki ve beech beech mein comment dete hain ki nahin,main dekh sakta hoon ki kuchh hi members ne comment kiye hain visheshtaya mukesh ji ne.yeh bhi achha hai kam se kam apko yeh to lag raha hai ki aap jo likh rahe hai koi to unko pad raha hai, magar aap  hatotsahit na hon(mujhe yaad hai mukesh ji ne bhi ek baar aapko likha hai), jaroor kai log is kahani ko pad rahe honge. agar bhai, jo nahin pad rahe ho to is msg ko pad kar shuru keejiye padna,(kuchh panktiya ab tak na padne valon ke liye:-

      lambi kahaani ko dekh kar tum ghabrao mat
      nahi padi,koi baat nahin,ab to sharmao mat     
      yakeen karo isko padne mein aayega bada maja     
      ab samay kam hone ka bahaana tum banaao mat

maine ek page pada tha pahli sitting main baaki do sitting mein poore 8 page(40 updates) samaapt kar liye hain. besabri se itezaar hai apke agte update ka. bahut bahut shukriya yo india par hum sabko itna samay dene ka.
shubh kaamnaon sahit,
ghansham das ahuja

 
Ahuja ji namaste
bahut bahut shukriya.aapne story ko itne dhyaan se padha hai ki beech me mere kiye comments pe bhi dhyaan diya hai.
ek jamana tha..v.p.sharma ke jasoosi upnyas chori chori padha karta tha..padhta tha tab..ab mauka hai aur story bhi usi tarz par chal rahi hai isliye mai to laga hun padhne me..
aur haan.. beech -2 me comment karke ye batana bhi jaroori hai ki ham padh rahe hai..jaise ki aapne kiya..
Logged
mkv
Guest
«Reply #126 on: September 24, 2012, 06:39:35 PM »

Ghansham das ahuja jee
Dost wakai baar baar esliye pochna padta hai kiyoNki es kahani pe bahut hi kam comments aaye hai. Chalo comments kam bhi kuch samajh aate hai par shayad es story ko only 700 + baar hi view kiya gaya hai. Esliye agar koi kahta hai ki aapki story bahut achchi hai to lagta hai shayad mazak ho. Esliye wakai pochne ko dil kar jata hai. Par ab wakai lagta hai ki meri kahani achchi hai.
.
Aur bhaai inshan ki fitrat hai agar wo koi kaam kare aur use appreciation na mile to wo hatosahit to ho hi jata hai. MaiN bhi inshan hooN jhot nahi boluNga. Jab es kahani pe koi comment nahi kar raha tha to suru suru me mujhe aesa laga ki MaiN bin matlab ke es story ko likhe ja raha hooN, koi ese read hi nahi kar raha hai. Tab mera dil kiya ki es thread ko yaheeN chod do, es kahani ko adhora hi chod du..
Par Mukesh bhaai(mkv ji) ne mera hosla afjai kiya. Mujhe encrouge kiya. Jisse maiN es kahani ko aage barane me safal raha. Ye kahani aap Yoindia Shayariadab pe jo read kar rahe hai ye sirf aur sirf Mukesh bhaai ki wajah. MaiN apni es story ko dedicate bhi unko hi karna chahuNga.
Mukesh bhaai ke hosla barane ke baad mene es story ko continue rakhkha ... Aur ab mene es story ko ek dosri site pe bhi paste karna suru kar diya hai. WahaaN se es story ko etna appreciation mil raha hai ki mujhe bhi manna para ki story me kuch to dam hai.
.
Aur aapne es story ko read karne ki request Yo walo se ki hai.... Uska maiN aapka bahut bahut sukargujar hooN.
.
Kahani to ye thori lambi hai par kadam kadam pe aapko sochne ke liye majboor kar dene wali bhi hai. Har feeling ko dikhane ki koshish ki hai mene. Dosti, pyar, bewafai, badla, crime, rishte, wagerah wagerah.
.
Next update jald hi post karne ki koshish karoNga.
.
MaiN etna khulke kisi bhi social jagah nahi likhta. Par aapke pyar ne mujhe majboor kar diya.
Agar kisi ko bhi meri koi baat hurt kare to mujhe maaf karna....
Masoom Shahzada


Are nahi Masoom bhai..asli credit to aapko hi hai..aap itni mehnat se likh rahe hai..keep it up..jinhe stories me interest hai vo sabhi padh rahe hai..Ahuja ji ko hi le leejiye..ek saath itna time diya unhone.
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #127 on: September 24, 2012, 06:46:45 PM »
Update 42

Sanjana ko btane ki jarurat hi nahi padi kyoNki Shaan etni tej tej bol raha tha ki uski aawaz sunkar Sanjana ki mammi ko apne kamre se bahar aana hi para ye dekhne ke liye ki kaun aaya hai.
.
Sanjana ki mammi ko dekhte hi Shaan unki taraf ko lapka aur unke per chuye mammi ne pyar se Shaan ke sar pe hath firaya aur use lekar dring-room me aa gayi aur Sanjana kitchen me chali gayi.
Sanjan mammi se pahle hi bata chuki thi ki use lene Saaan aayega to unhe Shaan ke aane se kuch hairat nahi huyee thi.
.
Jab Shaan chair pe baith gaya to Sanjana ki mammi boli.. "Kaise ho"
.
"Aunty aapki duwa'ao se bilkul theek hoN" Shaan bahut narm lahje me dhire se bola. Es time wo sar jhukaye baitha tha.
.
Sanjana ki mammi sawal kar rahi thi aur wo sar jhukaye jawab de raha tha. Es waqat wo bilkul masoom lag raha tha. Koi kah hi nahi sakta tah ki abhi kuch der pahle wo apni bhabhi se ulti-sidhi bakwas kar raha tha
.
Thori der baad Sanjana dring room me aayi aur diting table pe frutes, sweets aur jane kya kya lagane lagi. Aunty aur Shaan diting-table ke paas bichi do kursiyoN pe baith gaye. Sanjana ko ek kursee pe baithta dekh Shaan bola..."Aap kahaaN baith rahi hai. Etna maiN naasta karta hoN. Aap apna samaan pack kar le.. Bas aadhe ghante ke andar andar hame yahaaN se nikalna hai"
.
Sanjana es hamle ke liye tayyar nahi thi wo ghabra gayi. Use to lagta tha kam se kam aaj to Shaan jane ki baat nahi karega. Kal ko use rokne ka wo koi na koi bahaana dond hi legi... Par achcanak es sawal pe wo bhokla hi gayi aur boli..."Ab...abh...abhi ham kaise ja sakte hai"
.
"MaiN car lekar aaya hoN. usse chaleNge" Shaan Sanjana ke ghabraye huye chehre pe gahri najar daalta hua bola.
.
"Mera matlab tha.. Abhi papa baahar gaye huye hai. Do teen din baad aayeNge tab chaleNge" Sanjana ko jaldi me ye hi bahana sujha. Sanjana ab apni ghabrahat pe kabu pa chuki thi
.
"MaiN uncle ko lene nahi aaya. Aapko lene aaya hoN" Shaan ne tanj kiya. Halaki paas aunty baithi thi esliye usne apna lahja halka hi rakhkha tha. Par Shaan ki lagatar Sanjana pe tiki nigahe Sanjana ko chain ki sans nahi lene de rahi thi
.
"Beta abhi to tum etna lamba safar karke aaye ho. Thak gaye hoge. Ek do din aaram karke. Apni bhabhi ko le jana" Sanjan ki mammi boli
.
"Jee theek hai Aunty jee" Shaan ne apna sar jhukate huye kaha.
.
Shaan ko maanta dekh Sanjana ne chain ki sans li. Karan se Sanjana ne wada kiya tha ki wo Shaan ko 7-8 din apne paas roke rakhegi par Shaan to aaj bhi rukne ko tayyar nahi dikh raha tha. Wo bahut ghabra si gayi thi par mammi ne baat samhal li thi. Aur hairat ki baat ye thi ki mammi ke ek baar kahte hi Shaan ne aaj jana cancel kar diya tha.
.
Ab Sanjana khush thi ki wo 2-3 din to mammi ke kahne se ruk hi raha hai. Baad me koi na koi bahana banakar aage bhi wo use rok hi legi.
.
Par Sanjana ki ye khushi jayada der tak na tik payi. Mammi to naste karke parosh me baithne chali gayi aur unke jaate hi Shaan bola....."Chalo bhabhi jee tayyar ho jao hame abhi nikalna hai"
.
" Par abhi to aap maan gaye the do teen din baad ane ke liye"  Sanjana hairat se boli
.
"Wo baat ab puraani ho gai. Hame aaj aur abhi ghar chalna hai"
.
"Mujhe kuch shoping karni thi. Esliye aaj nahi chak sakte. Kal shoping karke parso chaleNge" Sanjana jaldi se boli.
.
"Hamare shahar me es shahar se achche Mall hai wahaaN se shoping kar lena" Shaan ne khare hote huye kaha. Aesa lag raha tha jaise wo bas jane ko tayyar hai
.
"Wo...wo...wo..mujhe..." Shaan ko uthta dekh Sanjana ne kuch kahna chaha par uski samajh me hi nahi aaya ki wo kya bahana kare.
.
"Mujhe to aapke irade khatarnak lag rahe hai. Lagta hai aap mujhe yahaaN rokkar mera murder karwana chahtee hai" Shaan ne sanjeeda lahje me kaha. Wo es waqat bilkul serious lag raha tha.
.
"K..k..Kya kah rahe hai aap... Wo to Karan ne kaha tha ki aapko 7-8 din apne paas roke rahna.. Fir Aapke sath aa jana. Esliye maiN aapko rok rahi thi.. Aur aap etna bara ilzaam...."Sanjana apni baat pori bhi na kar payi.
Es waqat wo bilkul ro dene ko thi. Shaan ki baat sunkar uske pero tale se jameen khisak gayi thi.
.
"Agar sidhe-sidhe bataa deti.. To sach ugalwane ke liye mujhe aap par etna bara ilzam na lagana parta" Shaan muskurate huye kah raha tha.
.
Shaan ka suru me aaj wapis jane ka koi plan nahi tha usne suru me wese hi majak me Sanjana se packing karne ko kaha tha. Par uski baat sunkar jis tarah Sanjana ghabrayi thi. Shaan ko shak ho gaya tha ki daal me jaror kuch kala hai. Par aunty ki wajah se kuch jayada kah nahi paya tha. Ab aunty ke jane ke baad. Usne Sanjana pe etna bara ilzam lagakar use bhawuk karke aakhir sach jaan hi liya tha.
Ab wo 7-8 din aaram se yahaaN rahne ke liye tayyar ho gaya tha aur ye baat usne Sanjana ko bhi bta di thi.  

......................
(Jaaree......)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #128 on: September 24, 2012, 07:53:52 PM »
Update 43

01:00 baje se Karan ko Dev ka intizar karte-karte 05:00 baj gaye. Kareeb 05:10 minute pe Dev aayaa. Par wo akela nahi aaya tha. Uske sath 3 log aur the.
.
Karan Dev se bilkul akele me milna chahta tha esliye un teeno ke jane ka intizar karne laga. Par un logo ke jane se pahle hi Karan ko ASP Dev ne apne kebin me talab kiya. We teeno log wahee Dev ke paas hi baithe the. Dev ne Karan ka unse introduction karwaya. We teeno C.B.I. Ke officers the.
.
"Karan Raj Bhagwat ka kes ab C.B.I.  apne hatho me le rahi hai" Dev ne Karan ke sar pe bam foda.
.
"Jee sir" Karan mari huyi si aawaz me  bola.
.
"Par C.B.I. Es kes pe kaam kar rahi hai. Tumhare alawa kisee ko malom nahi hona chahiye" Dev ne Karan ko ak aur jhatka diya.
.
"Aesa kiyoN sir" Karan Dev ki baat sunkar bola.
.
"Aaj kal Criminals Police se nahi darte par C.B.I. Se khauf khate hai. Agar unhe pata laga ki es kes ko C.B.I. Dekh rahi hai to we chaukanne ho jayege. Aur ham unki be-fikri ka fayda uthana chahte hai. Esliye ye baat kisee bhi keemat pe baahar nahi jani chahiye" Dev bola.
.
"O.K. Sir, ye baat bilkul bahar nahi jayegi" Karan bola. Eske alawa wo bol bhi kya sakta tha.
.
"Aur haN, jis tarah se tum es kes pe kaam kar rahe the.. Ab nahi karoge.. Ab bas tum es kes pe kaam karne ka dikhawa karte rahna. Baki ka sara kaam C.B.iI Khud karegi" Dev bola aur sans lene ko ruka aur fir bolne laga.."Ab enko apne kebin me le jao aur suru se aakhir tak sari details do"
.
Karan ke paas Dev ki baat manne ke alawa koi chara hi nahi tha. Abhi-abhi Dev ne use aese jhatke diye the jinse wo abhi tak ubhar hi nahi paya tha. Dev ki kalai dekhne wali bat to uske dimag se poree tarah nikal gayi thi
.
Karan un teeno officers ko apne kebin me le aaya. C.B.I. Ke we teeno officers 4 ghante se jyada uska dimaag khate rahe.
Kareeb 09:20 par Karan Police Station se ghar ko rawana hua. Apne ghar ke saamne pahochkar Karan ne apni gaadee rokee aur gaadee se utarkar abhi wo apne ghar ki keys apni jeb se talash hi kar raha tha ki uske phone pe kisee ki call aane lagi. Karan ne mobile dekha call Sikandar ki thi
.
"Hello Karan sir"
.
"HaaN bolo Sikandar" Sikandar ki pareshan si aawaz sunkar Karan bola
.
"Sir, abhi-abho Sagar road pe Dev sir ka acsident hua hai.. Unhone mauke pe hi dam tor diya....." Sikandar aage bhi kuch kah raha tha par Karan ko kuch sunayi nahi de raha tha

..........................
(Jaaree.....)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #129 on: September 25, 2012, 03:27:36 PM »
Are nahi Masoom bhai..asli credit to aapko hi hai..aap itni mehnat se likh rahe hai..keep it up..jinhe stories me interest hai vo sabhi padh rahe hai..Ahuja ji ko hi le leejiye..ek saath itna time diya unhone.

Nahi bhaai Asli Credit to aap ko hi jata hai. Agar aap na hote to maiN es story ko adhora hi chod chuka hota.
.
Beshak likh maiN raha hooN par likhne ko prerit aapne hi kiya hai.
Logged
mkv
Guest
«Reply #130 on: October 03, 2012, 09:25:48 AM »
break thoda lamba ho gaya???
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #131 on: October 07, 2012, 03:45:10 PM »
break thoda lamba ho gaya???
Abhee kuch update deta hoN
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #132 on: October 07, 2012, 04:11:34 PM »
Update 44

Inshaan bechara bhi hawa'ao me jalte us chirag ki tarah hota hai. Jise kabhi bhi hawa ka koi tej jhoka aakar bhujha jata hai.
.
Aaj Dev naam ke chiraag ko acsident rupee hawa ke tej jhonke ne bari be-rahmi se bujha diya tha.
.
Karan Dev ki bahut ijjat karta tha. Par aaj subah se jabse Blue Cottage ke saamne khari car se Karan ko Dev ke photos mile the. Wo Dev se ek ajeeb tarah ki nafrat mahsos kar raha tha. KyoNki use lagaa tha ya to Dev wo informer hai jo berahmi se logo ko maar raha hai ya fir 7 stars Gang ka koi member hai. Par abhi-abhi Sikandar se Dev ki maut ki khabar sunkar Karan ko bahut dukh hua tha. Karan thake-thake kadmo se wapis apni gaaree tak aaya aur start karke gadee ko Sagar Road ki taraf dara di.
.
Karan Sagar Road pe pahoNcha to dekha bahut door tak jaam laga hua tha. Jisse Karan ko apni gadee bahut piche rokni paree. Karan apni gaadee se utra aur gaadiyoN ke beech se paidal nikalta huaa wahaaN pahoNcha JahaaN logo ki bhayankar bheer jama thi.
.
Kisee tarah logoN ko cheerte huye  wo sabse aage aaya. To saamne ke dil dahla dene wale manjar pe uski najar pari.
.
Road pe kafi door tak khoon ke dhabbe jame huye the. Aur bahut door tak Dev ka pisaa hua sareer Road se chipka hua tha.
.
Dev ki jo haalat huyi thi usko laash bhi nahi kahaa ja sakta tha. Laash thi hi kahaaN. Bas bahut door tak Road par gost chipka hua tha. Shayad es ki pahchan bhi bike aur Road pe fate kapro se mili chijo se poata lagaya gaya tha ki marne wala Dev hai warna kuch maloom bhi nahi ho pata ki marne wala kaun tha. Kyoki wahaaN jism ka koi ek bhi hisaa nahi tha jo bina pise bacha tha.
.
Dar-asal hua aesa tha ki Sagar Road pe ek bahut khatarnaak mor hai. Shayad Dev apni bike ko bahut tej bhagaye le ja raha tha. Mor pe bhi usne apni bike ki speed kam nahi ki par etni tej bike cover nahi kar paya aur saamne se aati huyi ek car se apni bike takra bitha.
.
Uski bike ek taraf giri aur wo uchal kar beech road pe aa gira. Wo bilkul ek truck ke tyre ke niche aa ke gira jo uski bike ke piche piche aa raha tha. Aur us truck ke niche kuchla gaya. Fir mor hone ke karan koi use dekh nahi paya aur jab dekhte to bahut der ho chukee hotee esliye bahut si gaadiyaN uskee laash ke upar se gujar gayi. Jisse uski etni buri haalat huyi thi.
.
Karan ki aankho me ye manjar dekh kar aansu aa gaye. Usse wo manjar dekha na gaya. Wo wapis mura aur apni gadee se wapis apne ghar aa gaya.
.
Ghar aakar usne baath liya aur fir apne mobile se Sanjana ka number dial karne laga use ye btane ke liye ki kal use lene Shaan  aa raha hai.
.
"Hello jan-ae-man kaise ho" Dosri taraf se call pick karte hi Sanjana boli.
.
"Ek dam mast. Meri jaan kaisee hai" Karan ne jabardasti apni aawaz ko khus-gavar banate huye kahaa. Agar Sanjana uski pareshan aawaz sun leti to fir poch-poch kar uska dimaag kha leti.
.
"Hi re Bhagwan mere baby ko jane kya ho gaya hai. Aaj kal mujhse jhot hi bolta hai... Chalo jayada natak mat karo ye batao etne pareshan kiyoN ho" Sanjana bahut seriously boli.
.
"Yaar police ki to jab hi aesi hai hamesha kuch na kuch ajeeb hota rahta hai.. Khair choro.. Maine tumhe ye batane ke liye Call kiya tha ki Kal tumhe lene Shaan aa raha hai" Karan ne kaha. Es baar uska lahja thaka thaka sa tha. Es baar usne apne lahje ko khushgavaar banaane ki koshish nahi ki thi.
.
"Aapse ek baat pochni thi"
.
"Pocho" Karan hairan hote huye bola
.
"Shaan Maa ke pet se bhi jaldee baahar aa gaye the kya"
.
"Kya matlab" Karan Sanjana ke es be-tuke sawal pe jhalla ke bola
.
"KyoNki Shaan kal aane wale the.. Par aaj hi aa chuke hai" Sanjana hanste huye boli
.
"Aesa kya... To usse hi poch lo... Mujhse kiyoN sawal kar rahi ho" Karan bhi muskurate huye bola
.
"Kya aap ne mujhe pagal samajh rakhkha hai jo Shaan se pochuN. We to mujhe kachcha hi chabba jayeNge" Sanjana khilkhila ke boli.
.
Kafi der tak Karan Sanjana se baat karta raha. Aur fir so gaya.

...................................
(Jaaree....)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #133 on: October 07, 2012, 04:31:28 PM »
Update 45

Shahar ke lagbhag bicho-bich bane ek khobsurat aur bahut lambe chore Bonglow me.. Ek 34-35 saal ka aadmee. Jiski lambaai lagbhag 5 foot 8 inch hai. Aur jiska jisma paththar ki tarah majbot lag rha hai. Apne chehre ko ek nakaab me chupa raha hai.
.
Apne chehre ko naqaab me chupa kar wo aadmee us kamre se nikalkar dosre kamre me jata hai.
.
Aur us kamre ma lage switch-board ki taraf barta hai. Par wo kisee swich ko dabaane ki bajaaye. Board pe khali jagah apne hatho me pahni huyee agothee lagaata hai.
.
Uske wahaaN ring lagaate hi ek chamatkaar sa hota hai. Ek halki si aawaz hoti hai aur us room ka thora sa fars ek taraf ko hatne lagta hai aur niche utarti huyee seeriyaaN najar aane lagti hai.
.
Wo naqaakposh un seeriyoN ko utarne lagta hai. Aur jaise hi wo 7 wee pahree pe kadam rakhta hai. Kamre ka fars bilkul pahle jaisaa ho jata hai.
.
Aur abhi tak we seediya jo andhere me dubi huyee thee tube light ki doodhiyaaN roshni se chamakne lagti hai.
.
Wo naqaab-posh seeriyoN se niche utarta hai. Niche ek pora alag sa mahal sa bana huya tha. WahaaN aneko kamre the.
Bahut saare kamro se gujarte huye wo naqaab posh ek aese kamre me pahonchta hai. Jiski deevaro sirf aur sirf lohe ki sariyoN se bani huyee thi.
.
Aur wahaaN ek shakash lohe ki janjeero me bandha hua bebas khra tha.. Ye bandha hua shakhas koi aur nahi ASP Dev tha.
.
Naqaabpos Dev ke paas jaate hi kahta hai...."Kya haal hai ASP Dev Saahab"
.
"K....Ka....Kaun ho tum" Uski baat sunkar Dev bola.
.
Aur Dev ka etna bolna hi julm ho gaya. Naqabposh ka daya hath utha aur Dev ke chehre pe para. Dev ko din me tare najar aane lage.
.
"Teri etni himmat meri baat ka jawab diye bina sawal karta hai" Naqaabposh bahut gusse me kah raha tha.
.
"Tum chahte kya ho" Dev fir bola.
.
Jise sunkar naqaabposh ne pori taqat se Dev ke pet me ek laat mari. Jisse Dev ki dard bhari cheekh wahaaN gonj ke rah gayi.
.
"Kutte fir se sawal karta hai.. Ek baar ki baat samajh nahi aati" Naqaab posh fir se gusse me chilla raha tha.
.
Dev uski baat sunkar chup khara rahaa kuch na bola. KyoNki use lagaa tha ki wo kuch bolega to ye naqaabposh fir use marega.
.
Par uska ye sochna galat tha. Wo naqaabposh kuch der tak Dev ko dekhta raha..
Jab kuch der tak Dev kuch na bola usne ek mukka Dev ki kanpati pe de maaraa aur bola...."Kutte ab chup kiyoN hai... Bhonk kiyoN nahi rahaa"
.
Naqaabposh ki baat sunkar Dev ka dimaag chakra gaya. Use laga ye naqaabposh pagal hai. KyoNki agar Dev kuch bol raha tha to bhi use maar raha tha aur chup rah rahaa tha to bhi use maar raha tha.
.
Dev chup raha kuch na bola . Dev ko chup dekh naqaabposh bola..."Chal chup hi rah.. Waise bhi murde bola nahi karte"
.
"Kya matlab hai tumhara" Naqaabposh ki baat sunkar Dev chonk ke bolne ki khata kar baitha.
.
Dev ke etna kahte hi Naqaabposh ki ek jordaar laat Dev ke pet pe pari aur wo bola..."Saaley jab tujhse bolne ko kahta hoN to chup rahta hai, aur jab chup rahne ko kahta hoN to bolta hai"
.
Aur etna kahkar naqaabposh ne apni jeb se remote jaisee koi devive nikali aur samne laga hua LCD on kar diya... Jis par Dev ke acsident ki news aa rahi thi... Jise dekh kar Dev chillaaya..."Ye kya bakwaas hai"
.
"Randee ki aulaad mujhpe chillata hai" Etna kahkar. Naqaabposh ne Dev pe laat aur ghonso ki bochaar kar di. Aur tab tak use marta raha jab tak Dev cheekh-cheek kar behosh na ho gaya

.................................
(Jaaree....)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #134 on: October 07, 2012, 04:44:39 PM »
Update 46

Lagbhag aadhe ghante tak Dev behosh raha. Fir use dhire-dhire hosh aanaa suru hua. Thori hi der me wo poree tarah hosh me aa gaya. Hosh me aate hi use apne shareer me na-kabil-ae-bardast dard hota mahsos hua. Uske monh se ek aah nikalne ko huyee. Jise usne baree mushkil se apne dono lab majboti se band karke roka. Aur apni band aankhe jra si khol ke dekha. Saamne hi naqaabposh hath me ek danda liye khara najar aaya. Naqaabposh pe najar parte hi Dev ke pore sharir me khauf ki ek kapkapi see daur gayi. Usne apni aankhe dobaara band kar lee aur behoshi ka natak karne laga.
.
Wo soch raha tha ki agar es pagal naqaabposh ko maloom ho gaya ki maiN hosh me aa gaya hoN to maar-maar ke meri haddiyaN tor dega.
.
Par Dev ki ye galat fahmi bhi jald hi dor ho gayi ki naqaabposh ko malom nahi ki wo hosh me aa chuka hai.
.
Naqaabposh kah raha tha.."Abe ao kutte. Ye nautanki band kar warna ye aankhe jo tu band karke khara hai. Nikal ke tere hath me thama duNga"
.
Naqaabposh ki aawaz sunkar Dev ne ek dam ghabra ke apni aankhe khol di.
.
"Dekh demo to tu dekh hi chuka hai. Ab ye maiN tujhpe chorta hoN ki tu apne jism ki kitni haddiyaN turwa ke sach bataata hai" Naqaabposh ne gusse me chilla ke kaha
.
Dev kuch na bola bas khare-khare kaaNmpta raha.
.
"Ye bataa wo informer kaun hai"
.
"K...k.....kau......kaun s....sa...in...in....informer" Dev haklaate huye bola. Dar ki wajah se usse sahi se bola bhi nahi ja rahaa tha.
.
"Wahee informer jiski call aaj kal Karan ko kuch jayaada hi aa rahi hai" Naqaabposh khaa jane wale lahje me bola
.
"P...pa.....par...a...aap......aapko kai.....kaise......ma...malom....hu....huaa.....y e......ye.....sab"  Dev ki haalat es waqat dekhne laayak thi.
.
Karan ne shani ke murder ke alaawaa koi baat bhi baahar nahi jane di thi. Fir informer ke baare me es naqaabposh ko kaise malom hua Dev ye soch rahaa tha.
.
"Police aur C.B.I. Me sirf kuch  log desh ke liye kaam karte hai... Baki sab hamare liye"
.
"Abhi tak malom nahi ho saka hai ki wo kaun hai" Es baar Dev bina haklaye bola tha. Ab tak naqaabposh ne uspe haath nahi uthaya tha. Shayad esliye uska dar kuch kam ho raha tha.
.
Dev ki baat sunte hi naqaabposh ka hath harkat me aaya aur usme pori taqat se apne haath me pakra hua danda Dev ki pidliyoN pe mara aur gusse se chillaya.."Par mujhe kiyoN lagta hai ki wo Police ka hi koi aadmee hai. Aur tum use jaante ho"
.
"Main sach kah raha hoN.. Kisee ko bhi malom nahi hai ki wo kaun hai... Aur abhi to tum kah rahe the ki Police aur C.B.I.  me tumhare bhi log kaam karte hai. Agar aesa kuch hota to tumhe malom ho chuka hota" Dev jaane kiyoN gusse me chillaya tha. Par jab wo apni baat kah chuka to use ahsas hua ki wo kya kar chuka hai.  Usne ghabra ke naqabposh ko dekha. Uska hath harkat me aa raha tha. Jise dekhkar Dev ko etna dar laga ki uska pesaab hi nikal gaya.
.
Dev ki ye haalat dekh kar naqaabposh ki hansee chut gayi. Aur usne apna hath rok liya... Kafi der tak haste rahne ke baad naqaabposh bola...."Maine tumse ye bhi kahaa tha ki kuch log desh ke liye bhi kaam karte hai. Aur Karan aur uski team unhi logo me se hai..... Esliye kuch malom nahi ho saka"
.
.
Etna kah kar wo kuch der ke liye ruka aur fir kahne laga.."To tumhe duniya ke saamne maar kar jinda yahaaN mangvaa liya. Ki tumhari madad se us informer tak pahoNch jaaoNga... Par mera shak galat nikla .. Tum bhi informer ke baare me kuch nahi jaante........ Khair ab duniya me to tum jaa hi nahi sakte. KyoNki unke liye tum mar chuke ho... Ab agar tum jinda rahna chaahte ho to mere liye kaam karoge...warnaa......" Naqaabposh ne apni baat adhori chor di aur wahaaN se chala gaya

.................................
(Jaaree)
Logged
Pages: 1 ... 5 6 7 8 [9] 10 11 12 13 ... 19
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 27, 2025, 04:09:40 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.152 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer