Unknown Target...........masoom

by Masoom Shahzada on August 13, 2012, 03:29:02 AM
Pages: 1 ... 11 12 13 14 [15] 16 17 18 19
Print
Author  (Read 36824 times)
masoom shahjada
Guest
«Reply #210 on: November 19, 2012, 04:00:15 AM »
Update 92
Quote
"Saale, tu ne to aaj marwa hi dala tha" Anita ke jaate hi Karan gusse me bola

"Marwaa dala re" Shaan hanste hu'ae gana sa gaane laga. Par ek dam se kuch yaad karte hu'ae fikarmand hokar bola.."Mawaane se yaad aaya. Tumne mere jakhmii hone ke baare me Rani ko to kuch nahi bataya na"
.
"Sanjana se to bata diya tha. Par tumse baateiN karne me Rani ko batana bhool hi gaya. Khair koi baat nahi ab bataa deta huN" Karan apni jeb se apna mobile nikaalte hu'ae bola
.
"Ao mere baap! MaiN tere aage haath jorta huN. Plz Rani ko kuch mat bataao, agar use malom hu'aa to wo ghabraa jaayegi aur bahut pareshaan ho jaayegi. Aur fir mujhe bahut bauri tarah daaNtegi. Esliye plz plz plz plz use kuch mat bataana" Shaan, Karan ke aage haath jorkar request karte hu'ae bola
.
"Achchaa ek shart par maiN Rani ko kuch nahii bataoNga. Pahle tumhe mujhe sab kuch sach-sach batana hoga"
.
Karan ki baat sunkar Shaan ne ek gahrii saans li. Aur fir Karan ko sab kuch bataata chalaa gaya.
.
"Jab tumhe maalom ho gaya tha ki tumhaare liye koi jaal bichaya gaya hai to andar jaane ki kyaa jarurat thi" Karan, Shaan ki pori baat sunkar bola
.
"Sikandar, mera mobile kahaaN hai" Karan ke sawaal ko ansunaa karte hu'ae Shaan bahut jor se chillaya
.
Shaan ki aawaj sukar Sikandar andar daakhil hu'aa aur bola.."Mere paas hai"
.
"Chiraag ko call karo aur use jald se jald wo list lekar yahaaN aane ko kaho, jise kal dophar maine use tayyar karne ko kahaa tha" Shaan ne Sikandar ko order diya
.
Sikandar ne Shaan ka mobile Shaan ke haatho me thamaayaa aur khud baahar nikalkar Chirag ko call karne laga.
.
"Ye tumne Chiraag ko kaunsi list tayyar karne ko di thi" Karan ne hairaan hokar Shaan se pocha
.
"Tum list-vist ke chakkar me mat paro. Balki tum Rajesh ko call karo aur usse kaho ki wo shahar se baahar band factory ki talaashii lene walii team se report lekar jald se jald mere paas aaye"
.
"Ab ye factory-vactory ka kyaa chakkar hai" Karan ne fir Shaan se pochaa
.
"Ye sab kabhii fursat me baithkar bataaoNga. Abhi tumse jo kahaa hai wo karo" Shaan ne kahaa
.
Karan, Rajesh ko call lagaakar usse baateiN karne lagaa. Jabki Shaan apne mobile me aaye hu'ae SMS parne laga. Ak SMS Rani ke number se aaya hu'aa tha.  Shaan ne us SMS ko open kiya. Rani ne ak address behjaa tha aur likhaa tha. Ki Vicky pichle kuch dino se yahaaN rah rahaa hai. Aur abhi kuch der pahle, wo ek ganje aadmii ke bhesh me es ghar me daakhil huaa hai.
Shaan ne SMS parne ke baad uski detail dekhi. SMS ak hour pahle aaya huaa tha.
.
Etna Shaan Rani ka SMS ko par rahaa tha. Aur Karan, Rajesh se baat baat kar rahaa tha.
.
Jaise hi Karan ne Call disconnect ki.
Shaan ne usse uska mobile maanga. Karan ne Shaan ko apna mobile pakra diya. Shaan ne uske mobile me Rani ke duvara bhejaa gaya address Karan ke mobile me type karne ke baad. Karan ko uska mobile waapis de diya aur bola.."Sikandar aur apni team ko lekar es address par jaao. Ye Vicky ka naya thikana hai. YahaaN wo tumhe kisi bhi bhesh me mil sakta hai. Achchaa hoga ki es ghar me milne waale har addmii ko tum arrest kar lo"
.
Shaan ki baat sunkar Karan ne kuch bolne ke liye monh khola fir kuch sochkar chup ho gaya. Aur Sikandar ko apne saath lekar, apni team ko call karta hu'aa Hospital se nikal gayaa.
.
Karan ke jaane ke baad, Shaan aankhe band karke kuch sochne laga. Abhi kuch der hi huee hogi ki kisi ke gate kholne ki aawaaj sunkar Shaan ne apni aankhe kholi aur darwaaje ki taraf dekhne laga. Rajesh andar daakhil ho rahaa tha. Rajesh, kursii pe baithta hu'aa bola..."Sir, ye sab kaise ho gayaa"
.
"MaiN subah-subah sherni ke andde(eggs ) churaane gaya tha. Chori karte hu'ae pakra gaya. Es liye ye haal ho gaya" Shaan dard bharii aawaaj me bola. Aur ek lamhaa ko chup hu'aa aur fir kuch tej aawaaj me bola..."Tum report laaye ho yaa nahii"
.
Shaan ki baat sunkar Rajesh ne bina kuch kahe Report use pakra di. Shaan report parta rahaa. Report parte-parte Shaan ke chehre pe gussa jhalakne lagaa. Report ke anusaar, factory se naa to kisii ke finger-print mile the aur naa hi talaashii me kuch haath aaya tha. Jabki Shaan ke acording ye na-mumkin tha.
.
"Sir, Dev sir, ka acsident nahii huaa tha. Wo aaj ek coffee shoap ke saamne se behosh mile hai" Shaan ke chehre pe gussaa dekhkar Rajesh Shaan ko khush karne ke liye muskuraate hu'ae bola
.
"Achchaa, kahaaN hai ab Dev sir"
.
"S.K. Hospital me"
.
"Tum jaldi se unke paas jaao. Aur S.P. Rahul se unki kyaa baateiN hu'ee thi, maloom karke mujhe bataao" Shaan ne Rajesh ko order diya
.
Shaan ki baat sunte hi Rajesh jaane ke liye uth kharaa huaa.
Rajesh ke jaane ke 5 minute baad  Chiraag room me daakhil hu'aa aur kursii pe aakar baith gaya.
Aur kursii pe bath'te hi bola.
"Sir, kaisii tabiyat hai ab aapki"

------------------
(Jaaree...)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
My mind sails, through an unknown sea! by abdbundeli in English
Na Kamal-e-Fun Hi Mila Mujhe - Not Mine (Shayr Unknown to me) by fernsk in Shayri-E-Dard
A shared poetry-writer unknown by tamanna1 in Share:Love Poetry
apnay badlay huway lehjay ki wazahat karna- Unknown by ghayal_shayar in Urdu Poets « 1 2  All »
saathoN ki kasoor ho geya--Unknown by ghayal_shayar in Pain in Love : Punjabi poetry
masoom shahjada
Guest
«Reply #211 on: November 19, 2012, 04:14:25 AM »
Update 93
Quote
"Sir, kaisii tabiyat hai ab aapki"

"Ab to achcha mahsos kar raha huN" Shaan ne halke se muskuraate hu'ae kahaa. Fir kuch der chup rahne ke baad bolaa.."List tayyar huee ya nahi"
.
"List ready hai, Sir" Chiraag ne 3-4 page ki ek list Shaan ki taraf baraate hu'ae kahaa
.
Shaan ne Chiraag ke haath se list li aur dekhne lagaa. Chiraag ne usme Raj Bhagwat ki party ko attend karke marne waale logo ka naam, kaam, address, aur unke marne ki jagah aur time sab likhaa tha. Bahut der tak Shaan us list ko dekhta raha. Fir list se apni nazar hataakar Chiraag ke chehre pe daalte hu'ae bola...."Very good Chiraag, tumne bahut achchaa kaam kiya hai...... Par ye sab party me kyoN the. Mera matlab enka Raj Bahgwat se kya rishta tha"
.
Shaan ke monh se apni tareef sunkar Chiraag khush hote hu'ae bola..."Sir last page dekhiye.... Maine Raj Bhagwat se risto ke aadhar par en sabke 5 groups banaaye hai"
.
Shaan ne last page open kiya. WahaaN par sab marne waalo ko five groups me devide kiya gaya tha.
.
Pahla Group un 50 logo ka tha, jo Raj Bhagwat ke bahut close relatives the.
.
Dosre group me Raj Bhagwat ke 10, close friends the.
.
Teesre group me we 25 log the, jo uski patni, beto aur beti ke close friend the.
.
Chothe group me 4 log the. Ak Raj ki patni, 2 bete aur ek beti.
.
Paanchve group me cooks, waiter aur 15 aese hi log the.
.
Sabko milaakar 104 logo ki maut huee thi.
.
Shaan list pe nazar jamaaye kuch sochne lagaa huaa tha.
.
"Sir, en sabki ak saath heart atteck se maut hona. Ak ittefaak bhi to ho sakta hai" Chiraag Shaan ko list me dooba dekhta hu'aa bola
.
"Hone ko to kuch bhi ho sakta hai........ Khair ye bataao. Raj Bhagwat ki family me se koi jinda bhi bachaa hai ya nahi"
.
"Raj Bhagwat ka beta Saurabh Bhagwat jinda bacha hai. Jo ki USA me rahta hai. Wo aaj shaam 5 baje yahaaN aa rahaa hai"
.
"Aaj aa rahaa......... Kyaa Wo apni family ki maut par kyoN nahi aaya tha" Shaan ne ta'ajjub se bola
.
"Uski wife hospital me admit thi. Uski delivery hone wali thi" Chiraag ne jawaab diya
.
Shaan ne ek baar aur list par najre jamaa di. Par uski kuch samajh me nahi aa rahaa tha. Kuch pal Chiraag aur Shaan kuch rahe, fir Shaan ke mobile ki ringtone ne kamre ki khamoshi ko tora. Shaan ne call attend ki..
.
"Hello, Shaan Sir, Dev Sir se baat kijiye" Dosri taraf se Rajesh ki aawaaj aa'ee.
.
"Hello" Kuch palo ke baad Dev ki aawaaj Shaan ko sunaa'ee di
.
"Hello Good Evening Sir"
.
"Good Evening"
.
"Sir marne se pahle aapne last call kiski recieve ki thi"
.
"Marne se pahle... Tum kya kah rahe ho" Dev hairat se bola
.
"Aap ASP Dev ke bhoot hi bol rahe hai na" Shaan ne masoomiyat se pocha
.
"Shaan, tum kabhi majaak karne se baaj nahi aate"
.
"Bhoot ji, ab bataa bhi dijiye, aapke mobile pe last call kiski aa'ee thi"
.
"S.P. Rahul Mishra ki"
.
"BaateiN kya huee thi"
.
"Unhone kahaa tha ki tum baahar aao. MaiN tumhaare ghar ke saamne kharaa hu. Jab maiN baahar nikla to wahaaN koi nahi tha. MaiN apne mobile se S.P. Ka number dial karne lagaa ki piche se kisi ne meri naak pe rumaal rakhkha aur maiN behosh ho gaya"
.
"Jab aap ghar se nikle the to aapke bete ki bike ghar par hi thi"
.
"Maine dekhaa nahi tha.... Shaayad ghar par hi hogi kyonki mera beta to Delhi gaya huaa tha"
.
"Thank u Bhoot jee" Shaan ne kahaa aur call disconnect kar di. Call disconnect karne ke baad Shaan ne time dekha 04:50 ho rahe the.
.
"Raj Bhagwat ka beta aane wala hoga. Tum abhi uske ghar jaakar usse milo. Kyaa pata use koi aesi baat maalom ho jo hamaare kaam aa sake" Shaan ne kahaa.
.
Shaan ki baat sunte hi Chiraag wahaaN se chalaa gaya. Chiraag ke jaane ke baad Shaan fir se soch me doob gayaa.
.
Abhi Chiraag ko jaaye hu'ae 10 ya 15 minute hi gujre hoge ki thake-thake kadmo se Karan andar aaya aur Shaan ke paas aakar baith gaya.
.
"Kyaa hu'aa" Karan ke niraash chehre ko dekhkar Shaan samajh to gayaa tha fir bhi poch baitha.
.
"Hamaare pahonchne se 5 minute pahle hi Vicky wahaaH se bhaag gaya" Karan ne jawaab diya.
.
"Tum Vicky ko arrest karne ja rahe ho. Ye baat kis-kisko malom thi" Shaan ne pocha
.
"Tumhe, mujhe, Sikandar aur Anita madam ko" Karan ne jawaab diya. Aur fir thora gusaa hote hu'ae bola.."Yaar teri wajah se Anita ne mujhe bahut daanta. Wo to mujhe suspend karwaane ko tayyar thi. Bari mushkil se....." Karan ki baat par Shaan khilkhilaa kar hasne laga aur Karan apni baat adhori chodkar use ghorne laga
.
"Tumhe Vicky ke thikaane ke baare me kaise maalom huaa tha" Karan lagatar Shaan ko ghorta huaa bola
.
Karan ki baat sunkar Shaan ne hasna band kiya aur Karan ko bataane laga. Shaan abhi chup bhi nahi hu'aa tha ki uske mobile pe kisi ki call aane lagi. Shaan ne call recieve ki.....
"Hello Shaan Sir, ek aur murder ho gayaa hai" Dosri taraf se Chiraag ki aawaaj sunayi di.

------------------
(Jaaree...)
Logged
aqsh
Guest
«Reply #212 on: November 22, 2012, 11:18:51 AM »
masoom keep on going very nice....
Logged
aqsh
Guest
«Reply #213 on: November 24, 2012, 06:31:24 AM »
nice masoom abhi updae 35 tak hi padha but interesting one
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #214 on: November 24, 2012, 10:25:10 AM »
masoom keep on going very nice....
nice masoom abhi updae 35 tak hi padha but interesting one
Thanks
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #215 on: November 24, 2012, 10:26:21 AM »
masoom keep on going very nice....
nice masoom abhi updae 35 tak hi padha but interesting one
Thanks
Logged
mkv
Guest
«Reply #216 on: November 24, 2012, 10:30:07 AM »
dekha na..story like karne vaale kitne hai.. likhte rahiye..
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #217 on: November 24, 2012, 10:36:22 AM »
dekha na..story like karne vaale kitne hai.. likhte rahiye..

O.K. Bhaai, wese ye story dosre forum esse aage likh chuka huN. YahaaN paste nahi kar paya aaj dekhta huN.
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #218 on: November 24, 2012, 11:06:34 AM »
Update 94
Quote
"Hello Shaan Sir, ek aur murder ho gayaa hai" Dosri taraf se Chiraag ki aawaaj sunayi di.

"Achcha es baar kaun tapka"
.
"Airport se ghar aate hu'ae Raj Bhagwat ke bete Saurabh ki car ko  rok kar 10-15 naqaabposh ne uske chand din ke bete ko goliyo se bhoon kar maar dala"
.
"OH...... Tumhaari baat huee Saurabh se" Shaan ne afsos se pocha
.
"Sir Apne bete ki maut ki wajah se Saurabh ki haalat bahut kharaab hai. Usne sirf etna hi bataya ki jis raat party thi usse agli subah uske paas uske papa ka phone aaya tha. Unhone kahaa tha ki... Jawaani me maine ek gunaah kiya tha. Mere gunaah ki sazaa 100 se jayaadaa be-gunaah logo ko mili hai. Sourabh beta tum door kaheeN bahut door chale jaao. Wo darinda hai. Agar usko tumhara pataa chal gaya to wo tumhe jinda nahi chorega. Wo tumhe aur tumhari wife ko bhi maar dalega"
.
"O.K. Tum Police Station se kuch constable bula lo aur Saurabh aur uski wife ki protection bahut kadi kar do" Shaan ne kahaa aur kahte ke saath hi call dis-connect kar di.
 Aur Karan ko sab bataane lagaa
-----x-------x------x-----
Riya ko hosh aaya to khud ko hospital me paya. Paas me hi mammi aur papa baithe hu'ae the
.
"Ab mera Shaan kaisa hai" Hosh me aate hi Riya ke monh se nikla
.
"Beta, tum ye kyaa kah rahi ho" Mammi Papa ek saath hairaan hote hu'ae bole
.
"Ab mera sar kaisa hai" Riya ne ekdam baat banaate hu'ae kahaa. Agar wo unse sach bataati to fir use sab kuch bataana parta. Jo wo kisi ko bhi nahi batana chaahti thi
.
"Wo to tumhi ko malom hoga... Aur tum stairs se niche kaise gir gaee thi" Mammi ne pyaar se Riya ka maatha chumte hu'ae kahaa
.
"Per fisal gayaa tha........ Papa zaraa apna mobile dena" Riya ne bechani se kahaa. Uskaa dil bahut jor se dharak rahaa tha. Aur uski aatii-jaati har saans Shaan ki salaamati ki duwaa maang rahi thi
.
"KyoN... Kyaa krogi" Papa ne Riya ke haatho me mobile thamaate hu'ae pochaa
.
"Sanjana ko call karungi" Riya ne bechaini se pahlu badate hu'ae kahaa
.
"Beta, abhi 20 minute pahle Sanjana ki call aayi thi. Wo to Kota pahonch chuki hai" Mammi boli
.
Riya ne time dekha 07:30 ho rahe the
"Papa mujhe bhook lag rahi hai, kuch khaane ko laaye na" Riya bachcho ke se andaaj me boli
.
Riya ki baat sunkar Papa uthkar chale gaye. Papa ke jaate hi Riya ne karaahna suru kar diya. Riya ke karaahne ki aawaaj sunkar mammi pareshaan hote hu'ae boli.."Kyaa hu'aa beta"
.
"Sar me dard ho rahaa hai" Riya musalsal karaahte hu'ae boli
.
"MaiN abhi doctor ko bulaati huN" Riya ki mammi boli aur ekdam se uthkar baahar nikal ga'ee
.
Mammi ke jaate hi Riya ne karaahna band kiya aur Sanjana ko call lagaane lagi
.
"Hello" Sanajan ki aawaj Riya ko sunayi di
.
"Hello Sanjana, mera Shaan kaisa hai" Riya bekaraari se boli
.
"Mera Shaan se matlab... Tu theek to hai na" Sanjana ne thora hairaan aur thoraa pareshaan hokar pocha
"MaiN theek huN. Mera matlab Shaan kaisa hai ab wo jakhmii ho gaya tha na" Riya samhal kar boli
.
"Theek hai" Sanjana ki laaparwaah si aawaaj Riya ko sunaayi di
.
Jise sunkar Riya bekaraari se boli.."KaheeeN tu jhot to nahi bol rahi hai. Sach-sach bataa, mere Shaan ko jayaada chote to nahi aayi hai na. Wo bilkul thiik hai na"
.
"Aunty ne abhi kuch der pahle bataayaa tha ki tere sar me chot lagi hai. Mujhe lagta hai ki uski wajah se tere dimaag ka koi skrew dhilaa ho gayaa hai.... MaiN bhalaa tumse jhont kyoN bolungi" Sanjana chirkar boli aur ek lamhe ko chup huee aur fir fikarmandi se pochne lagi..."Tu thiik to hai na?"
.
"Sorry galti se monh se nikal gayaa tha.... Ab kahaaN hai Shaan"
.
"1 ghante pahle hospital se discharge karwaake laaye hai. Abhi wo hamaare guest room me so rahaa hai. Tu 1 minute hold kar.. Abhi teri tere Shaan se baat karaati huN"
.
"Arre..... Nahee..... Nahee" Riya ne bokhlaa kar kahaa aur call dis-connect kar di
-----x-------x-------
9 baje Sanjana ne diner tayyar karke Shaan ko jagaayaa. Fir Karan, Sanjana aur Shaan teeno ne milkar diner kiya. Diner karne ke baad Karan aur Shaan to guest room me jaakar bed pe baith kar baateiN karne lage, aur Sanjana dining table se bartan chunne lagi
.
"Tumne un chaar criminals se unke under kaam karne waalo ki jo list banaaee thi. Wo kahaaN hai" Shaan ne Karan se pochaa
.
"Abhi lata huN" Karan bola. Aur bed se utarkar apne bedroom me chalaa gaya. Kuch der baad guest room me aaya to uske haath me kuch papers the. Bed pe baithte hu'ae Karan ne we paper Shaan ko pakraa diye
.
Shaan ne dekha usme 250 se jayada logo ke naam, pataa wagairah likhaa hu'aa tha
.
"Enme se main-main kaun hai" Shaan ne us list par ek nazar daalte hu'ae pochaa
.
"Next page open karo" Karan bola
.
Shaan ne agla page open kiya. 18 logo ke naam likhe hu'ae the. Shaan unhe dekhne lagaa. Tab hi haldii wala doodh(milk) liye Sanjana guest room me aa'ee
.
"Bhabhi ye haldi wala doodh maiN nahi pine wala" Sanjana ko dekhte hi bachcho ki tarah monh bisorte hu'ae Shaan bola

------------
(Jaaree...)
Logged
mkv
Guest
«Reply #219 on: November 24, 2012, 06:26:48 PM »
majaak accha karte ho..
jab dono taraf ho to...
very intelligent.
bekaar me pitva diya? uske revolver ki goliya khatam ho gayee thee kya?  ya khaali haath ladne me mahaarat hai use?
really interesting.
carry on.

Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #220 on: November 24, 2012, 11:21:35 PM »
Update 95
Quote
"Bhabhi ye haldi wala doodh maiN nahi pine wala" Sanjana ko dekhte hi bachcho ki tarah monh bisorte hu'ae Shaan bola

"Pee lo warna ak ultaa haath ghumaa kar marunga" Karan gusse me bola
.
Karan ki baat sunkar, Shaan ne Sanjana ke haath se glass le liya aur bure-bure monh banaate hu'ae pine laga. Doodh peekar khaali glaas Shaan ne ek side me rakh diya. Sanjana bhi bed pe hi baith gaee aur teeno baateiN karne lage.
Karan aur Sanjana se baateiN karte-karte Shaan ne apni jeb se apna mobile nikala aur Sikandar ka number dial kiya.
"Hello" Kuch der baad Sikandar ki aawaaj sunayi di
.
"Kal tak mujhe Raj Bhagwat ki janam se maran tak ki pori history chaahiye" Shaan ne kahaa aur Sikandar ke jawaab ka intizaar kiye bina call dis-connect kar di.
Aur Rajesh ka number dial kiya..."Hello Rajesh kahaaN ho"
.
"Ghar par huN" Rajesh ki aawaaj aayi
.
"Tum Raj Bhagwat ki phone calls aur e-mail accounts check karo. Agar koi baat hamaare matlab ki nikle to mujhe inform karo" Shaan ne kahaa aur call disconnect kar di
.
Aur fir Chiraag ka number dial kiya.."Hello Chiraag, Raj Bhagwat ke ghar ke kyaa haalaat hai"
.
"Sir, Saurabh aur uski wife ka ro-rokar buraa haal ho rahaa hai. Aur...."
.
"Saurabh aur uski wife ko unke haal pe choro. Tum Raj Bhagwat ke pore ghar ki talaashi lo. Raj Bhagwat ki saari dairy talaash karo. Shaayd uski kisi dairy se hame kuch malom ho sake ki usne jawaani me kyaa gunaah kiya tha" Shaan ne kahaa
.
"O.K. Sir" Chiraag bola
.
Chiraag ka jawaab sunkar bina kuch kahe Shaan ne call disconnect kar di. Aur kisi aur ka number dail kar hi rahaa tha ki Sanjana ne shaan ke haath se mobile cheena aur boli.."Bas bahut ho chuka. Ab aaraam karo"
.
"Bhabhi plz plz sirf ak call aur karni hai. Mobile de do" Shaan ne request ki
.
"Ab subah se pahle tumhe mobile nahi milne wala" Sanjana boli
.
"Karan, ek minute ko apna mobile dena" Shaan ne Karan se uska mobile maanga
.
Par esse pahle ki Karan apna mobile Shaan ko deta. Sanjana ne Karan ki jeb se uska mobile nikala aur boli.."Karan, Shaan ko kuch to aaraam karne do"
.
Aur fir Karan aur Sanjana apne bedroom me chale gaye. To Shaan bhi sone ki tayyari karne laga.
.
Sanjana ko subah savera uthne ki aadat thi. Agli subah wo savera uthkar washroom ke liye nikli to guest room ki light on paayi. Washroom se Sanjana seedhe guest room me gaee to dekhaa Shaan bhi uth gayaa tha. Sanjana, Shaan ke paas hi bed pe baith'te hu'ae boli..."Good morning devar ji"
.
"Good Morning bhabhi" Shaan ne bhi muskuraate hu'ae kahaa
.
"Kal aapke liye Riya ki call aayi thi" Sanjana ne Shaan se kahaa aur dhayaan se Shaan ke chehre ko dekhne lagi
.
"To kya hu'aa" Shaan laaparwaa'ee se bola. Halanki Riya ki caal ka sunkar wo dil hi dil me bahut khush ho rahaa tha. Par usne apna chehra normal hi rakhkhaa tha
.
Shaan ke sapaat chehre ko dekhkar Sanjana ko maYoindia Shayariadabhi huee. Usne socha tha ki uski baat par Shaan ke chehre par ronak aayegi. Par aesa kuch nahi hu'aa tha.
Sanjana fir se boli.."Riya mera Shaan, mera Shaan kar rahi thi.. Aakhir aap dono ke beech kyaa chakkar hai"
.
"Riya ki to aesi ki taisi. Wo hoti kaun hai, mujhe mera-mera karne wali. Zaraa mujhe mera mobile de. Abhi uski khabar leta huN" Shaan gusse se aag-bhabhola hokar bola
.
"Wo to aapko breakfast ke baad hi milega" Sanjana boli aur bed se uthkar baahar ko chal di.
.
Sanjana ke nikalte hi Shaan ke honto pe ek dilkash muskuraahat aakar khelne lagi...."Mera Shaan... Es mera Shaan me kuch na kuch jaroor chupaa hai....... Kya Riya mujhse pyaar karti hai... Agar karti hai to usne ye kyoN kahaa tha ki maiN Sameer se pyaar karti huN...... Aur agar wo mujhe nahii chaahti to uske es mera Shaan ka kyaa matlab hai" Shaan ne khud se kahaa, aur kisi soch me doob gayaa.
-----x--------x------x------
Ajeet jaldi breakfast karke ghar se nikla. Ghar se kuch door aage jaakar usne apni BMW roki aur apni jeb se ak mobile nikala aur apne volet me se ek sim nikaalkar us mobile me daalkar Vikraant ka number dial kiya aur apni BMW ko start karke aage baraa di
"Hello" Kuch hi der baad Vikraant ne call recieve ki
.
"Hello, Boss is here" Ajeet bola
.
"Mere liye kyaa hukm hai, Boss"
.
"Tumhaari himmat kaise huee Shaan ko jakhmi karne ki... Tumhe bas kuch der tak use uljhaaye rakhne ko kahaa gayaa tha" Ajeet gusse me chillaya
.
"Boss, parso usne mujhe jakhmii..."
.
"Shaan agar teri gardan kaat rahaa ho aur tu ne uff bhi ki to tujhe aur teri family ko jinda jalaa dalunga" Aajeet gurraya
.
"Bo... Bos.... Boss... M... Mu..... Mujhe... ma... maaf... k... kar ..... d... do... aa... aag.... Aage... s... se..... ae.... aesi... gal.... galti.... na.... nahi... h.... ho.... hogi"
.
"Ye pahli galti hi aakhiri honi chaahiye. Aage agar dhoke se bhi Shaan ke jism pe ek kharonch bhi lagaa'ee to tera naam-ao-nishaan mita dunga" Ajeet gusse me dahaaraa aur call disconnect kar di.

------------
(Jaaree...)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #221 on: November 24, 2012, 11:38:02 PM »
Update 96
Quote
"Ye pahli galti hi aakhiri honi chaahiye. Aage agar dhoke se bhi Shaan ke jism pe ek kharonch bhi lagaa'ee to tera naam-ao-nishaan mita dunga" Ajeet gusse me dahaaraa aur call disconnect kar di.

Call dis-connect karne ke baad Ajeet ne BMW ko roka aur Mobile se abhi kuch der pahle dala huaa sim nikala aur apni pent ki pocket se lighter nikaal kar sim ko distroy karke window se baahar gutter me fenk diya. Ajeet ka ye roj ka kaam tha Vicky, Vikraant, Kamal aur Red 001 wagairah se baat karne ke liye wo har baar naye Sim ka use karta tha aur baat karne ke baad, us sim ko destroy kar deta tha. Har waqt uske vollet me 10-12 new sims rakhe rahte the. Aur ye sab sim wo apni ID pe nahi leta tha
.
Us sim ko destroy karne ke baad Ajeet ne BMW ko aage baraa di aur 20 minute baad ak bahut bari aur saandaar industry ke saamne roki. Gate pe khare guard ne BMW pe nazar parte hi jaldi se gate khola. Ajeet apni car andar le gayaa. Es industry ka owner khud Ajeet tha.
-----x-------x------x------x-----
Shaan ye hi sochne me laga huaa tha ki Riya ne use "Mera Shaan" kyoN kahaa hoga. Kuch der me Karan bhi guest room me aa gayaa. Shaan uske saath indar-udhar ki baateiN karne laga.
Jabki Sanjana kitchen me thi aur breakfast tayyar kar rahi thi.
.
Sanjana breakfast banaate hu'ae Shaan aur Riya ke baare me soch rahi thi. Riya ki baato se use laga tha ki Shaan aur Riya ke beech koi chakkar hai. Aur es baat se Sanjana bahut khush thi. Par usne jab shaan se baat ki to wo aag-bhabhola ho gayaa tha. Jisse use nirasha hu'ee thi. Fir bhi uska dil kah rahaa tha ki Riya aur Shaan ke beech aesi koi baat jaror hai, jo use malom nahi hai. Esliye usne ak baar Riya se baat karne ka faisla kiya. Usne sochaa aaj raat wo Riya se call karke es baare me baat karegi.
Sanjana ne Riya aur Shaan ke baare me sochte-sochte breakfast tayyar kar liya tha. Breakfast dining table par lagaa kar Sanjana ne Karan aur Shaan ko aawaaj di. Shaan aur Karan aa gaye. Aur fir teeno ne ak-saath breakfast kiya.
.
Breakfast kanre ke baad Karan Police Station chalaa gaya aur Sanjana se kah gaya ki aaj wo Shaan ko kaheeN na jaane de. Agar Shaan aaj aaraam karega to uske jakhmo ke liye bahut achcha rahega.
.
Karan ke jaane ke baad Sanjana ne Karan ki Black jeans aur white shirt jispar green lines thi, Shaan ko dete hu'ae kahaa ki wo kapre chage kar le. Kyonki Shaan ke kapro par khoon ke dabbe lage hu'ae the. Shaan ne bathroom me jaakar kapre change kiye. Aur baahar aakar bahut meethe lahje me bola....."Meri pyari-pyari bhabhi ji ab mera mobile lauta do"
.
Sanjana ne usko uska mobile lauta diya. Apna mobile milte hi Shaan baahar jaane waale gate ki taraf baraa. Ye dekhkar Sanjana teji se aage bari aur Shaan ke aage jaakar khari ho gaee. Jisse Shaan ko rukna paraa. Sanjana, Shaan ko gusse me ghorte hu'ae boli.."Aaj pore din aapko aaram karna hai. Aaj maiN aapko kaheeN nahee jaane dungi"
.
"Bhabhi bas thori der ke liye park me ghomne jaa raha huN. Bas thori der me waapis aa jaaoNga" Shaan ne muskuraate hu'ae kahaa.  Shaan ki baat sunkar Sanjana Shaan ke aage se hat gaee aur Shaan ne baahar ki taraf kadam baraa diye.
.
Karan ke ghar se baahar aate hi Shaan ne SP Rahul Mishra ka number dial kiya...
"Hello" dosri taraf se kisi lady ki aawaaj Shaan ke kaano me pari. Call Rahul ki wife ne attend ki thi
.
"Good Morning madam, sir kahaaN hai" Shaan bola
.
"We to abhi-abhi bathroom me naahne ke liye gaye hai"
.
Shaan ne ye baat sunkar call disconnect kar di aur fir kuch soch kar Sikandar ko call lagaaee. 5-6 bail jaane ke baad Sikandar ne call recieve ki aur bola..."Hello, Good Morning, Sir"
.
"Raj Bhagwat ki pichli jindagi ke baare me kuch malom huaa"
.
"Sir, Raj Bhagwat ki pichli jindagi ke baare me kuch bhi malom nahi ho pa rahaa hai, kyonki unke saare karibi dost aur ristedaar, us raat party me shaamil hu'ae the aur sab mar gaye the"
.
"Koi baat nahee. Police station me meri car khari hai aur uski key mere kebin me rakhi hai. Tum meri car lekar Karan ke ghar ke paas waale road par aa jaao" Shaan ne kahaa aur call disconnect kar di. Aur jahaaN Sikandar ko bulaya tha, waheeN khare hokar Sikandar ka intizaar karne lagaa. Thori der baad Sikandar, Shaan ki car lekar aa gayaa. Shaan, Sikandar ke saath S.P. Rahul Mishra ke ghar pahoncha. Rahul ne unhe dring room me baithaya aur baateiN karne lagaa.
.
"Sir, 3 din pahle shaam ke waqt aapne Dev sir ko call karke unhe apne ghar se baahar kyoN bulaya ha" Shaan ne SP Rahul se pocha
.
"Dev ko call... Bulaya tha..... 3 din pahle.... Tum kyaa kah rahe ho. Mujhe to Dev ko call kiye hu'ae kaafi din ho gaye" Rahul bari hairat se kah rahaa tha
.
"Sir, kyaa aapne Salman Khan ke saath agle mahine release hone waali movie me kaam kiya tha" Shaan ne sanjidgi se pocha
.
"Salman ke saath kaam...... movie..... Kya bak rahe ho" Rahul thore gusse me bola

-----------------
(Jaaree...)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #222 on: November 24, 2012, 11:47:21 PM »
Update 97
Quote
"Salman ke saath kaam...... movie..... Kya bak rahe ho" Rahul thore gusse me bola

"To fir etne shaandaar tareeke se jhot kaise bol rahe ho" Shaan ne Rahul ki aankho me aankhe daal kar kahaa
.
"Jhot..... Kaisa jhot....... Shaan, mind ur language" SP Rahul gusse me aag bhabhola hote hu'ae bola. Aur khaa jaane waali najro se Shaan ko dekhne lagaa. Shaan par Rahul ke gusse ka koi asar nahi huaa wo baraabar Rahul ki aankho me jhaank rahaa tha. Par Sikandar dar gayaa, wo jaldi se bola..."Par Dev Sir to kah rahe the ki 3 din pahle aapne unhe call karke ghar se baahar aane ko kahaa tha. Jabki aap Dev Sir ke ghar ke saamne nahee khare the. Aur hamne bhi check kiya tha to unke number par last call aapke hi number se aayi thi"
.
"3 din pahle.... Mere number se call..... Tum kyaa kah rahe ho. 4 din pahle to mera mobile gum ho gayaa tha. Mil hi nahee rahaa tha" Rahul ne hairat aur asmanjas se mile-jule andaaj me kahaa
.
"Aesa hai kyaa. Par yahaaaN aane se pahle aapke number par maine aapki wife se baat ki thi" Shaan ne tanj se kahaa 
.
"4 din pahle maiN apna mobile apne saath bedroom me lekar soya tha. Subah uthaa to mobile kaheeN nahii mil rahaa tha. Apne number pe call ki to switched off aaya. Par aaj subah hi mera mobile mere bed ke niche se mila"  Rahul ne bataya
.
Rahul ki baat sunkar Shaan ne ak gahri saans li fir kuch der tak Rahul se baat karke Sikandar ke saath baahar aa gayaa.
.
Shaan aur Sikandar car ke paas aa gaye. Shaan car se tek lagaakar khara ho gayaa aur sochne lagaa. Agar Rahul jhot bol rahaa hai to fir wo aesa jhot kyoN bol rahaa hai, jis par kisi ko yakeen na aa sake. Kyaa Rahul sach-much jhot bol rahaa hai ya esme bhi 7 Star waalo ki koi chaal hai. KaheeN Rahul 7 Star waalo se mila hu'aa to nahee hai.
.
Shaan ke dimaag me tarah-tarah ke khayaalaat gardish(chakkar lagana) kar rahe the.
Shaan ne kuch sochkar apni pocket se mobile nikala aur Dev ki wife ke number pe call lagaayi...
"Hello, Good Morning Bhabhi Jee, kaisee hai aap" Dosri taraf se Dev ki Wife ki aawaj sunkar, Shaan bolaa
.
"MaiN bilkul theek huN aur Dev ke jinda mil jaane ki wajah se bahut khush bhi huN par tumhaare chote lag jaane ki wajah se kuch-kuch udaas bhi huN" Bhabhi ne khushi se chahakte hu'ae kahaa
.
"Khushi aur udaasi ak saath..... Khair, kyaa bhoot jee ghar par hi hai"
.
"Bhoot..." Bhabhi ki hairaan si aawaaj aayi
.
"Arre bhabhi aap bhoot jee ko nahee jaanti..... Kamaal hai" Shaan ne apni aawaaj ko hairat jadaa banaate huye kahaa
.
"Shaan.... Tum kyaa kah rahe ho.... Meri samajh me kuch nahi aa rahaa hai"  Bhabhi ki confuse si aawaaj fir sunaayi di
.
"Dev Sir se baat ho sakti hai" Shaan bola
.
"HaaN ho sakti hai. Par pahle bataao ye bhoot kaun hai"  Bhabhi ne Shaan ki baat ka jawaab dekar utsukta se sawaal kiya
.
"Dev Sir se pochna. Aur plz ab jaldi se bhoot jee se.. I mean Dev sir se baat karaa do"
.
"Shitaan..... Tum Dev ko bhoot kah rahe ho. Lagta hai ab tumhaari pitaaee karni hi paregi" Bhabhi khilkhilaakar hanste hu'ae boli, aur mobile Dev ko pakraa diya
.
"Hello, Shaan kaise ho" Dev bola
.
"Kyaa aap S.P. Rahul ki aawaaj pahchaante ho"
.
"HaaN, bahut achchi tarah se" Dev ne jawaab diya
.
"Us shaam jab aap kidnap hone se pahle Rahul sir ke number aapke paas call aayi thi. Kyaa tab khud Rahul ne aapse baat ki thi"
.
"HaaN bhaai, Rahul sir ne hi baat ki thi. MaiN Rahul sir ki aawaaj achche se pahchaanta huN"
.
"Aapko pura yakeen hai ki wo aawaaj Rahul sir ki hi thi"
.
"Yes, 100% yakeen hai. Par tum ye sab kyoN poch rahe ho"  Dev ne uljhe hu'ae lahje me sawaal kiya. Jiske jawaab me Shaan ne call disconnect kar di
.
Call disconnect karke Shaan mobile ko apni pocket me rakh bhi nahi paya tha ki uske mobile par kisi ki call aane lagi. Shaan ne dekhaa, call Sanjana ke number se aa rahi thi. Shaan ne call reject kar di.
.
5 ya 6 second baad fir kisi ki call aane lagi. Shaan ne number dekha. Es baar Rani ki call thi. Shaan ne call recieve karni chaahi par galti se usse call reject karne wala button press ho gaya. Jise dekhkar Shaan ke monh se besaakhta nikla..."OH Sit... Beta Shaan tu to gayaa aaj kaam se"
.
Kuch pal baad fir Sanjana ki call aane lagi. Shaan ne Sanjana ki call es baar bhi reject kar di. Jaise hi Shaan ne Sanjana ki call disconnect ki fir se Rani ki call aane lagi.
Es baar koi galti na karte hu'ae Shaan ne call recieve ki aur jaldi se bola..."Sorry.. Sorry.. Sorry Rani galti se call reject ho gayi thi. Maine jaan bojhkar aesa nahi kiya tha"
.
"MaiN 10 minute me Railway Station aane wali hu. Tum car lekar jaldi wahaaN aao" Rani ne Shaan ki baat ka koi jawaab diye bina kahaa
.
Shaan ne mobile kaan se hataakar Sikandar se kahaa.."Jaldi se car start karo aur Railway Station le chalo"

-----------------
(Jaaree...)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #223 on: November 24, 2012, 11:56:49 PM »
Update 98
Quote
Shaan ne mobile kaan se hataakar Sikandar se kahaa.."Jaldi se car start karo aur Railway Station le chalo"

Aur fir Shaan ne mobile ko apne kaano se lagaa liya aur bola..."Tum kahaaN se aa rahi ho"
.
"Lagbhag Delhi ke paas se"
.
"Delhi..... Tum Delhi kyaa karne gaee thi" Shaan ne pareshaan hokar pocha
.
"Un chaar criminals ka picha karte huye, jinhe Vicky jail se nikaal le gayaa tha"
.
"What... Kyaa tumhe malom hai ki we chaaro kahaaN hai" Shaan khushi se chillaya
.
"Delhi se 25 km piche ak formhouse par"
.
"Mujhe wahaaN ka address do. MaiN jald se jald wahaaN pahonchna chaahta huN"
.
"Pahle Railway Station aao"
.
"Aa to raha huN. Par Rani plz wahaaN ka address de do. Agar der ho gaee to we log wahaaN se kaheeN aur bhi jaa sakte hai"
.
"Pahle mujhse shaadi karne ka wada karo"
.
"Shaadi... Rani tum ye kyaa kah rahi ho" Shaan hairat se bola
.
"Arre meri jaan tension mat lo majaak kar rahi hu" Rani ne hanskar kahaa
.
Rani ki baat sunkar Shaan ne ek gahri saans li aur bola.."Wese tumne ye sab kaise kiya. Mera matlab hai ki tumhe Vicky aur we chaaro kahaaN mil gaye the"
.
"Kal subah tumhaare jaane ke kuch der baad maiN bhi Agency ke liye nikal pari. Jab maiN Police Station waale road par pahonchi to dekha ki mere 3 saathi matlab mere saath kaam karne waale 3 Private Detective road ke kinaare khare baateiN kar rahe hai. MaiNe bhi unke paas car roki aur unse baateiN karne lagi. MaiN baateiN karte-karte aese hi road pe aati-jaati gaariyoN ko dekh rahi thi ki ek car wahaaN se gujri jise ganja chalaa rahaa tha. Us ganze ko dekhkar maiN chonki kyonki wo ganza koi aur nahi Vicky tha.
.
MaiN jaldi se apni car me baithi aur Vicky ka picha karne lagi. Mere teeno saathi bhi mere piche-piche ho liye. Unme se 2 ak Car me the aur ak apni bike par.
Vicky ki car Police Station ke paas ruki. Abhi Vicky apni car rok hi rahaa tha ki saamne se 3 car aayi aur Vicky ki car ke paas aakar khari ho gaee
.
Vicky apni car se utra aur un teeno car se 20 ya 25 se jayada log utre. Aur we sab Police station me chale gaye.
10-12 minute ke baad jab we laute to unke saath we chaar criminal bhi the jinko Karan bhaai ne arrest kiya tha. We chaaro Vicky ki car me baith gaye. Aur baaki ke sab un 3 car me baith gaye. Aur we teeno car jidhar se aayi thi waheeN ko waapis mur gaee.
.
Jabki Vicky ne apni car ko shahar se baahar jaane waale raaste pe aage baraane lagaa. MaiN aur mere saathi bhi Vicky ke piche ho liye. Ham Vicky ki car ka picha kaafi faasla rakhkar kar jisse unhe koi shak na ho ki unka picha kiya ja rahaa hai.
.
Kareeb 200 merter aage jaane ke baad Vicky ne apni car ak black scorpio ke paas roki. Car rokte ke saath hi un chaar me se do utre aur black scorpio me baith gaye. Unke baithte hi wo black scorpio delhi jaane waale raaste ki aur mur gaee. Maine apne saathi ki aour ishara kiya. Mere saathi ne apni car us black scorpio ke piche laga di.
.
Jabki maiN aur mera bike wala saathi Vicky ka picha kar rahe the jo sidhaa ja raha tha.
Kareeb 250 meter aage Vicky ne apni car ak black colour ki Safari ke paas roki.
Baaki ke bache dono us Safari me baith gaye. Aur wo shahar ke baahar jaane waale raaste pe sidhii aage barti chali gaee. Jabki Vicky apni car shahar ke andar le jaane laga.
.
Mere saathi ne apni bike Safari ke piche lagaa di aur MaiN Vicky ka picha karti rahi. Vicky shahar ke andar aur andar jata raha. Fir wo apni car ko ak ghar me le gaya.
Maine apni car us ghar se bahut piche roki. Aur aas-parosh me poch-taach ki to maloom huaa ki Vicky us ghar me pichle 15-20 dino se John ke naam se rah rahaa  hai.
.
Maine us ghar ka address tumhe SMS kiya aur apne saathiyoN ko call ki to malom huaa ki we dono car delhi jaane waale raaste pe aage bar rahi hai. Maine bhi apni car Delhi jaane waale raaste ki taraf daura di.
.
Kuch hi der me maine unme se Safari ko pa liya. Kyonki we log beech-beech me ruk-rukkar aage bar rahe the. We jahaaN bhi rokte 30 minute se pahle aage nahi barte the. Aakhirkaar aaj subah 5 baje we dono car delhi se 25 km piche main road se 100 meter hatkar bane huae ek formhouse me daakhil ho gaee.
Mere boss ko kuch paper ki jarurat pari jo mere paas the, esliye we mere paas baar-baar call kar rahe the. Esliye maiNe apni car apne saathiyoN ke paas chori aur train me baith gaee Kota aane ke liye.
Subah se maine 7-8 baar tumhe call ki par tumhara mobile switched off tha. Khair maiN ab train se utar chunki hu aur station se baahar aa rahi huN. Tum kahaaN ho?"
.
"Ham bhi Station ke baahar khare tumhara intizaar kar rahe hai. Tum jaldi baahar aao" Shaan ne kahaa.
Shaan ki baat sunkar Rani ne call disonnect kar di.
.
Shaan ne mobile apni pocket me rakhkha aur car se utarkar road ke kinaare aaya aur road cross karne ke liye piche dekha to use ak bike pe Vikraant aate dikha.

-----------------
(Jaaree...)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #224 on: November 25, 2012, 12:06:40 AM »
Update 99
Quote
Shaan ne mobile apni pocket me rakhkha aur car se utarkar road ke kinaare aaya aur road cross karne ke liye piche dekha to use ak bike pe Vikraant aate dikha

Vikraant ne hemlet nahi pahan rakhkha tha. Vikraant ki najar Shaan par nahi pari thi. Vo befikar sa bike chala raha tha. Wo Shaan ke paas se gujarne wala tha. Shaan akdam niche jhuka aur apne kadmo me paraa ak mote seb ki brabar paththar uthaya aur Vikraant ke sar ka nishana bnakar feka. Jo sidhe Vikraant ke sar se ja takraya
sar par paththar lagne se Vikraant ka bike se control khatam ho gaya, jisse uski bike giri aur band ho gaee. Bike ki speed jayada nahi thi. Esliye Vikraant ke koi khaash chot nahi lagi thi.
Vikraant ne ye dekhne ke liye ki paththar kisne mara tha, apni gardan piche ko ghumaee to Shaan ko teji se apni aour barte paya
.
Shaan ko dekhkar Vikraant ghabraya aur uthne ki koshish karne laga par abhi wo sahi se khara bhi nahi ho paya tha ki Shaan uske paas pahonch chuka tha
.
Shaan ko apne paas dekhkar Vikraant ne use maarne ke liye apna haath hawa me uthaya par Ajeet ki baat yaad aate hi niche kar liya. Ye dekhkar Shaan ne Vikraant ko hairat se dekha fir use apne saath chalne ko kahaa. Vikraant bina kuch kahe Shaan ke saath ho liya. Ab Sikandar bhi un dono ke paas aa chuka tha. Shaan ne Sikandar se Vikraant ko car me le chalne ko kahaa aur khud saamne se aati huee Rani ki taraf bar gaya. Sikandar Vikraant ki kanpati par apna rivolver lagakar car ki taraf le jaane laga.
.
Shaan se saare jakham pet aur kamar pe the jo ki uski shirt ke niche chupe huae the. Esliye baahar se dekhne par koi jakham nazar nahi aa raha tha. Par khoon bah jaane ki wajah se Shaan ke chehre ki surfi gaayab ho chuki thi. Aur uski jagah peelepan ne le li thi
.
Rani Shaan ke paas aaee aur gaur se Shaan ko dekhte huye fikarmandi se boli.."Shaan, tumhe kya ho gaya hai"
.
Shaan Rani se najre churaate huye jaldi se bola.."Rani abhi en baato ko karne ka time nahi hai. Mere piche-piche aao"
.
"Time ki Maa ki... Mujhe kuch nahi sunna hai. Jaldi batao, tumhaare chehre ki surkhi kahaaN gaayab ho gaee hai" Shaan ke piche chalte-chalte huye Rani gusse me boli
.
Shaan ne Rani ki baat ka koi jawaab na diya. Wo tej-tej kadam uthate huye aage barta raha. Wo Rani ke sawaalo se bachne ke liye jald se jald Sikandar ke paas pahonchana chaahta tha. Kyonki use pata tha ki Rani kisi aur ke saamne jayada nahi bolti thi
.
"Tumne suna nahi maine kya kahaa hai" Rani teji se aage barkar Shaan ka haath pakarkar rokte huye boli
.
"Saamne dekho" Shaan bola
.
"Vikraant" Saamne car ke paas khare Vikraant pe najar parte hi Rani ke monh se nikla
.
"HaaN" Shaan ne kahaa
.
Shaan ki baat sunkar aur saamne Vikraant aur Sikandar ko khara paakar Rani ne Shaan ka haath chor diya. Aur chup-chaap Shaan ke piche-piche chalne lagi. Par uske chehre pe baicheni saaf jhalak rahi thi
.
Car ke paas pahonchkar Shaan ne car ka pichla gate khola aur Vikraant ko aage baithaya aur khud bhi uske saath piche hi baith gaya. Shaan ne car me rakhkhi rassi se kamar ke piche karke Vikraant ke dono haath baandh diye
.
Uske baad Sikandar ko ak address bataakar car wahaaN le chalne ko kahaa. Rani front seat pe baith gaee aur Sikandar ne driving seat pe baithkar car aage baraa di
.
"Tumne apna phone switched off kyoN kar rakhkha tha. Raat maine kai baar try kiya par har baar tumhara number switched off hi aaya fir maine Karan Bhaai ka number dail kiya par wo bhi switched off hi tha. Subah se bhi kai baar maine tumhara number try kiya par lag lag hi nahi raha tha" Rani piche ko murkar Shaan ko dekhte huye boli
.
"Sanjana Bhabhi ne mera aur Karan ka mobile switched off karke apne paas rakh liya tha" Shaan ne bataya. Jaise hi Shaan chup huaa uske mobile pe kisi ki call aane lagi. Shaan ne apni jeb se mobile nikaal kar dekha. Car Sanjana ke number se aa rahi thi. Sanjana ki call dekhkar Shaan ne apni jeebh daanto tale dabaate huye call reject kar di. 1 minute baad Shaan ke mobile par Karan ki call aane lagi. Shaan ne esko bhi reject kiya aur mobile silent karke jeb me rakh liya
.
"Rani ak baat pochu" Shaan Rani se bola
.
"Pocho"
.
"Agar koi larki kisi larke ko mera kahkar to uska kya matlab hota hai"
.
"MaiN kuch samjhi nahi"
.
"Agar koi larki tumse aakar ye poche ki mera Shaan kahaaN hai to es mere Shaan ka kya matlab huaa"
.
"Matlab sidha sa hai ki wo larki tum par apna hak samajhti hai. Tumse pyaar karti hai" Rani ne jawaab diya
.
Rani ka jawaab sunkar Shaan ke chepre pe khushi failti chali gaee. Jise chupaate huye Shaan  Sikandar se bola..."Bas yaheeN rok lo"
.
Sikandar ne car rok li to sab niche utar gaye to Sikandar ne Vikraant ko bhi baahar nikala
.
 Shaan master key nikaal kar ak ghar ka lock kholne laga. To Sikanadar ne hairat se pocha.."Sir, ye ghar kiska hai"
.
"Malom nahi" Kahta huaa Shaan ghar me daakhil ho gaya

-----------------
(Jaaree...)
Logged
Pages: 1 ... 11 12 13 14 [15] 16 17 18 19
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:19:25 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.141 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer