Unknown Target...........masoom

by Masoom Shahzada on August 13, 2012, 03:29:02 AM
Pages: 1 ... 8 9 10 11 [12] 13 14 15 16 ... 19
Print
Author  (Read 37206 times)
masoom shahjada
Guest
«Reply #165 on: November 03, 2012, 02:54:06 AM »
Update 67

"O.K. John bhaai, aap be-fikr raheN, ham use rokte haiN" Dosri taraf se aawaj aayi aur call disconnect ho gayi
.
Wo Sardaar apni car ko tej raftaar se bhagaaye le ja raha tha. Par John car ke piche-piche apni bike ko normal speed se chala raha tha. Jisse wo car har gujarte lamhe door aur door hoti ja rahi thi.
Shaan apni car ko John ki bike se lagbhag 100 miter piche rakhkar unka picha kar raha tha.
.
Par jab wo car Shaan ki najro se lagbhag gaayab hone lagi to Shaan ne aese chup-chupke picha karne ki bajaaye unse sidha bhirne ki sochi. Aur wo apni car ki speed baraane hi wala tha ki, theek usi waqat, piche se ek car aayi aur usme se kisi ne goli maarkar Shaan ki car ka pichla tyre bekar kar diya. Aur wo car tej speed se Shaan ki car se aage nikalti chali gayi
.
Pichla tyre bekaar hone se, Shaan ki car un-balanced hone lagi. Thori si koshish karke Shaan ne car ko kabu me karke roka aur saamne dekha to wo car tej raftaar se road pe daurte hu'ae paya.  Shaan ne us car ko pahchaan liya, ye wo hi car thi jo kuch minute pahle Shaan ne main road pe khari dekhi thi.
.
We sab log ab Shaan ki pahoNch se bahut door jaa chuke the. Shaan un sabko jaate huye dekhta rahaa. Aur jab we sab uski najro se aojhal ho gaye to Shaan ek cold saans lekar niche utra aur car ka tyre change karne lagaa.
.
Kuch hi der me Shaan ne car ka tyre badal diya. Car ka tyre change karke wo car me baitha aur car ko wapis mor diya.. Aur kuch door tak chalaane ke baad usi factory ke aage laakar roki. JahaaN se kuch der pahle John aur Sardaar nikal ke gaye the
.
Shaan car se niche utraa aur car ko lock karne ke baad, factory ke andar aa gayaa.
.
Shaan ne us factory ka chappa-chappa chaan mara par use kuch bhii nahii mila. To Shaan niraash hokar apne kadam waapis mor hi raha tha ki ek taraf ko use stairs dikhayi dii jo ki niche ja rahi thi
.
Shaan unse utarkar niche basement me aaya to saamne ka manjar dekhkar uske chehre pe ek muskurahat aa gayii.
 .
Saamne divaro aur fars pe jagah jagah khoon ke dhabbe jame huye the. Aur theek beech me do kursiyaaN rakhi thi jinke beech me ek smaal sa table rakhaa tha, jispe 2 khali glaas, kuch bottles aur ek khali plate rakhi huyi thi
.
Shaan ne waheeN khare-khare apni jeb se mobile nikala aur kaheeN call lagaa ke kuch der tak baat karta raha.
.
Kuch hi der baad basement me kuch police wale bhi mojud the. Shaan unko finger prints aur Aas-paas ki talaashee lene ka order karta hua. Factory se baahar aa gaya
.
Aur apni car ka gate unlock karke driving seat pe baithkar, car start karke shahar ki aour daura di.
----------x----------x------------
Wo Sardaar apni car ko bahut tej raftaar se chalaate hu'ae shahar me daakhil ho gaya aur kuch hi der baad usne apni car ek bonglow ke aage roki.
Aur apne kurte ki jeb me haath daalke ek remote jaisi device nikali, aur uska koi sa button dabaya, jisse us bonglow ka main gate khulta chalaa gaya.
.
Sardaar apni car andar le gaya, bonglow ke andar jaate hi usne fir se us device ka koi saa button dabaya jisse bonglow ka gate band ho gaya.
.
Kuch dor aur aage le jaakar, Sardaar ne car park ki. Aur car se niche utrkar  car ka pichla gate kholkar Monty ko uthakar apne kaandho pe dala. Aur laat markar car ka gate band kiya.
.
Aur kuch hi der baad wo bonglow ke ek kamre me daakhil huaa.
Aur Monty ko apne kaandho se utar kar niche fars pe dala.
Eske baad miror ke saamne khare hokar, apne chehre se monche alag ki, fir uske baad dari. Aur fir sar se pagri utaari.
.
Uske baad apna kurta aur payjama utarkar kaale kapre pahne.
.
Ab us Sardaar ne. Na na ab use sardaar kahna galat hoga. Ye to Ajeet hai.
.
Ab Ajeet ne apne chehre pe kala naqaab pahna aur fir Monty ko uthaakar ek kamre me gayaa.
JahaaN usne apni ungli me pahni huyi ring ko swich-board pe lagaya jisse, kamre ka fars ek taraf ko hatne lagaa.
.
Aur nichi jaati huyi stairs najar aane lagi. Ajeet un stairs se utarkar waheeN gaya jahaaN usne Dev ko kaid kar rakhkhaa tha.
.
Ajeet ne bina Dev ki taraf koi dhayan diye Monty ko janjiro me baandha aur upar Bonglow me aa gaya. Aur ek kamre me jaakar ek bed pe laitkar T.V on karke Dekhne lagaa.
Abhi uske mutabik Monty ko hosh me aane me kam se kam 2 hours aur lagne waale the.
Esliye wo 2 hours T.V. Dekh kar kaatne wala tha.
--------x-------------x---------
Kuch hi der driving karne ke baad Shaan bhi shahar me dakhil ho gaya. Wo kuch der tak apni car ko sidhe chalaata raha. Uske baad apni car ko ek choti si gali me daal di. Kuch hi der baad usne car ko ek ghar ke aage roka
.
Ye ghar Dev ka tha.
Shaan car se utraaa aur gate pe pahoNchkar door-bail bajaane lagaa

------------------------------
(Jaaree...)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
My mind sails, through an unknown sea! by abdbundeli in English
Na Kamal-e-Fun Hi Mila Mujhe - Not Mine (Shayr Unknown to me) by fernsk in Shayri-E-Dard
A shared poetry-writer unknown by tamanna1 in Share:Love Poetry
apnay badlay huway lehjay ki wazahat karna- Unknown by ghayal_shayar in Urdu Poets « 1 2  All »
saathoN ki kasoor ho geya--Unknown by ghayal_shayar in Pain in Love : Punjabi poetry
masoom shahjada
Guest
«Reply #166 on: November 03, 2012, 03:05:01 AM »
Update 68
Quote
Ye ghar Dev ka tha.
Shaan car se utraaa aur gate pe pahoNchkar door-bail bajaane lagaa.

Kuch hi der baad gate Dev ki patni ne khola.
.
"Namaste bhabhi ji" Dev ki patni ko dekhte hi Shaan bola
.
"Namaste bhayya" Dev ki patni boli
.
Shaan Dev ke ghar pahle bhi kai baar aa chukaa tha, esliye yahaN sab Shaan ko jaante the. Aur sabki Shaan se achchi banti thi. Khaash kar bhabhi Shaan se khoob baateiN kiya kartii thii.
.
"Bhabhi maiN Pauri gayaa huaa tha. Kal Dev sir ke baare me suna to bahut dukh huaa. Esliye maiN aaj Kota aaya to sabse pahle aapse milne aa gayaa" Shaan ne kahaa
.
Dev ke jikr se bhabhi ke chehre pe gam ke saaye aane lage aur unki aankhe bhar aayi. Par we khud ko samhaal ke apne aasu'ao ko piite hu'ae jaldii se boli.."Bhayya andar aao na"
.
Shaan andar aa gayaa, bhabhi use  driving-room me le aayi. Aur Shaan ko baitha kar chaay(Tea) banaane ke liye jaane lagi to Shaan ne manaa kar diya.
.
Aur bhabhi ko jabardasti ek sofe pe baithate hu'ae bola..."Bhabhi aapse kuch sawaal poochne the par aapki haalat ko dekhkar, esi uljhan me hoN ki aapse abhi kuch pochuN yaa nahi"
.
"Sawaal...... kaise sawaal" Bhabhi thora hairaan hokar boli
.
"Kal raat mujhse ek bhoot milne aaya tha. Usne bataaya ki Dev sir bhoot ban gaye hai. Aur unke liye ek bhootni ka rishta aaya. Bas esi liye usne Dev sir ke baare me aapse kuch sawaal pochne ke liye mujhse kahaa tha. Agar un sawaal ka jawaab aapne de diya to aapke pati bhootni sukh prapt kar sakeNge warna nahi" Shaan ne roni si surat banaake kahaa
.
"Tum bahut shitaan ho... Pocho kyaa pochna hai" Shaan ki baat sunkar bhabhi ke udaas chehre pe bhi muskuaraahat aa gayi
.
"Kyaa Dev Sir ke left hand ki kalaai pe kuch guda huaa tha" Shaan bola aur apni nigahe bhabhi ke chehre pe tika ke jawaab ka intizaar karne lagaa
.
"Nahi unki kalaai pe kuch bhi guda huaa nahi tha" Bhabhi thora hairaan sa hote hu'ae boli
.
"Aapko achche se yaad hai"
.
"HaaN Bhayya. Lakho baar to maine unke haath dekhe hai fir yaad kiyoN nahi hoga"
.
"Aakhiri baar jab Dev Sir ghar se gaye the, to kahaaN gaye the" Shaan ne ek aur sawaal kiya
.
"Us din unhe ghar aaye hu'ae mushkil se 5 minute huyee thi ki kisii ki call aayi. Call sunkar we abhi aayaa kahkar baahar chale gaye. Par hame ye nahi maloom tha ki wo bike se gaye hai. Bike unhe sahi se chalaani nahi aati thi.. Esiliye..." Esse aage ki baat bhabhi ke aansu'ao me dabkar rah gayi
.
Shaan ne jab bhabhi ko rote hu'ae dekha to bhabhi ke paas jaake baitha aur bhabhi ko apne seene se lagaa liya aur dilaase dene lagaa. Bhabhi jo ab tak be-aawaj ro rahi thi Shaan ke seene se lagte hi foot-foot ke rone lagi.
Shaan ne bhi unhe aansu bahaane diya. Kafi der tak rone ke baad bhabhi ka man kuch halka huaa to we Shaan se sorry bolti huyi alag hokar baith gayi.
.
Ab Shaan bhi uthkar khara huaa aur fir aane ka kahkar, Dev ke ghar se baahar aa gaya.
.
Wo car me aakar baith gaya. Car me baithte hi Shaan ne apni jeb se mobile nikaalaa aur Ramesh ka number dial kiya. 2-3 bail jaane ke baad call recieve ki gayi..
.
Aur dosri taraf se Ramesh ki aawaj aayi .."Hello Sir"
.
"KahaaN ho tum" Shaan Ramesh ki aawaaj sunte hi bola
.
"Chirag ke saath"
.
"Kyaa kar rahe ho"
.
"Unki help kar rahaa hoN" Ramesh ki aawaaj aayi
.
"Ab use apnaa kaam khud karne do. Aur tum mujhe ye maloom karke bataao ki Dev sir ke number pe last call kiskee aayi thi aur kyaa baateiN huyi thi" Shaan ne Ramesh ko order diyaa
.
"O.K. Sir, par es kaam me kuch waqat lagegaa"
.
"MaiN kuch nahi sunna chaahta. Mujhe jald se jald saari info chahiye" Shaan gusse me bola aur call disconnect kar di
.
Call disconnect karne ke baad Shaan ne mobile me Message Inbox open kiya. Aur Ramesh ke number se se aaye hu'ae SMS ko open karke, Vivek ka address parne lagaa.
.
Address parne ke baad Shaan ne mobile apni jeb me rakhkhaa aur apni car ko start karke usi address pe baraa di jo usne abhi-abhi Ramesh ke SMS me paraa tha.
.
Bahut si galiyoN se gujarne ke baad Shaan ne apni car ko ek ghar ke saamne roka.
Aur niche utarkar us ghar pe najar doraai, to uske gate pe ek baraa sa lock latakte payaa. Ye ghar Vivek ka tha.
.
Abhi Shaan us ghar ko dekh hi raha tha ki uske theek piche se aawaj aayi.."Abe Shaan yahaaN kyaa kar rahaa hai"
.

Apnaa naam sukar Shaan ne piche murkar dekha to uske piche Sonu kharaa muskura rahaa tha. Sonu Shaan ke sath college me para karta tha.
Unme achchi khasi dosti thi. Par unki dosti collage tak hi simit thi kabhi we ek dosre ke ghar nahi gaye the.
.
"Kameeney tere darshan karne aaya tha" Shaan ne muskurate hu'ae kahaa aur aage barkar uske gale jaa laga.
.
Kuch der me dono alag hu'ae to Sonu bola..."Aa chal ghar chal tujhe, teri bhabhi ke haatho ki chaay pilwata hoN"
.
"Saaley chaay to peete hi rahte hai, agar bhabhi ka dodh pilwaaye to chaloN"

------------------------------
(Jaaree...)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #167 on: November 03, 2012, 03:16:51 AM »
Update 69
"Saaley chaay to peete hi rahte hai, agar bhabhi ka dodh pilwaaye to chaloN" Shaan saraarat se bola
.
"Saaley tu waisa ka waisha hi hai, bilkul nahii sudhraa" Sonu, Shaan ke ek mukka maarte hu'ae bola
.
"Kyaa tu jaanta hai ki, Ye saamne wala ghar kiskaa hai" Shaan ne Sonu ki baat ka koi jawaab diye binaa, Vivek ke ghar ki taraf ungali se ishara karke pochaa
.
"HaaN par tu kiyoN poch rahaa hai" Sonu ne Shaan ko gahree najro se dekhte hu'ae pocha
.
"Kyonkii mujhe yahaaN murgi-form kholnaa hai" Shaan chirkar bola
.
"Aa ghar chal, wahaaN aaram se baithkar baate kareNge" Sonu, Shaan ki baat ko ansuni karte hu'ae bola
.
Sonu ki baat sunkar Shaan ne apnii car ko lock kiya aur fir Sonu ke piche-piche kadam baraa diye. Vivek ke bilkul saamne wala ghar Sonu ka tha
.
Ghar me pahoNchkar sabse pahle Sonu ne Shaan ka introduction apni wife se karwaya aur fir Shaan ko lekar driving room me aaya aur use ek sofe pe baithakar, khud baahar chala gaya. Aur fir kuch der baad waapis aakar, Shaan ke paas hi dosre sofe pe tik gayaa
.
"HaaN ab bataa, tu us ghar ke baare me kiyoN poch rahaa tha" Sonu Shaan ke chehre pe apni najre jamaake bola
.
"Us ghar ko kharidkar, roj uske teris pe kharaa hokar teri wife pe line maaraa karoNga" Shaan apne lahje ko romantic banaate hu'ae bola
.
"Abe kamiiney, kabhi to sidha jawaab de diya kar. Ye bataa tu ne kisi ki baat ka sahi-sahi jawaab aakhiri baar kab diya thaa" Sonu ne hanste huye Shaan se pocha
.
"1947 me" Shaan pori sanjidgi se bola.
.
Shaan ki baat sunkar to Sonu hanste-hanste paagal hone lagaa...
.
"Abe akal ke dushman meri baato ka jawaab deta hai ki tere romace ke kisse bhabhi se bataa duN" Shaan ne Sonu ko black-mail kiya
.
Jiska asar positive hi huaa, wo apnii haar maante hu'ae bola..."Vo ghar Vivek ka hai"
.
"Tu jaanta hai use" Shaan, Sonu ko gahree najro se dekhte huaa bola
.
"Bas hi hello wali pahchaan hai...... HaaN Ek baar uskaa laptop kharaab tha to wo net pe kuch kaam karne mere paas aayaa tha, tab usse kuch formal si baateiN ki thi warna wo kabhi hath hi nahii aata tha" Sonu yaad kar karke Shaan ko bataane laga
.
"Tumhaare lappy pe kyaa kaam kiyaa thaa usne" Shaan ne fir ek sawaal kiya
.
"Wo to mujhe nahii malom, maiN use apnaa lappy dekar nahaane chalaa gayaa tha. Aur jab aaya to usne mujhe dekhkar Internet Explorer(IE) ki window ek dam se close karke. Ek new window open karke wo apna facebook a/c kholne lagaa tha" Sonu kuch lamhe sochne ke baad bola
.
Shaan koi jawaab deta usse pahle hi bhabhi chaay aur saath me barfee, samose, namkeen aur seb lekar aa gayi.
.
"Bhabhi ye kyaa chaay. Sonu to kah rahaa tha ki, chal ghar chal tujhe teri bhabhi ka doodh pilwata hoN" Chaay dekhkar Shaan apna monh fulaate hu'ae aese bola jaise es baat pe use bahut gussaa aa rahaa ho
.
Dosri taraf Shaan ki baat sunkar bhabhi apni aankho failaate huye Shaan ko dekhte huye boli...."K....ky.....Kyaa kahaa tha aapne abhi"
.
"Arre kuch nahii ye majaak karta rahta hai. Tum eske liye doodh le aao" Shaan koi jawaab deta usse pahle hii Sonu ne hanste huye kahaa
.
Sonu ki baaat sunkar bhabhi room se chali gayi. Apni wife ke jaate hi Sonu bola..."Yaar kuch to sharam kar. Wo teri bhabhi hai"
.
"Esiliye to majaak kar rahaa tha" Shaan haazir-jawaabi se bola
.
Shaan ki baat sunkar Sonu hansne lagaa, uske saath Shaan bhi hans rahaa tha.
.
Kuch der hansne ke baad jab dono chup ho'ae tab Shaan ne Sonu se pochaa..."Vivek ke tara laptaop use karne ke baad. Tu ne apne browser ki cookies to clear nahi ki hai na"
.
"Kuch din se net ki speed achchi nahi aa rahi thi to speed baraane ke liye, kal shaam hii maine apne browser kii cookies delete ki thii"
.
"OH! Sit, ye tu ne galat kiyaa, abe saaley tujhe kis paagal ne bataaya tha ki cookies delete karne se net kii speed achchii aane lagtii hai" Shaan kuch niraash aur kuch gusse me bola
.
"Kisee ne nahii, par ye bataa cookies ka kyaa karta tu" Sonu Shaan ke chehre pe chare niraasa ke rango ko dekhte hu'ae bola
.
"Yaar agar tu apne browser ki cookies clear na kartaa to Vivek ki e-mail id mil jaatii" Shaan ne es baar gol-mol jawaab naa dekar usse sach bola
.
"Uskii e-mail id ka kyaa karnaa hai" Sonu ne Shaan se pochaa
.
"E-mail id hoti to use facebook pe search kar lete. Ab aese hi seach karne baitheNge to jaane kitni Vivek saamne aa jaayeNge. Aur ye bhii jarori nahi hai ki usne apna display name Vivek hi rakh rakhkhaa ho" Shaan bola
.
"Arre use search karne kii kyaa jarorat hai, wo to already facebook par meri friend-list me add hai" Sonu khush hote hu'ae bolaa.
.
Tab hi Bhabhi kaaNch ke ek glaas me dodh lekar aa gayi


------------------------------
(Jaaree...)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #168 on: November 03, 2012, 03:27:49 AM »
Update 70

Tab hii bhabhi kaaNch ke ek glass me dodh lekar aa gayi.
.
"Teri friend-list me Vivek kaise aa gayaa" Bhabhi ko andekhaa karke,  Ek tej najar Sonu pe daalte hu'ae Shaan bola
.
"Wo jab meri lappy pe facebook khol ke baitha tha to bato-bato me maine usse friend-request bhejne ko kahaa to usne mujhe request bhej dii, es tarah wo mera facebook-friend ban gayaa" Sonu ne detail me bataya
.
"Devar jee, ab jaldee se dodh pee lijiye, warna thanda ho jayega. Aur fir aap sikayat karoge kii bhabhi ne apna thanda dodh pilaya tha" Shaan kuch bolne ke liye monh khol hi raha tha ki bhabhi ki sarartii aawaj ne un dono ka dhayaan apnii taraf keeNch liyaa.
.
Shaan jaldee se uthaa aur table ke saamne kursee pe aakar baith gaya, subah se usne kuch khaya nahi tha, esliye shadeed bhokh lag rahii thii. To usne sochaa , pahle apne pet ki fikr karte hai uske baad Vivek ke baare me socheNge.
.
Dosri taraf Sonu hairat se waheeN baitha huaa apni wife ko dekh rahaa tha. Use hairat es baat se ho rahii thi ki wo aese majaak par bahut jaldee buraa maan jaati thi. Par aaj hans-hans ke khud Shaan se aesa majaak kar rahi thi. Ab to Sonu ko us kahaawat par ki "Khaboje ko dekhkar kharbojaa rang badaltaa hai" pora yakeen ho gayaa.
.
Sonu ne ek thandi sans li aur wo bhi un dono ke paas aakar baith gayaa.
.
Sonu ko apne paas aakar baithta dekh Shaan kisee chote bachche ki tarah chahakte hu'ae bola.."Abe tu bin bulaye mehmaan ki tarah yahaaH kahaaN aakar baith raha hai. Bhabhi ne sirf mujhse kahaa hai. Tu jaa aur apna laptop lekar aa"
.
Shaan ki baat sunkar bhabhi ki hansii chut gayi.
.
"Tum dono devar-bhabhi ko to maiN dekh luNga" Sonu banaawati gusse me dono ko gorte hu'ae dring-room se jaane lagaa. To bhabhi piche se chillayi.."KiyoN abhi tak kyaa aankh bad karke baithe the"
.
Aur Shaan aur bhabhi dono jor-jor se hansne lage. Apni wife ko hansta dekh Sonu ke labo par bhi muskurahat dor gayi.
.
Sonu ne pahle kabhi es tarah dil kholkar apni wife ko hanste nahi dekha tha. Wo sirf muskuraati thi. Par aaj khilkhilaake hans rahi thi. Sonu man hi man Shaan ka sukriya adaa karta huaa dring-room se baahar aakar apne room ki taraf jaane laga
.
"Aur sunaaye bhabhi aap khush to hai na, ye Sonu aapko tang to nahi rakhta hai" Sonu ke room se baahar jaate hi Shaan ek dam serious hote hu'ae bola
.
"Devar jii, maiN bahut khush hoN, Sonu mera bahut khayaal rakhte hai" bhabhi bhi sanjidgii se boli
.
Aur uski ye baat dring-room me daakhil hote Sonu ne bhi sun li jisse uski muskurahat aur gahrii ho gayii.
.
"Bhabhi aaj to aap super hot lag rahi hai" Sonu ko aata dekh Shaan use chiraane ke liye sarartii lahje me bola
.
Bhabhi ne Shaan ke monh se aesi baat sunke piche murke dekha to Sonu khara tha, jise dekhte hi unki hansii fir chit gayi. Ab wo samajhne lagi thi ki Shaan ye sab majaak sirf Sonu ko sataane ke liye kar rahaa hai. Esliye wo bhii Shaan ka saath de rahi thi. Sonu ko staane me use bhii bahut mazaa aa raha tha.
.
"Saaley tu apni bhabhi se kaisee-kaisee baate kar rahaa hai" Sonu ek baar fir banawati gussa hote hu'ae bola. KyoNki use dil kholkar hanstii apnii wife bahut pyaarii lag rahi thi. Esliye wo chaahta tha ki use aur hansaaya jaaye
.
"Kameeney maiN sirf baateiN hi kar rahaa hoN. Par tu to bhabhi ke saath jane kya-kya karta hai" Shaan bhi kahaaN piche rahne waala tha. Uske paas to har baat ka jawaab hota tha.
.
Shaan ki baat sunkar to bhabhi ek dam se sarmaa gayi.
.
"Kya-kya karta hoN maiN" Apni wife ko sarmaata dekh use aur sataane ke liye Sonu, Shaan se bola
.
Sonu kee baat sunkar Uski wife to sharm se dohri ho gayi. Aur Shaan jraa sa bhabhi ki taraf jhuk kar kahne lagaa..."Bhabhi ek baar maiN ghar pe nahi tha. Tab Sonu mere ghar pe gayaa tha. Aur meri wife ko akelaa paakar use kiss karne ki koshish karne lagaa to usne eske gaal pe ek guma ke maara. Aur...."
.
"Abe saaley college ke baad maiN tujhse aaj mila hoN. Aur haaN mujhe to tere ghar ka address bhi nahi malom, to kaise maiN tere ghar pahoNch gaya aur kaise bhabhi se badtamiji kar li" Shaan ki baat ko beech me hii kaatkar Sonu jor se chillaaya
.
"Devar jii, bhabhi ne to sirf ak hii thappar mara tha. Agar maiN hoti to sandil bajaate-bajaate ganjaa kar deti" Bhabhi ne Sonu ki baat ko ansunaa karte hu'ae Shaan se kahaa
.
"Arre aap to hai bhabhi. Fir der kis baat ki hai, suru ho ja'eeye" Shaan ne saraarat se kahaa. To bhabhi hanste-hanste paagal hone lagi
.

"Abe saaley, meri wife se mujhe hi pitwana chaahta hai. Ruk tujhe maiN abhi bataata huN" Sonu bola aur sofe se uthkar Shaan ki taraf barne lagaa.
.
Shaan ek dam kursee se uthkar Bhabhi ke piche jaakar chup gayaa.
.
To bhabhi Sonu ko ghorte hu'ae boli..."Chup hokar apni jagah jaakar baith jaao. Agar mere devar ko haath bhi lagaya na to sach me hi sandil se peet-peet ke ganjaa kar dungee"

--------------------------------
(Jaaree...)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #169 on: November 03, 2012, 03:40:29 AM »
Update 71
To bhabhi Sonu ko ghorte hu'ae boli..."Chup hokar apni jagah jaakar baith jaao. Agar mere devar ko haath bhi lagaya na to sach me hi sandil se peet-peet ke ganjaa kar dungee"
.
Sonu buraa saa monh banaate hu'ae wapis jaakar sofe pe monh fula kar baith gaya. Aur lappy on karne lagaa.
.
Use es tarah dekhkar bhabhi aur Shaan dono ki hansi chut gayi. Sonu ke chehre pe bhi muskurahat aane ko huyee par wo bari mushkil se apni muskuraahat rok kar. Apne monh ko aese fulaaye baitha raha jaise bahut naaraj ho.
.
Aur Sonu ko es tarah baitha dekh uski wife ka hanste-hanste bura haal ho gayaa.
.
Shaan bhabhi ke kaan ke paas apna monh laate hu'ae dhire se bola.."Bhabhi ye hi mauka hai. Bajaa daaliye apne husband ko. Aese achche mauke baar-baar nahii milte"
.
"Aap bhi na....." Bari mushkil se bhabhi apni hansee rok kar etna boli aur fir apni baat adhoree hi chorkar hansne lagi
.
Ab Shaan wapis aakar kursee pe baith gaya. Aur bhabhi aur Shaan dono majaak karte hu'ae naashta karne lage. Jabki Sonu monh fulaaye apne laptop ke aage baitha tha.
.
Khuch hi der me dono naashta kar chuke, to bhabhi tray uthakar baahar chali gayi. Aur Shaan Sonu ke paas sofe pe aakar baith gayaa.
.
Shaan ne dekha Sonu apna facebook account kholke baitha huaa hai. Shaan ke paas aate hi Sonu ne Vivek ki profile open kar dii.
.
"Kyaa ye Vivek ki photo hai" Us user profile photo ko dekhkar  Shaan jraa sa choNkte hu'ae bola
.
"HaaN ye Vicky hi hai" Sonu, Shaan ko choNkte dekh hairaanee se bola
.
"Kya Vivek ka nick-name Vicky hai" Shaan ne Sonu se pocha
.
"HaaN, eska nick-name Vicky hai"
.
"Jraa lappy mujhe de" Shaan ne kahaa to Sonu ne use lappy pakra dii aur bola.."Saaley tu Vivek me etna intrest kiyoN le rahaa hai"
.
"Suna hai pichle dino, Vivek ka balaatkaar hua tha. Aur ab wo kisee ko monh dikhane laayak nahi rahaa. Bas esiliye use dhondhkar us par ek movie banaana chahta hoN" Shaan ne info wale option se click karte hu'ae kahaa
.
"Saaley tu mujhe kuch nahii bataayega"
.
"Jab tujhe malom hai to baar-baar pochkar mera sar kiyoN khaa rahaa hai" Shaan ne Vicky info parte hu'ae kahaa
.
To Sonu, Shaan ko waheeN baitha chorke dring-room se nikal ke baahar chalaa gaya.
.
Vicky ki info me Shaan ko uski age aur shahar ke naam ke alawa kuch nahi mila.
.
Uske baad Shaan ne photos option pe click kiya to 3 link khulke saamne aa gaye..
Shaan ne pahle link ko khola to usne chote-chote bachcho ke photos the.
.
Dosre link pe click kiya to flowers ke photographs khulke uske saamne aa gaye.
.
Uske baad Shaan ne teesre link My Friend pe click kiya to ek larki ke 2 photo khulke saamne aaye. Shaan ne kuch der tak un photos ko gor se dekha
.
Uske baad Vicky ke photo ko download kiya. Aur apne mobile ki bluetooth on karke. Laptop ko apne mobile se connect karne ke baad. Vivek ke photo ko apne mobile pe send kar diya.
.
Uske baad Shaan ne Vicky ke photo ko ek photo editor me open kiya. Aur Vivek ki aankho ko thora sa brown kiya, uske moonche lagaayi, aur use thora sa gora banaaya. Aur sabse aakhir me uske sar par kale rang ke lambe baal wali ek wig lagaa di.
.
Ab saamne jiski photo thi use dekhkar Shaan ke chehre pe ek pyaari si muskurahat aa gayi.
.
Kyonki ye photo usi gore larke ki thi jo factory se Sardaar ke saath nikla tha aur jiska pichaa Shaan ne kiya tha.
.
Ab Shaan es photo ko bhi save kiya aur apne mobile pe send kar diyaa.
.
Fir Shaan ne lappy ko turn off kiya aur Lappy ko waheeN sofe pe rakh diya.
.
Tab hi bhabhi aur Sonu fir se dring room me aaye.
.
Unhe dekhte hi Shaan ne kahaa ki wo jaa rahaa hai.
.
Sonu aur bhabhi ne use bahut roknaa chaha par wo nahi ruka.
.
Kuch hi der baad Shaan Sonu ke ghar se baahar nikal rahaa tha. Sonu aur bhabhi dono use chorne uski car tak aaye.
Car me baithne se pahle ek baar Shaan, Sonu se gale mila aur fir Kar me baith gaya
.
"Devar jii agli baar Bhabhi ko bhii sath lekar aana" Shaan ko car start karta dekh Bhabhi boli
.
"Jee jaror, jab Shadi ho jaayegi to aapki bhabhi ko bhi apne saath lekar aaoNga" Shaan ne etna kahaa aur apni car aage braa di
.
Jabki Sonu ki wife hairaane se use jaata dekh soch rahi thi ki, jab Shaan ki shadii nahii huyi to kuch der pahle Shaan kaun see patni ki baat kar rahaa tha.
.
Sonu ki apni wife ko aese hairat se Shaan ko jata dekhkar hansee chut gayi. Sonu Shaan ko achche se jaanta tha esliye Shaan ki baateiN uske liya nayi nahii thii, jabki uski wife Shaan se pahli baar mili thi. Esliye etna hairan thi
.
Shaan ne car chalaate-chalaate Vivek ki dono photos Karan ke number pe MMS ki, aur uske baad apne kaan se bluetooth lagakar use apne mobile se connect kiya aur Karan ke number pe call lagaane lagaa..

--------------------------------
(Jaaree...)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #170 on: November 03, 2012, 09:19:20 AM »
Update 72
Quote
Shaan ne car chalaate-chalaate Vivek ki dono photos Karan ke number pe MMS ki, aur uske baad apne kaan se bluetooth lagakar use apne mobile se connect kiya aur Karan ke number pe call lagaane lagaa..

Jald hi call recieve ki gayi aur dosri taraf se Karan kii aawaj aayi...."Hello, kahaaN ho tum? Aur kyaa kar rahe ho"
.
"Tumhare ghar par hoN. Aur tumhaari behan ka rape kar rahaa hoN"
.
"Kyaa yaar har waqat mazaak karte rahte ho. Sanjanaa bataa rahii thii ki tum dophar ke chale hu'ae ho, fir ab tak Kota kiyoN nahee pahonche" Karan thoraa pareshaan sa lag rahaa tha.
.
"Kyonki raaste me kuch kutte mil gaye the. Esliye murgiyooN pe baithkar ande(eggs) senaa par gaye" Shaan sanjeedgii se bola
.
"Yaar maiN..."
.
Karan kuch kahnaa chahta tha par Shaan ne uskii baat beech me hii kaatii aur khud suru ho gaya..."Maine abhi-abhi MMS me tumhe 2 photos bheje the. dekhe tumne?"
.
"Nahee"
.
"Saalo sab pakke Indian ho. Koi kaam waqat pe nahee karte" Shaan thora gusse me bola
.
"Meri jaan sab tumhare jaise nahee hote. Jo kal kaa kaam bhii aaj hi karte ho"
.
"Karan, baato me waqat barbaad mat karo. Jaldii se photos dekho. MaiN tumhe 1 minute baad call kartaa hoN" Shaan sanjiidgii se bolaa aur call disconnect kar dii
.
Shaan ko call disconnect kiye hu'ae abhi 1 minute pore bhi nahii huye the ki Shaan ke number pe Karan kii Call aa gayii.
.
Karan ki call aata dekh Shaan muskuraya, kyoNki etni jaldii Call aane ka matlab thaa ki Karan ne Vivek ko jaroor kaheeN dekha hoga
.
.
Shaan ne call recieve kii...
.
"Tumhe ye photos kahaaN se mili" Esse pahle ki Shaan kuch bolta. Dosri taraf se Karan kii aawaaj aayi. Wo kuch hairaan sa lag aahaa tha
.
"Laptop ki kokh se"
.
"Yaar enme se 1 to wahee hai. Jo Blue Cottage se nikal kar bhaaga tha"
.
"Kaun sa wala"
.
"Jiske baal lambe-lambe hai"
.
"Aaj fir tum apna chashmaa pahanna bhol gaye"
.
"Kyaa matlab... MaiN chashmaa kab pahanta hoN" Shaan ki baat pe Karan hairaan hote hu'ae bolaa
.
"Kyonki meri jaan maine tumhe ak hii aadmii ki 2 photos bhejii thii"
.
"Kaun hai ye. Kyaa tum ese jaante ho" Karan bolaa
.
"Vivek Khatri urf Vicky"
.
"Kyaa kahaa Vicky" Karan lagbhag chiikhte hu'ae bola
.
"HaaN sahii sunaa tumne"
.
"Kyaa waheeN Vicky, jiske upar 50 se jayaada murder ka aarop hai, par wo kaun hai, Kisii ko nahii malom"
.
"HaaN waheeN Vicky"
.
"Tum jaldii se mere ghar aao. Mujhe tumse baat karni hai" Karan jaldii se bola
.
"To ab tak kyaa ham Cricket khel rahe the"
.
"Tum......."
.
"Raat ko kisii waqat aaonga tumhaare paas" Saamne police station aa chuka tha. Jise dekhkar Shaan, Karan kii baat beech me hii kaatte hu'ae bola. Aur call disconnect kar dii.
.

Call Disconnect karte hii Shaan ne apni car roki aur time dekhaa. 08:00 baj rahe the.
.
Shaan jaldii se apni car se utraa aur andar gayaa.
Aur fir ek room me jaakar ek computer par, criminal record check karne lagaa..

--------------------------------
(Jaaree...)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #171 on: November 03, 2012, 09:40:31 AM »
Update 73
2 ghante tak Ajeet T.V. Dekhta rahaa fir niche gayaa to dekha Dev niche baithaa huaa tha. Ajeet ko aata dekh khara ho gaya. Parso raat jaane se pahle Ajeet ne Dev ke haath khol diye the aur sirf Dev ke paav ko bandhe rahne diya tha, jisse wo aasani se baith sakta tha aur jab dil chahe khara ho sakta tha
.
Monty ko hosh aa chukaa tha.
.
Ajeet Bina Dev pe koi najar daale Monty ke aage jaakar khara ho gaya aur kuch der tak use dekhta raha.
.
Monty pahle se hi daraa huaa tha. Ek naqaabposh ko dekhkar to uska dar ke maare buraa haal hone lagaa
.
"K..K....Ko....Kau....Kaun ho ...t....tu....Tum" Monty ki haalat etni kharaab ho rahi thi ki dar ki wajah se usse sahi se bola bhi nahi jaa rahaa tha
.
"Tumhari maut" Ajeet daharaa
.
"M.....Ma...Maine..T.....Tu.....Tum.... Tumhara....K .....Kya....Bi....Bigaraa hai. M.....Mujh.....Mujhe...Jan.....Jane .....Do" Monty ne haklaate hu'ae kisi tarah apni baat pori ki. Monty ka pora sharir kaamp rahaa tha. Dar ki wajah se uska chehra safed paraa huaa tha. Aur aankho me khauf ke saaye lahraa rahe the
.
"Bakwaas band kar apni. YahaaN sawaal sirf maiN kartaa hoN. Agar aage se jabaan kholi to sar dhar se alag milega" Ajeet ne fir aag auglii aur kuch der chup rahaa aur fir bolnaa suru huaa.."Kyaa tu ne Sumit ka murder kiyaa hai"
.
"Sumit kaun Sumit. Maine kisi Sumit ka murder nahii kiya hai"
.
"Wahee Sumit, jisse parso shaam tumhara jhagraa huaa tha"
.
"Wo mujhe us subah se dhamkii de dekar wahaaN bula rahaa tha...bas....."
.
Esse pahle kii Monty apni baat porii karta. Ajeet ka dahina haath Monty ke gaal pe paraa jisse Monty ki baat adhorii rah gayi
.
"Kutte bahwaas mat kar, Red 001 tujh jaise keere ko dhamkii kiyoN dega. Uske ek ishaare pe poraa shahar barbaad aur tabaah ho jata. Wo kiyoN tujhe dhamkii dene lagaa" Ajeet gurraya
.
"Red 001..." Uske monh se etna hi niklaa uske aage usse kuch na kahaa gaya
Wo bas monh khole aankhe failaaye Ajeet ko dekhe jaa rahaa tha
.
Har criminal ki tarah, Monty ko bhi maloom tha ki Red 001 ko apraadhik duniya ka baadshaah mana jata tha.
.
Ajeet ne Monty ki hairat pe koi dhayaan naa diyaa, wo aage baraa aur Monty ki jeb se mobile nikaalkar uski call history check karne laga
Uske mobile me ek number dekhkar Ajeet ka burii tarah chonkaa. Kyonkii wo number Kamal ka tha
.
Ab Ajeet ko sab samajh me aa gayaa ki ye sab informer ka failaya huaa jaal tha. Jisme Monty aur khud uske saathi aaram se fans gaye the
.
"Tumne 7 star gang ke member ko haath lagaaya es jurm me Boss tumhe sajaa-ae-amut ki sazaa sunata hai" Ajeet ne etna kahaa aur apni jeb se wo device nikaalkar uska koi button dabaya aur baahar nikaltaa chalaa gaya.
.
Ajeet ki baat sunkar Monty ki jaan honto pe aa gayi thi par Ajeet ko binaa kuch kareN jata dekh usne chain ki saans li.
.
Par Monty Ajeet ko dekh raha tha esliye wo ye nahi dekh paya tha ki kamre me ek taraf rakhkhi huyii machine uske najdiik aa chukii hai. Aur usme se bare-bare blate nikalnii suru ho gaye hai. Jab us machine ne Monty ke pero ko kaatna suru kiya to uskaa dhayaan us par gayaa. Monty chillane laga.
Tadapne laga. Par wo machine apna kaam karti rahi. Kuch hi der baad Monty ki rooh uske jism se nikal kar aasmaan ki taraf udd gayi.
.
Kariib 5 minute me us machine ne Monty ke shariir ke baariik-baariik tukre kar diye.
Ab machine ke we bare-bare blate andar ho gaye aur wo un tukro ko ikatta karne lanr lagi.
Kuch der me usne Monty ke shaariir ke saare tukre chun liye.
Aur ab wo aage barii we tukre ek pipe me daal diye. Jisse we tukre us Bonglow ke piche se jaate hu'ae gande naale me chale gaye. Jo ki shahar baahar jaati ek nadii se jaa milta tha.
.
Ab wo machine apnii jagah aakar kharii ho gayi.
Aur uske paas hi kharii dosri machine aage barii, jisne apne andar se paanii nikaal-nikaal kar us kamre ko dhonaa suru kar diya. Kuch di der me us machine ne wo kamra aesa kar diya jaisa wahaaN kuch hu'aa hi naa ho. Apna kaam khatam karke wo machine bhi apni jagah jaakar kharii ho gayi
.
Dev jo saamne ke dil dahlaa dene waale ke manjar ko apnii aankho se dekh rahaa tha. Jab wo machine Monty ko kaat rahii thi tab hi behosh hokar niche gir paraa tha. Aur abhii tak behosh hi tha.

-----------x--------------x-----------

Shaan lagbhag 3 ghante tak us PC ke saamne baitha kuch kartaa rahaa aur fir us room se nikal kar thake-thake kadmo se apni car tak aaya aur use start karke Police station se nikala aur kuch hi der baad wo apni car ko Apni ghar ke aage rok rahaa tha.
.
Shaan ne car ki pichli seat se beg uthaya aur ghar ka lock kholkar apne room me aaya.
Aur beg ko bed pe fenk kar khud bhii bed pe let gaya.
.
Aaj subah se wo kabhi indhar kabhi undhar bhaga firta raha tha. Jisse uskaa ang-ang dukh rahaa tha.
.
Abhi Shaan ko apne bed pe laite hu'ae mushkil se 5 minute gujre honge ki uska mobile bajne laga.

-----------------------------
(Jaaree...)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #172 on: November 03, 2012, 09:47:45 AM »
Update 74
Quote

Abhi Shaan ko apne bed pe laite hu'ae mushkil se 5 minute gujre honge ki uska mobile bajne laga.

Shaan ne dekhaa Call Karan ke number se aa rahii thi. Shaan ne call disconnect karke mobile ko silent kiyaa, bed pe fenkkar bathroom me gons gaya.
.
Kariib 15 minute tak Shaan nahaata raha. Uske baad wo bathroom se nikalkar sidhaa kitchen me gaya aur apne liye ek cup coffee banaayii. Aur waheeN kitchen me ek stool pe baithkar pii.
.
Coffee piine ke baad Shaan apne room me aaya aur car ki keys aur apna mobile liya.
Uske baad ghar ko lock karke baahar khari car me bitha aur use start karke road pe dauraane lagaa.
.
Kuch der baad Shaan, Karan ke ghar pahonch chukaa tha. Karan ke ghar ke saamne pahonchkar Shaan ne apni car roki aur apni jeb se mobile nikaal ke time dekha 12 bajne me 10 minute kam the.
Shaan ne dekhaa Karan ki 6 missed call aayii huyi thi.
Shaan ne apne mobile ko general frofile pe lagaya.
Tab hi uske mobile pe Rajesh ki call aane lagi.
.
Shaan ne call recieve ki.
.
"Hello(Hell o) Shaan sir" Dosri taraf se Rajesh ki aawaj aayi
.
"Hell me tu jaaye. Tera pora khaandaan jaaye. MaiN kiyoN jaaoN Hell me" Shaan apni aadat ke mutabik suru ho gaya
.
"Sir, maine aesa kab kahaa" Shaan ki baat sunkar Rajesh sakpakaate hu'ae bola
.
"Jab dekho tab bakwaas karte rahte ho. Ye bataao tumhe jo kaam diyaa tha wo huaa" shaan thora tej aawaaj me bola
.
"Yes sir. Dev sir ke number pe last call, SP Rahul Mishra ke number se aayi thi"
.
"Aur baateiN kyaa huyii thii"
.
"Sir, wo maloom nahii ho sakaa" Ramesh ki sharminda sii aawaaj aayi
.
"Abe saaley, Abse koi kaam aadhaa kiya to tumhe aadhaa ganjaa karke. Ghar-ghar bheekh mangwaaonga" Shaan ne gusse me kahaa aur Call disconnect kar dii
.
Ab Shaan car se niche utraa aur apne kadam Karan ke ghar ke gate ki taraf baraa diye.
Gate par pahonchkar apni anugli call-bail pe rakh dii. Aur tab hatayii jab Karan ne gate khol diya gaya.
.
Shaan Karan ko dekhte hi usse lipat gaya. Aur Karan jo kuch bolne ke liye monh khol raha tha chup ho gaya. Kuch der tak dono gale milte rahe fir dono Karan ke room me aakar uske bed pe baith gaye.
.
"Etni der se call kiyoN nahii uthaa rahe the" Bed pe baithte hi Karan bola
.
"Gana ga raha tha aur tum to jaante hi ho ki maiN gaane gaate hu'ae kisii se baat nahii karta" Shaan ne kahaa aur bed pe lait gaya aur apnii aankhe band kar lii
.
Karan kuch der tak Shaan ko ghorta raha fir bola.."KahaaN the tum etni der se"
.
"Police station"
.
"WahaaN kyaa karne gaye the"
.
"Vicky ka criminal record check karne"

------------------------------
(Jaaree...)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #173 on: November 03, 2012, 10:06:08 AM »
Update 75

Quote
"Vicky ka criminal record check karne"

"Yaar kabhi to dimag ka use kar liya karo. Ye sab jaante hai ki Vicky  ka koi criminal record nahi hai. Fir bhi time barbaad karne wahaaN gaye the" Karan bola
.
"Aaj se pahle hamaare paas Vicky ki photo nahi thi. Even ham ye bhi nahi jaante the ki Vicky kaun hai. Ab ye to jarori nahi ki Vicky ka record Vicky ke hi naam se ho. Yaa esii bhesh me ho. Bas esiliye maine pore 3 ghante tak PC par sar mara, par natija kuch nahi nikla" Shaan ne Karan ko samjhaya
.
Shaan ki baat par Karan ne fakr se apne dost ko dekha. Usne socha, log sahi kahte hai ki, jo baateiN ham soch bhi nahi sakte ya jab ham sochna suru karte hai. Shaan us kaam ko pora karke laut chuka hota hai. Karan kuch der tak pyaar se Shaan ko dekhta raha. Fir bola.... "Maine tumhe ye pochne ke liye bulaya tha ki tumhara Locket Shani ki laash ke paas kaise pahoNcha"
.
"Use Shani se pyaar ho gaya tha, esliye mujhe chorkar Shani ke paas pahonch gaya"
.
"Aaj koi majaak nahi. Sif sach-sach baaao"
.
"Tumhe yaad hoga ki 1 mahine pahle maiN Simla ghomne gaya tha. WahaaN se laut'te hu'ae maine socha Shiva se milta chaloN. To maiN Simla se sidha Pauri hi gaya tha. Jab Pauri train se utar raha tha to, kisi ne wo Locket cheena aur bhagne laga. Maine uska picha kiya par wo bheedd me kuch aesa gum huaa ki maiN use dhond hi na paya. Abhi kuch din pahle maloom huaa ki wo Jisne mera Locket churaya tha, uska naam Vikaant hai. Jis par 3 baar murder ka kes chal chukaa hai. Ab tum khud hi soch sakte ho ki mera Locket Shani ki laash ke paas kaise pahoncha hoga"
.
"Tum ye sab mujhe pahle nahi bata sakte the. Malom hai us locket ki wajah se maiN kitna pareshaan raha. Bas har waqat ye hi sochta rahta tha ki  kaheeN us locket ki wajah se tumhara naam na aa jaye" Karan ek gahri saans lene ke baad bola. Bahut din baad uske chehre se pareshani ke baadal chante the.
.
"Kaise batata. Tumne pocha tha kabhi"
.
"HaaN bas ye hi galti ho gayi" Karan ne kaha aur hansne laga.
Aur kuch der baad hanste-hanste bola.."An etna bata diya hai to ye bhi bata do ki, wo Locket tum kiske liye pahante the. Rani ke liye to tum use yakinan nahi pahante hoge. KyoNki Rani ke milne se pahle bhi maine us Locket ko tumhare gale me dekha tha"
.
"Tumhe yaad hoga 11 standard me hamare saath ek Rubi naam ki larki para karti thi. Jisne beech me hi hamara school chor diya tha"
.
"HaaN yaad hai. Wo larki hamesha, tumhare aage-piche firti rahti thi" Karan yaad karte hu'ae bola
.
"Wo mujhse bahut pyaar karti thi. Dhire-dhire mujhe bhi usse muhabbat ho gayi. Par na jane kis wajah se wo school chor gayi. Jaane se pahle Rubi mujhe wo Locket de gayi thi. Bas tab se hi maiN uski aakhiri nishani ko har waqat apne sine se lagaye rakhta. Fir mujhe R shabd se hi aesi ulfat ho gayi ki R naam ki har larki me Rubi ko dekhne laga. Bas esiliye Rani meri etni achchi dost hai"
.
"Pahle kabhi tumne ye baateiN nahi bataayi" Karan thori narajgi se bola
.
"Kuch baateiN dil me hi rahe to achcha hota hai. Warna we har lamha jakham deti rahti hai" Shaan bola
.
Ab dono chup ho gaye, Shaan apni aankhe band kiye aaram se bed pe leta hu'aa tha. Jabki Karan uske paas hi baitha kisi gahri soch me dooba hu'aa tha. Dono bilkul khamosh the. Kamre me etni khaamoshi failii huyi thi ki un dono ke sans lene ki aawaj bhi aasani se suni ja sakti thi
.
Kafii der tak dono khamosh hi rahe. Aakhirkaar Karan ne hi es khamoshi ko tora. Wo bola.."7 star naam ke kisi gang ka naam na kisi record me hai aur na hi kaheeN suna hai. Jabki un 3 gang ke naam. Jo we charo criminal bata rahe hai. Unko Sab jaante hai. Ab tum hi batao tumhari najro me sach kya hai"
.
"Wahi jo najaro ke samne hai"
.
"Kya hai najro ke saamne" Karan hairani se bola
.
"7"
.
"7....7 se kya matlab hai tumhara"
.
"7 star, matlab 7 aadmi hai jo es gang ko operate karte hai. Jinme se 2 ka murder ho chuka hai aur 4 jail me band hai. Ab sirf ak aadmi bacha hai. Jo en sabka baap hai"
.
"Oh.... Aesa to hamne kabhi socha hi nahi" Karan apne maathe pe hath maarte hu'ae bola
.
Fir kafii der tak dono baateiN karte rahe
Aur kareeb 01:45 par Shaan jaane ke liye uth khara huaa. Karan ne bahut roka par Shaan nahi ruka
.
Shaan Karan ke ghar se sidha Rani ke ghar matlab jis ghar me wo pahle Rani ke saath rahta tha, uski taraf chal para. Abhi Rani ke ghar ke saamne pahonchkar wo car sko rok hi raha tha ki uska mobile.."Huzoor aapka bhi ehtraam karta chaloN..Indhar se gujra tha socha, salaam karta chaloN" ka shor karne laga
.
Shaan ne apni jeb se mobile nikala, call Sikandar ki thi. Shaan ne call recieve ki
.
"Hello Sir, garbar ho gayi" Shaan ke hello bolte hi dosri taraf se Sikandar bola
.

"Kiyon kya doctors ne tumhe pakar kar tumhara gender change kar diya hai. Ya tumhe tisri nasal ka bana diya hai"
.
"Wo sir, Vikraant Hospital se gaayab ho gaya hai" Sikandar ki dari-sahmi si aawaj aayi

----------------------
(Jaarre...)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #174 on: November 03, 2012, 10:19:38 AM »
Update 76
Quote
"Wo sir, Vikraant Hospital se gaayab ho gaya hai" Sikandar ki dari-sahmi si aawaj aayi

"Kya bakwaas kar rahe ho" Shaan bahut tej chillaya tha. Raat ke sannate ko chirti huyi uski aawaj bahut door tak gayi thi
.
"Sir, lagbhag 1 ghante pahle, mujhe neend si aa rahi thi, esliye maiN chaai peene canteen gaya tha. Jab lauta to Vikraant gaayab tha. Pore Hospital aur aas-paas use har jagah talaash kiya par wo kaheeN nahi mila" Sikander sharmindagi se bol raha tha
.
"Chaai se achcha jahar pi lete" Shaan dahaara, jiske jawaab me Sikander khamosh raha
.
Sikander ko chup paakar Shaan fir se gusse me bola.."Es beech Vikraant se koi milne aaya tha"
.
"Nahi Sir, usse milne koi nahi aaya tha. Mujhe lagta hai ki unhe khabar ho gayi thi ki unki nigrani ho rahi hai"
.
"Hmm" Shaan ne kuch sochte hu'ae humkara bhara
.
"Ab mere liye kya order hai sir"
.
"Subah hone se pahle Kota aa jao, warna tumhe jinda jameen me gadd dunga" Shaan gurraya aur call disconnect kar di
.
Shaan bahut gusse me tha wo gahri-gahri saanse lekar khud ko normal karne ki koshish karne laga
.
Jab uska gussa kuch kam hu'aa to wo car se neeche utra aur gate pe pahonch kar door-bail bajaane laga. Kafi der baad Rani ne gate khola. Use dekhkar aesa lag raha tha jaise wo gahri neend se uthkar aayi ho. Kuch der tak wo apni aankho ko malti rahi aur fir Shaan ko pahchaan kar khushi se usse lipat gayi. Shaan ne Rani ko gaud me uthaya to Rani ne apni baanhe Shaane ki gardan ke ird-gird lapet li. Shaan ne use Room me laakar bed pe lita diya aur khud bed se niche per latkaakar baith gaya.
.
"Tumhe ek khush-khabri sunaaoN" Rani ne khush hote hu'ae kaha
.
"Hmm" Shaan ne humkara bhara. Es waqat wo gahri soch me dooba hu'aa tha
.
"MaiN tumhare bachche ki MaaN banne wali huN" Rani apne neechle hont ko apne daanto tale dabaate hu'ae boli
.
Shaan jo kisi soch me dooba hu'aa tha.
Rani ki baat sunkar bed se aese uchal ke khara hu'aa jaise kisi bichchu ne dank maar diya ho. Aur wo khaufjada hokar kuch es andaaj piche hat'ta-hat'ta diivar se jaa laga jaise bed pe Rani na ho koi jahreegaa saanp leta ho. Shaan kuch der tak fatee-fatee najro se Rani ko dekhta raha. Fir ruk-ruk kar bola.."Par.. Maine... To... Kabhi ... Tumhe .... Haath ..... Bhi .... Nahi ...... Lagaya .... Fir .... Kaise" Shaan ne apni baat adhori chor di
.
"Kyaa haath lagaane se maaN bante hai? Tumne to mujhe aaj tak hazaaro baar haath lagay hai. Fir me pahle MaaN kiyoN nahi bani" Rani masumiyat se boli
.
Rani ki aawaj bahut mithi thi. Jab wo bolti thi to aesa lagta tha jaise aas-paas phoolo ki baarish ho rahi hai. Uski aawaj ko baar-baar sunne ka man karta tha. Par aaj Rani ki aawaj Shaan ko bahut khatarnaak lag rahi thi.
.
"Nahi..... Nahi... Haath lagaane se maaN nahi bante hai" Shaan jaldee se bola
.
"To fir kaise bante hai" Rani bholepan se boli
.
Rani ki baat par Shaan ka dil chaahaa ki apna sar peet le... Wo bola.... "Wo...Wo......Wo.... Mujhe nahi malom"
.
"To kaheeN se jaldi malom karo. Aur mujhe abhi maaN banaao. Mujhe abhi 5-10 bachcho ko janam dena hai" Rani chote bachcho jaise andaaj me boli
.
"Kya....Kya.....Kyaa....Kyaa kahaa tumne" Rani ki baat sunkar kuch pal ke liye to Shaan bolne ke hi kaabil nahi rahaa. Kuch lamho baad wo itak-itak ke bola tha.
.
Shaan ko samajh nahi aa raha tha ki aaj Rani ko na jaane kaun sa bhoot chipat gaya tha jo aesi baateiN kar rahi thi. Wo abhi tak diivar se laga kharaa dari-dari najro se Rani ko dekh raha tha. Jo ab bed par uthkar gutne ke bal baith gayi thi.
.
"Aaj subah-subah parosh wali aunty ne 2 bahut pyaare-pyaare bachcho ko janam diya hai. Mujhe bhi aese hi bahut saare bachcho ko janam dena hai" Rani apne dono haatho ko viprit direction me pori lambaai se failaati huyi boli. Jaise wo kahnaa chaahti ho ki wo hazaro bachcho ko janam dena chaahti hai.
.
"Aaj tumne kyaa khaya tha. Jo bahki-bahki baateiN kar rahi ho" Shaan ne hairaani se usse pocha. Shaan ko kuch samajh nahi aa raha ha ki aaj Rani ko kya ho gaya hai.
Ab usko Rani ki dimaagi haalat pe bhi shak hone laga tha.
.

"Mujhe nahi malom..... Bas tum mujhe abhi maaN banaao..... Mujhe maaN banna hai........ Mujhe maaN banna hai........ Mujhe maaN banna hai...... Mujhe maaN banna hai........ Mujhe maaN banna hai" Rani bed pe khare hokar, bachcho ki tarah per patakti huyi chillaa rahi thi.
.
Rani ko dekhkar aesa lag rahaa tha jaise koi bachcha apne parents se  kisi khilone ke liye jidd kar raha ho. Es waqat wo bilkul bachcho ke jaise harkat kar rahi thi
.
"Chalo indhar aao" Shaan ne thake-thake se lahje me kahaa
.
"Hurrah! Ab tum mujhe maaN banaane wale ho. Mujhe bahut payaare pyaare bachcho ki maaN banana. Agar kaale-kaale bachche paida hu'ae to tumhe bahut marungi" Rani bachcho ki tarah khush hote hu'ae boli

----------------------
(Jaarre...)
Logged
ahujagd
Maqbool Shayar
****

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
6 days, 1 hours and 34 minutes.
Posts: 842
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #175 on: November 03, 2012, 11:07:45 AM »
masoom ji,
Beech mein aane se apne aap ko rk nahin paaya,
kahani to bahut achhi ja rahi hai par mein aapse royalti lene vala hoon kyonki aap ye sab vardaate KOTA mein kar rahen hain jo ki mera janm sthan hai.
ghanshamdas ahuja
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #176 on: November 03, 2012, 03:17:24 PM »
masoom ji,
Beech mein aane se apne aap ko rk nahin paaya,
kahani to bahut achhi ja rahi hai par mein aapse royalti lene vala hoon kyonki aap ye sab vardaate KOTA mein kar rahen hain jo ki mera janm sthan hai.
ghanshamdas ahuja
Ohhhh bataaye kyaa royality lenge aap.
Wese mujhe Kota ke baare me kuch bhii malom nahi hai. Story me use karne ke liye 2 chote-chote shahar ke naam chaahiye the. India ke map pe dekhaa to 2 shahar Kota aur Pauri ke naam achche lage to bas use kar liya.
Wese kaisaa shahar hai Kota.
Logged
ahujagd
Maqbool Shayar
****

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
6 days, 1 hours and 34 minutes.
Posts: 842
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #177 on: November 03, 2012, 03:40:03 PM »
Ohhhh bataaye kyaa royality lenge aap.
Wese mujhe Kota ke baare me kuch bhii malom nahi hai. Story me use karne ke liye 2 chote-chote shahar ke naam chaahiye the. India ke map pe dekhaa to 2 shahar Kota aur Pauri ke naam achche lage to bas use kar liya.
Wese kaisaa shahar hai Kota.
Masoom ji,
Just kidding, aap itna bada novel hamen de rahen hain vo kyaa kam hai, Kota bahut achha shahar hai Rajasthan ka Kanpur kaha jaata raha hai usko par ab vo India ka best Educational Hub ban gaya hai, I mean coaching classes etc, IIT nahi aa paya yeh aur baat hai.vaise ab to Mumbai mujhe 30 varsh ho gaye hain.(aapne doosra Kota to nahi chuna shayad jo Andhra mein hai kyonki Pauri to maine nahi suna Kota Rajasthan ke aas-pass).kaafi update karne ke liye bahut bahut dhanyavaad ,parantu bhookh aur lagne vali hai isliye likhte rahiye please. Mukesh ji nahi pad rahen hain kya aajkal.
ghanshamdas ahuja
Logged
mkv
Guest
«Reply #178 on: November 03, 2012, 06:13:55 PM »
Masoom ji,
Just kidding, aap itna bada novel hamen de rahen hain vo kyaa kam hai, Kota bahut achha shahar hai Rajasthan ka Kanpur kaha jaata raha hai usko par ab vo India ka best Educational Hub ban gaya hai, I mean coaching classes etc, IIT nahi aa paya yeh aur baat hai.vaise ab to Mumbai mujhe 30 varsh ho gaye hain.(aapne doosra Kota to nahi chuna shayad jo Andhra mein hai kyonki Pauri to maine nahi suna Kota Rajasthan ke aas-pass).kaafi update karne ke liye bahut bahut dhanyavaad ,parantu bhookh aur lagne vali hai isliye likhte rahiye please. Mukesh ji nahi pad rahen hain kya aajkal.
ghanshamdas ahuja
Namaste ahuja ji
aisa ho sakta hai kya..mai na padhuN.
haan agle 5-6 din shayad na padh paaun.baahar rahunga...mujhe yaad karne ke liye shukriya..
masoom bhai ..aap danadan chaalu rakhiye..bindaas.
Applause
Logged
ahujagd
Maqbool Shayar
****

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
6 days, 1 hours and 34 minutes.
Posts: 842
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #179 on: November 04, 2012, 06:50:11 AM »
Namaste ahuja ji
aisa ho sakta hai kya..mai na padhuN.
haan agle 5-6 din shayad na padh paaun.baahar rahunga...mujhe yaad karne ke liye shukriya..
masoom bhai ..aap danadan chaalu rakhiye..bindaas.
Applause
Mukesh ji,
yakeen ho gaya mujhko yeh kahaani pad rahe hain aap
arey bhai tabhi to turant comment jad rahe hain aap
main bhi aapka shukra gujaar hoon masoom ji ke saath
kyonki inspiration unko nirantar dete rahe hain aap.

abhi itna hi ghoom ke aaiye
fir milte hain break ke baad.
ghanshamdas ahuja
Logged
Pages: 1 ... 8 9 10 11 [12] 13 14 15 16 ... 19
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 27, 2025, 04:29:16 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.151 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer